• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

Nihal dhillon

Active Member
661
1,507
124
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF FLASHBACK ME VERONICA AUR SANEEL G.O.D ORGANIZATION KE CORPS SE LADHTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF PRESENT ME DIMPLE APNE BHAI SAM KO SANVY AUR USKE FRIENDS KO NUKSAAN NAA PAHUCHANE KI WARNING DETI HAI...

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-95

DATE-27TH FEBRUARY


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS





KYA BAAT HAI LOUNDE...???AAJ PEHLI BAAR EXAM SE EK DIN PEHLE TERI FATI GAAND KA SUBOOT TERE CHEHRE PAR NAHI DIKH RAHA...!!!


NITS ko confidently chill hokar baithe dekh puchi thi ye baat EKPREET ne...

filhal ye sab apne class me the...aur aaj class bhi full house thi joki laazmi bhi tha...

kal se board exams the inke jisme class enter karne ke liye apne apne admit card lene sabhi aaj school aaye hue the...

essembly ke baad sabhi apne admit lene apni class me aakar baithe hue the...

aur kyunki aaj ka kaam bas admit card collect kar wapas ghar jaane ka tha isiliye puri girl gang aage aur boys ki mandali last me baithi hui thi...

khair, EKPREET ki baat sun baaki sabke saath khud NITS bhi has diya tha...

NITS-woh isiliye chutiye kyunki is baar baari gaand fatne ki nahi balki sabki gaand faadne ki hai...

SONU-kkya bbaat hai lounde...!!!itna cconfidence...!!!

NITS-life me pehli baar taiyari puri ki hai...!!! confidence toh hoga hi...

waise confidence se zyada khush hun mai... kyunki hamare group me bas ek mai hi tha jo padhayi me hamesha sabse piche rehta tha...

par finally is baar aisa nahi hoga...apan bhi tum sab ke level par aa gaye hain re jhaantu logon...

RAJAT-baat toh sahi hai teri par thoda sa correction hai...tu akela nahi,teri tarah padhayi me SANVY bhi baaki sabse piche raha hai...

tu toh saale aage nikal aaya par woh kameena abhi bhi waisa hi hai...

saale ka itna tez dimag hai...

aisi aisi cheezen predict kar leta hai jisse dusre log saamne se dekhne par bhi theek se samajh nahi paate...

itna sharp aur skillful mind par padhayi me phir bhi average...

EKPREET-satyavachan...upar se saale ke paas toh free me ek tution teacher bhi hai...

apni ANJALI.DIMPLE aur SAM ko frame se hata den toh baaki sabse aage hai woh...

infact,uske jitne number toh B section ke topper ROHAN ke bhi nahi aate...

RAJAT-ye toh hai...

aur pata hai NAISHA bata rahi thi ki board ke 90 percent prep ANJALI SANVY ke saath uske ghar par hi kar rahi hai...

is beech SANVY chaahe ya naa chaahe, ANJALI usse zabardasti hi sahi but 4 hours plus padhati hai...

EKPREET-wow...lagta hai phir is baar board me ye NITS ki tarah SANVY bhi acha score karne waala hai...

SONU-ghanta... ppuri baat nahi bbatayi tujhe NAISHA nne...

ANJALI us kamine kko 4 gghante plus ppadhane kki bas koshish karti hai...

par ab ttak properly ppadha paaye hhai nnahi...

dono kke revision time gaya ttha mai ek bbaar SANVY kke ghar...

saala har ddus minute mme koi na kkoi bahana bana kar 1 mminute ka bol room se nikal jjaata hai aur 10,15 mminute kke baad hi aata hai aur wwoh bbhi tab jab ANJALI khojkar gaali bbakne kke beech usse kkheenchkar wapas room mme llaati hai...

ppura vikram baital waala sscene cchalta hai uske gghar mme...

HAHAHA...

EKPREET-VIKRAM toh saamne hi baitha hai,i mean baithi hai par apna baital kidhar hai...!!!

aaj bhi late...!!!

saamne ki row me baithi ANI ko dekhne ke baad SANVY ke baare me pucha tha EKPREET ne joki assembly me bhi gayab tha...

NITS-abbe consistency dekh... mere ko toh doubt hai ki saala kal exam me bhi kahin 10 minute late naa pahunche...

THAKKK...

NITS ki baat khatm hui hi thi ki tabhi class room ke right door ka palla joki halka band tha, uske tez khulne ki awaaz sabke kaano par padi...

ek saath sabki nazarein door ki taraf jaa chuki thi aur jo scene tha,usse dekh nigahein hath nahi paayi kisiki joki laazmi bhi tha...

door par mere saath SAM jo khada tha...

darasal haath me uske ek book thi jisme khoye hue hi woh class ke andar rush in kar raha tha...

mai thoda aage chal raha tha isiliye casual tha...par SAM ne mujhe aage chalte hue dekha nahi aur uske rush in karne ke chakkar me hum dono ke kandhe takra gaye...

takkar maamuli thi par mere shoulders ke stiffness se SAM ladhkhada bhi gaya aur hadbada bhi gaya...

aur ue hadbadahat mujhpar nazar padte hi aur badh gayi thi uski...

wahin maine apne plain nazaron se usse ek second bhar dekha tha...

jabdon ke chaaron taraf lagi patti ab gayab thi par dhyan se dekhne par halki si sujan dono taraf ab bhi dekhi jaa sakti thi...

aankhon ke neeche ka hissa bhi kaafi recover ho chuka tha par maar se bane kaale nishaan ka ek semi dark patch ab bhi moujud tha us spot par...

SAM-sorry woh dekha nahi maine...

MAI-wahi toh...dekh hi toh nahi paaya tu...kabhi bhi...

apni baat bol mai toh aage badh gaya par meri kahi baat ka matlab samajh apni jagah par atak hi gaya SAM...

OYE SAMEER...YE RAASTA BLOCK KARKAR KYUN KHADA HAI TU...???

SAM-oh..sorry sir...

RAO sir as in hamare class teacher the ye jinki awaaz sun hadbadate hue wapas apne senses me aaya SAM aur tezi se class ke andar chal pada...

saamne ke seats par hi ANJALI ke saath RASHI, NAISHA aur KHANAK baithe the jinki ghurti nazar par sir neeche kar liya tha usne...

wahin NAISHA ke agle desk me DIMPLE baithi thi jisne baaki girls se alag apne bhai ko ek nazar dekha tak nahi...

ANJALI ke row ko cross karte hue piche badha SAM aur tab uski nazar gayi hum sab par joki last bench par apna dera jamaye baithe the...

aana toh woh hum sabke paas hi chahta tha par phir wahin second row me hi baith gaya SAMEER...

class full ho chuki thi jiske baad exam aur hamare performance par motivation ka ek lamba chowda lecture dene ke baad RAO sir ne hum sabko roll number wise hamara admit card de diya...

jis kaam ke liye hum aaye the,woh ho chuka tha isiliye exams ke liye aakhri baar all the best bolne ke baad RAO SIR class se nikal gaye...

aaj je idhar ka scene toh complete ho chuka tha isiliye sir ke class se nikalte hi students bhi apne apne group ke saath masti karte hue class se nikalne lage the...

wahin hum sab abhi bhi class me baithe bakchodi hi kar rahe the jisme kuch der baad girls bhi shamil ho chuke the...

DIMPLE bhi thi baaki sabke saath...baaki sab ab uske saath pehle ki hi tarah friendly ho chuke the...

bas meri hi baat nahi hoti thi usse par pehle ki tarah ab ignore nahi karta tha mai usse...

khaaskar SAM ke ghar me jo hua tha,uske baad kabhi kabhi nazar meri DIMPLE par chale jaati thi jisse turant hatata bhi nahi tha mai...

ye bhi ek wajah thi DIMPLE ki mere saamne rehne ki... mujhe khudko dekhte paakar bohot khush hoti thi woh...

abhi bhi wahi hua... mere theek saamne khadi thi woh...baatein sabse kar rahi thi par dekh woh lagataar mujhe hi rahi thi...

aise me jab maine dekha usse toh uski ghumti nazar bhi mujhpar hi aakar tik gayi...

chehra shaant tha uska par uske aankhon ke through khushi mehsoos kar raha tha mai...

HEY GUYZZZ...

ANI aur baaki girls hamare aage rakhe desks par baith chuke the...

bas DIMPLE hi khadi thi...

"SIT"...

side waale desk ko saamne laga kar usse ye kehne hi waala tha mai ki tabhi SAM DIMPLE ke piche se aakar uske baaju me khada jo chuka tha...

SAM ko dekh jahan ek taraf mai bolte bolte rook gaya tha wahin baaki sabki nazar bhi usse ghoorne lagi thi...

hume respond na karta dekh acha toh nahi laga SAM ko par phir bhi apni smile barkarar rakhi usne aur...

SAM-kaise ho yaar...???

SONU-kkya cchaihiye SAM...!!!???

SAM-guyz mai jaanta hun tum sab naaraz ho mujhse but trust me...

jaanbujh kar kuch nahi kiya maine kuch...!!!us din farewell me jo hua...

ANJALI-enough...

aage kuch bolta SAM ki tabhi uski taraf palat zor se chilla uthi thi ANJALI...

ANJALI-tune jo kiya,pure sense me kiya isiliye faaltu aur jhoote explanations dene ka sochna bhi mat...

tujhe dekhte hi tera mooh fodne ka dil kar raha hai par kar isiliye nahi rahi kyunki ye kaam mera bestie pehle hi kar chuka hai...

isiliye apne sorry ki batti apne pichwade me ghussa and fuck the hell off...

SAM-koi fake sorry nahi bol raha hun mai ANJALI...i mean it...i know ki galti hui hai mujhse...

aur sirf us din hi nahi,pehle bhi hui hai...par ek sach ye bhi hai ki tum sabke liye friendship ki jo feeling hai mere man me, that's genuine...

NITS-waah re tera dialogue...kamal ki genuineness hai bhai teri...!!!

jo dost hote hain naa,sache dost woh apni dosti nibhane ke liye khudko piche kar lete hain...

jaise SANVY ne kiya tha taaki tu apne baap ke saamne school champion ban sake...

tune toh saale dosti ke naam par hamesha peeth par khanjar hi ghope hain...

jab socha hai sirf apne baare me socha hai...

SAM-ye sach nahi hai...us din farewell me jo hua,uske baad bhi SANVY school me hai...

socha hai kyun...!!!mom toh isse expel karwa dena chahti thi par maine mana kiya tha...

HAHAHA...

SAM ki baat par lagbhag sabhi has diye the...

SONU-ttune rukwaya ttha...warna tteri mmom isse expel kar deti...ajji ghanta...PRINCI aisa hhone hi nnahi dene waali tthi...

NITS-true that...teri mom kuch bhi nahi kar sakti thi...

RASHI-arre unki haalath toh VERONICA aunty ko dekhkar hi kharab ho gayi thi...

gora chehra peela padh gaya tha unka...

SAM-hey... meri mom ke baare me baat kar rahi ho tum...

RASHI-toh...to get respect...you gotto earn it first...

us din teri ochhi harkat ko live dekhne ke baad bhi tujhe punish karna chhod teri mom SANVY ko hi blame kar rahi thi...

aur ab yahan tu hai jo apni aur apne mom ke fake ehsaan ginwa raha hai...

par isme teri bhi kya galti...sikhte toh hum sab apne mom dad se hi hain...jaisi woh hain,waisa tu...a hypocrite...

SAM-enough...

DHAKKK....

apni mom ke baare me sun joki sach hi tha,hadh se zyada bhadak gaya SAM... tezi se RASHI ki taraf aage aaya tha woh par tabhi baithe baithe hi chali meri laath jo padi sidhe SAM ke chest par...

hit impactful tha isiliye turant piche ki taraf ladkhadate hue neeche gir gaya SAM...

dard toh kaafi ho raha tha SAM ko par is waqt aankhon me uske tha mere liye beshoomar ghussa aur zehen me....!!!!!




FLASHBACK:-


TODAY MORNING






HELLO DAD...

mobile ke ek line par tha JAIDEN CHOWDHARY aur dusri taraf unka beta SAM...

waise toh apne secret ke chakkar me SAMEER apne dad ke saath zyada raha nahi tha par tha toh JAIDEN uska baap hi...

aur JAIDEN ki personality bhi ordinary thi nahi...THE JAIDEN CHOWDHARY tha woh jiske jaisa banana hi SAM ka hamesha se sapna raha tha isiliye aaj bhi JAIDEN ke saath ho rahi kisi bhi tarah ki communication se nervous ho jaata tha woh...

abhi bhi same haal tha...apne dad ko hello bolte waqt bhi nervousness saaf dekhti jaa sakti thi SAM ke face par...

JAIDEN-kaisa hai mera tiger...!!!???

SAM-i am good dad...

JAIDEN-hmm..toh excited...kal se board exams shuru ho rahe hain...admit card lene school jaa raha hai naa...!!!

SAM-aapko pata tha dad...!!!

JAIDEN-hahaha...arre beta,saath nahi rehta tere par you are my son...

tere se judi choti se choti baat bhi pata hoti hai mujhe phir ye toh tere board exams hain...

one of the most important thing of your life...kaise pata nahi hoga...

SAM-bas dad,school ke liye nikal hi raha tha...

JAIDEN-tere friends se tera patch up hua...!!!

apne dad ki baat sun pehle toh chownka SAM par phir usse kuch seconds pehle boli gayi unki baat yaad aayi...

that he knows everything about his son...

isiliye agle hi pal udaas ho gaya woh aur...

SAM-no dad...

JAIDEN-arre...what about your two besties...kya naam tha unka...???

SAM-EKPREET aur RAJAT...

JAIDEN-yaa..that two guys...

SAM-woh bhi nahi aaye dad...

JAIDEN-really...!!!bas naam ke hi besties hain kya...!!!

SAM-aisi baat nahi hai dad...jo mujhse hua hai,uske baad they all will need time to get over it and forgive me...

JAIDEN-bullshit...kya hua hai tumse...!!!ek sensual dance form ko perform karne ke dauran apne partner ke sensitive part par chale gaye tumhare haath...

that's it...kya ye itni badi deal hai ki uske baad jo hua,woh hona chahiye tha...

i mean,if i am not mistaken,jis ladki ki wajah se jhagda hua,she is your ex g.f right...!!!

SAM-yes dad...

JAIDEN-toh phir, issue tha hi kya...???aisa toh hai nahi ki apne relationship ke time tum dono intimate kabhi hue nahi hoge...

phir kapdon ke upar se ek maamuli shrug off ko itna tul dene ka logic hi kya tha...

you know son,jo tumhare saath SANEEL ke bete ne kiya,iske baad bhi woh sahi salamat sirf isiliye hai kyunki woh tumhara friend hai...

warna ab tak uski life mai ruin kar chuka hota...mai kya,ab tak toh tumhari mom hi usse school se black list karwa chuki hoti...

agar mujhe pata hota ki woh tumpar haath utha sakta hai and that too this badly toh us din maine hi uski haalath bigaad di hoti...

SAM-us din...!!!kis din dad...???

SAM ke puchne par JAIDEN ne usse club me uske aur SANVY ke beech hue friendly banter ke baare me bataya jisse sun SAM hairan bhi hua aur SANVY ko uske dad ne easily beat kar diya tha, ye sun,ek ajeeb si khushi bhi jaagi thi uske man me...

JAIDEN-beta ek baat yaad rakhna...true friends saath kabhi nahi chhodte...tum sahi karo ya GALATH,they will always stick with you...

agar aisa nahi hai then they are not your friends...kabhi the hi nahi...

SAM-toh dad,kya mai unse baat nahi karun...!!!

JAIDEN-afcourse karo... infact, tumse jo hua,agar uske liye tum guilty feel kar rahe ho toh jaao and apologize to them...

agar un sabne maaf kar diya toh brilliant...agar negetive rahe aur tumhe ignore kiya,tab bhi it's ok...

uska matlab hoga that they need time jo tumhe dena chahiye unhe par agar they disrespect you...

kuch aisa kaha unhone jo hurt kare tumhare dil ko then yes...tumhe unse matlab nahi rakhna chahiye...

kabhi bhi nahi...

SAM-ok dad...

JAIDEN-ek baat aur...maine feel kiya hai ki you feel inferior infront of that kid,SANVEER...

iska reason uska zyada talented hona nahi balki tumhara dar hai...

kyunki pehle tum usse haare ho, isiliye usse lagatar haarne ka dar...logon ke saamne chota feel karne ka dar...

stop feeling intimidated...mat bhulo ki tum mere bete ho... JAIDEN CHOWDHARY ke...

you are a born champ bas tumhe khud feel karne ki zaroorat hai...

aur tum karoge...mai karwaunga... mujhse bhi better banoge tum and that i promise...

SAM-thanks dad...

JAIDEN-dont mention it my son...all the best for your exams...

ab rakhta hun but haan,meri baatein yaad rakhna...


FLASHBACK ENDS:-




wakayi yaad rakhi thi SAM ne aaj subah hui apne dad ke saath convo jiska impact bhale hi us time par half baked hi tha par abhi SANVY ki laath padne par un baaton ka asar puri tarah pak chuka tha...

SAM-enough...

apne shirt ko jhaadne ke beech gurra khada hua SAM...

NITS-enough...abbe ye word maar khaane waala nahi balki maarne waale ko feel hona chahiye...

SAM-hamesha....apni aukaat se badhkar baatein ki hai tune aur bardasht kiya hai maine...

reason pata hai...ye...SANVY...iski dosti keh le ya dar...bas issi ki wajah se apne pairon par khada hai tu warna bohot pehle hi teri haisiyat ki sachchayi bata chuka hota mai...

NITS-uski kabhi zaroorat thi hi nahi...kyunki apne ko maalum hai ki kaun hun mai...

atta chakki chalane waale ka proud beta hun mai...ek aise baap ka beta jiske paas bhale hi paise kam hai par khuddari ka aisa khazana hai jo tere pure khaandan ke paas milakar bhi nahi hai...

SAM-khuddari...wafadari... kurbani...tum jaise gareebon ke mooh se hi ye words nikalte hain and do you know why...!!!

kyunki apni naakami aur gareebi chuppane ke liye bas ye khokle words hi toh hai tum sabke paas...

MAI-now you are talking... this is the real you...aise hi kyun nahi raha shuru se tu...!!!

bhale hi dost kabhi nahi hote par teri honesty ke liye atleast i would have respected you...

SAM-jawab toh aa hi gaya hai...abhi jo tune bola usme aur jo maine pehle bola tha usme...

teri dosti aur tujhse dar...par ab ye dono hi equations nahi bache...

ab naa hi mujhe teri dosti chahiye aur dar toh ghanta nahi lagta mujhe tujhse...

EKPREET-enough SAM...just leave...

RAJAT-ya man...baat yahin khatm karte hain...

awaaz har pal badhte jaa rahi thi SAM ki jisse sun EKPREET aur RAJAT dono hi samajh gaye the ki agar aisa hi chalta raha toh aaj phir gande se pitega SAM...

SAM ne jo kiya,bhale hi woh unapologetic tha par phir bhi SAM ke saath pura bachpan bitaya tha un dono ne...

maaf karen ya na karen par isse aur zyada humiliate hone se toh bacha hi sakte the dono...

issi soch ke saath apni apni baat kahi thi un dono ne par asar iska ulta hi ho gaya...

SAM-and you two...saale best buddies the tum dono mere...

brothers from different mothers maanta tha mai tum dono ko par saale tum dono bhi matlabi hi nikle...

jab saath dene ki baari aayi,jab mujhe tum dono ki sabse zyada zaroorat thi tab ghus gaye is SANVY ke pichwade me...

par tumhe bhi kya hi dosh dun... jab family ne hi gair ko chuna hai phir tum dono toh pehle se hi gair ho...

apni behen jo lagatar usse hi ghoor rahi thi SAM ko,usse dekh kahi thi ye baat SAM ne jispar DIMPLE ka dimag aur ghoom gaya...

DIMPLE-kis level tak girega tu SAM...jo tune kiya...

SAM-maine kiya...!!!haan, GALATH kiya maine...maanta hun... isiliye hi toh yahan sorry bolne aaya tha...

par sirf mera hi GALATH dikha tujhe...iska nahi...us din farewell ka video dekha tha naa tune...sabke saamne meri mom ka gala dabaya tha isne...

teri bhi mom hi hai naa woh...par phir bhi iska support kar rahi hai tu...

agar same chiz maine ki hoti toh...agar maine iski mom ka gala dabaya...

AHHH...

aage bol nahi paaya tha SAM kyunki tezi se aage badh uska right hand ghuma usse jhuka diya tha maine...

MAI-pehli baat toh meri maa ke girehbaan tak pahunchne ki aukaad teri kya tere pure khaandan ki hi nahi hai...

par agar tu koshish bhi karta tha toh MAA chod deta mai teri...

ab khud par ek ehsaan kar aur nikal...

ek jhatke ke saath chhoda tha mai SAM ko jispar aage rakhe desk ko hold kar khudko girne se bachaya usne...

apne haath ko jhatakne ke beech ek smile naach uthi thi uske face par...

SAM-bura laga naa... mujhe bhi laga tha jab ye looser log meri mom ke baare me bakwaas kar rahe the...

aur kya ehsaan be...hai aukaad teri mujhpar ehsaan karne ki...

haan,maanta hun ki better hai tu bohot si chizon me mujhse lekin bhul mat ki duniya ki nazar me i am the bloody champ of SIRIUS...

aur tu bas ek maamuli student...phir bhi,i promise you SANVY,ek din sabke saamne dhul chataunga tujhe mai...

thik waise hi jaise mere dad ne tujhe club me chataya tha...

kyun,bhula toh hoga nahi tu...aakhir asli swaad aur apni aukaat ka pata chala tha tujhe us din...

MAI-beta comparisons toh dhang se kar liya kar...khud mere saamne tik nahi paata isiliye apne baap ko aage kar diya...

aur agar waqt me piche jaa ho raha hai toh dhang se piche jaa naa...

tere dad ne toh apni taakat lagakar ek complete serious move se mujhe haraya tha par woh bhi thodi der ke liye...

i was out within a couple of seconds par mere dad ne toh bina chhue hi bas mazaak mazaak me hara diya tha tere dad ko...

agli baar jab khud par haanke naa tere dad toh puch liyo khud...

aur same chiz tere saath bhi hogi...jitna kar sakta hai,kar le ready khudko...

but remember my words very carefully...agli baar jab bhi tu maidan me hoga,mai bhi rahunga wahan...

aur challenge koi sa bhi ho, SANVEER AHARYA ki barabari 5 seconds ke liye bhi nahi kar paayega tu...

and that is my promise...aur tujhe toh pata hi hai ki SANVY apne promises kis hadh tak nibhata hai...

bas tu apni baat se mat palath jaaiyo...

SAM-nahi paltunga...i swear on my dad...

MAI-good...kyunki mere dad hamesha ek baat bola karte the ki...

"JO APNE BAAT KA NAHI,WOH APNE BAAP KA NAHI"...

ab nikal...

kuch seconds ghura SAM ne mujhe, infact hum sab ko aur phir tezi se class ke bahar nikal gaya...

SAM ki wajah se mood sabka kharab ho gaya tha isiliye dheere dheere sab class se nikalne lage the...

NITS-DIMPLE...woh maine SAM ke khaandan waali baat jo boli thi naa,uske liye sorry haan...

tu add nahi thi us baat me...

DIMPLE-i know...chill...

muskurate hue baat ki thi DIMPLE ne par ye smile sirf bahari taur ki thi...

man me udaas thi woh... pehli toh apne bhai ki wajah se par usse bhi zyada isiliye kyunki aaj SANVY ki usse baat hote hote reh gayi thi...

SAM ke aane se pehle jab SANVY usse baithne ke liye bolne waala tha,she had sensed it...

khush ho hi rahi thi woh ki tabhi SAM us khushi ke beech grahan bankar aa gaya tha...

yahi wajah thi ki jahan ek taraf baaki sab toh baat karte hue aage nikal chuke the wahin dusri taraf sir halka jhuka sad feets ke saath dheere dheere chal rahi thi DIMPLE par tabhi...

MAI-DIMPLE...

mai just piche hi tha DIMPLE ke aur meri awaaz itne nazdeek se sun hadbada gayi thi woh...

par phir khudko aur mere mooh se khudka naam sun apni khushi ko dabate hue rook gayi woh...

DIMPLE-SANVY,SAM ne jo kaha,uske liye...

MAI-SAM ne uski sacchayi saamne rakhi hai...aur uske sach aur harkaton ka theka uska hai,tumhara nahi...

so stop feeling guilty about his deeds..maine isiliye roka tumhe kyunki MAA milna chahti hai tumse...

DIMPLE-aunty...chalo chalte hain phir...

MAI-abhi...!!!

DIMPLE-haan kyun...!!!???

MAI-woh kya hai naa ki hume school se P.L mila hua hai,MAA ko kaam se nahi...

abhi,she is in the bank...5.30 ko ghar aati hain woh...agar busy nahi rahi toh,6.pm aa jaana tum...

DIMPLE-aunty ke liye mai kabhi busy nahi rehti...

MAI-cool then...

smile kiya maine aur palath gaya par tabhi...

DIMPLE-6.p.m...tum rahoge naa,ghar par...!!!

MAI-dont know... normally 6 baje se pehle hi ANI ko ghar drop karne nikal jaata hun mai...dekhte hain...agar wapas aa gaya toh...shayad...!!!

kandhe uchka apni baat bol aage badh gaya mai par mujhe jaata dekh ek smile naach uthi thi DIMPLE ke face par jiske baad...

DIMPLE-agar mere liye tumhare man me feelings ab bhi hain toh shayad nahi pakka rahoge tum...





TIME-5.55 PM

PLACE -SANEEL'S RESIDENCE






DING DONG...

OYE HOYE...KYA BAAT HAI...!!!AAJ SASURAAL KAISE YAAD AA GAYA...!!!???

ANJALI thi ye jisne door kholte hi saamne DIMPLE ko dekh chheda tha usse jispar pehle se hi DIMPLE ke gulabi gaal aur pinkish ho gaye the...

DIMPLE-kuch bhi nahi bol deti hai tu...!!!

ANJALI-waise SAASU MAA se milne aayi hai ya SAAJAN se...

DIMPLE-shut up will you...aunty ne bulaya tha...

ANJALI ke kandhe ko jhatakte hue uske baaju se hote hue andar chal padi thi DIMPLE...

ANJALI-toh SAASU MAA bolna na darling...waise SAAJAN bhi yahin hai...

mil le ache se usse bhi...you know with a tight hug...

DIMPLE-hug kya kiss bhi kar leti agar tu yahan naa hoti...

DIMPLE ki bebaaki par ab baari thi ANJALI ke hadbadane ki par agle hi pal has padi woh aur...

ANJALI-now that's my girl... cool...

DIMPLE-waise tum dono ab tak yahin ho...i mean SANVY bata raha tha ki is time tak he leaves to drop you home...

ANJALI-is time...us kamine ka bas chale toh mere aate hi wapas bhej de mujhe...padhayi ke naam se hi bukhaar chadhta hai usse...

DIMPLE-hahaha... phir aaj kya hua...???

ANJALI-chamatkar hua hai...aaj time hone ke baad bhi janab ne rukne aur extra revision ke liye kaha...

lagta hai kisi kutte ne kaat liya hoga...

MAI-kamsekam meri taarif karte waqt toh apni prajati ko mat ghusaya kar...

apne room se nikalte hue jawab diya tha maine jispar mujhpar bhadakne waali hi thi ANI ki tabhi...

AB PHIRSE SHURU MAT HO JAANA TUM DONO...

MAA thi ye jinhe dekh DIMPLE turant badhi thi unki taraf...

pair chhune lagi thi woh MAA ke par MAA ne beech me hi rok gale laga liya usse...

ANJALI-mai nahi karti MAA kuch shuru...har baar yahi pinch karta hai...

MAA-arre ye toh hai hi badmash par tu toh meri samajhdar gudiya hai naa...

ANJALI-woh toh mai hun hi...

MAI-bas phir...aaj ki padhayi khatm...

ANJALI-bas MAA, kuch equations diye hain maine isse solve karne ke liye...

ye solve kar le,then we are done...

MAA-woh mai dekh lungi...abhi late ho raha hai,you need to head back home...

aur ghar jaane ke baad bhi no more study...already sab rat liya hai tune...

dimag ko aur kheencha toh jitna yaad hai,woh bhi bhulne lagegi...

isiliye just go home and relax...kuch bhi hectic naa sochna aur naa hi karna...

haan, ye phone aur gadget me bhi zyada mat ghusna...raat ko jaldi so jaana taaki morning me neend complete ho jaaye...

exam time toh afternoon 2 p.mse hai naa...

shower aur breakfast ke baad bas halka fulka hi revision karna,no extra load...

fresh mind se kal exam degi toh padha hua kuch bhi nahi bhulegi...

aur ye mera suggestion nahi order hai which you have to follow...

ANJALI-aapka suggestion bhi order hi hota hai mere liya which i always follow...

MAA-tabhi toh samajhdar kaha tha maine tujhe...ummh...

ANI ko bhi hug karne ke beech uske maathe ko chuma tha MAA ne...

ANJALI-chale sir ghar...jaldi loutna bhi hai tujhe...phir DIMPLE ko bhi toh drop karega naa...

MAI-mai kya tujhe pickup and drop service waala dikhta hun kya...!!!

ANJALI-badi jaldi guess kar liya...!!!ab chalen...

DIMPLE-no rush SANVY... mujhe drop karne ki zaroorat nahi hai...mai car se aayi hun...

MAI-cool...chal...aa raha MAA...

ek baar halki nazar se DIMPLE ko dekhne ke beech MAA ko bol ANJALI ke saath ghar se nikal gaya mai...

VERONICA-what will you have...!!!

DIMPLE-please aunty... kamsekam aap toh formality mat kijiye...

VERONICA-uske liye toh phir pehle kuch karna padega tumhe...!!!

DIMPLE-really...!!! anything aunty...

VERONICA-ye...jo last bola naa tumne,isse erase karna padega...

DIMPLE-last word...!!!aunty...!!!

VERONICA-yup...

DIMPLE-fir kya bulaun...???

VERONICA-wahi jo SANVY bulata hai...ANI bulati hai...

DIMPLE-woh dono toh aapko MAA........

VERONICA-black coffee peeti ho naa...laati hun...

MAA bolte bolte blank ho gayi thi DIMPLE...uske dil me chal rahe manobhav ko achi tarah samajhti thi VERONICA isiliye to give her some time, kitchen ki taraf badh gayi thi woh...

aur VERONICA ka thought sahi tha...wakayi stabdh si ho gayi thi DIMPLE joki laazmi bhi tha...

"ASHA MAA NE MUJHE KHUDKO MAA KEHNE KO KAHA PAR TUMHARI ACTUAL MOM AS IN AUNTY NE KYUN KABHI AISA NAHI KAHA..."???

"SHAYAD MAA KE DIL KE US KONE ME JAHAN MAI HUN,ABHI TAK TUM PAHUNCHI NAHI WAHAN..."...

december ke time DIMPLE ke is sawal par sidhe aur sapat tarike se sach bola tha SANVY ne jisse sun man hi man thodi hurt hui thi DIMPLE...

par aaj...jo woh chahti thi, VERONICA ne keh diya tha...matlab as per SANVY'S thought, special thi DIMPLE bhi...

ye jaankar hadh se zyada khush ho gayi thi woh aur apni us uncontrollable happiness ko control me laane ke liye wakayi kuch minutes lag gaye the usse...

VERONICA-coffee...

DIMPLE-thanks aunty i mean M..A..A...

VERONICA-thats better...

DIMPLE ke aunty bolte hi coffee mug piche kheench liya tha VERONICA ne par phir jaise hi MAA bola usne toh badi khushi se coffee mug usse thama sofe par uske saamne baith gayi woh...

VERONICA-so,all set for the exam...!!!

apni coffee ka sip lete hue thode serious tone me pucha tha ye sawal VERONICA ne...

DIMPLE-almost MAA...!!!

VERONICA-almost...agar tumhara prep almost hai,phir toh baaki sab pakka fail hone waale hain...

DIMPLE-itni bhi bright nahi hun mai MAA...

VERONICA-yaa right...!!!97.6...prelims me itne hi percent aaye the naa tumhare...

DIMPLE-jee...

VERONICA-pata hai tumhari PRINCI,RANJANA ko i.c.s.e board waale India's ke sabhi prestigious school ke saare exams ka result info rakhne ka shouk hai...

and according to her,your prelims marks were the second best marks in the whole country...

aur tumse upar jo hai,she is also a girl from shimla...usne bhi sirf 6 marks hi zyada achieve kiye the tumse...

but P.L se pehle jitne bhi vivas aur special revision class lagi thi tum sabki,unme jo tumhari performance rahi hai,agar usse adhaar banaya jaaye toh your PRINCIPAL thinks ki you will nationally top this years I..C.S.E boards result...

DIMPLE-wow...that much expectations...what can i say...well,i will try...

VERONICA-you will try and i know that you will achieve it but...

DIMPLE-but...!!!but what MAA...

VERONICA ke face ki seriousness achanak se hi 10 times badh gayi thi aur ye dekh DIMPLE bhi sidhi hokar baith chuki thi...

VERONICA-kuch maangna, request karna chahti hun mai tumse but uske liye first i have to know...do you trust me...!!!???

DIMPLE-ofcourse aunty...i trust you with my life...aur aapko mujhse kuch bhi maangne aur request karne ki zaroorat nahi hai...

MAA sirf bola hi nahi maana bhi hai maine aapko...infact,agar meri apni mom bhi mujhse kuch karne ko kahe toh mai definately pehle toh 10 sawal puchungi but for you...

aap kuch bhi keh le,i will do it without thinking anything...

DIMPLE jo keh rahi thi,she meant it...VERONICA ki paarkhi nazaron se ye sach chuppa nahi tha isiliye halki smile ke beech ek lambi saans chhodi usne aur...

VERONICA-mai chahti hun ki beta tum top mat karo...

infact, country hi nahi, school level par bhi first ranker me mat aao...

jo VERONCA ne kaha,kuch palon tak toh vishwas hi nahi hua DIMPLE ko...

par phir DIMPLE ke zehen me VERONICA ne jab apne shabd kahe,us waqt uske facial expressions ghumne lage...

top naa karne waali baat kehte waqt ek taklif ki parath chhayi thi VERONICA ke face par jo chuppi nahi reh paayi thi DIMPLE ki aankhon se...

ye wahi taklif thi jo kisi parent ko apne bacche ki nakami par aati hai...

VERONICA ki baat sun sawal toh hazaron ghume the DIMPLE ke dimag me par uske chehre par chhaye dard ne un saare sawalon ke shor ko jaise ek jhatke me daba diya tha...

reh gayi toh bas ek hi baat...baat ki uski MAA ne kuch maanga tha usse...

DIMPLE-thik hai MAA...jaisa aap chahti hain,waisa hi hoga...

bina laag lapeth bohot hi saralta se haami bhar di thi DIMPLE ne jisse sun VERONICA ke dil ki taklif aur badh gayi thi...

us taklif ko apne face ke through VERONICA DIMPLE ko dikhana nahi chahti thi isiliye jhat se aage badh usse gale se laga liya tha usne...

aankhon ki kinaare halke bheeg chuke the jisse apni ungli se saaf kar khud ko shaant karne me lagi thi woh...

par bina dikhaye bhi apne dil ke bhaav chuppa nahi paayi thi VERONICA DIMPLE se...

par is baare ke kuch kaha nahi DIMPLE ne...

kuch seconds baad dono alag hue jispar...

DIMPLE-MAA kya mai reason jaan sakti hun...!!!

VERONICA-ofcourse jaanogi tum...hakh hai tumhara but in the right time...aur woh waqt aaj nahi hai...

i know ki aisa decision lena kitna tough hai tumhare liye...

ek super successful person ki beti ho tum...aur itni kaabiliyat rakhti ho ki apne dad ko bhi piche chhod do...

ye exam us direction ka sabse important first step hone waala tha par i have asked you to back off from it...

VERONICA ki baat sun ek halki si smile naach uthi thi DIMPLE ke face par...

DIMPLE-ye saari baatein pichle saal tak sach thi par ab nahi...

VERONICA-matlab...!!!

DIMPLW-pichle saal tak yes,dad mere idol the...i had always wanted to show him my worth aur is chakkar me sahi GALATH par bhi zyada sochti nahi thi mai...

par meeting SANVY but more importantly after meeting you,meri soch aur ideology,dono hi badal gayi...

dad ki capabilities jaanti hun mai...mai kya,pura world jaanta hai but you...kabhi khudko zyada show nahi kiya hai aapne but in my heart,maine hamesha ye feel kiya hai ki aapka koi comparison hi nahi hai MAA...

aur iska reason aapka beta hai...kyunki agar mai INDIA top kar sakti hun,phir toh SANVY agar world level ka koi exam hota toh bhi i am damn sure ki woh usme bhi top kar leta...

par duniya ke liye,he is just an ordinary student...theek aapki tarah jo sabke liye ek maamuli bank employee hai...

aapka aura unmatchable hai...aap dono ka hi...

kya reason hai aapke yun ordinary life jeene ka,mai nahi jaanti...

SANVY jaise brilliant prodigy ko ek average student bane rehne ka,i dont know...par aaj aapne mujhse jo kaha,i am damn sure ki uska reason jo bhi hai,ye wahi hai jiski wajah se SANVY khudko average dikhata hai...

aur pata nahi kyun par mujhe lagta hai ki even he doesn't know the reason behind it...

uske liye ye bas aapka order hai which he is following...

aur agar woh follow kar sakta hai toh mai kyun nahi...

mujhe roh banana hi aapki tarah hai...infact,aapki aadhi bhi ban paayi toh bhi i will be more than happy...

VERONICA-meri aadhi...!!!tum surpass karogi mujhe...

DIMPLE-common MAA...

VERONICA-pata hai...log jinhone SANEEL aur SANVY dono ko dekha hai,woh hamesha ye kehte aaye hain ki SANVY is the modified and better version of SANEEL...

aur ye sach hai..kyunki har human aur jaanvar,apne brain power se chalta hai par SANVY un rare species me se ek hai jo uske dimag ke according nahi balki jiska dimag uske hisaab se chalta hai...

and he isn't aware of it...yet... SANVY ke intelligence ko,skills ko toh match kiya jaa sakta hai par uska junoon, pagalpan, it's unparallel..

ye do powerful feelings uske soul se aate hain jo usse aise aise kaam karwa sakte hain jisse human body kabhi nahi jhel sakta...

aisa hi kuch tumhare saath bhi hai...faisla lene ki aur sahi faisla lene ki shakti jo tumhare andar hai, it's very rare...

aur kyunki hamare decisions hi hamare result tay karte hain isiliye tumhara ye talent aage chalkar tumhe mujhse better banayega...

haan,there are precautions... certain measures...par you will develop that...mai rahun naa rahun,i will make sure if it...

DIMPLE-kyun aap kahan jaa rahi hain...!!!???

VERONICA-arre it's just a way to say stuff...mai kahan jaa rahi...

TRINGGG...

DIMPLE aage kuch kehti ki tabhi baj utha uska phone...

display par CHOTI MAA likha hua tha which meant SAM'S mom...

VERONICA-take it...

naam dekh DIMPLE toh phone silent karne waali thi par VERONCA ki baat sun call utha liya usne...

dusri taraf se awaaz har pal loud hoti chali gayi thi...aaj school me jo hua,ussike baare me convo thi jisse DIMPLE VERONICA ke saamne karna nahi chahti thi...

DIMPLE-ok i am coming...

phone hang up kar diya tha DIMPLE ne par jaane ka man bilkul nahi tha usse...

VERONICA-normally, answers naa likho toh marks automatically kam ho jaate hain par tumhare jaise genius bacche ke liye aisa karna bhi tough hai...

your father has the influence to check your papers isiliye answers kaise likha jaaye ki pura likhne ke baad bhi number kate, ye sikhna bhi ek art hai...

here...ye SANVY ke kuch home test papers hain...maine liye the...

target 80 percent ke hisaab ka tha...ghar jaakar araam se check it out...likha pura hai usne par aise likha hai ki corrections ke baad percentage 80 se upar nahi aayega...

he wrote for eighty,tum 90 plus ke liye try karna...

agar DIMPLE maan jaaye toh uske baad kya karna hai,kaise karna hai, iske liye pehle hi SANVY ka ek home board test le chuki thi VERONICA...

unhi test papers ko usne DIMPLE ko handover kar diya tha jisse ek baar phir VERONICA ki fast forward thinking ke liye appreciative expressions ke saath le liya DIMPLE ne...

DIMPLE-aaj khudko BATRA nahi balki AHARYA feel kar rahi hun mai...

VERONICA-bahar se koi kuch bhi ho,the thing that matters is ki woh andar se kaisa hai...

aur andar se tum AHARYA hi ho...rahi baat bahar ki,in time,woh bhi tumhe ho hi jaana hai...

DIMPLE-bye MAA...see you...

darwaze ki taraf badhte hue flow flow me apni baat toh keh di thi DIMPLE ne par phir VERONICA ki baat sun apni baat ke piche ka logic feel hua usse jiske baad gaal sharm se laal ho gaye the uske...

yahi wajah thi ki hadbadate hue tez kadam lete hue ghar se nikal gayi thi DIMPLE...

uski car bahar hi parked thi jisme baith nikal gayi woh...

wahin dusri taraf DIMPLE ke hadbadahat ko dekh has padi thi VERONICA par saath hi saath,aaj jaise DIMPLE ne uski baat bina kisi sawal jawab ke maan ki thi,us chiz ko bhuli nahi thi woh...

yahi wajah thi ki DIMPLE ko jaata dekh physically toh apne ghar ke andar chal padi thi VERONICA par dimag uska ab bhi DIMPLE par hi fixed tha...


VERONICA-hum apni kahani jee chuke,ab tumhari baari...darti hun mai bacchon kyunki jaanti hun ki...




zindagi aise niklegi ki har pal lagega jaise agle pal me MARNA HAI...


raah mushkil hogi,bohot mushkil,par tum dono ko lagatar aage BADHNA HAI...

TRETHA YUG me RAMAYAN hua aur DWAPAR me MAHABHARAT magar...


tum dono ko toh is KALYUG me RAMAYAN aur MAHABHARAT dono ko saath me LADHNA HAI...









AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Bro sal se upr hone ko h story age bdegi ya ni bta to do ku time khrab krwa rhe ho hroz ake chek krte h ni krni just tell ki ni hogi bay khtm or agr likhoge to bta do ki ek sal do sal bad likhoge koi time to likho bro story se jude se gye h isliye atlest hmari feelings ka respect to kro bro
 
  • Like
Reactions: Ek anjaan humsafar

Ek anjaan humsafar

Active Member
1,136
1,521
143
Warning Waiting For You GIF
 
Top