• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Xforum Scoop - August Edition

Genius

The Emperor of Inferno 🔥
4,524
3,976
159
htt.png
 

Genius

The Emperor of Inferno 🔥
4,524
3,976
159
EDITORS DESK


Hello friends i am Black Hearted presenting you the "Xforum Scoop - August edition 2019".

Guys new members who don't know about it Let me Introduce you to "The XForum Scoop". It is a magazine that is published every month for you peoples. Read it and don't forget to give your views. :)


If you haven't check our old version of our XFS then I'll recommend you to read it, you can find it here(#1) and here(#2[URL='https://xforum.live/threads/the-xforum-scoop-summer-edition-2019.2560/']) and here(#3)[/URL]
 

Genius

The Emperor of Inferno 🔥
4,524
3,976
159
MEMBER NEWS

Top 5 Posters till now


NOTABLE THREADS
(section wise)

THE LOUNGE



~Pdf's & Doc's~







PUNJABI



PICS - ADULT


PICS - GLAMOUR


Videos - Adult

 

Genius

The Emperor of Inferno 🔥
4,524
3,976
159
The Poster Boy Of XF Pdf Section
are mere ko bhool to nahi gaye is baar thoda late aaya hun lakin kya kiya jaye kuch majbooriya hoti hain life me

are aise tukur tukur ka dekh rahe ho pahchana nahi kya, mai hi to hun XF staff ka sabse mehnti aur dashing banda. yes I am Black hearted presenting you the interview of 'poster boy of XF pdf section'

han mai siraj bhai ki hi baat kar raha hun ug me mere pados hi appartment hai unka ek din chala gaya mai yun hi bina bulaye hath me do whisky ki bottles leke socha ki kuch haal chaal ho jayen padosi ke

wahan ek budhau baithe hue the ( Night Warrior ab powers hain to kahin bhi ghus jate hain :sigh:)

to budhau ki peeth meri taraf thi to siraj ne mekom kuch isara kiya jo dimag ke upar se nikal gaya ab jab budhau ne siraj ko isare karte dekha to meri taraf mud ke dekha aur hath me whiskey ki bottles dekhte hi garam hone lage ki duty pe peena mana hai and all blah blah.... :yawn:

fir maine yaad dilaya ki aaj to chutti hai meri to budhau ne ghoor kar siraj ko dekha aur poocha " tu bhi peeta hai kya"

siraj - nahi sir mai to daru ko hath tak nahi lagata, are hath lagana to door mai to dekhta bhi nahi , black hearted bhai aap inhe leke abhi mere ghar se chale jao

mai to yun hi hang rah gaya as siraj bahi ko peeche wali gali se do din pahle mai hi utha ke laya tha

lakin budhau siraj ko sabasi deke mujhe ghoorte hue wahan se nikal liye and mai bhi wapas apne apartment me jane laga

lakin budhau ke aankho se ojhal hote hi siraj ne daud kar mera hath pakda aur wapas ghar ke andar le aaya aurbola ki " chakhne ka jugad hai ya mere ko mangwana padega"

mai man hi man gali dete hue bottle kholne laga tabhi idea aaya ki is edition me isi ka interview thok deta hun khamkhwah daudna nahi padega idhar udhar and kaam bhi ho jayega apna to doosre pag ke baad maine baat cheet karni shuru ki

me- siraj bhai xf ke book let ke baare me kya khayal hain aapke

siraj- are majedar cheej hai har baar naye bande ko famous karte ho

me - is baar apka no. lagate hain

siraj- koi jarrorat nahi hai mai waise hi kaafi famous hun

me- are to famous bandon ka hi to interview chapta hai

siraj- ghanta

me - are abhi pahla interview to apne admin ka hi chapa tha

siraj- to

me - are to kya, famous admi hain wo

siraj aji han abhi mere se famous hone ki koi trick poochne hi aaya tha

( meko yaad aaya ki bhai sahab kitte bade wale phenku hain :lol:)

me - to kya aapko lagta tha ki kabhi mere samne interview dene ka mauka milega

siraj- meko pata tha ki meri fan following ki wajah se tumko yahan aana hi padega

( i was like :eek: iski bhi fan following hai)

me - than first of all wish your fans

siraj- thanks to all XFORUM brothers And I will try my best to keep you entertained like this, Aur un sabhi Bhai logo Ka sukriya jinhone mujhe support Kiya, aur hamesha sath bane rahe
waise shukriya to mera ada karna chahiye sabko ki maine xp ki sari purani stories ko jinda rakha

(ye sunke meko pata chal gaya ki bhai ko chadhne lag gai ho aur inke behosh hone se pahle meko sara kaam nipatana padega)

me- to virtual forums ka safar kahan se shuru hua apka

siraj- basically main lagbhag 2011-12 se xossip se juda tha , jahan tak mujhe lagta hai lagbhag har member ki suruaat story section se hoti hai same as mai bhi sex stories ki talash me hi surf kar raha tha aur fir kisi site pe ek story ke beech me "exbii" word aaya aur baad me jab aur stories ki talash me jab exbii pe aaya to wahin reh gaya

sab kuch shandar chal rha tha fir ek din achanak announce hua ki ab xb band ho jayega it was like jaise apno se bichadna aur fir ek din xb band hua aur sare dost yun hi kho gaye

me- fir XF par kaise aana hua

siraj- mere khyal se jyada tar logon ne xp ke band hone ke baad uske alternatives talash karne shuru kar diye the mai bhi google par xp ke alternatives hi dekh raha tha aur mujhe ye site dikh gai yahan aakar pata chala ki xb ka khoya hua pariwar dheere dheere yahan dobara grow kar raha hai aur bas fir yahin man lag gaya apna to

me- ab Xf ko dekh kar kaisa lagta hai

siraj- XFORUM ki abhi tak ki meri journey bahut hi badhiya Rahi XP band hone ke baad To Aisa Laga Jaise Apne Parivar se Bichad Gaya Hun but Dheere Dheere Yahan per XP ke sabhi members aur writer Aate Gaye to Abhi Aisa Lagta Hai Apna Parivar phirse pura ho gaya hai Kyunki almost Yahan per jyadatar XP ke hi log hai

me- as a staff kaisa lagta hai forum ko smbhalte hue

siraj- staff ke taur pe to yahi koshish rahti hai ke kisi bhi member ko koi problem na ho aur acha mahol bana rahe fir khushi hoti hai dekh kar ki ham itni badi growing community ka hissa hain

me- waise pdf collection ki wajah se apke itne sare fans bane to apko pdf collection ka vichar kaise aaya

siraj- sare jabab baad me doonga pahle tu ye hilna band kar kab se idhar udhar hil raha aaram se seedha baith ja bhai

(meri najar seedhe botlon ki taraf gai to dekha ki jahan maine abhi 3 pag hi liye hain wahin bhai ne 1.5 botal akele khali kar di ab meko andaja hone laga tha ki kabhi bhi switch off ho sakta hai)

me - sorry shaktiman ab seedhe baithoonga

siraj- han to mujhe hamesha se stories padhne ka shauk raha hai to xossip band hone ser lagbhag 1 maheene pahle jab announce hua tha tabhi se maine pdf banani shuru kar di aur wahi collection ab kitne logon ko sath rakhe hue hai aur naye members ko wo shandar kahaniyon se parichay kara raha hai :yawn:

me - ye to hai siraj bhai itne shandar collection ke liye poore xf ki taraf se apko bada wala thank you
waise kabhi khud likhne ka vichar hai kya

siraj- time ki kami rahti haibhai aur jo thoda bahut time bachta hai wo sab ache writers jaise shubham kumar, anand bhai, sudhanshu (anuj) bhai, zopian, casi bhai awaradil aur bahut sare shandar stories padhne me nikal jata hai isliye abhi is bare me kuch socha nahi hai



( siraj bhaiab gol gol chakrane se lage the as mujh laga ki ab chalne ka time aa gaya hai )

me - siraj bhai acha ab main chalta hun thank you, shukriya apke itne keemti samayke liye

siraj- han han theek hai chal j.....


aage ke shabd apne andar hi rakhkar siraj bhai sofe pe gir pade me aur me plate me rakhe hue bhune hue kajuon ki potli banata hua wahan se chala aaya








 

Genius

The Emperor of Inferno 🔥
4,524
3,976
159
df.jpg




proud moment for INDIA

those who are taking this mission as a failure let me tell them that 95% mission is successful as
1- the mission was in 2 parts in which 1st was orbital which is successfully installed
2- connection is lost to vikram lander but till it is not declared as crash there is a hope of getting the connection back
3 INDIA is the 1st country which send a ship near to moon's lunar surface , it was just 2.1 km left when we lost the connection


"A day after India's maiden attempt to become the first nation to soft land a robotic spacecraft at the moon's South Pole was unsuccessful after communication with the Chandrayaan- 2 lander was lost, the Indian Space Research Organisation in a statement today described the mission and explained the various technological aspects attached to the mission. "The success criteria was defined for each and every phase of the mission and till date 90 to 95% of the mission objectives have been accomplished and will continue contribute to Lunar science , notwithstanding the loss of communication with the Lander," said ISRO in a statement."
proud to be INDIAN !!!! JAI HIND
 

Genius

The Emperor of Inferno 🔥
4,524
3,976
159
MEMBER OF THE MONTH

Now its time to announce the "MOTM" for this month. The user who is actively contributing to the forum will get this award.
Every Month a winner will be decided and the user will get the following Benifits
  • A Medal (for 1 Month).
  • A sticky Thread for 1 week in any section.


Note: there is a twist in this edition, :cool2: now we have 4 member of the month from every section :yo:

Winners


Members Section
[TD] Iron Man [/TD] pics glamour [TD] Rahul [/TD] The Lounge [TD] TheBlackBlood [/TD] Stories [TD] Arpa&Arup [/TD] pics adult


A big congratulation to all. Keep contributing
 

Genius

The Emperor of Inferno 🔥
4,524
3,976
159
Notice
AP 316 bhau ki tabiyat kharab hai isliye is edition me aap log "A meet that never happened" ka naya edition nahi dekh payenge lakin agle editions me ham 2no editions ki ka matter unse likhwa lenge :D

GET WELL SOON AP BHAI

ab parody nahi to kuch aur hi sahi to hamne har staff member se request ki kuch apna likhen bhale hi do shabd ho chahen ache ya bure ( ye janta decide karegi :D: )

to pesh hai


Genius


ye sab mai yun hi time pass ke liye likhta rahta hun, ab shayar nahi hun mai bas kuch shabd yun hi jode hain isliye koi bhi seriously mat lena :D:

--------
Jab har khata ka iljam uchal ke khudpe aaye

Koi to bas keh de itna ke ki begunah kidhar jaye

--------

when i have a fight with someone and after getting crushed he criticize me


" itne kamjarf hote hain kuch gubbare,
chand sason me hi fool jate hain
aur jara si uchai kya pale
kuch log aukat bhool jate hain

my humble reply
" Itni lazzat se bhare hain kuch gubbare,
jab bhi fatenge dhamaka hoga

Aage jab bhi jung hogi yaad rakhna,
aakhiri hath jo padega, wo hamara hoga"


but my friends were like that ' ye jama nahi , pahle bhi to hamne hi koota tha and blah blah'

so i tried a different one

"Tum likh lo do char shabd aur , tumhe ijajat hai

Dard ki dawa na sahi dil ka sukoon to hai"

and it worked as unki jali :lol:
-----------

when someone say to me that i am too young for that big task

"Umar ke takaje se gar hasiyat ka andaja lagta

To mandir ka wo budha bhikari duniya ka khuda hota"
----------

Na hasil ho sakega khuch Mere kirdar se adawat karke

Kabhi jeeta hai kyo koi kismat se bagawat karke
---------

Meri adat hai ke mai aksar
Gustakhi me uslon ko tod deta hun
Ab jamane ko ye baat buri lagti hai
Mai har baat laake mohabbat pe chod deta hun

-------
Meri chahat thi ki waqt mera bhi aaye

Aur waqt ye keh ke gaya ke tune pukara hi nahi
-------

Jindgi jeene ka ye usool sikho ke har samay chehre pe aiyari rakho

Aaj ke har pal ko khul ke jio aur aane wale kal ki bhi taiyari rakho
------

Ek suraj tha , jo taron ke gharane se utha

aank hairan hai, kya shakhs jamane se utha
---------

suraj dhala to kad se unche ho gaye saye
kabhi pairon se rondi thi yahi parchaiyan hamne
---------

Ye bhi acha hua ki use paa na sake hum,
hamare ho ke bichadte to qayamat hoti..!!
--------

Gar teri mohabbat me badalna pade kirdar apna

To fir fayda hi kya hua tujh se dil lagane ka
--------


aur bhi bahut kuch hai waqt ke pitare me , bas aaj itna hi ab phir kabhi mehfil lagayenge


------------


Siraj Patel


Some true lines of my life

Kya se kya bana diya
__________________________

Kya se kya bana diya,
Ek kaanta tha mein mujhko fool bana diya,
Fir us fool ko ek pal mein dool bana diya,
Kya se kya bana diya,
Pehle is kadar roshan mujhe kar diya,
fir meri zindagi ka diya he bhuja diya,
Kya se kya bana diya,
Zindagi itni khaas to na thi,
Par itni bhi bakwaas na thi,
Tune to mujhe jina he bhula diya,
Kya se kya bana diya,
Pehle to khali waqt mein has leta tha,
Kabhi kabaar gaa bhi leta tha,
Aab to sara waqt he tune khali karwa diya,
Kya se kya bana diya,
Kabhi tune kaha tha mujse payar ka ijhaar karna chaiye,
Or jab chahne laga tujhe to tune kehne ka bhi waqt na diya,
Kya se kya bana diya,
Kabhi kehti thi 7 din bin tumhare 7 janmon se kam na honge,
Or aaj intezaar karwa k har pal ko 7 janamon se bada bana diya,
Kya se kya bana diya,
Har baar saath saath chale ki baaten karti thi,
Jab humne saath chalne ka man banaya to,
To har kadam ko ek lamba faasla bana diya,
Kya se kya bana diya,
Kehti thi aap mein ek humsafar dikhta hai,
Or jab waqt aaya humsafar banane ka to,
Humsafer to door bhari mehfil humen tanha bana diya,
Kya se kya bana diya,
Aab kya kahun tujse or kya mangun tere liye aapne raab se,
Tere liye to duaa he nikli hai or duaa he niklegi mere dil se
Par Sawaal karta rehega dil mera kyun tune mujhe ek pal mein gair bana diya,
Kya se kya bana diya.



---------------

Trinity

I have written this for someone special in my life. I never thought to share this, but...
( Devanagari translation has been done with online translator, so if you find any error please bear with it.)

_______________________________________________________

मैं किये हर वादे को निभाऊंगा, तुम हाँ करके तो देखो !!
मैं हर बंदिशों से लड़ जाऊंगा, तुम हाँ करके तो देखो ||

माना मेरी औकात नहीं उस आसमान तक जाने की,
मैं जमीं पे चाँद बनाऊंगा तुम हाँ करके तो देखो ||


कल क्या था, हैं हम आज कहाँ, किस्मत का भी है दोष नहीं !!

मदहोश हूँ तेरे इश्क में मैखाने का भी दोष नहीं ||

सुबह संग खिलती धुप तेरे, खिड़की से अंदर आऊंगा !!
है बंद पड़े अर्सो से, घर के दरवाजे का भी दोष नहीं ||


माना है अनजान सही, मुझसे तेरे सारे अपने,
दुनिया में पहचान बनाऊंगा, तुम हाँ करके तो देखो ||

मैं जमीं पे चाँद बनूँगा तुम हाँ करके तो देखो ||

जो मुड़ता है तेरी गलियों में, उन राहों का भी दोष नहीं !!
जो बिन बोले हर रात को आये, उन खाबों का भी दोष नहीं ||

कभी उड़ाने भड़ती है तो, कभी अचानक थम सी जाती हैं !!
बीती बातें हैं क्या करूँ, उन यादों का भी दोष नहीं ||


मैं फिर से मिलने आऊंगा, तुम हाँ करके तो देखो !!
मैं जमीं पे चाँद बनाऊंगा, तुम हाँ करके तो देखो ||

_______________________________________________________

-----------------


KR$NA

:sigh: Apan ko shayari nahi aati men ye noob mod mera dimag chaat diyela hai aur tu mere se shayari maang raha hai,
Le Sun,

"Chaar chawanni ghore pe aur mai chada ghodi pe :sex:"



 

Genius

The Emperor of Inferno 🔥
4,524
3,976
159
A MESSAGE FROM THE EDITOR


so we are here with 4th edition of XF scoop. Xf ab kaafi grow kar chuka hai and i think ke virtual forums ki duniya me ham #1 hain air iska sara credit aap
Sab members ko jata hai

Ham har samay aap ke liye xf ko aur behtar banane ke liye mehnat kar rahe hain aur isme aapke sahyog aur suggestion ki kaafi jaroorat rahti hai apne ideas hame dete rahiye taki xf aur behtar hota rahe

Aap sabse se request hai ki negativity failane se bachen ek clean aur joyful forum bqnane me hamari madad karen

Jaisa ki is bar AP bhai ke bimaar rahne ki wajah se ' A meet that never happened 4' nahi aa paya aur hamne kuch sher add kiye uski jagah ab task ye hai ke sare members kuch apna post karen (no copy paste) :p:

Suggestions and views are awaited

Regards : Genius
 
Top