- 5,745
- 16,517
- 174
Last edited:
Nice update....Update 164
Right Or Wrong
Previously ~ Arjun: Didi aap chinta na karo, yadi aapki justice ke liye hum sabko apna balidaan karna pade toh koi bhi pichhe nahi hatega.
Dhruv: Nivetha didi yadi Rohit bhaiya ki tarah mujhe apni jaan dene ka mauka milega toh main bhi apni jaan dene se pichhe nahi hatunga.
“Dhruv mere bhai, Nivetha ne Dhruv ko apne seene se laga liya.”
Priya: Nivetha didi aap chinta na karen, ab iss ladai mein kisi ki bhi jaan nahi jayegi. Ye hamari aur se last death count thi, ab dushman ki death ki bari hai. Ek, ek karke har gunehgar ko uske kiye ki saza milegi.
Now Next: >>>
[[Kriti Home]]
Samay raat ka 3 baj raha tha. Rohit, Rachit aur uski maa ko vida karne ke baad sabhi Kriti ke hi ghar par the, koi bhi apne ghar nahi gaya tha sirf Rohan wahan se gayab tha.
Sabhi ki kaan mein sirf ek hi baat gunz raha tha, jo Rohan ne kaha tha aur Kriti mam ke ghar se aadhi raat ko chala gaya tha phir bhi koi uske liye jyada pareshan nahi tha, kyunki sabhi ko Rohan par pura bharosa tha.
[[Jab tak main Rohit bhaiya ke katil ko saza nahi de deta hoon, tab tak main kisi ko apna chehra nahi dikhaunga. Koi bhi mujhe khojne ki koshish mat karna, kyunki koi bhi mujhe khoj nahi payega aur ha koi meri chinta mat karna main jahan bhi rahunga surakshit rahunga.]]
Arjun: Kalpana mom mujhe maaf kar dijiye. Rachit bhaiya ki tarah maine aapki suraksha ke baare mein bhi kuchh nahi socha. Mujhe samajh aa gaya hai ki The Ghost aur The Nightmare mujhe hurt karne ke liye kisi ki bhi jaan le sakte hain. Rachit bhaiya ke sath jo bhi hua hai uske liye sirf main jimmedar hoon.
Kalpana: Arjun beta ab jo ho gaya hai usko tum badal nahi sakte ho, tum meri suraksha ki chinta chhod do, kyunki wo dono mujhe nahi maarne wale hain. Wo dono mujhe zinda rakh kar saza dena chahte hain.
Arjun: Nahi mata wo dono kuchh bhi kar sakte hain. Mujhe peeda dene ke liye kisi bhi had* tak niche gir sakte hain aur kisi ki bhi jaan le sakte hain jo mujhse kisi bhi tarah se jude huye hain. Wo dono pal pal hum sab par nazar rakh rahe hain. Hum sabki har activity ko wo dono har samay observe kar rahe hain.
Kalpana: Sahi kaha tumne Arjun beta wo dono kuchh bhi kar sakte hain, tumhe peeda dene ke liye kisi ki bhi jaan le sakte hain. Phir bhi wo dono mujhe nahi maar sakte hain kyunki wo dono mere bhai hain.
((*Silence*!))
Sabhi ke face par shock ka expression tha, kisi ko bhi iss baat par bharosa nahi hua ki The Nightmare aur Kalpana dono sage bhai aur bahan hain, phir bhi sabka dil ye bol raha tha ki wo jo bol rahi hai wo sach bol rahi hain.
Arjun: Ye aap kya bol rahi ho mata? How is it possible?? Bhai haiwan aur bahan devi* ye kaise sambhav ho sakta hai, mata???
Kalpana: Main wahi bol rahi hoon Arjun beta jo sach hai, sach ko kahin bhi kisi awastha mein kaha jaye wo sach hi hota hai. Sach ko kisi praman ki jarurat nahi hoti hai, The Nightmare mera saga bhai hai jabki The Ghost mera cousin brother hai.
Arjun: Wo dono aisa kyun kar rahe hain mata??? Yadi kisi ki jaan lena tha toh meri mom aur Krithi didi ki mom ki jaan lena chahiye tha, Nivetha didi ki family ki jaan kyun liya dono ne????? Upendra ko meri mom aur Krithi didi ki mom ke karan peeda hua tha phir kisi dusre ki jaan kyun??
Kalpana: Kyunki wo direct uss par attack nahi karta hai jisne usko dard diya hai balki uske dost aur family par attack karte hain. Upendra aur Virendra ko dusro ko peeda mein dekh kar maza aata hai, isliye wo dono unn par attack karte hain jisse uske shatru pal pal jinda rah kar aansu *bahata() rahe.
Arjun: Phir unn dono ki aankhon se pal pal har pal aansu girte rahenge. Main unn dono ko itna dard dunga ki dono apni maut ki dua karenge, lekin dono ko maut nahi aayegi. Pal pal har pal dono ki body ko keede noch noch kar khate rahenge tab dono ko pata chalega ki peeda kya hoti hai. Abhi tak dono ne mere apno ko jitna dard diya hai, main dono ko interest sahit 1000 guna karke wapas karunga.
Arjun ki baat sun kar sabhi usko hairan bhari nazron se dekhne lage, par sabhi ke dil ko ye baat pata tha ki Arjun apno ke liye kuchh bhi kar sakta hai.
Priya: Bilkul aisa hi hoga Arjun, jaisa tum bol rahe ho. Main unn dono ki future ko dekh pa rahi hoon ki dono tumse baar baar apni maut ki bheekh maang rahe hain, lekin tum unn dono ko maut nahi de rahe ho.
Arjun: Mata kya aap mujhe aur kuchh bata sakti hain Upendra aur The Ghost ke baare mein???
Kalpana: Bilkul! Main tumhe dono ke baare mein ek short story bata rahi hoon jisse tumhe dono ke baare mein thoda aur idea ho jaye.
Arjun: Okay! Go ahead, we are all ears.
[[A Short Flashback
Kalpana point of view]]
Ek samay aisa bhi tha jab dono Upendra aur Virendra apni sabhi family members se bahut pyar karte the. Upendra mujhse chhota hone ke karan wo mera laadla bhai tha. Main usse jitna pyar karti thi wo bhi mujhse utna hi pyar karta tha.
Wah padhne mein bahut achha tha, usko sabhi subjects mein hamesha sabse jyada marks milte the, lekin Physics aur Chemistry mein uska lagav sabse jyada tha. Wah Physics aur Chemistry mein apna jyadatar time spend karta tha.
Upendra doston ke liye apni jaan de bhi sakta tha aur kisi ki jaan le bhi sakta tha.
Jogendra, Suryakant, Upendra aur Virendra ye charo jigri dost the. Charo(4) ek hi class mein hone ke karan charo(4) hamesha ek sath rahte the.
Usi tarah se mere pitaji aur tumhare nanaji mein bhi gahri dosti thi.
Tumhare nanaji aur mere pitaji ne dosti ko rishtedari mein badalne ke liye tumhari maa Raveena ki shaadi mere bhai Upendra se fix kar diya.
Kyunki tumhare nanaji ko lagta tha ki Raveena ke liye Upendra se achha ladka aur koi nahi ho sakta tha.
Upendra iss shaadi ke liye bahut khush tha kyunki wo mann hi mann tumhari maa Raveena se bahut jyada prem karta tha.
Upendra tumhari maa ki sundarta aur gun dono par mohit tha, usko ye feel hota tha ki Raveena se achha jeevan sathi usko koi nahi mil sakta hai.
Upendra ne mujhse kai baar kaha bhi tha ki wo apne bestfriend ki bahan ko kabhi bhi koi takleef nahi hone dega.
Wo Raveena se itna pyar karega ki Raveena apne bhai Jogendra aur apni bestfriend Nayanthara ko bhul jayegi, wo kabhi Raveena ki aankhon mein aansu nahi aane dega.
Krithi ke pitaji Jogendra bhi iss shaadi ke liye bahut khush tha, kyunki wo janta tha ki Upendra bahut achha ladka hai wah uski laadli bahan Raveena ko bahut khush rakhega, kabhi koi dukh uske upar nahi aane dega.
Sab kuchh sahi chal raha tha, lekin shaadi ke din hi tumhari maa Raveena ghar chhod kar bhag gayi aur sab kuchh hamesha hamesha ke liye badal gaya.
Jogendra aur Suryakant dono ek taraf aur dusri taraf Upendra aur Virendra. Charo(4) dost jo hamesha ek sath rahte the uss din ke baad hamesha hamesha ke liye alag ho gaye.
Jab tumhare nanaji Narendra ne ye baat mere pitaji ko bataya toh Upendra aur Virendra dono uss samay wahan par maujood the.
Upendra ye baat sun kar aag babula ho gaya aur usi samay usne tumhare nanaji ke pet mein chhura ghop diya, ye bhi nahi socha ki iska anjaam kya hoga.
Jab mere pitaji ne mere bhai Upendra ko police ke hawale karna chaha toh Virendra ne Upendra ko bachane ke liye mere pitaji ke pet mein chhura ghop diya.
Pata nahi par kaise Upendra ko ye baat pata chal gaya ki Raveena ke bhagne mein Nayanthara ne help kiya hai, isliye usne Nayanthara ko dukh dene ke liye uski mayke ke sabhi logo ko zinda jala kar maar diya.
Uss din ke baad se hum mein se kisi ne dono ko aaj tak nahi dekha hai, aage ki story tumhe Krithi ki pita se jaana hoga, kyunki aage ki story batana mere adhikar kshetra se bahar hai.
[[Flashback Ends]]
Arjun: Upendra ko aisa bilkul bhi nahi karna chahiye tha mata, yadi usko apni self respect ki itni hi jyada chinta thi toh usko Krithi ki mom aur meri mom ko saja dena chahiye tha, usko kisi nirdosh ko nahi maarna chahiye tha.
Kalpana: Usne dono ko hi saza diya hai Arjun beta, kyunki isi wajah se tumhari maa Raveena aur Krithi beti ki mom Nayanthara dono ek dusre se lagbhag 23 years se dur hain jo hamesha ek dusre ke sath rahna chahte the. Upendra dono ko ek dusre se dur rakh kar dono ko saja de raha hai. Isi wajah se Nayanthara aur Jogendra mein aapas mein jyada baat nahi hoti hai.
Arjun: Kya aapko pata hai meri mom kyun ghar chhod kar bhag gayi thi???
Kalpana: Ha mujhe pata hai Arjun beta, lekin main tumhe iska jawab nahi de sakti hoon. I am sorry for that.
Arjun: Why???
Kalpana: Kyunki iska jawab dene ka kaam tumhari mom ka hai, yadi tumhari mom ne ye sab tumse abhi tak chhupa kar rakha hai phir main tumhe ye baat kaise bata sakti hoon???
Arjun: It's okay! Ek baar pahle The Nightmare aur The Ghost ko dono ki kiye ki saja mil jaye phir mom ko iss baat ka jawab dena hoga.
Kalpana: Lekin dono ko saza dena itna easy nahi hoga, tum iss baat se anuman laga lo ki dono ne aaj tak kitne hi officers ko jaan se maar diya hai lekin koi bhi dono ka kuchh bhi nahi bigad saka hai.
Kalpana ne apni baat ko continue rakhte huye aage kaha.
“Phir mere sasur ji Manikchand ke farmhouse par jo hidden archers the tum unko kaise bhul sakte ho??? Upendra ne kuchh aisi cheez bana liya hai jisse wo kisi ko bhi Invisible kar sakta hai aur kya pata usne aur kya kya bana rakha hai. Uski takat kitni hai ye koi bhi nahi janta hai, wo iss samay kahan hai ye bhi koi nahi janta hai.”
Arjun: Yeah, I know. Mujhe iss baat ka gyan hai. Mata ek last baat bataiye, nanaji ne mom aur Upendra dono ka shaadi fix karne se pahle meri mom se sahmati liya gaya tha ya nahi???
Kalpana: Nahi tumhari mom uss waqt sirf 17 years ki thi aur apni intermediate ki padhai Pearl City se kar rahi thi, jo tumhara ghar hai. Jab wo apni intermediate ki padhai complete karke wapas ghar aayi tab usko ye baat bataya gaya tha.
Arjun: Ye galat baat hai mata, mom se pahle puchha jaana chahiye tha ki unhe Upendra pasand hai ya nahi, uske baad hi shaadi fix kiya jaana chahiye tha. Isme nanaji aur aapke pitaji ki galti hai, magar iska ye bilkul bhi matlab nahi hai ki aapka bhai Upendra nirdosh hai, usne jo kiya wo sahi tha.
Kalpana: Tumhari mom apne bade bhaiya Jogendra aur apne pitaji Narendra ki sabhi baat manti thi, isliye dono ko laga ki Raveena ko ye rishta manjur hoga aur dono se yahi sabse badi bhul ho gayi.
Kajal: Kalpana ji har insaan ko apna jeevan sathi chunne ka adhikar hai aur Raveena didi se ye baat nahi puchha gaya ye galat baat hai.
Kalpana: Main iss baat se inkar bhi nahi kar sakti hoon, kyunki ye sach hai. Raveena ka ghar chhod kar bhagne ka apna reason hai.
Arjun: Okay! Hum iss baare mein baad mein baat karenge jab hamare samne aur koi naya cheez samne aayega.
Kalpana: Yahi sahi rahega Arjun beta ab iss topic ko yahin samapt karte hain.
Madhubala: Arjun beta Rohan kahan gaya hai, kya usne tumse kuchh bola hai??? Mujhe uski badi chinta ho rahi hai, wo akele iss tarah se aaj se pahle kabhi kahin bhi ghar se bahar nahi gaya hai.
Arjun: Nahi aunty usne mujhse kuchh bhi nahi kaha hai, lekin aap bilkul bhi chinta na karen Rohan ko kuchh nahi hoga. Rohan iss waqt jahan bhi hai surakshit hai aur jaldi hi hum sabke paas surakshit laut aayega jab wo apna promise pura kar lega.
Madhubala: Okay! I believe in you, Arjun beta. Par mujhe Rohan ke liye darr* lag raha hai. Kya Rohan fight mein Smith aur David dono ko hara payega???
Arjun: Aapka dil kya bol raha hai aunty??? Yadi aapka dil ye bol raha hai ki Rohan dono se fight nahi kar sakta hai toh wo jahan bhi hai wapas laut aayega.
Madhubala: Sorry Arjun beta, main thodi der ke liye sirf Rohan ke baare mein soch rahi thi jabki hum sab ek family hain. Ab mere mind mein Rohan ke liye koi chinta nahi hai. Mera dil keh raha hai ki Rohan apne bhai ki maut ka badla pura karke wapas hum sabke paas jarur aayega.
Arjun: Phir aap nischint rahiye aunty. Mujhe uss par pura bharosa hai ki wo apne kisi bhi dushman ko saja dene ka samarthya rakhta hai.
***
[[4 Hours Later]]
Aaj Sunday ka din tha aur surya aasman mein nikal aaya tha.
Kalpana: Ab aap sab hum dono ko wapas apne ghar jaane ki permission dijiye.
Shivangi: Ruk jaiye kuchh kha kar chale jaiyega, aap dono pahli baar iss ghar mein aaye hain.
Dhanush: Iski koi jarurat nahi hai Shivangi beti, hum phir se kabhi aayenge. Mere pita aur chacha ne tumhari family ke sath jo bhi kiya hai uske liye ek baar phir se sorry.
Shivangi: Koi baat nahi uncle, jisne wo kaam kiya unhe unki kiye ki saza mil chuki hai. Mujhe aapse aur aunty se koi shikayat nahi hai. Phir Arjun ne Kalpana aunty ko apna mata kaha hai jisse ek tarah se aap dono mere sasur aur saas ke saman hain.
Dhanush: Theek hai phir aap sab hum dono ko jaane ki permission dijiye, phir milenge.
Arjun: Theek hai uncle aap dono ja sakte hain, aap dono ko jab bhi mujhse ya kisi aur se milne ka mann kare aap dono kabhi bhi aa sakte hain.
Kalpana: Bilkul! All of you are our family.
Arjun: Mata jaane se pahle mujhe ek aur baat ka jawab de dijiye.
Kalpana: Theek hai puchh lo jo bhi sawal tumhare mann mein hai.
Arjun: Ye Suryakant kaun hai???
Kalpana: Tum usse ek baar mil chuke ho Arjun. Suryakant koi aur nahi balki RAW Chief hain jisse tum Copper City ke police station mein mil chuke ho.
Arjun: Oh! Matlab wo sirf chachu ka sath dene ke liye nahi aaye the unke sath.
Kalpana: Yup! You are right, wo tumhe ek baar paas se dekhna chahte the aur usko ek bahana mil gaya tha tumse milne ka. Usne aur Jogendra ne pal pal tum par apni najar banaye rakha hai.
Arjun: Okay! Ab aap ja sakti hain mata.
Kalpana aur Dhanush ke sabhi se vida lekar jaane ke baad sabhi log ek, ek karke apne apne ghar chale gaye.
Chunki aaj Sunday hai toh Arjun yahin Kriti mam ke ghar par ruk gaya.
***
[[Kriti Room]]
Kriti ke room mein Arjun, Shivangi aur Kriti teeno ek sath the.
Kriti: Love! Ye The Ghost aur The Nightmare ka kuchh jaldi hi solution nikalo. Pahle The Ghost ke karan Shivangi bhabhi ki Ooty ka honeymoon trip cancel karna pada aur ab usne Shivangi bhabhi ki birthday ko barbaad kar diya.
Arjun: Jaisi meri darling ki wish! Jaldi hi dono ko uske kiye ki saza jarur milegi.
Shivangi: Pichhli 2 baar se meri birthday ke din kisi na kisi ko dukh jarur hota hai, pahle Kriti ko aur ab hum sabhi ko.
Kriti: Aisa nahi kahte hain bhabhi, aapki birthday ki wajah se meri aankh mein aansu aaya hai ye sach hai, lekin aapki birthday ki wajah se hi mujhe Arjun mil paya hai ye usse bhi badi khushi hai mere liye. Yadi Arjun ka prem pane ke liye mujhe aag ki dariya se hokar jaana padega toh main wo kaam bhi kar lungi, phir kuchh din ki peeda mujhe takleef nahi de sakti hai, Isliye aap khod ko dosh dena band kijiye.
Arjun: Ha jaan Kriti mam sahi bol rahi hai, aapki birthday par hi hum sabko pata chala ki Rohit bhaiya ka soch kitna mahan tha jisne apne dost ko loss se bachane ke liye aur apni chhoti bahan ke liye khushi khushi apna balidaan kar diya. He will always be with us in our hearts.
Shivangi: Lekin Rachit aur uski mom ka kya??? Iske baare mein tum kya kahna chahte ho???
Arjun: Silence!
Kriti: Silence!
Shivangi ke iss sawal ka dono ke paas iss baar koi jawab nahi tha, isliye dono khamosh rah gaye.
Shivangi: Maine decide kar liya hai ki aaj ke baad main kabhi bhi apna birthday celebrate nahi karungi aur koi bhi mujhe force nahi karega.
Arjun: Koi baat nahi jaan, khushi celebrate karne ke liye birthday ki kya jarurat hai??? Yadi hum sab khush hain toh har din festival hai aur yadi hum dukhi hain phir kisi ki birthday bhi usko khushi nahi de sakta hai. Aap chinta na karen jis tarah se maine aapke liye Manikchand ko samapt kiya usi tarah se The Ghost aur The Nightmare ko bhi saja jarur milegi jisne aapka birthday barbaad kiya hai.
Shivangi: Theek hai main tumhare liye kuchh bana kar lati hoon, kal dopahar se tumne kuchh bhi nahi khaya hai.
Arjun: Nods!
Kriti: Bhabhi maine aur baki sabne bhi kal dopahar se kuchh nahi khaya hai.
Shivangi: Ha* ha* mujhe pata hai, main Leela ke sath sabke liye thoda sa kuchh bana deti hoon.
***
______
2 Days Later
Location Unknown ~
The Ghost and The Nightmare dono ek kamre mein the, dono ke samne har ek scene tha jo Arjun ki family ke sath *ghatit() hua tha.
Kriti ke ghar ka har scene The Invisible ne ek mini camera mein record kiya tha jabki David ne Mumbai Fighting Ring ka har scene mini camera mein record kiya tha.
Rohit ki har cheekh aur peeda dono ke dil ko sukun de rahi thi.
Dono Kriti ke ghar ka har scene dekh rahe the aur enjoy kar rahe the.
Arjun ki har family ki aankhon se nikal rahi aansu ki har ek boond dono ke dil ko sukun de rahi thi jisse dono ke face par ek kamini muskaan thi.
The Nightmare: Yahi! Yahi toh main dekhna chahta tha, ah mere dil ko kitna thandak mil rahi hai sabki aankhon mein aansu dekh kar.
The Ghost: Yes boss aapne jaisa kaha tha bilkul waisa hi hua, koi ek second ke liye bhi so nahi paya aur darr* ke karan kai dino tak unn sabhi ko theek se neend nahi aayegi.
The Nightmare: Abhi toh ye shuruaat hai, aage aage dekhte jao main unke sath kya kya karne wala hoon. Main unn sabki raat ki neend aur chain chhin lunga, sabhi ke chehre se smile gayab kar dunga.
The Ghost: Boss Rohan ne Smith aur David dono ko challenge kiya hai aaj se 7 days ke baad fighting ke liye.
The Nightmare: Ab Rohan khud Smith ke hathon marna chahta hai toh hum kya kar sakte hain??? Bechare ne josh josh mein fight ke liye challenge kar diya, usko pata bhi nahi hai ki usne kitni badi musibat ko apne upar nimantran diya hai. Chalo aaj main tumhe apne new research dikha deta hoon.
The Ghost: Sach boss.
The Nightmare(Smiles): Yes!
The Ghost: Theek hai phir chaliye.
[[Some Moments Later]]
The Nightmare and The Ghost dono ek laboratory ke andar the, jahan par ek new research chal raha tha, jahan par 100 se bhi jyada doctors ek sath kaam kar rahe the.
The Ghost: Ye kya hai boss??? Ye toh koi robot type ka lag raha hai. Kya iss baar aap koi robot bana rahe hain????
The Nightmare: Nope! Ye mera new research hai, iska naam maine *The Ajooba* rakha hai.
The Ghost: Boss iski kya khasiyat hai???
The Nightmare: Iski khasiyat ye hai ki isko maine sunlight ki energy se banaya hai, isko apni energy sun se milta rahega. Ye sirf meri order ko follow karega.
“Iske bahut sare features hain, The Nightmare ki baat ko aage continue karte huye ek doctor ne kaha.”
[[The Features of The Ajooba]]
1)) Chunki ye sun ki energy ka ek roop hai, isliye isko kisi bhi tarah se destroy nahi kiya ja sakta hai. Ye prithvi par maujood kisi bhi weapon se jyada khatarnak hai, iske paas apna koi sentiments nahi hoga. Isliye ye apne dushmano par koi bhi raham nahi karega.
2) Ab chunki ye dharti ke liye kisi ajooba se kam nahi hai, isliye The Nightmare sir ne iska naam *The Ajooba* rakha hai. The Ajooba matlab The Nightmare sir ka sabse bada weapon jo iss dharti ka sabse vinash kari weapon hone wala hai.
3) Sath hi chunki ye sunlight ki energy se bana hai, isliye iski speed sun ke speed ke equivalent hogi jo ki dharti par maujood kisi bhi weapon se bahut bahut jyada hai.
4) Ab iski speed chunki itna jyada hai toh ye dharti ke kisi bhi chhor tak pal bhar mein hi pahuch sakta hai aur apne dushman ko khatam kar sakta hai.
5) *The Ajooba* ke karan The Nightmare sir kisi bhi country ko jab chahe barbaad kar sakte hain ya phir usko apne ghutno par la sakte hain.
6) Ye hawa mein ud sakta hai, jameen par daud sakta hai aur pani mein swimming kar sakta hai, matlab ye apne dushman ko kahin par bhi maar sakta hai. The Nightmare sir ka koi bhi dushman isse bach nahi sakta hai.
The Ghost: Wow* boss aapka ye research sach mein kisi ajooba se kam nahi hai. Aapne iska naam The Ajooba bilkul sahi rakha hai. Lekin mere mann mein abhi bhi kuchh doubts hain.
The Nightmare: Puchh lo jo bhi tumhare mann mein doubts hain.
The Ghost: Boss isko raat mein energy kahan se prapt hogi???? Raat mein isko surya se energy nahi milegi phir raat mein ye apne dushmano ko kaise maar payega?
The Nightmare: Good question. Iske paas pahle se itna energy store hai ki yadi isko 1 year tak surya ka light nahi milta hai phir bhi isko energy ki jarurat nahi padegi, isliye mujhe iss project ko pura karne mein pura 4 years ka samay lag gaya hai.
The Nightmare ne apni baat ko continue rakhte huye aage kaha.
“Aaj se 7 days ke baad mera ye research puri tarah se ready ho jayega aur duniya mein tabahi machane ke liye.”
The Ghost: Boss lekin aapne 40 days pahle kaha tha ki abhi isko pura hone mein 2 to 3 months lagega phir 50 days mein hi ye kaise ready ho jayega????
The Nightmare: Good question kyunki iss par 60 days ka kaam sirf 50 days mein pura kar liya jayega, iske liye yahan par kaam kar rahe har doctors ka bahut bada yogdan hai.
The Ghost: Matlab jis din Rohan aur Smith ki fight hogi usi din aapka ye *The Ajooba* puri tarah se ban kar ready ho jayega.
“Yes! The Nightmare ne apne face par smile laate huye jawab diya.”
The Ghost: Matlab aaj se 7 days ke baad hamare liye double khushi ka din hone wala hai. Ek aur jahan Rohan ki maut hogi wahin dusri aur yahan hamara ye *The Ajooba* ban kar ready ho jayega.
The Nightmare: Yes! Ab tum lab se bahar jao aur mujhe apna kaam karne do, jaldi hi mera ye research tumhari tarah sirf mere order ko follow karega.
The Ghost ne aage kuchh nahi kaha aur apne face par smile liye huye laboratory se bahar chala gaya.
***
Third person POV
A Small Flashback ~
The Ghost aaj apne dost The Nightmare ke liye bahut hi jyada khush tha, kyunki ek samay aisa bhi tha jab The Nightmare aur The Ghost ke paas kuchh bhi nahi tha.
Aaj The Nightmare ke paas sab kuchh hai sirf ek jeevan sathi nahi hai, jiske liye wo ye sab kar raha hai.
The Nightmare ne Raveena ko apni jeevan sangini maan liya tha, isliye aaj tak Upendra ne kisi ladki se shaadi nahi kiya aur na* hi The Ghost ne shaadi kiya.
The Ghost aur The Nightmare ne kai begunah ki jaan liya hai kintu kabhi kisi mahila ki izzat ke sath khilwad nahi kiya, yahi baat dono ko dusre villain se alag banati hai.
The Nightmare aur The Ghost ke jitne bhi sathi huye unn sabne bhi kisi bhi mahila ki izzat ke sath kabhi khilwad nahi kiya, kyunki The Ghost ne sabko sakht order de rakha tha ki yadi koi kisi mahila ki izzat ke sath koi khilwad karega toh wah usko jaan se maar dega.
Jab Raveena shaadi ke din ghar chhod kar bhag gayi thi tab Upendra gusse se pagal ho utha aur kai logo ko jaan se maar kar Karnataka ke Silver City ko chhod kar Tamilnadu chala aaya aur ek jungle mein rahne laga.
The Nightmare ne sabse pahle strength increase karne wali ek medicine aur ek injection dono ka nirmaan kiya.
The Nightmare ne sabse pahle wo medicine khud par test kiya uske baad hi usne wo medicine The Ghost par istemaal kiya. Jab wo puri tarah se sunishchit ho gaya ki medicine ka koi bhi side effects nahi hai.
Usne apni research ke liye khud ko hi ek test object banaya, na* ki kisi dusre ko test object banaya jisse yadi koi side effects ho toh usko ho na* ki uske dost Virendra ko.
Medicine and injection ki wajah se The Ghost dhire dhire underground fighting mein participate karne laga aur har match mein vijayi hota chala gaya jisse dono ke pass income generate hone lagi.
Dhire dhire dono har bure logo ka sathi aur achhe logo ka dushman bante chale gaye.
Jahan dhire dhire The Ghost pure underworld ka *betaaz() badshah ban gaya, wahin dusri aur The Nightmare apni research mein laga raha aur new-new research karta chala gaya.
Usne ek aisi watch banaya jiski help se koi bhi insaan invisible ho sakta hai.
Usi watch ki wajah se *The Invisible ko koi nahi dekh pata hai aur isi wajah se Manikchand ke farmhouse par jo ped par hidden archers the unko bhi koi nahi dekh pata tha jo KAAL ke hathon bechare buri tarah se maare gaye.
Baad mein The Nightmare ne ek electric field defence system banaya jiske karan koi bhi uski permission ke bina uske area mein andar nahi ja sakta hai.
Baad mein usne ek aisa invisible shield bana liya jiske andar yadi koi cheez ho toh wo bahar se dikhayi nahi deta hai sath hi koi aawaz bahar nahi aati hai, jabki andar se bahar ki sabhi cheez ko dekha ja sakta hai aur aawaz ko suna bhi ja sakta hai.
Iss tarah se usne abhi apne aas paas wo Invisible shield aur electric field defence system dono laga rakha hai jiski wajah se uske area mein jo koi bhi jata hai wo high voltage electricity ka shikar ho jata hai aur uss insaan ki instant dardnak maut ho jati hai.
Jungle mein itne logo ki maut ho chuki hai ki darr* ki wajah se ab koi bhi uss jungle mein nahi jata hai, sabhi uss jungle ko bhutiya aur shapit jungle samajhne lage hain.
Iske karan The Nightmare aur The Ghost ne Tamilnadu ke jungle ke andar apna ek bada Empire khada kar liya hai jahan dono ki permission ke bina ek parinda bhi par nahi maar sakta hai, jiski suraksha ke liye kisi guard ki jarurat nahi hai.
The Nightmare ki iss research ne usko na sirf puri duniya se abhi tak chhupa kar rakha hai balki usko duniya ka sabse ameer vyakti bana diya hai.
[[Flashback Ends]]
***
______
[[Amika Home]]
Anu aur Priya raat mein ek kamre mein so rahe the.
Anu: Priya mere paas kuchh doubts hain, kya tum meri doubts clear karogi???
Priya: Yahi na* ki kisi ne mujhse ye sawal kyun nahi kiya ki main future kaise dekh sakti hoon, am I right chhoti maa???
Anu: Yeah!
Priya: Kyunki ye baat sirf Arjun ko yaad hai baki ye baat maine sabhi ke subconscious mind mein daal diya hai jisse jab uchit samay aayega tabhi sabko ye baat yaad aayegi.
Anu: Ye The Nightmare toh bahut hi ajeeb research kar raha hai??? Yadi Upendra ne achhai ka rasta chuna hota toh aaj wo ek great scientist hota! Shayad uska ye research usko sabse mahan scientist ki list mein shamil kar deta.
Priya: Wo achhai ka rasta nahi chun sakta tha chhoti maa, kyunki usko Arjun ka dushman banna hi tha jisse Arjun jald se jald apni lakshay ko prapt kar sake. Ye sab jo ho raha hai aur jo aage hone wala hai wo Arjun ke lakshay purti ke liye ho raha hai.
Anu: Iska matlab kya hua main kuchh samjhi nahi??? Tum jara isko achhe se explain karogi???
Priya: Abhi tak jitne bhi log Arjun se jude hain, chahe wo dost ho ya phir dushman sabhi log Arjun ko apne paas dekhna chahte the isliye wo yahan Arjun ke liye dharti par aa gaye.
Anu: Iska matlab ye hua ki jo log bhi abhi tak maare gaye hain aur jo log aage marne wale hain wo sabhi PLUTONIUM PLANET ke log hain.
Priya: Aapne bilkul sahi samajha chhoti maa. The Nightmare and The Ghost ke paas bhi isliye itni jyada knowledge aur power hai jisse wo Arjun ko takkar de sake aur koi dharti ka insaan dono ko na maar sake.
Anu: Okay! Ab mere sabhi doubts clear ho gaye hain, thank you very much Priya.
Priya: Aapne jis tarah se Arjun ko sambhala hai wo kabil ye tarif hai, isliye aapko bhi bahut bahut dhanyawad chhoti maa.
Anu: It's okay ab so jao good night.
Priya: Good night chhoti maa.
***
______________________________________________________________________________________
That's all for this episode, the update comprises 5.1k words. I hope that you guys will enjoy the update. Ab aap log soch lo Raveena ne galat kiya hai ya phir Nayanthara ne ya phir Upendra ne.
Bahut hi shaandar update diya hai dhalchandarun bhai....Update 164

Update 147
♡ Unprecedented(2) ♡
Recap: In the previous update humne padha tha ki Arjun and uski puri family zoo visit ke liye gayi thi jabki dusri taraf Agent Girl 1 and Agent Girl 2 kidnap ho chuki thi, Akhil ka dono girl se contact tut chuka tha jabki Agent Tiger ek car ko chase kar raha tha.
Now Next: >>>
[[Kajal Home, 6:50 PM]]
Sabhi zoo par ek quality time spend karne ke baad wapas ghar aa chuke the. Priya aaj sabse jyada khush thi kyunki aaj usko apne Arjun ke kandhe par baithne ka chance mila tha lekin Priya thoda Akhil ke liye pareshan bhi thi ki aaj wo kis mental paristhiti se gujarne wala hai.
Amala aur Pooja dono wapas copper city jaane ki taiyaari kar rahi thi.
Dono ne apne apne luggage ko ready kar liya tha.
Amala aur Pooja dono Nadhiya, Madhuri, Shreya, Shruti, Arjun, Dhruv, Kajal aur Rashmika se ek ek kar sabhi se mil rahi thi.
Nadhiya: Tum dono yahan aati rahna hum sabko achha lagega.
Pooja: Ji jarur maa ji ye mera ghar jaisa hai, aap sabke sath 6 din kaise paas ho gaya pata hi nahi chala aur aaj wapas jane ka samay aa gaya.
Madhuri: Tum dono se mahino baad mil kar achha laga yahan jaldi jaldi aaya karo.
Amala: We'll try but can't promise.
Shreya: Meri beti jab bolne aur chalne lagegi tab aap dono jarur aana.
Amala: Definitely, hum Angel ko dekhne jarur aayenge.
Pooja: Sorry Dhruv beta iss baar hum tumhare liye koi gift aur khilona nahi laye the.
Dhruv: Koi baat nahi mausi mere paas bahut sare hain lekin agli baar mere liye jarur kuchh lekar aana, okay.
Pooja: Bilkul Dhruv tumhare sath rahna hum dono ko achha lagta hai.
Dhruv: Mujhe bhi aap dono ke sath rahna bahut achha laga.
Pooja: Theek hai hum dono ko good bye kiss de do.
Pooja ki iss baat par Dhruv usko ghur kar dekhne laga.
Pooja: Aise kya dekh rahe ho Dhruv, apni mausi ko good bye kiss nahi doge????
Dhruv: Jarur.
Amala: Arjun hum dono ko bhul mat jana, hum dono ko apni dil mein thodi si jagah dena. Kriti aur Shivangi ka hamesha khayal rakhna, dono ka dil kabhi mat todna, dono se achhi life partner tumhe nahi mil sakti hai.
Nods! Arjun ne apna sar ha* mein hila diya.
Shruti: Chal ab tum dono ne bahut emotional drama kar liya jaise aaj pahli baar sasural ja rahi hai, aisa kar rahi ho jaise phir kabhi wapas aaogi hi nahi.
Rashmika: Arjun dono ke luggage car mein daal do.
Arjun: Ji mausi.
[[Amala aur Pooja dono Kajal, Shruti aur Rashmika se gale mil chuki thi, jab Arjun se dono ek ek kar gale mili dono ne Arjun ke kaan mein ek hi baat kaha. Main tumhe kabhi nahi bhool paungi.]]
______
[[Kriti Home, January 1st]]
Leela aaj subah se pura khush thi, zoo par bhi wah pura samay khush thi, usko lag raha tha ki aaj new year ke din Arjun usko propose karega lekin uska sapna tab tut gaya jab wah ghar aa gayi aur apne kamre mein dinner ke baad apni mom ke sath sone ki taiyari kar rahi thi.
Leela ka chehra thoda udaas lag raha tha, Trisha shayad apni ladli beti ke dil ki baat samajh gayi thi, isliye usne Leela se puchh() liya.
Trisha: Kya baat hai Leela aaj tum sabke sath ghumne gayi thi, apne Arjun ke sath time spend karne ka mauka mila hoga phir bhi tumhara chehra udas kyun hai???
Leela: Mom mujhe laga tha aaj New Year hai toh Arjun aaj mujhe propose karega lekin usne nahi kiya, aaj maine pahli baar usko kisi bhi occasion par wish kiya ye soch kar ki aaj wo mujhse apne dil ki baat bol de lekin usne ye nahi kiya.
Trisha: Ye samajh lo ki abhi wo samay nahi aaya hoga, har cheez ka ek sahi waqt hota hai.
Leela: Phir wo samay kab aayega mom, main Arjun ka hona chahti hoon??? I want to be his love, I want to be a member of his group.
Trisha: Prem ek tapasya hai Leela isko hamesha yaad rakhna, jab tumhari tapasya purn ho jayegi tab tumhe Arjun mil jayega.
Leela: Shayad aap theek keh rahi hain mom, mujhe pratiksha karni hogi jab tak sahi samay nahi aa jata hai.
Trisha: Theek hai phir tum so jao main Sithara didi ke paas ja rahi hoon, good night and love you.
Leela: Good night mom, I love you very much.
[Trisha apni ladli beti ki chinta dur kar apne face par smile lekar uske kamre se bahar nikal gayi.]
______
[[January 1st, 10:43 pm]]
Tamil Nadu ki road par ek car tezi se apni destination ki aur badh rahi thi aur ek car tezi se uss car ko chase kar rahi thi jo Agent Tiger khud drive kar raha tha.
Car ke andar dono girls ko kuchh() pata nahi tha aaj unke sath kya hone wala hai. Dono ki aankh khuli thi magar mind unconscious ho chuka tha.
South Avenue Bar daily jane ke decision ne dono agents ko aaj ek bahut badi musibat mein daal diya hai.
Agent Tiger car ko chase kar raha tha ki uske phone par uske senior Agent Wolf ka call aa gaya.
[[Phone Conversation]]
Agent Wolf: Agent Tiger mera dono agents se contact tut gaya hai. Kya tumhare paas dono ki location show ho rahi hai, mujhe dono ki chinta ho rahi hai???
Agent Tiger: Sir mere paas dono ki location show ho rahi hai lekin dhire dhire weak hota ja raha hai, aisa lagta hai jaise dono bahut badi musibat mein phas chuke hain.
Agent Wolf: Ye kaise possible ho sakta hai??? Yadi ye sach hai toh ye dono ke liye bilkul bhi achha nahi hai aur na* hi hamare mission ke liye shubh sanket hai, we will have to keep them safe.
Agent Tiger: Pata nahi sir iss waqt main ek car ko chase kar raha hoon jo North-West direction ki aur tezi se ja rahi hai usi taraf se dono agents ki location show ho rahi hai, lagta hai dono agents usi car ke andar hain.
Agent Wolf: Okay, follow karte raho main tumhe follow kar raha hoon, main tumse kuchh 90 Minutes ki distance par hoon.
Agent Tiger: Okay sir.
Agent Wolf: Jab tak main* tumhare paas nahi pahuch jata hoon tum koi bhi galat kadam nahi uthaoge, tum mere aane ka wait karoge. Is it clear, hamara ek galat kadam dono agents ko khatre mein daal sakta hai??? Zinda rahne ki koshish karna kyunki zinda rahoge tabhi battle jeet paoge.
Agent Tiger: Okay sir, main iss baat ka dhyan rakhunga, main call disconnect kar raha hoon.
Agent Wolf: Okay, bye.
[[Call Disconnected]]
Call disconnect hote hi ek baar phir se Akhil ke mann* mein tarah tarah ke sawal uthne lage.
1. Usko samajh nahi aa raha tha ki uska contact dono agents se kaise tut gaya???
2. Yadi uska contact dono agents se break ho gaya hai toh phir Agent Tiger ko dono ki location kyun show ho rahi hai???
3. Yadi Agent Tiger ke paas dono ki location show ho rahi hai toh phir signal strength weak kyun hota ja raha tha????
Teeno sawal ko ek sath jodne par Akhil ek conclusion par pahuch gaya aur jo conclusion usne paya uske body ko andar tak hila kar rakh diya.
Akhil jis conclusion par gaya tha uski umeed kabhi usne nahi ki thi ki koi aisa bhi kar sakta hai.
***
Previous 35 minutes se dono car Tamilnadu ke road par tezi se bhag rahi thi.
Jab jab aage wali car Agent Tiger se jyada dur hoti chali jati dono agents ki location almost gayab ho ja rahi thi, isliye Agent Tiger car ko tez raftar se chase kar raha tha.
Har kaam ka ek end point hota hai aur iss chase ka bhi 35 minutes baad end ho gaya aur car apne destination par pahunch gaya.
*Screech*
Jab aage wali car tezi se ek sunsaan area mein jakar ruk gayi. Pancho(5) bande tezi se gadi se utar kar dono girls ko ek secret hideout par le gaye.
Building bahut hi deserted area mein tha jahan aas paas na* ke barabar log rahte the. Building 3 floor mein divide tha. Pancho(5) vyakti dono agents ko building ke second floor par le gaye.
Dono girls ko ek container mein band kar diya gaya jisme already bahut sari girls aur women pahle se maujood thi.
[[20 Minutes Later]]
Agent Tiger apne hath mein apni gun taan kar savdhani purvak sab kuchh check karte huye unke paas pahunch gaya.
‘‘Put your hands up! Koi bhi apni jagah se ek kadam bhi idhar se udhar hua toh meri gun ki bullet sidha uske chhathi ko bhed degi.’’
Par jaise Agent Tiger ki baat par kisi par bhi koi fark nahi pada, balki kisi ke face par usko dekh kar koi bhi abnormal reaction nahi aaya jaise unhe pahle se pata tha ye hone wala hai.
“Achha! Yadi tumne ek bhi bullet fire ki toh tumhare dono agents maare jayenge. Tumhare dono agents uss container mein band hain, panch(5) mein se ek vyakti ne apni finger ko ek container ki aur point karte huye kaha.”
[[Agent Tiger ka dimag ghum gaya jab usko ye pata chala ki dono ko unki identity pata hai aur ye bhi pata hai ki dono girls bhi agents hain.]
“Ye rahi container ki key, tumhe humme se kisi ek ke sath fight karna hoga, yadi fight mein tum hum pancho(5) mein se kisi ek ko hara dete ho toh tum apni dono agents ko apne sath safely le ja sakte ho, kya ye shart tumhe accept hai??? Ek aur baat tumhe batana chahta hoon yadi tum apne sathi ka wait karte ho toh tum dono ko hum pancho(5) se ek sath fight karna hoga, now choice is yours what do you want to do, ((1 vs 1)) or ((2 vs 5))??? Iss fight ke kuchh rules honge. Unme se ek bande ne apne face par ek devil muskan late huye kaha.”
1. Ye fight bina kisi weapon ke tab tak lada jayega jab tak koi ek mara nahi jata hai.
2. Whistle ke bajte hi fight start ho jayegi
3. Last point lekin sabse important point yadi tum winner rahe toh tumhe **The Ghost** se milne ka mauka milega jisse tum apni mission ko pura kar sakte ho.
Agent Tiger: I want to fight 1 vs 1 battle.
[[Agent Tiger ne apne senior ke order ko disobey karte huye ek quick decision liya. Agent Tiger samajh chuka tha ki jo RAW AGENTS ko kidnap kar sakte hain unke sath ((2 vs 5) ka battle bahut hi tough hoga isliye usne
((1 vs 1)) fight chuna.]]
“Phir hum pancho(5) mein se kisi ek ko apne sath fight ke liye chun sakte ho, choice is yours”
“Main tumhare sath fight karna chahta hoon, Agent Tiger ne uss vyakti ko chuna jisse wo baat kar raha tha.”
“Okay! Then here I am! I am The Invincible. I have never lost a battle till now. Yadi tum chaho toh ab bhi tum kisi dusre ko chun sakte ho.”
Agent Tiger: Whoever you are, I want to fight with you.
The Invincible: Okay! Okay, get ready to take your last breath.
The Invisible: Bhai aaj ye bahut bura maut marne wala hai isne sabse powerful yoddha ko chun liya hai, Agent Tiger ko ye anuman bhi nahi hai ki usne apne life ki sabse badi galti ki hai The Invincible ko chun kar.
[[Characters Introduction]]
1: Smith: Iske paas ek comman man ki apeksha 20 times jyada power hai. Ye apne moves aur power se kisi bhi bade se bade fighter ko pal bhar mein khatam kar sakta hai.
2. Mike: Iske paas Smith se 2 times jyada power hai, matlab iske paas ek ordinary man ki tulna mein 40 times jyada power hai.
3. David: Iske paas Mike se 2 times jyada power hai, matlab ye ek comman man ki apeksha 80 times jyada powerful hai.
4. The Invisible: Ye hawa mein aise gayab ho sakta hai jaise milk mein water gayab ho jata hai. **The Ghost** ne The Invisible ko hi dono girls ke bare mein pata karne ke liye kaha tha jisse **The Ghost** aur “Y” ko Akhil aur uske team ke bare mein easily pata chal gaya tha.
5. The Invincible: Iske paas 100 logo ki power hai. Ye aaj tak kabhi kisi se nahi hara hai. Ye *The Ghost* ka sabse important aur powerful yoddha hai.
***
[[Agent Tiger vs The Invincible]]
Agent Tiger aur The Invincible ek dusre ke samne aakar khade ho gaye.
Jaise hi ek vyakti ne whistle bajaya The Invincible ka ek jordar punch Agent Tiger ke face ki aur aaya jise kisi tarah se Agent Tiger ne khud ko line of impact se dur kiya aur apne right hand ko fist bana kar ek tez prahar The Invincible ke chest par kiya jise usne bade aasani se apne left hand ko 90° angle par mod kar block kiya aur apne right hand ka ek quick and strong punch uske seene par kar diya.
Punch mein itni tezi aur power thi ki Agent Tiger ko bhanak bhi nahi laga uski speed kitni thi, Agent Tiger iss baar khud ko The Invincible ke waar se bacha nahi paya aur The Invincible ka punch seedha uske seene par pada jisse Agent Tiger ke muh se ek dard bhari karah nikal gayi.
*Argh*
*Thud*
Agent Tiger peeth ke bal niche tezi se zameen par kai foot pichhe() jakar gira.
The Invincible ke punch mein 100 logo ki power thi jiske karan Agent Tiger ne kuchh hi seconds mein apni jaan gawa diya.
[[NOTE: “Y” ki ek adbhut medicine ke karan The Invincible ke har ek move mein 100 logo ki taqat hoti hai, uski move kisi bhi fighter ki apeksha jyada fast hoti hai jisse samne wala yadi uske punches ya kicks ko block bhi karta hai phir bhi samne wale ko aisa feel hota hai jaise usne kisi heavy stone par prahar kiya hai aur uske body organs ko deadly nuksan ho jata hai. “Y” ke isi adbhut research ke karan The Invincible kisi bhi fighter ko apne ek punch ya kick se maar sakta hai.]]
Yahi haal aaj Agent Tiger ke sath hua.
Pancho(5) vyakti ke face par devil smile thi jaise wo ye ghoshna kar rahe ho ki unse koi nahi jeet sakta hai.
Abhi pancho(5) apni jeet ki khushi ka jashn mana rahe the jab unke samne ek *BLACK SHADOW* aakar khada ho gaya jiske peeth par ek talwar latak rahi thi.
Raat ke andhere mein bhi uss *BLACK SHADOW* ki aankhein kisi cat ki tarah pancho(5) vyakti ko aise ghur rahi thi jaise koi sher apne shikar ko dekhta hai, lekin *BLACK SHADOW* ke face par koi bhav nahi tha.
Abhi abhi unke samne jo aaya tha ye sabhi ke liye ek surprise se kam nahi tha, kyunki pancho(5) mein se kisi ko *BLACK SHADOW* ke aane ki koi information nahi thi.
Phir bhi pancho(5) ke face par koi darr* ka sign nahi thi kyunki unhe pata tha ki unse koi nahi jeet sakta hai. “Y” ki adbhut research ne sabhi ko kisi bhi fighter se itna jyada strong bana diya tha ki koi bhi common man unhe nahi hara sakta hai.
The Invincible: Kaun ho tum aur yahan kya karne aaye ho???
“Kabhi suna hai koi apni mrityu se uska pata puchhta hai??? I am your death.”
((Hahaha))
*BLACK SHADOW* ki iss baat par The Invincible ki hasi* pure hideout mein gunz utha.
“Jitna hasna hai has* lo kyunki aaj ke baad tumhari hasi* koi nahi sun payega. Kuchh der pahle tumne kisi ko selection ka mauka diya tha ab main tum sabko selection ka ek chance de raha hoon, tum pancho(5) ek sath marna chahte ho ya akele akele. Tum pancho(5) mujhse ek sath fight kar sakte ho ya phir ((1 vs 1)), now choices are yours.”
((Hahaha))
Iss baar *BLACK SHADOW* ki baat par pancho(5) ki hasi* chhut gayi.
The Invincible: Lagta hai tumne abhi kuchh der pahle meri fight dekhi hai, tumne dekha nahi kaise maine apne ek punch se RAW Agent Tiger ko jaan se maar diya phir bhi achha joke maar rahe ho, hum pancho(5) se ek sath fight karna chahte ho. I like it, tum jo bhi ho chalo main tumhe iske paas hi* bhej deta hoon. Yadi tum jeet gaye toh mere sathi tumhari koi bhi wish ko pura kar denge jo ki impossible hai, tumhe marne se pahle main tumhara naam janna chahta hoon.
“Koi apni maut ka pata nahi puchhta hai phir bhi main tumhari last wish pura kar raha hoon, main tumhari maut hoon. Jo mujhe jante hain mujhe KAAL keh kar bulate hain, abhi abhi maine suna hai tum Invincible ho aur main bhi Invincible hoon, dekhte hain ((Invincible vs Invincible)) ki fight mein kaun zinda rahta hai. Aaj koi ek hi Invincible jeevit rahega.”
The Invincible: Phir tumhe game ka rule pata hi hoga???
KAAL: I know mera sirf ek hi purpose hai container mein jitne bhi girls aur women hain sabhi ko unki family tak safely lekar jana.
The Invincible: Let's begin the fight, apni sword kisi dusri jagah rakh do yadi tum jeet gaye toh mere charo(4) sathi tumhe sabhi girls and women ko apne sath le jane denge bina kisi virodh ke ye mera promise hai, are you ready to begin???
KAAL ne The Invincible ke sawal ka koi jawab nahi diya balki apni sword ko charo(4) ki aur phenk diya aur The Invincible ko apni aur aane ka ishara kiya.
[Invincible vs Invincible]]
KAAL ke nimantran par The Invincible KAAL ke samne stance lekar khada ho gaya.
Dono hi yoddha apni apni stance lekar ek dusre ki aankhon mein dekhne lage.
Whistle ke bajte hi *The Invincible* ne apni right hand ko wrist ke paas se 90° angle par straight kar KAAL par waar kiya jise KAAL ne badi easily apne left hand se block kar liya.
Ye pal sabhi ke liye ek surprise se kam nahi tha kyunki aaj tak jisne bhi The Invincible ke moves ko block kiya tha wo bhi almost mrityu tak chala jata tha lekin aaj KAAL pancho(5) ke samne na* sirf surakshit khada tha balki uske face par ek devil muskan thi.
Agle hi pal KAAL ne apne right leg ka ek halka sa push The Invincible ko de mara jisse The Invincible apne sathiyon tak pichhe ki aur drag hota hua chala gaya.
Iss tarah apne sathi The Invincible ki halat dekh kar charo(4) ke face par darr* ki lakir aa gayi aur unme se ek ne KAAL ke sword ko uthane ka prayash kiya kintu wo sword ko uski jagah se uthana toh dur ki baat hai sword ko hila bhi nahi paya.
Ye sabhi ke liye ek aur surprise tha bari bari se sabne sword ko uthane ka prayash kiya kintu koi bhi sword ko uski jagah se ek *inch* bhi hila nahi paya.
Kisi ko samajh nahi aaya ye sword kis metal se bana hua hai jo itna heavy hai ki wo sab utha nahi pa rahe hain, jabki samne wale bande ne apni peeth par usko laad rakha tha.
Udhar The Invincible ne khud ko sambhal kar tez gati se daudte hua aaya aur KAAL se kuchh dur pahle usne hawa mein forward flip laga kar apne dono ghutno se KAAL ke sar ko lapet kar usko jaan se marna chaha.
[[The Invincible ne wahi deadly move ka use kiya tha jo Anupama ne Sagar ke sath aur Rashi ne Mohit ke bhai Gopal ke dost Akshay ke sath kiya tha.]
Kintu aasha ke viprit KAAL ne The Invincible ke dono paon pakad kar tezi se container ki aur phenk diya.
Jaise hi The Invincible ka container se takkar hua usko ek high voltage ka current laga aur usne kuchh() hi pal mein tadap tadap kar apna dum tod diya.
Invincible jo aaj tak koi fight nahi hara tha usne bas kuchh hi minutes mein apna pran tyag diya. *The Ghost* ke sabhi sathi ka illusion tut gaya ki unhe koi nahi hara sakta hai.
Charo(4) apne sathi ki aisi dardnak maut dekh kar na sirf hairan aur pareshan the balki sabhi ke dil mein darr* ne jagah lena shuru kar diya tha.
Jahan kuchh der pahle panch(5) ko apne boss “Y” ke research ka bada ghamand tha wo ab kisi mirror ki tarah tut kar bikhar chuka tha aur unka ek yoddha mara gaya tha jo pancho(5) mein sabse powerful tha.
*Hahaha*
Pure hideout mein KAAL ki ek devil hasi* gunz rahi thi jo charo(4) ke dil mein darr* ka sanchar kar raha tha.
Par agle hi pal KAAL ne charo(4) ke darr* ko dur kar diya.
KAAL: Daro mat aaj ki fight yahin samapt hoti hai, jakar apne boss *The Ghost* se bolna uske death ki countdown start ho chuki hai, jaldi hi uske samrajya ko puri tarah se destroy kar diya jayega. Tum charo(4) jab tak Arjun ki family se dur rahoge tab tak zinda rahoge. Jakar apne() boss *The Ghost* se bolna jaldi hi puri duniya usko bhul jayegi ki kabhi wo underworld ka king raha tha.
The Invisible: Ye lo container ki key aap sabhi ko yahan se safely le ja sakte ho, The Invincible ke promise ke anusar hum apna promise pura karne wale hain. Key ke bina aap container ko nahi khol paoge aur jaise hi container ke 2 meter radius ke andar jaoge aapka bhi wahi haal hoga jo The Invincible ka hua hai, kyunki container ke 2 meter radius mein ek invisible electric field defence system lagaya gaya hai jiska parinaam aap dekh chuke hain. Main aapke liye wo electric field defence system ko *deactivate* kar raha hoon.
KAAL: Tumhe lagta hai main tumhari key ke bina sabhi ko yahan se nahi le ja sakta hoon toh ye tum sab ka bharam hai jise main abhi dur kar deta hoon.
**Boom**
Agle hi pal KAAL ne apni pocket se ek dagger nikal liya aur container ki aur tezi se phenk diya jaise hi daggercontainer ke 2 meter radius mein enter hua ek tez dhamaka hua aur invisible electric field defence system ko chakna-chur kar diya.
Ye ek aur surprise tha charo(4) ke liye, unhe lagta tha ki unke invisible defence system ko koi bhi paar nahi kar sakta hai aur na* hi kisi ko uske bare mein pata hai, lekin KAAL ne unki invisible electric field defence system ko tod diya tha.
KAAL: Ab jaldi se jao yahan se kyunki kuchh der mein yahan Akhil aane wala hai aur iss waqt main usse milna nahi chahta hoon.
KAAL ka shabd jaise sabhi ke liye kisi order ke saman tha wo charo(4) agle hi pal room se bahar nikal gaye.
Sabhi ke jate hi KAAL ne container ko open kar sabhi girls aur women ko bahar nikal liya, sabhi ke chehre se aisa lag raha tha jaise wo sabhi gahri neend mein ho.
Unki aankhein khuli thi phir bhi behoshi ki halat mein dikhai de rahe the.
KAAL ne sabhi ko apne pocket se nikal kar ek liquid pine ke liye diya, jaise jaise sabhi ne medicine ko apni body ke andar lena shuru kiya sabhi ki chetna wapas aane lagi.
Jaise jaise sabhi girls aur women ki chetna wapas aa rahi thi sabhi ki aankhon se aansu bahta ja raha tha ye soch kar ki unke sath kya hua hai.
“Aap sabhi bilkul bhi chinta na karen aap sabhi safe hain. Aap dono sabhi girls aur women ka khayal rakhna jaldi hi aapke sir yahan aa jayenge– KAAL ne dono girls agents se kaha.”
Agent Girl 1: Hum sir ko kya jawab denge????
“ Unse kahna phir kabhi The Ghost ke pichhe na aaye jaldi hi The Ghost ka pura empire samapt hone wala hai, koi aisa hai jo The Ghost ko iss duniya se mukt kar dega.”
Agent Girl 2: Kaun hain aap, aapka parichay kya hai, aur wo kaun hai jo The Ghost ko marne wala hai, kya aap wo nahi hain jo The Ghost ko marne wale hain????
“ Aap apne Chief se meri uniform ka jikar karna wo mere satya tak pahuch jayenge, ji wo main nahi hoon jiske hath se *The Ghost* ka ant hona hai.”
Agle hi pal KAAL wahan se nikal gaya.
KAAL ke jate hi sabhi ki nazar Agent Tiger aur The Invincible ki aur gayi.
Dono girls agents apne sathi ki dasha dekh kar khud ko rone se na rok sake.
“Bahan aap dono kyun ro* rahi hain???”
“ Hum dono RAW AGENTS hain aur ye hamare senior hain, inka naam Agent Tiger hai, ye hum dono ko bachane aaye honge lekin ye khud hi veergati ko prapt ho gaye.”
“ Bahan hume dukh hai ki aapke sathi ki jaan gayi hai.”
Agent Girl 1: It's okay ye hamara duty hai humne jis samay *The Ghost* mission ko chuna tha usi samay humne apni jaan ko maut ke hawale kar diya tha.
“ Bahan aaj tarikh kitni hai???”
Agent Girl 2: 1st January.
[Agent Girl 2 ne apne wrist mein pehna hua watch dekh kar kaha.]
“ Matlab hum sab yahan kai din aur mahine se qaid the, shukriya aap dono ka ki aap dono ke karan hum sab surakshit hain.”
Agent Girl 1: Aap sab jaldi hi apne family se mil payenge.
[[10 Minutes Later]]
Akhil jaise hi Agent Tiger ki location ko trace karta hua aaya kamre ka nazara dekh kar uska rooh* kanp gaya.
Aise hi kuchh saal pahle usne ek terrorist attack mein apne kai sathiyon ko khoya tha, uska khud ka private part permanently damage ho gaya tha aur aaj phir usne apne ek sathi kho diya.
Ye pal Akhil ke liye wahi sadme ke saman tha jo Akhil ke sath aaj se kuchh saal pahle hua tha jab Dhruv apni maa Kajal ki kokh mein tha.
Akhil ek baar phir se apni purani yaad mein chala gaya.
Uski aankh se lagatar aansu gir raha tha wo iss waqt sab kuchh bhool chuka tha usko kya karna hai.
Akhil ko tab hosh aaya jab Agent Girl 1 ne usko kandhe se hilaya.
Agent Girl 2: Sir main janti hoon ye hum sabke liye ek dukh ki ghadi hai lekin hume himmat se kaam lena hoga. Inn sabhi ko inki family tak pahuchana hoga, Chief sir ko sari report deni hogi aur Agent Tiger sir ki body ko unki family tak pahuchana hoga.
Akhil: Nods! Ye sab kaise hua??? Maine Agent Tiger se kaha tha kisi unnecessary fight se bache.
Agent Girl 1: Sir yahan kya hua hai humme se kisi ko kuchh pata nahi hai. Mujhe sirf itna yaad hai ki hum dono South Avenue Bar mein the yahan kaise aa gaye hum dono ko kuchh yaad nahi hai.
Agent Girl 2: Sir ab hume yahan se jane ke bare mein sochna chahiye, yahan aisa kuchh jarur hua hoga jisse Agent Tiger ki jaan gayi hai.
Akhil: Nods.
_____
Ek aur jahan Arjun ka parivar chain ki neend so raha tha wahin dusri aur uske chacha* ek dardnak sthithi se guzar rahe the.
Khair Akhil ko apni duty pura karna hi tha isliye usne apne dukh par kabu pakar apna kartavya pura karne mein jut gaya.
***
__________________________________________________________________________________
That's all for this episode, the update comprises 4.7k words. I hope that you guys will enjoy the update. Bye bye and take care till the next episode comes. Isme aap dekh sakte hain kaise maine pahle ke points ko include kiya hai aur jaldi hi story mein bahut bada badlav aane wala hai.