Update 174
✷ Confession(3) ✷
(Previously)
Raveena(Sniffing): Bhaiya mat jao mujhe chhod kar, mujhe ab kisi par bharosa nahi hai tumhare alawa, main Upendra se shaadi kar lungi.
“Ahhhh!”
Mahendra ke dil mein aisa peeda hua jaise kisi ne uske dil mein pathhar se prahar kar diya ho.
Mahendra: Geetanjali! Meri chhoti bahan apni saheli ka dhyan rakhna.
“Bade bhaiya Raveena ke sath jo hua hai wo kisi ko bhi mat batana, warna wo usse nazar nahi mila payegi.”
Mahendra ne Geetanjali ko apne gale se aazad kiya aur nikal gaya apne ghar ki aur, usne ek baar bhi pichhe mud kar Raveena ki aur nahi dekha.
Geetanjali: Raveena rok lo usko jaane se, Mahendra bhaiya se jyada pyar tumhe koi nahi kar sakta hai.
Raveena: Sniffing but silent*.
Suryakant: Chhoti Mahendra tumhare liye sabse best choice hai, usko rok lo jaane se.
Raveena: Sniffing* but silent*.
Geetanjali: Aap jaiye main Raveena ko samajhne ki koshish karungi.
Suryakant ne Raveena ko apni bahon se aazad kiya aur nikal gaya apne ghar ki aur.
Story Continues…..))
Flashback Continues…..))
[[Mahendra Home]]
Mahendra jaise hi ghar pahucha Akhil ne uss par ek sath kai sare questions daag diya.
Akhil: Bhaiya aap akele kyun aaye ho aur bhabhi maa kahan hai???
“Aapne kaha tha ki aap unhe lene ke liye ja rahe hain, lekin aapki aankhon mein ye aansu kyun hai???”
Mahendra: Wo ab yahan laut kar wapas kabhi bhi nahi aayegi.
Akhil: Aap aisa kyun bol rahe hain bhaiya???
Mahendra: Kyunki wo apne dost se shaadi karne wali hai.
Akhil: Kyun??? Kya wo aapse pyar nahi karti hai??? Kya aapne bhabhi maa ka dil tod diya hai???
Mahendra: Mere doston ki wajah se uska bharosa mujh par se tut gaya hai, Manav jisko Raveena ne apna bada bhai* aur Mahi jisko Raveena ne apni badi bahan samjha, unn dono ne hi Raveena ke sath galat karne ki koshish kiya.
Akhil: Kya hua hai bhaiya, bataiye mujhe, main bhabhi maa se baat karke aapke paas wapas launga?
Mahendra: Tum abhi bahut chhote ho ye sab samajhne ke liye. Meri sirf ek wish hai ki Raveena jahan bhi rahe hamesha khush rahe.
Akhil: Bhaiya ye hamare sath hi kyun hota hai??? Pahle maa, phir dad aur ab bhabhi maa bhi hum dono ko chhod kar chali gayi???
Mahendra: Jo destiny mein likha hota hai wo hokar hi rahta hai, isliye shant ho jao, main tumhari aankhon mein aansu nahi dekh sakta hoon, tum meri jeene ki wajah ho.
Akhil: Aap bhi mere jeene ki wajah ho bhaiya. Aap mere mata, pita, bhai aur dost sab kuchh ho.
Mahendra: Chalo tumhare liye kuchh khane ke liye bana deta hoon, tumhe bahut jor se bhukh lagi hogi.
Akhil: Nahi aaj main aapke liye banata hoon, aap rest kijiye.
Mahendra: Theek hai mere chhote bhai.
_________
[[Silver City, Raveena Home]]
College ki tour ke baad jaise Raveena, Mahendra, Akhil aur Geetanjali sabhi ki life ekdum se puri tarah se badal gaya.
1)) Raveena ne college mein ek baar bhi Mahendra se baat nahi kiya aur na* hi kabhi Akhil se milne ke liye uske ghar gayi.
2) Geetanjali aur Raveena dono ke bich aapas mein na* ke barabar baat hua, Raveena sirf apna 12th ke final exam ka wait kar rahi thi.
3) Raveena ghar jaane ke baad jyadatar chup chup si rahne lagi, jisko sabhi ne nazar andaaz kiya sirf Nayna ko chhod kar. Nayna* ne kai baar Raveena se puchha magar Raveena ne koi jawab nahi diya.
4) Jo Raveena sabko pyar aur himmat deti thi wo ab sirf ek darr* ke saaye mein ji rahi thi. Uske mind mein sirf ek hi khayal aata tha ki koi darinda aayega aur uski izzat ko lut kar chala jayega.
4) Nayanthara ne kai baar Raveena ko samjhane ki koshish kiya ki uske liye Mahendra sabse best choice hai, magar Raveena ne koi jawab nahi diya.
5) Phir aaya Raveena ki shaadi ka din aur Nayanthara ne ek decision liya jisne sabhi ki life puri tarah se badal kar rakh diya.
[[Wedding Day, 2:10 pm]]
Nayanthara aur Swati dono Raveena ke sath uske kamre mein thi aur Raveena ka shringar kar rahi thi, kintu Raveena ke face par koi smile nahi tha.
Nayanthara ne apne dil ko majbut kiya aur ek kada decision liya.
Nayanthara: Bhabhi aap jara bahar jaiye main isse thoda akele mein kuchh baat karna chahti hoon.
Swati: Okay!
Swati ke room se bahar jaane ke baad Nayanthara ne door ko andar se lock kar diya aur Raveena ka hath apne pet par rakh diya.
Uss samay Nayanthara pregnant thi aur uske pet mein Anupama pal rahi thi.
Nayanthara: Raveena tumhe mere hone wale bacche ki kasam hai, aaj mujhe sach sach batao kya hua hai tumhe?? Jo ladki sote aur jagte huye sirf Mahendra ka naam leti thi usne college se aane ke baad ek baar bhi uska zikra nahi kiya hai.
Raveena ne apni nazar utha kar Nayna* ko dekha aur college tour par jo hua tha Nayanthara ko sab kuchh sach sach bata diya.
Nayanthara: Ab jo main bol rahi hoon, tum usko dhyan se suno.
1)) Raveena ye tum bahut badi bhul kar rahi ho, jara uske baare mein socho jisko pahli baar dekh kar tumhara dil dhadak utha tha.
2)) Akhil ke baare mein socho jisne tumhe apni maa kaha hai aur jisko tumne apna beta kaha hai.
3)) Iss waqt jo peeda tum feel kar rahi ho usse jyada peeda iss waqt Mahendra ko ho raha hoga, jisne tumse pyar kiya aur badle mein tumne uske sath kya kiya???
4)) Wo dono bhai pahle se hi anath hain aur tum bhi dono ko chhod kar chali aayi, tumne ek baar bhi nahi socha ki dono ki kya halat ho rahi hogi????
5)) Mujhe nahi lagta hai ab Mahendra kabhi kisi aur ladki se pyar kar payega, tumne Mahendra aur Akhil ki khushi ko grahan laga diya hai Raveena.
6)) Jis ladke ne hamesha tumhare har decision mein sath diya, usko tumne ek darinda samajh kar usse apna rishta tod liya, mujhe tumse ye umeed nahi thi sakhi*.
7)) Tumne Mahendra ji ke doston ki saza Mahendra ji ko de diya, ye tumne galat kiya sakhi. Kisi aur ki galti ki saza Mahendra ji ko kyun?
Raveena apna sar jhukaye sirf apni bhabhi Nayanthara ki baat sun rahi thi, kyunki Nayanthara ka har ek baat kadwa tha, magar har ek baat mein sacchai tha.
Nayanthara: Kapde change karo aur chalo mere sath isi waqt????
Raveena: Kahan aur kyun???
Nayanthara: Chup bilkul chup, tumne apne mann ka bahut kar liya, ab jaisa main bol rahi hoon ab tum bilkul waisa hi karogi.
Raveena: Theek hai bhabhi.
Raveena ko apne sath lekar Nayanthara ghar se nikal gayi aur jaldi hi dono dost scooty se bus stand pahuch gaye.
Nayanthara: Raveena ab tum sirf ek baat batao, kya tum Mahendra ji se pyar nahi karti ho???
Raveena: Silence.
Nayanthara: Tumhe kuchh bhi bolne ki jarurat nahi hai, tum bus mein chadho aur apne Mahendra ji ke paas chali jao.
Raveena: Phir Upendra ka kya hoga, bhabhi???
Nayanthara: Aur yadi tum nahi gayi toh Mahendra aur uske bhai Akhil ka kya hoga?? Upendra tumhara teacher aur dost dono hai wo tumhari emotions ko samajh jayega, ab tum jao yahan se.
*Screech*
Ek bus aakar dono ke paas ruki jo Pearl City ko jaane wali thi.
Nayna* ne Raveena ko kuchh bolne ka mauka nahi diya aur usko bus mein dhakel kar chadha diya, Nayna ne Raveena se sirf itna kaha ki…
“Tum koi tension mat lena, main yahan par sab kuchh handle kar lungi, tum Pearl City pahuch kar jitna jaldi ho sake Mahendra ji se shaadi kar lena, bye!!"
Bus apne manzil ki aur chal padi.
Nayanthara ne ek lambi saans liya aur khud se kaha.
[(Ek baar tumne mujhe apni premi ko chhod kar kisi dusre se shaadi karne se roka tha, aaj maine wo karz pura kar diya sakhi*. Aaj hamara hisab barabar hua.)]
[[Some Minutes Later]]
Nayanthara, Raveena ko chhod kar apne ghar aa gayi.
Swati: Nayna* tum akeli aayi ho, Raveena bhi tumhare sath gayi thi, Raveena kahan hai, haldi ki rasham shuru hone wali hai????
Nayanthara: Papa ji kahan hain, mujhe unse kuchh jaruri baat karni hai????
Swati: Wo tent ki aur gaye hain, baratiyon ke bhojan ka prabandh dekhne ke liye.
Nayanthara: Aap ek kaam kijiye, aap Jogendra ji, Suryakant ji aur papa ji ko bula kar iss kamre mein le aaiye, mujhe teeno se ek bahut hi jaruri baat karni hai.
Swati: Okay! Tum yahin par mera wait karo, main sabhi ko lekar aati hoon.
Nayanthara: Okay bhabhi.
[[Some Moments Later]]
Nayanthara, Jogendra, Narendra Suryakant aur Swati sabhi Nayanthara ke kamre mein thi.
Narendra: Kya hua Nayna* beti tumne hum sabko yahan kyun bulaya hai??? Tumhe iss waqt Raveena ke kamre mein uske sath hona chahiye tha, tum yahan par kya kar rahi ho????
Nayanthara: Papa ji wo kisi se pyar karti thi wo uske paas chali gayi.
Narendra: Tumhe pata bhi hai tum kya bol rahi ho, bahu??? Kuchh der mein baraat aane wali hai aur tum bol rahi ho Raveena ghar chhod kar bhag gayi.
Nayanthara: I am sorry papa ji ye kaam maine kiya hai, maine hi usko ghar se bhaga diya.
Narendra: Lekin kyun kiya tumne aisa, jab wah khud ye shaadi apni marzi se kar rahi thi???
Nayanthara: Wo khud ye shaadi nahi kar rahi thi papa ji, balki wo yah shaadi majburi aur darr* ki wajah se kar rahi thi.
Narendra: Usko kaisa darr* aur kaisi majburi, jo mujhe nahi pata hai???
Nayanthara ne ek, ek karke wo sab kuchh bata diya jo college tour par Raveena ke sath hua tha.
Jaise jaise Nayanthara apni dost Raveena ki story suna rahi thi, Jogendra aur Narendra ki aankh se aansu ki dhara nikal rahi thi.
“Mere dost!”
Jogendra ne Suryakant ko apne gale se laga liya.
Jogendra: Tumne ye baat mujhe pahle kyun nahi bataya???
Suryakant: Kyunki Mahendra nahi chahta tha ki Raveena ko kisi ke samne sharmindagi feel karna pade, isliye main majbur tha.
Jogendra: Thank you.
Nayanthara: Ab aap sab bataiye kya maine koi galati kiya hai???
Suryakant: Nahi bhabhi aapne koi galati nahi kiya hai. Ek baar Raveena ne aapko kisi dusre se shaadi karne se roka tha, wahi aaj aapne Raveena ke sath kiya hai, aapne apna karz chukta kar diya.
Narendra: Suryakant beta itna sab kuchh meri beti ke sath ho gaya aur mujhe koi khabar hi nahi hai, kaisa baap hoon main?? Jo main apni beti ke dil ki baat ko nahi samajh paya????
Suryakant: Koi baat nahi chacha ji isme aapka koi dosh nahi hai, wo apni graduation ke baad hi shaadi karna chahti thi, isliye usne aapko nahi bataya tha, lekin usse pahle hi uske sath ye sab ho gaya.
Jogendra: Ab aage kya karna hai pita ji???
Narendra: Main Dhirendra ke paas ja raha hoon maafi maangne ke liye, tum aur Suryakant yahan par sab kuchh sambhal lena.
Suryakant: Ji chacha ji aap yahan ki chinta bilkul na kare. Yahan par hum dono dost sab kuchh handle kar lenge.
[Narendra apne dost ko batane ke liye chala gaya ki Raveena ghar chhod kar bhag gayi hai.]
[((Note: Nayanthara ki family aur Narendra ki maut kaise huyi wo sab details mein exclude kar raha hoon, kyunki wo sabhi cheezein humne pahle kai baar discuss kar liya hai.))]
_______
[[Night 11:20 pm]]
Jogendra abhi apne pita ji ke laash ke samne ro* raha tha, jab ek aadmi se Jogendra ko Upendra ka ek letter mila.
[My dear friend; Jogendra]
[Nayna* ne jo kaam kiya hai usko iska inaam mil chuka hai. Nayna* ki puri family ko maine zinda jala kar maar diya hai.]
[Khach* khach* khach* khach*, tumhare baap ke seene mein kitne chaku maine maara hai ki mujhe ginti yaad bhi nahi hai.]
[Dil toh kiya ki tumhe aur Raveena ko bhi jaan se maar doon, magar main tum dono ko zinda chhod kar yahan se bahut dur ja raha hoon.]
[Meri nazar hamesha tum par rahegi, jis din tum apni bahan Raveena ya usse sambandhit kisi se miloge, main uska usi samay ant kar dunga aur koi mera kuchh nahi bigad payega.]
[Aaj ke baad har raat main tumhe sapne mein aakar darata rahunga, isliye aaj se main tumhara dost Upendra nahi balki main tumhara sabse bada dushman hoon.]
(~The Nightmare.)
Jogendra ne letter padh kar ek letter apni bahan Raveena ke liye likha aur wo letter Suryakant ko dete huye bola.
Jogendra: Ye letter Raveena tak pahucha do aur usse koi baat kiye bina wapas laut aana.
Suryakant: Okay!
________
[Pearl City
Mahendra Home]
Samay raat ka 9:30 pm ho raha tha.
Knock* knock*
Mahendra ke ghar ko Raveena ne knock kiya, kintu kai baar gate knock karne par bhi andar se koi response nahi aaya.
Raveena: Mahendra main hoon tumhari premika. Open the door, please! Dekho main tumhare liye apna ghar chhod kar aayi hoon.
Sniff*.... sniff** Akhil ne rote huye ghar ka darwaza khol diya jaise hi uske kaan mein apni bhabhi maa Raveena ka aawaz sunayi diya.
Raveena: Kya hua Akhil??? Tum ro* kyun rahe ho???
Akhil: Aap sniff*... itni din se kahan sniff*.... thi bhabhi maa??? Aaj aapki shaadi hai phir sniff*... aap yahan kya kar rahi ho????
Raveena: Main apni shaadi se bhag ke tumhare bhaiya se shaadi karne ke liye aayi hoon. Hum dono abhi isi waqt shaadi karne wale hain.
Akhil: Sniff** sniff** ye nahi ho sakta hai, sniff* …. bhabhi maa.
Raveena: Kyun??? Kya tumhare bhaiya ab mujhse pyar nahi karte hain???
Akhil: Wo baat nahi hai sniff…. sniff*... bhabhi maa.
Raveena: Phir kya baat hai Akhil, jaldi bolo mera dil bahut bechain ho raha hai???
Akhil: Kyunki bhaiya ne ek sath kai sare sleeping pills kha liya hai aur wah shaam 5 baje se uth hi nahi rahe hain, sniff*... sniff*....
Raveena: Main abhi doctor ko phone karti hoon, tum apne aansu pochh lo aur shant ho jao, sab kuchh theek ho jayega.
Akhil: Koi fayda nahi hai bhabhi maa. Maine pahle hi doctor uncle ko call kiya tha, doctor uncle 2 ghante pahle hi bhaiya ko check karke wapas chale gaye.
Raveena: Kya kaha hai doctor uncle ne????? Tumhare bhaiya theek toh hai na*???
Akhil: Unhone kaha hai ki bhaiya ko kal subah 8 baje tak hosh aane ki sambhavna hai.
Raveena: Okay! Chalo tumhare bhaiya ke paas.
Akhil: Nods!
Kuchh der baad dono Mahendra ke bed par the jahan Mahendra so raha tha.
Mahendra ka chehra dekh kar Raveena ka dil ro* pada.
Raveena: Ye isne apna kya haal bana rakha hai, Akhil???
Akhil: Jab se aap bhaiya ko chhod kar gayi ho, tab se bhaiya ne kabhi bhi pet bhar khana nahi khaya hai.
Raveena: Ab main aa gayi hoon, sab kuchh pahle jaisa theek ho jayega.
Akhil: Bhabhi maa aap phir se hum dono ko kabhi chhod kar toh nahi chali jaogi na? Bhaiya aapse bahut pyar karte hain, wah aapki judai mein chain se ji nahi payenge.
Akhil ki aankhon se aansu nikal kar niche bedsheet par tapak pada.
Raveena ko samajh aa gaya ki dono bhai uske bina 2 months se kaise ji rahe the.
Raveena: Nahi! Ab main tum dono ko chhod* kar kahin nahi jaungi.
[Next Morning 9 AM]
Ek aur jahan next morning Mahendra ki aankh khul gayi jisse Raveena ke chehre par thodi smile aa gayi.
Kintu dusri aur Suryakant ne Raveena ko ek letter diya aur kisi se koi baat kiye bina hi wah ghar se chala gaya.
(Letter)
[(Aaj se tum mere liye mar chuki ho, tumhare ghar se bhagne ke karan pitaji ne suicide kar liya. Aaj se kabhi mujhse milne ki koshish mat karna. Tum apni jindagi mein khush raho, yahi meri god se pray hai tumhare liye.)]
[Your Dead Brother
~Jogendra]
Raveena abhi apni pahli trauma se bahar aa bahi nahi payi thi aur usko ek aur gahra chot mil gaya, ek pal mein hi usne apni puri family ko kho diya, jis wajah se Raveena apne darr* par jeet hasil nahi kar payi.
Aage jab Arjun ka janam hua tab Raveena ka yahi darr* Arjun par havi ho gaya, jiski wajah se Arjun hamesha dara-dara sa rahne laga.
Arjun apne pita aur chacha kisi ke paas nahi jaata tha, sirf Raveena ke paas hi rahta tha.
Apne bete Arjun ke liye Raveena apni dukh aur darr* ko bhul gayi, kintu Arjun ka darr* samapt nahi hua, tab Arjun ke life mein Kajal aur Rashmika angel* ban kar aayi jisne Arjun ki life ko ek naya mod diya.
[[Flashback Ends]]
________
[[Kajal Home, Present Day]]
Kamre mein jitne bhi log* the* sabhi ki aankhein aansu ki boond se nam thi.
Anu: Arjun my saviour main samajh sakti hoon jab ek ladki ki izzat par baat aati hai tab uss par kya guzarti hai.
“Jis tarah tum mere liye mera saviour ho usi tarah se Suryakant uncle tumhari mom ki saviour hain, meri nazar mein tumhari maa nirdosh hain.”
Arjun: Mom!
Arjun ki aankhon se aansu ki boond nikal kar niche jameen par gir pada.
Arjun ne apni jagah se uth kar Raveena ko apne gale se laga liya.
Arjun: Meri mom ke dil mein itna dard chhupa hua tha aur mujhe thoda sa bhi ehsaas nahi hua, mujhe maaf kar do mom, I am sorry.
“Aapne mere liye 18 years se apne face par ek jhuthi smile rakh liya aur mujhe samajh nahi aaya.”
Raveena: Shant ho jao Arjun, tumhare liye main 18 years hi nahi balki apne pure jeevan aisa kar sakti hoon.
Kajal: Raveena didi kya yahi wo wajah hai jiski wajah se Arjun mein itna darr* tha???
Raveena: Yeah!
Kajal: Hum sabko bhi maaf kar dijiye Raveena didi ki hum sab aapke dil ki peeda ko samajh nahi paye.
Raveena: Koi baat nahi, mujhe aaj iss baat ki khushi hai ki aaj hum sab ek sath hain.
Arjun: Aur ab hamesha ek sath rahenge.
Raveena: Nivetha ab tum batao kya maine koi galti kiya hai????
Nivetha: Nahi! Aapne jo bhi kiya hai usme aapka koi dosh nahi hai.
“Ek aur Arjun ke dad hain jinhone aapki khushi ke liye aapko chhod diya, toh dusri aur aapka wo dost jisko aapse baat karna chahiye tha ki aap kyun ghar chhod kar bhag gayi, jabki usne bina koi baat kiye aur sach ka pata kiye bina hi galat kadam utha liya aur sab kuchh barbaad kar diya.”
Raveena: Kya tum mujhe maaf karti ho???
Nivetha: Yup! Lekin ek shart par.
Raveena: Kaisi shart, Nivetha beti*???
Nivetha: Yahi ki aap mujhe utna hi pyar karengi jitna aap Arjun betu* se karti hain.
Raveena: Bilkul! Maine tumhe tab dekha tha, jab tum theek se chal bhi nahi pati thi aur ab tumhari height mujhse bhi jyada ho gayi hai.
Arjun: Alright! Mama ji aur mom nirdosh sabit hote hain.
Nayanthara: Nivetha ek baar phir se tumne sahi decision liya hai, tum Swati bhabhi ki hi tarah bilkul koi bhi faisla situation ko achhe se samajh kar leti ho.
Arjun: Mami ji aap apne dwara uthaye gaye kadam ko kis prakar sahi sabit karengi????
Nayanthara: Main tumse kuchh sawal karna chahti hoon. Kya mujhe tumse kuchh sawal karne ki permission hai???
Arjun: Okay! Permission granted.
Nayanthara: Maan lo tumhare mama ji ne tumhari bahan Krithi ke liye koi ladka dekh liya aur tumhe pata chal jata hai ki tumhari bahan kisi aur ladke se pyar karti hai jiske sath wah hamesha khush rahegi toh tum kya karoge???
“Kya tum apne mama ji ke decision ko support karoge, ya phir apni bahan ki khushi ke support mein apna decision loge???”
Arjun: Main Krithi didi ki favour mein decision lunga.
Nayanthara: Kyun???
Arjun: Kyunki har ladki ko apna jeevan sathi chunne ka adhikar hota hai.
Nayanthara: Good! Nivetha tum batao tum kya karogi???
Nivetha: Meri bahan jahan jeevan bhar khus rahegi main uss decision ko support karungi, phir chahe uske liye mujhe kisi ke bhi khilaaf jaana pade.
Nayanthara: Maine bhi bilkul yahi kiya hai. Raveena ab tum batao kya tumhe Mahendra ji ke sath kabhi aisa laga ki tumne usse shaadi karke koi galti kiya hai???
Raveena: Nahi.
Nayanthara: Arjun tum batao kya tumhe kabhi aisa laga ki tumhare dad aur mom dono ek dusre se khush nahi hain???
Arjun: Nope!
Nayanthara: Toh phir ye sabit hota ki maine jo kiya tha wo sahi tha. Upendra ne apne gusse mein jo kiya tha usko uski saza mil chuki hai.
Samantha: Nivetha kya tum apni bua ko maaf karti ho????
Nivetha: Yeah! Yadi bua ne wo kadam nahi uthaya hota toh Arjun ko Kajal mam aur Rashmika mausi jaisi family kabhi nahi mila hota.
Samantha: Phir iss case ko yahi par samapt kiya jata hai. Arjun ab tum apni pratigya se mukt ho chuke ho, kyunki koi bhi doshi nahi paya gaya hai.
Nivetha: Ha* betu, main tumhe apni pratigya se mukt karti hoon.
Jogendra: Mujhe tumhare liye dukh hai Arjun, tumne iss ladai mein apna 2 bhai aur ek maa jaisi chachi ko khoya hai.
Arjun: Mujhe teeno par garv hai, jisne meri family ke liye apni jaan diya hai.
Raveena: Thank you Rohan beta tumne jo bhi Arjun aur hum sabke liye kiya hai.
Rohan: Bas aapne mujhe beta kaha mera dil khush ho gaya.
Raveena: Rashi idhar aao.
“Ji aunty! Rashi ne Raveena ke paas baithte huye kaha.”
Raveena: Mere Rohan aur Arjun ka sath kabhi mat chhodna.
Rashi: Kabhi nahi.
Seetha: Leela beti.
Leela: Yes* nani maa???
Seetha: Ab tumhe jawab mil gaya hoga ki Arjun bachpan mein kyun itna darta tha???
Leela: Yeah! Mujhe ye aabhash tha ki Arjun ke darr* ke pichhe koi na koi bada raaz jarur hoga, isliye main janna chahti thi.
Mahendra: Tum apni maa ki tarah samajhdaar ho.
Trisha: Thank you sir.
<img src="https://i.ibb.co/LXJnVdfT/krithi-shetty.jpg" alt="kr