Toh varsha aur vishwas dono hi ek dusre se hi pyaar kar baithe.... Par varsha is baat se anjaan hai ki jisse woh pyaar karti hai wahi vishwas hi rudra hai... Aur rudra bhi is baat se anjaan hai ki jisse varsha pyaar karti hai woh aur koi nahin khud vahi hai.... Aur priya bhi is baat se anjaan hai ki jis bhai ko woh dekhna chaahati hai jisse milna chaahati hai use woh roz dekhti bhi hai aur milti bhi hai dekhte hain inki yeh anbhigyata kab samaapt hogi
aakhir woh wajah kya hai ki jisse rudra apne hi mata pita se nafrat karne laga hai aur use yeh naya chahra kiska diya gaya hai?
varsha aur priya dono hi rahul aur mayank ki haqiqat se anjaan hain aur naahi unki haqiqat commissioner aur sima ko pata hai dekhte hain kab unhein yeh haqiqat pata lagegi aur jab priya ki yaaddasht vaapas aayegi tab woh kya karegi?
aur jab niraali ko yeh pata lagega ki jis prem ke liye woh apne bhai se hi lad baithi woh uske bhai ke mujarimon mein se hi ek hai kya tab bhi woh use wese hi pyaar kar paayegi jaise ki ab karti hai kya woh use mu'af kar paayegi?
aur varsha and niraali par yeh humlaa kiya kisne aur kyon kiya gaya hai yeh humlaa?
jab rajeshwari devi ko pata lagega ki rudra hi unka naati hai tab woh kya karengi?
rudra and family ko yeh kab pata lagega ki unki daadi zinda hain?
agar rudra ke dada mar chuke hain toh raghuveer rajput kaun hain? Kya rishta hai unka fir rudra ya yoon kahoon ki us chehre se jo vishwas ko rudra banaata hai?
aapne kaha tha ki vishwas aur priya dono ki apne parents se nafrat ki wajah alag alag hain toh kya hai woh wajah jiske chalte priya apne maa baap nafrat karne lagi thi?
kya vishwas aur varsha kabhi ek ho paayenge?
kya vishwas aur priya apne parivaar ko mu'af kar paayenge ?
kya rajeshwari devi apni beti damaad ko mu'af kar paayengi?
king kaun hai yeh?