nain11ster
Prime
UNFAITHFUL AND ALCOHOLIC By The Blue Prince
Short story me rythm aur vishay ka chunaw atyant hi aawsyak hota hai... Unfaithful And Alcoholic unhi sab kahaniyon me se ek hai...
Domastic violence aur crime based ye story shuru se anth tak aap ko bore nahi hone degi. Ek tagda piyyakad saki pati Nitin aur mali haalat se jhoojhti Sejal...
Halanki bahut kuch pahle hi clear ho chuka tha aur likhne wali ki hi khoobsoorti thi jo Sejal ke anaitik sambandhon ko wo upar hi baton baton me likh gaye... Jaise ki pati ke liye daru arrenge karna ... 4 room wale kamre me rahna aur jhadi pocha karna .
Shuru me laga yaar ye kaise ho sakta hai ... Ek jimmedar aurat wo bhi itne ache ghar ki jhadu pocha kar rahi aur sath me pati ki daru b maintain karna ... Jo ki kam se kam rojana 1000 ka kharcha to hoga hi ... Fir aage jab kahaini badhi aur in sab baton par dhyan gaya to laga ye to humare liye hint hai...
Khair ek sikke ke do pahlu hote hain .. acha bhi aur bura bhi .. lekin kahani kisi bhi sandarv ko nahi dikhati wo bas aap ke liye sawal chhodti hai aur khud se aakalan ke liye kah jati hai ... Ki kya Sejal sahi thi jo bewade ko jhelti thi aur anth me ek hi rasta bacha ya fir Nitin ko samjhaya ja sakta tha.. kyonki tha to piyakkad lekin hath nahi uthata tha apni biwi par...
Kahani me kuch kamiyan bhi rahi .. jiske chalte thoda sa confusion hota hai.. mana ki short story me detail nahi dala ja sakta.. lekin murder aur investigations ke scene thode clear hone chahiye .. kyonki ek para ke pichle scene me aur next para ke scene me bahut ho anter dekhne milta hai jo confusion ka karan ban jata hai. Sath hi sath domastic violenece ke scene par bhi thode kaam karne ki jaroorat thi.
Kyonki jis prakar ke samvad Nitin ke hain surwat main.. utne shaq ke baad kisi bhi bewde ka hath uth jana aam baat hota hai... Ya to us samvad me shaq ko kam kar ke aasanaka rakha jana chahiye tha... Ya is level ke sahq ke baad 2-4 jharap ke scene hone chahiye the...
Kahani me kuch jagah galiyon ke prayog bahut hi realistic lage to kahin kahin ye kuch ajib sa feel kara jata hai...
Overall .. ek achi aur sadhi hui story ... Bus end par thoda aur mehnat ki jaroorat thi... Lekin fir bhi .. apne samvad aur readers par asar chhodne me pura shaksham ...
Best of luck for the contest

Last edited: