Update - 127
ab tak aapne dekha Abhi Satya lok mein apne satya se awgat ho gaya hai .....
ab aagee .........
Jis samay Parashakti dwara Tridevo ka nirman hua ...tab ussi parashakti ki urja aur brahmand mein faile hue shunya k andhkar se .....janm yua Eblis ..ka.......
parashakti ne Tridevo mein Brahma ji ko nirman shakti k saath apne hi ansh se Sarawati ji k roop mein pradan kiya ....
Bhagwan Vishnu ji ko Samridhi arthat paalan shakti aur apna ek ansh se Lakshmi ji ka roop mein pradan kiya
Aur Mahadev ko Sanghar shakti k saath ..Mahakaali k roop mein apna ansh pradan kiya ...
jab Brahma ji dwara 14 loko ka nirman hua ........toh uss samay sab loko mein kewal satva gun ki adhikta thi......
in 14 loko mein se Jana lok mein brahma ji ne Sabhi loko mein santulan banaye rakhne k liye .....14 loko k pratiroop 14 maniya sthapit ki .......jab bhi kissi lok ka paap aur punya ...acchai ..aur burai ka santulan bigad jaata ....toh usse sambandhit mani apna rang aur roop badlne lagti...
Jisase ...iss lok ka ...sanchalan karne k liye jisse tridevo ne niyukt kiya ho ....... uss mani k dwara usse sambandhit lok mein hone wale sabhi ghatna kram par nazar banaye rakhe aur uss lok mein santulan banaye.....
Unn maniyo ki urja se do vishalkaye dragon utpanna hue ....jo unn maniyo ki raksha k liye niyukt kiye gaye .....
inn mein ek safed dragon tha ...jo ..pirthvi se upar k saath loko ki urja se utpana hua tha ......aur un 7 loko ki raksha k liye niyukt kiya gay .
dusra tha kaala dragon jo prithvi se niche k 7 loko ki urja se pragat hua tha aur unse sambandhit un 7 maniyo ki raksha k liye niyukt kiya gaya tha ........
In sab maniyo aur dragon ki dekbhal k liye Brahma ji ne apne manas putra Satyanand ji ko Janlok mein niyukt kiya ......
Inn 14 loko mein se eblis k liye koi sthan nahi tha .......jab usne Janalok ki shakti dekhi toh usne in 14 loko par raj karne k udeshya se ....uss lok mein gupt roop se pravesh kiya .......
Aur 14 manyo tak pahunch gaya ....
Eblis ka koi sharir nahi tha ....woh ek kaali shakti k roop mein janalok mein failne laga ........
usne Safed dragon ko apne vash mein karne ka prayatna kiya ....lekin usmein nihit satya ki urja k kaaran woh aisa nahi kar saka .....
tab usne kaale dragon ko apne vash mein kiya .......
Eblis k aise karte hi ....Prithvi se lekar patal lok tak burai aur paap phailne laga ........
Acchayi aur pooja yagya samapt hone lage jisase devta shaktihin hone lage ........
tab sabhi devata milkar ...tridevo ki sharan mein gaye ....aur unse prarthana ki ........
Tridevo ne devtao ki samasya ko dur karne k liye aur sabhi loko mein santulan banaye rakhne k liye .....Apne ansh se Abinav ko utpanna kiya ...aur janam hua ..Shrishti k Rakshak ka ......Jis prakar tridevo ki shaktiya unki patniyo k roop mein unke sang rahti hai.......ussi prakar trideviyo k ansh se pragat hui Rakshak ki teen Shaktiya ....
Saraswati ji k ansh se Vibhakta
Lakhmi ji k ansh se Rituja ( Ritu)
Aur mahakali k ansh se Shivali
Abhinav aur uski shaktiyo ko janalok ka bhar saunpa gaya ...aur waha ka Raja niyukt kiya gaya ...
Abhi apni shaktiyo k saath Janlok ka adhipati bana ...tab sabse pahele usne apni satvik shakti k dwara ....Eblis ki samast urja ko kaid kar liya ......
Tab parashakti kahne par Abhi ne eblis ko mukt kar diya ......Maa prashakti ne bataya k sansar mein acchayi ka mahatva tabhi samz aata hai jab burai bhi ho .....
yeh sansar teeno guno se bana hai ...Eblis kewal tamogun aur andhere se bana hai ......yadi usse kaid kar liye jaye ya samapt kar diya jaaye ....toh iss shrishti ka santulan hi bigad jaayega ....isiliye Ebils ko kuch seemao mein band diya ......
Eblis ki 6 shaktiya thi ...kaam .....krodh ..lobh ...moh.....madh...matsar....
Inn 6 mein se ek bhi gun jismein hoga woh Eblis k prabhav mein hoga......parantu jab bhi Eblis apni seemao ko langhkar ....Satvik urja ka daman karna chahega aur acche logo ko bhi apne prabhav mein laane lagega tab ....usse rokne ka dayitwa Rakshak ko saunpa gaya .....
Eblis niche k 7 loko mein nirantar apna prabhav badane k liye kisi na kisi ko apni shaktiyo dwara pragat karta tha......Jana lok se nikale jaane k baad bhi uska kuch ansh laale dragon mein sama gaya tha ...jiske kaaran usse inn saat loko mein bar bar paap phailane mein safal hota tha ..
Inn 14 Maniyo k dwara aur Abhi aur Uski teeno shaktiyo ko 14 lok mein hone wali bhut bhavishya aur vartaman ki ghatna ka pata chal jaata tha ....jsisase woh shrishti mein santulan banaye rakhte the....
Anek yugo mein Rakshak aur Eblis ki urja mein shrishti mein santulan banane k liye yudh hua ......
jab Abhi ko kaale dragon mein sthit Eblis k ansh k baare mein pata chala ...toh usne apni shaktiyo se usse supt kar diya ......
iss kaliyug mein jab Ebils ki urja se KS ka janm hua aur woh apna prabhav phailane laga ....toh Rakshak ko phir apni shaktiyo k saath janm lena pada ......
Jab Abhinav ne apni sampurna urja k saath Naina k garbh mein pravesh kiya ....tab Mahaguru ne uski shakiyo ko vibhakt karke .....14 loko mein bhej diya tha ....
Jiske Abhi k teen shaktiyo k 14 bhag hue .........parantu unn shktiyo k teen mool roop teen jagah kanya roop mein pragat hue ......Shivali ....yaksha lok mein..
Vibhakta ....Tapao lok mein aur Rituja janalok mein .....
Shivali .. Vibhakta aur Ritu teeno hi prakash punj k roop mein pragat hui thi jiss kaaran unhe apni Shaktiyo aur apne vastavik roop ka poorna gyan tha ......
Samridhi shakti ki urja ko dharan karne ka saamarthya kewal Ritu mein tha .....aur uske liye usski 5 varsh ki awasha mein hona awahsyak tha ....
Ritu ka manav roop mein Abhi k saath rahna awashyak tha aur manav sharir ka mastisik ...5 varsh ki awastha tak poorna vikasit hota hai ....aur samriddhi shakti dharan karne k liye vikasit mastishik ka hona jaruri hai .....
Isiliye Janalok mein pahunchi Abhi ki urja k ansh ko .......5 varsh phele ka samay chakra paar karke ...Kanya roop mein RVS k dwar tak pahunchaya gaya......
RVS aur Naina ne jab kisi bacche k rone ki aawaj suni ..toh dekha ek kanya koi uske dwar par chod gaya hai ......
Naina ne jab uss kanya ko godh mein uthaya ..toh uska rona band ho gaya.......toh dono ne usse Bhagwan ka aashirwad maankar apne kanya k roop mein sweekar liye ......
Iss prakar Abhi ki shaki ka ansh hote hue bhi ..Ritu Abhi k janm se5 varsh pahele hi rana k paas pahunch gayi thi .....lekin manav sharir k kaaran apni poorva ki smritiya bhul gayi thi ...
Abhi ki teen Shsktiya hi alag ..alag roopo mein vibhakt hokar 14 loko mein pahunch gayi thi ...
Aaiye dekhte hai Abhi ki kaunsi patni kis mool shakti ka roop hai
Vibhakta - Renu , ..Shamli....Vibhakta ...aur Satya....
Rituja - Ritu....Shalu...Rimpy
Shivali - Shivali , Bhadra, Daksha , Chaitali , Madalsa, Sulekha , Vaishali..
Iss prakar Abhi ki yeh teeno shaktiya 14 roop mein vibhakt hui ........
Satya lok mein Abhi ko Apne vastavik roop ka ...Apni 14 patniyo k rahasya ka ..aur Apne lok ka pata chala ....Ab uske mann mein na koi dwand tha aur na hi koi prashna ......
Satya lok mein Satya ki shakti prapt kate hi Abhi gandhmadan parvat ki uss gufa mein pahunch chuka tha jaha uska sharir rakha hua tha ......
Satya lok mien Abhi ne 1 din hi bitaya tha jo prithvi k 1 mahine k barabar tha .......
yaha aate hi Abhi apne sharir mein pravesh kar gaya tha .......
RVS ..Naina...aur Addu .....ki aatmaye bhi uske bhiter hi thi ....jiske kaaran Ab usse Naina mein sthit Nirman shakti aur Addu mein Sthit Pranshakti prapt ho gayi thi ......
Prithvi aur bakki lok mein iss 1 mahine mein bahut kuch badal gaya tha ........
DR jab RVS k ghar tabahi macha kar lauta toh KS ne usska bada bhavya swagat kiya ......
KS ko laga k Rakshak aur uska parawar ...Durmukh k amogh shakti k vaar se samapt ho gaya hai .....lekin shanka k samadhan k liye usne apne kuch guptchar prithvi par laga diye ......
Yaha charo taraf RVS k pariwar k dhamake mein maut ki khabar phail chuki thi .....Unka saara pariwar dukhi tha .......
Gaon mein bhi Rana mahal mein matam ka hi maahol tha ......
RVS aur naina k sabhi rishtedar ... iss samachar se bahut dukhi the ........Abhi k chacha Vinay Singh aur dono bua wapas India mein aagaye the ...aur Rana mahal mein hi rah rahe the ......
Abhi k budhe dada ..dadi ...iss achanak aaye dukh k kaaran sadmein mein the ......
Pari aur sona ko toh vishwas hi nahi ho raha tha k ab unke Abhi bhaiya nahi aayenge ....
Rimpy k dad Kj bhi yahi samaz rahe the k unki beti nahi rahi ......
KS k guptcharo se mili suchna se ab KS ko vishwas ho gaya tha k Rakshak nahi raha ......
ab woh apne laksya ko prapt kar sakta hai ....
KS ko Eblis k dwara kaale dragon k baare mein pata chala ......toh usne uss dragon ki urja ko jagane k liye ussi Purane roopnagar k nadi kinare Dragon wale mandir jo Asuro deara hi sthapit tha ......Aur prithvi lok ko Janalok se jodta tha... mein Durmukhasur se dwara anushthan karaya jiske kaaran woh kaala dragon jaag gaya tha.......
Ab woh roj iss gaon k 5 logo ki bali lene laga .....Uss dragon k jaagne k kaaran ...prithvi se leka patal lok tak burai apradh ....pap badne laga ....logo mein paap karne ki bhavnaye prabal hone lagi .....
Abhi k patniya badi kathinayi se inn loko ko sambhal ne mein lagi hui thi ....lekin koi bahari shatru ho toh koi uska saamna bhi kar sakta hai ....lekin yaha logo ki hi pravriti asuro jaisi ho rahi thi toh woh bhi uhne kaise rokti .....
bas Abhi k aane tak Apni aur apne saathyon ki suraksha mein lagi hui thi ......
Rinku aur Golu ....Rakshak sena k saath milkar inn loko ki bahari rasha ka dayitva sambhal rahe the.....
Abhi ko gaye hue ...ab 1 mahina hone ko aaya ..KS ki ab 13 baliya ho chuki thi ...bas ek aur baaki thi ....jo usse apni sabse priya jisse woh bina kisi swarth k prem karta ho uski bali deni thi .
aur usse iss baat ka ishara bhi mil chuka tha k aahkri bali usse uski pyari beti Madalsa ki deni gai.....aur issi kaaran uske mann mein dwand chal raha tha....
itne dur aakar ab woh piche nahi hat sakta tha....isiliye usne dridh nischay kar liya tha....
Yaha Abhi ne Renu aur Vibhakta ko Rasatal mein Shivali aur sulekha k paas mein bhej diya aur khud chal diya RSS k Gaon mein sthit Rana mahal mein Apne Dada ji k room mein pahunch ...
Abhi k liye itna hi ...
Agla update kal....