- 5,758
- 13,166
- 189
UPDATE 56
Rahul aur Nisha hotel se apna lunch karke aate hai.....Aur fir se apne baato me lag jaate hai...
Nisha:- Sach me bahut tasty tha yaar aaj ka lunch.....Waise hamne aaj kya khaaya tha...
Nisha ke iss sawaal ne Rahul ko chaunka diya.....Wo hairaani se Nisha ko dekhne laga aur hairaani se puccha....
Rahul:- Sach me tumhe nahi pata aaj hamne kya khaaya tha....
Nisha:- Aaj pehli baar khaaya tha....To kaise pata chalta.....Aur tumne hi to order kiyaa tha....
Rahul:- Kaisi ajeeb ladki ho yaar....Kabhi baahar nahi khaati kya....Waise aaj hamne chicken drumstick aur aalu ke pakaude khaaya tha....Abb ye mat kehna ki tum vegeterian ho....Mujhe laga tumhe pata hai ki tum drumstick khaa rahi thi.....
Rahul ko abb thoda thoda dar bhi lagne laga tha ki kahi Nisha sach me vegeterian to nahi hai.....Agar hoti to pakka uska aaj band bajne waala tha....
Nisha:- Nahi....Kabhi kabhi chicken, mutton aur fish khaa leti hu.....Lekin hamesha formal lunch snacks aur dinner karti hu....Jaise ki chaawal aur roti....Kabhi kabhi dosto ke saath baahar khaa leti thi.....Kabhi bhi aise items ka name nahi puccha aur pataa bhi nahi chala....Waise bhi mai health conscious hu....Inn sab se health pe buraa asar padta hai....
Rahul:- Tum bhi naa....Kabhi kabhi baahar bhi khaa lena chahiye....Mai to kabhi kabhi khaa leta hu.....Bas chhoti si jindagi hai kuch to majaa karna hi chahiye.....Mai health conscious to hu issliye limit me khaata hu.....Puri tarah se ignore nahi karta.....Jis tarah se tum keh rahi ho mujhe nahi lagta ki tum sach bol rahi ho....Health consciousness ek bahana lag raha hai sach sach kaho asli vajah kya hai....
Nisha Rahul ki aise achanaak puncchne se hairaan ho gayi.....Wo soch rahi thi ki Rahul ko uska jhuth kaise pata chal gaya.....
Nisha:- Nahi nahi yahi vajah hai.....Mai tumse kyu jhuth bolungi....
Nisha ne bas itna hi kaha....Wo Rahul se baat chupaana chahti thi lekin jiss tarah se usne kaha Rahul ka shak aur badh gaya ....
Rahul:- Koi personal baat hai to mat bataao....Mai force nahi karunga....
Rahul ne bhi kisi ki personal baat pe dakhal dena theek nahi samjha.....Usne baat taalne ke liye ye keh diya.....Nisha ne bhi socha ki wo to Rahul ko apna maanti hai....Usse baat fir kyu chuppaaye .....Usne kehna shuru kar diya....
Nisha:- Maine socha ye koi jaruri baat nahi hai....Issliye inn baato pe time waste nahi karna chahti thi....Agar tum jaana hi chahte ho to bataati hu....
Rahul tumne kabhi socha hai ki mai iss tarah ek flat me room leke akele kyu rehti hu....
Rahul:- Nahi....Mujhe laga tum padhne ke liye ghar se dur yaha rehti ho....Koi dusra vajah hai kya....
Nisha:- Nahi....Sacchayi ye hai ki mera koi ghar nahi hai....Mai anaath hu....Mere iss duniyaa me koi nahi hai....Kehne ko to ek mama hai par unhone bhi mujhse apna rishta tod liya hai....
Meri Maa aur Papa ki love marriage hua tha...Unn logo ki shaadi ko unke parents ne accept nahi kiya....Dono ko ghar se nikaal diya.....Papa bahut bade doctor the...Paiso ki koi kami nahi tha.....Aaram se ham log apne life jee rahe the....Bachhpann me mai apne maa aur Papa ke saath bahut khus rehti thi....Maa aur Papa bhi mujhse bahut pyaar karte the....Kabhi bhi koi takleef nahi hua.....Lekin kismat ko meri ye khusi dekhi nahi gayi.....Ek din mere Maa aur Papa kahi jaa rahe the ki unka plane crash ho gaya....Aur unki death ho gayi.....
Ye kehte hue Nisha chup ho gayi aur uski aankho se aansu girne lage.....Rahul bhi kucch bol nahi paa raha tha....Nisha ki baat sunkar usko bhi bahut dukh ho raha tha....Nisha ne apne aansu ponch kar fir se bolna chaalu kiya....
Unke death ke baad mai bilkul akeli pad gayi.....Papa ki taraf se lene to koi nahi aaya....Unn logo ne hamse pehle hi apna rishta tod liya tha....Lekin Nana ji ko shaayad daya aa gayi....Unhone mujhe apne saath le gaye....Wo mujhse bahut pyaar karte the....Unhone fir bhi maa aur papa ko maaf nahi kiya tha lekin unka gussa mujhpe nahi utaara....Wo maa ki shaadi kisi aur se karaana chahte the lekin Maa ne Papa se shaadi kar liya.....Wo iss baat ko kabhi nahi bhula paaye....Fir bhi meri parwarish unhone bahut acche se kiya....Mujhe ek acche school me admission dilwaaya....Meri padhaayi me bahut madad kiya....Paiso ki kami kabhi nahi hone diya....Padhne me pehle se hi acchi thi.....Jab 12 class complete kiya to maine unhe bata diya tha ki mai MBBS padhungi.....Unhone mere account banwaa kar kuch paise transfer karwa diya.....MBBS me maine apni mehnat se naam nikaala aur acche se padhne lagi......Lekin ek din unki bhi death ho gayi....Fir mama aur mami ne ghar me rehne mein bhi pareshan karne lage to mai Riya ki help ki vajah se yaha par rent par rehne lagi.
Nana ji ke diye hue paise se abhi tak sab kuch thik se chal raha hai.....Kuchh time baad part time job kar lungi....Bas acche se padhkar ek accha doctor banna chaahti hu....Issi liye mai sirf aur sirf padhaayi pe dhyaan dena chahti hu.....Kabhi kisi se utna matlab nahi rakhti.....Baahar jaake khaana, party me enjoy karna, modern dresses pehanke sajna sawarna to maine bahut pehle hi chhod diya tha....Mai apne mission se nahi bhatak sakti.....Issliye mai baaki ki logo ki tarah life ko enjoy nahi karti....
Itna keh kar Nisha chup ho gayi.....Uski aawaj me dard saaf mehsus kiya jaa sakta tha....Wo abb rona bhi band kar chuki thi....Bas sir ko niche jhuka kar jameen ko dekh rahi thi....
Rahul:- Sorry Nisha....Maine tumhe ye sab poonch kar tumhaare bhare hue zakhm ko phir se taaja kar diya....Mera wo makshad nahi tha.....Mujhe tumse itne acche vakt me aisa question nahi puncchna chahiye tha....
Nisha:- Koi baat nahi Rahul....Mujhe tumhaari baato ka buraa nahi laga....Bas aise hi puraani baato ko yaad karke thoda dukh lag raha hai....Koi baat nahi.....Mujhe sehne ki aadat hai ....Bahut jald bhool jaaungi....
Nisha ki baat sunkar Rahul kuch bol nahi paaya ....Usse samajh me nahi aaya ki kya bole.....Uske baad waha 1 ghante tak ka khaamoshi chaaya....Mausam bhi bahut badal chuki thi....Aasman ko baadal gher chuka tha....Thandi thandi hawaa beh rahi thi......Nisha ne socha iss khaamoshi ko abb todna chahiye aur usne Rahul se kaha....
Nisha:- Rahul....Dekho na kitna accha mausam hai....
Rahul:- Hmm....Bahut hi accha mausam hai aur jagah bhi bahut accha hai.....Bahut dino baad aisa najaara dekha hu,....
Rahul ne ye keh to diya....Lekin uski baat me koi bhi khushi nahi jhalak raha tha.....Wo abhi bhi Nisha ki hi baato ko soch raha tha....Uska dhyaan mausam aur jagah pe bilkul bhi nahi tha...
Nisha:- Ye mausam pyaar karne waale ke liye bahut accha hota hai.....Chaaro taraf prakritik saundarya aur upar se mausam ka majaa.....Rahul kya tumne kisi se kabhi pyaar kiya hai......
Nisha ne ye jaanboojh kar punccha....Usko ye hi sahi mauka laga tha....Usko lag raha tha ki Rahul aaj bahut khush hai aur sab kuch bata dega....Lekin usko nahi pata tha ki usne Rahul ki sabse badi kamjori par hamla kiya tha.