• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ABHI - THE WARRIOR 2 (Completed)

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,620
19,020
188
Update - 53

Jaise hi dono skhalit hue woh prakash punj Dono k sharir mein sama gaya.....Abhi ..ko prapt ho gayi ....Divya drishti ....Adrishya ..hone ki shakti.....
sampurna gyan ....Nirman shakti .....aadi apni saari shaktiya ....Vibhu ..ki bhi ab saari shaktiya jaagrit ho gayi thi ....

ab aagee......

Madhur milan k ahsas ko apne bhiter sanjoye dono ek dusre ki baahon mein so jaate hai ....subah ...bramhamuhurat mein ...4 baje ...Abhi ki neend khul jaati hai ...apne nitya karm se nivrit hokar ..woh dhyan mein baith ..jaata..hai ....

Dhyan ki prakriya ..mein pratam ..triband ...pranayam .....karke ....Muladhar ...chakra se dhyan karte hue uppar k chakro mein ...ek ..ek..karke dhyan karne lagta hai ....ab ..tak ..uske Voshuddhi chakra tak k chakra hi jaagrit the ....parantu ab iss milan k baad ....aaj vishuddhi chakra se uppar ..bhrumadhya mein aagya ..chakra ...mein dhyan karte hue pahuncha ....jaha ..usse ..sampurana gyan ...aur ...brahmand k rashasyo ka pata chala ....aagya ..chakra ...mein ...pahunchte hi uski divya drishi jagrit ho gayi ...ab..usse ..kai ..drisya....
ek..saath.dikhayi..dene ..lage...inn.drishyo..mein....
Arsalan...Dhara..aur..Darmen..k jeevan ..ki ..kuch..zhalkiya thi

ab..usse..apna..sharir..pahele.se.aur..adhik..urjawan...mehsus..ho.raha..tha..apne..bhiter..kai..
prakar..ki ..siddhiya..aur..
Shaktiya..woh..spasht..dekh..
sakta..tha.....aagya..chakra..se..uppar..jab..woh...Sahstrar chakra mein pahuncha tab usse apne vastavik swarup ka gyan hua ..aur ..yahi par usse aur ek alag urja ..ka aabhas hua ...toh usne uss urja par apne dhyan kendrit kiya ..yeh urja uske chakro ki urja se bhinn thi ...uss urja ..aur ..uske ..srot ..ko..janane k liye jab woh aur gahan dhyan mein utra.....

Abhi .uss urja ..k mool tak pahunchne ka prayatna kar hi raha tha ....k usse apna sharir ..bilkul halka lagne laga ....jaise ...uska koi vajan hi na ho .....uski shwas prashwas band ho gayi thi ..phir bhi ...usse isase ...koi taklef nahi ho rahi thi ...usse aisa lag raha tha k jaise woh ...aisi jagah ..tair raha ho jaha ....kissi bhi prakar ki koi vaayu nahi thi ....

Tabhi ek bhayankar visfot ki aawaj se ...uska dhyan tut jaata hai ....saamne jo drishya tha ..usse dekhkar...Abhi ascharya chakit ho jaata hai ....woh iss samay ..antariksh mein ..bina ..kissi aadhar k tha .....waha...usne dekha .....ek bahut bada tarra ...tutkar ..antariksh mein bikhar chuka hai .....yeh woh kshan tha ..jab ..humare solar system ...ka janm hua tha ....usse ...samay ..Abhi ..ko ek chota se ..navjat shishu dikha ...jo....uss dhadhakte hue ...taare k bade se tukde ki or tezi se jaa raha tha ....jisse aaj hum ..surya ...Sun..ityadi naamo se pukarte hai ...

Abhi ..turant uss ..shishu ...k ...paas..pahuncha ..aur..jaise hi usse pakadne k liye haath badhaya ....waha ..ek prakash dwar utpanna ho gaya .....woh uss shishu k saath uss dwar mein khinchta chala gaya....atyadik prakash k kaaran uski aankhien ban ho gayi ....jab uski aankh khuli toh usne apne aapko ek jungle mein paaya ....Abhi ne dhyan se uss jungle ko ..dekha ...woh ..jungle usse ..chir..parichat ..sa..lag..raha..tha...

tabhi ..usse ..zhadiyo ..k picche kuch ..sarsarahat ..ki aawaj ..aati..hai.....toh..aage ..bahdhkar...un..zhadiyo..mein zhankne lagta hai.....usse..waha....wahi..baccha...jamin..par..pada..nazar..aata..hai....uske saamne ek ..sher....khada ..usse dekh..raha..tha....tabhi..woh..sher..jor..se..dahada.....aur...kahi..se..ek..teer..aakar...uss.sher..ki..
gardan....mein .laga..aur..woh..wahi..dher..ho..gaya......

Abhi ..apne ..bachpan ki ghatna ....apne saamne ghatit..hote ..hue..dekh..raha...tha....tabhi...uski..nazar..Karma..aur..uske...saathiyo.par.padi....Karma..ne...aage..badhkar..uss shishu ko hriday se laga liya ....yeh drishya Abhi badi utsukta k saath dekh raha tha ...tabhi ..usne un.zhadiyo ..mein se jo choti dali pakdi hui thi..woh...tut..gayi..
.jiskaaran..woh..unn zhadiyo..par..girgaya.....Karma ..ka ..dhyan ..uss taraf gaya toh usne apne saathi ko ..kaha...

Karma - shambhu ..jara dekhna toh muzhe lagta hai unn zhadiyo mein koi hai ...Abhi ne woh aawaj suni ...jab tak shambhu waha pahunchta ..Abhi waha se wapas ..apne ussi samay mein pahunch jaata hai ...jaha woh dhyan mein baitha hua tha ....

abhi ..suryaday ka samay ho raha ..tha....Vibhakta bhi uth chuki thi .....woh apne bister par nahi thi .....Abhi apne kaksh se bahar aaya......uski nazar ugte hue surya par padi ....aaj usse woh surya ....prithvi ....sab kuch apne se lag rahe the .....ab ..woh iss baat ko jaan chuka tha ....k ...uska janm inn sabke janm k saath juda hua hai ..aur ..kyu ..usse ..Arin grah ...se itni dur ....yaha iss grah par aana pada ....

Abhi ..aage badha hi tha k saamne se aata hua usse Karma nazar aata hai ...Jarma ko dekhkar ek baar phir uska mann shraddha se bhar jaata hai ....woh aage badhkar Karma k pair chuta hai ..toh Karma usse uthakar apne gale se laga leta hai ....

Karma - accha hogaya .beta ..tum yahi mil gaye ....muzhe tumse kuch jaruri baat karni thi ....

Abhi - kya baat hai pitashri .....

Karma - beta ....hum yaha aise kab tak rahenge ....ab aage kya karna hai ..sab..issi sandarbh mein tumse baat karna chahte hai ......

Abhi - thik hai pitashri ...mein bhi yahi ...baat karne aaraha tha ....

dono waha se ek bade se kaksh mein aajaate hai ....jaha sabhi ..baithkar kuch charcha kar rahe hote hai ......Abhi ko aaya hua ..dekhkar ...sabhi shant ho jaate hai ....tabhi ...Nebhru khada hota hai ...

Nebhru - dekho na Abhi ..yeh saare log apne nagar jaana chahte hai ....maine inhe bahut samzhane ka prayatna kiya ....k woh jagah surakshit nahi hai ...hai ...sabke waha jaabe se Darmen phir humla karega ....parantu yeh log sunane k liye tayyar hi nahi hai ....

Abhi - inka kahna thik hai ...hume ab aise chupkar rahene ki koi aawashyakta nahi hai ....

Ferron - parantu ..Darmen chup nahi baitha hoga ....woh...sabko ..dhund ..raha hoga ..waha sabke jaane se usse yeh baat pata chal jaayegi ...aur aise mein phir sabke prano par sankat aasakta hai.....

Abhi - ab Pata lagne par bhi woh kuch nahi kar sakega ....aap muzhpar vishwas rakhe ...

Uske baad Abhi ...sabko ...waha se ..apne tute fute nagar le jaata hai ....Abhi ..aur Vibhakta ...Nirman shakti k dwara ...uss nagar ko purvavat bana dete hai ......
Abhi ...Abhi apni Nrman shakti ...aur urja dwara ...nagar ...k charo or aise suraksha ghera banata hai ..jisse koi bhi ...shakti bhed kar nagar k bhiter pravesh nahi kar sakti thi..

Kawach ka nirman karke Abhi ..Karma ..aur Nebhru ..par yeh jimmedari saunpta hai ..k ...kissi bhi ...paristhiti mein koi bhi ....Nagar k seema ..k bahar nahi ..jaana chahiye ....

Uske baad Abhi ..Ferron ko uski ..Bijli aur baarish ..tugan ..ki shaktiyo wala trishul usse wapas karta ..hai.....

Ferron - nahi bhai ab muzhe iski koi awashyakta nahi hai .....yeh shakti tumahare paas hi thik hai ..meine humesha hi ..inn shaktiyo ko durupayog hi kiya hai

Abhi - iss samay ..hum .ek .yudh ki stithi mein hai aur aise samay mein aapka shaktihin rahna thik nahi hai ....aur waise bhi jab aapne inn shaktiyo ka durupayog kiya tha ....tab ..aap..Darmen..k sammohan mein the ....issilye aap apne mann se yeh apradh bodh ..nikaldo ...usmein aapka koi dosh nahi tha ......

Uske baad Abhi ..Glaco ..aur Catospher ko bhi maansik sandesh bhejkar bula leta hai ....dono ..thodi hi der mein dono aajaate hai ....

Abhi Galco ko bhi uski ..agni aur prakash ki ..urja wapas kar deta hai ......

Catospher ...poore hosho hawaas mein pahli baar Abhi se mil raha tha .....uske paas ...mind controlling power thi ..isskaaran ..Abhi se mukabla hone k baad ...usse kuch kuch toh yaad tha ...baaki baatein usse Glaco ne usse bata di thi .......Abhi ..se..milkar usse bahut khushi hui ....
Abhi se milkar woh apne kiye ki usse kshama maangta hai .....

Sabhi bahiyo aapas mein milkar bahut khush hue ....abhi unhe ....Zecro ...aur Neilster ..ki kami khal rahi thi ...

Catospher - Aaj ..itne varsho baad hum sab ek saath hai ..parantu abhi bhi ..Zecro aur Neilster ..ki kami khal rahi hai....jaane kyu mera antarman kah raha hai ..k ..Darmen jarur ..jarur unke saath..kuch..na..kuch..bura karne wala hai ..hume ..unhe bhi jald se jald yaha laana ..chahiye ....

Abhi - Chinta mat karo bhai ..mere hote hue ..uhne kuch nahi hoga ....bahut jald hi woh bhi humare saath hi honge ......

uske baad ..waha .ki suraksha ...aur ..yudh ..nitiyo par kuch charcha hoti hai ....uske...baad Abhi apne kaksh mein aakar ....apni nayi shakti divya drishti ...ka... prayog karke ...Darmen ki gatividhiyo par dhyan kendrit karta hai .....tabhi ..uske bhrumadhya ..mein ..waha ..drishya ..pragat hojaata hai ......

usne ..dekha ..k Darmen ..ajeeb si tarango ...se yukt ek prakash punj mein pravesh karta hai ...aur ..ek pal mein hi ...waha se ...adrishya ho jaata hai ....tabhi uska dhyan ....Neister par jaata hai ....Jo ghayal awastha mein waha pada hua tha .....aur ...eaha maujood Darmen ...k..sainik ...apni laser gun thame ....uspar pranghatak ...humla karne hi wale the ....

Darmen ki di hui samat awdhi samapt hone par jab woh prayogshala ...pahuncha ....

Darmen - Meri di hui samay seema ab samapt hogayi hai ..Neil ....

Neilster - ji Mahamahim .....humare dono prayog safal ho gaye hai ...parantu ....

Darmen - kya ..parantu .....yadi dono prayog safal ho gaye toh yeh parntu kya hai .....

Neil ster - Mahamahim ....aapki ..shakti ..aur ..vigyan ...k samanvay ..se ...banaya ...gaya...Jadui taboot ..poori tarah bankar tayar ..hai....parantu....samay ..yatra...yantra....

Darmen - Neil ...lagta ..hai ...ab...tum ab jeevit nahi rahna chahte ....tum jaante the ..yeh yantra mere liye kitna aawashyak hai ...jab tum isse bana nahi sake toh ab marne k liye tayar .ho jaao ...

Neilster - nahiii.....Mahamahim ...pahele meri poori baat toh sun lijiye ....Yeh yantra bhi poori tarah tayar hai ....Kewal kam urja k kaaran ...yeh kissi bhi time zone mein sirf 15 min hi rah sakti hai .......

phir woh Darmen ko uss yantra k baare mein saari jaankari deta hai k kis prahar woh samay mein aage ...aur piche jaa sakta hai .....

Darmen - hmm toh yeh baat hai .....koi baat nahi ...muzhe jo karya karne hai uske liye toh itna bhi samay paryapt hai ...tum ..sach mein apne pita ki hi tarah adbhut ho ....tumahari kami muzhe humesha khalegi ....

itna kahkar Darmen k chehre par ek kutil muskan aagayi ....Aur usne ..Neilster par ..apni urja se vaar kiya .....jisase woh buri tarah jakhmi ho gaya ....

Darmen ..apne sewak Evom se ...

Darmen - Evom ...Arsalan k iss bete ne hamari badi seva ki hai ....isse tohfe ..mein aisi maut do ...k ...Iski aawaj ..aur tadap ..iske apno tak pahunche ...

Evom - ji ..mahamahim .....

itna kahkar ....Darmen ...time machine mein baithkar kissi time zone mein pahunch jaata hai ....

Abhi k liye itna hi .....

Agla Update jald hi .....
fantastic update bhai maza aa gya
 
Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,277
38,806
258

Nice update
 
Rudrathakur

Active Member
586
3,384
123
To aakhir kaar abhi ne apni sampoornata hasil kr hi li h...pr sath me darmen ke prayog bhi safal ho gye h... Jadaui taboot ka wo kya krega ye to abhi waqt pr hi nirbhr krta h par samay yantra ka prayog wo apne past aur future ko badalne me hi krega...pr use nhi pta ki abhi ke paas bhi samay yatra ki shakti h jo aaj subha hi activate ho chuki h pr sayd abhi isse vakif hua h ya nhi....agr use pta h ki usne jo kuchh abhi dekha apne janam ki kuchh jhalkiyaan wo samay shakti ke karan thi ya kuchh aur...wo sab to aage hi malum pdega ...pr filhal to abhi ko phle neilster ko bchana ar uske baad darmen ko samay me kuchh bhi badlav krne se rokna jruri h . jald se jald wrna anarth ki sambhavnaye jyada ho jaayengi....
Isliye intzaar h agle bhaag ka...
jo jald se jald prasarit hoga aakashwani pr...... :akshay: :respekt:
 
abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,756
143
Update - 54

Darmen Evom ko Neilster ki mrityu ka aadesh dekar time machine mein baithkar kissi time zone mein pahunch jaata hai ....

ab aagee....

Abhi ne Jab Divya Drishti se Dekha ke .....Neilster ke pranon per Sankat hai toh vah turant teleport hokar Darmen ki prayogshala mein pahuncha ......waha Darmen ke Sainik laser gun Lekar Neilster ko ghehre Hue Khade the .....Neilster Zakhmi halat mein unhen Katar Drishti se dekh raha tha ....Kisi bhi Samay vah Sainik use per Pran Ghatak Hamla Karne Wale the

Abhi ko Achanak Aaya Hua Dekhkar Evom aur vah Sainik hadbada Gaye... unn sainiko ne apni laser gun Abhi par tan di ...aur uspar ...lesar ..gun se humla karne lage ....unn laser gun ki kirno ka Abhi par koi bhi prabhav nahi pada .....usne turant apni talwar se ...ek zhatke mein unn 4 sainiko ko ..maut k ghat utar diya ....Evom abhi ko aur uski shaktiyo ko jaanta tha issiliye woh Abhi ko dekhte hi chup gaya tha ....

Neilster ki haalat bahut Gambhir thi Abhi ne usse apne kandhe par uthaya aur turant teleport hokar Apne Nagar pahuncha aur apne kaksha mein le jakar Bistar per Leta Diya... usne Apne healing power se Neilster ke ghav ko theek Kar Diya....aur apne sabhi bhaiyo ko mansik sandesh bhejkar waha bula liya ....

Tabhi ...Neilster ko bhi hosh aajaata hai ...hosh ..aate ..hi ..uski ..Nazar Abhi par aur apne bhaiyo par padti ..hai....

Neilster - kyu laaye ho tum muzhe yaha .....Nebhru ...yeh..tum acvha..nahi ..kar rahe ..ho..mahamahim k virudh jaakar .....tumahare aur uss Abhi k kaaran ...hum sab maare jaayenge ..

Nebhru - kiss mahamahim ki baat kar rahe ho ..ussiki ...jisne tumahari itne varsho ki sewa k badle yeh paritoshik diya hai .....hosh mein aao ..bhai....Darmen kabhi ..himara nahi hosakta hai ..

Neilster - woh mahamahim hai hamare kuch bhi kar sakte hai ....

Abhi jaanta tha ..iss samay bhi Neilster Darmen k sammohan mein hai ...uske paas itna samay nahi tha ...k ..woh usse sammohan se bahar laata ....uska janana ..bahut jaruri tha .k aakhir Darmen kaha ....hai ....issiliye ..usne ...Neilster ki aankhon k jariye uske dimag mein zhankar dekha toh ..Abhi ko ..Samay yatra yantra k baare mein pata chala ....

Samay yaatra par hone k kaaran .. Abhi divya drishti k dwara usse nahi dekh sakta tha ....Abhi soch hi raha tha k ab aage kya karna hai ....tabhi ..achanak .uska dam ghutne laga ....uski aankhon k aage kuch drishya aane lage ....jismein ..Dhara....pida ..k kaaran ..bahut ..adhik tadap rahi hai .....aur ...Arsalan ...uski aur uske garbh mein apne bacche ..k jeevan ki raksha ...ki ishwar se ..prarthana karte hue ....uski pida dur karne ka prayatna kar raha hai .....

woh drisya dikhte hi ..Abhi ki ..samay yatra ki shakti phir sakriya ...hogayi aur woh pahuch gaya ussi samay mein .....

Darmen ...ne ..time machine k ..dwara ..Abhi k janam lene k samay mein pahunchkar Arsalan aur uski garbwati patni ko ...maarkar .....Arsalan dwara banaye gaye mahaastra ....aur ...time machine hatiyane ki ..yojna banayi thi ....

Jiss samay ..woh uss samay mein ..Arsalan k yan mein pahuncha ....uss samay Dhara ko prasav pida shuru hui thi ..aur ...Arsalan ....usse sambhal raha tha....iss samay Arsalan ka dhyan poori tarah Dhara par tha ...

Yahi sah mauka jaankar ..Darmen ..ne ..apni
paranghatak ..adrishya...
kaali..shaktiyo ka vaar ...Dhara...par..kiya ...woh vaar Dhara ko lagte ...hi ..uski pida aur badh..gayi ...Kaali shaktiyo ka woh vaar ..jaise ..uske ..aur ..garbh..mein pal rahe uske bacche k pran lene ko udyat tha...parantu ..Nebhru ka diya hua ..Raksha kawach ....uss vaar ki pranghatak shaktiyo ko rok raha tha .....uss vaar aur raksha kawach mein jause ek jang chidi hui thi ...jiss kaaran Dhara ko bahut adhik pida ho rahi thi ...Arsalan ...apni urja se ..usski pida harne ka prayatna kar raha ..tha....aur dekhte hi dekhte .....Dhara ki pida bhi samapt hui aur ussi samay uske garbh se ek divya shishu k roop mein Abhi ka janm hua ...

Apna vaar ...bekar ...hua ..Dekhkar ..Darmen ...ka krodh badh gaya ....Usne apni talwar ..nikali aur ..Arsalan ki taraf ..badh..hi ..raha..tha...k..kissi ne usse picvhe se pakad liya .....iske pahele woh kuch samazta ...woh pal bhar mein yan k bahar tha ....

kissi ne majbuti se ...apne baajuo mein uski garden jakdi hui thi ....usne apne aapko chudaya ..aur ..mudkar dekha toh waha Abhi ..tha.....

Darmen - toh aakhir ...tumne ...Samay yaatra ..ki shaktiyo ko prapt kar hi liya .....parantu tum kya sochte ho tum ...muzhe rok paaoge ......
itna ..kahkar ....usne ..urja ka ek vaar Abhi par ..kiya ....woh..vaar..itna prabhavshali tha k uske lagte hi .....Abhi antariksh mein ..tairte hue ...piche ....ek asteoride se takraya .....Darmen ek baar phir yaan ki taraf badha hi tha ..k ..ek jordar mukka ..uske jabde par pada ....woh bhi picche ...ek asteoride se takraya aur ..woh ..chur..chur..ho..gaya....
Darmen k paas samay kam tha ....kyu ki uske ....15 min poore hone mein ...2 min bakki the ....issiliye woh Abhi se iss samay ulazne nahi chahta tha ..nahi toh ..woh issi time zone mein kaid hokar rah jaata ....woh ..apne haath..k gadjet ..ka..button dabakar ..time machine ko pragat karne hi wala tha .....k Abhi phir uspar zhapat pada ....k tabhi ....ek ...bhayankar visfot k saath...ek bada sa meteorite Arsalan k ..yaan ..k saath takraya ....aur...woh yaan...aur..
Meteorid..tezi se ....Milky way ..k ek bade se taare ki ..taraf badhe ....

Vifot k kaaran Abhi ka dhyan ....bhatak gaya ..issi ..ka fayda ..uthakar ...Darmen ...wapas...uss.time zone se nikalkar .....apne ....mahal aaya .....Apne lakshya k itne paas aakar ....Abhi ..k kaaran usse paa nahi saka....iss...kaaran ..usska ..krodh ..aur..badh..gaya
.....kewal 15 min ki samay seema wali time machine k kaaran....Neilster par usse ..bahut krodh aaya ....aurAbhi k Neilster ..ko bachakar le jaane wali ..khabar ne ..iss.....krodh ....ki ..agni ..mein ...
ghee dalne ka kaam kiya ......aur ussne Evom ko maarne k liye talwar utha li ....

Evom - kshama kare mahamahim ....maine bahut prayatna kiya ..parantu ...aap jaante hai ..mein uska saamna nahi kar sakta......

Thodi hi der k Abhi se hue mukable mein usse Abhi ki shaktiyo ka andaja ho gaya tha ....issiliye usne Evom ko jaane ..diya.....

Darmen chahta ..toh ..Abhi k Dhara ..k garbh mein aane..se pahele k time zhone mein pahunchkar ....Arsalan aur Dhara ko maar sakta tha ...parantu ....usska ..pahla lakshya tha ....Arsalan dwara ..banaya gaya...Mahaastra ...aur ..time machine haasil karna ...issiliye usne ussi time zhone ko chuna tha ...

Abhi jab apne nagar se nikla tha ....toh yaha Neister ne hungama macha diya tha .....woh ab phir Darmen k paas jaana chahta tha .....iske pahele ....woh ...waha se jaata ....Catospher ne apne mind controlling power se usse shant kiya ...aur sammohit kiya ....

Catospher - kaali shakti k sammohan mein hone k kaaran yeh jyada der ..mere samohan mein nahi rah sakta ...kuch hi der mein isspar se mera sammohan hat jaayega ...phir isse rokna sambhav nahi hoga ...

Nebhru - toh aisi awastha mein hum kya kare ...kyu ki iss samay Abhi yaha nahi hai ....woh hi hai jo isse kaali shaktiyo k sammohan se mukt kar sakta hai ....

abhi yeh log charcha kar hi rahe the .....k Vibhakta ...kaksh mein pravesh karti hai .....

Vibhakata - kya baat hai aap kisse mukt karne ki baat kar rahe the .....( phir Neilster ki taraf dekhte hue ) lagta hai inhe hosh aagaya hai ..parantu yeh aise kissi mruti ki tarah baithe kyu hai .

tab Nebhru ne usse poori baat batayi...

Vibhakta - iss baare mein main aapki sahyata kar sakti hu ....

uske baad ..Vibhakta ..k nirdesh anusar Neilster ko bister par lita diya ...Vibhakta ...ne uske sar par haath rakhkar ..apne satvagun ki urja ko sakriya kiya ...jiske prabhav se ..dhire dhire ..Neilster ..Kaali shaktiyo k sammohan se mukt ho gaya ....

ussi samay ..Abhi ...bhi ..wapas ..apne kaksh mein aagaya tha ....Vibhakta ko ..Neilster par apni shakti ka prayog karte hue dekhkar ...usse badi khusi hoti hai yeh jaankar ..k Vibhu bhi ab apni shaktiyo ko samaz chuki hai ....

Neilster ab ..poori tarah se Darmen k sammohan se bahar aagaya tha .....Sammohan tutte hi ...usne apne vismay bhari drishti se apne charo taraf dekha ....

Neilster - yeh sab kya hai Glaco
...mein yaha ..iss awastha mein kaise aur tum sab ..yaha kya kar rahe ..ho ..( phir Abhi ..ki taraf dekhte hue )
yeh ..kaun kaun ..hai ...jo bilkul pitashri ki tarah dikhta hai .....muzhe kuch samaz nahi aaraha ...koi batayega muzhe .....

Neilster ki yeh baatien sunkar sab khush the ..kyu k uski aisi baatein hi iss baat ka suchak thi ..k woh ...ab...Darmen k sammohan se mukt ho gaya hai ....Nebhru ne aage badhkar usse gale lagaya ....

Nebhru - shant hoja mere bhai ...shant ho ja ...tumahare wapas aane ki hime bahut khusi hai ....

Neilster - parantu mein kaha gaya tha ...jo wapas aagaya.....

Catospher - aap kahi nahi gaye the ...bas ..kuch der shant rahiye aapko sab gyat ho jaayega ....

uske baad ...Catospher ...uski aankhon mein dekhte hue ..apni power se ...uske antarman k saath juda ..aur ..ussi..ab ..tak ki saari smritiyo ko mukt kar diya .....

Neilster ko ab sabkuch yaad aagaya ....Abhi ko dekhkar ...woh khada hua ..aur ..aage badkar gale laga liya ....

Neilster - Muzhe badi khushi hui bhai ..tumhe ...thik dekhkar ....humare lobh k kaaran Humne
apne mata pita se hi vidroh kiya aur uss dusht Darmen ka saath diya ....hum sab milkar uss Samay Darmen ko rok sakte the .....parantu ..humare lobh ...k kaaran ...usne cgalaki se hume apne vash mein kiya ...aur humne apne ...devta swarup ..mata pita ko kho diya ....aaj ..ussi kaaran ..humara ..rajya ..nasth ho gaya ....aur ..hume woh chodkar yaha aana pada ....

jiss Rajya sukh ko prapt karne k liye ..humne mata pita se droh kiya ....woh hi nasth ho gaya aur hum bas Darmen k gulam bankar rah gaye.....

Abhi - woh sab ab purani baat ho gayi bhai ab hume ekjut hokar uss Darmen ka saamna karna hai ....

Neilster - ab usse rokna aur kathin ho gaya hai ....uske paas ab time machine hai ...jisase ..woh kissi bhi ..samay ..mein pahunhkar ulat pher kar sakta hai ....uff...yeh maine kya kar diya ....mere hi kaaran woh ab aur jyada shaktishali ho gaya ..

Abhi - aap iskeliye apne aapko dosh na de ....uss samay aap uske vash mein the ....

Uske baad thodi der unn sab mein baat chit hoti hai .....

Abhi ko ab apne mata pita ka pata bhi lagana tha jo uss visfot k kaaran kissi ..black hole mein kaid ho gaye the ....issiliye woh ussi samay mein phri pahuncha thik visfot se pahele ....

Abhi cahata toh Arsalan aur dhara ko ...visfot se pahele bachakar nikal sakta tha ..paratu aisa karne se ..sara ghatnakram hi badal jaata ....Unke saath saath woh ...woh apne bal roop ko bhi bacha leta ...jiss kaaran pritvi par bitaya ab tak ka uska samay nast ho jaata ...issiliye ...kissi ghatna....mein fer badal kiye bina usse bas yeh ..dekhna tha ..k uske ..Mata pita uss visfot k baad kaha kho ..gaye ...

Abhi Arsalan k yaan par poori satarkta se apni dristi jamaye hue tha .....tabhi ...woh Visfot hue ....usne ...uss yaan k prakhche udte hue dekhe .....aur saath hi ...apne shishu roop ...ko ..phir dekha ....tezi se ...surya ki taraf badhte hue ....aur ...Arsalan aur aur Dhara ko bhi dekha jo majbooti se ek dusre ka haath ..pakadkar ...Milky way galaxy k madhya bhag ...k black hole ki taraf badi tezi se jaa rahe the ......Abhi ne ..uss Black hole mein Arsalan ..aur Dhara ko pravesh karte hue dekha ......

Uss drishya ko dekhkar uski aankhon mein aansoo aagaye the ....kyu ki woh chahkar bhi iss samay unki koi sahyata nahi kar sakta ..tha ....kyu ki woh jaanta tha k purva mein ghatit ghatnao se ched chad ka arth hai sampurba ghtna kram ka badal jaana ....

Ab usse pata chal chuka tha ..k uske Mata pita kaha ..kaid ..hai ...issiliye ab woh apne samay mein wapas lautkar unhe jaldi se jaldi mukt karana chahta tha .....
abhi woh inn sab k baare mein soch hi raha ..tha ..k uske ..hriday ..mein usse bahut adhik pida ka anubhav hua ...kissi anishit ki aashanka se ...uska antarman kaap gaya ....woh turant waha se ..apne samay mein apne nagar pahunha ....toh yaha ka drishya dekhkar ....jaise uske pairo tale jameen khisak gayi .....

Saara nagar tahas nahas hua pada tha .....charo taraf laashe hi laashe thi .....woh ghabra kar ..apne bhawan ki taraf badha .....toh ...marg mein usse ... ..Glaco....Ferron ....Catospher ...Glaco ....sabke ..shv ..mile ....apne bhaiyo k kshat vikshat shav dekhkar ...woh poori tarah tut chuka tha ....uske aankhon se lagatar ashru dhara bah rahi thi .....woh apne bhawan k paas pahunchta hai ...jo ab poori tarah malbe mein badal chuka tha ....

wahi paas mein usse Nebhru usse apni antim saanse lete hue dikha ...Abhi daudkar ...uske paas pahuncha ....aur uska sar ...godi ..mein lekar usse pukarne laga ....

Abhi ki aawaj sunkar Nebhru ne badi mushkil se apni aankhien kholi ...

Abhi - Bahiya ...utho ..na ..bhai ...yeh..sab ..kya ..hua....kissne...

Nebhru - muzhe ...kshama ...kkk...ar...dddo..bhai...meinn..kkkkuch...nnnnahi kar saka ....Woh...Darmen ....Pitashri..ka...Mahaastra....prapt .....
itna kahkar usne apni antim saas li ..aur mrityu ko prapt ho gaya ...

Abhi apne bhawan k mable ko hatakar apne .paalak mata pita ..aur patniyo ko khojne ..laga ...toh ...usse Karma ..aur ..Neeru ki bhi kshat vikshat laashe ....malbe mein dabi hui nazar aayi ....Shivali ..Ritu ..aur Vibhakta ka koi pata nahi tha k woh kaha hai ....

Abhi apna sabkuch haar chuka tha ...woh wahi ghutno k bal baithkar ....rone laga .....

Abhi k liye itna hi ........

Agla Update jald hi .......
 
Last edited:
Top