• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Mentality [Completed]

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 76


Raj ko gussa me dekh Riya abhip chup rehna hi thik samajhti hai aur kuch door jaakar baith jaati hai...

Idhar Raj ko kuch jyaada hi gussa aa raha tha Riya par....Aur aaye bhi kyu naa Raj ko Riya pehle se hi pasand nahi tha, uski madad karne ka socha aur fir Riya ki vajah se khud problem me fass gaya.....Kuch der tak gussa me moonh fulaane ke baad dhire dhire uska gussa shaant hone laga....Jab ghadi me time dekha to 10:00 pm baj raha tha aur wo khud se hi baat karne laga...

Raj:- Abhi sirf 10:00pm baje hai .....Aur 8 ya 9 ghanta intejaar karna padega subah ki bus ke liye....Kya karu kaise bitaau itna vakt.....Itni raat ko koi hotel jaana bhi thik nahi rahega aur ye Riya bhi saath hai....Kal se hi kya kya dekhna pad raha hai.....Dimaag kharaab kar diya Riya ne.....Bas aaj ke baad usse dur rehne me hi bhalayi hai....Aaj ke baad uske aas pass bhi nahi jaaunga....

Raj ye baatein khud se hi kar raha tha....Kuch der baat karne ke baad usko yaad aaya ki Riya bhi uske saath hi aayi thi....Lekin abb dikh hi nahi rahi....Usko thoda sa ghabraahat hone laga aur sochne laga...

Raj:- (In his mind) Ye Riya kaha gayi....Kuch der tak to yahi thi....Pata nahi kaha gaayab ho gayi....(Raj idhar udhar dekhne lagta hai lekin Riya nahi dikhti) Oh god...Kaha jaa sakti hai ye....Aurr wo akeli bhi hai....Mujhe usse dhundna hi hoga...

UIske baad Raj idhar udhar chal raha tha Riya ko dhundne....Andhera hone ki vajah se usko kuch saaf nahi dikhaayi de raha tha....Bas aise hi bhatak raha tha.....

Kuch dur baithi Riya ne jab Raj ko iss tarah chalte dekha to usko kuch samajh nahi aaya ki Raj kar kya raha hai.....Wo bhi Raj ke pass jaane lagti hai.....

Raj bhi chalte chalte Riya ki taraf aa raha tha lekin usko abhi tak Riya nahi dikhi.....Jab Riya uske saamne aati hai to wo Raj se takra jaati hai.....Dono nicche gir jaate hai....

Raj:- Sorry....Kuch jaldi me tha iss liye dekha nahi.....Mai kisi ko dhundh raha hu....

Raj itna keh kar uss insaan ki baat sune bina hi utth kar aage badh gaya Riya ko dhundne...Idhar Riya bhi utth jaati hai....

Riya:_ Raj....Tum kisse dhund rahe ho???

Riya ne thoda hairaani ke saath puccha ....Riya ki baat sun kar Raj apni jagah par ruk gaya.....Aur gusse ke saath picche muda.....Aur gaur se dekhne ke baad usko pata chala ki wo Riya se hi takraya tha....Wo aage badha aur Riya ke saamne aa gaya aur gusse se bolne laga....

Raj:- Kaha gayi thi tum bina bataaye....Pata hai mujhe kitna ghabraahat ho raha tha.....Soch soch ke paagal ho gaya tha ki tum kaha chali gayi.....Aur paagalon jaisa dhundh raha tha???

Raj ki aawaj me gussa aur pareshaani dono tha.....Abb Riya ko dekh lene ke baad wo raahat ki kuch saansein leta hai.....Raj ka apne liye fikar dekh Riya khush ho jaati hai aur muskuraakar kehti hai....

Riya:- Mai to yahi kuch dur par baithi thi.....

Raj:- Bata kar nahi jaa sakti thi kya???Aur kya jarurat tha waha jaane ki...

Raj ki aawaj me abhi bhi Riya ke liye pareshaani tha....Riya fir muskuraa kar kehti hai....

Riya:- Tumne hi to kaha tha kitumhaari najro se dur chali jaau....Issliye waha jaakar baith gayi.....Lekin tum mere liye itna fikar kyu kar rahe ho....Kuch der pehle tak to bahut gussa me the????

Riya ki baat sunne ke baad Raj ne apna sar pe ek haath maara aur kaha...

Raj:- Tum bhi na ek dum paagal ho......Gusse me keh diya to maan liya :doh:....Tumhe samajhna bahut mushkil hai....Bas tum nahi sabhi ladkiyo ko samajhna mushkil hai....

Raj ka gussa abb shaant ho gaya tha.....

Raj ki baat par Riya fir se mushkuraati hui kehti hai....

Riya:- Lekin tumne abhi tak jawaab nahi diya mere liye itna fikar kyu kar rahe the????

Raj:- Ye kaisa sawaal hai???Meri fikar kyu ho rahi thi....Tum akeli thi aur iss tarah se gumm ho jaane se dar lag raha tha ki tum kaha ho.....Agar tumhaari jagah koi aur hota to bhi mai aisa hi karta....

Raj ne pura attitude ke saath ye baat kaha......Riya ko ye baat accha nahi lagta lekin wo kuch nahi kehti....Kuch der baad dono ground ki ek corner me jaake baithte hai.....Kuch der tak dono me koi baat nahi hota.....Iss khaamoshi ko todte hue Raj kehta hai....

Raj:- Riya....Tumne jo kiya accha nahi kiya....Tumhaari vajah se bus miss ho gayi aur hame iss tarah se raat kaatna pad raha hai....

Raj ki aawaj me bhale hi gussa nahi tha lekin abhi bhi uski aawaj se Riya ke liye naarajgi tha...

Riya:- Ha Raj ye meri galti hai....Ye baat mai maanti hu....Please ye mera last galti samajh kar maaf kardo....Abb aisa kabhi nahi karungi...
.
Riya ki baat me guilt tha lekin Raj haste hue kehta hai....

Raj:- Ye tumhaara last galti.....Tum ladkiyon ke nakhre hi itna hota hai ki baar baar galti karti rehti ho....Mai jaanta hu tum aur tumhaara nakhre kabhi khatam nahi honge aur aisi galti baar baar karti rahogi....

Riya:- Tabhi to keh rahe the ki tum ladkiyon ko nahi samajhte lekin abhi to meri nakhron ke baare me baat kar rahe ho.....Abb jo hua usse badal to nahi sakte....Kyu na meri uss galti ka faaidaa uthaaya jaaye...

Raj:- Faaidaa uthaaye???Kaise???

Raj Riya ki baat ko samajh nahi paaya aur hairaani me usne Riya se sawaal puccha....

Riya:- Kya tum ne kabhi raat khula aasmaan me bitaaya hai????

Raj:- Nahi...

Riya:- To mai keh rahi thi ki aaj hame mauka mila hai bus chhutne ki vajah se.....Aaj iss maahaul ka majaa lete hai.....Fir kabhi aisa mauka nahi milega.....Raat me jaag kar aasmaan ki taraf dekhne me bhi ek alag maja hai...

Riya ki baat sun kar Raj ne chhidhte hue jawab diya...

Raj:- Bas karo apna bakwass....Mujhe koi maja nahi aa raha iss maahaul me....Charo taraf sanaata aur andhera .....Kisi tarah raat kaatne ki soch raha hu....Abhi to tumhe majaa aa raha hai lekin jab raat beetegi aur thand ka ehsaas hoga tab pata chalega kitna mushkil hota hai raat kaatna winter me....

Riya:- Tum bahut boring ho.....Kabhi to acchi baatein karo.....

Itna keh kar Riya moonh fer leti hai Raj se lekin Raj ko koi parwaah nahi hota .... Wo to kisi tarah se raat kaatne ka soch raha tha....

Aise hi 3:00 am baj gaya....Raj aur Riya dono abhi tak soye nahi the aur so bhi nahi sakte the subah ki bus chutne ki dar se......Dono ne ye vakt khaamoshi me kaata....Riya Raj se najar chura kar Raj ko kabhi kabhi dekh leti thi....Raj ko aise dekhne se usko accha lag raha tha aur jab bhi wo Raj ko dekhti tab uski hottho se muskaan chhut jaati....Raj ki bhi najar kabhi kabhi Riya par chala jaata ....Usko bhi Riya ko dekhna accha lagta hai lekin agle hi pal kuch sochte hue wo apna najar hata leta....

Issi tarah se 3:00 am baj gaya tha....Abb Riya ko thand lag raha tha aur wo kaamp rahi thi.....Jab Raj ne ye mehsoos kiya tab usne kaha....

Raj:- Abb kaisa lag raha hai....Aur lena hai tumhe mausam ka majaa....

Riya:- Yaha thand se mera jaan jaa rahi hai....Aur tumhe majaak lag raha hai....

Riya ki baat par Raj kuch nahi kehta bas apna jacket nikaal kar Riya ki taraf badha deta hai...

Riya:- Lekin tumhe bhi to thand lagegi.....

Riya ki aawaj me iss baar Raj ke liye fikar tha...

Raj:- Meri fikar mat karo....Mai manage kar lunga.....Waise bhi 3 ghante bitaane hai abb.....Bus me bag chhut gaya....1 jacket aur rakha tha bag me abb baad me le lunga....Abhi tum ye jacket pehen lo....Warna bukhaar aa sakta hai....

Riya bhi kuch nahi kehti.....Wo jacket pehen leti hai.....Uske dil me Raj ke liye respect aur badh jaata hai....Kuch der baad wo thoda himmat karke kehti hai....

Riya:- Raj mujhse friendship karoge....

Riya ne bahut umeed ke saath ye baat pucha lekin Raj iss baat se shocked ho gaya.....Raj ko bilkul bhi umeed nahi tha ki Riya usse ye pucchegi.
 
Last edited:

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 77


Kuch der baad Raj jawaab deta hai....

Raj:- Nahi....Maine tumhe kabhi apna dost nahi maana....Abhi bhi insaaniyat ki vajah se tumhaara madad kar raha hu.....Agar sach kahu to mai tumse nafrat karta hu....Jab bhi tum mere saath rehti ho, mujhse baat karti ho mera mood off ho jaata hai....Tum par itna gussa aata hai ki mai bata nahi sakta.....Aur iski vajah tum khud ho....Tumhaara ghamand, baat karne ka tarika aur hamesha mera majaak udaana....

Raj ne apni baat keh diya.....Lekin uski har baat se Riya ko bahut dukh pahunchaata hai....Riya ko abb wo saari baat yaad aata hai jab uska aur Raj ka fight hua tha.....Abb Riya ko thoda apna bhi galti mehsoos hota hai....Lekin wo jyaada na sochte hue kehti hai.....

Riya:- Tum abb tak wo baatein nahi bhule....Mai uss time tumhe thik se samajh nahi paayi thi....Wo baat ke liye mai tunse maafi maangti hu....Please wo saari baat bhul jaao....

Raj:- Mai koi bhi baat jaldi nahi bhulta.....Chahe wo accha ho ya bura....Aur tum kya keh rahi thi mujhe thik se samajh nahi paayi thi .... Tum kisi ko samajhne ki koshish karti hi kaha ho.....Dusro ka majaak udaana aur apna paison ka ghamand dikhaana ye sab chhod kar tumhe aata hi kya hai.....Kabhi tumne apne chamcho ko chhod kisi se dosti kiya hai.....Khair chhodo....Mujhse dosti karne se tumhe koi faaidaa nahi hone waala....Mai tumhaara chamcha to kabhi banunga nahi....To fir kya faaidaa mujhse dosti karke....

Riya:- Maanti hu Raj maine bahut galtiyan ki hai.....Par yakin maano meri soch abb bahut badal gayi hai.....Abb pata chal raha hai life me ek saccha dost ka kya kimat hota hai.....Aaj pata chala ki mera koi dost hai hi nahi.....Agar hote to bus se mai choot ti hi nahi....Tumne mere dost na hokar bhi mere liye itna kuch kiya, itna kuch saha wo bhi insaaniyat ke liye....Soch rahi hu ki agar tum mere dost banoge to accha saath nibhaaoge....Pehle lagta tha ki duniya me paisa hi sabkuch hai....

Issi se duniya chalti hai.....Lekin jab kal bus chhuta tab pata chala ki mai bahut galat thi.....Raj maine tumhaare baare me pehle bahut galat socha tha iss liye tumse hamesha ladaayi hoti thi.....Kal pata chala ki tum bahut acche ho......Tum vishwaas karoge ya nahi mujhe nahipata lekin mai vaada karti hu tumne jo Riya ko kal tak dekha tha wo Riya ko kabhi nahi dekhoge....Abb mai pehle jaisa ghamand kabhi nahi dikhaaungi aur wo galti dobara kabhi nahi karungi.....

Itna keh kar Riya chup ho gayi.....Abb uski aankho se thoda aanshun nikal rahe the aur uski aawaj se uski sacchayi jhalak rahi thi...

Raj bhi uski puraa baat sunn raha tha....Usko bhi viswas ho gaya ki Riya jo keh rahi hai sach keh rahi hai....

Wo thoda aage badha aur Riya se kaha...

Raj:- Kya tum mujhse dosti karogi????

Raj ki baat sunn kar Riya ko vishwaas nahi ho raha tha ki Raj usko ye baat pucchega.....

Riya Raj ki iss baat ka jawaab sir ko haa me hilaa kar deti hai aur kucch der baad kehti hai.....

Riya:- Lekin tumne itni jaldi apne man kaise badal liya???

Raj:- Mai pehli waali Riya se nafrat karta tha iss Riya se nahi jo ab badal gayi hai....Tumhaari aankhe aur jubaan keh raha hai ki tum sach bol rahi ho.....

Riya Raj ki iss baat ka koi jawaab nahi deti.....Usse samajh me nahi aa raha tha kikya bole.....Kucch der baad Raj fir se kehta hai....

Raj:- Hum sirf dost hi rahenge.....Isse aage kuch nahi....

Raj ne ye baat apnipast ko yaad karke serious hokar kaha.....Riya iss baat ka matlab samajh nahi paayi lekin kuch nahi boli....

Kuch der baad Riya himmat karke Raj se pucchti hai.....

Riya:- Raj tumhaara koi girlfriend hai yaa fir tum kisi se pyaar karte ho????

Riya Raj ka jawaab sunne ke liye bechain ho gayi thi....Usko thoda thoda dar bhi lag raha tha....Raj ne jaise hi ye baat suna uska bhara hua jakhm fir se hara ho gaya.....Fir se usko apne saath hua bewafaai ka yaad aa gaya.....Aankho me thoda aanshun aur chehre pe gusse ke saath usne kaha....

Raj:- Nahi ....Koi nahi hai.....Aur naahi kabhi hogi....

Raj ki aawaj me gussa to tha leki ye gussa Riya je liye nahi....

Riya ko Raj ka iss tarah se baat karna ajeeb lag raha tha....Wo samajh nahi paa rahi thi ki Raj kehna kya chahta hai....

Riya:- Tum kya keh rahe ho....Kuch samajh me nahi aa raha aanko me aansu aur baat me nafrat.....Please kuch samajh me aaye iss tarah bolo....

Raj:- Kya karogi jaankar....Ye baat tumhaara kaam ka nahi....

Raj abb kuch normal ho kar bola lekin uski aawaj me abhi bhi dard tha...

Riya:- Tumhaari baato se itna to pata lag gaya hai ki tumhaare saath kuch buraa hua hai pyaar me....Iss liye tum aise bol rahe ho.....Mai force nahi karungi agar tum bataana nahi chahte to.....Agar keh doge to tumhaara man halka ho jaayega....Baato ko jitna dabaa kar rakhoge utna hi ghut kar jiyoge....

Riya ko bhi dukh ho raha tha Raj ka haal dekh kar.....Wo Raj ko samjhaa rahi thi aur uska dard kam karne ki koshish kar rahi thi....

Riya ki baat sun kar Raj dard me bhi thoda muskuraata hai aur kehta hai....

Raj:- Ye baat bataana jaruri to nahi....Tum jaana chahti ho to keh deta hu....

(Aur Raj apne saath hua bewafai ki puri kahani Riya ko bata deta hai)....

Ye koi badi baat to nahi hai.....Bas ek bewafaai ki kahani hai....Mai bhi isse laghbhag bhul hi gaya tha....Lekin tumhaari baato se fir se ye yaadein taja ho gayi.....Koi baat nahi fir bhul jaaunga....

Riya ko bhi Raj ki baat sunn kar buraa lagta hai.....Wo abb samajhti hai ki kyu Raj ladkiyon se dur rehta hai, jyaada baat nahi karta....

Riya:- Sorry Raj.....Mujhe tumhe dukh pahunchaane nahi chaahti thi....Sorry Raj meri vajah se tumhaara ghaaw fir hara ho gaya....

Raj:- Sorry kehne ki koi jarurat nahi.....Tumhaari koi galti nahi...

Itna keh kar dono chup ho jaate hai.....Koi kuch nahi bol raha tha....Raj apna past yaad karke andar hi andar dard mehsoos kar rha tha to Riya Raj ki dard mehsoos kar khud bhi dukhi ho gayi thi....

Kuch der baad Raj kehta hai....

Raj:- Bas yahi vajah hai mai ladkiyon se dur rehta hu, Kisi se jyaada baat nahi karta.....Mai ladki aur pyaar se jitna ho sake utna dur rehne ki koshish karta hu.....Dobaara pyaar me dhokha khaane ki himmat nahi.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
10,178
38,567
259
riya...........na sirf raj ko.............balki usse jyada khud ko samajhti jaa rahi hai
apni galtiyan...........apne astitv ki jameeni sachchai...............ki.........uske dost, paisa aur rutba........ uski jindgi mein kahan tak kaam aata hai...aur kahan nahin

bahut achcha update..............
actualy nisha aur rahul ke encounter se bhi jyada inka encounter..........conversations.... achchhe lage
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81
Top