Nevil singh
Well-Known Member
- 21,150
- 53,059
- 173
Agli nayi update ki partiksha rahegi mitr.
super updateUpdate - 63
Shivali ..Ritu ..aur ..Vibhakta k apratyashit humle k kaaran Darmen sambhal nahi paaya aur unke lagatar urja prahar lagne se woh piche ..dur jaakar gir pada ... uske sharir mein pida hone lagi thi ..
Darmen ko gira hua dekhkar teeno Abhi k paas gayi ....aur ..usse sambhalne ka prayatna karne lagi ......
Shivali - uthiye aap aise haar nahi maan sakte ....aap apne swarup ko yaad kijiye ....k aap kaun hai ....apne aapko sambhaliye .....nahi toh anarth ho jaayega .....aaj paap jit jaayega ...aapke hote hue ....burai ...ki jeet ho jaayegi.....
Parantu Abhi iss samay kuch bhi sunane ki sthiti mein nahi tha ...
Abhi k iss tarah niskriya hone se aur uske saare chakra supt hone se ...Kaal bhi ..wapas Abhi mein sama gaya tha .....
.Shivali Ritu aur Vibhakta yaha Abhi ko sambhalne mein lagi hui thi Tab tak Darmen sambhal chuka tha .....woh ab phir se apni poori urja k saath aage badha ....aur ...apni shakti se aakash mein aneko ..agni k saman prajwalit shool pragat kiye ....aur unhe Abhi aur uski teeno patni ki taraf chod diya .....
woh Shool Abhi tak pahunchte uske pahele hi aakash mein sthir ho gaye ....aur ek tez gati se ..badhte hue bawandar ne ...unn shoolo ko apne mein samet liya ..aur ...wapas Darmen ki hi taraf ....vaar kar diya ...apne shool apni hi taraf ....aate dekhkar Darmen ne hawa mein haath gumaya ..aur turant woh shool adrisya ho gaye ...
Darmen ne dekha toh waha Ferron apna toofani trishool lekar khada tha ...aur saath mein ...Arsalan ...aur Nebhru bhi khade the ......Unhone jab Abhi ki teeno patniyo ko pareshani mein jaate hue dekha tha tabhi unhe shak ho gaya k kuch toh aisa aghatit ghata hai jiss kaaran woh teeno ...itni shighrata se yaha se gayi hai .....toh unhone Glaco ..ko wahi ....murchit pade ..Catospher ..aur ..Zecro ...ka dhyan rakhne k liye kaha aur ...uss or badh gaye ....
Darmen - accha toh mera pyara bhai Arsalan bhi aaya hua hai ....accha hua ....laga hai ...saare pariwar ki maut ek saath mere hi haatho mein likhi hai ...waise manana padega tumhe badi majboot mutti k bane ho itne bhayankar Visfot se bhi nahi mare ....Chalo yeh bhi accha hai ...ab mein apne pyare bhai ko khud hi maut dunga ..
Arsalan - Maut toh tumhe aayegi Darmen ...ab tumahare paapo ka ghada bhar chuka ..hai ....tumne humare haste khelte hue garho ko barbaad kar diya ..ab ...yaha ..barbdi failane aaye ho mein tumhe aisa nahi karne dunga ....tumahari maut dekhne k liye hi ..ishwar ne muzhe ab tak jeevit rakha hai ......
Arsalan ab bina shakti ka tha ..usne apni saari shaktiya apne baccho mein baant di thi aur jo ...ek maatra maarak urja ..jo usse parashakti se prapt hui thi ...usse bhi usne ..uss maha astra mein samahit kar diya tha ...parantu ....sharirik bal k mamle mein woh Darmen se adhik shaktishali aur tez tha ....
Arsalan ki baat sunkar Darmen ne Dhool bhari tez aandhi pragat ki ...jisase ..Arsalan aur uske beto ko aage ka dikhayi dena band ho gaya ....Arsalan jaanta tha ...Darmen iske aad mein koi khatarnaak humla karega ....issiliye usne apne putro ko satark rahene ka ishara kiya .....
Ferron ne turant apni shakti se ..uss udti hui dhool par jal barsaya .....dhul chatte hi unhone dekha ...k anek astra unki taraf tezi se aarahe hai ....
Nebhru ne turat apni urja se unn astro par prahar kiya parantu tab tak kuch astra ..unke sharir ko ghav dete hue piche nikal gaye ....teeno thode ghayal ho gaye the parantu iss samay unhe apne se jyada Abhi ki chinta thi ....
Ab Nebhru aur Ferron apni urja se lagatar Darmen par humla kar rahe the ....jaha Ferrin apne trishool ki vidyut urja se Darmen par vaar kar raha tha ...wahi ..Nebhru apni jaadui takat se apni urja ka Darmen par lagatar vaar kar ..raha tha ...
Tabhi Darmen ne apne ...Kaali shaktiyo k visfot vaar karna shuru kar diya ....jinhe rokne ka prayatna ..Nebhru aur ...Ferron ne kiya ....parantu ..phir bhi ek visfot se woh dono ghayal ho gaye .jisse dekhkar Arsalan ka krodh badh gaya ..
Arsalan ne apni poori shakti se apni jagah se uchalkar bijli ki si tez gati se Darmen k paas pahunchkar usse gardan se pakad liya ....aur uska gala dabane laga ....
Arsalan k shikanje ..mein phasa Darmen uski pakad se chutne k liye chapatane laga ....usne Arsalan k seene par tabadtod ghusse barsane shuru kiye ....jisase Arsalan ne usse uthakar ...jor se jamin par patak diya ....niche girate hi usne Darmen ki pasliyo mein jordar kick maari ...jisase Darmen dard se tadap utha ....
Arsalan k paas itni samartya nahi thi k woh Darmen ko mrityu de sake ....parantu woh apne bal .. asahniya pida jarur pahuncha sakta tha .....Darmen iss baat ko jaanta tha ...apni pida par kaabu paakar woh waha se adrishya ho gaya ...aur Arsalan k picche pahunch kar ..uske puth par jordar prahar kiya ...aur apni talwar ..pragat karke Arsalan par vaar kar hi raha tha ...k ..Ferron k trishool se nikal hui tez bijli ka zhatka usse laga aur woh ..pichhe gir pada ...
phir dono taraf se urjao ka ghamasan chid gaya ....
Yaha Abhi yudh se virakt hokar ghutno k ba aankhien bandkar k baitha hua tha ...Shivali ..Ritu aur Vibhakta ysse satat samzhane ka prayas kar rahi thi ....tabhi usse apne antar man mein aawaj sunayi dene ...lagi ..
Awaaj - uth jaa mere bacche ..iss tarah gaarkar mat baitho ..hum tumhe aise nahi dekh sakte ....
awaaj sunkar Abhi ne idhar udhar dekha toh usse koi nazar nahi aaya ...usne phir apne netra band kiye ...tabhi usse aisa laga jaise woh apne sharir se bahar aaraha ho ..sharir se bahar aate hi usne apne sharir ko dekha ...woh apne sharir se prakash ki ek dor k jariye juda hua tha ...usne dekha k uski teeno patniya usse sambhal rahi hai ..terno ki aankho mein aansoo the ....dusri taraf usne dekha ..k Darmen ..Arsalan aur uske bhaiyo ka sangram chida hua hai ...
tabhi uske saamne ek prakash punj pragat hua usmein do aakritiya ...pragat ..hui ...yeh do aakritya ..thi Karma ..aur Neeru ki .... isska arth yeh tha ...k Karma k pranant k saath Neeru ki bhi mrityu ho gayi thi ....
Jab yudh bhumi mein Arsalan ko bachate hue Karma veergati ko prapt hua ...tab Neeru nagar ..ki surakshit sthan mein rakhe hue ...mahilao aur baccho ki har sambhav sahyata kar rahi thi ....tabhi ..achank uska hriday ghabrane laga ....aur usse aabhas ho gaya ...k ..uska priyatam ...ab iss sansar mein nahi raha ...issi ..vichar k kaaran ...uske hriday ..mein tez pida uthi aur usne bhi apni deh ko tyag diya ..aur apne pati se jaa milli ....
parlok jaane se pahele woh dono shudh aatmaye Abhi ko dekhna chahti thi ...unhone jab Abhi ko iss dasha mein dekha ....toh unhe bahut dukh hua ....
Abhi ko Karma k saath Neeru ki bhi aatma ko dekhkar bahut dukh hua ...aaaj usne apne paalak mata pita ko kho diya ....
Nerru - iss tarah dukhi mat ho mere bacche ...tum ek karmayogi ho tumahara iss tarah dukhi hona ...tumhe shobha nahi deta ....utho mere bacche ...aur paristhiti ka saamna karo ....humara jeevan vidhata ne itna hi likha tha ....
humne apne iss jeevan mein tumhe paakar sab kuch paa liye ab hume kuch aur paane ki iccha nahi hai ...hum apne iss jeevan se poori tarah tript hai aur khush bhi ...ab humara jaane ka samay aagaya hai mere bacche ...parantu tumhe yu hatash aur dukhi dekhkar hum aage nahi jaa paa rahe hai ...him ab iss sansar se mukt hona chahte hai ....
Karma - hum bahut bhagyashali hai beta k hume tumahara palan pishan karne ka saubhagya mila ...aur issi karan hum uttam lok ko prapt ho rahe hai ....tum param gyani ho aur jaante ho k har vyakti k janm aur mriyu ka samay purva nirdharit hota hai ....vyakti tak tak hi yaha rah sakta hai ..jab tak uske karma shesh ho .....humare ..saare karvya purna hue .....huma nahi rage toh kya hua humara Aashirwad sada tumahare saath hai ..ab ..hume mukt karo ...
dono ki baaton se Abhi ab apne gyan swarup mein aagaya tha ...ab na koi dwandwa tha aur na tha kou dukh thi toh param shanti aur apne swarup ka gyan ...
Abhi ne dono ko pranam kiya .....
Abhi - dhaynya toh mei hua hu aap dono ko apne mata pita k roop mein paakar ...yadi aap muzhe uss jugle se na laate aur mera paalan poshan na karte toh ..mein shayad yaha tak na pahunch paata ....aapne muzhe jo sneh diya hai uske liye mein sada sada hi rini rahunga ....
Yaha Abhi apne diwangat mata pita se baat kar raha tha ..aur waha ...bhayankar yudh chal raha tha ....Darmen k ghatak praharo se Arsalan ..Nebhru ..aur Ferron ghayal ho chuke the ....
Araslan ko samaz nahi aaraha tha k woh darmen ka kaise saamna kare ...bahut sochne par usse dhyan aata ...k Zecro iss samay murchit hai ..aur uska mrityu dand iss samay yske haato mein nahi hai ....issiliye woh apna mrityu dand wapas paa sakta hai ....usne apni aankhien band karke uss mrityudand ka aawahan kiya ...toh pal bhar mein woh dand uske haath mein tha .
Arsalan ne uss mrityudand ki urja ka prahar Darmen par kiya ..jisase woh dur udta hua gura ....Mrityudand ki maarak urja tamsik thi ..aur Ebli ko apni aatma dene k baad Darmen poori tarah uske prabhav mein tha .....issiliye ..Mrityu dand ki urja Darmen k pran lene mein asamartha thi ....parantu uska prahar uske liye bhi bahut pidadayak tha .....
Arsalan jaanta tha k Darmen itni aasani se nahi mar sakta ...woh dekhne k liye aage badha hi tha k ....uske saamne ek saath kai ..Darmen pragat ho gaye ....Nebhru jhaanta tha k yeh Darmen ki maya hai ..paratu woh uss maya ko nasht karne mein asamartha tha ...ab ek hi raasta tha ...apni poori shakti lagakar uske har roop par prahar karna ....
jaha Nebhru ne apni jadui vidya se tabadtod humla karna shuru kiya ..wahi ..Ferron bhi apne trishool se vidyut urja dwara humla kar raha tha .....aur Arsalan bhi ab mrityudand se Darmen par humla kar raha tha ....Darmen bhi unn pratichaya mein chupkar ..apni urja se unn teeno par vaar kar raha tha ....Nebhru aur Ferron ki haalat kharab ho gayi thi ...Arsalan bhi kaafi ghayal hogaya tha ...
unn teeno k vaar se Darmen k unn saare pratiroopo par koi farak nahi pad raha tha ....kyu woh sab toh bas chaya thi ...tabhi Darmen Arsalan k aage pragat hue ...aur uske seene par apne khanjar se vaar kiya ..parantu Arsalan bhi bahut ..tez tha ...woh ..khanjar ..abhi uske seene mein thoda hi ghusa tha k usne Darmen ka haath majbuti se pakad laage ....toh Darmen ne bhi dusre haath se ..majbuti se uska gala pakad liya .....
Ek taraf Darmen ki pakad uske gardan par kas rahi thi aur dusri taraf khanjar par bhi uska dabav badh raha tha.....Tabhi ....achanak megh garajne lage ....Abhi ...ka saharir chamakne laga ...uske sharir se divya prakash pragat hone laga ....aur turant Abhi ne apni aankhien kholi ...Abhi ab apne poirna swarup mein aagaya tha ....uske vastra ...astra ....sabkuch badal chuke the ..ab woh maha Rakshak k roop mein khada tha ...
Shivali ..Ritu ..aur Vibhakta ..Abhi ko apne Rakshak wale roop mein dekhkar bahut khush hui ....Apne swarup mein aate hi Abhi ki nazar ..Darmen par padi jo Arsalan ka gala daba raha tha ..
Abhi ne ab apna shakti trishool pragat kiya ..aur uski urja ka prahar Darmen par kiya ..jisase woh cheehta hua ....dur jaakar gira uske saare sharir mein pida hone lagi ....woh badi mushkil se apne aapko niyantrit karke utha hi tha ..k Abhi ne phir ...ussi shakti trishool ki urja ka prahaar kiya ...jisase ...Darmen bahut jakhmi ho gaya ....ab uske paas ek hi raasta tha Habbis ....
Darmen ne apne ghav se bahte hue rakt ko apni hateli nein liya ..aur Habbis ka aawahan kiya ....aur ..juch mantra padhte hue .....usne woh rakt bhumi par chidka ....
Darmen ka rakt bhumi par padte hi ....aakash mein ek darawni aawaj gunjne lagi ..jaise hazaro ...Siyar ek saath ...cheek rahe ho .....bhayankar bijli chamakne lagi ....abhi suryoday mein samay tha phir bhi charo taraf andhera fail gaya ...Badlte mausam ko dekhkar Darmen k chehre par kutil muskan ubhri aur woh murchit ho gaya ....
Abhi aur uski patniyo ko chodkar waha maujood sabhi ka dum ghutne laga ...
tabhi aakash se darti par ek bijli giri aur bhayankar visfot hua ...aur ..uss visfot ...se paragat hua ..bhayankar roop mein garajta hua .. Habbis
Abhi k liye itna hi ...
Agla Update jald hi ....
Bahut bahut dhnyawad Rudra bhai aapke shandar saath k liye ....sahi kaha bhai yudh dono taraf k liye vinash kaarak hota hai ...aur kabhi kabhi yeh vinash aawashyak ho jaata ...hai ..kyu ki vinash ki aadhar shila par hi navnirman ki shila rakhi jaati hai ...Aakhir jis anhoni ki aashanka thi wohi ho gya...karma arsalan ko bchane ke liye apne prano ka balidaan de baitha...isse arsalan ke pran to bach gye pr abhi ka dhyan bhang ho gya wo human emotions ke kaaran tut gya ar yudh se virakt ho kr sb kuchh bhul baitha jiska pura fayda darmen ne uthaya ..wo to waqt pr kaal pahuch gya wrna abhi ka bhi kaam tmam tha...ar ab abhi ki teeno biwiyaan darmen ko rokne me lgi h dekhte h kb tk be sabhi usko rokne me safal ho paati h ar kitni jaldi abhi khud pr niyataran paa leta h...yudh ki vibhishika hi yhi h ki jb bhi koi yudh chhedta h hajaro lakho log maut ke mukh me chle jaate h...jinme apne log bhi shamil hote h ar dushman bhi...
Wohi abhi ke sath bhi ho rha h ...dushman dal ko jitna usne nuksaan pahuchaya waisa hi nuksaan use bhi jhelna hi tha...ab ab samay bhawnao ke vashibhut hokr vilap krne ka nhi h pristhati ke mutabik chalne ka h..wrna baad me pachhtaane ke sivay kuchh bhi shesh nhi rhega...so get up mr. Abhi ar cheeer faaad daaal is sasur ke naati darmen ko...uth ja lala..uth ja...

Thanks a lot bro for fantastic supportsuper duper update thanks ek aur update dene ke liye writer ji

kamal ka update hai bhai maza aa gyaUpdate - 62
Vibhakta apni Sakaratmak urja ko sakriya kiya ..aur ....Zecro par chodi ....Sakaratmak urja ..ki kirne .Zecro ...tak pahunchti tab tak Zecro apna prahar kar chuka tha ...aur ek saath do chikhe waha gunji ....
ab aagee ....
Vibhakta ki urja kirne Zecro ko lagti uske pahele usne Apne mrityu dand ka prahar Arsalan par kar diya .....Arsalan uss maarak urja se bachta uske pahele Karma uss k aage aagaya ....aur woh maarak urja Karma ko lagi ...aur ....ek aakhri baar ....Jor se Abhi ka naam pukarte hue ....pranhin hokar bhumi par gir pada ......aur ussi samay ...Vibhakta ki urja kirne bhi ...Zecro ko ..lagi ....jis kaaran woh bhi ceekhta hua ...murchit hokar jamin par gir pada .....
woh sab itne jaldi hua tha k kissi ko kuch samaz nahi aaya ...aur jab ..samaz aaya tab tak bahut der ..ho chuki thi ....Karma ....Arsalan ki raksha karta hua ..Veergati ko prapt ho gaya ..tha ....
Arsalan aur Vibhakta ....daudkar ...Karma k pranhin sharir k paas pahunche ....Cheekh sunkar Shivali aur Ritu bhi waha pahuchi ....Arsalan ne Apni godi se Catospher ko niche litaya ....aur Karma ko hilakar uthane ka prayatna karne laga..woh jaanta tha uss mrityu dand ka prabhav ...parantu phir bhi ....ek aasha k saath woh Karma ko uthane ka prayatna karne laga ....
Vibhakta ...Shivali ..aur Ritu bhi baar baar usse uthane ka prayatna kar rahi thi ..parantu ab Karma unki pahunch se bahut dur chala gaya tha ......
Arsalan - yeh tumne kya kiya mitra ...mein kissi tarah uss shakti ka saamna kar leta ...tum bich mein kyu aaye ab mein Abhi ko kua jawab dunga .....mere ..pran bachane k liye tumne apna balidan de diya ....tumne mere bete k liye jo kiya hai uske liye mein tumahara dhnywad bhi nahi de saka ....abhi mein mein tumse thik se mila bhi nahi tha ....
tum humare liye ek vardan jaise the jiske ahsano ka badla hum kabhi nahi chuka sakte ...aur hum tumahare liye ek abhi shap ban gaye ....mere aate hi ..tumhe ...mrityu milli ...kyu kiya tumne aisa ...mitra kyu kiya ....kuch toh bolo ...mein Abhi ko kya kahunga ...k yeh ..dekho ....Abhi ....mere kaaran tumahare paalak pita ki mrityu ho gayi hai .....bolo mitra bolo ...
Vibhakta Shivali ..aur Ritu ki aankhon se ashru dhara bah rahi thi ...Vibhakta ka toh bura haal tha kyu ki sabkuch uske aankhon k saamne hua tha aur woh kuch nahi kar paayi thi ....
Vibhakta - uthiye na pitashri ...uthiye na ...aap iss tarah hume chodkar nahi jaa sakte ...hum inko kya jawab denge ....utiye na ...maa . mein ..ko kya jawab dungi ...humare liye nahi toh kam se kam ...apne bete k liye hi uth jaaiye .....aapki mrityu se woh tut jaayenge ....aur ausa hua toh sab samat ho jaayega .....maa aapke bina kaise rahegi ....aur kissi k liye nahi toh unke liye hi laut aaiye pitashri .....mein aapki raksha nahi kar paayi ....kya khungi mein maa se ..aur inse ...k aap ...mrityu k mukh mein jaa rahe the aur mein kuch na kar saki ...bas dekhti rahi ....
itna kahkar woh fafakkar ro padi ....Ritu ko bhi unka pitruvat prem baar baar smaran aaraha tha ..kaise unka gaon nasht hone k baad Karma ne unke logo ki sahyata ki thi ..aur usse aur beghar hue logo ko ek pita k saman senh diya ...unka nagar basaya ....uski aankhon se bhi aviral ashru dhara bah rah thi ...uska gala rund gaya tha ...usse yakin nahi ho raha tha k ab ...woh apne pita saman karma ko kabhi dekh nahi paayegi .....satat ashru bahate hue ...wo bhi rone lagi .....
Shivali k bhi aankhon se aansoo bah rahe the .....Karma ki mrityu ka usse bhi bahut dukh tha ....parantu ...woh ....majboot man wali thi aur ..sanghar ki devi ...Mahakali ka ansh thi ...usne apne aapko majboot kiya ...aur ..Vibhakta ..aur Ritu ko sambhalne ka prayatna karne lagi ....dono ko sambhalne lagi ....iss paristhiti ...mein ...uska sabse bada bhay tha ...k Karma ko mrityu k baare mein pata chalte hi ..Abhi ...tut jaayega ...aur bhawnao mein bahkar ..nishkriya ho jaayega .aur aisi yudh ki sthiti mein Abhi ka nishkriya ho jaana matlab ...sarva nash ...
Abhi k kamjor padte hi Darmen aur jyada khatarnak ho jaayega aur usse rokna asambhav ho jaayega ...ausi paristhiti mein woh Abhi ko bhi samapt kar sakta hai ....
ab tak woh sab jeev aapas mein ladkar samapt ho gaye the ...daitya ..aur pisach bhi ab khatam ho gaye the ..jo kich jeev bache the ...Unhe ..Nebhru ...Kaal ..Ferron ..Glaco aadi .samaapt kar chuke the ........
Yudhbhumi mein Abhi k paksh k bhi ..kuch gine chune ...hi sainik bache the ......haazro sainiko ...ki ..aur maare gaye ..daityo aur jeevo ki laasho ka dher laga hua tha ....unke rakt se saari bhumi laal ho gayi thi ......
ab uss yudh bhumi par ek taraf Abhi aur Darmen ka yudh chal raha tha ..toh dusri or ...Karma ...k pranhin sharir k paas Arsalan ....Shivali ..Ritu aur Vibhakta ...khadi thi ....Catospher aur ....Zecro murchit awastha mein bhumi par pade the .....
Arsalan ko dekhkar Nebhru ...Glaco ...Ferron ..uss or badh gaye ....Teeno apne pita ko dekhkar bahut khush the ....parantu man mein glani bhi thi ...k kaise unka saamna karenge ..aur .apne kiye hue apradho ki kshama maangenge ....
woh teeno waha apne pita se milne pahunche hi the ...k ..Karma ki laash dekhkar ...wahi ruk gaye ....ek taraf toh apne pita k milne ki khushi aur dusri taraf Karma ki mrityu ka dukh .....Arsalan ne ek nazar apne baccho par daali ...parantu abhi woh iss sthiti mein nahi tha ...k ...woh apne baccho se mil sake ...Karma k mrityu ..ka ..apradhbodh ..usse vyakul kar raha tha ....
Yaha Kaal ne aakhri bache hue daitya ...k seene mein apna panja ...ghusakar uska dil nikal liya ...aur apne jabde k hawale karke ...jordar dahada ....usne apne charo taraf laasho k dher par nazar daali ...ab woh Abhi aur Darmen jis disha mein lad rahe the uss or chal pada .....
thodi dur chalkar uska dhyan uss or gaya ..jaha Abhi aur Darmen ka yudh chal raha tha ...Abhi ghutno k bal baitha tha .....aur uske saamne Darmen khada has raha tha .....
tabhi Kaal ne dekha k Darmen ne Abhi ko maarne k liye .....talwar uthayi ....Kaal yeh dekhkar ...krodh mein bharkar apni poori tezi se iske pahele Darmen talwar ka vaar Abhi ko chuta Kaal apni poori shakti k saath takraya .....iss apratyashit humle se Darmen ...dur piche gir gaya ....
ab dekhte hai k aisa kya hua k Abhi Darmen k aage kamjor kaise pad gaya ...
Jab Darmen aur Abhi ka yudh chal raha tha ....dono ek dusre par apni urja se vaar karne lage ....aur ek dusre k vaaro ko bakhubi rok rahe the ......Darmen ne Abhi par ab anek prakar ki urjao k lagatar karne laga ....
Abhi ne ab apne saare charo ki urja ko sakriya kar diya ...jisase uska sharir chamkne laga aur urske sharir se prakash nikalne laga ...Darmen k saare vaar ..uske prakash ...ka sampark hote hi nasht hone lage ....
apne saare vaar nasht hote dekhkar woh aur krodhh mein aagaya ....usne apni poori urja ekatrit karke ..Abhi par vaar kiya ....woh bhayankar urja ka vaar badi tezi se Abhi ki taraf badha ...Apne aati hui uss bhayankar urja par Abhi ne apni shwet urja ka prahar kiya ....dono ..urja jab aapas mein takrayi toh ek bhayankar visfot hua ...jisase ...charo taraf dhua ...hogaya ...
Abhi ko aage kuch bhi dikhayi nahi de raha tha .....tabhi ...ek ...dhadhakta hua shool ..uss dhue ko chirta hua Abhi ..k seene se takraya ...jo Abhi k seene mein pravesh toh nah kar paaya ....parantu ...uski ..urja itni ..tez thi k uske prahar se Abhi udta hua dur jaakar ...gira ...iske pahele k Abhi sambhalta ....Darmen apni talwar lekar uspar zhapat ..pada ..iske pahele k woh Abhi par prahar karta k Abhi ..ne jamin par pade pade hi uske pet par jordar kick maari ...jisase ..Darmen bhi dur jaakar gira ...
Abhi turat ..jamin se khada hokar Darmen ki taraf badha ....hi tha k usse achanak uske hriday mein ghabrahat hone lagi ...usse aisa lagne ...laga ...k koi uske kissi apne ne usse pukara hai ....
yeh wahi samay tha Jab Karma ...ne ...antim samay mein Abhi ko pukara tha ....kissi anarth kiaashanka ..se Abhi ...mudkar ..jaane laga ....Tabhi darmen ne apne urja k paash mein bandkar Abhi ko khincha ...Abhi uske paash mein bandhkar ...niche gir pada ..
Darmen k paash mein bandhe hone par bhi ....Abhi ne uspar koi dhyan nahi diya ...uska dhyan toh ...uss pukar ki taraf tha jo ..kahi uske antarman mein sunayi di thi ...
uska mann vyakul ..ho raha tha .....bhavukta k kaaran uski shaktiya kamjor pad rahi thi ....Abhi ne ....apni aankhien ..band karke apni divya drishti se uss pukar ...par dyan kendrit kar k dekha toh usse ...Karma ki mrityu ka drishya dikha ....Apne paalak pita ki mrityu dekhte hi ...woh Darmen k paash se chutne k liye chatpatane laga ...apne pita ki mrityu se uske bhiter jaise kuch tut sa gaya tha .....
adhik dukh k kaaran uske hriday mein pida hone lagi ...uski aankhon se ashrudhara bahne lagi ...jiss pitane unglu pakadkar usse chalna sikhaya ...uspar apna prem lutaya ...bachpan mein jab bhi woh nirash hota ..toh uska ..hosla badhaya ....prashikshan k samay ...chot Abhi ko lagti ..aur aankhein nam Karma ki hoti ...uske har choti se choti upalabdi par ..uske jiss paalak oita ka seena garv se chauda ho jaata .....uss pita ki woh itni shakti hone par bhi raksha nahi kar paaya aisi shakti ka kya laabh jo apno ki raksha bhi na kar sake ....inhi sab vichro k kaaran ...woh gahre sadme mein chala gaya ..jiss kaaran ..uske saare chakra supt hone lage aur ..uski urja kshin hone lagi .....
Achanak Abhi k iss tarah kamjor padne k kaaran Darmen bhi aascharya chakit ho gaya ...parantu uske liye sabse khusi ki baat yeh thi .....k Abhi ab kamjor pad gaya tha .....Abhi ..Darmen k paash mein bandha ...badi kathinayi se khada hua ...aur ...Karma ...ko dekhne k liye aage badha .....
Tabhi Darmen ..ne .... iss baar aisi Shakti se vaar kiya ....jo usne kayi baliya dekkar haasil ki thi ...woh shakti jaise Abhibki bachi hui saari urja ko khinch rahibthi ...jiss kaaran ...Abhi ..poori tarah kamjor padkar apne ghutne par aagaya tha ....Darmen ab Abhi ko aur koi mauka nahi dena chahta tha sambhalne k liye ..issliye usne apni divya talwar ....ka aawahan kiya ..aur ...Abhi par uska prahar karne hi wala tha ..k ussi ..samay Kaal ne usse dekh liya....aur Abhi ko bachane k liye apni poori shakti k saath Darmen se takra gaya .....
Kaal Darmen ki chati par baithkar uske jabde par tabadtod mukke barsane laga .....Tabhi Darmen ne bhi ....Kaal k seene par ek jordar prahar kiya ....jisase woh dur jaakar gira ....iske pahele kaal sambhalta ..Darmen ne apni ..urja ka ek prahar ...uspar kar diya ...Darmen k vaar ko rokne mein Kaal ...asamarth tha ....kyu ki uski shakti Abhi se judi hui thi ....Abhi k saare chakra supt ho chuke the .....aur baaki bachi hui shakti Darmen ki prahar ki hui shakti soakh chuki thi ...
Darmen ..ki urja lagte hi ..Kaal ki bhi haalat buri ho gayi ...parantu phir woh apni saari urja ko ekatrit kar k ...tezi se Darmen k paas pahunckar ...uski gardan pakad li .....aur ...apni panje ka prahar .....uske seene par ...kiya ...jiska Darmen par koi prabhav nahi pada ...
Darmen ne Kaal ko uthakar patak diya .....aur phir apni urja se uspar prahar kiya ....
yaha Shivali ko Abhi ki haalat ka aabhas ho gaya ...woh turant ..Uss disha mein daudi ...jaha ...Yeh sangharsh chal raha tha ...Shivali ko aise ghabrakar jaate hue ....Ritu aur ...Vibhakta ...ko bhi kissi khatre ka aabhas ho gaya ....aur woh bhi ...uske piche daudi ....
Yaha Darmen ka vaar Kaal ka kuch ahit karta ...uske pahele Shivali ne dekh liya tha ....aur usne apni urja k vaar se Darmen k vaar ko Kaal tak pahunchne se pahele hi nasht kar diya ....
Darmen ne uss or dekha toh usse Abhi ki teeno patniya dikhayi di ....
Abhi aur Kaal ki aisi haalat dekhkar ....unhe apni shanka satya hoti hui dikhayi dene lagi ...tenno ne apni ...urja ..k tabadtod prahar ..Darmen par kiya ....teen guno k alag alag prahar Darmen se takraye ..achanak hue teen tarfa humle ..ko woh rok nahi paaya ....un urja prahro se Darmen ko pida hone lagi ...uske kadam piche hatne lage ......
parantu shighra hi Darmen sambhal gaya ...aur unn teeno par ek saath prahar karne laga ....woh teeno bhi apni poiri shakti lagakar uska saamna kar rahi thi ...
Abhi k liye itna hi ...
Agla update kal .....