- 5,758
- 13,166
- 189
UPDATE 80
Kuch der tak buri tarah se rone ke baad Rahul ke dimaag me ek baat aaya aur ek aash....Wo utth kar baith gaya aur sochne laga.....
Rahul:- (In his mind) Kahi mai Nisha ke baare me galat to nahi soch raha.....Maybe wo Vijay ko sirf jaanti hai isse jyaada kuch nahi....Shit!!Mujhe puri baat sunna chahiye tha lekin jaldbaazi, gusse aur dard ke kaaran pehle hi waaha se nikal gaya....Aaj Nisha jab waapas aayegi tab usse pucch lunga Vijay ke baare me.....Nisha bhi na ...Mujhe kuch batati hi nahi.....Nahi Aditya ke baare me naahi kisi aur ke baare me....Koi baat nahi.....Aaj saari sawaal ka jawaab haasil karke rahunga....
Rahul abb bas yahi umeed kar raha tha ki Nisha sirf Vijay ko jaanti ho usse jyaada kuch nahi.....Halka sa dard aur halka sa Nisha ke saath baat karne ke liye bechaini me Rahul Nisha ka wait kar raha tha....Wo aaj apna har ek sawaal Nisha se pucchna chahta tha aur apna dil ki haal bataana chahta tha....
Ye intejaar bhi bahut kuch pal baad khatam hua.....Door par Nisha ki knocking ki aawaj aayi...
Rahul:- Kaun hai???
Pareshaani me bas itna hi bol paaya Rahul....
Nisha:- Mai hu Nisha....Mai tumhaara kabse market me wait kar rahi thi lekin tum nahi aaye....Aur phone bhi nahi lag raha....Khair ye baatein chhodo....Aur jaldi se garden me aa jaao...
Nisha ki aawaj me Rahul ke liye pyaar aur order dono tha.....Wo itna keh kar chali gayi garden me.....Aur khud ko mentally prepare karne lagi Rahul ko propose karne ke liye....
Kuch der baad Rahul bhi nikla apne room se aur garden ki taraf jaane laga....Lekin iss baar uske chehre me wo excitement nahi tha jo market me jaane se pehle tha.....Usko dar bhi lag raha tha Vijay ko itne dino ke baad waapas dekhna aur uska aur Nisha ke saath baat karna.....
Wo apna chehra me ek dar ka expression ke saath pahuncha garden me.....Jab Nisha ne Rahul ka chehra dekha usse to kuch samajh me nahi aaya ki achanak aisa kya ho gaya jis vajah se Rahul ka chehra itna utra hua hai.....Wo soch rahi thi ki shaayad koi pareshaani hogi....
Raat ka 8:00 pm baj raha tha.....Puri tarah se andhera chha chuka tha.....Chaand aur Sitaaro ki raushni, garden me thandi hawaa ka ped se takrakar jo aawaj aa rahi thi uss sab se garden ka najaara aur bhi sundar lag raha tha.....Nisha ne garden me pedo par pehle se hi bulb ka fitting kar chuki thi......Ab Nisha uska switch on karti hai tab pura garden me bulbs ki chamchamaati raushni chaa jaati hai....Nisha ne uss bench ko bhi bahut acche se sajaaya tha candles se.....Rahul garden ki iss sazaawat dekh ek pal ke liye apna saara pareshaani bhul gaya aur apni najre charo taraf daudaane laga.....
Nisha:- Kaisa hai ye sazaawat???
Nisha ne bahut hi pyaar se puccha...
Rahul:- Bahut accha....Lekin ye sab kis liye.....
Rahul ne Nisha ko dekhte hue ye sawaal puccha....
Nisha:- Aaj meri life ka ek special day hai....Bas ussi ke liye ye saari taiyaari kiya hai .....
Nisha Rahul se bahut hi pyaar se baat kar rahi thi aur Nisha ki har ek baaat ke saath Rahul khud ko guilty mehsoos kar raha tha ki wo Nisha par shak kar raha hai....
Nisha:- Rahul mai tumse kuch kehna chahti hu.....
Nisha se bhi abb raha nahi jaa raha tha....Wo bhi jald se jald Rahul ko apna dil ki haal bataana chahti thi.....
Rahul:- Ha kaho...
Rahul ko thoda hairaani ho raha tha ki aakhir Nisha usse kya kehna chahti hai....
Rahul:- Ha kaho....
Nisha:- Aise nahi.....Pehle tum apni aankhe band karo aur jab tak mai nahi kahu tum kholna mat....
Rahul ko samajh me to kuch nahi aa raha tha lekin wo bhi Nisha ke kahe anusaar apni aankhe band kar leta hai aur jaldi se Nisha usse jo kehna chahti thi wo sunne ke liye bechain ho gaya tha....
Nisha ek bada sa card apne haatho me lekar Rahul ke saamne aati hai....
Rahul ne jab apni aankhe kholi tab card me jo likha tha usse dekhkar uski aankhe fatti ke fatti reh ggayi....
Rahul ko aisa hairaan dekh Nisha kehti hai.....
Nisha:- Ha Rahul tumne sach padha.....Mai tumse bahut pyaar karti hu.....I love you Rahul so much....Pata nahi kab tum mere dil me bas gaye ....Pata nahi kab mai tumse pyaar kar baithi....Tumhaari inn acchayi, dusro ke liye accha sochna, kisi ke liye buraa na chahna, dusro ko respect karna, Imaandaari se apne life ko jeena aur na jaane bahut si baatein hai jo mujhe tumse pyaar karne par majboor kar diya....Apne Maa, Papa aur Nana ke baad tum hi ek insaan ho jisse mai pyaar karti ho aur bharosa kar sakti hu....Aur mai ye bhi jaanti hu ki tum bhi mujhse pyaar karte ho....Tumhaari aankho me acche se dikhata hai ye sab.....Aur picchle kuch din mai tumhe jaan bujhkar pareshaan karti thi....Sorry itna tadpaane ke liye....
Nisha ki baat sunkar Rahul bahut khus ho gaya....Ek pal ke liye to usse laga ki usse duniya bhar ki khusi mil gaya....Jo lafz wo Nisha ke munh se sunna chahta tha aaj wo sun liya.....Ek najar Nisha ki taraf dekha....Uski aankho me apne liye pyaar dekh wo control nahi kar paaya Nisha ke saamne jaane se....
Kuch kadam hi badhaaya tha usne ki kuch soch kar wo wo apni jagah par hi khada rehkar dusri taraf ghum jaata hai......Usse fir se Priya ka pyaar ka bewafaayi yaad aata hai.....Abb uske dil me pyaar ki jagah fir se shak tha....Wo sochne lagta hai....
Rahul:- (In his mind) Nahi nahi shaayad ye Vijay ka plan hai.....Nahi to Nisha mujhe kyu propose karti ....Fir se Priya waali chaal chal raha hai.....Mujhe pyaar me fir se paagal banana chahta hai wo.....Nisha jo itni din se mujhe propose nahi kar rahi thi aaj Vijay se milne ke baad wo bhi kar diya.....Mujhe Nisha aur uske pyaar se dur hi rehna chahiye.....
Rahul ka aise ruk jaana aur picche mudne se Nisha hairaan hoti hai....
Nisha:- Kya hua Rahul....Kyu ruk gaye????
Nisha ki fir pyaar bhari aawaj Rahul sunn nahi paata aur gusse se picche mud kar kehta hai.....
Rahul:- Band karo apni bakwass....Mai tumse koi pyaar nahi karta.....Aur aaj ke baad mere saamne kabhi mat aana.....
Rahul ka achaanak aise gusse se bolne se aur ye baat sunne ke baad Nisha ko vishwaas nahi ho raha tha....Wo bhi thoda shocked aur darte hue kehti hai.....
Nisha:- Rahul ye tum kya keh rahe ho.....Kahi majaak to nahi kar rahe....Please Rahul ye majaak karne ka vakt nahi hai....
Nisha ko Rahul ki baat par vishwaas nahi ho raha tha lein Rahul Nisha ki baato par aur bhi gusse se chilla kar kehta hai.....
Rahul:- Tumhe baat samajh nahi aata kya....Keh diya na mai tumse pyaar nahi karta aur tum jaisi ladki se pyaar karne ka soch bhi nahi sakta....Tum mera use karne ka soch rahi ho na....Iss liye pyaar ka naatak kar rahi ho....
Rahul bahut hi gusse me baat kar raha tha lekin sirf wo hi jaanta tha ki wo kitna tadap raha hai.....Rahul ka itna jyaada gussa dekhne ke baad Nisha ko abb yakin ho gaya ki jo Rahul keh raha hai wo sach me keh raha hai....
Nisha:- Ye kya keh rahe ho Rahul....Please aisa mat kaho.....Bahut pyaar karti hu mai tumse....Tumhaare binaa jee nahi paaungi....Tumhaara aadat sa ho gaya hai mujhe....Ek pal ki doori bhi bahut mushkil se kat ta hai....Agar mujhse kuch galti hui hai to please bataa do....Mai usse sudhaar lungi....Lekin please ye mat kaho ki tum mujhse pyaar nahi karte.....Aur tumhe aisa kyu lag raha hai ki mai tumhaara use kar rahi hu aur pyaar ka naatak kar rahi hu....
Nisha ne rote hue ye baat kahi.....Har baat ke saath uski aansu bhi badh raha tha.....Lekin Rahul ko Nisha ki aansu aaj dikhaayi nahi de raha tha....
Rahul:- Maine kaha na tumse tum apni bakwaas band karo.....Aur pucch rahi ho ki mujhe kyu lag raha hai tum mujhse pyaar ka naatak kar rahi ho....Maine sab dekh liya market me.....Tumhe aur Vijay ko baat karte hue dekha hai maine.....Maine tumpar yakin karke tumhe Vijay aur Priya ke baare me sabkuch bataa diya tha...Lekin mujhe ye nahi pata tha ki tum bhi Priya ki tarah hi niklogi....Vijay ne hi tumhe mujhse propose karne ke liye kaha hoga.....Aur tum meri haalat jaante hue bhi tumne aur Vijay ne fir se mere saath ye khel khela....Thak gaya hu mai abb.....Nahi hai taakat Vijay se ladne ki.....Jaakar usse keh dena mai haar gaya usse....Abb to mujhe chhain se jeene do....
Itna kehne ke baad Rahul bina Nisha ki baat sune waapas apne room me gaya aur door lock karke rone laga....Gussa aur aansu dono nikal rahe the Rahul ke chehre se.....
Nisha Rahul ki baat sun ek dam shocked ho gayi.....Ek chhoti si baat ka kitna bada matlab nikaal liya Rahul ne ye soch kar wo bench par baith kar jor se rone lagi.....Usko abb apna pyaar, uski life aur sab kuch khatam hota najar aa raha tha.