• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Haweli ~~ " The Night Is Dark " (completed)

🔥 Read Next Hot Story →
Discover more exclusive stories

What makes reader feel while readng " Haweli " title story?


  • Total voters
    36

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,138
16,143
219
Andhera itna tha ki kali padh chuki haveli hote hue bi dikhai nai de rhi thi, charon aur sanata tha aur haveli ke aas pass dur dur tak is andheri raat mein koi bhi nai tha, kuch tha to vo sanata jiski awaz suni to nahi jaa sakti thi lekin mehsus jarur ho rahi thi....

Us sanate aur andhere mein jahan roshni ka namo-nishan na tha, usi samay haveli ki khidkiyun par ek roshni jhalak rahi thi jese vo us roshni se khidki ke bahar jhankne ki kosish kar rahi ho par darasal vo khidki se bahar nahi balki dhire-dhire niche utar rahi thi. Ek hath mein laltein liye aur dusre hath mein ek glass vo dhire-dhire sidiyan utar rahi thi. Uske chehre par ghabrahat thi, sidiyan utarte sath hi usne bina der kiye apne kadam samne kamre ki taraf badha diye par vahan pahunchte hi vo ruk gayi. Uski sansein ek dum hi tez ho chali thi, blouse mein kasi uski chatiyan zor-zor se uppar niche hone lagi, usne kuch pal yun hi vahan khade guzar die aur phir darwaje par halka dhakka dete hue use khol dia, andar roshni pehle se thi uske sath us kamre mein ek awaz gunj rahi thi jo haveli mein to thi par bahar tak nahi pahunch rahi thi.



PDF Link for this Story : https://www.mediafire.com/file/xpsslq65yowlt7c/Haveli_%7E%7E_The_Night_Is_Dark.pdf/file
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,138
16,143
219
Ok boss take care .jaldi bhale change ho ker update dena bhai
आप की तबीयत के बारे में सुनकर बहुत ही दुःख हुआ हर्षित जी । मैं परम पिता परमेश्वर से प्रार्थना करता हूं कि आप जल्दी ही स्वस्थ हों । अभी न तो आप को कुछ लिखना है और ना ही अपने स्वास्थ्य से खिलवाड़ करना है । आप अपना पूरा ध्यान रखें । ❤?

Thank you so much bhai :hug:
Better now from past few days now.. Itni jaldi corona bhi kuch na kar sakta mera :smokin:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,138
16,143
219
Bhai... Kaise ho ab aap..?

Bohot badhiya update bhai... ab gade murde dhire dhire baahar nikal rahe hai... Bohot suspense hai bhai...
Pehle se better hai bhai :hug:

Thank you pawan bhai :hug: gadde murde ukhad rahe hain ya ban rahe hain waqt hi batayega...keep reading bhai :dost:
 
🔥 Read Next Hot Story →
Discover more exclusive stories

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,354
304
" tumhare sar par chot kaise lagi? " malini ki nazar mukesh ke sar lagi chot par gayi jispar usne patti bandhwa rakhi thi.

" vo thakurain kal kheton mein kaam karte hue lag gayi thi "

" koi jarurat ho to hume bata dena, ilaz mein dikat na aye "

" ji bahut shukriya " mukesh ne hath jod kar kaha.

" manju mukesh ke sath uppar kamre ki safai kar do aur phir kaka ke kamre ka saman uppar rakhwane mein madad kar do "

" ji thakurain " manju ne mukesh ki taraf dekha to vo use dekh muskura dia. Manju ko mukesh bilkul bhi pasand nahi tha. Uski ankhein use apne jism par chubti hui mehsus ho rahi thi. Manju mukesh ko lekar uppar chali gayi, malini unke jatte hi vapis band kamre ki aaur badhi aur uska tala khol kar vo uske andar ghus gayi. Andar ghuste hi usne kiwad laga diya.

Uppar jatte waqt manju thoda ghabra rahi thi uske piche do wajah thi pehli vo uppar jane se katrati thi aur dusri uske piche chal rahi thi. Mukesh jo uske piche sidiyan chadh raha tha uski nazar manju ke badan par hi thi. Nighaein uski kamar aur uski bhari sudol par ruki hui thi.

" kaka " manju ki awaz par mukesh uske badan se bahar aya.

" ji "

" yahi hai kamra " manju janti thi ki vo uske sharir ko hi dekhe jaa raha hai. Aur abhi bhi nazar mukesh ki uski chatiyun par hi jami hui thi. Mukesh ko apni chaityun par ghurta pakar manju ka sina aur tezi se uppar niche hone laga, usne jaan kar aisa nahi kiya balki apne sharir par ghure jane ki utejna use karwa rahi thi. Jab mukesh ki taraf se koi jawab nahi aya to usne kiwad khol diya jiska shor sun mukesh ka dhayan tuta. Mukesh ne manju se nazar hatai aur kamre ke andar jhanka, jada saman nahi tha, ek lakdi ki almari aur ek taraf ko kapdon ka dher jama hua tha jo kisi chiz ke uppar rakha hua tha.

" aap inhe bahar kar dein, tab tak mei safai ka saman le ati hun " manju uska jawab sune bina hi tezi se niche utar gayi.

Malini ne almari kholi aur jahan sangeet ke casette rakhe the unme se wahi casette nikala jiska number chandraprakash ke chabi wale box par tha '158' usne cover se casette bahar nikali aur cover ko palat diya. Jaisa use us din andaza hua tha, jispar uski nazar padi thi jab usne casette andar dali thi to vo bakiyun ki tarah puri andar jane ke bajaye bahar ki taraf nikli hui thi jaise koi chiz andar padi ho.

" chabi " cover palatne par chabi farsh se malini ne uthai jo ek lambi chabi thi jaise koi gehre talle par lagai jati thi. " babuji ne ye chabi isme kyu dali hui thi?" malini ne fauran kamre ke andar nazar daudai aur phir un sadukon ko dekhne lagi jispar tala laga hua tha. Lekin vo talle behad chote the aur is chabi ke liye nahi bane the. Usne saman hata kar har jagah dekha lekin aisa kuch bhi nahi dikha jo is chabi se khul sake. Malini ghutan ki wajah se sardi mein bhi pasine se bhig gayi thi par use is chabi ke piche kya raaz chupa hai ye mila nahi tha. Usne almari ka bacha kucha bhi saman bahar nikal diya tha. Do sawal uske man ko pareshan kar rahe the ek ki jab vo shadi ke baad is kamre mein ayi thi tab yahan vo rasta tha jo niche ki aaur gaya tha ab vo kahan hai aur ye chabi kis chiz ki hai jise chandraprakash ne use casette ke cover mein chupa rakha tha aur vo bhi usi cover mein jiska number chabi ke box par likha tha. Use ab kuch bhi itefak nahi lag raha tha jo bhi ho raha tha uske piche koi raaz chupa hua mehsus hone laga tha. Usne chabiyun ke guche se ek chabi chuni aur wahan rakhe sanduk ko kholne ki kosish ki ek ka tala to nahi khula par dusre ka khul gaya.

" ye kapde to inke the.. " kapdon par se dhool jhadte hue malini boli. Sanduk mein bikram ke kapde pade the jinhe usne bahar nikala aur dekhte hue ankhein bhar ayi. Apne pati ko khone ke baad to kuch yadein hi bachi thi aur un yadon ke sath jab use judi hui vastu mil jaye to vo jada dukh deti hai. Kapde nikalne ke baad uski nazar tasveer par padi jo usme dabi hui padi thi. Usne kapdon ko wahin rakha aur tasveer uthai. Tasveer kafi purani hai aur shayad thakur pariwar ke us samay ki hai jab bache chote the. Malini chehra dekh kar andaza lagane lagi ki usme se bikram kaun hai aur use jada waqt nahi laga khojne mein bikram piche khada tha. Aage bich mein babuji ke pitaji the jise usne pehchan liya kyun ki jab vo shadi karke haweli ayi thi to unki ek tasveer hall mein laga hua karti thi jo ek din gir gayi thi jiske baad babuji ne kabhi bhi nayi tasveer nahi lagwai thi. Malini ne phir chandraprakash ko bhi pehchan liya jo uske bagal mein hi baitha tha, tasveer mein jawan dikh rahe the jinki godi mein ek ladki thi. " Neelam didi hogi " pehchante hue malini ki nazar ab aur logon par padi jisme kuch log aur the yani kuch aur sadasye ghar ke par kaun?

Malini ko pehchane mein dikat hone lagi, usne kone se shuruwat ki jise vo dhayan se dekh kar samjhne lagi aur tab use laga jaise usne is insan ko kahin dekha hai par vo pehchan na saki na hi us bachi ko jo usi admi ke sath khadi thi. Malini ki nazar uspar se hatti hui dusri aaur gayi jahan ek aurat jo bikram ke sath khadi thi jo haweli ki thakurain yani chandraprakash ki biwi nahi thi to phir kaun hai ye log jo thakuron ki tasveer mein hai?. Usne itne salon mein kabhi is tasveer ko nahi dekha tha aur aaj dekhne ke baad use samajh nahi aa raha tha ki ye tasveer bikram ke kapdon ke bich mein kya kar rahi hai. Tasveer ko ek taraf rakh usne sanduk mein dekhne ki sochi lekin baki sanduk mein kapdon ke alawa kuch aur nahi tha. Uski nazar wahan rakhe dusre sanduk par padi jiski koi chabi nahi thi aur talla tod kar hi use khola ja sakta tha. Usne use todne ke liye wahan par pada lakdi ka ek tukda uthaya jo palang ke niche pada tha shayad palang ka koi tuta hua hissa tha.

Malini ne talle par do teen bar zor se mara to vo tut gaya. Sanduk khola to usme bhi kapde hi pade the par is baar bikram ke nahi the vo sudha maa ke the yani haweli ki thakurain ke, jinhe dekh malini ko vo din yaad aa gaya jis din sudha ma ki mrtiyu hui thi aur salon ke bekar pade sharir se unhe azadi mil gayi thi. Us din malini ne hi unke sarre kapde hataye the, vo bahut nirash thi kyun ki puri haweli mein sudha maa hi thi jo uski batein suna karti thi. Bol vo sakti nahi thi lekin malini uske ankhon ke ishare dhire-dhire samajhne lagi thi. Use aaj bhi vo din yaad tha jab pehli subah ko vo kamre ke bahar khadi thi palu sar par liye.

" badi thakurain, hum le aye choti thakurain ko " sugandha ne andar ghuste hue bistar par padi sudha se kaha. Sudha ek zinda lash ki tarah thi na vo apna sharir hila sakti thi na hi kuch bol sakti thi. Sudha ne apni ankhon ke ishare kiya jise dekh sugandha ne malini ko andar ane ke liye kaha. Malini thodi ghabrai hui thi, usne andar ghuste hi sudha ke per chuhe aur fir uske pas jaa khadi hui. Malini ko dekh sudha ke bejaan chehre par ek raunak aa gayi aur ankhon se beh nikla.

" maji humse koi bhool hui? " malini chintit ho gayi. Use laga ki usne kuch galti ki hai.

" nahi nahi choti thakurain, badi thakurain to bahut khush hai aur ye usi ke ansu hai " sugandha ne ansu pochte hue kaha.

" ab hum aa gaye hai maji apko koi takleef nahi hone denge, aap chinta mat kijeye, apko bilkul durust kar denge " malini fauran boli jise vo maji ke chehre par khushi la sake lekin aisa na hua.

" choti thakurain, aao tumhara pehla din hai, kuch mitha bana do, chalo " kuch der ki khamoshi ko todte hue sugandha boli aur malini ko kamre se bahar le gayi.

" sugandha kaki, maji ki ye halat kese hui? " malini ko abhi bhi afsos ho raha tha sudha ki halat par.

" sar par gehri chot lagi thi thakurain uske baad se hi aisi hai "

" kaise? "

" ab yee to hamka bhi nahi malum thakurain lekin suna to yahi hai ki us din haweli mein koi hadsa hua tha jiske baad badi thakurain ki ye dasha hui. Neelam didi tab unke pet mein thi " sugandha ne fusfusate hue apni baat puri ki. Malini ascharya mein ek pal sugandha ko dekhti rahi.

" kya aap nahi thi us waqt haweli mein "

" nahi, mei to haweli mein tab ayi jab badi thakurain ki ye halat hui bas tabse haweli aur unka jimma mere sar aa gaya. Acha choti thakurain ab aap kuch mitha bana dijeye mene sara saman nikal diya hai " malini apna sawal karna chahti thi lekin sugandha se puchne ka mauka nahi mila aur fir shor ne bhula hi diya jiska jawab malini ko bahut waqt ke baad mila.
Yeh mukesh kahe chupa raha hai malini se... bol kyun nahi diya tharak mitane ki koshish mein sar futa uska...
chabi hi chabiya... taale hi taale.... par kaam ki chij ek bhi nahi...
Ab un photos mein koun hai woh log...
lagta hai us haweli mein kuch na kuch hadse hote rahte hai... unhi hadso mein se ek mein yeh dasha huyi thi sudha ki...
ya phir thakur ke wajah se..
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill :applause: :applause:
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,354
304
Purane khayalon se bahar atte hue malini ne apni gili ankhein sarre ke pallu se pochi aur sanduk ko band kar diya. Sanduk band karke usne us chabi ko uthaya jo use casette ke cover se mili thi jiska koi tala use yahan nahi mila tha. Vo apni jagah se khadi hui aur uska dhayan tasveer ki taraf gaya jise usne wahin sanduk ke pas rakha tha. Ek nazar us taraf dali to paya ki tasveer farsh par padi hai lekin ulti. Malini ne jhuk kar tasveer ko uthaya aur uspar likhe shabdon ko padne lagi.

zindagi ke akhri palo mein, sab kuch yaad aa jata hai,
koi apna hi apne ko gum de jata hai,
chuna tha vo rasta humne use pane ka, kanto ne rasta rok diya
zindagi ne akhri palo mein na jane kyun humse rasta mod liya
Yun to hum keh nahi sakte apni baton ko fir bhi apna samajh kar shabdon mein piro diya
kashmkash zindagi thi rishton mein ulajh kar reh gayi,
Na jane kyu apni zindagi kuch is tarah ruth gayi
chalte hai hum alvida keh kar, apne sune dil ki kalkari lekar
zindagi ke akhri palo mein, maut ki sachai lekar

" bikram " naam padte hi malini soch mein padh gayi " ye kaise ho sakta hai? " usi samay haweli mein ek shor gunj utha jise sun malini fauran kamre se bahar nikal ayi.

Manju ke jatte hi mukesh kamre ke andar ghusa aur jaise use bataya gaya tha kamre ka saman bahar nikalne ko vo waise hi karne laga. Usne pehle kapdon ke dher ko uthaya jiske niche sanduk pada tha aur use khiskate hue kamre se bahar nikal diya. Kamre mein ab sirf ek almari bachi thi. Mukesh ne use khiskaya lekin uska santulan bigad gaya aur vo ek taraf se uthne ki wajah se niche zameen par jaa giri. Almari girne ka shor puri haweli mein gunj utha jise dekh mukesh ek pal ke liye ghabra gaya. Use bas itna pata tha agar almari ko kuch hua to vo gareeb itne paise kahan se layega. Samay ko bekar na karte hue usne fauran almari uthane ki kosish ki aur usi mein almari khul gayi jisme se uska saman bahar nikal kar gir gaya aur usi dauran uski nazar saman ke bich us chamakati hui chiz par padi jisne uske man mein lalch bhar diya. Usne samay na gawate hue almari khadi ki aur saman ke dher mein us anguthi ko uthane laga par sidiyun par kadmo ki ahat patta dekh usne fauran aguthi ko ek kone mein khiska diya jo kamre ke kiwad ke piche ja chupi.

" kya hua " malini kamre ke bahar pahunchte hi boli jahan par mukesh saman ko almari ke andar dal raha tha.

" maaf karna thakurain vo kafi bhari thi isliye humse gir gayi " mukesh ghabrate hue bola. Manju bhi usi waqt shor sun bhagte hue ayi thi uske hath mein safai ka saman tha.

" koi baat nahi, manju tum iski madad karo aur phir inke khane ka prabhand kar dena "

" ji thakurain " manju ne saman wahin rakha aur mukesh ke sath almari bahar nikalne ki madad mein lag gayi. Malini wapis niche jaa chuki thi aur manju mukesh ke sath hi khadi uski madad karne lagi. Dono ne saman ko almari mein dala jisme bich-bich mein mukesh uske jism ko chu jata aur uske badan ki aag jaag uthti. Manju ko mehsus ho raha tha lekin vo kuch nahi bol rahi thi. Saman rakh kar dono ne almari ko bahar nikal diya aur kaam mein badi mushkat karni padi jiski wajah se dono ka jism pasine mein bhig gaya. Pasine ki bund manju ki chatiyun ke bich ghusti dekh mukesh ka lund akad gaya, na chahte hue bhi manju ki nazar se bachte hue usne apna lund masal liya.

" kaka aap jab tak bahar walle kamre se saman utha laiye mei yahan safai kar deti hun " manju ne itna kaha aur vo kamre mein chali gayi. Mukesh use safai karte dekhna chahta tha lekin khada bhi nahi reh sakta tha isliye niche chala gaya aur bablu kaka ke kamre se saman utha kar uppar ane laga. Uppar atte waqt use bas manju ka sharir dikh raha tha jo use apni bhabhi se bhi jada pasand aa gaya tha. Kal raat ko sote waqt usne apni bhabhi ki gand masal di thi jo uski pehli kosish thi apni bhabhi ko chune ki, sath mein soye hue the isliye kisi ko pata nahi chala vo to der raat uska hath uppar rakhe matke par laga aur vo sar par gir gaya jiski wajah se uske sar par chot aa gayi aur us wajah se vo apni bhabhi ki gand masalne ke alawa kuch aur na kar saka. Malini ke puchne par usne jhuth kaha taki kisi ko uspar shaq na ho aur koi dusra sawal na kiya jaye. Mukesh uppar chada aur uski ankhein andar kamre mein hi atak gayi. Manju pocha laga rahi thi jiski wajah se uske ghutne chatiyun ko daba rahe the aur vo chatiyan blouse mein se nikal kar bahar ane ko ho rahe the. Mukesh ka dil yahi kar raha tha ki vo kisi tarah ise pakad kar daba de aur apna lund iske sharir par ragad de. Manju ko is baat ka abhas na hua ki mukesh samne khada uske sharir ko ankhon se sambhog ki aag mein jala raha hai. Vo apne kaam mein magn thi aur mukesh apne, uske hath apne lund par jaa chuke the jise vo ragadne laga tha. Ragadte hue achanak uske hath se saman chhut gaya aur us shor ne dono ka dhayan toda, manju aur mukesh dono hi ghabra gaye aur mukesh ne aise jataya jaise vo abhi aya hai.

" abhi bahar rakh deta hu, aap safai kar le tab rakhenge andar " manju ne koi jawab nahi diya uske jaane ke baad jab usne apne sharir ki taraf dekha to use samajh aaya ki vo kahan dekh raha tha. Use ajeeb laga lekin ek bechaini ke sath jawani ki sirhan daudh gayi. Usne apna kaam khatam kiya tab tak mukesh saman laa chuka tha. Sirf ek khat bachi thi jo usne la kar ant mein rakh di.

" ab andar rakh dijeye, safai ho gayi hai " manju bahar ati use pehle mukesh andar ghusa aur jaan kar fisal gaya. Fisalte hi vo manju ke uppar ja gira aur dono farsh par gir gaye. Mukesh pehle se hi soch aya tha ki vo bahane se manju ke sharir ko chuega aur jab usne manju ko bahar nikalte dekha saman le jane ke bahane apna santulan kho diya aur saman ke sath manju ke uppar jaa gira.

Manju kuch samajh pati use pehle mukesh ne kuch hi pal mein uske purre sharir ko apne sharir ke niche daba liya tha. Hathon se uski chaityun par dabab daal dhire-dhire apni kamar hilane laga jise kapdo ke uppar se hi manju ke sharir ko bhogne laga. Manju ko jhatka tab laga jab use apne sharir par mukesh ka lund chubta hua mehsus hua. Uske sharir se ek pal ke liye sari takat hi nikal gayi vo na chahte hue bhi rok nahi payi aur mukesh ne usi ka fayda utha liya. Uthane ke bahane se usne uski chaityun ko aur masal diya aur hath uski nangi kamar par le jakar use sehlane laga. Mukesh ko laga ki uska lund bina chode hi pani baha dega par manju hosh mein ayi aur usne takat se mukesh ke sharir ko apne uppar se dhakel diya. Manju ka sharir kanp raha tha, uske kapde badan par kharab ho gaye the. Jhanghon tak ayi uski choli aur sine se hatti uski blouse jise usne fauran theek kiya aur khadi ho gayi.

" maaf karna, saman ke chalte per fisal gaya " mukesh muskurate hue bola aur uske piche ki krurta ko dekh manju dant pis kar reh gayi lekin boli kuch nahi. Fir dono ne mil kar saman kamre mein lagana shuru kar diya. Manju jald se jald kaam khatam karke mukesh se dur jana chahti thi. Malini apne kamre mein bechain baithi bar-bar photo ko dekh rahi thi jiske piche ek kavita likhi thi jiske niche nam likha tha bikram ka jise dekh kar yahi lag raha tha ki usne hi likha hoga par ye mumkin nahi tha isliye malini ko us baat par vishwas nahi ho raha tha.

" kaun hai " kiwad par dastak padhne se malini apni soch se bahar ayi.

" thakurain mei hun " manju ki awaz sun malini ne photo wahin chhodi aur kiwad khola. " thakurain kaam ho gaya hai " mukesh aur manju ke halat dekh kar hi malini samajh gayi thi ki kafi mehnat lagi hai.

" bahut acha, tum hath muh dho kar khana laga do "

" ji "

Malini ne mukesh ki taraf dekha jo wahin ukhdo hokar baitha tha kuch sochte hue malini sofe par ja baithi. " kaam acha kiya tumne " malini ne paise uski taraf badate hue kaha.

" thakurain ab paise ki kya jarurat "

" rakh lo tumhari mehnat ke paise hai " malini ke zor dene par mukesh ne paise le liye.

" bahut shukriya thakurain "

" hmm, kheton ki katai ka waqt aa gaya hai "

" ji thakurain, is baar fasal achi hui hai par barsat ne kuch fasal kharab kar di hai "

" to katai ke baad tumhe paisa madanlal deta hai? "

" nahi thakurain paison ka hissab hamare bhaisahab kar lete hai madanlal ji se, baki ghar mein roti pani chalta rehta hai isliye hum kabhi puche nahi ki kitna milta hai kitna nahi "

" hmm, madanlal ji se kabhi mulakat hui hai "

" ek dafa hui thi unke mehal mein, jis saal sukha pada tha, sabhi kissan unse milne gaye the "

" uske liye tumhe thakuron ki haweli ana chahie tha to sab unke pas kyun gaye? "

" ab vo hamka jada nahi malum thakurain lekin kheton ke kaam mein kabhi haweli ki dilchaspi nahi thi shayad isliye madanlal ji hi sab dekha karte the " mukesh ka jawab sun malini soch mein padh gayi.

" thakurain khana " manju khane ki thali lagate hue boli.

" tum bhi kha kar hi jao " malini ne mukesh se kaha aur vo khane baith gayi.
lagta hai kisi apne ne dhokha diya hai bikram ko... kuch toh baat hai joh woh is kavita ke jariye batana chah raha hai..
Khair....
Yeh mukesh apne harkato se baaz nahi aayega... udhar manju bhi hairan padesaan... yeh mukesh malini pe dore kyun nahi daalta.. kahe us bechari ke piche para hai..
is madanlal ke charche kuch zyada hi ho raha hai
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill :applause: :applause:
 
🔥 Read Next Hot Story →
Discover more exclusive stories

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,354
304
Dophar ke waqt malini kheton ke bich bani kachi sadak se hote hue chalti jaa rahi thi. Vo chahti to kisi sawari mein baith kar jaa sakti thi lekin use kehton mein chalna jada pasand tha. Kareeb adha ghanta se jada chalne ke baad vo wahan aa khadi hui jis jagah jane ke liye vo haweli se nikli thi. Usne darwaje par dastak di aur kuch samay baad ek aurat ne darwaja khola.

" ji " malini ko dekh vo boli.

" hume madanlalji se milna hai, kehna haweli se thakurain ayi hai "

" haweli se.. " vo thoda chaunki aur phir usne andar ane ka rasta de diya " aap baithye hum bulate hai " malini ko keh kar vo chali gayi. Malini baithi nahi balki hall mein bani deewaron ki chitrkari dekhne lagi. Haweli bhi ek waqt kuch isi tarah chamaka karti thi par aaj wahan sirf khamoshi ke alawa kuch nahi tha.

" to aap hai malini ji " apna naam sun malini ne us disha mein dekha jis taraf se awaz ayi thi. Usi ke umar-daraz ka ek admi malini ke samne khada tha.

" aap madanlal? "

" baithye " jawab dene ke vajaye usne baitne ka ishara kiya. Malini uske kehne anusar wahan ja baithi " thakurain ke liye chai ka prabhand kijeye " usne awaz laga ke kaha.

" chai rehne dijeye, hume madanlal ji se milna hai "

" unse to aap nahi mil sakti "

" wajah? "

" unka dehant to salon pehle ho gaya " jawab sun malini chaunk padi. Mukesh ke anusar usne madanlal se mulakat ki thi aur sirf usne hi nahi balki sabhi kisano ne.

" hume jaan kar afsos hua, to phir aap "

" hum unke bete vikrant "

" apke pitaji ki mrityu kab hui "

" kuch 6 saal pehle " vikrant ke jawab dene ke baad malini soch mein padh gayi. Ya to samne baitha shaks use jhooth keh raha hai ya fir ye ek itefak hai, kyun ki itne hi waqt pehle bikram bhi lapata hue the.

" hmm "

" kya hum apke ane ki wajah ko jaan sakte hai " vikrant ne sawal kiya aur table par naukrani chai rakh kar chali gayi.

" ane ki wajah to madanlalji se milne ki thi lekin ab vo nahi rahe to sawal bhi shayad puchna lazmi nahi raha "

" hume apke ane ki behad khushi hui, kafi naam suna hai apka aur apki haweli ka " chai ka cup utahte hue vikrant bola.

" suna hi hoga, unki zameenon ka hi to kha rahe hai " malini ka kehna aur vikrant ki nazar uppar uthna. Dono ek dusre ki ankhon mein dekhte rahe aur fir vikrant muskura pada.

" jaisa suna tha kuch usi tarah ki hai aap "

" shayad aap bhi " malini apni jagah se khadi hoti use pehle ek mahila hall mein bethar dakhil hui. Lehange choli mein, jewar sath ladhe hue balon ko kandhon ke ek taraf khula rakhe jise dekh malini ko apni jawani ke kuch din yaad aa gaye jo ab fike padh chuke the. Vo mahila bhi behad khubsurat thi, bilkul malini ko takar deti hui par malini ka dhayan uski khubsurti par nahi tha balki uske chehre par tha jaise koi jana pehchana chehra samne aya ho.

" vikrant apne hume bataya nahi ghar par mehman aye hai " usne malini ki aaur dekhte hue kaha.

" mira ye hai haweli ki thakurain malini ji "

" haweli? thakur chandraprakash wali? "

" ji han wahi "

" humne bahut suna hai maliniji apki haweli ke kisse, baithiye na khadi kyun hai " mira ke kehte hi malini vapis baith gayi. Aaj se pehle na to kabhi usne in dono shaks ko dekha tha na hi malum kiya tha. Haweli ki char diwari mein apna jeevan katne ke baad aaj use malum ho chala tha ki bahar ki dunia mein kuch log aise hai jo use vakif hai lekin vo nahi.

" lagta hai aap humse jada haweli ke bare mein janti hai " malini ki baat par mira muskurai.

" keh sakte hain, vikrant haweli ki kafi batein bataya karte the "

" inka koi gehra rishta raha hoga haweli se " malini ne tikhe suar mein jawab diya.

" wahi rishta hai jo apne abhi kuch der pehle bataya " vikrant bola

" hum kuch samjhe nahi "

" zameen se roti khane wala kissa " vikrant muskuraya aur malini ko samajh aya ki baton mein vo use maat de gaya.

" maaf kijyega hume apse ye janna hai ki haweli se apne uski zameen kyun churai ? " malini ne ab sidha sawal kiya.

" churana thoda bhari shabd hai malini ji " vikrant piche hote hue baitha aur mira ke chehre se muskan chali gayi.

" to aap us shabd ko kya kehna chahenge ki jo chiz haweli ki thi aaj us zameen par aap kabza kiye baithe hai "

" hum to naukar admi hai maliniji, salon se wahi kar rahe hai "

" salon se aap dhire-dhire haweli ke thakuron ki ankh mein dhool to nahi jhonk rahe ? " malini ki is baat ne mahol ko thoda bhari bana diya. Usne chai ka cup uthaya aur chai pine lagi. Usne baat jaan kar kahi kyun ki uske pass kuch sach tha jo shayad vikrant ke pas nahi tha ya phir vo chupa raha tha.

" malik apse milne pradhan sahab aye hai, humne unhe piche wale kamre mein baitha diya hai vo " naukrani pura bolti hi vikrant ne ishare se rok diya.

" unse kaho hum aa rahe hai " vikrant bol kar ek pal chup hua " aap hamari mehman hai maliniji, abhi thoda kaam aa gaya varna apse baat-cheet puri hoti, jo shayad fir kabhi hogi. Abhi ke liye maffi aur izazt chahenge " vikrant khada hua " mira itni dur se ayi hai thakurain, inhe apna mehal dikhaye bina mat jane dijeyega " vikrant ne hath jode aur wahan se chala gaya.

" lagta hai haweli ke man mein hum logon ke liye ber jada hai " mira ka andaz usi tarah shant tha.

" fal tabhi khatte malum hote hain jab unhe chakha jata hai. Mithe keh kar bechne ka dharam to hum insan ka bachpan se hi hai "

" baat to aap bahut acha kar leti hai, aiye hum apko apna mehal dikha de " mira apni jagah se khadi hui to malini ne bhi mana nahi kiya. Vo jo janna chahti thi uska andaza use ho chala tha. Kuch raaz haweli ke bahar bhi maujud the. Mira ne malini ko pura mehal dikhaya, itna alishan bana hua tha ki ek pal ko malini bhi usme kho gayi. Tab uski nazar ek jagah jakar ruki ek tasveer jise usne abhi tak kahin nahi dekha tha.

" ye kaun hai ? "

" kamal hai jinhe aap khojte hue ayi hai unhe hi nahi pehchanti "

" madanlal ji "

" ji, yahi hai " mira ke jawab dene ke baad malini ka shaq yakeen mein badal gaya. Us tasveer ke shaks ko usne apni zindagi mein sirf ek baar dekha tha lekin us waqt use malum nahi tha ki yahi madanlal hai. Uski shadi ki agli subah vo kitchen mein thi jab use bahar kisi ke chillane ki awaz sunai di jise dekhne vo bahar dehlez par aa khadi hui.

" thakur sahab aap "

" tum hume mat sikhao ki kaam kaise karwaya jata hai "

" maaf kijyega thakur sahab lekin hamari wajah se hi kaam ho bhi raha hai warna "

" bas, abhi tumhari ye aukad nahi hai ki humse unchi awaz mein baat karo "

" hum apse unchi awaz mein nahi balki sachai batane ki kosish kar rahe hain, aap mandir ke piche kuch bhi acha nahi kar rahe hain "

" humne tumhe apni zameen ke liye rakha hai na ki mashwara ke liye, ainda agar tumhare khilaf hume koi bhi shikhayat mili to us din tumhara is gaon mein akhri din hoga "

" aap mere begair barbadi ki taraf badhenge thakur sahab, chalta hun " malini ne us insan ko jatte hue dekha, wahan uske alawa bikram bhi maujud tha aur sath mein..

" maliniji " mira ne malini ko soch se bahar kiya.

" hume ab chalna chahie " malini ne mira ki koi pratkriya nahi dekhi aur bina kuch kahe mehal se nikal gayi. Mehal se bahar ane ke baad vo tab tak sochti rahi jab tak uski nazar samne ati gadi par na padi. Gadi theek mehal ke aage akar ruki. Usme se ek ladka bahar nikla jiske sar par patti bandhi hui thi. Usne ek dafa malini ki taraf dekha aur fir mehal ki taraf badh gaya. Malini ko malum ho chala tha ki yahan kuch aise sawal maujud hai jiska taluk sidhe haweli se juda hai. Kuch raaz haweli mein nahi balki haweli ke bahar bhi hai. Malini sochti hui wahan se chal padi.

Kheton mein badhte hue malini apni usi jagah jaa rahi thi jahan vo aksar ranjeet se mila karti thi. Aksar vo pahunch jati thi lekin aaj vo dur jhadiyun ke piche se hi ranjeet ko dekh paa rahi thi. Aaj vo har baar ki tarah aram se nahi baitha tha balki idhar-udhar bechaini se ghum raha tha.

" ranjeet " malini wahan pahunchte hue boli.

" thakurain, mei ab apke liye us mandir mein kaam nahi kar sakta " ranjeet ka ye andaz usne pehle kabhi nahi dekha tha. Uski ankhein puri tarah se lal ho gayi thi jaise vo puri raat soya hi na ho.

" tum kuch pareshan lag rahe ho, kya tumhe "

" kankal mila hai thakurain, vo mandir sach mein shrapit hai "
Vikrant :wtfrol: yeh toh yahan bhi aa tapka... yaani ki inhi logo ne haweli aur uske jameeno ko lut ke woh mehal banaya...
chor ke sath sath dhokhebaz aur dagabaaz bhi... mira toh gahno ki dukan bani fir rahi hai :D
Khair... yeh mandir ke piche kya hota tha?
aur ab yeh naya khulasha wahan pe kankal milna... gahri raaz chupi huyi hai..
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill :applause: :applause:
 
Top