Nevil singh
Well-Known Member
- 21,150
- 53,058
- 173
Yeh Kirti naam har prem kahani me jaadu karta hai dost sambhal kar rahna.
Aafreen alfajo se mahkti hui ek aur benajeer update se naqab uthaya hai mitr ne, Khubsurat hai dost.Update - 67
Kalasur k maare jaane Abhi ne 14 loko ki vyavastha dekhne k liye ...apne 14 roop sthapit kar diye ...aur sadharan roop mein Prithvi par apne pariwar k saath Sang harak ka kartvya nibhate hue rahne laga ....
Abhi k dada dai k marne k baad ab RVS aur Naina Gaon rah rahe the ..Shahar ki saari jimmedari ab Abhi ne sambhal li thi ....
Rimpy ko chodkar uski sabhi patniya ...uske mukhya ..teen patniyo mein sama gayi thi .....Shivali ...Ritu ..aur .Vibhakta ..ko bhi santan sukh ki kaamna thi ....aur Rimpy bhi garbh wati thi ...issiliye Abhi Apni charo patniyo k saath ....aur Pariwar k saath rahne ka nirnay liya ...
waha rahkar ek taraf toh apne putra hone k kartvya ko nibhate hue apne pita RVS ka saara karya bhar sambhal raha tha ....wahi dusri or sangharak bankar apradh jagat mein panapne wale apradiyo ko uchit dand dekar apne kartvya ka nirvah kar raha tha ....
bhale hi Abhi ne KS k saare asuro ko maar diya tha ...parantu abhi bhi kuch asur jo uss mahayudh se bhag gaye the ..woh chupkar pritvi par rah rahe the ....aur apradh jagat ka niyantran kar rahe the ....
Burai rakt beej ki tarah hoti hai ..jaise jaise iska ant hota jaata hai ..waise waise aur naye burai k numainde paida hote rahete hai ....aise hi 8 asur jo KS k sainik the aur uss yudh se bachkar bhage the ..unke paas saririk bal k alwa aur koi power bahi thi .....woh yaha prithvi par gupt roop se rah rahe the ....unhone ..under world par kabja banaya hua tha ....Sangharak k bhay se woh pragat roop mein toh kuch nahi kar paa rahe the ...lekin ..abhi bhi kai apradh gupt rup se chal rahe the ....
yeh 8 asur humare system mein aise ghus gaye the ...k ..koi bhi ...unke vastavik roop se unhe nahi jaanta tha .....yaha tak k unke liye kaam karne walo ne ...bhi unhe Kabhi nahi dekha tha ... ....unki pahunch system mein bahut gahri thi ....unhone apne syndicate ka naam Black Eagle rakha tha ...Under World yeh naam hi kaafi tha ... Sangharak k kaaran ab Under world hawala ...neto k jariye corruption ...aur chote mote apradh ...par survive ka rahe the .....
Samay par Rimpy ne ek sundar balak ko janam diya ..Abhi ne uska naam ..Thakur ..Deepak Singh (Deepu) rakha , Deepu k janm k ek kuch mahino baad Shivali ..Ritu ..aur Vibhakta k bhi ek ek santan hui ....Shivali ka beta Shivom ....Ritu ka beta ...Krishna ....Aur Vibhakta ...ka Virat ....
unn teeno mein apni matao ki kuch shaktiya bachpan se hi thi ...Golu un teeno k thoda bade hone k baad ....unke prashikshan k liye ....Maha guru k aashram le gaya tha ...
Deepu mein janam se koi vishwsh powers nahi thi .. uske bhiter apne nata pita k gun the .... buddi mein apni mata Rimpy ki tarah tez ...aur bal ..aur shaurya mein apne pita saman tha ....uski Bhi training 5 varsh ki umar se hi shuru ho gayi thi ....
best fighters ..aur trainers usse trained kar rahe the ....jab unki training poori hui toh Abhi khud usse yog ..dwara apne chakra ..jagrit karne ka prashikshan dene laga ....Kabhi Kabhi Rakesh aur Rinku bhi usse ..weapon training aur fighting skills sikhate the ...
Shivam..... Krishna aur Virat k jaane k baad Abhi ne apne Sangharak roop ko wahi choda ...aur ....Apni teeno patniyo k saath Janalok chala gaya ...kyu ki paruwarik moh se jyada unke liye ...apna kartavya ..jyada jaruri tha ....
Aaj Deepu 18 saal ka ho raha tha ...unke vash ki paramprao k anusar ...aaj Gaon k mahal mein sthit gupt Shivalaya mein ...aaj ..usse Sangharak ki shaktiya ...prapt hone wale thi . ek bahut badi jimmedari uske kandhe par aane wali thi ....
Deepu gahri neend mein soya ...apne sunahre sapno mein khoya tha ...k tabhi uske mobile ka alaram baj utha ....jisase uski need khul gayi ....abhi subah 5 baje ka samay ho gaya tha ..woh jaldi se utha ....aur apne nityakarm niptakar ...dhyan mein baith gaya ....Abhi k prayatno ....aur uski kadi mehnat k kaaran ..woh aagya chakra tak k chakra jagrit kar chuka tha ....Janam se bhale hi usmein koi powers nahi thi ...paratnu apne athak prayas ..aur kadi training karaan ....aaj woh har tarah ki fighting skills aur mein poori tarah trained ho gaya tha ....aur saath hi apne chakro ki urja ka prayog karna bhi sikh gaya tha ....
Aise hi dhyan karte hue usse kaafi samay bit gaya tha ....jab usne aankhien kholi toh saamne dekhkar uske chehre par muskurahat aagayi ....uski pyari gudiya ...uske saamne ....uske hi saman aasan jamakar baithi hui thi ....aur ek aankh kholkar usse dekh rahi thi ...
Deepu - kya kar rahi hai ..meri pyari choti shaitan ...
Neetu - bhai mein koi saitan thode hi hu ...mein toh Neetu hu na ....
Deepu ne usse apni goad mein khich leta hai aur uske gaal par kiss kar deta hai ....accha toh kya jar rahi thi meri gudiya ..
Neetu - woh toh mein aapko wish karne aayi thi na toh aap ause dhyan mein baithe the toh mein bhi baith gayi ....
Deepu - lekin tumne toh wish kiya hi nahi ....
Neetu - apne sar par haath maarte hue ...ooffo mein toh bhul hi gayi ...GM bhai ...& Haapy birthday ....aur Deepu k gallo par kiss kar deti hai
Deepu - thanku mera baccha ...ab ..jaao aur jaldi se tayar ho jaao ...hume aaj gaon k liye bhi nikalna hai ....
Neetu chali jaati hai ...abhi subah k 9 baj gaye the ....Deepu ko aaj apne aur teen maa Shivali ..Ritu aur Vibhakta ki kami bahut khal rahi thi ...aur uske teeno bhai ..Shivom ...Krishna ..aur ...Virat ...ko bhi woh bahut muss kar raha tha ...usne kai vaar Abhi se pucha tha ....lekin Abhi uske iss baat ko taal deta tha ....
.Deepu ab utha ...aur apne bed k paas gaya toh ..waha ek naya ...ek suit tha jo Rimpy ne rahka tha ..jab Deepu dhyan mein tha .....tayar hokar woh neeche aaya ....
Neeche Abhi drawing haal mein baitha subah ki news dekh raha tha ...Addu aur Rimpy kitchen mein Breakfast bana rahi thi ...ghar mein naukaro k hote hue bhi ...BF ..woh khud tayar karti thi ...
Deepu ne Abhi k pair chuye ....aur Aashirwad liya ...
Abhi - usse gale lagate hue ...jeete rho mere bacche ...mera Aashirwad hai k jeevan k har oadav par tumhe safalta mile ....
Deepu bhi Abhi k saath baitkar News dekhne laga ....
News reader - roopnagar k ...mahshur tourist spot mein hue aaj ek aur haadsa ....yaha k sarowar mein tairne gaye 4 navyuvako ka kuch pata nahi chala ...dekhne walo ka kahna hai ...sarowar k kinare ...nahate hue ...achanak pair fisalne se ..woh sarower k gahre oaani mein kahi kho gaya ...uss samay waha maujood kuch tairako ne unhe dhundne ki koshish ki lekin unka kuch pata nahi .....aapko taad dila de ...k abhi kuch din pahele bhi aisa hi gaadsa hua tha tha ....
hum puchna chahte hai aakhir prashasan kya kar raha hai kab tak aise hi ..baccho ki jaane jaati rahegi .....
Deepu - aapko kya lagta hai papa ....kahi inn mein toh kissi aur ka koyi haath nahi .....
Abhi - inn news walo ko bas koi mauka chahiye hota hai sarkar ko gaali nikalne ka ...ab ..inn sab .mein sarkar kya karegi .....yeh zheel bahut badi ..aur gahri hai ..puchle hafte ..bhi aisa hi juch haadsa hua tha ...toh pahele muzhe bhi kuch shak hua ....uss samay bhi 6 bacche iss zheel mein lapata ho gaye the ....maine bhi unhe dhundne ka prayatna kiya ....lekin woh kahi nahi mile ...iss samay baarish k kaaran ...zheel mein paani bahut hai ..aur .....yeh zheel ghane jungle tak jaati hai ....waha bahut bade bade magarmach hai hosakta hai ...woh bacche unhi ki bhent chad gaye ho
tabhi ek aawaj ne unka dhyan aakashit kiya .....Arre bhai baap bete mein kya baat ho rahi hai jara hume bhi toh pata chale ....yeh tha Sunil Singh ..Adira k pati ....aur yske saath the uske do bacche ...ladka shubham jo Neetu ki hi umar ka tha ...aur 6th mein padhta tha ...Aur ladki thi ...Priyanka jo 8th mein thi .....
Abhi - aao aao Sunil ...woh khuch khas nahi bas asise hi news k baare mein baatein chal rahi thi ...Aao baitho ...aur batao kaise chal raha hai business ..
Sunil - woh sab baad mein saale sahab pahele jara Birthday boy se toh mil le ....
Deepu ne aage badhkar Sunil k pair chue ...aur Sunil ne bhi usse Aashirwad diya ...
Tabhi Shubham aur Priyanka daudte hue aaye jaise unmein race si lagi ho ....Shubham daukar sidha Deepu se lapak gaya ....
Shubham - mein jeet gaya ..mein jeet gaya ....
Sunil - Shubham ..aur priyu yeh sab kya hai ....
Priyanka - maine kuch nahi kiya dad yeh toh shubham ne hi bolo tha ..k kaun sabse pahele bhai ko wish karta hai ....
Deepu - arre ismein race lagane ki kya baat hai tum dono aao ....aur Deepu ne dono ko apni baahon mein bhar liya dono ne Deepu k gaal par kiss karte hue usse ek saath wish kiya ....tabhi Neetu bhi tayar hokar aagayi ....
thodi der baccho mein aisi hi thodi masti chalti rahi ..phir naukar ne aakar ...bataya k Breakfast tayar hai ....sabhi Dinning hall mein pahunch gaye ....Addu aur Rimpy aaj khud serve kar rahi thi ...Breakfast ki khushbu bahut acchi aarahi thi issiliye sabhi ka dhyan bf ki taraf tha ...lekin Deepu ko toh jaise kissi ka besabri se intajar tha ....
Tabhi dinnig room k darwaje par uski nazre jaise tahar gayi ....waha Kirti ..black top ..aur ..blue jeans mein kamal lag rahi thi ....uski kajrari aankhien gulabi patle honth aur doodhiya rangat ...
Deepu jaise usmein kho saa gaya tha ...Kriti bhi apne Rajkumar ko dekhkar jaise kho hi gayi thi ...woh kaskar apne meboobk seene se lagna chahti thi ...lekin itne sab k hote hue ..aisa karna sambhav nahi tha ....
Rimpy aur Abhi ka dhyan Deepu par gaya ...k woh kaha khogaya hai ..jab unhone Kirti ko dekha toh sab samaz gaye ....unhe apna samay yaad aagaya ....k....ek din Rimpy aise hi khadi thi aur Abhi bhi usse aise hi ghur raha tha ....apne bite hue palo ko yaad karke unke chehre par muskan aagayi ......
Tabhi darwaje se do jaane pahchane shaksh aaye .....yeh tha Rinku ..aur Uski Patni Lima .....Kirti unhi ki beti thi .....
Rinku - Arre bhai ....jara humare liye bhi ruk jaate ...naaste k liye ...wah bhabhi kya khusbu aarahi hai .....
Lima - kya aap bhi itne bade ho gaye ho lekin bachpana nahi gaya ....
Abhi - bhabhi ..iss dumchale ko kuch mat kaho yeh jaisa bhi hai aise hi accha hai ....
Abhi aage badhkar Rinku ko gale laga leta hai ....Lima bhi Rimpy k gale lag jaati hai ...
Lima - kriti se ....arre beta waha kyu khadi ho ...ghar mein toh yaha aane k liye badi utawli ho rahi thi ...ab yaha kya ho gaya
Rimpy - vas karo Lima tum neri bacchi ko kuch nahi kahogi ...itna jahkar Rimpy ..Jirti k paas jaakar uske sar par haath pherti hai aur usse gale laga leti hai ....
yaha Rinku bhi Deepu ko wish karta hai ....Deepu bhi Rinku aur Lima ka Aashirwad leta hai ...Kirti bhi usse wish karti hai ....phir sabhi dinning table par baith jaate hai ...Kirti ..thik Deepu k saamne baithi hui thi ...issiliye Uske dhyan baar baar uski taraf jaa raha tha ...
Abhi deere se Deepu ko - ab ghurna bas karo barkurdar aur bf karo hume jaldi nikalna bhi hai ...
uske baad kirti aur Deepu ki aankh micholi k saath saath ..Breakfast ..hua ...uske vaad sabhi ..apni apni gaadiyo mein gaon ki or nikal pade ...Deepu k kuch khas college k frnds bhi aaye the ..jinke baare mein aage pata chalega ..unke liye ...badi ...gadi arrange ki thi ....
Gaddiyo ka kaarwa Old Roopnagar ki taraf badh chala ......
Yaha gaon mein Rana mahal aur poora gaon sajaya hua tha ..ab yeh goan bhi ek nagar mein badal chuka tha ....lekin abhi bhi yaha k logo ka mkya kaam tha kheti ....
Rana Mahal poori tarah phoolo se sajaya hua tha ...RVS aur Naina ...jhud apne pote k swagat ki tayari ...dekh rahe the ....Abhi k nana nani toh ab nahi rahe the .....Abhi k chacha bua aur unke parwar sabhi waha aaye hue the ...yaha inke baare mein itna detail nahi bataunga ..kyu ki iss part mein unka koi khas role nahi hai ...
RVS Aur Naina ko Abhi k kaafile ki Gaon mein pravesh karne ki khabar milti hai ...toh woh pooja ki thali liye mahal k mukhya dwar par kgade ho jaate hai ....tabhi unke intejar ki ghadiya samapt ho jaati hai ....aur gadiyo k kaafila waha aakar ruk jaata hai ...
RVS aur Naina apne jigar k tukde Deepu ka tilak karte hai aur uski aarti utarte hai ....Depu apne dada dadi k pair chuta hai ...RVS usse uthakar gale laga leta hai ...
RVS - mere sher teri jagah waha nahi taha mere dil mein hai ...aur uski pith thaptapate hue ....wah ab toh tu bilkul gabru jawan ho gaya hai ....
Deepu ne Naina ka bhi Aashirwad liya ...Naina ne uske maathe ko chuma ....aur usse gale laga liya ......yaha Deepu se milne walo ki line bahut lambi thi ..uski sona aur pari bua ....Abhi ki bua chacha mama & family ...Sabse milte milte bahut der ho gayi .....Abhi k sabhi dosto ki vyastha mahal mein ho gayi thi ....Abhi ...Maha guru k shisya aacharya Divyansh jo ab unka gurukul sambhal rahe the ....unke saath Magal k guot shivalaye mein Abhishek ki tayari kar rahe the ...
suryastha ho gaya tha ...Shuvalaya k saari tayariya ho ..gayi thi ....Abhi Deepu ko lekar ...Mahal k apne kaksha ....k deewar k paas pahuncha ...tabhi uss deewar mein ek gupt dwar pragat ho gaya ..Deepu aascharya se uss dwar ko dekh raha tha ...kyu ki woh kai baar yaha aa chuka tha aur iss kaskh mein kai kai dino tak rah bhi chuka tha ..parantu usne kabhi yeh dwar yaha nahi dekha ....
Abhi Deepu ko lekar uss dwar mein pravesh karta hai aur shivalaya pahunch jaata hai ...yaha pahunchkar toh Deepu aur aaschrya chakit rah jaata hai hai ....kyu ki yaha ek aur Abhi uski aur teeno maaye Shivali ..Ritu ..Aur Vibhakta jinhe woh bahut miss karta ..woh wahi khadi thi .....apni teeno maa ko dekhkar Deepu bahut khush hua ...lekin abhi bhi woh confusion mein tha ..k ek Abhi uske saath tha aur ek uski teeno maao k saath ....
Deepu k saath jo Abhi tha woh tha A1 jo Abhi k janalok jaane k baad sangharak ki bhumika aur pariwar ka kartavya sambhal raha tha ....
Abhi - aise kya dekh rahe ho beta ...miloge nahi apne pita se ...
Deepu ne ek bazar A1 par daali ..toh usne haa mein ishara kiya ...Deepu ne aage badhkar Abhi k charan chuye ...Toh Abhi ne bhi usse gale lagakar Aashirwad diya ....
uske baad Deepu apni teeno maao se bhi mila aaj itne varsho baad usse apni inn teen matavo se milkar bahut accha laga ...woh teeno bhi uska maata chumkar usse gale lagakar uspar apni mamta luta rahi thi ...
lekin Deepu abhi bhi Abhi k do roopo se confuse tha ....tab Abhi ne usse saari baat sanskep nein bata di ....apne pita ki shaktiyo ka gyan hote hi uski shraddha aur badh gayi ...usne phir apne Pita k charno mein naman kiya ..
Deepu - maa Mere teeno bhai kaha hai ...unhe dekhe bhi vahut varsh ho gaye hai ...
Shivali - beta woh bhi golu chachu k saath aate hi honge ...
uske baad Deepu k haatho aacharya Divyansh k dwara Rudra abhishek karaya gaya ...aur uske baad ..Abhi ne sankalp karke ...Sangharak ...ki saari shaktiya ....Deepu ko pradan ki ..woh shaktiya ek prakash k roop mein Deepu k bhiter pravesh kar rahe ..thi ..aur uske prabhav se usse halke halje zhatke bhi lag rahe the .....
Sangharak ki shakti prapt hote hi Deepu ...k haath mein ek divya talwar pragat ho gayi ...ab Deepu ban gaya .. apradhiyo ka kaal sangharak ...
Abhi k liye itna hi ...
Agla update jald hi ....
doston yaha mein aapko batana chahta hu k har kaha ni ka ek hi main hero hota hai . aur ek main villan ....Iss bhag mein Deepu ka part jyada hai lekin main villan ko maarega apna hero Abhi hi ....
kuch readers yeh bhi soch rahe honge k Arsalan ...Darmen ..kcera ka iss modern era se jya connection hai aur kahani uss saamay se iss era mein kaise pahunch gayi ....toh unke liye vas itna hi kahunga k Darmen k era se uss modern era ka bahut gahra connection hai ....saath bane rahite aapko dhere dgere sab pata chal jaayega .....aur gaa ..apne valuable comments aur review dena mat bhuliyega ...
Stay safe & Stay Happy ....
Thanku soo much bhai for superb supportSuperb update bhai maza aa gaya age dekhte hai dono era m kya connection hai .