• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Haweli ~~ " The Night Is Dark " (completed)

What makes reader feel while readng " Haweli " title story?

  • Total voters
    35

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,106
16,134
219
Andhera itna tha ki kali padh chuki haveli hote hue bi dikhai nai de rhi thi, charon aur sanata tha aur haveli ke aas pass dur dur tak is andheri raat mein koi bhi nai tha, kuch tha to vo sanata jiski awaz suni to nahi jaa sakti thi lekin mehsus jarur ho rahi thi....

Us sanate aur andhere mein jahan roshni ka namo-nishan na tha, usi samay haveli ki khidkiyun par ek roshni jhalak rahi thi jese vo us roshni se khidki ke bahar jhankne ki kosish kar rahi ho par darasal vo khidki se bahar nahi balki dhire-dhire niche utar rahi thi. Ek hath mein laltein liye aur dusre hath mein ek glass vo dhire-dhire sidiyan utar rahi thi. Uske chehre par ghabrahat thi, sidiyan utarte sath hi usne bina der kiye apne kadam samne kamre ki taraf badha diye par vahan pahunchte hi vo ruk gayi. Uski sansein ek dum hi tez ho chali thi, blouse mein kasi uski chatiyan zor-zor se uppar niche hone lagi, usne kuch pal yun hi vahan khade guzar die aur phir darwaje par halka dhakka dete hue use khol dia, andar roshni pehle se thi uske sath us kamre mein ek awaz gunj rahi thi jo haveli mein to thi par bahar tak nahi pahunch rahi thi.

PDF Link for this Story : https://www.mediafire.com/file/xpsslq65yowlt7c/Haveli_%7E%7E_The_Night_Is_Dark.pdf/file
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,106
16,134
219
* मालिनी की बहन... रानी ।
मालिनी के नजर में उसकी बहन की मौत की ज़िम्मेदार है उसकी सहेली शालु ।...... लेकिन सिर्फ उसकी एक बालों को बांधने वाली क्लीप और शालू की खेतों के बीच सेक्स करते हुए अपने पार्टनर को कहना कि " वो रंडी रानी कह रही थी तु शहर जा रहा है " से कहां पता चलता है कि शालु ने रानी का खून किया है ।

लेकिन एक बात तो है रानी के मरने के एक हफ्ते बाद मालिनी को शालु पर शक हुआ और एक हफ्ते पहले ही शालु रफूचक्कर हो गई ।

और रानी के साथ हुए इन हादसों के दौरान अजीत ( इंस्पेक्टर ) को मालिनी ने वहां देखा था....... अब पता नहीं कि इस के अंदर भी कोई राज हो ।

* विक्रम पढ़ा लिखा नहीं था.... आज मालूम हुआ । लेकिन मैंने पहले भी शक किया है कि वो शायरी विक्रम ने नहीं लिखी थी ।

* आखिर मालिनी ने अपने ससुर के कमरे में गुप्त तहखाने को खोज ही लिया ।

* सस्पेंस तो तब तक पीछा नहीं छोड़ेगी जब तक कहानी का लास्ट अपडेट ना आ जाए ।?

As always awesome update Harshit bhai.

Thank you bhai :hug:
Shalu par shak karne ke liye ye chiz bahut thi us samay, mansikta badi chiz hai...
Han bhai piche to vo tab tak rahega jab tak malini ko kuch pata nahi chal jata..
Keep reading bhai :bow:
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,106
16,134
219
" manju tum din ka khana bana kar rakhna, hum thodi der mein atte hain " agli subah malini haweli se nikli aur nikalne se pehle usne haweli ka phone utha kar dekha jo kafi waqt se nahi chal raha tha aur abhi bhi nahi chal raha tha. Manju hairan thi kyun ki jabse vo haweli ayi thi tabse kabhi bhi malini ne phone ka istemal nahi kiya tha.

Malini ne aaj salon baad haweli ki gaddi hath lagai hogi. Usne manju se gaddi saaf karai, vo malini ke achanak aye badlav ko dekh thodi soch mein thi. Vo puchna to chahti thi lekin usne aisa karna theek nahi samjha. Usne gaddi saaf ki jo aksar bablu kaka hi chalaya karte the. Malini ne gaddi start ki aur haweli se nikal gayi. Kachi sadak par gadi daudate hue malini ek kache dhabbe ke samne ruki jo nadi ke kinare bani hui thi. Vo gaddi se utri aur dhabe ke karib chal di. Uske Bachpan se ye dhaba yahan tha aur aaj bhi usi sithti mein tha bas samay ke sath isko chalane wala insan badalta raha.

" phone karna hai " malini ne pucha to wahan kaam karne walle ladke ne phone ki taarf ishara kar diya. Malini us kone par gayi aur sath mein layi kagaz par likhe number ko milaya. Use umeed thi ki nahi milega lekin ghanti bajne lagi aur uski bechaini bhi. " hello " samne se awaz sun kar usne fauran phone kaat diya. Uske mathe par shikan badh gayi. Vo ek pal yun hi khadi rahi aur usne kagaz ko modh kar chupa liya aur ek baar phir phone par number milana shuru kiya.

" helo " phone uthate hi vo bola.

" hume lag raha tha ki aap sheher se wapis aa gaye " malini ne kaha to kuch pal tak samne se khamoshi chai rahi.

" maliniji? "

" ji, apne kaha tha ki aap hume soch kar batane wale hai, lekin apka khat aya nahi "

" maaf kijyega, hume waqt nahi laga "

" koi nahi vaise bhi humne khat bhijwa diya hai "

" apne khat bhijwa dia? koi jawab aya "

" ji abhi tak to nahi "

" hmm, to kya faisla kiya apne jisko apne khat mein likh kar bheja "

" vo hum apse mil kar batayein to jada acha hoga "

" beshak "

" to hum apke daftar adhe ghante tak pahunchte hai " malini ne phone rakh diya aur ek jagah ja baithi. Usne sharmaji se to keh diya tha ki vo adhe ghante mein pahunch rahi hai jabki vo uske daftar se bas panch minute ki duri par hi thi. Ye wo jagah thi jo sheher se jodti hui nadi par jo pull bandha hua tha vo ek matr pull tha sheher tak jane ka. Gaon se dur padta tha ye rasta lekin malini bachpan mein rani ke jane ke baad aksar kai baar vo is jagah chalte hue aa jaya karti thi, nadi-kinare.

" memsab kya lengi aap? " malini ko soch se bahar nikalte hue us ladke ne kaha.

" ek chai la do hamare liye " malini ne use kaha aur fir nadi ki aaur dekhne lagi, jiska pani uske bachpan mein bahut saaf hua karta tha par ab jaise nadi bachi hi na ho. Rani ke jane ke baad vo aksar ghumti hui isi nadi ke kinare par aya karti thi jahan uski ek do saheliyan bhi bani lekin unse kabhi wapis mulakat nahi hui.

" malini aaj to aa jao, roz hume hi nahate dekhti rehti ho "

" nahi reema aap hi nahao, hume sharam ati hai kal apne kapde le ayenge tab naha lenge "

" koi nahi ata idhar, hum bhi to naha rahe hain " geeta boli jo usi ki behen thi.

" par koi aa gaya to "

" to hum tumhe pani ke andar duba denge " reema ne jawab diya aur dono khil-khila kar hasne lagi. Malini pichle kuch dino se reema geeta ko mana kar rahi thi aur jada mana karke unka dil nahi dukhana chahti thi.

" pani to thanda hai " malini andar ghuste hi boli aur un dono ke pass pahunch gayi. Reema aur geeta bhig chuki thi, unke badan par unke kapde chipke hue the aur yovan unke kapde ke bahar jhank rahe the.

" ab ayi ho to ek dubki bhi laga lo " geeta boli.

" nahi nahi hume ghabrahat hoti hai "

" kuch nahi hoga " geeta ne kaha aur malini ka hath pakad liya. " reema zara dubki to lagwa hamari malini ko " malini mana karti rahi lekin dono ne mil kar use pani mein dubaya aur fir bahar nikala. Malini ne abhi gehri sans khinchi hi thi ki reema geeta ne fir dubka diya aur bahar nikal liya. Malini apne chehre se baal hatate hue gehri-gehri sans lene lagi. Dono malini ke chehre par chaye bhay ko dekh hasne lagi.

" bahut bure ho tum dono " malini hanfte hue boli.

" geeta dekh to malini ka yovan kitna sundar hai, kash mera aisa hota "

" baat sahi hai apki, iska youvan to mujhse bhi jada hai " geeta ne malini ki chatiyan daba di jiske dana kapdon ke bhetar se bhi dikh raha tha. Malini thoda jhenp gayi, aaj tak uske alawa kisi ne uski chaityan nahi chuhi thi, uski maa ne ek-do baar chui thi vo bhi samjhane ke liye ki badi ho rahi hai chori inka dhayan rakhio ladke sabse pehle inhe hi ghurte hai par us waqt malini ne apni maa ko hi dant diya tha lekin aaj in dono ko wo kuch na keh saki.

" jo koi bhi ladka hoga bada khusbnaseeb hoga jo malini ke yuvan ko chuhega uska ras nikalega " geeta ada se boli.

" aisa na bol reema warna naddi mei hi beh jayegi "

" chii, kitni gandi batein karti ho tum dono " malini ne muh banate hi kaha. Ek pal dono use dekhti rahi aur fir khil-khila kar hasne lagi. " aap dono hans kyun rahi hai? humne sahi to kaha, ye sab to gandi chizen hai " uske dimag mein shalu ki chudai ghumne lagi fir rani ka marna aur uske baad jo hua sab kuch.

" are meri malini pyari ye batein gandi nahi hai, balki yahi sukh hai, ek aurat ka yovan jitna ghana hota hai use utna hi pisa jata hai aur us pisne mein jo maza hai use bada sukh koi aur nahi hota " geeta fusufate hue boli. Na jane kya ada thi uske kehne mein malini ki sansein ukhadne lagi, pehli baar use mehsus hua ki uska sharir ab jawan ho raha hai lekin dimag is jung ko jeet raha tha.

" hume fir bhi nahi pasand " usne apni nazre fer li.

" ek din jab iska youvan ragda jayega tab hi ise malum hoga " reema ne kaha ya geeta ne malini ko ye nahi pata chala kyun ki uski nazar nadi kinare bane ped par tiki thi jahan use kisi ke hone ka abhas ho raha tha jo un teeno ko nahate hue dekh raha tha.

" malini, malini, malini, memsab, memsab, memsab " malini se memsab mein bdalti awaz sun vo hosh mein ayi. Samne wahi ladka khada tha jo chai ka puch kar gaya tha.

" aapki chai " usne chai rakhi " aur kuch chahie ? "

" nahi, shukriya " malini ka jawab sun vo chala gaya aur malini chai pine lagi. Uski nazar usi ladke par thi jo us dhabe ke sarre kaam kar raha tha. Malik andar tha aur vo use wahin se hukum de raha tha.

" chotu zara wakeel babu ke daftar mein do chai aur pakode lekar jaa aur unke bagal mein jo gadi theek karne wala ramlal hai uska hissab lekar aio, salle ne pichle mahine ka udhar abhi tak nahi diya "

" han seth abhi jata hun "

Malini ne chai pine ke baad cup wahin rakh kar paise diye aur gaddi ki aaur badh chali. " chotu naam hai tumhara " gaddi ke pas khade reh kar vo usi ka intezar kar rahi thi jab vo chai aur pakode ko akhbar mein lapete wahan se nikal raha tha tab usne use rok liya.

" ji kahiye "

" idhar suno " vo malini ke pas aya.

" kab se kaam kar rahe ho idhar "

" memsab ab kitne saal hue ye to hume nahi malum par hamara kad chota hua karta tha tab se hi kaam kar rahe hain, ab aap hamare kad se khud hi andaza laga lijeye " chote se sawal ka chotu ne lamba jawab diya.

" hmm, vakeel babu ko jante ho tum "

" janna kya hai memsab, ye chotu sab ko pehchanta bhi hai aur vakeel babu to aksar yahan chai nashta karne ate hain lekin aap kyun puch rahi hai " chotu ne jawab ke sath ankhein gehri karke sawal kiya. Malini ne gadi mein rakhe purse ko khol kar 50 rs ka note uski taraf badhaya. 50rs dekh chotu ki ankhein chamak uthi aur usne fauran use pakad liya. Malini nahi chahti thi ki chotu uski baat kisi aur ko bataye jaise vo use puch rahi hai koi aur bhi use puch sakta tha isliye usne paise ka akarshan dikha kar use apni taraf kar liya.

" tumhare kaam ki mehant ko dekh kar de rahi hun aur jis tarah seth tumse kaam karwata hai use dekh kar lagta hai tumhe vo jada paise nahi deta hoga "

" ab apko kya batau memsab, seth kam kya paise deta hi nahi, kanjus hai, par kaam ke badle khana aur rehna ke liye de deta hai "

" kahan rehte ho tum "

" nadi ke kinare ek kamra hai wahin par reh leta hun "

" hmm, theek hai, kabhi jarurat padi to tumhe firse yaad karenge hum "

" bilkul memsab, ye chotu apka har kaam kar dega "

" hmm " malini gadi mein baithi hi thi ki chotu ko jaise kuch kehna baki reh gaya tha.

" aap kuch vakeel babu ke bare mein keh rahi thi "
 
harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,106
16,134
219
" lijeye chai " malini abhi yahi chai pikar ayi thi jise sharma pine ke liye keh raha tha. Malini ne chai ka cup liya aur uski ek chuski lete hue cup wapis rakh diya.

" apko kaise pata maliniji ki hum aaj wapis aa gaye hai seher se "

" andazan tha sharmaji, hume laga apne jawab nahi diya to socha apse puch hi lein "

" hum uske liye maffi chahte hain, sheher jakar kuch kaam is tarah ka fans gaya tha ki usme ab apko batana bhool hi gaye ki apki samsya ka hal dena "

" koi baat nahi " malini chote jawab de rahi thi.

" apne phone par bataya tha ki apne karuna ko khat bhej diya hai to kya socha hai apne " pakode ka tukda kate hue vo bola.

" wahi jaisa apne kaha tha, humne wahi kiya " malini ke jawab dete hi sharma apni seat se aage ki taraf jhuka.

" yani apko vasiyat ke bare mein pata chal gaya "

" han bhi aur nahi bhi "

" mei kuch samjha nahi "

" humne karuna ko haweli ka hissa dene ke liye apna man bana liya hai sharmaji " malini ne chai ka cup utha kar ek aur chuski lete hue kaha aur cup table par rakh diya. Kamre mein chal rahe pankhe ki awaz mahol mein raha.

" kya mei puch sakta hun ki apke man badlne ke piche ka karran kya tha? "

" hume lagta hai ki jo bhi man mutav raha hamara neelam didi se uska karuna se kya taluk. Vaise bhi hum haweli ki itni jaydad ka karenge bhi to kya "

" haweli ke pas bacha hi kya hai maliniji " malini ko isi jawab ka intezar tha.

" kya matlab? " malini ne turant pucha aur sharma kuch der ke liye chup ho gaya.

" apko to malum hi hai maliniji, thakur sahab humse apni zameeno ko lekar ray liya karte the aur unke kanuni madad bhi hum kiya karte the. To hume malum hai ki haweli ke pas kya bacha hai aur kya nahi "

" yani apke pas haweli ke sarre zameen ke kagaz hai "

" han jitne bhi thakur sahab ne hume diye vo sab hai par ab unme se haweli ke liye bahut kam zameen hi bachi hai "

" kya vo kagazat aap hume de sakte hai "

" beshak, vo apki hi hai ab "

" aur kya aap hume ye bata sakte hain ki baki zameen ka kya hua? "

" ab jane dijeye kyun purani batein karke usme apna samay vyatit karna " sharma ne baat ko talne ki kosish kari.

" kai baar purana samay ane wale samay ko badal deta hai sharmaji, apse behtar kaun jaan sakta hai "

" baat apki theek hai " vo apni kursi par aram se baitha " baat asal mein thakur sahab ke jane se pehle ki hai. Meri unse vo akhri mulakat thi haweli mein, bikram ke jane ke baad vo pareshan the kisi chiz se, aisa mujhe laga lekin unki batai hui wajah mujhe abhi bhi yaad hai "

" thakur sahab ho sake to aap apni sehat ka khayal rakhe "

" sehat ka khayal rakh kar bhi kya faiyda zine ki icha hi khatam ho gayi hai vakeel babu "

" samajh sakta hun, par bhaorsa rakhiye, bikram ki khabar mil jayegi " meri baat par thakur sahab chup rahe. " apne mujhe bulwaya tha, kuch kaam tha mujhse "

" han vakeel babu, hum apse ek kaam chahte hain, use aap hamare liye kar dijeye "

" kahiye "

" haweli ki kuch zameen bechni hai "

" bechni hai, koi khas wajah? "

" wajah hai bhi aur nahi bhi, filal aap mera kaam karwa dijeye hum samay rehte apko ye bhi bata denge "

" Mene pehli baar thakur sahab ko itna pareshan dekha tha uppar se unhone zameen bechne ki baat kahi to asmanjas bhi hua. Unko zameen bechni ki kya jarurat padi thi aur vo bhi jald se jald " sharma ne purani kuch batein samne rakhi aur malini bhi soch mein padh gayi.

" kabhi wajah nahi batai bapuji ne? "

" dubara baat hi nahi ho payi unse varna puchta jarur "

" hmm, theek hai sharmaji, aap hume vo kagzat dedijeye jisme haweli ki zameen hai aur vo bhi jise apne becha diya tha "

" jo bech di uske kagzat ? "

" apke pas nahi hai? "

" pakke kagaz to kharidar ke pas hi honge par han hamare pas ek file hai jisme haweli ki sari zameen jaydad ki jankari hum rakhte hain taki hume ye yaad rahe ki kaun si zameen bik chuki hai "

" bahut acha aap hume wahi de deijeye "

" theek hai, hum haweli pahuncha denge "

" bahut acha, ab hum chalte hain " malini khadi hui aur sharma ne apne sawal se use rok diya.

" bura na mane to ek baat puche apse? "

" ji? "

" apko kya lagta hai thakur sahab ne vasiyat kise banwai hogi? Kya apne kabhi janne ki kosish nahi ki vasiyat mein aisa kya khas tha jo unhone aaj tak kisi ko batai tak nahi ? " malini puche gaye sawal par do pal chup rahi.

" shayad kuch aisa jise vo bahari dunia se dur rakhna chahte the " malini ke jawab par sharma bas gardan han mein hila kar hi reh gaya aur kuch keh nahi saka.

" ab hum chalte hain " malini bahar nikli aur use jaise kuch yaad aya isliye vo mudi, darwaje par board laga tha ' Advocate Raman Sharma ' lekin uski nazar wahan thi par dhayan andar ki aaur tha. Raman kisi se baat kar raha tha, phone par nahi tha kyun ki wahan koi shaks maujud tha, itni jaldi koi dusra shaks wahan kaise aa sakta hai?Koi aurat thi jiski awaz use sunai de rahi thi par batein itni dhimi thi ki vo samajh nahi paa rahi thi. Vo do pal wahin khadi rahi, chahti to vo andar jakar chehra dekh sakti thi lekin usne aisa nahi kiya aur wahan se chal di. Niche pahunch kar vo apni gadi ki taraf badhi.

Malini ke dimag mein is waqt bahut si batein chal rahi thi, pehli kal raat mile basement ka rasta jiske andar vo gayi thi aur wahan khojne par use vo number mila tha jispar milane ke baad samne se kisi admi ne uska phone uthaya tha. Fir chotu ne Raman ke liye jo baat batai thi ki vo aksar wahan chai pine atte the aur unke sath kuch aur bhi log hua karte the jo is gaon ke nahi lagte the par eham baat ye nahi thi, eham baat ye thi jo chotu ne apni badi si baat mein batai thi vo ye ki vakeel babu se milne koi aurat aya karti thi jiske sath vo aksar batein kiya karte the aur unhi baton mein se jo chotu ne suni thi vo ye thi ki ' jaruri hai use raste se hatana ' Chotu ko ye baat isliye dhayan thi kyun ki us din vakeel babu ka hath kata hua tha aur uspar vo aurat patti bandh rahi thi. Chotu ne pucha to raman ne baat ko badal diya tha. Aur aaj bhi jab vo raman se mil kar bas bahar hi ayi thi to andar uske sath ek aurat thi jo itni jaldi wahan kaise pahunch sakti hai jabki uske samne se koi bhi andar nahi gaya tha yani vo pehle se wahan maujud thi. Kaun ho sakti hai vo? Sharmaji jarur kuch chupa rahe hai. Malini sochte hue gaddi ki aaur badne ki jagah garage ki aaur chal di jo theek uske bagal mein tha.
 
10,476
48,978
258
मालिनी की हवेली का फोन बंद था.... आज ये भी क्लियर हो गया..... फिर उन दोनों के पास ( जिन्होंने मालिनी से सेक्स किया फिर उसके बाद ही मारे गए ) हवेली का फोन नंबर मिलना मालिनी के शक को पुख्ता करता है कि कोई उसके पीछे पड़ा है और नहीं चाहता है कि वो हवेली की राज जान जाएं ।

मालिनी के ससुर के कमरे में बने गुप्त तहखाने में एडवोकेट रतन शर्मा का फोन नंबर मिलना...... रतन शर्मा से मुलाकात की दौरान ये पता चलना कि उसके ससुर अपने जमीनों को अर्जेंट बेचना चाहते थे.... एक औरत की आवाज सुनना जिसके बारे में वो कुछ देर पहले ढाबे में काम कर रहे एक लड़का राजु से सुन चुकी थी ।

एडवोकेट रतन शर्मा का चोटिल होना और उस औरत से कहना " जरूरी है उसे रास्ते से हटाना " ....... कुछ भी कहना जल्दबाजी होगा ।

सवाल तो बहुतों हैं लेकिन ज्यादा सवाल पुछ कर कहानी का मज़ा नहीं खराब कर सकता ।

हर्षित भाई.... आपकी ये कहानी सच में बहुत ही सुन्दर है । ये मेरी फेवरेट कहानियों में से एक है ।

बहुत बहुत बढ़िया अपडेट । ?
 
Number ek nahi do the bhai.. Confusing ho gaya kya wahan par?

Bhai ye baat keh kar apne kahani mein jaan dal di, dekhte hain kahani abhi aur kitni hai aur kis jagah tak pahunchegi, shayad ant tak banaye rakhe aap sabhi ko..
Thank you so much bhai :hug:
Keep reading :dost:
 
harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,106
16,134
219
Malini garage par pahunchi jahan par kuch purani gadiyan padi thi jo puri tarah se kharab thi, bhangar jaisi halat mein padi thi. Vo thoda aage gayi to wahan par use kuch admi dikhe jo kaam karte hue nazar aa rahe the.

" kya madad kar sakta hu mei apki? " ek bujurg admi malini ke pas aya jab vo puri dukan ko dekh rahi thi.

" aap yahan ke malik hai "

" ji kuch aisa hi samjhiye, bataiye kya kaam tha apko "

" chacha hume apse kuch jankari chahie thi "

" hanji kahiye "

" hamari gaddi hai vo samne " malini ne ishara kiya " kafi purani ho gayi hai, hum soch rahe hain ki aaj kal ane wali imported gaddi le lein, bas usi ke bare mein apse ray chahte the "

" hanji bataiye usme mei apki kaise madad kar sakta hun "

" bas yahi ki apko kya lagta hai vo imported gadiyan chalegi gaon mein "

" ab kya bataye apko, seher ki nayi chizon par jada bharosa hota nahi, purani chiz hamesha nayi se jada hi chalti hai, che-che sath-sath saal purani gadiyun ko theek karke humne bechi hai jo aaj tak chal rahi hai "

" hmm baat to apki theek hai chacha, apki baat sun kar lag raha hai hume apni soch ko yahin viram lagana padega, warna bada man tha " malini bhuje man ke sath boli.

" vaise hamara ek dost hai seher mein uske bharose hum apko nayi gaddi dilwa sakte hain aur agar apko purani bechni ho to vo bhi bikwa denge " malini janti thi ki vo apne pet par laat nahi marega.

" bahut acha "

" aiye,aiye andar aiye, baith kar baat karte hain " vo malini ko andar le jane laga.

" chacha ye purani gadiyan bhi rakhte hain aap "

" nahi ji, ye to bas padi hai kabad ki tarah ab itni badi jagah hai isliye jarurat hi nahi padti hatwane ki " usne malini ki baat ka jawab diya aur use ek chote kamre mein le aya. Jahan ek chota sa pankha deewar par laga tha aur idhar-udhar ghumta hua hawa fenk raha tha. Kamra bada teetar bitar tha, vo table ke us taraf baith gaya aur malini uske samne ek sofe par baith gayi jispar kafi waqt se dhul hatai nahi gayi thi. Chai ka khali cup aur ek phone table ke usi kone par pada tha.

" to aap humko ye bataiye ki aap kitne tak ki kharidna chahti hai "

" paise ki dikkat nahi, bas pasand ani chahie " malini jawab dete hue idhar-udhar dekhne lagi, kamre ke piche badi si jagah thi khuli hui jahan par kuch gadiyan khadi thi, gaon ki nahi lag rahi thi kyun ki gaon mein itni gadiyan thi nahi aur ye jagah seher se pas hai shayad whain se gadiyan aya karti hogi. Malini soch rahi thi aur puri jagah mein kuch khoj rahi thi, khuli jagah, kuch gadiyan, ek band shutter aur wahan kaam kar rahe kuch ladke.

" apki gaddi kitni purani hai "

" yahi koi takreeban 6 saal purani "

" acha acha, jada purnai nahi hai iska acha dam mil jayega apko "

" pata karke bataiye "

" ji abhi kar deta hu " chacha ne chasme ko theek kiya aur wahan rakhe phone par se ek number milaya. " hello " malini uski baat sunne lagi " han bhaiya kaisan ho, bas hum bhi theek hai aur kam dhanda kaisa chal raha hai " malini ke pas itna samay nahi tha par vo shant baithi rahi. " han ye gaadi hai kitne mein bikegi, theek hai mei tujhe fir se phone karta hun " chacha ne baat karke phone rakha. " apki gaddi ki kimat 85 hazar bata raha hai "

" bas itne ? "

" ab purani chiz hai, purani chiz ke daam kahan milte hai " chacha ke phone par baat karne ke baad swar hi badal gaye the. Malini uski chalaki ko ache se samajh rahi thi lekin uska irada gadi kharid bech ka to tha hi nahi.

" abhi to apne kaha tha ki purani chizen salon saal chalti hai " malini ke turant jawab par chacha thode ruk gaye.

" vo lene wale ke uppar hai purani chizon ke daam kaun deta hai vaise to bahut se log kharidte hain par daam koi nahi deta jada " malini agla sawal karti use pehle kamre mein ek admi andar ghusa. Us admi ne chacha ko 500 rs pakda diye.

" 200 kam hai "

" grahak ne nahi diye, kehne laga ki apne 500 mei hi tay kiye the "

" salle madarchod " chacha badbdaya " theek hai tu jaa abhi " vo jane laga " acha sun " chacha chillaya " raat ko chakar laga jaio kuch kaam hoga to le jaio "

" raat ka kaam na diya karo chacha, sadkon par bizli hai nahi aur tumhari gadiyan sadkon se jada achi hoti hai " uske kehte hi chacha ne dant pise, usne ek tarf malini ko dekha fir uski taraf, vo bhi chacha ki nighaein padh gaya aur bina kuch bole chala gaya.

" aaj kal ke naujawan kuch ata hi nahi inhe, hamare jamane mein hum cycle par raton raat ek jagah se dusri jagah pahunch jaya karte the tab to bizli gharon mein nahi hoti thi to sadkon par kahan hogi aur inhe dekho sab kuch milne ke baad bhi inka ye haal hai " malini kuch nahi boli " han to mei apko bata raha tha ki apki gaddi 85 hazar tak ki bikegi "

" acha to hume kuch aur bhi karna padega "

" nahi nahi hum hai na, apko bas ek din hamare sath chal kar yahin seher mein kuch kagzat par dastak karne hai kanuni taur par uske baad apko hathon hath paise mil jayenge "

" bahut acha " malini apni jagah se khadi hui, vo vaise bhi yahan kuch pata karne nahi ayi thi, use bas jagah dekhni thi. " hum apko khabar karte hain, aap hume apna number de sakte hain " malini ke kehne par chacha ne apna naam aur number likh ek kagaz par malini ki taraf badha diya.

" yadav, 429676.. " akhri number padte hue malini ruki aur use dauhrane lagi. " apne apna naam kya bataya tha "

" ramlal yadav "

Malini apni gaddi mein aa baithi aur usne us parchi ko dekha jo vo haweli se layi thi. Usme likha number aur jo abhi usne garage ke chacha yani ramlal yadav se liya tha vo dono hi number ek jaisa tha. Yani subah milaye number par ramlal yadav tha aur mei na jane kya kya soch rahi thi, par tehkhane mein is jagah ka number? malini chizon ko jod pane mein asmarth ho rahi thi. Bahut se aise sawal the jo khule pade the aur unko vo jod nahi paa rahi thi. Ek pal use laga jaise vo galat jagah par khoj rahi hai lekin uske pas koi dusra chara nahi tha aur koi apna bhi nahi jispar vo bhrosa kar sake. Subah se use kuch baton ka pata chala tha jiski shuruwat us tehkhane se hui thi, ho na ho wahin haweli ke raaz dafan hai. Gaddi chalate hue malini wahan se nikal gayi.

Tehkhane se mile number ka judav is jagah se ho sakta tha ye malini ne kabhi socha nahi tha, uske liye haweli se bahar kabhi kuch tha hi nahi. Vo abhi mandir tak hi simit reh gayi thi, 3 saal pehle jab usne mandir mein khojne ki baat sochi thi tab se rajendra ko usne kaam mein laga diya tha lekin pehle do saal to kuch bhi nahi hua, malini jaisa chahti thi vo shuru tak nahi hua tha aur use yahi laga tha ki vo kabhi kuch hasil nahi kar payegi. Par fir bhi usne haar nahi mani aur uski mehnat rang le ayi thi. Malini is waqt gaddi lekar mandir ke samne khadi thi, din ka waqt tha lekin abhi bhi aisa lag raha tha jaise is jagah par ishwar ne hi shrap de diya ho, mandir ke aas pas kuch nahi tha. Insan to dur ki baat hai, janwar tak maujud nahi the, jhadiyun se ghira mandir, kharab ho chuki uski deewaron ke bich bas sanata pasra hua tha. Malini ko samjhne mein der nahi lagi ki kyun raat ke waqt yahan koi nahi ata.

3 saal pehle jo kaam usne mandir mein karwane ki sochi thi uska sirf ek hi karran tha, vo surang jise usne bikram ke muh se suna tha aur fir usi din jab uske kamre par dastak hui tab.

" kya hua aap kuch pareshan lag rahe hain " bikram ko vichlit dekh malini ne pucha aur phir kamre ka kiwad laga diya. Bikram bina kuch kahe bistar par ja baitha.

" nahi kuch khas nahi apko pareshan hone ki jarurat nahi hai "

" hum apki patni hai hume batayenge to man halka hoga " malini uske bagal mein baithti hui boli.

" jante hain hum par patni ho isliye patni raho apne aap ko thakur mat samjho. Ek taraf babuji jo pata nahi us mandir mein bina bataye hume kya karwa rahe hain aur uppar se aap, apne kaam par dhayan dijeye hamare mein nahi "

" hume maaf kar do malini, hume is tarah se apko nahi kehna chahie tha " bikram ne piche se akar malini ko pakda aur apne hathon se uska chehra apni aaur moda. Malini ki ankh mein ansu aa chuke the. " aap janti hai hum apse kitna pyar karte hai, chaliye rona band kijeye, hum apke liye ek tofa laye the dena bhool gaye "

" tofa? "

" han ye dekhiye " bikram ne ek kanga nikal kar malini ko thamaya jo lakdi se bana tha aur bahut hi sundar chitr uspar piroya gaya tha.

" hamare liye itna khubsurat tofa " malini ek hi pal mein apne dukh ko bhool gayi.

" han bilkul apke liye hai, ab aap roz ise apni lambi julfein kaad sakti hai aur hum apko " bikram ne malini ke gardan par honth rakh diye.

" abhi ghar par sab hai kya kar rahe hain aap " malini ne khud ko chhudane ki kosish ki lekin bikram utejit hokar piche se malini ke badal ko ragadne laga,, uski pith aur uski kamar par hath ferti hui piche ubharon ko masalne laga. Usne malini ki sarre uppar uthai aur tabhi darwaje par zor-zor se dastak hui jiski wajah se malini ke hath se kangi niche gir gayi.

" kaun hai ? "

" thakurain mein hun " malini ne kiwad khola to samne sugandha khadi thi. " ji kahiye kaki "

" vo bade thakur ko apke hath ki chai pini hai, humne unhe kaha lekin "

" koi baat nahi hum bana kar de atte hain " malini ne bikram ki taraf dekha aur chidati hui kamre se nikal gayi. Usne chandraprakash ke liye chai banai aur uske kamre ki aaur badhi. Andar koi aur bhi tha jise chandraprakash baat kar raha tha. Malini ne gate khola aur usi waqt uske kano mein pada.

" hum mandir ki surang ko hamesha ke liye band karwa dena chahte hai " par malini ko dekh chandraprakash ruk gayi.

" bapuji chai " malini dekhna chahti thi ki kaun hai wo admi jo wahan baitha hai lekin malini ki nazar nahi gayi aur na hi himmat ki vo nazar ghuma kar us taraf dekh sake. Malini mudi usi disha se jahan vo shaks baitha tha lekin vo tab bhi dhang se uska chehra nahi dekh payi, kyun ki vo shaks kamre mein dusre kone par pith ki taraf khada tha yani vo baat chandraprakash se hi kar raha tha par uski nazar unke kamre se bahar thi yani vo khidkiyun se bahar dekh raha tha. Malini ne piche se hi uski jhalak dekhne ki kosish kari aur fir bahar chali gayi.

Surang uske liye koi badi baat nahi thi us waqt lekin apne pati ke achanak gayab hone ke baad jis din thakur chandraprakash ki mrityu hui uske baad to haweli aur uski zindagi veeran ho gayi. Usi dauran sugandha bhi kuch samay baad chal basi aur uske jane ke baad hi use mandir ki kahani pata chali. Ek bar ko to vo bhi dar ke sayein mein zine lagi thi. Haweli ki raat aur uska sanata uski zindagi ka ek abhishap ban gaya tha, kai ratein usne bina soye hi bitai. Vo maan baithi thi ki mandir ka shrap use kha jayega, vo pal-pal bikram ko yaad karti, use bharosa tha vo jahan bhi hai zinda hai, vo bas kahin kisi musibat mein hai aur vo kuch bhi nahi kar rahi hai. Bapuji ke rehte to kabhi usne kosish nahi ki kyun ki vo unke kaam mein dhakal nahi kar sakti thi lekin ab jab vo akeli thi tab vo is kaam ko khud karna chahti thi aur usne uski shuruwat mandir se karwai kyun ki wahi ek baat thi jiske liye usne bikram ko apne pitaji se naraz hote dekha tha. Use nahi pata tha ki wahan kuch milega ya nahi bas use ek shuruwat karni thi aur gaon ki bhi yahi kahani thi ki mandir ka abhishap hi haweli ko kha gaya isliye use usi abhishap ko janna tha ki kya wakai mein usi abhishap ne haweli ke vansh aur uske pati ko nigla hai ya fir koi aur wajah thi.

Malini ne mandir se gaddi haweli ki aaur modh di aur vo haweli jaa pahunchi. Gaddi se utar kar usne haweli ke darwaje par dastak di.

" thakurain, vo kaka aa gaye hai " manju ne malini ke andar atte hi suchna di.

" hmm " malini apne kamre ki taraf badhi fir kuch soch kar uppar chal di jahan usne bablu kaka ka saman lagwa diya tha.
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,359
304
lagta hain woh ladka hi khooni hai... shayad usne shalu ka woh clip wahan chhod diya hoga taaki shaalu fansh jaaye...
log taale ki chaabi dhundte hai aur idhar malini taale dhundti phire....
lo ek aur taala mil gaya ushe... pata nahi in chaabiyo aur taalon ka kya chakkar hai...
kaafi natakiya mod aa rahe hai... upor se malini ki flashback bhi ajibo garib.... lagta hain bachpan se hi ghatanao ki ladi lag gayi thi joh ab tak jaari hai....
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill harshit ji :applause: :applause:
(Btw sorry late revo ke liye)
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,359
304
" manju tum din ka khana bana kar rakhna, hum thodi der mein atte hain " agli subah malini haweli se nikli aur nikalne se pehle usne haweli ka phone utha kar dekha jo kafi waqt se nahi chal raha tha aur abhi bhi nahi chal raha tha. Manju hairan thi kyun ki jabse vo haweli ayi thi tabse kabhi bhi malini ne phone ka istemal nahi kiya tha.

Malini ne aaj salon baad haweli ki gaddi hath lagai hogi. Usne manju se gaddi saaf karai, vo malini ke achanak aye badlav ko dekh thodi soch mein thi. Vo puchna to chahti thi lekin usne aisa karna theek nahi samjha. Usne gaddi saaf ki jo aksar bablu kaka hi chalaya karte the. Malini ne gaddi start ki aur haweli se nikal gayi. Kachi sadak par gadi daudate hue malini ek kache dhabbe ke samne ruki jo nadi ke kinare bani hui thi. Vo gaddi se utri aur dhabe ke karib chal di. Uske Bachpan se ye dhaba yahan tha aur aaj bhi usi sithti mein tha bas samay ke sath isko chalane wala insan badalta raha.

" phone karna hai " malini ne pucha to wahan kaam karne walle ladke ne phone ki taarf ishara kar diya. Malini us kone par gayi aur sath mein layi kagaz par likhe number ko milaya. Use umeed thi ki nahi milega lekin ghanti bajne lagi aur uski bechaini bhi. " hello " samne se awaz sun kar usne fauran phone kaat diya. Uske mathe par shikan badh gayi. Vo ek pal yun hi khadi rahi aur usne kagaz ko modh kar chupa liya aur ek baar phir phone par number milana shuru kiya.

" helo " phone uthate hi vo bola.

" hume lag raha tha ki aap sheher se wapis aa gaye " malini ne kaha to kuch pal tak samne se khamoshi chai rahi.

" maliniji? "

" ji, apne kaha tha ki aap hume soch kar batane wale hai, lekin apka khat aya nahi "

" maaf kijyega, hume waqt nahi laga "

" koi nahi vaise bhi humne khat bhijwa diya hai "

" apne khat bhijwa dia? koi jawab aya "

" ji abhi tak to nahi "

" hmm, to kya faisla kiya apne jisko apne khat mein likh kar bheja "

" vo hum apse mil kar batayein to jada acha hoga "

" beshak "

" to hum apke daftar adhe ghante tak pahunchte hai " malini ne phone rakh diya aur ek jagah ja baithi. Usne sharmaji se to keh diya tha ki vo adhe ghante mein pahunch rahi hai jabki vo uske daftar se bas panch minute ki duri par hi thi. Ye wo jagah thi jo sheher se jodti hui nadi par jo pull bandha hua tha vo ek matr pull tha sheher tak jane ka. Gaon se dur padta tha ye rasta lekin malini bachpan mein rani ke jane ke baad aksar kai baar vo is jagah chalte hue aa jaya karti thi, nadi-kinare.

" memsab kya lengi aap? " malini ko soch se bahar nikalte hue us ladke ne kaha.

" ek chai la do hamare liye " malini ne use kaha aur fir nadi ki aaur dekhne lagi, jiska pani uske bachpan mein bahut saaf hua karta tha par ab jaise nadi bachi hi na ho. Rani ke jane ke baad vo aksar ghumti hui isi nadi ke kinare par aya karti thi jahan uski ek do saheliyan bhi bani lekin unse kabhi wapis mulakat nahi hui.

" malini aaj to aa jao, roz hume hi nahate dekhti rehti ho "

" nahi reema aap hi nahao, hume sharam ati hai kal apne kapde le ayenge tab naha lenge "

" koi nahi ata idhar, hum bhi to naha rahe hain " geeta boli jo usi ki behen thi.

" par koi aa gaya to "

" to hum tumhe pani ke andar duba denge " reema ne jawab diya aur dono khil-khila kar hasne lagi. Malini pichle kuch dino se reema geeta ko mana kar rahi thi aur jada mana karke unka dil nahi dukhana chahti thi.

" pani to thanda hai " malini andar ghuste hi boli aur un dono ke pass pahunch gayi. Reema aur geeta bhig chuki thi, unke badan par unke kapde chipke hue the aur yovan unke kapde ke bahar jhank rahe the.

" ab ayi ho to ek dubki bhi laga lo " geeta boli.

" nahi nahi hume ghabrahat hoti hai "

" kuch nahi hoga " geeta ne kaha aur malini ka hath pakad liya. " reema zara dubki to lagwa hamari malini ko " malini mana karti rahi lekin dono ne mil kar use pani mein dubaya aur fir bahar nikala. Malini ne abhi gehri sans khinchi hi thi ki reema geeta ne fir dubka diya aur bahar nikal liya. Malini apne chehre se baal hatate hue gehri-gehri sans lene lagi. Dono malini ke chehre par chaye bhay ko dekh hasne lagi.

" bahut bure ho tum dono " malini hanfte hue boli.

" geeta dekh to malini ka yovan kitna sundar hai, kash mera aisa hota "

" baat sahi hai apki, iska youvan to mujhse bhi jada hai " geeta ne malini ki chatiyan daba di jiske dana kapdon ke bhetar se bhi dikh raha tha. Malini thoda jhenp gayi, aaj tak uske alawa kisi ne uski chaityan nahi chuhi thi, uski maa ne ek-do baar chui thi vo bhi samjhane ke liye ki badi ho rahi hai chori inka dhayan rakhio ladke sabse pehle inhe hi ghurte hai par us waqt malini ne apni maa ko hi dant diya tha lekin aaj in dono ko wo kuch na keh saki.

" jo koi bhi ladka hoga bada khusbnaseeb hoga jo malini ke yuvan ko chuhega uska ras nikalega " geeta ada se boli.

" aisa na bol reema warna naddi mei hi beh jayegi "

" chii, kitni gandi batein karti ho tum dono " malini ne muh banate hi kaha. Ek pal dono use dekhti rahi aur fir khil-khila kar hasne lagi. " aap dono hans kyun rahi hai? humne sahi to kaha, ye sab to gandi chizen hai " uske dimag mein shalu ki chudai ghumne lagi fir rani ka marna aur uske baad jo hua sab kuch.

" are meri malini pyari ye batein gandi nahi hai, balki yahi sukh hai, ek aurat ka yovan jitna ghana hota hai use utna hi pisa jata hai aur us pisne mein jo maza hai use bada sukh koi aur nahi hota " geeta fusufate hue boli. Na jane kya ada thi uske kehne mein malini ki sansein ukhadne lagi, pehli baar use mehsus hua ki uska sharir ab jawan ho raha hai lekin dimag is jung ko jeet raha tha.

" hume fir bhi nahi pasand " usne apni nazre fer li.

" ek din jab iska youvan ragda jayega tab hi ise malum hoga " reema ne kaha ya geeta ne malini ko ye nahi pata chala kyun ki uski nazar nadi kinare bane ped par tiki thi jahan use kisi ke hone ka abhas ho raha tha jo un teeno ko nahate hue dekh raha tha.

" malini, malini, malini, memsab, memsab, memsab " malini se memsab mein bdalti awaz sun vo hosh mein ayi. Samne wahi ladka khada tha jo chai ka puch kar gaya tha.

" aapki chai " usne chai rakhi " aur kuch chahie ? "

" nahi, shukriya " malini ka jawab sun vo chala gaya aur malini chai pine lagi. Uski nazar usi ladke par thi jo us dhabe ke sarre kaam kar raha tha. Malik andar tha aur vo use wahin se hukum de raha tha.

" chotu zara wakeel babu ke daftar mein do chai aur pakode lekar jaa aur unke bagal mein jo gadi theek karne wala ramlal hai uska hissab lekar aio, salle ne pichle mahine ka udhar abhi tak nahi diya "

" han seth abhi jata hun "

Malini ne chai pine ke baad cup wahin rakh kar paise diye aur gaddi ki aaur badh chali. " chotu naam hai tumhara " gaddi ke pas khade reh kar vo usi ka intezar kar rahi thi jab vo chai aur pakode ko akhbar mein lapete wahan se nikal raha tha tab usne use rok liya.

" ji kahiye "

" idhar suno " vo malini ke pas aya.

" kab se kaam kar rahe ho idhar "

" memsab ab kitne saal hue ye to hume nahi malum par hamara kad chota hua karta tha tab se hi kaam kar rahe hain, ab aap hamare kad se khud hi andaza laga lijeye " chote se sawal ka chotu ne lamba jawab diya.

" hmm, vakeel babu ko jante ho tum "

" janna kya hai memsab, ye chotu sab ko pehchanta bhi hai aur vakeel babu to aksar yahan chai nashta karne ate hain lekin aap kyun puch rahi hai " chotu ne jawab ke sath ankhein gehri karke sawal kiya. Malini ne gadi mein rakhe purse ko khol kar 50 rs ka note uski taraf badhaya. 50rs dekh chotu ki ankhein chamak uthi aur usne fauran use pakad liya. Malini nahi chahti thi ki chotu uski baat kisi aur ko bataye jaise vo use puch rahi hai koi aur bhi use puch sakta tha isliye usne paise ka akarshan dikha kar use apni taraf kar liya.

" tumhare kaam ki mehant ko dekh kar de rahi hun aur jis tarah seth tumse kaam karwata hai use dekh kar lagta hai tumhe vo jada paise nahi deta hoga "

" ab apko kya batau memsab, seth kam kya paise deta hi nahi, kanjus hai, par kaam ke badle khana aur rehna ke liye de deta hai "

" kahan rehte ho tum "

" nadi ke kinare ek kamra hai wahin par reh leta hun "

" hmm, theek hai, kabhi jarurat padi to tumhe firse yaad karenge hum "

" bilkul memsab, ye chotu apka har kaam kar dega "

" hmm " malini gadi mein baithi hi thi ki chotu ko jaise kuch kehna baki reh gaya tha.

" aap kuch vakeel babu ke bare mein keh rahi thi "
is kahani ke kirdaar kuch zyada hi sochte rahte hai.... aur sabse zyada sochti hai malini... past mein itni ghum ho jaati hai ki vartmaan mein kya ho raha hai ird gird iski koi ilm hi nahi...
Kamal hai.. dost logis bhi tharki . so malini masoom thi.. ushe tharki banaya uske hi tharki dosto ne.. yeh koun chup chupke dekh raha tha.. hoga koi maha tharki..
Ab yeh naya kirdaar chhotu... maybe in future bahot kaam ka sabit hoga malini ke liye..
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill harshit ji :applause: :applause:
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,359
304
" lijeye chai " malini abhi yahi chai pikar ayi thi jise sharma pine ke liye keh raha tha. Malini ne chai ka cup liya aur uski ek chuski lete hue cup wapis rakh diya.

" apko kaise pata maliniji ki hum aaj wapis aa gaye hai seher se "

" andazan tha sharmaji, hume laga apne jawab nahi diya to socha apse puch hi lein "

" hum uske liye maffi chahte hain, sheher jakar kuch kaam is tarah ka fans gaya tha ki usme ab apko batana bhool hi gaye ki apki samsya ka hal dena "

" koi baat nahi " malini chote jawab de rahi thi.

" apne phone par bataya tha ki apne karuna ko khat bhej diya hai to kya socha hai apne " pakode ka tukda kate hue vo bola.

" wahi jaisa apne kaha tha, humne wahi kiya " malini ke jawab dete hi sharma apni seat se aage ki taraf jhuka.

" yani apko vasiyat ke bare mein pata chal gaya "

" han bhi aur nahi bhi "

" mei kuch samjha nahi "

" humne karuna ko haweli ka hissa dene ke liye apna man bana liya hai sharmaji " malini ne chai ka cup utha kar ek aur chuski lete hue kaha aur cup table par rakh diya. Kamre mein chal rahe pankhe ki awaz mahol mein raha.

" kya mei puch sakta hun ki apke man badlne ke piche ka karran kya tha? "

" hume lagta hai ki jo bhi man mutav raha hamara neelam didi se uska karuna se kya taluk. Vaise bhi hum haweli ki itni jaydad ka karenge bhi to kya "

" haweli ke pas bacha hi kya hai maliniji " malini ko isi jawab ka intezar tha.

" kya matlab? " malini ne turant pucha aur sharma kuch der ke liye chup ho gaya.

" apko to malum hi hai maliniji, thakur sahab humse apni zameeno ko lekar ray liya karte the aur unke kanuni madad bhi hum kiya karte the. To hume malum hai ki haweli ke pas kya bacha hai aur kya nahi "

" yani apke pas haweli ke sarre zameen ke kagaz hai "

" han jitne bhi thakur sahab ne hume diye vo sab hai par ab unme se haweli ke liye bahut kam zameen hi bachi hai "

" kya vo kagazat aap hume de sakte hai "

" beshak, vo apki hi hai ab "

" aur kya aap hume ye bata sakte hain ki baki zameen ka kya hua? "

" ab jane dijeye kyun purani batein karke usme apna samay vyatit karna " sharma ne baat ko talne ki kosish kari.

" kai baar purana samay ane wale samay ko badal deta hai sharmaji, apse behtar kaun jaan sakta hai "

" baat apki theek hai " vo apni kursi par aram se baitha " baat asal mein thakur sahab ke jane se pehle ki hai. Meri unse vo akhri mulakat thi haweli mein, bikram ke jane ke baad vo pareshan the kisi chiz se, aisa mujhe laga lekin unki batai hui wajah mujhe abhi bhi yaad hai "

" thakur sahab ho sake to aap apni sehat ka khayal rakhe "

" sehat ka khayal rakh kar bhi kya faiyda zine ki icha hi khatam ho gayi hai vakeel babu "

" samajh sakta hun, par bhaorsa rakhiye, bikram ki khabar mil jayegi " meri baat par thakur sahab chup rahe. " apne mujhe bulwaya tha, kuch kaam tha mujhse "

" han vakeel babu, hum apse ek kaam chahte hain, use aap hamare liye kar dijeye "

" kahiye "

" haweli ki kuch zameen bechni hai "

" bechni hai, koi khas wajah? "

" wajah hai bhi aur nahi bhi, filal aap mera kaam karwa dijeye hum samay rehte apko ye bhi bata denge "

" Mene pehli baar thakur sahab ko itna pareshan dekha tha uppar se unhone zameen bechne ki baat kahi to asmanjas bhi hua. Unko zameen bechni ki kya jarurat padi thi aur vo bhi jald se jald " sharma ne purani kuch batein samne rakhi aur malini bhi soch mein padh gayi.

" kabhi wajah nahi batai bapuji ne? "

" dubara baat hi nahi ho payi unse varna puchta jarur "

" hmm, theek hai sharmaji, aap hume vo kagzat dedijeye jisme haweli ki zameen hai aur vo bhi jise apne becha diya tha "

" jo bech di uske kagzat ? "

" apke pas nahi hai? "

" pakke kagaz to kharidar ke pas hi honge par han hamare pas ek file hai jisme haweli ki sari zameen jaydad ki jankari hum rakhte hain taki hume ye yaad rahe ki kaun si zameen bik chuki hai "

" bahut acha aap hume wahi de deijeye "

" theek hai, hum haweli pahuncha denge "

" bahut acha, ab hum chalte hain " malini khadi hui aur sharma ne apne sawal se use rok diya.

" bura na mane to ek baat puche apse? "

" ji? "

" apko kya lagta hai thakur sahab ne vasiyat kise banwai hogi? Kya apne kabhi janne ki kosish nahi ki vasiyat mein aisa kya khas tha jo unhone aaj tak kisi ko batai tak nahi ? " malini puche gaye sawal par do pal chup rahi.

" shayad kuch aisa jise vo bahari dunia se dur rakhna chahte the " malini ke jawab par sharma bas gardan han mein hila kar hi reh gaya aur kuch keh nahi saka.

" ab hum chalte hain " malini bahar nikli aur use jaise kuch yaad aya isliye vo mudi, darwaje par board laga tha ' Advocate Raman Sharma ' lekin uski nazar wahan thi par dhayan andar ki aaur tha. Raman kisi se baat kar raha tha, phone par nahi tha kyun ki wahan koi shaks maujud tha, itni jaldi koi dusra shaks wahan kaise aa sakta hai?Koi aurat thi jiski awaz use sunai de rahi thi par batein itni dhimi thi ki vo samajh nahi paa rahi thi. Vo do pal wahin khadi rahi, chahti to vo andar jakar chehra dekh sakti thi lekin usne aisa nahi kiya aur wahan se chal di. Niche pahunch kar vo apni gadi ki taraf badhi.

Malini ke dimag mein is waqt bahut si batein chal rahi thi, pehli kal raat mile basement ka rasta jiske andar vo gayi thi aur wahan khojne par use vo number mila tha jispar milane ke baad samne se kisi admi ne uska phone uthaya tha. Fir chotu ne Raman ke liye jo baat batai thi ki vo aksar wahan chai pine atte the aur unke sath kuch aur bhi log hua karte the jo is gaon ke nahi lagte the par eham baat ye nahi thi, eham baat ye thi jo chotu ne apni badi si baat mein batai thi vo ye ki vakeel babu se milne koi aurat aya karti thi jiske sath vo aksar batein kiya karte the aur unhi baton mein se jo chotu ne suni thi vo ye thi ki ' jaruri hai use raste se hatana ' Chotu ko ye baat isliye dhayan thi kyun ki us din vakeel babu ka hath kata hua tha aur uspar vo aurat patti bandh rahi thi. Chotu ne pucha to raman ne baat ko badal diya tha. Aur aaj bhi jab vo raman se mil kar bas bahar hi ayi thi to andar uske sath ek aurat thi jo itni jaldi wahan kaise pahunch sakti hai jabki uske samne se koi bhi andar nahi gaya tha yani vo pehle se wahan maujud thi. Kaun ho sakti hai vo? Sharmaji jarur kuch chupa rahe hai. Malini sochte hue gaddi ki aaur badne ki jagah garage ki aaur chal di jo theek uske bagal mein tha.
Yeh sharma karama sarasar jhuth bol raha hai... aur baat wasiyat ki usme bhi isine hi jarur koi ghapla kara hoga ...
I think woh aurat shayad meera hi hogi.. .. shayad is gahne ki dukan ne woh gahne bhi haweli se chori ki hogi.. chorni kahin ki... :bat:
Ab ushe budhau sharma sang planning kar malini ko maarne ki planning karing.. iski toh aisi ki taisi... :mad: isiki wajah se shayad haweli ka haal behal hai... are isko pakad ke do teen thappad lagao... sabhi raaz ugal degi... aur haan yeh sabse badi tharki yehi hai :bat:
bhala ho us chhotu ka joh samay rahte bata diya malini ko...

Top