• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller BEGUNAAH ( Completed )

TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
nice aur romanchak update ..nakabposh ne vidhi ko darane ke liye aisa kiya 🤔..shayad wo wahi hoga ..
par kya khidki ko lohe ke grill nahi the 🤔🤔..jo wo kaanch todkar ghar me aaya ..
aur dushyant ki takkar rane se ho gayi wo kyo jaag raha tha yaa kahi bahar se aaya tha kya🤔🤔..
shayad rane mila hua ho us aadmi se 🤔..
aur ab lagta hai dushyant vidhi ko apne paas rakhega yaa waha bhi police ki tainati karega uski safety ke liye ..
par vidhi par hamlaa karke uske dushyant se personal dushmani kar li hai aisa lagta hai 😁😁..

rane ne jo security alarm banaya hai usko dushyant ne check kiya yaa nahi ye bhi pata nahi warna us alarm ke bharose rehkar dobara galti na ho jaaye dushyant se 🤔🤔..
Bahut bahut shukriya KEKIUS MAXIMUS bhai aapki is khubsurat pratikriya ke liye,,,,,,:hug:

Vikrant kaha se aaya tha aur kyo takra gaya tha aage pata chal jayega. Aapne bilkul sahi kaha ki vikrant ki security ke bare me dushyant ne check kiya ki nahi. Waise dushyant is baar satark hai aur koi taparwahi nahi karega. Tab to kadachit bilkul bhi nahi jabki use pata ho ki is maamle me ab vidhi bhi involve ho chuki hai,,,,,:dazed:
 

TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
Jabardast fantastic update. Ye Avinash ke karan hua hai.jisse Dushyant ka dhyan Avinash se hat kar Vidhi ki suraksha per chal jaye.
Bahut bahut shukriya 23n24 bhai aapki is khubsurat pratikriya ke liye,,,,,:hug:

Avinash dushyant ka dhyaan apni taraf se kyo hatana chahega,,,,,:hmm:
 

TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
बेहद ही शानदार ढंग से लिखा गया अपडेट था । बिल्कुल एक उपन्यास की तरह ।
दुश्यंत ने अपने मातहत सब इंस्पेक्टर विक्रांत राने को अपने घर की सेकयुरिटी टाइट करने के लिए कहा - लेकिन मुझे नहीं लगता है कि नकाबपोश अब उनके घर की तरफ रूख करेगा । वो अविनाश को घर के बाहर टारगेट करेगा । विधि के घर के खिड़की की कांच तोड़ना उसका चेतावनी था इंस्पेक्टर दुश्यंत को ।
सबसे बड़ी बात यह है कि वो नकाबपोश कौन है ? उसकी अविनाश से क्यों दुश्मनी है ?
लेकिन वो नकाबपोश जो भी होगा..... इंस्पेक्टर दुश्यंत के आसपास मंडराने वाला या कोई अन्य परीचित ही होगा !

बेहतरीन अपडेट शुभम भाई । इन्तजार रहेगा अगले अपडेट का ।
Bahut bahut shukriya SANJU ( V. R. ) bhaiya ji aapki is khubsurat pratikriya ke liye,,,,,:hug:

Aapne bilkul sach kaha ki naqaab posh security ko dekhte huye andar ghusne ka nahi sochega balki baahar hi target karega. Police aur mujrim dono apna apna dimaag lagate hain. Mana ki jurm karne wala der se hi sahi lekin ek din zarur pakda jata hai magar jab tak pakda nahi jata tab tak police ki naak me dam karne me wo koi kasar nahi chhodta. Yahi haal kadachit us naqaab posh ka hai. Vidhi ke ghar me tod fod karna aur use darana bhi naak me dam karne ka ek maamuli sa hissa ho sakta hai. Aakhir kuch to karega hi,,,,, :D
 

TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
Greattt shubham bro. Such a mind blowing update and your writing skill. :applause: :applause: :applause:

Inspector and vikrant udhar plan banate rah gaye and idhar nakaab wale ne dusra shikaar pakad liya. Inspector ne socha bhi nahi hoga ki aisa bhi ho jayega. Wo to achha hua ki nakaab wale ke man me sirf vidhi ko darane ki baat aai otherwise agar use vidhi kuch jyada hi pasand aa jati to maybe kuch bhi ho sakta tha. Dusyant ke maal par nakab wale ne daaka daal diya hota to inspector to bas hilata hi rah jata. Inspector par taras kha kar hi vidhi ko chhod diya us nakaab wale ne. :coffee1:

Ab inspector kya karega. Wo avinash ko bachane ke liye jaal bunega ya vidhi ko safe karega. Ye to clear baat hai ki nakab wale ne inspector ko warn kar diya hai but agar inspector uski warning ko ignore karega to maybe is baar wo vidhi ke sath galat bhi kar de. Anyways let's see what happens next. :coffee1:

Waiting for the next bro. :waiting1:

:celebconf::celebconf::celebconf::celebconf::celebconf::celebconf::celebconf::celebconf:
Bahut bahut shukriya VIKRANT bhai aapki is khubsurat pratikriya ke liye,,,,,:hug:

Vikrant bhai dushyant kuch to karega hi. Aakhir ab avinash ke sath sath us vidhi ki suraksha ka bhi sawaal hai jise wo prem karta hai. Khair dekhiye kya hota hai,,,,, :D
 

TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
BEGUNAAH
Update - 14


Ab Tak,,,,,

"Shayad uska maksad." Dushyant ne kuch sochte huye gambheerta se kaha_____"Sirf tumhe darana tha."

"Kya matlab.???" Vidhi ke maathe par shikan ubhar aayi, fir boli_____"Wo bhala mujhe kyo darana chaahta tha.? Aakhir uski mujhse kya dushmani ho sakti hai.?"
"Uski dushmani tumse nahi hai vidhi." Dushyant ne gahri saans lete huye kaha______"Balki ab shayad mujhse bhi ho gayi hai."

Ab Aage,,,,,,

"Ye tum kya kah rahe ho dushyant.?" Vidhi ke chehre par jaise aashcharya naach utha, boli_____"Tumse bhi uski dushmani ho gayi hai ka kya matlab hai.?"
"Badi ajeeb story hai vidhi." Dushyant ne gahri saans lete huye kaha_____"Is wakt us story ko sunane ka time nahi hai. Raat zyada ho gayi hai aur tumhe bhi ab araam se so jana chahiye. Ab kisi baat se darne ya ghabrane ki zarurat nahi hai tumhe. Tum apne kamre me ja kar araam se so jaao. Main yahi par hu aur us kale kapde wale ki nigraani karuga."

"Mujhe kahi nahi jana." Vidhi ne jaise zid karte huye kaha_____"Aur na hi ab mujhe neend aayegi. Tum mujhe bataao ki us kale kapde wale se tumhari dushmani kaise ho gayi hai aur wo yaha kyo aaya tha.? Mujhe sab kuch sach sach bataao ki baat kya hai.?"

"Tum bhi had karti ho yaar." Dushyant ne bechaini se pahlu badalte huye kaha______"Bhala ye bhi koi wakt hai baate karne ka.? Tum apne kamre me jaao, ham kal morning me is bare me baat karenge."

"Had main nahi balki tum kar rahe ho dushyant." Vidhi ne dushyant ki taraf ektak dekhte huye kaha_____"Bhala ab mujhe neend kaise aa jayegi jab ki abhi kuch der pahle main us kale kapde wale ki vajah se dari huyi thi.? Upar se ab tum ye kah rahe ho ki uski dushmani tumse bhi ho gayi hai. Ab jab tak main sab kuch jaan nahi lugi to main sochti rahugi is sabke bare me. Us soorat me main kaise sukoon ke sath so paaugi.?"

Vidhi ki in baato par dushyant ne uski taraf dekha. Is wakt wo kisi bachchi ki tarah masoom nazar aa rahi thi use. Dushyant ke andar use dekhte huye ajeeb si jhurjhuri hone lagi to usne uski taraf se apni nazre hataayi aur fir gahri saans lete huye bola_____"Achha thik hai. Main tumhe sab kuch batata hu magar ek shart par."

"Ab ye shart kyo.?" Vidhi ne aankhe failaayi.
"Yaar shart to sun lo." Dushyant ne kaha.
"Ok fine." Vidhi ne kaha______"Bolo kya shart hai.?"
"Tumhare hath ki bani chaay pini hai." Dushyant ne muskurate huye kaha______"Tumhare hi jaisi sweet si chaay. Ufff kitni achhi chaay banati ho tum. Dil karta hai ki tum bana ke deti jaao aur main bas pita jaau."

"Fir to nahi pi sakte tum." Vidhi ne do took lahje se kaha_____"Kyo ki chaay banane ka mera bilkul bhi mood nahi hai. Haan agar tumhe pini hi hai to khud bana ke pi lo. Kitchen kidhar hai ye to tum jaante hi ho."
"Main ye to jaanta hu." Dushyant ne ajeeb bhaav se kaha_____"Ki ladkiyo ko ladko ka dil todne ka bahut zyada shauk hota hai magar mere sath bhi ek din aisa hoga ye nahi jaanta tha."

"Apne bare ne bhi sochna tha na." Vidhi ne kaha_____"By the way thanks for comming."
"Tum to yaar sach me mera dil todne par tuli huyi ho." Dushyant ko jaise jhatka sa laga_____"Kya tum bhool gayi ho ki ham dono aapas me dost hain aur dost kisi baat ke liye dost ko thanks ya sorry nahi bolte. Dusri baat ye bhi hai ki main ek police wala hu to tumhe aisi situation se bachana mera farz hi tha."

"Ohh i see." Vidhi ne kaha______"Main to bhool hi gayi thi ki ham dost hain. Achha hua tumne yaad dila diya."
"Itna rudely kaise baat kar sakti ho tum.?" Dushyant hairaan pareshan sa bola______"Us wakt to bada dar ke maare mere seene se chipak gayi thi tum aur ab do minute me hi rang badal liya tumne."

"Mera itna sa naaz nakhra bhi nahi jhel sakte.?" Vidhi ne roothe huye andaaz se kaha_____"To fir kis baat ke dost bane ho tum. Bas third class ashiq ki tarah hawaayi baate hi karte ho tum."
"Kyaaa.???" Dushyant buri tarah chaunka_____"Main....mera matlab hai ki wo sab tum nakhra kar rahi thi.???? Aur..ye kya kaha tumne......third class ashiq jaise ka kya matlab hai tumhara.?"

"Itne buddhu to nahi lagte tum." Vidhi ne sofe se uthte huye kaha______"Jo itni si baat na samjhe hoge aur agar nahi samjhe ho to police wale kaise ban gaye tum.? Khair chhodo, abhi laati hu tumhare liye chaay warna mujhe puri ummid hai ki rone lag jaaoge tum."

Vidhi ne badi ada se kahi thi ye baat aur fir usne dushyant ki kisi baat ka intzaar nahi kiya balki fauran hi kitchen ki taraf chali gayi thi. Jabki uski baat sun kar pahle to dushyant ke hotho par gahri muskaan ubhar aayi fir ekdam se uske chehre par socho ke bhaav ubhar aaye the.

Uske zahen me naqaab wala halchal machaye ja raha tha. Vidhi ke ghar me ye kaand kar ke usne uske zahen me kayi saare sawaal khade kar diye the. Uski dushmani to avinash se thi aur avinash ko dushyant ne apne sath rakh liya aur use safe kar diya. Is hisaab se dushyant bhi uska dushman hi ban gaya magar iske liye naqaab wale ne vidhi ke ghar me ghusne ka kaand kyo kiya.? Aakhir aisa karne ke peeche uski kya vajah thi.? Kya aisa karne ke peeche sirf ye vajah thi ki wo baukhlaya hua hai ya fir ye ki wo avinash tak pahuchne ka koi raasta banana chaahta hai. Magar sawaal hai ki aisa kar ke wo kaise avinash tak pahuchne ka raasta bana lega.?

"Akele akele sochne se kuch nahi hoga." Dushyant ye sab soch hi raha tha ki vidhi ki awaaz se chaunka. Jabki chaay ka cup dushyant ko pakda kar vidhi sofe par uske bagal me hi baithte huye boli______"Balki kuch na kuch tab hoga jab tum kisi aur ki bhi buddhi ya salaah loge."

"Ohh thanks for your advice." Dushyant ne muskurate huye kaha aur fir chaay ka ek ghoont lene ke baad kaha______"So sweet, bilkul tumhari tarah. Kaash tum bhi chaay hoti."
"Agar main chaay hoti." Vidhi ne kaha_____"To yakeen maano tumhe pine ke liye wo kabhi nahi milti."

"Aree lekin kyo.?" Dushyant ne hairaani se kaha_____"Aisa kyo kah rahi ho tum.?"
"Har kyo ka jawaab ho ye zaruri to nahi." Vidhi ne kaha_____"Ab ye baate chhodo aur ye bataao ki wo kale kapdo wala tumhara bhi dushman kaise ho gaya.? Kya chakkar hai ye.?"

Dushyant samajh chuka tha ki use vidhi se sab kuch batana hi padega warna wo baar baar usse puchhti hi rahegi aur uske na batane par wo usse naraaz bhi ho sakti thi jo ki dushyant kisi keemat par nahi chaahta tha ki wo usse naraaz ho jaye. Is liye usne pahle tasalli se chaay pi aur fir vidhi se kaha ki wo uske kamre me hi batayega. Asal me is wakt wo dring room me hi the aur dushyant ko andesha tha ki naqaab wala kahi ghar ke aas paas hi hoga aur wo khidki se uski baate sun sakta tha.

"Mere kamre me kyo.?" Vidhi ne aankhe failaate huye dushyant se kaha______"Kahi tum mujhe akela dekh kar...?"
"Itna gira hua insaan nahi hu main." Dushyant ne vidhi ki aankho me dekhte huye thodi naraazgi se kaha______"Agar tumhe aisa lagta hai to fir tumne mujhe phone kar ke yaha bulaya hi kyo.?"

"Dekha.? tum to mera zara sa bhi nakhra nahi jhel pa rahe ho." Vidhi ne bura sa muh banaya aur sofe se uth kar khadi ho gayi, fir boli______"Ab baithe hi rahoge ya chaloge bhi.? Buddhu kahi ke."
"Tum bhi badi ajeeb ho yaar." Dushyant uski baat sun kar sofe se uthte hue bola______"Aur waisi hi ajeeb hain tumhari baate."

"Isi liye to puch rahi thi." Vidhi ne seedhiyo ki taraf chalte huye kaha______"Ki tumhe police wala kisne bana diya.? Itne dino me main samajh chuki hu ki dhele bhar ka bhi sense nahi hai tumhare paas."
"Tum meri dosti ka najayaz faayda utha rahi ho vidhi." Dushyant ne uske peechhe chalte huye kaha______"Aur ye hargiz bhi achhi baat nahi hai."

"Achha ek baat bataao." Vidhi ne achanak palat kar dushyant ki taraf dekhte huye kaha_____"Us wakt jab main dar ke mare tumhare seene se lipat gayi thi to tumne bhi mujhe apni baaho me bhar kar apne se kyo chhupka liya tha.? Us wakt to main kuch bhi samajhne ki condition me nahi thi magar ab lagta hai ki tumne us wakt mauke par chauka maara tha, aur agar aisa hai to bahut gande ho tum."

"Hey bhagwan.!" Dushyant ko laga ki wo apne sir ke baal noch le, fir bola_____"Pata nahi kya kya soch leti ho tum.? Yaar tum aisa kaise soch sakti ho mere bare me.?"
"Dekha.?" Vidhi ne tapaak se kaha_____"Tum mera zara sa bhi nakhra nahi jhel pa rahe. Kaise dost ho tum. Buddhu kahi ke. Ab chalo...kya yahi khade rahoge.?"

Dushyant ne is baar kuch bhi bolna sahi nahi samjha. Use laga ki agar usne is bare me kuch bola to vidhi fir se aisi waisi koi baat kahegi aur fir last me yahi kahegi ki tum mera zara sa bhi nakhra nahi jhel pa rahe....buddhu kahi ke. Dushyant ko samajh nahi aa raha tha ki vidhi aisa bol kar usse chaahti kya thi.?

Kuch hi der me wo dono vidhi ke kamre me pahuch gaye. Vidhi ka kamra uski tarah hi khubsurat tha. Dushyant pahli baar vidhi ke kamre me aaya tha warna itne dino me wo ground floor ke dring room aur kitchen tak hi gaya tha. Ya fir washroom gaya tha. Dushyant ne kamre ko achhi tarah dekha aur fir vidhi ki taraf dekh kar kuch kahne hi wala tha ki use yaad aaya ki uske bolne par kahi vidhi fir se waisi baate na karne lage. Is liye chup hi raha.

"Kaha tha na maine." Vidhi ne uski taraf dekhte huye kaha_____"Ki dhele bhar ka bhi sense nahi hai tumhare paas. Itna bhi sense nahi hai ki jab kisi ladki ke sath uske kamre me jaao to uske kamre ki khubsurti ko dekh kar kam se kam tareef me do lafz bhi bol do. Buddhu kahi ke....!"

"Isi liye nahi bola." Dushyant ne is tarah kaha jaise dukhi ho gaya ho, bola______"Kyo ki tum meri baat par baad me mujhe buddhu kah deti. Had hai yaar itni bejjati aaj tak kisi ne nahi ki meri jitni tumne ki hai. Mard hu is liye dahaade maar kar ro bhi nahi sakta."

"Rona bhi nahi." Vidhi ne muskurate huye kaha_____"Kyo ki main tumhare aanshu nahi ponchhne wali."
"Ab agar meri khichaayi kar li ho tumne." Dushyant ne bed ke paas hi rakhe ek single sofe par baithte huye kaha_____"To koi aur baat kare.? Ya fir tumne soch liya hai ki aaj saari raat tum mere dhele bhar ke sense ko le kar hi tippadi karti rahogi.?"

"Isi tarah apne dad ko satati thi main." Vidhi ne ekdam se dukhi ho ke kaha______"Aur wo zara bhi meri baato se tang nahi hote the balki unko mera is tarah se satana achha lagta tha."
"Ohh i'm so sorry vidhi." Dushyant ko ekdam se jaise samajh aaya ki vidhi uske sath ab tak aisi baate kyo kar rahi thi, wo sofe se uth kar vidhi ke paas gaya aur fir usne vidhi ki aankho me ubhar aaye aanshuo ko ponchhte huye kaha______"Mujhe koi idea nahi tha ki tum wo sab baate kis liye kah rahi thi mujhse."

"Tum na buddhu hi thik ho." Vidhi ne halki muskaan ke sath kaha______"Zyada smart banoge to shaatir samjhe jaaoge aur mauke pe chauka maarna to koi tumse seekhe."
"Kya matlab.??" Dushyant chaunka_____"Ab kya kiya maine.?"
"Sofe se uth kar mere paas aaye." Vidhi ne usi muskaan ke sath kaha______"Aur fir mere aanshu ponchhne lage. Waah ji waah matlab is bahane tumne mujhe chhua. To ho gaya na mauke pe chauka maarna."

"My god." Dushyant ko jaise shock laga aur fir do kadam peeche hat'te huye bola______"Tum itni si baat ko chauka maarna kahti ho.? Ok fine and i'm sorry. Ab se kabhi tumhe touch nahi karuga."
"Dekha na.?" Vidhi ne is baar haste huye kaha_____"Tum zara bhi mera nakhra nahi jhel pa rahe. Kaise dost ho tum. Buddhu kahi ke."

Pure kamre me vidhi ki hasi goonj rahi thi. Aisa lag raha tha jaise kisi mandir me kayi saari ghantiya ek sath bajne lagi ho. Dushyant thaga sa vidhi ko dekhe ja raha tha. Uske motiyo jaise daant kamre me faili tube light ki roshni me chamak rahe the. Dushyant ko mahsoos hua ki wo kisi sammohan me doobta ja raha hai. Usne jaldi se apne aapko samhala aur fir ja kar waapas sofe par baith gaya. Udhar vidhi abhi bhi hase ja rahi thi. Fir jaise use khayaal aaya aur usne apni hasi ko viraam diya. Hasne se uska doodh ki tarah gora chehra surkh pad gaya tha aur aankhe sajal ho uthi thi. Dushyant ko samajh nahi aa raha tha ki vidhi kaisi ladki hai. Pal me tola pal me masha wali baat thi usme.

<>•<>•<>

"Kya naraaz ho gaye mujhse.?" Dushyant ko ekdam se shaant aur chup baithe dekh vidhi ne badi masumiyat se puchha tha.
"Kya main yaha." Dushyant ne kaha_____"Cigarette pi sakta hu.?"
"Agar main ye kahu." Vidhi ne uski aankho me jaise jhaankte huye kaha_____"Ki cigarette bahut hi buri cheez hoti hai aur ise nahi pina chahiye to kya tum aaj se peena chhod doge.?"

"Koshish karuga." Dushyant ne kaha_____"Magar filhaal iski shakht zarurat hai mujhe. So if you don't mind....?"
"Thik hai." Vidhi ne kaha_____"lekin meri salaah yahi hai ki cigarette buri cheez hai aur isse jitni jaldi ho sake tauba kar lo to behtar hoga. Khair ab to bataao ki us nakaab wale ka kya kissa hai.?"

Vidhi ke puchhne par dushyant ne use avinash ke maamle wala saara kissa shuru se le kar ant tak vistaar se suna diya. Saari baate sunne ke baad vidhi soch me pad gayi thi. Jabki dushyant ne use soch me dooba dekh ek nayi cigarette jala li.

"To tumhare anusaar." Vidhi ne gahri saans lete huye dushyant se kaha_____"Wo naqaab wala mujhe darane aaya tha.? Usne ye sab is maksad se kiya ki wo mere zariye tumhe ye ahsaas kara sake ki tum uske raaste ka roda na bano.?"

"Bilkul." Dushyant ne kaha_____"Yaha aa kar tumhe is tarah se darane ke peeche uska yahi maksad hai. Warna khud socho ki tumse uski kya dushmani ho sakti hai.?"
"To ab kya karoge tum.?" Vidhi ne kaha_____"Mere kahne ka matlab hai ki kya tum uski is harkat se khud bhi dar jaaoge aur uske raaste se hat jaaoge.?"

"Sawaal hi paida nahi hota vidhi." Dushyant ne kaha_____"Usne apni is harkat se bhale hi mujhe ahsaas kara diya ho magar usne khud apne bare me bhi ye zaahir karwa diya hai ki wo apne maksad ko pura karne ke liye kitna fadfada raha hai. Mujhe is baat ki ummid nahi thi ki wo is had tak bhi chala jayega ki wo apne maksad ko pura karne ke chakkar me tumhe bhi torget kar sakta hai. Khair chhodo is sab ko aur haan fikar karne ki zarurat nahi hai. Ab chalo so jaao tum."

"Thik hai." Vidhi ne kaha______"Tum bhi so jaao yahi par."
"Kya.???" Dushyant vidhi ki yahi so jane ki baat par chaunka tha, fir bola______"Yahi par mere so jane se tumhe koi problem nahi hogi kya.? Agar raat me main...!"
"Kaha tha na." Vidhi ne kaha______"Dhele bhar ka bhi sense nahi hai tumhare paas. Yahi so jane ki baat se mera matlab hai ki mere ghar me hi so jaao naa ki mere kamre me. Ab itni raat ko apne ghar to jaaoge nahi. Buddhu kahi ke....huh."

Vidhi ki is baat par dushyant dekhta rah gaya use. Uske man me yahi khayaal ubhra ki ek baar fir se popat ho gaya uska. Jabki udhar ye sab kahne ke sath hi vidhi apne bed par let gayi thi aur dusri taraf ko karwat le liya tha usne. Dushyant is baat se bekhabar tha ki dusri taraf karwat liye huye vidhi ke hotho par shararat se bhari muskaan thi. Khair kuch pal sochte rahne ke baad dushyant sofe se utha aur kamre ke darwaze ki taraf badha.

"Achha thik hai mere kamre me hi so jaao." Dushyant ke jane ki aahat sun vidhi ne palat kar kaha_____"Lekin mere sath bed par nahi balki sofe par baithe baithe hi so jaao aur haan khabardaar jo mujhe sota dekh kar mauke pe chauka maarne ka socha to....Ab good night."

"Tum mujhe warn kar rahi ho." Dushyant ne palat kar muskurate huye kaha______"Ya mujhe taav de rahi ho.?"
"Zyada bakwas na karo tum." Vidhi ne aankhe dikhate huye kaha_____"Aur agar aisa kiya to soch lena khoon kar dugi tumhara."

"Sach me yaar." Dushyant sofe par baithte huye bola_____"Bahut zaalim ho tum. Zara bhi raham nahi hai tumhare dil me mere liye."
"Raham nahi hota." Vidhi ne dusri taraf karwat le li thi aur uske hotho par fir muskaan ubhar aayi thi, boli_____"To tumhe apne kamre me sone ke liye nahi kahti. Ab koi baat nahi...good night."

Vidhi ke good night kahne par dushyant ne kuch nahi kaha balki sofe par hi kisi tarah let gaya tha. Halaaki usme letne ki jagah nahi thi magar fir bhi usne khud ko kisi tarah adjust kar liya tha. Kamar se neeche ka hissa sofe se jhool raha tha aur pair seedhe the jo farsh par jame huye the. Is haalat me use comfortable to nahi lag raha tha magar kar bhi kya sakta tha. Wo to sona hi nahi chaahta tha kyo ki use us naqaab wale par koi bharosa nahi tha. Wo nahi chaahta tha ki uske so jane par vidhi ke sath koi anhoni ho jaye. Agar aisa ho gaya to wo kabhi khud ko maaf nahi kar payega.

Kamre me night bulb ka prakash tha. Vidhi dusri taraf ko chehra kiye leti huyi thi kintu neend uski aankho me bhi nahi thi. Hoti bhi kaise aaj do cheeze baaki dino se alag huyi thi. Ek to naqaab wale ka is tarah ghar ki khidki ke sheeshe ko fod kar use darana aur dusra inspector dushyant ka uske kamre me hona. Yu to use kamre me dushyant ke hone se koi problem nahi thi aur na hi uske man me ye baat thi ki use dushyant par bharosa nahi hai. Iske baavjud aaj ke haadse ne use andar se vichlit kar diya tha. Upar se naqaab wale ke bare me jo kahani dushyant ne use sunaayi thi uske bare me bhi uske zahen me na chaahte huye bhi soch ubhar aati thi.

Kamre me kaafi der se khamoshi chhaayi huyi thi. Vidhi ne aahista se palat kar dushyant ki taraf dekha. Dushyant sofe par badi ajeeb si haalat me aankhe band kiye leta hua tha. Use is tarah lete dekh vidhi ke hotho par muskaan ubhar aayi. Uske man me khayaal ubhra ki dushyant ne ek baar bhi sofe par so jane ki baat par aitraaz nahi jataya tha. Vidhi ne man hi man iske liye dushyant ko sorry kaha aur fir wo araam se aankhe band kar ke let gayi. Kaafi der baad aakhir use neend aayi aur fir wo dusri duniya me pahuch gayi.

Subah dushyant ke jagane par hi uski aankh khuli. Halaaki subah jaldi hi uski aankh khul jaati thi magar raat der se sone ki vajah se aaj subah uski aankh nahi khul paayi thi. Khair dushyant ke jagane par vidhi ne apni aankhe kholi aur jab thik se uski aankhe khul gayi to usne dushyant ke haath me tray dekha to use badi hairaani huyi.

"Good morning my sweet angel." Dushyant ne tray ko vidhi ki taraf badhaya aur fir muskurate huye kaha______"Aapke liye haazir hai garma garam chaay. Main aapki tarah sweet to nahi bana sakta magar buri bhi nahi banaya hoga, aisa mera anumaan hai."

"Oh my god.!" Vidhi ko pahle to hairaani huyi uske baad muskurate huye boli_____"Tumne mujhe jagaya kyo nahi dushyant. Main bana deti na....tumne kyo taklif ki.?"
"To kya ho gaya yaar.?" Dushyant ne kaha_____"Main to khush hu ki maine apni sabse sweet dost ke liye chaay banaayi aur subah subah uske hotho par khushiyo se bhari muskaan le aaya. By the way...zyada bura swaad to nahi hai na chaay ka.? Wo kya hai ki maine pahli baar hi banaya hai ise."

"Bahut achhi banaayi hai tumne." Vidhi ne chaay ka ek ghoont pine ke baad kaha_____"Par agar tum ye soch rahe ho ki tumhare is kaam se main tumhe buddhi nahi kahugi to galat soch rahe ho tum."

"Hahahaha.!" Dushyant hasa_____"Yaar aisi baat nahi hai. Tumhe jo kahna hai kaho magar ek hi request hai tumse ki apne saamne hi jo kuch bolna ho bolna. Kisi aur ke saamne aisa kuch bologi to you know....meri ijjat ka kachra ho jayega."

"Achha ji.?" Vidhi muskuraayi_____"Chalo thik hai kisi aur ke saamne aisa bol kar tumhari ijjat ka kachra nahi karugi. Ab ye chhodo aur ye bataao ki raat me soye the ya ullu ki tarah jaagte hi rahe ho raat bhar.?"

"Kya fark padta hai.?" Dushyant ne baat badalne ki garaz se kaha_____"Is baat ko chhodo aur chaay pi kar fatafat breakfast bana do kyo ki ye mujhe banana nahi aata. Time bahut ho gaya hai aur mujhe thane bhi jana hai."
"Thik hai." Vidhi ne chaay ke khaali cup ko waapas tray me rakha aur bed se utarte huye kaha_____"Tum ruko main fresh ho ke aati hu. Uske baad tumhare liye breakfast banati hu."

Vidhi ki baat par dushyant ne haan me sir hilaya aur fir kamre se baahar chala gaya. Jabki vidhi kamre se hi attach bathroom me daakhil ho gayi. Fresh hone ke baad vidhi ne breakfast banaya aur fir dushyant ke sath usne bhi breakfast kiya. Is dauraan dushyant zyadatar chup hi raha. Jane wo kya soch raha tha. Vidhi ko uska yu chup rahna ajeeb laga. Halaaki wo samajhti thi ki dushyant shayad us naqaab wale ka soch kar uski safety ke bare me soch raha hoga. Pichhle kuch dino se dushyant se uski achhi banne lagi thi. Vidhi ko dushyant ka apne liye yu care karna achha lagne laga tha aur use uski khichaayi karne me bhi maza aata tha. Dushyant ka uski baato par ajeeb tarah react karna achha lagta tha.

"Maine do teen police walo ko yaha bulaya hai." Breakfast ke baad dushyant ne chair se uthte huye kaha_____"Tumhari safety ke liye."
"Aur wo police wale kab tak meri safety ke liye yaha rahenge." Vidhi ne dushyant ki taraf dekhte huye kaha_____"Aur kya tumhe lagta hai ki un police walo ke rahte wo naqaab wala yaha nahi aayega.?"

"Main koi rishk nahi lena chaahta vidhi." Dushyant ne ispast bhaav se kaha_____"Tum achhi tarah jaanti ho ki us naqaab wale ne tumhe kis maksad se daraya tha. Usne tumhare zariye mujhe chetaawni di hai. Wo chaahta hai ki main uske raaste ke beech na aau magar aisa nahi hoga aur jab aisa nahi hoga to wo tumhe nuksaan pahuchane ki koshish karega. Is liye main chaahta hu ki tum police walo ke sanrakshan me raho."

"Agar tumhe lagta hai." Vidhi ne kaha_____"Ki wo naqaab wala mujhe kisi tarah ka nuksaan pahucha sakta hai to tum mujhe apne sath hi rakho. Tum do jagah ko ek sath puri tarah safe nahi kar sake. Tumhare wo police wale uska kya kar lenge agar wo apne sath puri gang hi le kar aa gaya to.? Is liye behtar yahi hoga ki sirf ek jagah ko safe rakhne ki koshish karo aur us jagah par mujhe bhi rakho. Isse tumhara dhyaan bhi ek jagah hi rahega."

"Agar tum iske liye taiyaar ho." Dushyant asal me yahi chaahta tha magar bola is liye nahi tha ki use lagta tha ki vidhi shayad uski baat ko na maane aur ab jab usne khud hi ye baat kah di to usne kaha_____"To isse better kuch hai hi nahi. Asal me main tumse yahi kahna chaahta tha."

"To kaha kyo nahi.?" Vidhi ne use ghoor ke dekha.
"Wo is liye." Dushyant ne jhempte huye kaha______"Ki kya pata tumhe ye baat manjoor hogi ki nahi."
"Isi liye kahti hu." Vidhi ne usi tarah ghurte hue kaha_____"Ki dhele bhar ka bhi sense nahi hai tumhare paas. Buddhu kahi ke."

"Haan tumhare hi paas to bas sense hai." Dushyant ne bhi use ghoora______"Tabhi to ek naqaab wale se itna dari huyi thi ki mujhe dekhte hi mujhse lipat gayi thi."
"To tumne kaun sa teer maar liya hai.?" Vidhi ne apna haath nachate huye kaha______"Pahle se jaante the us naqaab wale ke bare me aur abhi tak use pakad nahi paye. Bade aaye teer maar khaan kahi ke...huh."

"Kya ye kisi teer maarne se kam hai." Dushyant ne muskurate huye kaha______"Ki maine mauke pe chauka maar liya.?"
"Kya kaha tumne.?" Vidhi ki aankhe fail gayi, fir boli______"To tum us bare me aisa sochte ho.? Bahut gande ho tum. Jaao mujhe tumse koi dosti wosti nahi rakhni."

"Aree suno to." Dushyant ekdam se hadbada gaya. Usne to bas mazaak me kaha tha, bola______"Main to ye baat bas mazaak me kah raha tha yaar. Tum bhi to meri kitna khichaayi karti ho. Kya maine uske liye bura mana.?"
"Aanshu mat bahaao." Vidhi ne palat kar kaha_____"Kapde change karne ja rahi hu. Main bhi tumhare sath hi chalugi. Rondu kahi ke....huh."

Vidhi ne ye kaha aur fir pair patakte huye upar apne kamre ki taraf chali gayi. Jabki uski is baat par dushyant muskuraye bina nahi rah saka tha. Khair vidhi ke jane ke baad usne vikrant ko phone lagaya aur usse waha ki information li aur fir use kuch zaruri baate bata kar phone rakh diya. Uske zahen me ek hi baat chal rahi thi ki aaj apni dhamki ke anusaar naqaab wala avinash ko uski baat na maanne ke liye jaan se maarne aayega. Kya wo sach me apni dhamki ko pura karne aayega.? Kya sach me wo avinash ko jaan se maarne ki koshish karega ya fir ye uski kori dhamki hi bas thi..?



<>•<>•<>
 
Top