Chapter-2: Riya Rose
Update-5
Mujhe pata hai ki ye kisi bhi tarah se ek normal insaan ki nishani nahi hai ki wo aise apne bhavishya ko laat markar apne bachpan ke dost ke sath ateet ki band kayi kitaabe khole... Jiska ant bhi kuch khas naa raha ho. par ladkiyo ki baar-baar rejection se main itna frustrate ho gaya tha ki mujhe ab janna hee tha ki… main aisa kya galat karta hu, jo ladkiya aise hee bina koyi vazah bataaye sab kuch ekdum se tabah kar deti hai, bahut time lagta hai fir wapas apne purane rang me lautne ke liye aur iske beech ka samay… bas bata nahi sakta. main tharki hu…? Bilkul nahi.. Unhe abuse karta hu…? Hell, no… main toh cigarette tak nahi peeta….. dhokha…? Never… Jis ladki ko main present time dil de raha hota hu, us samay use chhodkar is brahamand ki kisi aur ladki ke baare me sochta tak nahi. toh fir kisi aur se raas rachane ki baat toh bahut door ki baat hai…. Badsurat bhi nahi hu… aur naa hee mota, patla, naata ya kala hoon... Aur toh aur is samay ki sabse badi requirement... naukri . wo bhi hai…? Wo bhi ek multinational company me. Fir aisa kya hai jo… mere sath aksar ye hota hai…
"pata nahi..... shayad main hee chutia hu…. "Mann hee mann bolte hue main ek baar fir mayoos ho gaya….
Main aur Ved aadhi raat ko Rewa ke liye Interceptor par nikal chuke the… maine apna saman toh baandh liya tha par Ved mere room se seedhe binakoyi samaan liye chal raha tha, uski himmat nahi ho rahi thi apni live-in waali girlfriend ke paas jaane ki. waise bhi Rewa hee wo jagah thi, jaha hum dono ka ghar tha… jaha hum dono ka school gujra tha. The Land of White Tigers~Rewa aur yahi main Riya Rose se mila tha…
“Atharva , yar thoda gadi rok na…. mutaash lagi hai…”main bas flashback me pahuchne hee wala tha ki Ved mujhe pakadkar wapas vartman me laya….
“kya hai yar, tera… abhi 10 km bhi nahi aaye aur tu do baar already gadi rukwa chuka hai…”
“thik hai…. mat rok… main yahi baithe-baithe moot dunga….”
“bullet ke upar nahi… “maine turant break mara… “tu ek baar mere upar moot de, wo chalega.... lekin bullet ke upar nahi…”
“haan thik hai na, bhadakta kyun hai… gadi hee toh hai…. "Mobile ka flash jalakar kar ghani andhiyari raat me ek oor bhagte hue Ved ne kaha
"aaahhhhh...... maja aa gaya. Waise Atharva... ek aur raasta hai, jis-se hum dono ko hot-hot.. Sexy -sexy kanyaye mil sakti hai…”
“kaun sa raasta…?”
“ek app hai , Grinder… tu use karta hai kya…”
“abhi toh pahli baar uska naam suna hai… download karunga baad me…”
“gay logo ka hai bas wo app…”
“gay wale se apna kya hoga… lesbian wala bata koyi…”maine kaha
“homosexual app hai, ladka aata hoga toh ladki bhi aati hee hogi naa… soch-soch”
“bas-bas… pura plan samajh gaya main… apan lesbian ban jayenge”
“hao aur lesbian ban ke baat karenge ladkiyo se aur unhe Sunayana mam ki sexy kahani sunayenge... wo fir Sunayana mam ko soch kar apni chut pe ungali karne ke liye majboor ho jayengi... fir iske baad jo bhi ladki humare radar me aayegi, un sabko chodenge…”
“chal bahut ho gaya… ab chalte hai…”
Maine bullet fir chalu ki aur road par dauda di…. Toh kaha tha main…? Yaad aaya… Riya Rose….
Riya Rose: The Second Girl of My life !
Riya ke sath mera rishta saal do hazar nau (2009

) me 12th class me shuru hua tha… main aur Ved nursery se us school me the aur waha ki ladkiyo ko bachpan se hee dekh-dekh kar itna pak chuke the ki unko dekh kar koyi romantic feelings hee nahi aati thi aur hume thoda bahut ghamandi bhi tha toh... kabhi jyada kisi ko bhaav hee nahi diya fir chahe wo mujhse padhne ke bahane patne tak ke liye hee taiyar kyun naa ho jaaye. Aur in ladkiyo ki sankhya tab aur badh jaati thi jab exams karib hote… especially jinka roll number exam hall me mere ya Ved ke aas-paas hota. sunne me ajeeb lagega par ab kya kare... sach yahi tha.
par record hai, Atharva ji ne kabhi apne gyaan ka durupayog nahi kiya. sexually toh kabhi nahi. par iska matlab ye nahi tha ki humare school yaani
Sanskar Valley ki ladkiya sundar nahi thi… bahut khoobsurat-khoobsurat kanyaye humare school me thi…. Itni khubsoorat ki jab chhutti hoti toh bagal ke government school ke ladke + paas ke engineering college ke ladke … sabhi bus stand me Sanskar Valley ki ladkiyo ko dekh kar laar tapkate rahte… ab Government school , boys school tha… isliye unke paas koyi option nahi tha, isliye unki vivashta aur vaasna main samajh sakta tha par BC engineering college waale.... matlab koyi limit hee nahi thi unke chutiyaape ki.
mera matlab, unke college me bhi maal thi, fir wo kyun humare school ki ladkiyo par nazar dalte the…? Shayad , unki college ki ladkiya already set ho chuki thi ya fir college ke jo ladke bus stand me baithkar laar tapkate rahte wo universal single the… universal single maine isliye kaha , kyunki yadi jab college me ladki set nahi hui toh fir… anyway, main Riya Rose ki baat kar raha tha….
Riya ki entry humare school me 12th class me hui thi bole toh 2009 me…. Uske papa Police Inspector the aur unka transfer Jabalpur se Rewa hua tha…. Riya ka school me pahla din jo tha usi din meri uspar nazar padi…. Kale baal, kaali aankhe, school ke whiteboard ki tarah uska chamakta chehra aur waisa hee chehre ka rang, dayi aankh ke thik neeche halke kaale rang ka til…. Aur usme jab wo gol topi pahan kar pahli baar mujhe upar corridor me khadi dikhi toh… use dekhkar main muskura utha… wo 12th biology class ke gate ke thik saamne railings pe dono hath rakh kar neeche ground me dekh rahi thi…. Humara school do manjila tha. Upar ke manjil me 11th, 12th ke class lagte the aur neeche 10th tak ki class lagti thi … neeche dekhte hue usne apni gol-gol topi apne sar se hatayi aur uski hairstyle dekh kar main , jo us-se thodi doori par railing me apna pichhwada aur dahina par tika kar khada tha… fisal kar neeche girne se baal –baal bacha… aur neeche gir bhi jaata yadi.........
“aur kitna neeche girega be… gire hue insaan….”Ved ne mere balance bigadte hee pet ke paas mere shirt ko apni mutthi me daboch mujhe girne se bachate hue kaha aur apni taraf kheencha...
“kya ladki hai be… hairstyle dekh… pahle saamne ke baal ko ekdum peechhe kiya aur fir jo baal peechhe kiya hai usko aakhiri me do part me equally divide… katayi zehar lag rahi hai… scale se naap-naap ke apna baal set karti hai kya”neeche girne ka jo dar ek pal ke liye mere andar samaya tha , dusare pal khud ko sahi-salamat dekh rafoo-chakkar ho gaya
“tujhe bhi achchi lagi kya…”
“tujhe bhi… ka kya matlab… tujhe bhi… ?”
“bilkul… bahut dino baad aisa tanaka maal aaya hai, ekdum fresh….”
“par pahle main try marunga…”
“aisa kyun…? Mere lund me kaante lage hai kya…”
“mera naam kya hai…”
“Atharva…”
“aur tera naam kya hai…”
“Ved…”
“hum dono ke naam ko ek sath jode toh kya banta hai…”
“Atharva-Ved…”
“toh pahle kiska naam aayega...?”
“Atharva… yani tera…”
“toh pahle kaun try marega….”
“ Atharva... yaani ki tu…”flow-flow me Ved bola
“thank you, ved… ab laa apni tie de… meri tie thodi mudi hui hai… iron karna bhool gaya….yadi maloom hota ki ye aane wali hai toh apne tie ke sath - sath apne baal par bhi iron maarkar sidha kar leta... Laa tie de.”
“mere jhaat ka baal lega… ? usi ko ekattha karke jod-jod ke , mod-mod ke tie bana ke pahan le. Yadi meri jagah tu use pata liya toh lead role me tu ho jayega aur mujhe side character bana dega puri story bhar…”
“background me ek maal de dunga na… tujhe. tension kyun le raha hai...”
“main nahi jaanta… ya toh pahle main try marunga ya fir dono me se koyi try nahi marega….”
“Ved, mere bhai… maan ja … earphone dunga apna naya wala…”
“aur…”
“bf waali puri DVDs bhi…”
“aur kya dega…”
“aur kya hai mere paas….”
“tere ghar ke bagiche me is bar jab angoor lagenge toh… pahle main pet bhar ke khaunga…”
“done….”
“aur kya dega….”
“ab toh sirf mera lund hee bacha hai… lena hai toh bol….”.
“thik hai.. ro mat…. ye le…” apna tie nikal kar mujhe dete hue Ved bola “waise bhi main uspe try nahi marne wala tha… use dekhkar hee mujhe andar se feel ho raha hai ki is ladki ko nahi patana chahiye…. chutiya ban gaya tu… wo toh tujhse samaan lene ke liye main aisa bola.. ”
Maine apna collar uthaya , sleeves modi aur tie lagakar khade collar ke sath hee goggle lagaya aur us fresh maal ki taraf badha…. Is waqt lunch time tha , isliye lagbhag sabhi ladke-ladkiya idhar-udhar ghoom rahe the… is beech wo akeli biology class ke bahar khadi hokar niche ground ki taraf dekh rahi thi….
Mujhse uska ye akelapan dekha nahi gaya, isliye Maine apna tej dimag lagaya aur is niskarsh par pahucha ki… ye iska pahla din hai… isliye iska abhi koyi friend bhi nahi bana hoga aur koyi bhi insaan apne first friend aur first love ko kabhi nahi bhoolta…. Aur yaha toh main first friend aur first love dono banne wala tha… wooohh.. How lucky i am. How lucky is she.
Main full role me collar khada karke, tie thoda loose karke, goggle ache se set kiya aur apne baaye -daaye dekhte hue style me uski taraf badha... Iraada toh michael jackson ki tarah corridor me moon walk karke jaane ka tha. Par wo apne ko aata nahi tha, isliye filhal hindustani style me line maarna mujhe uchit laga. Uski taraf bilkul bhi naa dekhkar main aise hee style me big babool gum chabaate hue uski taraf badhta raha aur jaha wo khadi thi, us-se bas do hath ki duri par apna pichhwada railing me tikaya aur honth par ek ungali rakhkar, nazre upar ki taraf kar kuch sochne ki acting karne laga… taaki use ye na lage ki… main yaha use line maarne aaya hu….
Wo shayad is samay bahut bore ho rahi thi… ya fir main us-se kuch bolu, uske pahle hee mujhe reject karte hue usne apna mobile niakala….
“pahle din hee restricate hona hai kya…?”apna pichhwada railing me khiska kar uske thoda karib jaate hue main bola
“sorry…?”ye sunne ke thodi der baad usne apni najre meri taraf ki aur itna bolkar fir apne mobile me kuch type karne me busy ho gayi…
“maine kaha ki… pahle din hee restricate hona hai kya….”uski taraf thoda aur khisakte hue maine fir se wahi kaha…
“kyun…”wo fir thoi der ke liye mujhe dekhi aur itna bolkar fir typing me busy ho gayi…
Jiske baad main fir se uski taraf thoda sarka….
“mobile allowed nahi hai, mam… aise school me sabke saamne mobile use karogi toh , koyi na koyi principal ke paas complaint kar dega aur fir jaanti ho kya hoga…?”
“nahi….”typing karte hue hee wo boli…
“fir hoga ye ki…”thoda aur railing me uski taraf sarakte hue maine kaha
“ fir hoga ye ki… teachers mobile jabt kar lete hai aur fir Prayer hall me prayer khatm hone ke baad jiska mobile rahta hai… use pure school ke saamne bulayenge , baaki student taaliya bajakar swagat bhi karenge aur uske hath me hathoda dekar… usi ka mobile use fodne ke liye kahenge… aur meri baat mano, mobile futne se jyada gam… sabke saamne yun beizzat hone se hoti hai…”
“how many times has it happened …”mobile me typing karna chhod wo finally meri taraf palti... thoda hee sahi.
“actually, it never happened…”sar khujaate hue main muskuraya
Muskurana wo bhi chahti thi par usne apni muskan honth ko idhar-udhar , daaye-baaye karke, honth se honth ko dabate hue rok li par isi ke sath ab wo puri tarah se mere taraf palat gayi…
“I’m Riya…. Riya Rose….”apna hath meri taraf badhate hue Riya boli
“I’m Atharva…Atharrrvva….”
“I'm Ved…”peechee se Ved, Riya ka wo hath thaamte hue bola, jo usne mere liye badhaya tha...
“Atharva-Ved…?”hum dono ke naam jodkar Riya ne apni aankhe chhoti ki aur hume ghoorne lagi
“abey deal hui thi na humari… fir tu kyun aaya…”ek kohni Ved ke pet me maarkar maine dabi aawaz me kaha aur fir Riya ki taraf dekh kar muskurane laga…
“wo jo ek shirt humne kal dukan me dekhi thi, jo hum dono ko pasand aayi thi… use tu nahi lega… use main lunga. Par paise tu dega. Wo kya hai ki yadi dono same shirt le lenge toh log bolenge ki buy 1, get 1 me liye hai…”
“thik hai… par tu nikal ab…”
“ok… Riya..”waha se jaate hue Ved bola “ aur isse bach ke rahna, character bahut kharab hai is ladke ka… yakin naa aaye toh kisi bhi ladki se puch lena school me… watch out”
“thanks for heads up….” muskurate hue wo Ved se boli
.
“tumne uska yakin toh nahi kiya na…”Ved ke jaane ke baad maine, Riya se puchha
“papa, police inspector hai mere… jaha doubt na karna ho, waha bhi doubt hone lagta hai…… aur tumhare situation me toh pahle hee kisi ne warning de di hai... "
“tum apne papa ka naam lekar mujhe darane ki koshish kar rahi ho kya…? wo bhi apne school ke pahle din... Great”
“tum kaise pata, aaj mera pahla din hai…”
“zindagi bhar isi school me padha hu… yaha aisa koyi nahi hai, jise main nahi jaanta aur yaha aisa koyi nahi hai, jo mujhe na jaanta ho… aur tumhe aaj se pahle kabhi dekha nahi… ya toh Sanskar Valley me kisi dusare school se aayi ho ya fir Rewa ke hee kisi dusare school me rahi hogi aur waha koyi aisa kritya hoga ki wo tumhe nikalne par majboor ho gaye honge…”
“what did you say, your name was ? ”
“insult… ? ”
“yes…”fir se apna mobile nikal kar kuch type karte hue Riya boli “ I wasnt paying much attention earlier.. So i forgot your name. So …”
“The one and only ..... Atharva…”
“Atharva…..”mobile me mera name type karte hue wo mera naam boli
Jab usne mobile me mera name type kiya toh main thoda upar uthkar uske mobile me dekhne ki koshish ki… ki wo kya search kar rahi hai… wo school ke website me mujhe search kar rahi thi.
“Atharva Singh Bhattacharya…. 12th Mathematics… lol, kabki photo hai ye…”
Maine bhi apna mobile nikala aur jaise Riya ne kiya tha, waise hee Uska naam bolkar school ki website me type karne laga…
“Riya Rose…. Not found… lol, fees jama nahi ki kya….”
“ha ha ha..."turant chidhkar usne jawab diya " abhi id nahi bani hai meri…"
"Toh fir aise hee maukhik bata do.. apne baare me"kahte hue main ek baar fir muskuraya
"Riya Rose, 12th Biology…”dono honth andar ki taraf bhichkar apni muskan dabaate hue wo boli…
“iiiiiiiii must be going….byeeeee... Riiiii… Rimaa..? No.. ? what did you say, your name was ? actually I wasn’t paying much attention earlier, so I forgot thy holy name… oh teri, Physics waliiii”physics wali mam ko seedhiyo se upar aata dekh maine mobile turant jeb me dala aur collar-vollar thik karte hue sarpat apni class ki taraf bhaga….
“kya bol gaya ye... ye pagal hai kya...? aur aise bhag kyun raha hai, achanak se......”mujhe achanak waha se bhagta dekh Riya sirf itna bol payi
“main samjhata hoon na baad me... pura concept clear hai mera, tumhara bhi kar dunga”apni class ki taraf bhagte hue hee main chillaya
jisse agal-bagal ... aage-peechhe... saamne se peechhe jaane waale, peechhe se saamne aane waale., meri aawaz sun jaha the wahi ek pal ke liye ruk gaye.... aur fir agle hee pal mann hee mann mujhe chutiya kahkar aapne-apne raaste aage badh gaye.
~Index at post no. #4