• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller BEGUNAAH ( Completed )

TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
nice update ..pratiksha ko kitna samajhaya dushyant ne ,,phir bhi vidhi ko bhabhi kehkar dushyant ka kaam tamaam kar hi diya tha 🤣🤣🤣..
dushyant ki to himmat nahi ho rahi thi bathroom se bahar aane ki 😁😁..

par itne din baad avinash ko ghutan ho rahi thi aur uske chehre se bhi yahi laga vidhi ko ..

waise itne police wale bhar pehra de rahe hai to main darwaja band nahi rakhna chahiye ,,agar vidhi ko akela dekhkar kuch karta avinash ko bahar ke log madad kaise kar paate 🤔🤔..

aur ye dushyant ko aisa kyu lag raha hai ki avinash sach bol raha hai yaa jhooth yaddasht ke baare me 🤔🤔..
Bahut bahut shukriya KEKIUS MAXIMUS bhai aapki is khubsurat pratikriya ke liye,,,,:hug:
 

TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
Behad hi shandar update tha shubham bhai_______
Avinash ko kamre me ghutan ho rahi thi to wo vidhi ke paas gaya chhat ki key lene ke liye. Waise sochne wali baat hai ki itne din se wo kamre me hi rah raha tha to iske pahle use ghutan kyo nahi hui. Kahi aisa to nahi ki uski memory wapas aa gai ho aur ab wo yaha se nikalne ki firak me ho_______
To pratiksha bhi aa gai. Hahaha dushyant ne use bahut samjhaya tha lekin usne vidhi ko bhabhi ji bol kar dushyant ke sir par bomb hi for diya. Bechare ki haalat dekhne layak ho gai thi. Vidhi par bhi kuch kahte nahi bana tha lekin ye kya pratiksha bhi nidhi ki tarah haa nahi to bolti hai. Bhai isne to nidhi ki yaad dila di______
Avinash se mil kar dushyant ab confusion me hai ki usne usse jhuth bola hai ya sach. Mujhe to lagta hai ye dono bhai bade hi shatir hain. Dekhte hain aage kya hota hai_______
Bahut bahut shukriya Mr. Perfect bhai aapki is khubsurat pratikriya ke liye,,,,:hug:
Agar dono hi bhai shaatir hain to fir begunaah kaun hai,,,, :D
 

TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
Koi to hai hi gaddar. Mujhe to lagta hai ye bhanu hi khabri hai. Ye dono inspector bekar me hi use itna honest samajh rahe hain. Ho sakta hai usne isi baat ka fayda uthaya ho ki ye dono is baat par bharosa hi nahi karege ki wahi nakab posh ka khabri hai. Baaki to writer sahab hi jane______
Point hai is baat me,,,, :D
 

TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
वेद प्रकाश शर्मा की नोवेल ' विधवा का पति ' मैंने भी पढ़ा हुआ है । बेहतरीन उपन्यास है ।
अपडेट की शुरुआत अविनाश के लगातार कमरे में बंद रहने से घुटन महसूस होने से होती है ।
( जो कि मुझे लगता है वो किसी बात से ज्यादा परेशान है । शायद उसके अपने भाई भाभी के लिए जो चाल चली थी वो उल्टी पड़ गई हो या जिसे कैद करके रखा है उसके लिए । मुझे शत प्रतिशत विश्वास है कि उसकी कोई याददाश्त नहीं गई है । या हो सकता है कि वो अपने प्लान पर काम नहीं कर पा रहा हो क्योंकि दुश्यंत ने एक तरह से उसे नजरबंद कर के ही रखा है । छत पर जाने का मकसद वहां से फरार होने का हो सकता है ।)

प्रतिक्षा आ गई । मासूम और चंचल दोनों का सम्मिश्रण । आते ही अपनी मासूमियत और चंचलता का जादू बिखेरने लगी । विधि तो उससे बहुत ही इम्परेश हुई लेकिन दुश्यंत को पसीने छुटने लगे ।
( क्या करेगा बेचारा वो.... लड़कियों के मामले में मासूम जो है )

हां ! नहीं तो ! :D

बेहतरीन अपडेट शुभम भाई ।
Bahut bahut shukriya SANJU ( V. R. ) bhaiya ji aapki is khubsurat pratikriya ke liye,,,,,:hug:

Ab kahani me naye mod aane wale hain jisme asli wala matter shuru hoga,,,, :D
 

TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
Greattt bro. Such a mind blowing update and your writing skills. :applause: :applause: :applause:

I think avinash ki memory laut aai hai and wo kamre me ghutan hone ka bahana bana raha hai. Itna to usne bhi dekh hi liya hai ki vidhi ke ghar me use ek kmare me jaise kaid hi kar diya gaya hai. Akele kamre me wo jarur sochta hoga ki yaha se kaise nikla jaye to usne ghutan hone ka bahana kiya and chhat par jane ki baat kahi. Maybe wo chhat par se dekhna chahta hoga ki waha se nikalna easy hai ya nahi. :coffee1:

Inspector ki bahan ne to aate hi apne bhai ki khatiya khadi kar di. Phone par jo baate ki thi vidhi ne usse dushyant ki mom ko yahi laga hoga ki vidhi uski hone wali bahu hai and ye baat usne pratiksha ko bhi batai hogi tabhi to wo yaha aate hi vidhi ko bhabhi ji namaste kah rahi thi but inspector ne jo use samjhaya tha use wo bhul hi gai thi. Pratiksha to sach me kafi chanchal hai and wo haa nahi to bol bol ke gudgudi kar rahi hai ek naya sansar ke nidhi jaise. :coffee1:

Dushyant to bach ke nikal gaya abhi but aage kya hoga use bhi pata hi hai. Chhat par avinash se baate karte wakt wo dekh raha tha ki avinash kaise react karta hai but uske reaction se use kuch khaas pata nahi chala hai ulta wo confuse hi ho gaya hai. So let's see what happens next. :coffee1:



:celebconf: :celebconf: :celebconf: :celebconf: :celebconf: :celebconf:
Bahut bahut shukriya VIKRANT bhai aapki is khubsurat pratikriya ke liye,,,,:hug:
Agle kuch updates me ab sab kuch clear hone wala hai,,,, :D
 

TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
Bahot shaandaar mazedaar lajawab update bhai
Dushyant ki bahen tow badi chul buli baten kerti h
Dushyant ko achanak apne room ghutan kaise hone lagi kahi aisa tow nahi kisi n room koyi dhuwa wala zeher daal ho aur use pata hi na chala ho
Dekhte h aage kia hota h
Bahot khoob superb
Bahut bahut shukriya Naik bhai aapki is khubsurat pratikriya ke liye,,,,:hug:
Avinash ki ghutan ka raaz jald hi saamne aayega,,, :D
 

TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
BEGUNAAH
Update - 26
_________________________


Ab Tak,,,,,

"Koi baat nahi pyare." Dushyant ne kaha______"Zyada dimaag par zor na dala karo. Tumhari yaad daast ko jab waapas aana likha hoga to wo khud hi aa jayegi. Khair ham chalte hain dear. Tumhe agar abhi aur taazi hawa ka lutf lena ho to le lo."
"Nahi ab main bhi chaluga sahab ji." Avinash ne kaha_____"Yaha kafi der se hu aur ab achha mahsus ho raha hai. Waise bhi ab shaam ho chuki hai."

Dushyant seedhiyo ki taraf chal pada to uske piche avinash bhi chal pada. Kuch hi der me wo dono apne apne kamre me pahuch gaye. Apne kamre me pahuch kar dushyant ne apni wardi utaari aur normal kapde pahan kar bathroom me ghus gaya. Uske man me kayi saare vichaar ubhar rahe the. Uske zahen me sabse pahla sawaal yahi aaya tha ki uske puchne par kya avinash ne sach bataya tha ya jhuth.? Aapni yaad daast na aane ki baat kah kar kya avinash ne usse jhuth bola tha ya sach me uski memory waapas nahi aayi hai.?


Ab Aage,,,,,

"Ye jagah to pahle wali jagah se bhi zyada achhi hai jai." Saundarya ne ek bade farmhouse ke gate ke andar aane ke baad saamne dikh rahe ek bade se kintu do manjila ghar ko dekhte huye kaha______"Sach me yaha bhi door door tak abaadi nahi hai lekin iske jaise farmhouse aur bhi hain yaha. Kya unme koi rahta nahi hoga.?"

"Farmhouse shahar se door aisi hi jagaho par bade bade log banwate hain dear." Jai ne ghar ke darwaze ki taraf badhte huye kaha______"Taaki unhe shahar ki tarah shor sharaba na sunne ko mile. Yaha wo log ekaant me sukoon ke sath kuch din rahte hain aur apne pariwar ke sath apna wakt guzaarte hain. Uske baad wo fir yaha se chale jate hain."

"To kya fir yaha koi nahi rahta.?" Saundarya ne jai ki taraf dekhte huye pucha.
"Farmhouse ke maalik yaha ki dekh rekh ke liye ek do aadmi rakh dete hain." Jai ne darwaze ke key hole me ek moti si chaabhi daalte huye kaha______"Is farmhouse me bhi do aadmi the jinhe hamare aane se pahle hi yaha se hata diya gaya hai. Tum to janti hi ho ki ham kisi ki nazar me nahi aana chaahte."

"Haan ye to hai." Saundarya ne thandi saans chhodte huye kaha______"Pata nahi is tarah hame kab tak duniya walo se chhup ke rahna padega.? Baar baar thikana badalne se main to ab ukta chuki hu."
"Fikar mat karo dear." Darwaza khol kar andar daakhil hote huye jai ne kaha______"Ab hamare vanwaas ki awadhi khatm hi hone wali hai. Uske baad ham dono apne ghar me ek sath khushi khushi rahege. Bas ek baar wo ho jaye jiske liye ham itne saalo se dar dar bhatak rahe hain, uske baad hame kisi bhi chiz ki tension nahi rahegi."

Jai ki ye baat sun kar saundarya ne kuch nahi kaha balki wo andar aane ke baad is ghar ki banawat aur sundarta ko dekhne lagi thi. Ye farmhouse kafi bada tha. Chaaro taraf se uchi boundary wall thi aur bicho bich do manjila imaarat bani huyi thi. Jai is jagah ko do hapte pahle dekh chuka tha aur tabhi se usne yaha rahne ke bare me soch liya tha. Ab ye hairaani ki aur sochne wali baat thi ki is jagah par rahne ki byawastha usne kaise kar li thi.?

Thodi hi der me farmhouse ke andar wo tempo daakhil hua jisme uska samaan load tha. Tempo me jo log the unhone tempo se sara samaan utaar kar ghar ke andar rakhna shuru kar diya. Zyada samaan nahi tha kintu zarurat ki har chiz zarur thi. Kareeb ek ghante me sara samaan ghar ke andar sahi tarike se jama diya gaya. Uske baad jai ne tempo me aaye aadmiyo ko kuch paise diye aur unhe kuch zaruri hidaayate de kar farmhouse se vida kar diya.

Shaam dhal chuki thi. Jai aur saundarya samaan ko set karne aur karwane me thoda thak bhi gaye the is liye kuch der dono ne araam kiya, uske baad dono ne ek sath hi bathroom me snaan kiya. Saundarya raat ke liye kitchen me dinner taiyar karne lagi thi jabki jai ghar se baahar aa kar lawn me kisi se phone par baat karne laga tha. Baat karte wakt uske chehre par aise bhaav gardish karte nazar aa rahe the jaise wo kisi baat se behad khush ho.

<>•<>•<>

Dushyant chhat se niche aaya to dekha dring room me koi nahi tha. Kitchen se zarur halki halki awaaze aa rahi thi. Use samajhte der na lagi ki vidhi kitchen me hai. Uske dil ki dhadkane ye soch kar fir se tez ho gayi thi ki uski bahan ki vajah se jo kuch hua tha usse jab wo vidhi ke samne pahuchega to wo usse kya kahegi.? Kitna samjhaya tha usne pratiksha ko magar koi faayda nahi hua tha. Ab wo ye soch soch kar chintit ho raha tha ki uski natkhat bahan aage aur kya kya gul khilayegi jiski vajah se uski haalat kharaab hogi.?

Kitchen ke gate se dushyant ne chupke se andar ki taraf dekha. Kitchen ke andar vidhi khana banane me lagi huyi thi. Ye dekh kar dushyant dabe paanv waapas palta aur fir dabe paanv hi kitchen se hat kar seedhiyo ki taraf badh chala. Seedhiyo se hote huye wo vidhi ke kamre ke paas pahucha.

Dushyant ne vidhi aur pratiksha ki baate sun li thi is liye use pata tha ki uski bahan vidhi ke kamre me hi hai. Isi liye wo uske paas aaya tha taaki use fir se samjha sake. Kamre ka darwaza band tha is liye usne darwaze par knock kiya to andar se pratiksha ki awaaz aayi. Wo abhi aayi kah kar shayad darwaza kholne aa rahi thi. Kuch hi palo me darwaza khula aur bhai bahan ki nazre ek dusre se mili. Pratiskha dushyant ko dekhte hi pahle to muskuraayi fir ekdam se uska chehra latak gaya.

"Sorry bhaiya." Fir usne chehra latkaye huye hi maano udaas bhaav se kaha______"Mujhe yaad hi nahi raha tha ki aapne mujhe kya samjhaya tha. Par isme meri bhi zyada galti nahi thi. Darasal bhabhi itni zyada sundar thi ki unhe dekhte hi main sab kuch bhool gayi thi aur fir excitement me mere muh se unke liye bhabhi ji namaste nikal gaya tha...haan nahi to."

"Koi baat nahi gudiya." Dushyant ne kamre me daakhil hote huye kaha______"Lekin ab aisa dubara mat karna aur use bhabhi waabhi to bilkul bhi mat kahna. Wo sirf meri dost hai aur wo bhi mujhe sirf apna dost hi maanti hai. Is liye ab is baat ko achhe se yaad rakhna, thik hai na.?"

"Mujhe to lagta hai ki aap bewajah hi itna dar rahe hain bhaiya." Pratiksha ne halki muskaan ke sath kaha______"Bhabhi to bahut achhi hain aur unhone us wakt mujhe bhabhi kahne par kuch kaha bhi nahi tha....haan nahi to."

"Uffff fir bhabhi kaha tune." Dushyant ne pareshan lahje se kaha______"Maine tujhse kaha na gudiya ki ham sirf dost hain aur usne us wakt tujhe is liye kuch nahi kaha kyo ki wo teri pahli galti thi aur anjane me tujhse huyi thi magar dubara tere dwara aisa kahe jane par wo gussa ho jayegi. Uske baad wo ham dono ko yaha se baahar ka raasta dikha degi."

"Mujhe nahi lagta ki itni achhi ladki itna khatarnaak kaam karegi hamare sath." Pratiksha ne kaha_____"Aap to khamakha dar se kaape ja rahe hain. Aap mere wo bhaiya nahi hain jo kisi se bhi nahi darte the....haan nahi to."
"Ab main tujhe kaise samjhaau gudiya.?" Dushyant ne gahri saans lete huye kaha_______"Achha chal jane de. Tu araam kar le main ja raha hu."

Dushyant ye kah kar kamre se baahar nikal gaya jabki uske is tarah chale jane par pratiksha dhimi awaaz me hasne lagi thi. Fir usne darwaza band kiya aur bed par aa kar let gai. Dushyant ke aane se pahle wo fresh ho kar aur dusre kapde pahan kar hi bed par araam karne ke liye leti thi.

Idhar dushyant man me kayi tarah ki baate sochte huye niche aaya aur dring room se hote huye baahar ke darwaze ke paas pahucha hi tha ki piche se aayi vidhi ki awaaz se use ruk jana pada. Vidhi ne use rukne ke liye awaaz di thi. Dushyant samajh gaya ki ab uski class lagne ka time aa gaya hai. Usne ek gahri saans li aur palat kar vidhi ki taraf dekha.

"Is tarah chup chaap kaha bhaage ja rahe ho tum.?" Vidhi ne apne dono hath kamar me rakh kar aur use ghoorte huye kaha tha. Wo kareeb paanch kadam ki doori par hi khadi thi.
"Na...nahi to...main to kahi nahi bhaaga ja raha." Dushyant uski baat se ekdam baukhla gaya tha_____"Main to darwaze ki kundi lagane aaya tha."

"Kundi to maine usi wakt laga di thi jab tum apni bahan ko le kar aaye the." Vidhi ne usi position me apni kamar par haath rakhe huye kaha______"Aur zara ye to bataao ki tum pratiksha ko ye kya sikha padha kar laaye ho.?"

"Kya matlab.???" Dushyant ne buri tarah chaunkte huye kaha______"Maine bhala use kya sikhaya padhya.?"
"Zyada bhole mat bano tum." Vidhi ne sapaat lahje me kaha______"Tumne bhi achhi tarah suna tha ki usne mujhe kya kaha tha. Matlab ki jab maine tumhare pyar ko accept nahi kiya to ab tum pratiksha ki aad me ye sab karne lage.?"

"Tum galat samajh rahi ho vidhi." Dushyant uske paas jate huye gambheer bhaav se bola______"Maine pratiksha ko iske liye kuch bhi nahi sikhaya padhaya aur na hi main aisa karne ke bare me soch sakta hu. Meri nazar me ye sab karna had darze ka ghatiya kaam hai. Tum khud socho ki jab main khud hi tumhe kah chuka hu ki tumhe mere liye majbur hone ki koi zarurat nahi hai to fir main tumhe majbur karne aur karane wale kaam kaise karuga.? Ye sab maa ki vajah se hua hai. Jab tumne us din unse phone par baat ki thi tab unhone shayad ye samajh liya hoga ki ham dono ke bich aisa waisa rishta hai. Is khushi me unhone pratiksha se bhi ye sab bataya hoga. Ye sab usi vajah se hua hai. Agar tumhe is baat se bura laga hai to main pratiksha ki taraf se uske liye tumse maafi maagta hu."

"Zyada senti hone ki koi zarurat nahi hai." Vidhi ne usi sapaat lahje me kaha______"Mujhe pratiksha ke dwara waisa kahne ka zara bhi bura nahi laga hai. Wo to masoom hai. Mujhe laga waisa kahne ke liye usse tumne kaha hoga."

"Bilkul nahi." Dushyant ne kaha______"Main usse waisa kahne ke liye kah hi nahi sakta. Mujhe jo kahna tha wo maine pahle hi tumse kah diya tha."
"Khair chhodo is baat ko." Vidhi ne palat kar sofe par baithte huye kaha. Wo man hi man has rahi thi dushyant ki hawa nikaal kar. Idhar dushyant ne bhi maano chain ki saans li thi aur fir aa kar uske samne wale sofe par baith gaya.

"Wakeel sahab se baat cheet huyi tumhari.?" Dushyant ne vidhi ki taraf dekhte huye pucha.
"Haan wo subah gyaarah baje ke kareeb aaye the." Vidhi ne shaant bhaav se kaha______"Yaha wo ek ghante tak rahe. Hamare bich kafi saari baate huyi. Pahle to unhone yaha ki aisi security ke bare me mujhse pucha to maine unse saari baate bataayi jise sun kar wo kafi hairaan the. Uske baad business aur property se related baate hone lagi. Maine bhavnagar wali company ko chhod kar baaki teeno ko bench dene ke liye unse kah diya hai. Property me ye ghar aur bhavnagar wale bangale ko bachaya hai aur sath hi ek farmhouse ko bhi. Baaki property ko bechne ki baat kahi unse. Uska jo paisa hoga usme se adhe paise se maine ek naya anathashram kholne ko kaha unse. Usme sabhi anaath bachcho ka paalan poshan aur unki padhaayi ka sara kharcha hamari taraf se diya jayega. Uske alawa kuch paisa har mahine sameep ke hi ek briddhashram ko dene ki baat huyi."

"Ye to bahut hi achhi baat hai." Dushyant ne kaha______"Tumhare apne jiwan ke liye itni property aur paisa hi paryaapt hai."
"Sahi kaha." Vidhi ne kaha_____"Company ke sare workers ka hisaab puri imandari se kar ke unhe unka paisa diya jayega aur sath hi sabhi workers ko meri taraf se ek ek lakh rupaye diye jayege taaki kisi ke bhi man me asantosh na rahe. Bhavnagar wali company ka sara kaaryabhaar ab meri dekh rekh me hoga. Iske liye mujhe daily waha par jana hoga. Ye maine khud decide kiya hai kyo ki yaha akele baithne se behtar hai ki main isi me apna wakt bitaau."

"Starting me." Dushyant ne kaha_____"Thodi problem hogi jaanne samajhne me magar baad me tumhare liye sab easy lagne lagega."
"Haan ye to hai." Vidhi ne kaha_____"Waise dad ke bharosemand aadmi hain waha jinke bare me dad ne mujhe us din bataya tha ki wo meri puri help karege aur har chiz ke bare me baariki se batayege. Dad ne ye bhi bataya tha ki company me unka ek aur bharosemand byakti hai jo meri har tarah se help karega aur wo meri age se bas thoda sa hi bada hai. Dad ne us din ye bhi bataya tha ki wo byakti unhe bahut pasand tha aur wo use mera life partner banane ke bare me bhi soch rahe the."

"Ohh fir to ye aur bhi achhi baat hai." Vidhi ki is baat se dushyant ko zabardast jhatka laga tha magar fir jaldi hi usne khud ko samhaal liya tha______"Mere khayaal se tumhe jald hi company ka sara kaarybhaar samhaal lena chahiye. Main bhi ab koshish karuga ki ye case jald se jald nipat jaye taaki iski vajah se tumhe bhi is paabandi wali pareshani se nijaat mil jaye."

"Is case ke baad kya tum mujhse milne nahi aaoge.?" Vidhi ne dushyant ke chehre ki taraf dhyaan se dekhte huye puchha tha.
"Pata nahi." Dushyant ne ajeeb bhaav se kaha. Sach to ye tha ki vidhi ki us baat se uska dil toot sa gaya tha aur ab use vidhi ka vajood apne se bahut door hota dikhaayi dene laga tha jo ki uske liye behad dardnaak tha. Fir bhi apne machal rahe jazbaato ko samhaalte huye kaha_______"Is case ke baad tumhare is ghar me rahne ke liye mere paas koi khaas vajah bhi nahi rah jayegi. Main ek police wala hu is liye iske baad koi dusra case mil jayega jisme main busy ho jaauga. Dusri baat ye ki tum bhi iske baad yaha sara din akeli nahi rahogi. Tum bhi to apni company aur karobaar me busy ho jaaogi. Aise me ek dusre se milna milana shayad hi sambhav ho sake."

"Kamaal hai." Vidhi ne kaha______"Mujhse dosti ki baat karte ho aur ye bhi bol rahe ho ki milna milana sambhav nahi hoga.? Bhala ye kya baat huyi.?"
"Wakt hamesha ek jaisa kaha rahta hai vidhi.?" Dushyant ne feeki muskaan ke sath kaha______"Aaj wakt aisa hai ki avinash ke maamle ki vajah se ham dono is ghar me ek dusre ke aamne saamne baithe hain magar fir wakt badal jayega. Avinash ka maamla bhi nipat jayega aur mujhe bhi kisi dusre case me lag jana padega. Sab kuch badal jayega dost...na tum sara din yaha khaali baithi rahogi aur na hi main yaha aa paauga. Lekin haan is sab me ek cheez zarur huyi hai aur wo ye ki main na to is case ko kabhi bhool paauga aur na hi tumhe. Tumhare sath guzre huye chand dino ke ye lamhe mere liye ek khubsurat yaad ban kar rah jayege, jo mere dil ko khushi bhi denge aur shayad dard bhi."

"Ohh tum to senti ho gaye." Vidhi ne larazte huye swar me kaha aur fir sofe se uthte huye boli______"Main ham dono ke liye chaay bana kar laati hu."
"Hmmm." Dushyant iske siva kuch na bol saka. Uske dil par is wakt bada tez tufaan utha hua tha. Uska ji chaah raha tha ki dahaade maar maar kar rona shuru kar de magar usne khud ko badi mushkil se samhala. Uske hotho par ye soch kar feeki si muskaan ubhar aayi ki kabhi kabhi ek mard kitna bebas ho jata hai ki wo kisi ke saamne ji bhar ke ro bhi nahi sakta.

Dushyant se chaay bana kar lane ki baat kah kar vidhi badi tezi se kitchen ki taraf aayi thi. Kitchen me aate hi wo kitchen ke base par aankhe band kar ke khadi ho gayi thi. Uski dhadkane badi tezi se chal rahi thi. Band palko ki koro se aanshu ke katre nikal kar uske surkh gaalo par gir pade the. Usne to bas chhedne ke liye dushyant se company ke us kalpnik ladke se apne life partner wali baat kahi thi. Use nahi pata tha ki uski un baato se dushyant itna zyada senti ho jayega jisse ki wo aisi baate karne lage. Use uski bhavnaao ka bakhubi ahsaas tha. Dushyant ki baato ne uske dil ko jhakjhor kar rakh diya tha. Wo jaanti thi dushyant use kis had tak chaahta hai aur ab to wo bhi use utna hi chaahe lagi thi. Ye alag baat hai ki apni chaahat ko khul kar usse kahne ki na to usme himmat hoti thi aur na hi wo apni sharm ko khud se door kar sakti thi. Dosti ke rishte se wo dushyant se har lahje me baate kar leti thi aur isme use na to jhijhak mahsus hoti thi aur na hi use himmat jutaani padti thi.

"Tum buddhu ke buddhu hi rahoge dushyant." Vidhi ne apne gaalo par ludhke aanshu ke katro ko ponchhte huye dhime swar me jaise khud se hi kaha______"Tum ye kyo nahi samajh rahe ki main bhi tumhe chaahne lagi hu.? Kya tumhe meri aankho me zara sa bhi apne liye prem nahi dikhta.? Are buddhu main to aise hi tumhe chhed rahi thi aur tum ye samajh baithe ki main tumse ab door ho jaaugi. Nahi jaan...ab to main chaah kar bhi tumse door nahi ja sakti aur na hi tumse door hona chaahti hu. Tumhe agar mere jaisi ladki ki talaash thi to fir tum bhi ab ye samajh lo ki meri talaash bhi tum hi ho."

Kuch der me chaay ban gayi to vidhi ne use teen cup me dala aur fir sabse pahle apne dupatte se apni aankho ki nami ko achhe se ponchha uske baad wo haatho me tray le kar kitchen se baahar aa gayi. Kuch hi palo me wo dring room me pahuchi. Usne dekha ki sofe par dushyant kisi soch me dooba hua baitha tha. Use is tarah soch me duba dekh vidhi ke dil me ek tees si ubhri. Wo jaanti thi wo is wakt unhi baato ke bare me sochte huye apne dil ko jala raha hai. Vidhi ko apne aap par ye soch kar behad gussa aaya ki usne use aisi baato ke dwara chheda hi kyo tha.

Vidhi ne dushyant ko awaaz di to uski tandra bhang huyi. Usne chaunk kar vidhi ki taraf dekha to vidhi ko apne saamne tray liye khade paya. Vidhi tray liye thoda sa jhuki to dushyant ne usme se chaay ka cup plate ke sath utha liya. Uske baad vidhi ne ek cup tray se nikaal kar center table par rakha aur fir tray liye seedhiyo ki taraf badh gayi. Kuch hi der me wo waapas aayi aur dushyant ke saamne sofe par center table se apna cup utha kar baith gayi.

"Avinash ko chaay nahi diya kya tumne." Chaay ki ek chuski lene ke baad dushyant ne vidhi se pucha.
"Usi ko to de kar aayi hu abhi." Vidhi ne shaant bhaav se kaha______"Pratiksha ke liye nahi banaya kyo ki abhi wo araam kar rahi hai. Jab wo araam kar ke aayegi to ham sab sath me hi dinner karege."

Vidhi ki is baat par dushyant chup hi raha. Uske chehre par aise bhaav the jaise wo abhi bhi kisi cheez ke bare me soch raha ho. Vidhi lagataar usi ki taraf dekhe ja rahi thi. Dushyant ka dhyaan kahi aur hi tha. Vidhi ke zahen me khayaal ubhra ki uski baato ka asar dushyant par shayad kuch zyada hi ho gaya hai. Tabhi to wo ekdam se shaant aur gumsum sa nazar aane laga hai. Vidhi ko is baat se apne aap par fir gussa aane laga ki uski bevkufi ki vajah se ye sab hua hai.

"Achha tumne bataya tha ki tumne us bhediye ko pakad liya hai." Vidhi ne maahaul ko pahle jaisa banane ki garaz se kaha_____"Jo us naqab wale ko yaha ki suchnaaye deta tha.? Usse us naqab wale ke bare me tumhe kuch pata chala kya.?"

"Ye sab us naqab wale ki sochi samjhi saajish thi." Dushyant ne sapaat lahje se kaha______"Kyo ki bhediye ke roop me jo shakhs pakad me aaya wo hamare police thane ka sabse zyada imandar byakti hai. Wo byakti thane me ek mamuli sa hawaldaar hai jisne apni ab tak ki service me kabhi kisi se ek paisa bhi rishwat me nahi liya. Tumhe maine hawaldar bhanu singh ke bare me bataya tha na.?"

"To kya..??" Vidhi ke chehre par chaunkane ke bhaav ubhre.
"Haan." Dushyant ne uske sawaal ko samajh kar use bich me hi tokte huye kaha______"Wo bhediya bhanu singh hi hai jabki sach ye hai ki bhanu singh ko jaan bujh kar bhediye ke roop me fasaya gaya hai. Asal bhediya to koi aur hi hai jisne bhanu singh ko fasaya hai."

"Baat kuch samajh me nahi aayi." Vidhi ka dimaag jaise ulajh gaya tha.
"Badi seedhi si baat hai vidhi." Dushyant ne kaha_____"Hame is baat ka shak ho chuka tha ki hamare department me koi aisa byakti hai jo us naqab wale ko hamare har kriyakalaap ki jankari deta hai. Is liye ham us bhediye ki khoj me lag gaye. Yahi baat us naqaab wale ko bhi pata chal gayi ki mujhe is baat ka shak ho chuka hai aur ab main uske khabri ko khoj raha hu. Is liye usne iske liye ek chaal chali jisme usne bhediye ke roop me bhanu singh ko hame pakadwa diya aur apne asal khabri ko hamari pakad se door kar diya."

"Par naqab wale ne aisa kiya kyo.?" Vidhi ne hairaani byakt karte huye kaha______"Aakhir aisa kar ke use kya laabh hua hoga.?"
"Aisa karne se." Dushyant ne kaha______"Use ye laabh hoga ki ham ulajh kar rah jayege aur dubara naye sire se uske bhediye ki talaash karege. Tum samajh sakti ho ki isme wakt lagega aur wo naqab wala shayad wakt hi chaahta hai. Filhaal to abhi uske laabh ke roop me yahi samajh aa raha hai magar mujhe yakeen hai ki aisa karne ke pichhe uska iske alawa bhi koi dusra maksad hoga."

"Aur kya maksad ho sakta hai uska.?" Vidhi ne maano sochne wale andaaz se kaha______"Ye bhi to ho sakta hai ki aisa kar ke wo avinash tak pahuchne ka koi raasta bana raha ho."
"Ho sakta hai." Dushyant ne kaha______"Kyo ki avinash ko haasil karna uski pahli priority hai magar avinash tak pahuchna uske liye namumkin hai. Tumne dekha hi hai ki yaha par security ka kitna tagda intjaam kar rakha hai maine. Boundary wall me gupt roop se aise sensors lagaye gaye hain jis se agar koi unauthorised person us diwaar ko touch karega to andar system me fauran alarm baj uthega. Uske baad yaha ki security fauran hi harkat me aa jayegi."

"Chalo ye maan liya ki yaha par wo naqab wala pravesh nahi kar sakta." Vidhi ne kaha______"Magar ye baat to naqab wale ko bhi pata chal chuki hogi ki tumne yaha kitni tight security ka intjaam kar rakha hai. Aise me bhala wo yaha aane ki murkhata karega hi kyo.? Mujhe to isme kuch aur hi maamla samajh me aa raha hai."

"Kaisa maamla.?" Dushyant ne vidhi ki taraf dhyaan se dekha.
"Meri theory 'Door Ki Kaudi' word se related hai." Vidhi ne khaas bhaav se kaha______"Halaaki badi simple si theory hai. Jaise tum ye samajhte ho ki us din ke accident se mumkin hai ki avinash ki yaad daast waapas aa gayi hogi waise hi is baat ko kya wo naqab wala nahi samajhta hoga.? Mera khayaal hai ki itna shaatir byakti zarur is baat ko samajhta hoga."

"Tum kahna kya chaahti ho.?" Dushyant ke maathe par shikan ubhar aayi.
"Galat baat hai ye." Vidhi ne bura sa muh banaya______"Beech me kisi ki baat ko kaatna galat baat hai. Khair to main ye kah rahi thi ki waise hi is baat ko wo naqaab wala bhi samajhta hoga. Is baat ko le kar avinash ke sambandh me jo baate tum soch rahe the wahi baate us naqaab wale ne bhi sochi hogi. Yaani ki agar avinash ki yaad daast waapas aa gayi hai to use apne past ka sab kuch yaad aa jayega. Uske baad mauka dekh kar wo yaha se chup chaap khisak lega. Yaha se khisakne ke piche uska yahi maksad hoga ki uske sath jisne bhi bura kiya hai wo usse badla lega. Use to ye baat 101% pata hi hogi ki uske sath bura karne wala kaun hai. Is liye wo yaha se khisakne ke baad seedha apne dushman ke paas pahuchne ki koshish me jut jayega."

"Main abhi bhi nahi samajh pa raha hu ki tum kahna kya chaahti ho.?" Dushyant se raha na gaya to wo fir se bich me bol pada tha.
"Main asal mudde par hi aa rahi thi." Vidhi ne use ghoorte huye kaha______"Khair, to jaise tum ye sab baate avinash ke bare me uski yaad daast aane ki baat ko madde nazar rakhte huye soch rahe the, theek aise hi ye baate us naqaab wale ne bhi sochi hongi. Ab tum khud socho ki agar sach me avinash ki yaad daast aa gayi hai to wo tumhare anumaan ke mutaabik yaha se mauka dekh kar khisak jayega ki nahi.???"

"Haan kyo nahi." Dushyant ne jaise swikaar kiya_____"Kyo ki itna to saabit ho chuka hai ki uske sath past me zarur kuch bura hua hai is liye wo apna badla lene ke liye yaha se nikalne ki puri koshish karega magar main abhi bhi nahi samajh paya ki tumhare ye sab kahne ka matlab kya hai.?"

"Matlab to bada seedha sa hai mere pyare dost." Vidhi ne is baar muskurate huye kaha______"Jab tumhe khud lagta hai ki avinash yaha se khisak jayega to yahi baat wo naqaab wala bhi to sochta hoga. Aise me use avinash tak pahuchne ke liye is ghar me ghusne ki kya zarurat hai.? Uska shikaar to khud hi yaha se nikal kar uski pakad me asaani se aa jayega na."

Vidhi ki is baat se dushyant ke mano mastishk me jaise jhanaka sa hua. Dimaag ki batti badi tezi se jali aur fir palak jhapakte hi saari baat uski samajh me aa gayi. Chehre par aashcharya liye wo vidhi ko is tarah dekhne laga tha jaise vidhi ke sir par achanak hi tajmahal aa kar katthak karne laga ho.

"Door Ki Kaudi word se related meri ye theory inspector dushyant ko kaisi lagi.?" Dushyant ki haalat ka lutf uthaate huye vidhi ne muskurate huye usse pucha.
"Tumne to mujhe lajawaab aur hairaan kar diya yaar." Dushyant ne gahri saans lete huye kaha______"Tumhari ye theory yakeenan kaabile taarif hai. Mere zahen me ye baat aayi hi nahi thi ki avinash ke sambandh me jo baate main soch sakta hu wahi baate wo naqab wala bhi to soch sakta hai. Aakhir wo bhi to dimaag se shaatir byakti hai. Tumne bilkul sahi kaha. Us naqab wale ko bhala is ghar me ghusne ki zarurat hi kya hai jabki uska shikaar khud hi yaha se nikalne ki khwaahish rakhta ho."

"Bilkul." Vidhi ne kaha______"Aur mere khayaal se usne tumhe isi liye uljhaya hai taaki tumhare zahen me ye sab baate na aa sake aur tum uske asal bhediye ko khojne me apna dimaag lagate raho. Jabki uska asal bhediya use ye batata rahega ki tum yaha kya kar rahe ho aur sath hi wo is ghar par bhi nazar rakhega taaki use is baat ka pata bhi chalta rahe ki avinash agar sach me yaha se nikalta hai to wo kab nikalta hai aur fir nikal kar kaha jata hai."

"Yakeenan tumhari in baato me vajan hai." Dushyant vidhi ke dimaag ki man hi man prasansha karte huye bola______"Lekin iska ek dusra pahlu ye bhi to hai ki agar avinash ki yaad daast sach me na aayi ho tab to naqab wale ke armaano par paani hi fir jayega."

"Avinash ki yaad daast aane aur na aane ke ye dono pahlu aise hain jinke vaastavik sach ka pata ham me se kisi ko bhi nahi hai." Vidhi ne kaha_____"Ham sab to iske bare me sirf apni sambhaavnaye hi byakt kar rahe hain lekin iska koi na koi pahlu to vaastavik sach me shumaar hoga hi. Ek pal ke liye ham agar ye maan le ki uski memory waapas nahi aayi hai to us surat me naqab wala yakeenan koi dusra raasta dekhega, kyo ki use to har haal me avinash chahiye. Wahi agar ye maan le ki avinash ki memory sach me waapas aa gayi hai to us surat me dono ke liye ye situation gambhir ho jaayegi. Ek taraf wo naqab wala hai jo aisi situation me kuch bhi kar ke avinash ko haasil karna chahega aur dusri taraf tum ho. Tum yakeenan ye nahi chaahoge ki itni security ke baavjud avinash yaha se nikal jaye aur wo naqab wale ke hath lag jaye. Kyo ki aise me mumkin hai ki tumhari naukari par sankat paida ho jaye."

"Mujhe lagta hai." Dushyant ne lambi saans kheechte huye kaha______"Ki itna to us naqab wale ne bhi mujhe nahi uljhaya hai jitna ki tumne apni in baato se mujhe uljha ke rakh diya hai."
"Isi liye to kahti hu." Vidhi ne ghoorte huye kaha______"Ki dhele bhar ka bhi sense nahi hai tumhare paas."

"Kiske paas sense nahi hai.?" Dushyant kuch bolne hi wala tha ki tabhi dring room me aate huye pratiksha ne pucha.
"Aree bada jaldi araam kar liya tumne." Vidhi ne baat ko badalte huye jaldi se muskura kar kaha.
"Haan bha......mera matlab hai ki main bed par leti to araam karne ke liye hi thi." Pratiskha ke mukh se bhabhi shabd nikalne wala tha magar fir use yaad aa gaya tha is liye jaldi se baat ko badalte huye usne kaha______"Magar fir mujhe aisa lagne laga jaise ki mujhe bhookh lagi hai. Ab aap to jaanti hi hain ki khaali pet araam bhi nahi hota. Isi liye kamre se yaha chali aayi...haan nahi to."

"Achha aisi baat hai kya.?" Vidhi uski baato se muskura kar boli______"Chalo koi baat nahi. Main tumhare liye garma garam khana ready karti hu. Tab tak tum inke paas baitho."
"Inke paas.?????" Pratiksha ne vidhi ki taraf dekhte huye shararat se muskura kar kaha______"Inke kya hota hai.? Bhaiya ka koi naam nahi hai kya.??"

Pratiksha ki in baato se jaha vidhi buri tarah jhemp gayi thi wahi dushyant ye soch kar ghabra gaya tha ki ab jane uski bahan vidhi se kya kya kahne lage. Udhar pratiksha ki is baat par vidhi ne khud ko samhaalte huye kaha______"Are mera matlab ye tha pratiksha ki tum apne bhaiya dushyant ke paas baitho. Bhala aisa kaise ho sakta hai ki tumhare bhaiya ka koi naam hi na ho.?"

"Wahi to." Pratiksha ne dushyant ke bagal me dhamm se baithte huye kaha______"Mujhe laga yaha aapke paas rahne se bhaiya ka naam hi gul ho gaya hai. Hehehe...haan nahi to."
"Isi liye tujhe kabhi apne paas nahi bulata tha." Dushyant ne sahsa kheejhte huye kaha______"Kyo ki tu bewajah anaap shanaap bolne lagti hai."

"Ab usne aisa kya kah diya jo tum us masoom par gussa karne lage.?" Vidhi ne dushyant ke chehre par naraazgi dekhi to usne jaldi se kaha______"Tum mardo ko kya pyar se baat karna nahi aata.?"
"Chal aa ja." Dushyant ne jab dekha ki pratiksha uski baat se subakne lagi hai to usne use apne se chhupkate huye kaha______"Tu to meri gudiya hai na. Achha dekh main tujhse sorry bol raha hu....chal ab maaf kar de apne bhaiya ko."

"Dekha na." Pratiksha ne vidhi ki taraf dekhte huye muskura kar kaha______"Aise hain mere bhaiya. Mere sabse pyare bhaiya hain. Mujhe rote huye nahi dekh sakte kyo ki main inki jaan hu....haan nahi to."
"Haan wo to main dekh hi rahi hu." Vidhi ne muskurate huye kaha______"Achha ab tum apne bhaiya ke paas ruko, main tumhare liye garma garam khana thaali me saja kar laati hu."

"Aree rukiye main bhi chalti hu aapke sath." Pratiksha ne jhat se uthte huye kaha______"Main yaha mehmaan ban ke thodi na aayi hu. Ab main bhi har kaam me aapka haath bataaugi. Aapko akele kuch nahi karne dugi...haan nahi to."

Vidhi uski masoom baate sun kar muskura uthi aur fir wo pratiksha ko sath liye kitchen ki taraf badh gayi. Sofe par baitha dushyant apni bahan ki baato me vidhi ke prati chhupe apnattwa ke bhaav ko mahsus kar raha tha. Wo bakhubi samajh raha tha ki chaahe jitna pratiksha ko samjha lo magar wo karegi wahi jo karne ka wo soch kar yaha aayi hai.

<>•<>•<>
 

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,848
32,666
259
nice update ..pratiksha to akele me bhi vidhi ko bhabhi keh rahi hai apne bhai se 🤣🤣.. kitna samjhaya par bhi bhabhi kehna nahi chhodegi wo ..
vidhi ne company ke baare me jhooth batake dushyant ka dil tod diya aise lagta hai ..
dushyant naraj ho gaya ye jaanke ki vidhi ki umar se thoda bada ladka vidhi ke papa ka khas aadmi hai aur wo usse vidhi ki shadi karana chahte the waise ye vidhi ne jhooth kaha tha ..

vidhi bhi ro di ye jaanke ki usne dushyant ko naraj kar diya ..
dono ek dusre se bahut prem karte hai par vidhi khudse kehna nahi chahti ..aur dushyant pehle hi propose kar chuuka hai to ab dobara wo keh nahi sakta kyunki usse dono ki dosti toot sakti hai ..

vidhi ne door ki kaudi se kuch sikhkar apne vichar bataye dushyant ko ..

vidhi sabse jyada idea deti hai dushyant ko ..

ek baar phir bhabhi kehte huye bach gayi pratiksha 🤣🤣🤣..
 
Top