• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Hateli Lovestory ;) (complete)

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Super-Moderator
44,850
61,391
304
Update 22



Sharabi ke do thikane ya to theka ya to thane ab na to apna hero full sharabi tha na full mawali aur waise bhi subah subah daru pine ka to chance hi nahi tha isiliye is waqt maharaj canteen me baithe gappe haak rahe the aur unke sath the avinash komal aur shravni.. ab in logo ki bate chal hi rahi thi ke utne me waha entry huyi docter suman ki jo inhe pure college me dhundhte huye yaha pahuchi thi aur use dekhte hi aniket bola

Aniket-O dispensary aaj idhar kaise?

Suman bhi unke paas aakar baith gayi aur boli

Suman-kya aniket ye kya baat huyi aise nahi hota hai? Wo headphone wapis kar du kya? Komal keh rahi thi aniket aisa hai waisa hai par ab lag raha hai faltu me ye badi badi baate kar rahi thi tumse kuch nahi hoga…

Aniket-tumhare kehne ka kya matlab hai, siddharth ab tak kuch nahi bola kya? Par ye kaise ho sakta hai uska game bajane ke chakker me avi ne mera game baja diya aur tum keh rahi ho koi fark nahi pada? Matlab meri party fokat gayi…

Avinash-sachme party ka koi fayda nahi hua kya :hinthint:

Tab aniket ne avi baitha tha us khurchi pe laat mari

Aniket-sale naradmuni maje mat le teko baad me dekhunga

Jispar avinash bhola chehra banate huye bola

Avinash-par maine kya kiya hai…

Ab ye dono ki behasbaji shuru ho isse pehle hi suman unhe rokte huye boli

Suman-ye tumlog ka aise hi chalega to main jau kya…

Tab aniket suman wow aha baithate huye bola

Aniket-arey dispensary ruko jara baitho yaha aur avya harami apna gutter band kar thodi der dekh nahi raha docter ka dimag garam hai, jyada bolega to aisi jagah injection lagega ki har waqt baithte time yaad karega..

Ab avinash shant baith gaya aur aniket suman se bola

Aniket-ek baat batau docter suman, tumhara siddharth hoga bada docter par pyaar ke mamle me wo aadmi ekdum paidal hai, itna samjhaya fir bhi koi fark nahi pada, dekho ek baar aur soch lo tum..

Suman-kuch fark nahi pada aisa nahi hai, thoda to fark aaya hai, baatchit wagaire me par ab mujhe lagta hai ke main hi pasand nahi use, aura b mujhe uska picha chhod dena chahiye

Bolte bolte suman ki aankhen dabdaba gayi thi to aniket use pani ka glass pakdate huye bola

Aniket-arey prem diwani, jara santi rakhone bhai ye ekdum devdas banne ki jarurat nahi hai, wo pasand karta hai tumhe

Suman-mujhe acha lage isliye ye bate mat karo aniket

Aniket- arey nahi sachem wo bahut pasand karta hai tumhe, us din jab wo hotel me aaya tha tab ekdum sata savitra (male version of sati savitri :D) banne baitha tha ki pucho mat par jaise hi maine tumhara naam liya aur use bataya ke main tumse pyaar karta hu tab banda full devdas mode me chala gaya tha aur char beer khatam kar di thi agle ne, ab isse ye baat to saaf hai ke wo tumhe pasand bhi karta hai aur umse pyaar bhi karta hai…

Wahi idhar jab shravni ne jab suna ke aniket aisa bola ki wo suman se pyaar karta hai shravni madem ekdum bhadak gayi na bhailog

Shravni-aapne aur kitni ladkiyo se kaha hai ke aap unse pyaar karte ho…

Shravni ki baat sunke aniket ne apne sar pe hath maar liya

Aniket-arey deviji aap abhi kripaya gussa mat hoiye yaha docter sahiba pehle hi garam hai pehle unko shant karne dijiye aap kaha chalti train me chadh rahi hai, aapko baad me sara kissa sonata aur samjhata hu pehle inki baat hone dijiye

Aniket ki baat se shravni chup to ho gayi par uske hoth hil rahe the aur wo muh ki muh me kuch badbada rahi thi jise avinash ne dekh liya aur bola

Avinash-shravni apne pyaar pe bharosa rakho jara…

Par shravni kuch nahi boli uska badbadana chalu hi tha par aniket ne uspe dhyan nahi diya aur suman se bola

Aniket-suman tumne itna samay raah dekhi hai na kuch samay aur sahi, ab itna utawala kyu ho rahi ho aur aisa kaha likha hai ke propose sirf ladka hi karega ladki nahi, jab ladkiya har jagaho par ladko se barabari kar rahi hai aur sirf barabari kya ladko se aage nikal rahi hai to fir is mamle me abla nari kyu ban jati hai? Wo propose nahi kar raha tu kar de...

Suman-main propos to kar du par meri himmat hi nahi hoti hai, uske saamne aate hi pair kaampne lagte hai aur muh se shabd hi nahi nikalte aur ha FYI Mr. aniket rane tumne shravni ko propose kiya tha usne tumhe nahi…

Aniket-theek hai theek hai mat kar propose use propose karne lagayenge par kare kya?

Aniket soch raha tha itne me komal boli

Komal-easy hai, jab ghee sidhi ungli se na nikle to ungli tedhi kar lo

Aniket-kammo sidhe sidhe bata na dialogue kya maar rahi hai

Komal-arey lunth aadmi, kisi bhi chiz ki value tab tab nahi samajhti jab tak hame uske khone ka darr na ho, hame kuch aisa karna chahiye ke siddharth ko lage ki suman usse dur ja rahi hai tabhi uski aankhen khulengi…

Aniket-waah! Kya dimag lagaya hai kammo, gazab solid idea diya hai tune

Komal-experience se hi sikhta hai insaan..

Komal ki baat sunkar avinash ne chauk ke use dekha aur usne use shant rehne ka ishara kiya..par aniket ke is baat ki taraf koi dhyan hi nahi diya wo suman ke bare me sochne laga aur shravni boli

Shravni-par aaplog kisi ko jabardasti pyaar me kaise gira sakte ho?

Jiska jawab avinash ne diya

Avinash-hum use pyaar me gira nahi rahe balki wo pehle se pyaar me hai hum to bas use uska ehsaas kara rahe hai isse pehle ki samay hath se nikal jaye…

Avinash ne apni baat bolte huye halke se komal ko aankh maar di aur usne avi ko table ke niche se laat..

Aniket bhi kuch samay tak kuch sochta raha aur fir bola

Aniket-Ok done..suman kal hospital me badhiya ready hoke jane ka…

Suman-par kyu?

Aniket-kyuki tumhara birthday hai kal

Suman-kuch bhi, mera birthday aane me char mahine hai abhi

Aniket-ye baat siddharth ko nahi malum na bas isiliye hum tumhara birthday kal hi manayenge

Suman-aur use pata hua to…

Aniket-to kya, feka feki ke paise nahi lagte, wo us time dekh lenge

Suman-ok done fir aage..

Aniket-kya sari kahani aaj hi sunogi? Kal ke liye bhi kuch bacha ke rakhne ka, tum bas meri ha me ha milate jana baki ka main dekh lunga, aur ha agar use aur jelous feel karwana hai to tum kuch bhi bol sakti ho I don’t mind kal dophar me milta hu…

Suman-theek hai tumhe jo sahi lage karo..

Aniket-don’t worry, don’t fear Aniket Rane is with you dear :cool:

Aniket ki baat sun kar suman muskurayi aur boli

Suman-be careful while calling me dear coz seems something is burning there..

Itna bolke aniket ke sar pe tapli maar ke suman waha se chali gayi, suman ki baat sun waha sabhi hase the siway shravni ke aur ye baat aniket ke dhyan me aa gayi aur fir usne shravni ko sara kissa sunaya, us samay ke liye shravni bhi samajh gayi par ek baat uske dimag me baith gayi thi wo ye ki aniket daru pita hai

Fir jaisa decide hua tha dusre din aniket mast ready hua raste me ek jagah ruk ke cake aur buket liya aur hospital me pahucha, siddharth ko najar aaye isiliye jaanbujh ke uske cabin ke saamne se dheere dheere chalta hua gaya,

Aniket k dekhte hi siddharth khurchi se uth khada hua aur aniket ne use dekh ke bhi undekha kiya aur sidha dusre section ki or gaya, usne sabko dikhe aise hath me buket pakda tha aur dusre hath me cake,aur ye baat bhi uske dhyan me aa gayi thi ke siddharth uske piche piche aa raha hai…



To Be Continued……
 

Lovingheart

Active Member
1,225
4,307
159
Aye locha lapadiya apan ko idharich ek umeed jAgela hai ki Kammo ko justice milega

Par yeh Suman (sumo) bhi zehar hai be sala kammo ki nakal karti hai tapli laga par propose ke tine gaaannnn****** fatti hai
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,106
173
Update 18



Agle din aniket subah jaldi tayar hoke college ke liye nikal hi raha tha ke komal uske ghar aa gayi aur dono waha se sath college ke liye nikle, raat bhar neend na hone ki wajah se aniket ki aankhen laal thi aur uske chehre par tanav saaf dikh raha tha, aaj aniket bahut jyada shant tha jo ki shayad bahut hi rare raha hoga uski puri jindagi me, dimag se khayalo ke ghode sab taraf daud rahe the, ye aniket ke swabhav ka ek aur gun tha, uske dimag me agar koi ek baat fit baith jaye to wo use pura karke hi dum leta tha aur jab tak wo baat puri na hoti thi use chain nahi milta tha aur yaha to sala dil ka mamla tha to chain kaise hi milta,

Is waqt aniket aur komal apne college ki canteen me the aur bechaini ke mare aniket canteen me idhar se udhar chakker laga raha tha, aaj avinash gayab tha, ek to abhi tak college nahi aaya tha aur dusra uska phone bhi nahi lag raha tha aniket bhi subah gadbad me college ke liye nikla tha to usne avinash ko pick nahi kiya tha aur akhir kaar aniket ki bechaini se tang aakar komal boli

Komal-mujhe to ye samajh nahiaa raha hai ki teko itni gadbad kyu hai propose karne ki?

Aniket-kammo teko pata hai na apni ek baat jo fix ho gayi ho gayi, ek baar maine commitment kar di to kar di bas ab bahut hua intajar aaj ye Vishay hi khatam, ya to is paar ya us paar, aaj to main shravni ko propose karke hi rahunga dimag ka bhusa ho gaya hai kal se…

Tab komal aniket ko samjhate huye boli

Komal-anya ye aise gadbd karna nahi nahi hoga apan shanti se baith ke decide karte hai, sab badhiya plan karke karenge…

Aniket-tu to aise bol rahi hai jaise band baje ke sath propose karna hai jo planning ki baat kar rahi, dekh kammo jo bhi karna hai shanti ke sath bagair halla kiye karna hai kyuki agar halla kiya aur shravni ne na bol diya na to sabke saamne ijjat ki aisi taisi ho jani hai aur ek baar ko to wo itne logo ko dekh ke hi na bol degi, teko pata hi hai wo kitni sadhi aur simple hai use ye sab tamjham nahi pasand aayega…

Komal-anya aa jaha aaram se baith aurye le pani pi, mere paas ek idea to hai dekhte hai kaam karta hai ya nahi..

Aniket jhat se khurchi par baitha aur utawale pan se pucha

Aniket-jaldi bata kya idea hai..

Komal-tu bas ye decide kar le ki tujhe shravni se kya kehna hai baki ka kaam mere pe chhod de, tujhe mere pe bharosa hai na?

Aniket-nahi!

Komal-very good fir ab dekh main kya karti hu…

Aniket-dekh tu kuch bhi kar bas meri vaat mat lagana, tera koi bharosha nahi hai, yaads hai na tere chakker me ek ladki ke hath ka thappad bhi kha chukka hu main

Komal-nahi re anya, maskhari maskhari ki jagah ki jati hai par abhi ye samay majak ka nahi hai, aur tu jigri dost hai apna aaj to tera mamla set karna hi hai aur agar nahi kiya to mera naam bhi komal nahi..

Aniket-aur agar wo na bol de to

Komal-tu bata, kidnap kar le kya teri pujairn ko..mamla ek jhatke me khatam ho jana hai fir

Aniket-nahi nahi itna bhi nahi karne ka hai kuch aur kammo tu na tere ye chote se dimag ko jyada kaam mat de jo karna hai jaldi kar break me shravni aa jayegi yaha aur jisne ye aag lagayi hai wo narad kaha hai dikh nahi raha

Komal-pata nahi…par anya don’t worry adha kaam ho chuka hai avi bhi aa hi jayega aur sam time se hoga tension mat le

Aniket-adha kaa ho gaya matlab?

Komal-tu jaha dimag lagana hai waha dimag lagana baki ki bato ko chhod de aur ye decide kar ke propose ke time kya bolega main yu gayi aur yu aayi

Aniket-ab tu kaha chali..

Komal-shamshan me marne! Chalega sath, aur chalega to akele aana teri wo pehli barish ki fuhar ko sath me le lena, teko aaj propose karna hai na to tu sirf uspe focus kar

Itna bol ke komal gadbad me waha se nikal gayi aur uske jate hi waha avinash maharaj padhare aur use dekhte hi aniket bhadak gaya

Aniket-bhosdk yaha meri gand ke niche aag lagi hai dhua bhi nikal raha hai aur tu ab aa raha hai lawde kaha gand marwa raha tha be gandu aur wo mobile bech diya kya

Avi ne koi reaction nahi diya wo bhi jaanta tha ye aag usi ne to lagayi thi

Avinash-phone ki battry down ho gayi thi BC aur charge karna bhul gaya tha

Aniket-ha aur teri battry ke chakker me hame charge pe lagane ka samay aa gaya hai

Avinash-kya hua ek raat me aisa kaunsa pahad tut gaua lawde jo itni bakbak kar raha

Waise dekha jaye to avi ne jaan bujh ke apna phone band kar diya tha, usne bahut soch ke siddharth aur aniket ke sath ye game khela tha, wo bachpan se aniket ko jaanta tha aur use sahi se pata tha ke aniket ke dimag me koi chiz kaise ghusani hai, sidhe sidhe bolne ke aniket kuch nahi karega ye avi jaanta tha isiliye usne ye pura khel racha tha

Aniket-avi tu na dikhta waisa nahi hai bhadkhau chal baahar chal batata hu

Dono college ke baahar aaye aur apne katte ke bath ke dono ne cigarette jalayi aur aniket bola

Aniket-avi maan gaye bhai teko kya solid game banaya tune mera

Avinash-main aur tera game, kuch bhi mat bol anya

Aniket-dekh aisa hai tu mujhe jitna gadha samajhta hai main utna nahi hu samjha

Avinash-matlab thoda gadha to hai ok samajh gaya

Aniket-wo chhod tune siddharth ko jo story sunay hai na usse meri aankhen khul gayi…

Avinash-wo story siddharth ke liye nahi tere hi liye thi bas mauka nahi mil raha tha us din mauka mila aur maine sidha sixer maar diya..

Aniket-haramkhor aadmi, khair waise jo hua acha hi hua aaj apun shravni ko propose karne wala hai

Aniket ki baat sun kar avinash ne khushi se use gale laga liya

Avinash-arey ek number bhai, gazab, meko laga nahi tha ke ye itne jaldi hoga par sahi socha hai aaj ya to aar ya paar, kammo kidhar hai

Aniket-wo kuch tayari karne gayi hai

Avinash-kahe ki tayari be, uska bharosa nahi, wo stree hai kuch bhi kar sakti hai

Aniket-abe bakwas mat kiya kar, baki ke time ka to nahi pata par is samay wo job hi karegi aflatoon karegi, jate huye mujhe bol ke gayi hai ke kya bolna hai decide kar lu baki ka wo sambhal legi

Avinash-fir soch liya kya bolega

Aniket-hao, raat bhar wohi to soch raha tha

Fir uske baad dono shanti se kash lagane lage, ye tufan ke pehle ki shanti thi, main do minute me aaya bol kea vi waha se satak gaya aur aniket ki cigarette khatam hone ke pehle aa gaya

Aniket utha aur bola

Aniket-chal, aaj to ho jane de

Avinash-ek minute…

Fir avinash ne apne jeb seek scent ki bottle nikali aur aniket ke kapdo par use scent mara aur apni jeb se ek mint nikal ke uske muh me di

Avinash-ye le mint kha, shravni ko agar cigarette ka baas bhi aaya to tere kuch bolne se pehle hi bhag jayegi wo

Fir avinash se ek dairymilk nikal le aniket ko pakdaya aur dheere se bola

Avinash-agar wo ha bole tabhi ye dairymilk diyo be, dukan wala pehchan ka hai ye wapis de ke dusra kuch le lenge

Aniket ne dairymilk li aur wo aur avinash wapis college me aaya, itna samay confusion me dikhne wala aniket ab full confident dikh raha tha…..




To Be Continued…..
Excellent update mitr
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,106
173
Update 19



Aniket aur avinash badhiya sutta fuk ke jab wapis canteen me aaye to komal unka waha intajar hi kar rahi thi aur wo unhe dekhte hi boli

Komal-kam se kam aaj to fukne nahi jana tha

Tab aniket topic badalte huye bola

Aniket-wo jane de tu bata tu jis kaam ke liye gayi thi wo ho gaya kya?

Komal-hao ho gaya hai

Tabhi komal ko scent ki khushboo aayi

Komal-arey waah anya tu to badhiya scent wagaire laga ke ready hai mast!

Aniket- ha to, aj ka din bhi to special hai

Fir komal ne apne bag me se ek tshirt nikala aur aniket ko diya pehanne ke liye

Komal-wo shirt nikal aur ye tshirt pehan le

Aniket-kyu kya kharabi hai is shirt me acha to hai

Aisa bolte huye aniket ko wo tshirt liya aur dekha to uske chehre par ek muskan aa gayi fir canteen ke kitchen me jakar wo shirt change kar aaya aur komal ne fir use ek jacket diya pehanne ke liye aur fir komal ne un dono ko pura plan samjhaya ki kya kya kaise kaise karna hai, aniket ne jhat se jacket pehan kar uski zip laga li aur komal ne usse pucha

Komal-kya bolna hai sab soch liya hai na ?

Aniket-hao 😌

Komal-theek hai to fir mujhe shravni samajh aur bol

Ab shuru huyi aniket ke proposal ki rangit talim, aniket bol raha tha aur komal shant waha khadi rehkar sun rahi thi, aniket ka bolna khatam hua, usne itna ache se sab bola tha ke komal bas use hi ektak nihar rahi thi, aniket ka bolna khatam hone ke baad bhi komal bas use hi dekhe ja rahi thi, uski aankhen dabdaba gayi thi aur wo apne aasuo ko rokne ki bharpur koshish kar rahi thi par fir bhi halke se ek aansu ki bund uski aankho se jhalak kar uske galo par aa gayi usne jhat se apne us aansu ko saaf kiya, aniket to apnihi dhund me tha uska to is taraf dhyan bhi nahi gaya aur komal ko bhi laga ki kisi ka is taraf dhyan nahi hoga par ek insan tha jisne ye baat dekh li thi jis aansu ko kisi ne nahi dekha use avinash ne dekha tha..

Aniket bola

Aniket-fir kammo kaisa laga mera performance?

Komal bhi apne chir parichit andaj me aate huye boli

Komal-anya teko dekh ke lagta nahi tu itna sab acha soch sakta hai, jhakaassss, bole to ekdum kadaak! Ab to shravni kya uska baap bhi ha bol dega

Idhar avinash ne sari fielding lagayi huyi thi, udhar shravni jaise hi apne class se nikli ek ladke ne avi ko is baat ki kharab de di ke shravni nikal chuki hai aura vi ne yahi khabar canteen me aakar de di, aaj akkhe canteen me kuch gini chuni ladkiya hi thi, avi aur komal ne milkar baki sab ko canteen ke baahar nikal diya tha aur canteen ke malik ko avi ne dhamki kam request kit hi to wo bhi is sab ke liye maan gaya tha…

Aur shravni aayi, apni jindagi ki ek bahut sundar ghatna aaj hone wali hai is baat ki use halki sib hi kalpana nahi thi, jaise hi shravni canteen me aayi komal uske paas gayi aur komal ne use ek sunder sa yellow rose diya ek smile ke sath

Achanak ye yellow rose ka matlab shravni ko samajh me nahi aaya

Shravni-ye kya hai komal?

Komal-yellow rose, dosti ke liye…

Shravni-aaj kuch special hai kya?

Komal-aise hi…

Itna bol ke komal waha se side hat gayi auruske baad avinash ne aake shravni ko ek rose diya fir waha baithi hare k ladki ne aakar shravni ko ek ek rose diya..

Ab ye batane ki jarurat nahi hai ye ye sab fielding komal ki lagayi huyi thi jiske bare me aniket ko jara bhi khabar nahi thi, aise dus bara gulab lekar shravni aniket baitha tha us table par aayi aur baith gayi

Shravni-aniket kya chal raha hai ye sab? Ye sabhi log mujhe kyu rose de rahe hai? Aaj rose day hai kya?

Fir aniket ne ek red rose shravni ko diya, ab ye sab mahol dekh ke shravni ko bhi idea ho chala tha ke ye sab kya chal raha hai aura b wo bhi excited thi ye aage kya hone wala hai, aur fir aniket ne bolna shuru kiya

Aniket-wo kya hai na shravni aaj ka din bahut special hai, bahut dino se mere dimag me ek baat ghum rahi hai par sasura samajh nahi aa raha tha ke kaise kahu, aaj main sab kuch keh ke apna man mokla karna chahta hu,

Shravni aage kya hone wala hai us khayal se excited ho rahi thi aur kaampti awaj me wo boli

Shravni-bolo na..

Aniket-main pehle aisa nahi tha shravni par jab tumhe pehli baar dekha main khud ko hi kho baitha..us din sebas tum hi tum mere dilo dimag me ho dusra koi khayal hi nahi aata hai, aisa lagta hai bas hamesha tumhare sath tumhare aaspaas rahu, ghanto tumse bate karta rahu, tumhare sath bitaya hua har pal bada anmol hai mere liye, har pal bas tumhara hi khayal hai aur tumhari in aankhon ne to mujhe paagal kar diya hai, inhe dekhe bagair to raha nahi jaya, tumhe dekhte hi main khud ko kho baitta hu, tumhara bolna hasna sab pagal bana deta hai mujhe, pata hai jab tum paas nahi tohi ho to main man hi man sochta rehte hu ke shravni milegi to usse ye kahunga, ye baat karunga, sirf sapne rachta rehta hu par jab tum saamne aati ho to mere shabd bhi mera sath chhod dete hai, mere man me rache huye wo bangle wo bate sab mano kahi gum ho jate hai bas bachti hai to tumhe dekhte rehne ki icha, tumhare sath bitaya hua har par maine motiyo ki taraf apne man me sanjo ke rakha hai, mujhe nahi pata ki ise kya kehte hai, koi ise pagalpan kehta hai koi bachkani harkat bhi keh dega par sach batau tu mujh me in bhavnao ko pehchanne ki Shakti hai nahi hai, maine inhe kabhi samajh hi nahi pata, kya hai ye? Dosti ya pyaar? Aaj tak main apne man ko samjhata tha ke nahi! Kuch nahi bolna hai, bhavnaye kitni bhi umad aaye fir bhi bagair kuch bole chup rehna hai, iska reason ye ki mujhe darr tha ke kahi tum mujhse dur na ho jao, agar tum dur ho gayi to mera kya hoga, isiliye ajtak maine apni bhavnaye daba ke rakhi par jitna main apni bhavnao ko dabata utha hi wo baahar aane ki koshish karti, mujhe aaj tumhare man ki baat bhi janni hai

Fir aniket ne shravni ka hath apne hatho me liye

Aniket- shravni tumhare bina main adhura hu, tum aayi to jindagi ko naya matlab mila hai, prem bhavna ye maine aajtak bas suna tha par ye prem kya hai ye maine tumse sikha hai, mujhe jindagibhar ka sath chahiye, tum sath ho to ye jindagi kitn haseen hogi is bare me to main abhi sochna bhi nahi chahta, dogi mera sath, jindagibhar ke liye. Aaj main tumse apni mohabbat ka ijhar karta hu, main tumse itna pyaar karta hu ke use shabdo me bayan nahi kar sakta…

Fir aniket uth ke khada hua aur uske jacket ki zip open ki, tshirt par kuch likha hua tha

I LOVE YOU :heart:

DO YOU LOVE ME 💘

Shravni ki aankhe bhari huyi thi, hoth kaamp rahe the aur muh se shabd baahar nahi nikal rahe the…

Komal ne canteen ke fan ke upper gulab ke phulo ki pankhudiya rakhi huyi thi usne jakar fan shuru kiya aur aniket aur shravni ke uper gulab ki pankhudiyo ki barish ho gayi… komal ne aniket ko ek pachek diya hua tha shravni ko dene ke liye aniket ne wo packet shravni ko diya, shravni ne wo packet khola to usme bas ek kora kagaz tha, usne page ko palat ke dekha to bhi uspar kuch bhi likha hua nahi tha, aniket ne thode gusse se komal ki taraf dekha, komal aur avinash bhag ke waha pahuche aur aniket ko shant rehne ka ishara kiya aur komal ne table par ek candle jalayi aur bolo

Komal-shravni, aajtak aniket ki life is paper ke jaisi kori thi, tumhare pyaar ki garmi use mili aur kamaal ho gaya..

Aisa bolke komal ne wo paper candle ke thoda uper pakda, jaise jaise kagaz ko heat milne lagi jo halka sa jalne laga aur uspar kuch akshar ubhar aaye, uspar likha tha


I LOVE YOU SHRAVNI…. 💘
Romantik update mitr
 

mashish

BHARAT
8,032
25,933
218
Update 22



Sharabi ke do thikane ya to theka ya to thane ab na to apna hero full sharabi tha na full mawali aur waise bhi subah subah daru pine ka to chance hi nahi tha isiliye is waqt maharaj canteen me baithe gappe haak rahe the aur unke sath the avinash komal aur shravni.. ab in logo ki bate chal hi rahi thi ke utne me waha entry huyi docter suman ki jo inhe pure college me dhundhte huye yaha pahuchi thi aur use dekhte hi aniket bola

Aniket-O dispensary aaj idhar kaise?

Suman bhi unke paas aakar baith gayi aur boli

Suman-kya aniket ye kya baat huyi aise nahi hota hai? Wo headphone wapis kar du kya? Komal keh rahi thi aniket aisa hai waisa hai par ab lag raha hai faltu me ye badi badi baate kar rahi thi tumse kuch nahi hoga…

Aniket-tumhare kehne ka kya matlab hai, siddharth ab tak kuch nahi bola kya? Par ye kaise ho sakta hai uska game bajane ke chakker me avi ne mera game baja diya aur tum keh rahi ho koi fark nahi pada? Matlab meri party fokat gayi…

Avinash-sachme party ka koi fayda nahi hua kya :hinthint:

Tab aniket ne avi baitha tha us khurchi pe laat mari

Aniket-sale naradmuni maje mat le teko baad me dekhunga

Jispar avinash bhola chehra banate huye bola

Avinash-par maine kya kiya hai…

Ab ye dono ki behasbaji shuru ho isse pehle hi suman unhe rokte huye boli

Suman-ye tumlog ka aise hi chalega to main jau kya…

Tab aniket suman wow aha baithate huye bola

Aniket-arey dispensary ruko jara baitho yaha aur avya harami apna gutter band kar thodi der dekh nahi raha docter ka dimag garam hai, jyada bolega to aisi jagah injection lagega ki har waqt baithte time yaad karega..

Ab avinash shant baith gaya aur aniket suman se bola

Aniket-ek baat batau docter suman, tumhara siddharth hoga bada docter par pyaar ke mamle me wo aadmi ekdum paidal hai, itna samjhaya fir bhi koi fark nahi pada, dekho ek baar aur soch lo tum..

Suman-kuch fark nahi pada aisa nahi hai, thoda to fark aaya hai, baatchit wagaire me par ab mujhe lagta hai ke main hi pasand nahi use, aura b mujhe uska picha chhod dena chahiye

Bolte bolte suman ki aankhen dabdaba gayi thi to aniket use pani ka glass pakdate huye bola

Aniket-arey prem diwani, jara santi rakhone bhai ye ekdum devdas banne ki jarurat nahi hai, wo pasand karta hai tumhe

Suman-mujhe acha lage isliye ye bate mat karo aniket

Aniket- arey nahi sachem wo bahut pasand karta hai tumhe, us din jab wo hotel me aaya tha tab ekdum sata savitra (male version of sati savitri :D) banne baitha tha ki pucho mat par jaise hi maine tumhara naam liya aur use bataya ke main tumse pyaar karta hu tab banda full devdas mode me chala gaya tha aur char beer khatam kar di thi agle ne, ab isse ye baat to saaf hai ke wo tumhe pasand bhi karta hai aur umse pyaar bhi karta hai…

Wahi idhar jab shravni ne jab suna ke aniket aisa bola ki wo suman se pyaar karta hai shravni madem ekdum bhadak gayi na bhailog

Shravni-aapne aur kitni ladkiyo se kaha hai ke aap unse pyaar karte ho…

Shravni ki baat sunke aniket ne apne sar pe hath maar liya

Aniket-arey deviji aap abhi kripaya gussa mat hoiye yaha docter sahiba pehle hi garam hai pehle unko shant karne dijiye aap kaha chalti train me chadh rahi hai, aapko baad me sara kissa sonata aur samjhata hu pehle inki baat hone dijiye

Aniket ki baat se shravni chup to ho gayi par uske hoth hil rahe the aur wo muh ki muh me kuch badbada rahi thi jise avinash ne dekh liya aur bola

Avinash-shravni apne pyaar pe bharosa rakho jara…

Par shravni kuch nahi boli uska badbadana chalu hi tha par aniket ne uspe dhyan nahi diya aur suman se bola

Aniket-suman tumne itna samay raah dekhi hai na kuch samay aur sahi, ab itna utawala kyu ho rahi ho aur aisa kaha likha hai ke propose sirf ladka hi karega ladki nahi, jab ladkiya har jagaho par ladko se barabari kar rahi hai aur sirf barabari kya ladko se aage nikal rahi hai to fir is mamle me abla nari kyu ban jati hai? Wo propose nahi kar raha tu kar de...

Suman-main propos to kar du par meri himmat hi nahi hoti hai, uske saamne aate hi pair kaampne lagte hai aur muh se shabd hi nahi nikalte aur ha FYI Mr. aniket rane tumne shravni ko propose kiya tha usne tumhe nahi…

Aniket-theek hai theek hai mat kar propose use propose karne lagayenge par kare kya?

Aniket soch raha tha itne me komal boli

Komal-easy hai, jab ghee sidhi ungli se na nikle to ungli tedhi kar lo

Aniket-kammo sidhe sidhe bata na dialogue kya maar rahi hai

Komal-arey lunth aadmi, kisi bhi chiz ki value tab tab nahi samajhti jab tak hame uske khone ka darr na ho, hame kuch aisa karna chahiye ke siddharth ko lage ki suman usse dur ja rahi hai tabhi uski aankhen khulengi…

Aniket-waah! Kya dimag lagaya hai kammo, gazab solid idea diya hai tune

Komal-experience se hi sikhta hai insaan..

Komal ki baat sunkar avinash ne chauk ke use dekha aur usne use shant rehne ka ishara kiya..par aniket ke is baat ki taraf koi dhyan hi nahi diya wo suman ke bare me sochne laga aur shravni boli

Shravni-par aaplog kisi ko jabardasti pyaar me kaise gira sakte ho?

Jiska jawab avinash ne diya

Avinash-hum use pyaar me gira nahi rahe balki wo pehle se pyaar me hai hum to bas use uska ehsaas kara rahe hai isse pehle ki samay hath se nikal jaye…

Avinash ne apni baat bolte huye halke se komal ko aankh maar di aur usne avi ko table ke niche se laat..

Aniket bhi kuch samay tak kuch sochta raha aur fir bola

Aniket-Ok done..suman kal hospital me badhiya ready hoke jane ka…

Suman-par kyu?

Aniket-kyuki tumhara birthday hai kal

Suman-kuch bhi, mera birthday aane me char mahine hai abhi

Aniket-ye baat siddharth ko nahi malum na bas isiliye hum tumhara birthday kal hi manayenge

Suman-aur use pata hua to…

Aniket-to kya, feka feki ke paise nahi lagte, wo us time dekh lenge

Suman-ok done fir aage..

Aniket-kya sari kahani aaj hi sunogi? Kal ke liye bhi kuch bacha ke rakhne ka, tum bas meri ha me ha milate jana baki ka main dekh lunga, aur ha agar use aur jelous feel karwana hai to tum kuch bhi bol sakti ho I don’t mind kal dophar me milta hu…

Suman-theek hai tumhe jo sahi lage karo..

Aniket-don’t worry, don’t fear Aniket Rane is with you dear :cool:

Aniket ki baat sun kar suman muskurayi aur boli

Suman-be careful while calling me dear coz seems something is burning there..

Itna bolke aniket ke sar pe tapli maar ke suman waha se chali gayi, suman ki baat sun waha sabhi hase the siway shravni ke aur ye baat aniket ke dhyan me aa gayi aur fir usne shravni ko sara kissa sunaya, us samay ke liye shravni bhi samajh gayi par ek baat uske dimag me baith gayi thi wo ye ki aniket daru pita hai

Fir jaisa decide hua tha dusre din aniket mast ready hua raste me ek jagah ruk ke cake aur buket liya aur hospital me pahucha, siddharth ko najar aaye isiliye jaanbujh ke uske cabin ke saamne se dheere dheere chalta hua gaya,

Aniket k dekhte hi siddharth khurchi se uth khada hua aur aniket ne use dekh ke bhi undekha kiya aur sidha dusre section ki or gaya, usne sabko dikhe aise hath me buket pakda tha aur dusre hath me cake,aur ye baat bhi uske dhyan me aa gayi thi ke siddharth uske piche piche aa raha hai…




To Be Continued……
nice update
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,106
173
Update 20



Aniket ke apna dil nikal ke shravni ke saamne rakh diya tha aur shravni ko samajh hi nahi aa raha tha ke ye sab sapna hai ya hakikat , itne sab mahol me shravni chakra gayi thi, uski aankhon me khushi ke aansu the aur aniket aakho me asha liye uski taraf dekh raha tha, shravni ke man me bhavnao ka aveg kuch is kadar umad raha tha ke uske muh se shabd hi nahi nikal rahe the

Aur ab sabko is baat ki tension hone lagi thi ki shravni kuch bol kyu nahi rahi hai aur achanak shravni apni jagah se uthi aur apni dono baho ka haar banate huye usne aniket ko gale laga liya… shravni ke is taraf gale lagne se aniket bhi thoda chauk gaya tha aur idhar avi ne apni do ungliya muh me daalte huye siti bajayi aur pure canteen me jallosh shuru ho gaya, full dhamaal aur akhir kyu na ho aniket ka proposal shravni ke accept jo kar liya tha, sabne milkar canteen ko sar par utha liya tha, sabhi log khushi me nach rahe the aur aaj to aniket aur shravni ke khushi kea age aasman bhi chhota pad gaya tha…

Kuch samay baad ye masti ka mahol thoda kam hua par abh bhi aniket ke shravni ka hath nahi chhoda tha jise dekh ke akhir me avinash bola

Avinash- o bhai, ab to hath chhod se bechari ka, ab to usne ha bhi keh diya hai, chinta mat kar kahi bhag ke nahi jane wali wo ab…

Avinash ki baat sunkar shravni se pat se aniket ki pakad se apna hath chhudaya par aniket wapis uska hath pakadte huye bola

Aniket-tere baap ka kya jata be aala motha shahana gyan dene wala

Itne me komal boli

Komal-aaila principal!!

Principal ka naam sunte hi dono ne pat se hath chhod diya aur aniket ne dheere se piche mud ke dekha to waha koi nahi tha….aur idhar avinash aur komal daat nikal ke jor jor se has rahe the…aura b unke sath shravni bhi hasne lagi aur boli…

Shravni-komal main aapka kin shabdo me dhanyawaad karu samajh nahi aa raha… aaj aapki wajah se ye jo anmol pal mujhe mile hai wo main jindagi bhar nahi bhulungi.. aapka ye ehsan hai mujhpar mujhe aniket se milane ke liye, main kaise chukaungi ise

Shravni ki baat sunkar apne shirt ki sleevs upper karte huye komal boli

Komal-ekdum easy hai, tumko bas teen chize karni padengi jya kuch nahi

Shravni-manjur!

Komal-arey didi sun to lo pehle :redface: to pehla kaam ye ki tum mujhe ye aap aap karke nahi bulaogi, tumko ab job hi ye inhe unhe aap tum karne ka hai uske liye tumhare paas ek banda hai usko karne ka 😌

Shravni-manjur, aage

Fir komal apni jagah par se uthi aur canteen malak ko bola, bola ka jahir kiya

Komal-kaka, canteen me jitne bhi log hai sabko aaj meri taraf se ek ek petis aur ek cutting chai do, behno aur unke bhailogo enjoy!

Fir koml niche baithte huye boli

Komal-ha to dusra kaam ye ke is sab ka bill tum bharogi :D

Komal ki baat sunkar shravni ghabra gayi par fir aniket ne use aankho se don’t worry ka ishara kiya ki wo sambhal lega, komal ne aage bola

Komal-ab teesra aur sabse important kaam bata rahi hu….

Fir komal ne ek bada pause liya…. Shravni ka dil jor se dhadak raha tha , wo man hi man me soch rahi thi k ye mahamaya ab kya mangegi, aur komal uske chehre par ke ye expressions dekh rahi thi aur fir komal boli

Komal-chill baby doll tu to aise tension me aa gayi jaise main anya ko maang lungi, chill baby main usse kuch bada mangne wali hi

Ab shravni aur jyada tension me

Komal-to aaj tu mujhe anya ko sakshi maan kar ye vachan de kit u aage aane wali jindagi me kabhi bhi kahi bhi ek chhoti sib hi kavita nahi sunayegi, bol manjur…

Pehle pehle to sabki hawa tight ho gayi thi ye sochkar ke komal kya mangegi par fir uski baat sunkar has hasne lage aur shravni ne uski ye baat bhi maan li..aur aniket haste huye bola

Aniket-ek number ki nautanki hai tu kammo..

Komal-ha na tere se kam hi hai..

Fir avinash ne ekdum se pucha

Avinash-komal, wo paper to pehle ekdum kora tha fir candle par pakadne ke baad akshar kaise dikhne lage uspe? Ye kaisa jadu tha?

Waise to ye sawal sabhi ke dimag me tha aur komal khulasa karte huye boli

Komal-wo ek badhiya trick hai tumlog bhi kar sakte ho, kya karna hai batati hu, ek kanda lene ka (pyaz) uska ras nikalne ka aur fir us ras se kisi bhi paper par likhne ka fir jaise hi tum wo paper candle par sahi se pakdoge jisme pyaz ke ras se likha hai to wo likha hua bhag jalne lagega aur jo likha hai dikhne lagta hai, bas itni si trick hai 😌

Jispar avinash komal ko shabasi dete huye bola

Avinash- kya gazab kamal ladki hai be, kaha kaha se lati ho aise idea, komal tu na ek dukan khol le, hamare yaha alag alag taraf se propose karke milega, dukan ke saamne line lag jayengi bata raha hu…

Teeno dost dil khol kar has rahe the, unhe dekh ke koi nahi keh sakta tha ke kuch samay pehle inke dimag par bhari tension tha. Shravni jab jane lagi to aniket use chhodne gaya aur unke jate hi avinash ne achanak apna hath komal ke samne shake hand ke liye aage kiya

Avinash-hello, main avinash…

Komal-meko pata hai, dmag ghum gaya hai kyat era? Aise kyu baat kar raha hai jaise ham pehli baar mile hai…

Fir avinash gambhir hote huye bola…

Avinash-sach hi to hai, aajtak to ham sirf mil hi rahe the, asli komal ki pehchan to mujhe aaj huyi hai…

Komal ekdum sambhal ke baith gay aur boli

Komal-kuch bhi kya bol raha hai avya, ye kya badbada raha hai.

Avinash-sabne aaj khush hua aniket dekha, sihri huyi shravni dekhi par maine aaj dekhi komal, ekdum uske naam jaisi, swach manasvi, sacchi komal, maine tumhari aankho ka wo aansu dekha tha aur bahut kuch bol gayi woe k bund..

Komal-please avi iske aage ek shabd bhi mat bolna..

Avinash-par kyu?

Komal-kyuki main keh rahi hu isliye, tumhe hamari dosti ki kasam, tumhe aniket ki dosti ki kasam, aaj mujhe ek vachan de ki aage jindagi me kabhi bhi ye baat apne hotho pe nahi layega aur agar aisa hua to kasam hai mujhe aniket ki wo din mere jindagi ka aakhri din hoga

Avinash-vachan to main de dunga par ek baar sirf itna bata, aakhir kyu?

Komal-kabhi pyaar kiya hai?

Avinash-nahi..

Komal-to karo fir samjhoge

Itna bol ke komal waha se nikal gayi aur jate jate ek dharam sankat avinash ke liye chhod gayi, ek taraf apne baalmirta ka pyaar aur dusri taraf komal jisme mohabbat hote huye bhi haste haste uski khushi ke piye apne prem ka gala ghot diya, avinash aasman ki taraf dekhte huye bola

Avinash-parmeshwar, ab job hi kar sakte ho tum hi kar sakte ho, bas itna karna ki mujhe kabhi kisi ke pyaar me na girana…..




To Be Continued…
Mantermugdh si karti update mitr
Kammo ki kurbaani vayarth nahi jaayegi
Lagta hai yahi hai vo hateli ish katha ki sachchhi naayika baaki rachiyta jaane
 
Top