Update-57
“Jafar aur Sanjana ka break-up ho gaya…”
“kyaaa…..”Ved ne botony ka jo book catch kiya tha, ye sunte hee book uske hath se neeche gir gayi… jise uthakar wapas desk par rakhte hue Ved ne fir se puchha “kyaaaa….”
“yaaaaa…..”
“tujhe kisne bataya …?”
“kisi ne nahi… maine khud dekha, abhi…. Itni der se wahi toh dekh raha tha arts wali class me"
“detail me ek-ek step bata… maza aayega ... hai naa Atharva….”
“iiiii... don’t .... know....”angadayi lete hue main bola
“chal lawde, mann hee mann khush ho raha hoga aur idhar…..... Ranjan tu ek-ek step bata ki kya hua…”
“wo main jab lunch hote hee yaha aane ke liye apni class se nikla toh mujhe Madhu aur Mini mil gayi… jinhone mujhe gher liya aur puchha ki… meri himmat kaise hui, pure bio walo ke khilaf jakar tum dono ka sath dene ki… toh maine kaha ki…”
“abeeyyy… humlog kya puchh rahe hai aur tu kya bata raha hai…”Ved gurraya
“tune hee toh kaha ki ek-ek step bata…”
“bsdk… tera ek-ek step nahi, balki Sanjana aur Jafar ke breakup ka ek-ek step… bata”
“achchha waha se batana hai…? ab samjha… toh hua ye ki jaise hee main Mini aur Madhu se bachke nikla toh dekha ki ... waise Mini cute hai.. Ved tu pata le usko... anyway, main jaise hee un dono se bachkar nikla toh dekha ki 12th arts ke baahar kuch launde jhund banaye khade muskura rahe the… unhe waha khada dekh , main bhi wahi khada ho gaya aur class ke andar jhanka… class ke andar Jafar aur Sanjana aapas me bhinn-bhinn topic par bahas kar rahe the… main class ke andar nahi gaya par wo dono ek-dusare pe jor-jor se chilla rahe the.. wo chilla toh rahe the, lekin manna padega dono ke dimag ko... aawaz unki utni hee tej thi, jitney me class se baahar baat naa jaye, isiliye shayad waha jyada bheed nahi thi.… warna aisa mauka kaun chhodta school me.? unki bahas ke kayi topic mujhe samajh nahi aaye ki …ye behenchod hai kya..? aur baaki kuch topic par unhe bahas karta dekh main sochne laga ki …. Behanchod ye bhi koyi vazah hai… ladne ki? par jis ek topic ne mera dhyan aakarshit kiya, wo topic tha….”
“chut chudayi...?”Ved bich me tapak pada...
“chup be... toh wo topic tha... Atharva... ? kuch kahna hai tujhe”meri taraf dekhkar Ranjan bola
“don’t know... don’t care...”jab Ranjan ne mujhe topic guess karne ke liye kaha toh main turant angadyi + jamhayi ek sath lekar baat ko idhar-udhar taalne ki koshish ki
“Topic... Atharva....”
“batya toh .. mujhe nahi pata topic..”maine fir se jawab diya
“lawde.. topic hee bata raha hoon main... topic tha.. Atharva...”
“achaa...”Apna naam sunte hee mera ab pura dhyan Ranjan ki oor aakarshit hua… warna abhi tak toh main ek kaan se sunkar dusare kaan se nikale jaa raha tha….
“Jafar ne Saanjana ko tujhse dosti todne ke liye kaha… par Sanjana ne uski baat nahi maani aur sidhe apna sar naa me hila diya… jiske baad Sanjana beech me kuch bolne lagi, jo mujhe spast toh sunayi nahi diya… par itna jaroor suna Sanjana ke muh se ki……ki…. ~Main tumhare kahne se kisi se dosti nahi todungi….. aur abki baar Jafar beech me hee chillane laga tha aur fir mujhe kuch samah nahi aaya ki wo dono kya bol rahe hai.. dono ek sath ek-dusare se bahas karne lage, ek dusare par chillane lage aur aakhir me jab Jafar waha se jaa raha tha toh Sanjana ekdum ahiste se boli…. Break-up… aur fir agle hee pal chillayi...bugg off…”
“Sanjana ko aisa nahi karna chahiye tha…”Ranjan jab ruka toh maine bas itna kaha.... kyun kaha. Kisliye kaha... is baar main suspence me nahi hoon. Har chij me thodi suspence me rahunga
main ye soch raha tha ki yadi Jafar se Sanjana ka break-up hoga toh uska mukhya kaaran kahi naa kahi main hee rahunga aur main ye bilkul bhi nahi chahta ki itihas mujhe Sanjana ko dukh dene wale shaks ke roop me yaad rakhe. Iske aalawa , jab kabhi Sanjana in puri ghatnao ka vishlesan karegi toh wo pakka jaan jayegi ki maine kya-kya kiya tha.
Mere us ek line ke kahte hee Ved aur Ranjan dono mujhpar chadh baithe… mujhe gariyane lage… jaan se maarne ki dhamki bhi di ki yadi maine ab kuch aisa kaha toh wo dono mera anda nikal ke, boil karke mujhe hee khila denge.. Ved ne toh mujhe Nagdi Gang ka Spy tak kah diya aur meri tareef me Sexy Saahityakar ke ek-do dohe bhi de diye... jaise ki...
"लौंडी काहे लौंडे से, तू क्या रोंदे मोहि,
एक दिन ऐसा आएगा, मै चोदुँगी तोहि..."
अर्थात.. सेक्सी साहित्यकार यहाँ पर कहते है कि.. अथर्व नपुंसक है और रिया रोज के साथ सेक्स करने मे असमर्थ है.तत्पश्चात... रिया रोज, डिलडो लगाकर अथर्व कि गांड मारने का सोच रही है...”
Kamal ki zindagi hai BC.. apni bhi. Sanjana , Jafar se set rahe.. tab bhi main pelau aur jab Jafar se set naa rahe tab bhi ... main hee pelau.
.
Par kuch bhi ho us samay toh mujhe yahi laga tha ki Sanjana ko Jafar se breakup nahi karna chahiye tha, waise bhi Jafar ko jis baat ko lekar Sanjana se hamesha complain rahti thi.. wo toh ab khud ba khud uske raaste se hatt gaya tha… yani ki main… rahi baat Karan Naik se maar khane ki toh… itna toh pyaar mohabbat me sahna hee padta hai aur ye main isliye kah sakta hoon..kyunki Yadi Jafar ki jagah main hota aur Sanjana meri girlfriend hoti ..toh main ye sah jaata.
par shayad Jafar ka ye vyaktitva nahi tha… isliye usne Sanjana se break up kar liya. Par mujhe Jafar ki fikar nahi thi, wo aaj mar jaaye.. mujhe koyi fark nahi padne waala ... lekin mujhe Sanjana ki tension thi kyunki ek toh apni maa ko lekar wo waise bhi bahut pareshaan thi upar se ab Jafar ko lekar ek naya tension…. Main jaise hee Sanjana se sab kuch khatm karne ki koshish karta hu ya fir sochta hu toh… ek naya reason mujhe wapas uske bare me sochne ke liye majboor kar deta hai. jaise ki abhi isi vakye ne kar diya tha. Aur yahi reason tha ki move on karne ki jabardast quality hone ke bawjood main Sanjana se move on nahi kar paa raha tha.
Ranjan ye khabar suna kar... Saxsena ji se milne ke liye nikal chuka tha aur aaj finally decide hone wala tha ki Ranjan ke papa quiz competition me as an audience aayenge ya nahi ... matlab aaj Ranjan aur Bio wali mam ke beech final round tha.. isme se jo saamne waale ko pahle jhadwa dega.. wo winner. Idhar maine apna agla daanv khelna shuru kar diya tha... bas Ranjan aake haan ya naa me jawab de de... Us hisab se Mini ko quiz ke liye tel lagana chalu karu. Taaki Ranjan ke select naa hone par wo mere aur Ved me se kisi ek ko baahar nikalne ki shart naa rakhe. Main aur Ved besabri se ek-ek second intejaar karne lage ki ab Ranjana aayega aur ab good news dega yaa fir bad news...
isi intejaar me pura lunch khatm hone ki kagar par aa gaya , lekin Ranjan nahi aaya . lunch khatm hone ki ghanti bajne ke baad bhi main aur Ved kafi der tak baahar hee khade rahe.. lekin Ranjan tab bhi nahi aaya… isliye hum dono wahi apni class ke baahar se hee principal ke office ki oor taakne lage aur tab tak taakte rahe.. jab tak ki Gupta ji seedhiyo se chadhkar upar aate hue dikhayi nahi diye...
“chal main Dialogue bana ke deta hoon... Mini ko same to same chipka dena . ek jhatke me maan jayegi... Ranjan lagta hai, pela gaya aur kisi kone me muh chhupa kar baitha hoga..”Gupta ji jab corridor me commerce ke baahar mauzood ek ladki ko uski choti pakad ke pelne lage toh Ved bola aur class ke andar ghus gaya
“Mini bahut bhaav khayegi... par koyi baat nahi.. Sanskar Valley apni territory hai .”main bhi udas mann se class ke andar aaya
Us din lunch ke baad main pure periods udas raha. Kyunki mere kaano me Ranjan ke wo shabd ab bhi gunj rahe the.. jinme wo apne pitaji ko quiz contest me invite karne ke liye bade chaav se puchh raha tha aur mujhe bata raha tha ki uske papa ka seena garv se chauda ho jayega. Par.......
Par fir us din baad me pata chala ki Ranjan half day me hee ghar chala gaya tha, naa ki sharam se muh chhipa kar kahi baitha hua tha aur idhar main suspence me tha ki Saxsena ke cabin me aisa hua kya, jo wo class hee nahi aaya...? Direct Saxsena ji se puchhe...?,iski himmat nahi ho rahi thi aur bio wali mam se puchhne ka koyi fayda nahi tha, wo toh pure mathematic ke ladko se thik dhang se baat bhi nahi karti thi. Ranjan ne call bhi receive nahi kiya... Is tarah wo pura din main aur Ved full suspence me rahe aur jab Ranjan agle din hume school me mila toh Ved uspe kood pada….
“kaha tha be… bhosdike… phone kya gand me andar-baahar karne ke liye kharida hai, gandu… kal kitna call kiya main….”
“arey wo sardar ji fir se kal daru peekar hungama kar riya tha thabe me… sale ne gusse me mera mobile fek diya… mobile dead….”apna toota-futa cracked mobile dikhate hue Ranjan bola “aaj sham ko naya kharidunga aur apne class ke ek ladke ko bata toh diya tha ki tujhe jaakar kah de ki.. mujhe final kar diya Saxsena ji ne. Waise , Atharva…. Sanjana se baat hui kya teri kal..”
“nahi… bahut dino se koyi baat nahi hui Sanjana se meri toh… kyun..?”
“wo kal online nahi aayi na Sanju…. Sanjana… isliye puchha…”
“sanju…? Gazab…”Ved haste hue bola “toh tu bhi gaya kaam se.. aajkal ke laundo ko hua kya hai… single life ki ahmiyat hee nahi samajhte. Isiliye tum log dono mere level ko kabhi touch nahi kar paoge.. bina pyar ko jaane pyar kar baithe ho... bsdk.. tumhe pata bhi hai ki pyar hai kya.. i mean sacha pyar.. jisko koyi -koyi log true love bhi kahte hai..? anyway, chal chat dikha… ka-ka gul khilaye ho tum dono…”
“arey kaha yar, casually baat hoti hai bas mere aur Sanju…ana.. Sanjana..ahem.. ke beech…”flow –flow me jab ek baar fir Ranjan ke muh se Sanju nikal gaya toh use Sanjuana me convert karte hue Ranjan bola aur chat dikhane se inkaar kar diya…
“Atharva se sikh… pura chat mere saamne khol kar rakh deta hai aur ye bhi puchhta hai ki aage kya reply karna hai… uski badaulat aaj Riya is-se lagbhag set hai… tujhe kya lagta hai.. ki ye sab Atharva kamaal hai jo Riya Rose is-se itne achchhe se baat karti hai..? Naa..nope.. sab Ved Sir ka kiya dhara hai... warna ye chutiya toh Lord El Dorado ka do ghoot maarkar maal-vaal bol diya tha..usko”
“ab Bhatti chutiya hai toh kya main bhi chutiya hu…”Ranjan hasne laga aur uske sath Ved bhi... jiske baad maine baat ko taalne ke liye ki mujhe koyi fark nahi padta, jabardasti ka angadayi + Jamhayi lene laga...
“ladkiya mere mutthi me hai... sab jaanta hoon main ladkiyo ke bare me... unki sirf shakl dekh ke bata sakta hoon ki koyi ladki lund chusegi yaa nahi...”apni badayi maarte hue Ved bola
“aur bur sungh ke unki age bhi bata sakta hai tu.. chutologist hai naa...”
“hiii Miraaa….”eka-ek Mira ko dekh Ved ne apna hath hawa me uthaya aur jab Mira Class ke andar apni seat par aane lagi toh bakchodo ki tarah laar tapkate hue apna hath hawa me lahrane laga.. jiska Mira ne koyi jawab tak nahi diya aur seedhe apne aage wale se baat karne lagi
“ye kya game love hai be tera aur Mira ka…”Ranjan ne puchha
“love game hota hai bsdk…. Naa ki game love”
“haan.. wahi… tu samjah gaya na…”
“mera aur Mira ka undercover love hai… waise kal Madhu ne mujhe block kar diya behenchod…”
Jiske baad hum me se kisi ne nahi puchha ki… kyun..? kyunki hum dono ko dar tha ki jaise hee hum me se koyi puchhega ki … kyunnn…. Toh Ved Yuunnn…. Bolkar point chadha dega… isliye main aur Ranjan chup hee rahe…. Jiske thodi der baad Ved ne khud reason bataya…
“wo Madhu ne kuch ghas-phus banaya tha khaane me aur uski photo upload bhi ki thi , jisme ek ladke ne vomiting wala expression diya tha, jispe maine likha ki……….. kya hua bhai, Tatti thi kya….? Madhu , kha ke bata toh…….. behan ne seedhe block mar diya…”
“broccoli tha wo…”Ranjan ne kaha… “ek din mujhse class me puchh rahi thi ki kaise banate hai… waise Bhatti, party kab hai…”
“party…?”
“Riya Rose ko pata ke baitha hai… itna toh banta hai yar… Starbeans me lekar chal raha hai… aaj tak sirf naam suna hai starbeans ka tumlogo se, jaane ka mauka nahi mila… waha toh ek se badhkar ek maal aati hogi, taiyar hokar…”
“arey aise aati hai ki heroine fail ho jaye… apne umra se lekar , college tak ki sabhi ladkiyo ka adda hai wo aur table ke neeche jhuk kar shorts me unki gori-gori folded jaangh ko dekhna aur intezaar karna ki kab unki wo jaangh khule aur narak ke dwar ka darshan ho... alag hee maza hai… kyun , Atharva….”
“pata nahi… maine kabhi ye try nahi kkya..apni sari tharak main pornhub pe mita deta hoon…”maine kaha
“pornhub se yaad aaya… pornhub ka koyi acting school nahi hai kya…? Admission lena tha…” door baithi Mira ko dekhte hue pant ki jeb me hath daalkar Ved bola aur jeb ke andar se hee apne lund ko masalne laga…
“acting ke pahle 7-8 inch ka faulad chahiye… aur ganga-jamuna randikhane me do saal ka probation period….”
“bhag be Ranjan… Gupta aa raha hai….”humare bagal ki bench pe baithne wala launda class me ghuste hee chillaya..
“arey madarchod…. Achchha chal bye…. Aaj first period se hee pelega tum logo ko”
.
.
harshit1890 SANJU ( V. R. ) Naina Moon Light The_Punisher SHADOW KING Ammienida mashish A.D Rock Fâķîřă Aakash. & everyone else

