UPDATE - 42
Khair kisi tarah vo raat bhi nikal gyi or littrally us raat koi nahi soya. Pura desh apne gharo me baith kar bas intjar hi kar raha tha ki kab kya ho. Lekin kuch nahi hua. Or ye ek ishara tha sabhi logo ke liye ki ab vo nahi aayenge.
Lekin me jaanta tha ki vo jaldi hi fir se hamla karenge. Or agar 2-3 din tak vo nahi aaye to pakka ye forces hat jayengi sabhi jagah se. Or fir vo hamla karenge or ye silsila aise hi chalta rahega. Isliye me kuch aisa soch raha tha ki jab tak vo hamla nahi karte tab tak kyu na me unhe dhundo. Kyuki agar vo mujhe mil gye to kaafi hisaab haj jo chukta karna hai unse. Or ho sakta hai me unhe agla hamla karne se bhi rok du. Or dusri baat ye thi ki yahi ek matra raasta bacha hua tha filhaal. Kyuki vo to aaj nahi to kal hamla jarur karenge dobara isliye ya to mujhe unhe rokne ka koi solid intjam karna hoga ya fir unhe hamla karne se pehle hi rokna hoga.
Mere dimaag me filhaal yahi chal raha tha. Bahi bhai log bhi yahi soch rahe the ki ab aage kya kiya jaye. Or sabse badi tension thi ki ab kaisa hamla hoga kon aayega hamla karne. Kyuki vampire to nahj aane wale ye pakki baat thi.
Main- dad kuch samajh nahi aaraha hai ki kya karu kaise unko dhundu. Ya kaise unhe Roku.
Dad- yaar dimaag to mera bhi kaam nahi kar raha hai. Vo kya hai agar vo insan hote to kisi na kisi tarah unke plan ko tu aaram se samajh leta. Or hamle ko bhi pehchan leta. Lekin saale pata nahi kya hai. Or hame inse ladne ka koi experience bhi nahi hai. Isiliye ye haal hai hamara
Bhai- sahi kaha aapne dad. Baise mere pass ek rasta hai. Lekin confirm nahi hai ki vo theek se kaam karega ya nahi. Lekin ek baat ki guarantee hai ki agar kaam kar gya to baat ban jayegi.
Main- yahi na ki dev se contact karne ki kosis karu me.
Bhai- ha mere chotu yahi idea hai mere pass. Lekin tujhe kaise pata chala ki me yahi kehne wala hu.
Main- aise hi andaja lagaya.mere dimaag me bhi ye baat aai thi.
Bhai- to fir kiya kyu nahi ispe Amal.
Main- kaise karu yahi samajh me nahi aaraha hai.
Dad- baise dhyan laga to sayad kaam ban jaaye. Usse bas itna puchh le ki inko rokne ka or inko dhundne ka koi permanent ilaaz bata do. Taaki ye agar bhag kar kahi chhip jaaye to unko aasani se dhunda ja sake. Or unki band bajai ja sake.
Main- theek hai kosis karunga me.
Or ye kehke me baha se nikal gya. Seedha aaya ghar ke bahar. Achha subah ka mahol tha. Suhaani hawa beh rahi thi. Suraj abhi abhi just nikal hi raha tha. Badiya lag raha tha. Subah ki thandi hawa aaye haaye maja hi aajata hai us hawa ko mehsus karne me.
Khair me nikla bahar or gaav ka chakkar lagane nikal gya halke halke jogging karte hue. Sabhi log gharon se bahar nikalne lage the. Or subah subah ghadikhamba ya good morning wish kar rahe the mujhe. Jaha se bhi nikal raha tha me. Sabhi ke chehro per ek santosh tha ki me unhe kuch nahi hone dunga kabhi bhi. Or is baat ko maine bhi gaath baandh kar rakha hua hai hamesha se hi. Unhi ka ye viswas hai jo mujhe ye sab karne ke liye majbur karta hai. Vo bhi apni jaan ki perwah kiye bina.
Khair gaav ka chakkar jaldi hi lag gya. Or me gaav se thoda bahar nikal aaya. Jaha hamari forces khadi hui thi. Ek dum tainaat. Unko dekhke mujhe yaad aaya ki yaar raat bhar se ye log jaag rahe hai inke liye kuch chai coffee nasta vagera kuch nahi bheja. Tension me ye sab yaad hi nahi raha.
Khair maine jaldi hi radha ko call kiya.
Radha- ha ji. Kaha ho aap.
Main- yahi hu jogging kar raha hu achha. Suno. Yaar hamare gaav ke bahar hamare itne saare sipahi ham sabki raksha ke liye khade hue hai. Raat bhar se jaagte hue. Unke kiye chai coffee nasta bagera ka intjam karo.
Radha- actually me bhi yahi soch rahi to or abhi mom se kehne hi wali thi. Bus aap ye bataiye ki kitne log honge.
Main- maybe. 40-50 hai.
Radha- ok to unse keh do ki sabke liye nasta chai bagera ham leke aarahe hai 1 ghante me. Isliye kahi jaaye nahi vo.
Main- ok.
Ye kehke maine call cut kiya.
Bahi radha ne mom se baat ki unko bhi ye idea achha laga or unhone sabhi ko laga diya kaam per. Sabhi bahu or vo khud bua sabhi log gye sabke liye nasta banane me..
Bahi maine bhi unse keh diya ki nasta aaraha hai sabke liye to badiya muh hath dhone fresh ho jaaye. Bahi pass me hi ek badiya tube bell laga hua tha. Maine kaka ko kehke use chalu karwaya or sabhi ne badiya se muh hath dhoye or fresh ho gye.
Tab tak ek car me sabhi ka nasta bhi aagya. Nasta leke sabhi ghar wale aaye hue the. Sabhi ne un sabhi ko badiya chai or nasta diya or sabhi is behaviour se bahut kush the. Sabhi ne bade chav se nasta kiya chai pi. Halaki gov ne sabhi ke khane peene ka intjam kar diya tha sabhi jagah per. Lekin unhe khud hi banana tha. Isiliye hamne hi bhej diya or unka banane ka time bach gya.
Khair me baha se nikla. Or ek bilkul ekaant jagah per pahuch gya. Gaav ke pass ek jheel thi. Baha per. Or bahi per baith gya me.
Or sochne laga ki kosis karta hu dev se baat karne ki.
Isiliye maine apni aankhe band ki. Or dev ko yaad karne laga use pukarne laga. Kaafi der tak maine unka naam pukara. Or akhir kaar mujhe reply mila uska.
Ham tellypathy ke jariye ek dusre se baat karne lage.
Dev- kya haal hai surya. Us din ke baad aaj yaad kiya. Sab theek.
Main- baise theek hai bhi or nahi bhi. Kaafi tension haj.
Dev- kya hua.
Main- kya tumne jara bhi dhyan nahi diya ki yaha per kya ho raha hai
Dev- maine diya tha lekin tum sab itni achhi tarah se handle kar rahe the to maine fir dhyan dena band kar diya.
Main- achha. Me achhe se jaanta hu ki tumhara dhyan har taraf barabar rehta hai or har samay rehta hai. Isliye jyada bano mat or koi solution do mujhe. Me kya karu. Na to inhe me dhund pa raha hu.or mujhe to ye bhi nahi pata ki ye agli baar kya naya karenge.
Dev- yaar sach kahu to sach me tension wali to baat hai. Lekin jyada tension lene wali bhi nahi hai.
Main- kya keh rahe ho. Saaf saaf kaho.
Dev- actually abki baar vo kuch jyada hi khatarnak hamla karne wala hai in vampire se bhi jyada khatarnak. Or agar ek baar ye hamla safal ho gya to samajh lo ki pure desh ko samsan banne me der nahi lagegi
Main- aisa kon aaraha hai hamla karne.
Dev- darashal abki baar…………….
Aayenge hamla karne.
Main- what. Ye bhi hai sansar me.
Dev- ha bhai sab hai.
Main- to ab kya karu me. Inhe kaise Roku.
Dev- tumhe vikraal ko rokna hoga. Ek baar vo ruk gya fir samjho sab ruk gya.
Main- kaha milega mujhe ye.
Dev- baise tumne ek bat notice nahi ki sayad.
Main- konsi
Dev- yahi ki hamle ki shuruwat kaha se hui thi.
Maine usper socha or mujhe yaad aaya
Main- dehradun se.
Dev- correct. To tumhara pehla sikaar to bahi per milega jise tum itne dino se dhund rahe ho. Kisi bahut hi ekaant or andheri jagah per.
Main- ok or next wala.
Dev- ek se to tum mil hi chuke ho. Or uski kamjori bhi jaante hi ho. Lekin me jaanta hu tum uska fayeda nahi uthaoge.
Main- mujhe uski tension nahi hai. Vo to bus majburi ka gulaam hai. Ek baar vikraal mar gya to vo aazad ho jayega. Or uske baad agar usne udham machaya to me use khud apne hatho se marunga.
Dev- sahi hai. To fir ab bacha vikraal. Use dhund pana itna aasan nahi hai. Vo tumhare bahut karib hi rehta hai. Or ek no. Ka behrupiya hai.to tumhe use dhundne ke liye apne aaspass ke logo per najar rakhni hogi.
Main- mere aaspass kon hai. Mere bhai hi hai. To kya unme se koi vikraal hai
Dev- nahi tumhare pariwar ka koi sadasya nahi hai. Me bahiri logo ki baat kar raha hu.
Main- seedhe seedhe kyu nhi bata dete. Bhelpuri kyu bana rahe ho. Mere pass time nahi hai. Sabka peechha karne ka.
Dev- bhadak kyu rahe ho. Theek hai bata deta hu.
Main- kon hai.
Dev- …………………..
To be continue……………………..