• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Hateli Lovestory ;) (complete)

A-Star

Member
299
627
109
Update 15



Raat ko blanket baatne ka karyakram hone ke baad agli subah aniket fir se komal ko apne sath lekar nikla

Komal-anya ab kya naya batane wala hai, kaha ja rahe hai hum

Aniket-hai ek kaam tu chup chap chal na..

Komal-tu kab kya kare iska andaja koi nahi laga sakta, chal

Thodi der me dono ek hospital me pahuche to komal boli

Komal-ab yaha kya kaam hai

Aniket-kuch nahi wo bapu ke paas paise thode jyada ho gaye hai to bas wahi halka karne aaya hu

Dono hospital ke ander aaye to to aniket ko dekhte hi ek trainee docter ne uska swagat kiya

Docter-aao aao Mr. Aniket Narayanrao Rane, aaj yaha kya kaam aa gaya aapko

Us docter ko dekhte hi komal bol padi

Komal-sumi tu pehchanti hai isko?

(ab ye to alag se batane ki jarurat nahi hai na ke wo docter komal ke pehchan wali hai)

Suman-ha bilkul, par tu kaise jaanti hai isko?

Komal-arey ye best friend hai mera, ab bata tu kaise jaanti hai isko

Suman-iska yaha aana jana hamesha ka hai, bahut bada daanveer hai ye, matlab iska blood group ‘O’ hai aur tujhe to pata hi hai is blood group ka khoon kisi ko bhi diya ja sakta hai bas ye sahab har teen mahine me yaha chale aate hai fir apna khoon donate karne..

Komal-ye mujhe nahi pata tha yaar suman

Suman-shabaas matlab aaj do namune ek sath mile hai ab pata nahi mera aaj ka din kaise bitega

Jab In dono ladkiyo ki nonstop bate chal rahi thi to aniket unhe beech k rokte huye bola

Aniket-tum log ki ye chivchiv ho gayi ho to main kuch bolu kya.. :roll: suman chal list nikal…

Komal ko kuch samajh me nahi aaya par suman ne apne computer me kuch dekhne lagi aur fir usne teen naam aniket ko bataye jiske baad aniket ne apne jeb se ek noto ka bundle nikalkar table par rakha jise suman ne le liya komal ko samajh hi nahi aa raha tha ke ye ho kya raha hai aur ye paise

Komal-ye sab kya hai..?

Suman-arey jyada kuch nahi hai, ye mahashay ek taraf masti jhagde maramari karte hai aur fir apne un papo ki bharpai ke liye hosp[ital. me aakar garibo ka bill chukka dete hai aur to aur receipt bhi nahi lete

Suman bole ja rahi thi tab aniket ne fir se use roka

Aniket-bas kar na ab suman, sach kahu to tu na galti se docter ban gayi hai teri badbad sun kar to lagta hai ke tune kisi radio me hona chahiye tha nahi to railway station pe announcement karni chahiye thi kitna bolti ho be :roll:

Ab komal aur suman ekdum khas dost thi bas dono me fark itna tha ke suman thodi hoshiyar aur samajhdar thi isiliye wo docter ban gayi aur komal ki haalat aniket se alag nahi thi matlab samajh rahe ho na ek subject do subject :D

Tabhi achanak komal ko kuch yaad aaya aur wo docter suman se boli

Komal-sumi tera problem isko batake dekh, anya solid tikdam baaz aadmi hai tera problem chutki me solve kar dega dekhiyo

Tab aniket bola

Aniket-docter suman kya problem hai bolo na

Suman-nahi yaha nahi canteen me chal kar baat karte hai

Fir wo teeno hospital ki canteen me jakar baith gaye, docter suman baat karne me thoda hichkicha rahi thi, use samajh hi nahi aa raha tha ke aniket ko ye baat kaise bataye tab aniket hi bola

Aniket-o docter ab bolo bhi kiski raah dekh rahi ho

Par docter suman apne hi khayalo me thi use sujh hi nahi raha tha ke baat kaha se shuru kare jispar anket hasa aur bola

Aniket- acha to dil ka mamla hai, apun samajh gaya ab bindaas bolo kya kar sakta hu main isme

Aniket ki baat sun kar suman chauk gayi

Suman-tumhe kaise samjhi ye baat?

Ab is baat par komal table bajate huye gane lagi

Komal-dil ka haal sune dilwala sidhi si baat na mirch masala…dil ka haal sune dilwala, sumi bindaas bol ye bhi aashiq hi hai.. :D

Ab suman ne himmat karke bolna shuru kiya

Suman-wo docter siddharth hai na?

Aniket-ab unko kya hua?

Suman-hua kuch nahi hai tum pehle baat suno puri

Aniket-ha batao..

Suman-wp docter siddharth mere hi college me the, do saal senior the mujhse, aur mujhe wo kafi pasand hai…

Aniket-to isme kya hai direct propose kar dene ka na?

Suman-tune kiya propose?

Docter suman ke sawal ka jawab aniket ke paas nahi tha tab bhi wo baat sambhalte huye bola

Aniket-usme samay hai abhi

Suman-maine bhi aisa hi socha tha par samay kab nikal gaya pata hi nahi chala, siddharth paas out ho gaya, fir bhi hamara milna shuru hi tha par ab char saal ho gaye hai aur hamari gadi dosti se aage hi nahi badhi hai

Aniket-tum kaise keh sakti ho ke siddharth bhi tumse pyaar karta hai?

Suman-wahi to samajh nahi aa raha, ani help kar de na, tum to siddharth ko bhi jaante ho na

Aniket-ha jaanta to hu par tna ache se nahi, ruko jara..

Aisa bolke aniket thoda samay kuch sochne laga aur fir bola

Aniket-kaam to ho jayega par charge lagega

Suman-charge? Kaisa charge?

Aniket-charge, kaam karne ka paisa, majduri, pagaar

Suman-ani mera ye kaam kar de jo kahega main dungi

Tab komal boli

Komal-anya sharam aati hai thodi? Apne hi dosto ko lut raha hai?

Aniket-o ho ho, waah kya baat boli hai kammo tune, kitni samajhdaar hai tu, yahi samajh shravni ki info dete time kidhar gayi thi

Tab docter suman boli

Suman-komal tu chup reh, ani bol kya chahiye tujhe?

Aniket-filhaal to mast apple ke headphone original wale baki baad me batata hu

Suman-theek hai done

Aniket-ye huyi na baat, cha lab siddharth ka number de

Fir suman se aniket ko siddharth ka number diya aur aniket se use apne phone me save kiya aur bola

Aniket-dekho suman pehle main ye confirm karunga ki siddharth bhi tumse pyaar karta hai ya nahi agar wo tumse pyaar karta hai ya tumhe sirf pasand bhi karta hai tabhi tuhari madad karunga nahi to nahi

Suman-ok done

Aniket-theek hai to docter madam ek hafta hai tumhare paas apple ke headphone kharid ke rakhne ka

Fir aniket ne goggle lagaya aur komal ko lekar waha se baahar aagaya, komal ko kafi utsukta thi kea b aniket kya karega

Komal-ab kya karega anya?

Aniket-kammo tumne akshay kumar ka picture nahi dekha kya? Jo main bolta hu wo main karya hu aur jo main nahi bolta………………… wo nahi karta, main koi akshay kuma thode hi hu :lol1:

Komal-koi sense tha kya is baat kay yah ape kuch bhi kabhi bhi :redface: acha mujhe bata tu kya siddharth se direct puchega in sab ke bare me

Aniket-abey yaar kammo tub hi namuna hai ek number ki, aise koi direct puchta hai kya?

Komal-fir kya karega

Aniket- kaisa hai na kammo insaan ko kabhi is chiz ki kimat nahi hoti jo uske paas hoti hai wait and watch…?

Komal-matlab..?

Aniket-matlab mera La……….. :redface: jane de chhod

Komal ko kuch samajh me nahi aaya aur aniket ne apna phone nikala aur siddharth ko call lagaya

Aniket-hello main aniket rane bol raha hu

Shayad siddharth ne use pehchan nahi

Siddharth-kaun?

Aniket- Aniket, O negative

Ab aniket ne aisi unique pehchan batayi tab sidharth ne use pehchana

Aniket-docter aaj mera birthday hai aur sham ko ek chhoti si party hai aur mera aapse ek important kaam bhi hai jo main hospital me nahi bol sakta, isiliye aap please party me aaiyega, mere jine marne ka swal hai docter, maine aapko pata message kiya hai…

Aniket ne apni sari baat bol di aur is andaj me boli ke siddharth mana nahi kar paya aur usne invitation swikar kar liya…




To Be Continued…..
apratim bhag
 

A-Star

Member
299
627
109
Update 16



Aniket ne siddharth ko ek hotel me milne bulaya tha apni birthday party ke liye aur fir jaisa decide hua tha uske mutabik aniket aur avinash hotel me pahuch gaye gaye docter siddharth ki raah dekhne lage, aniket ne ye sara kissa avinash ko pehle hi ache se samjha diya tha aura b avinash se bhi siddharth ki raah dekhne laga

Avinash-anya aayega na wo docter..?

Aniket-aayega matlab.. arey use ana hi padega tere bhai ne itna sahi planning se bulaya hai usko jo jaroor aayega jara shanti rakh…

Aur avinash aur aniket ko jyada raah bhi nahi dekhni padi aur docter siddharth waha aa gaye, aniket ne unka swagat kiya aur docterne bhi use birthday wish kiya

Aniket-docter saahab aap aaye uske liye aapka bahut bahut shukriya

Siddharth-pehli baat to mujhe sirf siddharth bulao y6e saahab wagaire nahi, jaise apne dosto se baat karte ho waise hi karne ka aur raha sawaal mere yaha aane ka to mujhe to aana hi tha ab tumne kaha tha ke jine marne ka sawal hai to main kaise nahi aata, waise bhi kisi ki jaan bachana to ham docters ka pehla kartavya hai…

Aniket ne fir se unka dhanyawaad kiya aur avinash ki pehchan docter siddharth se karwayi fir siddharth bola

Siddharth-aniket, tum to keh rahe the party hai par yaha to sirf ham teeno hi hai..

Aniket-ha w0o kya hai na ye apni private party hai, aap kya loge batao beer ya whiskey..

Siddharth-nahi nahi mujhe jaldi jana hai main kuch nahi lene wala, ab batao tumhe mujhse kya kaam tha?

Aniket bechain dikh raha tha matlab wo bechain hone ka natak kar raha tha..

Aniket-siddharth, agar tumhe koi dikkat na ho to main ek beer le lu, matlab thodi himmat aa jayegi isiliye bas

Siddharth-arey isme puchne ki kya baat hai tumhara birthday hai tumhari party hai lelo bindass

Aniket aur avinash ne eke k beer uthayi, aur fir aniket serious hokar bolne laga

Aniket-siddharth mujhe aapki thodi madad chahiye, aap kafi hoshiyar aur samajhdar docter hai isiliye mujhe aapka thoda margdarshan chahiye

Siddharth-arey kya chahiye bolo na, main jaroor tumhari madad karunga, kuch medical problem hai kya

Aniket-haa, heart ka problem hai

Siddharth-heart problem, itni kam umra me heart problem kaise? Tumne cheak up wagaire karwaya na?

Aniket-heart matlab aap samajh rahe ho waisa nahi, wo kya hai na main ek ladki se pyaar karta hu aur wo ladki mujhse umra me kafi badi hai aur samajhdaar bhi hai

Siddharth-to, tumse badi hai to ky hua? Tum pyaar karte ho na usse?

Aniket-ha, main bahut pyaar karta hu usse itna ke agar ko abhi ha kar de to yahi usse shadi bhi kar lunga

Siddharth-bas fir problem solve hai, umra ka to isme kahi koi sawal hi nahi hai tum bindass bedhadak jakar us ladki se apne dil ki baat kaho, use batao ki tum usse kitna pyaar karte ho

Aniket-wahi to use batane ki himmat nahi ho rahi hai docter isiliye to aapki madad mangne aaya hu, main nahi ji paunga uske bagair

Siddharth-acha mujhe batao kaun hai wo ladki

Aniket-aap jaante hai use

Siddharth- bas fir baat hi solve ho gayi main baat karunga use par ab mujhe sidhe se batao to kaun hai wo..

Aniket ne glass muh se lagaya aur siddharth use aise dekh ke muskuraya, use samajh aa gaya tha ke aniket ki himmat nahi ho rahi hai to wo use samjhate huye bola

Siddharth-aniket chinta mat karo mujhe bas uska naam batao main puri madad karunga tumhari do minute ke kaam ho jayega tumhara

Tab aniket se naam bataya

Aniket-docter suman..!

Suman ka naam sunte hi siddharth chauk ke apni khurchi se uth gaya

Siddharth-kyaaaa? Suman..? docter suman….

Aniket-ha suman, aap use college se jaante ho aur hospital me bhi aap uske senior ho wo aapki baat jarur manegi please mera itna kaam kar dijiye main jindagi bhar aapka ehsanmand rahunga

Aniket siddharth ke chehre pe expressions barkayi se dekh raha tha…docter suman ka naam sunte hi siddharth ke chehre ka rang ud gaya tha..aur aniket ne agla daav khela

Aniket-siddharth ek beer to lo

Siddharth apne hi khayalo me tha aur usne bhi ha keh diya aur aniket ne pat se waiter ko beer lane ko kaha tab tak usne avi ke beer se ek glass bhar ke siddharth ke saamne kar diya aur siddharth ne ek hi ghut me wo glass khatam kar diya, teer sahi nishane pe laga tha aur pehla daav pura ho chukka tha aur aniket ne ab avinash ko siddharth ko na pata chale aise aankh maar ke ishara kar diya mano keh raha ho

Loha garam hai maar de hatoda…

Aur uske baad avinash ne apni nautanki shuru ki..

Avinash-doctor saahab main aapke aage hath jodta hu, aap kaho to pair padta hu par aap kuch bhi karo aur mere dost ka ye kaam kar do, wo paagalpan maine kiya mere dost ke sath waisa na ho…

Aur ye baat bolte sath avinash ki aankhon me pani tha, siddharth ko samajh hi nahi aaya ke ye kya chal raha hai wo jara chidh kar bola

Siddharth-ab tera kya natak hai baba

Aur apna avi to aaj full form me tha aaj to wo Oscar liye bagair manne wala hi nahi tha

Avinash-natak!! Natak!! Arey docter sahab main bhi aise hi ek ladki se pyaar karta tha par meri himmat hi nahi hoti thi use propose karne ki, mujhe lagta tha ke wo meri classmate hai, hamesha mere sath rehti hai itni jaldbaji kis chiz ki hai, pehle padhai puri kar lu fir naukri leke settle hone ke baad sidha usse shadi ke liye puchunga maine aisa socha tha par…..

Avinash ruka aur usne beer ka ghut liya, ye kahani siddharth se milti julti thi isiliye siddharth bhi gaur se sun raha tha aur jab avinash kuch nahi bola to siddharth ne pucha

Siddharth- fir…aage kya hua..?

Avinash-hona kya tha wo meri raah dekhti rahi aur main darta raha

Siddharth-fir..?

Avinash-fir ek din ek amir ladka aaya aur usse shadi kar ke use le gaya, mujhe baadme uski saheli ne bataya ki wo bhi mujhse kitna pyaar karti thi par kabhi keh na payi aur uske baap ne uski shadi karwa di..

Fir avinash aasman ki taraf dekh ke bola

Avinash-ketki kyu kiya aisa..? kyu chali gayi mujhe chhod ke? Kaas tum ruk jati…par ab is baat ka koi matlab nahi hai…..

Aur avinash fut fut ke rone laga aur aniket use shant karane laga

Avinash-isiliye docter sahab dusra koi suman se shadi karke use le jaye aap mere dost ka kaam kar dijiye late nahi hona chahiye…

Ab siddharth kasar ghumne laga tha aur wo avinash ki taraf ektak dekhe ja raha tha, use avinash ne apna chehra dikh raha tha, aur un sab me 4 beer kab khatam huyi use pata hi nahi chala ek to suman ka khayal usme beer ka asar siddharth ko kuch samajh nahi aa raha thaw o apni jagahse uthte huye bola

Siddharth-ani ham is bare me baad me baat karenge abhi mujhe ek urgent kaam hai

Itna bolke siddharth waha se jhulte huye nikalgaya aur jate huye wo badbada raha tha

Siddharth-late nahi hona chahiye, late nahi hona chahiye

Siddharth hotel se baahar nikal gaya fir aniket avinash se bola

Aniket- kya sala nautanki hai to avya, do minute ke liye to maine bhi maan liya tha ke tu sach bol raha hai, kaha se sikha be itni jabardast acing

Avinash-kahi jane ki jarurat hai kya, tere se hi sikha hu :D ye sab chhod maine sab tere bataye mutabik kiya bas usme thoda tadka laga diya acting sahi huyi na

Aniket-tadkaa!! Babu tune sirf tadka nahi lagaya balki masala maar ke ye story dun biryani jaise peh ki hai, shabaas proud of you, aaj lag raha hai tum era dost hai…par ek baat bata ye ketki ka kya scene hai?

Avinash ne aniket ke hath me ek tissue paper pakda diya jispar us hotel ka naam printed tha ‘hotel Ketki’

Dono jor jor se hasne lage


Aniket-docter to giyo….:lol1:…..
apratim bhag
 

A-Star

Member
299
627
109
Update 17



Raat ko aniket apne bedroom me baitha aaj ke din ke bare me soch raha tha aur siddharth ka kissa yaad kar kar ke has raha tha.. tabhi achanak ek khayal bijli jaisa uske dimag me kaundha aur usne use hila diya, aniket ekdum uth baitha tha… wo soch raha tha ke agar avinash ki batayi kahani sahi me sach ho gayi to? Avinash ki jagah wo raha to? Aur jis ketki ke bare me avinash bola tha uski jagah shravni huyi to ? arey baap re jo aniket dusro ko gyan dete firta hai wo khud kya kar raha hai? Shravni saamne se aake khud kuch bolegi nahi jo bhi kuch bolna ya karna tha wo aniket ko hi karna tha aur wo bhi kisi aur ke beech me aane ke pehle, yahi sab sochte huye ab aniket ki bhi haalat kharab hone lagi, ek hisab se dekha jaye to avinash ne ek teer se do shikar kiye the, aniket khud se hi bola

Aniket-kya sala avya bhi nautanki baaz hai aur main ek number ka gadha hu, mujhe lag raha tha ki wo siddharth ki firki le raha hai par ab samajh aaya ki wo sala meri bhi firki le raha tha, isko to kal dekhta hu main…

Par fir agle hi pal uske dimag me khayal aaya ke kya galat bola avi ne? jane ko chhodo yaar ye sab abhi important nahi hai…important hai to wo hai shravni ko apne pyaar ke bare me batana, par bataya kaise jaye fir achanak uske dimag me aaya ki kyu na love letter ke dwara apni feelings shravni ko batayi jaye… mast idea hai ye soch ke aniket ne apni hi pith thapthapayi aur book pen leke baith gaya par bhai ki gadi shuruwat me hi ruk gayi na…. “kya likha jaye? Kaise shuruwat ki jaye?” aniket ne apne sar pe hath maar liya, use to ye bhi samajh nahi aa raha tha le love letter English me likhe ya hindi me aur bahut sochne ke baad usne decide kiya ke letter wo English me likhega taki impression acha pade….

Ab letter kaise likhna hai ye to bhai ne soch liya tha par fir se gadi pehle hi shabd pe aake ruk gayi, pehle aniket ne dear shravni likha wo use theek nahi laga to mita diya, fir my dear shravni likha wo bhi mita diya uske baad aniket ne my love shravni likha aura b to page hi faad diya :Lol1: ab aniket ko chidchid hone lagi thi

Aniket-kya lafda hai BC sadhi shuruwat kaise karu samajh nahi aa raha, :sigh:

Fir jaise taise aniket ne shuruwat karke char lines likhi (ekdum bakwas likhi thi isiliye batake mood nahi kharab karega apun :yuck: ) fir use laga ki kyu na is bare me kammo se pucha jaye aur aniket ne komal ko call kiya par ye direct love letter ki baat kaise kare isiliye usne shuruwat kuch is tarah ki..

Aniket-hello komal..teri dost ka kaam ho gaya hai..

Udhar komal ye baat sun ke ekdum khush, aur puche lagi ke kaise hua wagaire to aniket se use pura kissa short me bataya

Aniket-kammo ek aur baat karni thi tujhse..

Komal-to bol na teko kabse permission maangne ki jarurat padne lagi bindass bol..

Aniket-wo…..tune kabhi love letter likha hai kya?

Komal-kyaa..? anya tu daru piya hai kya? Main aur love letter chiii :yuck:

Aniket-usme itna chii karne jaisa kya hai apne liye na sahi kisi aur ke liye likha hoga..

Komal-ek minute pehle ye bata kit u ye kyu puch raha hai :huh:

Aniket-wo…..mujhe lagta hai ke….main bhi propose kar hi du shravni ko..

Komal-sach..to anya bindass jake bolne ka na ye letter wagaire faltu hai re..direct propose karne ka ham hai tere sath…

Aniket-wahi to samajh nahi aa raha..kaise karu propose?

Komal-kaise matlab sidha jake direct bolne ka

Aniket-direct?

Komal-ha wo ha bol degi 😌

Aniket-aur agar wo no boli to?

Komal-chinta mat kar re teri pujarin tujhe kuch karne wali hai kya agar jyada hi gussa ho gayi to bas do char kavita fek ke maregi tujhe aur kuch nahi

Aniket-kuch bhi mat bol kame use pasand hu na main?

Komal-anya chinta mat kar wo like karti hai tujhe

Aniket-tujhe kaise pata?

Komal-jaise billi doodh se bhare barten ko dekhti hai na waise dekhti hai wo tujhe billi ki tarah

Aniket-ye kaisa example hua :roll:

Komal-tune pucha isiliye maine sabhyata se billi kaha agar wo puchti to batati ke jaise laal kapda dekh ke sand pagal ho jata hai waise shravni ko dekh ke tu paagal ho jata hai

Aniket-ha ye sach bhi hai waise, use dekha to dusra kuch sujhta hi nahi hai, wo hai hi aisi lagta hai bas use hi dekhte rahe…swarg ki apsara mano mere liye dharti pe aayi ho

Komal-o taja taja aashiq aao wapis dharti pe aao sapno ki duniya se baahar niklo

Aniket-kame kya bolte hai propose karte time?

Komal-ye bhi main hi batau kya :roll:

Aniket-bata na

Komal-theek hai sun, usko college me ek side me leke jane ka aur sidha batane ka shravne tu meko bahut pasand hai sirf ha bol apan shadi kar lenge, bada ghar hai wahi rahenge aur baccho ko English medium me padhayenge wagaire… aisa bolne ka 😌

Aniket- fir wo kya karegi, ha bolegi na

Komal-jyada kuch nahi karegi bas sandel tute tak maregi tujhe, tere me akkal hai kya anya? Tu meko aise puch raha hai jaise main subah dudhwale se leke raat ko watchman tak sabko propose karti hu, abe paagal aadmi tere man me kya hai tujhe uske bare me kya lagta hai ye bol

Aniket-par wo ha bolegi na?

Komal-abey yaar iski gadi ab bhi wahi atki hai :sigh:

Aniket-ye lafde ka kaam hai yaar ek baar ko tu bol char logo ko maarna hai wo easy hai ye propose karne se, kammo main love letter likh ke hi propose karta hu…

Komal-ha aise bhi kar sakte hai

Aniket-maine char lines likhi hai whatsapp me photo bhejta hu teko bata sahi hai ya nahi

Fir aniket ne apne likhe love letter ka photo komal ko bheja aur do hi minute me komal ka phone aaya

Komal-anya lover letter ka khayal chhod de tu

Aniket-kyu? Acha nahi hai?

Komal-wo lines to ghatiya hai hi teri hand writing aur bhi jyada ghatiya hai :yuck:

Aniket-fir ab kya kare?

Komal-teko ye sab kal hi karna hai kya?

Aniket-hao

Komal-kyu uske baap ne uske liye rishte dekhna shuru kar diye kya?

Aniket-nahi re par apne ko koi rish nahi lene ka hai, nahi to main bas plan karte rahunga aur koi aur baji maar jayega, apne ko aur time waste nahi karne ka hai

Komal-theek hai abi so ja kal college me milke decide karte hai kya karna hai

Aniket-kammo meko bahut tension ho rahi yaar, wo ha bolegi na

Komal-arghhh! :mad1: anya agar dobara ye sawal kiya to waha aake laat marungi, dimag ka dahi kar diya pura, phone rakh aur so aur meko sone de kal dekhnege kya karna hai


Komal ne phone kaat diya par aniket ko neend hi nahi aa rahi thi aura b soch soch ke uska sar dard karne laga tha, isi chakker ke raat me use kab neend aayi pata hi nahi chala….
apratim bhag
 

A-Star

Member
299
627
109
Update 18



Agle din aniket subah jaldi tayar hoke college ke liye nikal hi raha tha ke komal uske ghar aa gayi aur dono waha se sath college ke liye nikle, raat bhar neend na hone ki wajah se aniket ki aankhen laal thi aur uske chehre par tanav saaf dikh raha tha, aaj aniket bahut jyada shant tha jo ki shayad bahut hi rare raha hoga uski puri jindagi me, dimag se khayalo ke ghode sab taraf daud rahe the, ye aniket ke swabhav ka ek aur gun tha, uske dimag me agar koi ek baat fit baith jaye to wo use pura karke hi dum leta tha aur jab tak wo baat puri na hoti thi use chain nahi milta tha aur yaha to sala dil ka mamla tha to chain kaise hi milta,

Is waqt aniket aur komal apne college ki canteen me the aur bechaini ke mare aniket canteen me idhar se udhar chakker laga raha tha, aaj avinash gayab tha, ek to abhi tak college nahi aaya tha aur dusra uska phone bhi nahi lag raha tha aniket bhi subah gadbad me college ke liye nikla tha to usne avinash ko pick nahi kiya tha aur akhir kaar aniket ki bechaini se tang aakar komal boli

Komal-mujhe to ye samajh nahiaa raha hai ki teko itni gadbad kyu hai propose karne ki?

Aniket-kammo teko pata hai na apni ek baat jo fix ho gayi ho gayi, ek baar maine commitment kar di to kar di bas ab bahut hua intajar aaj ye Vishay hi khatam, ya to is paar ya us paar, aaj to main shravni ko propose karke hi rahunga dimag ka bhusa ho gaya hai kal se…

Tab komal aniket ko samjhate huye boli

Komal-anya ye aise gadbd karna nahi nahi hoga apan shanti se baith ke decide karte hai, sab badhiya plan karke karenge…

Aniket-tu to aise bol rahi hai jaise band baje ke sath propose karna hai jo planning ki baat kar rahi, dekh kammo jo bhi karna hai shanti ke sath bagair halla kiye karna hai kyuki agar halla kiya aur shravni ne na bol diya na to sabke saamne ijjat ki aisi taisi ho jani hai aur ek baar ko to wo itne logo ko dekh ke hi na bol degi, teko pata hi hai wo kitni sadhi aur simple hai use ye sab tamjham nahi pasand aayega…

Komal-anya aa jaha aaram se baith aurye le pani pi, mere paas ek idea to hai dekhte hai kaam karta hai ya nahi..

Aniket jhat se khurchi par baitha aur utawale pan se pucha

Aniket-jaldi bata kya idea hai..

Komal-tu bas ye decide kar le ki tujhe shravni se kya kehna hai baki ka kaam mere pe chhod de, tujhe mere pe bharosa hai na?

Aniket-nahi!

Komal-very good fir ab dekh main kya karti hu…

Aniket-dekh tu kuch bhi kar bas meri vaat mat lagana, tera koi bharosha nahi hai, yaads hai na tere chakker me ek ladki ke hath ka thappad bhi kha chukka hu main

Komal-nahi re anya, maskhari maskhari ki jagah ki jati hai par abhi ye samay majak ka nahi hai, aur tu jigri dost hai apna aaj to tera mamla set karna hi hai aur agar nahi kiya to mera naam bhi komal nahi..

Aniket-aur agar wo na bol de to

Komal-tu bata, kidnap kar le kya teri pujairn ko..mamla ek jhatke me khatam ho jana hai fir

Aniket-nahi nahi itna bhi nahi karne ka hai kuch aur kammo tu na tere ye chote se dimag ko jyada kaam mat de jo karna hai jaldi kar break me shravni aa jayegi yaha aur jisne ye aag lagayi hai wo narad kaha hai dikh nahi raha

Komal-pata nahi…par anya don’t worry adha kaam ho chuka hai avi bhi aa hi jayega aur sam time se hoga tension mat le

Aniket-adha kaa ho gaya matlab?

Komal-tu jaha dimag lagana hai waha dimag lagana baki ki bato ko chhod de aur ye decide kar ke propose ke time kya bolega main yu gayi aur yu aayi

Aniket-ab tu kaha chali..

Komal-shamshan me marne! Chalega sath, aur chalega to akele aana teri wo pehli barish ki fuhar ko sath me le lena, teko aaj propose karna hai na to tu sirf uspe focus kar

Itna bol ke komal gadbad me waha se nikal gayi aur uske jate hi waha avinash maharaj padhare aur use dekhte hi aniket bhadak gaya

Aniket-bhosdk yaha meri gand ke niche aag lagi hai dhua bhi nikal raha hai aur tu ab aa raha hai lawde kaha gand marwa raha tha be gandu aur wo mobile bech diya kya

Avi ne koi reaction nahi diya wo bhi jaanta tha ye aag usi ne to lagayi thi

Avinash-phone ki battry down ho gayi thi BC aur charge karna bhul gaya tha

Aniket-ha aur teri battry ke chakker me hame charge pe lagane ka samay aa gaya hai

Avinash-kya hua ek raat me aisa kaunsa pahad tut gaua lawde jo itni bakbak kar raha

Waise dekha jaye to avi ne jaan bujh ke apna phone band kar diya tha, usne bahut soch ke siddharth aur aniket ke sath ye game khela tha, wo bachpan se aniket ko jaanta tha aur use sahi se pata tha ke aniket ke dimag me koi chiz kaise ghusani hai, sidhe sidhe bolne ke aniket kuch nahi karega ye avi jaanta tha isiliye usne ye pura khel racha tha

Aniket-avi tu na dikhta waisa nahi hai bhadkhau chal baahar chal batata hu

Dono college ke baahar aaye aur apne katte ke bath ke dono ne cigarette jalayi aur aniket bola

Aniket-avi maan gaye bhai teko kya solid game banaya tune mera

Avinash-main aur tera game, kuch bhi mat bol anya

Aniket-dekh aisa hai tu mujhe jitna gadha samajhta hai main utna nahi hu samjha

Avinash-matlab thoda gadha to hai ok samajh gaya

Aniket-wo chhod tune siddharth ko jo story sunay hai na usse meri aankhen khul gayi…

Avinash-wo story siddharth ke liye nahi tere hi liye thi bas mauka nahi mil raha tha us din mauka mila aur maine sidha sixer maar diya..

Aniket-haramkhor aadmi, khair waise jo hua acha hi hua aaj apun shravni ko propose karne wala hai

Aniket ki baat sun kar avinash ne khushi se use gale laga liya

Avinash-arey ek number bhai, gazab, meko laga nahi tha ke ye itne jaldi hoga par sahi socha hai aaj ya to aar ya paar, kammo kidhar hai

Aniket-wo kuch tayari karne gayi hai

Avinash-kahe ki tayari be, uska bharosa nahi, wo stree hai kuch bhi kar sakti hai

Aniket-abe bakwas mat kiya kar, baki ke time ka to nahi pata par is samay wo job hi karegi aflatoon karegi, jate huye mujhe bol ke gayi hai ke kya bolna hai decide kar lu baki ka wo sambhal legi

Avinash-fir soch liya kya bolega

Aniket-hao, raat bhar wohi to soch raha tha

Fir uske baad dono shanti se kash lagane lage, ye tufan ke pehle ki shanti thi, main do minute me aaya bol kea vi waha se satak gaya aur aniket ki cigarette khatam hone ke pehle aa gaya

Aniket utha aur bola

Aniket-chal, aaj to ho jane de

Avinash-ek minute…

Fir avinash ne apne jeb seek scent ki bottle nikali aur aniket ke kapdo par use scent mara aur apni jeb se ek mint nikal ke uske muh me di

Avinash-ye le mint kha, shravni ko agar cigarette ka baas bhi aaya to tere kuch bolne se pehle hi bhag jayegi wo

Fir avinash se ek dairymilk nikal le aniket ko pakdaya aur dheere se bola

Avinash-agar wo ha bole tabhi ye dairymilk diyo be, dukan wala pehchan ka hai ye wapis de ke dusra kuch le lenge

Aniket ne dairymilk li aur wo aur avinash wapis college me aaya, itna samay confusion me dikhne wala aniket ab full confident dikh raha tha…..




To Be Continued…..
bahut badhiya
 

A-Star

Member
299
627
109
Update 19



Aniket aur avinash badhiya sutta fuk ke jab wapis canteen me aaye to komal unka waha intajar hi kar rahi thi aur wo unhe dekhte hi boli

Komal-kam se kam aaj to fukne nahi jana tha

Tab aniket topic badalte huye bola

Aniket-wo jane de tu bata tu jis kaam ke liye gayi thi wo ho gaya kya?

Komal-hao ho gaya hai

Tabhi komal ko scent ki khushboo aayi

Komal-arey waah anya tu to badhiya scent wagaire laga ke ready hai mast!

Aniket- ha to, aj ka din bhi to special hai

Fir komal ne apne bag me se ek tshirt nikala aur aniket ko diya pehanne ke liye

Komal-wo shirt nikal aur ye tshirt pehan le

Aniket-kyu kya kharabi hai is shirt me acha to hai

Aisa bolte huye aniket ko wo tshirt liya aur dekha to uske chehre par ek muskan aa gayi fir canteen ke kitchen me jakar wo shirt change kar aaya aur komal ne fir use ek jacket diya pehanne ke liye aur fir komal ne un dono ko pura plan samjhaya ki kya kya kaise kaise karna hai, aniket ne jhat se jacket pehan kar uski zip laga li aur komal ne usse pucha

Komal-kya bolna hai sab soch liya hai na ?

Aniket-hao 😌

Komal-theek hai to fir mujhe shravni samajh aur bol

Ab shuru huyi aniket ke proposal ki rangit talim, aniket bol raha tha aur komal shant waha khadi rehkar sun rahi thi, aniket ka bolna khatam hua, usne itna ache se sab bola tha ke komal bas use hi ektak nihar rahi thi, aniket ka bolna khatam hone ke baad bhi komal bas use hi dekhe ja rahi thi, uski aankhen dabdaba gayi thi aur wo apne aasuo ko rokne ki bharpur koshish kar rahi thi par fir bhi halke se ek aansu ki bund uski aankho se jhalak kar uske galo par aa gayi usne jhat se apne us aansu ko saaf kiya, aniket to apnihi dhund me tha uska to is taraf dhyan bhi nahi gaya aur komal ko bhi laga ki kisi ka is taraf dhyan nahi hoga par ek insan tha jisne ye baat dekh li thi jis aansu ko kisi ne nahi dekha use avinash ne dekha tha..

Aniket bola

Aniket-fir kammo kaisa laga mera performance?

Komal bhi apne chir parichit andaj me aate huye boli

Komal-anya teko dekh ke lagta nahi tu itna sab acha soch sakta hai, jhakaassss, bole to ekdum kadaak! Ab to shravni kya uska baap bhi ha bol dega

Idhar avinash ne sari fielding lagayi huyi thi, udhar shravni jaise hi apne class se nikli ek ladke ne avi ko is baat ki kharab de di ke shravni nikal chuki hai aura vi ne yahi khabar canteen me aakar de di, aaj akkhe canteen me kuch gini chuni ladkiya hi thi, avi aur komal ne milkar baki sab ko canteen ke baahar nikal diya tha aur canteen ke malik ko avi ne dhamki kam request kit hi to wo bhi is sab ke liye maan gaya tha…

Aur shravni aayi, apni jindagi ki ek bahut sundar ghatna aaj hone wali hai is baat ki use halki sib hi kalpana nahi thi, jaise hi shravni canteen me aayi komal uske paas gayi aur komal ne use ek sunder sa yellow rose diya ek smile ke sath

Achanak ye yellow rose ka matlab shravni ko samajh me nahi aaya

Shravni-ye kya hai komal?

Komal-yellow rose, dosti ke liye…

Shravni-aaj kuch special hai kya?

Komal-aise hi…

Itna bol ke komal waha se side hat gayi auruske baad avinash ne aake shravni ko ek rose diya fir waha baithi hare k ladki ne aakar shravni ko ek ek rose diya..

Ab ye batane ki jarurat nahi hai ye ye sab fielding komal ki lagayi huyi thi jiske bare me aniket ko jara bhi khabar nahi thi, aise dus bara gulab lekar shravni aniket baitha tha us table par aayi aur baith gayi

Shravni-aniket kya chal raha hai ye sab? Ye sabhi log mujhe kyu rose de rahe hai? Aaj rose day hai kya?

Fir aniket ne ek red rose shravni ko diya, ab ye sab mahol dekh ke shravni ko bhi idea ho chala tha ke ye sab kya chal raha hai aura b wo bhi excited thi ye aage kya hone wala hai, aur fir aniket ne bolna shuru kiya

Aniket-wo kya hai na shravni aaj ka din bahut special hai, bahut dino se mere dimag me ek baat ghum rahi hai par sasura samajh nahi aa raha tha ke kaise kahu, aaj main sab kuch keh ke apna man mokla karna chahta hu,

Shravni aage kya hone wala hai us khayal se excited ho rahi thi aur kaampti awaj me wo boli

Shravni-bolo na..

Aniket-main pehle aisa nahi tha shravni par jab tumhe pehli baar dekha main khud ko hi kho baitha..us din sebas tum hi tum mere dilo dimag me ho dusra koi khayal hi nahi aata hai, aisa lagta hai bas hamesha tumhare sath tumhare aaspaas rahu, ghanto tumse bate karta rahu, tumhare sath bitaya hua har pal bada anmol hai mere liye, har pal bas tumhara hi khayal hai aur tumhari in aankhon ne to mujhe paagal kar diya hai, inhe dekhe bagair to raha nahi jaya, tumhe dekhte hi main khud ko kho baitta hu, tumhara bolna hasna sab pagal bana deta hai mujhe, pata hai jab tum paas nahi tohi ho to main man hi man sochta rehte hu ke shravni milegi to usse ye kahunga, ye baat karunga, sirf sapne rachta rehta hu par jab tum saamne aati ho to mere shabd bhi mera sath chhod dete hai, mere man me rache huye wo bangle wo bate sab mano kahi gum ho jate hai bas bachti hai to tumhe dekhte rehne ki icha, tumhare sath bitaya hua har par maine motiyo ki taraf apne man me sanjo ke rakha hai, mujhe nahi pata ki ise kya kehte hai, koi ise pagalpan kehta hai koi bachkani harkat bhi keh dega par sach batau tu mujh me in bhavnao ko pehchanne ki Shakti hai nahi hai, maine inhe kabhi samajh hi nahi pata, kya hai ye? Dosti ya pyaar? Aaj tak main apne man ko samjhata tha ke nahi! Kuch nahi bolna hai, bhavnaye kitni bhi umad aaye fir bhi bagair kuch bole chup rehna hai, iska reason ye ki mujhe darr tha ke kahi tum mujhse dur na ho jao, agar tum dur ho gayi to mera kya hoga, isiliye ajtak maine apni bhavnaye daba ke rakhi par jitna main apni bhavnao ko dabata utha hi wo baahar aane ki koshish karti, mujhe aaj tumhare man ki baat bhi janni hai

Fir aniket ne shravni ka hath apne hatho me liye

Aniket- shravni tumhare bina main adhura hu, tum aayi to jindagi ko naya matlab mila hai, prem bhavna ye maine aajtak bas suna tha par ye prem kya hai ye maine tumse sikha hai, mujhe jindagibhar ka sath chahiye, tum sath ho to ye jindagi kitn haseen hogi is bare me to main abhi sochna bhi nahi chahta, dogi mera sath, jindagibhar ke liye. Aaj main tumse apni mohabbat ka ijhar karta hu, main tumse itna pyaar karta hu ke use shabdo me bayan nahi kar sakta…

Fir aniket uth ke khada hua aur uske jacket ki zip open ki, tshirt par kuch likha hua tha

I LOVE YOU :heart:

DO YOU LOVE ME 💘

Shravni ki aankhe bhari huyi thi, hoth kaamp rahe the aur muh se shabd baahar nahi nikal rahe the…

Komal ne canteen ke fan ke upper gulab ke phulo ki pankhudiya rakhi huyi thi usne jakar fan shuru kiya aur aniket aur shravni ke uper gulab ki pankhudiyo ki barish ho gayi… komal ne aniket ko ek pachek diya hua tha shravni ko dene ke liye aniket ne wo packet shravni ko diya, shravni ne wo packet khola to usme bas ek kora kagaz tha, usne page ko palat ke dekha to bhi uspar kuch bhi likha hua nahi tha, aniket ne thode gusse se komal ki taraf dekha, komal aur avinash bhag ke waha pahuche aur aniket ko shant rehne ka ishara kiya aur komal ne table par ek candle jalayi aur bolo

Komal-shravni, aajtak aniket ki life is paper ke jaisi kori thi, tumhare pyaar ki garmi use mili aur kamaal ho gaya..

Aisa bolke komal ne wo paper candle ke thoda uper pakda, jaise jaise kagaz ko heat milne lagi jo halka sa jalne laga aur uspar kuch akshar ubhar aaye, uspar likha tha


I LOVE YOU SHRAVNI…. 💘
bahut badhiya
 

A-Star

Member
299
627
109
Update 20



Aniket ke apna dil nikal ke shravni ke saamne rakh diya tha aur shravni ko samajh hi nahi aa raha tha ke ye sab sapna hai ya hakikat , itne sab mahol me shravni chakra gayi thi, uski aankhon me khushi ke aansu the aur aniket aakho me asha liye uski taraf dekh raha tha, shravni ke man me bhavnao ka aveg kuch is kadar umad raha tha ke uske muh se shabd hi nahi nikal rahe the

Aur ab sabko is baat ki tension hone lagi thi ki shravni kuch bol kyu nahi rahi hai aur achanak shravni apni jagah se uthi aur apni dono baho ka haar banate huye usne aniket ko gale laga liya… shravni ke is taraf gale lagne se aniket bhi thoda chauk gaya tha aur idhar avi ne apni do ungliya muh me daalte huye siti bajayi aur pure canteen me jallosh shuru ho gaya, full dhamaal aur akhir kyu na ho aniket ka proposal shravni ke accept jo kar liya tha, sabne milkar canteen ko sar par utha liya tha, sabhi log khushi me nach rahe the aur aaj to aniket aur shravni ke khushi kea age aasman bhi chhota pad gaya tha…

Kuch samay baad ye masti ka mahol thoda kam hua par abh bhi aniket ke shravni ka hath nahi chhoda tha jise dekh ke akhir me avinash bola

Avinash- o bhai, ab to hath chhod se bechari ka, ab to usne ha bhi keh diya hai, chinta mat kar kahi bhag ke nahi jane wali wo ab…

Avinash ki baat sunkar shravni se pat se aniket ki pakad se apna hath chhudaya par aniket wapis uska hath pakadte huye bola

Aniket-tere baap ka kya jata be aala motha shahana gyan dene wala

Itne me komal boli

Komal-aaila principal!!

Principal ka naam sunte hi dono ne pat se hath chhod diya aur aniket ne dheere se piche mud ke dekha to waha koi nahi tha….aur idhar avinash aur komal daat nikal ke jor jor se has rahe the…aura b unke sath shravni bhi hasne lagi aur boli…

Shravni-komal main aapka kin shabdo me dhanyawaad karu samajh nahi aa raha… aaj aapki wajah se ye jo anmol pal mujhe mile hai wo main jindagi bhar nahi bhulungi.. aapka ye ehsan hai mujhpar mujhe aniket se milane ke liye, main kaise chukaungi ise

Shravni ki baat sunkar apne shirt ki sleevs upper karte huye komal boli

Komal-ekdum easy hai, tumko bas teen chize karni padengi jya kuch nahi

Shravni-manjur!

Komal-arey didi sun to lo pehle :redface: to pehla kaam ye ki tum mujhe ye aap aap karke nahi bulaogi, tumko ab job hi ye inhe unhe aap tum karne ka hai uske liye tumhare paas ek banda hai usko karne ka 😌

Shravni-manjur, aage

Fir komal apni jagah par se uthi aur canteen malak ko bola, bola ka jahir kiya

Komal-kaka, canteen me jitne bhi log hai sabko aaj meri taraf se ek ek petis aur ek cutting chai do, behno aur unke bhailogo enjoy!

Fir koml niche baithte huye boli

Komal-ha to dusra kaam ye ke is sab ka bill tum bharogi :D

Komal ki baat sunkar shravni ghabra gayi par fir aniket ne use aankho se don’t worry ka ishara kiya ki wo sambhal lega, komal ne aage bola

Komal-ab teesra aur sabse important kaam bata rahi hu….

Fir komal ne ek bada pause liya…. Shravni ka dil jor se dhadak raha tha , wo man hi man me soch rahi thi k ye mahamaya ab kya mangegi, aur komal uske chehre par ke ye expressions dekh rahi thi aur fir komal boli

Komal-chill baby doll tu to aise tension me aa gayi jaise main anya ko maang lungi, chill baby main usse kuch bada mangne wali hi

Ab shravni aur jyada tension me

Komal-to aaj tu mujhe anya ko sakshi maan kar ye vachan de kit u aage aane wali jindagi me kabhi bhi kahi bhi ek chhoti sib hi kavita nahi sunayegi, bol manjur…

Pehle pehle to sabki hawa tight ho gayi thi ye sochkar ke komal kya mangegi par fir uski baat sunkar has hasne lage aur shravni ne uski ye baat bhi maan li..aur aniket haste huye bola

Aniket-ek number ki nautanki hai tu kammo..

Komal-ha na tere se kam hi hai..

Fir avinash ne ekdum se pucha

Avinash-komal, wo paper to pehle ekdum kora tha fir candle par pakadne ke baad akshar kaise dikhne lage uspe? Ye kaisa jadu tha?

Waise to ye sawal sabhi ke dimag me tha aur komal khulasa karte huye boli

Komal-wo ek badhiya trick hai tumlog bhi kar sakte ho, kya karna hai batati hu, ek kanda lene ka (pyaz) uska ras nikalne ka aur fir us ras se kisi bhi paper par likhne ka fir jaise hi tum wo paper candle par sahi se pakdoge jisme pyaz ke ras se likha hai to wo likha hua bhag jalne lagega aur jo likha hai dikhne lagta hai, bas itni si trick hai 😌

Jispar avinash komal ko shabasi dete huye bola

Avinash- kya gazab kamal ladki hai be, kaha kaha se lati ho aise idea, komal tu na ek dukan khol le, hamare yaha alag alag taraf se propose karke milega, dukan ke saamne line lag jayengi bata raha hu…

Teeno dost dil khol kar has rahe the, unhe dekh ke koi nahi keh sakta tha ke kuch samay pehle inke dimag par bhari tension tha. Shravni jab jane lagi to aniket use chhodne gaya aur unke jate hi avinash ne achanak apna hath komal ke samne shake hand ke liye aage kiya

Avinash-hello, main avinash…

Komal-meko pata hai, dmag ghum gaya hai kyat era? Aise kyu baat kar raha hai jaise ham pehli baar mile hai…

Fir avinash gambhir hote huye bola…

Avinash-sach hi to hai, aajtak to ham sirf mil hi rahe the, asli komal ki pehchan to mujhe aaj huyi hai…

Komal ekdum sambhal ke baith gay aur boli

Komal-kuch bhi kya bol raha hai avya, ye kya badbada raha hai.

Avinash-sabne aaj khush hua aniket dekha, sihri huyi shravni dekhi par maine aaj dekhi komal, ekdum uske naam jaisi, swach manasvi, sacchi komal, maine tumhari aankho ka wo aansu dekha tha aur bahut kuch bol gayi woe k bund..

Komal-please avi iske aage ek shabd bhi mat bolna..

Avinash-par kyu?

Komal-kyuki main keh rahi hu isliye, tumhe hamari dosti ki kasam, tumhe aniket ki dosti ki kasam, aaj mujhe ek vachan de ki aage jindagi me kabhi bhi ye baat apne hotho pe nahi layega aur agar aisa hua to kasam hai mujhe aniket ki wo din mere jindagi ka aakhri din hoga

Avinash-vachan to main de dunga par ek baar sirf itna bata, aakhir kyu?

Komal-kabhi pyaar kiya hai?

Avinash-nahi..

Komal-to karo fir samjhoge

Itna bol ke komal waha se nikal gayi aur jate jate ek dharam sankat avinash ke liye chhod gayi, ek taraf apne baalmirta ka pyaar aur dusri taraf komal jisme mohabbat hote huye bhi haste haste uski khushi ke piye apne prem ka gala ghot diya, avinash aasman ki taraf dekhte huye bola

Avinash-parmeshwar, ab job hi kar sakte ho tum hi kar sakte ho, bas itna karna ki mujhe kabhi kisi ke pyaar me na girana…..




To Be Continued…
bahut badhiya
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Super-Moderator
43,284
60,153
304
nice aur majedar update ...
to ye sab plan tha sayaji aur narayanrao ka 🤣..
aniket aur komal ko shocked lag gaya jab pata chala ki unke baap to dost hai ..
ab shadi ki baat bhi kar di par aniket ne time maang liya ..

waise avi bahut late ho gaya warna usko bhi ek padti 😁..

sayaji ne avi ki pith thap thapayi ye jaankar ki usne aniket ke liye apna pair tudwa liya ..
abi maar khane ki bari ani ki thi na to avi kaise aata :D
Bahut bahut shukriya bhai :thanks:
 
Top