Chapter-13: Big-Bang
Update-65
"How did it start, Sir "
Uski college life kuch khas happy ending wali nahi thi... Dost, yar, pyar.. Sab kuch uska sath chhod rahe the lekin wo apne college ke aakhiri din jab wo finally hum sabko apni tanashahi se mukt karne wala tha toh hum log use goodbye kahne hostel se baahar nikal aaye.. Jaha wo hostel ke saamne barso se rakhi ek jung lagi bench par cigarette peete hue baitha khud se hee baat kar raha tha.... Us ek shaks ke kaaran pure hostel ke ladko ki 8th Semester me aisi taisi ho gayi thi.. Afterall Collector ke ladke ko maarne ka fal toh bhugatna hee tha, uspar se ek ladki ka uske kaaran mar jaana....
Par fir bhi hum juniors use last time jab wo college chhodkar jaa raha tha toh uske paas the... Even uska samaan tak auto me rakh rahe the... Kyunki uski vazah se college ke dino me baahar ka koyi aadmi hostelers par hath tak nahi utha sakta tha... Fir chaahe wo koyi bhi ho. Kitna bhi bada gunda ho... Un dino Usne hostel ke board par ek line likh rakha tha..
~Jo akadta hai, wo pakadta hai
Jiska andaza is baat se lagaya jaa sakta hai ki usne S. P. Ke saamne, Collector ke ladke tak ko pel diya tha.. Wo bhi police station me. Ye baat alag hai ki usne fir iski bahut badi kimat chukayi....
"Everything is a big lie... But also the truth at the same time. I don't understand it anymore ... I feel like Truth isn't the truth and Lie isn't the lie..."
"Then... what's the truth...? and what's the lie, sir...?"peechhe se maine puchha...
Wo mere is sawal par aise jhijhak utha, maano kisi chintan me ho aur kuch der yun hee khade hokar aas -paas ke mahol ka jayja leta raha ki aakhir yaha chal kya raha hai aur fir jab usne auto ki taraf nazar ghumayi tab shayad use aabhas hua ki hum log yaha kyun hai.. Wo yaha kyun hai aur bina kisi se ek shabd bole wo seedhe auto ki taraf chal pada...
"Sir.. Sir... Aap jaa rahe ho.. Mere se ladki patwane ka vaada kiya tha.. Wo bahut ghamandi hai.."wo abhi auto me baithne hee wala tha ki waha maujood ladko me se ek ne puchha
"Tu hai kaun be... Saale.."
"Arey main... Devendra..."
"Yaad nahi... Anyway, chut kitni bhi tight ho, chud jaati hai aur ladki kitni bhi ghamandi ho, pat jaati hai... Ye universal law hai"
"Ok... Waise Mujhe ye puchhna toh nahi chahiye, sir... par Jo ladki aapke kaaran mar gayi... Kya aapko really koyi fark nahi padta..?"
Jawab me wo muskura diya... Matlab really... Wo Muskura diya.. Jabki uske sath jo -jo hua uske baad toh ye bilkul asambhav tha... Muskurate hue usne do cigarette packet se nikal kar muh me fasaya aur bola...
"Main bahut selfish banda hoon... Jab mere jeene -marne se dusro ko farq nahi padta toh fir dusro ke jeene-marne se mujhe kyun farq padega... Aur jis ladki ko patane ki tu baat kar raha hai. Ab Dekh... yaa toh tu use pata ke chod.. Yaa fir koyi aur chod dega... Lekin wo ladki mast gand utha -utha ke chudegi.. Ye tay hai..."
Iske baadaur bhi side characters ne apne apne sawal uske saamne rakhe aur jab sabke mann ki bhadas nikal gayi toh meri baari aayi
“how did it all start…. sir”maine bhi apne sawal ka quota pura karne ke liye puchha...
“with a big-bang…”he replied
“and how will it all end…?”
“with a big….. bang… ”auto me driver ko khiskakar usks baaju me baithte hue usne kaha...
"Laundi log chutiya naa bana sake, uski koyi trick...???" Abki baar Ved ne sawal kiya...
"When A Girl Smiles too much, don't trust her.. .anyway, that was the end of The Great Arman... I guess. just, Remember the Name. Bitches... This is AR-Man... Arrogant Reputed Man..."
Zindagi me aksar bahut kuch unscripted hota hai aur yahi unscripted chiz humare pure wazood ko hila deti hai aur jab ye hota hai toh baki sab chize koyi maayne nahi rakhti, atleast kuch dino ke liye toh bilkul bhi nahi. Aur in sabse anjaan main us din subah 7 baje sokar utha…. Maine mobile me messege dekha ki kahi Riya Rose ka reply aaya ya wo ab bhi gussa hai…. wo painting wale kaand ke baad se hee Riya mujhe ignore kar rahi thi… fir chahe wo offline ho ya online… chahe mere messeges ho ya mere calls. Kabhi-kabhi lagta ki bhaad me jaye Riya… lawda, itna bhi kya gand marwana kisi ladki ke peechhe… lekin fir agle hee pal mood badal jata tha. default setting hai meri ye… main faltu ke ego ko turant side kar deta hu…
waise bhi galti meri hee thi, mere hee karan Sanjana aur Riya ki painting same thi, fir chahe wo indirectly hee kyun na ho aur jab maine galti maan hee li thi… toh fir ego kis baat ka…? Kya karenge ego ko lekar… aachar daalkar kha tak nahi sakte. Isliye us din ke baad har din subah, dopahar, sham aur raat ko respectively good morning, good afternoon, good evening & good night ke messege main bheja karta , is ummid me ki kisi din, kisi pal shayad wo mere kisi ek messege ka toh reply karegi.. Fir chaahe wo barso baad hee kyun naa ho...
Udhar, school me Jab bhi achanak mera aur Riya ka aamna-saamna hota toh main uski taraf chocolate badhakar use hii.. hello kahta. Jispar wo jawab me bade pyar se chocolate mere hath se lekar wahi fek deti thi jise fir Ved uthakar kha jata… hazaro rupaye ka chocolate us din se Ved ab tak kha chuka tha….
“tujhe pata hai… Riya kyun nahi maan rahi…”Bulla abhi attendance ka register khol hee raha tha ki Ved peechhe se mera shirt kheech kar bola…
“pelwayega kya bhai…”
“mere ko lagta hai ki tu na use sasta wala chocolate de raha hai… 500-600 wala de koyi… mana nahi kar payegi… jo ladkiya jitni sweet hoti hai, utna hee sweet pasand karti hai… likh le meri is baat ko copy me.”
“hao bhosdike… tu toh chahega hee ki 500 wala chocolate du main Riya ko... taaki jab wo gusse me fek de toh wo utha kar tu kha le… hazaro rupaye ka chocolate kha chuka hai tu ab tak… ab toh Mira ne bhi paise dene se mana kar diya hai… aakhir kab tak Mira ko chutiya bana paunga ki main usme interested hoon...”
“Mira ko chod de ek baar… fir de degi tujhe paise…”
“chal be… chodna hota toh kab ka chod diya hota.. aise sirf chudayi ke liye laundiya nahi pataunga main…”
“fir toh kabhi nahi pata payega…”
“bol toh aise raha hai jaise har section me teri do-do maal ho… muthiyal bhosdike… zindagi me ek bhi maal patayi hai tune…? Main kam se kam Riya Rose ko lagbhag -lagbhag pata liya tha... Tu toh burchatto ke mafiq chut ke firaq me hee raha, hamesha... Fir bhi aaj tak koyi chaatne tak ko nahi di”
“Ved Sir ki insult.... Sun be... jaise Ranjan ka life ko lekar concept clear hai naa... waisich apna ladki ko lekar concept clear hai… jyada baat, gand pe laat… mujhe ladkiyo ke chut se matlab hai, unke chutiyape se nahi... ”
"Yaha sawal chut ka nahi hai... Wo toh Mira de degi... Riya Rosie alag ladki hai ... Sawal yaha pyar ka hai..."
"Sawal toh kabhi pyar ka hota hee nahi bhai... Kabhi tha bhi nahi.. Khud me jhank kar dekh le.. Ya fir jitne log ye laila -majnu bane ghumte firte hai, un madarchodo ko dekh le... Aur yadi ab bhi tujhe samajh nahi aaya toh koyi baat nahi ladkiyo ke pichhe gand marwane ke baad aa jayega.. Jo maza ladko ko ladkiyo ka seal todne me aata hai na, wahi maza ladkiyo ko ladko ka dil todne me aata hai... dil tutne ka dard seal tutne ke dard se kahi jyada hai.... Isliye Sexy Saahityakar ki baat maan le.. Patana hai toh Mira ko pata... Jab tak school hai.. Chod. Fir tata bye-bye... Wo bhi khish, tu bhi khush aur jab tu khush toh main bhi khush..."
"Tum saale chutologist... Tum kya janoge ki prem kya hai..."
"Mujhse acha toh koyi jaan hee nahi sakta ki prem kya hai... Kyunki swayam Vasudev Shri Krishna ji ne samay rok kar sapne me mujhe bataya hai ki prem kya hai... Isiliye toh bata raha hoon ki Riya Rose ke sath tera jo kuch bhi kuchi -kuchi chal raha hai naa.. Wo prem nahi hai... Ye toh kuch lyricist, film banane wale ek din bade parde pe aaye aur chutiyo ki tarah bole ki prem kiya nahi jaata balki ho jaata hai... Aur un chutiyo ki baaton pe tum chutiyo ne yakin kar liya... Prem ko samajhne se pahle khud ko samajhna padta hai... example ke taur par Vrindavan me jabbb..."
“kaun hai nalayak… disturb kar raha hai attendance ke beech me…”bulla sir apne pair se sabse saamne wali desk ko hilate hue chillaye
“sir, may I come in….”Bulla abhi kisi ko pakad ke pelta uske pahle hee gate par do-teen bio wale ladke aa dhamke… jis-se sab aashcharya-chakit rah gaye aur sabse jyada toh main tha… kyunki un do-teen ladko me se ek Jafar bhi tha….
“hat nalayak… disturb kar diya… abhi English se k puchh dunga kuch... toh banega nahi… laa re ek pustak... Abhi batata hoon”Bulla ne un teeno bio waalo se kaha, jiske baad puri class hans padi...
“sir, urgent announcement karna hai… please sir.. it’s really urgent…”
“ye Jafar kab se announcement karne laga …? Saxsena party badal liya kya…?”maine mann me socha….
Bulla tha toh bahut dheeth aur attendance ke beech me kisi ko nahi aane deta tha par Jafar ke liye us din usne apne attendance register ko band kar diya…
“jaldi kar… jo karna hai, nalayak…”Bulla ne Jafar ko andar aane ke liye kaha aur Jafar apne anya do saathiyo ke sath humari class ke andar pravesh kiya...
P. S. Don't reveal further details of 8TH SEMESTER ! & ATMAKAMI... In your reviews to this Update. Plot reveal ho jayega aur jo ekat log padhne ka mann banayenge.. Wo shayad naa padhe