Update 3
Yuvak aur shera jakar sherani ki pas baith jate hain hain.
Tabhi Sherani: Shera ab tu bhi samajhdar ho ja teri dharak aa gayi aur tu apne dharak ke swami se ladta rahta hain.
Shera: kya maa ham dost hain tarah rahate hain aur aesa rahane ke liye inhone hi mujhe kaha hain aur jab swamini se nhi mil leta tab tak aese rahne ko bola hain. Uske baad swamini ki jaisi ichchha hogi. Vaise rahege.
Yuvak: ha maa ye shi kah rha hain aur dharak se kya swami to main hoon dharak ka to abhi meri hukumat chalegi.
Shereni: tune ham sabko ye samajha rakha hain aage dekhati hoon kis ko kya samajhata hain.
Shereni ki bat sun kar Yuvak aur Shera muskurane lagate hain.
Aayeyi ab haveli chalate hain jaha Neha devi ki charon betiya aur Hariya bhi ashram aa chuka hain charon bahane is samay Ritu ke kamare me hain.
Neha devi hall me baith huyi thi jahan par Hariya ne guru ji ki batayi hoon bat sunkar prasann huyi aur bagh ke Ritu ke kamare me pahuchi aur Maya se.
Neha: Maya jakar apne kapado se koi red dress le aao aur Naina tum bimla ke pas jakar lal chandan ka lep le aao.
Neha ke baat sunkar Donk bahane nikal jati hain aur thodi der me lekar aati hain.
Neha devi guru ji anusar batayi kaam karti hain aur thodi der me Ritu ko hosh aa jata hain.
Ritu hos me aate hi: aaj mere sath bhi hua na. Kiska tatoo mila hain mujhe.
Neha: beti tumhe Sher ka tatoo yani singha ki takat ki dhark bani ho tum.
Neha devi ki baat sunkat maya.
Maya: aap har baar in tatoo ke banane par hamare sath ek naam jodkar shakti bta deti ho magar ye kya hain ye nhi batati kyo maa.
Neha: Maya kyoki shi samay nhi tha parantu aaj meri 5 betiyo ko unka sab mil gaya hain to main sab bataogi magar abhi nhi. Abhi main tumhe ye bta sakati hoon ki ye tatoo tumhare shakti ka pratik hain jo tumhe milegi.
Tum sabka janm kisi vishes kary ko karne liye huya aur tum sabka jo pati hoga wo tumhe in shaktiyo se milwayega lekin mujhe ye nhi pta wo ek hi hoga jisase tum sabki shadi hogi ya alag alag.
Neha devi ki bat sunkar 5 bahane chok jati hain.
Naina: maa ye kaise ho sakta hain ham sabki shadi kisi ek se hi ho kabhi nhi. Manti hoo ham bahane hain magar soutan kabhi nhi banege.
Ritu: ha maa Naina di shi kah rhi hain.
Neha: main kaha kah rhi hoon tum logon shayad baat suni ho sakta hain tum soutan bano ya fir sabke pati alag alag ho ye.
Apni maa ki bat sunkar 5 bahano ne kaha ek sath " ham soutan kabhi nhi banege"
Neha: ye to bavishya me chhupa hain.