• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

23n24

Member
433
1,544
138
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF PRINCIPAL SANVY KO RESTICATE HONE NAHI DETI WAHIN DUSRI TARAF DEVANG WOH WAQT YAAD KARTA HAI JAB SANEEL NE USKI HAALATH KHARAB KAR DI THI..

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-9


CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE



MORNING CHAMP...UMMHH...


mujhe piche se hug kar mere gaal ko chum baalon ko bigaadte hue kahi ye baat MAA ne jispar bas ghur kar dekha maine unhe.

par unpar kya asar hona tha....???mere baalon ki bigaad MAA sidhe kitchen ki taraf chal padi jisse dekh mai halka muskura diya..

REASON...

subah ka waqt hai...to be exact, morning ke 6.30 baje hain aur normally is waqt mai bahar jog par rehta hun lekin aaj aisa naa tha..

neend meri as usual 5.30 ko khul chuki thi par fresh hone ke baad mai sofe par sir pakad kar baitha hua tha..

sir bhaari tha mera joki har mahine kamsekam ek baar toh hota hi tha..

aur mujhe dekhte hi MAA is baat ko samajh chuki thi...

MAA kabhi bhi kitchen bina fresh hue nahi ghusti thi siway aaj jaisi condition ke...


MOM-here you go champ..ek baar me khatm karo...


apne sir ko apne hi haathon se halka halka daba raha tha ki tabhi mere aage cup karte hue kahi ye baat mom ne...

adrak aur nibu ke barabar maatra aur mishran se bana juice tha ye joki mere is sir dard ka best ilaaj tha..

saath hi saath
benzodiazepines aur clonazepam se bana ek khass mixture powder bhi tha mom ke haathon me jisse us juice ke baad mai nigal gaya jiske baad..


MAI-MAA...

MAA-nopes... school jaayega tu aaj...


mere request karne se pehle hi usse deny kar diya tha MAA ne jispar mooh ban gaya aur ye dekh mere gaalon ko kheench mere paas baithe hue...


MAA-tujhe P.T classes se itni elergy kyun hai....

MAI-what elergy...???

MAA-tabhi lagbhag har saturday tu school nahi jaane ke bahane banata hai...

MAI-arre complusion jaisa lagta hai MAA...same old 8 drills har saturday repeat karwate hain jisme seriously, health sahi rakhne ko chhodkar sab kuch hota hai..

it's frustratingly exausting...upar se aaj inter school level ke liye cricket trials ki practice bhi start ho jasyegi jisme hamare teeno SPORTS TEACHER aise react karenge jaise kisi scool competition ke liye nahi balki army ke liye soldiers train kar rahe hon..

complete crap...

MAA-nahi khelna hai toh mana kar dena...

MAI-khelne ke liye mana karne ki zaroorat hi nahi hai...mai aur NITS waise hi team me naa hain,naa honge..

hamari taraf se CHARLIE SIR ne hi confirm kar diya hai is baat ko...

par phir bhi, jabran mehnet puri karwate hain...idhar se udhar fielding positions change karkar double P.T karwa dete hain..

MAA-toh kar lena...itna ehsaan toh kar hi sakte hain SANVEER AHARYA sabpar...

aur kya pata, fielding position boundry par lage teri jahan stands par beautiful girls tere liye hooting karen..

MAI-hahaha..very funny...girls ki hooting sirf SAM aur us ROHAN ke liye hoti hai MAA...

humare liye ekaki hi bani hai...aur hum ussime khush hain...

mai chala nahane...


wall clock dekh kahi maine aakhri baat jiske baad mai sofe se uth apne room ki taraf badh gaya...

wahin peeche se mujhe jaate hue dekhti rahi mom aur jab mai apne room me ghus gaya toh...


MOM-mere bacche...

"tera wajood itna khaas hai ki,
teri shaksiyat taaliyon ki mohtaj nahi'....




PLACE-SIRIUS




ABBE MAADARCHOD,GAAND KA GODAM HO GAYA HAI LOUDA...

BACHA LO RE KOI, KUCH DER AUR YE KUDAM KUDAYI CHALTI RAHI TOH MERA HI LUND MERE GAAND ME GHUS JAAYEGA...


lagatar ucchalne ke beech haafte hue kahi thi ye baat NITS ne...

aaj saturday hai..total 5 classes hi hote hain aaj par study ke naam par sirf first class hi lagti hai SIRIUS me,uske baad ki saari class P.T aur sports ki hoti hai...

sports se yaad aaya..SIRIUS ke school aur college, dono hi division me acadamics aur sports ke maamle me saare students kul 4 houses me baate jaate hain jinhe hum GROW kehte hain...

G-GREEN
R-RED
O-ORANGE
W-WHITE

inhi chaar houses ke saal bhar me kiye gaye acadamics aur sports me pradarshan ke according aakhir me sabse zyada points gain karne waali house ko best house ke saath house cup se nawaza jaata hai...

anyways, filhal toh chal rahi thi hamari P.T class jisme hum JUMPING JACK,LUNGE, SQUATS aur aise hi 5 aur barso se chale aa rahe wahi ghise peete exercises karte aa rahe the par continously..

aur isiliye thakte aur khanjaate hue kahi ye baat NITS ne jispar..


BETA,KAUN SHOR KAR RAHA HAI...

(SAMSON DAS...hamare school division ke 3 sports teachers me se ek...national level boxing champion hain ye aur ek trained physical trainer bhi..inki ek aadat hai ki ye ghussa hon yaa shaant,har baat ke aage aur kabhi kabhi aakhir me BETA shabd zaroor lagate hain.)

NITS beta..tum ho kya...???


khud hi sawal kar khudhi guess karte hue DAS sir NITS ke saamne aakar khade ho gaye jispar...


NITS-nahi sir..maine toh kuch nahi bola...

DAS-beta, exercise chaalu rakho...


apni jumping exercise band karte hue kahi thi apni baat NITS ne par DAS sir ki baat sun bujhe man se phir ucchalne laga NITS jisse dekh..


DAS-beta,shaabash beta...tumhe andaza nahi hai beta ki ye exercise kitni zaroori hai tumhare healthy rehne ke liye...

beta SANVEER,thoda upar ucchlo beta...ye kya halke halke hil rahe ho...

beta,tumhari umar me mai 2,2 ghante puri energy se har exercise kiya karta tha...


mai jo dheere dheere bas apni jagah par hil bhar raha tha,ye dekh mere paas aa kahi ye baat sir ne jispar...


MAI-sir,aap kahan aur mai kahan...???aapki fitness toh aaj bhi admirable hai..

tabhi toh sabhi teachers tak aapse itne inspired rehte hain..

infact kal hi kisi fitness topic par SHAIFALI MISS students ko aapka example de rahi thi...

(SHAIFALI SHUKLA.. ANSHUMALA MISS KI TARAH EK BEHADH KHUBSOORAT SHAKSIYAT AUR PHYSICS TEACHER..LAGBHAGH SABHI MIDDLE AGED MALE TEACHERS INKE DIWAANE HAIN JINME HAMARE DAS SIR KA NUMBER SABSE PEHLE LAGTA HAI)

yahi wajah thi ki meri baat sun aankhein chamak uthi DAS sir ki aur...


DAS-beta,kya bol rahi thi SHAIFALI MISS...???

MAI-sir,mai bas jahan woh thi,wahan se guzar raha tha.. isiliye clearly toh nahi sun paaya mai par kuch lazy students the unke saamne..

woh bas unhe aapka example dekar motivate kar rahi thi...


ek proud smile naach uthi DAS sir ki meri baat sun jiske baad woh palath kar chale gaye aur mai waise hi dheere dheere hilta hua khada raha aur ye dekh..


NITS-bhosdike..bas apna jugaad laga tu.. khud toh bas hil raha hai aur hum bandar ki tarah ucchhalte jaa rahe hain..

MAI-apna pichwada khud dho loudu...har baar teri chhutad naa bachane waala mai...

NITS-bas bhai,yahi dosti naa..

MAI-haun..yahi dosti..


TTRRRRRRRRR...


meri baat par bhadak kar kuch bolne hi waala tha NITS ki tabhi class off hone ki bell baj gayi jiska turant asar hua uspar..

NITS ke, NITS kya sabhi ke chehre par aisi khushi chha gayi jaise result nikal gaya ho aur sabhi merit se paas hue hon..


NITS-bach gaye bhai..agar ye kudna aur kuch minutes chalta toh nipat hi jaana tha apne ko.

MAI-bas rota reh reh gandu..SONU ko dekh...aaj tak kabhi kisi P.T class me ek shabd bhi complaint nahi ki isne..

NITS-ab bhai, sportsman hai ye..saale ko 2 ghante aur bhi ucchalwa lo,lund naa padega fark isko...

SONU-llund kka ssportsmman..abbe,wwaise hi hakklatta hun mmai,kuddte waqt bbhi bbolne kki kkoshish kki ttoh mmooh sse kkuch nniklega hi nnahi..

HAHAHAHAHA..


SONU ki baat sun mai aur NITS dono hi zor se has pade jispar..


SONU-ggand mmarwallo bbhosdo kke jjano..

ALRIGHT STUDENTS...AAJ SE AAP SABKE CRICKET TRIALS SHURU HONGE...SO,THE INTERESTED STUDENTS,SAMEER CHANDER KE PAAS NAAM LIKHWA LIJIYE APNA...

NEW STUDENTS,AAPKE RESPECTIVE HOUSE KE NAAM BHI AAP SAMEER SE JAAN SAKTE HAIN...

GIRLS,AAPKE SPORTS TRIAL NEXT WEEK SE SHURU HONGE THAT MEANS YOU ALL ARE FREE TODAY..

AAP CHAAHEN TOH APNI CLASS ME BAITH SAKTI HAIN OR ELSE,STANDS PAR BAITH BOYS KI CRICKET TRAIL BHI DEKH SAKTI HAIN...


CHARLIE sir joki hamare cricket aur baaki sabhi outdoor games including race, specialist teacher the, unhone saamne aakar kahi ye saari baat jispar jitne bhi naye students is baar aaye the,woh sab toh super interested dikhne hi lage par jo purane regular players hain yahan ke,woh sab bhi turant SAM ki taraf badh chale the..

apna SONU bhi kamaal ka fast bowler tha isiliye woh bhi aage badh chala tha aur bache mai aur NITS.. hamara toh bhai cricket ke C se bhi door door tak naata nahi tha isiliye hum dono class ki taraf badh gaye par tabhi CHARLIE SIR ki nazar padi hum par aur..


CHARLIE SIR-gender change ho gaya hai kya tum dono ka..girls ko class jaane ka option diya hai,tum dono ussi catagory me aate ho kya...???

HAHAHAHA..


jahan sir ki baat sun sabhi has pade wahin...


MAI-sir,girl hona toh respect ki baat hoti hai..i dont mind to change my gender...but for now, hum toh sir aapke hi suggestions par amal kar rahe hain...

CHARLIE SIR-really..aisa kaun sa suggestion hai jo maine diya aur mujhe hi nahi pata..

MAI-nahi,aapne bola nahi sir,par humne samajh liya..aapne interested students ko call out kiya jo hum dono hi nahi hain.

toh hum class jaakar aapka view clear kar rahe hain...

CHARLIE SIR-aisa hai naa SANVEER AHARYA ki aaj cricket team ka selection nahi hona, sirf trails hain jisme aap dono ka hona bohot zaroori hai isiliye aap dono kahin nahi jaa rahe..

NITS-lag gaye loude..ye CHARLIE firse hume fielding karwane ke liye rukwa raha hai..


dheere se kahi ye baat NITS jispar..


MAI-sir,mere pair ki nas chaddhi hui hai..

NITS-aur mere haath ki sir..

CHARLIE SIR-woh toh aaj ki baat hai naa...dimag ki nas toh tum dono ki shuru se hi chaddhi hui hai..

phir bhi school toh aa hi rahe ho naa...

HAHAHAHAHA...


ek baar phir sabhi students hasne lage jispar sabse loud hasi ANJALI ki thi jisse dekh...


MAI-apne sur name ki toh izzat rakh le ANJALI..UDAASI hai tu aur hase jaa rahi hai..kya beetegi tere surname par..

ANJALI-aaj toh hasna banta hai..aakhir tha great SANVEER cricket trials jo dene jaa rahe hain..

KHANAK-really..??is SANVY that good...!!!

ANJALI-good.. sports channel par cartoon network pehli baar dekhegi tu...

iski aur NITS ki fielding agar jonty rhoedes dekh le toh khudko hi faansi chadha le...

HAHAHAHA...


ANJALI ki baat par KHANAK aur RASHI has pade jispar..


MAI-arre waah..shakal muttiah muralitharan jaisi aur baatein jonty rhoedes ki...

HAHAHAHA...


meri baat par RASHI, KHANAK ke saath baaki saare students toh hase hi par charlie aur das sir,woh dono bhi dheere se hi sahi,par has pade aur ye sab dekh bhadak gayi ANJALI maata..

ghusse se ghur meri taraf badhi aur...


ANJALI-SANVY ke bacche.tu toh gaya aaj...


ye bol mujhe maarne aage badhi ANJALI jispar..


MAI-dekhiye sir..aap dono ke saamne,hamare respected teachers ke aage bhi ye mujhe dhamka rahi hai...

ho kya gaya hai SIRIUS ki discipline ko...

CHARLIE SIR-enough..ANJALI, get back...ya toh class me jaao ya stands par baitho...

school ke baad premises ke bahar maar lena isse...

MAI-what...??sir...

CHARLIE-enough of your drama SANVEER...i know tum kya kar rahe ho.. waqt zaaya kar rahe ho tum taaki school timing khatm ho jaaye aur next drill se bach jaao tum.

but don't worry.. PRINCIPAL MA'AM se extra time le liya hai maine....aaj ki practice khatm hote tak koi bhi kahin nahi jaa raha...

aaj practice ka part toh banoge hi tum..tumhari koi tikdam kiam nahi aane waali...

toh shuru karen yaa aaj ghar shaam ko jaana hai...

CHALLENGE ACCEPTED SIR..


man hi man bola maine ye jiske baad...


MAI-raat ko jaayenge sir..after all,pehla trial hai,extra time toh hona hi chahiye...


meri baat par NITS ke saath baaki saare bande bhi ghoorne lage mujhe jispar mai bhi warm up karne ke bahane idhar udhar hone laga aur ye dekh...


CHARLIE SIR-arre waah..chalo koi toh hai jo first drill ke liye excited hai..

students,sabse pehle aap sab 1500 metres ka ek fast jog lenge..

jog ke baad ground me beech assemble hona hai aap sabko...

NITS-1500 metres..sir,abhi toh pure 40 minutes P.T kiya hai..

DAS-beta, woh P.T alag chiz hai aur cricket alag... jogging se head to tow,pura body khul jaayega aap sabka..

NITS-kuch khule naa khule,gaand zaroor khul jaana hai aaj...


khudse hi kahi ye baat NITS ne..wahin saare male students group ke hisaab se line up hone lage..


ANJALI-dekh ke..kahin daudte daudte saansein naa atak jaaye...


mai bhi NITS ke saath sabse piche ki taraf jaakar khada ho gaya ki tabhi ANJALI mere kareeb aayi aur kahi ye baat jispar uski taraf palat...


MAI-jahan hum hote hain,wahan hamari kya,hamare saamne waale ki saans bhi hamare isharon par chalti hai...

isiliye meri nahi, apni saanson ki fikr kar..kahin galti se hamari zadh me aa gayi toh khudka hi wajood udhaar ka ho jaayega...


ANJALI ki aankhon me dekh kahi thi maine ye baat jispar woh bina kuch kahe,turant ghumi aur RASHI aur KHANAK ke saath stands ki taraf badh chali...


PHHHHHHRRRRR..

DAS sir ne baja di whistle jiske baad shuru hua hum sabhi ka woh 1500 metre ka jog..

waqt aur doori kam hoti gayi aur saath saath hum sabki haalath bhi glucose level ke saath niche girti gayi..

abhi 500 metres hi hue the ki aadhe se zyada students toh daudne ki jagah chalne lage the..

mai aur NITS bhi shaamil the is list me jisse dekh CHARLIE SIR ne bajayi sitti aur...


CHARLIE SIR-chalna nahi hai students..1500 metre se pehle jiski running ruki,usse 3000 metres cover karna padega...

NITS-bhaago re bhosdoke logon..ye CHARLIE aaj khade lund ke saath aaya hai..

bina gaand maare chain nahi aayega isko..

abbe maadarchod,hath loude.. hath...bohot maarunga bhosdike.

kutiya hun mai jo piche se chodne chaddha hai..


mai kudkar piche latak gaya tha NITS ke isiliye kahi ye baat usne jispar...


MAI-chal na loude...20 metre utha mujhe...50 metre tak mai dhounga tujhe...

NITS-louda dhoyega tu...chutiya mat samajh gaandu...

MAI-abbe mazak nahi kar raha..pakka..ek dum waala...

NITS-mat dho phir batata hun loudu tujhe...


ye bol kisi tarah haanfte haanfte mujhe dhoye 20 metre tak doudne laga NITS aur jab uska distance khatm hone ko hua toh...


NITS-ab teri baari..beta,bhaagne ka sochiyo bhi mat..kuda kuda ke maarunga..

MAI-dekh,mai thoda tez pick up lunga,tu lapak kar chhadh jaana mere piche...

NITS-ab ye kya naya chutiyapa hai...

MAI-bhai,50 metre doudna hai..thoda tez start lunga tabhi toh distance cover kar paaunga..

NITS-chal theek hai...gira mat diyo bas...

MAI-baap par shak nahi karte bacche..chal aaja ab..


NITS ke 20 metre pure ho chuke the aur isiliye mere uske back se utarte hi behadh khushi khushi apne haath pair jhatakne laga woh..

wahin mai bhi halka speed pakad doudne laga jisse dekh NITS badi tezi se mere piche lapka aur meri back par kudne ko hua lekin tabhi..

NITS ki pant jiska lock button khul gaya tha ya fir ye kahun ki maine khol diya tha,woh slip hokar neeche gir gaya aur ye feel kar liya tha NITS ne jiski wajah se hadh se zyada hadbada gaya woh aur apni pant pakadne ke chakkar me uska pair mere pair ke beech fas gaya aur..


DHAMMMM.....


ek saath gutham guthayi karte hue hum dono hi tezi se neeche gire...

dekhne waalo ke liye ye collision behadh solid tha..jahan mai sidhe ground par ghisadte hue gira tha wahin NITS ka sir pehle meri body se aur phir ek jhatka khaate hue woh meri left par gira tha..

ye sab CHARLIE SIR,DAS SIR aur stands par baithe students ne bhi dekha tha aur isiliye woh sab tezi se hamari taraf badhe...


MAI-chup chaap pada reh gaandu... gardan aur chest masalte hue slow par asal dard ki awaaz nikaliyo...


NITS jo girne ke baad uthne hi waala tha ki tabhi mai dheere se gurraya jisse sun turant wapas neeche dher ho gaya NITS aur apni acting ka ek behadh umda namuna dikhate hue halke halke AAH,AHH karne laga...

aur mera toh halka hi sahi,haath chilla gaya tha jisse zyada intense dikha rahi thi woh ghaans ki parathen jo ragdane ki wajah se mere haath par chipak gayi thi..


CHARLIE-abbe,kaise kaise chutiyape karte rehte ho be tum dono namune...


hamare paas aakar hume closely dekhte hue kahi thi ye baat sir ne..

girte waqt NITS ka gala aur chest tezi se hit hue the meri back par,ye dekha tha unhone..

saath hi saath mera woh slide aur haathon ka garshan bhi nahi chuppa tha sir se..


CHARLIE SIR-hey you come here.. NITENDRA ko medical room le jaao...

SANVEER...you just got some scratches...hand wash kar lo, apply some dettol aur class me jaa kar rest karo....


NITS ke liye ek student ko kaha sir ne jispar woh turant aage aaya aur NITS ko sahara dete hue usse uthakar aage badh gaya...

is beech sabse chhupakar aankh maari mujhe NITS ne jisse mere saath saath SONU, EKPREET, RAJAT aur SAM jo ab tak hum dono ke liye concerned faces ke saath khade the,dekh liya unhone aur sir shake kar smile karne lage woh sab...


wahin mere liye jo sir ne kaha,usse sun...


MAI-sir,i am good...

CHARLIE-matlab trail doge..

MAI-utna bhi good nahi sir..i mean mai yahin stands me baith jaata hun...

CHARLIE-ok par pehle haath dho lo aur dettol se scratches saaf karne hi padenge..

MAI-sure sir...

CHARLIE-SAMEER,dettol mere medical kit me hi hai...get it and give it to him.cotton mat bhulna..

SAM-right away sir..


SAM lene gaya dettol aur itne waqt me stands ke paas hi lage taps se haath dho liya maine aur jab palta toh SAM dettol aur cotton liye mere saamne khada tha..


SAM-bohot kamina hai be tu.. practice se bachne ke liye kya kya jugath laga leta hai..

saale,sach me lag gayi hoti toh...

MAI-beta,jab risk calculated ho toh nuksaan bhi apni marzi ke jitna hi hota hai...


meri baat sun hasa SAM aur mujhe dettol,cotton pakdakar chal diya..


wahin mai bhi dettol pakad stands par naa jaate hue ground ke side me hi hari ghaans par baith gaya..

april ka mahina tha par hill area hone ki wajah se weather extreme nahi hota tha idhar aur aaj toh mousam kaafi sahi tha..

halki cool breeze chal rahi thi jisme ghaans par baithne ka maza hi kuch aur hota hai...

araam se pair failakar ghaas me kulle tika chuka tha mai par tabhi...


MAI KAR DUN...!!!


dettol cap khola hi tha maine ki tabhi KHANAK joki mere piche khadi thi,uski awaaz padi mere kaano par jispar..


MAI-soch lo..kahin DETTOL COMPANY khudhi ko sue naa kar de...

KHANAK-excuse me...???kya...???

MAI-dettol ke touch se infected part me jalan hoti hai...par jo tumhare haath se lagi toh apni ye khaasiyat kho baithegi ye...

KHANAK-SANVY...i must say,you are quiet a flirt,haan....


muskurate hue mere paas baith kahi ye baat KHANAK ne jiske baad mere haath se dettol aur cotton le liya usne aur mere haath ke us chille hue part par usse apply karne lagi par jab dettol ke touch hone ke baad bhi mai normal hi raha toh blush karne lagi woh..

meri kahi baat yahan sach jo ho rahi thi uske liye....


KHANAK-ek baat puchun...???

MAI-jawab sahi lagne par yahi smile dobara dogi toh jitne chaahe,utne sawal puch lo...

KHANAK-please SANVY...

MAI-arre..puch lo..smile toh mai nikalwa hi lunga...

KHANAK-tumne kabhi koi G.F kyun nahi banayi...???

MAI-ohho...toh koi inquiry kar raha hai mere baare me...


meri is baat par KHANAK apni pehle se badi aankhein aur badi kar dekhne lagi mujhe jispar..


MAI-dil nahi kiya..

KHANAK-kyun...??? relationship se dar lagta hai...

MAI-shayad...

KHANAK-wow...the great SANVY jo akela 5,5 logon se bhidne se nahi ghabrata,woh relationship se darta hai..

MAI-mera sabse gehra rishta mere hi wajood se hai jo mujhe kabhi akela nahi chhodta..

aur isiliye saamne 7 hon ya 17,mai nahi darta...

jo yakin mera khudpar hai, utna kisi aur par hua hi nahi isiliye dil ab tak mera sirf mujhe zinda rakhne ke liye dhadakta hai,kisi aur ke liye nahi...

KHANAK-ab tak...?? matlab aage chances hain jab janab ka dil kisi aur ki dhadkan mehsoos karne liye dhadke...

MAI-apne dil-e-haalath par itne sawal toh maine aaj tak khudse nahi puche jitne in kuch lamho me tum puch chuki ho mujhe..

koi khaas wajah...!!!!


mere is sawal par sir halka neeche kar ghaas ko todte hue phirse blush karne lagi KHANAK jispar..


MAI-same sawal mai puchun toh..do you have a boyfriend ya pehle tha koi...???


naa me sir bhar hilaya KHANAK ne mere sawal par jisse dekh..


MAI-kyun..???

KHANAK-apne dil se sawal naa puchne ki aadat sirf tumhari ho ye zaroori hai kya...???

MAI-kya baat hai...itni saadgi se mere saamne hi mera jawab chura liya aapne...

jisse wakayi chaahogi tum, woh khaas hi hoga..waise,kaisa ladka chahiye tumhe apne liye...???


mere is sawal par nazar turant uthi KHANAK ki, kuch pal apni badi badi aankhon se dekha usne mujhe aur phir...


KHANAK-jo sirf mera ho..mera khayal rakhe..mujhe hasaye..most importantly,meri hifazat kare..


SANVY......WATCH OUT....DHABBB.....


apni baat bol hi rahi thi KHANAK ki tabhi chal rahe trial me use ho rahi duce ball sidhe uske face ki taraf aayi jisse bina dekhe hi catch kar liya tha maine...

KHANAK ne last moment me feel kar liya us ball ko aur isiliye aankhein band kar li thi usne apni par jab kuch seconds baad aakhein khuli uski toh mere haath me joki uske gaalon ke theek saamne tha,usme hold kiye ball ko dekh raahat ki saans li usne...

SAM kar raha tha batting aur ussine shot maarne ke baad jab dekha ki ball sidhe KHANAK aur mere taraf aa rahi hai toh chillaya tha woh par tab tak ball catch kar liya tha maine aur ye dekh kayi khel rahe students aur CHARLIE sir ki aankhein badi ho chuki thi..

same haalath ANJALI ki bhi thi jisne kuch der pehle mujhe fielding ka hi taana diya tha..

khair,ball catch kar usse paas hi khade bande ki taraf feka maine aur wapas KHANAK ki taraf palta jo ek tak mujhe hi dekhe jaa rahi thi...


KHANAK-thanks...

MAI-ab har baar ki tarah muskura mat dena bas...

KHANAK-kyun..???

MAI-ek baar me ek hi tohfa leta hun mai..yaa toh thanks de do,yaa phir smile...

KHANAK-aur agar smile aur thanks ke saath saath maine kuch aur bhi de diya toh...

MAI-kya..???

KHANAK-mera dil...


KHANAK ki baat sun chup reh gaya mai jisse dekh KHANAK apni khankili hasi has padi aur..


KHANAK-relax yaar..mazak kar rahi thi..but finally, maine THE SANVEER AHARYA ko jiske paas har sawal ka koi na koi counter jawab toh hota hi hai,usse chup kara diya...

MAI-jawab diya tha maine,tum sun nahi paayi.

acha hua jo mazak tha,sach hota toh GALATH ho jaata...

KHANAK-really..!!jawab diya tumne...kaise..???tum toh chup hi the...


KHANAK ke sawal par uske kareeb gaya mai aur uski aankhon me jhaank....






manzil mil bhi gayi toh kya agar raahgir ne SUKOON NAHI PAAYA...

chamkile saare patthar the,unme se asal heera CHUN NAHI PAAYA...

DIL ki baat ki tune toh jawab bhi mere DIL ne diya...par afsos...

taiyar nahi tha tera DIL,isiliye SUN NAHI PAAYA....













AAJ KE LIYE ITNA HI....












AAPKA APNA V...J.....
Awesome fantastic wonderful update VJbhai
 

Ali is back

Member
458
1,740
138
Shaandaar update bhai
Love ka L suruat huaa thaa wo v khatam lagta hai
Great sanveer aharya ko saant karna filhaal possible nhi q ki uske pass maa hai
Sports teacher's gajab ke hain sab bc
Ye anjali beech mai ghusne waalo adat na choregi
Waiting for kal ki update
Sunday dhamaal
 

Raja maurya

Well-Known Member
5,115
10,902
188
PROLOGUE UPDATE:-



DATE-APRIL 1/2021....





TANNN...TANNN...TANNNNN.....



CHAL RE LADKE.. KISMAT WAKAYI ACCHI HAI TERI...KAAFI SASTE ME CHHUT RAHA HAI TU....


police station ke piche bane before hearing TEMPORARY JUVENILE HOME joki kisi normal adult jail se kam nahi thi,uske ek cell ki salakhon par pehle apne ruler se maarne ke baad lock kholte hue kahi thi ye baat ek hawaldar ne jispar cell ke andar diwal se tik kar baitha ladka bina koi pratikriya diye bas dheere dheere apni jagah se uthne laga but tabhi...


AHHHHH....

uthne ki koshish me pair ladhkhada gaye us ladke ke jiski wajah se woh neeche girne laga par tabhi us Hawaldar ne uske ek haath ko thaamte hue usse support sa diya aur fir ussi haath ko apne kandhe ki taraf ghumakar rakhte hue us ladke ko pakad usse sahara dekar aage badhne laga but ye chota sa safar bhi asaan na tha..

kapde jagah se phate hue us ladke ke jinke andar jhaanke se sharir par pade asankhya chot aur ghaav saaf dekhe jaa sakte the...

maasum chehre ke kayi hisson par khoon se sukhe dhabbe saaf bata rahe the ki us ladke ke face par bhi bohot se tez tamaache aur mukke padh chuke the..

dando ki asankhya maar ki wajah se dono pair aur khaaskar ghutne bhi kaafi suje hue the aur issi wajah se woh ladka thik se chal nahi paa raha tha...

sahara milne ke baad bhi us ladke ke face par dikh rahe pain ko dekh us hawaldar ko bhi us bacche par kaafi taras aa raha tha..

aur ye bhaavna sirf abhi hi nahi jaagi thi balki parso se jab se us ladke ko JUVENILE CUSTODY ke naam par is cell me bharti kiya gaya tha aur uske baad jo kayi ghanton tak lagatar usse kisi rapist ya maas murderer ki tarah maara gaya tha,woh sab dekh kar hi is hawaldar ko behadh taklif hui thi par apne chote ohde ki wajah se woh kuch kar nahi paaya tha...

khair, kisi tarah sahara dete hue woh hawaldar us ladke ko liye us JUVENILE HOME ke front hall me bane chamber ki taraf badha hi tha ki tabhi....


ARE YOU EVEN LISTENING TO ME INSPECTOR....2005,JUVENILE JUSTICE CARE & PROTECTION ACT KE ACCORDING KISI BACHE KI UMR AGAR 18 SAAL SE KAM HO TOH USSE POLICE REMAND PAR NAHI LE SAKTI AUR RAKH TOH BILKUL NAHI SAKTI..

AND DON'T EVEN DARE TO TRICK ME BY SAYING KI YE EK TEMPORARY JUVENILE HOME HAI KYUNKI YE JAGAH BHI BY LAW "GALATH"....


CHRRRRR....

chamber ke dono darwaze khulne ki wajah se chamber me khade us aadmi ka sentence pura nahi ho paaya aur woh turant palta aur aisa karte hi jab uski nazar door se enter hue hawaldar ka sahara lekar khade us half consciousness waale ladke par padi toh uski aankhein hairani aur ghusse se badi ho gayi aur..


AADMI-is this "SANVEER AHARYA"....


ye bolte hue woh turant us ladke ki taraf lapka jisne shayad us aadmi ki awaaz theek se suni bhi nahi thi ya phir ye kahun ki uski tooti phuti haalath aur dono hi kaano ke piche dikh raha sookh chuka khoon usse kuch bhi sunanane ke liye filhal temporarily non compitant kar chuka tha..

us ladke ke paas pahunch hawaldar ko side hata us aadmi ne khud us ladke ko sahara diya aur aisa karne ke baad jab uski ghusse se bhari aankhen saamne chair par baithe inspector ki taraf gayi jo ab bhi ghaagh ki tarah muskura raha tha toh woh kuch bolne ko hua par tabhi..


INSPECTOR-MR ANUPAM GHOSH....mai jaanta hun ki aap kaun hain..yahan ke sabse bade lawyer hain aap...

is JUVENILE HOME ke bahar aapke assistants ki lambi line aapke powerful hone ki baat par bhi bina bole mohor laga rahe hain but the thing is ki aap kuch nahi kar sakte...

jaante hain kyun....???

JAIDEN CHOWDHARY....

muskurate hue bhar ye ek naam hi liya us inspector ne par shayad itna hi kaafi tha...

naam sun ek pal ke liye LAWYER ANUPAM GHOSH ke chehre par shikan aaya but phir sakhti se bhar utha unka bhi face...

BEEP...BEEP...

ANUPAM GHOSH kuch kehte ki tabhi unke mobile ki message tone baji...

"JUST BRING THE CHILD"....

yahi likha tha us messege me jisse padh khudko shaant kiya ANUPAM GHOSH ne aur inspector ki taraf dekh...


ANUPAM-naam toh ek mere paas bhi hai,jisse agar le lun toh tumhari khudko safe samajhne ki galatfehmi abhi ke abhi door ho jaayegi but mai aisa karunga nahi..

sahi waqt aane tak tumhara ye over confidence barkarar rehna zaroori hai...


jahan ye bol half conscious mode me khade SANVEER AHARYA ko sahara dete hue ANUPAM GHOSH wapas moodte hue us chamber se bahar nikal gaya wahin uski baat sun woh inspector bas pehle ki hi tarah ghaagh ki tarah muskurate hue apne revolving chair me baith chuka tha...


NNNNNNNNNNNN.....


15 minute ke car drive ke baad ANUPAM GHOSH ki car ek bade se half opened gate ke saamne ruki jiske baad usne us maasum se teenager "SANVEER" ko wapas sahara dete hue car se utara...

is 15 minute ke safar ke dauran SANVEER bas apni aankhen band kiye chup chaap baitha hua tha..

but jab car rooki toh itne waqt me pehli baar naa sirf SANVEER ki aankhein khuli but saath hi saath uski sthir aur emotion less aankhon me ek halki si hi sahi,khushi dikhne lagi thi..

lekin usse ulat jab ANUPAM ne SANVEER ki aankhon me khushi dekhi toh uske face par dukh ke bhaav aa chuke the...

ANUPAM jaanta tha SANVEER ke aankhon me dikh rahi khushi ka reason...

but woh ye bhi jaanta tha ki woh reason,woh khushi ka shroth ab SANVEER ko kabhi nahi milne waala...

khair, jab ANUPAM ka sahara lete hue SANVEER car se utra toh uske kaano me padi gate ke khulne ki awaaz joki ANUPAM ke assistant ne kholi thi aur woh sun uski aankhein jhat se upar uthi aur aisa hote hi jo nazara uske saamne aaya,usse dekh SANVEER ki aankhein badi ho gayi...

"GOD'S ACRE"....

jahan SANVEER rehta tha,us sheher ke GRAVEYARD ka naam tha ye jisse dekh dil dhakk sa kar gaya tha uska..

graveyard ko dekh SANVEER ki nazarein turant ANUPAM ki taraf ghumi jiske face me is waqt negetive bhaav the jinhe naa sirf padh gaya SANVEER balki agle hi pal uske kadam ladhkhada gaye aur woh girne laga par ek baar phir ANUPAM ne usse sambhala aur bina kuch kahe usse apna saath liye GRAVEYARD ke andar daakhil ho gaya...

DHAKKK..DHAKKKK.DHAAKKKK..

tezi se dhadakte dil ke saath SANVEER khamosh zubaan liye aage badh raha tha..

pairon ke jodon me multiple fractures the uske but abhi jaise usse kuch feel hi nahi ho raha tha...

april ka pehla din tha aaj..garmi ki shuruat ho chuki thi but kaale baadal aur tez hawayein aaj fizaon me kuch aisi ghuli hui thi maano aaj ke din ko manhoos ghoshit kar rahi hon...

aur jaise jaise SANVEER ke kadam apne us anchaahe manzil ki taraf badh rahe the,waise waise woh tez chalti hawayein apne saath paani ke bauchaaron ko bhi kuch yun tezi se fekne lagi thi maano aisa kar woh SANVEER ke view ko block karna chah rahi hon taaki jo woh dekhne waala hai,usse waisa karne se rokna chah rahi hon...


khair,in saare odds ke beech SANVEER ko saath liye ANUPAM GRAVEYARD ke ek taraf kaafi aage badh chuka tha but tabhi...

DHAKKKK....

ek dhakka sa diya ANUPAM ko SANVEER ne jiske asar se woh piche ki taraf gir gaya..

wahin SANVEER jisne ye harkat saamne ke nazare ko dekh kar ki thi, pairon me multiple fractures hone ke baawjud badi tezi se aage badh chala woh aur lambi lambi saans lete hue ek fresh grave ke theek aage pahunch ruka...

HHHHH...HHHHHHH...HHHHHH....HHHHHH.....

SANVEER ki already tez chal rahi sansein aur tez ho chali thi par jaise hi uski nazar us grave ke piche gade gravestone me likhe naam par padi,woh naam jiske dhundle andeshe ki wajah se hi usne ANUPAM GHOSH ko dhakka diya tha,but ab woh dhundla andesha saaf hone ke baad bhi SANVEER ki zindagi ko kaali kar chuka tha,naa sirf uski tez chalti saansein ek jhatke me uske dil ki dhadkan ke saath tham si gayi par saath hi saath uski aankhein bhi badi hote hote apni aakhri hadh tak pahunchte pahunchte pathra si gayi....


VERONICA PAUL AHARYA....


yahi likha tha us gravestone par...

pathrayi aankhon se us naam ko lagatar padhne laga tha SANVEER maano usse ummid ho ki padhte padhte achanak se hi woh naam apne aap badal jaayega....

par kuch seconds baad jab uski pathrayi aankhon ke beech panap raha paani chalka toh uska ye bhram bhi us paani ki tarah uska saath chhodta chala gaya aur...


MAAAAAAAAAAA............


dil ko asaani se cheer de,aisi cheekh nikli SANVEER ke mooh se jisne zaahir kar diya us grave ke andar nirjeev pade shaksh ka SANVEER ke saath rishta aur ye bhi bata diya ki jo bhi hua hai,aise hi haadson ko toh kehte hain....



"GALATH"........












AAJ KE LIYE ITNA HI....














AAPKA APNA V....J....
Awesome start story Bhai
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
46,099
63,925
304
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SIRUIS ME CLASSES SHURU HO CHUKI HAIN WAHIN DUSRI TARAF SANVY NITS KI REQUEST PAR DUBEY SIR KI CLASS RUKWA DETA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


MEGA UPDATE-3


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS


AFTER THE CLASSES:-






"AUR SATTU MIYAN"..KYA NAYI KHABAR...KITNE NEW STUDENTS AAYE HAIN IS BAAR AAPKE SECTION ME...


SAM ne pucha tha ye sawal SATISH VERMA urf jaisa ki SAM ne kaha tha,SATTU se joki tha pure school ka khabrilal...

kaun kiske saath hai, background checks aur baaki saari info related chizen inke paas first hand mil jaati hain..

khair,first day of SIRIUS off ho chuka tha aur kyunki ye summer classes the isiliye timing 9 se 12 bas thi...

isiliye kisi ko ghar jaane ki jaldi bhi nahi thi siway un students ke jo school bus se aana jaana karte the...

SAMEER,RAJAT aur EKPREET ke saath apni class ke saamne corridor me khada hi tha ki tabhi SATTU miyan aaye un sabke paas aur usse dekh pucha tha ye sawal SAMEER ne jispar...


SATTU-aaye toh bohot se naye students hain but charcha me aaj sirf ek hi bandi chhayi hui hai..



"RASHI SEHGAL"....

SAM-RASHI..naam toh sahi hai..hot kuch zyada hi hai kya...???

SATTU-hot...super hot bhai aur sirf chehra hi nahi,dimag bhi..subah se 6 ladkon ko jinhone approach kiya hai usse,gaal par chipka chuki hai un sabke..

waise bandi hai toh indian par mom uski spanish hai..ye bhi pichle 4 saal se wahin rahi hai..

gaali bhi aadhi english aur aadhi spanish me deti hai..puri spanish mirchi hai....

SAM-ohhh.spicy..kisiki daal nahi gali..

SATTU-aadhi gali hai ek hi..wahi,ROHAN ki..bas ussi ki friendship accept ki hai usne...

EKPREET-saala woh chutiya lagta hai ab ek aur nayi bandi ghumane ke firakh me hai...

HEY GUYS...KISIKI BAAT HO RAHI HAI...???


ye thi ANJALI ki awaaz jo NAISHA ke saath un sabke paas aakar khadi ho gayi jispar...


SAM-kuch nahi babes.. RASHI SEHGAL bolke koi nayi hot bandi aayi hai B section me, SATTU ussike baare me bata raha tha...


SAM ki baat sun usse ghurne lagi ANJALI jispar...


SAM-wo wo..chill babes..mai toh sabhi new admissions ki general info le raha tha isse toh isne us bandi ke baare me saamne se bataya..

EKPREET-aur SAM ki chinta mat kar tu,kyunki school ka heart throb kisi new bandi se tamacha khaate sahi nahi lagega...


EKPREET ki baat sun RAJAT aur SAM bhi muskurane lage jispar...


ANJALI-tamacha..!!!matlab...???


SAM ne ANJALI ko jo SATTU ne bataya tha,woh sab bata diya jispar jahan ek taraf NAISHA hasne lagi wahin ANJALI ke dimag me aayi ek nayi khurafat...


"aisa kuch nahi jisse ye banda DAR JAAYEGA.....

jahan koi khada tak nahi ho sakta,wahan se bhi tumhara bhai bekhouf GUZAR JAAYEGA.....

challenge accept kiya hai agar maine toh yaad rakhna ki...

mushkilen kitni hi kyun naa aaye,aakhir me SANVY apni sharth puri KAR JAAYEGA....



man hi man SANVY ka kuch der pehle class me bola dialogue budbudaya ANJALI ne..

darasal jab class me mai ye dialogue maar raha tha,tab meri baaju ki hi bench me apni ek friend se kuch lene aayi thi ANJALI aur tab usne mujhe woh lines bolte sun liya tha..

aur ab us dialogue ko budbudate hue usse jaise mujhe fasane ka tarika mil gaya tha...


ANJALI-dekhte hain MR.SANVY,kitne bade player hain aap...??


khudse hi ye bol class ki taraf nazar ghumayi usne aur aisa karte hi uske face par ek smile baach uthi..


REASON..


mai SONU aur NITS baat karte hue dheere dheere class se nikal rahe the...


NITS-bhosdike.. aunty kal se hi ghar par nahi hai aur tu abhi bata raha hai hume...

lodu,aunty ke aate tak mere ya sonu ke yahan nahi ruk sakta tha..

waise bhi,tu saath rehta hai toh mera baap kam bhadakta hai mujhpar...

MAI-waah re gandu,tera baap tujhe kam bake,uske liye mai tere ghar aakar rahun..!!!

SONU-bbakwwas mmat kkar SANVY...ppehhli bbaar ssahhhi bboll rrahha hai yye cchuttiyya...

auuntty nnahhi hhain gghar par ttoh ttujjhe humm mmesse kkissi ekk kke ghar rehhnna ttha...

NITS-aur nahi toh kya..??? waise agar hum dono bhi tere ghar ruk jaate toh sahi rehta..

actually zyada accha rehta..issi bahane 100,200 B.F bhi dekh chuke hote ab tak..

MAI-bas isiliye nahi bulaya bhosdike..tere liye b grade hall kholkar nahi baitha hun mai ghar par...

mooth se zyada safedh paani nikaal deta tu in do dino me...

NITS-abbe unwanted liquid ko bahar nikaal dene se stress door hota hai..par tum log kya samjhoge..

saale jhaantu log..

par ab woh sab chhod,aaj, infact abhi se jab tak aunty nahi aa jaati,tu mere yahan rahega..

mai phone kar deta hun,mom ko pata lagega ki tu aa raha hai toh sabkuch teri pasand ka hi banega...

saala ek toh ye samajh nahi aata ki kya mai wakayi apne maa baap ka saga beta hun ya godh liya tha un dono he mujhe..

meri pasand ka toh kabhi banta hi nahi kuch...

MAI-mujhe bhi kabhi kabhi aisa hi lagta hai.. tera baap jitna sharif hai,utna hi lawde ka baal hai tu..

NITS-beta mere baap ki shudh vaani nahi suni hai tune ab tak theek se.. mujhse dus guna zyada gaali bakta hai woh..

MAI-ab tera baap hai toh kuch toh GALATH hoga hi...khair,woh sab chhod...

mai tere ghar nahi,abhi tum dono mere ghar chal rahe ho...mom wapas aa gayi hogi..khana mere yahan hi khaiyo...

NITS-nahi yaar..hamesha ki tarah khana sunday ko hi khayenge tere yahan...

MAI-theek hai..par Sunday ko "CHETTINAD CHICKEN CURRY"nahi banegi...


(NOTE:-CHETTINAD CHICKEN CURRY ek south Indian dish hai joki meri mom ki speciality hai.. no one cooks it better than my mom..normally har sunday ye hamare ghar banta hai aur NITS aur SONU bina bulaye hi usse khaane tapak padte hain)


BACK TO THE STORY:-



NITS-kyun...???


tapak se pucha NITS ne jispar...


MAI-kyunki mom abhi bana rahi hai woh.. isiliye hi toh invite kar raha tha tum dono ko..

par koi naa, phir kabhi..

SONU-llawwdda pphirr kkabbhhi...

mmaii ttoh aa rraha hhun ttere ssaatth...

NITS-mai aa raha hun matlab...??mai kya raaste me khada hokar manjira bajaunga...??

SONU-iddea accha hhai..wwaise bbhi tteri sshakl bbhikkariyon wwalli hhi hai..ssuit kkaregga ttujjhe...

CLAP.....


sonu ki baat sun hum dono ne hi haste hue clap kiya jispar ghoor kar dekha NITS ne hume par isse pehle ki woh kuch kehta..


HIEE SANVYYYY...


ye meethi aur chashni se bhari awaaz thi ANJALI ki jo ek bade se smile ke saath mujhe dekh rahi thi..

aur uske is soft gesture ko dekh piche khade NAISHA, SAM, EKPREET aur RAJAT toh hairan hue hi par mere saath khade SONU aur NITS bhi aankhein faade usse dekhne lage..

par ye sabhi bhi jaan chuke thi ki zaroor ANJALI mujhe kisi chiz me fasane ke liye tigdam lagaye hui hai kyunki aise waqt me hi ye madam mujhe itne pyar se bulati thi...


wahin in sab ke beech SATISH urf SATTU toh mujhe dekhte hi dheere dheere khisakne laga tha..

REASON...

do saal pehle jo ROHAN & group ne mujhe akele paakar ghera tha,uska pata isne hi unhe diya tha...

aur us ladhayi me mera woh bhayankar roop dekhne ke baad se hi ye mujhse hamesha door hi rehta aaya tha...

khair,mera naam pukaar ANJALI mere saamne aakar khadi ho gayi aur uske piche piche NAISHA, SAM, EKPREET aur RAJAT bhi hamare paas aa chuke the jiske baad...


SAM-kya baat hai babes..???aaj itna pyar kaise aa gaya tumhe SANVY par...???

ANJALI-ab itne bade challenge master jo kabhi koi sharth nahi haarte,woh toh pyar aur respect dono hi deserve karte hain naa...!!!


ANJALI ki baat sun mai samajh gaya ki dubey sir waali baat isse pata chal chuki hai..

mere saath saath SONU aur NITS bhi ANJALI ki baat samajh chuke the aur isiliye..


NITS-oh betaji...ye zaroor tere lanka lagane ki soch rahi hai...


dheere se kaan me paas aakar kahi ye baat NITS ne jispar..


MAI-what do you want ANJALI...???

ANJALI-i wanna give you a challenge..accept karega ya dar gaya...!!!

SAM-wo..wo..babes no.. SANVY kuch nahi karega...

MAI-chill SAM...ANJALI, challenge accept kar,warna tu dar gaya..

ye baccho ke tricks kaam nahi karenge mujhpar..

but having said that,pehli baar saamne se kuch maanga hai tune mujhse..

bhale challenge hi sahi..mana kaise kar dun..!!! challenge accepted...bol kya karna hai...??


meri baat sun ek pal paused hi ho gayi thi ANJALI par phir...


ANJALI-alright than...B section me ek new chick aayi hai...RASHI SEHGAL...uska number laakar dikha toh maanu...!!!

MAI-sattu,idhar aa beta...


thoda zor se bola maine kyunki ab tak dheere dheere karke SATTU corridor cross kar stairs ke paas pahunch chuka tha par meri awaaz pad gayi uske kaano me jiske baad woh turant ghuma aur meri taraf wapas badha aur paas aaate aate..


SATTU-aur kya haal chaal SANVY BHAI...tu toh yaar bhul hi gaya mujhko,hain...


daant nipor ye sab bolte hue mere paas aane laga woh aur theek mere aage aakar khada hua par jab usne dekha ki mai bas chupchap usse ghoore jaa raha hun toh usse laga ki usne anjaane me mere saath kuch GALATH kar diya hai..

aur aisa interpretation karte hi uske face par jo smile thi, woh dar me badal gayi jiske baad...


SATTU-bhai maa kasam,kuch bhi nahi kiya hai maine...

MAI-khaa mat be...RASHI SEHGAL..puri info de...


meri baat sun SATTU ke chehre se dar turant gayab hua aur agle hi pal woh apne khabrilal waale avtar me turant transform ho gaya...

RASHI ke baare me jo jo baatein usne SAM,EKPREET aur RAJAT ko batayi thi,woh sab usne mujhe bhi bata di jiske baad..


MAI-abhi kahan hai woh bandi..??

SATTU-bhai,5 minute pehle toh class me hi thi...woh board se saare classes aur routines ko note down kar rahi thi...


SATTU ki baat khatm hone par ek nazar maine B section aur uske paas waale area ki taraf daudayi aur kuch seconds rook us class ki taraf badh chala jispar..


SAM-all the best buddy..

NITS-haan,bhai,dekh,tere bhai ki izzat ka sawal hai...fod dena..

ANJALI-fod dena.. seriously..usse us ladki ka number laana hai,usse maarna nahi hai...

aur maar dhaadh chhod tere us looser friend ko kuch aata hai bhi kya..??dekhna,aaj jab ladki se padegi tab pata chalega usse ki zyada ucchalna kitna GALATH hota hai..

NITS-oye ANJALI UDAASI...band kar apni UDAAS baatien......jaanti hi kya hai tu SANVY ke baare me..

fark nahi padta matter ladhayi ka ho ya kuch aur,aisa koi challenge nahi jo mera bhai uthaye aur usse pura naa kar paaye...

ANJALI-we will see...

SONU-ttu ddekkhh...hhume pehlle sse hi ppatta hhai...


wahan woh sab baaton me lage the aur yahan mai B section ke door ke bahar khada ho chuka tha..

ek pal nazar ghumayi har taraf maine aur phir..


MAI-VIVEK.....


ye naam zara zor se bolta hua class ke andar ghus gaya mai jahan siwaye ek ladki ke joki ki i was sure RASHI hi thi,aur koi nahi tha...

routines likh liye the usne aur copy apne bag ke andar hi rakh rahi thi woh ki tabhi meri awaaz sun uski nazar entrance ki taraf gayi jahan se mai andar aa raha tha..

dekh mai bhi ussiko raha tha..bandi wakayi hot thi..red blazer,andar white shirt,black & white zebra print tie aur waisi hi skirt joki SIRIUS ka girls dress code tha,kaafi jach raha tha ye costume uspar...

anyways,check out kiya nahi maine zyada usse aur ek baar nazar us khaali class room ne ghumane ke baad...


MAI-VIVEK KHUJOOR...kitni der hue usse class se nikle..


sidhe sawal hi kiya maine usse ye jisse sun..


RASHI-i don't know.. actually i haven't got every bodies name yet..

MAI-ohh.. so you are new..hey..i am SANVEER...friends call me SANVY....


meri baat sun ek pal ghura RASHI ne mujhe aur phir sir daayen baayen shake kar...


RASHI-seriously.. that's your way to approach a girl..pehle kisi random bande ka naam lo aur ussi bahane naam aur intro maang lo..

that's shit..next time,try some thing better but not with me..


"TODOS USTEDES SON MERODEADORES"(YOU ALL ARE LURKERS)


aakhri baat ya phir ye kahun ki taunt spanish me boli usne aur apna bag pack karne lagi..

wahin mai uski baat par smile karta hua araam se khada hi tha ki tabhi mujhe door ke bahar kuch aahat feel hui aur woh sun mai turant palta..


ROHAN MALHOTRA...


ye wahi tha jo kuch aur girls ke saath class me enter kar raha tha aur jahan RASHI ko dekh uske face par smile naach uthi thi, wahin mujhe dekh uski woh smile toh ek pal me gayab ho hi gayi par saath hi saath uska pura facial expression hi change ho gaya..

usse lag raha tha ki subah ke liye mai usse maarne ke liye yahan aaya hun aur ye feel kar dar uske face par saaf dikhne laga..

wahin ghoor mai bhi usse raha tha aur isiliye...


ROHAN-dekh SANVY...i dont wanna mess with you...aur abhi hum class me hain..yahan agar kuch hua toh webcam ke through PRINCIPAL ko pata chal hi jaayega aur is baar nahi bach paayega tu..


ROHAN ki baat sun mai uski taraf badha..waise aur koi mauka hota toh ab tak ROHAN bhaag khada hua hota but RASHI jo pehle hi uske mere aage behaviour ko dekh hairan thi,uski nazar me woh khudki aur faziddat nahi karwana chahta tha..

isiliye darte hue hi dhamki di thi usne mujhe jispar uske paas pahunch...


MAI-tujhe maarne ke liye jagah ki fikr karne ki zaroorat nahi hai SANVY ko..

jahan chahun,wahan maarunga mai tujhe aur araam se bach kar nikal bhi jaaunga..lagata hai sharth toh dikhaun karke phir...


meri baat par kuch kaha nahi ROHAN ne.. kuch seconds mujhe ghoorte rehne ke baad palath class se bahar nikal gaya woh aur aisa hote hi mai rashi ki taraf palta jo aankhein faade mujhe hi dekh rahi thi...usse dekh...


MAI-not all guyz are lurker miss..


usne jo spanish me kaha tha,ussika jawab maine english me diya jisse sun aankhein aur zyada badi ho gayi uski jisse uski aakhri hadh tak pahunchaya meri agli baat ne..


MAI-buts it's ok..i understand..waise bhi...


SOY RESPONSABLE DE LO QUE TE DIGO,NO DE LO QUE ENTIENDES...


(i am responsible for what i say,not for what you understand)


spanish me is kahawat ko bol mai muskurate hue class se bahar nikal gaya..


B section se nikal mai apni class ki taraf badh chala jahan mere sabhi dost aur khaas kar ANJALI mera wait kar rahe the aur mujhe dekh woh sab turant meri taraf lapke aur phir....


NITS-mila bhai number..mil hi gaya hoga.bhai,sabse pehle number mujhe de... apni class se us RASHI ke saath apni rashi bhidane ka kaam tera bhai hi karega...

MAI-number de deta tujhe bhai par ab tak mila nahi mujhe...


YESS..YESSS..YESSS....


meri baat sun jahan ek taraf NITS ka mooh utar gaya wahin ANJALI meri haar par khushi ke maarne apni jagah par ucchalne lagi.

usko yun fudakdte dekh NAISHA, SAM, EKPREET aur RAJAT hasne lag gaye the..


wahin kuch der tak yunhi bandaron ki tarah ucchalte rehne ke baad ANJALI ruki aur meri taraf ghum..


ANJALI-toh the great SANVEER AHARYA challenge lene ke baad haar gaye,haan..!!!

NITS-saale,tere jaane ke baad kitni badi badi baat ki thi maine tere baare me..sabke saamne naak hi kata di tune meri...

ANJALI-so,mr SANVEER AHARYA..maante ho na khudko looser...

MAI-kabhi nahi...aur isse pehle ki tu koi naya faaltu dialogue maare..just wait for some time..

ANJALI-acha..aur usse kya hoga..kya woh ladki khud yahan aakar tujhe apna number..!!!???


EXCUSE ME...SANVEER....


ANJALI ke aakhri shabd bote hi uske thode piche se aayi ye awaaz joki RASHI ki hi thi..

jahan uski awaaz sun ANJALI ka mooh ek dum se band ho gaya wahin RASHI ko dekh NITS ka toh mooh pura ka pura khul chuka tha..

aur aisa hona laazmi bhi tha..RASHI has the looks to die for..

SAMEER, EKPREET aur RAJAT bhi RASHI ko checkout karne me lag chuke the jiski pratikriya me RAJAT ki G.F, NAISHA ne usse pinch bhi kar liya tha..

anyways,in sab se alag RASHI ne jaise hi mujhe pukara,mai ANJALI ki side se hota hua uske saamne jaakar khada ho gaya jispar..


RASHI-hye & class me rude behave karne ke liye sorry... actually subah se itne random bando ne approach kar liya tha ki unka ghussa tumpar nikal gaya...

MAI-strange...random toh mai bhi hun...

RASHI-i don't think so...random bande slangy lines bolkar khudko cool show karte hain,tumne aisa kuch nahi kiya...

MAI-point..

RASHI-by the way i am RASHI SEHGAL...

MAI-SANVEER AHARYA...

RASHI-well that i know..what i want to know is ki are you from spain...or are your parents or either of them from their...???

MAI-nopes..pure indian...

RASHI-so how come itni achi Spanish bol lete ho tum...???

MAI-hahaha..ek sentence bol lene se spanish nahi aa jaati..

RASHI-mai samjhi nahi..

MAI-tumne kaha tha na ki try something better...toh tumhe approach karne se pehle woh quote spanish me rat liya tha maine...

socha kaam kar jaayega...

RASHI-hahahahaha... that's really smart..aur woh kaam kar bhi gaya... friend...!!!


ye bol hand shake ke liye apna haath aage kiya RASHI ne apna jispar maine uska haath pakda aur..


MAI-can i have your number...???

RASHI-ohho..i must say,kaafi tez ho tum...abhi abhi dosti hui aur sidhe number...

MAI-matlab number nahi dogi...??

RASHI-aisa toh nahi kaha maine..phone do apna,mai save kar deti hun...

MAI-ANJALI.. phone do beta apna...


bade pyar se bulaya maine apne piche khunnas me khadi ANJALI ko jisse sun mere sabhi dost hasne lag gaye..


wahin ANJALI ka mobile jo woh apne haath me hi pakdi hui thi,usse jhapat chhin liya maine aur uske thobde ke saamne rakh diya...

face recognition on tha uske phone me aur isiliye face detect karte hi lock khul gaya uska jiske baad mobile RASHI ko pakda diya maine jispar pehle se hairan khadi RASHI ne mujhe dekha aur....


RASHI-tum uska phone kyun de rahe ho mujhe...???

MAI-kyunki tumhara number mujhe nahi,in madam ko chahiye tha...

RASHI-really..but kyun...???

MAI-woh actually madam nayi nayi lesbian me convert hui hain aur tum inki pehli crush ho...


HAHAHAHAHA....

DHABBBBB.....


jahan meri baat sun RASHI ki aankhein badi ho gayi, ek baar phirse baaki sab zoron se hasne lag gaye wahin ANJALI ne maara mere peeth par ek zor ka mukka jispar mai bhi has pada aur..


MAI-baaki ki details ANJALI aur in teeno se le lena..mai late ho raha hun..bye..bye guys....

un sabko bye bol bina aage kuch sune NITS aur SONU ko liye mai wahan se nikal gaya jiske baad..


SAM-dont take him seriously.. actually ANJU ne usse sharth lagayi thi tumhara number laane ki jo woh jeet gaya...

by the way,i am SAMEER..

RASHI-i know..afterall,SIRIUS jaise school ke heart throb ko kaun nahi jaanega...ROHAN aur tum sabse zyada famous ho yahan..

morning se hi sabhi girls tum dono ke baare me hi drool kar rahi hain...


iske baad SAM ne RASHI ko ANJALI, EKPREET,RAJAT aur NAISHA ka bhi proper intro de diya aur phir lage woh sab apne chat par..

toh inhe inki new bonding karne dete hain aur hum chalte hain wapas apne hero ki taraf...



SANEEL'S RESIDENCE....



aaj bhi yahi naam jagmagata tha SANVEER ke ghar ke bahar lage name plate par jiske side me roki NITS ne apni scooty jiske baad...


NITS-MMMMMMMMMM..bhai kya khushbu hai yaar chicken ki..saali bhook badh gayi...

SONU-llakk llakkk shukriya uss mmarre hhue mmurrge kka jjisne isski bbakwass bband kkarwwa di....


school se abhi tak lagatar RASHI ke saath apne future imaginary relationship ke khalayi pulaav pakata aa raha tha NITS jisse finally chicken curry ki khusboo ne viraam laga diya tha..

khair,SONU ki baat sun..


NITS-saala jalta hai ye mere sunahare bhavishya ki kalpana se..par abhi aur koi topic par discussion nahi hoga..

chalo yaaron,pehle chicken pelte hain..sabse pehle mai hi apni pasand ke pieces lunga bata deta hun..

beech me mooh aur haath mat maariyo dono..


ye bol ghar andar bhaagne ko hua NITS jispar..


MAI-rook ja gandu..abhi 15 minute hai chicken banane me...araam se chal...

NITS-lawda 15 minute..tujhe kaise pata...!!!

MAI-andaza lagaya...


ye bol mai un dono ke saath main door ki taraf badh chala..

chota sa par kaafi beautiful ghar tha mera..

single storey 2 bhk ghar jiski shuruwat hoti thi ek chote se aangan se..angan me bana tha ek chota sa garden jisme gulab ke teen varient,red,pink aur white colour ke poudhe lage hue the...

saath hi saath arabian jasmine (mongra) ke bhi kayi poudhe lage the aangan ke dono taraf...

aangan ke end par the woh 8 stairs jinhe chadh main door ke paas jaaya jaata tha..

main door se enter karte hi ek meduim size hall jiske centre end me meri is ghar me sabse pyari chiz rakhi hui thi..

AQUARIUM jo mom ne aaj se 3 saal pehle mere birthday ke din kharida tha..

sofa aur dusri saaj sajja ki chizon ke saath hall me hi ek dining hall bhi laga tha jahan normally raat ko hi jab mom aur mai ek saath ghar par hote the, saath baith kar dinner karte the but occasionally, jaise ki aaj jab unki field trip joki DOIWALA me thi,MAA jaati thi toh unka return dopahar me hi ho jaata tha sur sise me lunch bhi hum saath hi karte the...

anyways, main door joki khula hua hi tha,usse hote hue hum andar hall me pahunche jahan pehle hi chicken banane waali kadchi aur apni sadabahar smile liye meri maa hamare taraf hi mooh kiye khadi thi aur hume ya phir ye kahun ki mujhe dekh unki woh smile aur badh gayi..

aage badhne se pehle is pehle chapter ki sabse behatarin character, MRS VERONICA PAUL AHARYA ka intro ho jaaye..


(VERONICA PAUL AHARYA..naam aur pehle surname se hi pata chal gaya hoga aap sabko ki christian hain ye...

waise shadi ke baad apna surname sirf AHARYA karna chahti thi ye but dad ne aisa unhe karne nahi diya...anyways, VERONICA PAUL AHARYA ka facial description chand lafzon me nahi kiya jaa sakta...

khubsurti ki aakhri hadh hain ye..ek line me bolun toh agar kisi GODDESS ko human face diya jaaye toh woh kuch inki tarah hi dikhengi...

5.8 height,rang kashmiri fair jisme halki natural pinkish radiance mixed thi,inke vyaktitv ko aur nikhar deta tha...

40 ki umar hai filhal inki par dekh kar koi nahi keh sakta ki inka SANVEER jaisa bada beta hoga..

inke pati ki death ke baad najaane kitne hi logon ne approach kiya inhe shaadi ke liye par inhone sabko mana kar diya..

inka inke bete ke saath relationship aisa hai ki dekhne waalon ko yahi lagta hai ki SANVEER ko VERONICA se behter MAA mil hi nahi sakti thi joki sach bhi tha aur SANVEER is baat se ittefaq bhi rakhta tha but kehta aur dikhata kabhi nahi tha.

SANVEER ka ghussa,uski stubbornness bhi jaise ye handle karti thi,woh kabile taarif tha.. profession se ye B.O.B ki DEHRADUN DISTRICT bank me SCALE 3 FIELD OFFICER thi..

75 thousand salary thi inki jisse 6 thousand toh P.F aur baaki investment plans me chala jaata tha par inka sabse bada kharch joki 40 thousand har mahine ka tha,woh hota tha SANVEER ki monthly fees me...

bohot hi simple life jeeti thi ye aur kabhi khudpar koi bhi kharch karne se pehle inhe bas SANVEER ke expenses ki chinta rehti thi...

toh ye tha MRS VERONICA PAUL AHARYA ka ek chota sa intro..baaki toh kahani ke aage badhne ke saath saath inhe aap aur behatar samajh hi jaayenge....


isiliye filhal ke liye BACK TO THE STORY:-



HELLO AUNTY...HHELLO AAUNNTY...



maa ko dekhte hi SONU aur NITS ne unhe wish kiya jispar ek pyari si smile dete hue..


MAA-hello bacchon..chicken banane me bas 10 se 15 minute aur lagenge.. tab tak freshen up...

chicken ke baare me jo maine bataya tha,wahi MAA ne bhi bataya jisse sun..

NITS-gazab lounde... calculation toh ekdum sahi baitha tera...


dheere se fusfusaya NITS mere kaano me..wahin is beech mom hamare paas aa chuki thi jiske baad...


MAA-hello my baby..kaisa hai mera champ....???


apne left hand se mere baal ko bigadte hua mere gaalon ko chum kahi ye baat maa ne jispar..


MAI-MAA,not my hair..kitne baar bola hai mat kiya karo aise...and stop kissing me..mai 5 saal ka nahi hun ab...


mooh banate hue ye saari baat boli maine aur bag sofe par fekh wahin baith saamne table par rakhi bottle se paani peena laga jispar..


NITS-saale tujhe pata nahi hai ki kitna lucky hai tu jo aunty tujhe itna pyar se chum kar greet karti hai..

ek meri maa hai jo har baar mera swagat koi na koi gaali dekar hi karti hai...

MAI-ab teri shakl hi aisi hai toh isme aunty ka kya kasoor...

maa,jaldi karo naa,bhukh tez lag rahi hai..


maa jo humari baaton ko sun bas muskura rahi thi, meri aakhri baat sun jaise unhe achanak se hi chicken ki yaad aayi aur..


MAA-arre,mai bhi naa...bas 10 minute baitho baccho..lunch completely ready ho jaayega...

SONNU-nnahhi nnahhi aaunnty..isski bbat mmat ssuno...

jjitnna timme lagnna hhai,laggne ddo..humm waitt kkarrengge..

NITS-aur nahi toh kya...???saale, aunty aaj hi trip ae aayi hai aur aate hi khana bhi banane lag gayi aur tujhe aur jaldi padi hai..

araam se hoga sab..bhuk zyada lag rahi hai toh bahar jaake khaale kuch...

MAI-whatever..mai chala fresh hone...

MAA-tum dono bhi fresh ho jaao beta...

SONU-nnahhi aunnty..hhum ppehle aappkki hhellp kkarennge...

NITS-exactly...

MAA-uski zaroorat nahi hai bacchon..sab kuch ho hi gaya hai..

NITS-phir bhi..hum toh madad karenge matlab karenge..aur aap mana nahi karengi...

MAA-theek hai bhai..chalo, plates nikalne me madad kar do tum dono..

NITS-now that's more like it..


ye bol MAA,NITS aur SONU ek saath kitchen me chale gaye..


jahan MAA chicken me kadchi chalane lagi wahin andar store room se NITS aur SONU plates nikalne lage aur is dauran..


NITS-aap kitne baje aaye aunty..???

MAA-bas beta,1 ghanta hua hai..

NITS-really..aur aate hi khana banane lag gayi aap...aur woh bhi chicken.... matlab aap market bhi gayi...

kya zaroorat thi iski...???

MAA-relax baccho..mujhe SANVY ke liye khana banana acha lagta hai..

infact apne field trips me bhi mujhe bas yahi baat khalti hai ki SANVY ko khud apne liye khana banana padega..

aur rahi baat chicken ki toh woh mujhe laane ki zaroorat hi nahi padi...

SANVY ko maalum tha ki kuch bhi ho jaaye,mai aate hi uske liye khaana aur khaas kar chicken joki tum dono ki hi tarah, uski bhi favourite hai,banaungi hi...

chicken shop morning 6 baje hi khul jaata hai..SANVY ussi time jaakar chicken le aaya tha..

waise aaj SANVY school late pahuncha tha naa...

NITS-haan,aapko kaise pata..???

MAI-rice,daal aur uske haathon ki bani meri favourite dish PANEER PASANDA jo bana rahe the janab subah se..

late toh hoga hi...


MAA ki baat sun NITS aur SONU ek dusre ko dekhne lage jiske baad..


NITS-is saale ko bachpan se jaanta hun mai par kya kabhi isse samajh bhi paaunga mai...


jahan NITS ki baat par mom bas smile karne lag gayi wahin SONU ke man me kuch sawal the jo usne khudme daba kar rakhe the par woh aaj puchna chah raha tha woh saare sawal aur isiliye...


SONU-aunntty,aggar aappkko bburra nna llage ttoh mmai kkucch ppucchhun...???

MAA-tumhe bhumika baandhne ki zaroorat nahi hai SONU..tum mere liye SANVY se kam nahi ho.jo puchna hai pucho...???

SONU-SANVY kkabbhi bbhi appne dad kke barre mme bbaat nnahi kkarta...

shhurru shhurru mme hhum jjab usse unnkke bbarrre mme ppuchte tthe ttoh wwoh ya ttoh bbaat gghuma ddeta ttha yya nnarraz hho jjata tha...

kkayi bbaar mmaine usse hall mme lagi uncle kki photto ko ddekhkkar bbhi anndekkha kkarte ppaya hhai..

aissa kkyun....???


SONU ki baat par mom ke face par hamesha se dikhne waali smile ek pal ke liye gayab ho gayi aur ye dekh SONU ko laga jaise usne kuch GALATH puch liya tha aur isiliye..


SONU-aunnty,aggar mmaine kkoi GGALATHH...

MAA-aisa kuch nahi hai beta..bas,unka zikr hua toh unka face aankhon ke aage ghum gaya..

SANVY naraaz hai apne dad se isiliye unki baat ya zikr ko neglect kar deta hai...

NITS-naraaz hai...!!!par kyun...!!!

MAA-SANEEL ek accident me guzre the..

NITS-hume pata hai aunty..bas itna hi bataya hai uncle ki death ke baare me SANVY ne hume..

MAA-jaanti hun..kyunki puri baat woh hai jiski wajah se woh apne dad se naraaz hai...

darasal jis accident me SANEEL guzre the,woh accident asal me unke best friend ka tha aur unhi ko bachane ke liye SANEEL beech me kood pade the...

kisi aur ke hisse ka mout unhone khudke gale laga liya tha aur isiliye SANVY naraz hai unse..

usse lagta hai jaise SANEEL ne apne us dost ko mujhse aur usse upar rakha..

kisi aur ki mout ko khudke liye chunte waqt unhone ek baar bhi mere aur unke bete ke baare me nahi socha...

NITS-strange... SANVY aisa sochta hai jabki woh khud kayi baar mere aur SONU ke liye kisi se bhi bhid jaata hai bina ye soche ki isse usko kitna khatra ho sakta hai...

MAA-kyunki us waqt woh ek dost ki tarah sochta hai par jab baat SANEEL ki aati hai toh woh ek bete ki logics lagata hai..

ye dono baap bete ek se hi hain par SANVY is sach ko maanana nahi chahta aur mai is fact ko uspar impose nahi karna chahti...

apne me hi khoye hue maano apne late husband aur bete ko ek hi frame me dekh rahi hon,kahi ye baat MAA ne jisne SONU ke sawalon ko jaise ek jhatke me hi rok sa diya..


wahin mahoul ko serious dekh uska rookh modhe ke liye..


NITS-waise aunty ek baat jhooth boli aapne...


NITS ke is naye sawal se naa sirf MAA apne khayalon se bahar aa gayi balki unke face ki woh swabhavik smile bhi lout aayi aur..

MAA-ab maine kaun sa jhooth bol diya bhala...!!!!????

NITS-aapne aapke is special chettinad chicken ko SANVY ka favourite bataya par aisa toh hai hi nahi..

MAA-acha.. aur tumhe aisa kyun lagta hai...???

NITS-common aunty..ye toh obvio hi hai..humne yahan uske saath baithkar saikdon baar aapki ye dish khaayi hai.

aur jab bhi khayi hai,taarif ki hai woh bhi nonstop..

par aaj tak SANVY ne toh kabhi taarif toh door ki baat hai, chicken acha bana hai,ye tak nahi kaha..

jab bhi pucha hai aapne toh har baar bas itna hi bola hai usne"hmm,theek hai"...


SANVY ki nakal karte hue kahi ye baat NITS ne jispar uske bhi gaal kheench liye MAA ne aur phir..


MAA-SANVY ne har baar taarif ki hai..bas tumne dekhi nahi...

NITS-hain..!!!ab ye kya baat hui..??? waise aunty,taarif bol kar ki jaati hai,dekh kar nahi...

MAA-par SANVY dikha kar karta hai.. chicken ka first bite lete hue uski aankhein taste lete hue band ho jaati hain aur phir aati hai uske face par ek million dollars smile joki mere liye sabse bada compliment hota hai..

ab baatein chhodo aur plates lekar jaldi chalo..


SANVY already dining table par baith gaya hoga...

ye bol chicken waali puri kadhayi ko hi do kapdon ki madad se uthate hue MAA hall ki taraf badh chali...

unke piche piche plates liye SONU aur NITS bhi chal pade..

aur jaisa MAA ne kaha tha,scene waisa hi tha..

mai already dining table par apni permanent jagah yaani mom ki seat joki centre me head of the family ki hoti hai,uske left me baith chuka tha...

aur ye dekh..


NITS-baith gaya tika ke..aisa nahi ki kitchen aakar thodi help kar de...

MAI-tum dono ko kyun laaya mai phir...chalo jaldi karo,bhuk tez lag rahi hai...

DHAMMM..

mere aisa bolte tak ek ek mukka meri peeth par chipka diya saalon ne jispar peeth chair par ragadte hue dono ko gaali dene laga par normal waali..

ab maa ke saamne toh apna sabse bada hunar,shudh vaani ki bouchar nahi kar sakta tha naa..

anyways,kuch hi der me mom aur NITS,SONU ne milkar rice,paneer pasanda,daal fry,saladh aur mom's special CHETTINAD CHICKEN CURRY table par laga diya tha..


NITS aur SONU theek mere opposite mom ke right ki taraf baithe the..

jahan mom hum teeno ki plate me baari baari saari dishes daal rahi thi, wahin NITS aur SONU ka toh pura dhyan mere upar hi tha..

REASON...

mom ki mere baare me boli gayi theory jo check karni thi unhe..wahi chicken khaate waqt bolkar nahi,facial expressions se dikhakar taarif karne waali...

khair,hum teeno ko serve karne ke baad mai utha aur mom ki plate me saare dishes daalne laga...

unke liye jo maine morning me hi unka favourite PANEER PADSANDA banaya tha aur jisse woh abhi garam karkar laayi thi,usse alag chote se plate me daala maine..

aur mere aisa karte hi mom baaki saare dishes se pehle spoon utha PANEER hi taste karne lagi aur ye dekh maine turant ek glaas paani bhar unke aage kar diya jisse dekh...


NITS-abbe aunty ko theek se khaane toh de..pehle hi paani kyun aage kar raha hai...

MAI-khud hi dekh le...

HICH...HICH....


PANEER mooh me daalte hi MAA ko aayi tez hichki jiske baad unhone turant mere haath se paani ka glass liya aur paani peene lagi..

wahin ye sab dekh NITS aur SONU bohot hairan hue aur..


NITS-tujhe kaise maalum tha ki aunty ko hichki aane waali hai...???

MAI-jab bhi ye chawal se pehle kuch bhi masaledaar chiz pehle khaati hain toh inhe hichki aati hai aur khaaskar tab jab breakfast theek se naa kiya ho..

haina MAA...


ghurkar dekha MAA ko maine ye aakhri baat karte hue jispar mom muskurayi aur..


MAA-woh DOIWALA highway ke paas ek naya B.O.B branch banane waala hai..ussi plot ke inspection ke liye jaana tha mujhe toh early morning nikalna pada...

isiliye bas light hi khaya tha kuch..

MAI-bhaad me gaya aapka kaam..pehle bhi bola hai maine ki health pehle dekha karo aap..


turant bhadka mai par mera aisa reaction MAA aur SONU,NITS ke liye bhi common tha isiliye mom ke saathwoh dono bhi muskura diye..

MAA ne hamesha ki tarah mere baal bigadte hue sorry bola mujhe jispar bina kuch bole chicken ka ek piece utha liya maine..

mom toh har baar mere is moment ko dekhti thi par aaj unse kayi guna zyada curiousity ke saath NITS aur SONU mujhe dekh rahe the..

unhe janana tha jo mom ne kaha,woh sach hai ya nahi..

par MAA kabhi GALATH hoti hai bhala...!!!

chicken khaate hi aankh band ho chuki thi meri aur agle hi pal jis smile ko dekhne ke liye maa itni mehnat se ye dish banati hai,woh chaa gayi mere pure face par jisse dekh ek taraf MAA khush ho gayi wahin SONU kabhi mujhe dekhte toh kabhi MAA ko...

MAA apne bete ki har harkat se uski har bhaavna pehchaan leti hai aur beta...

usse woh pal tak pata hai jab uski maa ko hichki aane waali hoti hai...

in dono hi bhaavon ko mehsoos sa kar rahe the is waqt woh dono aur saath hi saath man ke andar gunj se rahe the unke ye shabd...





dikhate kuch bhi nahi par dikh SAB JAATA HAI....

ye prem ka niwala hai,bade araam se KHILAATA HAI....

shayad issi paak-e-mohhobbat se rakhi hogi kisine ibaadat ki neev....

aise samarpan se hi toh RAB,RAB KEHLAATA HAI....












AAJ KE LIYE ITNA HI....












AAPKA APNA V....J.....
बहुत ही बेहतरीन भाग सर जी।।

अगले भाग की प्रतीक्षा में।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
46,099
63,925
304
इंडेक्स 3 भाग तक ही आपने अपडेट किया है महोदय,

उसे पूरा अपडेट कीजिए। ताकि अगला भाग पढ़ने में कठिनाई न हो।।
 
Top