• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Uff! Ye Mohabbat ! (completed)

Harry killer

Confessions of Criminal mind
269
904
93
हम एक दूसरे से ऐसे जुड़े है जैसे, हिंदी उर्दू से और उर्दू हिंदी से जुड़े है।
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,351
304
Update 3

sanjana ka para chadh gaya tha wo table par apne hath ka mukka maarte huye boli

Sanjana- ab bhale hi main college se rusticate ho jau par ise nahi chhodungi mai

Jispar rahul use samjhate huye bola

Rahul- sanjana tum mat chinta karo mai dekhta hu isko, college me hum kuch nahi kar sakte, principal ko pata chala to kand hoga par koi tension nahi hai, college ke baahar to dekh sakta hu isko, hostel me to milega hi ye..

Jyoti- o bhai maramari mat kariyo tu

Rahul- kyu kya hua?

Sanjana- sahi bol rahi hai wo, usse jyada teri chinta hai hame, usdin usne tujhe machis ki tili ke jaise baju me kar diya tha to mara mari wale pange to lena hi mat, kya bola thaw o us din?

Waise dekha jaye to Rahul ko sanjana aur jyoti ki baat pasand nahi aayi thi par logically dono sahi bol rahi thi, AK ka koi bharosa nahi tha kya pata Rahul use maarne jaye aur wo Rahul ke hi hath pair tod ke wapis bhej de isiliye Rahul ne is waqt apni bhavnao par kabu kiya aur bola

Rahul- masti me bola thaw o ki use kabu karna hai to dimag ka use karo karke

Sanjana- correct!! Ab use laat mukke se nahi to dimag se harana chahiye, socho.. socho kaise maja chakhaya jaye use.. ?

Rahul- hame aisa kuch karna chahiye jisse hum kisi kin ajar me na aaye par wo jitni speed se famous hua hai utni hi speed se badnaam hona chahiye..

Rahul ki baat sabko jachi aur wo teeno soche lage, jyoti, Rahul aur sanjana teeno apna sar khujate baithe the par kisi ke paas koi idea nahi aa raha tha.. aur ye baat wo teeno jaante the ke AK ko maja chakhake ke liye unhe koi tagda idea chahiye kyuki wo bhi koi mamuli khiladi nahi tha aur ye baat usne pehli hi mulakat ke saaf kar di thi..

Jab kafi der tak kisi ko kuch nahi sujha to Rahul thoda frustrate hote huye bola

Rahul- sala dimag ka dahi kar diya ye AK ne, koi idea nahi aa raha hai, mast jake char peg lagane padenge ab tab shayad koi idea aaye

Par Rahul ki baat sunkar sanjana ko idea mil gaya tha, wo pat se boli

Sanjana-yess!! :yes1: kya solid idea aaya hai

Par Rahul aur jyoti ko kuch samajh nahi aaya

Jyoti- kya idea hai hame bhi to bata..

Tab sanjana apne aap se khush hote huye boli

Sanjana- tum logo ko pata hai hathi ko shant kaise rakha jata hai… ?

Jyoti- ab hathi kaha se aa gaya beech me :redface: tu idea bata na behan

Tab sanjana ekdum kutil muskan ke sath boli

Sanjana- yahi to idea hai.. maine kahi padha tha ke hathi ko shant rakhne ke liye use daru pilayi jati hai fir hathi ke aaju baju bhale ki kitni hi gardi ho wo apni hi dhundh me rehta hai..

Sanjana kya kehna chah rahi thi ye Rahul samajh gaya tha

Rahul- matlab tera bolna hai ke AK ko daru pilayi jaye aur fir maja dekhi jaye

Sanjana- correct..!

Jyoti- wo sab to theek hai par billi ke gale me ghanti kaun bandhega.. matlab AK ko daru kaun pilayega ?

Sanjana- ye Rahul kaunse din kaam aayega..

Jyoti- par AK iske sath daru pine kyu jayega

Sanjana- arey pura plan to sun :redface:

Fir sanjana ne sabko plan samjhaya jo Rahul aur jyoti ko bhi sahi laga

Rahul- maan gaye SMP jitni tu dikhne me achi hai usse bhi badhiya dimag chalta hai tera, ab to wo AK gaya kaam se, kal kis muh se college aayega dekhenge, uskko bhi samajh aa jayega ki usne kisse panga liya hai..

Teeno ekdusre ko taali deke khush ho rahe the wahi AK in sab se be khabar apni hi duniya me mast tha..

Raat ke AK hostel me apne teen char dosto ke sath baate karte huye baitha tha tabhi waha Rahul aaya to use dekh ke AK hasa aur bola

AK- kya Rahul seth idhar kaise kya aa gaye aaj, meko maarne ke liye ladke wagaire leke aaya hai kya

Rahul bhi jhuthi muskan ke sath bola

Rahul- nahi aisa kuch nahi hai, aur shayad teko jhuth lage par asal me mai tujhse mafi mangne aaya hu

AK ne has ke shubham ki taraf dekha to wo pehle hi sawaliya najro Ak ki taraf dekh raha tha, Rahul ne fir se kaha

Rahul- arey sach me, mai akela hi aaya hu. Sorry yaar wo maine usdin ragging ki, tune jawab diya, hisab barabar ho gaya, ulta principal ne vaat lagayi wo alag

AK- oh! To principal ke kehne pe aaya hai tu mafi mangne

Rahul- nahi bilkul nahi, mai khud aaya hu aur jyoti aur sanjana ne bhi mafi mangi hai tumse..

AK- gajab! Par najane kyu mujhe yakin nahi ho raha hai

Rahul- par mai sach keh raha hu, hum aur kuch saal isi college me rehne wale hai to faltu ke jhagdo se kya matlab, tumpar mera jor nahi hai par hamari side se ye topic close hai aur tumse bhi request hai ke jo hua bhul jao, mai dosti ka hath badhane aaya hu

Itna bolke Rahul ne shake hand ke liye hath aage badhaya, AK ne ek baar apne dosto ko dekha jo na me ishara kar rahe the par AK ne muskura kar Rahul ne hath mila liya

AK- dosti ke liye to apun hamesha ready rehta hai, college me ye bate hoti hi hai, jyada tension nahi leta mai, aajse dosti shuru

Rahul bhi jhutha khush hote huye bola

Rahul- ye huyi na baatchalo to fir aaj apni dosti celebrate karte hai

Rahul ki baat sunkar AK ke alawa baki sab chinta me pad gaye aur Rahul ne apni bag me se daru ka ek pura khamba baahar nikala aura ankh maarte huye bola

Rahul- meko pata that u acha aadmi hai maaf kar dega isiliye mai tayari ke sath aaya hu..

AK- waise to iski jarurat nahi thi par daru ko na bolne pe paap lagta hai aur mai wo risk nahi le sakta :D

Rahul man hi man khush ho raha tha, uska plan success ho raha tha, jab sabke do do peg ho gaye tab Rahul ne agli chal kheli

Rahul- AK tere paas badhiya dimag hai bhai, kya paitra badla us din, hum principal ke samne sar patakte rahe par usne ek baat nahi suni hamari

AK- jane de na kyu gade murde ukhad raha hai, daru enjoy kar na

Rahul- dimag to tera gajab hai par pine me nahi hara sakta tu mujhe, lagata hai challenge?

AK- Rahul dekh faltu pange mat le..

Par Rahul kaha manne wala tha aur akhir AK bola

AK- chal dekhte hai tere me kitna dum hai, par teri layi daru bakwas hai ruk ek minute

Itna bol ke AK uth k eek room me gaya aur jab wapis aaya touske hath me ek Bacardi ka khamba tha

AK- ye apna brand hai :cool: apne ko harne me koi dikkat nahi hai par dekhe tere me kitna dum hai, waise bata hu is competition me aajtak nahi hara mai

Ab Rahul bhi full competition ke mood me tha

Rahul- hara to mai bhi nahi bol kya bet lagayega

AK- agar mai hara to akkhe college ke samne ghutne tek ke teri aur sanjana ki mafi mangunga aur tu hara to college end hone tak tu mere samne nahi baithega aur mujhe sir bulayega

Rahul man hi man khush ho raha tha, wo to waise bhi AK ko badnaam karne aaya tha aur ye khud hi sare college ke samne mafi mangne ko ready tha matlab uske liye ye baat thi ke muh kholaaur daru ki barish ho gayi

Waise Rahul bhi pine me ustad tha ek khamba to easily khatam kar deta thaw o wo haske bola

Rahul- paltega to nahi baadme

AK- apan palatne walo me se nahi hai, apni boli banduk ki goli :cool: jo bol diya so bol diya

Rahul man hi man AK ko mafi mangte huye imagine karne laga kyuki khamba to usne pehle bhi kayi baar khali kiya tha usne ek aur patta feka

Rahul- par isne aur maja aana chahiye, peg direct pineka, na pani na soda, direct shots

Ab AK thoda tension me aa gaya aur thoda darr uske chehre pe dikhne laga aur ye Rahul ke dhyan me aa gaya

Rahul- kya hua AK , jaban ladkhadane lagi kya? Ladhayi ke pehle hi haar manega kya? :laughing:

AK- na ab piche nahi hatunga aur mafi mangne se mai chota thodi hone wala hu

Koi shikari apne jaal me fase shikar ko jaise dekhta hai waise is waqt Rahul AK ki taraf dekh raha tha……..
wah wo maara papad wale ko :rolrun:
kya mast idea plan ki hai sanjana ne.... bas ek baar daru ke nashe mein ulta pulta kar de ye chirkut AK :D phir ye college se out aur nischal ki entry :happy:
jeeyo sanjana... sabbash.. aisi hi khatarnaak heroine ki jarurat thi is story pe.. ab bajegi AK ki pungi :popcorn:

Btw hamesha ki tarah ek freshness ki sath update ki suruwat huyi hai..
jis tarah se aap paristhitiyon ka varnan karate hain, wo bahut aakarshaneey aur adbhut hai.. Saath hi rachantmak kathan aur paatron ke bich baatacheet bhi pathakon ke aanand aur utsaah ko badhati hai.
Aise hi likhte rahiye aur apni manoram lekhni se hum readers ka manoranjan karte rahiye
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 
Last edited:

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
61,670
244

Aisa kuch nhi hogaa. AK jarur kuch na kuch tarika nikal hi lega. Pungi toh Sanjana ki hi bajegii.
 
Punnu

Active Member
1,087
2,158
143
Update 3

sanjana ka para chadh gaya tha wo table par apne hath ka mukka maarte huye boli

Sanjana- ab bhale hi main college se rusticate ho jau par ise nahi chhodungi mai

Jispar rahul use samjhate huye bola

Rahul- sanjana tum mat chinta karo mai dekhta hu isko, college me hum kuch nahi kar sakte, principal ko pata chala to kand hoga par koi tension nahi hai, college ke baahar to dekh sakta hu isko, hostel me to milega hi ye..

Jyoti- o bhai maramari mat kariyo tu

Rahul- kyu kya hua?

Sanjana- sahi bol rahi hai wo, usse jyada teri chinta hai hame, usdin usne tujhe machis ki tili ke jaise baju me kar diya tha to mara mari wale pange to lena hi mat, kya bola thaw o us din?

Waise dekha jaye to Rahul ko sanjana aur jyoti ki baat pasand nahi aayi thi par logically dono sahi bol rahi thi, AK ka koi bharosa nahi tha kya pata Rahul use maarne jaye aur wo Rahul ke hi hath pair tod ke wapis bhej de isiliye Rahul ne is waqt apni bhavnao par kabu kiya aur bola

Rahul- masti me bola thaw o ki use kabu karna hai to dimag ka use karo karke

Sanjana- correct!! Ab use laat mukke se nahi to dimag se harana chahiye, socho.. socho kaise maja chakhaya jaye use.. ?

Rahul- hame aisa kuch karna chahiye jisse hum kisi kin ajar me na aaye par wo jitni speed se famous hua hai utni hi speed se badnaam hona chahiye..

Rahul ki baat sabko jachi aur wo teeno soche lage, jyoti, Rahul aur sanjana teeno apna sar khujate baithe the par kisi ke paas koi idea nahi aa raha tha.. aur ye baat wo teeno jaante the ke AK ko maja chakhake ke liye unhe koi tagda idea chahiye kyuki wo bhi koi mamuli khiladi nahi tha aur ye baat usne pehli hi mulakat ke saaf kar di thi..

Jab kafi der tak kisi ko kuch nahi sujha to Rahul thoda frustrate hote huye bola

Rahul- sala dimag ka dahi kar diya ye AK ne, koi idea nahi aa raha hai, mast jake char peg lagane padenge ab tab shayad koi idea aaye

Par Rahul ki baat sunkar sanjana ko idea mil gaya tha, wo pat se boli

Sanjana-yess!! :yes1: kya solid idea aaya hai

Par Rahul aur jyoti ko kuch samajh nahi aaya

Jyoti- kya idea hai hame bhi to bata..

Tab sanjana apne aap se khush hote huye boli

Sanjana- tum logo ko pata hai hathi ko shant kaise rakha jata hai… ?

Jyoti- ab hathi kaha se aa gaya beech me :redface: tu idea bata na behan

Tab sanjana ekdum kutil muskan ke sath boli

Sanjana- yahi to idea hai.. maine kahi padha tha ke hathi ko shant rakhne ke liye use daru pilayi jati hai fir hathi ke aaju baju bhale ki kitni hi gardi ho wo apni hi dhundh me rehta hai..

Sanjana kya kehna chah rahi thi ye Rahul samajh gaya tha

Rahul- matlab tera bolna hai ke AK ko daru pilayi jaye aur fir maja dekhi jaye

Sanjana- correct..!

Jyoti- wo sab to theek hai par billi ke gale me ghanti kaun bandhega.. matlab AK ko daru kaun pilayega ?

Sanjana- ye Rahul kaunse din kaam aayega..

Jyoti- par AK iske sath daru pine kyu jayega

Sanjana- arey pura plan to sun :redface:

Fir sanjana ne sabko plan samjhaya jo Rahul aur jyoti ko bhi sahi laga

Rahul- maan gaye SMP jitni tu dikhne me achi hai usse bhi badhiya dimag chalta hai tera, ab to wo AK gaya kaam se, kal kis muh se college aayega dekhenge, uskko bhi samajh aa jayega ki usne kisse panga liya hai..

Teeno ekdusre ko taali deke khush ho rahe the wahi AK in sab se be khabar apni hi duniya me mast tha..

Raat ke AK hostel me apne teen char dosto ke sath baate karte huye baitha tha tabhi waha Rahul aaya to use dekh ke AK hasa aur bola

AK- kya Rahul seth idhar kaise kya aa gaye aaj, meko maarne ke liye ladke wagaire leke aaya hai kya

Rahul bhi jhuthi muskan ke sath bola

Rahul- nahi aisa kuch nahi hai, aur shayad teko jhuth lage par asal me mai tujhse mafi mangne aaya hu

AK ne has ke shubham ki taraf dekha to wo pehle hi sawaliya najro Ak ki taraf dekh raha tha, Rahul ne fir se kaha

Rahul- arey sach me, mai akela hi aaya hu. Sorry yaar wo maine usdin ragging ki, tune jawab diya, hisab barabar ho gaya, ulta principal ne vaat lagayi wo alag

AK- oh! To principal ke kehne pe aaya hai tu mafi mangne

Rahul- nahi bilkul nahi, mai khud aaya hu aur jyoti aur sanjana ne bhi mafi mangi hai tumse..

AK- gajab! Par najane kyu mujhe yakin nahi ho raha hai

Rahul- par mai sach keh raha hu, hum aur kuch saal isi college me rehne wale hai to faltu ke jhagdo se kya matlab, tumpar mera jor nahi hai par hamari side se ye topic close hai aur tumse bhi request hai ke jo hua bhul jao, mai dosti ka hath badhane aaya hu

Itna bolke Rahul ne shake hand ke liye hath aage badhaya, AK ne ek baar apne dosto ko dekha jo na me ishara kar rahe the par AK ne muskura kar Rahul ne hath mila liya

AK- dosti ke liye to apun hamesha ready rehta hai, college me ye bate hoti hi hai, jyada tension nahi leta mai, aajse dosti shuru

Rahul bhi jhutha khush hote huye bola

Rahul- ye huyi na baatchalo to fir aaj apni dosti celebrate karte hai

Rahul ki baat sunkar AK ke alawa baki sab chinta me pad gaye aur Rahul ne apni bag me se daru ka ek pura khamba baahar nikala aura ankh maarte huye bola

Rahul- meko pata that u acha aadmi hai maaf kar dega isiliye mai tayari ke sath aaya hu..

AK- waise to iski jarurat nahi thi par daru ko na bolne pe paap lagta hai aur mai wo risk nahi le sakta :D

Rahul man hi man khush ho raha tha, uska plan success ho raha tha, jab sabke do do peg ho gaye tab Rahul ne agli chal kheli

Rahul- AK tere paas badhiya dimag hai bhai, kya paitra badla us din, hum principal ke samne sar patakte rahe par usne ek baat nahi suni hamari

AK- jane de na kyu gade murde ukhad raha hai, daru enjoy kar na

Rahul- dimag to tera gajab hai par pine me nahi hara sakta tu mujhe, lagata hai challenge?

AK- Rahul dekh faltu pange mat le..

Par Rahul kaha manne wala tha aur akhir AK bola

AK- chal dekhte hai tere me kitna dum hai, par teri layi daru bakwas hai ruk ek minute

Itna bol ke AK uth k eek room me gaya aur jab wapis aaya touske hath me ek Bacardi ka khamba tha

AK- ye apna brand hai :cool: apne ko harne me koi dikkat nahi hai par dekhe tere me kitna dum hai, waise bata hu is competition me aajtak nahi hara mai

Ab Rahul bhi full competition ke mood me tha

Rahul- hara to mai bhi nahi bol kya bet lagayega

AK- agar mai hara to akkhe college ke samne ghutne tek ke teri aur sanjana ki mafi mangunga aur tu hara to college end hone tak tu mere samne nahi baithega aur mujhe sir bulayega

Rahul man hi man khush ho raha tha, wo to waise bhi AK ko badnaam karne aaya tha aur ye khud hi sare college ke samne mafi mangne ko ready tha matlab uske liye ye baat thi ke muh kholaaur daru ki barish ho gayi

Waise Rahul bhi pine me ustad tha ek khamba to easily khatam kar deta thaw o wo haske bola

Rahul- paltega to nahi baadme

AK- apan palatne walo me se nahi hai, apni boli banduk ki goli :cool: jo bol diya so bol diya

Rahul man hi man AK ko mafi mangte huye imagine karne laga kyuki khamba to usne pehle bhi kayi baar khali kiya tha usne ek aur patta feka

Rahul- par isne aur maja aana chahiye, peg direct pineka, na pani na soda, direct shots

Ab AK thoda tension me aa gaya aur thoda darr uske chehre pe dikhne laga aur ye Rahul ke dhyan me aa gaya

Rahul- kya hua AK , jaban ladkhadane lagi kya? Ladhayi ke pehle hi haar manega kya? :laughing:

AK- na ab piche nahi hatunga aur mafi mangne se mai chota thodi hone wala hu

Koi shikari apne jaal me fase shikar ko jaise dekhta hai waise is waqt Rahul AK ki taraf dekh raha tha……..
Bdiya update bhidu......sanjana Rahul or Jyoti ne to pura pakka plan banaya hai....Ak ko badnaam krne ka ......Rahul usse dosti krne ka bahane daru pilaega...Ak bhiuski chal me fhas gya lgta hai.....pr mujh elgta hai yha fhir se Rahul fhasega....dekhte hai kya hota hai....
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,351
304
Aisa kuch nhi hogaa. AK jarur kuch na kuch tarika nikal hi lega. Pungi toh Sanjana ki hi bajegii.
dekh lijiye khud hi aaj update dene se khud hi dare writer... Kyunki writer sahab ko dar hai kahi sanjana aaj hi us ak ko story se hi gayab na kar de :D
 
Top