kehte hai ki insaan khunkhar janwaro se aamna saamna ho to insaan thar thar kapne lag jaate hai lekin iske ulat asal mein wo janwar darta hai us insaan se ki kahi ye usko ya uski family ko nuksaan na pahucha de, kyunki janwaro ke paas 6th sense hai, wo jaante hai saamne jo khada hai do pero wala,, wo katayi viswash yogya nahi... isliye jaanwar hamla kar dete hai...
Neel, aarmaan, aarav, reyanch bhi unhi do per wale insaano mein se hai, actually ye in logo ne insaaniyat aur apne andar kr jameer ko kab ka tod madod ke vasna ki dariya mein baha chuke hai... ab ye chaaro to bas dekhne mein insaan jaise reh gaye hai lekin dilo dimag se bilkul haivaan ban chuke hai....ushi haivaaniyat ka parichay deke jo darindo jaisa sukuk kiya Naina ke sath jaise Naina in chaaro ke liye koi nahi ladki bas mahaz ek maans ka tukda hai jise noch noch khaya ho in Charo ne....
Wo khaufnaak lamhe jaise kali andhari raat ki parchayi banke uski jindagi mein aayi thi..
aur Ant... wo alvida jo Naina ne boli...
in sabhi muddo ko madde nazar rakhte huye Meera ko ab kya karna chahiye...
well reyanch to gaya.. bache aarman, neil & aarav
1) kyun na Meera aarav ke maa baap ko saza de, ki kahe usko paida kiya.. aur kiya to kiya, parwarish kahe thik se na ki...
2) Pankhudi ke baad next target honi chahiye aarmaan ki family

un sabko bhi thik Waise hi pool mein duba de Meera, jaise Naina ko dubane ki koshish ki gayi thi
3)Meera ki next target honi chahiye neel ki beti.. aankh ke badle aankh... baaki censored ... jaise Naina ko noch rahe the wo log.. thik Waise hi Meera pesh aaye uske sath...
itni Brutality dikha de Meera ki next time koi bhi aise neel & gang jaise ghinona kaam karne se pehle hazar baar soche...
Well.... tragedy dukh dard jaise ek aham hissa ban gaya is kahani ka.... chaahe Naina ho ya Meera.... jo julm anyaay in dono ke sath hua hai ushe padh kaleja tak kaap jaaye..
yahan neel, aarman, reyanch aur aarav ke haivaaniyat aur darindigi ke kaaran ya saamne wala ya wali apni jindagi ko hi alvida ke deti hai.. jaise Naina
Ya phir in logo ke dwara kiye gaye julm ka badla lene ke liye Meera jaisi ladki ko muheem uthani padti hai..
Naina to mukt ho gayi.... kya sach mein... naah aaj bhi uski ruh talak roti hogi..
Kis ki wajah se.....? Un chaar haivaano ki wajah se...
Meera jaisi ek sidhi sadhi ladki kya se kya ban gayi? kiski wajah se...un gang walo ki wajah se aur in chaaro ki wajah se..
Btw Meera in chaaro ko saza to de rahi... lekin ye mamuli si saza... saza honi chahiye Brutality ke anteem seema tak... well upor teen type ki saza hai Meera choose kar sakti hai..us hisap se in logo ko saza bhi de sakti hai... ..
______====____________________________
chaliye ab jab lekhika ne readers ki baat maan fatafat update post kar di hai to kuch lekhni ki prashansan mein do bol likh di jaaye..
Chaliye aaj writer sahab ki prashansa mein do bol likhi jaaye...
Kahani jaise lage ki Garmiyon ke mausam ke baad baarish ka mausam aa gaya ho.. ek suhana ehsaas ke sath... jaise Saawan jo shuru ho chuka hai. Jaise is khushnuma shaam mein meghon ne apni hunkar lagani shuru kardi. barish ke sath sath Dilon dimag mein ek shaanti cha gai ho...aur wo bearish bundo jaise shabd jaise mitti se mil khushboo is kadar faila di ki maahol ek traha romanchit ho uthta ho..
kahani har pehlu jaise hare bhare paido ke hare patton se paani ki bunde athkeliyan karte huye zameen mein samahit ho raha ho .
Aapki lekhni jaise ek anokha karishma hai..... ki likhe gaye shabdo mein jaane kitne rang jindagi ke dikhaate hai, padhte waqt lage ki kirdaar aur unki gatividhiya jaise kabhi aasmaani barf ban kar to kabhi aasmani aag ban kar, kabhi jhadte patton ka khel, to kabhi aag aur paani ka mel, kabhi pyar aur apnapan, kabhi Meera jo kho jaati purani un yaadon mein, to kabhi baarish barsati hai to kahi bijuri kadkaati hai, kahin aag barsaati hai, to kahi.... .. Kitna batau aapko
Indian Princess ma'am ki aapki lekhni hai aisi nirali.... jaise saralata ke sath varnan ki gayi koi tragedy se paripoorn lekin ek khushnuma ehsaas ke sath ek Kavita ho...
ek reader ke liye isse badi baat kya ho sakti hai ki lekhika jo pathako ke saamne kirdaaro ki apbiti aur vartmaan ko shabdo ke roop mein, apne vichaaro ko lekhan ke maadhyam se itne manoram aur uttam tarike se aise vyaakhya karne ek koshish ki hai... ki padhte waqt har ek shabd dil ko chu jaaye... bahut kam aise writer hote hai jo ek kahaani ke mool saar ko aise vyaakhya kar paate hai .. kirdaaro ke bhaavnaye, baatcheet, gatividhiyo ke vivaran ke alawa bhi lekhika ki apni bhaavanaye nihit hoti hai..lage ki jaise Weh bhi dukhi ho Naina aur meera ki haalat dekh.. . .
Update jaise har rang se bhare ho khas taur par kaafi bhavuk pal aur lamho se ... maine hamesha se hi ye baat notice ki aapki is adbhut lekhni ko, kirdaaro ki is dilkash bhumika ke jariye pesh kiye gaye prashansaniya nazrana ko... do lead kirdaaro ke ek duje prati aatmeeyata ko...
Paas nahi hai phir bhi ek ehsaas hai Meera aur Naina ke darmiyan ..
aur jo mahol bana hai unke dialogues delivery ke sath... adbhut, ati uttam....
Suru se ant tak aapne lay vadh tarike ke bakhoobi update ko badha rahe the... Har mod, pehlu ko ek details ke sath explaining bhi kiye hai....
kuch rishte janm ke saath hi milate hain un rishto mein ek alag aatmeeyata hoti hai aur kuchh rishte apne jindagi mein kirdaar khud saamne wale se banate... rishta Naina aur Meera ka .... Ek rishta jaha aatmeeyata, ahmiyat, pavitrata se paripoorn hai ... ek achhe writer ke gun, lakshan yeh ki kahani ki jariye, kahani ke kirdaaro ke jariye kahani ke naam ko sarthak kar de.... jisme aap pure tarike se kamyab rahi..
shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan..
Aise hi likhte rahiye aur aur apni manoram lekhni se hum readers ka manoranjan karte rahiye...
Let's see what happens next...
Brilliant update with awesome writing skills
Indian Princess
edited ~ oh Haan... us Pankhudi aur aarmaan, neel, aditi, reyanch, aarav ki aisi ki taisi

Meera had se zyada masoom kirdaar aur masoomiyat se bhare karname
