- 16,449
- 110,696
- 259
Last edited:
ExcellentUpdate - 24 ~ Take CareAb tak...
Veer ne Juhi ko bed pe litaaya hi tha ki...
*Ding*
[Mission ~ Go on a date with Nidhi has been completed.]
[30 points have been rewarded.]
'Huh!? Wait.... Whaaaaaaaaaaaatttt!?'
Ab aage...
'You are kidding right!?'
Veer ne hairaani me Pari se pucha. Usse yakeen hi nahi ho raha tha ki Nidhi ke saath date pe jaane waala mission itni asaani se ho chuka tha.
'This can't be... Pari!! Ye date thi!? We just had lunch... I mean...'
[Master! But sach toh yahi hai ki mission ho chuka hai. Uska reason maybe ye ho sakta hai ki shayad Nidhi ke mann me wese vichaar aaye the jab wo aapke saath lunch kar rahi thi. Maybe she was thinking about date and all... Isliye, ye mission complete hua. Otherwise nahi hota.]
'Nidhi ma'am was thinking about date...!? Ab jab tum ne ye kaha hai toh mujhe yaad aa raha hai ki unhone bataya tha ki wo kabhi date pe nahi gayi. Aur na hi mein. Does that counts as a first date for both of us?'
[Yes!]
'Well... I can't believe ki meri pehli date Nidhi Ma'am ke saath hui... Ye toh sapne jesa tha. Also, I got 30 points.'
[Do you want to invest master!?]
'Hmm! But mein soch raha hu koi skills lii jae. Kya kehti ho?'
[Mein yahi suggest karungi ki aap pehle apne saare stats atleast 50 tak kare. Appearance utna important nahi hai but baaki sabhi important hai. Uske baad hi aap skills par dhyaan de. But marzi aapki hai, aap chaahe toh shop me se skills dekh sakte hai. But aapko yaad hai na? Skills ki minimum keemat 50 points hai.]
'I know... Shop open karo.'
Aur Veer ke kehte hi uske mann me ek window khul gayi aur ek search bar saamne aa gaya.
'Ye search bar hatao mujhe poori skill list dikhao.'
Aur uske bolte hi saamne skills ki lambi chaudi list haazir ho gayi.
[Basic Subjects Learning.
Basic Martial Arts.
Basic Singing Talent.
Basic Dancing Talent.
Basic Cooking.
.
.
.
.
.
.
]
Na jaane kitni saari basic ki skillls thi jo uski shop me available ho chuki thi.
'Itni saari Pari!? Ye sab basics hai!? Hmm! Level badhega toh aur acchi skills bhi unlock hoti jaengi hai na!?'
[Yes master! I'm currently at level 3.]
'Hmm! Ye saari skills wese toh... Inme se kuch mujhe lagengi but... I don't want to waste my points on them. Iss se accha hai ki mein stats me hi lagau abhi points.'
[That is the actual way master. Pehle stats par dhyaan dijiye.]
'Alright! Pari! Show me my stats.'
[There you go master...]
[ Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 35/100
Agility - 15/100
Endurance - 15/100
Appearance - 22/100]
'Meri agility aur endurance boht kam hai. Hmm! Pari...! Dono me 15-15 points add kar do.'
[Are you sure master!?]
'Hmm! Last time... Uss Ranga naam ke ladke se fight karte waqt I had a hard time... Mujhe speed aur dard sehne ki shamta, dono hi aur chahiye.'
[Okay!]
*Ding*
[15 points have been added to agility.
15 points have been added to endurance.]
''Good!'
***
Raat ka samay ho chuka tha aur Veer aur baaki sabhi khaana khaa chuke the. Din me jo kuch bhi Rajat ke ghar hua tha usse abhi tak wo bhula nahi paaye the.
Juhi bed pe lait so chuki thi aur bechaari apni chocolate khaana bhi bhul gayi thi. Uske bagal se baithi Nidhi uske sarr par pyaar se haath ferr rahi thi aur soch rahi thi...
Ki Veer ne usse aur baaki sab ko kese bachaaya tha. Kitna accha moment tha wo. Abhi wo inhi khayalaato me apne hontho pe muskaan liye ghum thi ki tabhi uska mobile vibrate hua aur kisi ka message aaya.
Aur message padhte hi uske hontho se muskaan gaayab ho gayi. Wo hadbada ke uthi aur apne phone ko apni mutthi me kass lii...
Screen par likhe shabd usse bhali bhaati dikh rahe the...
"Tumhe kya laga tumne aaj jo bhi karwaya, wo sab karwaane ke baad mein bas baithe baithe dekhta rahunga!? Bataata hu tumhe meri darling Nidhi. Bataata hu... Acche se.... Aur uss Veer naam ke ladke ko bhi dekh lunga. Kuch zyada hi close lag rahe ho tum dono... Tumhari himmat kese hui Nidhi mere alaawa kisi aur ke saath itna close aane ki? Lagta hai tumhe kadi punishment deni padegi meri darling... Hai na!?"
Ye message kisi aur ka nahi balki uske pati, Rajat ka tha.
Nidhi chinta ke maare uthi aur apne kamre me hi ird gird tehalne lagi...
'Hey bhagwaan! Ye kya ho gaya! Mujhe pata tha zaroor kuch na kuch karega wo... Ab Veer bhi beech me aa gaya hai... Nooooo! Aisa kuch bhi nahi hona chaahiye tha... This is so bad... Kya karuuu!??? Veer ko nahi aana chaahiye tha waha...'
Wo sochte hue achanak hi baahar nikal ke aati hai, jaha Veer sofe pe hi baitha hua tha...
Nidhi : Veer!
Veer : Hmm? Kya hua Ma'am!?
Nidhi : Veer... Tum college me the na? Who called you there? Kya Shreya thi!? Kya usne tumhe bulaaya tha? Tum dono saath me nahi aaye the, hai na? Tell me...
Veer : Ohh! Haa! Unhone mujhe bulaaya tha call kar ke... Koi problem hai kya!?
Nidhi : Veer... You don't understand Veer... Boht badi problem create ho chuki hai... Tumhaare waha aane se... Nooooo! It's not going well at all... Tumhe waha nahi aana chahiye tha... This is so bad...
Wo tezz saasein lete hue ekdum hi tensed ho gayi.
Veer : Ma'am calm down. Aur mere waha aane se accha hi toh hua na? I mean... Aapke wo husband... Na jaane aur kya karte aapke saath...
Nidhi : No Veer... Tumhaare aane se maamla aur bhi bigad gaya hai... Mein nahi chaahti thi tum kahi se bhi iss matter me aao... But ab tum aa chuke ho... And he'll definitely do something... Ohhh god!!
Veer : Ma'am chill! Mere aane se hi he couldn't do anything else... Aur kyu na aau mein!? Aap meri Ma'am hai... Yadi aapke saath aisa koi behave karega toh...
Nidhi (uchi awaaz me) : Because it's my personal matter Veer...
Veer : I know Ma'am but... Aise aapke saath wo sab... Akhir mein kese dekh sakta hu? Even if he's your husband... Kam se kam unhe...
Veer ne Nidhi ko samjhaane ka prayaas kiya par uske bol iss waqt Nidhi ko calm karne ki jagah ulta aur tension me daal rahe the.
Nidhi (chillaate hue) : Noooo Veer!!!! Kyu aaoge tum beech me!?? Tumhe nahi aana tha waha... Tumhe nahi hona chaahiye tha waha pe... It's my personal matter... Toh bhala kyu aaoge mere aur mere husband ke beech me?? Kya hi lagte ho tum!??
Nidhi ne ye sab bol toh diya...
Par agle hi pal...
Uska muh khula ka khula reh gaya. Usse jese dhyaan aaya ki usne ye kya keh diya.
Nidhi : V... Veer?
Veer (smiles) : Ah! Right! Kya hi lagta hu mein aapka!? Haha~ I forgot... Mein... Mein bhi... Kese bhul gaya...!? Ki koi nahi hai mera... Gharwalo ne nikaal diya... Still I keep thinking ki... Right! Right! Sorry... Really sorry...
Bina Nidhi se nazre milaaye, Veer furti me palat ke hall ke gate ki taraf jaata hai, aur gate khol ke tezz kadmo ke saath baahar nikal jaata hai.
Nidhi : Noooo.... Veeeeerrrr! Mera wo matlab nahi tha... Wait! Veeeeerrrr!!? Kaha jaa rahe ho!?? Veeerrr?? Tum jaante ho Veer... Mera wo matlab nahi tha... Please! Listen to me... Aisa kuch bhi nahi hai jesa tum soch rahe ho... Veeeeerrrrr...
Nidhi daudati bhaagti hui Veer ke peeche peeche bhaagi par tab tak Veer already lift me ghus chuka tha aur lift band kar wo neeche pohuchte jaa raha tha.
Nidhi upar hi apni floor par khade apna sarr pakad rone lagi. Ye kya kar diya usne pal bhar me!?
Fir jese usse kuch dhyaan me aaya toh wo floor ke hi coridorr ki taraf bhaagi jaha se neeche ka saara drishya dikhta hai.
Neeche jese hi usne dekha toh paaya ki Veer society se baahar nikal ke kahi jaa raha hai.
"Veeeeeeeeeeeeeeeeeeerrrrr!"
Nidhi se jitna ho sakta tha utna usne apna gala faadte hue chillaaya. Par Veer ke kaano me jese juu tak na rengi. Wo bina kuch kahe, bina peeche mude bas nikalta gaya.
Nidhi bhaagte hue waapas se apne flat me aayi, uske chehre par shikan, chinta aur ghabraahat teeno hi maujood thi. Saath hi saath unn ankho me aasuo ki boonde athwa glaani bhi...
Andar aate hi usse Shreya nazar aayi. Wo aise khadi thi jese maano uska hi wait kar rahi ho...
Shreya : Ab pachhta rahi ho aap...!?
Nidhi : Shreya... Veer... Wo...
Shreya : Hmm! Suna mene andar se kya hua.
Nidhi forun hi aage badh Shreya ke haatho ko bheench leti hai,
Nidhi (cries) : You know it Shreya... Right!? You know na? Mera wo matlab nahi tha... Mein kabhi bhi uss se wo nahi kehna chaahti thi... Aur na hi kabhi kehna chahungi... I just... Pata nahi kese...Wo sab nikal gaya mere muh se... Shreya... Veer... Kaha gaya hoga? Please! Bulao usse... I must explain to him... Na jaane kitna bura laga hoga usse meri baato ka... I never meant to say that to him... Abhi abhi toh wo ubharna shuru kiya tha and I... Please...! Shreyaaaa
Shreya ko jhanjhorte hue Nidhi uss se vinti karne lagi. Bechaari Nidhi ki ye haalat dekh... Shreya apni bauhe sikode mann me keval ek hi shaks ko gaali diye jaa rahi thi.
Rajat...
'It's all because of that damn fucker...'
Shreya : Isliye kehti hu aap se Dii. Tension zyaada mat liya karo...
Nidhi (cries) : Kese na lu tension Shreya? Kese na lu?? Mera baccha Dhruv... Mere aalingan se koso dur hai... Tadapti hu mein usse dekhne bhar ke liye. Veer ne aaj aake meri madad hi kii thi, uska koi galat intention nahi tha... Still I... Dekho mene kya keh daala usse Shreya... Mene uske puraane zakhmo pe jese namak chidak diya... Ye kaam kiya hai mene... He must be so hurt... Kyuuuu!?? Kyu meri life me itni problems aati hai Shreya!? Kyuuu?? Kyuu?? Thak gayi hu mein Shreya... Thak gayi hu... Problems pe problems...
Shreya (frowns) : Diii...
Nidhi (cries) : I hate this life... Shreya... Kyu...!?? Kya mujhe khush rehna ka haq nahi hai Shreya!? Yadi nahi hai toh kyuuu?? Kyu bhagwaan mere saath aisa karta hai? Mein jitna accha karti hu... Utna hi bura hota chala jaata hai mere saath... I... I...
Aur agle hi pal uske thar tharaate honth daato tale dabb gaye aur wo zorr zorr se bilakhte hue rone lagti hai. Shreya usse apni baaho me kheench uski peeth sehlaate hue usse chup karaane lagi. Na jaane kab se itna sab kuch bhare hue thi Nidhi apne andar. Aur aaj saari rulaayi jese baahar aa rahi thi.
Shreya : Don't worry! Lo... Aapke saamne mein usse call lagaati hu okay!?
Nidhi kisi bacchi ki tarah haa me apna sarr hilaate hue ek aas leke Shreya ko dekhne lagti hai.
Aur Shreya idhar Veer ko phone lagaati hai. Kuch derr baat karne ke baad hi wo phone cut karti hai aur Nidhi ko waapas se dekhti hai.
Nidhi : K... Kya bola usne!? Aa raha hai na? Kidhar hai??
Shreya : Chill! He just went out for a walk.
Nidhi : So... He'll come right!?
Shreya : Of course!
Aur uska jawaab sunn iss baar Nidhi ek chenn ki saas leti hai.
Par uska ye chenn bhi jese kuch derr baad chinn gaya jab kayi ghanto tak Veer nahi lauta.
Raat ke 11:30 baj chuke the aur Veer ka koi ata pata nahi tha. Nidhi baar baar Shreya se usse call lagaane bolti, aur khud bhi lagaati par iss baar Veer ne kisi ke call ka jawaab nahi diya aur uska ye karna Nidhi ko aur bhi zyaada tension me daal raha tha.
Na jaane kese kese vichaar aa rahe the Nidhi ke mann me. Kahi uska firse accident na ho gaya ho? Kahi wo galat jagah toh nahi jaa raha hai? Tension ke chalte wo bechaari wo sab bhi sochne lagi jo usse bilkul bhi nahi sochna chaahiye tha.
Shreya : Aap so jaaiye... Wo aa jaega... Mein jaag rahi hu... Aaega toh mein lock laga dungi.
Nidhi : Mein kese so sakti hu abhi...
Shreya : Mene kaha na... So jaiye... Andar Juhi baar baar uth rahi hai. Din me jo bhi hua uss se wo darr gayi hai shayad. Aap uske bagal se lait ke soiye toh usse neend sahi se aaegi... Mene abhi takiya rakh diya hai uske bagal se but fir bhi wo beech beech me jhatka leke uth jaati hai aur fir roti hai...
Nidhi : Hmm... Par...
Shreya : Mene kaha na... Mein idhar hi hu.
Nidhi : Hmm!
Aur Shreya ki baat maante hue Nidhi apne bedroom me Juhi ke saath sone chali jaati hai. Bechaini me usse neend nahi aa rahi thi, par pankhe ki mand mand hawa aur thakaan ke chalte uski aankhein kuch derr baad band ho hi gayi.
***
Samay 12:15 ho chuka tha aur Shreya abhi tak jaag rahi thi.
Ki tabhi achanak hi door ko baahar se Veer ne dhakka diya aur wo andar aaya.
Andar aate hi uske kaano me awaaz padi,
"So!? How was your walk??"
Veer ne palat ke dekha toh paaya Shreya haath me haath baandhe deewaar se tike khade hue thi maano uska hi wait kar rahi ho.
Veer : Good... I guess?
Shreya : You know ki dii ka wo matlab nahi tha right?
Veer : Of course.
Shreya : She... Wo boht hi critical situation me hai. Khaaskar mentally...
Veer : Mein dekh sakta hu.
Shreya : So yeah... Unka tumhe hurt karne ka koi maksad nahi tha... Wo aisa kabhi kisi ke saath nahi karti...
Veer : Yeah! I... I know that.
Shreya : You were right.
Veer : Hmm?
Shreya : Yadi tum nahi aate toh wo bhediya na jaane kya kya aur kar sakta tha dii ke saath.
Veer : Mene wahi kiya, jo mujhe uss waqt sahi laga tha.
Shreya : I know. Mein jaanti hu. Aur mein ye nahi keh rahi ki tum galat ho. Mein bas ye kehna chaah rahi hu ki, Tum dii ko galat mat samajhna bas kabhi.
Veer : Ma'am ko mein kabhi galat nahi maanta.
Shreya : She have her reasons.
Veer : ....
Shreya : You know... Kyu wo tumhe itna sab keh gayi? Wo nahi chaahti thi ki tumhe koi nuksaan pohuche ya koi problem aaye. Tumhaare waha aane se ab uss aadmi ki nazar tumpe bhi hai.
Veer : ....
Shreya : Veer! Wo chaah ke bhi kuch nahi kar sakti. Majboor hai woh. Tum yahi soch rahe hoge ki kyu wo itna sab bardaasht kar rahi hai!? Right!?
Veer : I... Hmm...
Shreya : Uske peeche kayi saare kaaran hai. Mujhe pehle laga nahi tha ki... Mein tumpe trust kar sakti hu. But aaj jo kuch bhi hua... Uske baad se...
Kehte hue Shreya achanak hi uske kareeb aayi aur uska haath thaam lii.
Veer : ??
Shreya : I... I trust you now. Isliye... I'll tell you...
Veer : Hmm?
Shreya : Dii majboor hai Veer. Wo Rajat... He's a maniac Veer... A Maniac... Paagal insaan hai woh. Ek sadist hai woh.
Veer : He... What!?
Shreya : Hmm! Bataati hu... Ye baat lagbhag 4 saal puraani hai Veer. Dii ki nayi nayi shaadi hui thi. Sab kuch accha chal raha tha. Uske baad Juhi hui... Aur... Uske baad se hi uss aadmi ka ravaiyya badal gaya... Usse hamesha se ek ladka chahiye tha... Uske pita nahi hai, keval maa aur wo hi hai. Usse bas ek ladka chaahiye tha taaki wo santusht ho jaaye... Juhi ke ho jaane se... Jese ek dhakka sa laga tha dono maa bete ko...
Veer : Aaj ke zamaane me aisi thinking...!?
Shreya : Hoti hai Veer... Hoti hai... Log itne saare hai duniya me... Sab kuch possible hai. Juhi ke hone ke baad se hi... Wo dii ko itna prataadit karna shuru kar diya. Shuru me kam tha... Par dheere dheere... Aur fir jab Dhruv hua... Toh usne jese Juhi ko pyaar dena hi band kar diya... Dii iska virodh karti... Par badle me keval unhe maar milti ya prataadit kiya jaata...
Veer : Toh police me...!?
Shreya : Nahi kar sakte... Pehli baat... Wo khud ek lawyer hai. Itna dabdaba hai uska, kaha nahi hai uski pehchaan!? Dusri baat, 3 saal pehle Dad ka jab accident hua tha toh urgent paiso ki madad usne hi kii thi. Mere bade bhaiya ki naukri bhi ussi ne lagwaayi hai. Abhi kuch hafte pehle jab Mom ko heart attack aaya tha tab usne bhi kaafi paise diye the...
Veer : Ye...
Shreya : Yes! Meri mom ek housewife rahi hai shuru se, Dad keval ek private company me kaam karte rahe. Upar se do ladkiya aur ek ladka. Kya hi savings kar paenge wo!? Jitna kuch kiya, wo shaadi me nikal gaya. Aur fir aaj ki mehngaayi aur... Upar se uss darinde ka karz...
Veer : Toh..!?
Shreya : Isliye... Isliye Veer... Dii ke liye ye job boht important hai. Wo paise save kar rahi hai, na sirf uss darinde ko lautaane ke liye balki...
Veer : Balki...!?
Shreya ek jhoothi muskuraahat dete hue boli,
Shreya : Balki apne bacche Dhruv ko waapas se apne paas laane ke liye.
Veer : Huh!?
Shreya : Tumne din me Dii ke pait me wo wax ke tukde toh dekhe hi honge. Yahi hai uss haivaan ki sacchaayi. Jab uss Rajat ne dii ko boht hi kasht dena shuru kar diya tab Dii ne thaan liya ki wo divorce dengi usse aur akele apna jeevan vyateet karengi keval apne baccho ke saath par...
Veer : Par!?
Shreya (glances) : Par jese ye hona mumkin nahi tha. Vakeel giri ke dao pench lagaate hue usne Dhruv ko apne paas rakh liya, ye kehke ki uske ghar me koi santaan nahi hai. Aage uski maa ka dhyaan kaun rakhega!? Par dii nahi maani aur adi rahi, toh usne ek shart rakh dii...
Veer : ?
Shreya : Ki... Yadi Dii ka bank balance 50 lakh pohuchta hai, uss din hi wo Dhruv ko waapas se Dii ke paas lauta dega. Usne ye shart rakhi ki uske bacche ki parvarish ekdum acche se honi chaahiye. Aur parvarish ke liye kya lagta hai!? Paisa...!? Toh yadi dii ka bank balance 50 lakh hoga, tabhi wo Dhruv ko lautaega... Aur isliye... Isliye dii... Paise save karti hai... Ek hope me... Ek hope me...
Veer apni nazre neeche kiye sab sunn raha tha. Par usse sunaayi diya... Ki achanak hi Shreya ki awaaz me thar-tharaahat aa chuki hai. Aur usne jese hi nazre upar kar Shreya ko dekha toh paaya ki...
Uska chehra aasuo se bheegta jaa raha tha. Veer ka muh halka khula reh gaya jab achanak agle hi pal Shreya aage badh uske gale se lag gayi...
Shreya (cries) : She's living with a false hope Veer... Ek jhoothi aas leke jee rahi hai woh... She knows... Unhe pata hai Veer... Mujhe bhi pata hai... Mom Dad Bhaiya bhabhi sabhi ko pata hai ki... Ek saal ke andar wo kabhi bhi 50 lakh ikhatta nahi kar sakti... Kabhi nahi... Abhi abhi toh badi mushqil se unhone uss aadmi ka karz chukaaya hai... Still...
Veer ne haule se uski peeth par haath rakha...
Shreya : Wo bas issi jhoothi aas leke jee rahi hai... Ki ek saal me wo paisa ikhatta karke apne Dhruv ko waapas le aaengi... Hum sabhi unhe... Unhe saantvana dete hai ki sab kuch theek ho jaega... But... Deep down... Deep down we know Veer... Ki kuch sahi nahi hone waala...
Bilakhte hue wo Veer ki baaho me usse kass ke thaame rone lagti hai...
Shreya (cries) : It hurts me to see her like that... Dii virodh nahi kar sakti... Warna wo aadmi mere bhaiya ki naukri bhi hatwa dega aur pata nahi kya kya karega!? Kuch bhi aarop laga sakta hai woh. I hate myself... Ek mein hi hu jo useless hu... Mein padhaayi me shuru se hi acchi nahi thi. Ekdum gadhi hu mein... Haha~Hai na!? Toh naukri pe kabhi dhyaan hi nahi diya...
Veer ko ab sab samajh aa raha tha...
Ki kitna hi bikhra parivaar tha Nidhi ka bhi...
Aur kitna hi tooti hui thi Nidhi bhi aur Shreya bhi...
Bilkul ussi ki tarah...
Usne Shreya ko dekha jo nakli muskaan aur aankho me aasu liye uss se chipki hui thi. Veer jese sab kuch padh paa raha tha.
Shreya ke agle bol ne usse jese hosh me laaya,
"So yeah! Thank you Veer! Thank you for saving her today."
Nidhi ka dhyaan aate hi usse jese ab realize hua...
Aaj din me wo hotel jaate time jab usne kaha tha, 'Ye hotel kaafi mehngi lag rahi hai.'
Par Nidhi 'It's okay bol ke usse saath me le gayi thi.'
Wo toh paise save kar rahi thi. Fir kyu kiya usne ye sab uske liye!? Kyu laayi wo usse apne ghar me!?
Uske kapde, uska khaana peena, usse apni gaadi me college le jaana, kya nahi kar rahi thi woh...
"Tum chalo Veer. Tum... Tum mere saath rahoge."
"Aaj hum special dinner karenge...!"
"Veer!? Tumhara wo... *Blushes* kapde ka size kya hai!?"
"Padhaayi mat chorrna kabhi Veer okay!?"
"Kya hua Veer!? Koi pasand aa gayi kya? Fufu~"
Ek ek karke Nidhi ke saath guzaare pal aur uski baatein Veer ke dil-o-dimaag me ghumne lagi.
Aur na chaahte hue bhi, uske aasu nikal hi aaye.
Bina kuch bataaye Nidhi uss ke liye itna sab kuch kar rahi thi. Kitni tooti hui thi wo andar se. Usse toh bas ek pyaar karne waala vyakti chaahiye tha jo usse apni baaho me bhar ke rakhe aur usse khoob pyaar de. Par usse mila kya? Aadmi ke naam pe ek haivaan.
Ye jaante hue bhi ki paisa kitna important hai uske kiye iss waqt. Jaha aise samay me aadmi ek ek rupaye tak bachaaye aur dusre par kharch na kare. Waha Nidhi Veer ko apne saath rakh rahi thi. Uski harr zaroorat mand cheezo ko dhyaan rakh rahi thi.
Ye sochte hi Veer khud ko rone se na rok paaya. Aur ab... Usse glaani se bhare bhaav aana shuru ho chuke the.
Shreya ke bol usse jese firse hosh me laaye,
"Chalo... Boht ro liya ab... Jao! Jaake araam karo. And don't tell her ki mene tumhe sab bataaya hai. Maarengi warna wo mujhe haha~ Okay!?"
Apna sarr haa me hilaate Veer wahi khada raha aur Shreya usse wahi chorr Nidhi ke bedroom me chali gayi.
Veer ahista ahista aage badha aur wo darwaaze ki dehleez pe hi khade Shreya, Juhi aur Nidhi ko dekh raha tha, jinke chehre night bulb ki roshni me chamak rahe the. Wo dekh paa raha tha, Nidhi ke masoom chehre ke peeche chhupe kasht aur peeda ko.
Agle pal hi wo waha se nikla aur apne bistar pe chala gaya.
***
Subah hui aur Nidhi ki neend aaj kuch derr se khuli kyuki kal ki thakaan ne usse aaj jaldi uthne hi nahi diya. Uthate hue usne nazre daudaayi toh dekha Juhi uske bagal me laiti hui thi aur Juhi ke hi bagal se Shreya Iaiti hui thi jo kaafi gehri neend me lag rahi thi.
Abhi wo apni aankhein mal hi rahi thi ki usse kal ki hui ghatna ke baare me yaad aaya...
Aur fir Veer ke baare me...
Aur ye dhyaan me aate hi wo forun furti me uthi aur tezz kadmo ke saath baahar aayi,
"Veeeeeeerrrr!?"
Usne awaaz lagayi par...
Hall me koi nazar nahi aaya. Wo bauhe sikodte hue kitchen ki orr gayi.
Par udhar bhi koi naza nahi aaya...
Usne bathroom check kiya. Par udhar bhi Veer ka koi ata pata nahi mila.
'Wait!? Kal wo aaya bhi tha ya nahi...!?'
Ye soch Nidhi forun hi andar Shreya ke paas gayi aur usse tatolte hue uske kaan me awaaz lagaate hue puchi,
"Shreya!? Shreya!? Ooo shreya!? Sunn! Sunn jaldi... Kal Veer ghar aaya tha na!?"
Shreya jo neend me hi thi wo bas hmm karke Nidhi ko jawaad deti hai.
Nidhi : Toh kaha gaya!? Wo baahar nahi hai...
Shreya (neend me) : Hoga wahi kahi...
Uski ye baat sunn Nidhi ek baar fir baahar jaati hai par koi nahi dikhta tabhi uski nazar table par padti hai. Jaha ek kaagaz rakha hua tha aur uske upar paper weight rakha hua tha.
Apne ghabraaye mann ko niyantrit kar wo aage badh paper ko uthaati hai aur usme likhi gayi likhawat uski nazro me padti hai,
'Ma'am! Yadi aap ye padh rahi ho toh sabse pehle mujhe maaf kar dena, kal ke liye. Aapka gussa hona laazmi tha aur aapne jo kuch bhi kaha wo gusse me kaha tha. Aapki unn baato ka mene bilkul bhi bura nahi maana hai. Aap nishchint rahiye. Mujhe maaf kar dena jo mein immaturity dikhaate hue ghar se yu nikal gaya tha. Aapne mere liye itna kar diya hai ki...ki ab ek chhat ke neeche rehne me mujhe glaani mehsoos hoti hai. Aapke halaato aur poori kahani ke baare me mein jaan gaya hu. Shreya ji ko mat daatiyega, unhone mujhe wo sab batana zaroori samjha isliye bataaya tha shayad.
Aapne mere liye kya nahi kiya!? Jitna apne nahi karte aapne wo kiya mere liye. Mein ye kabhi nahi bhulunga. Par... Par ab mein aapke saath reh ke aapki pareshaani ab aur nahi badhaana chaahta Ma'am. Mera antarmann ab ye sach jaan'ne ke baad kabhi bhi aise mujhe rehne nahi dega... Isliye... Isliye I'm going now... Thank you so much Ma'am, jo kuch bhi aapne mere liye kiya. And I promise iska ten times mein aapko lautaunga.
Aur haa! Haha~ kal bechaari Juhi chocolate khaaye bina hi so gayi thi. Mein apni chocolate bhi uske liye chorr ke jaa raha hu. Fridge me hai woh. Uss se kehna ki uske Veer maamu uske liye ek din boht badi chocolate ki factory khulwaenge.
Shreya jii ko mera thanks kehna. For telling me the truth. And lastly...
Aap wese hi muskuraaya karo... Acchi lagti ho aap.
And Ma'am...
Take Care!'
Ye padhte hi Nidhi ki aankho se aasu behna shuru ho gaye aur wo wahi baithi sisak sisak ke rone lagi.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Veer nikal chuka hai apni progress par. Next update se Aatish's arc shuru ho raha hai. Jald hi ek naya character dekhne ko milega.
Don't forget to like.![]()
Excellent updateUpdate - 35 ~ The Deadliest Trap
Ab tak...
Aur jab saamne nazar padi... Toh...
Ek yuvak peeche khada hua tha. Jisne patthar fek uss aadmi ke sarr pe maar, usse yu gira diya.
Par Veer ki nazar jese hi uspe padi uski aankhein hairat ke maare felti chali gayi...
Veer : G... Goluuuu!???
Golu : Huh!?? Arre... T-Tum...!?
Ab aage...
*Vrrrrroooooooooooooommmmm*
Aaj ki iss Diyo se jagmag raat me jaha jagah jagah log tyohaar ka aanand utha rahe the, toh wahi Arohi aur Kavya apni scooty me baith uss sunsaan raaste me ghar ki orr bhaagti jaa rahi thi.
Dono ki dhadkane train ke maafik tezz ho chuki thi. Jab jaan par aati hai toh acche accho ki haalat kharaab ho jaati hai, badan thande pad jaate hai. Fir yaha toh wo dono ladkiya thi. Upar se aisa kuch bhi unke saath pehle kabhi ghatit nahi hua tha aur na hi unhone aisa kuch kabhi apne saamne dekha tha. Ekdum se jab aaj itni saari vaardaate unke saath hui toh bhaybheet hona toh swabhaavik tha.
Kavya sehami sehami sii aasu bahaate jaa rahi thi aur Arohi ke kandhe par apni chin rakhe uski kamar me zorr se haath baandhe hue thi.
Tabhi achanak...
*Tip*
'Huh!?'
Usse apne gaal pe kuch geela geela mehsoos hua.
Maano jese laga ki upar aasmaan se paani ki ek boond giri ho uske chehre pe aa kar.
Aur ek baar fir...
*Tip*
'??'
Usse fir ye andaaza lagaane me samay na laga ki ye paani ki boond kaha se aa rahi thi.
Kavya : D-Dii?? *sniff*
Ye Arohi ke aasu the. Jo hawa ke kaaran uske gaal se udd ke peeche jaa ke Kavya ke gaal se jaa takraaye the.
Ye abhaas hote hi ki uski badi behan bhi aasu baha rahi hai, Kavya aur zorr zorr se rone lagi aur Arohi ko bheench lii.
Unki scooty ab chowk tak aa chuki thi. Aur iss ilaake me aate hi ab jaake dono ko thodi raahat sii mehsoos hui. Kyuki yaha ujaala hi ujaala tha, Chahal pahal thi, raunak thi, raaste se aati jaati gaadiya thi, log the jo apne manoranjan me lage hue the.
Paas hi unhe ek thaana bhi dikha, par iss waqt Arohi seedhe ghar jaana chaahti thi. Usne soch liya tha ki ek baar ghar pohuch jaaye uske baad police ko inform karegi taaki wo jald se jald Veer ke liye madad leke jaa sake. Wo ye bhuli nahi thi, ki wo Veer ko waha akela kis situation me chorr kar aayi thi.
Aaj apne aap uski aankho se aasu beh rahe the. Kyuki abhi ki ghatna ne usse poora andar tak jhakjhor ke rakh diya tha. Bhale hi wo apne chehre par dikha nahi rahi thi, par andar se wo itna zyaada darri hui thi even Kavya se bhi zyaada. Par wo badi thi, aur yadi wo hi apna darr show karne lagti toh uski choti behan ka kya hota?
Bas isliye, Arohi andar hi andar sab dabaaye thi.
Ab jab wo uss situation se baahar nikli toh usse samajh aaya ki aakhir kitna affected thi wo uss situation me. Aur wo yadi abhi sahi salaamat apni scooty par apni behan ke saath baithi hui thi toh aaj ye keval ek hi shaks ke kaaran mumkin hua tha.
Aur wo tha ~ Veer.
Wahi Veer jisse wo hamesha ek cold shoulder deke chali jaaya karti thi. Rookha rookha vyavhaar karti thi uske saath. Kabhi baatein nahi karti thi. Kabhi uske baare me nahi sochti thi. Usne humesha se hi Veer ko ek stranger ki tarah treat kiya tha.
'Arohi Dii!? Wo hamaara bhai kehlaane ke laayak hi nahi hai.'
'Arohi uss se dur raha karo. Warna uske saath rehna kahi tumhe bhi affect na kar de. Harqate toh jaanti hi ho tum uski.'
'Dii! Aap hi dekhiye. Hum sabhi bhai behno me kitni acchi acchi qualities hai. We are talented. But ussi jagah Veer ko dekhiye. Kya wo kahi se bhi hamaara bhai lagta hai? Wo ek loser hai dii. Maana ki hamaara cousin hai, par Bhumika dii ko dekhiye aap ussi jagah. Wo bhi toh cousin hai hamaari. Par kitni alag personality hai unki. Isliye aap dur hi raha karo uss se.'
'Arohi! Kabhi socho ki tum apni high class friends ke beech ho aur achanak hi Veer waha aa jaaye aur kuch na kuch harqat kar de. Kya sochengi tunhari friends? Kitna embarassed feel karogi tum? Toh aisi situation kabhi na bane uske liye behtar hi ki uss se dur raho. Dekho, khud Tau jii bhi apne bete ko pasand nahi karte. Matlab gadbad Veer me hi hai. Ye toh uske liye khushkismat ki baat honi chaahiye ki uske iss ravaiyye ke baad bhi hum usse ghar par jhel rahe hai... Warna...'
Apne dono bhai, Pranjal aur Vivek ki baatein iss waqt Arohi ke mann me goonj rahi thi. Aur inhi baato ko liye wo aankho se aasu bahaaye road me apni gaadi bhagaaye jaa rahi thi bas.
Na jaane kitne beete saalo se yahi baatein uske mann me daali jaa rahi thi. Jiske chalte, Veer ko anjaan ki tarah treat karna usko ab normal lagne laga tha. Usse kahi se bhi ye galat nahi lagta tha. Lagta tha jese Veer ko aise hi treat karna sahi hai. Jese maano kisi samaaj ka niyam follow kar rahi thi wo. Kabhi kuch galat nahi laga.
Aur ye sab aaj bhi usse normal hi lagta yadi...
Yadi uss din usne college me Kavya ko Veer ki baaho me na dekha hota toh...
'Ye Kavya ko achanak kya ho gaya?'
Uss din wo issi sawaal ko liye poori raat tension me thi. Bhala uski choti behan, jo aaj tak uski hi tarah Veer se baat nahi karti thi. Wo bhala achanak uski baaho me!? Kyuuuu???
Ye kisi jhatke se kam nahi tha uske liye...
Par usse kya pata tha ki Kavya ghar me chori chori Veer se thodi boht baatein zaroor kar liya karti thi jo wo nahi karti thi.
Usse yaad tha kese uss din Veer Kavya ko uski class chorrne bhi gaya tha. Usse yaad tha ki uss din wo kitna badla badla sa lag raha tha.
Aur uss din ke baad toh jese usse na jaane kya kya jaan'ne ko mila tha.
Kavya uske liye kapde khareedne lagi thi, uske liye gifts khareedti. Derr raat raat tak usse messages bhej baatein karti...
Aur ye sab kuch ghatit hote hue wo apni aankho ke saamne dekh paa rahi thi.
'Kyuuuuuu!??? K-Kya mein hi galat thi? Vivek bhaiya aur Pranjal kyu kehte the aisa fir? Kyu aaya wo hume bachaane? Ek call pe hi wo aa gaya. Wahi Pranjal ka phone busy tha toh Vivek Bhaiya ne uthaaya nahi. Par usne... Kavya ka phone ek ring me utha liya... Aur... Itni jaldi wo waha par tha. Na jaane kitni tezz bike chalaayi hogi usne waha pohuchne ke liye. Mein... Mein...'
Aaj apne aap uski rulaayi chooth padi. Aaj Apna naam Veer ke muh se sunte waqt uske raungte khade ho gaye the. Kyuki wo jaanti thi uss awaaz me kitni chinta thi, kitni ghabraahat thi.
Aur ye chinta Veer ki unn dono ke liye thi. Sawaal wahi tha.
Akhir Kyuuu???
Anek prashn liye wo akhir kaar apni manzil par pohuchi...
Kismat se Ragini aur baaki sabhi porch me hi usse mil gayi.
Ragini : Arre!? Aa gayi tum dono!? Aao...! ??? Y-Ye kya??? Tum dono ke chehre ka rang kyu udaa hua hai aise? K-Kavya!?? Ro kyu rahi ho tum? Arohi tum bhiii!??
Jese hi unki dasha Ragini ne dekhi wo hadbada ke baahar aayi. Wo aur Suman iss waqt Veer ko hi dhund rahi thi kyuki achaanak wo bina kuch bataaye ghar se nikal gaya tha aur phone bhi nahi utha raha tha. Zaahir sii baat thi wo sabhi chintit thi.
Arohi : Bh-Bhabhi!!! Wo...
Uske baad Arohi ne shuru se ant tak saari baat bata dii, jisse sunn kar Ragini samet sabhi tension me aa gayi.
Ragini : Hey Bhagwaan! Tum dono theek toh ho na? A-Aur Veer??? W-Wo waha akela hai?? N-Nahi!!
Wo agle pal hi bhaag ke apna phone uthaayi aur police ko call kii.
Aaj tyohaar ka ye mahaul itna tension se bhar gaya. Sabhi ke chehre par bas darr, ghabraahat aur bechaini thi.
Aur sabhi police ka intezaar karne lage. Arohi aur Kavya toh jese tese bach gayi thi. Par yahi baat Veer ke liye kehna thoda mushqil tha.
***
"Arre...!? T-Tum!??"
Veer ke saamne iss waqt ek shaks khada tha, jis se Veer train me mila tha.
~Golu.
Par ye waqt uske liye sochne ka nahi tha. Golu ke aane se jo aadmi Veer ko peeche se daboche hue tha, uska dhyaan bhi bhatak chuka tha.
Aur issi ka fayda uthaate hue, Veer ne apni kohni seedha uski pasli me de maari...
"Aaaarrrrghhh!"
Wo dard ke maare karaaha aur apni pasli pakad jhuk gaya aur...
*Pooooooooowwwwww*
Ek zordaar ghusa uske gaal par aake pada jo usse poora hila ke rakh diya.
"Fuccckkk youuuu!" Next second hi, Veer ne full taakat se ek kick aur jadd dii uske pait me.
Aur wo banda peeche jaa gira.
Golu bhaagte hue uski taraf aaya. Veer ne dekha ki ek cycle zameen par padi hui thi jiska pichla chaka halka halka abhi bhi ghoom raha tha. Matlab Golu yaha cycle se guzar raha tha aur usne jese hi ye sab dekha toh madad ke liye aa pada.
Golu : Arre Bhai... Tum firse?? Aur ye chakkar kya hai? Saare aadmi tumhaare peeche kyu lage hai? Theek toh ho? K-Kya tha ye sab?
Veer : M-Mein theek hu. Boht boht shukriya, meri madad karne ke liye. Uss din train me bhi tumne... Par tum yaha? Wait! Kya hi ittefaaq hai ye...!? Uss din bhi tumne hi mujhe bachaaya tha aur aaj bhi...
Pranjal : Haha~ Kismat bhai. Jab jise mila de. Wese naam toh yaad hai na mera? Tumhara toh Veer hai.
Mujhe yaad hai.
Veer : And tum Golu!? Mujhe bhi yaad hai...
Golu : Hahaha~ Bilkul! Chalo yaad toh hai kam se kam. Par ye sab!? Kya tha?
Veer : Kuch Dushmani hak meri inse shayad. Jo ye mere parivaar ke peeche pade hai. Teh tak jaana padega mujhe iski. Na jaane kaun hai inn sab ke peeche.
Golu : Ohhh!
Veer : Par tum yaha...!? Sunsaan raaaste me!? Wo bhi... Cycle me!?
Golu : Apna kya hai Bhai... Uss din mein bhi apne gaav ke liye nikla tha, train se. Kyuki wahi apniichh janmbhumi hai. Apna koi haiich nahi. Aashram me pala bada, fir 18 baras ki umr ke baad paisa kamaane idhar Mumbai aa gaya. Suna tha paisa kamaana hai toh mayanagri jao. Haha~
Veer : ....
Golu : Mein idhar hi peeche ek hotel hai. Udhar kaam karta hu. Khaana peena wahi ho jaata hai. Rehne ka koi na koi jugaad ho hi jaata hai. Aaj Diwali ki kharchi lene gaya tha. Bas ab jaake hotel ke hi kuch dost log hai unke saath Diwali manaunga.
Veer : Ohhh!! Tumhari zindagii bhi... Kaafi...
Golu : Zindagi ka kya hai bhai. Ek din upar jaana hi hai. Tab tak jitne maze le sako le lo. Ek accha jeevan guzaaro aur kya. Apna toh ek hi sapna hai...
Hamesha se chaahta tha ki ek aisho araam ki zindagi jiyu. Par... Saala kismat hiich gaandu nikli haha~
Veer (smiles) : Kismat gaandu hi hoti hai.
[W-What master!?? Bhuliye mat... Mera aapke andar aana bhi kismat hi thi. Kismat ko aisa na boliye... Master!]
'Ohh really now!?'
Tabhi achanak hi Golu ne apna haath aage badhaaya aur Veer ki taraf kiya...
Golu (smiles) : Wese toh tum kisi bade ghar ke lagte ho. Par yadi mujh jeso se tumhe dikkat na ho toh... Aaj se hum dost!???
'Huh!?'
Aaj...
Aaj ye pehli baar tha, jab Veer ki taraf kisi ne apni taraf se dosti ka haath badhaaya tha. Kabhi kisi ne bhi uska dost bann ne ki pahal nahi kari thi. Ye jaante hue bhi ki Veer kisi na kisi pareshani me rehta hai aur uske paala khatarnaak aadmiyo se hai, fir bhi aaj Golu ne uski taraf ye dosti ka haath badhaaya tha.
Aise me...
Golu : Huh?? Oo bhai... Tum ro kyu rahe ho? Arre mein itna bura bhi na hu yaar... Tum toh... Dekho bhai aisi beizzati na karo yaar...
Veer (hasste hue aasu pochh kar) : Nahi... Wo *smiles* Iske pehle kabhi kisi ne mera dost bann'ne ki koshish na kari... Aaj ye pehli baar hai. Isliye... Isliye... Bilkul... Aaj se hum dost hue...
Aur agle hi pal Veer ne kass ke Golu ka haath thaam liya.
Golu : Itna bhaavuk ni hote bhai... Zindagi me chill maarne ka... Aur kisi ne haath nahi badhaaya toh kya hua? Ab mene toh badha diya hai na? Haha~
Veer (smiles) : Hmmm!
Dono ko aaj ek naya dost mila tha. Jaha Veer Golu ka abhaari tha aur uske raviyye se impressed tha wahi Golu bhi iss baat se khush tha ki Veer jesa bade ghar ka ladka aaj uska yu dost ban gaya tha.
Par jese...
Dono ki iss khushi par kisi ki nazar lag chuki thi.
Kyuki agle hi pal...
Jhaadiyo me se 5 se 6 aadmi nikle aur Veer aur Golu pe toot pade...
Sab kuch itni jaldi hua ki dono ko kuch sochne ka time hi nahi mila. Do se teen bando ko jhelna toh Veer wese bhi kaafi hadd tak handle kar leta. Par 5 se 6!?
Ye toh namumkin jesa kaam tha uske liye. Uske stats abhi itne nahi the.
Golu bhi koi fighter nahi tha. Wo dubla aur lamba sa ladka tha. Ladaayi bhidaayi se shuru se hi dur rehne waala.
Nateeja obvious tha.
Jaha Golu ko maar maar ke unhone behosh kar diya tha toh wahi Veer kuch pal unse ladd waha unka saamna karta raha. Par...
Wo outnumbered ho chuka tha.
Enemies zyaadi thi, aur wo akela.
[Maaaasttteerrrr!!!]
Pari ki chinta janak awaaz aayi toh sanket samajh Veer muda par...
*Thud*
Uske sarr ke peeche se ek vaar aaya aur wo sarr pakad neeche girne laga...
[Noooooo! Maaastteeerrr!!]
Aankhein uski band hone lagi...
Behoshi me jaane se pehle usse bas ek hi awaaz mann me sunaayi dii...
*Ding*
['Mission : Save Kavya and Arohi before it gets too late' has been completed.]
[40 points have been rewarded.]
'K-Kavya... Arohi...' Mann me wo apni behno ke baare me soch... Behoshi me chala gaya.
***
Aadmi 1 : Wo toh accha hua hum chhipe hue the. Jaldi nipat gaya maamla.
Aadmi 2 : Sahi kaha! Aur Bhau ne ekdum sahi kaha tha. Ki inn 4 logo se kaam nahi ho paega. Isliye unhone hume bhi bhej diya. Aur dekho... Unki baat ekdum sahi nikli.
Aadmi 1 : Hmm! Ab inka kya karna hai? Mujhe phone aaya unka, wo bata rahe hai ki wo dono, unn dono ladkiyo ko pakadne me nakaam rahe.
Aadmi 4 : Karna kya hai? Bhau ne toh pehle hi hume bataaya tha ki hume iss ladke ko nahi pakadna hai. Iske aas paas ke log yaani iske chaheeto ko pakad ke laana hai.
Aadmi 5 : Ekdum sahi kaha. Wo do ladkiya bach gayi toh kya hua. Ye dekho... Ye ek aur ladka pada hai yaha. Isne iss ladke ki madad kii... Matlab zaroor ye iska koi khaas hai, aur isse jaanta hai. Warna aise koi apni jaan khatre me nahi daalta. Aur dono haath bhi mila rahe the abhi.
Aadmi 3 : Haan! Isse uthao.
Aadmi 1 : Aur iss ladke ka kya!?
Aadmi 3 : Usse wahi pade rehne do. Bhau ne uske liye hi toh Jalsa me taiyaariya kii hai. Hume keval iss ladke se matlab hai. Ab jaldi chalo, wo dono ladkiya police ko lekar yaha zaroor aaengi.
Aadmi 6 : Jalsa!?? Baap re! Iss bande ki shaamat aayi hai lagta.
Aadmi 4 : Hmm! Zindagi me kuch bhi kar lo, par bhool ke bhi Bhau se panga na lo. Iss ladke ne anjaane me hi ek aisi jagah khud ko daal diya hai, jaha iska vinaash nishchit hai. Ab chalo jaldi...
Aur wo sabhi aadmi Golu aur apne aadmiyo ko waha se uthaa ke nikal gaye.
Veer idhar road ke kinaare besudh sa dala hua tha.
***
Raat ke 10 baj chuke the. Jab achanak hi Veer ko apne chehre par kuch geelapan sa mehsoos hua.
Aur wo apne hosh me aaya.
Dekha toh paaya ki...
Wo apne bed par tha. Aur uske ird gird, Ragini, Kavya, Arohi, Suman, Aabha, Sonali ye sabhi khadi hui thi.
'Huh??'
[Aap behosh ho gaye the master. Luckily, wo aapko wahi chorr ke chale gaye. You know... I was so worried... *sniff* Mein... Mein... Abhi aap kesa feel kar rahe ho? Wait! Mein khud hi check kar leti hu. You should rest.]
Kavya : Bhaiyyaaaaaaaaa!!!!
Kavya aage badh Veer se lipat gayi. Uski aankho me abhi bhi aasuo ki boonde saji hui thi.
Veer mehsoos kar paa raha tha ki Kavya ke dil ki dhadkan kitni tezz thi. Wo dekh paa raha tha ki Arohi ke chehre par tak aasuo ke nishaan the. Ragini aur Suman ki aankhein bhi nam thi. Aabha bhi chintit nazar se dekh rahi thi. Sonali bhi usse bauhe sikode dekh rahi thi.
Usse abhaas ho raha tha ki ye sabhi log uski kitni parvaah karte hai.
Kavya : Bhaiyaaaaaaa!!! *sniff* *sniff*
Veer : Mein yaha!?
Arohi (aage aate hue) : M-Mein bataati hu...
Uske baad Arohi ne sab kuch bataaya.
Kese wo ghar pohuchi, kese Police ko Ragini ne inform kiya, Police aayi aur Kavya Arohi ko leke uss jagah par pohuchi jaha Veer unhe bachaana aaya tha.
Kese unn ne Veer ko waha behosh paaya aur yaha ghar waapas laaye. Police aasvaashan dete huye ki wo apni jaach jaari rakhenge keh ke chali gayi. Ye saari baatein Arohi ne Veer ko bata dii.
Veer : I see...!
Arohi : Wo...
Veer : Hmm???
Arohi : N-Nothing... Tum rest karo.
'Mere kaaran aaj ye sabhi tyohaar bhi na mana paaye.'
Ragini : Veer tum rest karo. Okay!
Veer : Mere kaaran aap sabhi... Aaj tyohaar bhi...
Ragini : Don't even think about that okay? Tyohaar toh harr saal aata hai Veer. Tum zyada zaroori ho ya tyohaar!? Rest karo okay!?
Kavya : Bhaiya! Aap bistar se nahi nikloge. Rest karo. Mein aapka dhyaan yahi rakhungi.
Ragini : Nahi Kavya! Veer ko kuch derr akela rehne do. Usse neend ki zaroorat hai. Mene doctor ko bhi inform kar diya hai. Wo aate hi honge...
Suman : Maali... Ahem! Veer jii! Apna dhyaan rakhiyega. Koi bhi pareshani ho toh mujhe awaaz laga dena. Mera kamra aapke bagal se hi jo hai. Ragini jii ko pareshan karne ki koi zaroorat nahi. Mein hu na.
Aur sabhi uske kamre se baahar nikal gaye. Aaj bechaara Veer itna bada parv Diwali na mana saka. Ek ke baad ek jese uski zindagi me bas pareshaniya hi likhi hui thi. Na jaane kab uski zindagi me khushiyo ki bauchhaar aaegi!?
***
'Wait!!! G-Golu? Golu ka kya hua? Wo bhi toh wahi tha!? Uska kya hua? Bechaara wo bhi mere kaaran...'
Sochte hue Veer derr raat bistar se uth khada hua.
Par jese...
Ye ghabraahat kam thi? Jo ek aur awaaz ne uski iss ghabraahat ko badha diya...?
*Ding*
[Mission : Get to Golu as fast as possible and save him.
Rewards : ?? Points.
Location : Jalsa Building. xxxxxxx road, near xxxxxxx route.
Time Limit : 19 hours.
Mission Fail Penalty : 100 Points Deduction.]
'N-Noo... No... Noooo Nooooooooooo...'
Mission padhte hi Veer apne bistar par gir pada.
'Nooooooo... Wo meri wajah se... Wo...'
Par jese ye sab kuch bhi kam tha uske liye jab achanak hi uska phone baj utha. Ek unknown number se call.
Veer : H-Hello!??
Voice : Hello! Wese... Hello kehne laayak mahaul toh nahi hoga tumhaare liye Haha~ Kyu!? Jhatka laga na?
Veer (frowns) : K-Kaun!?
Voice : Kaun hu, Kya hu ye sab baad me jaan jaoge apne aap. Tumne ek boht badi galti kar dii. Anjaane me hi kari par galti toh galti hoti hai. Hai na? Aur galti kii hai toh saza toh milti hi hai. Hai na?
Veer : ??
Voice : Toh ye tumhaara dost hai na!?? Kya naam hai iska!??
Veer : Huhhhh!??? G-Goluuuuu!?
Voice : Ohhh! Toh Golu hai iska naam. Haa toh tumhara ye Golu mere qabze me hai. Wese toh mein tumhari unn do behno me se ek ko uthaane waala tha par... Ye bhi bura target nahi hai. Haha~
Ye sunte hi Veer ke raungte khade ho gaye. Ki uski behne kitni badi musibat se bach ke baahar aayi thi. Warna na jaane kya hota Veer ka.
Veer : N-Nahiiiii! No..... Tummmm...
Voice (gusse me) : Kal! Kal raat 8 baje... xxxxx route par xxxxx road hai. Udhar ek dhalaan waala raasta milega. Andarr jaate jaana, aur ek building dikhegi.
Tumhaare swaagat ke liye waha bade se aksharo me Jalsa likha hoga. Police ko khabar karne ka koi fayda nahi hai. Wo mere naam se hi kaapte hai. Fir bhi bataana chaaho toh bata lena, par tumhaare dost ki guarantee fir mein nahi lunga. Yadi apne dost ko bachaana chaahte ho toh kal..bataayi gayi jagah par pohuch jaana... Warna...
*Call ends*
Veer ko maano saanp sungh gaya tha. Wo agle pal apna sarr pakad, baal kheechne laga.
'Nooooo!!!! Nooooooo!!! Ye sab kyaaa... Mere kaaran aaj sabhi Diwali nahi mana paaye... Aur bechaara Golu... no no no no noooo... Jiska koi kasoor nahi tha... Wo... Aaj mere kaaran... Arohi ya Kavya bhi uski jagah ho sakti thi... Sab kuch mere kaaran... Kaash... Right... I... I shouldn't have existed... I shouldn't have... *sniff*'
[Maaaaaaaasttteeeeeerrrrrrrr!!!]
'Huh!?'
[Please master! Don't get demotivated. Mein hu aapke saath. Aisa kabhi mat sochiyega. I'm always with you. Aap akele nahi ho. We... We will save Golu, just like we saved Arohi and Kavya. Ghabraaiye mat Master... Please! Mein aapko aise nahi dekhna chaahti. Aapki himmat tootate hue... Because, it hurts me too... Pleaassee! Be strong Master. Mein aapke harr ek kadam par aapke saath hu.]
'P-Pariii!??'
Pari ki baato ne jese apna asar kar diya tha. Kyuki agle hi pal Veer ne aapne aasu poche aur usne nishchay kar liya.
'Right! We... We will save him... We will... Pehli baar koi dost bana hai. *smiles* Mein usse kuch nahi hone dunga. I don't know ye kaun hai aur kyu meri family ke peeche pada hai. But... Mein apni family aur friends ko kuch nahi hone dunga. Right!!'
[That's the spirit master!]
'Mere stats dikhaao Pari!'
[ Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 35/100
Agility - 30/100
Endurance - 45/100
Appearance - 22/100]
'Hmm! Mere paas 90 points available hai. Mein... Mein unhe add kar sakta hu right?'
[Yes but changes subah dekhne ko nahi milenge master. Changes ke liye night time zaroori hai. Raat ke 12 se subah ke 8 tak. Abhi raat ke 2 baj chuke hai. Aapko points add 12 ke pehle karne the, tab jaake subah 8 ke baad aapko changes dekhne ko milte.]
'I see! Well koi nahi. Ab Golu ko bachaane ke baad hi... Mein ikhatte points invest karunga. I will save him.'
[As you wish Master. It's time to rest.]
'Yeaaaahhhh!!'
***
Diwali ki agli raat...
Aaj ke iss din sab kuch band rehta hai. Market se leke sab kuch...
Yaha tak ki aaj ke din akhbaar waale bhi chhutti lete the. Aur aaj ki iss raat Veer ek building ke saamne khada hua tha.
Samay 7:55 ho raha tha.
Usse uss aadmi ne 8 baje ka bola tha.
Building ek sunsaan sii jagah hi bani hui thi. Behad badi, aur kaafi puraani lag rahi thi.
Uski banaavat bhi puraane tareeko se kii gayi thi. Modern kahi se nahi lag rahi thi woh...
Saamne ek bada sa lohe ka gate tha. Aur upar LED lights se likha hua tha.
JALSA
'Bhala kesi jagah hai ye!?'
[It looks old master. Par saath hi saath modern touch bhi hai.]
'Yeah!!!'
Wo yaha keval ek shirt pehne aur neeche jeans daale poora prepared hoke aaya tha.
Uske jeans me ek lighter tha, saath hi saath wahi pocket knife bhi dali hui thi. Aur Kuch cash bhi tha.
'Hang in there.... Golu! Tumhe kuch nahi hoga. Tumne meri jaan do baar bachaayi... Now it's my time to save you.'
8 baj chuke the...
Aur...
*Ring* *Ring*
Wahi unknown number dekhte hi Veer ne call uthaaya,
Veer : Mein pohuch gaya hu. Aage batao.
Voice : Ohhh!? Itna confidence? I like it... Andar aao. Darwaaza khula hai.
*Call ends*
Ek lambi saas lete hue Veer ne apne dhadakte dil ko thoda calm karte hue aage badh, darwaaze ko khola...
*Creeeaakkk*
Par andar aate hi...
Ekdum ghapp andhera tha...
Kuch kadam wo chala ki tabhi peeche ka darwaaza apne aap band ho gaya.
'Huh???'
Aur uski calmness yu pal me gaayab ho gayi.
*Badump*
Andhera itna tha ki usse kuch nazar nahi aa raha tha.
Poora kaala andheraa... Ekdum shaant mahaul...
Aur tabhi Veer ne apne jeb se lighter nikaal usse jalaaya...
*Click*
Lighter ki maddham aag ki roshni se jese hi usse saamne ka nazaara nazar aaya toh uske raungte khade ho gaye...
Saamne toh kuch nahi tha...
Par...
Neeche...
Dherr saare laal rang ke gubbaare dale huye the. Yadi ye scene kisi horror movie ka hota toh aadmi ki dekh ke hi phat jaati.
Aur Veer toh khud waha uss situation me tha.
'Y-Ye...!?'
Tabhi achanak...
*Tuck*
Ekdum se kisi button ki awaaz aayi aur Veer ke saamne LED lights se bade se akshar jagmaga uthe...
Likha hua tha..
WELCOME
'????'
Wo kuch soch paata ki tabhi...
Uske kaano me ek awaaz padi...
*Clap* *Clap* *Clap*
"Welcome! Welcome! Jalsa me tumhaara swaagat hai.... Veeeerrrr!!!"
Ye awaaz upar lage intercom se aayi. Ek kaale rang ka box tha jo basically school aur colleges me classrooms me lagaaya jaata hai announcement ke liye.
Veer : ??? Tum... Mera naam...
Voice : Bilkul! Bilkul! Mein toh tumhaare baare me sab jaanta hu. Akhir tumne itna pareshan jo kiya hai mujhe. Itna pareshan ki mujhe tum jese chuho se khud deal karna pad raha hai batao.
Veer (chillaate hue) : Golu kaha hai!???
Voice : Shaant! Usse dhundne toh tumhe khud aana padega. Wese mein tumhe lighter dene waala tha par dekh ke accha laga ki tum poore intezaam se aaye ho.
Veer (frowns) : What do you mean ki mujhe usse dhundna padega!?
Voice : Tumhaara dost third floor par hai. Yadi bacha sakte ho toh bacha lo... Sab kuch tumhaare upar hai... Teesre floor par pohuchne ke liye teen padaav paar karne hai. Sabse pehle bagal me lagi lift me jao. Aur first floor ke liye button dabaana. Dhyaan rahe... No cheating... Pehli manzil yaani pehli manzil... Yadi baaki buttons dabaayi aur yadi... Current ka jhatka lagne se tumhaari maut ho gayi... Toh... Tumhaara dost bechaara... Hahahaha~
Veer (screams) : Daaaaamnnnnnn yooouuuuu...
Voice : Hahahaha~ Yahi toh pasand hai mujhe... Logo ki tadap, ghabrahat, darr...
Veer : Kyuuu??? Kya bigaada hai mene tumhaara? Kyuu kar rahe ho ye sab meri family ke saath? Mein toh tumhe jaanta bhi nahi hu... Fir kyuuuuu??
Voice (gusse me) : Shyaaana banta hai saale!? Club se tu hi uss ladki ko bhaga ke le gaya tha na? Bol!?? Uss Ragini ko bachaane bhi tu hi aaya tha na?? Bol?? Aur uss anguthi ko bhi tu hi chhina ke laaya tha na??? Haan? Ab samajh aaya tujheee!?? Bol!!!! Harr waqt tu kahi na kahi mere plan ke beech me aaya hai. Aur tere kaaran... Tere kaaran mere plans bikhar ke reh gaye... Maatr ek chuhe ke kaaran... Saza toh banti hai. Nahi?
Ye baat sunte hi Veer ko ek zordaar jhatka laga. Aur usse jese ateet yaad aane laga. Jese usse sab kuch samajh me aane laga.
'Huh? N-No way... Ragini Bhabhi... W-Wo ladki... Wo ring...'
[Iska matlab harr kartoot ke peeche ye aadmi ka haath tha master. Yahi hai jo hamaari family ke peeche pada hua hai. We have to take him down.]
Aur tabhi Veer ke kaano me ek jaani pehchaani sii dhun padi...
Jisse sunte hi uske haath kap kapaane lage...
Intercom se hi wahi mouth organ ki awaaz aa rahi thi aur ye wahi dhun thi jo Veer ne uss din club me suni thi.
'N-Nooo... Ye... Ye toh... It was him!???'
Ye abhaas hote hi uski aankhein shock ke maare felti chali gayi. Akhir wo banda Aatish tha.
Aatish : Aahhh! Waqai! Mera pyaara mouth organ hi mere gusse ko kaabu me karta hai.
Veer (shivers) : T-Tumm... Tum...
Aatish : Ohhh! Mujhe jaante ho? Koi baat nahi. Aur acche se jaan jaoge... Jese tumhaari... Kya naam tha uska... Haa! Ragini mujhe jaan gayi. Aaahhhh! Kya scene tha uss din... Uska rona... Uske pati ka apni zindagi ki bheek maangna... Kya toda tha mene uss din usko andar se...
Veer : Bh-Bhabhiii!???
Aatish : Haan! Aahhh maza aa gaya tha uss din.
Mujhe logo ka vishwaash todne me boht maza aata hai. Pata Veer!? Matlab boht zyaada... Jab... Jab unki wo shaqal banti hai na, baad me jab unka vishwaash toot'ta hai, aur fir wo bina koi aasha waala chehra banaate hai na... Wo... Usse dekh ke na... Usse dekh ke na... Pata nahi kyu par... Par mujhe boht zyaada sukoon milta hai. Kya gazab ka chehra banaaya tha uss Ragini ne... Ab toh poori tarah se toot gayi hogi... Aur yahi tumhaare saath hone waala hai... *smiles*
Veer : Tumne... Tumne ye sab kiya tha... I... I will kill you... Mein tujhe chorunga nahi haraam zaade...
Aatish : Lift me jao aur pehla padaav paar karo... Ye bilbilaana baad me... Tumhara samay shuru hota hai ab...
Na chaahte hue bhi, Veer ko akhir lift me jaana hi tha.
Andar ghuste hi lighter ki koi zaroorat nahi thi. Kyuki lift me lights on thi.
Lift ke andar sab kuch normal dikh raha tha.
Isliye ahista se Veer andar gaya aur jesa ki bataaya gaya tha usse first floor par jaane ke liye. Veer ne theek wesa hi kiya.
Lift ka darwaaza band hua aur lift chalna shuru ho gayi.
Par...
Aadhe raste me hi jese wo ruk sii gayi.
'There's something wrong... Hmmmm!???'
Khatre ka abhaas hote hi Veer ki nazar upar gayi aur...
*Hissss*
Ek ajeeb sii gas leak ki awaaz usse sunaayi dii...
Upar dekha toh paaya ki upar lift me kahi se gas leak ho rahi thi.
Bina ek second gawaaye...
'Check'
[Description : Fluothane gas. Ek baar inhale karte hi behosh kar sakti hai. Common cases me vomiting, nausea, breathing problems. Worst case - Death.]
'Shiiitttttttt!!!!'
Veer ko jese hi realize hua ki wo kya tha, maano jese uska dil baahar ko aa gaya tha.
*Badump* *Badump*
Dil ki tezz dhadkan control kar usne upar firse dhyaan diya toh dekha...
Upar kuch wires guccho me maujood the.
[Cover your mouth master.]
Pari ki salaah sunn Veer ne forun hi muh pe rumaal baandh liya...
Tabhi neeche ki floor se intercom se firse Aatish ki dheemi awaaz aayi,
"Sahi soch rahe ho. Hahahaha~ Unn saare wires me se keval 3 hi wire hai jo lift ki upar lagi gas machine ko rok sakte hai. Kaam simple hai. Sahi wire kaato, aur machine band karo. Wese itni jaldi behosh nahi hoege tum. Kyuki mene concentration uska thoda sa kam rakha hai. Aur haa... Wire kaatne ke liye... Neeche chaaku pada hai. Good luck! Hahahaha~ "
Veer (screams) : Daaaamnnnnnn youuuu....
Veer ne apni khud ki pocket knife nikaali aur...
'Wait! Mein wires ko check kar sakta hu. Mujhe harr ek kaatne ki zaroorat nahi hai.'
[Right master!]
'Check!... Ye nahi...'
'Check... Not this...'
'Check... Shiitttt!'
.
.
.
.
'Check'
[Description : One of the wires of the gas machine.]
'Mil gaya...'
*Cuts*
Aur kuch hi palo me Veer ko teeno wire mil chuke the. Jese hi usne teeno wire kaate...
Machine apne aap band pad gayi...
Halaaki halki sii gas Veer inhale kar chuka tha jiske chalte khaasi aur uske seene me dard shuru ho chuka tha. Yaha tak ki uska ab ulti karne ka bhi mann kar raha tha.
Aur lift ke chaalu hote hi first floor par pohuchte hi wo lift se baahar nikal neeche gir pada.
Apna seena dabaaye wo tezz tezz saasein le raha tha.
[Master! Are you okay??? Maaasteerrrr!!!]
'Haaah! Haaahhh haaaahhh haaaahh!!! Pariiii...'
*Cough* *Cough*
[Mein... Aap... Aap ko breathe karne me problem ho rahi hai master.]
'It's... It's okay Pari... I'm fine...'
[But...]
'Mene kaha na... *Cough* I'm... I'm fine...'
'I will kill him... Mein usse nahi... *Cough* nahi chorrunga... Golu... Mein tumhe bacha ke rahunga...'
Aatish (claps) : Maan na padega... Ki tumne meri umeed se kahi zyaada accha perform kiya. Toh? Taiyaar ho? Agle padaav ke liye? Saamne ek kamra hai. Kamre ke baahar ek laal button hai. Usse dabao... Darwaaza khul jaega.
Ladkhadaate hue Veer bina kuch kahe aage badha aur button dabaayi toh darwaaza khul gaya.
Par...
Andar aate hi usse ek behad hi bhaiyankar darr ki anubhooti hui. Jese maano uski maut aane waali ho. Usse nahi pata tha ki agla padaav uske liye kya kuch laane waala tha. Kya wo waqai Golu ko bacha paega!?
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Don't forget to like.