• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Aj1980

Well-Known Member
3,652
9,384
158
अदभुत , अद्वितीय , अनुपम, शानदार, लाजवाब एवं जबरदस्त अपडेट भाई ।
अपडेट पढ़ने के बाद प्रतिक्रिया देना मुश्किल हो जाता हैं ।
 

RAAZ

Well-Known Member
3,014
7,402
158
SAAJAN

UPDATE*137

Love Story Continues………..

Unicorn ki baate sun kar main gahan chintan me kho gaya….ki bina Trikal ki gufa me pravesh kiye kis tarah se uske maya jaal ka bhedan karu

Kintu jitna hi main sochta utna hi mere dimag ka dahi ban raha tha…..shakti prayog se bhi ye sambhav nahi tha….aur ye bhi ho sakta hai ki isse Trikal ko mere yaha hone ka bhan ho jaye aur vo satark hokar ratna aur minakshi ko koi nuksan na pahucha de

Mai ((mann me)—bada hi shatir khiladi hai Trikal……..uski gufa me kadam nahi rakhna hai aur bina andar gaye is maya ko todna mumkin nahi hai…..ek baar phir se sabhi cheezo ka bariki se addhyan karta hu dhyan laga kar….shayad koi rasta samajh aaye

Ye soch kar main phir se ek baar apni ankhe band karke gufa ke andar ke drishya ka muaayana(avlokan) karne laga…..sab kuch vaisa hi tha jaisa maine kuch der pahle dekha tha kuch der tak main dhyan me rahkar barambar vahi drishya meri ankho ke samne drishtigochar hote rahe

Antah maine kuch soch kar iska pata kshep karne ka faisla kar liya….dhyan se bahar aakar maine maine magic se ek chhota sa kankad lekar gufa ke dwar par pheka ….vo kankad niche girte hi visfot se ud gaya

Agli baar maine magic se titli bana kar gufa ki oor uda di use adrishya roop me….lekin gufa ke andar ghuste hi usme bhi visfot ho gaya…mera ye prayas bhi vyarth ho gaya

Jab maine dekha ki mere dono upay nirarthak ho gaye…pahle maine kadam rakhne wali baat ko parakhne ki koshish ki..uske bekar ho jane par bina jamin me kadam rakhe andar ghusne ka prayas kiya to vah bhi vifal ho gaya

Yani ki gufa ke andar koi bhi drishya athva adrishya shakti ya kuch bhi nahi ja sakta tha.. apne sare prayas nisphal hote dekh akhir me main apni ankhe band karke Maa Mahakali ka dhyan karne laga

Mai (mann me)—hey maa ab aap hi mujhe koi marg dikhaye…is aat tayi ke maya jaal ko todne ke liye……..

Maine unhe mann hi mann pranam kar ab sidhe takkar karne ka hi soch liya……aur mann hi mann kaise karna hai iska bhi vichar kar liya

Madhyanh se adhik ka samay ho chuka tha…..aur raat me Trikal ki maya aur bhi taqatwar ho jayegi…atah mujhe uske pahle hi apne kaam ko anjam dena jyada uchit hoga

Mai—tum mera yahi intazar karna….mai andar ja raha hu

Unicorn—use pata chal jayega dusra andar jane se pahle hi maya me phans jaoge...phir soch lo ek baar aap

Mai—yahi sochte sochte to din dhalne ko aa gaya...kuch hi der me raat bhi ho jayegi phir to khatra aur badh jayega

Unicorn—ha ye to sach hai...to kya karne ka socha hai aapne.... ?

Mai—sidhi takkar lene ka

Unicorn—ye apne pair me khud hi kulhadi maarne jaisa nirnay hai…jab dono hi nahi rahegi to andar jane ka fayda kya hoga

Mai—ye main janta hu…kintu ab mere paas koi aur vikalp shesh nahi hai

Unicorn—theek hai…ishwar aapka manorath safal kare….mai bhi apke sath hi chalunga

Mai—mai apne matlab ke liye tumhari jaan jokhim me nahi daal sakta

Unicorn—mujhe kuch nahi hoga.....

Mai (hairat)—ye tum kaise kah sakte ho…..?

Unicorn—mujhe vo jyada se jyada kaid kar sakta hai….meri shaktiyo ko apne kabu me kar sakta hai apni maya ke jariye kintu mujhe maar nahi sakta

Mai—to phir bacha kya….?

Unicorn—agar aap uski maya todne me kamyab nahi huye aur kisi tarah aap uske paas tak nahi pahuch paye to mai apni raftr se apko vaha se bahar nikal sakta hu…agar khud maya me phansne se bach gaya to

Mai—khair chalo theek hai

Unicorn—ab bataiye apki yojna kya hai….?

Mai—tum mujhe apni adhiktam raftar se andar us shaitan ki murti tak le chalo…aur phir bina ruke hi bahar nikal aao

Unicorn—iska kya matlab…..?

Mai—vo baad me pata chal jayega agar jinda raha to

Maine apne sath layi mahakali maa ki odhani ko unicorn ke upar lapet diya aur use samjha diya ki kya karna hai

Unicorn adrishya hokar bina jamin me pair rakhe apni full speed se andar ki oor chal pada… lekin jaise hi andar pravesh kiya jor se visfot ho gaya

Par tab tak unicorn aage nikal chuka tha…andar ghuste hi lagatar bina ruke vaha visfot hone chalu ho gaye

Koi adrishya shakti hame andar jane se rok rahi thi…..vo hamare upar prahar kar rahi thi kintu chunri se takrate hi uska asar kam ho jata tha

Tab tak ham bahar nikal chuke the….ye sab mushkil se 2-3 seconds me ho gaya….main to bahut jyada ghayal ho chuka tha itne samay me hi…jagah jagah se khoon bah raha tha…har jagah chot ke nishan ho gaye the

Ghayal unicorn bhi hua tha kintu jyada nahi shayad chunri ki vajah se…use jyada chote nahi aayi

Unicorn—hamare andar jane ka kya fayda hua…?..ulta ghayal bhar huye

Mai—hamara kaam ho gaya…ye dekho

Asal me mera maksad andar khadi shaitan ki murti ki gardan todna tha…..unicorn poore veg se anadar gaya aur vaise hi bina ruke vapis aa gaya kyon ki maine use kewal murti tak jakar lout aane ko kaha tha

Unicorn ne vaisa hi kiya...itne me hi maine murti ke paas se gujarte hi uski gardan daboch li.. ab chunki unicorn ki speed bahut tez thi jisse gardan ek jhatke me toot gayi aur mere hath me phans gayi

Abhi main unicorn ko bata hi raha tha ki kisi adrishya shakti ne hame hawa me hi buri tarah se jakad liya…mere hath pair bilkul shithil pad gaye

Aur usne pachaso patkani mujhe vahi patthar me laga diya...ek to main pahle hi ghayal ho chuka tha ab upar se isne aur buri halat kar di patak patak ke

Mai apne hath pair hila tak nahi pa raha tha…..bilkul niskriya ho chuke the vo….unicorn ko bhi shayad kaid kar liya tha us shakti ne

Dard ki vajah se meri ankhe band hoti chali gayi….aur jab ankhe khuli to khud ko ek andheri gumnam jagah par paya…tabhi vaha ek awaz goonjne lagi jo nishchit hi Trikal ki hi thi

Trikal—hahahaha……achcha hua tum aa gaye saajan…..mujhe tumhara hi intazar tha….ye dono ladkiya to sirf ek chara thi tumhe yaha tak lane ke liye…ab tum aa gaye ho to mujhe inki jarurat nahi rahi ab…..inhe mout nahi….nahi….inki bali dunga ab…hahahaha

Mai (jor se)—Trikaaallllllll……himmat hai to mujhse muqabla kar kayar

Trikal—chillao aur chillao……hahaha….ab tum yahi pade pade sad jaoge….lekin bina shaktiyo ke kyon ki ab vo meri ho jayengi….

Mai—trikaalll…..un dono ko chhod do……jo karna hai mere sath karo

Trikal—chhod du…..achcha chal teri baat maan li....chhod dunga inko main lekin tujhe mera ek kaam karna hoga

Mai—kaisa kaam…..?

Trikal—mujhe neel mani de de aur Pari ko yaha bula...bas....iske baad mai dono ko chhod dunga

Mai—neel mani tere kisi kaam ki nahi hai trikal

Trikal—mujhe neel mani ki shaktiya nahi chahiye….mere paas vaise hi teri neel mani se kayi guna jyada shaktiya hai

Mai—phir uska karega kya.... ?

Trikal—uski madad se mai Pari ko kabu me karunga

Mai—hahaha.....pari ko kabu me karna tere bas me nahi hai trikal

Trikal—murkh mai trikal hu trikal….ab tu yahi rah ke sidha prasaran dekh ki kaise shaitan teri dono premikao ke sath sambhog karta hai.....aur phir uske baad dono ki bali...hahahaha

Mai—mai tujhe jinda nahi chhodunga trikal

Trikal—tu yaha se nikal hi nahi sakta.......ye trikal ka maya jaal hai....tujhe to ye bhi pata nahi chalega ki vo dono hain kaha aur tera vo unicorn bhi meri kaid me hai...ab mai uska swami banuga..hahahaha

Trikal ke jate hi maine neel mani ka dhyan karne laga.....jisse meri chot sahi ho gayi aur hath pair bhi theek ho gaye

Maine is baar dhyan me ratna aur minakshi ko dekha jinhe usi gufa ke andar rassi se badh kar rakha gaya tha....

Trikal vahi par baitha hawan kar raha tha....lekin ye jagah gufa ke bahut andar thi...maine apne apko yaha se mukt karne ka upay sochne laga

Lekin tabhi jaise mujhe kuch yaad aaya to maine phir se dhyan me jakar trikal ke paas me rakhi shaitan ke ek murti ko ek tak focus karne laga

Kuch hi der me usme aag lag gayi aur vo murti ek bhayankar bisfot ke sath ud gayi....udhar ye kar trikal buri tarah se tilmila gaya....

Aur idhar trikal ki mere upar ki gayi vidhya nasht ho gayi...mai teleport hokar teurant uske paas pahuch gaya

Is bisfot se ratna aur minakshi ke upar ki sammohan vidhya bhi khatam ho gayi aur dono hosh me aa gayi...mujhe dekhte hi dono ki rulayi phoot padi

Ratna—agyant hame yaha se bachao

Minakshi (rote huye)—ye dushta hamare sath galat karna chahta hai....hame bacha lo

Mai—main aa gaya hu ab…unicornnn

Tabhi unicorn samne aa gaya......

Mai—in dono to yatha shighra yaha se bahar le jao

Unicorn—aap bhi chalo

Mai—jitna kaha hai utna karo bas

Unicorn—theek hai

Mai—tum dono is par baith kar bahar nikal jao yaha se

Ratna—nahi mai tumhe chhod kar nahi jaungi

Tab tak trikal bhi is sadme se ubar chuka tha....jab usne dekha ki sabhi vidhyaye nakam ho gayi to vo aur bhi baukhala gaya

Trikal—ab koi jinda nahi bachega....tujhe kya laga..saajan...ki tu murti tod kar mujhse jeet jayega...mai uske bina bhi shaktishali hu...ab dekh tu meri maya

Trikal kuch mantra padhne laga.....ye dekh maine uske upar chhalang laga kar use utha ke deewar par de mara…jisse uska dhyan bhang ho gaya aur vo gusse me badbadane laga

Trikal—aaaaaa....main tujhe jinda nahi chhodunga saajan

Mai—unicorn in dono ko behosh karke le jao yaha se

Unicorn dono ko jabardasti vaha se le jane laga....ratna ja hi nahi rahi thi...dono ko achet karke unicorn vaha se bahar nikal le gaya

Itna waqt kafi tha trikal ko mantra padhne ke liye jitna samay maine unicorn se bate karne me lagaya....mai jaise hi uski oor muda phir se kisi adrishya shakti ne mujhe kas ke jakad liya

Mujhe is deewar se us deewar me patakne laga.....ye itna achanak hua ki mujhe sambhalne ka mouka hi nahi mila....mujhe tab tak patakta raha jab tak ki main achet nahi ho gaya

Trikal—hahahaha....mujhse takrane chala hai.....mai trikal hu trikal...ab sabse pahle teri hi bali dunga main......tere marte hi ye sab mere kabu me hogi...koun bachayega inhe mujhse tere baad....hahahaha

Trikal—ab main teri bali dekar neel mani hasil karunga aur phir pari meri mutthi me hogi.. dono ki shaktiya meri ho jayegi...hahahaha...main is srasti ka sabse taqatwar shakhs ban jaunga

Ye kah kar trikal phir se baith kar hawan karne laga…..jaise jaise uska mantrochcharan tez ho raha tha vaise vaise main chetna heen hota ja raha tha…meri saanso ne ukhadna chalu kar diya tha…….

Udhar divya raat me apne kamre me bhagwan ki murti ke samne deepak jala kar baithi thi aur subah hone ka intazar kar rahi thi

Tabhi vo deepak ki roshni kam hone lagi aur vo bujhne ki kagar par pahuch gaya…ye dekh kar divya ghabra gayi…..uska mann saajan ke sath kisi anhoni ki ashanka se ghir gaya

Usne bhag kar turant us deepak ke charo oor apne hatho ka ghera bana diya…..uski ankho se anshu tapakne lage..saajan ke bare me soch soch kar aur uske hath deepak ki aag ki lapat se jhulasne lage

Lekin use is sab ki koi parwah nahi thi….use fikar thi to kewal ye ki ye asha ka deepak bujhna nahi chahiye chahe jo ho jaye…lekin us deepak ki roshni kabhi tez hoti to kabhi bujhne jaisi ho jati

Divya ka dil bahut jyada vichlit hone laga….uski bechaini jab had se gujarne lagi to usne deepak ko dono hatho ke ghere se poori tarah se dhak liya jisse hawa ki ek lahar bhi us tak na pahuch sake…aur vo ishwar se prathna karne lagi mann hi mann

Divya (mann me)—hey bhagwan ji hamare saajan ki raksha karo….jarur vo kisi musibat me phans gaya hai….mere pyar ka itna kada imtihan mat lo bhagwan….use agar kuch ho gaya to is srasti se pyar jaise shabd ka koi arth hi nahi rah jayega….pyar shabd kewal ek uphas ban kar rah jayega bhagwan..mere saajan ko bacha lo

Deepak ki lau me hawa na lagne se vo joro se jalne laga jisse tapish ne divya ke komalang hatho ko buri tarah se jhulsa diya…vo apne saajan ki raksha ke liye ye dard bardast karti rahi jab tak kar saki …akhir me chetna shunya hokar vahi ludhak gayi

Kintu ab uski asha ka vo deepak tez roshni se jhilmila utha tha…..idhar trikal ka mantrochcharan jaise hi apne charam par pahucha mere achetan sharir me phir se chetna lout aayi…aur maine jor se chillate huye ankhe khol di

Mai (chillate huye)—divyaaaaaaaaa

Trikal ka mantra jaap khatam hote hi jaise vo antim aahuti dalne ja raha tha agnikund me maine gusse me vahi se lete huye hi ghum kar ek laat uske muh par jor se mari jisse vo piche ki taraf ludhak gaya

Antim ahuti na dal pane se uski kriya khandit ho gayi thi…..usne gusse me uthne ka prayas kiya to maine phir se use pakad ke koi mouka diye bina kutte ki tarah dhone laga

Vo jaise hi koi mantra padhne ke liye muh kholta to mai ek mukka uske muh me jad deta… mai uske sath tab tak yahi karta raha jab tak ki vo lahu luhan hokar behosh nahi ho gaya

Uske behosh hote hi maine use maarne ke liye gusse me bali dene wali paas me rakhi talwar utha li aur jaise hi uski gardan par vaar karne ke liye hath upar uthaye…to ussi samay kisi ki awaz ne mujhe aisa karne se rok diya

"Ruk jao….agyant….tum use nahi maar sakte….."

Maine piche palat kar dekha to mere samne vahi sadhu khade the jaisa ki maharaj ne bataya tha unke bare me

Mai (gusse me)—kyo nahi maar sakta…? Iske jaise logo ko jinda rahne ka koi adhikar nahi hai

Sadhu—agar tum use maar doge to uske andar ki sari kali shaktiya tumhare andar sama jayengi aur phir tum bhi uske jaise hi ban jaoge kyon ki vo tumhe poori tarah se apne vash me kar legi...jinki tadad bahut jyada hai

Mai—to kya is papi ko aise hi chhod du jisse ye nirdosh logo par atyachar karta phire...kya aap ye kahna chahte hain ki in shaktiyo ke karan ye amar hai

Sadhu—mrityudand ke alawa koi bhi saza de sakte ho tum ise.....is bramhand me rog ka ilaz hai kintu maut ka nahi....kisi ke paas chahe anginat shaktiya kyo na ho jaye lekin aisi kisi shakti me dum nahi ki vo kisi ki maut ko rok de akhir.... maut se bhi bhala koi bacha hai aaj tak

Sadhu baba ke jate hi maine use trikal ka ek hath, ek pair, ek kaan aur ek ankh nikal kar uske sharir se alag kar diya ....aur in sabko usi hawan kund ki aag me jala diya jisse phir se in ango par uski maya kaam na kar sake

Use dard me vahi chhat patata chhod kar main vaha se bahar nikalne se pahle durjan singh ko bhi utha kar usi hawan kund me fek diya aur bahar aa gaya

Bahar aate hi maine unicorn ko yaad kiya vo turant mere samne aa gaya...subah bhi hone hi wali thi

Mai—ratna aur minakshi kaha hain

Unicorn—apne shayan kaksh me so rahi hain dono

Mai—chalo achcha hua…ab hum chale

Mai unicorn ke sath vaha se nikal gaya....vahi subah jab divya ki behoshi dur huyi to usne hadbadakar uthate huye deepak ki oor dekha

Deepak me ghee poora khatam ho chuka tha lekin phir bhi vo apni poori lau me jal raha tha kadachit ye uske sachche prem ke hi karan bhagwan ne uski vinti ko aswikar nahi kar paye aur uske is pavitra prem ke asha ke deepak ko ghee khatam ho jane ke baad bhi bujhne nahi diya ...

Sambhavtah Divya ke is anuthe prem ke phalswaroop agyant sahi salamat mout ke muh se vapis ghar lout aaya

Udhar subah jab Ratna aur minakshi ki need khuli to………..

6th Janam ki Love Story ka antim bhag kal

Chandni, Mitali ke sath uske bed par gahri need me soyi huyi….use is baat ki koi bhanak tak nahi thi ki use marne ke liye uday ne kisi ko supari di hai

Ruchi hamesha ki tarah aaj bhi raj ki tasveer ko apne sine se lagaye so rahi thi parantu aaj uske chehre par gum ke badal nahi the apitu ek khushnuma ehsaas jhalak raha tha ruchi ke chehre par

Mai hospital me maa ke sath lete huye gahre dukh ke sagar me dubkiya laga raha tha…mujhe abhi bhi Paridhi didi ki mout ka yakin nahi ho raha tha

Mai (mann me)—ye achanak kaise ho gaya….aaj tak unki bimari ki bhanak kisi ko kyo nahi lagi ya phir isme bhi koi raaz hai jisse sabhi anbhigya hain….mujhe iski tah tak jana hoga…bhala aisa kaise ho sakta hai….ki mujhe tak abhas nahi hua…kal divya ke hosh me aane ke baad unki mout ki tahqiqat main swayam karunga

Dusri taraf sandhya aur chanchal do alag alag sapno ki duniya me sair kar rahi thi…un dono ke sapno me dikhayi dene wale vision apas me bilkul different the

Chanchal—maine raj se apne prem ka izhar kar diya hai aaj….aur use ye bhi jata diya hai ki mai uski biwi ban chuki hu……ye faisla bhagwan ne kiya hai…..ya ye meri saza hai mujhe apne hi bhai ki biwi banakar mili hai….raj jab itna sundar hai to ham dono ke bachche kitne cute honge…..mujhe to abhi se romanch ho raha hai….apne bachcho ke bare me soch kar…par kya raj mujhe apni biwi swikar karega….? Mera kya rishta hoga baki ghar walo se…?

Chanchal—raj mujhe apni biwi kah ke sabse introduce karayega ki bahan …?..par jo bhi ho pyar to mai raj se ye janne ke pahle hi karne lagi thi ki vo mera bhai hai aur biwi bhi to pahle hi bhagwan ne khud hi mujhe bana diya hai uski…chahe jo bhi ho mai use apna pati hi manungi sabke samne bhi…I Love you..raj

Sandhya—tu ek baar phir se bach ke lout aaya….magar kab tak bachta rahega….main apni barbadi ko yu hi nahi bhul sakti ..saajan…tujhe to marna hi hoga….mai apne har apman ka badla tujhse lungi….jo bhi mere raste me ayega use bhi marna hoga….ha marna hoga use bhi divya….tune mujhse mera pyar mera saajan chhenkar theek nahi kiya….ek baar phir se tu mera pyar chhenne aa gayi….magar ab aisa nahi hoga…saajan ko main tujhse chhen lungi hamesha ke liye….maar dungi use….

Dusri taraf vo sabhi ghar ke paas pahuch kar kuch duri par khade ho gaye aur andar jane ka marg talashne lage..

Unme se kuch log ghar ke bahar charo taraf aise phail kar chhup ke baith gaye jisse kisi ki nazaro me na aaye aur kuch piche pipe ke raste upar jane lage mitali ke room me

Magar tabhi kisi ne unhe vaha se niche pakad ke khich liya jisse vo upar wala admi dhadam se niche gira jise fauran uske sathi uska muh band karke vaha se khich le gaye

Thodi der me upar chadh rahe admi ne apne se niche wale ke muh par par laat maar ke niche gira diya …vo admi apne sath teen aur logo ke sahit niche gira …unko bhi vo log utha le gaye vaha se

Iske baad vo admi pipe ke sahare niche utar aaya….aur phir unke paas chala gaya….unke head ne us admi ke sar par revolver laga di

TL (team leader)—koun hai tu….?..tu hamara admi nahi hai

"Tum log koun ho....aur yaha kya kae rahe ho.... ?".. us admi ne kaha

TL—sawal nahi…..jo pucha hai uska jawab de sidhi tarah…..

"Veer"......itna parichay kafi hai na.....us admi ne kaha

TL—khatam kar do ise bhi…aur baki log jao pakad lao us ladki ko bhi

Usne abhi itna hi bola tha ki veer ne ek kick ghum kar uski chhati me mar kar use niche gira diya…ye dekh baki admi uski taraf badhe lekin usne hath ke ishare se piche rahne ko kaha

TL—achcha fight bhi janta hai…chal aaja teri haddi todta hu

Usne veer ko ke upar reverse kick lagayi lekin veer ne use apne pair se block kar ke dusre pair se ghumkar uske muh me laat ghuma di

Unke head ke muh se khoon aane laga……usne baki logo ko maarne ke liye bol diya…ab veer ka formula bhi active ho chuka tha

Karib 10 logo ne veer ko gher liya…..aur uske upar kick ki barsat karne lage…lekin veer me formula active hone se tezi aa gayi thi..jiska istemal karte huye vo sabhi ke vaar block karta raha…jab vo thakne lage to usne ek ek kick se unko dharashayi kar diya

Is baar sabne apni ninja talwar bahar nikal kar ek sath veer par toot pade….kintu unka ek bhi vaar veer ko chhu tak nahi pa raha tha

Veer apni tezi se lagatar khud ko unke vaar se bacha raha tha.....kaam me deri hote dekh unke leader ne fire karne ka order de diya

Order milte hi sabne apni revolver veer ki taraf taan di…..vo us par fire karte iske pahle hi vaha par kisi ki parchhayi dekh kar chounk gaye

Abhi vo kuch samajh bhi nahi paye the dhang se ki us parchhayi ne ek sath unke 20 ninja fighters ko nigal kar kha liya

Ye dekhte hi sabke mann me khauf evam dahsat ki lahar doud gayi….turant sabhi apni jaan bachane ke liye idhar udhar bhag kar chhupne ki koshish karne lage

Ek ninja (shocked)—ye kyaaaa haiiiii….?

TL(dahsat me)—mujhe bhi nahi malum……? bhago ye pata nahi kya bala hai…..?..agar hum thodi der yaha ruke to ye hum sabko kha jayega….bhago jitna tez bhag sakte ho sab

Us parchhayi ko dekh kar veer bhi chounk gaya….jo dekhne mebilkul sher ki lag rahi thi

Veer (mann me)—ye to kisi sher ki parchhayi lag rahi hai….lekin sher itna bada nahi ho sakta….ye parchhayi to hazar hathi ke barabar hai…..kiski parchhayi hai ye…..? jo sabko kha rahi hai ek sath 20 admi……?

Veer bhi uske bare me janne ke liye ek ped ke piche chhup gaya…..lekin us parchhayi ne sabhi bhag rahe logo ko nigal liya kewal kuch hi samay me…unki team me koi bhi nahi bacha

Veer pasine pasine hokar gast khakar vahi gir gaya…..agar vaha veer ke siwa kuch bacha tha to sirf un sabke khoon se nirmit ye shabd…..

"Mout Se Bhi Bhala Koi Bacha Hai Aaj Tak"

( Current Update Size : 3887 Words )
Dhasu maza aa gaya bhai. Chanchal and sandhaya dono pari ka nafrat wale roop ka praturoop thaa magar ab chanchal to pyaar wale roop me tabdeel ho rahi hain. Aur pari ki mukti band ho gayi thee co us ne sandhya ke madhayam se jaldi raj pe hamla kar diya thaa. Jaisay uske baap ki atma ne usay bataya to ab sandhaya kaisay akarmak ho rahi hain.
Idhar trikaal ko to uski karni ki saza de di magar ab pratigya kya karti hai. Raj ke sath aur pari ke kaun kaun se roop hai. Lagta hain unicorn ne is janam me Veer ka roop lia hain. Shair ki shadow ka bhi ghera rahasaya hain aur wo dharti grah par bhi aa gaya hain.
 

Rohan008

Active Member
883
2,603
158
Awesome Extraordinary update but very disappointing too
Pratigya ka vision sahi time par end ho jane se vo kuch nahi kar payi
Agyant aur divya ki shayari;s bilkul heart touching hain
Excellent shayari's of both of them
But iske baad kya...japan ki bullet train bhi itni fast nahi chalti jitni fast aapne update badhaya
Aapne short me sab bate behad superb writing skill ke sath dikhayi hain
But sach kahti hu mai to bahut jyada disappoint huyi hu is end se
Mujhe is tarah ek marvelous story ke aise speed me end hone ki bilkul bhi expectation nahi thi
vaise bhi present aur past dono hi sath sath jis tarah se aap badi hi khubsurti se lekar chal rahe the uski jitni bhi tarif karu kam hogi
Story me (6th janam) ki abhi itne sare shocking bate samne aayi lekin unki koi detail nahi hai
Kam se kam yaha aapne 100 updates ki kahani cut ki hai
Mujhe lagta hai ki kuch readers ke pressure me aapne aisa kiya hai
Mujhe to kahi bhi boring nahi lagi ..na present aur na hi past
Agar story 6th janam ki short karni thi to 50 update kam karte...50 ke to dete phir bhi..usme adjustment ho jata
Ratna, vaishali, minakshi ke pyar ki koi feelings mahsus nahi huyi padhne me
It's not a negative comment......it's my hearts feelings..jo mujhe ye last update read karne ke baad feel hua
I request u dear,pls ise full detailed complete karo...bhale hi other site par karo jaisa aapne bola tha karne ko
Ye apki writing skill ka jadu hai ki sanyog se mai is story ke sath sath apki har story ki fan ban gayi
Otherwise mai adult sites par kabhi visit bhi nahi karti
Agar meri kisi baat se bura laga ho to i'm really sorry
Completely Agree
Bas inhe ratna ka feel nhi hua
Mujhe ratna ka to hua bt
Aapne pratigya meenakshi vashali ko bilkul formality mein nipataya h
Please use complete kijiye
Anyway fab story
KEEP rocking :)
 

RAAZ

Well-Known Member
3,014
7,402
158
UPDATE*139

Love Story Continues………

Divya ko agyant ke sath dekh kar Pratigya kroadh me aur nafrat me jalne lagi……us samay vo apne purva janam ke vision ke ghere me thi….is drishya ne uski nafrat ko badhane me aag me ghee ka kaam kiya

Usne turant apne hath aage kiya jisse uske hath me ek trishul aa gaya…..Pratigya (Pari) ne jaise hi agyant ko maarne ke liye Trishul upar uthaya usi kshan vision ki avadhi samapt ho gayi

Avadhi samapt hote hi vo Trishul uske hatho se gayab ho gaya……pratigya apni vastavik duniya me lout aayi…apne aap ko dhikkarne lagi ki vo abhi kya anarth karne ja rahi thi…

Vo chup chap kamare se bahar nikal gayi…..thodi der baad Ratna aur baki sabhi kamre me pahuch gaye…jisse un dono ki prem krida me avrodh aa gaya aur dono prithak prithak ho gaye

Ratna—bas bas maine bate karne ke liye andar bheja tha….chipka chipki khelne ke liye nahi

Divya sharma kar turant agyant ke niche se nikal kar bistar se utar ke khadi huyi…kintu is dauran uske hatho ki taraf agyant ki nazar chali gayi

Usne turant uski baanh pakad ke khich liya aur uske dono hatho ko dekhne laga….use samajhte der na lagi ki uske komal hatho ki aisi halat kyo huyi hai

Agyant ki ankhe nam ho gayi….usne fauran bistar se niche utar divya ke samne apne ghutno ke bal baith kar sar jhuka liya

Agyant—tumne aisa kyo kiya..divya…?..mai tumhare prem aur samarpan ke aage khud ko bahut chhota mahsus karta hu….meri zindagi bachane ke liye tum kitna kashta sahti ho…mere hi karan jin hatho me mehndi honi chahiye aaj un hatho me fafole aa gaye hain

Divya (samne baith kar)—tumse kisne kah diya ki maine tumhari jaan bachane ke liye aisa kiya hai…?..ye sab to maine apni jaan bachane ke liye kiya hai…kyon ki meri jaan to tum ho agyant agar tumhe kuch ho jata to meri jaan to vaise hi chali jati

Agyant—mai aaj yaha tumhare prem ke karan hi jinda baitha hu….tumhara pyar mere liye kisi sanjivani se kam nahi hai….

Akele khwab bas tere, hame har pal satate hain
Tabhi hum haal-e-dil, aye sanam tumko sunate hain


Har insan ke sine me, chhupi kuch baate hain dekho
Magar hum raaz koi apna, na tumse chhupate hain


Yaad kar vo shama, jab hum teri baho me aa simte
Mohabbat ka vo hasin pal, kabhi hum na bhulate hain


Mahakte phool, is bagh-e-wafa me aa bikhare
Teri yadon ki daali, hum yaha jab bhi hilate hain


Jab bhi mouka mila divya, tune bas prem hi baanta
Tabhi hum pyar me tere, ye lo apna sar jhukate hain


Divya—lekin meri sanjivani to tum ho saajan….uthate baithte,sote jagte, yaha tak ki khane aur pine wali cheezo me bhi mujhe sirf tum hi tum nazar aate ho….meri to subah bhi tum ho aur shaam bhi tum

Mohabbat kisko kahte hain, Mujhe tune sikhaya hai
Chali hu jis path pe main, Bana tu mera saya hai


Chot jab bhi lagi dil pe, Safar me jindagani ke
Apni baato ke marham se, Tune mujhko hasaya hai


Khushamad vo tera karna, Aur ye tarif ke nagme
Teri in koshisho ne hi, Mujhe khud se milaya hai


Tu mere paas ho na ho, Magar tujhse main kahti hu
Meri in dhadkano me bas, Naam ek tera samaya hai


Tujhe mujhse juda karna to, Ab mumkin nahi hoga
Teri khushbu ko Saajan, Saanso me maine basaya hai

Maine ek baar phir se divya ko apni baho me bhar liya…..dil ko aisa sukun mila jise bata pana bahut mushkil hai

Ratna—ye lo ye to phir chipak gayi…..rajkumari ji hum bhi intazar me kab se khade hain…ab hamari bhi bari aane do

Ratna ki baate sunkar divya agyant se alag ho gayi aur sharam se apna sar jhuka liya…uske baad sabhi ne agyant se milkar uski kushal kshem puchi

Vaishali aur minakshi ne bhi apne apne prem ka izhar dabi juban se kar diya…agyant ne neel mani ki power se divya ke hatho ko theek kar diya

Magar in sab se alag halat pratigya ki thi…..use apne mann me ye darr baith gaya ki agyant in rajkumariyo ke hote huye uske prem ko is baar phir se thukra dega

Maharani ne bhi agyant se mulaqat karke uska abhar vyakt kiya….guruji bhi usse milne aaye unhone bhi agyant ki bahut prashansa ki

Mela ka karyakram nirvighna roop se akhir kar sampann ho gaya…..jaha ek oor is ghatna se poori praja ne agyant ko apne dilo me basa liya…to vahi rajkumar sushant irshya aur nafrat ki aag me jalne laga

Uski is nafrat ki aag ko bhadkane me kuch chaploos lalchi mantri barabar uski aag me ghee dalte rahte the

Vahi dusri oor Trikal ko jab hosh aaya to vo dard se tadapne laga……Prachandasur ne jab trikal ki aisi halat dekhi aur sath me neel mani hath se nikal jane se vo gusse aur badle ki aag me jalne laga

Usne apni sena sahit akraman kar diya …is yuddh me sushant ne khul kar p’asur ka sath diya magar agyant ke hatho use buri tarah parajit hokar jaan bacha ke bhagna pada

Idhar agyant aur divya ka prem dino din parwan chadhne laga…..dur dur tak dono ke prem ke charche hone lage….premi yugal jodo ne to saajan aur divya ke prem ki kasme tak khani shuru kar di thi

Ratna hamesha agyant ke samne har musibat me uski dhal banke khadi ho jati thi…na use lok laaj ki chinta thi…na kisi maan maryada ki……usne apni jindagi ka ek hi lakshya chun liya tha…kewal saajan ko pyar karna..uski yado me khoyi rahna aur har musibat se use mahfooj rakhna

Ratna ki agyant (saajan) ke prati ye deewangi dino din is kadar badhi ki log use prem deewani, pagal ..jane kya kya naam se pukarne lage

Vaishali aur minakshi ne bhi apna izhar-e-ishq kar diya tha aur agyant ne use swikar bhi kar liya tha..

Dusri taraf apni haar aur apmaan ki aag me jalte huye Trikal ne phir se ghor sadhna karni shuru kar di…

Is dauran agyant kayi anoothe aur tilismi adventures par gaya aur kayi adbhut shaktiya arjit ki jaha use Parilok, Patal lok, Naag lok, jinn lok etc..ka maharaj bana..vaha ke dushmano ko hara kar…logo ke dil jeet kar

In loko ki rajkumariya bhi agyant ko apna dil de baithi….agyant ki mulaqat vidhi se uske baad nahi ho payi…uska kahi pata nahi chala ki uske sath kya hua…?

Aise hi din mahine me aur mahine saal me gujarne lage....pratigya ne kayi baar agyant ko maarne ki koshish ki lekin kabhi divya ka payar samne aa jata to kabhi ratna dhal ban jati ab to isme vaishali aur minakshi ke pyar ke sath sath kayi aur logo ka pyar shamil ho chuka tha

Idhar din par din pari ki nafrat pratigya ke sar chadh ke bolne lagi to dusri oor Trikal ki ghor sadhna chalti rahi….isi dauran agyant ke sharirik sambandh ratna se ban gaye….neel mani ke prabhav se ratna ko is sambandh ke phalswaroop chiryouvana hone ka prasad mil gaya

Agyant ke jeevan me tabhi ek toofan aaya jisne sab kuch ulat palat kar diya….aur vo thi uske janam se judi sachchayi ….

Jab use malum hua ki vo jise prem karta hai vo divya aur ratna uski sagi bahne hain..to is sachchayi ke samne aate hi raj pariwar uske khilaf ho gaya…aur jise vo apna putra samajhte the vo sushant unke anuj putra ki aulad hai

Jise ek kshadyantra ke jariye agyant ki jagah par pratisthapit kar diya gaya tha…sanyog se pratigya sushant ki bahan nikli

Kintu yah sachchayi mahal ki char deewari me hi dafan hokar rah gayi….lekin saajan aur divya ke prem par iska koi asar nahi hua….vo usi tarah anvarat apni prem abha chahu oor bikherta raha

Udhar Trikal ki sadhna poori hote hi usne apna purva roop phir se pa liya aur sath me pahle se bhi adhik shaktishali bhi ho gaya

Trikal ne aisi mayavi maya rachi ki sab ki jeevan dor usme uljh kar rah gayi….kya sach hai aur kya jhuth farak karna dushkar ho gaya

Is mouke ka fayda utha kar sushant ne P’asur ke sath milkar maharaj aur maharani ki hatya kar di……isse agyant behad akroshit ho gaya aur usne gusse me sushant aur uske pita ko maar diya

Ussi samay pratigya vaha aa gayi aur usne agyant ko apne mata pita ke kaksh se gusse me nikalte dekha sath me uske hath me rakt ranjit talwar bhi

Vo bhagkar andar kamre me gayi to vaha apne mata pita aur bhai ki lash dekh kar apna aapa kho baithi….aur yahi pari ki nafrat apni parakashtha ki had paar kar gayi

Uss din amavas ki kali raat thi...charo oor ghan ghor andhakar pasra hua tha…agyant aur divya us samay mahal se bahar the..ratna mahal me hi thi

Kisi kaam se dono bahar gaye the..aane me vilamb ho gaya tha…achanak marg me kisi adrishya shakti ne unka rasta rok diya…..

Agyant ne bahut prayatna kiye kintu ek pag bhi aage badhne me nakam raha…tabhi kisi ne uske sine me talwar ghused di….is andhere ka fayda utha kar

Agyant ki dard bhari karah sun kar divya ghabra gayi….usne turant use thaam liya apni baho me magar vo shakhs itne me hi nahi ruka usne apni talwar ka vo vaar phir se agyant par kar diya aur jor jor se hasne laga

Divya (rote ghabrate huye)—saajannnnnnnn……kya hua tumhe…..koun hai…..kyo ye duniya hame jine nahi deti,…akhir kya kasoor hai hamara…?…mai tumhe..k..u..ch nahi hone dungi…saajann

Shakhs—hahahaha…..saajannnnnnnnn…….hahaha……..

Divya ne is awaz ko pahchanne me koi galti nahi ki…

Divya (dukh aur shock me)—tummmmmmmm

Shakhs—hahaha….ha..mai….kuch…yaad aaya….divya…..maine kya kaha tha..tujhse….hahaha

Divya ne rote huye vo talwar agyant ke sine se nikal kar gusse me us shakhs ki gardan ek jhatke mu alag kar di…aur phir se agyant se lipat kar rone lagi

Divya (rote huye)—utho saajan…utho….tum is baar mujhe chhod kar nahi ja sakte….mai tumhe kuch nahi hone dungi….koi to bachaooooo….koi haiiiiii…….bhagwan mere saajannn ko bacha lo

Agyant (nam ankho se)—di..v…yaa…..mu…jh…e….maa..f……karnaa….mai….tumharaa……sath…nahi…. nibha..paya….

Divya (rote huye)—nahi..tumhe kuch nahi hoga…..mai tumhe kuch nahi hone dungi….koi meri pukar kyo nahi sun raha….koi to bacha lo mere saajan ko…..uske alawa mera koi nahi hai…

Agyant—divyaaa…..di…v..y……..

Aur iske sath hi agyant ne dum tod tod diya......agyant ke dum todte hi divya ne ek baar jor se saajan kah ke pukara aur phir vo bhi apne saajan ke upar nispran hokar gir gayi

Udhar divya aur agyant ki mout ne ratna ko buri tarah se tod diya.....P’asur ne raj mahal me aag laga di.....Minakshi aur vaishali us aag ki bhent chadh gayi jabki ratna ko bandi bana liya gaya

Agyant ne neel mani ka raaz us din subah hi ratna ko bata kar use ek jimmedari de gaya tha shayad agyant ko aaj hone wali ghatna ka abhas ho chuka tha pahle se hi

Do pyar karne wale ek baar phir se is jalim duniya ki bhet chadh gaye...lekin markar bhi unka prem amar ho gaya hamesha ke liye

Vahi dur baitha sadhu maharaj aaj bahut shant aur udas tha...

Sadhu—tum dhanya ho saajan aur dhanya hai divya ka saajan prem......tum dono ke is nishchal prem ko mera pranam hai....... koi kitna bhi shaktishali kyo na ho jaye..........parantu asli satya to yahi hai.....

‘’Mout Se Bhi Bhala Koi Bacha Hai Aaj Tak’’

End of 6th Janam Love Story

Boss likhnay ko words nahi mil rahay lekin zabardast story hain boss. Aur yah update thoda fast thee lekin bohat emotional. Is update ko thoda slow kar saktey thay aap otherwise aapki story ki pace bilkul zabardast chal rahi hain. Na zada slow aur na hi zada fast.
 

Abhi

Active Member
775
1,320
138
Super update
Pratigya ko sahi samay par uska vision band ho gaya.
Ratna or divya agyant ke bhai bahan nikle.
Sushant uske chacha ka putr nikla.
Or pratigya uski bahn
Trikal ne tapashya krke apna sharir wapas pa liya or jyada shakitya ekatrit kr liya.
Usne agyant ke liye nya mahakaal racha.
Sushant ne agaynt ke maa baap ko mar dala
Pratigya ne agyant ko apne maa baap or bhai ko marte dekh liya.
Pratigya neAgaynt ko markar apne maa baap or bhai ka badla le liya.
Divya ne pratigya ko markar vo bhi sajjan ke sath mar gayi.
Agaynt ko apni mout ka andesha ho gaya tha
Isliye usne neel mani ki shakti ka raaj ratna ko bata diya.
Agaynt ki mout ke baad p asur ne mahal par dhava bol diya.
Jisme minakshi or vaishali ko aag lagne se mout ho gayi.or usne ratna ko kaid kar liya.
6th janm ki love story khtam krne apne bahut jaldi kar diya.
 

luv4sale696969

Active Member
1,303
1,674
158
The last update was quite fast paced...
The mystery of the killer however remains...
Hope this will be revealed in some future updates...
Keep writing and keep rocking...

Shekhar....
 
Status
Not open for further replies.
Top