• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

Who are your two favorite male characters in this story?

  • Total voters
    318

Dragon.

Active Member
1,483
1,233
143
UPDATE 27 ~
(EXCEEDING HORIZONS)

“Kia matlab ke khud ko tumhe saunp du?”

Aarav samjh paa raha tha ke Alpha ka kia matlab hai, Uss ki awaaz me ek akhir aas ke Alpha ka wo matlab na ho jo wo samajh raha hai.

Alpha: Khud ko mujhe saunp do! Main jo shuru me karna chahta tha wo mujhe ab karne do, Apni haar sveekaar ker lo aur apna shareer mujhe de do.

Dono ke beech khamooshi chaa gayi, Alpha ko apna shareer saunpane ka dusa matlab Aarav ki moat thi, Khud ko saunpane ke baad Aarav apne shareer se control kho dene wala tha.

Aarav: Abhi to zindagi me sab acha hona shuru huwa tha......! *Sob* Abhi to Urvi ka Cancer khatam hote daikhna hai, Abhi to mujhe Urvi ke liye kamana hai, Usse ek doctor banana hai, Aur......aur Vanshika ke saath aur waqt beetana tha.

Aarav apni muthi bheenchne laga, Uss ki zindagi to abhi shuru huwi thi, Lekin ab usse apni zindagi aur apne saathiyo ki zindagi me se kisi chunana tha.

Alpha: Sabhi ke paas kuch na kuch karne ke liye hota hai!

Aarav: Do it!

Aarav ne dheeme awaz me sar jhukaye kaha, Alpha uss ki Awaz me jhalak rahi bebasi ko mehsoos ker sakta tha, Lekin Aarav ne apna sar utha ker saamne daikha to uss ke chehre per ek pheeki muskurahat thi.

Aarav: Ek baar tum ne mujh per vishwas ker ke mujhe apne saathiyo ki zimedari di thi! Ab meri baari hai tum per vishwas karne ki, Tumhe sab ko yahan se sahi salamat waapis le jana ho ga, Aur meri behan ki raksha karni ho gi.

Aarav ki awaaz kamzoor thi lekin uss ka faisla kamzoor nahi lag raha tha, Aarav ka Vishwas daikh Alpha bhi chaunk gaya ke kaise ek insaan kisi per itna vishwas ker sakta hai, Ek baar khud aisi situation se guzarne ke baad wo samajh chuka tha ke ye kitna mushkil hota hai.

Alpha: Sach me tum ek anokhe insaan ho!

****

Darkvale Forest
37 Hours 22 Minutes Remaining

Ezra Achanak huwe uss Attack se ubharte huwe khari huwi, Uss ke saamne Aarav khara tha, Ezra ki nazre Aarav ki chaati per gayi to wahan koi ghav nahi tha, Aarav ki Neeli se Lal me badalti Aankhe aur baahir behta Aura sab Ezra ko ajeeb lag raha tha.

Aarav ke khare hone ka andaz uss ki Nazre sab kuch badal chuka tha uss ek pal me, Ezra ye samajh chuki thi ke uss ke saamne khara Vyakti Aarav nahi hai.

Ezra: Wo itni jaldi haar maan le ga mujhe iss ki umeed nahi thi! To tum ho asli Alpha, Jo ek waqt per apni duniya ke liye sab se bara khatra ban gaya tha, Aisa shaktishali jeev jo Darkvale jaise Jungle ko tabah ker dene ki kshamata rakhta hai.

*Woooosh*

Ezra ki nazro ke saamne se Aarav gayab ho gya, Ezra tezi se ghoomi aur apni Sword ko aage kia to uss per Aarav ka zordar haath aa laga, Pressure itna zada tha ke Ezra peeche ko push ho gayi.

“Mere pack ke Demon Wolf ko ghayal ker ke tum ne bohat bari galti ker di hai”

Awaz Alpha ki thi, Chehre per ek bhayanak muskurahat Aankhon me khoon utra huwa, Ezra bhi ek pal ke liye apne kadam peeche kheenchne per majboor ho gayi.

*Thud*

Alpha tezi se aage barha aur ek laat Ezra ke muh per maar di, Ezra hava me uth gayi, Alpha ne ek punch seedhe Ezra ke peeche de maara, Ezra ne Apni sword ghoomayi aur Alpha ko khud se dur ker dia.

Ezra uchlate huwe dur ho gayi, Alpha bhaagte huwe uss ki taraf ane laga, Alpha apne pairon ke saath haatho ko bhi istemal karte huwe bhaag raha tha, Ek insaan ke roop me ek khoonkar janwar ki tarha bhaagte huwe wo Ezra ke kareeb ane laga.

Ek insaan ko Janwar ki tarha bhaagte daikh Ezra Alpha ki movement ko predict nahi ker paa rahi thi, Kareeb ate he Alpha seedhe Ezra ke ek taraf hote huwe apne Claws ko uss ki gardan ki taraf barhane laga.

*Slash*

Ezra peeche ko huwi lekin Alpha uss ke kandhe ko nochane me safal ho gaya, Ezra ka kandha khud Heal hone laga.

Ezra: Itni mehnat! Sirf ek aisa Ghav dene ke liye jis ka koi matlab bhi nahi hai, Tumhe sach me lagta hai ke tum mujhe hara pao gye.

Alpha(Growl): Kab tak! Aakhir kab tak khud ko heal ker pao gyi? Mere paas bhi Regenerative Ability hai, Lekin main ye jaanta hu ke har baar khud ko heal karne ke baad main kamzoor hota jata hu, Aur tum bhi alag nahi ho, Tumhari Regenerative Ability mujh se shaktishali hai, Lekin main farak daikh paa raha hu, Healing me barhta wo waqt, Attack me pehle jitni shakti na hona, Tum apni limits per pohanch rahi ho, Mujhe sirf tab tak tumhe Attack karne hai jab tak tum khud moat ke liye tarasne na lago.

*Kabooom*

Ezra hava me uchalte huwe ayi aur apni Sword se Alpha ko kaatna chaha, Lekin Alpha pehle he wahan se hat gaya aur aage barhte huwe Ezra ka haath ukhar ker apne saath le aya, Ezra ki Aankho me gussa ane laga.

Alpha: Tumhari Close Range fighting skills achi hai! Lekin itni achi bhi nahi ke tum mere paas aa sako, Tum ek Knight se zada ek Mage ho, Lekin meri speed se main hamare beech ki distance khatam ker sakta hu, Tumhari movements, Tum apni movement control nahi ker paa rahi, Jaise tum apni movement ko samajh he nahi paa rahi, Mujhe nahi pata kiu, Lekin tum apni Asli shakti ko istemal nahi ker paa rahi ho.

Alpha dhayan se Ezra ki har harkat ko daikh aur samajh raha tha, Ezra bina apni limits jaane aage barh rahi thi, Alpha uss cheez ka faida utha raha tha.

Ezra(Chuckle): Mujhe nahi laga tha ke tum itna kuch samajh pao gye! Lekin ye bhi sach hai ke tum ek shaktishali pratidhvandi ho, Lekin tum ek baat nahi samajh paye, Tum sab ko harane ke liye meri itni shakti he kafi hai.

“Spirit Siphoners”

Ezra ne apna haath aage kia to uss ke haath me se laal rang ki lambi saano jaisi cheeze baahir ane lagi, Un ka muh kisi haath ki tarha ka tha aur beech me ek Aankh thi.

e9621eb0a4ea118b3d5ba6edcb4c7370.gif

Alpha ek pal ruka phir wo tezi se peeche ho gaya, Un Siphoners ke kareeb ate he Aarav apne andar se apni energy khinchta mehsoos karne laga, Siphoners tezi se Alpha ki taraf barhne lage.

Apni Hightened Senses ki madad se Aarav Siphoners se bachte huwe peeche hone laga, Lekin Alpha ki Shakti kam hoti ja rahi thi.

Alpha: Tumhari Abilities tumhe kisi A rank ke jitna, Nahi, A rank se bhi kayi Upar ka monster banati hai! Shayad sach me main tumhe harana meri soch se mushkil ho sakta hai.

Alpha ne apne kadam tezi se Ezra ki taraf barhaye, Siphoners ne Alpha ko pakarna chaha, Per Alpha un se bachte huwe aage barhta raha, Alpha ki shakti aur Raftaar tezi se kam hoti ja rahi thi.

Alpha ne apne Claws nikale aur Ek Siphoner ko pakarte huwe kaat dia, Ezra ke haath se alag hote he Siphoner dhul ban ker urr gaya, Uss Siphoner ke khatam hote he baki Siphoners ki gati tez ho gayi.

Alpha se mili Energy se wo tez dhaar se Alpha ki pasali ko todte huwe nikal gye, Alpha ka badan kamzoor parne laga.

*Grip*

Alpha ka Paon ek Siphoner ne pakar lia aur usse hava me utha lia, Siphoner Alpha ki puri Energy ko chusane laga, Alpha ne apne haath me pakra Ezra ka wo ukhaara huwa haath aage kia aur apni Qi ko uss me dhayan se transfer karne laga.

Alpha: Qi Blast!

Alpha ne Ezra ka haath apni puri takat se ek taraf phenka, Haath seedha us taraf jaane laga jahan Ezra ke Monster's Yoo-Jung aur Shadow se lar rahe the.

*Kabooooom*

****

10 Minute Ago

“Aur tez Shadow”

Yoo-Jung ne Shadow ko aur tez bhaagne ka kaha, Un ke peeche Ezra ke summon kiye sabhi Dark Monster's aa rahe the, Hava me urte wo Monster kisi parchayi ki tarha ke the.

3c6a2a8e1bbe464b8212c1257d38796a.jpg

Shadow ke upar baithe baithe he Yoo-Jung Ghoomi aur apna Bow nikaal ker ek Monster per aim karte huwe arrow shoot ker dia.

*Swishhhh*

Arrow uss monster ko ghayal karne ke liye tha, Lekin wo Arrow uss ke beech me se hote huwe guzar gaya, Jaise uss ne kisi ko chhua he na ho, Yoo-Jung ne aur bhi Arrow shoot kiye lekin har baar anjam ek he hota.

Yoo-Jung ki frustration barhne lagi, Uss ka koi attack bhi kaam nahi ker raha tha, Wanhi wo sabhi un ke kareeb ane lage the.

Yoo-Jung(Frustrated): Ye kaise ho sakta hai? Mera koi bhi Attack un per koi effect nahi ker raha, Akhir hum aise Monster ko kaise hara sakte hai jis ki koi physical Body he nahi hai?

*Grooowwwwrrrrr*

Shadow ne gurate huwe Yoo-Jung ko eshaas karwaya ke wo uss ke saath hai, Yoo-Jung bhi Shadow ki harkat per kuch shaant ho gayi.

Yoo-Jung: Sahi keh rahe ho tum! Koi raasta to ho ga, Hume direct approach nahi karni chahiye, Kuch hat ker sochna ho ga.

Yoo-Jung apni agli chaal ke baare me sochne lagi, Tabhi, Jaise Uss ke dimagh me kuch aya aur wo apne paas daikhne lagi, Sabhi ped jal jaane ke baad bhi wahan andhera he chaya huwa tha.

Dark vale Forest Apne naam ki tarha he Dark tha, Lekin Yoo-Jung ke mann me kuch alag he khayal chal rahe the.

Yoo-Jung: Shadow! Hume roshni dhoondni ho gi, Agar main sahi hu to hum roshni se unhe hara sakte hai, Kia tum roshni dhoond sakte ho?

Yoo-Jung ne Shadow se sawal kia to Shadow Achanak bhaagte huwe ruk gaya, Apna rukh Un Monster's ki taraf karte huwe Shadow seedha khara ho gaya.

Yoo-Jung: Shadow?

Shadow ki ye harkat daikh Yoo-Jung chaunk gayi, Lekin wo bhi samajhti thi ke Shadow bina kuch soche nahi ruka ho ga, Shadow ne apna muh khola aur apni Urja ko ek jagha ikathi karne laga.

Urja jagmah rahi thi uss Urja se ati Strong Feeling Yoo-Jung ko bhi Aankhen band karne per majboor ker rahi thi, Shadow ne Un Monster's ki taraf urja ko phenk dia.

*Eeeechhhh*

Urja ek Monster ke ja lagi aur wo dard se tadapne laga, Uss ki Shaktiya kam hone lagi, Ye daikh Yoo-Jung ke chehre per muskurahat aa gayi.

Yoo-Jung: Hum jeet sakte hai! Lekin un ke numbers bohat zada hai, Kia tum aise aur Attack ker sakte ho kia?

Yoo-Jung ne Shadow se pucha, Lekin Shadow ne Naah me sar hilate huwe bata dia ke wo aur Attack nahi ker sakta, Yoo-Jung dobara sochne lagi ke usse kia karna chahiye?

Yoo-Jung: Kia tum mujhe Un ke kareeb le ja sakte ho?

Yoo-Jung ke kehne ki dair thi ke Shadow bhaagte huwe Un Monster's ke paas jaane laga, Yoo-Jung ne Shadow ke paas le jate he ek gehri saans bhari.

Yoo-Jung: Fire Breathing!

Yoo-Jung ke muh se Aag ka ek bara gola nikla aur un Monster's ko apni lapait me lene laga, Yoo-Jung ke chehre per muskurahat aa gayi ye daikh ker ke uss ke Attack se bhi sabhi Monster's damage le rahe hai.

Yoo-Jung: Hum-

Yoo-Jung kuch aur bol sakti ke uss ke peeth per ek Monster ne apne nukile panjon se vaar kia, Yoo-Jung ki peeth buri tarha ghayal ho gayi aur wo Shadow se neeche gir gayi.

Yoo-Jung ki bichayi Aag damage to ker rahi thi, Lekin un sabhi ko khatam karne ke liye wo kafi nahi thi, Yoo-Jung ne utha chaha per ek Monster ne usse pakar lia.

Yoo-Jung (Groan): Aarav!

Yoo-Jung ne Aarav ko madad ke liye pukarna chaha per Jab uss ne uss taraf daikha to Aarav ghutno ke bal baitha huwa huwa tha, Uss ki chaati per ek bara ghav tha katne ka, Yoo-Jung ki umeed tootne lagi.

Yoo-Jung: Kia sach me yahan hamara ant hone wala hai?

Yoo-Jung ki Aankhen band hone lagi, Uss ki band Aankhon se ansoo behne lage, Uss ka shareer us kaa saath chorne laga.

Yoo-Jung: Nahi! Main itna dur tak ayi hu, Aise haar nahi maan Sakti, Mujhe waapis khari hona ho ga, Apne liye, Yahan sabhi ke liye, Meri.......Meri behan ke liye, Mujhe larna ho ga.

Yoo-Jung ne dobara apni Aankhe dobara kholi, Uss ke saamne Shadow abhi bhi un sab se lar raha tha, Shadow ki body jagha jagha se ghayal ho chuki thi, Apne daanto ko dabate huwe Yoo-Jung ne uthna chaha per wo uth nahi payi.

*Wooosh*

Achanak Yoo-Jung ke saamne hava me ek saya utha, Saamne Asmaan me Aarav kisi Ajeeb cheez se latka huwa tha, Aarav ki nazre seedhi Yoo-Jung per thi, Lekin Aarav me kuch alag tha.

Shadow jo itne samay se Yoo-Jung ko bacha raha tha, Wo bhi Achanak peeche hone laga, Yoo-Jung samajh sakti ke uss se pehle Aarav ne kuch Yoo-Jung ki taraf phenka, Yoo-Jung ko samajh nahi ayi ke wo kia hai.

Lekin uss me se ati Feeling ko Yoo-Jung kabhi bhool nahi sakti thi. Qi, Uss me Si inner qi ka Aura beh raha tha, Jaise Achanak Yoo-Jung ko sab samajh ane laga, Apni Inner Qi ko apne haatho me focus karte huwe Yoo-Jung ne ek halki chingariya banani shuru ki.

Yoo-Jung: Explosion!

Chingariyo ne Dhamake ka roop lia, Aarav ki phenki wo Inner Qi bhi uss ki lapait me aa gayi, Dhamaka khoonkar aag ki lapto me badalne laga, Monster's ne bhaagna chaha per Shadow ne unhe kanhi nahi jaane dia.

[Yoo-Jung successfully destroyed Ezra's summoned monsters]

Aag ki laptte thamne lagi, Sabhi monster khatam ho chuke the, Lekin Yoo-Jung bhi Aag ki lapait me aa gayi thi, Uss ka Armor abhi bhi jal raha tha.

*Gulp*

Yoo-Jung ne khud ko kanhi khinchte mehsoos kia, Aur daikhte he daikhte wo Kisi ke andar thi, Yoo-Jung ne dhayan dia to wo Acid Slime thi, Slime Yoo-Jung ke Armor per lagi Aag ko apne andar le ja ker khatam ker rahi thi.

Aag khatam ker ke Slime ne Yoo-Jung ko baahir nikal dia, Slime wanhi baith gayi aur Aag ko apne andar he devour karne lagi, Slime bhi buri tarha Exhaust ho chuki thi.

Yoo-Jung: Mujhe Aarav ki madad karni ho gi! Lekin main hil nahi paa rahi hu.

Yoo-Jung apni Body ko hila bhi nahi paa rahi thi-

[Level Up]
[Level Up]
[Level Up]

[Player successfully reached Level 40]

[Congratulations, player! You have ranked up from F rank to E rank]

[Player successfully reached Rank Up, allowing her to utilize her stats more smoothly and efficiently]

[As a rank-up reward! the player is getting a new Ability]

[Unable to find any suitable low-rank abilities for the player! Would you like to use your points to acquire a high-rank ability?]

[
Yes ~ No]

Ek saath Yoo-Jung ke saamne bohat zada Notification aa gye, Uss halat me bhi Yoo-Jung sab per dhayan de rahi thi, Option ate he uss ne haan keh dia.

[The Player has Acquired a Unique Ability (Friends of Pegasus)]

8a6fad3f60981fdeed97edaaf12a8d52.jpg

****

*Ugh*

Alpha ki Bohat zada Energy uss se Ezra Kheench chuki thi, Jahan Alpha har guzarte pal ke saath kamzoor ho raha tha, Wanhi Ezra aur shaktishali banti ja rahi thi, Ezra apna haath bhi wapis Regenerate ker chuki thi.

Alpha: Mujhe laga nahi tha ke tum larne ke liye mujh se meri Shakti he cheen lo gi!

Alpha ne Ezra ko uksana chaha, Alpha kuch bhi nahi ker paa raha tha, Uss ki Urja bhi khatam hone ko thi.

Ezra: Main sirf tum per Waste ki energy waapis le rahi hu! Main yahan tumhare liye nahi ayi, Lekin agar tum beech me aa rahe ho to tumhe khatam karna mere liye mushkil nahi hai.

*Slash*

Ek Roshni Alpha ke upar ayi aur Alpha ko pakre sab Siphoners tarapte huwe peeche ho gye, Alpha seedhe neeche gir gaya wo khud ko girne se bacha bhi nahi paya, Ezra ki Aankhen Aashcharya se khul gayi.

*Flap* *Flap* *Flap*

Ezra ko upar se Awaaz ayi to uss ne upar daikha, Uss ke saamne ek Safed Pegasus hava me tha, Uss ke pankhon per ek safed chamkili parat thi, Uss ke upar he Yoo-Jung savar thi.

Ezra ko Aacharya me doobi daikh Yoo-Jung ne apna haath aage barhaya, Ezra kuch samajh sakti ke uss se pehle he uss ke upar se ek Kaale rang ka Pegasus hava ke jhonke ki tarha guzar gaya, Uss ke pankh Black Flame me lipte huwe the.

Ezra jab tak samajh saki tab tak wo puri Unn Black Flame ki lapto me aa chuki thi, Ezra ka pura shareer uss Aag me jalne laga, Uss Aag ki Heat Sadharan aag se 10 guna zada thi.

Ezra: Kamal! Tum ne sach me mujhe heraan ker dia hai, Twin Pegasus, Jo aj apne maalik ko khud chunte hai tum ne unhe apne vash me ker lia, White Pegasus, Jis ke light Magic ke saamne kisi aur magic ka tikna bhi mushkil hai, Light Ability jo Darkness ko tabah karte huwe ujala ker de, Wanhi dusra Black Pegasus, Jis ki Black Flame Aag ko jalane ki kshamta rakhti hai.

Ezra ki chehre per ayi wo bhayanak muskurahat Yoo-Jung upar se uss Black Flame ke beech se bhi daikh sakti thi, Aag me jalte huwe bhi wo muskurahat Yoo-Jung ko khoof me daal rahi thi.

Ezra: Beshak tum ek Extraordinary Ability ko haasil ker chuki ho! Tum chaho to Ek B Rank ko akele Rival karne ki kshamta rakhti ho ab, Lekin tumhari ye lapte mujhe jalane ke liye abhi bhi bohat thandi hai.

Aag ki lapte Ezra ke shareer se phisal ker neeche girne lagi, Aag ke aage he ek ajeeb Aura tha, Jaise Ezra ne apna wo hissa jo aag me tha usse he khud se alag ker dia tha.

Yoo-Jung: Seal!

Yoo-Jung ne halke se kaha to White Pegasus ne apne Pankhon ko zor se pharphadaya, Ek circle Ezra ke neeche ban gaya aur Circle se chain Nikal ker baahir ayi aur Ezra ko jakar lia.

Yoo-Jung: Shadow!

Yoo-Jung ke pukarte he Shadow bhaagte huwe aya aur apne Claws se Ezra ke gale ko cheerte huwe nikal gaya, Ezra ne apna haath apne gale per rakh lia aur khud ko heal karne lagi.

Ezra: Sealing Ability! Lekin Itni kamzoor seal? Tum abhi bhi Pegasus ki Loyalty nahi kama saki ho.

Ezra ne apna haath jhatka aur uss ke haath per bandhi Chain toot gayi, Ezra ne apne haath upar kia, zameen se ek bara Nukila pathar nikla aur Yoo-Jung ki taraf barha.

*Grooowwwwrrrrr*

Shadow ne Ezra per dobara Attack karna chaha, Lekin Ezra ne pehle he apne aage Barrier bana lia, Shadow ko waapis peeche hona per gaya.

“Defence Break”

Ezra ka Dhayan Shadow aur Yoo-Jung oer tha, Chance milte he Daisuke peeche se aya aur Apni skill ko Use karte huwe barrier ke andar ghus gaya, Daisuke ne apni sword se Ezra per vaar kia, Lekin Ezra ne waqt rehte apni Sword se block ker dia.

Daisuke ke ghaav bhi bhar chuke the, Ezra ka pehla khayal he White Pegasus per gaya, Yoo-Jung ne sirf Alpha ko nahi Daisuke ko bhi Aid kia tha.

Daisuke: Infinite Slash!

866b925392fb9563f2d8d30f984c989a.gif

Daisuke ne apni Swords ability ko Use karte huwe ek ke baad ek zordar vaar karna shuru ker dia, Ezra bhi uss se pushback hone lagi.

Sabhi apni Limits per the, Lekin un me se koi bhi haar manane ko tayar nahi tha, Sabhi apni Limits ko push karte ja rahe the, Infinite Slash me Qi ko focus karne se un ki sharpness aur strength dono he barh chuki thi.

Ezra ka Armor tootne lag chuka tha, Lekin har Vaar Daisuke ke shareer ko bhi aur exhaust karta ja raha tha, Daisuke ki saanse bhaari hone lagi aur uss ke haath buri tarha se soojh gye.

*Thud*

Ezra ne Daisuke ke dono haath pakar liye, Daisuke haath churane ke liye takat nahi juta pa raha tha, Ezra ne Daisuke ko uthate huwe zameen per patak dia,

*Stab*

Neeche girte huwe Daisuke ne Akhri vaar karte huwe apni Sword Ezra ke kandhe me ghusa di, Ezra ka gussa barhne laga.

*Pow* *Pow*

Ek ke baad ek punch Daisuke ke muh per lagne lage, Daisuke ka chehra khoon se latpat ho gaya, Daisuke ne ek aur punch maarna chaha per ek taraf se Alpha bhaagte huwe aya aur Ezra ke muh per ek Punch maar dia.

Ezra kisi pate ki tarha uchalte aur ghoomte huwe dur ja giri, Alpha Yoo-Jung ki taraf daikhta hai to Yoo-Jung usse aage barhne ke liye kehti hai, Alpha aage barha to Yoo-Jung ne White Pegasus ki madad se Daisuke ko heal karna shuru ker dia.

Alpha ne khud ko Apni Urja se Cover karna shuru ker dia, Uss ka har kadam bhaari hota ja raha tha, Ezra bhi khari ho gayi, Dono ek dusre ke kareeb aye dono ke haatho me koi weapon nahi tha.

*Thud*

Ezra ne Punch maarna chaha per Alpha ne rok lia aur Counter Punch Ezra ke maar dia, Lekin Ezra ne bhi Alpha ko baazo se pakarte huwe neeche gira dia, Dono ek dusre ko Punch aur Kick se peetne lage, Dono ke Punch ki awaaze wahan fiza me phailne lagi thi, Jahan Ezra khud ko heal ker rahi thi wanhi Alpha apni Limits ko pohnachne laga tha.

Ezra: Tum kamzoor ho rahe ho!

Alpha: Haan! Shayad tum theek keh reh thi, Ye larai sach me meri nahi hai, Bohat chup lia wo, Ab waqt aa gaya hai ke wo apni larai khud lare.

****

*Huh*

Aarav ne apni Aankhe kholi to wo abhi bhi Apne Inner Mind me tha, Usse laga tha ab tak wo Vanish ho jaye ga, Lekin wo abhi bhi wanhi tha.

Aarav ne idhar udhar daikha to ek taraf uss ke saamne waapis Alpha ki chhavi banane lagi, Alpha ko waapis apne saamne daikh Aarav heraan ho gaya.

Aarav: Hum se kuch galti ho gayi hai kia? Main abhi tak yahan kaise hu?

Alpha: Kiu ke main ne tumhe jaane nahi dia! Main ne apna irada badal lia hai.

Aarav(Shock): Ye tum kia keh rahe ho? Baahir Yoo-Jung aur Daisuke dono khatre me hai, Aur tum yahan....Akhir kiu ker rahe ho aise?

Alpha: Kiu ke main tumhe zindagi jeene dena chahta hu! Pichle 1 Maheene me main ne tumhe har pal daikha hai, Tumhari mehnat apno ke liye pyaar sab ko main ne nazdeek se daikha hai, Aur sach kahu to mujhe bohat maza aya iss pichle 1 Maheene me, Iss liye main nahi chahta ke tum abhi mar jao.

Alpha ne bola uss ki awaaz me pehli baar khushi jhalak rahi thi, Lekin Aarav ko abhi khud se zada baki dono ki pareshani thi.

Aarav: Main bhi marna nahi chahta! Leki....Lekin tumhe meri jagha leni ho gi, Main unhe nahi bacha sakta, Main kamzoor hu.

Alpha: Tum kamzoor nahi ho! Tumhe sirf aur samay chahiye, Jab tum ne shuru kia tha mujhe nahi laga tha ke tum itna aage aa sako gye, Agar tumhe aur samay mile to tum mujh se bhi bohat zada shaktishali banane ki potential rakhte ho, Aur jahan tak baat rahi Ezra ki uss ke liye tumhe pareshaan hone ki zaroorat nahi hai.

Aarav: Pareshaan kaise na hu? Wo hume maar de gi!

Alpha; Vishvas karo mujh per! Tumhe jeetne ki zaroorat nahi hai, Lekiniss ka ye matlab bhi nahi ke tumhe jeetne ki koshis bhi nahi karni, Apni puri koshis karna aur mera vada hai ke tum sabhi ko bacha lo gye.

Aarav khamoosh ho gaya, Usse abhi khud per itna bharosa nahi tha, Lekin agar Alpha aage nahi barhne wala tha to usse he himmat karni thi.

Alpha: Main jaanta hu tum bohat aage jao gye! Aur main wo sab daikhne ke liye bohat utsuk hu, Tumhe Demon Wolves ke liye pareshaan hone ki zaroorat nahi hai, Unhe Shadow sambhal le ga, Main tumhare andar se apni kuch shaktiye Shadow ko de di hai, Ab tum bhi meri shaktiyo ko aur ache se istemal ker sakte ho.

Alpha chalte huee Aarav ke kareeb aya, Uss ka shareer dhul me badal ker Aarav me samane laga.

[Alpha Demon Wolf has opened all of his status seals]

[Strength has increased by 5]

[Agility has increased by 5]

[Endurance has increased by 5]

[Stamina has increased by 5]

[Intelligence has increased by 5]

[Senses has increased by 3]

[Player can now use Deathly Slash three times a day]

[The power of Deathly Slash has increased threefold]

[To execute Deathly Slash, 20 mana is now required]

****

*Vanish*

Aarav ke chehre per se Alpha ka banaya Qi Armor hatne laga, Uss ki Aankhe waapis Laal se neele rang me badalne lagi, Aarav ne apni chaati per haath rakha to wo Alpha ko mehsoos nahi ker paa raha tha.

Aarav(Whisper): You can Rest now!

Aarav ne apne dono taraf daikha to Daisuke aur Yoo-Jung uss ke saath khare huwe the, Un ke saamne Ezra khari huwi thi, Wanhi Slime bhi uchalte huwe Aarav ki kalayi per aa gayi.

Aarav ne peeche ghoom ker daikha to saamne Shadow khara huwa tha, Uss ke chehre per ek udaasi chayi huwi thi, Jaise wo samajh chuka tha ke Alpha unhe chhod gaya hai.

Aarav: Let's End this now!

Aarav ne Yoo-Jung aur Daisuke ki taraf daikhte huwe kaha, Dono ne haan me sar hila dia, Aarav sab se aage bhaaga aur apne haath me Qi Blade bana li.

Teeno Ezra se larne lage, Sabhi apni Limits per the, Jaise kisi bhi pal koi bhi gir jaye ga, Lekin koi bhi peeche nahi reh raha tha, Wanhi Ezra bhi apni puri koshis ker rahi thi.

Sab ker beech larai ghanto chali, Sabhi apne ghutno per aa gye, Sabhi buri tarha ghayal ho chuke the, Ezra ki healing bhi slow ho gayi thi.

Ezra dobara khari hone ko huwi, Yahan teeno ki saanse thamne ko ho gayi, Lekin Ezra beech me he larkhara ker gir gayi uss ki khud ki saanse bhaari hone lagi.

Gehri saans lete huwe Ezra ke saanse bhaari hoti gayi aur uss ke chehre per muskurahat aa gayi, Muskurahat kehkaho me badal gayi aur wo dil khol ker hansne lagi.

Ezra: Sach me tum sab kamal ke ho! Tumhari jagha koi aur hota to ye larai shuru hote he khatam ho jati, Lekin tum mujhe meri limits per le aye, Mujhe jo daikhna tha wo daikh lia.

Ezra wanhi baith gayi, Uss ko shaant daikh yahan bhi teeno shaant ho gye, Dushman per Yaqeen to nahi kia ja sakta tha, Lekin un ke paas larne ke liye takat bachi bhi nahi thi.

Ezra: Tum soch rahe ho gye ke kiu main Achanak aise behave ker rahi hu! Main samajh sakti hu.

Teeno ko samajh aa gayi thi ke Ezra ab larne nahi waali teeno shaanti se uss ke upar dhayan dene lage.

Ezra: Ye sab tumhara test tha! Ye janane ke liye ke ane wale khatre se tum lar sakte ho ya nahi.

Daisuke: Test?

Ezra: Haan, Test! Tumhari dharti khatre me hai, Uss khatre se larne ke liye tumhe chuna gaya hai, Main sab kuch nahi bata sakti lekin ye jaan lo ke tumhe aur bhi powerful hona ho ga uss khatre se larne ke liye, Lekin agar tum teeno ho to mujhe lagta hai ke tum saamna ker sakte ho.

Teeno me se koi Ezra ki baato ka matlab sahi se samajh to nahi pa raha tha, Lekin unhe ye samajh aa gayi thi ke unhe aur shaktishali hona ho ga.

Ezra ne apna haath aage kia to uss ki muthi band thi, Ezra ne muthi kholi to uss me se Jugnu jaisi roshni nikli aur un ke paas ane lagi.

[Ezra has rewarded you for your good performance! The system is still in the process of finding a suitable reward for you]

Ezra: Ye meri taraf se ek apology! Ye tumhare system me ek naya Option laye ga, Tum sab ke liye ek alag alag option hai iss me.

Ezra waapis khari huwi aur uss ke saamne Portal khul gaya, Ezra Portal ki taraf jaane lagi, Andar jaane se pehle wo ghoomi aur sab ki taraf daikhne lagi.

Ezra: Agli baar hum jab mile gye to umeed karti hu tum sab aur bhi shaktishali ban ker aoo gye! Main umeed karti hu hamari gali mulakat tak tum me se kisi ko kuch na ho.

Ezra portal ke andar chali gayi, Teeno ek gehri saans lete huwe zameen per gir gye, Teeno buri tarha exhaust ho chuke the wo ek dusre se kuch keh bhi nahi sake.

****

Unknown Place

Portal waapis uss bare kamre me khula aur Ezra portal se baahir nikal ayi, Baahir ate he uss ki chaal aur halat waapis theek ho gayi.

Chair Guy: Mighty Ezra Waapis aa gayi! Kaisi rahi tumhari ye choti trip?

Takht per baithe Vyakti ne thora jhukte huwe Ezra ko chirhate huwe kaha, Ezra ne ek baar gusse bhari nazro uss ki taraf daikha to Vyakti ke chehre per muskurahat aa gayi.

Ezra: Tum ne meri Abilities ki power aur Meri Movement ko kamzoor kiu kia tha?

Vyakti: Main ne ye kab kia?

Ezra ne seedhe uss ki taraf daikhte huwe kaha, Vyakti anjaan banane ka natak karne laga.

Ezra: *Glare*

Vyakti: Haan, Haan! Maanta hu main ne kia tha, Lekin mujhe laga tha ke tumhare liye wo bhi zada ho gi, Lekin sirf 75% debuff ne tumhari ye halat ker di, Lagta hai sach me wo teeno kamal ke hai.

Ezra: Kamal ke to hai! Beech larai ke wo khud ko level up ker rahe the, Teeno he kamal ke the, Lekin un ka support bhi kamzoor nahi tha.

Vyakti: To wo sahi keh raha tha! Ke ab ki baar walo me se hume hamara insaan mil sakta hai.

Ezra: Kia ussi ne tumhe mujhe debuff dene ka bhi kaha tha?

Vyakti: Haan! Uss larke ke liye, wo usse aage barhne dena chahta hai, Aarav Arya!
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Iss update ke saath Ezra ke saath battle khatam hota hai, Ye update 6K words ka tha, Target wohi 30 Likes agar pura huwa to next Update Friday night ko aye ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!]
Awesome update
 
Bhupinder Singh

Well-Known Member
2,011
5,021
158

Nice update
 
zamam

Member
109
77
43
UPDATE 15 ~
(UNLEASHING THE INNER FIRE)

Secret Underground Medical Facility
Japan ~ 10:58 PM

Daisuke: Kento-Sensei!!!

Daisuke abhi Underground Facility ke andar aya he tha ke usse apne saamne he Kento dikh gaya, Kento ek doctor tha jo intelligence ke liye kaam karta tha, Yahan koi Normal patient nahi ata tha jo bhi ata ya to wo Secret officer hota ya phir koi bara Admi jo duniya se chup ker treatment karwa raha ho.

Kento(Smile): Daisuke! Wapis aa he gye tum, Mujhe to laga tha abhi samay lage ga tumhe wapis ane me.

Daisuke: Samay he to nahi hai Sensei! Sirf 20 reh gye hai wapis jaane ke liye, Hamare paas samay kam hai aur karna bohat kuch hai.

Kento (Sigh): Huh! Samajhta hu main lekin khud ki limit ko itna push mat karo ke wapis jaane se pehle he haar jao.

Kento ne Daisuke ko samjhate huwe kaha, Daisuke duniya me agar kuch logo ki he dil se respect karta tha to Kento un me se 1 tha, Kento ne hamesha apne Emotions ko side per rakh ker sahi salaah he di thi aj tak.

Daisuke(Nervous): Sensie.....! Isabelle ab kaisi hai?

Kento ke chehre se muskurahat gayab ho gayi, Jaise wo ye sawal he abhi nahi sun'nna chahta tha, Lekin usse bhi pata tha ke ye sawal aye ga he.

Kento: Abhi ke liye stable hai! Lekin....Kuch keh nahi sakte, Isabelle ke saath jo huwa hai waisa hum me se kisi ne bhi aj tak nahi daikha hai.

Daisuke: *Sigh*

Kento: Kal he Japan ki ek player Isabelle ko daikh ker gayi hai! Hum ne abhi ke liye Isabelle ki disease ko Mana Disease ka naam dia hai, Wahan dusri duniya me Isabelle ne kam waqt me bohat zada Mana transfer ker ke apni limit's ko push ker dia tha, Jis ki wajha se uss ke shareer me Mana ke liye ek bhook jagh uthi, Dusri duniya me to har taraf he Mana tha lekin yahan wo Mana bilkul Naa ke barabar he hai.

Kento ne situation Daisuke ko samjha di, Daisuke bebas tha wo kuch bhi nahi ker sakta tha, Usse he andaza hai ke wo kis tarha Isabelle ko iss halat me yahan le ker aya tha, Upar se iss ki puri Report bhi usse he tayar karni per gayi.

Kento: Stones laye ho kia?

Kento ka sawal sun Daisuke ne apne peeche latke Bag ko khol ker uss me se el bari theli nikal ker Kento ko pakra di, Kento ne theli ko khol ker daikha to andar 100 ke kareeb Mana Stones the.

Kento(Smile): Ye acha ho gya! Abhi ke liye hum in Stones se kaam chala sakte hai, Lekin ab hume har din Stone badalne parte hai, Lekin itne stone se hume time mil jaye ga koi Cure dhoondne ka, Lekin tum itne stone le kahan se aye.

Daisuke: Kuch stones alag alag Countries ke Player se laya hu! Jab bhi wo waapis ate to apne saath jitne ho sake stone le ker ate the, Lekin kisi ne bhu 5 ya 7 se zada stone nahi diye, Lekin hamare saath gye ek Player jis se main kuch din pehle he dobara mila hu ke paas Stone the, Main ne uss ko Reason to nahi bataya lekin mere kehte he uss ne apne sab Stone mujhe de diye.

Kento: Sun ker acha laga ke tumhari madad karne ke liye bhi koi hai! Waise abhi stone badalne ka time ho raha hai tum saath jana chaho gye kia?

Daisuke haan me sar hila dia, Kento ne apne ek Assistant ko ek chote bag me kuch stone rakh diye aur Daisuke ko uss ke saath bhej dia, Assistant Daisuke ko apne saath ek Room ke paas le gaya.

Assistant: Wo larki andar hai!

Assistant ne Daisuke ko agah kia aur apne Key card ko saath deewar per lage Key card scanner per Swipe ker dia, Saamne Room ka darwaza khulne laga aur Daisuke ko akhir nazar aa gayi Isabelle.

Assistant andar chala gya Daisuke bhi uss ke saath andar chala gaya, Saamne Isabelle Meditation ki Position me baithi thi, Lekin uss ka dard uss ke chehre se jhalak raha tha Isabelle ki Veins chamak rahi thi, Aur uss ke shareer me jagha jagha nochne ke nishaan the jo Uss ne khud ko diye the jab wo dard se tarap rahi thi.

Daisuke ne Assistant ki taraf daikha to wo Kamre ke deewaro per lage Stones ko utaar raha tha jin me se chamak bilkul khatam ho chuki thi aur un ko badal raha tha apne saath laye Stones ke saath, Aise he Chaaro deewaro per 1 Stone laga huwa tha.

Ye Stone Isabelle ko Dusri duniya ka environment wapis dene ke liye lagaye gye the, Lekin har din Stone ka pura Mana Isabelle khatam ker deti thi aur jab Mana khatam ho jaye to Isabelle ki halat bilkul ek Drug Addicted ki tarha ho jati thi.

Daisuke: Isabelle!!!

Daisuke ki awaz sun Isabelle me Meditation rok ker apni ankhe kholi, Uss ke saamne Daisuke usse daya ki nazro se daikh raha tha.

Isabelle(Grin): Ap aisa chehra kiu bana rahe ho! Ap ne to meri itni madad ki hai to udaas kiu ho rahe ho ap, Fikar mat kariye ap ne jaisa kaha tha waise he main ne meditate karna shuru kia hai ab pehle se kam Mana se he main apni Addiction ko control ker sakti hu.

Itne dard me hone ke baad bhi Daisuke ke saamne wo khud ko khush dikhana chah rahi thi, Lekin Daisuke ko sachayi ka pata tha andar he andar usse khud per bhi gussa tha ke uss ne Isabelle ko khud ko itna push karne kiu diya.

Daisuke: Aarav se mil ker aya hu!

Isabelle ki wo jhooti muskurahat ek pal me gayab ho gayi aur wo apne nazre jhuka ker baith gayi-

Isabelle: Ap ne usse kuch bataya to nahi mere baare me?

Daisuke: Nahi! Abhi uss per pehle he bohat zimedariya hai, Agar main usse batata to wo khud ko iss ka zimedar samajhta, Abhi ke liye main ne uss ke liye ek Trainer ko bhej dia hai wo agli baar ke liye tayar ho raha hai aur apni behan ke treatment karwane ki koshis ker raha hai, Tumharr baare me sirf ye bataya hai usse ke tum mere paas ho.

Isabelle(Relief): Thanks You! Main apni wajha se Aarav ko pareshaan nahi karna chahti, Main puri koshis karu gi agli baar Aarav se milne se pehle khud ko Cure ker saku, Aur iss baar hum kisi ko nahi khoye gye.

Daisuke: Hmm! Ab mujhe bhi chalna chahiye, Main sab responsibility Aarav ke upar nahi daal sakta, Mujhe bhi khud ko tayar karna ho ga agli baar ke liye, Agar sirf uss waqt mujh me itni power hoti ke main Aarav ke saath lar sakta to Shayan cheeze alag hoti, Tumhe itna Mana Use na karna parta aur Shayad.......Shayad Andrew hamare saath hota.

Daisuke ki awaz me Guilt tha uss waqt wo kuch nahi ker saka tha jis ki wajha se unho ne Andrew ko kho dia tha, Aur agar Yoo-Jung, Isabelle aur Aarav apni limit's ko na push karte to shayad wo wapis bhi nahi aa sakte the.

Isabelle: Ap ne apni puri koshis ki thi! Khud ko dosh mat do, Hum sab uss me saath the lekin agli baar hum kisi ko kuch nahi hone de gye.

Isabelle me vishwas ke saath kaha, Daisuke ko khud per hansi aa gayi ke wo tha jis ko ye sab kehna chahiye tha ulta Isabelle usse ye sab kuch keh rahi thi.

Daisuke: Hum sab waapis aye gye, Ye mera Vada hai!

****

Sayani Mansion
New York ~ 1:35 PM

“Urvi tujhe mere saath ane ki zaroorat nahi thi! Abhi bhi tujhe Araam karna chahiye”

Aarav ne chalte huwe Urvi se kaha, Urvi kuch din se apne bhai ko apne se door hota mehsoos ker rahi thi aur un sapno ne uss ko aur bhi dara dia tha, Jab Urvi ko pata laga ke Aarav Gym ja raha hai to wo bhi zid ker ke saath aa gayi.

Urvi: Itni bhi bimaar nahi hu! Mujhe bhi daikhna hai ke mera bhai Gym karte huwe kaise dikhte hai? Waise bhi jab main ne Exercise karne ko kaha tha tab to muh banate the, Ab to karni he per gayi na pehle he baat maan lete meri.

Urvi ko pata tha ke uss ka bhai kitni mehnat ker raha hai uss ke liye, Urvi pehle ke jaise he apne dard ko bardasht karte huwe Aarav ke saamne muskura rahi thi aur usse cher rahi thi.

Aarav: Tujhe pata hai mujhe Time Waste karna pasand nahi hai! Lekin ye meri Job ka he ek part hai, Adarsh sir ne mujhe training ke liye bola hai Actual Duty se pehle.

Aarav ko apni behan se jhoot bolna pasand nahi tha, Lekin wo Sachayi bata ker Urvi ko pareshaan nahi karna chahta tha.

Urvi: Ab baate mat banao! Mujhe pata hai ye ap ko Job ka part hai lekin iss ka ye matlab nahi ap in palo ko enjoy nahi ker sakte.

Aarav(Tease): Tu kab se itni samajdari ki baate karne lagi?

Urvi: Daikh le! Ap ko pata bhi nahi chala aur main bari ho gayi.

Urvi apni kamar per haath sar uncha ker ke boli jaise bohat fakhar ki baat boli ho, Aarav ne uss ke sar per laga Hair Catcher utaar dia.

Urvi; Bhayia!

Urvi muh banate huwe boli lekin Aarav pehle he bhaagte huwe Gym me ghus gaya, Urvi bhi uss ke peeche peeche andar aa gayi per jab un ki nazre saane ke nazare per gayi to dono ke saans ruk gye.

Saamne Tsubame Exercise ker rahi thi, Ek rod ke saath latki wo khud ko aur Rod ko upar uchalti aur agle stand per latak jati, Lekin peeche se uss ka kasa huwa badan paseene se latpat uss scene ko sexy bana raha tha.

398ef46068dae27be73ecfa7a3dd5204.gif

“Late ho gye ho tum!!!”

Tsubame rod ko chorte huwe neeche khari ho gayi, Wo ghoomi to uss ka front un ke saamne aa gaya, Uss ke badan ka har part perfectly fit tha, Paseena Tsubame ki khubsoorti ko aur madhoosh ker dene wali bana raha tha.

Tsubame chalte huwe Aarav ke kareeb ayi to Urvi usse ghoor ker daikhne lagi, Tsubame Urvi ko apni taraf yun ghoorta daikh ruk gayi.

Tsubame: Aur ye kon hai?

Aarav(Tongue-tied): Y-ye Meri.....Behan hai, Urvi!

Aarav Tsubame me itna kho gaya tha ke usse andaza he nahi huwa ke wo kab uss ke kareeb aa gayi thi-

Urvi: Bhayia ap ko japanese bhi ati hai kia?

Urvi ne excited hote huwe pucha, Aarav ko khud nahi pata tha ke wo japanese me baat ker raha hai, Uss ki Skill ki wajha se wo sab kuch hindi me he sun aur bol raha tha lekin dusro ke liye Aarav alag Language me baat ker raha hota tha.

Tsubame: Abhi tumhe samay lage ga! Jaise jaise tumhari Intelligence barhe gi tum language ko sirf bol he nahi sako gye samajhna bhi shuru ho jao gye.

Aarav: hmm! Mujhe apni intelligence barhane ke liye bhi kaam karna ho ga.

Tsubame: Wo sab main daikh lu gi! Abhi tumhari behan ka kuch karna ho ga, Urvi ko tumhari Powers ka pata nahi hai to usse Gym me saath laana bohat galat faisla tha.

Aarav ne Urvi ki taraf daikha jo samajhne ki koshis ker rahi thi akhir kia baat ker rahe hai dono?

Tsubame: Abhi ke liye main sambhalti hu situation ko! Aj tum basic Exercise ker sakte ho lekin kal tumhari Training 10 Times harder ho jaye gi.

Aarav ne thook nigla aj subha he uss ki halat buri ho gayi thi, Ab uss ki training aur bhi mushkil hone wali thi ye soch ker he uss ke hosh urr rahe the.

Tsubame: Tum abhi apne panjo per jumping ker ke Warm-up ho jao! And you come with me.

Tsubame ne Aarav ko shuru hone ka bol Urvi ko english me bulate huwe apne saath le gayi, Aarav ne bhi Tsubame ki baat maante huwe Apne pairo ki panjo per jumping shuru ker di.

Wanhi Tsubame Urvi ko apne saath Side per le gayi, Urvi ko samajh he nahi ayi ke wo usse wahan kiu le ayi hai, Tsubame ne usse ek yoga mat per bitha dia.

Tsubame: You brother mentioned to me that you are feeling tired and stressed!

Subha Aarav se baato me Urvi ke baare me bhi Aarav ne kuch baate ki thi jis ko Tsubame ab Use ker rahi thi, Wanhi Urvi Nervous to thi lekin ye sun ker khush bhi thi ke uss ka bhai uss ke peeche bhi uss ki baate karta hai.

Urvi(Smile): Yeah! I'm feeling a bit Tired and stressed.

Tsubame: I Suggest trying some Meditation to help you relax and reduce your stress levels! Are you willing to give it a try?

Urvi: Sure!

Tsubame: Great! close your eyes, and take a deep breath in through your nose, filling your lungs completely. Then exhale slowly through your mouth, pushing all the air out. Repeat this a few times, focusing on the sensation of your breath moving in and out of your body.

Tsubame Urvi ko wahan busy rakhne lagi wanhi Aarav Tsubame ki batayi Exercise karta raha, Kuch samay Urvi ko samjhane ke baad usse Continue karne ka keh ker Tsubame wahan se Aarav ke paas aa gayi.

Tsubame: Agli baar apni behan ko saath mat lana! Aur ye pakro.

Tsubame thore sakht andaz se Aarav se boli aur ek marble Aarav ko pakra dia.

Aarav: Ye kia hai?

Tsubame: Ye ek Stat Measuring Artifact hai! Ek player ko reward me mila tha ye, Adarsh ne bohat mushkil se ye kuch dino ke liye udhaar lia hai, Aj subha ye he lene gayi thi main, iss ko haath me pakar ker apna status open karo.

Aarav ne dobara uss marble ko daikha jo dikhne me bilkul sadharan Marble lag raha tha, Lekin agar Tsubame ne kaha tha to wo koi Sadharan Marble nahi ho sakta tha.

Apne haath me uss marble ko pakar Aarav ne apne status ko khola, Ye daikh wo heran ho gya ke ab uss ke status me stats point ke saath aur bhi number likhe huwe the.

d25e0c1ef0b64217ccb3aba8426461a9.jpg

Aarav: Wait! Strength 18? Abhi tak main sirf 18 Strength Use ker raha tha kia?

Tsubame ne haan me sar hila dia, Aarav ko apne lari wo sab larayi yaad ane lagi agar wahan Will to live aur Isabelle na hoti to Aarav kabhi bhi zinda wapis nahi aa sakta tha.

Tsubame: Ab tumhe apne real Stats pata lag chuke hai to tum apni Exercise shuru ker sakte ho! Tumhe kuch khaas nahi karna Gym me, Sirf ek Body builder ki tarha Weight exercise aur muscle strength barhani hai.

Aarav ne haan me sar hila hami bhar di aur Tsubame ki batayi Exercise karne laga, Ane wali larayi kanhi se bhi Easy nahi hone wali thi aur shayad akela Aarav kafi bhi na ho, Wo sirf dua ker sakta tha ke agli baar jab sab mile to aur bhi zada mazboot ho sab ke sab

****

Virtual Training Room
South Korea~ 3:49 AM

*Whooosh*

Yoo-Jung ne apne saamne ate ek badhe danav ki taraf ek knife pheenki aur tez kadmo ke saath peeche ho gayi, Uss ke saamne 30 ke kareeb aise danav the jo size me kisi haathi ke jitne bare the.

*Clannggg*

Ek monster ne ek Pathar uthate huwe Yoo-Jung ki taraf phenka lekin Yoo-Jung ne apne haath me pakre dagger se uss pathar ko beech se kaat dia, Bacha huwa tukra neeche girta uss se pehle he Yoo-Jung tezi se bhaagte huwe uss pathar per kadam rakhte huwe hawa me uchal gayi.

*Swishhhh*

Yoo-Jung ne hawa me he apna Bow nikalte huwe apne neeche wale 3 Monster per Aim karte huwe Arrow shoot ker diye, teeno apne nishane per lage.

*Gasping*

Yoo-Jung baki Monsters se bache huwe ek taraf Zameen per khari ho gayi, Uss ki saanse bhaari ho rahi thi badan pura paseene se bheega huwa tha.

*Ding*

Ek alarm jaisi awaz wahan goonji aur Yoo-Jung ke saamne ke wo sab danav gayab hone lage, Wo sab holographic Monster the jin ke andar Machine thi jo Yoo-Jung per attack ker rahe the.

Ye intelligence ka players ke liye tayar kia gaya Virtual Training Center tha, Yoo Jung ne upar ek Window ki taraf daikha jahan kuch log khare huwe the.

“Yoo-Jung! Tum ne khud ko bohat zada Exhaust ker lia hai, Tum pichle 2 Ghante se lagatar training ker rahi ho, Abhi ke liye ek short break lete hai”

Wahan speakers me Kijoong ki awaz goonji jo upar Control Room mr baitha huwa tha, Yoo-Jung pichle 2 Ghante se lagatar training ker rahi thi lekin uss se pehle bhi uss ne sirf 1 ghante ka rest lia tha 4 Ghante ki training ke baad.

Yoo-Jung (Panting): Main abhi move ker sakti hu! Ek 30 Minute ka round aur uss ke baad break lete hai.

Yoo-Jung ki zid ke saamne Ki-joong bhi kuch nahi ker sakta tha, Jaisa Yoo-Jung ne kaha tha waise he uss ne ek aur Round ki tayari shuru ker di, Lekin wanhi dusri Window per Yoo-Jung ko koi aur bhi daikh raha tha.

“Jinhoo”

Jinhoo ki nazro me Yoo-Jung ke liye gussa tha, Haath me ek Wine glass pakre Jinhoo sirf Yoo-Jung ko train hote daikh raha tha lekin Yoo-Jung kibhar growth se uss per pressure barhta ja raha tha.

“Ye larki alag hai!!!”

Jinhoo ke saath khare ek Admi ne apni Wine ka sip lete huwe kaha, Jinhoo ne garajti nazro se usse daikha to saamne khare larke ke roongte khare ho gye.

Jinhoo(Meancing): Tumhe kis ne bola ke mujhe iss larki ki tareefe sunao? Meri naat ache se apne dimagh me bitha lo Chang! Agar aage se mere saamne aisa kuch kia to Duniya se apna akhri alvida kehne ke baad karna.

Chang: Yes Sir!

Chang ke haath kaanpne lage the, Jinhoo sab se pehle Player hone ke saath One of the strongest Player me se ek tha, Uss ki power ki wajha se he High position wale bhi uss se baat karne se pehle 2 baar sochte the.

Lekin Yoo-Jung ke ane se cheeze badal rahi thi, Yoo-Jung ki growth speed se pata lag sakta tha ke wo waqt zada door nahi hai jab Yoo-Jung ki power Jinhoo ko cross ker jaye gi, Aur jab aisa ho ga to high position walo ke paas Jinhoo ke liye ek strong weapon mil jaye ga.

Jinhoo: Jo kaam tum se kaha tha wo ker dia kia?

Chang: Yes Sir! Ye rahi Yoo-Jung ke saath gye sab Players ki information.

Chang ne ek file Jinhoo ko pakra di, Jinhoo ne Wine ka glass side per rakha aur Files ko parhne laga.

Chang: iss baar bhi 6 Log Tutorial Tower me gye the! 4 Larke aur 2 Larkiye, Lekin un me se sirf 4 Wapis aye hai, Ek Nigeria ka Army Officer Andrew aur India ka ek Athlete Shubham Tutorial Tower me mar gye the.

Jinhoo: Aur bakiyo me se koi kaam ka hai kia?

Chang: Un me se ek PSIA ka officer Daisuke hai! Hum agar koshis bhi kare to uss ko apni side nahi laa sakte wanhi ek aur larki Isabelle Daisuke ke Under hai, Hum un dono se koi kaam nahi le sakte.

Jinhoo: Phir hamara shikaar Hume mil chuka hai! Vansh Sayani.

*****

Sayani Mansion
New York ~ 7:16 PM

Urvi kuch der meditation karne ke baad he Tsubame ki baat maan ker rest karne chali gayi thi, Wanhi Aarav pichle 6 ghante se lagatar paseena baha raha tha, Shuru me to Weight exercise usse mushkil lagi lekin 2 Ghante ke andar andar Aarav ke liye wo exercise easy ho gayi.

Tsubame: Aj ke liye itna bohat hai! Abhi ke liye tum ja ker khana khaa sakte ho, 9 Baje mere kamre me aa jana.

Tsubame Aarav se kehte huwe baahir nikal gayi, Aarav bhi khud ko fresh ker ke wapis chala gaya, Urvi khaana lagaye uss ka he intezar ker rahi thi.

Aarav bhi ja ker saath baith gaya aur khaana khaane laga, Raat ka khana bhi ghar se Archana ne bana ker bheja tha lekin wo jaldbaazi nahi karna chahti thi iss liye wo khud nahi ayi, Abhi bhi Aarav ko Archana ki kahi baate yaad aa rahi thi.

“Ye sab khatam hone ke baad tum dono hamare saath raho gye! Adarsh se baat ker li hai main ne, Abhi ke liye sirf tumhari safety ke liye wo ye nahi ker sakte”

Urvi bhi pehle se fresh lag rahi thi, Lekin usse abhi bhi Araam ki zaroorat thi, Khana khane ke baad Aarav ne Urvi ko kamre me bhej dia aur Julia ko uss ka dhayan rakhne ka keh dia.

9 baj chuke the Aarav bhi Tsubame ke kamre me chala gaya-

*Knock* *Knock*

Darwaze per dastak di to Tsubame ne aa ker Darwaza khol dia, Aarav andar gaya to pure kamre me andhera tha sirf kuch candle he jal rahi thi aur saamne ek LCD per kuch khula huwa tha.

Tsubame: Apne kapre utaaro!

Aarav(Shocked): What???

Tsubame: Galat mat samjho! Hume tumhari body ko fighting ke liye adjust karna ho ga, Tumhare kapro ke saath ye mushkil ho jaye ga aur time bhi zada lage ga.

Aarav: Lekin....Kuch aur raasta nahi hai kia?

Tsubame ne Aarav ki taraf sard nazro se daikha, Uss ke chehre se bilkul bhi nahi lag raha tha ke wo mazak ke mode me hai.

Tsubame saamne rakhi LCD ke paas gayi aur uss me kuch open karne lagi.

Tsubame: Tumhe pata hai Aarav! Main kal se tumhe daikh rahi hu, Tum me mujhe talent to dikh raha hai lekin tumhari motivation bohat kamzoor hai.

Aarav: ???

Tsubame: Tum ne bachpan se bohat mushkil Zindagi guzari ho gi! Main samajhti hu pehli baar aisa ho raha hai ke tumhare saath sab kuch acha ho raha hai, 1 achi job mil gayi tumhari behan ke treatment ki pareshaani khatam ho gayi log tumhe attention de rahe hai, Main samajhti hu tumhare liye ye sab naya hai, Lekin-

Aarav(Gulp): Lekin????

Tsubame: Lekin tum ye bhool rahe ho ke ache din hamesha nahi rehte! Tum yahan ek kaam ke liye aye ho lekin tum apni zimedariya bhool rahe ho.

Tsubame ne screen per ek file kholi to saamne kuch Picture chalne lagi, Picture kuch alag alag families ki thi, Wanhi har picture me kisi per red circle bana huwa tha.

Tsubame: Ye picture daikh rahe ho! Sab khush hai in picture me, In picture me jin logo per red circle hai wo tumhari tarha he player the, Jo power ke nashe me itna andhe ho gye ke aage ane wali nayi Quest ke liye tayar he nahi huwe, Sab akhri lamho me sirf 1 baat soch rahe the ke sirf 1 aur chance mil jaye unhe tayar hone ke liye.

Aarav un families ke logo ke chehre ki muskurahat ko daikh un ki uss udaasi aur bebasi ko mehsoos ker paa raha tha, Aisa he kuch to uss ne mehsoos kia tha Alpha se larte waqt, Lekin wapis ane ke baad jaise wo dar kam ho gya tha uss ke andar.

Tsubame: Tumhari zindagi me abhi bohat kuch karna baki hai Aarav! Lekin tumhare paas sharmane darne ya khush hone ka waqt nahi hai abhi agar tumhe khush hona hai to uss Khushi ko kamana ho ga, To main aik baar phir keh rahi hu apne kapre utaari Aarav Arya.

Aarav ankhe band ker un lamho ko dobara yaad karne laga uss feeling ko jo uss ne dusri duniya me mehsoos ki thi, Aarav ne apne shirt utaari aur phir apna trouser aur underwear usse abhi bhi jhijhak mehsoos ho rahi thi lekin jaisa Tsubame ne kaha tha un ke paas waqt nahi tha.

Tsubame Aarav ke kareeb ayi aur neeche baith gayi, Tsubame ne apna haath Aarav ki jangho per rakha aur upar le jate huwe ek jagha ko pakar lia jaise jis jagha ko dhoond rahi ho wo mil gayi ho.

Tsubame: This is Going to hurt like Hell!

*Crack*

Tsubame ne ek jhatka dia aur Aarav ke badan me dard ki lehar uth gayi jaise uss ki hadiye toot gayi ho, Aarav ki endurance bhi barh chuki thi Tsubame se maar kha kha ker, Yahan ane se pehle Aarav ne apne stats dobara check kiye the jo sirf 1 din ki training se he barh chuke the.

fee8064a323f0f3a7a17ef3463859acd.jpg

Aarav dard ko bardasht karte huwe khara raha, Uss ko theek daikh Tsubame aage barhte huwe puri body ko adjust karne lagi, har baar dard ka koi hisaab nahi tha.

1 Ghante tak Tsubame ne dhayan se Aarav ki puri Body ko adjust kia, Aarav ki tez healing ki wajha se dard khatam hone laga aur uss ki body khud ko Adjust karne lagi.

Tsubame(Smile): Great! Ab tum tayar ho aone andar inner ki jagane ke liye.

Aarav: Inner ki! Inner ki sach me hoti hai kia?

Tsubame: Tumhare saath jo kuch huwa uss ke baad bhi tum ye puch rahe ho?

Aarav: Sahi keh rahi hai ap!

Tsubame: Inner ki aj ki duniya me sirf kuch Families ki bloodline me he hoti hai! Lekin ek sage level Inner ki master kisi me bhi inner ki awake karne me madad ker sakta hai, Obviously sirf Initiate level inner ki ko jagane ke liye he kam se kam 6 Maheene lagte hai lekin tum ek system dhaarik insaan ho iss liye mujhe umeed hai ke tum in 20 dino ke andar Inner ki achieve ker sakte ho.

Aarav ko abhi bhi itna vishvaas nahi ho raha tha, Lekin Tsubame keh rahi thi to wo uss ko jhutla bhi nahi sakta tha aur jaise Tsubame ne kaha tha shak karne ka waqt nahi hai un ke paas.

Tsubame: Neeche baith jao aur jo bhi ho jaye peeche mat daikhna.

Tsubame Aarav ke peeche chali gayi-

Tsubame: Apne haath ki Ungliyo aur angoothe se ek diamond shape banao, Aur ankhe band ker ke apna dhayan uss me lagao.

Aarav ne apne dono haatho se Diamond shape bana ker ankhe band ker lo aur dhayan lagane ki koshis karne laga, Bachpan me he Aarav aur Urvi ki Maa ne unhe Meditate karna sikhaya tha.

Aarav ko apni peet per 2 haath mehsoos huwe jo Tsubame ke the per un haatho me ek garmaish thi-

Tsubame: Tumhe tumhari body me kuch jaate huwe mehsoos ho raha ho ga! Usse ek direction dene ki koshis karo aur haatho ke beech wanha ikatha karo.

Aarav ko apni puri body me kuch ghoomta mehsoos ho raha tha, Lekin Aarav koshis karne ke baad bhi uss ko control nahi ker paa raha tha.

[Unique Ability (Will to live) Activated]

Aarav ke saamne Notification aya aur jaise wo apne hosh khone laga, Aarav ne apni ankhe kholi to wo kisi andheri jagha me tha wo kisi jagha per bhi khara nahi tha uss ki body hawa me Levitate ker rahi thi.

Achanak Aarav ko apne saamne kuch Orange roshni dikhi jo uss ke kareeb light ki speed se travel ker rahi thi.

Aarav: Ye sab kia hai?

Lekin Aarav ko koi jawab nahi mila, Wo roshni Aarav ke andar se bhi guzar rahi thi lekin usse nuksan nahi pohancha rahi thi.

[Analyzing Data]

Dobara Aarav ke saamne Notification aya, Aarav ka haath apne ap utha aur jaise uss ne ek roshni ko apne haath me pakar lia ho.

dbf6b3402d0558dede97c30442ea4c5c.jpg

Aarav: Kia iss ko he direction dene ke liye kaha tha Tsubame Sensie ne?

Aarav apne haatho ko hawa me lehra uss Roshni ko control karne laga, Us Roshni ka ek tofan Aarav ke gir ban'nna shuru ho gya, Aarav usse apne haatho ke beech ikathi karne ki koshis karne laga.

fc8bc1983730c13ff5f306352b707daa.jpg

Uss ka pura badan jalne laga wo tapish bardasht ke baahir ho rahi thi, Aarav ka shareer jaise phatne ko ho raha tha lekin Aarav uss roshni ko ab choor bhi nahi paa raha tha.

[Hidden Unique Ability (Limitless Growth) Activated]

Aarav ke saamne ek aur Notification aya aur wo roshni shaant ho ker Aarav ke shareer me jane lagi.

[Congratulations on unlocking your inner ki potential]

[Initiate Level Inner Ki Achieved]

Aarav ke saamne ek aag jalne kagi jo dheemi thi lekin sakoon de rahi thi, Aarav ki puri body pressure se azaad hone lagi, Aur uss ki ankho ke saamne waapis candle ki roshni aa gayi aur wo Tsubame ke kamre me waapis aa gaya.

Aarav apni body ko pehle se zada mazboot mehsoos ker sakta tha, Usse pata lag raha tha ke wo uss Inner ki ko sach me Achieve ker chuka hai.

Aarav (Smile): Main ne ker lia: Tsubame-

Aarav peeche ghoom Tsubame ko wo khabar dene laga, Lekin Tsubame ke chehre ke rang he badal chuke the, Wo muh khole Aarav ko daikh rahi thi, Lekin uss se zada Aarav ke chehre ke rang urr chuke the.

Uss ke saamne Tsubame bina kisi kapro ke nangi baithi huwi thi, Uss ke 2 bare bare tarbooz Aarav ki ankho ke saamne the.

Aarav: Dobara svarg sidhaarne ka waqt aa gaya lagta hai!
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Ye Update sirf aarav ke upar nahi tha iss me bakiyo ke baare me bhi dikhaya gaya hai ke un ki zindgiyo me kia chal raha hai, Internet issue ki wajha se Update 2 ghante late ho gya lekin finally tayar ho gya, 5.5K words ka update hai umeed karta hu ap ko Update pasand aye ga, Agar is update per 30 likes huwe to next Update saturday night ko aye ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Noice 👍
 
Sidh

Active Member
500
1,087
138
UPDATE 27 ~
(EXCEEDING HORIZONS)

“Kia matlab ke khud ko tumhe saunp du?”

Aarav samjh paa raha tha ke Alpha ka kia matlab hai, Uss ki awaaz me ek akhir aas ke Alpha ka wo matlab na ho jo wo samajh raha hai.

Alpha: Khud ko mujhe saunp do! Main jo shuru me karna chahta tha wo mujhe ab karne do, Apni haar sveekaar ker lo aur apna shareer mujhe de do.

Dono ke beech khamooshi chaa gayi, Alpha ko apna shareer saunpane ka dusa matlab Aarav ki moat thi, Khud ko saunpane ke baad Aarav apne shareer se control kho dene wala tha.

Aarav: Abhi to zindagi me sab acha hona shuru huwa tha......! *Sob* Abhi to Urvi ka Cancer khatam hote daikhna hai, Abhi to mujhe Urvi ke liye kamana hai, Usse ek doctor banana hai, Aur......aur Vanshika ke saath aur waqt beetana tha.

Aarav apni muthi bheenchne laga, Uss ki zindagi to abhi shuru huwi thi, Lekin ab usse apni zindagi aur apne saathiyo ki zindagi me se kisi chunana tha.

Alpha: Sabhi ke paas kuch na kuch karne ke liye hota hai!

Aarav: Do it!

Aarav ne dheeme awaz me sar jhukaye kaha, Alpha uss ki Awaz me jhalak rahi bebasi ko mehsoos ker sakta tha, Lekin Aarav ne apna sar utha ker saamne daikha to uss ke chehre per ek pheeki muskurahat thi.

Aarav: Ek baar tum ne mujh per vishwas ker ke mujhe apne saathiyo ki zimedari di thi! Ab meri baari hai tum per vishwas karne ki, Tumhe sab ko yahan se sahi salamat waapis le jana ho ga, Aur meri behan ki raksha karni ho gi.

Aarav ki awaaz kamzoor thi lekin uss ka faisla kamzoor nahi lag raha tha, Aarav ka Vishwas daikh Alpha bhi chaunk gaya ke kaise ek insaan kisi per itna vishwas ker sakta hai, Ek baar khud aisi situation se guzarne ke baad wo samajh chuka tha ke ye kitna mushkil hota hai.

Alpha: Sach me tum ek anokhe insaan ho!

****

Darkvale Forest
37 Hours 22 Minutes Remaining

Ezra Achanak huwe uss Attack se ubharte huwe khari huwi, Uss ke saamne Aarav khara tha, Ezra ki nazre Aarav ki chaati per gayi to wahan koi ghav nahi tha, Aarav ki Neeli se Lal me badalti Aankhe aur baahir behta Aura sab Ezra ko ajeeb lag raha tha.

Aarav ke khare hone ka andaz uss ki Nazre sab kuch badal chuka tha uss ek pal me, Ezra ye samajh chuki thi ke uss ke saamne khara Vyakti Aarav nahi hai.

Ezra: Wo itni jaldi haar maan le ga mujhe iss ki umeed nahi thi! To tum ho asli Alpha, Jo ek waqt per apni duniya ke liye sab se bara khatra ban gaya tha, Aisa shaktishali jeev jo Darkvale jaise Jungle ko tabah ker dene ki kshamata rakhta hai.

*Woooosh*

Ezra ki nazro ke saamne se Aarav gayab ho gya, Ezra tezi se ghoomi aur apni Sword ko aage kia to uss per Aarav ka zordar haath aa laga, Pressure itna zada tha ke Ezra peeche ko push ho gayi.

“Mere pack ke Demon Wolf ko ghayal ker ke tum ne bohat bari galti ker di hai”

Awaz Alpha ki thi, Chehre per ek bhayanak muskurahat Aankhon me khoon utra huwa, Ezra bhi ek pal ke liye apne kadam peeche kheenchne per majboor ho gayi.

*Thud*

Alpha tezi se aage barha aur ek laat Ezra ke muh per maar di, Ezra hava me uth gayi, Alpha ne ek punch seedhe Ezra ke peeche de maara, Ezra ne Apni sword ghoomayi aur Alpha ko khud se dur ker dia.

Ezra uchlate huwe dur ho gayi, Alpha bhaagte huwe uss ki taraf ane laga, Alpha apne pairon ke saath haatho ko bhi istemal karte huwe bhaag raha tha, Ek insaan ke roop me ek khoonkar janwar ki tarha bhaagte huwe wo Ezra ke kareeb ane laga.

Ek insaan ko Janwar ki tarha bhaagte daikh Ezra Alpha ki movement ko predict nahi ker paa rahi thi, Kareeb ate he Alpha seedhe Ezra ke ek taraf hote huwe apne Claws ko uss ki gardan ki taraf barhane laga.

*Slash*

Ezra peeche ko huwi lekin Alpha uss ke kandhe ko nochane me safal ho gaya, Ezra ka kandha khud Heal hone laga.

Ezra: Itni mehnat! Sirf ek aisa Ghav dene ke liye jis ka koi matlab bhi nahi hai, Tumhe sach me lagta hai ke tum mujhe hara pao gye.

Alpha(Growl): Kab tak! Aakhir kab tak khud ko heal ker pao gyi? Mere paas bhi Regenerative Ability hai, Lekin main ye jaanta hu ke har baar khud ko heal karne ke baad main kamzoor hota jata hu, Aur tum bhi alag nahi ho, Tumhari Regenerative Ability mujh se shaktishali hai, Lekin main farak daikh paa raha hu, Healing me barhta wo waqt, Attack me pehle jitni shakti na hona, Tum apni limits per pohanch rahi ho, Mujhe sirf tab tak tumhe Attack karne hai jab tak tum khud moat ke liye tarasne na lago.

*Kabooom*

Ezra hava me uchalte huwe ayi aur apni Sword se Alpha ko kaatna chaha, Lekin Alpha pehle he wahan se hat gaya aur aage barhte huwe Ezra ka haath ukhar ker apne saath le aya, Ezra ki Aankho me gussa ane laga.

Alpha: Tumhari Close Range fighting skills achi hai! Lekin itni achi bhi nahi ke tum mere paas aa sako, Tum ek Knight se zada ek Mage ho, Lekin meri speed se main hamare beech ki distance khatam ker sakta hu, Tumhari movements, Tum apni movement control nahi ker paa rahi, Jaise tum apni movement ko samajh he nahi paa rahi, Mujhe nahi pata kiu, Lekin tum apni Asli shakti ko istemal nahi ker paa rahi ho.

Alpha dhayan se Ezra ki har harkat ko daikh aur samajh raha tha, Ezra bina apni limits jaane aage barh rahi thi, Alpha uss cheez ka faida utha raha tha.

Ezra(Chuckle): Mujhe nahi laga tha ke tum itna kuch samajh pao gye! Lekin ye bhi sach hai ke tum ek shaktishali pratidhvandi ho, Lekin tum ek baat nahi samajh paye, Tum sab ko harane ke liye meri itni shakti he kafi hai.

“Spirit Siphoners”

Ezra ne apna haath aage kia to uss ke haath me se laal rang ki lambi saano jaisi cheeze baahir ane lagi, Un ka muh kisi haath ki tarha ka tha aur beech me ek Aankh thi.

e9621eb0a4ea118b3d5ba6edcb4c7370.gif

Alpha ek pal ruka phir wo tezi se peeche ho gaya, Un Siphoners ke kareeb ate he Aarav apne andar se apni energy khinchta mehsoos karne laga, Siphoners tezi se Alpha ki taraf barhne lage.

Apni Hightened Senses ki madad se Aarav Siphoners se bachte huwe peeche hone laga, Lekin Alpha ki Shakti kam hoti ja rahi thi.

Alpha: Tumhari Abilities tumhe kisi A rank ke jitna, Nahi, A rank se bhi kayi Upar ka monster banati hai! Shayad sach me main tumhe harana meri soch se mushkil ho sakta hai.

Alpha ne apne kadam tezi se Ezra ki taraf barhaye, Siphoners ne Alpha ko pakarna chaha, Per Alpha un se bachte huwe aage barhta raha, Alpha ki shakti aur Raftaar tezi se kam hoti ja rahi thi.

Alpha ne apne Claws nikale aur Ek Siphoner ko pakarte huwe kaat dia, Ezra ke haath se alag hote he Siphoner dhul ban ker urr gaya, Uss Siphoner ke khatam hote he baki Siphoners ki gati tez ho gayi.

Alpha se mili Energy se wo tez dhaar se Alpha ki pasali ko todte huwe nikal gye, Alpha ka badan kamzoor parne laga.

*Grip*

Alpha ka Paon ek Siphoner ne pakar lia aur usse hava me utha lia, Siphoner Alpha ki puri Energy ko chusane laga, Alpha ne apne haath me pakra Ezra ka wo ukhaara huwa haath aage kia aur apni Qi ko uss me dhayan se transfer karne laga.

Alpha: Qi Blast!

Alpha ne Ezra ka haath apni puri takat se ek taraf phenka, Haath seedha us taraf jaane laga jahan Ezra ke Monster's Yoo-Jung aur Shadow se lar rahe the.

*Kabooooom*

****

10 Minute Ago

“Aur tez Shadow”

Yoo-Jung ne Shadow ko aur tez bhaagne ka kaha, Un ke peeche Ezra ke summon kiye sabhi Dark Monster's aa rahe the, Hava me urte wo Monster kisi parchayi ki tarha ke the.

3c6a2a8e1bbe464b8212c1257d38796a.jpg

Shadow ke upar baithe baithe he Yoo-Jung Ghoomi aur apna Bow nikaal ker ek Monster per aim karte huwe arrow shoot ker dia.

*Swishhhh*

Arrow uss monster ko ghayal karne ke liye tha, Lekin wo Arrow uss ke beech me se hote huwe guzar gaya, Jaise uss ne kisi ko chhua he na ho, Yoo-Jung ne aur bhi Arrow shoot kiye lekin har baar anjam ek he hota.

Yoo-Jung ki frustration barhne lagi, Uss ka koi attack bhi kaam nahi ker raha tha, Wanhi wo sabhi un ke kareeb ane lage the.

Yoo-Jung(Frustrated): Ye kaise ho sakta hai? Mera koi bhi Attack un per koi effect nahi ker raha, Akhir hum aise Monster ko kaise hara sakte hai jis ki koi physical Body he nahi hai?

*Grooowwwwrrrrr*

Shadow ne gurate huwe Yoo-Jung ko eshaas karwaya ke wo uss ke saath hai, Yoo-Jung bhi Shadow ki harkat per kuch shaant ho gayi.

Yoo-Jung: Sahi keh rahe ho tum! Koi raasta to ho ga, Hume direct approach nahi karni chahiye, Kuch hat ker sochna ho ga.

Yoo-Jung apni agli chaal ke baare me sochne lagi, Tabhi, Jaise Uss ke dimagh me kuch aya aur wo apne paas daikhne lagi, Sabhi ped jal jaane ke baad bhi wahan andhera he chaya huwa tha.

Dark vale Forest Apne naam ki tarha he Dark tha, Lekin Yoo-Jung ke mann me kuch alag he khayal chal rahe the.

Yoo-Jung: Shadow! Hume roshni dhoondni ho gi, Agar main sahi hu to hum roshni se unhe hara sakte hai, Kia tum roshni dhoond sakte ho?

Yoo-Jung ne Shadow se sawal kia to Shadow Achanak bhaagte huwe ruk gaya, Apna rukh Un Monster's ki taraf karte huwe Shadow seedha khara ho gaya.

Yoo-Jung: Shadow?

Shadow ki ye harkat daikh Yoo-Jung chaunk gayi, Lekin wo bhi samajhti thi ke Shadow bina kuch soche nahi ruka ho ga, Shadow ne apna muh khola aur apni Urja ko ek jagha ikathi karne laga.

Urja jagmah rahi thi uss Urja se ati Strong Feeling Yoo-Jung ko bhi Aankhen band karne per majboor ker rahi thi, Shadow ne Un Monster's ki taraf urja ko phenk dia.

*Eeeechhhh*

Urja ek Monster ke ja lagi aur wo dard se tadapne laga, Uss ki Shaktiya kam hone lagi, Ye daikh Yoo-Jung ke chehre per muskurahat aa gayi.

Yoo-Jung: Hum jeet sakte hai! Lekin un ke numbers bohat zada hai, Kia tum aise aur Attack ker sakte ho kia?

Yoo-Jung ne Shadow se pucha, Lekin Shadow ne Naah me sar hilate huwe bata dia ke wo aur Attack nahi ker sakta, Yoo-Jung dobara sochne lagi ke usse kia karna chahiye?

Yoo-Jung: Kia tum mujhe Un ke kareeb le ja sakte ho?

Yoo-Jung ke kehne ki dair thi ke Shadow bhaagte huwe Un Monster's ke paas jaane laga, Yoo-Jung ne Shadow ke paas le jate he ek gehri saans bhari.

Yoo-Jung: Fire Breathing!

Yoo-Jung ke muh se Aag ka ek bara gola nikla aur un Monster's ko apni lapait me lene laga, Yoo-Jung ke chehre per muskurahat aa gayi ye daikh ker ke uss ke Attack se bhi sabhi Monster's damage le rahe hai.

Yoo-Jung: Hum-

Yoo-Jung kuch aur bol sakti ke uss ke peeth per ek Monster ne apne nukile panjon se vaar kia, Yoo-Jung ki peeth buri tarha ghayal ho gayi aur wo Shadow se neeche gir gayi.

Yoo-Jung ki bichayi Aag damage to ker rahi thi, Lekin un sabhi ko khatam karne ke liye wo kafi nahi thi, Yoo-Jung ne utha chaha per ek Monster ne usse pakar lia.

Yoo-Jung (Groan): Aarav!

Yoo-Jung ne Aarav ko madad ke liye pukarna chaha per Jab uss ne uss taraf daikha to Aarav ghutno ke bal baitha huwa huwa tha, Uss ki chaati per ek bara ghav tha katne ka, Yoo-Jung ki umeed tootne lagi.

Yoo-Jung: Kia sach me yahan hamara ant hone wala hai?

Yoo-Jung ki Aankhen band hone lagi, Uss ki band Aankhon se ansoo behne lage, Uss ka shareer us kaa saath chorne laga.

Yoo-Jung: Nahi! Main itna dur tak ayi hu, Aise haar nahi maan Sakti, Mujhe waapis khari hona ho ga, Apne liye, Yahan sabhi ke liye, Meri.......Meri behan ke liye, Mujhe larna ho ga.

Yoo-Jung ne dobara apni Aankhe dobara kholi, Uss ke saamne Shadow abhi bhi un sab se lar raha tha, Shadow ki body jagha jagha se ghayal ho chuki thi, Apne daanto ko dabate huwe Yoo-Jung ne uthna chaha per wo uth nahi payi.

*Wooosh*

Achanak Yoo-Jung ke saamne hava me ek saya utha, Saamne Asmaan me Aarav kisi Ajeeb cheez se latka huwa tha, Aarav ki nazre seedhi Yoo-Jung per thi, Lekin Aarav me kuch alag tha.

Shadow jo itne samay se Yoo-Jung ko bacha raha tha, Wo bhi Achanak peeche hone laga, Yoo-Jung samajh sakti ke uss se pehle Aarav ne kuch Yoo-Jung ki taraf phenka, Yoo-Jung ko samajh nahi ayi ke wo kia hai.

Lekin uss me se ati Feeling ko Yoo-Jung kabhi bhool nahi sakti thi. Qi, Uss me Si inner qi ka Aura beh raha tha, Jaise Achanak Yoo-Jung ko sab samajh ane laga, Apni Inner Qi ko apne haatho me focus karte huwe Yoo-Jung ne ek halki chingariya banani shuru ki.

Yoo-Jung: Explosion!

Chingariyo ne Dhamake ka roop lia, Aarav ki phenki wo Inner Qi bhi uss ki lapait me aa gayi, Dhamaka khoonkar aag ki lapto me badalne laga, Monster's ne bhaagna chaha per Shadow ne unhe kanhi nahi jaane dia.

[Yoo-Jung successfully destroyed Ezra's summoned monsters]

Aag ki laptte thamne lagi, Sabhi monster khatam ho chuke the, Lekin Yoo-Jung bhi Aag ki lapait me aa gayi thi, Uss ka Armor abhi bhi jal raha tha.

*Gulp*

Yoo-Jung ne khud ko kanhi khinchte mehsoos kia, Aur daikhte he daikhte wo Kisi ke andar thi, Yoo-Jung ne dhayan dia to wo Acid Slime thi, Slime Yoo-Jung ke Armor per lagi Aag ko apne andar le ja ker khatam ker rahi thi.

Aag khatam ker ke Slime ne Yoo-Jung ko baahir nikal dia, Slime wanhi baith gayi aur Aag ko apne andar he devour karne lagi, Slime bhi buri tarha Exhaust ho chuki thi.

Yoo-Jung: Mujhe Aarav ki madad karni ho gi! Lekin main hil nahi paa rahi hu.

Yoo-Jung apni Body ko hila bhi nahi paa rahi thi-

[Level Up]
[Level Up]
[Level Up]

[Player successfully reached Level 40]

[Congratulations, player! You have ranked up from F rank to E rank]

[Player successfully reached Rank Up, allowing her to utilize her stats more smoothly and efficiently]

[As a rank-up reward! the player is getting a new Ability]

[Unable to find any suitable low-rank abilities for the player! Would you like to use your points to acquire a high-rank ability?]

[
Yes ~ No]

Ek saath Yoo-Jung ke saamne bohat zada Notification aa gye, Uss halat me bhi Yoo-Jung sab per dhayan de rahi thi, Option ate he uss ne haan keh dia.

[The Player has Acquired a Unique Ability (Friends of Pegasus)]

8a6fad3f60981fdeed97edaaf12a8d52.jpg

****

*Ugh*

Alpha ki Bohat zada Energy uss se Ezra Kheench chuki thi, Jahan Alpha har guzarte pal ke saath kamzoor ho raha tha, Wanhi Ezra aur shaktishali banti ja rahi thi, Ezra apna haath bhi wapis Regenerate ker chuki thi.

Alpha: Mujhe laga nahi tha ke tum larne ke liye mujh se meri Shakti he cheen lo gi!

Alpha ne Ezra ko uksana chaha, Alpha kuch bhi nahi ker paa raha tha, Uss ki Urja bhi khatam hone ko thi.

Ezra: Main sirf tum per Waste ki energy waapis le rahi hu! Main yahan tumhare liye nahi ayi, Lekin agar tum beech me aa rahe ho to tumhe khatam karna mere liye mushkil nahi hai.

*Slash*

Ek Roshni Alpha ke upar ayi aur Alpha ko pakre sab Siphoners tarapte huwe peeche ho gye, Alpha seedhe neeche gir gaya wo khud ko girne se bacha bhi nahi paya, Ezra ki Aankhen Aashcharya se khul gayi.

*Flap* *Flap* *Flap*

Ezra ko upar se Awaaz ayi to uss ne upar daikha, Uss ke saamne ek Safed Pegasus hava me tha, Uss ke pankhon per ek safed chamkili parat thi, Uss ke upar he Yoo-Jung savar thi.

Ezra ko Aacharya me doobi daikh Yoo-Jung ne apna haath aage barhaya, Ezra kuch samajh sakti ke uss se pehle he uss ke upar se ek Kaale rang ka Pegasus hava ke jhonke ki tarha guzar gaya, Uss ke pankh Black Flame me lipte huwe the.

Ezra jab tak samajh saki tab tak wo puri Unn Black Flame ki lapto me aa chuki thi, Ezra ka pura shareer uss Aag me jalne laga, Uss Aag ki Heat Sadharan aag se 10 guna zada thi.

Ezra: Kamal! Tum ne sach me mujhe heraan ker dia hai, Twin Pegasus, Jo aj apne maalik ko khud chunte hai tum ne unhe apne vash me ker lia, White Pegasus, Jis ke light Magic ke saamne kisi aur magic ka tikna bhi mushkil hai, Light Ability jo Darkness ko tabah karte huwe ujala ker de, Wanhi dusra Black Pegasus, Jis ki Black Flame Aag ko jalane ki kshamta rakhti hai.

Ezra ki chehre per ayi wo bhayanak muskurahat Yoo-Jung upar se uss Black Flame ke beech se bhi daikh sakti thi, Aag me jalte huwe bhi wo muskurahat Yoo-Jung ko khoof me daal rahi thi.

Ezra: Beshak tum ek Extraordinary Ability ko haasil ker chuki ho! Tum chaho to Ek B Rank ko akele Rival karne ki kshamta rakhti ho ab, Lekin tumhari ye lapte mujhe jalane ke liye abhi bhi bohat thandi hai.

Aag ki lapte Ezra ke shareer se phisal ker neeche girne lagi, Aag ke aage he ek ajeeb Aura tha, Jaise Ezra ne apna wo hissa jo aag me tha usse he khud se alag ker dia tha.

Yoo-Jung: Seal!

Yoo-Jung ne halke se kaha to White Pegasus ne apne Pankhon ko zor se pharphadaya, Ek circle Ezra ke neeche ban gaya aur Circle se chain Nikal ker baahir ayi aur Ezra ko jakar lia.

Yoo-Jung: Shadow!

Yoo-Jung ke pukarte he Shadow bhaagte huwe aya aur apne Claws se Ezra ke gale ko cheerte huwe nikal gaya, Ezra ne apna haath apne gale per rakh lia aur khud ko heal karne lagi.

Ezra: Sealing Ability! Lekin Itni kamzoor seal? Tum abhi bhi Pegasus ki Loyalty nahi kama saki ho.

Ezra ne apna haath jhatka aur uss ke haath per bandhi Chain toot gayi, Ezra ne apne haath upar kia, zameen se ek bara Nukila pathar nikla aur Yoo-Jung ki taraf barha.

*Grooowwwwrrrrr*

Shadow ne Ezra per dobara Attack karna chaha, Lekin Ezra ne pehle he apne aage Barrier bana lia, Shadow ko waapis peeche hona per gaya.

“Defence Break”

Ezra ka Dhayan Shadow aur Yoo-Jung oer tha, Chance milte he Daisuke peeche se aya aur Apni skill ko Use karte huwe barrier ke andar ghus gaya, Daisuke ne apni sword se Ezra per vaar kia, Lekin Ezra ne waqt rehte apni Sword se block ker dia.

Daisuke ke ghaav bhi bhar chuke the, Ezra ka pehla khayal he White Pegasus per gaya, Yoo-Jung ne sirf Alpha ko nahi Daisuke ko bhi Aid kia tha.

Daisuke: Infinite Slash!

866b925392fb9563f2d8d30f984c989a.gif

Daisuke ne apni Swords ability ko Use karte huwe ek ke baad ek zordar vaar karna shuru ker dia, Ezra bhi uss se pushback hone lagi.

Sabhi apni Limits per the, Lekin un me se koi bhi haar manane ko tayar nahi tha, Sabhi apni Limits ko push karte ja rahe the, Infinite Slash me Qi ko focus karne se un ki sharpness aur strength dono he barh chuki thi.

Ezra ka Armor tootne lag chuka tha, Lekin har Vaar Daisuke ke shareer ko bhi aur exhaust karta ja raha tha, Daisuke ki saanse bhaari hone lagi aur uss ke haath buri tarha se soojh gye.

*Thud*

Ezra ne Daisuke ke dono haath pakar liye, Daisuke haath churane ke liye takat nahi juta pa raha tha, Ezra ne Daisuke ko uthate huwe zameen per patak dia,

*Stab*

Neeche girte huwe Daisuke ne Akhri vaar karte huwe apni Sword Ezra ke kandhe me ghusa di, Ezra ka gussa barhne laga.

*Pow* *Pow*

Ek ke baad ek punch Daisuke ke muh per lagne lage, Daisuke ka chehra khoon se latpat ho gaya, Daisuke ne ek aur punch maarna chaha per ek taraf se Alpha bhaagte huwe aya aur Ezra ke muh per ek Punch maar dia.

Ezra kisi pate ki tarha uchalte aur ghoomte huwe dur ja giri, Alpha Yoo-Jung ki taraf daikhta hai to Yoo-Jung usse aage barhne ke liye kehti hai, Alpha aage barha to Yoo-Jung ne White Pegasus ki madad se Daisuke ko heal karna shuru ker dia.

Alpha ne khud ko Apni Urja se Cover karna shuru ker dia, Uss ka har kadam bhaari hota ja raha tha, Ezra bhi khari ho gayi, Dono ek dusre ke kareeb aye dono ke haatho me koi weapon nahi tha.

*Thud*

Ezra ne Punch maarna chaha per Alpha ne rok lia aur Counter Punch Ezra ke maar dia, Lekin Ezra ne bhi Alpha ko baazo se pakarte huwe neeche gira dia, Dono ek dusre ko Punch aur Kick se peetne lage, Dono ke Punch ki awaaze wahan fiza me phailne lagi thi, Jahan Ezra khud ko heal ker rahi thi wanhi Alpha apni Limits ko pohnachne laga tha.

Ezra: Tum kamzoor ho rahe ho!

Alpha: Haan! Shayad tum theek keh reh thi, Ye larai sach me meri nahi hai, Bohat chup lia wo, Ab waqt aa gaya hai ke wo apni larai khud lare.

****

*Huh*

Aarav ne apni Aankhe kholi to wo abhi bhi Apne Inner Mind me tha, Usse laga tha ab tak wo Vanish ho jaye ga, Lekin wo abhi bhi wanhi tha.

Aarav ne idhar udhar daikha to ek taraf uss ke saamne waapis Alpha ki chhavi banane lagi, Alpha ko waapis apne saamne daikh Aarav heraan ho gaya.

Aarav: Hum se kuch galti ho gayi hai kia? Main abhi tak yahan kaise hu?

Alpha: Kiu ke main ne tumhe jaane nahi dia! Main ne apna irada badal lia hai.

Aarav(Shock): Ye tum kia keh rahe ho? Baahir Yoo-Jung aur Daisuke dono khatre me hai, Aur tum yahan....Akhir kiu ker rahe ho aise?

Alpha: Kiu ke main tumhe zindagi jeene dena chahta hu! Pichle 1 Maheene me main ne tumhe har pal daikha hai, Tumhari mehnat apno ke liye pyaar sab ko main ne nazdeek se daikha hai, Aur sach kahu to mujhe bohat maza aya iss pichle 1 Maheene me, Iss liye main nahi chahta ke tum abhi mar jao.

Alpha ne bola uss ki awaaz me pehli baar khushi jhalak rahi thi, Lekin Aarav ko abhi khud se zada baki dono ki pareshani thi.

Aarav: Main bhi marna nahi chahta! Leki....Lekin tumhe meri jagha leni ho gi, Main unhe nahi bacha sakta, Main kamzoor hu.

Alpha: Tum kamzoor nahi ho! Tumhe sirf aur samay chahiye, Jab tum ne shuru kia tha mujhe nahi laga tha ke tum itna aage aa sako gye, Agar tumhe aur samay mile to tum mujh se bhi bohat zada shaktishali banane ki potential rakhte ho, Aur jahan tak baat rahi Ezra ki uss ke liye tumhe pareshaan hone ki zaroorat nahi hai.

Aarav: Pareshaan kaise na hu? Wo hume maar de gi!

Alpha; Vishvas karo mujh per! Tumhe jeetne ki zaroorat nahi hai, Lekiniss ka ye matlab bhi nahi ke tumhe jeetne ki koshis bhi nahi karni, Apni puri koshis karna aur mera vada hai ke tum sabhi ko bacha lo gye.

Aarav khamoosh ho gaya, Usse abhi khud per itna bharosa nahi tha, Lekin agar Alpha aage nahi barhne wala tha to usse he himmat karni thi.

Alpha: Main jaanta hu tum bohat aage jao gye! Aur main wo sab daikhne ke liye bohat utsuk hu, Tumhe Demon Wolves ke liye pareshaan hone ki zaroorat nahi hai, Unhe Shadow sambhal le ga, Main tumhare andar se apni kuch shaktiye Shadow ko de di hai, Ab tum bhi meri shaktiyo ko aur ache se istemal ker sakte ho.

Alpha chalte huee Aarav ke kareeb aya, Uss ka shareer dhul me badal ker Aarav me samane laga.

[Alpha Demon Wolf has opened all of his status seals]

[Strength has increased by 5]

[Agility has increased by 5]

[Endurance has increased by 5]

[Stamina has increased by 5]

[Intelligence has increased by 5]

[Senses has increased by 3]

[Player can now use Deathly Slash three times a day]

[The power of Deathly Slash has increased threefold]

[To execute Deathly Slash, 20 mana is now required]

****

*Vanish*

Aarav ke chehre per se Alpha ka banaya Qi Armor hatne laga, Uss ki Aankhe waapis Laal se neele rang me badalne lagi, Aarav ne apni chaati per haath rakha to wo Alpha ko mehsoos nahi ker paa raha tha.

Aarav(Whisper): You can Rest now!

Aarav ne apne dono taraf daikha to Daisuke aur Yoo-Jung uss ke saath khare huwe the, Un ke saamne Ezra khari huwi thi, Wanhi Slime bhi uchalte huwe Aarav ki kalayi per aa gayi.

Aarav ne peeche ghoom ker daikha to saamne Shadow khara huwa tha, Uss ke chehre per ek udaasi chayi huwi thi, Jaise wo samajh chuka tha ke Alpha unhe chhod gaya hai.

Aarav: Let's End this now!

Aarav ne Yoo-Jung aur Daisuke ki taraf daikhte huwe kaha, Dono ne haan me sar hila dia, Aarav sab se aage bhaaga aur apne haath me Qi Blade bana li.

Teeno Ezra se larne lage, Sabhi apni Limits per the, Jaise kisi bhi pal koi bhi gir jaye ga, Lekin koi bhi peeche nahi reh raha tha, Wanhi Ezra bhi apni puri koshis ker rahi thi.

Sab ker beech larai ghanto chali, Sabhi apne ghutno per aa gye, Sabhi buri tarha ghayal ho chuke the, Ezra ki healing bhi slow ho gayi thi.

Ezra dobara khari hone ko huwi, Yahan teeno ki saanse thamne ko ho gayi, Lekin Ezra beech me he larkhara ker gir gayi uss ki khud ki saanse bhaari hone lagi.

Gehri saans lete huwe Ezra ke saanse bhaari hoti gayi aur uss ke chehre per muskurahat aa gayi, Muskurahat kehkaho me badal gayi aur wo dil khol ker hansne lagi.

Ezra: Sach me tum sab kamal ke ho! Tumhari jagha koi aur hota to ye larai shuru hote he khatam ho jati, Lekin tum mujhe meri limits per le aye, Mujhe jo daikhna tha wo daikh lia.

Ezra wanhi baith gayi, Uss ko shaant daikh yahan bhi teeno shaant ho gye, Dushman per Yaqeen to nahi kia ja sakta tha, Lekin un ke paas larne ke liye takat bachi bhi nahi thi.

Ezra: Tum soch rahe ho gye ke kiu main Achanak aise behave ker rahi hu! Main samajh sakti hu.

Teeno ko samajh aa gayi thi ke Ezra ab larne nahi waali teeno shaanti se uss ke upar dhayan dene lage.

Ezra: Ye sab tumhara test tha! Ye janane ke liye ke ane wale khatre se tum lar sakte ho ya nahi.

Daisuke: Test?

Ezra: Haan, Test! Tumhari dharti khatre me hai, Uss khatre se larne ke liye tumhe chuna gaya hai, Main sab kuch nahi bata sakti lekin ye jaan lo ke tumhe aur bhi powerful hona ho ga uss khatre se larne ke liye, Lekin agar tum teeno ho to mujhe lagta hai ke tum saamna ker sakte ho.

Teeno me se koi Ezra ki baato ka matlab sahi se samajh to nahi pa raha tha, Lekin unhe ye samajh aa gayi thi ke unhe aur shaktishali hona ho ga.

Ezra ne apna haath aage kia to uss ki muthi band thi, Ezra ne muthi kholi to uss me se Jugnu jaisi roshni nikli aur un ke paas ane lagi.

[Ezra has rewarded you for your good performance! The system is still in the process of finding a suitable reward for you]

Ezra: Ye meri taraf se ek apology! Ye tumhare system me ek naya Option laye ga, Tum sab ke liye ek alag alag option hai iss me.

Ezra waapis khari huwi aur uss ke saamne Portal khul gaya, Ezra Portal ki taraf jaane lagi, Andar jaane se pehle wo ghoomi aur sab ki taraf daikhne lagi.

Ezra: Agli baar hum jab mile gye to umeed karti hu tum sab aur bhi shaktishali ban ker aoo gye! Main umeed karti hu hamari gali mulakat tak tum me se kisi ko kuch na ho.

Ezra portal ke andar chali gayi, Teeno ek gehri saans lete huwe zameen per gir gye, Teeno buri tarha exhaust ho chuke the wo ek dusre se kuch keh bhi nahi sake.

****

Unknown Place

Portal waapis uss bare kamre me khula aur Ezra portal se baahir nikal ayi, Baahir ate he uss ki chaal aur halat waapis theek ho gayi.

Chair Guy: Mighty Ezra Waapis aa gayi! Kaisi rahi tumhari ye choti trip?

Takht per baithe Vyakti ne thora jhukte huwe Ezra ko chirhate huwe kaha, Ezra ne ek baar gusse bhari nazro uss ki taraf daikha to Vyakti ke chehre per muskurahat aa gayi.

Ezra: Tum ne meri Abilities ki power aur Meri Movement ko kamzoor kiu kia tha?

Vyakti: Main ne ye kab kia?

Ezra ne seedhe uss ki taraf daikhte huwe kaha, Vyakti anjaan banane ka natak karne laga.

Ezra: *Glare*

Vyakti: Haan, Haan! Maanta hu main ne kia tha, Lekin mujhe laga tha ke tumhare liye wo bhi zada ho gi, Lekin sirf 75% debuff ne tumhari ye halat ker di, Lagta hai sach me wo teeno kamal ke hai.

Ezra: Kamal ke to hai! Beech larai ke wo khud ko level up ker rahe the, Teeno he kamal ke the, Lekin un ka support bhi kamzoor nahi tha.

Vyakti: To wo sahi keh raha tha! Ke ab ki baar walo me se hume hamara insaan mil sakta hai.

Ezra: Kia ussi ne tumhe mujhe debuff dene ka bhi kaha tha?

Vyakti: Haan! Uss larke ke liye, wo usse aage barhne dena chahta hai, Aarav Arya!
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Iss update ke saath Ezra ke saath battle khatam hota hai, Ye update 6K words ka tha, Target wohi 30 Likes agar pura huwa to next Update Friday night ko aye ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!]
Mast update bhai
 
Awan Badshah

Well-Known Member
2,180
5,663

[Aj ke liye itna he, Iss update ke saath Ezra ke saath battle khatam hota hai, Ye update 6K words ka tha, Target wohi 30 Likes agar pura huwa to next Update Friday night ko aye ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!Fantastic
and
 
sorbobhuk

Well-Known Member
2,435
5,821
158
Hello Guys! :chinki2:

Jaise mera naam hai waise he main bohat Saalo se anime aur Manga lover raha hu. Lekin ek waqt per ja ker mere mann me khud kuch stories ke idea ane lage jin ko main bohat waqt se try karna chahta tha. Ab main itna talented nahi tha jo manga ya light novels bana sakta. iss liye main ne diffrent site search ki jahan se mujhe iss Forum ka pata chala meri storie system based thi aur yahan kuch writers ne System based storie bhi start ki huwi thi. jis wajha se main ne iss forum per storie likhne ka decide kia. Mujhe forum ka kuch zada pata to nahi hai Per Umeed karta hu ap logo ko meri storie pasand aye gi.

Vengeance ~ Revenge is sweet

5d333485c74767736ce1a1bfc788d282.jpg

Kuch Storie ke points

(1) Jaisa Main ne upar bataya ye storie System based storie hai jis me ap ko Fantasy, Adventure, Adultery, Harem aur Romance jaise genre daikhne ko mile gye.

(2) Storie ke shuru me kuch cheeze thora zada waqt le sakti hai per jaise jaise storie aage barhti jaye waise waise cheeze intresting hoti jaye gi to saath bane rahiye ga.

(3) Storie Real World aur other world dono me chale gi lekin Main storie jo hai wo real world me he chale gi.

(4) Week me 2 update aye gye ek Saturday night ya Sunday ko aur dusra Wednesday Night ya Thursday ko.

(5) Storie Arcs ke hisaab se chale gi abhi 8 Arc to soche huwe hai. Lekin Response acha huwa to storie lambi bhi chal sakti hai.

Readers ke Response ke hisaab se timing baad me change bhi ho sakti hai to bharpoor pyaar de ker Meri himmat barhane me madad zaroor kariyega. Main Font aur Color wagaira decide nahi ker pa raha tha iss liye jo style Readers ko pasand hai us ke hisaab se Werewolf bhai ke font aur color style use karu ga agar baad me koi acha mila to change ker lu ga. Aj Shaam tak pehla Update aa jaye ga tab tak ke liye.

Alavida! :hi:

Adab...main apke thread me aaj hi aaya hoon....mujhe ye story damha bhai suggests kiya hai....or story ke plot mujhe pasand aaya.....main abhi se ye story padhna start karunga.... I hope aap isko jarur complete karenge.....
 
Top