• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Who are your two favorite male characters in this story?


  • Total voters
    318

king cobra

Well-Known Member
5,258
9,926
189
Sab se pehle to Hi, And sorry for not giving replies properly, Haan to ye update bohat ajeeb huwa, Monday ka update Thursday ko aya, Main kuch bhi aisa nahi kahu ga ke kuch ho gaya tha mujhe kuch bhi nahi huwa tha, Basically main khud ki galtiyo me uljha tha, Main BGMI ka Player hu, aur main ne royal pass lia tha, Lekin ant tak main ne uss per dhayan nahi dia mujhe laga royal pass 16 tak hai lekin wo 13 tak nikla, Ab mujhe jab pata laga tab main update likhne wala tha, Main ne game on ki aur crazy khelne laga, Lekin baat tab bigri jab main balance nahi ker saka aur BGMI aur Story ko ek saath continue karne ka socha, Lekin wo kaam bigarta gaya bigarta gaya, Upar se jaise gharwalo ko kisi ne khabar ker di iss ki, wo alag alag mazdooriyo wale kaam kawrane lage, Lekin main ne kal Update 80% likh lia tha, raat ko kuch final reference daikhne aya to mere saamne ye aya ke main abhi forum per nahi aa sakta




Mera brain exhaust itna ho gaya tha ke main bina kuch kiye soo gaya, Lekin na pass pura huwa na story ka update time per aya, Abhi Update complete ker ke post ker dia hai, Kisi ki galti nahi, Sirf meri Wajha se ye huwa, iss ki barpai bhi main karunga!

Add-Text-09-15-12-31-22
Problem bata dene se log hopeless nai hote dost saport karte hain ek minute ka bharosa nai hai kab kaisi condition aa jaye koi baat nai der aaye durust aaye
 
  • Like
Reactions: prem pujari

king cobra

Well-Known Member
5,258
9,926
189
Ya to vansh ko sudhar jana chahiye ya mar jana chahiye
 
  • Like
Reactions: Salty~Otaku

navrose

Member
403
241
43
UPDATE 23 ~
(ERROR)




*Ding-Dong*



Hall me table per sar rakhe laiti aurat ki ankh khul gayi Door Bell sun ker, Apni ankho ko masalte huwe khud ko hoosh me la ker wo aurat Darwaza kholne chale gayi.



*Click*



Darwaza khol Aurat ne saamne khare apne Vyakti ko andar ane dia, Aadmi larkharate kadmo ke saath andar aa gaya.



Aurat: Aj phir pee ker aye ho tum?




Aurat ne thore sakht lehje me bola to uss Aadmi ke aage barhte kadam ruk gye, Aadmi ne ghoomte huwe Aurat ki taraf daikha aur kuch pal yun he khara usse daikhne ke baad bina kuch bole waapis aage barhne laga, Aurat gusse me aage barhi aur Aadmi ki kalayi pakar li.



Aurat: Main ne kuch pucha hai! Dobara pee ker ghar waapis aye ho tum?



Aurat ki awaz aur bhi unchi ho gayi, Aadmi ne apni kalayi ko aurat ki pakar se jhatakte huwe churwa li, Aurat khari gusse se uss Aadmi ko ghoorti ja rahi thi.




Aadmi: Haan aya hu pee ker! Kia ker le gyi tu?




Aurat: Akhir kaise? Kaise tum har raat pee ker ghar aa sakte ho? Ye jaante huwe bhi ke hamare paas bacho ke future ke liye koi savings nahi hai! Akhir kaise tum apne bacho ke baare me bhi nahi soch sakte?




Aadmi: Mujhe tujh se seekhne ki zaroorat nahi hai ke mujhe kia karna chahiye aur kia nahi! Mujhe jo karna hai main karu ga.



Aadmi ne ungli dikhate huwe Aurat ko bola aur kuch pal uss ki aankho me aankhen daal daikhta raha, Aurat bhi uss ki aankho main aankhen daal ghurti rahi Aadmi ko apni nazre churani per gayi.



Aurat: Agar khud kuch nahi karna chahte to kam se kam mujhe kuch karne de do! Kitni baar bola hai mujhe Job continue karne do leki-



Aadmi(Shout): Chup! ........Ek shabd aur nahi bole gyi tu! Tujhe paisa chahiye main la du ga, Lekin tu dobara nokri per nahi jaye gi!



Aurat ek seham ker peeche deewar se ja lagi, Gusse se laal ankho se daikha uss ka pati aj tak kabhi aise nahi bola tha uss se, Aurat ka pura badan kaanp raha tha aur uss ke muh se koi shabd bhi nahi nikal raha tha.



Jahan ghar ke ek hisse me dono ek dusre se jhagad rahe the, Wanhi ek kamre me 2 bache laite huwe the aur un ke paas laiti huwi thi un ki Dadi jo unhe kahani suna rahi thi.



Dadi: Uss larke ka sab se vishvas khatam hone laga tha! Puri duniya me usse koi apna nahi lagta tha-



*Thump*



Baahir se zor se darwaza band hone ki awaz ne Dadi ji ke shabd rok diye, Dono bache bhi baahir se ayi awaz sun ker seham gye.




Larki: Dadi ji! Mummy Papa roz larte kiu rehte hai? Kal bhi wo lar rahe the hum dono itna dar gye the!




Dadi: Mere masoom bacho!



Dadi ne dono ko apni bahoon me bhar seene se laga lia, Dadi un nadaan bacho ko ab kia batati ke kiu un ke Maa baap kar rahe hai?



Larka: Kia Mummy Papa alag ho jaye gye! Mera dost bata raha tha ke uss ke mummy papa Alag ho gye hai, Ab wo kabhi Mummy ke paas rehta hai to kabhi apne Papa ke paas rehta hai.



Dadi: Aisa kuch nahi ho ga! Dono me bus kuch cheez se behas huwi hai, Tumhare Mummy Papa samajhdar hai, Wo tumhe kabhi aise chhor ker nahi jaye gye.



Larka: Pakka?



Dadi: Pakka!



Larka: Ap bhi nahi chhor ker jaye gi na?



Dadi: Haan, Main bhi nahi kanhi jao gyi! Lekin Aarav tum yaad rakhna, Mummy Papa jab tak waapis ek saath na ho jaye, Tumhe apni behan ko un ki jagha sambhalna hai, Ab me budhi aurat kahan tum shararti bacho ke peeche bhagu gi, Vada karo gye mujh se kia?



Aarav: Pakka wala vaada! Jab tak Mummy Papa dobara dosti na ker le, Tab tak main Urvi ka khayal rakhu ga.



Urvi: Yeeeeaaahhhh!



****


Darkvale Forest
64 Hours 53 Minutes Remaining




*Ugh*



Aarav ne apni ankhe kholi to usse apne pure shareer me ek tez dard ki lehar mehsoos huwi, Upar ki taraf rukh kiye wo kamar ke bal laita huwa tha, Neeche se khayi ka ant nahi dikh raha tha.




Aarav: Lagta hai mujhe yahan ki khayio se kuch zada he pyaar ho gya hai! *Chuckle*


d213f95e932036f51040ad50396d7525.jpg

Aarav ko yaad tha ke wo Isabelle ko bachane ke liye kuda tha, Lekin wo khayi ka dusra chhorr na pakar saka, Girte huwe khayi ki deewar per nikle Ped ke tane pakarte huwe Aarav ne momentum kam ker dia tha, Lekin phir bhi wo bohat unchai se gire the.




“Aa gaya hosh tumhe?”



Awaz Isabelle ki thi, Wo bach gayi thi ye pata chalte he Aarav ko kuch sakoon mehsoos huwa.



Aarav: Kaisi ho?



Isabelle: Tum se achi hu iss waqt! Uth bhi nahi paa rahe tum, Kis ne kaha tha last moment per Mujhe bachane ke liye push karne ki, Girte huwe tum pura dhayan sirf mujh per de rahe the right timing ka wait karte huwe, Agar tum aisa na karte to abhi tum khare hone layak hote.



*Sobbing*



Isabelle ke sisakne ki awaz Aarav ko sunayi de rahi thi, Wo usse samajh sakta tha Aarav ne jo kia wo bohat zada risky tha, Perfect Timing ka intezar karte huwe last moment per Aarav ne Isabelle ko upar ko push karte huwe uss ki puri force ko redirect ker dia tha, Pura force ek pal me khatam hone se Isabelle ko takleef to huwi ho gi, Lekin aisa karne se Aarav ne Isabelle ko bacha lia tha.




Aarav: Main khud ko regenrate ker sakta hu! Lekin tum aisa nahi ker sakti ho, Iss liye mujhe chances lene pare, Agar mujhe dobara karna huwa tab bhi main ye he karu ga.



*Ughhh*



Aarav ne uthne ki koshis ki to uss ke shareer me ek tez dard ki lehar uthi aur wo wapis lait gaya.


Isabelle: Pagal ho gye ho kia? Apni halat ko Pehle samajhne ki koshis kia karo kuch karne se pehle! tumhari Spine toot chuki hai, Ghutne ke paas ki bone bhi crack ho chuki hai aur Shoulder dislocate hai, tumhare saath ayi Slime ne khud ko neeche ker ke tumhare Skull ko tootne se bacha lia lekin tumhari halat khare hone wali nahi hai, Pure 6 ghante baad hosh aya hai tumhe, Ab hilne ki koshis mat karna.




Aarav apni waist ke neeche ke part ko mehsoos nahi ker pa raha tha, Last time to wo Barf per gira tha lekin iss baat wo plain ground per aa ker gira tha aur wo bhi itni zada unchai se sirf 12 HP bachi thi uss ki, Wo Zinda agar tha to sirf system ki wajha se warna ab tak wo mar chuka hota.




Aarav: Alpha ki regenerative Abilities se meri Bones kuch ghanto me wapis sahi ho jaye gi! Lekin mere andar abhi bhi tooti huwi bones ke Remaining pieces hai, uss ke liye thora aur samay lage ga, Slime kahan hai?




Isabelle: Tum jab Unconscious the tab kuch monsters aye the! Slime ne un se lar ker unhe bhaga dia aur tab se wo wahan guard per baithi huwi hai!



[Party member Isabelle is in critical condition! Immediate medical attention is advised]



Aarav ke saamne notification aya aur har shabd parhte saath uss ki ankhe khulne lagi, Bina takleef ki parwah kiye Aarav haatho per zor de ker baith gaya aur jahan se awaz aa rahi thi uss taraf ghoom gaya.

615ed403c25f7cc16c3c5df6519d3953.jpg


Aarav ke saamne Isabelle apna sar pakre baithi huwi thi, Maathe per khoon laga huwa tha aur uss ki ankhe kisi bhi pal band ho sakti thi, Aarav khud ko ghaseet ker Isabelle ke paas le gaya, Uss ke jaate he Isabelle apne hosh khoone lagi aur Aarav ki bahon me gir gayi.



Aarav: Isabelle! Isabelle! Ye kia ho raha hai? Isabelle hosh me raho, tum Unconscious nahi sakti iss waqt!




Aarav ke shabd larkhara rahe the, Usse andaza ho chuka tha ke Agar Isabelle hosh kho deti to uss ka waapis ana Na-Mumkin tha, Aarav Isabelle ke gaalo ko thap thapate huwe usse hosh me rakhne ki koshis ker raha tha, Isabelle ankhon me ansoo liye muskurate huwe Aarav ke chehre ko daikhti rahi aur apne gaalo per uss ke haatho ko thaam lia.



Aarav ka shareer kaanp raha tha, Wo peeche ek ped ke sahare baitha Isabelle ko hosh me rakhne ki koshis ker rah tha, Apna ek haath aage ker Isabelle ne Aarav ke chehre ko thaam lia.



Aarav: Khud ko heal karo! Aankhe band mat hone dena!



Isabelle: Bella!



Aarav: Huh?



Isabelle: Mere papa mujhe Bella bulate the! Un ke guzar jaane ke baad main ne sab ko mujhe Bella kehne se rok dia, Lekin aj dobara wo naam sun'nne ko dil chah raha hai.



Aarav: Isabelle hamare paas waqt nahi hai! Tumhe jald se jald Heal karna ho ga khud ko.




Isabelle (Breaking): Sirf ek baar!


Isabelle ne Aarav ki baat beech me kaat ker bola, Aarav pareshaan bo raha tha per uss pal Isabelle ki ankho me nami Aarav daikh nahi pa raha tha.



Aarav(Panting): Bella......! Please Bella, Heal Use karo......Main tumhe khoona nahi chahta(Sobbing) Please!



Bella ke chehre ki muskurahat aur bhi gehri ho gayi, Uss ka khud per se zor toot gaya aur uss ki ankho se ansoo girne lage.



Bella: Kitni pagal hu main! Itna waqt khud se jhoot bolti rahi, Khud ko koosti rahi kiu mujhe har waqt tumhare saath bitaye pal yaad ate hai, Kiu hamari wo kiss jo sirf tumhe bachane ke liye thi mere andar ek aag jaga deti hai, Main khud se kehti rahi ke main sirf apne Fiance se pyaar karti hu aur jo bhi tumhare saath huwa wo sirf ek galti thi! *Cough* *Cough*



Bella khaansi to Aarav usse herani se daikhne laga, Bella ke paas ek aura ban'nne lag chuka tha, Aarav ek pal me usse pehchaan gaya, Akhir wo kaise bhool sakta tha uss cheez ko jis ne uss ki zindagi badal di thi, Mana!



Bella: Main khud se kehti aa rahi thi! Tum agar mere saamne aa bhi gye to mujhe farak nahi pare ga, Lekin sach to ye hai me yahan ane ke baad mujhe jab tum nahi mile to aisa laga jaise meri zindagi ka ek bara hissa kanhi khoo gaya hai, Ab jab tum meri aankhon ke saamne ho to mujhe khushi mehsoos ho rahi hai, I find Solace in the fact that I'm dying in the Arms of my love!



Aarav se pehli baar kisi ne apne pyaar ka izhaar kia tha, Lekin halat aur Pyaar dono he sadharan nahi the, Jahan Bella ke kahe wo shabd Aarav ko khushi de rahe the, Wanhi ek dar aur bhi panap raha tha, Agar Bella uss se pyaar ka izhaar na bhi karti to Aarav usse kuch hone nahi dena chahta tha.



Jab Aarav apne akhri lamho me Alpha ke saamne tha, Tab bella he thi jis ne usse bachaya tha, Orc King se larte huwe agar bella wanha na hoti to un ki jeet kabhi bhi nahi ho sakti thi, Bella ne kitni baar unhe mushkil se nikala bina kisi virodh ke, Ab wo he Bella Aarav ke haatho me Marne ki baate ker rahi thi.




Aarav: Bella....! Mujhe sach batao kia huwa hai? Tum kiu khud ko heal nahi ker rahi? Kuch to hai jo tum chupa rahi ho, Kia hai wo?




Bella ki muskan ek pal ke liye dhal gayi, Jo baat Aarav se chupana chahti thi ab wo chupani mushkil ho gayi thi.



Aara: Tum mujhe bata sakti ho! Main tumhe mujhe na batane ke liye kosna nahi chahta, Please mujhe batao kia huwa hai?



Aarav ki awaz me dard aur himmat dono ek saath thi, Bella ne khud ko Aarav ki pakar me aur zor se bheench lia, Aarav ne bhi usse apni bahon me bhar lia.



Bella: Hume nahi pata! Lekin pata nahi kiu, Mera shareer meri baat nahi maan raha, Sab keh rahe the ke zada Mana transfer karne se meri body ke Mana points khul gye hai, jo sach bhi hai! Lekin kuch aur bhi hai jo hum samajh nahi paa rahe, Meri body Mana kheench to rahi hai Lekin wo usse apne andar he samaite huwe hai, Main usse Use bhi nahi ker sakti hu.



Aarav ko ab Bella ke paas se aa rahe uss Mana Aura ki wajha samajh aa gayi, Aarav apni puri zindgi mushkilo se larta aya tha usse situation samajhne me waqt nahi laga.



Aarav: And it all started the moment you kissed me, right? Mujhe Mana dene ke liye tum ne apni limit ko push kia tha, Akhir kiu?



Bella pehle to heraan huwi ye soch ker ke kitni jaldi Aarav ko pata chal gaya, Lekin agle he pal dobara dard bhari muskurahat uss ke chehre per aa gayi aur wo Aarav ke chehre per haath pherane lagi.



Bella: Haan! Ye tab he shuru huwa, Aarav, when I kissed you, it was as if time stood still, and all the worries and pain faded away. In that moment, I felt a love so intense, so pure, it surpassed any other experience in my life.



Uss lamhe ko yaad karte huwe Bella ko sirf khushi yaad thi, Wo ye soch bhi nahi rahi thi ke Uss lamhe ne usse barbaad kia ho, Uss ke liye wo lamha ek precious moment tha.



Bella(Whisper): Aarav, I want to feel the touch of your lips once again!



Bella ne Aarav ke kaan ke paas aa ker kaha, Aarav ki ankho ke saamne wohi Bella thi jis ko uss ne uss roshni me kisi Angel ki tarha daikha tha, Angel jis ne uss ki zindagi bachayi uss ki pehli kiss.




Aarav ke haath Bella ke sar ke peeche gye aur dono ek dusre ke kareeb ane lage, Dono apne dard ko nazarandaz karte huwe uss lamhe me doob rahe the, Dono ke hont mile aur shuru huwi dono ke beeche ek intense kiss, Dono ek dusre ko Devour ker rahe the, Kabhi Aarav ke hont Bella ke muh me to kabhi Bella ke gulabi hont Aarav ke muh me, Dono ke zordar chumban se uss andheri khayi me awaze goonjne lagi.

449e8d2b5a569e1d2e38a2053bcc105a.jpg


*Pch* *Smooch* *mmmuah*


****



Darkvale Forest
64 Hours 14 Minutes Remaining



*Thrust*



Yoo-Jung ne jhadiyon se baahir Ate Dzanum ko move me maar giraya, Uss ke peeche ate Daisuke aur Vansh ko kuch karna bhi nahi per raha tha, Wanhi Daisuke abhi bhi Yoo-Jung per nazre rakhe huwa tha.



Daisuke(Whisper): Koi shaq nahi ke jo Fire breathing Yoo-Jung ne Use ki thi wo Fire Realm Clan ki hai! Lekin Yoo-Jung ne saaf inkaar ker dia ke wo uss clan se nahi hai, Aur agar main dhayan se daikhu to Yoo-Jung ka fighting style bilkul alag hai Fire Clan se, Akhir kon hai ye Yoo-Jung?



Yoo-Jung: Kuch kaha kia?



Aage chal rahi Yoo-Jung ne peeche ghoom Daisuke se pucha to Daisuke apne khayalo ki duniya se baahir aa gaya.



Daisuke: Main kuch samay pehle aye uss Notification ke baare me soch raha hu! Isabelle ke notification ke baad ab tak koi bhi aur nahi aya, Abhi ke liye wo zinda hai lekin hume jaldi kuch karna ho ga.



Wo log 6 ghante se lagatar chal rahe the, Abhi tak unhe koi bhi safe raasta nahi mila tha neeche jaane ka, Wanhi Isabelle ki condition ka aya notification unhe aur bhi pareshan ker raha tha.



Yoo-Jung: Hmm! Koi aur notification shayad aye ga bhi nahi!



Daisuke(Confuse): Aur aisa kiu lagta hai tumhe?




Yoo-Jung: Ap ne mujhe Isabelle ki situation ki reports di thi! So i did some research, Mujhe lagta hai main Isabelle ki condition ki wajha samajh chuki hu.



Daisuke ke chalte kadam ruk gye, Wo heraani se Yoo-Jung ko daikhne laga, Sach tha ke Yoo-Jung ne Isabelle ki reports maangi thi aur Daisuke ne usse di bhi thi report, Lekin Daisuke ne ye nahi socha tha ke Yoo-Jung ko kuch mile ga.



Daisuke: Tumhe yaqeen hai kia? Hum ne itne bare Doctors aur researchers ke saath Player's ko bhi sab kuch bataya, Lekin kisi ko bhi kuch pata nahi chala to tumhe kaise?



Yoo-Jung: Unhe pata lag sakta tha! Lekin agar unhe meri tarha sab kuch pata hota tab, Ap bhool to nahi rahe ho ke hum ne Aarav ki identity sab se chupai hai?



Daisuke ki heraani aur barhne lagi, Jaise usse samajh ane lagi ke Yoo-Jung kia kehna chahti hai, Sabhi ko sirf ye pata tha ke Isabelle ne Limit se zada Mana Use kia, Lekin kisi ko ye nahi pata tha ke wo Mana Aarav ke upar Use huwa ho, Unhe to ye bhi nahi pata tha ke koi Aarav hai bhi!



Daisuke (Calmly): Kia pata chala hai tumhe?


Daisuke wanhi neeche baith gaya, Yoo-Jung bhi chaaro taraf daikh ker neeche baith gayi, Wanhi Vansh ko araam karne ka moka mila wo uss se he bohat khush tha.



Yoo-Jung: Main ne sirf Isabelle ki halat ko nahi samajhne ki koshis ki! Main ne historical Beast per bhi research ki, Un me he the Wolves ke baare me kuch information, Hume Wolf ki kahaniye sirf jhoot lagti thi, Lekin un ki bhi kuch to base thi na.




Yoo-Jung ki baat sahi thi ke Werewolves wagaira the to sirf kisi kahani ke hisse, Lekin ye bhi jhuthlaya nahi ja sakta tha ke jo un ke saath ho raha hai wo kisi kahani se kam hai.



Daisuke (Curiously): To kia result mila research ka?




Yoo-Jung: Mujhe ek theory mili! For a lone wolf to join the pack, they have to let the alpha bite them. The bite draws a little blood as an offering. That mixing of blood bonds them to the alpha as part of the pack. Any wolf without the alpha's bite marking is still seen as an outsider by the others. The bite is how the wolf becomes accepted.



Daisuke: Phir?



Yoo-Jung: Last time jab hum yahan aye the, Mujhe Isabelle se ek alag feeling mehsoos hoti thi! Ek Aura jo kisi aur me se nahi aa raha tha, Lekin waisa he Aura demon Wolves me se aa raha tha, Lekin Isabelle ka Aura strong tha shayad Shadow se bhi zada strong!



Daisuke (Stunned): Kehna kia chah rahi ho?




Yoo-Jung: Meri theory ye hai! Jis lamhe Isabelle ne Aarav ko Mana transfer kia, Wo mana ek Wolf ki apne Alpha ke liye Blood offering ki tatha Use ho gaya, Mujhe lagta hai ke Isabelle Aarav ke Pack ka ek hissa ban chuki hai.




Daisuke phati ankhon se Yoo-Jung ko daikhta raha, Lekin Yoo-Jung ki sabhi baate sense bana rahi thi, Daisuke ne Yoo-Jung ko aage explain karne dia.


Yoo-Jung: Jab Isabelle ne Aarav ko Alpha ban'nne me madad ki! I think part of that process magically bonded Isabelle to him as his pack member. On a subconscious level, Isabelle's body now sees itself as serving the alpha, just as the other wolves do.



Daisuke: Serve? Kis tarha ka serve?



Yoo-Jung: Like how wolves will store food and reserves for their leader! I believe Isabelle's constant mana absorption is similar, Isabelle body is stockpiling it for Aarav, to offer him energy whenever he may need it, whether he knows it or not.



Daisuke: Lekin Aarav se alag hone ke baad bhi wo aisa kiu ker rahi thi?




Yoo-Jung (Sigh): Huh! Mujhe lagta hai ke waapis jaane ke baad bhi Isabelle ki Wolf Instinct usse apne Alpha ke liye kuch karne ko majboor ker rahi thi, Jis ke liye uss ki body Mana store ker rahi thi, Ab jab wo ek saath hai to shayad un ka Alpha wolf bond Isabelle ko behtar ker de!



Daisuke apna sar pakar ker baith gaya, Itna sab kuch Yoo-Jung ne khud se pata ker lia tha, Daisuke ko lagne laga tha ke Yoo-Jung ek genius hai, Lekin Aarav ka case itna zada sanjeeda ho ga ye bhi nahi socha tha Daisuke ne.



Daisuke: Aarav ke baare me kuch aur pata kia kiya?



Yoo-Jung ne Daisuke ki taraf muskurate huee daikha, Jaise keh rahi ho ke sahi samajh rahe ho.



Yoo-Jung: Kya ap ne kabhi socha hai ki Aarav itna shaktishaali kaise ban gaya? His abilities surpass ours by a great margin! he can effortlessly defeat formidable foes like the Orc King single-handedly, he was chosen by the Alpha and even earned the respect and loyalty of the Demon Wolves, Akhir kaise Aarav jaisa larka jo apni puri zindagi me kabhi kisi se lara bhi na ho, uss ne Alpha jaise Beast ko hara dia, Ye sirf koi Coincidence to nahi ho sakta na.



Daisuke: And what do you think is the reason behind his power?



Yoo-Jung: Hum aur hum se Pehle jitne log bhi yahan aye un ke liye ye sab kuch ek game ki tarha ka tha! Yahan hume Quest milti aur puri karne per Power milti, aur main isse sehmat hoon, Lekin agar yah sach mein ek game hai, then Aarav is the most overpowered character within it. If I were to put it accurately, Aarav is like a error character in this game that not even the Game it self can fix!




Yoo-Jung ki theories Vansh aur Daisuke dono per bomb per bomb phore ja rahi thi, Dono ka jaise Brain processing karna chhor gaya ho, Yoo-Jung baithi un ki halat ka maza le rahi thi.



Daisuke ye soch raha tha in sab theories ke liye Yoo-Jung ne kitni mehnat ki ho gyo, Na sirf wo pehle se strong thi saath me wo aur bhi sharp ho chuki thi, Aarav se bari Mystery agar koi wahan thi to wo Yoo-Jung khud thi.



Vansh: Tumhe lagta hai ke hume usse bachane ke liye itni mehnat karni chahiye? Agar wo hamare khilaaf huwa to hamare liye ek khatra ban sakta hai!




Yoo-Jung: Per wo he khatra hamara sab se strong Weapon bhi hai! If there's one thing I feel for Aarav, it's respect. I respect him as a member of our party, his unwavering dedication to his sister, and his unwavering resolve to protect everyone.



Vansh ki bolti band ho gayi, Kahan wo kuch bol ker khud ko samjhdar dikhana chah raha tha, Wanhi wo ek mazak ban ke reh gaya tha.



Daisuke: Tum Aarav per trust karti ho puri tarha?



Yoo-Jung kuch pal ke liye khamoosh ho gayi, Khud se puch rahi ho ke kia Aarav per yaqeen kia ja sakta hai kia?



Yoo-Jung: Mujhe nahi pata! But, I've seen people become corrupted by power, but for some weird reason, I don't get that feeling from Aarav, There's something special that sets him apart from everyone else, but it's not just how strong he is, Aarav has this incredible feeling about him, When you are with him you know everything's going to be fine.


Yoo-Jung ke shabdo me jhalak raha tha ke wo Aarav ki kitni respect karti hai, Aur kanhi na kanhi Daisuke ne bhi Aarav se wo feeling mehsoos ki thi, Wo sakoon ka ehsaas jo aisi kahtarnak jagha per bhi zinda rehne ke liye himmat de de.


****


*Huh*


4ea57a20a1594837f21e9ac68074c30c.jpg


Aarav ek baar dobara apne Inner Qi core ke saamne tha, Har baar ji tarha iss baar bhi Aarav ek Energy ke roop me tha, Lekin ab wo yahan kiu aya tha? Wo dhayan to laga nahi raha tha phir wo core ke saamne kaise kheencha gaya? Aarav ke mann me aise sawal the.



Core pehle se barh chuka tha kiu ke Aarav ne Initiate Level Inner Qi master ker li thi, Aarav usse daikh he raha tha ke Aarav ko apne paas ek aur energy mehsoos huwi, Aarav uss energy ke paas gaya to wo Aurat ke sahreer ke roop me thi.



Aarav: bella?



Aarav energy ko Pehchaan gaya, Aarav me aage barh uss ko chhuna chaha to Energy Aarav ke gird lipatne lagi.



[Mana core signature detected. Connection formed with host Isabelle]


[Isabelle's stored mana detected. Energy transformed into pure form]




Aarav ke saamne Notification aye, Aarav us Energy ko apne haatho per balance ker paa raha tha, Aarav ne apna haath aage kia to wo Pure Energy Aarav ke Inner Qi core se ja milne lagi.


[Isabelle's pure energy combining with Player's Inner Qi, Inner Qi strengthening process started]




Aarav ko apne andar ek tez jalan mehsoos hone lagi, Aarav me andar energy tezi se flow karne lagi, Pure Energy Inner Qi se baahir nikal rahi thi aur wanhi Inner Qi core damage hona shuru ho gya tha.


[Inner Qi core instability detected. Commence cultivation session for reinforcement]


82f6d665618dcdd2ca037e53763a659c.jpg
Aarav waapis dhayan per baith gaya, Bella se Pure Energy Aarav ki energy se ho ker Core tak ja rahi thi, Aarav uss ko balance karne ke liye Cultivate ker raha tha.


****

Darkvale Forest
60 Hours 16 Minutes Remaining



Aarav ne apni ankhe kholi 3 ghante ho chuke the, abhi bhi uss ke hont Bella ke honto per the, Lekin Bella se aa raha wo Mana aura shaant per chuka tha.



[Cultivation complete. Inner Qi mastery achieved - Apprentice level attained]


[Inner Qi cultivation successful. Physical body enhancement parameters updated - Bone density increased by 20%. durability raised by 20%]



[Isabelle's condition stabilized. Party member status updated - No longer critical]




Kia huwa Aarav ko samajh nahi aa rahi thi, Lekin Inner Qi level barhne ke saath Bella bhi bach gayi thi, Aarav ke andar ek sakoon ka ehsaas huwa, Uss ke khud ki sabhi injuries bhi heal ho chuki thi.



Bella apne hont alag ker peeche huwe to un ke beech thook ke threads ban gye, Aarav ne Isabelle ka chehra daikha to uss ke chehre per ek sharam ki parat charh chuki thi, Wo josh josh me kia bol chuki thi wo sab ek saath uss ko yaad aa rahi thi.



Wanhi Aarav ke liye bhi ye Feeling bilkul nayi thi, Usse bhi nahi pata tha wo kaise react kare dono Embarrassment feel ker rahe the kuch kehne ke liye.



*Boing*


✧◝(⁰▿⁰)◜✧



Slime uchalte huwe wahan aa gayi, Aarav ne uss ke peeche dhayan se daikha to wahan kuch ajeeb parani mare huwe the, Itne ghanto se Slime unhe protect ker rahi thi, Aarav ne uss ko utha lia aur khara ho gya.



Aarav: Thank You! Tum ne aj bohat mehnat ki hai.



(◍•ᴗ•◍)



Slime Aarav ke haatho me ate he shaant ho gayi aur Araam se wahan baith gayi, Bella bhi khari ho gayi.




Aarav: Hume yahan se nikalane ka raasta dhoondhna ho ga! Saam-



*Kaboom*



Aarav ke shabd beech me he ruk gye jab uss ke saamne ek bara pathar aa ker gira, Dono ne chaunkte huwe uss taraf daikha, Khayi ki deeware kaanp rahi thi aur ek dusre ke nazdeek aa rahi thi.



Bella: Shayad mujhe kuch galat dikh raha hai! Kia ye deeware sach me band ho rahi hai?



Bella ne Aarav ki taraf daikha to uss ke chehre per aye dar ko daikh uss ko jawab ki zaroorat nahi thi, raasta chote se chote hota gaya aur aisa he chalta to dono beech me he dab jaane wale the.


*Boing*



Slime uchalte huwe ek taraf chali gayi, Aarav ne bhi kuch nahi socha aur uss ke paas chala gaya, Deewar me ek choota sa chaid tha jahan ek narrow space thi.



Bella: Hum sach me ye karne wale hai kia?



Aarav: Koi aur choice nahi hai!



Aarav ne apne haath me Qi Balde banayi aur deewar ko kaatne ki koshis karne laga, Kuch he palo me dono side ek dusre ke bilkul paas aa gayi, Wanhi Aarav ne wahan 2 logo ke laitne jitne jagha bana li thi, Dono ne ek dusre ki taraf daikha aur deewar ke andar chale gye.




*Thud*
.
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he umeed akarta hu ap ko update pasand aye ga, Update 6K Words ka hai, Iss me ap ko ap ke bohat se sawalo ka jawaab mile ga, Waqt lene ke liye sorry, Target wo he hai 30 Likes, Target huwa to next Update Wednesday night ko aye ga, Update ka maza le, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
bahut badia update
 
  • Like
Reactions: Salty~Otaku

Bhupinder Singh

Well-Known Member
2,009
5,019
158
UPDATE 31 ~
(ECHOES OF THE PAST)


New York ~ 11:07 PM



*Vrooom*


New York ki sarak per ek car tezi se aage barhti ja rahi thi, Car chalane wala Vyakti tha. Vansh, Wo Car ko sarak per bhagata ja raha tha.



Uss ke chehre abhi bhi gusse se laal tha, Uss ke haath stering wheel ko zor se pakre huwe the, Usse samajh nahi aa rahi thi ke wo kia kare?



Vansh ne Rear View Mirror me daikha to usse apne peeche aa rahi security car's dikh rahi thi, Uss ke ghar se nikalte he use ki Maa ne ne security ko uss ke peeche bhej dia tha.



Vansh(Tch): Aur kitni der aise he peeche rehne wale hai ye log? Mujhe kuch karna ho ga!



Vansh ne Car chalate huwe he apni Pocket se Mobile nikala aur number milane laga, kuch rings ke baad he dusri taraf se call pick ho gayi.



Vansh's Friend(On other side): Haan, Hello?



Vansh: Kahan hai?



Vansh's Friend (Chuckle): Hona kahan hai? Wanhi apne wale flat per hu, Kia huwa?



Vansh: Main bhi aa raha hu! Aur kisi ko aj raat ke liye mere liye chhod dena, Sirf ye kuch makh-



Vansh ne peeche daikh to heraan ho gaya, Peeche aa rahi sabhi Gadiyon ne apna raasta badal lia tha, Wo ab Vansh ke peeche nahi aa rahi thi, Vansh ne Car side per roki aur intezar karne laga.



Lekin koi bhi gadi waapis nahi ayi, Vansh ko bhi samajh nahi ayi ke wo kiu chale gye hai? Kuch bhi emergency ho jati lekin uss ke peeche bheji security ko uss ki family me se koi bhi waapis nahi bulata tha.



Vansh's Friend: Vansh! Kia ho gaya chup kiyu ho gaya hai?



Vansh: Haan, Kuch bhi nahi! Umm, Aj sab kuch ajeeb ho raha hai, Tere Uncle ka bar yanhi paas me hai shayad, Main kuch drinks ke baad aoo ga.



Vansh's Friend: Theek hai! Tu aa jana tere liye sab se best wali rakhu ga, Kisi ko haath bhi nahi lagane du ga.



Vansh ne ca hang ki aur waapis Car chalane laga, Paas me he bane apne dost ke Uncle ke baahir apni Car ko Parking me laga ker wo andar chala gaya, Ye koi local Bar nahi tha, Yanha ki drinks baki Bar's se expensive thi, Lekin un ki service aur ache Naam ki wajha se yahan sirf paise wale log aye the.



Vansh seedha Bar ke paas chala gaya, Owner ne usse pehchaan lia aur bina uss ke kahe Larke ko bhej dia, Vansh baith gaya aur jo bhi Drink ayi usse ek ke baad ek gale se utarta raha.



Vansh(Tipsy): Ab itna gaya guzra ho gaya hu kia sab ke liye main kia? Ab un ke liye mujhe security dena tak bhi zaroori nahi hai kia? Sab uss haramzade ke ane ke baad shuru huwa hai.


Vansh khud se he barbarane laga, Uss ko gusse se zada jalan ho rahi thi Aarav se, Uss se zada shaktishali to wo tha he lekin ab wo apna Naam bhi banane laga tha, Ye waqt dur nahi tha jab Aarav Vansh ke barbadi karne layak ban jata.


Ye soch ker he usse apne andar ek bhay ka ehsaas hone laga tha, Uss ne socha tha ke Aarav uss ke liye ek Personal Dog ki tarha ho ga, Jo uss ke kehne per dum hilaye ga, Lekin sab kuch ulta hone laga tha.



*Thud*


Vansh ne glass counter per zor se rakhte huwe apne andar ban rahe uss gubar ko kabu karna chaha, Lekin kuch khaas madad mil nahi rahi thi.


“Vansh Sayani! Son of Adarsh Sayani”



Vansh ko apne paas se awaaz ayi to uss ne apne saath daikha, Wahan 2 log baithe huwe the mask pehne huwe.



Vansh: Do i know you?



Vyakti 1: Tum to nahi jaante, Lekin hum tumhe jaante hai! Player Vansh Sayani.



Player shabd sunte he Vansh ke kaan khare ho gye aur wo chaukanna ho ker baith gaya, Lekin un me se koi kuch nahi ker raha tha, Unhe ye pata tha ke Vansh player hai sirf ye baat he un ke Sadharan Vyakti na hone Sanket de rahi thi.



Vansh: Kon ho tum dono?




Vyakti 1: Aise chaukanne hone ki zarorat nahi hai tumhe! Agar hume tumhe kuch kehna hota to ab tak tum yahan baithe na hote.



Vansh: Yo-



Vyakti 2: Don't even think about doing something idiotic!



Dusre Vyakti ne Vansh ke kuchh karne se pehle he usse ghoor ker daikhte huwe kaha, Uss ki aankhon se aa rahi Bloodlust daikh ker Vansh shaant ho gaya.



Vyakti 1(Laugh): Aise dara kiyu rahe ho tum bache ko? Hum yahan jhagra karne to nahi aye.




Uss Vyakti ke bolte he dusra vyakti chup ker ke shaanti se baith gaya, Vansh samajh gaya ke ye he Main hai wahan.



Vansh: Mujh se kia chahiye tumhe?



Vyakti 1: Nah, Galat! Hume kuch nahi chahiye, Sawaal hai tumhe kia chahiye?




Vyakti ne Vansh ki aankhon me daikte huwe pucha, Vansh ko andar tak sihran mehsoos hone lagi, Sab se pehla chehra uss ke saamne Aarav ka aya.



Vansh: Power!



Jaise saamne wala ye he sun'nna chahta tha, Uss ne apna ek haath Vansh ke kandhe per rakha aur dusre haath se kuch apni pocket se nikalne laga.


Vyakti: Power sirf kehne se nahi milti! Uss ke liye mehnat karni parti hai, Lekin agar tum wo power Achieve nahi ker sakte to tumhe jis ke paas wo hai uss se cheen leni chahiye.



Vansh ne apne haath me daikha to wahan ek chota box tha, Vansh uss Vyakti ko sawalia nazro se daikhne laga.



Vyakti: Ye tumhari madad kare ga! Ye kia hai tumhe khud kuch din me pata lag jaye ga, Yaad rakhna, Haathi ko girane ke liye hathiyar bhi shaktishali chahiye hota hai.



Dono itna kehne ke baad khare ho gye, Vansh puchna bohat kuch chahta tha lekin uss ki himmat he nahi huwi, Uss ko shaant daikh dono jaane lage.



Vyakti 2: Master, Jinho! Ap ko nahi lagta ke ap ko Yoo-Jung ka naam batana chahiye tha? Aur hum ne itni mehnat kiu ki Vansh ki security ko illusion ki madad se kanhi aur bhejne ki?



Jinho ne apne saath chal rahe apne saathi Chang ki taraf daikhne laga-



Jinho: Tum abhi tak duniya theek se samajh nahi paye ho! Vansh ka bara bhai Aakash Sayani hai, Aakash aisa insaan hai jis ke against main khara ho bhi gaya to haar meri ho gi, Ye Duniya sirf system ke milne se asaan nahi ho gi, Hum Aakash se bhirne ki galti nahi ker sakte.



Chang ne pehli baar Jinho ke muh se kisi ko khud se zada shaktishali kehte suna tha, Agar Jinho ye keh raha tha to Aakash kitna bara khatra ban sakta hai wo socha bhi nahi ja sakta tha.



Jinho wahan se jald se jald nikalna chahta tha, Dono tez kadam lete huwe baahir ke liye nikle ko huwe to Jinho kisi se takra gaya, Jinho ne daikha to ek sundar larki uss ke saamne thi.



Lekin uss ki nazar saamne khare larke per gayi jo uss sundari ko pakre huwe tha, Jinho ne thore maze lene ka socha aur uss larke se thora khelne laga.


[Ability (Intimidating Presence) Activated]



Jinho ne apni Abilty se uss larke ko darana chaha, Lekin wo larka bilkul sahi khara raha, Jinho ki heraani ki seema nahi thi, Dusri baar ho raha tha ke koi aise araam se khara huwa tha.


[The target manages to shatter the player's intimidating presence]



Ab ki baar ye Yoo-Jung se bhi zada ajeeb ho raha tha, Na wo sirf Jinho ki presence me khara tha, Uss ne Jinho ki Abilty se khud ko baahir bhi nikal dia tha, Lekin itna kafi nahi tha.




[The player feels the intense pressure of the Alpha bearing down on them, resulting in a significant reduction of 30 points across all of the player's stats. Additionally, the player's fear surges by 60%.]



Jinho ghutno per gir gaya, Uss ki saanse phoolne lagi, Wo khud ko kamzoor hota mehsoos ker paa raha tha, Wahan ki havaye bhari hone lagi thi, Jinho ne Chang ki taraf daikha to uss ki halat aur bhi badtar thi, Jinho ne larke ki taraf daikhna chaha to uss ki Aankho ke saamne aye drishya ne uss ki halat aur kharab ker di.




“Aarav! Ye sab kia ho raha hai?”



Vanshika ne wahan ki halat daikh darte huwe pucha, Uss ke saamne 2 ache bhale Admi yun Achanak zameen per gir gye the, Wanhi Aarav ye jaan chuka tha ke in me se koi ya dono uss ki tarha Player hai, Aur Aarav ki Presence ki wajha se unhe bhi pata lag chuka hai.



Aarav ne apni pocket me rakha mask nikala aur pehan lia, Aarav ne aage ja ker apna haath un ki taraf barha dia, Jinho ne kaanpte haatho se Aarav ka haath pakar lia, Aarav ne usse uthaya aur phir saath wale Admi ki taraf barha, Lekin uss ki halat aur bhi kharab ho chuki thi.



Aarav ko ab dar lagne laga tha ke ye log uss ke liye khatra na ban jaye, Aarav ne neeche jhuk ker Chang ko uthaya aur Jinho ke sahare chhor dia uss ko.




[Alpha Presence Deactivated]



Aarav ne khud per control ker lia aur unhe aage jaane ka raasta dia, Jinho bhi wahan ruka nahi aur nikal gaya, Aarav waapis Vanshika paas chala gaya.



Jinho ne Chang ko seat per baithaya aur khud driving seat per baith gaya, Gaadi ko thora wahan se dur le ja ker wo ek jagha ruk gaya, Chang bhi ab apne hosh me ane laga tha.



Chang(Groan): K-Kia tha wo? Saans lete huwe bhi aisa lag raha tha jaise andar se gala kat raha ho, Pura shareer *Gasp* pura shareer dab gaya tha.



Jinho(Frightened): Mujhe nahi pata! Lekin wo jo bhi tha khatarnak hai, Hume kuch karna ho ga, Lekin kon tha wo? Main ne usse pehle bhi kanhi daikha hai, Lekin kahan?



Jinho khud se he sawal puchta raha, Lekin wo waapis ja ker khud ko khatre me nahi daalne wala tha, Jinho ne Car chalayi aur wahan se nikalna acha samjha.




****


Vanshika: Kia huwa tha? Aise gir gye wo dono?



Aarav: Shayad zada drink ker li ho gi! Lekin ab wo theek hai.



Aarav ko khud samajh nahi aa rahi thi ke ho kia raha hai? Lekin usse iss baat ki rahat thi ke uss ki Presence Vanshika ki taraf focus nahi thi, Vanshika ne bhi kuch nahi pucha.



Aarav: Vanshika! Hume andar Vansh ko dhoondna chahiye?



Aarav ke kehte he Vanshika ko wapis dhayan aya, Wo sar hila ker andar chali gayi uss ke saath he Aarav bhi andar chala gaya, Dono Vansh ko dhoodne lage aur unhe Vansh ek jagha baitha dikh gaya.



Haath me drink pakre wo apna sar per haath rakh ker baitha huwa tha, Uss ke chehre se dikh raha tha ke wo kitna nashe me ja chuka hai, Vanshika ne jaise he Vansh ko daikha wo Aarav ke saath se hote huwe uss ki taraf chali gayi.



Vansh apne dhayan me tha jab uss ke haath se Glass cheen ker table per rakh dia gaya, Vansh thora bokhla gaya jab wo hosh me aya to apne saamne Vanshika ko paya.



Vanshika gusse se usse daikh rahi thi, Vanshika ne Vansh ki kalayi pakri aur usse kheench ker baahir le jane lagi.



Vansh: Chhor mera haath!



Vansh ne Vanshika ka haath apni kalayi se jhatak dia, Lekin Vanshika ko heraani nahi huwi wo sirf Nam aankhon se Vansh ko daikhti rahi.



Vanshika: Kia ker rahe ho yahan? Itni si baat ka itna batangad bana dia tum ne! Pata hai Maa kitna dar gayi hai? Aur tum yahan sharab pee rahe ho.



Vanshika ki Aankhon me ansoo the lekin uss ki awaz me rob tha, Wo pure gusse se sab kuch keh rahi thi, Wanhi khare sab logo ka dhayan bhi un ki taraf ho gaya.


Bar ke Owner ne kuch larke bhej diye sabhi guest se maafi mangne ke liye, Wo jaanta tha Vanshika bhi Sayani family ki beti hai, Agar wo beech me gaya to uss ka Bar zada samay rehne nahi wala tha.



Vansh(shout): Tujhe kia phir? Tu ja apne photoshoot karwa, Aur sab kuch ker, Main jo marzi karu!



Vanshika(angry): Mujhe farak parta hai! Agar farak nahi parta to aj yahan nahi hoti, Tumhari tarha abhi behis nahi bani main, Kam se kam main ek beti to ban sakti hu.



(Ye Vansh Sayani hai na? Ye kia ho raha hai)


(Koi apni behan se aise baat bhi karta hai kia?)



(Sirf paise se koi izaat nahi bana sakta)



Paas ke sabhi log khusar-phusar karne lage, Vansh sab sun paa raha tha, Uss ka gussa aur barhta ja raha tha, Vansh gusse se Vanshika ki taraf barha, Lekin Vanshika wanhi apni jagha khari rahi.



Vansh: tu boha-



Vansh ne apna haath uthaya, Lekin wo Vanshika ko pakar sakta uss se pehle ek haath Vansh ki chaati per aya aur uss ko roke khara ho gaya, Vansh ne daikha to wo Aarav ka haath tha.



Lekin Aarav bhi Vansh ko aise chaunke huwe daikh heraan ho gaya, Vanshika ne Aarav ke kandhe per haath rakh uss ka Dhayan apni taraf kia.


Vanshika (Whisper): Tumhare Night Vision lense on ho gye hai!




Aarav pehle sochne laga phir usse jaise he ehsaas huwa ke uss ki aankhen abhi bhi neele rang ki hai abhi kuch der pehle huwe incident se, Aarav ko samajh aa gayi ke Akhir kiu Vansh aise dar raha tha.



Aarav ne apne haath ko Aankho per rakh ker khud ko normal kia, Vansh Aarav ko wahan daikh ker aur bhi gusse me ane laga, Hosh me wo dar bhi jata per nashe ki halat me wo jaise dar ko bhool raha tha aur pagal huwe ja raha tha.



Vansh: Ye bhi saath aya hai! Behenchod iss ke saath he ghoomna tha na, Yahan ane ki kia zaroorat thi, Aur tujhe itni aag lagi thi to apne mangetar se bujha leti tujhe ye haramzada he mila tha, Saala gandi naali keera mehlo me rehne ke khawab saja raha hai.




“Vansh”



Vanshika ka shareer kaanpne laga aur wo girne ko hone wali thi jab Aarav ne usse sambhala, Apne bhai ke muh se khud ke liye aise shabd sun ker wo sadme me ja chuki thi, Uss ki aankhon se ansoo girne lage the.

4cc158deb1ddc424adc0c904ed5f40d5.gif

Lekin Vanshika se zada nas phul rahi thi Aarav ki, Wo khud ko kabu kiye huwe tha warna wo Vansh ka muh band karne ke liye tayar tha.



Vansh: Aise chilane ke baad dobara uss ki banhoo me ho! Ab agar main kuch kahu ga to ye rand bole gi ke ye meri parwah karti hai.



Vansh nashe ki halat me kia bolte ja raha tha usse khud samajh nahi aa rahi thi, Lekin Vanshika har shab sun'nne ke baad vishwas nahi ker paa rahi thi ke ye sab Vansh uss ka khud ka bhai usse keh raha hai.



Sabhi logo ki wo Nazre jaise Vanshika ko khaye ja rahi thi, Lekin phir jaise usse ehsaas huwa ke ye sab Aarav ne bhi suna hai to uss ka dil baithne ko hone laga.



Vanshika ne Aarav ke chehre ki taraf darte huwe jhanka, Lekin wo jaisa soch rahi thi sab uss se alag tha, Aarav chup khara tha uss ka chehra laal ho raha tha, Uss ke haath Vansh ki taraf jaane ko tayar the.



Lekin itne gusse me wo apni shakti ko kabu me nahi rakh sakta tha, Agar wo abhi Vansh ki taraf jata to Vansh ki kia halat honi thi wo wahan sab ke liye ek khoofnak manzar ban jana tha.



Vanshika ne apne haath se Aarav ka haath pakra aur jaise dono ko ye he chahiye tha, Aarav ka gussa kuch shaant hone laga, Vanshika ke uss dard bhare chehre per ek rahat ayi ke Aarav abhi bhi uss ke liye gussa ho raha hai sharminda nahi.



Wo Aarav ko pakre huwe thi ke wo gusse ki halat me Vansh ki taraf na chala jaye, Wo abhi bhi apne bhai ke liye soch rahi thi, Lekin wanhi Vansh uss sab ko kuch aur he samajhta ja raha tha.



Vansh(Mumble): Tum dono ko ye sab mazaak lag raha hai? Kitne besharam ho sakte ho tum dono? Itna sab hone ke baad bhi ek dusre se lipte huwe ho. Aarav, tujhe kia lagta hai mere saamne tu aisa kare ga aur me begairato ki tarha daikhta rahu ga.


Vansh ne apna haath uthaya to Aarav ko samajh aa gayi ke wo kia karne wala hai, Vansh apni Inventory se apna Weapon nikaalne wala tha, Aarav ek buri sthithi me phans chuka tha.




Agar wo kuch na karta to Aarav apni shaktiya sab ko dikha deta, Aur agar Aarav kuch karta to uss ki apni shaktiye sab ke saamne aa jati, Vanshika ko kuch bhi nahi pata tha to wo sirf Aarav ko pakre huwe thi ke wo kuch na kahe Vansh ko.



*Swishhhh*



Aarav ke saath se koi hava ke jhonke ki tarha nikla aur aage ja ker Vansh ko pakar ker hava me ghoomate huwe usse zameen per de mara, Aarav pehle kuch karne wala tha.




Lekin jab uss ne vyakti ko daikha to wo ruk gaya, Uss ke saamne Barbie Vansh ko pakre huwa tha, Aarav ne peeche daikha to saamne se Aakash aa raha tha.




Vansh(Groan): Hato mere upar se! *Ugh* choro mujhe.



Vansh zor laga raha tha lekin Barbie usse pin down kiye huwe tha, Aakash ko wahan daikhte he sab tamasha daikhne wale uth ker baahir jaane lage, Agar Aakash un ke khilaf kuch grudge rakh leta to un ki zindagi barbaad ho jani thi.



Aarav ne ek khaali jagha daikh ker Vanshika ko udhar baitha dia, Barbie ne Vansh ko uthaya aur Aakash ke paas le gaya, Aarav chaunk gaya ye daikh ker ke nashe ki halat me Vansh apne bhai ke saamne shaant ho gaya tha.



Aakash: Tumhari galti tum khud jaante ho! Tumhe sawal karne ki ijazat nahi hai. Barbie! Vansh ko yahan se le jao.



Barbie Vansh ko pakre usse baahir le gaya, Aarav sab shaant hota daikh Aakash ke paas chala gaya.



Aarav: I'm sorry, Sir! Mere hote huwe baat itni bigar gayi.



Aakash(Smile): Aarav!.... Tumhe khud ko blame karne ki zaroorat nahi hai, Tum se jo ho saka tum ne kia hai.




Aakash ne Aarav ke kandhe per haath rakhte huwe kaha, Aarav ne bhi aage kuch nahi kaha, Aakash uss lamhe sab ke liye alag he presence create ker raha tha bina kisi Ability ya shaktiyon ke he.



Aakash: Aur tum ne jo message kia? Wo dono log jo bhi the hum un tak pohanch jaye gye, tum ne tracker laga ker bohat acha kia.



Aakash ne Aarav ko saraha، Aarav ne un dono ko aise he nahi jaane dia tha, Chang ko uthate huwe uss ne Aakash ki taraf se emergency ke liye dia gaya tracker laga dia tha.



Aakash wahan aa he raha tha, Jab usse security ne inform kia ke unho ne Vansh ko khoo dia hai, Lekin Aarav ke aye message se usse location mil gayi aur uss ne apne kuch log un dono ke peeche bhej diye.



Aakash: Abhi ye sab mat socho! Mujhe jaana ho ga, Lekin koi hai jis ki tum madad ker sakte ho.



Aakash ka ishara Vanshika ki taraf tha jo apni jagha bina kuch bole sar jhukaye baithi huwi thi, Aakash Aarav ko best of luck keh ker baahir nikal gaya.



Aarav ne Aakash ko rokna chaha per Aakash jaldi baahir nikal gaya aur peeche Aarav ko wahan Vanshika ke saath akela chhor gaya


****
New York ~ 12:52 AM


Vanshika apna sar pakre baithi abhi huwi sabhi baato ko yaad ker ke sharminda hoti ja rahi thi, Wo abhi ghar jaane ki himmat bhi nahi juta paa rahi thi.



Aarav kuch Drink's le ker Vanshika ke paas chala gaya, Vanshika ne Aarav ki taraf daikha aur dobara sar jhuka ker baith gayi, Aarav bhi Vanshika ke saath baith gaya.



Aarav ko samajh nahi aa rahi thi ke wo baat kahan se shuru kare, Dono ke beech awkwardness barhti ja rahi thi, Aarav ne ek glass uthaya wo peeta nahi tha, Lekin wo kuch aur nahi ker paa raha tha, Aarav ne ek baar me puri apne muh me udhel li.



*Cough* *Cough*


Wo seedhi Aarav ke gale se ja lagi aur Aarav zor zor se khaansne laga, Vanshika bhi aise Achanak Aarav ko khaasnta daikh ghabra gayi aur jaldi se uss li peeth thapthapane lagi.



Vanshika: Agar nahi pee kabhi to force kiu ker rahe ho khud ko? Aur wo bhi itni strong whiskey pee rahe ho? Pagal ho gye ho kia?



Vanshika ne daant lagate huwe kaha, Aarav khaans raha tha, Lekin wo Vanshika ko waapis normal hota daikh khush bhi tha, Aarav seedha huwa aur lambi saans lene laga.



Aarav: Tum aise muh banao gi to kia karu ga? Socha jab tak tum muh banaye ho main bhi kuch experience ker lu!



Aarav ne kisi bache ki tarha muskurane laga, Uss ko aise daikh Vanshika ki bhi hansi nikal gayi, Wo khilkhilate huwe hansne lagi, Aarav Vanshika ki muskurahat me khone laga.



Vanshika ko aise hanste Aarav ne kam he daikha tha, Lekin jab bhi daikhta uss khubsurati uss masoomiyat me doob jata, Vanshika seedhi ho ker baith gayi lekin uss ke chehre per abhi bhi muskurahat thi.



Aarav: Waise mujhe laga tha ke tumhari Vansh se nahi banti! Lekin tum uss ki parwah karti ho abhi bhi.



Vanshika ki muskurahat dhal gayi lekin ab wo pehle ki tarha udaas nahi thi, Vanshika shant thi aur soch rahi thi.



Vanshika: Wo hameshah aisa nahi tha!



Aarav: huh?


Aarav ko samajh nahi ayi ke wo kia bol rahi hai, Aarav ne to usse ghar chalne ke liye convince karne ke liye kaha tha, Lekin jaise Vanshika Aarav ke saath apne emotions share karna chahti thi.



Vanshika: Dad to shuru se he business per intrested rahe! Wo jaise sirf meri Existence se Aware the, Aur Maa ka pura samay hamesha Aakash bhayia ki health per rehta tha, tab mere paas sirf Vansh tha.



Aarav: Hmm!



Aarav sach me intrested tha ab un ki kahani me, Vanshika bhi jaise apne mann ka bojh halka ker rahi thi.



Vanshika: Mere paas sirf Vansh aur hamari Servant Beatrice! Maa ko hameshah mere liye bura lagta tha iss liye unho ne Beatrice ko meri duty per laga dia, Mere liye Beatrice mere liye Maa ke jaise he thi, Main aur Vansh pura din khelte aur enjoy karte, Lekin phir uss ko larko ne approach karna shuru kia, Wo sirf Dad ke paise ki wajha se Vansh ke saath the, Main ne bohat Baar Vansh ko samjhane ki koshis ki lekin har guzarte din ke saath wo mere se dur hota gaya, Un larko ne usse alag alag adate dalwa di, Lekin mujhe tab bhi loi dikkat nahi thi, Phir ek din- *Sob*



Vanshika ki siskariye nikalne lagi, Aarav ka haath khud he uss ke kandhe per chala gaya aur uss ne Vanshika ko apne seene se laga lia.



Aarav: Don't cry! Everything's alright.


Aarav ne Vanshika ke kandhe ko sehlana shuru ker dia, Wahan Owner ke sivaye koi nahi tha, Aarav usse pakre baitha raha.



Vanshika: Ek din main usse samjhane uss ke kamre me gayi! Andar mujhe Vansh aur B-Beatrice!



Aarav samajh gaya ke aage kia huwa tha, Beshak Vanshika ke liye wo shocking tha, Uss ke liye agar Beatrice Maa ke jaise thi to usse apne he bhai ke saath ashleel sambandh me wo kaise bardasht ker sakti thi.



Vanshika: Main ne Maa ko bataya to unho ne mujhe chup rehne ka kaha! Agle din Papa ne Beatrice ko paise de diye uss din ke baad main ne kabhi Beatrice ko nahi daikha.



Vanshika ki rulayi chhut gayi, Aarav usse banhon me bhar saath bana raha, Vanshika apna mann hola ker rahi thi, Usse koi mila tha jo uss ka dard sun sakta tha aur usse khamosh rehne ke liye nahi kehne wala tha.



Vanshika waise he rahi jab tak uss ka mann haula nahi ho gaya, Aarav bhi usse pakre baitha raha, Kuch samay beetne ke baad Vanshika chup ho gayi aur seedhe ho ker baith ker apna chehra saaf karne lagi.


Aarav(Chuckle): Pura Make-Up bigar gaya hai tumhara!



Vanshika ne Aarav ke kandhe per muka maar dia, Aarav bhi hansne laga.



Vanshika: Tum batao? Tumhari kia story hai?



Aarav(sigh): Story! Usse story nahi maan sakte.....Ek sadharan insaan jo sirf Apnk behan aur Papa ke saath zindagi beetana chahta tha, Ek pyaar karne wali behan, Papa thore bigre huwe the *Chuckle* Unhe bhi kuch buri adato ne gher lia tha, Sharab Gambling aur udhari uss sab ne unhe thora kathor bana dia tha.



Vanshika: Unhe sharab se rokna tha na!



Aarav: Nahi! Sharab he to unhe bachaye huwe thi, warna ye duniya to unhe kab ki pagal bana deti, Wo hosh me to muh banaye ghoomte, Lekin raat me sharab peene ke baad wo aksar mere saath baitha karte the, Hum dono baap beta puri raat baate karte, kuch sense nahi thi un baato me lekin sakoon bohat tha.




Vanshika: to tumhe un ke sharab ke baad wali personality pasand thi.



Aarav: Nahi! Mujhe dono pasand thi, ek me wo kathor the to dusre me barbole, Lekin dono me zaroori tha ke wo mere papa the aur mere paas the.


Aarav un pal ko yaad ker ke muskuraye ja raha tha, Vanshika bhi usse khush daikh ker khush thi, Wo ab ghar jaane ke liye tayar thi, Kuch pal wanha beetane ke baad wo log ghar ke liye nikal gye.



Lekin Vansh abhi bhi Aakash ke saath kanhi Baahir he tha.


****
Training Ground
New York ~ 6:11 AM


*Swishhhh*



Aarav apni haath me pakri Sword se hava me 1 ke baad 1 vaar ker raha tha, Uss ke Swings har guzarte din ke saath ache hote ja rahe the, Kal waapis ane ke baad he uss ka din mehnat bhara guzra tha.



Lekin wo apni morning routine nahi torna chahta tha, Lekin Aarav ke Swings aise he hava ke nahi the, System dhvara diye gye Feature Training ki madad se wo abhi puri tarha kisi ko create to nahi ker paa raha tha.



Lekin wo ek pal ke liye kanhi se bhi attack create ker sakta tha, Aarav khud ko parakh raha tha ke wo different situations me kaise move ker sakta hai, Abhi ye sirf Feature ko seekhne ki shurwat thi aage chal ker ye Feature Aarav ke liye bari madad ban sakta tha.



*Swishhhhh*



Aarav abhi practice me he tha ke ek taraf se attack huwa, Lekin apne sharp Senses ki madad se Aarav ne usse dodge ker lia aur seedha khara ho gaya, saamne se ek ke baad ek vaar ane laga.


Aarav Feature hone se kuch bhi daikh nahi paa raha tha, Ek ke baad ek attack ko block karne ke baad Aarav ko samajh aa gayi thi uss ke saamne koi aur nahi uss ki Master thi.



Achanak saamne se aa rahe attack ruke gye, Aarav ne khud ko ghoomaya jaldi se to sword uss ke kandhe ke paas se ho ker guzar gayi.



Aarav: Flash Steps!



Aarav abhi ghoom he raha tha ke uss me Flash Steps ki madad se apne moves ko ajeeb tarha se ghoomaya aur agle he pal wo khud ko apne Opponent ke saamne mehsoos ker sakta tha.



[The holographic training has ended]




Aarav ke paas se pura zone khatam hone laga, Wo wapis sab kuch daikh sakta tha, Uss ke saamne Tsubame he khari thi Lekin uss ne Aarav ka surprise Attack bhi apni sword se block ker lia tha.



Tsubame (Excited): Kia tum ne abhi Flash Steps ka Use kia hai? Like Seriously, Tum iss level per bhi agar aisi technique la istemal ker sakte ho to tum ek genuise ho Aarav.


Apne master se khud ke liye tareef ke shabd sun'nna har shishya ke liye khushi ki cheez hoti hai, Waise he Aarav bhi khush ho raha tha.


Aarav: Ap ko nahi lagta ap ko pehle mujhe congrats kehna chahiye waapis ane ke liye?



Tsubame: Ohh! Ye to main bhool he gayi thi, Idhar aoo.



Tsubame ne aage barh Aarav ko gale laga lia, Usse pehle se pata tha Aarav zinda hai lekin uss ke saamne daikhne ke baad Tsubame aur bhi khushi aur rahat mehsoos ker rahi thi.



Dono wanhi baat karne lage, Ab ki baar ki Quest aur unho ne kin cheezo se lara, Lekin Aarav ne Ezra ko bhi ek secret rakha Tsubame se, Yun he dono ke beech ek khushi ka manzar bana raha, Kuch der baad Aarav ne ek sawal jo wo puchna chah raha tha wo puchne ka socha.



Aarav: Sensei! Mujhe ap se kuch puchna tha.



Tsubame: Haan pucho?



Aarav: Meri Body waapis ane ke baad kafi alag mehsoos ker rahi hai! Aur shayad meri Senses ke saath kuch garbar hai.



Tsubame: Kaisi garbar?



Aarav: Main ajeeb cheeze daikh raha hu aur sun raha hu kal se! Shayad main ap ko andar se daikh sakta hu.



Tsubame (Frowns): WTF!
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Umeed karta hu Ap ko Update pasand aye ga, Ye update 5.6K words ka hai, Target hamara wo he 30 like, Aur delay ko repay karne ke liye next Update Saturday night ko aye ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara]
Nice update
 
  • Like
Reactions: Salty~Otaku

navrose

Member
403
241
43
UPDATE 24 ~
(DESCENDING FURTHER)




Darkvale Forest ~
55 Hours 47 Minutes Remaining


*Thud*



Yoo-Jung, Daisuke aur Vansh wapis safe zone me aa gye, Wo khayi se neeche jaane ka raasta dhoondh he rahe the jab Dharti kaanpne lagi aur khayi unn ki aankhon ke saamne se khayi gayab ho gayi, Unhe kuch samajh nahi ayi ke huwa kia hai.



Yoo-Jung bhi kuch soch sakti uss se pehle wahan khoonkar Monsters aa gye, Unho ne koshis ki lekin raat ke andhere me un ka larna Mumkin he nahi tha, Aur akhir me unhe retreat karna per gaya.



Daisuke abhi bhi khud ko zimmedar maan raha tha Aarav aur Bella ko khone ka, Wanhi Yoo-Jung aage kis karna hai uss baare me sochne laga, Vansh ko kuch khaas farak nahi parta tha to wo Araam karne ke liye chala gaya.



Yoo-Jung: Daisuke, Ap itna stress mat lo! Abhi tak hume koi bhi notification nahi aya, Matlab wo abhi bhi zinda hai.



Daisuke: Phir kia main yahan Notification ane ka intezar karu? Wo zinda hai lekin kab tak? Jahan wo zinda rehne ki koshis ker rahe hai wanhi main wahan larai me bhi kuch saath nahi ker saka!




Yoo-Jung(Sigh): Aise khud ko Blame ker ke kia mil jaye ga?




Daisuke: Huh?



Yoo-Jung: Kia mil jaye ga? Agar ap abhi nahi lar sake to kia huwa? Hum raat me wahan nahi ja sakte to kia huwa? Hum ye waqt aage ane wale battle ke liye khud ko tayar karne me istemal kare gye, Hamare paas waqt hai ap kuch nat sochiye aur khud ko heal hone do!



Yoo-Jung ki baat sun Daisuke jo sirf ek nazariye se sab kuch daikh raha tha uss ke saamne dusra nazariya khul gaya, Daisuke kuch had tak heal ho chuka tha aur agar usse subha tak ka waqt mil raha tha to wo khud ko 70% Heal ker sakta tha, Usse sirf khud ko Heal karne per dhayan lagane ki zaroorat thi.




Daisuke: Theek keh rahi ho tum! Abhi baahir jaana khatarnak ho ga, Aur hum abhi kuch ker bhi nahi sakte, Jab tak main Heal ker lu tum kuch soch sako to soch lena, Un dono ko subha taj survive karna ho ga.



Yoo-Jung: Hume uss ki zaroorat nahi pare gi! Aarav itni jaldi haar man'nne walo me se nahi hai, Usse apni behan ke paas waapis jo jana hai.



Yoo-Jung ke shabdo me Vishwas jhalak raha tha, Daisuke bhi ek jagha daikh ker lait gaya aur khud ko ek proper rest dene laga, Yoo-Jung ne ek round lagate huwe pura Area secure ker lia.



Area secure karne ke baad Yoo-Jung waapis tent ke paad aa gayi, Daisuke Araam ker raha tha wanhi Vansh baahir baitha kuch ker raha tha.



Yoo-Jung: Kia ker rahe ho? Tumhe khud ko rest dena chahiye abhi ke liye!



Vansh(Mumble): Kuch khaas nahi ker raha! Tumhare uss Aarav ne kuch banane ko kaha hai, Ye mat samajhna ke tum sab ke orders maano ga main, Ye sirf iss liye ker raha hu ke mere survive karne ke Chance barh sake.



Vansh ka lehja khincha huwa tha, Yoo-Jung ne uss ke saath zada behas na karna he sahi samjha, Vansh wanhi rakhe pathro se kuch bana raha tha, Aarav ne uss ko pura samaan yahan subha he rakh dia tha jis se Vansh Blacksmithing ka kaam ache se ker paa raha tha, Wanhi pehli baar Yoo-Jung ko aise pura focuse daikh rahi thi.



Yoo-Jung: Tum ne ye pehle bhi kia hai kiya?



Vansh(Sigh): Huh! Hamari family purane waqto se raja maharajaon ke liye Weapons banati ayi hai, Aj bhi hum apne Weapons ke liye jaane jate hai, Blacksmithing mujhe mere Papa ne seekhai thi.



Vansh ko ye kaam ker ke maza aa raha tha, Wo keh nahi raha tha lekin uss ki baato se pata chal raha tha, Yoo-Jung ko usse distract karna sahi nahi laga to wo ek taraf ja ker baith gayi.



Yoo-Jung Upar sar karte huwe asmaan ko daikhne ki koshis karne lagi, Lekin ped ne sab dhaka huwa tha, Yoo-Jung waise he baithi araam karne lagi.


Yoo-Jung: Hum dono ko apne apno ke liye waapis jana ho ga!


****

Darkvale Forest ~
54 Hours 16 Minutes Remaining



*Crunch*

*Shivering*


Aarav ne apne haath Bella me gird lapait liye, Bella ka pura shareer buri tarha kaanp raha tha, Aarav uss ke peeth ko sahlane laga.



Dono Aarav ke dewaar me banaye uss chhed ke andar the, Khayi puri tarha se band ho chuki thi aur dono uss ke beech me phans chuke the, Kaha jaye to dono zinda dafan ho chuke the, wo bhi zameen ke itna andar ke Aarav apni takat se baahir nahi aa sakta tha, Slime ko bhi Aarav ne kho dia tha lekin wo mehsoos ker sakta tha ke Slime abhi zinda thi.



Andheri jagha jahan hawa bhi sirf kuch lamho ke liye he bachi thi, Wahan kaise koi apne hosh me reh sakta tha, Aarav ki higher Intelligence ki wajha se wo apne hosh me tha, Lekin wanhi Bella apni sanity khoti ja rahi thi.



Aarav(Gently): Bella! Daro mat, Hum yahan se baahir nikal jaye gye!



Bella(Frightened): Lekin kaise? Hum yahan se kaise nikle gye Aarav? Agar baki hume bachane aye bhi to wo hume kaise dhoonde gye?


Aarav ne bella ko dobara zor se pakra, Bella Aarav ke upar laiti huwi thi aur uss ka chehra Aarav ke saamne tha, Aarav ke saath hone se wo bilkul hosh nahi kho rahi thi lekin wo kuch soch bhi nahi paa rahi thi.



Wanhi Aarav baahir se to shaant tha, Lekin andar se wo bhi dar raha tha, Lekin abhi uss ke paas darne ka waqt nahi tha usse apne saath Bella ko bhi bachana tha.



Aarav: Mujhe nahi pata kaise! Lekin hum yahan se baahir nikal jaye gye, Hume sirf dhayaan se sochna ho ga!



Bella Aarav ke agosh me khamoosh laiti rahi, Kuch pal pehle he wo moat ke muh se waapis ayi thi, Lekin aise zinda dafan hona uss ke liye aur bhi zada khofnaak tha.




Aarav: Socho! Aise he to koi khayi Achanak band to nahi ho sakti, Kuch to hai jo hum daikh nahi paa rahe.




Aarav ka sawal sunte he jaise Bella ko kuch yaad aya aur uss ke chehre per waapis himmat jhalakne lagi.



Bella: Haan! Jab main Daisuke ke saath raat ko yahan se gayi thi tab bhi yahan koi Cliff nahi thi, Hum Yoo-Jung ke banaye signs ko follow ker rahe the, Daisuke to uss waqt puri tarha exhaust ho ker bus chalte ja rahe the, Lekin main dhayan de rahi thi ke hume koi Yoo-Jung ka banaya koi aur sign mil jaye, Main sure hu yahan raat koi Cliff nahi thi



Bella ki baat sun Aarav bhi heraan ho gaya.



Aarav: Daisuke ko pata hai kia iss baare me?



Bella: Mujhe moka he nahi mila! Pehle to main heraan huwi thi, Lekin tab hamare peeche spiders the to main ne kuch bhi nahi kaha, Ab tum ne pucha to dobara yaad aya.



Bella ki puri baat sun'nne ke baad Aarav samajhne ki koshis karne laga ke akhir kia Majra hai.



Aarav: Agar kal Raat bhi yahan kuch nahi tha? Matlab ye Cliff sirf din me khulti hai! Per kaise? Kia signal ho ga? Sun Light? Wait! Kanhi ye Cliff Forest ka banaya ja to nahi kia? Subha yahan girne ke baad raat hote he deeware gire huwe vyakti ko maarne ke liye?



Aarav ki soch agar sahi thi to Forest ko jitna uss ne samjha thawo uss se bhi zada khatarnak thi, Yahan unhe sirf Rakshason se nahi balke forest se bhi bachna tha, Aarav deewaro ke beech pisne se to bach gaya tha, Lekin wo kab tak yahan reh sakta tha jahan Oxygen bhi khatam hone wali thi.



Aarav: Hume subha tak Survive karna ho ga! Mujhe nahi pata ke hum ye kaise kare gye, Main smart bhi nahi hu, Lekin hume Survive karna ho ga.




Bella: Per kaise? Har guzarta pal pressure barha raha hai.



Aarav: Hume pehle apna mind clear karna ho ga! Kuch aur baate kare kia? Aise dhayan bhatak sakta hai!



Bella: Per hamare paad utna Oxygen nahi-! Well kitna oxygen he bacha le gye hum? Agar ye akhri pal hai to main tum se baat karte huwe ye pal guzarna chahu gi!





Aarav: Wait!



Aarav ne apne Infinite Bag me haath daala aur kuch pal dhoodne ke baad usse ek Flash light mil gayi, Aarav ne uss nikal ker jalaya to andar roshni ho gayi.




Aarav: Kam se kam ab hum ek dusre ko daikh to sakte hai na?




Dono paseene se bheege huwe the, Bella ka bheega huwa badan Aarav ke upar tha, Aarav ne pehle baar kisi larki ko iss angle se daikha tha, Aarav ne foran apni nazre pher li, Dono ke chehre per sharam ki laali chaa gayi



Aarav: Waise! Hum ne abhi tak baahir jo huwa uss baare me bhi baat nahi ki.



Bella(Blush): Kis baare me?




Aarav: Wo baahir jo hum ne kia? W-wo kiss!



Bella: Hmm!



Aarav: Uss ka kia matlab tha? Kia ab hum saath me hai kia?



Bella(Sigh): I'm sorry, Aarav! Mujhe khud nahi pata ke mujhe kia huwa tha, Aur sach kahu to mujhe koi regret nahi hai, Lekin mera pehle se ek fiance hai, Hum dono bachpan se saath hai aur ek dusre ko pyaar karte hai, Agar tum mujhe pehle mile hotw to shayad halaat kuch alag hote, Lekin main usse chhor nahi sakti.




Dono ke beeche dobara shaanti chaa gayi, Jahan Aarav kia bole wo soch raha tha, Wanhi bella ko Aarav ke liye bura lag raha tha, Wo Aarav ko pasand karti thi shayad mohabbat bhi karti thi, Lekin wo apne pehle pyaar ko bhi chhorna nahi chahti thi.



Aarav(Sigh): Huh! Kia he ker sakte hai iss bare me, Sach kahu to mujhe dar lag raha tha ke shayad main tumhari feelings ko accept nahi ker sakta tha, Kiu ke mere paas bhi koi hai jo pehle he mere Dil me jagha bana chuki hai.



Bella ko sun ker kuch sakoon huwa aur un ke beech dobara mahool sahi hone laga.



Bella(Smile) Tum to chupe rustam nikle! Kon hai wo? Ruko- Kanhi Yoo-Jung?



Aarav(Flustered): Nahi, Nahi! Yoo-Jung ke baare me main aisa kaise soch sakta hu? Wo meri Comrade hai! Uss ke baare me to main kab-



Aarav ke bolte bolte he dimagh me wo Yoo-Jung ki moan aa gayi, Aarav ke gaalo per laali barhne lagi jis ko daikh bella hansne lagi.


Aarav (Blush): Sach me wo Yoo-Jung nahi hai! Hanso to mat!




Bella: Haan, Haan, Maan li tumhari baat! To batao kon hai wo?



Aarav: It's complicated! Ek baar me aone thoughts ko clear ker lu to tumhe batao ga, Main aise he kuch Announce nahi karna chahta!



Bella: Done! Main itne se he khush hu ke hamare beech kuch awkward nahi huwa, Hum abhi bhi ek decent conversation ker sakte hai.




Aarav: Bilkul, Lovers nahi to kia? Hum friends to hai he na! Waise meri behan bhi tumhari tarha he ek doctor ban'nna chahti hai, Sab sahi ho jaane ke baad tumhe milwao ga, Tum usse kuch seekha bhi do gi.



Bella: Zaroor! Main usse personally sab seekhao gi.


Dono ke beech sab kuch sahi hone laga, Bina kisi grudge ke dono ek dusre se baat ker he rahe the ke.


*Crack*



Upar se deewar tooti aur Ek chhed me se Slime baahir aa gayi, Aarav ne upar daikha to uss ki ankhe khul gayi, Acid Slime ne upar tak ek chhed bana dia tha jo seedha upar surface per jata tha, wo tha to chota he lekin uss pal wo kisi anmol tohfe se kam nahi tha.



Aarav: Kamal ker dia! Sach me tum to bohat samjdar nikli!



ᕙ(͡°‿ ͡°)ᕗ



Slime Aarav se tareef sun ker khush hone lagi, Aarav ne apni Inner Qi ko apne haath me ikathi karna shuru kia, Inner Qi barhne ke baad Aarav flow ko aur bhi ache se focus ker sakta tha.




[(Inner Qi Gathering) Energies converge in the player's palm]



Aarav ne apne haath me ek jagha puri Inner Qi ko focus kia aur dhayan se usse Hole me bhejne laga.


[(Inner Qi Release) Player channels and unleashes their inner energy.]



[(Groundbreaker Achievement Unlocked) Oxygen Path Carver - Player successfully creates an oxygen route while buried deep underground.]





Aarav ki Inner Qi pure Hole me phel gayi, Aarav ne Oxygen ko upar se neeche kheenchte huwe two wat route bana dia ek oxygen ane ke liye aur ek jaane ke liye, Ab dono ko andar kuch rahat mehsoos huwi.



Bella(Cheerful): Ab to hum subha tak Survive ker sakte hai! Sab iss chotu ki madad se, Waise kon hai ye?



Aarav: Mera naya dost! Main ne abhi tak isse koi naam nahi dia ke kanhi phir main Mana overuse se unconscious na ho jao.


Bella: Main yahan hu na ab! Mere paas bohat Mana store hai tum Naam de sakte ho.



Aarav: Sach me? Phir aj se tumhara naam hai, Lime!



[Player bestows a name upon their loyal Tame Creature]



[Naming Success: Acid Slime officially named (Lime) by the player]



[System Notification (Level Up) Lime, the Acid Slime, has gained a new level of power.]




****

Unknown Place ~



Pathar ki bani Vishal murtiye chaaro taraf khari huwi thi, Har Murti alag alag roop ki thi, Har taraf andhera chhaya huwa tha, Uss andhere ke beech me koi Kisi shandar takht ke jaisi kursi per baitha huwa tha.

04a373f21a781dc14b999ada5b7aa869.jpg

Uss ke saamne he bohat si System windows khuli huwi thi, Har window me Tutorial Tower ka alag alag Hissa dikh raha tha, Wanhi ek per Aarav aur Bella to dusri per Yoo-Jung aur baki dono dikhayi de rahe the.



Kursi per baitha wo vyakti un ki har harkat ko dhayan se daikh raha tha, Uss ke paas he ek jagha kaala dhuan ban'nne laga, Lekin wo Vyakti apni nazre system Windows per tikaye baitha raha.



Dhuan me se ek shadow figure uthne laga, Palak jhapakte he wo Dhuan Uss saye me badal gaya aur kursi per baithe vyakti ke peeche aa gaya.

6ed5a99c4a243fb27a37c87613385983.jpg


Saya: to ye hai naye log?



Shadow figure ke peeche ane ke baad bhi wo vyakti wanhi baitha raha-



Vyakti: Haan! Ye he hai jin ko tumhe janchana ho ga!



Shadow Figure aur bhi Window ke nazdeek aa gaya aur sab ko dhayan se daikhne laga, Jaise wo kuch dhoondh raha ho.



Saya: Ye sab to mujhe kamzoor lag rahe hai! Tumhe sach me lagta hai ke ye mera saamna karne layak huwe hai?



Vyakti: Ezra, Tum bina daikhe samajh nahi sakte! Un ki asli kshamata un ke bheetar chupi huwi hai, Tumhe usse bahir nikalna ho ga unhe jan'nne ke liye.



Kursi per baithe Vyakti ne pehli baar nazre hata ker Uss Shadow Figure Ezra ki taraf daikha, Ezra uss ko aise sanjeedah daikh ker khud bhi serious ho gayi, Dobara wo window ki taraf daikhne lagi ke akhir kia aisa khaas hai in me?



Ezra: Itne samay me pehli baar main tumhe aise daikh rahi hu! Mujhe nahi pata ke wo sab kis had tak ja sakte hai, Lekin agar tum in per itna dhayan de rahe ho matlab ye sab khaas hai, aur ye kitne khaas hai wo main khud daikh lu gi.




Vyakti: I'm certain they're not going to disappoint you!



Ezra: Mujhe nahi lagta ke mujhe ant tak intezar karne ki zaroorat hai! Main koshis karu gi ke un me se kisi ko zinda chhor saku.



Vyakti (Chuckle): Main zaroor daikhna chahu ga ke akhir wahan kia ho ga?



Ezra ne Vyakti ki taraf daikha, Vyakti ne apna haath aage ker dia, Ezra ke saamne ek portal Gate khulne laga, Ezra uss ke andar ki taraf jaane lagi.



Ezra: It's time to begin the quest for real!




Ezra ko uss gate ne andar kheench lia, Vyakti usse jata huwa daikhta raha, Ezra ke jaane ke baad wo waapis se Window ki taraf daikhne laga, Uss ki Aankhon me ek Utsukta aur Aasha dono jhalak rahi thi, Honto per ek muskan liye wo un sab ko daikhta raha.



Vyakti: Sab kuch dilchasp hota ja raha hai! Ab daikhne me asli maza aye ga, Akhir ye apni duniya ko bachane ke kabil hai bhi ya nahi?



****

Darkvale Forest ~
42 Hours 29 Minutes Remaining




“Kaisa lag raha hai ab?”



Yoo-Jung ne tent se Daisuke ko baahir ata daikh pucha aur apne haath me pakri drink usse pakra di, Daisuke bhi wanhi uss ke paas ek pathar per aa ker baith gaya.



Daisuke: Kal se to acha he lag raha hai! Lekin abhi bhi kuch samay lage ga, Hume jald se jald un dono ko dhoond ker waapis ana ho ga.




Yoo-Jung: Vansh abhi soo raha hai! Kuch aur waqt intezar ker lo, Main nikalne ki tiyari ker leti hu tab tak, Aj hume pura neeche tak khudai ker ke he kiu na jana per jaye hum unhen le ker aye gye.


Yoo-Jung ne pure Confidence se kaha, Daisuke ko hansi aa gayi.


Yoo-Jung: Kia huwa? Koi joke to nahi sunaya main ne!


Daisuke: Kuch nahi! Bus ye soch raha tha ke waqt kaise guzarta hai, Abhi kuch din pehle he tum sab ko main le ker chal raha tha, Lekin ab aise lag raha hai ke tum mujh se bhi zada aage nikal gye ho.



Daisuke ki baat sun Yoo-Jung bhi muskura di, Daisuke he wo insaan tha jis ki wajha se wo pichli baar survive ker sake the, Ab Yoo-Jung ko uss ke saath chalna ek farz lag raha tha.



Daisuke: Tum ja ker tayari karo! Main kuch der yanhi baithu ga.



Yoo-Jung bhi chali gayi aur sab kuch sametne lagi, Vansh bhi uth gaya aur sab thora sa khaane ke baad nikalne ke liye tayar hone lage.



Yoo-Jung: Sab tayar hai! Ab chalte hai hum.



Yoo-Jung ne dono se pucha to dono ne haan me sar hila dia, Teeno waapis Khayi ki taraf jaane lage, Ab Daisuke khud bhaag paa raha tha aur ache se move ker paa raha tha, Yahan ane ke baad sab ke kuch level up huwe the jis ke Point wo add karte ja rahe the.



Har level up ke baad agla Level Up zada Experience lene lag chuka tha, Lekin abhi bhi wo Easily Level ker paa rahe the.


“Vansh! Tumhare peeche!!!”



Yoo-Jung ne chilate huwe bola to Vansh tezi se wahan se hat gaya, Vansh seedhe ek ped se ja takraya uss ne aankhen khol saamne daikha to dar se uss ke haath aur paon kaanpne lage.



Vansh ke saamne ek Dzanum tha, Lekin iss wale ka size uss ke ghar ke jitna tha, Vansh ki body kaam karna chhorne lagi Dzanum jo ek baar Vansh ko apne muh me daalne se chuk gaya wo dobara uss ki taraf barha per Vansh kuch bhi nahi ker paa raha tha.

8202dd23a1e98b971ffa55444ec0aa6f.jpg


*Woosh*

Ek Arrow seedha uss Dzanum ki Aankh per ja laga, Dzanum dard se chilate huwe idhar udhar hone laga, Utne me Daisuke ne aage barh Vansh ko utha lia aur Yoo-Jung ke paas chala gaya.


Daisuke (Frightened): Ye itne bare kaise ho gye?



Yoo-Jung: Ye wala daikh ker he ye halat ho rahi hai, Jo ane wala hai wo iss se bhi badtar hai!



Yoo-Jung ne ishara kia to Vansh aur Daisuke ne uss taraf daikha, Saamne se waise he 3 aur Dzanum bhi aa rahe the aur un ke peeche ek aur bhi vishaal Dzanum aa raha tha lekin uss ke 2 ki jagha 3 muh the.

475a94d64fcfce7e56274157dd4c6b42.jpg



Vansh(Zoinks): Hum yahan se kaise nikle gye?




Yoo-Jung: Nikalna hai to hume lar ker nikalna ho ga!



*Hmph*



Yoo-Jung ne apne Dagger nikalte huwe Stance le lia, Daisuke ne bhi Apni swords nikal li, Wanhi Vansh khoof ki nazro se dono ko daikhta raha.



Vansh: Hum jeet paye gye bhi kia? Wo uss Orc King ke jitna powerful lagta hai!



Yoo-Jung: Ye to try ker ke he pata chale ga!



Saamne wala Dzanum bhaagte huwe un ki taraf aya to Yoo-Jung uchalte huwe ek pathar per kadam rakh ker Dzanum ke upar charh gayi, Apne Dagger Dzanum ke andar ghusa ker Yoo-Jung usse girane ki koshis karne lagi.



Dzanum itna tez uchal raha tha ke wahan ki puri zameen kaanpni shuru ho gayi, Ek aur Dzanum aage ane ko huwa to Daisuke ne apni Sword se uss ki taango per vaar karne shuru ker diye, Vansh bhi Daisuke ke saath aage barha aur apna Spear neeche se Dzanum ke muh me ghusa dia.



Daisuke (Shout): Ye wala hum sambhal le gye!



Yoo-Jung: Ye wala main sambhal lu gi! Vansh tum teesre wale ka dhayab bhatkao, Tab tak hum inhe khatam ker ke ate hai.



Yoo-Jung ne dono ko un ka kaam samjhate huwe chalaang maar ker Dzanum ko side se cheerte huwe neeche aa gayi, Uss ki body abhi bhi Dzanum ki wajha se balance me nahi thi.



Yoo-Jung ne apna Bow nikala aur bhaagte huwe slide maar ker Dzanum ke neeche se jaate huwe Arrows se usse zakhmi ker dia, Akhir me aa ker Yoo-Jung ne Dzanum ka paon pakra aur zor dete huwe usse patak ker neeche gira dia.



Yoo-Jung dobara attack ker sakti uss se Pehle Dzanum ki tail Yoo-Jung se ja lagi aur Yoo-Jung hawa me urte huwe peeche ja giri, Khud ko sambhalte huwe Yoo-Jung dobara khari ho gayi.



Dzanum bhi waapis khara ho gaya, Itna Ghayal hone ke baad bhi wo aise khara tha jaise usse kuch huwa he na ho, Ab tak wo vishaal 3 muh wala Dzanum aage nahi aya tha.



Daisuke: Yoo-Jung! Tumhare peeche!!!!



Daisuke chilaya jab uss ne Yoo-Jung ke peeche se ek Dzanum ko muh khole uss ki taraf barhta daikha, Lekin Yoo-Jung apni jagha se hil bhi nahi rahi thi.



Daisuke (Mumble): Nahi! Yoo-Jung hil kiu nahi rahi? Aise to wo....Nahi main usse kuch nahi hone du ga.....Mujhe usse istemal karna ho ga.


Daisuke umeed ker raha tha ke Yoo-Jung move kare, Lekin Yoo-Jung hil bhi nahi rahi thi, Daisuke ne khud ko tayar kia aur stance le li.




Daisuke: Wi-



[Deathly Slash]
.
.
.
.
.
.
.

[Aj ke liye itna he, Ye update 4.5K Words ka hai, Jahan ap ko Tower ke andar ki kuch jhalak daikhne ko mili ho gi, Target wo he hai agar 30 Likes huwe to Next Update Saturday Night ko aye ga, Milte hai agle update per, Tab tak ke liye Sayonara!!!]
hamesha ki tarah badia update
 
  • Like
Reactions: Salty~Otaku

prem pujari

Active Member
1,181
2,888
158
Sab se pehle to Hi, And sorry for not giving replies properly, Haan to ye update bohat ajeeb huwa, Monday ka update Thursday ko aya, Main kuch bhi aisa nahi kahu ga ke kuch ho gaya tha mujhe kuch bhi nahi huwa tha, Basically main khud ki galtiyo me uljha tha, Main BGMI ka Player hu, aur main ne royal pass lia tha, Lekin ant tak main ne uss per dhayan nahi dia mujhe laga royal pass 16 tak hai lekin wo 13 tak nikla, Ab mujhe jab pata laga tab main update likhne wala tha, Main ne game on ki aur crazy khelne laga, Lekin baat tab bigri jab main balance nahi ker saka aur BGMI aur Story ko ek saath continue karne ka socha, Lekin wo kaam bigarta gaya bigarta gaya, Upar se jaise gharwalo ko kisi ne khabar ker di iss ki, wo alag alag mazdooriyo wale kaam kawrane lage, Lekin main ne kal Update 80% likh lia tha, raat ko kuch final reference daikhne aya to mere saamne ye aya ke main abhi forum per nahi aa sakta




Mera brain exhaust itna ho gaya tha ke main bina kuch kiye soo gaya, Lekin na pass pura huwa na story ka update time per aya, Abhi Update complete ker ke post ker dia hai, Kisi ki galti nahi, Sirf meri Wajha se ye huwa, iss ki barpai bhi main karunga!

Add-Text-09-15-12-31-22
bhai bade budhe keh gaye do kashti mai panv rakhoge to naiya par kaise lagegi

gharwalo ko kya pata laga ye smjh nahi aya sory agar kuch personal puch liya ho to
 
  • Haha
Reactions: Salty~Otaku

navrose

Member
403
241
43
UPDATE 25 ~
(AWAKENING OF THE INNER LIGHT)




Darkvale Forest
43 Hours 33 Minutes Remaining


*Rumble*



Aarav aur Bella ki kab Ankh lag gayi Unhe pata he nahi laga, Kam oxygen hone ki wajha se un ko thori kamzoori ho gayi thi, Jab subha baahir se Pathro ke girne aur khisakne ki awaaz ayi to dono uth gye, Aarav ne baahir daikha to Deeware wapis khul rahi thi.


Bella(Happy): Deeware sach me waapis ja rahi hai! Hum baahir nikal sakte hai dobara.



Raat kaise guzri ye un dono ke sivaye koi nahi samajh sakta tha, Zinda dafan hona apne ap me ek khoofnak experience hai, Aarav ne Bella ko khiskate huwe baahir nikala aur uss ke baad khud bhi baahir aa gaya.




Baahir Roshni hone lagi thi, Wanhi Aarav ye daikh ker heraan ho gaya ke uss ki Aankhon ke saamne ped waapis zameen se baahir nikal rahe the, Sach me ye Forest bohat ajeeb tha.



Bella: Ab hume kia karna chahiye?



Aarav: Aage chal ker daikhte hai! Agar hume raasta mil sake to acha rahe ga, Lekin jaise abhi tak koi neeche nahi aya mujhe umeed nahi hai ke upar jaane ka koi raasta ho ga.



Aarav ki baat per Bella ne bhi hami bhar di, Lime bhi baahir aa gayi aur wo sab aage chalne lage, Abhi wo kuch he dur gye the ke unhen saamne se ek boar ata dikhayi dia, Sar per ek Horn ke saath wo bhaagte huwe un ki taraf aa raha tha.



Aarav: Ye wale ko main sambhalu ga!



Aarav ne Lime ki taraf daikhte huwe kaha to Lime Araam se Aarav ki kalayi me waapis aa gayi, Aarav ne Qi Blade banayi aur intezar karne laga, Jaise he Boar kareeb aya.



*Slash*



Aarav ne Blade se Boar ko 2 tukro me baant dia, Lekin Aarav ka apna haath bhi peeche ko push ho gya, Ye sach me koi sadharan Boar nahi tha, Agar in ka jhund aa jata to Aarav bhi unhe sambhal nahi sakta tha.


[Wild Boar Defeated! Player Emerges Victorious]


[Level Up]




Aarav: Ek aur Level Up! Lekin ye Rank abhi bhi F kiu hai?



Bella: E Rank hume Level 40 per mile ga! Baki Player's ko un ki pehli Quest me New Rank mil gaya tha kiu ke wo 1 maheene tak hunt ker rahe the, Lekin agar tumhare Stats daikhe to wo abhi se he E Rank wale hai!





Aarav: Aisa hai kia? Huh! Waise Rank Up per kuch khaas hota hai kia?



Bella: Idk! Shayad kuch New Skills aur Ability milti hai, Aur Body me changes ate hai.



Aarav: Kaise Changes?



Bella: Hamare Real stats aur System stats me difference hota hai! Lekin Changes se wo gap kam ho jata hai.



Aarav apne stats ko dobara daikhne laga, Apni Skills aur Abilities ke saath wo E Rank ka saamna ache se ker sakta tha, Lekin wo akela nahi tha, Yoo-Jung bhi E Rank ko achi takar de sakti thi.



Aarav: Mujhe nahi lagta hume aage raasta milne wala hai! Ye Boar hume baahir nahi dikha, Matlab ye Boar sirf yahan he hote hai, Agar Boar yahan se nikalane ka raasta nahi dhoond sake to hume milna bhi mushkil hai, Lekin agar raat ho gayi to hum dobara wanhi phans jaye gye.



Ek aur Raat waise rehne ka khayal he un ke rongte khare ker de raha tha, Aarav aur Bella dono he ek aur Raat waise to nahi rehna chahte the, Aarav ne upar dobara daikha lekin abhi bhi wo chhor ko nahi daikh pa raha tha.



Aarav: Hume seedha upar charhna ho ga!



Bella(Gasp) Huh? Itna upar kaise charhe gye?



Aarav: Tum nahi ker pao gi! Main tumhe apne peeche le ker charhu ga, Tum giro mat iss ke liye tumhe khud se bandh lu ga!



Bella ko ehsaas tha ke Aarav kamzoor nahi hai, Lekin itna uncha charhna wo bhi kisi ko apne saath le ker Aarav ke kiye bhi Easy nahi ho sakta tha.



Bella: Lekin ye kaise karo gye tum?




Aarav: Mujhe pehle apne Points add karne ho gye! Abhi mujhe sab se zada Stamina chahiye iss liye 8 Points Stamina per aur 4 Strength ke liye!



Bella: Lekin abhi bhi ye mushkil hai!


Aarav(Smile): Mujh per bharosa rakhiye! Main ye ker sakta hu.



Aarav ka Confidence daikh ker Bella ne kuch bhi aur na kaha, Aarav ne apni Infinity Bag me se ek Belt nikali dono ko bandhane ke liye, Bella ko khud se bandhne ke baad Aarav dewaar ke paas aa gaya.




Aarav: Lime!



Aarav ne Slime ko pukara to wo Aarav ke haath se hote huwe Deewar per chali gayi, Lime Deewar per chipak bhi sakti thi, Lime ne Aarav ki pakar ke liye 2 Chhed bana diye aur upar ja ker aur bhi Chhed banane lagi.




Aarav(Smirk): Ab kia lagta hai?



Aarav ne Bella ki taang kheenchne ke liye kaha, Bella bhi Aarav ki soch se heraan daikhti rahi, Lime ki madad se Aarav ko Hold karne ke liye aur paon rakhne ke liye strong spot mil rahe the, Jab Lime thori upar chali gayi to Aarav ne Bella ko apni peeth per uthaya aur apne haatho ko chhed me phansa ker upar ko charhne laga.



Lime se kaam Asaan to ho gya tha, Lekin abhi bhi itna uncha charhna Asaan nahi hone wala tha, Aarav ke points add karne se bhi uss ko madad mil rahi thi, Kuch ghante charhne ke baad Aarav thakne laga.




Slime ne Aarav ke baithne ke liye ek jagha bana di, Aarav Bella ke saath wahan baith gaya, Neeche daikhne per ab wo Dobara ground ko daikh nahi paa rahe the, Kuch der Araam karne ke baad wo dobara charhne lage.



Kuch aur samay laga lekin unhe Ant dikhne laga, Aarav apni Footing ka dhayan rakhte huwe charhta raha tabhi uss ki Sense usse kuch awaze sunane lagi, Awaz kanhi chal rahi larai ki, Aarav ko samajhte waqt nahi laga ke ye larai kon lar raha hai.



Aarav: Bella, Kas ker pakar lo mujhe!



Aarav ki baat sun Bella ne apni pakar mazboot ker li, Aarav tez Movement ka istemal karte huwe upar charhne laga, Aur kuch lamho me wo wapis upar aa chuke the.




****

Darkvale Forest ~
40 Hours 36 Minute Remaining




Daisuke Yoo-Jung ke kareeb ata Dzanum daikh pareshaan ho raha tha, Wanhi Yoo-Jung bina Awaz sune apne saamne wale Dzanum se larne me lagi rahi.
a84338734f832e6820ed0ce2cf98b6e9.jpg
Daisuke (Mumble): Nahi! Yoo-Jung hil kiu nahi rahi? Aise to wo....Nahi main usse kuch nahi hone du ga.....Mujhe usse istemal karna ho ga.


Daisuke umeed ker raha tha ke Yoo-Jung move kare, Lekin Yoo-Jung hil bhi nahi rahi thi, Daisuke ne khud ko tayar kia aur stance le li.



Daisuke: Wi-



[Deathly Slash]



Daisuke abhi aage barh sakta ke uss se pehle he Dzanum beech me he ruk gaya, Agle he pal Dzanum 2 tukro me banta huwa zameen per gir gaya, Daisuke aur Vansh dono phati Aankhon se Dzanum ke tukro ko daikh rahe the.



Yoo-Jung(Smile): You Know? You sure took your sweet time!




Yoo-Jung ne kuch kadam peeche lete huwe kaha, Dzanum ke girne se urr rahi Dust ke beech me se Aarav nikla aur Yoo-Jung ke saath se hote huwe saamne wale Dzanum ki taang ko Qi Blade se kaat dia.


Aarav: I like to make an entrance just when things are about to get interesting!


Yoo-Jung uchalte huwe Dzanum ke dono sar ke beech chali gayi aur apne Daggers se dono sar per ek ke baad ek vaar karne lagi, Wanhi Aarav neeche se Dzanum ko kaatne laga.



Un ko aise easily Dzanum ko sambhalta daikh Dzanum bhi ghooma aur bhaagte huwe Dzanum ke neeche ki taraf bhaga, Dzanum ne Daisuke ko pakarna chaha per Daisuke slip maarte huwe bach gaya.



Dzanum ke neeche ate he Daisuke ne apni dono Swords uss ke neeche andar ghusa di aur bhaagte huwe usse kaatne laga, Pressure zada hone se wo zada aage na ja saka aur beech me he baahir aa gaya.



Daisuke ke haath per zada pressure ane se swelling hone lagi, Wanhi Vansh bhi Dzanum ko dhayan apni taraf kheenche huwa tha lekin wo zada aage nahi aa raha tha, Daisuke ko akele jald se jald iss wale ko khatam karna tha.



“Heal”


[
Player, receive healing! A skilled Healer tends to your wounds and Fatigue]



Daisuke ke saamne Notification aya to wo idhar udhar daikhne laga, Paas he ek pathar ke paas usse Bella khari dikh gayi, Bella ko achi halat me daikh ker Daisuke ko bhi rahat mili.


Kal se wo pareshan tha dono ke liye ab jab uss ne dono ko mehfooz daikh lia tha to wo wapis apna dhayan Dzanum per laga sakta tha, Daisuke ne apni Swords per pakar banayi aur dobara hava me uchal gaya.



Swords ko le ker have me ghoomte huwe ek chakar banate huwe Dzanum ka ek sar Adha kaat deta hai, Dzanum dard se tarapta huwa uchla aur zor se zameen per uchalne laga, Puri zameen kaanpne lagi.



Daisuke ne Upar pakar banaye rakhi aur Chance milte he apni swords se Vaar karne shuru ker diye, Wanhi ek Arrow seedhi dusre sar ko cheerte huwe nikal gayi aur wo sar bhi kaata gaya.



Daisuke neeche utar gaya, Wanhi Aarav aur Yoo-Jung bhi dono Dzanum ko khatam ker wahan aa gye, Akhir itne samay ke baad sab ek saath waapis aa chuke the.



Aarav: Abhi relax karne ka waqt nahi hai! Kuch hamari taraf tezi se aa raha hai.



Bella: Kia?



Yoo-Jung: Kutto ka pura jhund aa raha hai!



Daisuke: Sab tayar ho jao! Bella beech me rahe gi, Hum chaaro taraf se usse bachaye gye, Koi bhi gira to Bella tumhe usse Heal karna ho ga.



Daisuke ne sab ko position per khara karwa dia, Dzanum ke bhaagte huwe ane ki awaze sub ko sunayi dene lagi, Wanhi unhe Uss 3 sar wale ka bhi dhayan rakhna tha, Aarav ne uss taraf daikha to saamne ka drishya daikh wo bhi chaunk gaya.



Uss 3 sar wale Dzanum ke saamne Acid Slime thi, Dono ek dusre ko ghoorte ja rahe the, Lekin dono me se koi bhi kuch nahi ker raha tha, Jaise ek harkat aur un ke beech yuddh shuru ho jata.



Yoo-Jung: Tumhari Slime uss ka saamna ker paye gi kia?



Aarav: Pata nahi! Lekin Lime kamzoor nahi hai, Wo ek C Rank monster hai, Wo khud ko bacha sakti hai.



Abhi wo kuch aur kehte ke Dzanum ki awaaze aur bhi barhne lagi, Aur jaise uss 3 Sar wale ko apni barhti takat ka ehsaas ho gya, 3 Sar wale ne apne Claws se Slime per vaar kia aur sirf ek vaar se 8 ke kareeb bare bare ped cut ker gir ge.



Uss urr rahi dhul ke beech me se Slime nikli aur kisi Bullet ki tarha uss Claw ko cheerte huwe guzar gayi, Slime ka Vaar 3 sar wale ke liye koi needle ke jaisa tha, Lekin Slime ki raftaar tez thi aur wo ek ke baad ek vaar karti ja rahi thi.



3 sar wale ka puri Laat chhedon se bhar gayi aur wo peeche ko hone laga, Wanhi Aarav aur Yoo-Jung Slime ke Larne ka andaaz daikh ker ascharyachakit ho gye, Wo 3 sar wala jo bhi karta uss ke har vaar per Slime apne Acid se uss ko he zakhmi ker de rahi thi.



*Grooowwwwrrrrr*



Un ke chaaro taraf Dzanum's ki awaze goonjne lagi, Iss baar un ka jhund pehle se bohat zada bara tha aur sabhi aur bhi zada khoonkar ho gye the, Sab ne apne Hathiyar nikal liye aur saamne aa rahe ek ek Dzanum ko cheerte huvay aage jaane se rokne lage.


Sabhi Dzanum E Rank ke the, Un ke liye Dzanum maarna mushkil nahi tha, Lekin un ke numbers ek bara impact daal rahe the, Har Wave ke saath chaaro zakhmi hote gye.



Vansh: Hum zada samay nahi rok sakte! Kuch karna ho ga hume.



Aarav aur baki sab bhi apni limits oer pohanch rahe the, Adha ghanta ho chuka tha lekin Dzanum ate he ja rahe the, Aarav ne apne bag me haath daala aur Acid Bomb nikal liye.



Aarav: Yoo-Jung!



Yoo-Jung: Gotcha!



Aarav ne 3 Bottle hava me uchal di, Yoo-Jung ne apna bow nikala aur seedha bomb ki taraf arrow shoot ker dia, Bottle ke neeche bane Enchanted spell ke beech me se hote huwe Arrow nikal gaya.



Andar ka pura Acid phat gaya aur neeche bhaag rahe Dzanum per gir un ko jalate huwe maarne laga, Yoo-Jung ka arrow Curve karte huwe Baki bottle ko bhi phor deta hai, Ek baar me wo 40 se zada Dzanum ko maar girane me safal ho gye the.



Aarav: Unhe kareeb ane do! Jaise he wo kareeb aye gye main aise he Acid phenku ga.



Aarav ne sab ko samjhaya to sab tayar khare ho gye, Har kadam ka dhayan rakhte huwe jaise he wo kareeb aye Aarav ne chaaro taraf Acid Bomb gira diye, Yoo-Jung ne bhi ek ke baad ek Arrow shoot karna shuru ker dia.




Bohat se Dzanum iss baar bhi wohi moat ke ghaat utar gye, Baki bache huwo ko Chaaro khud maarne lage, Dheeme Dheeme Dzanum ke number kam se kam hote gye.



Un ki haar jeet me badalni shuru ho gayi thi, Unhe kuch aur pal aise he larna tha, Wanhi Acid Slime bhi 3 sar wale ki halat buri ked chuki thi, 3 sar wala gusse me aa chuka tha.



Uss ne apna rukh seedha in sab ki taraf ker dia, Uss ko apni taraf ata daikh sab Bella ke kareeb aa gye, Uss ki Raftaar tez thi Wanhi sab larne ke liye tayar the.




Aarav: (Wo Ghayal hai, Usse bhi ye baat pata hai ke wo hum sab se nahi lar sake ga, Uss ka shikar sab se kamzoor ho ga)



Aarav bella ke kareeb hone laga, Lekin kuch tha jo usse theek nahi lag raha tha, Aarav ne peeche daikha to sab Bella ke paas tayar khare the.



Aarav:(Wait! Agar usse kisi per Attack karna hai to Bella sab se Safe hai iss waqt, Matlab!)




Aarav: Vansh! Beech me aoo.



Aarav ne chilate huwe kaha, Vansh jo khud ko Bella se alag ker raha tha wo he shikaar tha uss 3 sar wale ka, Aise Vishaal Parani ko apni taraf khoonkar nazro se bhaagta daikh Vansh ka shareer kaanp gaya.



Wo un ke kareeb ane ki jagha dar ke peeche bhaagne laga, 3 Sar wala bhi uss taraf bhaag gaya, Aarav aur baki sab ki pohanch se wo dur jaate ja rahe the.



Aarav: Daisuke! Bella ke saath ap hamare peeche aoo, Yoo-Jung mere saath chalo.



Aarav kehte he un ke peeche bhaagne laga, Vansh ek Athlete tha to uss ke bhaagne ki raftaar bhi zada thi, Lekin itne Vishaal Parani ke saamne wo kab tak bhaag sakta tha.



Yoo-Jung (Running): Wo kisi bhi Pal uss ko pakar sakta hai! Hume tez jaana ho ga.



Wo sab bhaagte bhaagte bohat dur aa chuke the-




[Party Member Vansh nearing Darkvale Forest boundary! Exiting forest will result in severe consequences]



Aarav ko apne saamne Jungle khatam hota dikhne laga tha, Lekin uss ke aur Dzanum ke beech distance bohat zada thi, Aarav aise bhaagte huwe kabhi bhi Vansh ko nahi rok sakta tha.


[Ability (Flash Steps) Activated]



Apni taango per pura focus karte huwe, 2 Second ke liye Light ki gati se Aarav bhaaga aur Vansh ke paas pohanch uss ko pakar side per kud gaya, Direction badal chuki thi Dzanum ko bhi rukna per gaya.



Aarav ka shareer buri tarha dard karna shuru ker chuka tha, Abhi bhi wo Flash Steps ke liye tayar nahi huwa tha, Dzanum dobara un ke kareeb ane ko huwa, Lekin hava me uchalti huwu Yoo-Jung ne apne Daggers ek sar me ghusa diye.



Dzanum dard de tadapte huwe idhar udhar hone laga, Aarav uth ker Vansh ke saath dusri taraf chala gaya, Aarav ki saanse abhi bhi bhaari ho rahi thi wo kisi pal bhi gir sakta tha.


Yoo-Jung bhi neeche utar ker Aarav ke paas aa gayi, Wo ek mushkil situation me phans chuke the, Aarav ko apni saanse sambhalne ke liye kuch samay chahiye tha.



****

Unknown Place



Wanhi apni kursi oer baitha vyakti apne saamne chak rahi Aarav uss ke saathiyo ki Un Dzanum ke saath chal rahe yudh ko daikh khush ho raha tha.



Vyakti: Har baar! Har baar baar chahe halaat kitne bhi badtar kiu na ho jaye, Tum sab uss se nikal he jate ho, Akhir sach me tum sab he ho jis ka hume intezar tha.




Vyakti ke chehre per ayi muskurahat uss ke andar ke sakoon ko dirsha rahi thi, Uss ke haath Khushi se kaanp rahe the.



Vyakti: Ezra waqt aa chuka hai!



Vyakti ne ek Window ko chhua aur araam se baith ker saamne ho rahi sab cheezo ko dhayan se daikhne laga.



****

Darkvale Forest
38 Hours 45 Minutes Remaining



Aarav aur Yoo-Jung saamne se aa rahe Dzanum per Nazre garaye apni saanse bahal karne ki koshis ker rahe the, Wanhi Vansh un ke peeche darte huwe gira huwa tha.



Dono apne Weapons per pakar banate huwe larne ko tayar the, Dzanum bhi gusse me aa chuka tha, Dono ko he nahi pata tha ke unhe kis had tak jana per sakta tha, Aarav khara hone ko huwa he tha ke tez havao ne usse rok dia.



Tez havao ke saath sabhi ped podhe hilne lage the, Upar Bijli garajne ki tez awaz ne ek pal me sab ke andar sihran utha di, Aarav ye Feeling kaise bhool sakta tha, Pehli baar uss ke yahan ane ki feeling, Aarav ne apne neeche daikha per wahan kuch bhi nahi tha.



Yoo-Jung ki taraf daikha per wahan bhi kuch nahi tha, Wanhi Yoo-Jung upar ki taraf daikh rahi thi, Aarav ne bhi upar daikha to kaale aur baingani rang ki bijli upar garaj rahi thi, Uss bijli ne ek Circle ka roop lena shuru ker dia aur daikhte he daikhte wahan ek Vishaal Portal ban gaya.



Sirf Portal se aa rahi wo feeling he wahan pressure bana rahi thi, Portal me se ek Kala dhuan baahir nikalne laga, Dhuan khatam huwa to wahan ek kaale rang ka libas pehne vyakti khara huwa tha, Uss ki nazre seedhe in teeno ki taraf ayi.



Wo Vyakti upar se neeche utarne laga, Aisa mehsoos ho raha tha jaise Andhkaar khud chal ker neeche aa raha ho, Uss ke kadam neeche lagte he zameen me ek bara gadha ban gaya aur paas ke ped sukhne lage.



*Grooowwwwrrrrr*



Uss ko daikh Dzanum apne teeno sar se dahara aur apne teekhe daant dikhate huwe usse darane ki koshis karne laga, Vyakti ne ek nazar Dzanum ki taraf daikha aur apni ungli uthate huwe uss ki taraf ker di.



*Spectral Demise*



Ek laser jaisi cheez uss ki ungli se nikli aur seedhe Dzanum ke ja lagi, Palak jhapakte he Dzanum jaisa Vishal Parani uss choti laser ke andar kheencha gaya.



*Kabooooom*



Laser phati aur Dzanum ke chote chote tukre wahan phel gye, Vyakti ko sirf apni ungli uthaani pari Dzanum jaise Beast ko maarne ke liye, Ye daikh Aarav, Yoo-Jung aur Vansh ki halat aur bhi kharab ho gayi.



Dil ki dhadkane tez hoti ja rahi thi, Shareer me ek bhay ka anubhav hota ja raha tha, Wo khud ke shareer ko hila bhi nahi paa rahe the, Yoo-Jung ke haath me pakre Dagger per pakar kamzoor huwi aur wo neeche gir gye.



Ye ehsaas Alpha Presence se bhi zada badtar tha, Yoo-Jung jo Alpha Presence ke saamne bhi khari ho sakti thi wo bhi uss ehsaas ke saamne kuch nahi ker paa rahi thi, Bhay un ke andar barhta ja raha tha.



Bhay ke agar unho ne hilne ki koshis kia agar socha bhi to wo wanhi apne paraan kho de gye, Uss Vyakti ne apna rukh teeno ki taraf kia aur unhe daikhne laga.



Vyakti(Chilling): Chinta mat karo! Ye tum ne meri shakti ka sirf sawad chakha hai, Asli shakti dikhani to abhi baki hai.




[Ezra, a powerful Emince power possessor, has challenged your party]


[Warning: Battle is unavoidable. Ezra, the relentless Emince power possessor, awaits your party. Steel yourselves for the impending confrontation]





Saamne aye Notification daikh un ke shareer me bijli ki tarange dorne lagi, Akhir wo kaise aise shaktishali pratidhvandi se lar sakte the, Jis ke saamne wo hil bhi nahi paa rahe.



Yoo-Jung (Gasped): Hume bhaagna ho ga!



Aarav(Groan): Hum nahi bhaag sakte! Agar hum battle se bhaage to hum haare huwe maane jaye gye aur hum wanhi mar jaye gye, Aur ye hote main ne apni aankhon se daikha hai.


Aisa he battle Aarav ne Alpha se kia tha, Ek baar phir wohi ehsaas Aarav ke andar tha, Ice Bear ne beech me aa ker rules tor dia tha, Uss ke liye wo wanhi mar gaya tha.



Aarav: Hume saamna karna ho ga!



Yoo-Jung(Groan): Tumhe lagta hai ke hum iss se lar paye gye? Hamare saamne uss ne chutkiyon me Dzanum jaise Vishal beast ko tukro me baant dia, Tum keh rahe ho hum iss ka saamna kare.



Aarav: Agar main ne ye socha hota to main kabhi pehli Quest he na puri ker pata! Hamare saamne ka pratidhvandi kia bhi shaktishali kiu na ho, Ant me hume uss ka saamna karna he pare ga, Kiu ke hume zinda rehna hai.



*Wooosh*



Daisuke ek taraf se bhaagte huwe apni sword ko ghoomate huwe aya aur Ezra per hit lene ki koshis karne laga, Lekin Ezra halki Movement ke saath he Attack dodge ker leti hai.



Daisuke: Aarav, Sab ko le ke-



Daisuke bolne ko huwa he tha ke Ezra ne apni ungli dobara uthayi aur Energy uss ki ungli me ane lagi, Daisuke apni body ko move bhi nahi ker paa raha tha, Uss ne yahan aa ker kitni bari galti ker di hai usse iss ka ehsaas hone laga.



*Wooosh*



Daisuke apni jagha se gayab tha, Daisuke ne saamne daikha to Aarav usse pakre dusri taraf khara huwa tha, Wanhi Aarav jo ek baar Flash Step se pehle he thak chuka tha uss ki halat aur bhi kharab hone lagi.



Ezra ne Aarav ke saath he apna Aim bhi ghooma dia, Ab ki baar Aarav bhi uss ke nishane per tha, Aarav ki halat hilne wali bhi nahi rahi thi.




*Swish*




Ek ke baad ek arrow Ezra ke upar shoot huwa, Lekin Ezra ne bina kisi mushkil ke sab ko dodge ker lia, Yoo-Jung bhaagte huwe Arrow shoot ker rahi thi.

4aff7651999862a4c6ceadf19c052593.gif



[Player, receive healing! A skilled Healer tends to your wounds and Fatigue]



Aarav ne peeche daikha to Bella uss ke paas khari uss ko Heal ker rahi thi, Aarav waapis khara ho gya aur apni Qi blade waapis bana li.




Yoo-Jung: Main lead karti hu!



Yoo-Jung Aarav ke aage bhaagne lagi, Aarav Yoo-Jung ki lead per uss ke peeche bhaagne laga, Ezra ne dobara apna haath uthaya aur Laser shoot ki, Yoo-Jung ne side per ho ker dodge karte huwe, Apne haatho ko mila lia.



Yoo-Jung: Smoke Screen!



Yoo-Jung ke haatho me se chingariya nikalne lagi aur Smoke me badalne lagi, Smoke ka advantage uthate huwe Aarav apni position badalte huwe Ezra ke kareeb pohanch gaya, Lekin Ezra ne halka bhi move nahi kia.



*Clang*



Aarav ne Qi Blade se hit lena chaha, Lekin wo Apna haath Ezra ke kareeb bhi nahi le ker ja saka, Ek Barrier Ezra ke gird ban gaya tha, Aarav ne haath kheench dobara koshis ki lekin wo phir bhi na ja saka.




Ezra: My turn!



Ezra ne Aarav ko gardan se pakar lia aur upar utha lia, Aarav ko apne andar se kuch khinchta mehsoos hone laga, Aarav ki power uss ke shareer se nikalti ja rahi thi.



*Fire Palm*


Yoo-Jung ne peeche se nikalte huwe Ezra per sneak attack karna chaha, Yoo-Jung ka haath pura laal ho gya tha, Wo jaise he Ezra ko chhune ko huwi Ezra ne ghoom ker dusre haath se Yoo-Jung ko uchalte huwe peeche phenk dia.




*Swishhhh*



Ek Arrow Ezra aur Aarav ke beeche me aa gaya, Aarav chance mile he Ezra ki pakar se baahir nikal gaya, Ye Arrow Yoo-Jung ne Fire Palm se pehle Shoot ker dia tha.



Aarav aur Yoo-Jung dono Ezra se dur khare wapis lambi saanse bharne lage, Wanhi Daisuke Heraan nazro se Yoo-Jung ko daikh raha tha.



Daisuke: Ye Technique bhi Fire Realm Clan ki hai! Akhir kaise Yoo-Jung keh sakti hai ke wo Fire Clan se nahi hai.



Lekin wanhi Daisuke Aarav aur Yoo-Jung ko larta daikh apni muthi bheench sar jhukaye baitha raha.



Daisuke: Fire Clan se ho ya na ho! Lekin wo kam se kam hum sab ke liye lar rahi hai, aur main kia ker raha hu yahan baitha bachne ka intezar ker raha hu, Meri wajha se he Aarav ko khayi me kudna per gaya tha, Ab bhi wo mere liye lar rahe hai.




Daisuke ki Aankhen bhar gayi, Uss ki halke sisakne ki awaz aur andar uth raha toofan, Khud ki bebasi ka wo ehsaas Daisuke ko andar he andar khaye ja raha tha.




Daisuke(Sobbing): Shayad sach me......Sach me main ek Looser he hu, Jo aj bhi sirf ek bojh he ban raha hai.


****

“Ap sach me abhi bhi uss ka saath de rahe ho?”



Kamre me ek Aurat ki awaz goonji, Kamre me dono taraf 10 log baithe the, 10 Elders, Un 10 Elders me Aurat aur Mard se le ker bari umar se jawan sabhi tarha ke log the, Kuch apne Tredition ke hisaab se kimono pehne huwe the wanhi kuch aj ke fashion ke saath chalte huwe Suit pehne huwe the.



Un 10 Elders ke saamne baitha tha Family Leader baitha huwa tha, Kamre ka tapman garam tha aur koi bhi zada khush nahi dikh raha tha, Family Leader khamoosh baitha sun raha tha, Wo Aurat 4th Elder dobara boli.



4th Elder(Aggressive): Maaf kariye ga Lord meri unchi awaz ke liye! Lekin ap agar uss larke ka aur saath do gye to wo hum sab ke liye ek bojh ban jaye ga, Waqt aa gaya hai ke hum ab maan le ke Daisuke agle Family Leader ki candidate position se hat jaye.




7th Elder: Main 4th Elder ke saath sehmat hu! My Lord ap ne uss ke liye sab kuch kia, Hum ne kabhi ap ke liye nirnay ke khilaaf jaane ki sochi bhi nahi, Lekin har cheez ki had hoti hai.



8th Elder: Lekin wo Lord ka Saputara hai! Jo bhi ho jaye hum uss se uss ki Position nahi cheen sakte.



4th Elder: Ap kehna kia chahte hai? Hume bhi Lord ki utni he Izaat hai, Lekin bachpan se le ker ab tak hum ne kia kuch try nahi kia, Kitni keemti Cultivation Technique Uss larke per barbaad ker li, Lekin wo larka sirf apna Level he barha paya, Aj tak wo ek bhi Technique nahi Istimaal ker paya, Abhi tak wo Mark bhi nahi le saka, Mujhe to kabhi kabhi lagta hai ke wo sach me hamare lord ka beta hai bhi ya nah-




Family Leader: *Glare*



Family Leader jo ab tak khamooshi se sar jhukaye baitha tha, Uss ne pehli baar Nazre utha ker 4th Elder ki taraf khoonkar Nazro se daikha, 4th Elder ki saans uss Glare ki Blood Lust mehsoos ker ke he thamne lagi, Jaise kisi bhi pal Uss ke dil ke dharkane rukne wali ho.



4th Elder apni jagha se uth ker Family Leader ke saamne aa gayi aur apna sar zameen per rakh Family Leader ke saamne Bow karne lagi, Uss ka shareer abhi bhi kaanp raha tha aur kamre me Pressure bhaari hota ja raha tha.



4th Elder: Mujhe maaf ker de My Lord! Main jazbaat me kia bolti chali gayi mujhe pata he nahi chala, Mujh se bari galti ho gayi hai main Lord se iss gustakh ke liye reham maangti hu!



4th Lord ko yun apni Pride phenk ker neeche baithi daikh baki sab ki bhi halat kharab hone lagi, Sirf ek nazar ne abhi chilane wali Elder ko zameen per la giraya tha, Ye thi power Family Leader jo Windblade ke naam se saraha gaya tha.



Family Leader: Wapis khari ho sakti ho tum!


4th Elder: Main shukraguzar hu My Lord ke reham ke liye!



4th Elder waapis ja ker apni jagha per baith gayi, Uss ke paas ab kuch bhi kehne ki himmat nahi bachi thi, Wanhi baki sab bhi khamoosh ho chuke the.


Family Leader: First Elder ap ka kia kehna hai?



First Elder ek Adhik Umar ka Admi tha, Uss ke baalo me ayi safedi bata rahi thi ke uss ne ek lambi umar guzari hai, First Elder family Leader ke baad sab se unchi position hold kare huwe tha.



First Elder: Mujhe khushi huwi ke Lord ne meri raaye puchi! Jahan tak main ne sab ko baate suni kuch had tak main un se sehmat hu, Young Lord ne itni umar guzar jaane ke baad bhi hamari kisi bhi Technique me safalta nahi dikhayi, Agar hum ne Young Lord ko aise he ap ki jagha di to sab ka ek he dar hai, Hamari halat bhi Spirit Realm Clan ki tarha ki ho sakti hai, Aj ke waqt me sabhi hamari power bhoolte ja rahe hai, Ane wali generation kamzoor se kamzoor ho rahi hai, Agar aise me hum ne Young Lord ko ap ki jagha di to ye kehna galat nahi ho ga ke kuch samay me he Hum apni power kho de gye.



First Elder ne araam se sab kuch keh dia, Uss ki baato me bakiyo ki tarha pagalpan nahi tha, Uss ki har baat me wazan tha aur sense bana rahi thi, Family Leader bhi dhayan se sunta raha.



First Elder: Lekin hum Young Lord se un ki Candidates ki position bhi cheen nahi sakte! Abhi Lord hamare saath hai kuch saalo tak hum sab kuch dhayan se daikhe gye, Agar hume Young Lord me kuch bhi khaas dikha to hum unhen agla Lord banane per baat ker sakte hai, Agar samay guzarne ke baad bhi hume kuch na dikha to bhooliye mat ke hamare paad aur bhi Candidate hai jo hamare lord ki bloodline se hai.



Sab ke muh per taale lag gye, First Elder ke Suggestion ke baad un ke paas kuch bhi kehne ko nahi bacha tha, Family Leader ne First Elder ki taraf daikha to uss ne muskurate huwe Family Leader ko ehsaas karwaya ke wo uss ke saath hai.



Jahan kamre me ye baate chal rahi thi, Wanhi kamre ke baahir baitha Daisuke sar jhukaye andar ki sab awazen sun raha tha, Aankho me halki nami liye wo muthi bheench ker baitha tha, Uss ko khud per gussa aa raha tha, Ek sakoon ka ehsaas uss ke andar huwa jab uss ke sar per kisi ne haath phiraya.


Daisuke ne sar utha ker daikha to saamne uss ki Maa khari huwi thi, Uss Umar me bhi un ki khubsoorti Haseen se haseen larki ka saamna ker sakti thi, Khubsoorat chehre per ek muskurahat sajaye wo apne bete ka sar shehla rahi thi.



Daisuke(Sobbing): Maa!



Miyuki(Gently): Yahan baithe kia ker rahe ho? Andar ki jitni baate suno gye utni khud ko takleef pohancha rahe ho.



Daisuke: Per meri Wajha se mere Papa ko un sab ke saamne mujrim ki tarha baithana per raha hai.


Miyuki: Ye sab baate yahan karne ke liye nahi hai! Yahan tumhare Papa sab sambhal le gye, Hum chalte hai kanhi jahan hum araam se baith paye.



Miyuki ne apne bete ka haath pakar usse uthaya aur usse apne saath le ker chalne lagi, Miyuki ke chehre per halki muskurahat bani rahi, Uss ke har kadam me ek Elegance thi, Jo uss ne ek Family Leader ki wife hone ki wajha se seekhi thi aur un ka khayal rakh rahi thi.



Miyuki apne bete ko le ker apne kamre me aa gayi aur neeche baith gayi, Daisuke uss ke saamne baith gaya, Wo kamre baki ghar se alag tha jahan awaze nahi aa rahi thi aur wanhi baahir lage phoolon ko khirki se daikha ja sakta tha.



Miyuki: Akhir konsi baat mere bete ko itna tang ker rahi hai?



Miyuki ne pyaar bhare lehje me pucha to Daisuke ki ankhe bhar gayi, Wo apne jazbaat ko dabana chah raha tha lekin Maa ke saamne wo khud ko rok na saka aur uss ki rulayi phut gayi aur wo apni Maa ki Goad me sar rakh rone laga, Miyuki bhi pyaar se apne bete ka sar sehlane lagi aur uss ko uss ke jazbaat bahir nikalne diye.



Daisuke: Maa akhir kiu main kuch bhi nahi paa raha hu? Itni mehnat karne ke baad bhi Papa ki seekhayi ek bhi Technique me sahi se nahi ker paya, Papa kehte nahi hai lekin unhe mujhe daikh ker jo takleef hoti hai wo mujhe mehsoos hoti hai! Phir bhi main kiu kuch nahi ker pata hu?



Miyuki: Tumhare paas koi wajha nahi hai!



Daisuke: Wajha? Kia?



Miyuki: Tumhare paas koi Reason nahi hai apni takat dikhane ki! Mere bache hamare Purvajo ne ye takat uss waqt aye mushkil waqt se larne ke liye Use ki thi, Uss ke baad wo waqt to guzar gaya lekin takat ka Nasha sab ko charhne laga.



Daisuke: Sach me?



Miyuki: Haan, Sach me! Tum galat nahi ho mere bache, Galat wo sab hai, Ye takat kuch panne ke liye ya kisi per apni control lane ke liye nahi hai, Ye logo ko bachane ke liye banayi gayi thi, Aur jab waqt aye ga tab tumhare andar chupi ye takat khud bahir aye gi, Tum aise he ek sacche dil ke insaan rehna.




Daisuke: Per agar main khud ko kuch na bana saka to hamari Halat bhi Spirit Realm jaisi ho jaye gi!




Miyuki: Kis ne kaha ke Spirit Realm barbaad ho gaya hai? Spirit Realm Clan ne sirf ye jaan lia tha ke unn ki zaroorat ab nahi hai aur un ki wajha se un ka desh khatre me hai aur logo me dar hai, Apne Desh ke liye unho ne khud ko peeche ker lia, Agar daikha jaye to wo sab hum se zada khush hai bina kisi bewajah larai ke, Agar tumhare paas kuch nahi bhi hai to tum hamare bete ho, Khud oer vishwas rakho un sab Elders ko tumhare Papa aur Behan daikh le gi.



****

“I can't win this without you, Daisuke!”



Daisuke apni ateet ki yaado se baahir aya, Uss ke saamne Aarav khara tha, Saans charhe huwe halat kharab me wo apna haath daisuke ki taraf barhaye khara huwa tha.



Aarav: Mujhe ap ki zaroorat hai!




Daisuke kabhi Aarav ko daikhta to kabhi uss ke haath ko, Ye he wo lamha tha jab usse apni himmat jutani thi, Apne ansoo ponchte huwe Aarav ka haath pakar Daisuke khara hone laga.



“Mujhe nahi pata ke main koi rakshak hu ya ek Looser! Main apni puri zindagi agar looser raha bhi hu to abhi wo looser bane rehne ka waqt nahi hai mere paas, Mere sabhi saathi khatre me hai, main akhir kaise chain se baith sakta hu, Maa ap sahi thi!”



Daisuke khara huwa aur chehre per ek muskurahat laate huwe Aarav ko jawab dia ke wo uss ke saath hai.



Aarav: Ezra ke paas ek invisible Barrier hai! Lekin Yoo-Jung ne ye confirm ker lia ker barrier har waqt nahi rehta wahan, Attack ke waqt wo Barrier ek pal ke liye jata hai, Mujhe uss ek pal me hit karna ho ga, Lekin agar main akela gaya to Ezra ki nazro me aa jao ga, Lekin agar ap mere saath huwe to hum hit le sake gye shayad.




Daisuke: Hit and Run karna ho ga! Agar Ezra hit ke baad ek pal bhi aur zinda rahi to hum me se kisi ko bhi khatra ho sakta hai.



Aarav ne haan me sar hila dia, Andar he andar dono apna Plan ker chuke the, Aarav ne Bella ki taraf daikha to uss ne dono ko Boost de dia.



[Unique Ability (Will to live) Activated]



Daisuke(Mumble): Mujhe ye karna ho ga! Abhi nahi to kabhi nahi.



Daisuke ne apna stance lia aur Swords nikal li, Ek gehra saans bhar dono ne Ezra ki taraf daikha jis ka dhayan Yoo-Jung ne apni taraf kia huwa tha.



Daisuke: I am Daisuke Takahashi, Son of Hiroshi Takahashi, The Windblade Warlord. The Next Clan Leader. Today, I surpass every ancestor. Their legacy ignites my spirit. Their strength courses through me. I carve my path with the wind's might. I leave a trail of victorious echoes. I rise above shadows, leading our clan to greatness. I transcend legends, forging my own legacy! I am Daisuke Takeshi, the living embodiment of their undying spirit!




Aarav&Daisuke: Flash Steps! Two Fold!


Dono ek saath bhaage, Havao ko cheerte huwe dono alag alag disha me gye, Ezra ka dhayan dono per gaya, Ek jagha ja ker Aarav ne rukh Ezra ki taraf ker lia, Ezraove ker sakti uss se pehle Daisuke bhi ghooma aur dono Ezra ke aage aur peeche se hit lete huwe nikal gye.


2ccde7879e2a2b4588148b861d14a043.gif


Ezra ka shareer beech se cut gaya aur dono aage ja ker ghutno ke bal gir ker lambi lambi saanse bharne lage, Aarav ne Daisuke ki taraf daikha jo khushi se mukura raha tha.



Aarav: Sensei! Daisuke sach me kamal ke hai.



****


“Woohhhoooo”



Tsubame ne kuch shots peene ke baad he halke nashe me jaana shuru ker dia, Uss ke saath Aarav tha aur wo log aj club me enjoy karne aye the, Aarav kal he wapis Tower me jaane wala tha, itne din ki Training ke baad Tsubame aj Aarav ko relax karwana chah rahi thi.



Tsubame(Mumble): Tum peete kiu nahi ho? Bache to nahi ho!


Aarav: Sensei! Sensei ap itni Alcohol handle ker sakti ho na?



Tsubame(Glitter): Aww! Kitna acha student mila hai mujhe.



Tsubame apni taraf se uthte huwe Aarav ke saath aa baithi aur uss ke kandhe per sar rakh ker baith gayi, Aarav ko pata tha ke Tsubame ye sirf Nashe me ker rahi thi, Lekin wo apni dhadkano ko control nahi ker paa raha tha.



Tsubame: Tumhari Sensei ke roop me main bohat khush huwi hu! Aj tumhe jo chahiye wo tumhe meri taraf se gift mil jaye ga, Naam lo sirf?



Aarav ne ek gehra saans bhara, agar Aarav ki jagha koi aur hota to wo aisa moka jaane nahi deta, Lekin Aarav un me se nahi tha jo sirf apne Neeche wale sardar se soche!



Aarav: Aisa hai to, Main kuch puchna chahu ga!



Tsubame (Hiccup): Bus!.....Ye he chahiye kia? Okay, Pucho kia puchna hai?



Aarav: Ap mujh per itni mehnat kiu ker rahi ho?



Aarav ne seedhe serious hote huwe pucha, Tsubame bhi ek pal ke liye ruk gayi, Aarav ke Mann me ye sawal bohat dino se tha, Aj chance milte he uss ne puch lia.



Tsubame: Kia matlab? Mera kaam hai ye!



Aarav: Bilkul bhi nahi! Ap ka kaam sirf mujhe train karna tha, Lekin ap ne apne Clan ki technique ek anjaan ko de di, Uss din bhi ap mere liye Flash Steps technique lene ke liye apni Family se lar gayi, Ye sab ap sirf apne kaam ke liye to nahi karo gi, Phir akhir kiu?



Dono ke beech khamooshi chaa gayi, Darwaza band tha to baahir se Music ki awaaz bhi dheemi he aa rahi thi, Tsubame ne dobara apna Glass uthaya aur ek baar me pura khali ker dia.



Tsubame: Mujhe pata tha ke tumhe shaq ho ga! Lekin itni jaldi pakri jao gi, Ye kabhi nahi socha tha.



Aarav: Matlab main sahi tha?



Tsubame: Haan! Mere paas aur bhi wajha thi tumhe train karne ki, Bus me swarthi ho gayi thi aur tum se chupate huwe tumhe train karti rahi.



Aarav: Lekin aisi kia wajha thi!



Tsubame (Smile): Aarav! Mera Naam kia hai?



Aarav: Tsubame Sensei!




Aarav ne bina soche ek pal me bol dia, Tsubame ki hansi nikal gayi, Aarav ab tak Sensei ko Tsubame ka surname samajh raha tha.



Tsubame: Sensei, Matlab teacher hota hai! Mera Naam Sensei nahi hai.




Aarav(Shock): Sach me? Mujhe laga ye he hai, Phir kia hai?



Tsubame: Tsubame......Takahashi! Mere bhai ko to jaante he ho ga?



Aarav ke andar ghanti baji aur uss ki Aankhe khulti gayi aur wo heraani se Tsubame ko daikhne laga.


Aarav(Shot): Ap Daisuke ki sister ho?



Tsubame: Wo mera bara bhai hai! Lekin wo ye kisi ko batana nahi chahta, Sirf ye jaan lo ke wo hamare Clan se ho ker bhi hum jaisa nahi tha, Wo apni Qi ko control nahi ker sakta.



Daisuke ke paas Qi thi ye he Aarav ke liye kam heraani ki baat nahi thi, Ab sab kuch sense bana raha tha ke Tsubame jaisi Expert ko Daisuke ne kaise bhej dia.



Tsubame: Wo nahi chahte ke main unhe Bhai kahu! Lekin mujhe jab pata chala ke wo Tower se ho ker aye hai, Mere andar ek dard uthi jab unho ne tumhe train karne ko kaha to mujhe Chance mil gaya, Sach kahu to tumhari madad ker ke main apne bhai ko bachana chah rahi thi.



Tsubame khari huwi aur jhukte huwe Bow karne lagi, Aarav Tsubame ki harkat daikh heraan hone laga.



Tsubame: Mujhe pata hai tum pehle he bohat kuch ker rahe ho! Lekin kia tum mere liye mere bhai ko bhi bachane ki kosbis ker sakte ho kia? Wo abhi Qi nahi bhi Use ker paa raha lekin wo bohat Talented hai, Shayad mujh se bhi zada tumhe kuch khaas nahi karna ho ga sirf agar tum khatre me usse bacha sako to bachana zaroor.


Aarav ne khare hote huwe Tsubame ko seedha kia, Tsubame ki aankhe bheegi huwi thi, Aarav jaise apne saamne Urvi ko daikh raha tha.



Aarav: Main wada karta hu ke main sab ko zinda wapis le ker aoo ga!




****


Aarav(Gasp): Mujhe jaldi Bella ke paas ja ker khud ko heal karwana ho ga!


Aarav khara huwa aur Bella ki taraf langrate huwe jaane laga, Lekin jab uss ne Bella ke chehre per Dar ki shikar daikhi to uss ke andar bhi ek dar ki lehar dorne lagi.



“Manana pare ga ek keere hone ke bawajood tum sab kamzoor nahi ho!”




Aarav ne peeche ghoom ker daikha to Ezra wanhi khari thi, Uss ki puri body wapis Heal ho chuki thi, Ab ki baar wo aur bhi khatarnak lag rahi thi.



Ezra: Tum sab ko kamzoor samajhna mere bhool thi! Lekin tum jaiso ke saamne main apna Guard Down ker bhi du to tum log mujhe nahi maar sakte, Lekin ab jo itni mehnat ki hai uss ka Reward to banta hai na.



Ezra ne apna haath uthaya, Uss ke haath me Kale rang ki kirne ban'nni shuru ho gayi, Kirno ne ek gend ka aakar le lia aur wo barhti chali gayi, Uss me se ati wo Mana ki feeling bata rahi thi ke wo kitni tabahi machane wali hai.




"Annihilation!"
.
.
.
.
.
.
.
[Ak ke liye itna he 8.5K ka ye words likhne me bohat waqt laga hai, Ye update 7K words ka hone wala tha lekin 8.5K Words per chala gaya, Target hamara wo he hai 30 Likes, Target Complete hone per Next Update Wednesday Night ko aye ga, Update ka maza le, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]


shandaar update
 
Top