- 5,758
- 13,166
- 189
UPDATE 16
Priya:- Abb kya hua? Tabhi to bahut gusse me tune call cut kiya tha...Jo bhi baat hai jaldi se bol aur phone rakh.
Priya ka abhi baat karne ka koi mood nahi tha...Divya se to pehle se hi wo gussa aur naraaj thi.
Divya:- Please meri baat dhyaan se sunn...Abhi mai jaanti hu ki tu mujhse bahut naraaj hai...Lekin mai jo bhi kahungi uss ko dhyaan se sunna.
Priya:- Mujhe pata hai abb tu yahi kahegi ki Sameer accha ladka hai...Uske saath tu bahut khus rahegi...Sab log acche hai bas tu hi acchi nahi hai...Yahi kehna chahti hai na tu...Tu ne kya sab ko accha saabit karne ki kasam khaayi hai kya?
Divya:- Sameer ka to pata nahi lekin Karan bilkul bhi accha nahi hai...Bas yahi bataane ke liye tujhe phone kiya tha.
Divya ki iss baat se Priya ka gussa aur bhi badh gaya...Abb wo Divya par bhadak gayi.
Priya:- Bas kar teri bakwas...Tab se dekh rahi hu...Bas mujhe gussa hi dila rahi hai...Ye accha hai wo buraa hai bas yahi sab kahi jaa rahi hai...Mujhe nahi pata kaun accha hai aur kaun buraa...Bas tu hi logo ko samajhti hai...Meri najro me Sameer, mere Papa, mere Maa aur tu meri gunehgaar hai...Jisne meri marji ke khilaaf meri shaadi karwa diya Sameer se...Tum log ko mai kya lagti hu insaan ya koi khilauna...Maine Sameer se bahut baar manaa kiyaa tha ki mai usse shaadi nahi karungi...Lekin usne meri ek baat nahi maani...Pata nahi kya makshad hai uska...Jab Maa se kaha to unnhone mujhe apna kasam de diya...Tu meri dost ho kar bhi tamasha dekhti rahi...Kuch nahi boli...Aur Papa ...Unke baare me to kucch nahi bolna chahti...Wo to Sameer ki paison ke saamne jhuk gaye...Unhe hamesha paison se pyaar tha...Iske liye wo kitna bhi niche gir jaaye unhe koi fark nahi padta.
Aur tu Karan ke baare me galat bol rahi hai...Bas wo hi ek hai jisne mujhse pyaar kiya...Ha abhi wo naraaj hai mujhse lekin dekhna wo mujhe jaroor maaf karega...Aur mujhse shaadi bhi karega...Itna to mujhe uss par aur mere pyaar par bharosha hai.
Priya ki aawaj me dard aur gussa dono hi tha...Usko apne pariwaar waale aur Sameer par bahut gussa aa raha tha...Aur apni haalat dekh bahut dukh bhi ho raha tha...Bas wo hi jaanti thi ki wo yaha Sameer ke saath kaise ghut ghut kar jee rahi hai...Naa hi uska koi saath de raha tha aur naa hi uski dard me saamil hone waala koi tha...Akeli pad gayi thi wo...Bas ek hi aasa tha ki ek din Karan usko maaf kar dega aur yahi baat usko himmat de raha tha jeene ka...Warna wo to ussi pal mar gayi thi jab uski shaadi Sameer se hua tha...Aur usne jo bhi kaha tha Divya se wo apni jagah par bilkul sahi thi...Usko puri baat ka pata nahi tha...Jitna pata tha usko usne wo sab keh diya.
Divya bhi chup ho kar sabhi baat ko sunn rahi thi...Usko accha lag raha tha ki Priya apni dil ki saari bhadaas nikaal rahi hai...Ek baar to usne socha ki jo baat kehne ke liye usne Priya ko phone kiya tha wo baat abhi nahi bataani chahiye.....Fir agle hi pal socha ki agar abhi nahi bataya to shaayad bahut der ho jaayegi...Jab Priya shaant hui apni baat keh kar tab Divya ne kaha.
Divya:- Mai jaanti hu Priya abhi tu kaisa feel kar rahi hai...Bahut mushkil pal hai tere liye...Jo bhi hua accha nahi hua...Lekin abb kya kar sakte hai...Sab majboor ho gaye the tere Papa ko chhod kar...Mujhe lagta hai iss shaadi me jarur koi teesre ka haath hai...Wo waha maujood nahi tha lekin sab ushi ne kiya hai...Jitna Sameer ke baare me tu galat sochti hai utna wo nahi hai...Haa galti usne jaroor kiyaa tha lekin usne uss galti ko sudhaarne ke liye ye sab kiya tha...Mai bataati hu tujhe ki Sameer ne tere saath shaadi kyu kiya....Wo bas tujhe uss maahaul se nikaalna chahta tha aur socha ki teri shaadi baad me Karan se ho jaayegi...Iss tarah se wo apni galti bhi sudhaar lega aur teri jindagi barbaad hone se bach jaayegi...Lekin ham sab me kisi ko bhi yakin nahi tha ki Karan tujhse shaadi karne se manaa kar dega.
Aur tu jo Karan ka pyaar me andhi ho gayi hai aur uski taarif kar rahi hai...Maine tujhe uske baare me hi bataane ke liye phone kiya hai...Tu uska intejaar kar rahi hai naa...Lekin tujhe pata hai kal wo shaadi kar raha hai...Usne tujhe aur tere pyaar ko dhokha diya hai...Aur tu ushi ki taarif kar rahi hai...Mujhe to bahut pehle se wo accha ladka nahi lag raha tha...Bahut baar samjhaaya tha tujhe...Lekin tune kabhi meri baat ko seriously nahi liya...Abb dekh usne kaise tere saath pyaar nibhaaya hai...Agar wo tujh se pyaar karta to tera har haal me saath deta...Lekin wo tujhe iss tarah bicch me hi chhodkar kisi aur se shaadi kar raha hai...Bas tujhe yahi bataane ke liye phone kiya tha.
Mujhe ye baat abhi nahi batana chahiye tha...Abhi tujhe koi buri khabar dene ka mera man nahi tha lekin kya karu agar abhi nahi bataati to shaayad der ho jaata...Socha vakt me hi sab bataana sahi hoga...Ek baar Karan se baat kar ke dekh...Shaayad koi baat ban jaaye...Lekin mujhe nahi lagta ki aisa kuch hoga.
Priya Divya ki baat iss baar dhyaan se sunn rahi thi...Karan ki shaadi ki baat sunn kar usko bahut dukh hua...Uska aakhiri vishwaas bhi aaj toot gaya tha ki Karan uska saath dega...Uska to baat karne ka koi man hi nahi tha...Wo call cut karke rone lagti hai...Sameer ne abb tak uski aur Divya ki koi baat nahi sunaa thaa...Wo to gehri neend me so gaya tha...Kuch der ro kar apna dil ko halka karne ke baad usne himmat karke Karan ko phone lagaya...Dusri taraf se Karan ka aawaj aaya.
Karan:- Ha kya hua? Abb phone kyu kiya tumne? Maine kaha thaa na abb hamaara koi rishta nahi.
Priya:- Karan kya tum shaadi kar rahe ho?
Priya ne sidha mudde ki baat kahi...Uski aawaj me ek dard tha aur rote hue usne Karan se puccha tha...Lekin Karan ko abb uske dard aur aansu ki koi fikar nahi tha...Lekin usko thoda aascharya jarur hua ki Priya ko ye baat kaise pata chala.
Karan:- Haan...Abb tumne to mujhe dhokha de diya...To kya mai tumhaare yaadon ki sahaare jinda laash ban kar rehta...Maine bhi aage badhne ka faisla le liya.
Priya:- Tum kehte ho ki tum mujhse pyaar karte ho...Agar pyaar kiya hota to ek baar bharosha to kar lete...Khair abb tumse baat karne se koi faaidaa nahi...Hamaari rishte ki shuruwaat hi jhooth se suru hua tha to fir vishwaash aur bharosha jaisi cheej kaha se aata...Tum mujhse rishta todna chahte ho na...To thik hai aaj se mai tumhaare jindagi me kabhi nahi aaungi aur tum bhi meri jindagi me kabhi mat aana...Aaj se hamaara saara rishta khatm.
Priya ne itna keh kar phone cut kar diya...Usne ye sab to keh diya lekin wo hi jaanti thi ki kitni mushkil se usne ye sab kaha hai...Uske 1 hafte ke andar hi sabhi rishte toot gaye the...Aaj pyaar ka rishta bhi toot gaya...Wo iss vakt kitna dard me hai sirf wahi jaanti thi...Phone kaatne ke baad wo jor se rone lagi aur apne kismat ko kosne lagi...Bina koi galti kiye wo aisi sazaa bhugat rahi thi...Kucch der rone ke baad jab usne Sameer ka chehra dekha to ek dam se rona band kar usne ek faisla le liya...Jindagi me aage badhne ka faisla...Wo Sameer se iss baare me kal baat karne ka soch kar bed par lait kar so gayi.