UPDATE 5
" Ye tu khana kyon nahi kha rha abhi tak, tabiyat sahi nhi hai kya teri " ye bat Raushan ne Karan se puchha.
Karan - Nahi yar is khane me swad hi nhi milta ,kya Karu kisi tarah pet bharna hota hai bhookh to lagi nhi hai.
Raushan - Dekh Bhai Teri bhukh us ladki ko dekh kar hi mit gayi hai , mujhe sab pta hai or agar nind bhi nahi aa rahi to tu jag wo light off karde kyoki mujhe Sona hai.
Next day
" Tu meri sunti nahi hai na isliye bar-bar problem me ati hai or phir baithke roti hai" ye bat Shruti ne Priya ko bola.
Priya - Dekh agar ham log undono ko apne group me shamil kar le to kitna accha hoga ,hamlog ka group bhi bda ho jayega and clg me kisi na kisi se frendship to karni padegi na.
Shruti - But Priya wo log unknown hai hamare liye or ek chhoti si help ke Karan hum unpe trust nhi kar sakte or ho sakta hai ye unki koi chal ho.
Priya - are meri maa tujhe kitni bar bola hai ye real life hai ,Teri fiction books nhi jisme ye sab hota hai,dekh ek do din observe karte hai phir decide karte hai,ok ab khush.
Shruti - Bahut khush.
Wo dono bate karti Hui class me aa jati jha unhe Karan or raushan dikhte hai Jo apni hi duniya me mashgul hai.
" Silence and attention" ek tej awaj gunjti hai or ye awaj thi clg ke principal ki Jo abhi just class me enter hue the
Principal - Hello student aapko PTA hoga ye humara clg best education and discipline ke liye Jana jata hai,or Mera manana hai ki best discipline hi best education ka base hai,so we don't tolerate any bad and indiscipline behaviour.
Ye sari orientation ya lecture pure adhe ghante tak class me chalta hai uske baad ek do lectures or hote hai then lunch ho jata hai or sabhi students class se bahar nikalne lagte hai.
" Dekh Priya tune suna na kitne strict hai ye log discipline ko leke so pls don't create any scene yaar" ye bat Shruti Priya ko samjha Rahi thi.
Priya - wo Papa ki chamchi mujhe mat samjha tujhe PTA hai main bewajah gussa nhi karti,are ye dono kab nikle ( pichhe mudke dekhne k bad )
Shruti - jab tu mujhe suna Rahi thi tab kyon, dekh Rahi hu tu kuchh jyada hi dhyan de Rahi hai unpe kya bat hai?
Priya - Bat kya hai kuchh nhi bas aise hi ,chal canteen chalte hai.
Wo dono canteen aa jati hai or lunch karne lag jati hai. Phir uske kuchh der bad hi Karan or raushan bhi canteen me aa jate hai wo Priya ko dekhte hai or hi karte hai jispe Priya in dono ko baithne ko bolti hai jiske bad wo log bhi unko table pe join karte hai.
Raushan - waise aap log yha ke local ho ya bahar se aye ho , I mean aap dono ka ghar yhi pe hai.
Shruti ( ghurte hue)- kyu Voting card banwane ka irada hai kya aapko humara .
Raushan - ji nhi main to bas aise just normal things.
Shruti - Normal things me or bate hoti hai janab .
Karan ( bich me tokte ) - Can I say something?
Shruti and Priya - yeah sure
Karan - let me clear the things, aap logo k bato se lag raha hai aap log hame galat samjh Rahi hai so I clearly tell you, we don't have any wrong intention regarding you both .
Priya - dekhiye Aisa kuchh nhi But hum log just,
Karan ( bich me tokte hue ) - dekhiye madam agar aapko lagta hum chhote sahro k log aap log jaiso k sath bat karne ko mare ja rahe to ,then you getting wrong and ek bat or Agar phir bhi aapko hum pe bharosa nhi hai to hum aap logo se bate nhi karenge,nahi hamre taraf se koi hint jayega iske liye.
Phir iske bad itna bolkar Karan or Raushan dono uth kar wha se chale jate hai or undono ko jate hue Priya or Shruti dono dekhti rahti hai.
" Tu kuchh jyada hi overreact nhi kar gaya tha aaj" Raushan Karan ko bolte hue
Karan - Dekh kuchh jagho pe chup rahna bhi apne character pe shak paida karwana hota hai , or koi is tarah ke galat samjhe to main chup rahne wala nhi tujhe PTA hai.
Raushan - are Bhai main to ye bol raha tha ki itna serious hone ki kya jarurat thi. Ok chal ab so jate hai kal clg bhi to Jana hai.
Iske bad Karan or Raushan apne room so jate hai.
Next Day
" Ye Jo bhi scene create hua hai na iski sari jimmedari Teri hai ,mujhe samajh nhi tu apna Shak karne wala behaviour kab badlegi" Priya Shruti ko tane marti class me baithkar
Shruti - Dekh Priya mujhe itna pta hai ki itni jaldi kisipe trust nhi karna chahiye sare ladke ek jaise hote hai.
Tabhi undono ki najar class me ate Karan or Raushan pe padti hai, Priya kuchh kahna chahti hai but wo dono unlogo ko ignore karte hue age bad jate hai.
Priya apne man hi man bahut udas ho jati hai par kuchh bolti nhi chup - chap lecture attend karne lag jati hai.
(Lunch time canteen baithe baithe )
Priya - Shruti Bahut badi galti ho gayi hai meri samjh se , itna rude bhi nhi hona chahiye tha hame .
Shruti - jyada tu soch mat mere pass ek idea hai ,jiske bad ye dono ki narajgi pal me dur ho jayegi.
Priya - kya idea hai pls mujhe bhi bata .
( Uske bad Shruti Priya ko kan me kuchh kahti hai jiske bad dono muskurahat ke sath apne Ghar ko nikal jati hai)