Aap sabse pehle apana khyaal rakhiye kyounki ye forum aanandit hone ke liye hai.gaon me rahta hu..........jahan in dino covid ke chalte markets disturbed hain towns ki............online recharge, digital payments ki facility nahi, city 50 km aur red zone me hai..................isliye 1 week se offline tha.............kabhi-kabhi power/bijli ki problem bhi rahti hai
सभी मित्रों कोआज 1 सप्ताह बाद ऑनलाइन आ पाया हूँ...........कुछ व्यक्तिगत कारणों से
विजय दशमी
की मंगल कामनाएँ
आप सभी मित्रों का आभारी हूँ ..........जो मुझे याद रखा
कल से नियमित आप सभी के साथ रहूँगा
Koi bhi aanand ki tab sochta hai jab uski bunyaadi jarurate puri ho jati hain. Jab tak hamari bunyaadi jarurte puri nahin hoti tab tak ham chah kar bhi kucch soch nahi sakte.
Ye forum ya aanandit hone ka zariya ham tab sochate hain jab ham apani jimmewariyoun ko nibha chuke hote hain, isliye aap pehle un baaton ko dekhiye aur yanha ki chinta chhodiye
Ham Pathak log tu aap par anavashyak dabav dalte ranhege ki aap jaldi se jaldi update dijiye. Ek tarah se dekha jaye tu yeh Pathkon ka Lekhak ke prati pyaar aur aadar bhav hai.
Itna hote hue bhi Lekhan apana 100 partishat tabhi de payega jab vo sukun se hoga. Isliye aap yanha ki chinta chhodkar sabse pehle apane aap ko dekhiye.
Agar kucch jayada bol gayi hun tu kshamaprathi hun.
Dhanyawad
Last edited: