- 1,552
- 3,178
- 144
Last edited:
Chapter 23
Beneath the Flow
Just one suggestion (request) rajyo, naamo ko hindi fonts me likha jaye to thoda clarity rahegi varna khud se kabhi शियरा to kabhi सियारा, कलंदर/कालनदर ye padhne vese jyada dikkt nhi hoti par thoda padhne/samjhne me sahi rahta hShandar update , just .
Just one suggestion (request) rajyo, naamo ko hindi fonts me likha jaye to thoda clarity rahegi varna khud se kabhi शियरा to kabhi सियारा, कलंदर/कालनदर ye padhne vese jyada dikkt nhi hoti par thoda padhne/samjhne me sahi rahta h
Baaki as always story is going well
I know how look siren ,she's different to mermaid,Looks good...She's not a siren tho...Siren dekhna kaise hote hai pehle...aise toh mere collection dekhoge toh behosh ho jaoge tum
Bhai tum kahna kya chahte ho pahle saaf saaf likhoJust one suggestion (request) rajyo, naamo ko hindi fonts me likha jaye to thoda clarity rahegi varna khud se kabhi शियरा to kabhi सियारा, कलंदर/कालनदर ye padhne vese jyada dikkt nhi hoti par thoda padhne/samjhne me sahi rahta h
Baaki as always story is going well
Nice update sisChapter 23
Beneath the Flow
Ek din pehle
Shaam ke waqt
Shaam ko Suraj dhal rha tha. VanRajya se 200 km door van mein ek aakriti apne bhaari kadmon ke saath aage badh rhe the. Uska dhyan bas ek cheez par kendrit tha- Kaalraani uska intezaar kar rhe thein. Sard ke safed dhund mein uska kaala sharir alag hi tarah se nikhar kar bahar aa rha tha.
Uske neeche jamin ubad khabad the par uske chaal in sab ke beech bhi sthir the.
Saamne khule maidaan mein ek aakriti ek chatan ke upar baithe hue the apna ek pair dusre ke upar rkh ke, halki shaam ke chaya ke beech. Uske aankhe neele ghere rang ke chaya mein dubi hue the...aur saamne van ko bina kise bhav ke nihaar rhe thein.
Aghrak peedon ke peech se bahar nikalte hue bahar saamne maidaan mein aaya. Vinashikha ke saamne kuch duri pe jaake woh ruka aur halka sa neeche jhuk ke use pranam kiya, "Hum ek hafte mein Vanrajya pahuch jaayenge....Kaalraani...." uske awaaz samay ke kimat se bhali bhaari parichit the.
Vinashika ne upar aasman mein dekhte hue ek baar haa mein apna sir hilaya. Aur fir Aghrak ke aankon mein ghambeerta se dekha jo halki se chamak rhe the. Koi bhi aam yodha uske annkon mein dekhne ke himat bhi nhi kar skta tha...lekin Aghrak ne kuch shan baad daar kar apne aankhe Vinaksha se neeche hata lein.
Kuch shan khudko sambhalne ke baad Aghrak ne pucha, "Kaalraani aap apne shaktiyon ka istemal yahan pe kisi ke khilaf nhi kar skti...fir aap yahan apne baaki sevakon ko apne saath yahan aane ka avsar kyu nhi pradan kiya aur swaym khud kyu Anantrajya mein aane ka kasht kiya?"
Vinashika ke chere par ek kadvahat se bahri hue muskan aa gye, "Mujhe unki koi jarurat nhi...tum yahan pe nhi ho kya... Aghrak?"
Aghrak ne darr ke apna sir neeche jhukaya, "Aisa nhi hai mujhe aapke shaktiyon pe koi bhi shanka hai... Kaalraani...mere kise bhi baat se aapko koi aahat pahuche hue ho toh uske liye main kshama chaunga."
"Vanraajya pehle se hi Sarnita ke adheen hai...jis pal ke main itne vaarson se pratishika kar rhe the ab woh aa chuka hai... Vanrajya ka Yuvraj laut aaya hai...ab jake mere pratisodh ke purn hone ka waqt aa gya hai."
Aghrak ko Vinashika ke bhootkaal ke baare mein Jayda toh pata nhi tha...bas itna ke Tamasya ne jab aakhri baar Anantrajya pe hamla kiya tha uske kuch saal baad hi ek nayi Kaalraani Kaalandard mein niyuqt hue the.
Vinashika ke awaaz mein aur kadvahat bhar gye, "Main un sabko apne haathon se maarne chate hoon" gusse se uski aankhe choti ho gye. Uss shapit vansh ke sab logon ko jin logon ne mere maa ke hatya mein bhumika nibhaye... Aghrak mere aakho ke saamne mere Pitaji ne mere maa ko zeher diya tha."
Vinashika chatan ke upar se uthe, "Uss din Anantrajya ne mera sab kuch cheen liya tha..." Kuch shano ke liye uske awaaz bhete se halki se kaanp uthe baahri kathor aavran ke beech. Lekin ek hi pal baad uske andar gussa firse futa, "Unhone socha tha ke woh humein mita sakte hai...ke mere maa ko marne ke baad hamare logon ke itne saalon ke virasat ko khtm kar denge. Lekin mere hote hue aisa kabhi nhi ho skta. Maine itne saalon tak iss pal ka intezar kiya, KaalAadiraj ke saath rehkar...ab samay aa chuka hai ke main unse har paye hai hisab lene ka."
Agrahak ne neeche jhukte hue apna sir hilaya, usne bhi pehle baar Kaalraani ko itna bhavuk hote dekha tha. Vinashika ke seva mein woh kayi saalon se tha...usne Kaalraani ko saame logon ko bina hichkichye marte dekha hai...lekin yeh alag tha. Yeh sab Vinashikha ke liye vayaqtigat tha.
Vinakshika ke krodh ko shaant karne ke liye Agrahak bola, "Badle ke chaa rkhna saamne wale ke soojh booj ko dhundla kar deta hai..."
Magar Vinashika ke aankhe gusse se laal ho gye, aur Agrahak ko uske gardan pe se pakadar kar upar hawa mein utha diya, "Kya tum mujh par sak kar rhe ho...itne himmat ho gye ab tumhari?" Uske awaaz barf jaise seet pad chuke the. "Tumhe kya pata maine kya kya jhela hai..." Uske pakad Aghrak ke gardan par aur majoot hote jaa rhe the.
Aghrak ne bayh se Vinashikha ke aanko mein dekha, "Maa-main aap ke shaktiyon par koi shak nhi kar rha Kaalraani...lekin AnantRajya ka shahi vansh abhi kamjor hai lekin unko halke mejn-"
Vinakshika muskuraye aur apna pakad chordte, jisse Aghrak neeche jameen pe gir pada.
"Woh apne puri koshish kar skte hai"
Vinakshika wahan se dusri taraf mude...uske nazar door khsitij (horizon) pe tike hue the.
Aghrak, Vinakshika ke shakti se bhali baari parichit thi...lekin yeh sab pehle ke tarah kise rajya pe kabja karne jitna saral nhi tha. Yeh Kaalraani ke liye vayaktigat tha.
***
Agle din subah, Ravisha ne apne haath neeche rakhte hue upar neeche ke nam farsh par se upar uthe. Usse apna sharir pehle se bhari lag rha tha..uske dimag uljan aur gusse se bhara hua tha. Usne apne haathon ko ferte hue dekha...unke darron ke beech ke halki peele rang ke rohsini nikal rhe the.
Bahar corridor mein aake,
"Ajaaaay...Ajaaay!" Usne awaaz lagaye. Kuch der baad ke sipahi daudta hua aaya. Uska chera darr se fika pada hua tha.
"Maharani....woh kal..."
Ravisha ke gussa ubal lena laga, "Kal kya?"
"Maharani kal ek ghuspathiye ne Salahkar sahab ko bande banakar le gaya hai."
Uske sabd Ravisha ko ek kaante ke tarah chube, "Kya matalab? Aur tumne sabhi haramkhoro ke unhein aise hi jane diya?"
Sipahi giddate hue neeche gir pada, "Maharaani...woh Salahkar sahab ka hukum tha ke-"
Ravisha ne bina kuch bole uske sir par haath rkha and agle hi pal woh sipahi rakh mein tabdeel ho gya.
Dusre baaki khade sipahi darr se apne kadme peeche le gye. Unke chere bhay se dube hue the.
Ravisha ne baaki peeche khade sipahiyon ke taraf dekha. Uske awaaz jo unke liye tiraskaar se bhare hue the, Corridor ke saanate mein goonj uthe, "Nikaame sab ke sab...tumne sab ne har baar mujhe nirash hi kiya hai." Ravisha ke jaise hi apna ek kadam unke taraf badhya unhone vaise hi apne kadam peeche hataye.
"Lekin ab mujhe koi bahane nhi chahiye...ho ske toh pure Rajya ko ult dalo. Mujhe Karan aur Akansha mere saamne chaiye." Ek pal ke liye woh ruki aur uske awaaz aur ghere ho gye, "Mujhe parvah nhi ke tumhe kiton ka sikaar pade...lekin iss bar khaali haath mat lautna."
***
Rajhmahal ke iss durdash awastha ke door subah ke kohre mein do aakritiyan chal rhe thein. Saamne ke masuya rha aur uske peeche ke vishalkaayi kankaal jiske haath rasi se the, usse keechta hue le jaa rha tha.
Peeche thakavat ke wajah se kaankal ladkhadate hue chal rha tha, saamne ka aadmi ke gati ka muskil se muqabla karte hue.
"Tum mujhe kahan le jaa rhe ho?" Peeche Ajay ke apne karkash aur dare hue awaaz mein pucha.
Shravas saamne kuch der bina kuch jawab diye chalta rha, "Thansala ke bhulbhuliya (maze) mein."
Ajay ke pair jaise neeche yeh sunke mitti mein jam gye, "Thana-sa...la? Aisa nhi ho skta...tum aisa karne ke baare mein soch bhi kaise skte ho?"
"Woh jagah ek maut ka kua hai...wahan se koi bach ke nhi aata... Kaalandard jane ka bas whi ek raasta hai Anantrajya se...par wahan jaane swym maut ko daawat dene jaisa hai."
Shravas uske taraf muda, uske aanhkhe nishchaya se bhare hue the, "Main yahan tumse tumhare raazamat nhi maang rha hoon.... mujhe Kaalandard mein jaane ke liye ek mardarshak (guide) ke jarurat hai....aur Kaalandard ke ek jeev se upyukt kon ho hoga iss kaam ke liye."
***
Subah ke kirne khidki se guzarte hue Akanksha ke bistar par pade. Akanksha apne palke jhapkate hue neend se uthe, apne upar pade kambal ko kaskar padkte hue jo ke shyad hi sard ko rokne mein saksham tha. Jaise jaise uske aanke dheere dheere khule...uska haath apne aap bistar ke dusre taraf gaya lekin uss taraf usko thandi chaddar ke alawa kuch nhi mila.
Baunhe sikodte hue woh uthe aur room ke charron taraf dekha. Cottage mein angithi (hearth) ke mein ladki ke jalne ke alawa puri tarah se sanataa tha. Jaldi se usne apne kambal ko hataya aur paas pe pade hue saare hue pehanne lage.
Cottage mein beech ke hall mein jakar usne dekha toh abhi tak koi nhi utha tha aur raat ke khane ke mehak abhi tak charo taraf faile hue the.
Usne bahar nikal ke dekha toh van dhund ke chadar mein dhaka hua tha. Paton mein pade aoosh ke boondein halki se chamak rhe the. Achanak se uske kaano mein kisse ke kuch ginne ke awaaz pade.
***
Cottage ke peeche jakar usne dekha toh ek aadmi apne abhyaas mein itne sardi mein laga hua tha jisse dekhkar woh whi ruk gye.
Karan bina shirt ke sardi mein handstand Karne mein laga hua tha, uske chati aur maathe par se sardi mein bhi pasine ke boondein tapak rhe the, "794...795....796..."
Uske awaaz sthir the...haalkein uske maaspesiyaan thakavat se kaanp rhe thein. Akansha ke hoth halke se vismay mein khul gye...usne kabhi mushkil se hi shayad kabhi kise ko itne drad sankalp se gade hue dekha tha. Ped ke peeche chup ke Aakansha, Karan ko dekhte rhe.
"Aapke andar ke agni badhte jaa rhe hai, Masster..." Neeche paas mein pade hue Meher ke awaaz aaye, "ab aapko isse niyantran karne ke baare mein sochna hoga...nhi toh yeh aapko bhi kuch nuksaan pahucha skte hai."
Karan ko abhi bhi handstand karne mein laga hua tha seeda hua aur neeche baith gya, "hmmm....kya karna hoga Meher? Mujhe kabhi kabhi aisa lagta hai ke iske andar bhi sochne ke skti ho...main jab tak nhi chata yeh kisi ko jalate bhi nhi hai..."
"Woh isliye Massster kyuki...inmein woh toh hote hi hai" Meher ne aage samjhaya, "Agni ke prakirtik shakti hai...jo kise jangli jeev jantu ke tarah adamya hai....jab tak aap iss par pure tarah se niyantran nhi kar lenge tab tak aapko iske asli skti se parchit nhi ho paoge"
"Lekin ek cheez aapke hit mein kaam kar skte hai Masster...aap ne thoda bahut Vayu tatav ko nikantran mein karna seekh liya hai...uska faida uthaye...uske tampaan ko kam karne ke koshish kariye. Jal tatav agni ka viprit hota hai...lekin usse Agni ko niyantran mein nhi kar skta."
Karan ne ek lambi saans le aur aur uska sarir garmi se tapne laga. Uske tavcha se halki bhaap uthne lagi.
"Aapka sarir ab garm ho rha hai...apne saans pe nikantran rkhye. Dhayan se."
Karan ne Meher ke baat sunte hue dheere se naak se saans le aur muh se chordi. Woh apne andar ek jawalamukhi ko mehsoos kar skta tha jo kise bhi pal usko nigalne ke liye taiyaar baitha tha. Apna dhayan bhatakate hue usne thandi sard vaayu ke kalpana ke jo Angi ko shaant aur usse niyantran kar skte the.
Uske andar do viprit taakteen aapas mein varchasv ke laadyi mein takra rhe thein.
"Ughhh"
Karan ne apne muthi beench le aur uske laga ke kise bhi waqt ab bas uske nasein fat jayengi.
"Meheeeerrr!" Karan peeda mein chilaaya.
"Mujhe aisa lag rha hai ke yeh aapas mein takra rhe hain"
"Beshaq... masster...aisa hi lagna chaiye..." Meher ne pusti ke, "lekin dheere dheere abhyaas ke saath woh ek saath kaam karne lagene...aap jab Agni ke madad se daudte hai uske baare mein sochiye..agni apko skti dete hai...toh whi Vayu aapko niyantran banane mein madad karege. Ek aur baat isse ek aur faida hai...aapka sharir pathar ke tarah kathor ho jayega...jo bhayankar se bhi bhayankar praharon ke liye saksham ban skta hai..."
Karan apne rok ke seema tak pahuch chuka tha, uske bujayein kaanp rhe thein aur chera pasine se lathpath tha. Uske sarir se nikalne wale garmi aaur badh gye, uske neeche ke ghaas halki se murja gye.
Jab use laga ke woh bas safal hone hi wala hai...thakavat ne usko jakad liya aur karhaate hue woh jaamein par gir pada.
"Karan?"
Karan ke kaano mein kise aurat ke awaaz padi. Karan ne sir fer kar dekha toh paas mein ped ne neeche Akansha khadi hue the.
"Aap kabse wahan khadi ho Mausi?" Karan ne sharmate hue Akanksha se pucha.
"Bas kuch hi der pehle se", Aakansha ne aage badhkar jawab diya. Akansha ne Karan ke upar ek baar apne nazar daudayi, uske laal pade hue chamdi, bikhre hue baal aur aankon mein namrata ko niharte hue, "Tum bahut mehnat kar rhe ho Karan"
Karan ke gaal mein halki se laali chaa gye, halaki yeh saaf nhi tha ke woh Mausi shadon ke wajah se hai ya fir thakavat ke wajah se.
Karan apne se dhool jhadte hue khada hua, "Woh bas aise hi, Mausi..."
Akansha paas aaye aur bina kuch bole Karan ke gaalon ko ek baar halka sa chuma, "Lekin khud pe itna jor daalne ke jarurat nhi hai Karan..."
Karan ne sharmate hue apna chere ko sehlaya, aur neeche pade hue Meher aur wapas apne peeth se bandh liya.
"Ab chalo bhi... Karan!" Akanksha ne awaaz lagate hue bulaya.
"Mujhe toh bahut bukh lage hai...tumhe itni mehnat karte dekh..." Akanksha itna bolkar halki se has padi.
***
Jab Karan andar cottage mein Akansha ke saath andar aaya toh usne dekha ke khana pehle se hi table pe taiyaar bana hua rkha tha. Chaaron taraf kamre mein kahne ke mehak daud rhe the aur usse dekh kar uske pet mein bhi chuhe daud rhe the.
Shayara kitchen se apne haath mein ek tray lete hue bahar bahar aaye, jispe kuch aur fal rkhe hue the. Table par tray ko rkhte hue uska dhyan bahar darwaje pe gaya.
"Khana taiyaar hai" usne garmahat se kaha, "Aao aur baitho, Karan..."
Karan ne ek baar charon taraf nazar daudayi...toh neeche paas mein hi seediyon ke paas Viyali baithe hue the, apne sir ko apne ghutno ke beech chupaye hue.
Karan uske paas gaya aur neeche jhukte hue use halka sa hilaya.
Vinayli, kise ke awaaz sunke apne neend se uth gye aur apne palke baar baar jhapkaaye.
"Viyali?" Karan ne narm awaaz mein pucha, "Kya tumhe bookh nhi lage hai?"
Viayali ne ek halki se upaabsi le aur apne aanke apne haathele se mali, apna sir haa mein dheere se hilaya, "Haa...."
Karan halka sa muskkurya aur apna haath deke use khade hone mein madad ke.
Jaise hi woh dono table ke taraf badhe itne mein Akshaya bhi wahan room mein pahuch gaya...aur bina kise se kuch puche seedhe jaake kursi pe baith gaya. Thodi der baad baaki sab bhi wahan pe ikhta ho gye.
"Siyara?" Karan ne usse pucha.
"Hmmm...kya baat hai Karan? Khana acha nhi bana?"
"Nhi nhi...mujhe tumahre Pitaji nhi dikhe subah se?"
Siayara ne apne haathon se ek baar pehle apna apron saaf kiya, "Woh van mein subah subah kuch fal iktha karne jaate hai...tum chinta mat karo Karan woh kuch hi der mein laut aayenge..."
Uske baad unhone chup chap jayda baat kiye bina apna khana khtm kiya.
Akanhsa ke sabka dhayan mudde ke baat pe keechte hue, Viayali ke taraf dekha, "Viyali...tum Vanrajya kab aur kyu aaye thein?...Tumhare yahan aane ka kya maskad tha?"
Viyali ne jawaab dene se pehle ek lambi saans le, uske aankho mein pichle dino ko kuch usne saha uska dard jhilmila rha tha, "Yeh sab kuch ek hafte pehle ke baat hai" uske awaaz thakavat se bahre hue the.
"Main yahan Raani Mesaka ke nirdesh par aaye the....yahan Raani Akansha se milne ke liye....lekin yeh sab kya ho rha hai abhi tak mere kuch smjh mein nhi aa rha."
Akanksha ne Viyali ke muthi dabai, "Viyali tum mujh par vishwas kar skte ho...baaki sab mein baadmein samjhaungi"
Viyali ne Akanhsa ne taraf dekhte hue halka sa apna sir hilaya aur fir aage bolna chalu kiya, "Raani Mesaka ko apne Kaalandard mein guptcharon se khabar mile hai ke... Thansala ko Traas ke sena ne tabah kar diya hai"
Yeh sab sun ke Akansha aur Karan ke aanke bhay aur vismay se bade ho gye...lekin woh bina kuch bole aage sunte rhe.
"Aur Rani Mesaka ko lagta hai ke unka agla nishana Vanrajya hi hoga... kyuki whi Thansala ke sabse kareeb hai..."
"Lekin main yahan par aaye..." Viyali ne ek baar Akanhsa ke taraf dekha, "Toh yahan ke Raani ne mujhe yahan par kaid kar liya...aur tabhi se main wahan uss gufa mein neeche band the jahan koi aata jata nhi tha."
Akansha ne ek pal ne liye apne aanke band ke...sab kuch uske dimag mein ab baith rha tha. Ravisha jaanti thi ke woh Viyali ko ussi waqt maar nhi skti...kyuki usse wapas Mesaka ke paas bhejna hoga...aur bina wajah Mesaka ko krodhit karna uchit nhi tha. Isliye woh Viyali ko wahan neeche kaid karke usse saare umeed tod ke usse apne liye istemal karna chate the.
"Yeh sab kaise ho skta hai...!!!" Bagal mein baithe Karan ne gusse mein apne bheeche aur apne andar ubalte gusse ko kaabu karne ke koshish ke.
"Viyali...kya sach mein pura Thansala nast ho gya? Koi bhi nhi bacha?" Karan ke dimag mein uske bataya hua Vaani ka naam abhi bhi gooj rha tha.
*Woh bhi tumse milke bahut khush honge* unke aakhri sabd abhi bhi uske mastiks mein chape hue the.
Viayali ne apna sir hilaya, uske awaaz satya ke kadvahat se bhare hue the, "Humein toh yhi khabar mile hai. Thansala pure tarah se nast ho chuka hai."
Karan ne andar ka gussa bahar fut pada aur usne muthi neeche table par maari. Table par rkhe hue plate halki se hile par asli mein toh toh Thanasala ke tabhai ke khabar ne pure room ko hila rkha tha.
"Yeh sab kaise ho skta hai?!? Aur kya ham iss sabko aise chup chap yahan baithke jhelte rhenge?"
Akansha ne dheere se Karan ko shant karne ke liye uske kandhe par apna haath rkha, "Karan...yeh waqt pratisodh lene ka nhi hai...humein ab aahe bahvisya ke baare mein sochna hoga. Vanrajya ke praja ko tumahre jarurat hai...aur hum iss yudh ko bina sahyogiyon ke bina nhi lad skte. Humein Mesaka ke jarurat hai. Woh hi in sab ke beech hamare ab hamari aakhri umeed hai kyuki uska Rajya Vanrajya ke sabse kareeb hai."
Karan ne apni Mausi ke taraf dekha, unke sabd uske kaano mein baj rhe the, "Unko madad ke jarurat thi." Lekin kab tak woh apni suraksha dusre ke bashore karte rahenge. Kab woh aakhirkaar apne bikhre hue parivaar ko Anantrajya wapas dila paega. Kab woh Traas ke aanko mein aanke daal ke bina kise ke madad ke khada ho paega?
Akansha ke awaaz ghambeerta se bhare hue the, "Karan...Mesaka lekin Vanrajya ke madad tabhi karege jab uske yakeen ho ke Vanrajya ka koi kal hai. Aur woh kal tum ho Karan" Akansha ne Karan ne taraf ungli se ishara karte hue kaha, "Tum hi ho jo use woh kal dikha skte ho."
Karan ko laga ke jaise hi usne Akansha ke yeh sabd sune uske sarir par ek sard se chaa gye. Usne apne nazarein neeche jaamein par fere, "Main...aise Maa, Di aur Vanrajya ko chord ke...nhi jaa skta. Aise toh bilkul nhi." Uske awaaz nirasha se kaanp uthe.
Uske andar ke uth rhe toofan ko smjhte hue Akansha ne Karan ne kandhe ko kasakar pakda, "Main smjhte hoon, Karan. Par humare paas koi chara nhi hai. Traas ke sevak kabhi nhi yahan pahuche honge...aur ab agar hum kuch nhi karnege toh unke saamne Vanrajya ke paas koi umeed nhi hoge."
Karan ne ek lambi saans lekar pure room sabke taraf dekha, uska dimag uljhan se bhara hua tha. Ant mein usne sehmati mein sir hilaya, "Main chalunga. Par pehle yeh sunishchit karne ke baad ke maa aur baaki sab praja surakhshit hai. Rajmahal ab surakhshit nhi hai aur ab jab unke Raani ka sach bahar aa chuka hai woh ab kise bhi kimat par nhi rukne waale. Akshaya tumhe vapas Sonali ke paas jana hoga. Wahan jaake Manik aur baaki sab Vaypaarion se baat karke jitne ho ske itne logon ko Rajya mein se khali karvana hoga. Unko leke paas ke van yaa fir khi bhi chupna hoga. Ab narbhediyon ke baad jaydatar ilake surakshit honge."
Akshaya ne Karan ne taraf ghambeerta se dekhte hue sir hilaya.
Siayara jo itne der se chup thi, "Main bhi jo ho ske jo woh madad karungi....hamare paas ek choti se naav hai...tum Karan usse wahan jaldi pahuch jaoge...tum kaho toh main usse taiyar kar doon."
Karan ne uske taraf halka sa muskarate hue haa mein sir hialya.
"Toh hum fir ab kab nikal rhe hai?" Viyali ne beech mein pucha.
"Hum jald se jald shaam ko hi nikalenge. Humare paas zaya karne ke liye jayda waqt nhi hai." Akansha ne drad awaaz mein utar diya.
***
Shaam ke waqt Karan, Siayara, Viayali aur Akanhsa nade ke kinare par khade the saamne kinare par ek naav lage hue the.
Akshaya wapas unke sivir ke taraf nikal chuka tha. Siayara jo hamesha hasmukh rehte the wahan bas chup khadi the.
"Siayara..." Karan ne uske taraf dekhte hue namrata se kaha, "Apne aur apne Pitaji ka khyal rkhna...ho ske toh hum jaldi fir milenge. Karan ne Siyara ko usse teevrata se dekha jisse pehle baar Siyara ne Karan ko dekha tha...unke beech koi ek dusre ke liye vaasna ka bhav nhi tha....bas dono ache dost the.
Siyara halki se muskaye, "Main theek hoon... Karan...aur jaldi lautna."
Yeh bolkar woh peeche hat gye aur baaki sab naav pe chadne lage.
***
Agle din subah nadi ke upar suraj ke kirne Karan aur uske baayi dono saathiyon par pade. Nadi ka paani seeshe ke taraf saaf tha...jispe upar ka neele aamsan ke chaya pad rhe the. Karan naav ko chala rha tha....aur bagal mein Viyali baithe hue the aur Akanhsa uske saamne the jo usko gardan tede kar ke kal se nkhaare hi jaa rhe the.
Karan ne apne nazare bachate hue, bagal mein baithe hue Viyali se pucha, "Aur kitne dur hai... Viayali...hum kal shaam se hi chal rhe hai?" Uske awaaz chinta se bhari hue the.
Viayali ne kuch door upar dekha, "Hum kuch hi ghanto mein ek vibhajan se ke paas pahuch jayenge...wahan se ek raasta SamadurGrihika ke taraf jata hai aur dusre hamare rajya ke taraf."
SamadurGrihikia ka naam sun ke Karan ne man mein ek sawal utha ke...itna sab kuch hone ke baad bhi woh chup chap kyu baitha tha. Paravartmala sabse dur padta hai...isliye itne dur se kise ke liye bhi madad karne jana mushkil hai. Yeh sab usko kuch atpata laga...lekin fir usne saamne ke taraf dhyan kendrit kiya.
Thodi der naav jal mein aise hi chalti rhe woh Nadi mein vibhajan ke paas pahuch gye. Karan saaf saaf dekh skta tha ke Nadi mein do raaste the- ek unke mazil ke taraf aur dusra asmanjas mein daalne wale SamadurGrihika ke taraf le jaane wala.
"Humein daayein taraf jana hai..." Viyali ne apne ungli se ishara karte hue kaha.
Akansha jo ab tak chup the, "Humein jaldi karne hogi Karan...hamare paas samay bahut kam hai. Jitna der him yahan pe kahin bhi rukenge...utne hi khatron ka samna karna pad skta hai."
Naav ek baar se daaye taraf bhadne lage aur asehaj chuppi mein doob gye. Iss baat se anjaan ke unke raaste pe pehle se hi koi nazar daalke baitha hua tha.
***
Wahan se koi 5 km door, paani ke andar ek siren khadi hue the. Nadi mein aage paani ka bahav dheema pad chuka tha.
"Sarani Surbhi" ek narm awazz mein ek jeev ne dheeme se kaha, "Maine kuch hi doori par ek naav ko Vanrajya se iss raste pe jate hue dekha hai. Itne saalon mein maine aaj tak aisa kabhi nhi dekha."
Surbhi bina apna bhav spast kiye rhe aur fir kuch sochne ke baad bole, "Peecha karo unka..."
"Dekho ke woh kahan jaa rhe hai...kaayi saalon baad Vanrajya se hamare liye mehmaan aa rhe hai..."
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys! Story ab kaafi interesting hote jaa rhe hai aur mujhe bhi maza aa rha hai likhne mein. Pehle maine jayda idhar udhar ke scenes nhi dikhaye...kyuki first Season toh kise ko bhi story samjhne mein lag jata hai. Nhi toh itne saare locations ek baar mein daal skti thi. But aise mere nhi kam hi smjh mein aata hai. Also, I edited one last scene in the end kyuki usme jayda blood tha... isliye chapter ka title bhi badalna pada.
Khari baaki baatein toh hote rhenge... Target apna whi 35!
I know how look siren ,she's different to mermaid,
And you make Pic havy build pc,
so I don't compare with you and I create a siren but he make this...
Bhai tum kahna kya chahte ho pahle saaf saaf likho
Vaayu hai woh....aur ek update ko kitne baar padhogeDh
Nice update sis
Kya Karan ab jal tatva ko control karega ?
Maja ayega ka age
ThanksJust one suggestion (request) rajyo, naamo ko hindi fonts me likha jaye to thoda clarity rahegi varna khud se kabhi शियरा to kabhi सियारा, कलंदर/कालनदर ye padhne vese jyada dikkt nhi hoti par thoda padhne/samjhne me sahi rahta h
Baaki as always story is going well
Mere saath bhi hota tha dheere dheere apne aap hi smjh aa jayega...!Thoda iska reply/comment section samjh nhi aa rha isliye reply me do teen quote ya jane kese aa rha, samjh aayega dhire dhire mujhe
I got it,he just saying ki update me tum rajyon ke naam hindi me bhi likha karo like this....Just one suggestion (request) rajyo, naamo ko hindi fonts me likha jaye to thoda clarity rahegi varna khud se kabhi शियरा to kabhi सियारा, कलंदर/कालनदर ye padhne vese jyada dikkt nhi hoti par thoda padhne/samjhne me sahi rahta h
Baaki as always story is going well
maza toh tab aayga jab Karan water power ko use karke itna cold kar dega ki ice freeze hone lage giVaayu hai woh....aur ek update ko kitne baar padhoge