• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance AGENT-02 THE KERALA TRAILS (Completed)

AGENT 2 ki female lead koun honi chahiye???


  • Total voters
    71
  • Poll closed .

sonukale

Well-Known Member
6,081
6,700
143
Waiting for next update
 
  • Like
Reactions: Swaraj

Jitu kumar

Active Member
1,946
6,496
143
JAIPUR
"Sir hotline me CIA line par hai"operator ki awaaz aayi bandish ko
subah subah bandish ko cabin me CIA ke call???

"All right connect me to CIA"bandish bola

"Hi bandish whats up??"aakash ki awaz aayi doosri aur se

"Subah subah aakash ka call,haal chaal poochhe ke liye to call nahi kiya hoga,kya baat hai"bandish ne poochha

Kuch der ke liye khamoshi cha gayi

"Aakash ??"bandish bola

"Bandish jo mai kehne wala hoon dhyan se suno,SULEIMAN naam ka ek top wanted terrorist par duniya ke saare agencies kaam kar rahe the,pata hai na??"aakash bola

"Pata hai aakash.lekin wo zinda bhi hai ya nahi pata nahi,jo kaidi LIBYA me hai usse abhi tak kuch pata nahi chala,hamari team se zero output nikla hai"bandish afsos karte hue bola

"Pata hai bandish hamne bhi apne representatives bheje the,MI6 ne bhi bheje the aur kaafi agencies ne bhi bheje the.lekin kaidi tas se mas nahi hua,khair chodo un baaton ko.SULEIMAN zinda hai aur apna network bada kar raha hai,sleeper cells activate kar raha hai.suna hai ek saath 20 deshon me attack karega,blast ke zariye.aur uska operation kerala se shuru hoga......"aakash bola

"WHATTTTTT????"bandish chair se khada ho gaya

"Problem ye hai ki na to hame pata hai kab,na pata hai kiske zariye na pata hai SULEIMAN bhi hai ya nahi ,na hame pata hai koun se 20 desh"aakash bola

"Kul milakar kuch bhi nahi pata"bandish bola

"Isliye.....CIA isbaar akele ......mera matlab ...."aakash bola

"Khulkar bolo aakash"bandish bola

"USA ko lagta hai ki is mission me bohut log maare jayenge isliye.........CIA koi help nahi karegi bandish ,ya fir mai khulkar kahun to i'm sorry"aakash bola

"Aakash tumne ye bohut badi help ki jo bataya ki SULEIMAN kya karne wala hai,rahi baat help ki to yaad rakhna ki 18 saal ke doodh peete bachhe ne tum logo ka pichwada bachaya tha afganistan me,RAW ek capable aur responsible agency hai aakash,we can take care of our country's security,sri lanka me LTTE ka safaya ho ya 1971 ki ladai,ya maldives ya nepal,ya european nation.ham logo ne sabko apna loha manvaya hai. Aur rahi baat help ki to we don't want help from anyone,aur haan SULEIMAN ke baare me poore duniya ko jaankari bhi RAW ne hi di thi"bol phone patak diya bandish ne gusse se

Aur sar pakadkar baith gaya.fir bell bajaya

"Sir!!"ek ladka aaya aur salute kiya

"Fatak se ek chai bolo aur turant delhi ke saath video conference ka session taiyyar karo"bandish bola

"Koi badi baat hai sir??"ladke ne poochha

"Mount everest se bhi badi,ab jao jo kaha wo karo"bandish bola
Aur ladka salute kar chala gaya

SULEIMAN naam baar baar bandish ke dimag me ghoomna laga

-------------------------------------------------------------------------------
MUNNAR
toyota qualis apne hisab se chal rahi thi.rajesh ko kaam tha isliye tour me nahi chal saka .anushka ne saaf saaf kar diya ki ye sirf ek tour rahega.shaadi ki baatein baad me jab wo kerala aayegi tab kiya jayega.shayad ye sunkar rajesh tour me shamil nahi hua
Lekin aanchal ko koi problem nahi thi.
Pehla reason tha ki anushka ke family se ghul mil gayi thi.doosra reason jo zyada important tha ek bechara sa freelance reporter suraj

Ek chote se chai ke dukan me gaadi ruki to sabne coffee ka order diya.aur kele ki bhaji jo is area me bohut chalti hai

"Yani aaj raat ko aapke changul me hasan sheikh hoga"suraj coffee peete hue bola

"Yes,mera pehla out of the city mission suraj"anushka khush hote hue boli

Suraj ko apna pehla mission yaad a gaya.kitni qurbani,kitna khoon baha,uska pyaar usse alag ho gaya,dost bhi chod chala gaya.

Halka sa man bujh gaya suraj ka.baar baar wahi sab yaad aata rehta hai beech beech me

"Waise gf hai tumhari??"anushka ne poochha

"Filhal nahi"suraj bola

"Oh to pehle thi ??"anushka haste hue boli

Suraj muskuraya

"Mujhse nahi poochoge mera bf hai ya nahi???"anushka boli

"Ek ACP ko koi pooch sakta hai unki koi bf hai ya nahi???"suraj haste hue bola

Anushka hasne lagi.suraj se baatein karna,Hasna,muskurana kitna acha lagta hai.lagta hai ki ye pal kabhi khatam hi na ho

"Suraj uff yahan ho.chalo gaadi chalne wali hai.fir mai tumhe batati hoon is raaste ke baare me"aanchal ka aagaman hua

Aur hasi gayab ho gayi anushka ki.serious hokar chai peene lagi

Gaadi apne speed me chalne lagi aur kuch der baad munnar pohunch gayi

"Saar you ready at 5:00 pm ,going kathakali dance program"vimal mathew keralite driver toote foote english me bola

"Suraj sir"ek hatta katta aadmi suraj ko dekhte hi zor zor se haath hilane laga

Suraj uske paas gaya

"Suraj sir,your booking at REVATI international hotel???myself Aneesh Kutty"bol us hatte katte aadmi ne suraj ka bag le liya aur ek gaadi me daal diya

Suraj uske saath chala gaya aur hotel me pohunch gaya
Achi khasi hotel thi ernakulam jaisi.4 star property hai

"Munnar beautiful place sir,you will enjoy here"Aneesh Kutty bola

Room par pohuchakar Aneesh Kutty room ke baare me bataya raha

"Outside window very beautiful sir"Aneesh Kutty bola

Suraj khidki ke parde halke se hataya aur neeche dekhne ja raha tha ki achanak ek awaz aayi
Shit pistol unlock kiya gaya

Aneesh Kutty ke silencer equipped pistol se goli nikli

CYOOMMMMMMMMMM
Awesome update bhai,
behad hi shandaar, lajawab aur amazing update hai bhai,
Anushka ab suraj ke saath free hone ki kosish kar rahi hai,
udhar aakash ne raw ko uss attack ke baare me bata diya hai,
Mujhe lag raha hai ki USA bhi unke target par hai,
idhar suraj par anish ne goli chalayi hai,
lekin mujhe nhi lagta ki uski goli se suraj ko kuchh nuksan pahunchega,
Dekhte hai ab aage kya hota hai,
Waiting for next update
 
  • Like
Reactions: Swaraj

Swaraj

Well-Known Member
6,812
25,428
219
Awesome update bhai,
behad hi shandaar, lajawab aur amazing update hai bhai,
Anushka ab suraj ke saath free hone ki kosish kar rahi hai,
udhar aakash ne raw ko uss attack ke baare me bata diya hai,
Mujhe lag raha hai ki USA bhi unke target par hai,
idhar suraj par anish ne goli chalayi hai,
lekin mujhe nhi lagta ki uski goli se suraj ko kuchh nuksan pahunchega,
Dekhte hai ab aage kya hota hai,
Waiting for next update
Review ke liye thanks bro
Bandish ne acha khasa suna diya aakash ko ki RAW kisi ke help ki.muhtaj nahi
Usne apna loha manvaya hai.lekin aapne sahi kaha USA bhi target me hai
Anish ki goli lagti hai ya nahi wo to agle update par hi pata chalega
 
  • Like
Reactions: Jitu kumar

Jitu kumar

Active Member
1,946
6,496
143
:congrats: bhai for 40k views,
:applause::applause::applause::cheerlead::celebconf::celebconf::celebconf:
 
Top