MUNNAR
hotel pohunchte hi suraj ko message aaya
"Put on video conference, urgently"
Suraj bijli ki tarah laptop on karke baitha gaya
Aur kuch hi der me meeting start ho gayi
"Good evening gentlemen"bandish ne wish kiya to sabne wapas wish kiya
"Aap sabko isliye bulaya hai kyonki ek bohut hi important mission ko anjam dena hai.waise to ye mission. NIA aur IB ka mission hai ye lekin maamla bohut risky hai"bandish bolta gaya
"Suraj tumhara mission to waise hi cancelled tha,tum taiyyar raho is mission me tumhari zaroorat hai"bandish bola
"Ji sir"suraj bola
"Kunal tum front par rahoge"bandish bola
"Right sir"kunal bola
"And you will be helped by suraj"bandish dheere se bola
"WHAT???sir mai iske saath to kaam nahi kar sakta"kunal bola
"Mai koun sa mar raha hoon kaam karne ke liye"suraj bola
"Stop it guys,ye meeting ladne ke liye nahi balki mission ko aage badhane ke liye rakha gaya hai,kunal aur suraj tum dono ko objectives mil jayega kal subah tak.tum information gather kar sirf back support doge kunal ko.smajh me aaya??"bandish bola
Sab chup rahe suraj aur kunal bhi chup the
"Maine kaha samajh me aaya??"bandish ka sabr ka baandh toot raha tha
"Ji"dheere se kunal bola
"Ok all the best, meeting dispersed"bol bandish uth gaya aur suraj ne laptop band kar diya
KNOCK KNOCK
Suraj ne darwaza khola
"Hi"anushka boli aur haste hue ander a gayi
Suraj dekhta raha
"Oh sorry bina poochhe ander a gayi"anushka boli
"Mujhe laga tum apne family ke saath IYERS ke ghar par masti kar rahi hogi"suraj bola
"Ummm man to kar raha tha,fir maine socha ek bechare reporter ko company de Doon,fir to aaj Hasan sheikh ka khel bhi khatam karna hai"anushka boli
"Oh mai to bhool sa gaya tha,mai abhi ready hota hoon.tab tak tum kuch logi???room service se order kar doon??"suraj ne poochha
"Haan yaar bohut bhool lagi hai"anushka boli
Suraj ne haskar room.service me call kar chicken sandwich aur do coffee mangwaya
Niche keep khadi thi.suraj aur anushka jeep.me chadh gaya aur keep chal di
-------------------------------------------------------------------------------
Jeep patli pagdandi hote hue tea estate ko choote hue ja rahi thi
"Bas itne aadmi hai??"suraj ne poochha
"Nahi ek van a rahi hai,attack surprise hoga"anushka boli
Suraj kuch sochne laga
"Dar to nahi lag raha hai na suraj??agar lage to mai hoon tumhare saath samjhe??"anushka ne suraj ka haath pakad kar dilasa diya
Suraj ko usse koi fark nahi pada.na hi usne dhyan diya
hasan sheikh ko itna lightly kyun liya ja raha hai???
Atleast ATS to involve ho hi sakti thi.saazish to kuch hai lekin samajh me nahi a raha hai kya hai aur koun kar raha hai
"A gaye madam"driver bola aur usi ke saath suraj ka dhyan toota
"Tum yahan rukna chahoge suraj ander khatra hai"anushka boli
"Nahi mai aunga"bol suraj ne apna camera liya aur keep se utar gaya
Ek godown sa lag raha hai.
"Tum chaar mere saath ander aao.aur aap SI mr mathai surrender karne ko kahiye"anushka boli
SI ne announce kiya surrender karne ke liye,lekin ander se koi awaz nahi aayi
"Madam ander jaana risky hoga"mr mathai bola
"Koi baat nahi.itni door aakar hum chup nahi baith sakte,saare aadmi ko area gher kar dheere dheere ander aane ko bolo"anushka boli
"Mai bhi chalta hoon madam"suraj bola
"Nahi suraj ander khatra ho sakta hai,tumhare jaan ka risk mai nahi le sakti"anushka boli
"Lekin madam.."
"No means no"anushka boli
Suraj majbooran reh gaya.aur anushka aur baaki saare police wale ander chale gaye
Suraj apne camera se photo kheench raha hi tha ki achanak use ek Kaali si parchhai fir dikhi
Jaise wo samne aaya parchhai chip sa gaya.suraj kuch kar nahi sakta tha
Achanak use ek jagah par white powder jaisa dikha
Suraj ne us powder ko naak ke paas lekar smell karne laga fir use halke se apne jeebh me lagaya
"FUCK"bol jitna ho sake itne zor se bhaga suraj
Anushka aur saare policewala us godown ke ander the tabhi anushka ne suraj ko apni aur daudte hue dekha
"Uff suraj bewkoof yahan kyun a raha hai"anushka apne aap se boli aur suraj ki aur jaane lagi
Suraj tab tak pohunch kar anushka ko kheenchkar bahar nikalte hue bola
"SAB KE SAAB BAHAR AAO ISKE ANDER TAFT EXPLOSIVE HAI.KABHI BHI FAT SAK...."
BHADAAAAAAAAMMMMMMMMMMM
Dhamaka zordar hua suraj aur anushka chitak kar kaafi dur gaye
Anushka ke sar se khoon beh raha tha aur haath pair zakhmi the
Suraj ko bhi kaafi chot aayi lekin fir bhi himmat kar suraj ne anushka ka service.revolver liya aur barrels check karne laga
Fully loaded thi
Anushka uth nahi paayi.lekin suraj ko dekh hairan thi.ek reporter ka grip revolver per perfect tha.jaise koi peshevar hathiyar chalane wala
"Leti raho mai dekhta hoon"bol suraj revolver lekar aage badh gaya.apne pocket se mobile.nikala.aur ek message kiya
Saamne kuch 15 -20 log aaye aur unmen se ek aadmi saamne aaya
"Hasan sheikh ko pakadenge ha ha ha"zordar hasne laga
Uske saathi bhi hasne lage
"Ab chalo yahan koi kaam nahi bacha.wo.chokra aur wo ladki acp zinda hai??"us aadmi ne poochha
"Nahi janab yahan aaspaas to koi nahi "group me se ek aadmi bola
"Fir chalo hamara kya kaam"wo aadmi bola aur uske saath sabhi chale gaye
"Tum thik to ho na anushka??"suraj anushka ke paas aakar bola
"H..haan suraj"bol behosh ho gayi anushka
Suraj anushka ke sar par haath ferne laga.guase se apne daant bheech liye usne
Aaj kitne log maare gaye yahan
Aur wo kuch bhi nahi kar saka
DAMN IT