MUNNAR CITY HOSPITAL
"Ab kaise ho suraj??"bandish ne suraj se poochha
Bandish ke saath 2-3 log aur aaye the.
"Aapko aane ki kya zaroorat thi sir"suraj uthne ki koshish karte hue bola
"Are lete raho,wo actually Kal raat ..."bol bandish idhar udhar dekhne laga
"Nurse please bahar wait kijiye"suraj bola.aur nurse bahar chali gayi
"Baat ye hai ki kal ka dhamaka hasan shekh ne karwaya tha,aur kambakht bach nikla.tumhara shaque sahi tha suraj NIA ko involve karna zaroori tha"bandish bola
"Jo hua so ho gaya sir,lekin ab kya??"suraj ne poochha
"Ab is case ko NIA aur tumhari ACP hi sambhalengi"bandish bola
Suraj soch me pad gaya
"Chal hum log nikal rahe hai,in case kuch bhi zaroorat ho to give me a call ok"bandish ne suraj se haath milaya aur muskurate hue chala gaya
"Nurse where is ms Anushka,want to meet her??"suraj bola
Nurse use le gayi anushka ke cabin me.chupchap leti hui thi anushka
Suraj ko aata dekh bahar guard dene wale policewalo ne rok liya
Suraj ne ek policewale ko ander poochh kar aane ko kaha
Wo ander gaya aur poochkar aya aur poori checking ke baad suraj ko ander le aya
Ander sumitra,veeresh,anuj,sunaina aur manish baithe the anushka ke bagal me
Sumitra roye ja rahi thi apne beti ki haalat dekh
"Tumhara bada shukriya beta,tumhari wajah se meri beti mere paas hai,anushka ne sab bataya hame."suraj ka haath pakadkar rote hue sumitra boli
"Are maa ji aisa na kahiye,mera farz tha wo,aur agar mai khatre me hota to kya anushka nahi bachati mujhe"suraj ne dilasa dilaya
Milne ka time khatam ho gaya tha isliye sab chale gaye sivay suraj ke
Jo ander baitha raha anushka ke bagal me.haath pair me pattiyan bandhi hui thi anushka ke lekin josh me koi kami nahi thi
"Ab kaisa feel.kar rahi ho anushka"suraj ne poochha
"Mari nahi hoon suraj,pehle ye batao fire arms chalana kahan se seekha??"anushka ne teerchi nazar dalkar poochha
"Wo mai....a....wo....wo ....NCC ...se seekha tha anushka"suraj nazar bachate hue bola
"NCC me kab se revolver ki training di jaane lagi?"anushka ka teer fir laga suraj ko
"Wo.....actually wahan ek ladka tha wo lekar aaya tha illegally to usne thoda bohut sikhaya"suraj bachne ka raasta dhoond raha tha
"Agar batana nahi chahte to thik hai suraj,lekin ek na ek din sachhai ka pata lagakar hi rahungi"anushka boli
"Wo jab lagana tab lagana anushka lekin ab kya??kitne policewale shahid hue??"suraj ne poochha
"12-15"Bolte hue gala roondh gaya anushka ka
"Poore TV par wahi chal raha hai.mere khayal se tour ka program badhana hoga"suraj bola
"Sahi kaha,tum kya karoge ab?"anushka ne poochha
"Soch raha hoon wapas jaun,yahan to kuchh hai hi nahi karne ko."suraj bola
"Oh "anushka ko halka sa dard hua.suraj ka itne din ek saath hona ,aadat si ho gayi thi.lekin ab kya karegi wo????suraj na hota to shayad aaj zinda bhi nahi hoti
Tabhi suraj ka mobile baj utha
"Hello maa bolo"suraj ne phone uthakar kaha
"Tu thik to hai na beta,tv par kaise kaise news chal raha tha,tu bhi to munnar me hai na??"anju doosre aur se boli
"Haan maa munnar me hi hoon"suraj bola
"Acha ek baat batana to bhool hi gayi.manju mausi ka ladka wahan a raha hai "anju excited hokar boli
"Kya?????????????????"satyanash sar peet liya suraj ne.ek aur sardard nahi
"Beta tera chota bhai hai,pata hai motinagar me kaise badmaasho ko pakadwaya??"anju boli
"Haan haan hoga,chalo mai rakhta hoon baad me call karunga"bol suraj ne phone rakha aur sar pakadkar baith gaya
Anushka ko ajeeb sa laga aur wo hasne lagi
-------------------------------------------------------------------------------
LIBYA
"Bahar nikalne ka waqt a gaya"kaidi bola
Kaidkhane ke bahar kaafi kada pehra tha
Watch tower par bhi log tainat the
"Ya la habibi ye 10 logo ko hamne maara aapke liye"ek aadmi ek suv se nikalkar bola
Security walo ne check kiya
"Tumhare chacha lag rahe hai saare"
Sab hasne lage
Wo aadmi chup raha aur haath saamne rakh diya
"1000 dollars"paise nikalkar security walo ne us aadmi ko diya
Aur wo aadmi suv ke ander baitha aur chala gaya
Raat ko 10 laash me halchal hui.5 laash uthkar khade ho gaye aur 5 laashon ko fadkar ander se bandook nikali
Ak-205 nikli 5
Saath me magazine load karke chupe baithe
Aur satellite mobile on karke ek message kiya
Door khade 20-30 jeeps kaidkhane ki aur aayi aur hamla kar diya
Do teen keep se 10-15 log likalkar launcher daag kar saare watch towers ko uda diya
Ek jeep speed se aati hui gate ho todkar aage nikal gayi aur ek zabardast dhamaka hua
5 log jo chupe baithe the gun lekar andhadhun fire karne lage.security waise hi saamne ladai me lagi thi.usi ka fayda uthakar saare security ko maarkar aakhirkar us jagah pohunch hi gaye
RDX mark karke detonate karte hi parkhacche udd gaye darwaze ke
Ander kaidi uth khada hua
"Allah ka shukr hai mis"bol kaidi un logo ke gale mila.
Aur wo log us kaidi ki zanzeer tod use apne saath le gaye.
Bahar security lagbhag khatam ho chuki thi.
Bache hue log chupe hue the
Qaidi jeep par baitha aur ek buzurg aadmi ne gale laga liya use
Aur gadiyan chal padi kaidkhane ko barbad karke
Note-suraj ke mausere bhai anirban ke baare me janne ke liye padhiye "pagle sahab ki kabr"