MUNNAR
HENRY RICHARDSON COLLEGE EXCURSION
dekha na hai re
Socha na hai re
Rakh di nishane pe jaan
Pairon me tere
Nikle mera dum hai bus yahi Armaan
"Na se"kritika chahate hue boli
"Na se???ye baar baar na se kyun khatam hota hai"anirban bola
"Wo tum jaano sir,lekin na se to gaana hi padega"kritika haste hue boli
"Hata yaar ye bhi koi game hai??"sahil chidte hue bola
"To kya kare ???na munnar me dhamaka hota,na poora shahar bandh hota,na hum yahan fanste"meenakshi sar pakadkar boli
"Sahi kaha yaar"kritika boli
"Tu kyun tension me hai babes??tu to nain matakka kar rahi hai tere bf ke saath"meenakshi aankh maarte hue boli
"Ohho mera bf hai aur mujhe pata bhi nahi??"krikita boli
"To kya anirban tera bhai hai??"ashmita boli
"Bhaiyya hoga tera.mera best friend hai ok"gusse se boli kritika
Sabhi hasne lage.aur kritika gusse se sabko ghurne lagi.anirban bhi muskurane lagi gaya
"Kya yaar ani.tu bhi has raha hai yaar"kritika shikayat karte hue boli
"Are mai bas aise hi,lekin guys ab karenge kya 2 din ho gaye munnar shutdown ho gaya"anirban bola
"Dekhte hai kal sir ne bola ki ekbaar dekhenge ki ghoomne ja sakte hai ki nahi"aditya bola
"Ok guys I'm feeling sleepy,sone ja rahi hoon mai.kaafi raat ho gayi"bol meenakshi uthne lagi
Aur use dekh baaki students bhi uthne lage
Anirban ka college EXCURSION bekar ho gaya.munnar pohunchte hi poora shahar bandh pada.police aur paramilitary ka sakht pehra
Kerala me aisa kabhi nahi suna tha usne
"Ani sab sone ja rahe hai,tu aayega??"kritika ne poochha
"Abhi nahi kritu tu ja mai baad me aaya"anirban bola
"Fir mai bhi rukungi,lekin kya karega tu akele akele??"kritika ne poochha
"Thoda enjoy kar na,raat me bhi kitna acha lag raha hai ye pahad aur ye waadiyan"anirban bola
"Kya baat hai bada shayar banta ja raha hai??"kritika muskurate hue boli
Dono chalte hue apne camp se thoda aage ja rahe the ki achanak jungle me kuch aahat hui
"Ye jaisi awaz hai ani??"kritika ne poochha
"Shhh ruko mai dekhta hoon"bol anirban aage badha chupke se aur kuch kadam par hi use koi 10-12 aadmi dikhai diye jo aapas me baat kar rahe the
"Ab aage kya??"ek awaz aayi
"Jo aadesh aaye us pas amal karna hai.filhal chup rehne ka aadesh diya gaya hai"doosri awaz aayi
"Lekin bhaijan ye muslim brotherhood hote hi poori duniya hamari hogi na??"ek aur awaz aayi
"Chup zyada baatchit ho rahi hai.ab aaram karo baad me baat karenge"ek awaz aur aayi
Fir sab shant
Anirban wahan aur ruka nahi balki tez kadmo se apne tent ki aur chalne laga
"Baat kya hai ani??"kritika ne poochha
"Batata hoon pehle chalo kaafi raat ho gayi hai"anirban bola
-------------------------------------------------------------------------------
LIBYA
"Salam waleikum miya"LIBYA me ek group ka sardar bola
"Walekum salam rashid miya"muskurate hue ek aadmi bola
"Jail se bade aaram me choote ho,mubarak mubarak"haste hue rashid sardar bola
"Mubarak kabool karte hai,waise aapne muslim.brotherhood ke baare me kya socha??"aadmi bola
"Ha ha miya ,khwab dekhna chod do.yahan ISIS,bolo haram,al badr aur na jaane kitne saare groups hai.wahan tumhare saath dekar kya milega mujhe??"rashids haste hue bola
"Maine kaha kya socha,maine aapse poocha nahi"aadmi bola
"Matlab??mere ilake me aakar mujhe dhamka raha hai tu???"rashid sardar bola
"Haan"nidar hokar wo aadmi bola
"Suno sab ye aadmi yahan mere ilaake me aakar mujhe lalkar raha hai,isko bandi bana lo"sardar bola
"Aur agar mere saath rahe to paisa,khana aur ek se badkar ek hathiyar milenge,is sardar ke saath rahoge to jihad ke naam par bhookha marega"aadmi bola
"Ha ha tujhe lagta hai ,mere wafadar logo ko bhadka kar tu apne saath kar lega"rashid bola
"Haan"aadmi bola
"Bhoon do harami ko"sardar bola
Koi halchal nahi hui
"Maine kaha bhoon do"rashid bola
Sab chup rahe .fir dheere dheere sab ke hathiyar ki nok sardar rashid ki aur chali gayi
"Ye ....ye kya kar rahe ho tum log...mai tum hara sardar hoon"rashid chilla chilla kar rota raha
"Shoot"aadmi bola
Goliyan chali aur rashid ka khel khatam
"Ab kya sardar???aur aapko kis naam se bulaye"ek bola
"SULEIMAN"wo aadmi bola aur chal pada.uske saath wahan ke saare log chal pade
Note-anirban aur kritika ke baare me janne ke liye padhiye
"Pagle sahab ki kabr"