HOSPITAL
Raat ko anushka khayalon me khoti hui thi
Ye kya se kya ho gaya.utna simple sa mission tha aur wo miss kar gayi,kya kahenge department ke log??uske seniors??agar suraj nahi hota to aaj shayad zinda bhi nahi rehti.ek nidar journalist .suraj me kuch to ....
THAK
ek awaz ne anushka ke soch me rukavat dal diya.itni raat ko itni Awaz??
Darwaza khula tha aur teen log ander a gaye the.
"Tapka do"ek awaz aayi aur ek pillow lekar anushka ke muh ko daba diya badmasho ne
Anushka khoon beh jaane ke wajah se KAMZOR thi.lekin khoob haath pair maar rahi thi.lekin utna kaafi nahi tha
Tabhi andhere me kuch awaz sunai di.suraj a chuka tha
Suraj aur gundo ki hathapai hui.suraj bhi lagbhag KAMZOR hi tha.gunde uspar bhari par rahe the.
Ek dhakke ne suraj ko anushka ke upar gira diya
"Ha ha dono laila Majnu ki tarah marenge"ek badmaash bola
THAK
darwaza khula aur ek awaz aayi
"Suraj bhaiyya??"
Suraj ko itni hairani hui jaise delhi me polar bear dekh liya ho
Saamne 18 saal ka anirban khada tha.jeans aur half sleeved shirt me tha.kaafi bada ho gaya.
Lekin bechara aaya bhi to abhi??gussa to itna a raha tha suraj ko ki uska bas chalta to anirban ka gala ghont kar abhi maar deta.bewkoof kahi ka
"Ha ha dekh do ke saath ek bachha free"ek badmaash bola to sab hasne lage
"Tumhari dushmani mere se chor do ise"suraj minnate karne laga
"Tumhara bhai hai kya??"anushka boli
"Please chor do ise,bachha hai ye"lagbhag rote hue bola suraj
Teen gunde anirban ki aur badhne lage,jabki suraj apne aap ko kosta raha.manju mausi ko kya muh dikhayega??thodi bhi taqat nahi thi suraj me.gundo ne do teen vaar aise kiye the ki uth bhi nahi pa raha tha suraj.ab bechare anirban ki khair nahi
THAD DHADAM
Anirban ko bechara bolne wale suraj ko manna pada ki anirban bechara nahi hai.har vaar,har bachaw kushalta se kar raha tha.jaise koi trained martial arts student
Ek ek vaar gundo par bhari par raha tha.gusse se nahi kaafi thande dimag se lad raha tha anirban.apne bhaiyya par hamle ke jawab me gundo ke daant,haath pair tod raha tha
"Baap re ye kis shaitan se bhida diya hame.ab bachna hai to bhago" ek gunde ne kaha aur baaki gunde bhagne lage
Anirban peeche bhagne laga
"Ani bewkoof ruk"suraj ke sakht aur zordar awaz ne anirban ko rukne par vivash kar diya
"Aap thik to hai na bhaiyya??"anirban suraj ke paas aaya to.....
CHATAAAAAAAAK
ek zordar thappad laga anirban ko
"Idiot, bewkoof...kya kar raha tha itni raat ko yahan"suraj ne garajte hue poocha
"Wo EXCURSION me aaya tha.isliye socha mil loon aapse"gaal pakadkar anirban bola
Anushka khilkhilakar hasne lagi.poori family ladaku hai shayad
"Uske liye subah nahi a sakta tha??"suraj fir chillaya
"Haan bhaiyya lekin actually....."anushka ki aur dekhkar chup ho gaya anirban
"Bol kya hai,wo assistant commissioner of police hai ani ms Anushka,aur anushka ye anirban hai mera bhai"suraj ne introduction karwaya
Fir anirban ne jungle me hone wali baat batai.
"Zaroorat se zyada mat kiya kar.pata hai motinagar me kuch kaand kiya tune,magar ye bohut khatarnaak hai ani.promise kar ye sab lafde me nahi padega"suraj bola
"Lekin bhaiyya..."anirban ne apni baat rakhni chahi
"Wow young man.kaafi acha lade tum.kahan se seekha??"anushka ne poochha
"Wo madam ek guru hai mere.unse abhi bhi seekhta hoon"anirban bola
"Didi keh sakte ho mujhe"anushka muskurate hue boli
Anirban has pada lekin apne bhaiyya ki ghoorti aankhon ko dekh chup ho gaya aur sar jhuka liya
"Suraj ka to pata nahi young man lekin kabhi police me try karo tum deserving candidate ho"anushka boli
"Thik hai thik hai.ab bhag ja .kal milunga ,apna khayal rakhna.aur in sab se door rehna.kuch hua to mujhe turant call karna"suraj bola aur zabardasti anirban ko bhej diya
"Koun ho sakte hai ye suraj??"anushka ne poochha
"Jo bhi hai.lagta nahi hame zinda rakh a chahta hai, security kahan hai aapko??"suraj ne teekha question poocha anushka se
"Wo mujhe laga ki itna ZAROORI nahi hai"anushka ne apni safai di
"Aap jitna aasan samajh rahi hai,utna aasan nahi hai anushka ji,agli baar shayad jaan bhi na bache hamari,take care aur security badha dijiye apni"bol suraj kamre se nikal gaya
Anushka dekhti rahi suraj ko jaate hue
-------------------------------------------------------------------------------
MUNNAR MARKET
"Ek chai dena namak ke saath"suraj bola.aur chaiwale ko ishara kiya
"Greenfield hotel ka receptionist.IB ka agent hai.info wahi hai"bol ek 5 rupaye nikale fate hue
Suraj ne uske badle ek 10 rupaye nikale fate hue
"Welcome to greenfield.how can I help you??"receptionist be poochha
"Half room chahiye.jahan A.C kaam nahi karti ho"suraj bola aur fate hue note us receptionist ko de diya
Receptionist ne uske jawab me ek 50 rupaye nikale fate hue aur suraj ko de diya
"Aaiye"bol receptionist suraj ko ek ek taraf le gaya aur kuch der me ek khali kamre me dono daakhil hue
"Muslim brotherhood.bas yahi pata chala sir, Suleiman ka connection hai isme,aur anjane me CIA ne hi create kiya hai SULEIMAN ko.ya yun kahiye Suleiman be CIA ka istemal kar thook kar fenk diya.shayad isliye CIA bachati fir rahi hai.aur likh ke le lijiye aapko koi help nahi milegi CIA se"receptionist muskurate hue bola
"Lekin aage ka plan kya hai??"suraj ne poochha
"Zyada information nahi hai.filhal funding chal rahi hai.kameenapan aur dimag dono me Suleiman ka koi jawab nahi.halala ke zariye arbo dollars transfer ho rahe the,ab use badal kar NGO se transfer karwa raha hai.aise aise brilliant logo ka brainwash kiya hai usne.jo uske liye kuch bhi karne ko taiyyar hai"receptionist bola
"Hmm samajh gaya thoda bohut.lekin hum par hamla??"suraj ne poochha
"Wo to aap jano sir,itna mujhe pata nahi.lekin itna hi information hai.mere paas"receptionist bola aur chup ho gaya
"Kaafi hai ,thanks a lot,tc"bol suraj khada hua.receptionist ne salute kiya aur suraj ko lekar bahar a gaya
Suraj ke paas information hai.lekin ye uska mission nahi hai use ye information kunal ko dena hai