• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Agnivarsha - The Incomplete Love Story (Original by Prince Agni) (Completed)

Captain Jack Sparrow

Not all treasure is silver and gold, mate.
Staff member
Sectional Moderator
Supreme
5,072
11,987
174
update - 111


agli subah saniya aur jagu dono jaldi uth chuke the aur apne dono bachon ko taiyar
karr rahe the school bhejne ke liye , phir jagu bhi jake taiyar hota hai aur idhar
saniya dono bachon ke liye tiffin taiyar karne lagti hai phir kuch der baad jagu dono
bachon ko leke school nikal padta hai aur phir kuch der me bachon ko school me
chodke wapas ghar ajata hai aur nahane ke liye bathroom me ghush jata hai aur ush
bich saniya jagu ke liye nasta banane me lag jati hai

jagu bathroom se nahake nikalta hai aur apne kapde pehen ke room se nikalta hai



saniya - are kahan chal diye aap nasta to karke jaiye, aaj mene aap ke liye aap ka fav upma banaya hai jagu - kyaaaa baat hai jii aaj kuch special hai kya jo aaj mera fav nasta banaya hai aapne saniya - haan jii aaj special day hii to hai mere liye kyunke aap ko aaj samnanit kiya jane wala hai town hall me wo bhi ish state ke chief minister ke hathon jagu - kuch der chup rehta hai phir , saniya aaj ye sab agni ke wajah se mumkin hua hai , aaj me jahan bhi hun jish bhi possion me hun wo sab agni ke wajah se , kash- hhhhhhhh ye sab dekhne ke liye wo bhi hamare sath hota kashhhhhhhhhhh saniya - dekhiye aap udass matt hoiye aaj agni jahan kahin bhi hoga wo khush hoga aap kii tarakii ko dekh ke , aaj ushe naaz hoga aap par kyunke aap ne ushki premka- hani ko guman nahin rehne diya , aap ke wajah se aaj har ek noujavan ke muhn par agni aur varsha kii premkahani hai sabhi unke premkahani se prerit hote hain jagu - sahi kaha saniya tumne aaj kal jo noujavan pyar ke mayane hii bhul bethe the wo sab agnivarsha kii premkahani padhne ke baad unhe pyar ke mayane samajh achuke hain jagu apna nasta khatam karta hai aur office ke liye nikal jata hai


saniya - suniye aaj office se jaldi ayiega sham ko hame town hall jana hai bhul matt jana jagu - thik hai jaldi aunga aur tum sab bhi taiyar hoke rehna phir jagu apne ghar se bahar nikal padta hai , jagu apne hii ghar me bani ek chote se garrage se apni bike nikalta hai aur start karta hai , bike start hote hii ushki nazar padti hai agni ke ghar ke upar jo kii pichle 11saal se khali padi hui hai 12 saal pehle jo hadhsa hua tha ushke thik ek saal baad agni ke gharwalon ne ish seher ko chod diya tha , aaj koi bhi nahin janta hai kii agni ke ghar wale kaha hain aur kaise hain yahan takk kii unke rishtedaron ko bhi nahin patta kii wo log achanak ye seher chodke kyun aur kahan chale gaye jagu pichle 11 saalon se rojana agni ke ghar ke samne kuch minute jaroor khada rehta tha kyunke ushe lagta tha kii 12 saal pehle jo hadhsa un sabke sath ghata ush kii wajah kahin naa kahin wo khud hai kuch der wahan khade rehne ke baad jagu wahan se apne office kii aur chal deta hai , jagu aaj ek publication house me as a editor kaam karta hai aur apne khali waqt me novel's likha karta hai jinme se agnivarsha the incomplite love story sabse jyada demandable novle hai ye nobel ish saal kii best seller of the year aclame kii gayi hai jishke wajah se aaj sham ko town hall me jagu ko aaj samnanit kiya janewala hai

jagu sham ko jaldi ghar lout atta hai aur apne parivar yanekii apne maa , papa , saniya apne dono bache bunty & gudia ke sath town hall chal deta hai ish waqt town hall me bohut bhidd jama thi , bohut sare noujavan jo kii agnivarsha the incomplite love story ke fan the unn sabne wahan bhidd laga rakha tha jagu se milne ke liye , aur bohut sare press wale , news reporter bhi wahan moujud the jagu apne ghar walon ke sath andar ghusta hai aur sabko age ke line me bithake wo stage pe chala jata hai jahan pe wo local m.l.a ke sath beth jata hai aur kuch der baad chief minister bhi atte hain aur phir program suru hota hai chief minister jagu ko samnanit karte hain aur jagu ke sanman me kuch bhasan dete hain aur phir bari atti hai jagu kii press - mr,jagu plzzzz ish kahani ke bareme kuch bataiye jagu - ye kahani hai agni kii , ek masoom aur sacha ladka jishne ek ladki se beintiha mohabat kiya aur apne pyar kii jaan bachane ke liye apni khud kii jaan kii parvah naa karte hue mout ke bawandar me kudd pada ye kahani hai varsha kii ek aishi ladki kii jo nafrat karne ayi thi agni se lekin pyar karr bethi aur aur ushka pyar itna gehra hogaya tha kii agar wo apna dil chir ke sabko dikhati to ushme agni ke sibay kuch bhi nahin milta aur yehi pyar ushe mout ke


muhn takk legaya ye kahani hai agni ke do kamine doston kii jo agni ke upar apni jaan chidakte the aur agni bhi inn dono ke upar apna jaan chidakta tha , kehne ko to ye teeno dost the par ye teeno bhaiyon se kam nahin the ek dushre ke sukh dukh me hamesha khade rehte the aur ek dushre ke liye jaan bhi dene ko hamesha taiyar aur aisha hua bhi ek din ek dost ne ek dost ke liye apni jaan luta diya ye kahani hai unn andheron kii jinn se aaj bhi hum sab wakif nahin hain aur aur inn andheron me najane kitne raaz chupe hain jo aap ko ish kahani me pata chalega aishe hii press wale aur bhi bohut sare sawal puchte hain jagu se aur jagu unn sawalon ka uttar deta hai aur phir raat ke dus baje takk program khatam hota hai aur phir sab wahan se nikalne lagte hain jagu apne parivar ke sath wahan se nikalta hai aur sab ek resturant me jate hain sab wahan khana khate hain aur wapis ghar lout te hain , kuch hii der me sab ghar me pahunch jate hain , aur sab andar chale jate hain aur jagu apne bike ko apne garrage me rakhne lagta hai jab jagu bike ko garage me rakh karr lout ta hai to ushki naar ek baar phir padd jati hai agni ke ghar ke upar jo ish waqt andheron me dubi hui thi , tabhi jagu ke kande pe kisika hath padta hai aur jagu jab piche palat ke dekhta hai to samne saniya ko pata hai

saniya - kya hua aap yahan kyun khade hain andar chaliye naa

jagu - kuch nahin saniya basss agni ke ghar ko dekh raha hun , jo ghar 12 saal pehle
hassi aur khusiyon se gunja karta tha aaj mere wajah se wo ghar sunsan pada hua
hai aur jab bhi me ish ghar ko dekhta hun to lagta hai kissi pret ka saya mandra
raha hai ish ghar me

saniya - aap aishe kyun keh rahe hain 12 saal pehle jo bhi hua tha ushme aap kii koi
bhi galati nahin thi

jagu - nahin saniya galati meri hii thi aur mere ush galati ke wajah se ek hashte
khelte parivar ke khushiyon ko najane kiss shaitan kii najar lag gayi aur najane
kahan gum hogaya wo sab aur to aur aaj mere do khash dost mere do bhai jinhe me
sabse jyada pyar karta tha aaj mere sath yahan nahin nahin hai
 
  • Like
Reactions: Brshashi

Captain Jack Sparrow

Not all treasure is silver and gold, mate.
Staff member
Sectional Moderator
Supreme
5,072
11,987
174
Update - 112

jagu aur saniya dono ghar ke andar chale jate hain kuch der baad jab jagu bathroom


se fresh hoke nikalta hai to pata hai kii ushke dono bache gudiya aur bunty dono ushka intejar kar rahe hain gudiya - kya papa kitna waqt lagate ho bathroom me pata hai kab se aap ka wait karr rahe hain hum bunty - haan aab aap ko kahani wahin se suru karni padegi jahan par kal aapne roka tha jagu - acha to mere dono dil ke tukde yahan kahani sun ne aye hain bunty & gudia - or nahin to kya papa hum yahan kahani hii sun ne aye hain chaliye abb start kariye jagu - jo hukum mere akka bolke jagu bed pe beth jata hai aur apne dono bachon ko apne god me bithake kahani phirse wahin se suru karta hai jahan pe ushne kal roki thi Back To Past ush boxing match ke baad to agni puri tarah se tutt chuka tha hassna to dur kii baat ushke muhn se ek shabd bhi nahin nikal raha tha hamesha ushke chehre pe

khamoshi hii rehne lagi thi ushke gharwale ushke dost jagu aur deva sabhi ne ushe bohut samjhaya lekin agni apne dard ko apne hii dil me dabake jita raha aur andar hii andar ghutt ghutt ke marta raha ish bich varsha aur raaz ne collage ke sare student's ko apne taraf mila liya tha , var- sha ek bhi mouka apne hath se jane nahin derahi thi agni ko beijatt karne ka jab bhi agni ushke samne se gujarta to varsha aur raaz ushke upar comment's pass karte the yahan takk kii jo jo collage student's hamesha agni ke age piche ghuma karte the wo sab aaj varsha aur raaz ke sath the aur wo bhi inn dono ke sath milke agni ko beijatt karte the lekin agni kuch bhi nahin kehta tha deva aur jagu jab bhi unn sabko marne ke liye age badhte the agni unhe rokk deta tha phir ek din wo hua jishki kalpana kisine bhi nahin kiya tha , wo din bhi hamesha kii tarah ek aam din hii tha deva , jagu , agni , saniya , sangita ye sab collage canteen me bethe hue the aur ush canteen me varsha , raaz aur bhi kuch students bethe hue the jo kii agni ko comments pass karr rahe the par agni aur ushke sabhi dost unn sab ko ignor karke apne me hii mast the aur agni hamesha kii tarah gumsum sa betha hua tha aur apne me hii khoya hua tha phir canteen me moujud sabhi kii nazar tv screen par padi jo ek breking news dikha raha tha aur ush news ke mutabik kuch most wanted atankhwadi(terrorist) seher


me ghush aye the kissi napak irade ko pura karne ke ash me lekin police ko ish baat kii khabar mill gayi aur unka police se muthbhed hogaya phir unn atankhwadi mese kuch uss muthbhed me mare gaye aur baki bache hue atankwadi police se bachne ke liye wo sab ek hospital me ghush gaye the aur ush hospital me moujud sabhi ko hostages bana liya aur unka demand hai kii unhe yahan se safely nikal ke jane ke liye ek helicopter chahiye aur wo bhi jitni jaldi ho sake varna wo yahan andar mou- jud sabko maar denge aur phir wo ek doctor ko gun point pe lete hue kehte hain pehla number ishika hoga agar ek ghante me hamari mang puri nahin kii gayi to jish doctor ko gun point pe rakha gaya tha wo koi aur nahin balki agni kii maa Dr, asha thi aur ye sab dekh agni ke andar moujud haiwan bahar nikal atta hai aur agni ke muhn se ek khatarnaak chikh nikalta hai haiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii aur phir agni ke ankhon ka rang jo kii kala tha wo chamaktiii hui nile rang me badal jata hai aur agni ke ankhon ka rang ko badalte hue dekh wahan moujud sabhi kamp uthte hain sabhi ke chehre pe pasina ana suru hojata hai aur sabke hath pair kampne lagta hai varsha aur raaz ke bhi phir agni ek tez andhi ke tarah collage canteen se bahar nikal jata hai aur ushke piche piche deva aur jagu bhi phir varsha bhi nikalne lagti hai to raaz ushka hath pakad leta hai raaz - varsha tum kahan jaa rahi ho aur ye agni ko kya hogaya ushke ankhon ka rang apne aap kese badal gaya varsha - me hospital jaa rahi hun aunty kii jaan khatre me hai aur mujhe wahan jana

hai , meri dushmani agni ke sath hai na kii ushke parivar ke sath wo sab bohut ache hain yahan takk kii aunty ne to mujhe apne beti kii tarah rakha tha apne ghar me raaz - wo to thik hai par ye agni ko kya hogaya varsha - apni maa ko khatre me dekh agni ke andar moujud haiwan bahar achuka hai , abb to bhagban hii jane wahan pe agni kya keher barpaega agni tejise doudta hua hospital pahunch jata hai lekin andar nahin japata hai kyunke police ne hospital ko charon taraf se gher rakha tha aur policewale agni ko andar jane nahin derahe the agni - dekho officer mujhe andar jane do andar meri maa ko unn atankhwadiyon ne gun point pe lerakha hai officer - to aap dr , asha ke bete hain agni - jii haan aab mujhe andar jane dijiye officer - sorry bache yahan koi khel nahin khela jaa raha hai kii tumhe hum andar jane de samjhe aab side hojao aur haan fikr mat karo hum tumhari maa ko kuch bhi hone nahin denge


ush waqt takk agni ke papa aur ushke dono bhai bhi hospital takk pahunch chuke the aur deva , jagu , sangita , saniya aur varsha , raaz sab wahan pahunch chuke the phir unn mese ek atankhwadi hospital ka gate kholta hai aur kehta hai dekho 1 ghanta hone me abhi bass dus minute bache hain agar dus minute me helicopter nahin aya to ish dr ko mar denge aur phir agni kii maa kehti hain plzzzzzz mujhe jane do lekin wo atankhwadi agni ke maa ko ek thapad maar deta hai aur ye dekh agni apne appe se bahar ho jata hai aur wo hospital ke andar kii aur badhne lagta hai agni ko phirse wahi policewale rokkte hain lekin agni ish baar wo karta hai jishki kalpana kisine nahin kiya tha , agni gusse me akke unn dono policewalon ke gardan ko pakad ke hawa me uchal deta hai jish se wo dono dur jake girte hain ish se pehle kii bakike policewale age badhke agni ko rokte tabb takk agni bohut tezise andar ghuss chuka tha aur bahar agni ne jo policewalon ko hawame uchalke phenka tha ye sab wo atankhwadi bhi dekh raha tha jo kii abhi bhi hospital ke gate ke pass khada tha ish se pehle kii wo atankhwadi kuch karta agni wahan pahunch jata hai aur sidhe ushke samne khada hojata hai achanak agni ko apne samne pake wo atankhwadi darr jata hai aur ushkii pakad agni ke maa ke upar se dhili padd jati hai aur phir agni ush atankhwadi ke gardan ko pakad leta hai

agni ishwaqt bohut gusse me tha wo ush atakhwadi ke gardan ko pakad ke upar utha deta hai ish se wo atankhwadi apne hath per chatpatane lagta hai aur agni - teriiiiii himmat kese hui meri maa ke upar hath uthane ko , ishi hath se tune meri maa ko mara tha na ye bolke agni ushko zammen pe patakh deta hai aur ushke kandhe pe per rakh ke ek hii sec me ushke ush hath ko ukhad deta hai jish se ushne agni ke maa ko chataaa mara tha ye nazara hospital ke boundry ke bahar khade sabhi dekh rahe the chahe wo police- wale ho ya news reporter's ya agni ke gharwale aur dost sabhi ke muhn phate ke phate reh gaye the ye nazara dekh jish atankhwadi ka hath agni ne ukhad liya tha wo dard ke mare buri tarah se chikhne lagta hai aur ushki chikh sunke andar moujud bakike 3atankhwadi bhi bahar kii taraf doud ke ajate hain aur apne saathi kii ye halat dekh ke bokhla jate hain aur agni ke upar andha dhun goliyan chalane lagte hain agni pehle hii apni maa ko kissi jhadi ke piche chupa chuka tha aur jab ushpar goliyan chalai gayi to agni apne ush bayen hath yane kii left hand ko age karr deta hai jo kii golden flower aur jwala star ke wajah se nila aur zehrila hochuka tha yanekii apne zehrile hath ko goliyon se bachne ke liye istemal karta hai aur sari kii sari goliyan agni ke ush zehrile hath me lagti hai aur ish se agni ko koi bhi chot


nahin lagta hai agni ko goliyon se koi bhi nuksaan nahin hota hai aur ye dekh atankhwadiyon ke hosh udd jate hain aur hospital ke boundry ke bahar khade sabhi ke bhi hosh udde hue the phir agni age badhta hai aur ek atankhwadi ke gardan ko pakad leta hai agni abhi bhi bohut gusse me tha ishliye agni ush atankhwadi ke gardan ko palak jhakapte hii ushke dhad se alag kardeta hai aur ye dekh baki ke dono atankhwadiy- on kii phatt jati hai aur wo dono wahan se bhagne ke hote hain lekin ish se pehle wo dono bhagte agni dono ko pakad leta hai agni dono atankhwadiyon ke gardan ko apne ek ek hath se pakad ke upar utha deta hai dono atankhwadi darr ke mare agni se rehem kii bhikh mangne lagte hain lekin agni unki nahin sunta hai , ish bich police bhi hospital boundry ke andar ghuss chuki thi aur wo agni ko kehte hain officer's - agni unn dono ko chod do unhe hamare hawale kardo varna hume majburan tumpe goli chalani padegi agni - hasste hue chalao goli officer me mout se nahin darta aur ye goliyan mera kuch bhi ukhad nahin sakti hai sare policewale agni ke ish rup ko dekh dare hue the , agni ke chamakti hui nilii ankhon ko dekh kissi bhi policewale kii himmat nahin hui ushe rokne kii

phir agni unhi police officer's ke samne hii unn dono atankhwadiyon ke gardan ko dhad se alag kardeta hai aur ye nazara dekh wahan moujud sabhi policewale kamp uthte hain phir agni badhta hai ush atankhwadi ke taraf jiska hath agni ne pehle ukhada tha , agni ko apne taraf atta hua dekh wo atankhwadi burri tarah kampne lagta hai aur agni se rehem kii bhikh mangne lagta hai lekin agni apne chehre pe ek shaitani mushkan liye age badhta hai tabb takk hospital boundry me sabhi achuke the bahar khade sare news reporter's agni ke gharwale aur ushke dost aur bahar khade seher ke kuch log bhi jab bahar se andar aye hue sabkii nazar atankhwadiyon ke dhad se ukhade hue gar- danon par padti hai to sabhi darr aur khouff ke mare kampne lagte hain raaz to ye sab dekh buri tarah se dara hua tha aur agni ne jo ye sab inn atankhwadiyon ke sath kiya tha wo sab inn news chanel's ke madad se pure desh me live telecast horahi thi , agni ush akhri atankhwadi ke taraf badh raha tha aur wo atankhwadi agni se rehem kii bhikh mang raha tha par agni ke upar to haiwan ne kabza karliya tha agni ko patta hii nahin tha kii wo kya karr raha hai phir agni kii maa ushke samne atti hain aur ushe rokne kii koshish karti hain aur bohut koshish karne ke baad agni thoda sa shant hojata hai aur phir agni kii maa agni ke sir ke upar pyar se hath pher te hue kehti hain

maa - plzzzzzz beta shant hoja mere liye beta shant hoja , abb me thik hun beta shant hoja plzzzzzz aur phir agni kii ankhen phirse dhire dhire normal hone lagti hain aur phir agni be- hosh hoke niche girr jata hai , agni ke niche girte hii deva jagu aur agni ke dono bhai ushe sambhal lete hain aur uthake hospital ke andar lejate hain
 
  • Like
Reactions: Brshashi

Captain Jack Sparrow

Not all treasure is silver and gold, mate.
Staff member
Sectional Moderator
Supreme
5,072
11,987
174
update - 113


unn atankhwadiyon ko marne ke baad agni ko ushki maa ne bohut mushkil se shant
kiya tha aur shant hone ke baad agni behosh hoke zameen pe girr gaya tha aur agni
agle 7dino takk behosh raha tha

aur unn 7 dino me bohut kuch hogaya tha atankhwadiyon ko marte hue pure desh
ne agni ko tv pe dekha tha , ish baat ke liye pure desh me bohut halla macha hua
tha koi keh raha tha kii agni kissi shaitan ka rup hai to koi keh raha tha kii agni ek
super hero hai yahan takk kii bohut se logon ka maan na tha kii agni kissi bahari
planet se aya hua ek alien hai jo yahan hamare planet ke upar kabza karne aya hua
hai



tarah tarah kii baten sun nii mil rahi thi agni ke bareme , har jagah se koi na koi nayi baat sun ne ko mil rahi thi aur phir sarkar ne kuch dostor's bheje agni ke sarir ke janch karne ke liye aur bhagyabasss wo sare dostor's agni ke papa ke dost nikle aur unn sabhi dostor's ne agni kii bohut madad kiya , unhone ye report sarkar ko ba- nake dii kii agni ko multi disorder personality kii bimari hai jishke wajah se ye sab hua yanekii in short's jab bhi ushke dimag ke upar koi aur sakshiyat kabza karta hai to agni apne appe se bahar hojata hai aur bohut takatbar hojata hai yanekii simple languge me kahen to ye sab pagalpan ke laxan hain aur agni ko bich bich me pagalpan ke doure bhi padte rehte hain yanekii agni ek tarah ka pagal hai , aur unn dostor's kii ish report ko sarkar ne yakin bhi karliya aur agni ke upar koi bhi action nahin liya gaya pure 7 din baad agni ko hosh aya aur agle kuch dino takk wo ghar par rehkar aram karne laga kyunke ushka sarir bohut kamzor hogaya tha yahan pe agni apne ghar par aram karr raha tha aur wahan varsha ne agni ke khilaff ek aur chal chal diya tha aur ish chal ke wajah se agni kii jindagi barbadi ke kagar par aaa khadi hone wali thi jab agni hii tabiyat kuch thik hui to wo apne aap ko agle din collage jane ke liye taiyaar karne laga , agle din agni rojana kii tarah subah 8baje hii collage pahunch gaya aur apne class room me ake beth gaya , abhi takk jyada student's collage nahin aye the par kuch der me dhire dhire student's ana suru kardete hain aur jo bhi stu- dent's class me enter karta tha wo sab agni ko ek ajeeb hii nazron se ghurne lage the lekin agni inn chizon par bina dhyaan diye class room me betha raha aur kuch


der baad deva aur jagu bhi agaye saniya aur sangita ke sath jagu and deva - abb kesii hai teri tabiyat yaar aur tu aaj collage kyun chala aya thode din aur rest karleta saniya & sangita - haan agni tumhe kuch din aur rest karlena chahiye tha agni - nahin yaar abb me thik hun aur ghar par pade pade borr hone laga tha aur abb ghar par rehna mere liye ek tarah se asambhav horaha tha ish liye aaj collage chala aya deva & jagu - chal koi baat nahin tujhe aaj collage me dekh ke acha laga aur kuch der baad varsha bhi raaz ke sath class room me ajati hai aur jab varsha kii nazar agni ke upar padti hai to wo agni ke pass ajati hai varsha - kyaaaaaa baat hai aaj hamare bich ek maharathi bethe hain yaar tumhe col- lage me wapas dekh ke mujhe bohut khushi hui deva - dekh varsha tu agni se durr reh varna acha nahin hoga

varsha - acha kya karlega ye mera , kyaaaaa ye mujhe bhi unn logon kii tarah marde- ga jish tarah ishne unn logon ko bade berehmi se mara tha agni deva aur jagu kuch bhi nahin kehte aur phir varsha - mr , agni kumar das mere agle vaar ke liye taiyaar hojao aur mera ye vaar tumhe puri tarah se hila ke rakh dega aur tumhe puri tarah se barbaad kardega ish se pehle kii jagu aur deva varsha se kuch kehte class me prof,mishra ajata hai aur sabhi attendance lene lagta hai aur attendance lene ke baad prof,mishra - agni tumhe principal sir ne unke office me bulaya hai wo tumse kuch jaruri baat karna chahte hain agni - ok sir me abhi jata hun deva & jagu - yaar agni jara sambhal ke jana mujhe kuch gadbad lagta hai , lagta hai ye varsha kii koyi nayi chal hai phir agni princi ke office kii taraf chal deta hai aur wahan pahunch ke door ko knock karte hue kehta hai can i come sir


princi - yes my boy come in jab agni andar ghusta hai to dekhta hai kii princi ke office me princi ke alawa aur bhi bohut se prof aur sport's teacher moujud the agni - yes sir aap ne mujhe bulaya? princi - haan agni mene tumhe yahan bulaya hai aur me tumhe ek jaroori baat batane wala hun agni - haan sir kahiye kya baat hai princi - agni my boy tumne hamare collage ke liye bohut kuch kiya hai , tumhare wajah se hamara collage sport's me aaj pure state me number 1 pe hai aur mujhe tumhe ye khabar bohut hii afsoos ke sath batani padd rahi hai kii hum tumhe col- lage se suspend karr rahe hain final exam takk agni - kyaaaaaaaaaaa , agni ish baat se puri tarah hill jata hai kii ushe collage se sus- pend kar diya gaya hai agni - par kyun sir , mene aisha kya kardiya kii aap mujhe collage se suspend karr rahe hain

princi - agni kuch din pehle jo hua , tumne jo unn atankhwadiyon ko itni berehmi mara tha ish wajah se princi ke baat ko bich me tokte hue agni - to aap ka kehna ka ye matlab hai kii mujhe apni maa ko bachana nahin chahiye tha , unhen unn atankhwadiyon ke hathon marne dena chahiye tha yahi kehna chahte hain naa aap sir princi - nahin agni mere kehne ka matlab ye nahin tha agni - acha to kya tha aap ke kehne ka matlab me bhi to janun princi - agni tumne jish berehmi se unn atankhwadiyon ko mara ush se bohut se student's ke parrent's darr gaye hain aur unhone hamse saaf saaf kehdiya hai kii agar agni ish collage me padhega to hum apne bachon ko collage nahin bhejenge ish liye hume majburan tumhe collage se nikalna padd raha hai aur to aur ish bich tum collage ke kissi bhi function me hissa nahin le sakoge chahe wo sport's ka ho ya koi aur function ho aur tum final exam takk collage campus me pav bhi nahin rakh sakte jab final exam start hoga tab tum collage asakoge exam dene ke liye agni - plzzzzzz sir mere sath aisha matt kariye mene ish collage ke liye bohut kuch kiya hai aap ke ish kadam se me barbad hojaunga mera carrier tabah hojaega sir


plzzzzzzz mere sath aisha matt kariye princi - iam sorry my boy par me majbur hun abb tum yahan se jao agni ankhon me asu liye princi ke office se bahar nikalta hai aur apne samne varsha ko pata hai varsha - are are kya hua agni tum ro kyun rahe ho , aisha kya keh diya princi ne jo tum ro ro ke bahar arahe ho , batao na batao na kya tumhe princi ne collage nikal diya hai agni - apne ankhon se asu pochte hue , ye sab tumne kiya naa varsha - haan tumne sahi samjha ye sab mera hii khel hai tumhare khilaf kesa laga ye chal acha tha naa agni - varsha aaj tumne mujhe akhirkar barbad kar hii diya aaj to bohut khush hogi naa tum varsha - haan hun par utna nahin jitni me hona chahti hun , me tab sabse jyada khush hungi jabb tumhe marte hue dekhungi aur tumhare parivar ko tumhare lash ke age rote hue tab jake mere dil ko sukun milega

agni - basssssssss bohut hogaya tumhe mere khilaf jo karna hai karo me uff takk
nahin karunga par agar tumne mere parivar ke khilaf ek bhi kadam uthaye to me ye
bhul jauga kii me tumse pyar karta hun aur phir me tumhare aur tumhare parivar ke
sath kya kar sakta hun tum ye bohut ache se janti ho , duniya kii koi bhi takat tumhe
aur tumhare parivar ko mujhse ush waqt bacha nahin paegi ishliye pehli aur akhri-
vaar keh raha hun mere sath chahe kuch bhi karo par mere parivar se dur rehna
nahin to

ye bolke agni wahan se nikal jata hai aur vasrha bassssss agni ko jate hue dekhti
rehti hai , agni ke ish palatvar se varsha puri tarah se hairan thi aur darr ke mare
kamp bhi rahi thi kyunke agni jab gusse me varsha ko keh raha tha kii mere parivar
se sur raho ush waqt ushki ankhen blue ho chuki thi aur agni ke ish rup ko dekh
varsha wahan khadi khadi kamp rahi thi
 
  • Like
Reactions: Brshashi

Captain Jack Sparrow

Not all treasure is silver and gold, mate.
Staff member
Sectional Moderator
Supreme
5,072
11,987
174
update - 114

varsha collage ke baad ghar lout atti hai aur jab wo ghar pe atti hai to dekhti hai kii ushke papa aye hue hain , apne papa ko dekh varsha ke chehre pe khushi chajati hai


varsha ke papa yanekii Digbijay singh thakur hindustan ke sabse bade business man mese ek hain , unki pehchan hindustani saarkar ke har ek bade bade minister se hai wo itne takatvar hain kii chahen to ek hii pal me hindustan kii saarkar kii takta palat sakte hain , lekin wo insaan bohut ache hain aur wo aaj bohut dino baad yahan varsha se milne aye the varsha - papa aap aur yahan , kab aye aap delhi se , aap ne to mujhe surprize karr diya varsha' father - kyun chouka diya naa , wo kya hai naa mujhe apni ladli beti kii bohut yaad arahi thi ishliye milne chala aya varsha - papa mujhe bhi aap kii bohut yaad arahi thi acha hua aap yahan chale aye varsha' father - aur batao beti kya haal chal hai , aur aaj tum khush bhi bohut lag rahe ho varsha - haan papa aaj me bohut khush hun kyunke me apni manjil ke najdik pahunch chuki hun aur bohut jald me apne manjil ko hasil kar bhi lungi varsha' father - me kuch samjha nahin beti kish manjil kii baat karr rahi ho tum

varsha - ushi manjil kii papa jishko hasil karne ke liye me yahan ish seher me ayi hui thi varsha' father - kya matlab beti jo bhi kehna hai saaf saaf kaho varsha - agni kii tabahii aur ush se badla lene ke irade se me yahan ayi thi papa aur me bohut hadd takk kamyab bhi ho chuki hun , mene agni ka dil ushi tara toda hai jish tarah ushne meri jahan didi ka dil toda tha abb ushe samajh me ayega kii thukraye janeka dard kya hota hai aur to aur aaj mene ushe collage se nikal ke ushki carrier bhi barbad kardiya hai varsha ye sab apne papa se keh rahi thi kii ushne kese agni ka dil toda aur ushe barbad karne lagi hai lekin tabhi varsha ke papa varsha ke gaal pe ek jordar chataaaa marte hain aur phir varsha' father - mene tumhe bohut baar samjhaya tha kii jahan kii mout ek hadhsa hai ushme agni kii koi bhi hath nahin hai par tum phir bhi nahin samjhi aur yahan akke tumne agni ke jindagi ko phirse tittar bittar kardiya varsha - par papa agni ne jo kiya wo varsha' father - wo varsha ke baton ko bich me tokte hue kehte hain , agni ne kuch bhi nahin kiya hai ushe bhi jahan kii mout ka ushi tarah dukh hai jish tarah tumhe


hai , me to ye kahunga ushe tumse jyada dukh hai jahan kii mout ka kyunke ushne jahan ke rup me uss insaan ko kho diya jise wo sabse jyada pyar karta tha , agni ne ush ladki ko kho diya jo ushkii dil kii baat ko bina kahe samajh jati thi mene agni ko unn dino dekha tha , jahan ke mout ke baad agni puri tarah se tutt ke ek jinda lash ban chuka tha na to khana khane ke liye muhn khulta tha naa hii baat karne ke liye zuban basss ushke body se kuch harkat ho rahi thi to wo tha agni ke ankhon se asu bina ruke beh rahe the lekin ushke zuban se ek bhi ahhhhh nahin nikal rahi thi ek pathar ban gaya tha wo aur aaj tumne phirse uss ladke ke dil pe vaar kiya hai jishka koi galati hai hii nahin inn sabme , har baar wo ladka apne dil ke age hara hai aur ish baar bhi tumne aisha hii kiya , ye sab bolke varsha ke papa wahan se chalne lagte hain varsha - rote hue , papa aap kahan jaa rahe hain varsha' father - me yahan apni beti se milne aya tha jishke dil me har kisike liya hamesha pyar rehta tha chahe kesi bhi paristiti ho par tum meri beti hargiz nahin ho sakti kyunke tumhare dil me sibay nafrat ke alawa kuch bhi nahin hai ye bolke varsha ke papa wahan se chale jate hain , aur varsha wahan khadi bassss apne papa ko jate hue dekhti rehti hai aur ushke ankhon me sirf aur sirf asu the

ishi tarah kuch hafte gujar jate hain , ush din ke baad varsha me bhi bohut se bad- lab ane lage the jyadatar waqt ushe apne papa kii kahi baat yaad atti thi aur abb varsha ko agni ke sath jo ushne kiya tha ushka afssos hone laga tha inhi sab khay- alon me dubi hui varsha jyadatar waqt chup hii raha karti thi aur idhar agni ko collage se suspend karr diya gaya tha jishke wajah se agni abb jyadatar waqt apne ghar par hii gujarta tha bilkul akela padd gaya tha agni , haan rojana sham ko ushe deva aur jagu jaroor milne atte the lekin kuch hii waqt ke liye aur unn dono ke jane ke baad agni phir se akela padd jata tha ishi tarah kuch din aur gujar jate hain aur wo din bhi ajata hai jab all india collage campus cricket tournament khela jane wala tha , abb agni to suspend tha ish liye ali khan ne raaz ko collage cricket team ka captain banaya lekin ishka koi bhi faeda nahin hua delhi kii collage team ke age puri kii collage team buri tarah se hari aur ye haar bohut hii sharmnaak thi aur ishi haar ke sath puri kii collage cricket team ne ish tournament se wida liya aur ish haar ke baad collage ke princi , prof , staff's aur student's ko samajhme agaya tha kii unse kitni badi galati hogayi hai agni ko collage se suspend karke lekin abb kiya bhi kya jaa sakta tha kyunke abb bohut der ho chuki thi cricket tournament ko khatam hue do hafte gujar chuke the , yahan pe agni ke jindagi me aya hua tufan kuch hadd takk kam hogaya tha kyunke abb varsha ko apni kii gayi galati ka ehsaas hone laga tha aur abb ushke dil me ye baat sata rahi thi kii ushke wajah se agni jese ek nek shaks kii jindagi barbad hogayi hai


aur idhar agni abb apni jyadatar waqt apne gharwalon ke sath aur sabse jyada apni ladli chutkii yanekii ganga ke sath gujarta tha aur agni ganga ke chehre pe mushkan dekh ke khudd bhi khush hojaya karta tha aur agni ke chehre pe hassi dekh agni ke gharwale bhi khush the kyunke agni ke halat chahe kesa bhi ho lekin ushke chahre pe khushi thi lekin agni ke chehre pe ye khushi jyada din takk rehne wali nahin thi kyunke jish waqt agni apne gharwalon ke sath khush tha thik ushi waqt puri railway station pe do shaks train se utarte hain aur ye dono koi aur nahin agni ke purane dushman the yanekii Rocky mohanty aur John aur abb ye dono ne ek dushre se hath mila liya tha agni se badla lene ke liye
 
  • Like
Reactions: Brshashi

Captain Jack Sparrow

Not all treasure is silver and gold, mate.
Staff member
Sectional Moderator
Supreme
5,072
11,987
174
update - 115

ish waqt dopeher ka waqt tha aur ye ilaka ek jungle ka tha , ek aisha jungle jishme puri tarah se sannata faila hua tha aur jungle bohut hii ghana aur gehra bhi tha agni ish waqt ishi jungle me tha aur age badh raha tha , agni dhire dhire jungle kii aur andar ghusne lagta hai aur agni jungle ke jitne andar jata jungle utna hii ghana aur andhera hota jaa raha tha aur phir dhire dhire jungle ke andar suroj kii ek roshni bhi nahin girti hai aur ush jungle me bhare dopeher me hii adhi raat kii tarah andhera hojata hai lekin agni bina dare age badh raha tha phir agni kuch der aur chalne ke baad ush jungle ke akhri chor takk pahunch jata hai aur jungle ke akhri chor takk pahunte hii ushki nazar padti hai ek nadi ke upar jishme pani ke badle khun beh raha tha ye nazara dekh ke agni ke rongte khade hojate hain aur ushke per wahin ush nadi ke samne rukk jate hain


kuch der wahin khade hoke ush nadi ko agni dekhta rehta hai aur phir himmat karke agni ush nadi me utarjata hai aur terke ush nadi ko paar karne lagta hai kuch der baad agni ush nadi ko ter ke paar kardeta aur ush nadi se bahar nikalta hai aur jab wo ush nadi se bahar nikalta hai to wo puri tarah se khun se nahaya hua tha agni phirse age badhne lagta hai aur ish baar wo kisika naam leke pukarne lagta hai varsha varsha varsha ishi naam ko pukarte hue agni charon taraf dekhne lagta hai phir agni ko thodi sii dur pe bani hui ek jhopdi dikhayi deti hai aur agni ush taraf badhne lagta hai aur jab agni ush jhopdi ke nazdik pahunchta hai wo phirse varsha ko awaaz dene lagta hai aur agni ka andaza sahi nikalta hai varsha ishi jhopdi me hoti hai wo agni ke awaaz ko pehchan leti hai aur agni ko bulane lagti hai agni me yahan hun me yahan hun phir agni ush jhopdi ke darwaze pe ek jordar laat marta hai aur phir wo darwaza tutt jata hai jab darwaza tutt ta hai to agni ke samne varsha ajati hai varsha uss kamre me ek khambe se bandhi hui thi aur agni jese hii age badhta hai varsha ko azaad karane ke liye tabhi achanak ek bohut bada hath ush jhopdi ke chatt ko todti hui andar ghuss atti hai aur varsha ko uss khambe samet ukhad ke lejati hai ye dekh agni fouran uss jhopdi ke bahar nikalta hai jab agni jhopdi ke bahar nikalta hai to dekhta hai kii ushke samne ek maha danav khada hai jo bohut bada hai ushki hight kam se kam 20 se 25 fitt kii hogi aur ushne apne hathon me varsha ko pakad rakha hai jese kii ek gudiya ko ushne pakad rakha ho aur phir wo maha danav dahad marte hue chilata haiiiiiiiiii aur phir wo maha

danav agni ko ek laat marta hai aur agni najane kitne dur jake girta hai aur phir agni ka sapna tutt jata hai aur agni apne aap ko pasine me nahaya hua pata hai agni - phir se ek daravna sapna akhir mere hii sath aisha kyun hota hai mujhe inn sapnon se kabb chutkara milega pata nahin abb age kya honewala hai mere sath udhar rocky apne sath john ko liye apne ghar me pravesh karta hai jab rocky ke papa yanekii MLA mr, mohanty rocky ko dekhte hain to bohut khush hojate hain mr, mohanty - rocky mere bete tu yahan kese tu to bihar me tha na apni collage ke hostel me do din pehle hii to baat hui thi tere se tabb to kuch bhi nahin bataya tune kii tu anewala hai aur ye tere sath koun hai rocky - haan papa me wahan tha par me kal hii sham ko lout aya hun abb me wahan kabhi bhi nahin jaunga , basssss bohut hogaya hai abb me yahan agni se badla lene ke liye lout aya hun abb mujhse bardast nahin hota hai jab me wahan pe tha to har samay mere dimag me ek hii baat ghuma karti thi kii agni se badla kese lun aur aaj ye mouka mujhe milgaya hai aur ye mera dost hai john aur ye bhi agni ka dushman hai aur hum dono abb ek sath milke agni se badla lenge mr, mohanty - kyaaaaaaaa tu yahan agni se badla lene ke liye aya hai , itni mushkil


se tujhe jail se nikal ke wahan bihar ke uss collage me addmision karwaya tha kii tu sudhar jaega aur padhai me dhyan lagaega par tu nahin sudhra , tu chup chap col- lage lout jaa nahin to acha nahin hoga rocky - papa aap mera sath dene ke badle ush agni ka sath de rahe hain ye aap ko ho kya gaya hai aap pehle to aishe nahin the mr, mohanty - haan me agni ka sath deraha hun kyunke agni sahi hai aur tu galat aur tu bhul raha hai tu aaj agr jail se bahar hai to agni ke badaulat nahin to tu aaj bhi jail me sadh raha hota rocky - mujhe kuch nahin pata papa me yahan agni se badla leneke liye aya hun aur me badla leke hii rahunga chahe aap mera sath de ya naa de mr, mohanty apne bete ke muhn se aishi baat sunke aag babula hojate hain aur rocky ko marne lagte hain rocky bohut baar kehta hai papa mujhe matt maro mujhe matt maro lekin mr, mohanty nahin sunte hain aur wo lagatar rocky ko chataaaa pe chataaaa marte hii ja rahe the rocky ke dimag me ish waqt agni se badla lene ke alawa kuch aur nahin tha , agni aur ushke bich me jo bhi atta wo ushe apna dushman maan leta tha aur ishwaqt MLA mr, mohanty inn dono ke bich khada tha
abb rocky ka gussa bhi apne ape se bahar hogaya aur ushne passs hii table par sa-

jawat ke liye rakhi hui khanjar utha leta hai aur apne baap ke sine me utar deta hai

aur tabb takk utarta rehta hai jab takk ushka baap MLA mr, mohanty mar nahin

jata hai
 
  • Like
Reactions: Brshashi

Captain Jack Sparrow

Not all treasure is silver and gold, mate.
Staff member
Sectional Moderator
Supreme
5,072
11,987
174
update - 116

rocky - mujhe kuch nahin pata papa me yahan agni se badla leneke liye aya hun aur me badla leke hii rahunga chahe aap mera sath de ya naa de mr, mohanty apne bete ke muhn se aishi baat sunke aag babula hojate hain aur rocky ko marne lagte hain rocky bohut baar kehta hai papa mujhe matt maro mujhe matt maro lekin mr, mohanty nahin sunte hain aur wo lagatar rocky ko chataaaa pe chataaaa marte hii ja rahe the rocky ke dimag me ish waqt agni se badla lene ke alawa kuch aur nahin tha , agni aur ushke bich me jo bhi atta wo ushe apna dushman maan leta tha aur ishwaqt MLA mr, mohanty inn dono ke bich khada tha


abb rocky ka gussa bhi apne ape se bahar hogaya aur ushne passs hii table par sa- jawat ke liye rakhi hui khanjar utha leta hai aur apne baap ke sine me utar deta hai aur tabb takk utarta rehta hai jab takk ushka baap MLA mr, mohanty mar nahin jata hai Ab Age ish hadhse ke kuch dinon baad - agni apne bade bhai ke dost kumar jai jise agni apne bhai hii manta tha ushke sath Sp ke office me betha hua tha , ye naya Sp kumar ka dost tha aur ushka naam satish singh tha kumar - kya baat hai satish tune mujhe yahan kyun bulaya tha aur wo bhi agni ke sath satish - kuch jaroori baat karni thi yaar tujhse kumar - haan to bol baat kya hai satish - tum dono ko to pata hoga kii m.l.a mar chuka hai aur ushka warish ushka beta rocky hai

agni - haan hame pata hai sir par ishme pareshani kii kya baat hai baap ke marne ke baad bete ka hii haq hota hai ushke jayadad ke upar satish - tum mere baat ko samajh nahin rahe ho agni ye mamla jesa dikhta hai wesa hai nahin agni & kumar - kya matlab? satish - hame jab khabar mili kii m.l.a kii mout ho gayi hai tab hum fouran nikal pade ushke ghar aur jab hum wahan pahunche to dekha kii m.l.a kii antimsanskar kii taiyariyan ho chuki thi aur phir mene ushke bete rocky ko pucha kii inki mout kese huiii to ushne bataya kii wo unka per fisal gaya aur wo ek table pe rakhi hui chakuon pe gir gaye aur chaku unke pet me ghuss gaya jishke wajah se unkii mout hogayi phir mene kaha kii mujhe body ko dekhni hai to ushne saaf mana kardiya aur bolne laga kii naa to mere papa ke body ko koi police wala chuenga aur naa hii unki post- mortam hogi jab mene kaha kii dekho mujhe body ko lejani hogi postmartam ke liye to wo aag babula hogaya aur apne admiyon ke sath hume gher liya aur bolne laga dekh sp chup chap yahan se nikal jaa aur ayinda se mere rashte me matt ana warna tujhe aur tere pure parivar marwa dunga agni & kumar - kyaaaaaaaaaa , phir kya hua


satish - phir mene apne higher officer ko call kiya aur unhe sari baten bataya lekin ushke baad mere higher officer ne saaf saaf keh diya ush mamle se dur rehne ke liye ush waqt to me chup reh gaya lekin mujhe ye baat khatak ne lagi thi kii kahin kuch gadbad hai ish liye mene m.l.a ke family doctor se baat kiya to ushne bataya kii ye koi hadhsa nahin hai murder hai agni & kumar - kyaaaaaaaaaa , m.l.a ka murder hua tha par kishne mara ushe satish - mujhe bhi ishi tarah ka shock laga tha ush waqt jab mene ye baat suna tha phir mene ushke ghar ke ek noukar ko dhamkaya tab mujhe pata chala kishne m.l.a ko mara aur jab mujhe ush sks ka naam pata chala to me puri tarah se hill gaya tha agni - kishne mara m.l.a ko ushka naa bataiye satish - aur kisine nahin m.l.a ka khun khud ushke bete ne kiya hai rocky ne agni & kumar - kyaaaaaaaaaa , par ushne aisha kyun kiya satish - wajah tum jante ho agni , ish khun kii wajah tum ho , rocky tumse badla lene ke liye seher me wapas lout aya tha par m.l.a tumhare aur rocky ke bich me khada tha ishliye rocky ne tumse badla lene ke liye apne baap ko hii rashte se hata diya

kumar - to tune ushe arrest kyun nahin kiya ? satish - me ushe arrest nahin karr sakta hun kyunke jish noukar ne mujhe ye baat bataya tha ushne saaf saaf mana karr diya hai gawah ban ne ke liye aur me sirf doctor ke bayan ke damm se ushe arrest nahin karr sakta kyunke mene agar ushe arrest kiya to wo asani se chut jaega kyunke m.l.a kii body kii postmartam nahin huii thi ish liye mere pass ushke khilaf koi bhi sabut nahin hai kumar - to abb kya hoga age satish - agni mene tumhe yahan ishliye bulaya tha kii tumhe haqeekat se wakif kara sakun aur ye bhi bata sakun kii rocky apne gundon ko taiyaar karr raha hai aur ushne bihar se bhi bohut se gundon ko bulwaya hai tumse badla lene ke liye aur ushke sath tumhara ek aur dushman hai agni - koun? satish - jise tumne boxing match me haraya tha john , wo bhi ushike sath hai agni - to dono ne hath mila liya hai mere khilaf hmmmmmmmmm satish - ek baat me jaroor tumse kehna chahunga agni , tumne jitne dost banayen



hain ush se kahin jyada dushman , take care sp ke ish akhri baat pe agni ke chehre pe ek mushkan ajati hai aur phir agni kumar ke sath wahan se nikane ko hota hii hai kii ushki phone kii ghanti baj uth tii hai ____
 
  • Like
Reactions: Brshashi

Captain Jack Sparrow

Not all treasure is silver and gold, mate.
Staff member
Sectional Moderator
Supreme
5,072
11,987
174
update - 117


rocky aur john ajj puriii tayarion ke sath apne gundon ko leke collage ke taraf badh
rahe the , unke sath 100 se bhi jyada gunde the aur sabhi ke pass hatyar the kisike
pass lohe ka salia tha to kisike pass hocky stick aur kisike pass chaku to kisike pass
talwar rocky aur john ke pass gun thi sabhi bohut tezi se collage ke taraf badh rahe
the

aur ish baat se anjaan collage me sabhi mast the , deva aur jagu saniya aur sangita
ke sath busy the wahin raaz apne chamchon ke sath masti karr raha tha aur wahin
raaz ke paas bethi hui varsha apne aap me khoyi hui thi abb jyadatar waqt wo
aishe hii chup chap rehti thi , agni ke sath ushne jo galat kiya tha ushki chinta ushe
khaye jaa rahi thi



rocky aur john apne gundon ke sath collage takk bohut jald pahunch jaten hain , collage ke samne ake rocky ka driver ushka jeep rokk deta hai rocky - abbe gadi kyun rokk dia chal uda de ish gate ko kisiko bhi nahin chodna hai ajj phir ushka driver gadi ko bohut tejise lejata hai aur collage ke main gate ko udate hue collage me ghuste hain phir rocky aur john apne gundon ke sath collage ke andar ghuste hain rocky aur john ko itne sare gundon ke sath dekh ke sabki phatt jati hai aur sabhi wahan se idhar udhar khisakne lagte hain rocky kii nazar pehle padti hai deva aur jagu pe jo kii saniya aur sangita ke sath gappe ladha rahe the unhe to rocky ke yahan ane ka khabbar hii nahin laga tha , rocky age badhta hai aur dono ke kandhe pe hath rakhta hai deva - abbe koun hai be sala kisko gand me khujli horahi hai jo mujhe disturb karr raha hai ye bolke jab deva aur jagu piche palat te hain to dekhte hain kii samne rocky aur john bohut se gundon ke sath khade hain


rocky - kyun be salon agni ke sath milke hamari jindagi barbad karne ke baad yahan pe loundio ke sath maze lutt rahe ho john - aur tu sali chinall saniya kii bachi jab takk me champion tha to mere sath chipak ke rehti thi aur mere hospital pahunchte hii ish langur ke sath ho gayi saniya - haan kyunke deva mujhse pyar karta hai teri tarah pyar ka natak nahin karta hai john - acha aishi baat hai to aaj tum dono ke pyar ko parwan chadha dete hain ishe upar pahuncha ke deva & jagu - dekho be tum sab jo yahan karne ke motive ke sath yahan aye ho wo karr nahin paoge ishiliye yahi acha hoga kii yahan se chup chap chale jao warna acha nahin hoga tum sab ke liye rocky age badhta hai aur deva jagu ko dhakka dete hue kehta hai rocky - to kya karr loge be maro ge hume , chal marr deva - hum to sayed pitt jayen tum sab se magar agni , jab ushe inn sari baton ka patta chalega tabb kya hoga , wo tum mese kisiki bhi jinda nahin chodega

rocky - acha aishi baat hai to chal ushe phone laga aur yahan bula phir jagu agni ko phone lagata hai , agni ish waqt sp ke office me aya hua tha kumar ke sath jab ushkii phone kii ghanti bajti hai to agni call riceved karta hai agni - haan bol jagu kya baat hai rocky - jagu nahin me bol raha hun agni agni - koun rocky? rocky - haan agni me rocky bol raha hun agni - tu wahan kya karr raha hai aur jagu kahan hai rocky - fikr matt kar abhi takk jinda hain tere dost magar kab takk rahenge ye nahin keh sakta agni - dekh rocky agar mere doston ko kuch hua to tujhe jaan se maar dunga rocky - to phir jaldi collage aja agar late kiya to tere doston ke sath sath teri


janeman varsha ko bhi nahin chodunga , ye bolke rocky phone disconect karr deta hai sp.satish - kya baat hai agni agni - sir rocky apne gundon ke sath collage pahunch gaya hai aur mujhe bulaya hai agar me nahin gaya to wo mere doston ko maar dalega aur varsha ko bhi sp.satish - ek kaam karo agni tum jaldi se collage ke liye niklo aur me police force ke sath wahan jaldi pahunchta hun phir agni fouran kumar ke sath collage ke taraf nikal padta hai yahan collage me rocky agni se baat karne ke baad - rocky - agni araha hai tabb takk tum log maar khao , maro inn dono ko aur itni maro kii dono ayinda kabhi apne peron par chal na paye phir bohut se gunde tutt padte hain deva aur jagu ke upar unhe marne lagte hain , deva aur jagu bhi unn se hathafai karte hain lekin tikk nahin pate hain wo sare gunde unke upar hawiii hojate hain aur wo sab buri tarah se deva aur jagu ko marne lagte hain
 
  • Like
Reactions: Brshashi

Captain Jack Sparrow

Not all treasure is silver and gold, mate.
Staff member
Sectional Moderator
Supreme
5,072
11,987
174
update 118

agni aur kumar dono tejise bike chalate hue collage ke taraf badh rahethe wahin rocky deva aur jagu ke upar apne addmiyon ko chodke varsha ke taraf badh raha tha varsha aur raaz dono wahan kuch dur pe hii bethe hue the aur rocky ko apne taraf atte hue dekh rahe the aur dekhte hii dekhte rocky unke najdik bhi pahunch jata hai rocky - helloooo varsha darling kesi ho varsha - jaban sambhal ke rocky raaz - abe oye koun hai tu aur varsha se ijjat se baat karr nahin to rocky - nahin to kya karlega be tu


raaz - lagta hai tujhe patta nahin hai tu kiss se baat karr raha hai , ish collage ka boxing champion hun me agar mera ek punch tujhpe padd gaya na to tu sale hos- pital pahunch jaega rocky - beta bhikh me mili hui jiit pe itna itrana thik nahin hai nahin to jor ka jhat- ka bohut joron se lagega samjhe , chal yahan se chup chap khisak le nahin to bohut pitega raaz - kya bola be tune bolke raaz rocky ke upar marne ke liye jhapata marta hai lekin dushe hii pal ushke chehre pe ek jordar punch padta hai jish se wo niche gir- jata hai aur jab raaz upar dekhta hai to patta hai kii ushke samne john khada tha aur ye punch ushine mara tha rocky - thanxxxx john mere bhai tu ish ko sambhal me ish varsha ko sabak sikhata hun ishke wajah se mujhe collage se nakala gaya tha varsha - khabardar rocky agar tu age badha to rocky - me to aaj wo karunga tere sath jo pichli baar karte karte reh gaya tha aur aaj tujhe mujhse koi bhi bacha nahin sakta wo tera majnu agni bhi nahin

varsha - dekho rocky me tumse phirse keh rahi hun jahan ho ahin rukk jao varna acha nahin hoga lekin rocky varsha ke baton ko ansuna karke age badhta rehta hai aur idhar deva jagu aur raaz kii buri tarah se dhulai ho rahi thi rocky varsha ke taraf ek ek kadam age badha raha tha wahin varsha ek ek kadam piche le rahi thi phir varsha collage ke diwar se ja chipak tii hai aur piche hatne ke liye aur rashta nahin tha abb rocky bilkul ushke samne ajata hai aur phir wo varsha ke dupatte ko khich leta hai tabhi piche se ek awaz atta hai rockyyyyyyyyyyyyyy aur jab rocky piche palatta hai to dekhta hai agni collage campus me ghush chuka hai rocky - kya baat hai yahan laila kii dupatte ko khincha gaya aur wahan majnu agaya bohut ache , koi baat nahin varsha darling pehle tere majnu se nipat leta hun phir tujhse bhi nipat lunga agni aur kumar dono collage campus me ghush chuka tha aur dono andar atte hain to dekhte hain jagu aur deva dono maar khaa rahe the aur raaz bhi maar kha raha tha aur rocky varsha ke sath batamizi karr raha tha aur ye sab dekh ke agni ko bohut gussa ajata hai


ye sab nazara dekh agni ko bohut gussa ajata hai aur wo apne appe se bahar ho- jata hai ushki ankhon ka rang badal ne lagta hai aur dekhte hii dekhte ushki ankhon ka rang nila(blue) hojata hai aur phir agni ek khatarnak tarikese dahadta(chilata) hai jish se puri collage kuch waqt ke liye hill jata hai aur phir agni age badhta hai aur jo bhi ushke samne atta hai wo ushe marne lagta hai ek ek punch me rocky ke bade bade gunde dher hojate hain aur ye nazara dekh rocky tains hojata hai aur apne sare gundon ko ek sath agni se ladhne bhej deta hai deva jagu aur raaz ko jo gunde maar rahe the wo bhi agni ke taraf chal dete hain aur phir sangita saniya aur varsha ake inn teeno ko uthati hain saniya - tum log fikr matt karo abb agni yahan achuka hai aur ushka ankhon ka rang bhi badal ke nila ho chuka hai , abb unn logon kii khair nahin deva & jagu - kyaaaaaaaaa agni ke ankhon ka rang nila ho chuka hai , nahin aisha nahin hona chahiye raaz - kyun kya hua jagu - tumhe yaad hai na ushne pichli baar kya kiya tha agar ish baar bhi aisha kuch hua to bohut bada lafda hojaega aur agni buri tarah se fass jaega

rocky ke sare gunde agni ke sath bhidd chuke the lekin agni ko koi bhi kabu nahin karr paraha tha , agni unn sabko buri tarah se marta pit ta hua age badh raha tha agni ka ek ek punch itna bhari hota tha kii ek ek gunda bohut dur jake girte the aur dher hojate the agni ko rokna abb namunkin sa lag raha tha wo to jese khun ka pyasa hochuka tha kuch der pehle takk jahan rocky ke pass bohut sare anginat gunde the abb sirf kuch ginti bharke hii reh gaye the jo abb agni ke najdik jane se bhi darr rahe the aur jab agni dahadta tha to inn gundon kii darke mare aur bhi phatt jati thi jahan pe kuch der pehle sara khel rocky aur john ke hath me tha abb sara khel badal chuka tha aur unke hathon se nikalta hua dikhai de raha tha aur ye sab dekh rocky aur john dono hii tains hochuke the aur phir rocky kii nazar padti hai varsha ke upar aur phir wo john ko apne sath leke varsha ke taraf badh jata hai aur varsha ke upar kabu karleta hai aur varsha ke mathe pe gun lagake chilatta hai rocky - agniiiiiiiii rukja nahin to teri laila ko goli mardunga agni varsha ke upar gun tana hua dekh wo aur bhi gusse me ajata hai agni - rocky chod de varsha ko jaan hai wo meri , chod ushe nahin to tere sarir ke


itne tukde karunga kii nark me betha hua yamraaz bhi kamp uthega aur kampte hue kahega kii kiss hewan ne tera ye haal kiya hai rocky - nahin me varsha ko nahin chodunga aur agar tu normal nahin hua to ishe goli marne se bhi piche nahin hatunga chahe tu mujhe baad me maar hii kyun na de aur phir rocky john ko ishara karta hai aur john ek chaku se varsha ke hath ko thoda sa kaat deta hai jish se varsha ke muhn se ek dardnaak chikh nikalti hai agni - rocky chod de varsha ko rocky - pehle tu normal ho aur apne ghutno ke bal hamare samne beth ja phir var- sha ko chod denge varsha ko takliff me dekh agni ke ankhon me asu ajate hain aur wo dhire dhire nor- mal hojata hai ushke ankhon ka rang pehle jesa kala hojata hai aur phir agni rocky aur john ke age apne ghutne tekk deta hai rocky - kya baat hai mere aaj ke yug ka majnu tu to sach much hii apni laila ke liye apni jaan deneko taiyar hai ae john tu sambhal jara ish varsha ko me ish agni se nipat ta hun

phir rocky varsha ko john ke hathon me deke agni ke taraf badh jata hai ushke hathon me ek steel kii moti sii pipe thi aur agni ke pass pahunchte hii rocky pehla baar karta hai agni ke sir ke upar yahan agni ke sir pe rocky pehla vaar karta hai aur wahan chikh nikalti hai varsha , jagu , deva , sangita , saniya , raaz , kumar ke muhn se sabhi age badhne kii koshish karte hain lekin unhe age badhne se rokk dete hain rocky ke bache hue gunde aur phir to rocky aur john dono milke agni ke upar vaar pe vaar karne lagte hain , rocky ke hath me ek moti sii steel pipe thi aur john ke hath me ek steel kii talwaar dono milke agni ke upar vaar pe vaar karte hii jarahe the agni ke sarir ke har ek jagah se khun beh raha tha ushke sarir ke har ek jagah pe talwar se vaar kiya gaya tha phir agni ke per ladkhadane lagta hai aur wo dham se niche zameen pe girr jata hai , agni ka khun maidan ke charon aur faila hua tha aur agni khun se latpat niche zameen pe pada hua tha yahan agni ke sare dost bilkul bebas the aur ye nazara dekh rahe the magar kuch bhi karr nahin paa rahe the sabke ankhon me asu the sabse jyada varsha ke ankhon me rocky aur john dono apne hath me do talwar liye agni ke taraf phir se badhne lagte hain aur dono jese hii vaar karne ko hote hain ek goli atti hai aur john ke hath me


lagti hai jish se john ke hathon se talwaar niche girr jati hai aur jab sab ush taraf dekhte hain jish taraf se goli ayi thi wahan police kii ek tukdi khadi thi aur sabse age sp satish tha wo sab tejise atte hain aur rocky john aur ushke gundon ke upar kabza karlete hain ish bich agni ke sare dost agni ke pass achuke the aur agni ko utha rahe the varsha agni ke sarir me apna dupata lapet leti hai jish aur jyada khun na behne pae idhar police rocky aur john ko arrest karke le jarahi thi tabhi rocky ko age ek lohe ka bada sa salhia dikhai deta hai jish se jameen khod te hain aur wo sochta hai - agni bhale hii me tujhe maar nahin paya lekin ish salhia se me varsha ko mardunga aur agar varsha margayi to tu apne aap hii mar jaega me janta hun phir rocky jese hii ush salhia ke najdik pahunchta hai wo unn police walon ko dhaka deke wo salhia utha deta hai aur varsha ke taraf nishana lagake phenk deta hai aur ye agni dekh leta hai varsha ushike bagal me khadi thi , agni varsha ko age jake dhakel deta hai jish se varsha niche jameen pe girr jati aur bach jati hai lekin agni ush salhia ka nishana banjata hai wo salhia agni ke sarir ke aar paar ho- jata hai aur agni ek dard bhari chikh ke sath wahin niche zameen pe girr jata hai ______________
 
  • Like
Reactions: Brshashi

Captain Jack Sparrow

Not all treasure is silver and gold, mate.
Staff member
Sectional Moderator
Supreme
5,072
11,987
174
Update - 119


Ab Tak - phir rocky jese hii ush salhia ke najdik pahunchta hai wo unn police walon ko dhaka deke wo salhia utha deta hai aur varsha ke taraf nishana lagake phenk deta hai aur ye agni dekh leta hai varsha ushike bagal me khadi thi , agni varsha ko age jake dhakel deta hai jish se varsha niche jameen pe girr jati hai aur bach jati hai lekin agni ush salhia ka nishana banjata hai wo salhia agni ke sarir ke aar paar ho- jata hai aur agni ek dard bhari chikh ke sath wahin niche zameen pe girr jata hai Ab Age - rocky ke ish harkat par sp ko bohut gussa atta hai aur wo apna gun nikal ke sidhe rocky pe fire kardeta hai aur sp ke gun se nikli hui goli sidhe jake rocky ke dimag ko chalni karte hue bahar nikal jati hai aur rocky wahin dum todd deta hai agni ko ushke dost fouran wahan se uthate hain aur hospital ke taraf le chalte hain , deva , jagu , kumar , raaz , varsha , sangita , saniya aur sp sabhi agni ko leke jaldi se hospital pahunch jate hain hain agni bohut buri tarah se injured tha ushke jism me koi bhi ek aisha jagah nahin tha jahan se khun na beh raha ho wo lohe ka salhia agni ke dil ko chalni karchuka tha agni puri tarah se khun se latpat tha jab doctor's ne agni ko ish halat me pehli baar dekha tha to wo sab bhi kamp gaye the darr ke mare lekin unhone himmat karke oparation suru karte hain ish waqt sabhi ke halat bohut kharab the sabse jyada teen logon kii halat bohut


jyada kharab thi aur wo the jagu deva aur varsha inn teeno kii ankhon se asu band hone ka naam hii nahin lerahe the varsha to agni ka hath collage se hospital takk pakde hue hii ayi thi ushne agni ke hath ko ek pal ke liye bhi nahin choda tha sp - tum logon ko agni ke ghar pe phone karke bata dena chahiye jo hua hai deva & jagu - hum me itni himmat nahin hai sir agni ke gharwalon ko ye sab batane ke liye , jab unhe patta chalega to me nahin janta unki halat kya hojaegi wo sab agni ko apni jaan se bhi jyada pyar karte hain sp - lekin batana to padega hii kumar - me phone karke bata deta hun phir kumar agni ke ghar pe phone karke sari baten bata deta hai , aur jesa jagu aur deva ne socha tha wesa hii hota hai agni kii khabar sunke unn sabki halat bohut khasta hojati hai aur sab fouran hospital ke liye nikal padte hain kuch der baad agni ke gharwale hospital pahunch jate hain jab agni kii maa agni ko oparation theater ke bahar se ish halat me dekhte hain to wo behosh hojati hain ye dekh sabhi aur pareshan hojate hain aur ye sara nazara dekh varsha ko aur bhi takliff hone lagti hai

sabhi agni ke maa ko hosh me lane kii koshish karte hain aur kuch der me wo hosh me aaa bhi jate hain , aur unke hosh me aate hii sabse pehle nazar padti hai varsha ke upar aur agni kii maa gusse se varsha se kehti hain agni's mom - tu kya karr rahi hai yahan pe abhi bhi tera dil nahin bhara hai abb kya chahti hai agni ko marte hue dekhna chahti hai tu , mene tujhe apni beti mana tha tujhe apne ghar me nahin apne dil me jagah diya tha lekin tune kya kiya mere bete ko hii nigal gayi chali jaa yahan se nahin to teri wajah se mere bete ko khuch ho jaega chali jaa mere najron se dur nahin to me apni appa kho dungi chali jaa ye sab sunke varsha ka dil purri tarah se tutt jata hai aur wo bhagti hui roti hui wahan se chali jati hai kuch der me varsha apne ghar pe pahunch jati hai aur pahunchte hii sidhe apne bedroom me chali jati hai aur darwaza andar se band kardeti hai aur takiya me muhn chapake rone lagti hai aaj ushka dil bohut hurt hua tha pehle agni ke ish halat ke jimedar wo khud ko manti thi aur dushri agni kii maa jinhe varsha apni maa kii darja deti thi unke dwara kahe gaye wo shabd abb bhi ushke kano me gunj rahe the varsha roye hii jaa rahi thi inn sab baton me wo itni kho chuki thi kii ushe phone ka ring ka bhi pata nahin chalta hai bohut der takk phone bajta hii rehta hai phir jab varsha kii nazar phone pe padti hai to dekhti hai kii ushke papa ka phone hai to wo apne asuon ko pochte hue phone uthati hai


varsha - haan papa boliye papa - kya baat hai beta sab kuch thik hai naa phone uthane me itna let kyun hua varsha - wo papa mene phone silent mode pe daal diya tha ish liye pata hii nahin chala varsha ke ladkhadate hue awaazon se varsha ke papa samajh jate hain kii koi prob- lem hai papa - beta tu mujhse jhut bol rahi hai me janta hun teri juban tere baton ka sath nahin derahi hai chal mujhe bata baat hai kya phir varsha aur apne aap ko sambhal nahin pati hai aur rone lagti hai aur apne papa se kehti hai varsha - papa aaj meri wajah se agni ke sath bohut bura hua hai , aaj meri hii wajah se agni mout ke muhn me hai mene hii jane anjane me agni ko mout ke muhn me dhakel diya hai papa aur aunty bhi mujhse naraz hogayi hai mujhse unki narazgi sahi nahin jarahi hai papa aaj me puri tarah se tutt gayi hun papa plzzzz yahan chale ayiye nahin to

aap kii beti puri tarah se bikhar jaegi papa plzzzz chale ayiye varsha ke papa ke ankhon me asu ajate hai apni beti kii dardbhari baten sunke phir papa - beta hua kya hai mujhe ache se bata phir varsha apne papa ko sari baten bata deti hai abb bhi ushke ankhon se asu bahe jaa rahe the wo rukne ka naam hii nahin le rahe the papa - beta tu apne aap ko sambhal kuch bhi nahin hoga agni ko aur me pahunch raha hun tere pass bohut jaldi aur idhar hospital me agni ka oparation jari tha , oparation theater ke bahar khade sabhi agni ko glass ke door se thoda thoda dekh rahe the sabhi ko agni kii chinta thi koi bhi uss ot ke bahar se hil bhi nahin raha tha oparation bohut samay takk chalta raha aur phir akhirkar oparation theater kii red light off hoti hai aur light off hote hii sabhi apne jagah se uth khade hote hain doc- tor ke bahar nikalne ke intejar me phir doctor bahar nikalte hain aur doctor ko bahar nikalte hue dekhte hii sabhi


unke pass chale jate hain agni's papa - doctor kesa hai mera beta wo thik to hai naa agni's mom - haan doctor bataiye kesa raha oparation mere bete ko hosh kab ayega doctor - dekhiye humse jo hoskta tha humne kardiya hai baki sab uparwale ke hath me doctor ke muhn se aishi baten sunke sabhi socked hojate hai aur sabhi ek sath kehte hain , kya matlab hai aap ka doctor - dekhiye unke sarir me ek bhi aishi jagah nahin hai jahan jakham na ho aur wo salhia unke dil ke aar paar nikal gaya hai aur itne sare jakhmo ke wajah se unka bohut sara khun beh chuka hai lagbhag jism ka sara khun beh chuka hai abhi bhi unki sansen chal rahi hai yehi bohut badi baat hai lekin kab takk chalegi ye nahin keh sakta abb sayed koi chamatkar hii unhe bacha sakta hai , ye bolke doctor wahan se nikal jata hai doctor to wahan se nikal jata hai lekin wahan moujud baki sabhi ke hosh udd chuke the sabke dilon kii dhadkan bohut tejise doud rahe the aur sabhi ke ankhon me phirse asu achuke the

agni kii maa ke sanse up down hone lagti hai ye khabar sunke unki halat aur
kharab hone lagti hai aur wo ladkhadate hue girr jati hain behosh hojati hain
 

Captain Jack Sparrow

Not all treasure is silver and gold, mate.
Staff member
Sectional Moderator
Supreme
5,072
11,987
174
Update - 120

ish waqt rahul aur ali khan dono apne kamre me dhyan pe bethe hue the aur kuch waqt baad pure kamre me ek tez roshni fel jati hai aur ye roshni itni tez thi kii ali khan aur rahul dono kii ankhen ish roshni ke karan band hojati hai aur kuch waqt baad jab dono apni apni ankhen kholte hain to paten hain kii unke samne guru bramhanand kii parchai khadi hai gurujii - kya baat hai ali khan aap ne hume kyun yaad kiya ali khan - gurujii humne aap ko ishliye yaad kiya kii aap ko bata saken kii hamara plan kamyab raha aur agni ishwaqt mout aur zindagi ke bich jhul raha hai aur kisi bhi waqt wo ish duniya ko chod ke jaa sakta hai gurujii - ye to bohut hii achi khabar sunaya hai aap ne ali khan


ali khan - jii gurujii aur ish kamyabi ka asli haqdar rahul hai kyunkii ye plan ishine banaya tha rahul ne hii rocky aur john ko apas me milwaya tha aur dono ko agni ke khilaf apni apni dushmani nikalne ke liye bhadkaya tha aur ushine ye bhi idea diya tha kii agar agni ke upar kabu na karr pao to varsha ko dhal kii tarah istemal karna takii agni tum logon ke samne haar maan jaye aur phir tum dono ushe maar dena aur ye plan kamyab bhi raha rocky aur john dono ne rahul ke ish plan ko bakhubi anjam diya gurujii - bohut badhiya plan banaya tha tumne rahul , aaj se thik 500 saal pehle samrat bhi ishidin maragaya tha aur aaj hii ke din agni bhi mara jaega aab me san- tust hun kyunke agni ke marne ke baad samrat ke wapas loutne ka koi bhi mouka nahin bachega ali khan - haan gurujii aap ne sahi kaha rahul - haan gurujii aur ish ladhai me bhi jiit hamari hui gurujii - abhi nahin rahul

rahul - kya matlab gurujii me kuch samjha nahin gurujii - rahul abhi bhi agni jinda hai mara nahin hai rahul - aap fikr mat kariye gurujii agni abb jyada der takk jinda nahin rahega bohut jald ushki sansen band hojaegi gurujii - haan wo to thik hai lekin ek aur khatra abhi bhi hai ali khan - wo kya hai gurujii abb kounsa khatra hai gurujii - dark force wale , agar agni marr bhi jata hai to wo ushki lash ko hasil karna chahenge , ishliye tum logon ko abhi bhi musted rehna hoga aur jao agni ke aas pass raho aur ush par nazar rakho ali khan & rahul - thik hai gurujii phir ek baar aur ek tez roshni kamre me fel jati aur kuch der baad jab ali khan aur rahul apni apni ankhen kholte hain to pate hain kii gurujii kii parchai jaa chuki hai , wo dono apni apni jagah se uthte hain aur kamre se bahar nikal jate hain


Idhar hospital me - abhi raat ke 10.00 baj rahe the aur hospital me abhi bhi sabhi agni ke apne moujud the agni ke sare gharwale ushke sare dost aur varsha bhi moujud thi aur varsha ke sath ushke papa aur maa moujud the , aur ish waqt var- sha ke papa aur maa agni ke maa aur papa se baat karr rahe the varsha's papa - mujhe pata hai hamari beti se jo hua hai wo koi galati nahin gunah hua hai aur ushki saza ushe jaroor milni chahiye aur me ishe yahan aap logon ke pass leke aya hun takii aap sab ishe saza de sake varsha's mom - haan didi(varsha kii mom agni ke mom ko didi hii bulati thi) ye bilkul sahi keh rahe hain , agni kii aaj jo bhi halat hai ushki wajah kahin naa kahin varsha hii hai ishliye aap hii ishe saza dijiye varsha - plzzzzzz aunty mujhe datiye , mariye , ya mere sath kuch bhi kariye lekin plzzzz mujhse baat kariye aap kii ye chupi mujhse bardast nahin hoti , mene hame- sha aap ko apni maa kii jagah diya hai ishliye plzzzz mujhse naraz matt hoiye me janti hun mene agni ke sath bohut galat kiya ushke dil ko mene bohut chot pahunchaya hai , agni ko mene bohut dard diya hai lekin aaj mujhe ye samajh me agaya hai kii agni hamesha se hii sahi tha aur me galat jab aaj agni ko mere samne mara jaa raha tha to mujhe ehsaas hua kii me ushe apni jaan se bhi jyada pyar karti hun jab jab ushke upar ek ek maar pad rahi thi tab tab mere dil ko bhi dord ho raha tha

aaj agar agni ko kuch hogaya to me bhi jii nahin paungi aunty me bhi apni jaan de- dungi agni kii maa kuch bhi nahin kehte hain bass unke ankhon se asu behjate hain aur wo varsha ke taraf dekhte hain , agni kii maa ka dil bohut hii najuk tha wo kisise se bhi jyada der takk naraz nahin reh pati thi ishliye wo varsha ko apne sine se laga deti hain aur rone lagti hai agni's mom - bohut der hogayi hai beta aab agni ko hum bacha nahin sakte varsha - nahin aunty aap aishe matt kahiye , mera dil kehta hai agni ko kuch bhi nahin hoga wo bilkul sahi hojaega pehle kii tarah agni's papa - kash beta tumhari baat sach hojae aur hamara agni pehle kii tarah thik thak hamare pass lout aye varsha - mujhe bhagwan ke upar pura bharosha hai uncle wo hamare agni ko humse dur nahin karenge ye sabhi ishi tarah baat karr rahe the kii tabhi ek doctor unke pass atta hai aur kehta hai


doctor - aap sabhi akhri baar agni ko dekh lijiye sayed ushka akhri waqt agaya hai ye baat sunte hii wahan moujud sabhi ke hath per ek pal ke liye kamp uthte hain aur phir sabhi tezise i.c.u kii taraf bhagte hain jahan agni admit tha sabhi i.c.u me ghuste hain aur agni ko dekhne lagte hain , agni ishwaqt bed pe leta hua tha aur ushke jism ke harr ek jagah patiyan bandhi hui thi aur ushke bed ke pass ek machine thi jisme ek moniter tha aur ush moniter me tedhi medhi lakire chal rahi thi sayed ye machine ye dikha raha tha kii agni kii sansen abhi bhi chal rahi hai sabhi ke ankhon me asu the , deva aur jagu dono agni ke pass pahunch jate hain aur ushe jagane lagte hain deva & jagu - abe agni uthna , uthna sale kyun bhav kha raha hai yaar chal uth jaa yaar dekh sab kitna pareshan hogaye hain , uthjaa yaar plzzzz dekh tere bina hum dono ka kya hoga , plzzz uthja yaar nahin reh sakte hum tere bina , plzzzz uthjaa yaar uthjaa lekin agni ke upar inn sab baton ka koi bhi asar nahin hota hai wo bilkul shant apne bed pe pada hua tha varsha - agni agni dekho me ayi hun yahan me yahan tumse ye kehne ayi hun kii

me tumse bohut pyar karti hun aur tumhe khona nahin chahti hun me pehle bhi ek apne ko kho chuki hun apni jahan didi ko abb tumhe khona nahin chahti plzzzz uthjao agni plzzzzz uthjao varna me apni jaan lelungi plzzzz uth jao agni plzzz uthjao i love u agni i love u varsha bhi bohut koshish karti hai agni ko uthane kii lekin varsha kii baton ka bhi koi asar nahin hota agni ke upar aur phir varsha rote hue i.c.u ke bahar chali atti hai aur phir sabhi ek ek karke agni ko uthane kii koshish karte hain lekin kisike bhi baton ka agni ke upar asar nahin hota hai aur phir kuch der baad wo hota hai jo nahin hona chahiye tha agni ke bed ke bagal me rakhi hui wo machine jo moniter pe tedhi medhi line dikha rahi thi wo dhire dhire karke ek simple sidha line banjata hai jise dekh ke doctor agni ke bagal se sabko hatate hue agni ke pass jate hain aur ushkii hathon kii navz check karte hain doctor - kapde se agni ke pure sarir ko dhak ke , i am sorry par agni abb nahin raha , phir to i.c.u me ek bhukamp hii ajata hai sabhi ke rone kii awaaz atti hai bahar deva aur jagu dono apne muhn pe hath rakhke i.c.u ke bahar ajate hain aur ek kone me khade rone lagte hain wahin thodi dur pe khadi varsha ye dekh leti hai aur dono ke pass ajati hai


varsha - kya hua tum dono ish tarah kyun ro rahe ho aur i.c.u me shor kesa deva - rote hue , chala gaya wo hum sab chod ke itna sunte hii varsha puri tarah se hill jati hai aur phir wo apne aap ko sambhalte hue i.c.u kii taraf bhagti hai lekin tab takk bohut der ho chuki thi , jab wo i.c.u me pahunchti hai to dekhti hai kii agni ke sarir ko dhak diya gaya hai wo age dhire dhire badhne lagti hai varsha's mom - beti sabkuch khatam hogaya hai abb agni nahin raha chala gaya hum sabko chodke wo varsha apne ankhon me asu liye agni ke pass jaa pahunchti hai aur agni chehre ke uparse kapda hata deti hai aur agni ko dekhne lagti hai aur rone lagti hai aur phir ek dardnaak chick varsha ke muhn se nikalta hai aur wo wahin agni ke sine ke upar apne sir rakh ke rone lagti hai bohut der takk rone ke baad varsha behosh hojati hai agla din dopehar ka waqt - agni ke ghar pe aaj bohut bhidd thi agni ke sabhi rishtedar sabhi dost sabhi apne ushe akhri vaar dekhne aye the agni ish waqt ek safed kapde me lipta hua arthi me soya hua tha ushke sarir ke upar bohut se phul mala arpit kiye gaye the ushke sabhi dost ushke sabhi rishtedar agni ko akhri vaar dekh rahe the ushke antim sanskar se pehle

varsha ek kone me bethi hui thi ushke muhn se ek awaaz bhi nahin nikal rahi thi aur wo agni ke hii taraf dekh rahi thi ushke ankhon se asuu rukne ka naam hii nahin lerahi thi ishwaqt agni ke ghar pe sabhi kii halat ek tarah ka hii thi sabhi ke ankhon me asu the , kisike bhi ankhon me banawati asu nahin the kyunke sabhi agni se bohut pyar karte the kyunke agni ne sabki madad kiya tha kabhi naa kabhi ishliye sabhi ushe sache dil se chahte the aur phir wo waqt bhi agaya jab agni kii bidayi ka waqt , agni ke arthi ko sab uthate hain aur chal dete hain shamsan kii taraf , agni ke arthi ko uthate hii sabhi ke ankhon se aur joron se asu nikalne lagti hai inn sabme varsha kii halat bohut buri thi aur agni kii maa kii bhi aaj seher ka mousam bohut hii bura tha ashman me kale badal ghire hue the , shamsan seher se thodi duri pe tha jese hii agni ke arthi ko leke sab shamsan me ghuste hain to tez barish suru hojati hai aur dekhte hii dekhte ye barish tufan me badal jati hai aur ye tufan rukne ka naam hii nahin leraha tha ishliye sabhi yahi de- cide karte hain kii agni ke sarir ko jalane ke wajah dafnaya jaye wese bhi agni ko abhi 18 saal pure nahin hue the ishliye sabhi yahi kehte hai agni ko dafnaya jaye phir kuch log milke ek bohut bada gadha khod te hain , 20fiit gehra gadha khoda jata hai aur phir agni ko ush gadhe me dala jata hai aur ek baar fir agni chehre se


kapda hataya jata hai agni ka chehra sab akhri baar dekhte hain aur phir kapda phirse dal diya jata hai aur sab ek ek karke ushke upar mitti dalte hain aur phir dekhte hii dekhte wo gadha mittiyon se bharr diya jata hai aur phir sab apne apne ghar lout jate hain apne apne ankhon me asu liye
 
  • Like
Reactions: Brshashi
Top