• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Archmage Ke Adventure

Yes or No

  • Total voters
    3
  • Poll closed .

I AM JD

बलस्य मूलं विज्ञानम्
252
1,920
139
Coming Soon.....⚔️

45bf55d2fb472b852212cc3529d11c6d
Monday.
Thursday.
2 Updates per Week.

Time-10PM-12AM
 
Last edited:

I AM JD

बलस्य मूलं विज्ञानम्
252
1,920
139
Chapter 1

Abhi midnight ka time chal raha tha.

Gladstone city jo north mei bhi northwest side mei thi aur us city mei thi ke Lower Magic Academy of Flemmings. Uske third floor ke darkest corner mei 309 number ka ek apprentice ka room tha.

Abhi us room mei ek medium size bed par koi soya hua tha. Suddenly us person ne jaldi se uske upar jo blanket tha use udaa kar side mei kar diya. Yeh person ek young ladka tha jo apne mid teen age mei tha aur abhi apne bed par uth kar baitha hua tha. Uske room mei moonlight window ke glass mei se cast hote hue uske face par pad rahi thi.

Yeh main kaha par aa gaya hu ? Kya main sach mei kisi aur world mei hu ?

Abhi vo ladka yeh sab soch hi raha tha ke suddenly uske sir mei pain hota start hua aur last 17 years ki saari memories uske close hui aankho ke samne flash hone lag gayi. Jab kuch time ke baad us ladke ke seer mei hone wala pain kam hua toh usne apne aap ko dekhte hue kaha.

"Toh yeh World of Firmoon hai ? Yaha ke logo ke mutabik is world mei Darkness fail rahi hai, Gods maare jaa rahe hai. Par yeh kaise ho sakta hai. Yeh world toh ek famous writer ke magic novel ka hai aur sone se pehle main is novel ke last chapter ko read kar raha tha. Toh main yaha par Trasmigrate kar gaya hu. Par aisa kaise ho sakta hai ?"

Yeh ladka tha Raj, Raj waise toh apne flat mei rehta tha aur ek corporate comany mei job karta tha. Yeh job Raj ko uske collage placement mei mili thi. Raj ek orphan tha aur is wajah se apne flat par bhi vo akela rehta tha. Raj ki kai saari hobbies thi, jinmei se ek thi Fantacy novels ko read karna aur games khelna.

Yaha trasmigrate hone se pehle Raj ek fantacy novel ko read kar raha tha jiska naam tha Legend. Yeh kaafi famous novel thi jisne market mei aate hi aag laga di thi. Iski world building aur magic sab se achha tha. Last night raj ne iske first book ko end kiya tha. Yeh book series mei release hone wali thi aur abhi is book ke series ka first part hi release hua tha. Is fist book ka villain tha Lord of The Deep, Nozoma.
Nozoma ek mighty Demi-God tha. Mortal Realm mei vo Dark Army ke 3 overlords mei se ek tha. Legend novel mei jo protagonist tha uske aur Nozoma ki first book ke last chapter mei kaafi intense battle hui thi. Yeh protagonist abhi Archmage level par tha aur uski strength bhi Nozoma ko rival kar rahi thi. Is battle ka end aate aate protagonist ke side par pehle jo 110 mages aur warriors the vo sabhi maare jaa chuke the aur ab vo protagonist akela bacha hua tha. Par dusri side ki taraf bhi condition koi achhi nahi thi. Nozoma bhi puri tarah se weak ho gaya tha.

Dono bhi kaafi weak ho gaye the aur ussi time par us protagonist ne apni sword ko uthaya aur apne magic ko release karne lag gaya. Yeh ek divine level ki spell thi aur uske effect mei yeh protagonist 5 seconds ke liye temporarily invincible ho gaya tha.

Un 5 seconds mei vo protagonist apni sword lekar Nozoma ki taraf badh gaya aur wahi dusri taraf Nozoma ne jab yeh dekha toh usne bhi apne ultimate magic Death Finger ko use kiya.
Dusri taraf protagonist ne God's Light ki spell ko apni sword par cast kiya hua tha aur vo sword ab golden light ke saath shine karne lag gayi thi.
Jaise hi protagonist aur Nozoma aamne saamne aaye waise hi dono ne ek dusre par strike kiya.

Jaha us protagonist ne apni sword ko Nozoma ke heart mei ghusa diya tha wahi Nozoma ne bhi apne Death Finger se us protagonist ke chest mei ek hole bana diya tha.

yahi par Legend series ki first book end ho rahi thi aur Raj use completely read kar ke so gaya tha.

Sone ke baad use ek ajeeb sa dream aaya tha jismei ek kaafi dim light ball ud raha tha. Us light ball ne usse yeh kaha tha ke vo Legion of Light se hai aur vo World of Firmoon ka God of Light hai. Par World of Firmoon mei Dark Forces kaafi powerful ho gayi thi aur us wajah se us god of light ki powers bhi kaafi kam ho gayi thi. Vo God of Light abhi Raj ke samne tha aur usse apne world ko bachane ke liye keh raha tha.

Raj ko yeh koi dream lag raha tha aur usne aise hi sab kuch sunne ke baad apne seer ko haan mei hilaya aur us light ball ko touch kar diya.
Uske aisa karne ke baad vo ab World of Firmoon mei transmigrate ho gaya tha.

Silver Moonlight mei Raj apne room ko achhe se dekh sakta tha.

Yeh room naa zyada bada tha aur naa hi zyada chota. Yeh kuch 100 square feet mei bana hua tha. Window ke side mei ek bookshelf aur ek chair rakhi hui thi. Ek single bed wall ke against laga kar rakha hua tha aur uske side mei ek storage chest tha.

Us bookshelf mei 3 books rakhi hui thi. Jab Raj ne un books ko dekha toh usne unhe ek pal mei hi pehchan liya tha. Un books ke naam the, Elemental Magic, The World's Equilibrium aur Light and Dark. Yeh tino books academy ke library ke basic learning materials mei se ek the.
Iske baad Raj ke mind mei aur bhi kaafi saari memories aana start ho gayi thi. Abhi Raj jiske body mei tha vo Eastern Dunes of Norton Kingdom ke small Baron ka beta tha. Abhi Raj currently apne Late Teenage mei tha. Raj ne is magic academy ko join kiye hue half year ka time hua tha aur usmei bhi usne sirf kuch basic tricks The Magician's Hand aur fireball jaisi spells ko learn kiya tha. Yeh sabhi level 0 ki spell thi.

Raj jiski body mei tha vo akela rehne wala person tha aur is wajah se use magic academy mei koi bhi naa ke barabar hi jaanta tha.

Lekin abhi Raj ke liye yeh sab baate utni important nahi thi.

Raj jaldi se apne bed se niche aaya aur usne jaldi jaldi mei apne shoes bhi nahi pehne. Bed se niche aane ke baad Raj jaldi se calander ki taraf chala gaya aur aaj ki date dekhne lag gaya.

Yeh Light Age ke Year 1056 ke 10th months ka 9th day tha.

Jab Raj ne yeh dekha toh vo kaafi shock ho gaya. Agar koi aur hota toh uske liye yeh ek normal din rehta, par aaj ki raat ke baad kuch bhi normal nahi rehne wala tha aur World of Firmoon ki history mei yeh din sabhi ko yaad rehne wala tha.

Aisa is liye kyo ki aaj raat mei Dark Elevs ki vanguard army successfully Gladstone city ko invade karne wali thi. Iske baad vo pure city ko destroy kar ke yaha ke sabhi humans ko maarne wale the. Is city mei abhi 150,000 log reh rahe the. Dark Elves yaha ke sabhi humans ko maar kar unki souls ko Dark Elves ki Goddess's The Spider Queen Lolth ko sacrifies karne wale the. Book mei jo likha hua tha agar use dekhe toh yaha se sirf 1000 humans hi survive karne wale the.

Sacrificial ritual ke baad Dark Elves sabhi humans ki dead bodies ko Glastone city ke river mei phek dene wale the. Uski wajah se river ka flow cut hone wala tha aur uska paani puri tarah se red hone wala tha.

Ek hi raat mei Gladstone city puri tarah se destroy hone wali thi.

Is incident ko book mei The Change of Blood Moon ka naam diya gaya tha.

Iske baad pure World of Firmoon mei wars start hone wale the. Even 20 years ke baad bhi yeh wars rukne wale nahi the. Balki yeh aur bhi badhne wale the.

Jab in sabhi ke bare mei Raj sochne laga toh vo kaafi tension mei aa gaya tha. Is body owner ki memories se use yeh toh pata chal gaya tha ke is body ke owner ko basic swordsmanship aur kuch basic fighting styles aati hai. Is wajah se Raj ne ek gehri saans chodi.

Par abhi Raj shanti se nahi baith sakta tha.
After all The Change of the Bloody Moon aaj raat ko hi hone wala tha.

Raj ne jaldi se apne pocket mei haat dala aur usmei se watch ko nikaal kar time dekhne laga. Is watch ko dwarves ne banaya hua tha. Watch ko opne karne ke baad vo andhere mei bhi halke se glow karne lag gayi jiske wajah se Raj easily time dekh sakta tha. Abhi watch mei 9:35 ho rahe the.

Time dekhne ke baad Raj ne apne aap se kaha.
"Dark Elves jaldi hi apna attack start karne wale hai. Mere paas 1 ghante se bhi kam time bacha hua hai."

Is raat mei Dark Elves ne sab se first blow diya hua tha. Vo pehle se hi Gladstone City mei chip kar aaye hue the aur book mei jo information thi use dekhe toh unhone city mei kaafi saare assassinations kiye hue the.

Book ke time dekhe toh yeh sab Dark Elves ne 10:30 ko start kiya hua tha jo pure ek ghante tak chalta raha.

Is ek ghante mei City ke almost sabhi leaders maare jaa chuke the yaa phir heavily injured ho gaye the. Jab Dark Elves ne apne main attack ko start kiya tab tak city ko bachane wala koi bhi nahi tha. Is wajah se Dark Elves ki army easily is city ko capture kar paayi thi.

Abhi Raj ke samne ek hi sab se bada sawal tha ke vo khud ko kaise bacahye ?

Abhi Raj apne room mej yaha se waha chal raha tha.

Raj ab kisi different world mei tha jaha par ek kaafi bada massacre hone wala tha. Agar vo sahi time par yaha se nikal nahi gaya toh morning yak uski dead body bhi Gladstone City ke river mei hogi.

Kyo ki Raj apne past life mei ek orphan tha is wajah se uska mind kaafi strong tha. Isne apne past life mei kaafi kuch dekha hua tha aur uski wajah se vo kisi bhi dangerous situation mei khud ko shant rakh sakta tha. Abhi bhi Raj ek safe plan me bare mei soch raha tha. Vo akela toh Dark Elves ko face nahi kar sakta tha. Agar use yaha se nikalna hua toh use baki sabhi students ki help chahiye thi.

Raj ne sab se pehle uske paas kya kya hai yeh dekhne lag gaya. Abhi Raj ke paas ek long knife aur ek sword thi.

Raj ne un dono ko jaldi se apne sath rakh liya aur jaldi se apne room mei se nikal kar baki sabhi students ke room ki taraf chala gaya unhe jaldi se jagane ke liye.

Dekhte hi dekhte usne ape floor ke sabhi students ko utha diya tha aur unhe aane wale danger ke bare mei bataya.

Sabhi ko pehle laga ke Raj unke saath koi mazak kar raha hai. Lekin Raj ke serous expressions ko dekh kar ab har koi uspar believe karneag gaya tha. Upar se Raj ke nature ke bare mei sabhi jaante the aise mei vo unke saath koi bhi mazak nahi kar sakta tha.

Yaha par har koi apprentice mage the aur unhe zyada koi powerful spells cast karne nahi aati thi. Lekin is sab ke baad bhi har ek student ne jaldi se apni apni wand ko apne saath rakh liya.

World of Firmoon mei mages aur warriors exist karte the. Usmei warriros aura technique ko use karte the toh wahi dusri taraf magicians magic gears ko use kar ke spells ko cast karte the. Ismei se sab se best magic gear wand thi.
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Smith_15 and RamanK

RamanK

New Member
12
14
4

Acchha tha.
Lekin yeh toh Jay Sutar Bhai ki story hain Naa.....?
 
Top