Update 13
Subha 10 baje Abhay ki maa ne suna ke Abhay ke kamre mein usska mobile baj raja hai magar woh nahin utha raha hai kayi baar. To Abhay ki mummy usske kamre mein gayi to dekha ke Abhay gehri neendh mein hai aur mobile baje jaa raha hai jo charge hone ke liye plugged hai. Weise to Abhay koyi 8/9 baje uth jata hai har roz magar usski mummy ko thodi heyraani huwi ke 10 baje the aur woh phir bhi gehri neendh mein tha, usski mummy ne Abhay ka phone jab tak liya tab bajna ruk gaya tha, to mummy ne screen par dekha 12 missed calls from Ananya. To sochne lagi ke yeh Ananya kaun hai Abhi ne kabhi kissi ladki ki zikr nahin ki uss se…..woh kuch fikarmand huwi aur wapas ghar ke kaam kaaj mein lag gayi magar mobile ko apne saath lekar……
Koyi 5 minute baad Abhay ka cell phir se bajne laga aur iss baar Abhay ki mummy ne phone liya, “Hello” Ananya chohonk gayi kyun ke woh bilkool nahin expect kar rahi thi ke kissi awrat ki awaaz sunegi….. Abhay ki mummy ki awaaz bilkool ek jawaan ladki ki awaaz ki tarah thi, to Ananya ne socha ke Abhay school mein hai aur wahan kissi ladki ne usska mobile liya, aur Ananya ne kaat diya……
Ab huwa ye tha uss taraf ke Ananya bilkool nahin soyi Abhay se baat karne ke baad. Subha ke 4.30 ko woh uthke toilet gayi phir usska papa jag gaya tha to kitchen mein rehkar chai banayi phir kamre mein gayi to sare paanch baj gaye the to woh Abhay ke khayaalon mein khoye rahe aur bilkool nahin soyi aur thodi der ke baad uthkar TV on kardi aur dekhne lagi subha subha….. Phir subha ke 8 baje ussne Abhay ko ek message send kiya yeh likh kar,
“Ab utho Abhi class lene jana hai, mere wajah se tum raat ko der se soye, isske liye mujhe maaf karna, main to bilkool nahin soyi hoon, socha ke tumko jaga doon tab sojawungi, mujhe to sham ko class mein ana hai nah to din ke 1 baje tak sowungi, ab jaldi se utho aur mujhko batawo ke uth gaye ho tab main sone jawungi.”
To ab Ananya ko ghussa araha tha ke woh usske liye abhi tak soyi nahin aur Abhay dusre ladkiyon ke saath class mein gulcharre uda raha hai, Ananya ne khud se kaha “woh ladki usske itna kareeb hai ke ussne usska call liya aur “Hello” kiya abhi batati hoon main ussko!” Yeh kehkar Ananya ne phir Abhay ke number ko dial kiya, to Abhay ki mummy ne phir phone lekar kaaha, ‘Hello kaun hai?” To Ananya laal peeli hokar kaha, “Pehle tum batawo ke tum kaun ho, kiss haq se tumne Abhay ka phone uthaya? Kahan hai woh ussko phone do jaldi se aur khabardaar jo phir kabhi usske cell ko haath bhi lagayi to!” Abhay ki maa sab samajh gayi ke yeh ladki ussko koyi aur ladki samajh rahi to ussne bhi socha chalo iss se zara mazaa lete hein issi bahane pata chal jaega ke yeh hai kaun! Phir Abhay ki mummy ne Ananya ko jawaab diya, “kyun tum kaun hoti ho mujhe Abhay ke phone lene se mana karne wali? Kyun nahin lun main usska phone, main to aksar usska phone leti hoon aur reply bhi karto hoon!”
Yeh sunkar Ananya ne socha kahin woh reception wali ladki to nahin, phir kaha, “Kahin tum reception wali to nahin?” Mummy boli, “Nahin main reception wali nahin main to usske itna kareeb hoon jitna tum soch bhi nahin sakti, magar tum ho kaun?” Ananya ko yeh sunkar bahot ghussa aya aur socha ke Abhay kahin har ladki ke saath eisa hi to nahin karta jeise ussne usske saath kiya…kahin jhoot mooth ke uss se pyar ka naatak to nahin kiya phone par batein karte waqt…usske samaajh mein nahin araha tha ke kia jawaab dein uss ladki ko to uss se poocha, “Tum iss waqt Abhay ke class mein ho nah?” Abhay ki mummy ne mazaa lete huwe kaha, “Nahin main aur Abhi school mein nahin; hum donon to kahin aur hi hai aur hum donon aksar yahan hote hein!” Ananya ko bahot ghussa aya aur ussne phone kaat diya, bujha bhi diya cell ko aur apne
bed bar jaakar rone lagi. Khud ko kossne lagi ke kyun ussne Abhay par yakeen kiya, kyun uss ke jhoote pyar ke jaal mein phanss gayi woh, aur rote rote ussko neendh aagayi.
Udhar Abhay ki maa ko hanssi aayi aur fikar bhi huwa ke Abhay ki zindagi mein yeh kaun ladki agayi hai……. Ussne note kiya ke ek message hai jo nahin read kiya gaya hai, magar woh nahin chahti thi ke Abhay ka woh message read kare jo uss ne read nahin kiya hai phir bhi message box mein gayi purane messages ko dekhne to kal raat wale message dekhi jo Ananya ne ussko kiya tha aur jo Abhay ne ussko bheja tha, aur call register mein dekha ke subha ke 4.30 tak baat kiya hai donon ne……. Abhay ki maa sab samajh gayi ke donon pyar karte hein…..Magar sochne lagi ke kab aur keise itna achanak yeh ho gaya! Aur soch rahi thi ke kyun ussko Vinay aur Iqbal ne kuch nahin bataya!
Woh Abhay ka cell phone wapas rakhne gayi usske kamre mein aur usko jagaya bhi, Abhay nahin jaag raha tha to usski mummy ne ussko zor se hilla kar uthaya, jab Abhay utha angraayi lete huwe to apna cell ko turant liya tab usski maa ne bataya ke phone bahot baar baj raha tha to ussne liya aur dekhne ko …… magar ussko nahin bataya ke ussne Ananya se baat ki…..
Abhay ne Ananya ki message read kiya aur ussko afsos huwa ke bechari usska wait kar rahi hai sone ke liye aur yeh ab uth raha hai to ussne jaldi se Ananya ka number dial kiya magar uss taraf to mobile switch off tha…. To Abhay ne socha bechari thak kar so gayi hogi to ussne, message bheja, “I am sorry Anny, main 10.30 par sokar jaaga, aur tumhara message tab read kiya, sorry tumko itna der wait karwaya, bahot gehri neendh lag gayi thi tumse baat karne ke baad, abhi utarr raha hoon bed se ab koyi 11/ sare 11 baje school classes lene jawunga wahan Vinay aur Iqbal ne open kar diye honge 9 baje…. Sleep well darling, love you, kiss you muuuuah. And see you in the class in the afternoon, will wait for you impatiently, come quick”
Abhay ne dance school ke ek ek chaabhi Vinay aur Iqbal ko de diye the, aur sab ko pata tha ke jo pehla school ayega wohi kholega aur baaki ke kaam ko sambhalega. To zaahir hai ke wahan donon dost Vinay aur Iqbal agaye the savere hi magar donon ko tahjoob ho raha tha ke Abhay kyun itna late hai! Unn donon ne class shuru kar diye the, kuch students uss waqt bhi ate the, magar bahot kum, sirf woh log jo free rehte the iss waqt mein…..
Shaam ko badi besabri se Abhay Ananya ka wait kar raha tha. Udhar Ananya jab jaagi aur mobile on karne par Abhay ka message read kiya to khud se kaha, “itna bada jhooth! Kehta hai ke 10.30 sokar utha jabke main ne uss ke mobile par uss chamak challo se baat kiya tha 10 baje…. Sirf jhooth, bahot bada jhoota hai yeh…. Main issko reply nahin karungi, jee karta hai ke school bhi nahin jawun…magar jawungi aur ekaat thapad lagawungi usske chehre par…..
Abhay ne ussko phone kiya din ke 2 baje, Ananya ne kaat diya, phir Abhay ne phone kiya aur Anny ne phir kaat di…..20/25 baar Abhay phone karta gaya aur Anny har baar phone kaaat deti thi….. Abhay ke samajh mein nahin ata tha ke kyun woh phone nahin le rahi hai, phir socha ke shayad usski mummy usske paas hogi issi liye…. To Abhay ne message bheja ke woh kitna bechain hai usski surili awaaz sunne ko aur uss se baat karne ko, aur jaldi school ane ko kaha….. Anny ne message read kiya ghusse mein magar reply nahin kiya. Anny ne khud se kaha, “Subha ke students se subha ko flirt karte ho, main to sham ko ati hoon to mera numbar sham ko lagaya hai, abhi ati hoon tab tumko main sabak sikhawungi”
Shaam ko 4 baje Ananya school mein daakhil hoti hai, bahot ghusse mein dikhti hai, Abhay apne ussi classroom mein se ussko bilkool ussi tarah nihaarta hai, usska dil zoron se machalta hai seene mein, magar Abhay yeh bhi note karta hai Anny ka chehra bilkool khush nahin dikh rahi hai sochta hai ke kahin koyi problem to nahin ussko…… khair jab Anny class mein daakhil hoti hai to Abhay ussi tarah mez par baithe, ek tang ko zameen par rakhe huwe dusre tang ko hawa mein latkaye Anny ke enkhon mein dekhta hai ek khushi bhari muskurahat ke saath, magar Anny bahot ghusse mein sidha usske paas ata hai aur zor se ek thapad maarti hai Abhay ke gaal par!! Abhay heyraan usske chehre mein dekhta hai aur poccha, “Kia huwa?” to Anny zor se usske dusre gaal par aur ek thapad maarti hai!…….
To be continued……………………….