• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Aur Ek Prem Kahani (COMPLETED)

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update 46

Din huwa, Ananya ke ghar mein shaadi ka maahaul tha. Bahot saare rishtedaar aaye huwe the…… magar, iss se pehle, subha 3 baje Ananya bistar par karwatein badal rahi thi, bechain thi, aur neend kahan thi ussko bhi….. aur yaaro dekho sachi muhabat ki taaqat… jiss waqt Abhi wahan se guzar raha tha diwane ki tarah, subha ke 3 baja tha, woh apne ghar se 2 baje nikla tha aur paidal chalte chalte ek ghante mein Anny ke ghar ke paas se guzra usski kamre ke taraf dekhte huwe…. Andhera tha magar street lights ki roshni jagah jagah par the….. Abhay bus chand lamhon ke liye Anny ke gate ke paas ruka, dil ko thaame huwe Anny ke kamre ke taraf ek bahot udaas nazar se dekha, mann kiya ke wahan jaakar usski khirki khatkhatayein magar nahi gaya….. aur aguey raaste par chalne laga…. Ab thik ussi waqt jiss dum woh ruk kar Anny ke kamre ke taraf dekh raha tha, andar Anny ka dil zoron se dhadka aur Abhi ki bahot yaad aayi aur ussko laga ke Abhi baahar usska intezaar kar raha hai aur Anny ko Abhi ki phukaar sunaaayi di. Anny ne yeh suna, “Jaan khirki kholo na ek baar, main tujhko, tere khub surat chehre ko ek aakhri baar dekhna chahta hoon please kholo na!” Abhi ne yeh baatein dil main kaha tha raaste par se gate ke paas khada hokar, aur usski dil ki awaaz Anny tak pohonch gayi… isse kehte hein pyar ka taaqat. Magar budkismati dekho, jab Anny ne khirki kholi baahar dekhne ko to Abhi jaa raha tha aur uss kone tak pohonch gaya tha jahan se Anny ko sirf ek jhalak dikhaayi di. Anny ne street lights ki roshni mein achchi tarah se dekha ke woh Abhay hi tha. Anny ka dil ne Abhi ko phukaarna chaha, usska mann dawd kar Abhi ke piche jaane ko kiya, magar keise phukaarti subha ke 3 baje, sanata tha usske papa sun leta, Anny ahiste ahiste rone lagi aur mann hi mann sochne lagi ke iss waqt Abhi kahan jaa raha hai……..

Abhay ki maa jaagi to Abhay ko apne paas naa paakar socha ke woh apne kamre mein apne bistar par chala gaya hoga. To woh rasoyi mein chali gayi chae banane aur kaam kaaj karne ke liye. Araam se ghar ke sab kaam kaaj kar rahi thi aur din ke 10 baje tak Abhay ka kamra khol kar ussko jagane ko gayi. Abhay ko naa dekh kar usska dil machal gaya, chehra laal ho gayi aur dil zoron se dhadakne laga. Ussne badbadaaya, “Kahan hoga mera bachcha? Bistar to thik thaak hai, ussne bichawna kar bhi diya? Kab jaaga? Main soch rahi thi ke do din thik se soya nahin to neendh mein hoga, hey Bhagwaan kia karun? Han usska mobile yahan nahin hai phone karke pata lagati hoon.”

Mummy ji ne Abhay ke number lagaya magar woh to switch off tha kahan se line lagega, automatic jawaab araha tha ke mobile off hai…. To maa ji ghabraa si gayi aur jaldi se Iqbal ko phone kiya aur poocha ke kia Abhi uss se milne ko aya? Wahan nahin tha to Vinay se poocha wahan bhi nahin mila to sab ghar se nikle, aur school gaye dekhne ke kahin wahan to nahin jaakar soya huwa hai……

Dance school sab ponhche, Iqbal, Vinay aur mummy ji. Abhay ko naa paakar woh rone lagi yeh kehte, “Kahan gaya mera laal? Kahin woh kuch kar na baithe, pata nahin usska dimaaghi haalat keisa tha…. Hey Bhagwaan mere bachche ki rakshah karna…..” Iqbal aur Vinay ek dusre ko dekh rahe the kyunke donon ke mann mein uss waqt ek hi khayaal araha tha. Ananya! Donon ne ek saath kaha, “Anny!! chalo wahan chalte hein woh zaroor wahan milega aaj Anny ki shaadi hai woh wahin gaya hoga chalo jaldi….”

Aur teenon dhadpaate huwe nikle Ananya ke ghar ke taraf. Din ke barah bajne ko tha aur Anny ke ghar mehmaanon se bhara huwa tha. Raaste se lekar angne mein aur ghar mein bhi log bhare huwe the, Anny ke papa aur mummy ke sabhi rishtedaar aaye huwe the ab Abhay ki maa ne kaha donon se , “Ab kia karein, kal hi yahan se maayoos hokar, be-izat hokar nikle ab itne logon ke beech??.....” Ikbal ne kadak awaaz mein kaha, “Mummy ji Abhi ke liye kuch bhi…. Agar phir be-izat hona hai to bhi chalega, Abhi ke liye hazaar baar bhi be-izat hona pade to koyi baat nahin, chalo Vinay andar chalo…..” Aur gambhirrta ke saath apna chaati upar uthaaye mazboot kadmon ke saath Iqbal Anny ke gate ke andar daakhil huwa aur Vinay aur Abhy ke maa usske piche piche gaye…..

Log teenon ko ghurr rahe the kyunke yeh teenon mamooli libaas mein the aur sab shaadi attend karne ke liye behtareen kapdon mein the. Keise bhi karke Iqbal ghar ke andar ghuss gaya aur Anny ke kamre ki talaash karne laga magar beech mein Varma saab se takra gaye…… Aur ussne Iqbal ko rokte huwe huwe apne danton ko peeste huwe kuch dhire se kaha, “Tumhari himmat keise huwi mere ghar ke andar ane ki? Abhi ke abhi tumko sabhi logon se pitwaun kia? Bol !!” Iqbaal ne apne aap par kaabu rakhe huwe kaha,

“Dekho sahab hum log bahot pareshaan hai Abhay kahin nahin mil raha kia woh yahan aya hai?”

Varma sahab heyraani mein aur nakli muskurahat dikhaate huwe kaha,

“Dimaagh ki batti gul ho gayi hai kia tera? Woh yahan kyun ane laga? Chal phoot yahan se mere yahan gunde mawaaliyon ki koyi zaroorat nahin hai.”

Vinay kuch paas aakar ke bola, “Abe oye Varma pehle yeh to dekh ke teri beti apne kamre mein hai bhi ke nahin tab bakna tum!” Yeh sunkar Varma ji chohonk gaye aur tez kadmon ke saath Anny ke kamre ke taraf badha. Vinay ne jaan boojh kar weisa kaha taake unnko Anny ke kamre ka pata chale, aur woh sab usske piche piche Anny ke kamre tak gaye aur donon zabardasti Anny se mile aur Abhay ke bare mein bataya, to Anny ne kaha ke subha 3 baje woh uss taraf jaa raha tha ussne dekha…..

Ab socho yaaro Anny ki dimaaghi haalat kia hogi uss waqt, thodi der mein usski shaadi hone wali thi aur ab eisa khabar aya usske pyar ka, uss haalat mein ussko apne papa ke khushi ke liye apne zindagi ki sab se ehem din ko jeena hai magar weisi haalat mein….. kia haal hogi Anny ki uss waqt yeh sochne ki baat hai. Bus baith kar rone lagi aur apni saari make up, dulhan ke kapde sab bheego diye apne ensoowon se…..

Aur tab tak Varma saahab teenon ko ghar se baahar nikaal hi raha tha ke Abhay ke mummy ne kaha,

“Varma sahab, kia kaha aapne inn bachchon ko? Gunda mawali? Saleem bhai ko gunda kaha aap ne? Aap agar chain ki neend sote ho iss ilaake mein to woh Saleem bhai ke badawlat hai. Aap aur aapki patni aur beti agar araam se raste par chalte hein to woh Saleem bhai jeise logon ke badawlat hai, are aap to Saleem bhai ke thook ke barabar bhi nahin ho, aur mere bachche agar Saleem bhai ka saath dete hein to mere liye iss se badi garv ki baat aur kuch nahin. Pehle baat ko jaanon phir ilzaam lagana kissi par! Bade aaye gunda mawali kehne wala nadaan insaan!”

Aur sab nikle wahan se aur Abhay ko dhundne gaye jiss taraf ka ishara Ananya ne kiya. Sham 6 Baje tak thake hare bina khaye piye dhundte rahe, bahot saare logon se pooche magar Abhi ka kahin pata nahin chala aur ghar ko wapas gaye sab….. Abhay ki maa bahot ro rahi thi ghar mein akeli apne bête ki fikar mein. Usska mobile ko try kiye jaa rahi thi magar koyi faeda nahin…… Udhar Vinay aur Iqbal ke samajh mein nahin araha tha ke kia kiya jaye….. aur raat ke 10 baje Vinay Iqbal ke yahan gaya aur decide kiya ke Saleem bhai ko sab batana chahiye, aur kia pata Abhay usske yahan ho?!

Udhar Ananya ki shaadi ho gayi aur woh ek naye ghar mein chali gayi apne sheher se 500 kilometres door. Jeise hi Ananya uss ghar mein ponhchi, ghar ke lounge mein baithi hi thi ke ek police ka jeep aya, aur police wale usske pati ko hatkadi lagaakar saath legaye!!

Udhar donon Abhay ke dost ghar se nikle raat ko hi Saleem bhai ke ghar ke liye……

To be continued…………..
gazab update mitr
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update 47

Vinay aur Iqbal Saleem bhai ke yahan gaye raat ko gyarah baje ke kareeb. Saleem bhai ne uss waqt bhi donon ka istekbaal kiya aur donon ne puri wakiya bayaan kiya usske saamne Abhay aur Ananya ke bare mein. Saleem bhai pachtaaye aur donon se kaha ke kyun iss se pehle ussko inn sab baatob ke bare mein nahin bataya kissi ne? Kyun Ananya ki shaadi se pehle nahin kaha ussko, woh Ananya ke baap ko sab bata deta aur usski ghalat faimi door kar deta!! To donon ne kaha ke Abhay ne mana kiya huwa tha aur shaayad Abhi chahta bhi tha ke Anny apne baaap ka hukum maan kar dusri jagah shaadi karle ek achchi beti ki tarah. Aur wohi Ananya ne kiya. Tab Saleem bhai ne kaha,

“Issi liye uss ladke ko main bahot pyar karta hoon. Laakhon mein ek hai woh ladka. Ek achche insaan ke saath saath ek bahot acha beta aur dost bhi hai aur behtareen shawhar saabit hota woh to. Uss Varma ko pata nahin ke uss ne kia khoya Abhay ko khokar! Abhay ka baap bachpan mein guzar gaya, to ussko baap ka pyar kia hota hai yeh pata hai ussko issi liye ussne uss ladki ko apne baap ka agyah ka paalan karne diya! Jisska baap nahin hota na woh baap ke pyar aur izat ko behtar samajhta hai. Magar ab kahan gaya hoga ladka? Iss raat mein kahan dhundein ussko, ek baar woh apna dimaaghi santoolan kho baitha hai ek ladki ke pyar ko khokar pata nahin usska dimaaghi haalat kia hoga iss waqt aur kahan hoga woh!!” AAakhir mein unn logon ne decide kiya ke kyunke raat ke barah baj gaye the kal subha ko nikleinguey Abhay ki talaash mein to donon dost wapas ghar chale gaye.


Udhar Abhay chalte chalte khud pata nahin kahan nikal gaya. Apne aap ko ek peyr ke niche paaya, aur uth kar phir chalne laga. Chalta gaya, chalta gaya aur chalta hi gaya raaste ke saath bina manzil, bina humsafar; akela; tanha; chalta hi gaya sheher ba sheher, dar ba dar, chalta hi gaya diwane ki tarah.Na khana na pina bus itna chala din aur raat kabhi rate par to kabhi nadi bhi paar kar raha tha aur ek sham ko khud ko ek sehra ke karib paya aur door se ek jeep ate huwe nazar aya aur uss mein chaar paanch log dikhaayi diya ussko aur thakaan ke mare woh garam reth par leth gaya. Jeep karib aayi to uss mein se kuch log nikle aur ek aadmi unn mein se Abhay ke girehbaan pakar kar uthaya aur ek ghunssa maarte huwe kaha, “Kyun be? Uss din bada dadagiri dikha raha tha ab bol kia karega?” Abhay ko to kuch hosh nahin tha aur kissi ko pehchaan bhi nahin raha tha aur ajeeb nazron se khayaalon mein doobe huwe uss aadmi ko dekh raha tha tab tak uss aadmi ne ek do laat aur mukka aur mara Abhay ko aur usska chehre se khoon behne laga magar Abhay apne aap ko defend nahin kar raha tha, uss aadmi se maar kha raha tha bina apna bachaaw kiye. Woh aadmi kaun tha?

Aur Ananya ke taraf to maamla aur bhi sangeen ho gaya tha. Wahan huwa yeh ke usske pati ko police wale iss liye uthkar legaye the kyun ke woh drug ke dhande mein involve tha. Police ke paas kuch eise saboot lage the ke usska chhuthna namumkin tha. Usske dushman wale party ne usske photos aur filmi clip bhi diye the police ko jiss mein woh drug ka dealing kar raha tha, aur paise le raha tha, police bahot dinon se uss ke piche tha magar kabhi pakar mein nahin araha tha woh; aur pakra bhi gaya to thik apne shaadi ke din! Baap to bada businessman tha magar beta drugs mein mubtela tha. Apne baap ka naam bilkool badnaam kar diya ussne khud yeh sochkar, aur apne pure family mein shakal nahin dikha payega, nayi dulhan ko kia shakal dikhayega yeh sab sochkar ussne khud phansi laga liya hawaalaat mein!

Dusre din subha ko Ananya ke sasural mein usske laash lekar police wale gaye! Ab sochne ki baat hai shaadi ke ghar mein ek arthi woh bhi dulhe ka!!! Ananya ki sudh budh nahin rahi woh bhi diwani ki tarah Abhay ko aur usske dil se nikle aahh ko soch rahi thi khud se chilla kar rote huwe Ananya ke kaha, “Abhi! Abhi main ne tumhare dil ko toda wohi sazaa mili hai mujhe shaadi hote hi vidwa ban gayi main Abhi, mujhe maaf kar dena Abhi!!!!!” zor zor se Anny roti gayi…… magar usski saas aakar ussko jhagjhorrte huwe kaha,

“Are kalmuyi, chudail, dayan, atey hi mere bête ko khaa gayi chal nikal iss ghar se dayan kahin ki, aji sunte ho issko wapas isske baap ke ghar chorr do abi ke abhi nahin to main issko jaan se maar dalungi!”

Ananya ko apne baap ke ghar wapas kiya gaya shaadi ke dusre hi din!! Anny ke baap ki bolti bilkool band ho gayi. Vidwa dulhan usske ghar mein wapas! Apne sar donon haathon mein thaamein paagal ki tarah baitha tha aur Anny apne kamre mein band roti jaa rahi thi. Rote rote Anny ko Abhay ka khayaal aya aur ghusse mein apne papa ke paas aayi aur kaha, “Ab to aap ke dil ko sukoon mil gaya hoga na papa? Main ne uss se shaadi ki jissko aap ne mere liye chuna, aur aap ne natija dekh liye, vidwa bane aap ke ghar mein wapas padi hoon….. magar ab aap mujhko mat rokiye, mujhe mera mobile wapas dijiye mujhe Abhi se abhi ke abhi baat karni hai, apne dil ka dukhda sirf ussi ke saath ro sakti hoon main aur koyi nahin mujhe samamjhne wala… agar woh chahta to mujhe bhaga kar le ja sakta tha magar ussne eisa nahin kiya, woh mujhse raat ke 3 baje milne aya tha han!! Yahin issi khirki ke paas main uss se mili bhi thi magar uss ne aap ki izat ko nahin uchala! Mujhe yahin chorr diya!! Aap mujhe phone dete hein ya main kuch kar baithun? Main apne aap ko maar dalungi mujhe phone do abhi issi waqt!!” Anny itne zor se chillaayi ke usska baap darr gaya ke kahin woh sach mooch kuch kar na baithe aur usska mobile ussko wapas de diya aur apne ghar ke land line bhi wapas laga diya ussne!

Ussi waqt udhar Saleem bhai aur Abhay ke donon dost Anny ke ghar ke saamne se guzar kar jaa rahe the Abhi ko dhundne ke liye. Ke achaanak Iqbal ka mobile baja aur ussne liya to Anny ne rote huwe kaha, “Iqbal mera Abhi kahan hai keisa hai woh? Kyun usska mobile nahin baj raha? Batawo mujhe main uss se issi waqt milna chahti hoon!! Ussko lekar mere ghar awo jaldi Iqbal please Iqbal main mar jawungi! Main ne apne Abhi ko bahot dukh diya ussko bahot tadpaya, mujhe usski sazaa mil gayi iqbal mere Abhi ko le ao Iqbal!”

Iqbal ekdum heyraan Vinay ke chehre ko dekh raha tha jab ke Vinay haathon ke ishaare se uss se pooch raha tha ke kia baat hai, aur Iqbal ne Anny se ussi heyraan andaaz mein poocha, “Anny tum ne kia kaha? TUMHARE GHAR? Tum kahan ho iss waqt Anny?” Anny ne jawaab diya, “Han Iqbal mere ghar, mere papa ke ghar, main yahin hoon!” To Iqbal ne ishare se Vinay ko gadi park karne ko kaha aur Anny se poocha, “Anny tum to shaadi karke apne sasural gayi ho nah? Kia huwa tum keise apne papa ke ghar mein ho? Kal to tum shaadi karke apne pati ke ghar gaye nah?

To be continued………………….
benazeer update dost
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update 48
Anny ne bilatte rote huwe Iqbal ko apne daastaan sunaayi, aur Iqbal ke haath peyr kaampne lage aur Anny se kaha, “Hum abhi ate hein Anny!” Saleem bhai aur Vinay bilkool heyraan Iqbal ke baton ko sunkar andaza lagane ki koshish kar rahe the ke kia huwa hoga ab Ananya ko. Tab phone kaat kar Iqbal ne tooti awaaz mein kaha, “Vinay gaadi mor, wapas chal Anny ke ghar issi waqt yaar chal!!” kyunke jab tak baat kar raha tha gaadi ko park karne se pehle woh log Anny ke ghar ko koyi 5/7 kiometres se paar kar chuke the. Ab wapas jate jate Iqbal ne sab wakiya Saleem bhai aur Vinay ko sunaya ke Anny ke husband ne atmahatiya karli aur who apne ghar wapas agayi hai!! Aur sabhi baton ko bataya jo Anny ne ussko phone par batayi. Yehi ke usske saas ne ussko keise keise gande baatein bole…..

To teenon ab Anny ke ghar gaye! Ab uss manzar ko socho. Saleem bhai hamesha apne lambe talwaar ko saath lekar chalta tha, yeh usska style tha. Aur uss talwaar ko ek laathi ki tarah bhi istemaal karta tha aksar. Aur ek baar phir Varma sahab ke

saamne Saleem bhai wohi Iqbal aur Vinay ke saath magar iss baar usske ghar mein mawjood the! Inhi teenon ko Abhay ke saath ussne uss raat ko uss ghar mein dekha tha aur aaj usske ghar mein sab haazir the aur usska bolti band tha kyun ke uss ka dimaagh ka batti sach mein gul ho gaya tha uss waqt Anny ke haaadse ko lekar. Halaan ke mawka bada naazuk tha Iqbal ne jab Varma ji ko dekha phir Saleem bhai ke chehre ko dekha aur phir Vinay ko dekha to ussko hanssi agaya magar apne hanssi ko ussne andar hi dabaya! Ussko hanssi iss baat par aya ke jitna nafrat Varma ji Saleem bhai se karte the uss waqt shaayad utna hi majboor aur laachaar the unn teenon ko khud apne ghar mein paakar! Kal hi ussne sabko gunda mawali kaha tha aur aaj yehi gunde aur mawali usske ghar mein the aur who khamosh baitha tha bina ek lavz kahe!

Teenon ne ussko kuch nahin kaha aur seedha Anny se milne ko gaye…. Anny zor zor se rote huwe Vinay aur Iqbal se Abhay ke bare mein poochte huwe ussko peeche ke taraf dhund rahi thi. Magar jab unn logon ne bataya ke Abhay lapata hai to Anny behosh girr gayi.

Usski maa aayi ussko sambhaalne aur dekhne ke liuye tab tak Saleem bhai aur donon dost Varma ji ke paas gaye lounge mein.

Saleem bhai ek ghusse bhare muskaan mein Varma saab ke enkhon mein dekhte huwe apni mazboot goonjte huwe awaaz mein bola,

“Yeh kahawat suna hoga na tumne ke,

Muddayi laakh bura chahe to kia hota hai


Wohi hota hai jo mazoor-e-Khuda hota hai’

Ab khud dekhlo Khuda ko kia manzoor tha, dikhaayi diya ke nahin? Enkhon par patti bandha hai Varma ke bachche? Mere Khuda ko bilkool manzoor nahin tha ke tu Iss ladki ka rishta kahin aur kare! Tor diya rishte ko mere Khuda ne! Tujhko thapad mara hai upar wale ne ! Thapad padi na tere munh par? Ab kia karega? Apni beti ka aachaar dalega agar Abhay nahin mila to? Upar wale ne thapad aur laat mara tere gaand par kyun ke tu kudrat ke khilaaf gaya. Upar wale ne Abhay ko Ananya ke liye aur Ananya ko Abhay ke liye banaya hai to tu kaun hota hai isski shaadi kissi aur ke saath karne wala be?! Dekha kia huwa ab bhi kuch dikhaayi de raha hai ya dimaagh sun ho gaya hai tera?

Usski goonjti huwi awaaz ne Anny ko wapas hosh mein laya aur woh ahiste ahiste lounge mein aakar kuch door khade hokar Saleem bhai ki batein sun rahi thi aur donon dost bhi khade Saleem bhai ke attitude ko nihaar rahe the. Kia mard tha woh, kia style tha usska, kia ajeeb o gharib insaan tha woh, kuch khaas hone wala hai lagta tha ya kuch ajeeb batane wala hai Saleem bhai sab ko eisa lagta tha. Iqbal ne socha jiss baat ko zaahir karne ke liye Abhay ne mana kiya huwa tha itne dinon se shaayd aaj khud Saleem bhai sab raaz par se parda faash karega aur donon dost uss intezaar mein the aur kabhi Varma ji ko to kabhi Anny aur Saleem bhai par nazrein jamaye baithe the donon dost.

Aur Saleem bhai apne kadak awaaz mein, kuch ghusse mein to kabhie ek muskaan ke saath magar enkhon mein jeise khoon khaul raha ho, apne bayaan ko jaari rakha,

“Tum mujhko gunda samajhta hai nah? Iss vajah se inn bachchon ko bhi gunda kehta hai, sirf iss liye ke uss raat ko uss kamine ke ghar mein humko dekh liya tha? Tumko batawun main kaun hoon? Batawun? Are agar main nahin hota to tu chain ki sannss ke liye tarapta iss sheher mein! Tujh jeise logon ke hifaazat ke liye main mahinon bhar gundon ke saath jail mein rehta hoon apna ghar hote huwe!- Main kaun hoon? Kaun hoon main?” Aur ghusse se apna sarkaari id card jeb se nikaal kar Varma ji ke saamne table par phekte huwe ziada kadak awaaz mein Saleem bhai enkhon mein ensoo liye kehta hai kuch tharthataraate awaaz mein,

“Police ka aadmi hoon main- special squad- special secret branch, Sarkaar ke police department mein sirf 11 hein mere tarah desh bhar mein jo apne ghar baar chod kar mahinon bhar gundon ke saath jail mein jaakar sote hein khatmal ke saath!! Tum kar sakte ho yeh? Marr jawoge magar nahin kar pawoge! Hum Gunde mawali ke beech gunda bankar ghumte hein unn logon ka ata pata aur kaarobaar dekhne ke liye phir khufie tarike se dusre branch ko pata karte hein aur khud unn logon ke saath pakre jate hein aur jail bhi jaate hein taake unn logon ko kabhi shak na ho ke hum police ke aadmi hai! Dus saal se kar raha hoon aur kissi mafia wale ko aaj tak pata nahin chala ke main kaun hoon. Aaj tak weh sab mujhko apne biradari ka samajhte hein aur aaj bhi main unn logon ke kaarobaar ko police ko batata hoon aur unnko pakarwata hoon. Yeh dekh varma ke bachche,………” Aur Saleem bhai ne apna ek peyr par khada hokar donon hathon se apne ghutne ko zor se pakra aur khincha to uss ke aadha peyr baahar nikal ayaa!! Usska dayina peyr nakli tha..accident mein police ke kaam mein peyr kho diya hum logon ke hifazat karte huwe……..

“Aur kuch batawwun? Hmm?? Main 20 saal Canada police force mein tha. Iraq ki jung mein shaamil tha US army mein Canada army ke taraf se- Iraq mein ek zameen par rakhe mine par chal pada main…. Mine kia hota hao pata hai nah? Wohi bombs jo zameen mein mitti ke niche gaarte hein…. Kuch pata nahin chalta ke wahan kuch hai, reth ke niche chupa rehta hai….main ek soldier ko bachane ke liye daud raha tha aur uss waqt samaye nahin tha ke mine ka khayaal karun bus apne dost ko bachaane ke liye dawda aur ek peyr pad gaya uss zaalim mine par aur ussne mera ek peyr kha liya sala!!”

Aur kuch kahun??

Yaro agar yeh ek filmi script hota to main Saleem bhai ki character ko ziada scope deta… ab flashback mein jata aur Saleem bhai ki entry koyi 10 saal pehle jab woh jawaan tha ek zabardast action scene mein dikhata…. Bina dhadi ke, Canada police uniform mein ek mafia ka picha karta huwa tez raftaar se police ki car bhagaate huwe Saleem bhai nazar ate hein……. Kia main iss ko jaari rakhun Saleem bhai ki character ko flash back mein ya nahin? Aap log bataye phir age badhunga…… ab tak ke liye itna kaafi hai


To be continued……………….
damdaar update bhai
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update 49 Flash back of Saleem bhai

Ab Kyun ke Saleem bhai khud par guzre huwe waqt suna rahe the wahan mawjood logon ko, sab log apne apne nazarye se tasveer ke roop mein uss ke bole huwe shabdon ko dekh rahe the.

Saleem bhai, bachpan mein hi Canada chale gaye the apne parivaar ke saath kyun ke uss ke daddy wahan ek bade khaarkhane mein naukri karte the. Aur phir Saleem bhai ne wahin taalim haasil ki aur naukri bhi wahin mil gayi police mein. Ab kabhi kabhaar apne desh mein chutiyon par ghumne ko ate the apne parivaar ke saath.Canada ke police mein Saleem bhai ko naukri apne pehelwaan jeise jism ki wajah se mili. Physically bahot hi mazboot the aur bahot ooncha kad tha, ziada hi chawda seena aur baazu to aam logon ke do, teen baazuwon ko milaakar uss ke ek baazu banta tha!

Khair jeise ke main ne kaha ek filmi script ki tarah main ne socha ke agar Saleem bhai ko present karta to kuch eisa hoga…….

Canada ke lambe chawde raaston se ek latest model ki safed rang ke Mercedes gaadi bahot hi tez raftaar se bhaagte huwe nazar ate hein, samajhlo ke ek helicopter se shoot kiya gaya scene dikh raha tha, uss gaadi ke piche ek Canada ki police ki car oonche surr mein siren bajaate huwe uss Mercedes ke piche utne hi tezi ke saath chale jaa rahe the. Raftaar koyi 170 se 200 miles per hour ki hogi. Ab weise raftaar mein agar ek lamhe ke liye idhar ya udhar huwa to mawt saamne paya jata!

Samne wale car mein se goliyan bhi chal rahe the Saleem bhai ki gadi par. Magar goliyan car se takrakar rukh badal lete the. Ek sheher mein daakhil hote hi traffic ki vaja se raftaar kum huwa to ek gali se dusre gali phir teesre se chawthe galiyon mein mor par mor se guzarte huwe donon gadiyan ek dusre ke piche bachon ke khelte huwe khilawnon ki tarah nazar aa rahe the. Aaakhir mein Mercedes ke kuch kareeb ane ke baad Police ke gadi mein se ek haath revolver sameth baahar nikalte huwe dikhaayi deta hai aur ek hi nishaane se saamne wale Mercedes ke pahye par goli chalata hai, Mercedes left se right, phir right se left machalta hai phir bhi chala hi jaata hai aguey ki taraf bina raftaar kum kiye.

Tab kala chasma pehne huwe uss Police ki car mein Saleem bhai par rukh hoti hai, aur woh ghusse mein danton ko peeste huwe driving wheel ko kabhi daayein to kabhi baaayein ghumaate huwe dikhaayi deta hai….. Usske baad ek seedha aur bahot hi lamba raasta saamne hota hai, ek taraf kuch jangal jeisa nazara dikhte hein aur dusre taraf pahaariyon se saje huwe khubsurat manzar hote hein. Aguey ki car mein do log the jo mafia ke aadmi the, terrorist se mile huwe bomb ke maamle mein pehchaane gaye log the jissko Saleem bhai ne ek restaurant ke karib se picha karna shuru kiya tha. ‘Shoot at sight’ ka order mila huwa tha kayi dinon se. Saleem bhai bahot hi imaandaar police officer tha aur apna kaam bahot dil lagaakar karta tha aur wahan ke police mein kaafi naam kama chukka tha. Inspector to nahin tha magar sab ussko izat dete the kyunke sab ko pata tha ke woh kitna mehnati aur imaadaar hai. Police department mein sab ussko jaante the aur woh Canadian to nahin tha na, desi hokar goron ke beech unn se bhi behtar kaam karoge to pehchaan to hoga hi!

Phir kyunke raasta seedah aur lamba tha Saleem bhai ne phir apne revolver ko baahar kiya dusre taraf se, aur piche ke ek dusra payya par goli mara saamne wale Mercedes par….. bus ek second bhi nahin guzra, samajhlo ke palkon ko jhapakte hi saamne wale gaadi itna ooncha hawa mein uda, jitna ooncha ek double decker bus hota hai aur Mercedes 6 baar zameen par gir kar ulta, phir upar gaya, phir zameen par eisa 6 baar huwa aur car ke purze hawa mein udte nazar arahe the, Car ke darvaza khulta aur band ho raha tha uss dawraan…….

Phir Saleem bhai peeche zoron se brake maarte huwe driving wheel par apne chawde chaati ko dabate huwe dikhayi dete hein….. Jab saamne wale Mercedes ek patahr se takrakar ruk jate hein to Saleem bhai apne car ka darwaza kholta hai aur har filmon ki tarah pehle usske joote nazar ate hein , car se nikalte huwe, phir dhire dhire usske peyr dikhte hein, aur ahiste ahiste uss ke lambe kad tak camera pohonchta hai phir ek lamba, chawda Canada ki uniform mein police officer car se bahar nikal khada hota hai saamne wale Mercedes par nazar jamaaye huwe. Slow motion mein apne car se chalte huwe haath mein revolver liye Saleem bhai dikhaayi deta hai uss zameen par chaar payyon upar wale Mercedes ki taraf jate huwe….

Donon haath se Revolver thaame huwe jab woh ulte huwe Mercedes ke kaarib hota hai to Car ke taraf revolver ke naali kiye huwe zara jhhuk kar Car ke andar dekhta hai phir apne ek laat se Car ki dayein taraf wale darwaze ko khol kar ek kadam peeche hatta hai to andar se khoon mein latpath ek African origin ka aadmi zameen par ata hai, phir Saleem bhai uss jism ke karib ata hai, gunpoint par liye huwe apne laat se hi ussko hilata hai, aur jab woh aadmi bilkool nahin hilta tab Saleem bhai usske karib apne peyron par baith kar usske naak ke naalion ke paas apna haath rakh kar dekhta hai ke woh saanns le raha hai ya nahin, to pata chalta hai ke woh marr chukka hai…. Tab Saleem bhai car ke dusre taraf jata hai aur weise hi, ussi andaaz mein dusre darwaze ko kholta hai, aur uss taraf se ek gora aadmi, woh bhi ghaayal baahar nikal kar baith kar apna peeth car se lagakar hath jorta hai saleem bhai se….. Saleem bhai, apne pistol ko usske sar ke taraf kar ke khud dusre taraf dekhte huwe teen goliyan chalata hai uss addmi ke sar par phir bina mudh kar uss ko dekhe wapas apne car ki taraf slow motion mein jaate huwe nazar ate hein……

Phir usski gadi start hoti hai aur behtareen dhund mein uss police ki gaadi ko U-turn karke wapas jate huwe dikhaayi diya jaata hai. Ye tha Saleem bhai ki entry uss Canada ki zameen par.

To jab Iraq ki jung huwi US ne sabhi United Nation wale deshon se police aur military wale liye the Baghdad jane ke liye aur Canada ke team mein Saleem bhai mawjood the. Canada ke embassy se desh ke sarkaar ko Saleem bhai ke kaarnamon ka aur ache kaamon ki badhaayi di jaa chuki thi kayi baar. To apne desh mein Saleem bhai na hote huwe bhi pehle se mashoor the apne kaarnaamon ki vajah se. Phir Iraq mein woh haadsa pesh aya jab Saleem bhai ne ek taang gawa diya mine par kadam rakh kar, to wapas Canada gaya aur yeh khabar desh mein bhi aayi police department mein ke desh ka ek sipahi ghaayal ho gaya Iraq ke jung mein.

Usske baad koyi do saal baad desh ke sarkaar ne Saleem bhai ko wapas desh mein bulaya kaam karne ke liye aur tab se uss special squad mein secret police ke liye kaam karta hai. Police department mein weise aadmi ki zaroorat thi jo khud mafia ke saath milkar rahe aur khabar police ko dein aur waqt ane par unn logon ke saath khud jail jayein taake kissi ko kabhi shak naa ho ke woh police ka aadmi hai. To kayi saalon se desh mein Saleem bhai yehi kaam kar raha hai aur sach mein kayi baar jail gaaya mahinon bhar uss mafia ke logon ke saath guzara aur aaj tak kissi ko pata nahin ke woh police ka aadmi hai. Koyi bhi mamooli police inspector khud nahin jaante ke saleem bhai police ka aadmi hai, weh log bhi samamjhte hein ke woh ek mafia se mila huwa gunda hai…balke kayi police wale to Saleem bhai se darrte bhi hein aur police force ke special squad ne weisa hi chaha tha ke sabhi police wale bhi yehi soche ke Saleem bhai ek gunda hai. Koyi bhi chota mota gunda paida hota hai sheher mein to Saleem bhai ko pata chal jata hai aur turant ussko pakarwa deta hai, aur khud apne aadmiyon ko chaaron taraf pheylaya huwa hai ussne. Sab ussko gunda samajhte hein magar usska usool hai ke kabhi bhi kissi masoom par koyi takleef na ane diya jaye- jahan naa insaafi ho to turant ussko khabar kiya jaye, jahan zulm hota ho to woh turant ek gunde ka roop dhaaran karke situation ko sambhaalne ko chale jate aur hamesha kehte the Saleem bhai ke jab sidhi ungli se ghee nahin nikle to ungli mo tedha karna hi behtar hai, aur Varma ji ko yehi samjhaya ke wohi karne gaya tha uss raat uss raakesh ke saath jiss raat ko ussne teenon ko wahan dekha tha!!

Sab bayaan sunkar Varma ji Saleem bhai ke paon par girr pade rote huwe sajde ke position mein to Saleem bhai khada hogaya aur apne buland awaaz mein kaha, “abe oye Varma, mujhe sajda mat kar mujhe kufr ka darja mat de khuda ko muhn dikhana hai mujhe, insaan ka sajda karna mana hai mere mazhab mein uth aur maafi mangni hai to apni beti aur uss masoom Abhay se maangna, chalo bacho hum ab Abhay ko dhundne chalein pata nahin kahan chala gaya woh dil ka zakhmee bachcha, ya rab uss masoom ka hifazat karna mere mawla!”

To be continued…………….
jordaar update bhai
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update 50

Ananya bhi saath gayi car mein Abhay ki talaash mein aur Varma sahab bhi. Bahot pachtawa ho raha tha Varma sahab ko ab sab sachaayi janne ke baad aur woh bilkool tayaar tha Abhi se maafi maangne ko aur apni beti ko usske hawale karne ko.

Vinay ne Abhi ki mummy ko phone karke sab maajra bataya aur woh ro padi Ananya ki daastaan sunkar magar usske dil ko tassalli huwi ke aakhir itne log to hein Abhi ko dhundne aur usska khayaal rakhne ke liye. Saleem bhai ne mobile se uss ilaake ke apne jaan pehchaan walon ko phone karke Abhi ka hulya bataya aur poocha ke kissi ne ussko uss taraf jaate dekha, magar kissi ko pata nahin tha. Saleem bhai ne phir aur kayi logon ko phone karke ussko dhundne ke liye kaha.

Raat ho gayi sheher sheher, gali gali dhundte huwe aur pooch taaj karte huwe logon se magar Abhay nahin dikha, nahin mila aur sab thake hare ghar wapas gaye. Anny to behaal thi aur bahot ro rahi thi. Donon dost bahot pareshaan aur udaas the. Saleem bhai bhi bahot mayoos tha magar sab ko tassalli de raha tha ke koyi fikar na karein woh mil jaega jaldi hi aur dusre din khoj jaari rakhne ke liye decide kiya gaya.

Udhar jiss aadmi ne Abhi ko mara tha wohi tha jissko Abhi ne peeta tha usske student ko cherne par nashe ke haalat mein. Aur Abhi ghayal to tha dil se ab shareer bhi ghayal ho gaya tha phir bhi behaal woh chalte chala jaa raha tha kissi anjaan manzil ki taraf. Kissi nadi ke paas ponhcha uss sehra ko paar karne ke baad raat bhar chalne par aur nadi ke paas kuch apne aap ko saaf karke ek darkhat ke neeche so gaya, bilkool sunssan jaga tha, kissi insaan ka koyi nishaan bhi nahin tha udhar. Din bhar sota raha aur uthne par phir chalne laga…… usska dimaagh jeise khali tha kuch hosh nahin tha ke kaun hai, kahan jaa raha hai aur kia kar raha hai…. Dimaaghi haalat bilkool bigar gaya tha usska aur sab kuch bhool gaya tha…. Ek sadme se guzra tha pyar mein dhoka khakar aur yeh dusra sadma uss se bardaasht nahin huwa aur khud bina jaane dimaaghi santoolan kho baitha bechara Abhay.

Woh chalta gaya, chalta gaya, kayi din beet gaye, udhar sab log har roz nikalte the dhundne ko magar khaali haath wapas lawtte the…. Abhay ke paon ke joote ghiss gaye, chedh ho gaayi joote mein par, paon ghayal ho gaya, khoon nikal pada phir bhi woh chalta raha… woh chalta gaya bina ruke, usske kapde maile ho gaye, kahin kahin par phat bhi gaye kanton aur shaakhon ke beech se guzarte phir bhi woh chalta gaya….. Usske chehre par daadhi bahr gaye, baal sar par bilkool ulje huwe ek diwana, sharaabi ya paagal lag raha tha. Kayi dion se usske halq se awaaz bhi nahin nikli thi, khud ko pata nahin tha ke bolta bhi ya nahin….

Ek mahine beet gaye…… Abhay ka pata nahin chala. Ananya ka bura haal tha. Ro ro kar ussne apna haal bigaar liya thaa aur apne papa par chillaya karti thi, aur woh bhi paagalon jeisi harkat kiya karti thi reh reh kar. Apne papa se jiss tarah se ghusse mein aur zor se baatein karti thi woh uss ne pehle kabhi nahin kiya tha…. Abhay ki maa ka bhi bahot bura haal tha. Abhay ke donon dost ussko milne jaya karte the aur hawsla dilaya karte the aksar. Saleem bhai ne police mein official entry karwaya Abhay ka missing hone ka tasveer ke saath.

Udhar Abhay ke baal aur daadhi lambe ho gaye aur pehchaanna mushkil tha. Mahine bhar mein Abhay ne ekaat din koyi phal khaya jo jangalon mein mila ussko varna paani pee kar raha. Patla sa ho gaya bechara….. joote phat gaye aur nange paon chalta raha tha….. koyi saat hazaar kilometers chalne ke baad utna door pohonchne par ek sham ko Abhay ek dargah ke saamne aakar girr pada. Woh dargah ek chota sa gaon mein, paya jata tha jahan sirf koyi 10 ya 15 ghar the aur khud dargah shareef unn gharon se kayi koss door tha.

Uss dargah par ek budha sa aadmi lambe safed daadhi wala raha karta tha wazife karte huwe. Usske chehre par jhuriyan pade huwe the aur usske enkhon se kum nazar ata tha. Log dargah jaate the to uss zaif aadmi ko khana de diya karte the. Ussko dargah wale baba bulate the sab.

Uss sham ko Abhay jab wahan gira to baba ne ussko uthakar khinchte huwe dargah ke andar legaya yeh badbadaate huwe, “Ab tu kaun hai? Kissi upar wale ka bheja huwa farishta to nahin jo insaan ke roop mein mujh gharib ka imtehaan lene ko aya hai!! Chal tera dekh bhaal karta hoon tujhe ek khuda ka bheja huwa farishta samajh kar issi bahane mujhe kuch sawaab to milega. Mujh fakir ke daaman mein hai bhi kia tujhko dene ke liye, ab tera khidmat hi to kar sakta hoon bus, bhooka pyasa lagta hai tu, shayad kismat ka mara hai meri tarah, chal andar chal mere saath……..”

Aur uss baba ne uss din se Abhay ko apne saath rakha, dekh bhaal kiya, khana pina apne hisse ka usske saath banta aur Abhay wahin rehne laga uss baba ke saath dargah mein!

Ab uss darga par door door se log aya karte the. Wahan ke log kum hi jaate the siwae ek do ke jo baba ko khana dene har roz jaya karte the. Baaki ziada tar baahar, door se aaye huwe log the jo baba ko paise ya khane pine ke samaaan aur kapde de diya karte the. To abhay ka wahan pohonchne ke baad log wahan jate to usske hisse ka bhi khana pina, kapde aur paise dete the. Iss tarah se Abhay dusre baba ban gaye uss dargah ke! Uss gaon ke log naye baba se milne ke liye aya karte magar sab kehte the yeh naya baba kabhi kuch bhi nahin bolta bus khaamosh rehta hai aur enkhon se sab ko ghurrta rehta hai……

Budhe baba ne laakh bhi Abhay se baatein kiye magar Abhay ne kabhi bhi ek lavz nahin bola. Bilkool khamosh rehta tha. Uss budhe baba ko samajh mein agaya ke woh kissi sadme ka shikaar huwa hai aur sudh budh kho baitha hai. To woh Abhi ka khayaal rakta. Hamesha Abhay se baatein karta rehta tha aur khud jawaab bhi deta tha. Abhay sirf usske enkhon mein ghurrta aur ussko upar se niche tak dekhta rehta. Budha baba ek din bola, “Yeh tere jeb mein telephone kisska hai? Tera hai ya kissi ka churaya huwa hai? Tu chorr hai kia? Kia police se bachchne ke liye yahan chupne ko aya hai aur dhong karta hai mere saath!! hein? Tu kaun hai bata to!” Tab Abhay ne apne mobile ko haath mein lekar ussko ek khilone ki tarah haath mein upar niche karke dekh raha tha, aur samajhne ki koshish kar raha tha ke woh kia hai aur keise usske paas hai….. lagta tha ke ek bandar ke haath mein ek khilona de diya ho aur ussko samajh meinj nahin ata ke woh uss ke saath kia karein…. Abhay ne uss mobile ko apne munh se lagaya aur danton se ussko kaatna chaha kuch khane ki cheez samajhkar, tab budhe baba ne uss se mobile ko chhina aur kaha, “are yeh khane ki cheez nahin hai iss se baatein karte hein dekha hai main ne. yeh jeb wala telephone hai. Magar yeh to abhi kissi kaam ka nahin, yeh bijli se chalti hai, aur iss mein bijli nahin hai abhi. Abhay sirf budhe baba ke chehre ko dekh raha tha sunte huwe jeise ek naadaan chota sa bachcha kissi bade aadmi ki baatein sunta hai……

To be continued……………..
bemishaal update bhai
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update 51

Do mahine beet gaye magar Abhay ka pata nahin chala ghar walon ko. Anny gumsum si rehne lagi aur Saleem bhai Abhay ki talassh mein lage rahe magar bahot mayoos the apne naakaamyaabi par. Police wale aur special squad ke log bhi lag gaye Abhay ko dhundne mein magar kissi ko pata nahin chal raha tha ke Abhay kahan kho gaya hai. Kayi baar to hospital mein Abhay ke hulya ka laash ki moayena karne ke liye Abhi ki maa ko aur doston ko Anny ke saath hospital jana pada dekhne ke kahin woh Abhay ki laash to nahin, takriban 10 baar weisa huwa. Abhay ki maaa tang aagayi aur Vinay aur Iqbal se kaha, bina vajah har baar hospital jane ki stress se bachne ke liye unn donon ko jane ko kaha aur agar Abhay ki laash mile tab ussko pata karna. Anny ne bhi hospital jana ban kardiya aur Saleem bhai har baar Vinay aur Iqbal ko lekar jaate jab police walon ko koyi weisaa laash milta to.

Ek baar to eisa huwa ke bilkool Abhay ke umar ka ek laash hospital mein aya, jiss ka chehra bilkool bigra huwa tha ek accident mein, adhah chehra jal gaya tha aur adha chehra tha hi nahin, usska kad bilkool Abhay ke kad ka tha, chamre ka rang bhi weisa hi tha, sar ke baal jal gaye the jism bhi bahot jala huwa tha…. Teenon Saleem bhai aur donon dost uljhan mein par gaye ke kahin woh Abhay hi naa ho!! Unn teenon ko Abhay ke jism ke andar ke nishan ke bare mein kuch pata nahin tha jo uss laash ko pehchaan sake, to Abhay ki maa ko bulana chaha unn logon ne magar Vinay ne dhire se Iqbal se kaha, “Kyun na hum Anny ko kahein, woh bhi to Abhi ke andar ki jism ko jaanti hai? Jiss haalat mein yeh laash hai agar Abhi ki mummy ne dekha to pata nahin woh sehen kar paegi bhi ya nahin?”

Saleem bhai ne unn donon ko sunn liya aur kaha, “To kia Anny iss laash ko iss haalat mein dekh sakegi? Manta hoon ke ussko Abhay ke jism ka pata hai magar kia theek hoga ussko ek ghair mard ke jism ko dikhana eise?”

Teenon mein iss baat ko lekar ek choti si behez si huwi. Magar aakhir mein yeh tey huwa ke Ananya ko hi bulaya jaye jism ke andar ke nishaan ko pehchaanne ke liye woh iss liye ke Anny Abhay ko apna pati maanti thi aur ek patni ko apne

shawhar ke jism ko dekhna koyi badi baat nahin aur kyun ke woh jawaan hai aur stress ko bardaash kar leti issi liye pehle ussi ko bulaya gaya moaena karne ke liye.

Han assal mein ek baar sexual encounter ke dawraan Abhay ke jism ke ek hisse par Anny kiss kar rahi thi aur ek kala til ko chumma tha uss se poochte huwe ke kia woh til paidayishi hai ya baad mein huwa tha….. Abhy ne jawaaab diya tha ke ussko khud pata nahin kyun ke ussne khud bada hone ke baad uss til ko notice kiya tha…woh til usske peth ke kaafi niche tha, sex ke lagbhag kareeb…… Ab unn teenon mardon ko iss baat ka pata nahin tha sirf Anny yeh jaanti thi. To phone par Vinay ne Anny ko sab samjhaya aur poocha ke kia ussko Abhay ke jism par kissi eise nishaan ka pata hai jiss se woh usske laash ko pehchaan kar guarantee de sake ke woh Abhay ki laash hai. Turant Anny ko uss til ki yaad aayi aur uss ne kaha ke han woh jaanti hai. To ussko hospital laya gaya.

Ab kyun ke woh jism dekhne ke layak nahin tha, kuch eisa bandobass kiya teenon mardon ne aur Anny ko samjha diya ke ussko chehra nahin dekhna balke sirf uss nishaan ko dekh kar pehchaanna hoga, aur agar woh nishaan paya gaya tab pura jism dekh leinguey sab…. Anny ko manzoor thi magar Anny ko sharm aa rahi thi ke unn mardon ke saamne keise uss jagah par dekhein….. to Anny ne ek lamba saanss liya aur teenon mardon ko baahar jane ko kaha! Aur jab sab morgue se baahar nikal gaye to Anny ne laash par se kapde hatta kar uss jagah par dekha…magar wahan to bahot baal the….. Abhay ke jism par uss jagah par baal nahin the….. phir bhi Anny ne apne ungliyon se baal ko hatta kar khub dhunda, uss ke sex ko bhi apne haaton se chuh kar hatana pada aur Anny ne sab kiya par til ka nishaan nahin tha phir Anny ne baahar aakar rote huwe kaha ke woh usska Abhay nahin hai…. Kia kia karna par raha tha bechari Anny ko apne pyar ke liye, keise keise kathinaayon ka saamna karna par raha tha….. ek eise ladki jo masoom hai, jiss ne kabhi kissi mard ke jism ko dekhi na ho, siwae apne pyar ke aaj kissi ghair mard ke jism ko chhuna pada Kamseen, naazook Anny ko……

Ghar wapas jaakar Anny bahot royi apne Abhay ko yaad karke aur unn haseen lamhon ko yaad karti gayi jab donon ek saath bed par pyar kiya karte the, khaas

kar uss din ko yaad kiya jiss din ussne uss ke jism par uss till ke bare mein poocha tha aur ussko pyar kiya tha…….

Teesra mahina jab kuch bhi khabar nahin mili Abhay ki to Anny ne gambhirta se ek din Vinay aur Iqbal se kaha,

“Hum ko Abhay ke sapne ko pura karna chahiye. Kal se main dance school awungi aur hum apna rehearsal shuru kareinguey, tum donon mein se kissi ko Abhay ka part karna hoga……..”

Iqbal ne kaha, “Bahot sare bulawa arahe hein foreign se hamare show ke liye…. Abhi tak sponsors umeed lagaaye baithe hein, school to hum har roz kholte hein hi aur tuition barkaraar hai, magar rehearsal ruk gayi hai jiss din se tumhare papa wapas aaye….. Abhay ne sab cancel karne ko kaha. Hum ne cancel ki khabar dedi hai chaaron taraf magar sab phir bhi umeed lagaaye baithe hein ab bhi…..”

Anny ne kaha, “Foreign ko filhaal pending chorr diya jaye, hum local jagawon par show kareinguey, sabhi dancers ko agah kardo aur jo naye hamare saath mile hein uss competition ke baad, ache dancers hein unn ko saath liya jaye rehearsals ke liye kal se rehearsal shuru!!”

Abhay ki maa ko khabar kiya gaya ke Anny kal se school aa rahi hai aur sab ne decide kiya ke Anny ko Abhay ki jagah school ka master banaya jaye! Magar Anny ne inkaar kiya aur Abhay ki maa ne bhi kaha jab tak pata nahin chalta ke Abhay zinda hai ke nahin school ke bare mein koyi bhi nirnay nahin liya jaega…. Filhaal school weisa hi chalega jeise chal rahi hai…… Iqbal aur Vinay har mahine tuition ke paison ko laakar Abhay ki maa ko dete hein aur unn mein se woh Abhay ki jagah unn donon ke aur sabhi dusre teachers ke payments karti hai….. Vinay aur Iqbal ka tankhwa badha diya mummy ji ne kyun ke agar weh donon nahin hote to school band hi ho jati…….

Magar Iqbal aur Vinay Abhay ke karazdaar the kyun ke unn donon ko sadak se uthaakar Abhay ne iss kaabil banaya to donon dost ehsaanmand the Abhay ka issi liye donon sidhi tarah se kaam kar rahe the varna donon to sadak chaap the aur

pata nahin aaj kia kar rahe hote agar Abhay ne donon ko apne school mein nahin liya hota!


To be continued…………………..
atulye update bhai
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update 52

Uss darga par jahan Abhay uss budhe baba ke sath reh raha tha, ek jawaan ladki aksar aya karti thi baba ko kuch na kuch dene ke liye aur duwaein lene ko. Uss ladki ka naam Seema tha aur woh koyi 20/21 saal ki thi. Woh Abhay ki khamoshi se prabhavit huwi aur usske bare mein jaana chaha to budhe baba ne kaha,

“Pata nahin kaun hai beti, gham ka mara lagta hai, mera shak hai ke yeh kissi ke muhabat mein diwana huwa hai, koyi sadma laga hai issko…..”

Jab bhi woh ladki aati thi to Abhay kissi kone mein ek taraf rehta tha aur enkhen churate huwe ussko kabhi kabhaar dekhta tha. To ek din ladki ne baabaa se kaha, “main uss se baat karna chahti hoon baba, kia main usske karib jawun?” Baba ne jawaab diya, “Are woh to bilkool baat nahin karta, bolta bhi hai ya gunga hai pata nahin! Tu kia baat karegi uss se?” Seema ne zid ki, “Phir bhi main baat karke dekhti hoon…….”

Seema Abhay ke paas gaya, aur usske karib baithi. Niche zameen par baitha tha woh, to seema ko bhi wahin baithni padi aur Seema ne ek muskaan se kaha, “Hello tumhara naam kia hai?” Abhay ne mote mote enkhon se ussko dekha aur usski enkhon mein ghurrne laga, apne sar ko kabhi dayein to kabhi bayein ki owr jhukate huwe Seema ke chehre ko paagalon ki tarah dekh raha tha aur Seema ko kuch darr bhi lag raha tha. Himat karke Seema ne sawaal dohraya to Abhi ne ladki ke chehre mein dekhte huwe kaha, “Anny…anny, anny……..”

Budhe baba ne suna to jhapat ke wahan aya aur khushi ke mare bola, “Karishma, kudrat ka karishma, tu bola beta! Tu bol sakta hai shukriya mere parvardigaar, bache ko sukoon ata farma mere aakah!” Magar Abhay sirf “Anny Anny” ka rath laga baitha tha….

Baba ne Seema se kaha, “tu to isske liye badi khuskismat saabit huwi beti, tu iss se aur baat kar shaayad yeh kuch aur bole, magar Anny to ek ladki ka naam jeisa lagta hai nah? Kahin yeh tujhko woh ladki to nahin samajh raha jiss ki wajah se isska yeh haal huwa hai? Pata nahin kia huwa hoga isske saath!! Sunon beti iss ke jeb mein ek telephone hai, wohi jo aaaj kal ke nawjawan isstemaaal karte hein jebon wala telephone pata hai nah?” To Seema ne poocha, “aap ka matlab cell phone? Isske paas cell phone hai?” To baba ne Abhay ki jab se mobile nikal kar Seema ko dikhaya, to Seema ne phone liya usska moaena karte huwe kaha, “isski to battery bilkool dead hai baba, charge karna padega, magar lagta hai yeh bheega huwa tha, dekho iss ke andar paani hai….kissi nadi mein mila tha kia yeh ladka aap ko?”

Baba ne samjhaya ke yeh khud gida huwa para tha dargah ke saamne….pata nahin kiss nadi mein girr kar behte huwe yahan aya ya keise kuch pata nahin….. Seema ne uss mobile se sim card nikala aur dekha ke who bigar gayi hai jeise ek kaagaz paani mein beegh kar phool jata hjai uss sim ka haalat weisa tha, to pata chala ke usska kuch nahin hoga phir bhi Seema ne baba se mobile apne ghar lejane ki ijazat maangi aur baba ne kaha “lejawo agar ban sakti hai to bana ke wapas kardena shayad uss se iss ke ghar walon ka pata chal sake…..”

Phir Seema ghar chali gayi Abhay ke mobile ke saath. Kyun ke Seema ke yahan Nokia mobile phone tha aur Abhay wala bhi Niokia hi tha to charger same the to Seema ne socha Abhay wala mobile apne charger se charge karke usske memory se number nikaal kar usske ghar walon ka pata to laga sakegi.

Magar afsos mobile bilkool bheeg kar bigar gaya tha aur kuch bhi nahin ho saka. Charger adapt ho raha tha magar charge hi nahin ho raha tha bilkool…. Mobile bilkool dead tha. Seema ne bahot koshish ki, dusre logon ko bhi dikhaya ke koyi ussko sudhaar sake magar uss choti si gaon mein kissi ko ziada pata nahin tha ussske bare mein.

Dusre din laachaar Seema mobile wapas karne ko gayi, aur ussko ate dekhte hi Abhay ne “Anny… Anny… Anny….” kehna shuru kar diya. Baba ke enkh mein ensoo agaye aur Seema se kaha, “Dekh beti, mujhe to rona araha hai, yeh itne dion tak khaamosh tha, laakh mere baat karne par kabhi kuch nahin bola aur tujhe dekhte hi yeh Anny anny karne laga kia maajra hai yeh? Kaun si raaz ki baat hai!!” Seema ne kaha, “Baba aap ijazat dein to main issko zara ghumaane lejawun nadi ke kinare, wahan uss pathar par baithkar batein karungi isske saath, thik hai?” Baba ne kaha, “Han han zaroor lejawo beti, main to isske saath nahin chal paata tuhi isse sher karade ilake ka, tabiyat behel jaegi isska bhi jaa beti jaa, leja issko bhi….”

Seema ne Abhay ka haath thaama aur chalne ke liye kaha. Abhay apna haath chhuraane laga, to Seema ne uss andaaz mein baat kiya jeise ek chote se bachche ke saath dulaar se kiya jata hai yeh kehte huwe, “dekho wahan khubsurat phool hein , titliyan hein, jharrna hai, nadi ke kinare hum uss pathar par baithkar baatein kareinguey chalo nah!” Abhay uss taraf dekhne laga jiss owr Seema ishara karte huwe dikha rahi thi, aur Abhay ne dekhne ke baad muskuraakar kaha, “Paahaad!!” Baba ne enkhon mein ensoo liye huwe kaha, “han beta pahaad bhi hai, jawo isske saath thoda ghumkar aawo” Abhay apne lambe kale dadhi par apne ungliyon ko pherte huwe aur gale ko khujaate huwe Seema ko sar jhuka kar enkhon ko upar uthaakar, jeise uss se chupte chupate ussko dekhte huwe apne sar ko han mein hilaya!” To Seema hanssi aur Abhay ka haath pakar kar apne taraf khinchte huwe kaha, “awo, chalo wahin chalet hein”

Aur Seema ne baba ko Abhay ki mobile wapas kardiya kehte huwe ke woh bilkool kissi kaam ka nahin ekdum se bigar gaya hai. Aur kaha ke pata nahin woh mobile uss ladke ka hai ya nahin ya ussne kahin se uthaya hoga kia pata?!!

Khair Seema abhay ko ek eisi jagah lekar gayi jahan ka nazara bahot dilkaash aur khubsurat tha. Ek romantic jagah tha woh. Bilkool haryaali, thandi hawa ka behna, chidyon ka chehchehaana, nadi ke paani mein jharne ka ghirna, titliyon ka idhar udhar udna, phool khile huwe the chaaron taraf, suhana mawsam…. Seema bahot

khush thi weise jagah par waqt bitane ko, aur socha ke weise jagah par uss ladke ke dil ko sukoon milega.

Ek peyr ke niche, jahan chaaron taraf phool khile huwe the Seema ne Abhay ko ek bade se kaaale pathar par baithne ko kaha aur khud usske paas baith gayi…..

To be continued…………………
amulye update bhai
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update 53

Uss taraf Anny donon doston ke saath milkar, aur sabhi behtareen dancers ko ekatha karke Rehearsals ke koshish mein lagi huwi thi. Abhay ka part karne ke liye pehle Vinay ko kaha gaya. Jab Vinay Anny ke saath Abhay ka part kar raha tha to ussko bilkool ajeeb sa lag raha tha aur woh nahin kar paa raha tha….. who iss liye ke Ballet dance mein ek dusre ke jism ko mazbooti se chuhna aur pakarna parta hai, jism ke kissi bhi hisse ko ek dusre ke jism ke hisse ke saath bilkool chipkana aur takrana padta hai….. Vinay Anny ki bahot izzat karta tha aur uss mein apne bhabi ko dekhta tha to uss se nahin ho paa raha tha. Ab kitne step bhi miss kar jata tha…. Magar jab woh step miss karta tha to Anny ko sabhi Abhay ke steps yaad the kyun ke donon ek saath milkar sab kar chuke the iss liye jab Anny ko koyi bhi step karke Abhay se lipatna ya kareeeb ana hota tha tab Anny sab khayaal rakhti thi ke Abhay ne keise karke usske karib aya tha…. Isss liye Anny Vinay ko bata rahi thi ke kahan kaun sa step karna chaiye….

Vinay ne Iqbal se binati ki ke woh Abhay ka part kare. Ananya ko bhi dikh raha tha ke Vinay nahin kar paraha tha aur woh samajh rahi thi ke Vinay usske jism ke saath nahin chipakna chah raha tha…… Ab woh uljhan pada Iqbal ke gale mein. To kia Iqbal kar pata woh sab?
Iqbal ne try kiya, jiss jiss waqt Anny usske bahon mein aayi Iqbal ke rowntey khade ho jaate the aur usske enkhon ke saamne Abhay nazar ata tha…. Jiss jiss position mein woh Anny ko apne bahon mein leta tha ussko lagta tha ke Abhay kahin se dekh raha hai aur dance rehearsal ke dawraan Iqbal apne sex ko bilkool Anny se nahin chuhne ki koshish mein laga rehta tha to iss kaaran step kharab ho jate the……

Phir teenon baith kar apne aap discussion mein lage rahe ke kia rehearsal thik ho raha hai ke nahin. Natija yeh nikla ke Abhay ka part bahot kharaab jaa raha hai. To kia kiya jaye? Bahot lambi behez ke baad Anny ne unn donon se kaha, “Kamaal karte ho tum donon bhi, apne sharir ko mere sharir se takraane mein kyun bachon ke tarah Sharma rahe ho? Kia Abhay weise hi dance karta tha mere saath? Donon ko bahot sharam arahe the aur iss baat ka jawaab kissi ne bhi nahin diya Anny ko. Phir kuch der baad Vinay ne sujhaw diya ke Abhay ka part uss ladke se kiya jaye jissko competition mein dusra inaam mila tha.
Tab Iqbal ne jaldi se kaha, “Han woh bahot hi achah dancer hai, bilkool Abhay ki tarah ussne bhi ballet kiya tha uss din show mein aur Abhay bhi bahot khush huwa tha uss ke performance se, to chalo ussko hi kehte hein Abhay ka hissa karne ko…..” Anny khade hokar donon ko ghusse mein dekh rahi thi magar muskurakar kaha, “Achah thik hai agar tum donon se nahin hoga to uss se hi sahi!”

Uss ladke ka naam tha Amaan. To Amaan ke saath Anny ne rehearsal shuru kiya. Usske steps bahot badhya the aur Vinay aur Iqbal dekh kar bahot khush huwe…. Woh bahot chanchal tha aur tez bhi, lagta tha ke Abhay hi dance kar raha hai…jiss tezi se woh Anny ko ghuma kar apne dayein bazu se bayein bazu mein lata tha jeise ek bijli ke kadakne se kuch chamakta hai weise chamak jeisa tha uss ke tez harkaton mein….. Magar ek cheez donon Iqbal aur Vinay ghaur se dekh rahe the ke woh ladka Anny ke jism ko bilkool apne jism se lagakar kaske eise dance kar raha tha jeise woh usski mehbooba ho……. Aur naachte waqt Anny jeise kho jaati thi, khud khayaal nahin rehti thi ussko ke woh Abhay ke saath naach rahi hai ya kissi aur ke saath……

Kabhi kabhi dance mein donon ke chehre ek dusre ke enkhon mein dekhte huwe honth honth ke bilkool kareeb hote aur baahein peeth se ahiste ahiste Anny ke kamar par pherte huwe usske kamar ke niche pichwade par jaate aur Anny ko khinchkar bilkool apne jism ke nazdeek laatey aur apne chaati ko usske chaati se dabate huwe apne honton ko Anny ke gale par pherte ahiste ahiste…… Yeh sab karte waqt Anny jeise bilkool hosh o hawaas khodeti thi aur bekabu ho jaati thi……

Vinay aur Iqbal sab dekhte har roz jab tak rehearsal chalta….. kayi dinon tak eisa chala…… Aur ek din Amaan Anny ke saath akela tha jab Iqbal aur Vinay nahin aye the; kissi sponsor se milne gaye huwe the, uss waqt Amaan Ananya ke saath akele mein kuch steps try kar rahe the. Donon ek dusre ke bahon mein ek bahot romantic music par romance bhara dance kar rahe the aur Anny usske bahon mein tha aur Amaan ke honth Anny ke honton tak ponhcha aur ussne Anny ko zor se bahon mein leke Anny ke honton ko chumne laga apne pure jism ko Anny ke badan par dabaaye huwe, phir apne ek haath se Anny ke haath mein daalkar usski ungliyon ko apne ungliyon mein jakar kar woh Anny ke jeeb ko apne munh mein lene ki koshish kar raha tha jab Anny ne achanak jeise hosh sambhaalte huwe Amaan ko ek chota sa Dhaka dete huwe kaha, “Stop it Amaan!! Kia hai yeh! Paagal ho tum?!”

Amaan sar jhukaaye huwe, do kadam piche hatta aur sorry kehkar phir Anny ke hathon ko apne haath mein lete huwe apne taraf khincha aur dance continue karne ko kaha….. Anny ne dance karte waqt kaha, “behave yourself Amaan, please concentrate on the dance only not on me!” Amaan ne kaha, “Keise jab tum jeisi ladki meri bahon mein ho, usski jism mere jism se bilkool sate huwe ho, usski khushbhoo mere badan ke khushbhoo se mil rahe ho, to keise main apne aap ko control karun? Issi liye to unn donon ne nahin kiya tumhare saath dance, keise karte, diwana banjate tumhare….. Ab mat tarpao, please, ek baar to chumne do yaar…kia kashish hai tujh mein …….” Yeh kehte huwe uss ne Anny ko phir kiss karna chaha, Anny ne munh bilkool band karli aur usske baahon se nikalne ki koshish kar rahi thi….. Magar Amaan jeise pagla gaya tha Anny ke gale ko chumne laga apne jism ke niche wala hissa Anny ke uss hisse par dabaate huwe, apne muhn ko Anny ke chaati tak chumte huwe legaya, par Anny apne haaton se usske chehre ko hatta rahi thi pure zor se……

Anny ussko Dhakka dene mein kaamyaab huwi aur kuch door jaakar khade hokar kaha, “Amaan kia hai yeh? Hum itne achi tarah se dance kar rahe the itne dinon tak, ab aakhir mein tum kyun eise behave kar rahe ho? Bus do din aur phir show ke liye jana hoga, please Bhagwaan ke liye eisa mat karo!” To Amaan bola, “Anny mujhse ab raha nahin jaa raha, main tumse pyar karne laga hoon! Bechain rehta hoon, iss waqt ke intezaar mein rehta hoon ke kab tum se milun aur ek saatn dance karun, iss lamhe ka pal pal intezaar karta hoon ke tumko apne baahon mein le sakun…. Tumhara aashik ban gaya hoon Anny!!”

To be continued…………………..
utsahi update dost
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update 54

Uss taraf Abhay ke saath Seema baithi huwi thi uss romaanchak jagah par nadi ke kinare. Uss din ke baad har roz Seema Abhay ko apne saath jangal ke taraf to kabhi paahaadiyon ke paas lejaati gumaane ke liye. Abhay Seema se khub ghul mil gaya tha aur woh bhi usski intezaar karne laga har roz.

Ek din Seema nahin aa saki. To Abhay bahot nervous tha, ghussa kar raha tha. Kuch nahin khaa pee raha tha to budhe baba ne uss se poocha kia baat huwi, kyun weise behave kar raha hai…to Abhay ne sirf apne badan ko khujaate huwe kaha, “Anny anny” tab baba ne kaha, “Achah woh nahin aayi aaj issi liye naraaz ho, ab bechari phanss gayi hogi kissi kaam se kal ajaegi nah, tum khana khalo ab!!”
Magar Abhay uss raat ko soya nahin, din ka intezaar karta raha raat bhar, pata nahin kia kia soch raha tha raat bhar, usske dimaagh mein keise keise khayaalat ate the aur woh kia sochta tha kissi ko pata nahin…jiss dimaaghi haalat mein woh tha weise log kia sochte hein kiss ko pata?! Weh log to kuch kehte bhi nahin jo hum aam log samajh sakein. Khair keise bhi karke raat guzri bina soye. Abhay din hote hi akela paahaadiyon ke taraf chal pada bina bade baba ko kuch bataaye. Akele ghumte ghumte woh gaon ke karib aa ponhcha aur kuch logon ke saath mil baitha aur “Anny anny” karne laga. Ab kissi ko gaon mein pata to nahin tha ke woh Seema ko Anny” bulata hai to kaun usske baton ko samajhta! Shaam tak woh gaon mein hi raha aur udhar bade baba pareshaan ho gaye ussko wapas nahin paakar aur bechara budha baba bhi nikal pada gaon ke taraf uss sham ko.

Chalte waqt Seema mil gayi bade baba ko aur ussne sab maajera Seema ko bataya. Ab Seema bhi pareshaan kyun ke ussne Abhay ko to gaon mein nahin dekha. To Seema aur baba nikal pade logon se pooch taaj karne ko. Logon ne bataya ke woh unn logon ke saath hi tha magar kuch der pehle chala gaya kidhar gaya kissi ko pata nahin! Lo ab ek aur pareshaani ho gayi…ab kidhar dhudein ussko, “usski to dimaaghi haalat thik nahin kahan gaya hoga” baba ne kaha. Seema ne araam se baba se kaha, “Chalo wapas dargah ke paas shaayad woh wapas dusre raaste se chala gaya ho?” to donon wapas dargah ponchey magar Abhay wahan nahin tha aur suraj dhalne ko tha….. Ab donon bahot fikarmand hokar baith gaye ke ab kiya jaye!

Ab huwa yeh ke Abhay gaya tha pahaadiyon ke raaste se aur wapas araha tha jangal ke raaste se to ghum phir kar ek hi jagah par ajata tha. Yaney ke woh kho gaya ussko wapas darga jane ka raasta nahin mil raha tha aur jangal ke ek koney mein baith gaya kuch darrte huwe ek chote bachche ki tarah. Ek chotha sa guffa dikhaayi diya ussko aur uss guffe ke andar ghuss gaya raat hone ko aayi to.

Jab bilkool andhera ho gaya to Seema ro padi aur baba se kehne lagi, “Baba kahan hoga woh mujhko bechaini ho rahi hai, din bhar usske yaadon mein khoyi rehti hoon, usske baghair mera ek pal bhi nahin katta, main nahin reh pawunga usske baghair..kahin eisa na ho ke woh thik ho gaya aur ussko sab yaad agaya aur woh jahan se wapas aya tha laut gaya ho?!! Agar eisa huwa to mera kia hoga?!” Baba yeh sunkar chohonk gaya aur poocha, “Kia tu uss se pyar karne lagi hai?” To Seema ne kaha, “yeh bhi koyi poochne ki baat hai baba? Main to pehkle hi din se ussko chahti hoon. Main man hi man ussko apna sab kuch maanti hoon.”

Baba ne Seema se kaha, “Beti zara socho tum keise ek eise insaan se pyar kar sakti ho jo khud ko nahin pehchaanta? Pata nahin kaun hai kahan se aya hai… pata nahin woh tumko chahta hai ya nahin..pata nahin shadi shuda hai, kissi ka baap hai, kissi ka beta hai, kissi ka mehboob hai!! Pehle ussko hosh mein ane dete tab apna dil deti, eise thik nahin hai Seema beti, isse usski majboori ka faeda uthana kehte hein iss mein tumhaari matlabi hone ki jhalak dikhaayi deti hai, yane ke tum usski madad karo aur badle mein usska pyar chaho, thik nahin lagta eise ..…… apne dimaagh se eise khayaalon ko nikaal do aur insaaniyat ke tawr par usska dekh bhaal karo aur pyar ko bhulado…”

Seema baba ke baton ko sunkar rone lagi. Khub royi aur kaha, “thik hai baba, agar aap kehte ho to ussko apne pyar ke bare mein kuch nahin batawungi aap bhi kissi se kujch mat kehna, main bus usski mada karungi…. “ aur phir rone lagi….

Raat ko mashaal jalakar baba ne Seema ko Abhay ke khoj mein chalne ko kaaha. Gaon jaakar Seema ke pariwar ko bataya ke weh log Abhay ko dhundne jaa rahe hein to kuch aur log mashaal jala kar saath chal pade. Pahaadiyon mein ek ghante tak phukaarne aur dhudne ke baad jangal ke tafar sab log gaye aur dhudne lage… hanssi ki baat yeh hai ke sab ussko “Anny” ke naam se zor se se phukaar rahe the, Seema bhi. Jangal mein raat ko to khamoshi chahyi hoti hai to door se kissi ki chillane ki awaaz sunaayi deti hai. Magar Abhay to guffe ke andar tha to ussko kuch nahin sunaayi de raha tha aur upar se woh pata nahin kia gunguna raha tha dhire dhire….

Magar jab log Guffe ke karib aaye aur Seema ne “Anny” zor se chilaaya to Abhay ne sunna aur khushi ke mare tezi ke saath guffe se nikla aur dawte huwe “Annyyyyyyyy” phukaarte huwe Seema ke taraf gaya. Sab log hakbaka kar mashaal ko donon ke taraf karte huwe dekhne lage. Abhay ne bachche ki tarah jaakar Seema se lipat gaya. Budhe baba ne dekha to khushi ke ensoo usske enkhon se chalak gaye aur jaakar Abhay ka kaandha thapthapaaya.

Phir Seema ne baba se Abhay ko apne ghar lejane ki ijazat maangi aur Abhay ko apne ghar legayi uss raat ko. Raat bhar meethi meethi baatein ki Abhy ke saath… Magar Taahjub ki baat yeh thi ke Abhay ab bhi kuch nahin bol raha tha, “Anny anny” ke siwa! Seema ne bahot koshish ki magar Abhay kuch nahin bol raha tha. Anny ne seinkron sawaal kiye, uss se poocha usske bare mein , poocha ke kia woh kissi se pyar karta hai, kia woh shaadi shuda hai, kia usske bache hein, waghaira waghaira….Magar Abhay kuch nahin jawaab deta bus Seema ke enkhon ki gehraayi mein jhankta rehta usske sawaalon ka jawwab ke tawr par……

To be continued……………….
manoram update dost
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update 55
Anny ne Amaan ko akele mein baat karne ke liye bulaya. Amaan khushi se gaya. Anny ne yeh kaha,

“Dekho Amaan tum ek achche dost ho, main tumhare bhaavnaawon ki kadar karti hoon magar main tumse pyar nahin kar sakti. Main Abhay ki hoon aur usske ilawa main kissi aur ki kabhi bhi nahin ho sakti. Abhay mera sab kuch hai. Jab kudrat ne mujhe kissi aur ka nahin hone diya to main bhaala keise kissi aur ki ho sakti hoon? Mere khayaal se tum mujhse pyar nahin karte magar yeh hawas hai, kyun ke tum mere jism se prabhaavit huwe aur jism ke takraane ke dawraan tum mere ziada kareeb huwe issi liye tumko laga ke tum mujhse pyar karte ho….Main tum ko ek dost ke heisiyat se iss dance ke liye apne kareeb ane diya, samajhti hoon ke eise dance ke dawraan hamare jism ke karib hone se tum par shaaayad kuch prabhaav pada hai magar meri koyi eisi niyat nahin main ne dance ke ilawa aur kuch bhi nahin socha rehearsal karte waqt. Agar tum ek dost ki tarah rehearsal jaari rakh sakte ho to thik hai varna main sab kuch cancel kar deti hoon!”

Amman ko Anny ki baton ko sunkar dhakka laga aur woh chala gaya yeh kehte huwe, “To phir yeh rehearsal main nahin karne wala kyunke jab bhi main tumko apne baahon mein lunga to tumse pyar karne ka mann karega aur main paagal hota jaawunga, yeh hawas hai ya kia hai mujhe pata nahin, bus tumko chumne ko, tumhare saath bistar par lethne ko mann karta hai aur tumhare saath waqt guzaarne ko jee chahta hai. Tum bahot ziada khubsurat aur sexy ho, aur main apne aap ko sambhaal nahin pata hoon jab tum mere kareeb hoti ho to, to behtar hai ke hum saath mein dance nah karein!”

To aakhir mein huwa yeh ke shows ke liye jo rehearsals hone wale the sab cancel ki gayi. Anny ne rote huwe yeh soochna diye Iqbal aur Vinay ko.

Phir maamool ke tawr par school mein tuitions jaari rahe aur Anny ne bhi classes liye dance sikhane ko naye students ko. Abhay ki maa Anny ko aksar apne yahan bulati thi aur Anny ka baap ussko Abhay ke maa ke saath kayi dinon tak rehne deta tha. Dhire dhire Anny Abhay ke ghar ka ek sadasya ban gayi. Woh apne aap ko uss ghar ki bahu maanti thi aur hamesha Abhay ke kamre mein usske bistar par guzaarti unn lamhon ko yaad karte aur ensoo bahaate huwe jo ussne uss kamre mein Abhay ke saath bitaye the. Anny ko bhi har pal har cheez mein Abhay dikhaayi deta tha aur woh aksar roti rehti thi sab Abhay ki mummy se kehkar aur donon awratein milkar ek dusre ko dil ka dukda suna suna kar rote rehte.

Kabhi kabhi Anny apne hone wale sasu ke saath usski beauty parlour mein guzaarti kyunke yeh Abhay ka sapna tha ke woh usske maa ke saath palour bhi sambaalein. Aur Anny seekh bhi rahi thi Abhay ke maa ke saath ke keise baal banaya jaye aur keise beautician ka kaam bhi kiya jaye bahot tez student thi aur Abhay ki maa ne uss se kaha,

“Ab mujhe ziada chinta nahin hai ke main nahin rahungi to iss palour ka kia hoga, tu sambhaal legi mujhe pata hai- dekh Annny tujh par bada bojh hai, iss beauty palour ka bhi aur udhar Abhay ke school ka bhi; donon tumko hi sambhaalna hai, aur woh Vinay aur Iqbal hai nah, unn donon ko kabhi bhi school se alag mat karna, unnko baad mein partner bhi bana lena agar hamara Abhay nahin mila to, unn do ladkon ne bahot kuch kiya uss school ke liye Abhay ki ghair mawjoodgi mein; donon ko unn ke behtareen kaam ka moafza milna hi chahiye.”

Anny ne jawaab diya,

“Mummy ji aap eise kyun batein kar rahe ho jeise ke aap kahin jaa rahe ho? Aap kuch fikar mat kijiye, hamara Abhay zaroor milega, mera dil kehta hai. Abhay bilkool sahi salaamat hai agar ussko kuch huwa hota to mujhko pata chal jata, mere dil ki dhadkanein band hojaati agar mere Abhay ko kuch huwa hota to. Main zinda hoon na mummy ji to mera Abhay bhi zinda hai, yeh nahin ho sakta ke mere dil ki dhadkanein chal rahi ho Abhy ki nahin… agar meri sansein chal rahi hai matlab ke mera Abhay ka bhi chal rahe hein….. taqdeer hamare pyar ka imtehaan le raha hai, main taqdeer ka saamna karne ke liye tayyaar hoon mummy ji, mujhe pura yakeen hai apne pyar par; woh mujhko dobara wapas zaroor milega aur usske baad hum khushi khushi hamesha ke liye jiwan saathi bankar raheinguey.”

Phir donon rone lage….. awratein hote hi eise hein!

Saleem bhai heyraan tha ke usske hote huwe aur tamaam forces ko lagakar bhi ussko Abhay ka pata kyun nahin chal raha tha. Woh kissi se kuch kehta to nahin tha magar lagaataar woh koshish mein rehta Abhay ki talaash ki. Bahot door door tak chala gaya tha woh ussko dhundne ke liye. Jab kissi bhi tarkeeb se kuch nahin huwa to aakhir mein TV aur dusre media walon ki madad li gayi. Abhay ki tasveer ke saath press aur TV par bhi announce kiya gaya Abhay ki laapata hone ki. Ek hafte tak press mein aur TV par announce kiya gaya magar phir bhi koyi jawaab nahin mila kahin se bhi! Sab heyraan the aur darr bhi rahe the ke kahin kuch bura na ho gaya ho….. Ab hum logon ko pata hai magar zara sochiye sach mein agar aap logon ke saath eisa ho aur koyi kareebi rishtedaar mahinon bhar ghar na lawte aur usski khabar bilkool na mile to kia haal hoga?? Eise hi haalat the Anny ki aur Abhay ke sabhi rishtedaaron ka. Iqbal aur Vinay to bahot darrey huwe the unn donon ko lagta tha ke Abhy marr gaaya hoga!!

Sirf Abhay ki maa sahi sochti thi. Kyunke ussko pata tha ke usske bête ke saath pehle eisa huwa tha, to woh yehi kehti rehti thi ke usska dimaaghi santoolan thik nahin hoga aur woh kahin bahot door nikal gaya hoga, aur khud kaun hai ussko pata nahin hoga to keise woh kissi ko apne bare mein batayega…woh bilkool sahi soch rahi thi aur huwa bhi yehi tha. Magar dusre log pata nahin kia kia soch rahe the. Jo gham aur uljhan se guzar rahe the sab woh bayaan karna mushkil hai.

Vinay aur Iqbal ko kabhi kabhi Saleem bhai apne ghar bulate the kuch tehkikaat karne ke liye. Uss dawraan aap logon ko yaad hoga ke Saleem bhai ki ek beti hai, sakeenah jiss ko Iqbal dekhne ki koshish kar raha jab pehli baar woh wahan gaya tha Abhay ke saath- (update 5) To dhire dhire Iqbal uss ladki ka aashik hota gayaa. Ab inn donon ke bare mein likhun to aur ek kahani ban jaegi, magar bata deta hoon ke kuch jhijhakte huwe ussne dhire dhire kadam badhaya uss ladki ke taraf halaan ke Vinay ussko dantta rehta tha. Jab bhi weh donon Saleem bhai ke yahan jate the to Iqbal ki nazar Sakeenah ko dhundte rehte. Aur ahiste ahiste Sakeena ko bhi pata chal gaya ke Iqbal usska aashik ho gaya hai to woh bhi usska intezaar karti rehti thi.

Aur ek din Sakeena ne apne abu se kaha, “Abu woh donon ladke nahin aaye kayi dinon se, aap logon ka woh talaash puri ho gayi kia, woh Abhay mil gayaa?” Saleem bhai ne kahaa, “Nahin beti bechara pata nahin kahan kho gaya hai, woh pagla gaya hoga, ussko ek sadma pehle lag chukka tha dusri baar ishk ke chakkar mein par gaya aur taqdeer ka khel dekho ke iss baar bhi kuch weisa hi huwa uss Abhay ke saath bechara pata nahin kahan bhatak raha hoga!”

Magar Saleem bhai to purana khiladi tha ussko sab dikh rahe the ke jab jab Iqbal ata hai to Sakeena dawd kar ussko dekhne ati hai aur chup chup ka weh donon ek dusre se muskate hein aur donon ke nazrein ek dusre par rehte hein hamesha. Saleem bhai ko sab pata tha.

Bus ek din Vinay aur Iqbal wahan gaye, aur saleem bhai ke saath lounge mein baith kar Abhay ke bare mein batein kar rahe the to Sakeena, beech ke ek darwaze se lagi khadi, Iqbal ke taraf meethi meethi nazron se dekh rahi thi aur Iqbal bhi Saleem bhai ke baton par dhyaan nahin de paa raha tha, to Saleem bai ne muskurate huwe Iqbal se kaha, “Miyan, agar Sakeena se kuch kehna hai to jawo uss se baat karlo, baat karne ke baad mere baaton par bhi dyaan dena zara!!” Iqbal se ziada Vinay ko shock laga Saleem bhai ki baat ko sunkar, aur muskurate huwe ussne Iqbal ko dhakka dete huwe Sakeena ke paas jane ko kaha, jabke Sakeena sab sunkar laal chehra liye wahan se dawdte huwe chaatt ke taraf chali gayi jahan uss se milne ko Iqbal gaya……. Aur unn donon ke pyar ka parwaan chada aur Saleem bhai ne donon ka nikah karwane ke liye tayaar ho gaya. Magar sab logon ne decide kiya ke nikah Abhay ke wapas milne par hi hoga! Tab tak do naye aashik, Iqbal aur Sakeena milne julne lage aur ek dusre ke kareeb hote gaye……


To be continued………………….
bahut achchhi update dost
 
Top