• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,364 83.2%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 213 13.0%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 35 2.1%

  • Total voters
    1,639

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
14,827
103,244
259
Last edited:

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
14,827
103,244
259
Update - 145 ~ X

Ab tak...

Ava ke poore badan me sihran daud gayi. Woh kisi chidiya ki tarah harr taraf gardan modte hue apne chaaro orr dekhne lagi.

'V-Veer!!!!?'

Agle hi pal uski nazre bagal se lagi building ke uss terrace par gayi.

Par, usne jo saamne dekha toh-

Siwae aasmaan me chamakte chaand ke alaawa waha koi nahi tha.

Terrace khaali thi.

'Veer!!!????'

Ab aage...

Andhkaar!

Kya hota hai? Kya prakaash ka na hona andhkaar hai?

Maut!

Kya hoti hai?

Kya saans na le paana mrityu hai? Kuch sunn na paana, dekh na paana, bol na paana, mehsoos na kar paana. Kya yahi hai maut?

Agar vyakti inme se kuch bhi kar na paaye, ye bhi pata na ho ki uski dhadkane chal rahi hai ya nahi? Toh kya usse mrat ghoshit kiya jaa sakta hai?

Uss soch ka kya jo waha ab bhi maujood hai? Woh soch jo duniya bhar ke gyaan ko samajhne ke liye saksham hai.

Veer ki soch iss waqt issi sthiti se guzar rahi thi. Chaaro orr andhkaar fela hua tha.

Na hi wo apne shareer ko mehsoos kar paa raha tha aur na hi kuch dekh ya sunn paa raha tha.

Kaisa mehsoos hota hoga jab aapke saamne andhera chhaa jaaye. Aap jaante ho aapki soch ab bhi kaam kar rahi hai. Aap ye bhi samajh paa rahe ho ki aap andhkaar me doobe hue ho. Par kaisa mehsoos hoga jab ye bodh hoye ki sirf sochne ke alaawa aap aur kuch nahi kar sakte.

Koi awaaz nahi, koi drishya nahi, koi anubhooti nahi. Kaisa lagega tab?

Veer abhi issi sthiti me tha.

Aisa lag raha tha jaise woh kisi antariksh me ghoom raha hai. Farq sirf itna tha ki yaha koi taare nahi the aur na hi koi roshni.

Jab woh apne mann ke vichaaro me ladte ladte maansik roop se thak gaya, aur iss paristhiti se baahar nikalne ka koi hal khoj na saka, tabhi usse kuch dhundh si nazar aayi.

e5e79f4d-5006-464e-a05b-743a486a533b-screenshot

'Huh?'

Aur fir ek dhwani,

[....ster!!!]

[.....errrr!!!!!]

'Huh?'

Veer ki saansein tej ho uthi. Yeh awaaz woh bhali-bhati jaanta tha.

Aur agle hi shan, uska shareer kisi chumbak ki tarah khichta chala gaya. Uski consciousness drift hone lagi.

"Aaaarrrghhhh!!!"

Laga jaise woh aseem raftaar me antariksh me udd raha hai.

Theek uske turant baad hi,

'Uhh!!?'

Sab kuch akasmaat shaant ho gaya. Andhkaar toh abhi bhi tha. Magar ab,

Uska seena upar neeche ho raha tha. Woh saans le raha tha.

Uski naak me aas paas ke vatavaran ki praanvayu aane lagi. Samudra ki lehro ka shor sunaayi dene laga.

Ek ek karke harr senses uske apna apna kaam karne lage. Woh zinda tha.

Saath hi,

[Maaaasttttteeerrrrr!!!]

Woh awaaz bhi usse sunaayi di.

Palke jhapki aur dheere dheere Veer ki aankhon ke saamne kuch drishya aane lage.

'Urgh!'

Ek andhruni karaah uski nikli. Aankhein dard kar rahi thi. Usse fir kuch nazar aaya.

Apni baayi orr dekhte hi kuch aisa nazaara uske saamne tha.

blue-moon-cave-572f63075f9b58c34c820622

Akaash me chandrama apni roshni bikhere chamak raha tha. Derr raat ho rakhi thi.

[Master!!! Thank god! Finally! Can you hear me?]

Veer ne mann hi mann haami bhari.

Poora badan uska dard kar raha tha. Lag raha tha jaise uske shareer ke tukde tukde kar ke zameen par bikher diye ho.

Jab usne aas-paas ka jayza liya toh usse anumaan ho gaya ki woh samudra me maujood chattaano ke nichle hisse me bani kisi gufa me tha.

Uska shareer chattaan ki deewaar se hi tika hua tha. Peeche usse kuch gadd raha tha. Apne haath ko tatol ke usne uss cheez ko sehlaaya toh paaya ki ye wahi gun thi.

Jo usne Ushant Island me uss ek gang member ko behosh kar ke chhinaayi thi.

Abhi woh kuch harqat karta ki tabhi usse kuch awaaz sunaayi di. Kisi ke qadmo ki awaaz thi. Dheere dheere ye awaaz uske nazdeek aa rahi thi.

Veer turant hi sachet ho gaya. Khatre ki bhanak lagte hi usne sarr utha ke saamne dekha.

Ek bade se shareer ki chhaaya aakriti uske saamne thi. Usse dekhte hi,

'Check!!!'

*Ding*

[No information available.]

Notification dekhte hi Veer ki aankhein bhay ke maare fel gayi.

'Crimson???'

Uski aadat bann chuki tha harr nazdeek maujood insaan ko check karna.

Notification ka bodh hote hi,

*Swoooshhhh*

Woh apni jagah se ekdum se ucchla.

[Master-!!! No-!!! Wait!!]

Par Pari ki baat sunn'ne me usse derri ho gayi. Woh tab tak hawa me kood chuka tha.

Saamne khada vyakti uske iss tarah achanak hamle se achambhav me reh gaya.

"Y-You-!!!!"

Veer kisi ghaayal sher ki tarah uss aadmi par lapka aur uske vishaal shareer ke upar chadh gaya.

Furti me uska haath peeche kamar par gaya, aur haath me gun aate hi Veer ne bandook uss aadmi ki khopdi par upar se taan di.

Magar,

Trigger nahi daba paaya. Kyuki,

Veer ki aankh ke theek saamne ek paini sui bas 0.5 cm ki duri par tainaat thi.

Jaha Veer uss aadmi ki peeth par chadh uske sarr par aim lagaya tha. Toh wahi uss aadmi ne jhatse kahi se lagbhag 15 cm lambi ek sui nikaal ke Veer ki aankh ki putli ke saamne kar di thi.

Veer ki aankhein adh-khuli thi. Saansein bhi ukhdi-ukhdi le raha tha woh. Yu jaldbaazi me ucchalne se uske shareer ka dard bhadha aur jagah jagah se khoon nikalne laga. Parantu, uske baad bhi woh tass se mass na hua.

Aadmi : Such will power-!!!

Haafte hue woh uss aadmi ke upar hi chadha hua tha.

Aadmi : Ladke!!! Neeche aao!! Issi waqt! Warna apni aankh kho doge. Tumhari bandook me goli nahi hai!

Ye toh Crimson nahi tha. Aadmi ki awaaz sunte hi Veer ne forun hi trigger daba diya.

*Click* *Click*

Par uss aadmi ki baat satya thi.

Gun me waqai bullets nahi thi.

'Tsk!'

Veer jaise hi neeche aaya woh ladkhada ke gir pada.

[Master!!!!]

Uske girte hi saamne khade shaks ka chehra gufa me chaand ki aati roshni ke saamne aaya. Veer ne dekha ki qareeban 50 kuch ki umr ka vyakti uske saamne tha.

Bhayanak badi kad-kaathi. Lambe ghane baal jo adhiktar kaale the magar kuch safed baal bhi unme shaamil the.

Badi badi daadhi aur lambi latakti hui mooche.

Ghaayal Veer usse bas satarkta me ghoor raha tha. Iss haalat me bhi woh ladne se bhaag nahi raha tha.

Aadmi ne apne haath me li hui badi si sui ko apni kamar ke peeche ek kapde ke bag me rakh liya.

[Master! Don't worry! He's our benefactor. Usne hi aapki jaan bachaayi hai.]

'What?'

Pari ki baat sunn, Veer hairat me uss aadmi ko dekha.

Aadmi : Taajub hua? System ne sach bata diya? Mein tumhara dushman nahi ladke.

Aadmi ne chinese bhaasha me bola. Jiske jawaab me Veer ne bhi chinese me hi baat ki,

Veer : Kaun ho tum?

Aadmi : Tum mujhe 'Renshu' keh ke bula sakte ho.

Renshu apna vishaal shareer liye wahi bane ek patthar par baitha. Kamar par latki ek bottle gourd usne nikaali aur usme se paani peene laga.

Pyaas bhujte hi usne bottle gourd Veer ki orr feki.

Veer ne ek haath se uss bottle ko catch kiya. Ye natural water bottles hoti thi jinhe bottle gourd ki sabzi se banaaya jaata tha.

Renshu : Paani hai! Tum 2 din se behosh the. Pee lo!

Veer ne kuch shan tak Renshu ko dekha aur fir apne haath me uss natural water bottle ko.

[It's okay Master! Drink it.]

Pari ki sahanubhuti se Veer ne fir koi virodh nahi dikhaya.

Usne paani piya. Ab harr jagah usse dard mehsoos ho raha tha. Josh josh me woh ucchal ke Renshu pe chadh toh gaya tha par uske chalte uske shareer ke ghaav firse khul gaye the. Khoon fir behne laga tha.

Renshu wahi se kuch qadmo ki duri par lakdiya ikhatta kar aag jalaane chala gaya. Derr raat ho rahi thi aur thand thodi badh chuki thi.

Renshu : Ladke!!! Tumhe pata hai tumhare behosh hone ke baad kya kya hua hai?

Veer ko sab jaise yaad aaya. Ushant Island ki woh vardaate.

Veer : R-Right-!! Mein! Kya hua tha?

Iss baar usne Hindi me bola aur uska jawaab Renshu ne bhi Hindi me hi diya,

Renshu : 2 din tak Island ke aas-paas chhaan been chali hai. Tumhari laash ko dhundhne ki. Kuch derr pehle hi woh sab yaha se nikle hai.

Yaani Veer 2 din se behosh tha. Aur waha DGSI aur police force do din tak Island ke tat par chhaan been karte rahe.

Veer : Hum unse kitni dur hai?

Renshu : Kareeb 2 KM dur. Chinta ki zaroorat nahi. Ye jagah surakshit hai ladke.

Dono ke liye koi bhi language barrier nahi tha. Woh harr bhaasha me baat kar sakte the. Aur DGSI logo ke jaane ke baad shayad isliye ab Renshu bina kisi fiqr ke aag jala raha tha.

Veer : Mein 2 din se behosh tha?

Renshu : Poore 2 din aur 3 raat.

Veer : That's-!!

Renshu : Mein sab kuch samjhane nahi baitha tumhare liye. Apne system se pucho. Woh tumhe samjha dega. Ya…! Samjha degi!?

Veer ne Pari ko awaaz lagayi toh andar se Pari ki awaaz aayi. Woh toh tatpar hi baithi thi sab kuch bataane ke liye.

[Master-!!]

'Pari! Kya hua tha akhir? Mujhe yaad hai, mein-! Crimson se ladayi kar raha tha. Uske baad-! Right! Ava!! She-!'

[First of all-]

'!!??'

[Don't you fucking do that ever again!!]

Pari ki awaaz bilkul wesi hi thi. Ruwaasi. Jab usne antim baar uss se baat ki thi. Awaaz bilkul wesi hi thi.

'I-'

[Stop! A-Aur meri baat suniye pehle-!]

[Kya soch ke aapne aisa kiya haan? Who told you to do that? Aapne ek baar bhi mere baare me nahi socha? I told you. Didn't I? Mein firse koi energy se space travel nahi kar sakti. Once you die. I die as well. Aur uske baad bhi aapne-]

'I-I… I'm sorry Pari!'

Apne Master ke muh se sorry sunn, Pari turant hi shaant ho gayi.

[J-Just keep in mind from now on. Ahinda se aap aisa kuch nahi karenge.]

'Yes!'

[Aur rahi baat kya hua tha? Then allow me to explain.]

'Hmm!'

Veer kisi bacche ki tarah tha abhi jo apni maa se daant kha raha tha. Pari uski laparwahi par bhadak rahi thi. Magar zyada derr apne Master se gussa kaise reh sakti thi.

[Sabse pehli baat Master. Jo aadmi aapke saamne hai. Usne hi aapki jaan bachaayi hai.]

'Renshu?'

[Yes. Jab aap paani me gire the toh Renshu hi tha jo aapke shareer ko saath leke waha se dur leke aaya.]

'I see! Magar police ne dekha nahi? Hum underwater aaye? Mein bach kaise gaya?'

[Aap underwater kuch seconds ke liye hi the. Renshu aapko neeche ke raaste se laaya hai. Aur fir tairte tairte yaha iss gufa me. It was so hard. Kayi baar bache hai. Then, he removed the water you swallowed, and the bullets as well. Fir dressing hui aur ab jaake aapko hosh aaya hai.]

'I see!'

[And that witch-!!!]

'Huh?'

[AVA GRACE MARTIN! The witch framed us. Usne hume dhoka diya Master. Woh uss Crimson ke saath mili hui thi.]

Veer ko andaaza toh tab hi ho gaya tha jab usne Ava ko helicopter me baithe dekha tha. Uska kuch na kehna. Woh khamoshi sab kuch bayaa kar gayi thi. Veer sab jaan gaya tha. Par ek baat se abhi bhi anibhigya tha woh.

[Also, she has a system.]

Aur Pari ne keh diya. Ye jaante hi Veer ko ek bada jhatka laga.

'Kya????'

Woh ye jaanta tha ki Ava ne usse dhoka diya hai. Par uske paas system tha? Ye bhala kaise ho sakta tha?

'N-No! Ye namumkin hai. Mene check kiya tha aur-'

Pari ne tabhi uske mann me screen ke saamne kuch rakh diya.

*Ding*

[Skill : Camouflage.
Bio : Allows the host to set a fake status according to their will. Favourability can also be altered.]

Skill ka description padhte hi Veer hakka bakka reh gaya.

'N-Nahi!!'

[Shuru se ant tak, woh aapke saath game khel rahi thi.]

'N-No!'

Ek ajeeb si peeda Veer ke dil me janm li. Aur baar baar ek hi sawaal pe uski sui aake atak rahi thi.

Akhir kyu?

Kyu kiya Ava ne uske saath ye sab? Kya bigada tha usne Ava ka? Woh toh yaha uski madad ke liye aaya tha na? Toh fir kyu?

Pari ne jaise apne Master ki peeda ko mehsoos kar liya. Andar hi andar Veer ki iss haalat ko dekh Pari ka khud ka seena chhalni ho raha tha.

Parantu, apne Master ko satya se avgat karana zaroori tha.

'T-Tumhe kaise pata chala Pari?'

Veer ki awaaz ahista se Pari ko sunaayi padi.

[Jab aap paani me waha se kood rahe the. Aapki nazre police officers par thi. Par meri nazre, Ava par tiki hui thi.]

'??'

[She was leaning down towards the door of the helicopter. Woh jhuk ke aapke girte shareer ko bade hi dhyaan se dekh rahi thi. Uski aankhon me woh glaze.... The moment I saw it- I knew what was happening.]

'Magar-'

Veer punaah apni baat rakh paata ki tabhi Pari ne ek aur jankaari uske saamne pesh kar di.

*Ding*

[Skill : Death Flag.
Bio : Allows the host to set a target on any living being. A Death Flag will then be raised indicating the being's life and death condition. As long as the Flag is up, being will be considered alive. Once the Flag falls, it means the being is dead.

Range : 1 KM (Upgradable upto 2 times.)

Note : Host must remain within the range to check the condition.]

Aaj Veer ka imtihaan tha. Usse jhatke pe jhatke lag rahe the. Harr baat usse stabdh kar ke chhodh rahi thi.

[That explains why she was leaning down to see you.]

'P-Pari!!! Tumne ye sab kaise itne kam time me-?'

[Yes. I did it. Also, I'm sorry Master.]

'Sorry? K-Kyu?'

[Aapki heartbeat rokne ke liye.]

'What?'

[I'm sorry! Lekin, Ava kitni hi smart kyu na ho. I'm still smarter than her.]

'???'

[Death Flag, woh skill hai Master jo aapko ye bataati hai ki koi zinda hai ya nahi. Ava ne aapke upar Death Flag lagaya tha. Taaki, usse pata chal sake ki aap zinda rahoge ya nahi.]

Abhi bhi Veer ko ye sab sach hazam nahi ho raha tha. Par yahi satya tha.

'Ava ne!? Mujh par? K-Kab?'

[Kabhi bhi kar sakti hai Master woh. But I think mujhe pata hai usne kab kiya tha.]

'K-Kab?'

[Remember the time when we went to her concert?]

Veer ne tabhi apni yaadon me jhaak ke dekha. Aur uske haath ek khaas pal laga. Jaha woh Las Vegas me Suhana aur Divya ke saath Ava ke concert me gaya tha. Ava ne hi toh invitation bheja tha.

[Kya hua tha jab aapne usse check kiya tha?]

Veer ko jaise hi dhyaan aaya, uske badan me raungte khade ho gaye.

Jab usne Ava ko check kiya tha, toh stage par maujood Ava ne ek jhatke me uski orr dekha tha. Tab Veer aur Pari dono hi hairaan reh gaye the. Lekin, uske baad jab Ava ne Suhana aur Divya ko bhi dekh haami bhari thi toh Veer ne uss baat ko apne dimaag se nikaal diya tha.

[Yes! Now you remember. I think that was the time when she marked you.]

Veer ke hosh udte hi jaa rahe the. Ye saari sacchaayi ek saath hazam karna behad kathin tha.

Ab ek ek karke Ava ke saath guzaare harr pal usse yaad aa rahe the.

whattsap-handemiyy

Ab usse samajh aa raha tha kyu woh haath se goli maarne ka ishaara karti thi. Woh sirf mazaakiya dhang nahi tha uska.

Hande-Er-el-GIF

She was after his life, all along. Aur woh sanket the uske.

Woh alley me le jaana, fake police, protection ke liye invitation. Sab kuch frame kiya gaya tha.

Veer ka sarr apne aap hi neeche jhuk gaya. Uske ghane baalo ne uski aankhon ko dhak liya. Renshu dur baithe side-eye kar Veer ke expressions padhne ki koshish kar raha tha. Kintu, woh nakaam raha.

[As I said, woh bhale hi smart ho. Magar mujhse smart nahi ho sakti. Death Flag me apna ek fault hai Master. After all, it's just a Gold Tier Skill. Nothing much.]

'???'

[Aur woh fault ye hai ki Death Flag sirf targeted person ki heartbeat ko check karke notification deti hai. Basically, kisi ki heartbeat band ho gayi toh woh dead maana jaata hai. Right?]

'Aur isliye tumne meri heartbeat-!?'

[Yes. Sorry. Mene bataya tha aapko ki mein ek time par ek hi cheez par focus kar sakti hu. Pehle aapke blood loss ko rok rahi thi. Lekin, Ava ko galat notification dene ke liye mujhe blood loss se focus hata ke heartbeat par dhyaan lagana pada.]

'I see!'

[Woh abhi yahi samajh rahi hogi ki aap marr chuke ho.]

'Why did she-?'

[Zaroor uss Crimson ke saath mili hui hai woh Master.]

Veer ki mutthi achanak hi kass uthi.

[Time to time mene Beowulf activate kiya hua tha. It gives 50% more healing. Isliye aap jald hi hosh me aa gaye.]

'Ohh!'

[Yes! So, Beowulf ka use karte rahiye. Energy zaroor lega woh lekin aap heal jaldi hoge.]

'Pari!'

[Umm?]

'Thank you so much! Mene laparwahi ki par tumne fir bhi mujhe-'

[Yahi mera kaam hai Master. And didn't I tell you?]

'???'

[As long as I'm here. I won't let you die.]

Iss baar Veer ke honth halke se muskaan me fel gaye. Aur gaal se ek ashru ki boond fisal ke beh gayi. Kintu, aankhein ab bhi baalo se dhaki hui thi.

'Kyu kiya Ava ne mere saath aisa? Mission??'

[Ho sakta hai. Dusra case ye bhi ho sakta hai ki woh majboor ho. Lekin, fir bhi-! Mein usse maaf nahi karne wali.]

Veer ne koi jawaab na diya. Uske chehre par kya bhaav the ye koi nahi jaanta tha.

[Aur ek baat bataani hai Master.]

'What is it?'

Tabhi ek aur notification Veer ke mann me jhalka,

*Ding*

[Mission - 'Get to Ava as soon as possible' is failed.]

[2500 Points will be deducted.]

'Ah!!!'

[Aap puch rahe the na ki mission ki penalty sirf 5000 points kyu hai? Toh ye raha jawaab. Ava kabhi mushqil me thi hi nahi Master.]

'Aur uske baad bhi system bewakoof bann gaya?'

[Yes. Almost actually. Ava sirf acting kar rahi thi. Kahi na kahi system ne bhaanp liya tha ki kuch gadbad hai lekin pin-point nahi kar paaya. Isliye penalty me sirf 5000 points hi the.]

'Aur agar woh asliyat me mushqil me hoti toh?'

[Toh penalty points kam se kam 10,000 toh hote hi.]

'Ab mujhe sab samajh aa raha hai Pari.'

[Yes. Isliye mission fail hone par penalty sirf 2500 points ki lagi hai. System ne realise kar liya tha ki ye sab framing hai.]

'I see! Mere paas itne points toh nahi hai Pari. Kya zaroori hai abhi deduct hoye saare points?'

[Don't worry. System update ho chuka hai Master. Aap points collect karke fir penalty bhar sakte hai.]

Veer ne ye sunn ek raahat ki saans li.

'That's a relief.'

Veer ki nigaahein fir dur baithe Renshu par tik gayi.

[Master. Mujhe nahi lagta woh hamara dushman hai.]

'Hmm!'

Ab jaake Veer ko samajh aa raha tha. Ava ka yu singer hona. Usse ye bhi yaad aaya ki Suhana itna kyu pareshaan thi concert ke dauraan. Bachpan me kabhi Ava ne singing me koi ruchi nahi dikhayi thi. Toh achanak itne kam samay me itni safalta paana. Upar se aise darje ki singing.

Sab samajh aa gaya tha Veer ko.

[Kahi na kahi mene Renshu ki skills ka andaaza bhi laga liya hai. This guy must have some survival skills, medical skills and some identifying skills.]

Renshu itne me uth ke Veer ke nazdeek aaya aur uske shareer par jagah jagah bandhi pattiyo ko kholne laga.

Veer bas chup chaap uski harqato ka aaklan kar raha tha. Uske mann me abhi aneko sawaal ghoom rahe the.

Apni potli se nayi pattiya Renshu ne nikaali aur Veer ke badan par ghaav waali jagaho par baandh di.

Veer : Urgh!!! Why help me?

Renshu : Kyuki yahi mera kaam hai. Sansaar ke sanrakshan ke liye, tum jaiso ka zinda rehna zaroori hai.

Veer : Huh?

Renshu : It's my duty. I must protect those who can help in sustaining peace.

Veer (frowns) : Oh really? Toh meri jagah Crimson ko kyu nahi bachaya?

Renshu : Kya yahi naam hai uska?

Veer : Tumhe uska naam bhi nahi pata?

Renshu ne naa me sarr hila diya.

Renshu : Bilkul nahi! Mein uss se pehle kabhi nahi mila. Bhala mujhe kaise uska naam pata hoga. Ladke! Ek system dhaarak vyakti dusre system dhaarak vyakti ko check nahi kar sakta.

Veer : Ohh!

Veer ko ek aur nayi jankaari haath lagi. Matlab ek system owner dusre system owner ko check nahi kar sakta tha. Ava ko woh isliye check kar paaya tha kyuki Ava Camouflage skill rakhi hui thi. Ab sab kuch sense bana raha tha.

Veer : Agar aisa hai toh fir Crimson ko kaise mere baare me-?

Renshu : Baahri source bhi hote hai ladke.

Veer : Mera naam Veer hai.

Renshu (nods) : Hmm!

Veer : Tumne abhi bhi mere sawaal ka jawaab nahi diya. Agar, system owners ko bachaana hi tumhara kaam hai toh meri jagah Crimson ko kyu nahi bachaya?

Renshu : Mene tumse kaha na. Mein unhe bachata hu jo shaanti ke santulan ko banaaye rakhne ke yogya ho. Woh Crimson...! Mujhe uss se koi umeed nahi. You are the one who matters.

Veer : Bina matlab ke tumne meri madad nahi kari hogi. So tell me. What do you want from me?

Renshu : Samajhdar ho! Par abhi ye samay nahi. Sahi waqt pe tumhe pata chal jayega ki favour kab return karna hai. For now, just rest. And heal your wounds.

Veer shaant ho gaya. Kuch derr baad usne apni baat rakhi,

Veer : Tumhare paas phone hai? Mujhe ek call karna hai.

Renshu ne naa me gardan hilaayi.

Veer : Whattt??? Tumhare paas phone bhi nahi hai?

*Whistle*

Agle hi shan Renshu ne ek zordaar seeti maari. Aur kuch hi palo me waha ek kabootar apne pankh fadfadate hue gufa ke andar pravesh kiya.

[Ah! It's a pigeon.]

Kabootar andar aake seedha Renshu ke kandhe par baith gaya. Aur fir neeche utar Veer ko tak-taki laga ke dekhne laga.

Apne jhole me se Renshu ne ek kaagaz ka tukda nikaala aur syaahi waala ek pen. Kaagaz par kuch likha aur fir usse roll karte hue woh kabootar ke perr me baandhne laga.

Veer uski harr harqat ko padh raha tha.

'This guy seems a bit old-fashioned.'

[Old fashioned ho ya na ho. Lekin, uske paas pigeon ko tame karne ki bhi skill hai. I see.]

Jaha Veer nayi nayi jankaari praapt kar stabdh hota jaa raha tha toh wahi Pari pehle se 10 guna aur satark ho chuki thi. Woh apna poora dhyaan system owners ki skills aur cards ko identify karne me laga rahi thi.

Veer : Tumhe system ke baare me itni jankaari kaise hai?

Renshu kuch derr ke liye maun raha. Woh Veer ko taakta raha aur Veer usse. Fir ek gehri saans lete hue usna batana shuru kiya.

Renshu : Tumhe bataane me koi harz nahi hai. Toh suno.

Veer : Hmm?

Renshu : Sansaar me kul 30 System dhaaran karne waale log the.

Veer : 30???

Veer ko ek aur bada jhatka laga. Pari ne toh shuruaat me uss se kaha tha ki wahi ekmaatr hai. Fir ye sab?

Renshu : Aur ab sirf 18 bache hai.

Veer : You mean-!!!?

Renshu ne jaise hi haami bhari toh Veer ke badan me ek sihran daud gayi.

Veer : Baaki 12 logo ka kya hua?

Renshu : Woh marr gaye. Ya maar diye gaye.

Veer : A-Aur ab?

Renshu : Isliye mene tumhe bachaya hai. Santulan banaaye rakhne ke liye. Tumhara zinda rehna zaroori hai.

Veer (frowns) : Tumhe kaise pata chala ki mein aur Crimson aapas me bhidenge. Aur mera ye haal hoga?

Renshu (sighs) : Mujhe ek call aaya tha.

Veer : Huh?

Renshu : Sach kahu!!! Toh koi hai...! Koi hai jo shayad iss shatranj ke khel me hum sabko pyaade ki tarah istemaal kar raha hai. Aisa mera mann keh raha hai.

Veer : Phone se tumhara kya matlab hai?

Renshu : Uss phone call se hi mujhe pata laga ki tum jaisa naujavan yaha musibat me aane waala hai. Woh aadmi ye bhi jaanta tha ki mein tum jaise logo ko bachaane ke liye hi kaam karta hu.

[That's strange Master.]

Veer : Iska matlab Crimson par woh goli-

Renshu : Woh goli mene hi chalaayi thi. Mujhe laga tha tum usse shayad shikast dedo. Lekin, woh tum par haawi tha.

Veer : Kaun hai woh unknown?

Renshu : Abhi ke liye-

Veer : ??

Renshu : Mein usse 'X' keh ke bulaata hu. Koi toh hai, jo ham sab se zyada jaanta hai inn sab ke baare me.

Veer : X!!?

Renshu : Hmm! Sandesh bhej diya hai mene. Jald hi ek helicopter yaha aa jayega. Lekin 2 din lagenge. Tab tak hume yahi rukna hoga. Aur tum-!!! Ab zyada hiloge nahi.

Toh isliye shayad usne woh kabootar ke perr me sandesh baandh ke bheja tha. Ye saari information Veer ke liye bohut zyada thi. Apne mastishk ko araam dene ke liye Veer aankhein band kar araam karne laga.

Yaha se nikalne me abhi usse samay tha.

Dekhte hi dekhte kaafi waqt beet chuka tha. Renshu aur woh Paris aa chuke the. Aur yaha aate hi Veer ne sabse pehla jo kaam tha woh tha apne ghar waalo ko soochna dena.

Usse gaayab hue ab hafte ho chuke the. Paris aane me bhi usse zyada hi samay lag gaya tha. Uska shareer lagbhag 70% heal ho chuka tha.

Pichli ek raat full moon ki raat thi. Beowulf ke stat percentages full moon me double ho jaate the. Jaha usse normally 50% healing me baddhotri milti thi toh wahi full moon me ye 100% ho jaati thi. Matlab duguni.

Jis kaaran woh kaafi jaldi heal ho gaya. Jis vyatha me woh pehle tha, udhar se aane me warna usse mahine se upar lag jaata.

***

3 hafte ho chuke the. Paris me Bhavna sang sabhi log ek hotel ke kamre me maujood the. Yaha ki sthiti dekh ke iss waqt unke andar ki bechaini ka varnan nahi kiya jaa sakta tha.

Ek Maa apne bete ki khabar paane ke liye tadap rahi thi. Behne apne bhai ke baare me jaan’ne ke liye vyaakul thi. Ek buzurg apne pote ke haal-chaal ke baare me jaan’ne ke liye icchuk the.

Magar koi khabar haath nahi lag rahi thi. Tej Paris ke hi logo ke social media par unke kuch open accounts me chhaan-been karne me lagi hui thi.

Bhavna : Kuch pata chala beta?

Tej : Dekh rahi hu Mom!

Woh abhi kuch accounts ko dekhi hi thi ki kisi ek ladke ke open account me usse woh dikh gaya jo usse bilkul nahi dikhna chaahiye tha.

Uske hi bagal se baithi Arohi bhi sab dekh rahi thi. Saamne dali post ko jaise hi usne padha. Arohi bechaari ke haath se uska mobile chhutak ke neeche gir gaya. Woh kisi murti ki tarah apni jagah par jamm gayi.

Paris me janta kitne virodh me thi ye sirf Paris hi nahi poora France jaanta tha. Achanak se kisi criminal ki photos harr platforms se hata di jaaye toh kya karegi janta aise me?

Vidroh! DGSI ke iss action se jaise aam janta aur gusse me aa padi. Bhale hi Veer ki photos daalne par karyavaahi honi thi. Magar, janta ne uska hal bhi dhoondh nikala tha.

Koi na koi, fake accounts bana ke Veer ki wahi news aur photos daalne me laga hua tha. Taaki, janta tak khabar barabar bani rahi ki yahi woh shaks hai jisne unke sheher me aatanki hamla kiya hai. Ye bach ke jaane na paaye.

Arohi aur Tej ke saamne wahi khabar thi jo hafto pehle news channels par release hui thi.

Bhavna ne jaise unke haav-bhaav padh liye,

Bhavna : K-Kya hua?

Par koi jawaab na mila. Tej ke haath ki ungliyaan laptop ke touch pad par rakhi hui kaanp rahi thi.

Arohi aur woh, dono hi bhaybheet aankhein faade murti ki tarah wahi baithi hui thi.

Bhavna tezz qadmo ke saath unke paas aayi aur jaise hi usne screen par maujood khabar ko dekha. Pal bhar ke liye toh usse kuch samajh na aaya. Fir jaise bodh hua. Aur abhaas ka fir bada sa patthar jaise uske sarr ke upar aake gira.

Apne muh ko saree ke chhor se dhakte hue woh ladkhada ke wahi gir padi

“N-Nahi!!!”

Arohi ki aankhein apne aap hi bheeg gayi. Naino me aansu panapne lage. Veer ke akhiri shabd uske dimaag me goonjne lage.

“Arohi di!! Aap se mujhe kaam hai. Kya aap ghar aa jaogi? Teju di aur baaki sab aapko yaha sab samjha dengi. Aur Kavya ko bhi le aana. Warna baad me woh muh fula ke baith jayegi.”

Uske baad se uski baat Veer se nahi hui thi. Woh Paris jaa chuka tha. Aur ab ye khabar…!

Arohi ka dimaag jaise kaam karna band kar chuka tha. Tej ka haal aur bhi bura tha. Woh becchari wese hi baat karne ke liye kitne dino se tadap rahi thi. Kintu, uske saamne toh-

Uske bhai ki maut ki khabar jhalak rahi thi.

Ab sab dorr aapas me judti jaa rahi thi. Kyu phone nahi lag raha tha. Kyu usne Bhavna se ghar par rehne ke liye zidd ki thi. Sab kuch Bhavna ko samajh aa raha tha.

Manorath ye drishya dekh aage badhe. Unki kuch samajh nahi aa raha tha. Ye sab iss tarah se kyu pesh aa rahe the?

Par abhi woh aage badhi hi the ki Tej ka phone baj utha.

Ghanti bajti jaa rahi thi magar Tej ko jaise duniya ka ab koi shor sunaayi nahi de raha tha.

Arohi ka haath apne aap phone par gaya, usne call uthaaya aur phone apne kaan se laga liya. Aur tabhi, dusri orr se ek awaaz aayi,

“Teju dii!”

Pal bhar ke liye laga jaise Arohi kisi sapne me thi. Uske dil ne kayi dhadkane ek saath phaand li. Haath kaanpne lage.

Arohi : Veeeeeeeeerrrr????

Aur uske iss shor se Tej aur Bhavna dono hi hosh me aa gayi. Bhavna ne fauran hi Arohi se mobile chhina ke apne kaano me lagaaya.

Bhavna : H-Hellooo???

Toh fir ek awaaz waha se aayi,

“M-Maa?”

Aur bas! Bhavna ki tezz dhadkane aur tezz hui magar uss awaaz ko sunte hi uski saansein fir durust hone lagi. Aur aankhon se nirantar aansu behne lage. Ye awaaz sunn’ne ke liye uske kaan taras gaye the.

Bhavna : V-Veeeeeer? B-Beta???

Veer : Umm! Mein theek hu. Surakshit hu. Aap chinta mat kariye!

Bhavna jaise muh se shabd baahar hi nahi nikaal paa rahi thi. Tej ne phone lete hue apne kaan se lagaya aur boli,

Tej : V-Veeeeer????

Veer : Teju dii!

Aur Tej ka bhi yahi haal tha. Woh ro padi.

Tej : K-Kaha ho tum? Ye khabar! Y-Ye sab kya hai? Hum sab Paris me hai!!

Veer : Aap sab Paris me ho? Mene Maa se kaha tha na ki ghar se baahar mat nikalna, jab tak mein laut nahi aata then-

Tej : SHUT UP!!!

Veer : Huh?

Tej : Shut up! *sniff* Bolo kaha ho tum!! Jaldi!!!

Veer : Mein-

Tej : Don’t you fucking dare!! Tell me!!! *sniff*

Veer : Aap sab jaha par hai. Wahi rukiye. Mein kuch hi dino me aapke saamne hounga. Ghabrana nahi Teju di. Haan? Maa ko sambhaalna!

Tej : T-Tum kya keh rahe ho? Veeeeeer!!!

Veer : Mera aapke paas rehna abhi theek nahi. Jo khabar aapne padhi hai. Woh ek badi misunderstanding hai Teju di. You believe me na? Then trust me. Mere baare me koi bhi topic mat uthana public me. Mein sab samjha dunga baad me-

Tej : N-Nooooo!!

Veer : Abhi aapko bas wahi rehna hai. Don’t get out okay? Mein jald hi lautunga. Don’t worry!

Tej : N-Nahiiiiii! Veeeeeerrrrr!!

Par tab tak call cut chuka tha.

Idhar Veer ki nazre call cut karne ke baad uss saamne hotel ki building par tik gayi.

7th floor par, ek khubsoorat celebrity, aur singer khidki se lag ke khadi hui thi.

Veer ke baal raat me tezz hawao me lehra rahe the.

Theek uske peeche kuch duri par Renshu khada hua tha. Veer ka aura woh mehsoos kar paa raha tha.

‘The air has changed around him. It- It feels heavy.’

Renshu ki bauhe thode aashcharya me uthi hui thi.

Veer ki aankhon me koi bhaav nahi jhalak rahe the. Renshu ne usse kapde diye the. Iss samay woh ek white shirt pehna hua tha, jo tezz hawao me lehra rahi thi.

Pari ki awaaz tabhi uske mann me aayi,

[Uddyamen hi sidhyanti, kaaryaani na manorathe,
Na hi suptasya singhasya, pravishanti mukhe mragah.]

'!!!?'

[Yaani ki, koi bhi kaarya kadi mehnat ke bina po
ora nahi kiya jaa sakta Master. Sirf sochne bhar se kaarya poore nahi hote. Unke liye prayatn bhi karna padta hai. Kabhi bhi sote hue sher ke muh me hiran khud nahi aata. Usse shikaar karna padta hai.]

'Pariiiiii!!!!'

[Y-Yes!!!]

'Get ready!!! We're going on a hunt!!!'

Aur woh agle hi shan uss building se tezz raftaar me gaayab ho gaya.

Aur yaha dur hotel ki building me khadi Ava bas uss building ki khaali terrace ko dekhti reh gayi.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Update consists of 5.5k words. Emergency ke chalte ye update late aaya hai. Length kaafi badi hai. Kul 5 updates aur baaki hai iss arc ke. Target is still the same. 150. Likes thokne ka revos rakhna ka. Agla update jald dene ki koshish rahegi. Since this one came late.

Dhanyavaad! ✨
 
Last edited:

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
14,827
103,244
259
jabdast update bhai maja aagya ab crimson to gya

Superb update

Boss is coming, wait till than motherfuckers.

Super update broo... maza aa gya . Abb dekhna hai ki veer kaise baccha . Curious about it.

Super update bro

Zabardast update

Shandar jandar update bhai...

Veer ke na hone se ....uske sath Jude logon ka manbhao ka aapane bakhubi se vivaran Diya Hai..
Ava ko ab Reliase ho raha hai ki apni Man Ki Jaan bachane Ke Liye vah bahut se Logon ke bhavnaon ke sath galat Khel gai..

Baki last Mein Ava Ko Aaya hua message Kahani Ko naya Mod De Gaya..

Nice har baar ki tarah is baar bhi best hai

Terrific update Werewolf bhai...

Very touching update bro.... Keep up the good work man...

Mughe malum tha is update me veer ke liye kuch nahi hoga.....

Ab agle update me dikhaya jayega ki veer kaise bacha.....

Jabardast update bhai.. 💥💥🔥🔥

Yeahhhh!! Fuckk yeaahh Veer is back
Poore 3 hafte ke baad lauta hai kaafi changes ki umeed hai iss baar Veer mei.
Now he will become real sigma male. Chad

Fantastic jabardast mazedaar raapchik update sir 😍😍

Mujhe laga tha iss update mein yeh dikhaya jaayega ke Veer ka kyaa hua aur woh kaha gaya. Par yaha toh waise kuch hua nhi. Balki Veer ke pichhe se kya kyaa horaha hai woh sab dikhaya gaya. Khairrr ab agle update mein Veer ke baare mein jarur bataya jaana chahiye.

Amazing update ..👌

Veer :- "King 👑 is Back👿"

Veer is back ...ye....👀💜😍

Ye update nahi ye teaser tha Ane wali movie ka. supreme update .
Veer😎 :-----"King 👑 is back 👿"

Zabardast fantastic update 👍👍👍👍👌👌👌

Are bhai jabardast khush kr diya apne

Par ab Ava to Target nahi ho sakti. She seems the most powerful of the three.

Nice suspenseful twist bro keep it up.

Very emotional. Thoda sambhal jaun, fir aaram se baith kar kal reply dunga. Bas ye 'Death Flag' lagta hai Ava ka system hai, par yeh Veer ko kyon target banaye baitha hai...

Excellent update sir g

Update Ho to Aisa superb :superb:

Super edition great susoens keep it up

Awesome and fantastic update bhai keep posting

Good finally veer is back but veer kaise bacha ye abhi bhi unsolve h veer ka direct ava ko ghoorna i think veer ab ava ke jariye crimson tak pahuchega then BANG!! BANG!! but veer kaise vacha kya ye next update me dikhaya jayega....

Bhai ye btao crimson ka 1 hath cut gya lakin mission 99 par kaise ruka

Arrey dada, ye to jhatka de diyo. Veer is in range, but my mind is deranged

Eagerly anxiously awaiting next update…👀

He is alive after all but still death flag it's bcuz either of necklace or maybe bcuz he rescued Ava at the last minute he got reward and got a special card or legendary card that makes his soul intact or maybe soul split like that maybe any kind of other mystic card
Apart this this episode was fully emotional packed bcuz it shows how much everyone cares about veer ofc he deserves that love.
Everyone's emotions well showed in this update no words enough to praise your writing skills your story is the best ever I've read till now and waiting for next update eagerly and agar possible ho tho next update thoda jaldhi denekeliye try kijiye Bhai just a small request 😅😅😅 curiosity and excitement jyada hogaya waiting thoda horaha hai

Super update sir 🥰☺️

Outstanding

So does this mean that galat information bhi de sakta hai system? 🤔

Nice mast update bro

Nice behtarin mast awesome update bro

Beautiful ❤️ ❤️💕💕💕

A wild carnivorous mammal of the dog What a Update Super say b Opppppppppper Maja a gia per kay app kay Dimag ki daaad thayni pray gi kia story writer ho app........................ app ka mind to chacha chodri say b fast nahi nahi balkay computer say b fast hay ...:bow::bow::bow::bow::bow::bow:

Bhai funtastic update...
Maza aa gaya padh kar...
Baat kre agr sonia ki to vo bhi kisi experienced businesswoman ki tarah act krne lgi hai.
Suchi ko deploy krna jo Ruchika ki bdi bhn hai.
Nice move 👍👍👍
Whi dusri taraf Xavier bhaisahab ko der se hi shi apni galti ka ehsaas to ho rha hai.
Isme nolan and team ki report se zyada bhumika eye witness terashima ne nibhayi hai.
But ek ye acha kaam kia ki photos turant hata di gyi jisse veer k ghrwalo ko thoda dilasa mil gaya.
Whi suhana jo ki ek shadishuda orat hai uska veer k or dedication applausable hai.
Besides that, veer ko mare 3 hafte hue hai utne me to suhana ko haal behal ho gya hoga...
Veer ki family ne yha pr samajhdari bhi dikhayi hai but yha paris me aane pr galti se unme se kisi ko bhi bhanak mil gyi ki jo execute hua tha vo veer hi tha to kohram mach jayega.
Dekhna ye bhi dilchasp hoga ki agr veer aur crimson ki fight paris me hi hoti hai to veer ke family walo ne agr dekha to unka kya reaction hoga...
Ava the mystery girl.
Bohot mystery isi ke aas pass ghoom rhi hai.
Usme sabse bda ye sawal hai ki uska system veer ko Target kyu identify kr rha hai.?
Or ye death ☠️ flag ka kya chakkar hai?

Breathtaking part of the whole update 🤩🤩🤩
moment-hai-bhai-moment-hai-kyu-nahi-zakir-khan.gif

Yhi to maza aata hai veer ki presence ka story me
Ek pal yha to dusre pal kahi or...

Update bohot hi acha tha thoda summary type tha but okay tha par writings shandar thi.
Waise honestly speaking mai ye update veer par except kr rha tha completely but ju ne ye likha hai iska kuch to matlab hoga hi aage chl kr...
Keep writing
Best wishes

Superb update Werewolf bhai, Veer is back and I think after saving Ava he got some interesting and insane card with points and after this incident and fight with Crimson, he became more powerful and deadly. I think Ava is also added in his list of enemies including Crimson. This update resembles the story of Phoenix, who rejuvenate again and again from his ashes. Thanks again Werewolf bro and i am waiting for next update

Nice update bhai. .,. wait for next update bhai. ..

Werewolf awesome update 😊

Beautiful update bhai veer returns...

Nice update bhai 🌟

Good news VEER is alive and now he will come back in next update. Very good update, waiting for next.

Mast Update maja a gaya bhai

Unbelievable outstanding awesome n full of excitement and thrilled

Bohut hi shaandar Update
Keep up the goodwork!

Nice update

Abhi tak jitne bhi log with system show hue hai. Aapne veer ke system ko sabse kamjor show kiya hai . werewolf bhai. Aisa kiu. .
And ek chiz mere dimag me khtak rhi hai ki neel mani ka koi role nhi hai.
Kiuki uski powers ke baare me koi explanation nhi diya hai aapne.
And na hi abhi tak koi bhi use show hua hai neel mani ka.
Update ka intezaar rhega sir g. .

The first story which....when i read it so i feel it...nd i am in other dimension my imagination is like superb.... Thanks to share such way to write a story...guys thing what if it would be a film .....
1 show balcony seat will be my friends and I ........☺️☺️☺️☺️

Death flag ka mtlb

Jabardast update bhai just mind blowing.

Fadu update mast maza aa gya.
Ab dekhna hai ki Veer kya krta hai Ava ke sath or Crimson se kaise badla leta hai

Bohat hi vadia update
Acha laga veer ki vapsi dekh kar

Update 144

कमाल का अपडेट...!!!!
इस अपडेट में सब कुछ दिखाया गया है, प्यार, ग्लानि, पछतावा...!!!!

अवा ने जो भी किया अपनी मां को बचाने के लिए ही किया, उसके नजरिए से देखा जाए तो उसने बिलकुल भी गलत नही किया क्योंकि उसके सोचने समझने की छमता शून्य हो चुकी थी, जन्म देने वाली मां के सामने उसे बाकी सभी से ज्यादा इंपोर्टेंट लगी और लगना भी चाहिए पर जब उसे बाद में सब रियलाइज हुआ तब तक देर हो चुकी थी अब सिवा पछताने के उसे कुछ भी नजर नहीं आ रहा, फेम नाम परिवार सब कुछ व्यर्थ सा लगने लगा...!!!!

सुहाना के लिए ये न्यूज उतनी आसान भी नहीं थी, वीर जा चुका था वीर मर चुका था... ये वो शब्द हैं जो वीर का चाहने वाला कभी ना सुनना चाहें... वीर उनके लिए एक रूह का काम करता है अगर शरीर में रूह नही तो जिस्म किस काम का...!!!

3 हफ्ते !!!!!!
इतने दिन काफी होते हैं एक परिवार के लिए जो किसी अपने से बिछड़ा हो... कैसे इतने दिन रुक लिए वो सब... सही लिखा आपने काव्या वेशक मस्ती मजाक करती रहती है पर मेरे लिए वीर से सबसे ज्यादा प्यार भी वही करती है.....

लास्ट,
अवा के नोटिफिकेशन ने ये तो कन्फर्म कर दिया की वीर जिंदा है,
जैसा कि ये हम पहले ही जानते थे तो ये हमे ज्यादा शॉकिंग नही लगा 😁😁😁
क्योंकि हम हैं रीडर... कहानी के पात्र के लिए ये शॉकिंग न्यूज जरूर है और अवा के लिए ज्यादा शॉकिंग... उसकी आंखों के सामने ही तो सब कुछ हुआ था... खैर अवा कैसे खुद को वीर के सामने फेस करवाएगी ये देखने वाली बात होगी...!!!!

वीर के पास अवा को सेव करने के बाद जरूर कोई लेजेंड्री स्किल मिली होगी, जिसकी वजह से वीर वापस से जिंदा हुआ होगा... या फिर क्रिमसन को कॉल करने वाला बंदा वीर को बचाया हो फिर से मारने के लिए 😁😁🤣🤣

बहुत ही खूबसूरत अपडेट...!!!
इतना बड़ा अपडेट पढ़ने के बाद भी एक शब्द भू ला नहीं जाता इस कहानी का,
वरना इतने बड़े अपडेट को रेड करते ही भूल जाऊं में 🥴

वेटिंग फॉर नेक्स्ट अपडेट

Nice update

ये क्या लोचा है।

वीर की जानकारी आई भी ओर दिखी भी नही,

Ava को सूचना मिली लेकिन दिखा नही।

सुहाना दिल से चाहती है। इस लिए वो उसके लिए मर मिटने को तैयार है।

आख़िर कुछ नया होगा

Bro jabardast dhamekdar update bro weting for next update jaldi dana bro hosekto bro

Awesome update 😍🔥

Biradar agar ye update thoda pehle khatam hua hota naa to shayad meri koi comment krne ki iccha hi na hoti. Uss emotional state mein pahuncha diya tha. Par phir jab aakhri scene dikha to phir se waqt jazbaat aur haalaat badal diye

Thakur to giyo 🤣🤣🤣

Lajawaab update bhai!!!!

Last ka kuch lines dubara padha subha nind main utna smjh nhi aya abhi office ake phir se padha bhai clear ho gya ab ki veer wapas a gya hai with more power and upgraded system

Ding 🥶🥶🥶🥶how veer is back????

Bhai kya zabardast update diya aapne, my curiosity reached at peak. 🔥🔥

Fewwww...... super update bhai shab....puri update emotions se bhari hui thi.....but end me Dil ko karar aaya.... finely something about the Veer.... he's back... let's see how strongly he has come. Waiting for the next one.

Ab aayega maza veer jinda h mujhe maloom tha av ava ko bhi usse pyaar ho jayega or kira k paas bhi system h ye bhi link ho gyi saare dout clear

Bhai bada khatarnak update diye ho

werewolf bhai mast update itna kahunga ki suhana ka emotional breakdown it's vary sad in this update main bhi padte padte emotional ho gaya tha ki suhana pe kya gujar rahi hogi! Next ki yeh update bus ek teaser tha hero ke intro ka, next Mujhe koi pic najar nahi dikha yaha, jab ava ko koi notification aaya kindly reupload that image,hopefully next update main pata chalega veer ne kya planning ki hai, wo kaise bacha! Vary nice update bhai 👏👏👏

Khatarnak update bhai jabardast

I think so veer ava ki madad krega or veer ko ava ka saath mil jayega or fir hoga ghamasaan

Bada khatarnak update yaar pahle sab veer ke peche pade ab aisa lag raha hai jaise ab veer ke na hone se pareshan ho bahut jabardast yaar

another twist maaza aa gaya

Nice update

Very nice Update Veer jinda hai aur Vaapas bhi aa gya Ava apni galti me ghut rhi hai kya hoga aage veer ka pariwar bhi paris pahunch chuka hai

Behtreen update, kafi intresting bhi rahi, aagr dekhna hay Veer in sab say kesy bacha n kis nay protect kiya

Wait for next update bhai.......i love this story ❤️

Excellent update. Har ek ka character kis khoobi se dikhaya hai.
Bahut dino baad Sonia dikhi, wahi caring, apni didi aur apni dono bachpan ki sahaliyon ka dhyan rakhne wali, wahi jo kayi saalon tak Kaera se milne ki koshish karti rahi thi. Aur khas kar Veer ke baare me chintit, uski khabar jo nahin mili usey kafi dino se.
Kaera to sadme se bahar hi nahin nikal pa rahi hai. Lagta hai weh abhi bhi dimag aur emotion ke beech me struggle kar rahi hai.
Ufff..., Suhana ke emotion kis tarah se baahar aaye, bahut hi emotional scene tha.
Ghar walon ki bhi ghabrahat, bechaini, bahut khubi se dikhayi hai, jo usko dhundne Paris ke liye nikal pade. Manorath, mana kuch jyada nahi bolte the, lekin jis tarah se weh nikle, unka Veer ke liye kitna pyar hai, saaf dikhta hai. Kavya bhi shaant ho gayi. Lekin group bahut accha hai, Bhavna, Tej aur Arohi jaisi dimag wali ladkiyon ke saath Manorath ka anubhav.
Ab aate hain Ava par, uski guilt saag dikhti hai, weh bhi dukhi hai. Lekin ab dekhna hai ki Veer ke theek hone ke baare me jaan kar weh kaise react karti hai.
Ab ye Veer ko goli maarne wala kaun hai, shayad weh phone wala na ho jo Crimson ko Veer ko maarne se rok raha hai. Just guessing...
Iss 'Death Flag' ne ek ajeeb suspense create kar diya hai. Veer Ava ka target kyon ho gaya, jabki abhi tak to yahi dikhaya hai ki Ava Veer ko keval Crimson ki blackmailing ke karan trap kerke Crimson ke saamne le kar aayi thi.
Ummid hai ki agle update me Veer kaise bacha, usko dikhaya jayega, aur Kaera ko bhi ab apne confusion se bahar aane ke vakt aa gaya hai. Agle arc ki bhumika bhi kafi safai se start ho gayi hai.

Werewolf 🐺 🐺 🐺
💗 ये कुछ भी ये क्या ये डेथ फ्लैग वीर Is ईन रेंज...
ये होई क्या रहा है भाया....

💗 भाई सभी मित्रों से गुजारिश है कि जल्दी से जल्दी लाइक कर Werewolf के टार्गेट को अभी पूरा कर आज रात ही नया अपडेट देने के लिए उत्साहित करे

बहुत ही चतुराई से फसाना कह गए हों ये सच है भेड़ को चरवाहों के बिना बचाना भी असंभव है...
सुहाना ऐवा की हालत सभी दोस्तों चाहने न चाहने दुश्मन सभी को वीर की याद में अपने अपने तरीके से समेटे हुए है

सोनिया सूची एक अच्छा माध्यम है...
💗 देखते हैं 😚 ये क्या करते हैं 😚
ऐवा के इस सिस्टम संदेश का तो अलग अलग तौर पर ही आनंदित माहौल कर दिया है

आज ही दूसरे अंक को तैयार रखे हम सभी पाठकगण पूरे जोर शोर से लाइक कर रहे हैं..
💗 😍

Nice update

Bohot hi maza aaya update padhke 😘😘😘😘😘
I Love You Smile GIF by corgiyolk
College Basketball Sport GIF by NCAA March Madness

Bahut hi badhiya update diya hai Werewolf bhai....
Nice and lovely update....

lovely update ..suhana ka veer ke liye pyar dekhkar dil khush ho gaya 😍😍😍.. veer ke liye wo ava se bhi ladh gayi aur jab ava ne sach bata diya to suhana ko sadma hi lag gaya ..
suchi ek achchi secretary hai jo sabse chupi huyi hai aur sonia ko sab baato ki khabar deti hai jaise suhana kaha gayi hai ,ava ke saath kya hua ..

yaha veer ka pariwar tension me aa gaya hai ki kisiki baat nahi ho rahi veer se isliye 4 jan milke paris jaa rahe hai .

ava ka concert hua par wo khush nahi, uski to ek maa hi thi par veer ka pura pariwar tha aur veer ke maut se uske pariwar par kya beet rahi hogi ye sochkar dukhi ho rahi hai .
par ab uske system ne bata diya ki veer kahi aas paas hi hai par wo usko dekh nahi paayi ..

aur ye jaankar achcha laga ki veer jinda hai 😍😍..
ab veer ka agla step kya hota hai ava ko lekar yahi dekhna hai .

Kaiyoo ko jhtkaa lga such Jaan ke VEER ka
.
Ab pariwaar ki entry hone wali hai unko ky sunne ko milta hai
.
Bs ek main suspense bna hua hai apna hero VEER
.
UPDATE MAST HAI BRO

Mujhe lagta h ki kaera ke pass bhi system hoga kyuki kaera jabse wo apne purane ghrlar se wapis lauti h tab se uski koi info. Nahi aur wo unknown caller ho sakta h wo kaera ho kyonki next arc business dikhaya jayega.veer kaera ka jo mission pura kiya tha uska koi reward na milna kahi na kahi ....bahut jyada confusions h bhaya .dekhte h aage aur kitne logo ke pass system h 👍

kaera ka mission pura karne ke baad veer ko koi point ya legendary card kyu nahi mila pls answer this one.

Mast super duper 💕

Bhai Kaml ka likhte ho
Nice update

Just terrific. Eagerly waiting for next Update.

Divya or uski team ne veer ki pic media or paki sare platform se hatva ke achaa kiya nahi to jyada problem hoti or sabse jyada veer ki family ko hi hoti.. bicharo ki ek aasha ki kiran bhi tut jati..
Khair veer ki family se bhi veer ko dudhne paris aa gaye hai.

Shuhana ki halat dekh kar saaf pata chal jata hai ki uske liye veer kitne mayne rakhta hai .. Veer ki jaagah uske dil me kya hai.. Ava ke muh se veer ki mout ka chun kar behosh hi ho gay..

Finally.. Veer ke jinda hone ki khabar mil gay .. dekhte hai dhokha khane ke baad veer ke under kya badlav aata hai.. vahi Ava ki halat patli ho gay.

Shandar update bhai

Sir bohat maze ki storie hai ap ki main ne 1 hafte me sab update parh liye, main mostly manhwa parta hu aur system based Manhwa meri Favourite hai, Lekin ap jab mostly korean ya japanese manhwa aur anime daikhte hai to hindi me wo thora ajeeb taste de deta hai, but ap ki storie me aisa nahi hai lag he nahi raha koi hindi storie parh raha hu har cheeze detail me likhi gayi hai aur bohat saaf andaz se likhi gayi hai, aur mujhe andaza hai jab bhi veer dusri country me jata hai to ap ko kitni research karni parti ho gi, kehna asaan hai lekin har information internet per mil to jati hai lekin phir us ko verify karna aur phir sirf likhne se information nahi milti ap ko dhoondni parti hai internet per phir puri information ko note karna, us ke Status detail likhni, aur shayad me ne comments me kanhi parha tha ke ap ye sab card bhi khud he edit karte ho bohat zada kaam hai ye sab lekin is ke bawajood ap itni achi tarha storie ko likhne me kamyaab hote ho sach me asaan kaam nahi hai ye, storie maze ki lag rahi hai next update ka intezar hai take your time and also take proper rest

Update ki baat kare to ap ki storie me jo sab se achi baat hai wo ye hai ke ap kisi bhi character ko bhoolne nahi dete ab sonia ke baare me jo ap ne likha wo bhale he bakliyo ko thora bore lage aur wo kahe ke ap sirf update lamba kheench rahe ho but wo likhna zaroori tha, sach kahu in sab kaira ke baare me mind se nikal raha tha per ap ne wo bhi ek jhalak me sab ko dikha dia kuch bhi bina wajha ke nahi likha ap ne, headquarter ko bhi ab ehsaas ho raha hai unho ne kitni bari galti ker di hai, suhana ka gussa bilkul jayaz hai Ava bhale he kitna marzi ro le chahe jo bhi wajha ho lekin us ne galti ki hai aur bohat bari galti ki hai, Ab agar veer ne use aise he maaf ker dia ye keh ker ke wo majboor thi ye mujhe acha nahi lage ga, uss ko us ke kiye ki saza to milni chaiye, aur jo ap ne veer ki entry dikhayi for a moment i got chills

Superb update

Suhana to Veer ke liye pagal hi Ho rakhe
Nice update

Superb update bhai

Nice update

Sayad ye veer ki koi skill hi h jis se pahle notification death ka aaya veer ne koi skill purchase ki hogi jese Ava ke pass apni system ke notification change karne ki skill h usi tarah

Suhana.... Ye naam shayad is story me veer ke baad sabse zyada mahetvapoorn hai. From the time she was introduced as an arrogant and prideful character tabse she was my favourite. Ek aisi women jo bahar se bahut arrogant lagti hai and koi bhi usko ek baar dekhe to yahi dhaarna banae ki wo sirf paise aur class ko mehatv deti hai. But when you get to know her, like veer did.. to usme ek bahut hi masoom aur dari hui personality chhupi Hui hai. But she tries to subconsciously hide that cute side of herself.
Iss update me suhana ke andar ke saare bhaav Jo ki wo itne time se apne andar chhupa ke rakh rhi thi especially veer ke prati wo fatt ke bahar aae hai. Usko aankon me jo gussa dikha wo tabhi dikhta hai jab khudki bahut kareebi cheez apase dur krdi jaae. Wo veer ke lie kuchh bhi kar guzarne ko tayyar thi, like the time when she took a bullet on herself which was targeted for veer. Aur fir jab Ava ne reveal Kiya ki veer is no more.... Suhana ko koi sudh budh hi nhi rhi... It was like she lost track of reality.
Merko ab ye dar hai ki iss aaghaat ka suhana ke mind par kya asar padega, I mean she fucking loves veer, she adores veer.

This update was really heavy Werewolf in terms of the emotions shown in a single update. Hats off sir.

Bhut hi shandar update

Gajab ka update tha Werewolf chalo ek chus to clear hui death notification system ke band hone ke karan aaya tha khair update bohot jabardast raha. :beer:

Good one update bro last main jab ava or veer vala scene tha vo bahut hi Thriller tha

Superb update bhai sorry ha main ye 1 mahina revo shayad na de pau kyu ki achanak se hi abhi brass product main itni tezi aayi huyi hai ki baat mat pucho isi liye work load badha huva hai

Main job nahi karta but humara business hai humari company braass ke parts and products banati hai humari company nexacom ya elit motor ke level ki to nahi hai but acchi hai tum keh sakte ho ki hum uper middle class family hai

Or mere boss mere khudke dad hai wese 40 se 50 workers to hai but kuch kaam to hum mailk ko bhi karna padta haina aise main agar dad phone use karte dekhle to wo alag class lete hai ye revu bhi office ke washroom main baith ke typ kar raha hu

OK bhai kuchh time aise reply chala loge main pakka free hote hi saare update ka ek mega rovu pesh karunga free hote hi ok

Byy bro agle update ka intejar rahega

Fantastic update Bhai

To dgsi valo ko bhi crimson ke upar shak ho gya hai. Veer ke ghar vale paris pahuch chuke hai. Suhana ka veer ki taraf pyar bhi saaf dekhne ko milta hai veer ki maut ka sadma uski personality me koi bada change bhi la skta hai. Ava guilt me hai but ab koi fayda nhi...jab veer ke bare me sochana chahiye tha tab to socha nhi.

And as expected veer jinda hai or shayad is baar jyada takatvar banke lauta hai dekhte hai ab veer kya krega.

Played on ....

This one was full of the emotional aspect of this story
This episode will surely initiate a change towards ava.
Nothing much to say on this one though.
We asked for veer's info u gave us only a glimpse

I think u were unable to fill up all in a single update emotional part as well as veer's info thats why u decreased veer's part.

Kitna bhi taareef Karo, Woh sab bhi feeke pad jaayenge is fantabulous update Ke aage. Kitne saare emotions, Kitne saare characters - u hv proven that u r writing a masterpiece in XF , which is on another level, dear bro 🙏🙏🙏. Bahut Dino baad Soniya dikaayi diyi is update dwaara Uske assistant Suchi ke Saath , Woh toh nikali Kaera ke secretary ki badi behan, waah, business rivalry Ka next level. Suhana toh Veer ko lekar Apne bhaavanovon ke aage Ava se takkar Lene mein tuli huvi hai 😨 aur aakhir Ava ke much se sach ugalwa Kar hi dum leti hai aur apni hosh kho bait thi hai, bechaari. Idhar, Bhavana samet sabhi gharwaale Veer ko lekar kaafi pareshaan Hain aur Veer ki talaash mein France tak pahunch jaate Hain. Kya unki khoj safal Hoga, waqt hi bata Sakta hai. Crimson Kitna bhi chaalaaki se Veer ko fasaale, aakhir sach baahar aakar hi Raha hai jaisa Terashima be hosh me Aate hi Veer ne Kaisa uski Jaan bachaaya yeh sacchaayi DGSIwaalon ko bataya aur toh aur America se Investigation Department Waalon me bhi Veer ki sacchaayi bataakar Francewaalon ki galatfemi ko dur karwaakar Veer ki pics hataane mein apna part nibhaaya. Ab Crimson Ka agla chaal kya Hoga, yeh bhi dekhna padega. Last but not the least, Ava ki Naya song release par toh sone pe suhaaga ho Gaya - Apna Veer waapas nazar Aaya Woh bhi Zinda Ava pe dur se nazar rakhte hue - yeh toh Aapka classic masterstroke Raha bhai 😱😱, padnewaale sabhi Ka hosh aap uda chuke hain, iska koi aur dusra opinion hi nahin Hoga. Congrats for giving us a marvelous update full of human emotions and appropriate twists - Hats off to u dear bro 👍👍👍

Story ka sbse best update hai ye 😭😭😭

Very fantastic update

Awesome updates👍👍

Werewolf ....Are kitne system hai....? Aur sabse badi baat har system ko lagta hai...ki wo aklea uske jaisa .. dursa koi system nahi hai.... mujhe toh lagta hai aapke pass bhi hai..!!!!?,😉😉😉

ब्रेक ज़रूरी भी है भाई । थोड़ा समय आराम भी आवश्यक है फिर तो आना ही है एक नए और रोचक आर्क के साथ।

सही लगता है।

Superb update.....
One of the masterpiece of xforum......

Veer is back

Jabardast update ab ayega mja veer is back

Bhai agar veer Zinda tha to usne parivar walo se contact kyu nhi kiya use sb pata h k sb pareshan honge kya iske bhi bare mein kuch aayega update mein ya kuch aur soch rakha h aapne

Ab maza ayega jb veer apna Khel khely ga

Jabardast update bhai

Lagta hai Suhana ki favourability kafi badh chuki hai, Also Ava is also feeling guilty but Veer ki presense ne uske dimaag ke taar hila dale
Hmm lagta hai Sonia sab kuch jannaa chati hai jo bhi usse chipaya ja raha hai by Suhana

yeah Suchi ka new character jarur kuch interesting dikhane ke liye laaye ho bhai, dekhte hai aage kya hota hai, story goes on a next level of excitement

waisa next update kab aayega Werewolf bhai

Awesome and fantastic updates bhai 🔥🔥

Super awesome update luvd it

werewolf bhai ye vala update mast hai veer k baare me sunn kar bhot asha lgga abb 145 update ki wait hai btaiye ga jrur kab konse din aye ga

Umeed par duniya kayam hai

Veeeeeerrrr is back..... Par kaise? Writer kaise ghumata hai yeah Dekhna hoga

Awesome update Bhai ☺️😊

Bhai Tu aaj mat de update kal raat do de diyo ek baar humare liye bhi adjust karle :shakehands::shakehands:🐺

एवा के शरीर मे मौजूद सिस्टम के अनुसार ' वीर ' उसके करीब ही है। स्वभाविक है कि इस खबर से एवा को झटका लगा होगा। लेकिन वह झटका सुखद भरा होगा।
शायद एक माह हो गए होंगे जब एवा को सिस्टम ने ही बताया था कि वीर इज डेड । लेकिन इस एक माह तक वीर था कहां ? वह बचा कैसै और उसके साथ हुआ क्या क्या था ?
अगर सामने के टैरेस पर वास्तव मे वीर ही था तो इसका मतलब हुआ, उसके शरीर के जख्म ठीक हो गए और वो शायद शारीरिक तौर पर स्वस्थ भी हो गया हो , पर उसने अपने फैमिली से कनेक्ट करने की कोशिश क्यों न की ?
कुछ अभी भी गड़बड़ है जो शायद फ्लैशबैक खुलने के बाद नजर आए !

कोई व्यक्ति किसी के सामने घड़ियाली आंसू बहा सकता है लेकिन अकेले मे नही। एवा के आंसू उसके पश्चाताप के आंसू थे। वीर का जीवित होना ईश्वर का दिया हुआ एक और मौका है। उसके लिए बेहतर होगा कि वो क्रिम्पसन को समाप्त करने मे वीर की मदद करे !

वीर भाग्यवान है जो सुहाना जैसी फ्रैंड मिली। सुहाना ने उसकी हमेशा मदद तो की ही है पर वो उसकी परवाह भी करती है। वीर की मौत की खबर सुनते ही वो बेहोश हो गई , इससे तो यही सिद्ध होता है।

शायद नेक्स्ट चार- पांच अपडेट मे क्रिम्पसन का अध्याय समाप्त हो जाए ! और फिर व्यापार के ऊपर अपडेट आना प्रारंभ हो जाए !
इसी को ध्यान मे रखकर आपने काईरा की कम्पनी Nexacom और सोनिया की कम्पनी ELITEMOTORS का जिक्र किया है। इसके अतिरिक्त काईरा की पर्सनल सेक्रेटरी रूचिका और सोनिया की सेक्रेटरी सूची का भी उल्लेख किया है। और वीर की लम्बी उड़ान तो है ही।
कहीं ऐसा तो नही कि एवा को वीर के साथ जोड़कर इसे ट्राइंगल व्यवसायिक कॉम्पिटिशन बनाने वाले है आप ?
लेकिन यह सब फिलहाल के लिए सम्भव नही है। अभी वीर को काफी लम्बा रास्ता सफर करना होगा इन दोनो के समक्ष आने के लिए।

भावना घर के कुछ सदस्य के साथ फ्रांस पहुंच गई है। देखते है , उन सब की वीर से मुलाकात हो पाती है या नही !

बहुत खुबसूरत अपडेट वोल्फी भाई।
आउटस्टैंडिंग एंड जगमग जगमग।

AMAZING AWESOME FANTASTIC STORY AND UPDATE HA BAHI😚😚😚😚😚😚😚😚😚😚😚😚😚😚😚😚😚😚😚😚😚😚😚😚😚😚😚😚😚😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙😙💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪💪❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🧠🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗🤗AND UPDATe please

Awesome bhai kia baat hai yar bhai maza aagaeya. Ab dekhna ho ga veer or ava ka amna sauna kaisey hota hai.....

Bhaavtol chal rha hai😂💯

Mere pass ek deal 🤝 he bhai abhi 2983 page chal raha he so 17 pages more to go normally 17 pages comments se barne keliye approximately minimum 6 days lagega agar kal tak hum 2999 page reach kardiya tho bhai aapko update kal deke 3000 pages karna he as a 3000 mile stone reaching.
So is the deal on ??
If wanna set any rules like one person can be comment twice only like that

Dil Khush Ho Gaya Veer Ki Entry Se❤️❤️❤️

:vhappy1:जबरदस्त,,,,,
"वीर,", आ गया
लेकीन ऐसा ना हो की Ava की सच्चाई जान कर,
उसे पूरी तरह से माफ कर दे

:nope1::nope1:( जाने दो तुम्हारी मां की जान खतरे में थी, इस लिए तुमने मेरी बिना तेल के मार ली it's okk)
:ohno::ohno:

Ava की मारनी बनती हैं ,,
चाहे वोह विर से ताकतवर ही क्यों ना हो,,,

वैसे तो Crimson भी वीर से ज्यादा ताकतवर था फिर भी वीर ने उसकी अच्छी खासी बजाई,,,
मजा आया

तोह Ava की तेल लगा कर ही सही पर मारनी तो बनती है 😈😈

Update please 🥺

super update bhai.

The first report that was sent to DGSI by Las Vegas didn't have any mention of Veer. To kya kaaran tha ki DGSI Veer ke pichhe padd gayi? Crimson never mentioned Veer or gave his photograph to DGSI. Plus, why were the agents following Ava?

Apne uper likhe review ko aage badhate huye -
1. Mujhe ab to is story me 'Mortal Combat' ki si jhalak dikhne lagi hai, aakhir kaun system wala 'Baadshah' banta hai.
2. Harr arc me villains aate rahenge, Veer se haar kar eliminate hote rahenge.
3. Sonia, Kaera aur Natallia, trinity main heroins hain, aur unke agal bagal aur character rahenge jo Veer ke karibi honge.
4. Sabse bada raaz system ka hai, dusre planet ke log usko kyon aur kaise chala rahe hain. Unke liye kya yeh mahaz ek khel hai ya uska koi purpose hai.
5. Filhaal to present ko enjoy kerte hain, dekhna hai jo dhansedaar re-entry Veer ne maari hai, uska pata keval Ava tak hi seemit rehta hai ya Crimson aur phone wale ko bhi pata lagta hai.

Ding..
TARGET 150 LIKES FULFILL ....
Please give new update..Waiting

I think unhe doudt tha ki humla ava par hoga isiliye use follow kar rahe the aur jab dekha ki veer ke pass rahte ava veer ke sath kisi karan vash ghabara rahi hai toh unhe uspr doubt hua aur jab valley me fake police ne veer par goliya chalayi toh unka shaq yakin me badal gaya aur phir waha huye bomb blast ne unhe kuch aur sochne ka mauka nahi diya
Its only my theory
Waise mera ek sawal hai agar ava itni badi star hai uske pass system hai aur andha paisa bhi hoga toh woh apni mom ke liye kuch bodyguards kyu nahi rakh leti for safety reasons

Update pla

fantastic , awesome ,mind blowing update bro
i still waiting for next update

aaj update kitne baje Tak aayega bhai

Bhai waiting for update

bhai aapki story sabse best hey......awesome!!!!

Mind blowing update

IMG-20230406-124047 IMG-20230406-125508 IMG-20230406-124858
Wait for next update bhai

Maine es pic ke through ladies character ki beauty ko darshaya hu....❤️❤️❤️❤️

Waiting for next update

Trinity time!!!?

kinna waiting karun veer ka :cry2:

Waiting for the update

उपडते

waiting for next update bro

Waiting for next update

There are many systems as we acknowledge through the story
and systems are categorized by their power, each system are aware of other system but jab ek system kisi doosrey system k redar main aata hai jo k us se kam hai power main tou woh usey pehchan jata hai through check ab es main yeh hai k ek system doosrey system ko check nai krta tou usi se agla yeh maan leta hai k es k pass bhi system hai
Jab story ki shruwaat hui thi tab Veer ne Kaira ko check kia tha lekin kr nai paya tou kia Kaera k pass bhi System hai yeh bhi ek posibility hai lekin mujhey aesa nai lagta
Ab aatey hn Phone waley k pass mujhey lagta hai us k pass powerfull system hai and he know who the other System are
Ab Veer k pass kesa system hai yeh waqt aaney pe pata chalta rahey ga kia veer apna system powerfull bana paey ga jo k lagta hai kr le ga kiun k main role hi usi ka hai :hinthint:

Waiting for next update Bhai

Waiting for your next update bro

bro update kb tk aayega

waiting for next update

Veer kill crimson, and proof that he is innocent
❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖

Waiting bhai
.
And
.
VERY WELCOME BRO

Agla update kab tak aayega Werewolf

Waiting for next update Werewolf bhai

Will the update come tonight?

Subha 5 bje tak aajeyga ??

ok bhai!!

Yes bro jb aaey ga to yaha dikh jaey ga suspense or intizaar ka maza he apna hai so chill guys and have fun and werewolf bhai love you kia likhtey ho yar fan ho gaeya hoo aap ka khush raho ❤❤❤

Are bhai to update kabhi jaldi bhi de do,, yaa jaruri hai 12-1 baje dena 😁

Kya aaj update aayega ??? 👀

Bahut lajawab update hai aur bahut hi khas mod pe ruka hai. Waiting for more update Bhai

Kahani mast he bhai kya likha he. Maja ata he padneme mast ek nabar. Yar

Update inchjar he bhai.

Bhawna meri bhi wahi thi kehne ki par shayad Mai thoda idhar udhar beh gya😥😅

Weating too apdet

Inteha Ho Gayi Intejar Ki Aayi Na Khabar Mere Yaar Ki

Aapne fir se hadkamp macha diya bhai....

veer bacha kaise ye bada dilchasp rahega

Waiting update

Werewolf bhai next update kab tak aayega?

Aaj update aayega kya

bhai update ?

Finallyyyyyyy.... Veer is back.... :vhappy1:
Update to mne pehle hi padh lia tha. Socha abhi online aa jau. Abhi free hui na.... 😁

Suhana... Kyu karte ho aap aise hum readers k saath... Dont show her in pain. Hamare dilo me dard hone lagta h :angrysad:

Poor suhana. Bechari behosh ho gyi... Such sentiments. She loves veer now. Realisation jab hit hoga to heart break hoga uska. And I don't want to see that part :girlcry:

The last part of this update. Ufffff.... Uss notification ne ava ko hi nhi balki hum sabko bhi goosebumps de diye. Mujhe lga tha aap veer ki presence direct veer se show karoge. But you showed us through that notification. :bow: :bow:

Ab to wait ni ho rha. Main to chali sone. Aapne keh hi dia h ki morning me bhi aa sakta h update to mne assume kar lia h... Morning k baad hi aaye kaho 😂

New new update ka wait h. Keep writing sir. :love3:

Update kab aa raha hai????

Waiting for new update brother

I think no update for today

update ma tu sab ki jan basti h bhai es liye tu sab update ka poch rahy ga

Congratulations for brilliant story and for likely 3000 pages tonight:iamnew::iamnew::congrats::cough::dancing2:

Bhai update

Bhai update kab tak do ge

Wait for next update bhai..🍁

Yeah, I very Excited for upcoming udate bro...😀

Intezaar rahega Werewolf bhai....

ok bhai waiting

Abhi nhi aaya? Lagta h thoda aur wait karna hoga hume... 😁
well koo baat nhi... We know jab update aayega to wo hamesha ki tarah awesome hi hoga...

Waiting for update 🙂

Waiting .......
Mr Bean Waiting GIF by MOODMAN

Fantastic update bro maja aa gaya yaar pura seen samjh aaya jo bacha hai jald hi samne hoga

Bhag ne :buttkick: Yo bata Update kab de rela :beer:

Waiting bhaya......

Or ye update Friday me count hoga :hinthint:

Congratulations on 3000 pages! 🎉🎊🎉🎊🎉🎊🎉🎊🎉🎊🎉🎊🎉🎊🎉🎊🎉🎊🎉🎊

Suna tha ki Sabar ka phal meetha hota hai par yeh to karva nikla matlab abhi tak update na Milna kisi kadvahat se kaam nahi:angry++:

पहले तो आपको 3000 पेज की खूब सारी बधाई हो।

साथ ही, नए अपडेट के इंतजार में

Congratulations 🎉🎉👏🎉 for 3k pages BRO.

Congratulations for 3000 pages bro
Isi khushi par par ek mega update ho jaye

Congratulations brother for completing 3000 pages..

Congratulations brother. For yet another milestone achieved. .more to come.

Congratulations for 30k pages sir Isi Khushi me AJ ek update to bnta hy

ये अंक में अब 3000 पृष्ठों का तड़का लगा कर ही दे देने के लिए रोका गया है...
Werewolf 🐺 🐺 🐺 🐺
अब तक की 30 शतकों की पारी का आगाज करने के लिए बहुत बहुत बधाई...
इन्तेज़ार ने कई रंगो को देखा है...
💗 😍

Congratulations for 3000 pages:dancing2::dancing2:

Congratulations 🥳 3000

:party1::yes1::rock1::dj2::rock1:Congratulations 3000 pages

Congratulations for completing 3k pages Bhai ☺️😊

Waiting for next update

Congratulations 🎉🎉🎉

:congrats: For completed 3000 pages on your story thread....

Kisi kaam me vyasta honge...B++

Congrats Mota Bahi 3k pages

Kaha h writer sahab ???

क्यों सब उनके पीछे पड़े है? आज दो दिन से जब भाई इस फॉरम पर नहीं आया तो उनको कुछ दिक्कत हुआ होगा। हर बार अनुच्छेद के पहले उनका मंतब्य आ जाता है लेकिन जब भी इसका थोड़ा अलग होता है तब तब लेखक का कोई परेशानी की बजह से अनुच्छेद देर से आते है। इसलिए कृपया धीरज रखें। धन्यबाद।

Bhai ne bilkul sahi bola Bhai ke paas or bhi kaam hote hai sabki tarah berojgar nhi hai vo Bhai ki apni life bhi hai isliye update bhi jab aayega jab Bhai free hoga or agar Bhai busy hai to update or 3 se 4 din late ho sakta hai.

Or jise jyada jaldi hai vo ek baar bhaai ke pichle update ko kevel type karke hi dekh lo pura jyu ka tyu to PTA chalega kitna time lagta hai or phir Bhai to pahle sochte hai ki kya likhna hai kya nhi kadiya jodni padti hai kha par kya likha hai isliye aaram se intezar Karo.

Dhaansu updates maja aa gaya

Keep rocking amd continuing ..
one of the best story here ..

Congratulations for 3000 pages bhai

update jitna late aata hai usko padhne me maja aur excitement aur jyada hota hai aur waise bhi itna jyada soch ker likhne me time bhi to lagta hai. agar roj ek update milega to story acchi nahin ban payegi kyunki jab deep thinking hoti hai tabhi kuch accha aap likh sakte ho isliye humko aaram se intejaar kerna chahiye. sabr ka fal hamesha mitha hota hai.

Congratulations for completing 3000 pages🎉🎉🎉🎉

Congratulations for 3000 pages bhai.....!!!!!!!

Congratulations bro for completing 3k 📃📃📃📃

Waiting for the update

Ding egarly waiting

Thanks.....
We are waiting
Update 145 has been posted.
 
Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
14,827
103,244
259
Index has been updated. ✨
 
Devil hunter123

Active Member
901
4,042
123
Update - 144 ~ The News

Ab tak...

[Don't fight her! You don't have an arm. Bullet tumne nikaal li hai lekin wound heal nahi hua hai. You need rest.]

Majbooran Crimson ko Grace Martin ko taak rahe snipers hataane hi pade.

Accha hua jo woh nahi bhida uss samay Ava se-

Kyuki woh nahi jaanta tha ki Ava ki kya rakhi hui thi.

Uske paas jo card tha woh tha-

*Ding*

Vinona-s-mark

Ab aage...

Sonia’s House, Mumbai
Night ~ 10 : 12 PM

Apne bhavya aalishan bangle ke bade se kamre me Sonia apni night dress me bed par laiti ek magazine padh rahi thi.

img-victoria-justice-110401728440

Side table par hi ek kaanch ka glass tha jisme thodi si red wine maujood thi.

*Knock* *Knock*

Uske darwaze par tabhi khat-khatahat hui.

“Come in!” Aur Sonia ne andar se hi nirdesh diya.

Darwaza khulte hi ek ladki kamre ke andar pravesh ki.

Sonia : Suchi! Aao! I was waiting for you! Sorry to call you at this hour.

Suchi : No! It’s fine Miss!

Ladki ka naam Suchi tha. Woh ek navy blue color ka business outfit pehni hui thi. Haami bharte hue woh fir aage aayi.

Kamre me bas halki-halki roshni ho rakhi thi. Night lamps aur fragrant candles se hi room raushan tha.

Sonia : Any news?

Suchi (nods) : Yes Miss! Miss Suhana, Miss Kaera, Miss Ava, sabhi ke baare me news hai. Which one would you like to hear first?

Sonia : Let’s start with ‘dii’ first.

Suchi (nods) : Yes! Woh Las Vegas se Paris gayi hui hai.

Sonia (frowns) : Dii Paris gayi hai? Woh bhi iss haalat me? Mene unhe kaha tha ki jald se jald ghar lautna. Ab samajh aaya kyu woh mujhe promise nahi de rahi thi. Paris achanak kyu jaana hua?

Suchi : I’m sorry Miss! Abhi ye nahi pata chala hai ki woh Paris kyu gayi hai. Bohut jaldi me gayi hai. Kuch baat hai shayad. Lekin, hum jald hi pata laga lenge ki woh kyu waha gayi hai. Aur mere hisaab se mujhe anumaan hai iska. Mein aage apni baat me rakhti hu.

Sonia (frowns) : I see! Kya unke saath Prakash Uncle bhi hai?

Suchi (nods) : Yes Miss! Aur ek lady bhi hai. Filhaal, uss lady ke baare me koi info nahi hai. Magar, pata lag jayega jald hi.

Sonia : Hmm! Agar Prakash Uncle unke saath hai toh mujhe chinta karne ki zaroorat nahi. She’ll be fine! What about Kaera?

Suchi : Nexacom Industries Limited abhi kuch pareshaniyo se joojh rahi hai.

Sonia : Hmm?

Nexacom Industries Limited. Ye woh company thi jiska poore India me dabdaba toh tha hi saath hi videsho me bhi apni chhaap chhori hui thi. Dusre shabdo me, Kishore yaani ki Kaera ke pita ki company.

Screenshot-2023-04-03-123843

India ki sabse jaani-maani ek multinational conglomerate. Business itna vividh tha ki anya kayi business sectors isme shaamil the.

Energy, Telecommunications, Mass-media, Infrastructure, Textiles, Information Technology services, Goods supplies se leke na jaane kaha kaha haath daale hui thi Nexacom.

Sponsorships aur partnerships me hi itna aage rehti thi Nexacom ki aaye din akhbaaro me charcha ka vishay bani rehti thi.

Aur iss safalta ke peeche ka raaz kya tha?

Kaera!

feb-2015

Jisne apni buddhimatta aur soojh-boojh se company ki kaaya palat di thi. Kishore ne apne pita ki madad se ye empire khada zaroor kiya tha magar Kaera thi jo company ke profit percentage ko alag starr pe leke jaati thi.

Kintu, abhi yahi company kuch samasyao se joojh rahi thi. Kishore apni company ka Chairman aur Managing director toh tha hi magar uski anupasthiti me Kaera bhi ek Chairman aur MD ka role hi adaa karti thi. Company ki dusri owner wahi thi.

Toh kya haal hoga aisi company ka agar Kaera, company ke mehatvpoorn nirnay lene waali leader apne kaam se chutti lele?

Sonia : Nexacom problem me hai? Aisa kya hua?

Suchi : Miss Kaera kaafi dino se kahi gayab hai. Na hi unki koi news aa rahi hai aur na hi kahi par woh spot hui hai. Recent ki sabhi important deals aur meetings me Nexacom ki taraf se koi aur hi aaya hai attend karne.

Sonia (frowns) : Ye nahi ho sakta. Kaera business ko leke ekdum serious rehti hai. Woh kabhi aisa kar hi nahi sakti. Unless…

Suchi : ??

Sonia : Something must have happened. Kaha par hai woh?

Suchi : Mere hisaab se woh apne ghar par hi hai. Ya ho sakta hai woh kahi gayi ho. Woh kahi bhi spot nahi hui hai toh pehle case ki probability zyada hai.

Sonia : I see!

Kaera ki hi tarah Sonia bhi apni company me wahi role adaa karti thi. India ki jaani-maani automobiles companies me se ek Elite motors uske pita Shailendra ki bohut badi companies me se ek thi.

Screenshot-2023-04-03-120345

Sonia ke sang Suhana bhi kabhi kabhi uski madad karwaya karti thi. Parantu, Suhana kisi ek company par kendrit nahi rehti thi. Woh Elite motors me bhi yogdaan deti, toh kabhi apni khud ki companies aur partnerships par dhyaan deti.

Aur itna hi nahi, uske pati Gaurav ki IT based company ke chakkar bhi woh laga leti thi kabhi kabhi. Kul mila ke usse kayi jagah se profits hote the. Aneko businesses me woh bhaag li hui thi. Jiske chalte uska bade-bade prasiddh logo se connection bhi utna hi mazboot tha.

Elite motors sampoorn automobiles services se leke luxury cars services, unki manufacturing, accesories aur apne khud ke product bhi designs karti thi.

Isme koi sandeh ki baat hi nahi thi ki Kaera ke baad agar India me influential logo ki soochi taiyaar hoti toh usme Sonia ka naam zaroor shaamil hota. Aur jis hisaab se woh tarakki ki orr company ko badha rahi thi shayad Kaera ke theek neeche hi uska naam hota.

Sonia ne Suchi ki batayi gayi jankari ko dimaag me rakha aur aage puchi,

Sonia : And what about Ava?

Suchi : Ye news ho sakta hai aapko shocking lage Miss.

Sonia : Shocking? Kyu?

Suchi : Miss Ava bhi Paris gayi hui thi recently apne new song ke video shoot ke liye.

Sonia : Isme shocking kya Suchi?

Suchi : She…! She was kidnapped.

Khabar sunte hi bistar par laiti Sonia achanak hi uth ke baith gayi.

Sonia (gasps) : What???

Suchi (nods) : Jii!

Suchi aage badhte hue aayi aur usne apne haatho me pakda hua tablet Sonia ko thamaya.

Suchi : She was kidnapped. Par ab woh safe hai. Pehle criminal ki picture France ke news channel par broadcast hui thi. Lekin pata nahi kyu abhi kuch hi ghante pehle unhone saari criminal ki pictures ko news channel aur YouTube channels se bhi hata diya hai. Pata nahi kyu?

Sonia : That’s-!!! Ava theek toh hai na? Kaha hai woh?

Suchi : Woh safe hai Miss! DGSI France ki agency hai internal security ke liye. Unhone Miss Ava ko safely rescue kar liya hai.

Sonia (sighs) : Thank god!

Suchi : Aur jaisa ki mene pehle kaha tha ki mera ek anumaan hai kyu Miss Suhana Paris gayi hai. Woh yahi hai ki shayad Miss Suhana Miss Ava ke baare me hi jankari lene gayi hai.

Sonia : Ah! Right! Aisa ho sakta hai. But still-

Suchi : Rahi baat ki kyu France ne Criminal ki pictures ko hataya? Toh uske baare me bhi mein jald hi pata lagwa lungi Miss.

Sonia : Hmm! Mujhe dii se baat karni hogi.

Suchi : And that is all, Miss.

Sonia (nods) : Mmm! Thank you Suchi!

Suchi : It’s my job Miss!

Sonia : Aur chinta mat karo. Tumhari baat mujhe yaad hai. Tumhare baare me kisi ko kuch pata nahi chalega jab tak tum nahi chahogi.

Suchi : Thank you Miss!

Sonia (smiles) : I know how to treat my employees. You can leave now.

Suchi (nods) : Mmm!

Aur Suchi jis tarah shaanti se kamre me aayi thi, ussi tarah baahar ko nikal gayi.

Suchi! Na sirf ek honhaar ladki thi balki apne kaarya ke prati nishtha-vaan bhi thi aur samarpit bhi.

Sonia bhale hi Kaera se hamesha peeche rahi ho. Kintu, woh bodi nahi thi. Bewakoof nahi thi. Jaanti thi ki uski badi behan Suhana Prakash Uncle ke saath milke kayi baatein uss se chhipaaye hue hai.

Aur isliye, usne Suchi ko hire kiya hua tha. Secretary ka kaam toh Prakash Uncle hi karte the.

Parantu, logo aur unke vyavsaay ke baare me khufiya jankari ikhatta karna, iss kaam ke liye Sonia ne Suchi ko zimmedari di hui thi.

Aur woh apna kaam bohut acche dhang se kar rahi thi.

Suchi ko yu hi nahi apna personal information seeker banaya hua tha Sonia ne. Suchi ki ek khaas baat thi.

Aur woh ye thi ki woh-

Ruchika ki badi behan thi.

Wahi Ruchika, jo Kaera ki personal secretary hai.

Jaan-boojh ke Sonia ne Suchi ka chayan kiya. Par ye bhi ek kismat ka khel tha.

Kyuki, Suchi kayi saal pehle hi apne ghar se bhaag chuki thi. Uski apni ek kahani thi. Uski apni ek zubaani thi.

Kuch kaaran the jinke chalte woh limelight me nahi aana chaah rahi thi abhi. Aur yahi vachan Sonia ne usse diya hua tha.

Jab tak Suchi khud nahi chaahegi tab tak uski jankaari uske parivaar waalo aur samaaj ko nahi di jayegi.

Idhar Suchi ke jaate hi Sonia apni kisi soch me ghum ho gayi.

'Tumse bhi kitne samay se mulaqat nahi hui….! Veer!'

***

Paris,
Night ~ 9 : 18 PM

Suchi ne jo khabar Sonia ko di thi woh ekdum pukhta thi. Jhoothi nahi.

Usne theek bataya tha ki criminal ki photos news channel me pehle broadcast ki gayi thi. Parantu, ab?

Ab unhe hata diya gaya tha. Matlab Veer ki photos ko ab news me nahi dikhaya jaa raha tha.

Bas khabaro ka silsila hi jaari tha.

Kyu?

Kyuki, Las Vegas ke Investigation Department ne apni report darj kar di thi.

Dhanyavaad ho Divya, Mike aur Nolan ka jinhone ye maang rakhi.

Investigation Department ki report me saaf-saaf batla diya gaya tha ki Veer koi criminal nahi balki House of the Killers ko pakdaane waale sehkaariyo me se ek hai.

Uski aham bhumika ke chalte hi Vegas me HOK ko thikaane lagaya gaya tha.

Ye report milte hi DGSI ko ek bohut bada jhatka laga tha.

Las Vegas ne HOK ki report pehle bhej ke France ke upar ek ehsaan kiya tha. Badle me ye swabhaavik tha ki France bhi zaroorat ke samay Las Vegas ke kaam aaye.

France kabhi nahi chaahega ki Vegas se uski koi berr rahe.

Aur isliye, Investigation department ne apni maang rakhi. Ya yu kahe ki Divya, Nolan aur Mike ne apni maang rakhi ki Veer ki photos saari news media se hata di jaaye.

Jab tak Veer ke khilaaf 100% saboot na ho tab tak usse mujrim kaise thehraya jaa sakta hai? Kaise uske upar itne bade aarop lagaye jaa sakte hai?

DGSI ne baat ko samajh fauran hi saari tasveero ko hata diya. Veer ke upar laga ek laanchan abhi kam se kam dhundhla ho gaya tha. Mita nahi tha. Par abhi ke liye dhundhla hi sahi.

Magar, ye jhatka toh kuch bhi nahi tha. Asli jhatka toh unhe tab laga jab Terashima hosh me aayi.

DGSI ke Head, Xavier hospital ke ek normal ward me Terashima ke saamne khade hue the.

Xavier : Kya kaha tumne?

Terashima : H-He…! He saved me!

Terashima ki kahi gayi baat jaise kisi bomb ki tarah aake unke upar fati.

Unki dimaag ki taare hi short-circuit ho chuki thi.

Bhala mujrim kyu apne peeche lage vyaktiyo ki jaan bachayega?

Parantu, Terashima ki zubaani toh kuch aur hi bayaa kar rahi thi. Usse hosh me aaye abhi kuch ghante hi beete the aur uss se sawaal jawaab karne ke liye Xavier aur anya uske saamne the.

Chris aur Eric bhi ek-ek ward me bharti the.

Xavier : Uss ladke ne tumhari jaan bachaayi? Tum jaanti ho na ye kitna bada case hai? Mazaak ka waqt nahi hai ye. Nurse? Kahi sarr pe zyada chot aa gayi hai kya iske?

Nurse : Huh?

Terashima : I'm telling the truth!!!!

Jab usne thodi tezz awaaz me bola toh ward me ek khamoshi chhaa gayi. Sabhi ka dhyaan punah Terashima par chala gaya.

Uski palke jhuki hui thi, jaise maano woh uss pal ko yaad kar rahi ho.

*Bang*

Woh goli ki goonj uske kaano me fel gayi, jo usne apne haatho se chalaayi thi uss shaks pe.

Veer pe…!

Sab kuch tasveer bann-bann ke uske dimaag me aata jaa raha tha.

Terashima (nods) : I remember everything. Mujhe sab yaad hai.

Agle hi pal na jaane kyu par uski aankhein bheeg gayi.

Andre : T-Terashima?

Andre hairaan reh gaya. Terashima kabhi roti nahi thi. Agent bann'ne ke baad woh itna serious rehti thi ki uske emotions bohut hi kam jhalakte the. Par aaj-

Terashima : Mujhe yaad hai. Mein usse warning de rahi thi. Surrender karne ke liye. Uske baad tumse baat hui thi Andre. Tumne kaha tha ki shoot kar sakte hai.

Andre : H-Haan! Mujhe toh Sir se hi message aaya tha.

Terashima : Aur mein uspe aim hi ki hui thi. Lekin, mein jaha khadi thi. Waha woh stone walls me lage patthar…! Woh toot ke mere upar gir pade.

Andre : !!!?

Terashima : Aur tabhi woh ladka..! Mere upar kooda. Mujhe laga woh mujh par hamla karne aa raha hai isliye mene…! Usse shoot kar diya.

Xavier : Toh ye baat hai.

Terashima : Hmm! Lekin, woh mujhe bachaane ke liye aage badha tha. Aur uske baad, saare patthar uss bechaare ke upar girte chale gaye. Usne mujhe bachaya. A-Aur mene usse-

Andre : Asli khel toh usne hamare saath khela tha. Abhi tak uski body nahi mili hai. Case toh ulajhta hi jaa raha hai.

Terashima (uthate hue) : Uski body nahi mili? P-Par wo toh pattharo ke neeche tha na? K-Kya hua usse?

Andre : Wo waha se nikal aaya tha. Sir! Ab kya? Ye maamla toh aur pecheeda ho gaya hai.

Xavier : Mujhe ab bhi yakeen nahi ho raha.

Terashima (niraasha se) : Agar wo mujrim hai, to usne mujhe kyu bachaya Sir? Ye jaante hue ki mein ek agent hu aur usse pakadne ke liye aayi hu.

Andre : Terashima ki baat me dam hai Sir. Upar se Vegas ke department se jo report aayi hai usme woh ladka ek normal citizen hai jisne HOK ko pakdawaya hai.

Terashima : That's-!!! Woh mujhse keh bhi raha tha ki hume koi galat-fehmi hui hai.

Andre : Mujhe kehna toh nahi chahiye Sir. Par sh-shayad-!!! Humse bohut badi galti ho gayi hai iss baar.

Terashima : Agar woh ladka innocent nikla toh hum kabhi bhi iss paap se khud ko mukt nahi kar payenge Sir.

Xavier ke chehre par agle hi pal paseena jhalakne laga.

Xavier : Accha hua jo samay pe woh photos hatwa di mene.

Andre : Sir, woh bench par jab baitha tha tab Crimson kar ke kuch keh raha tha. Ye shabd yaad hai mujhe.

Xavier : Crimson?

Terashima : K-Kahi woh caller hi toh nahi? Jisne hume info di? Kahi aisa toh nahi ki hum uski chaal me fass gaye? Kahi wahi toh ye aadmi nahi? Crimson shabd uss se hi related toh nahi?

Terashima ki baatein sunn dono hi shaant reh gaye. Agar aisa hota hai toh kya muh dikhayenge woh Vegas ke Investigation Department ko?

Aur agar uss ladke ke desh ki sarkaar ko ye baat pata lag gayi. Toh kya jawaab denge unhe?

Xavier : Andre!! Terashima ko araam karne do! Mere saath baahar aao.

Andre : Yes Sir!!!

Terashima ko yu hi uske ward me araam karne ke liye chhor woh dono hi baahar chale gaye.

Aur idhar bechari Terashima ek baar fir apne khyalato me doob gayi. Uss se pehli baar itni badi galti kaise ho gayi? Kaise woh ek nirdosh ko pehchaan na paayi?

R

Harr koi iss samay Veer ke baare me sochne me laga hua tha. Fir chaahe uske chaahne waale ho, uske shubh-chintak, usse galat samajhne waale ya fir uske dushman.

***

Yaha ye sawaal-jawaab chal rahe the toh wahi issi sheher me koi aur bhi tha jo yahi sawaal-jawaab karne kisi aur ke paas aaya hua tha. Bas, tareeqa thoda alag tha.

*BAMMM*

Table par zorr se haatho ko patakne ki awaaz aayi aur ek aurat behad gusse me apni kursi se khadi ho gayi.

Suhana! Uski aankhein gusse me laal aur aasuo se namm thi.

ERUZHCNWk-AAa1-VJ

Suhana : Mein tumse kuch puch rahi hu!! Jawaab do!!!

Aur uske saamne thi,

Ava!!

Ava ne apni nazre churaate hue chehra ferr liya. Aankhein toh uski bhi bheegi hui thi.

1b8ed8ed5396695ce168788d50eee3bc

Ava : Mein apna jawaab rakh chuki hu Suhana!

Suhana : Woh mere sawaal ka jawaab nahi. Seedhe-seedhe batao mujhe kaha hai woh? Aur ye news…! Ye sab kya chal raha hai? Kyu tumne usse yaha bulaaya? I WANT TO KNOW EVERYTHING!!!!

ER4-FFr-KWk-AA7f-UM

Ava : I-I…! I called him for protection.

Suhana (screams) : Ye jaante hue bhi ki Divya abhi busy hai? Kis haq se tumne usse akele yaha bulaaya? Tumhe koi khabar bhi hai ki uske ghar par kya haalat ho rahi hogi uske parivar ki? They fucking don't know anything!!!

Chillaate hue Suhana ne table par rakhe saare kaanch ke glass bikher ke neeche gira diye.

Ava : I..!

Suhana : Uski choti behan ka call aaya tha mere paas. Kya jawaab du usse mein? Woh puch rahi hai mujhse ki bhaiya kaha hai!! Kya bolu uss se mein? FUCKING TELL ME!!!

Jab Ava ko ye pata chala ki Veer ka parivaar uski raah dekh raha hai, toh jaise glaani ka bada sa patthar uske upar aake gir pada.

Ab jaake usse bodh hua.

Woh akeli thi. Par uski tarah sansaar me harr koi akela nahi tha. Unke paas unka parivaar tha. Ava bechari dedh saal se akeli thi.

Jaise woh ye baat bhul hi gayi thi ki Veer koi awaara ladka nahi, balki kisi ke parivaar ki jaan hai. Kisi ki amaanat hai. Kisi ka sahaara hai. Kisi ka saathi toh kisi ka pyaar.

Bodh hote hi uski aankho se apne aap hi aansu panapne lage.

222b482e3ea6842cdcbc5491b806002f

Suhana (growls) : TELL ME!! WHERE… IS… HE… NOW!!!!

Ava : M-Mujhe nahi pata! I don't know anything!

Usne ek baar fir muh ferr liya. Woh kaise sachhaayi bata sakti thi? Chaah ke bhi muh se kuch ugal nahi sakti thi.

Ava : Mujhe nahi pata kuch. Mujhe theek se kuch yaad nahi. Waha kya ho raha tha mein nahi jaanti. I-I don't know-

Suhana : Toh kaha gaya woh??? Kyu ye DGSI waale gaandu uske peeche pade the? Kyu uski tasveer b-baar baar…! Baar baar-

Aur wo ro padi.

Suhana (sobs) : *sniff* Kyu uski tasveer baar baar news pe aa rahi thi? *sniff* Bolo? K-Kyu??? Jawaab do? Kyu likh ke aa raha tha ki criminal has been executed. Kya matlab hua iska??

Ava : I-I don't know!!! I don't remember. Shayad unhe koi galat-fehmi ho gayi.

Usne abhi itna kaha hi tha ki Suhana ne agle hi shan uski dress ki collor ke hisse ko pakda aur zorr se jakad usse kheench liya,

Ava : !!!!

Suhana ki aankhein bhayanak hi buri tarah gusse me feli hui thi.

Suhana : Ye mein akhiri warning de rahi hu tumhe Miss Ava Grace Martin!!! Agar tumne ab mujhe kuch nahi bataya, toh mein bhul jaungi ki tum Sonu ki koi dost bhi thi.

Ava chaahti toh badi hi asaani se khud ko chhura leti. System ke aage Suhana ki ye pakad baccho ki pakad jaisi thi. Parantu, usne aisa kuch bhi nahi kiya. Woh Suhana ki giraft me hi bani rahi.

Ava : Mujhe nahi pata Suhana! M-Mein kisi kamre me thi. Bandhi hui thi. Baahar kya ho raha tha mein nahi jaanti.

Suhana ka iss baar maatha thanak utha. Woh jaanti thi ki Ava kuch na kuch zaroor jaanti hai. Magar bata nahi rahi. Woh agle hi pal itni zorr se garji ki baahar khadi Ashita aur Prakash Uncle tak ko uski awaaz sunaayi de gayi,

Suhana (screams) : AVA GRACE MARTIN!!! TUMHARI YE MAJAAL-! TUM SACH SACH BATAATI HO YA-

"MARR CHUKA HAI WOH!!!!"

Ava ke bol poore kamre me goonj gaye.

Achanak hi waha ek sannaata chha gaya!

Suhana kisi moorti ki tarah bann ke wahi jamm gayi.

ER4-FFr-JXUAIFFZ5

Ava ke kapde par uski pakad bhi dheeli hoke chooth gayi. Uski aankhon ne jaise apna focus kho diya.

Woh jaise shoonya hoke reh gayi. Uska mastishk kaam karna hi band kar diya jaise kuch palo ke liye.

Aur iss baar Ava ki awaaz oonchi ho gayi. Rote hue woh chillaayi,

Ava (screams) : Marr chuka hai woh. HE'S DEAD!!! AND GONE!!!

Subakte hue woh bhi dobaara apni kursi par girte hue rone lagi.

Budbudaate hue abhi bhi uske hontho se ahista-ahista lafz baahar nikal rahe the.

Ava : H-He's gone-!!! Gone! No more with us-!!!

Suhana jo baar-baar ratt lagaaye hue thi jawaab jaan'ne ki, usse uska jawaab Ava ne de diya tha.

Kintu, Suhana ke liye ye jhatka jitna dikhaayi de raha tha uss se kahi zyada bada tha vaastav me. Ghaat aisi pohuchi thi usse andhruni starr par ki usse khud abhaas nahi tha iss baat ka.

Agle hi shan usse aisa laga jaise uske badan se poori urja kisi ne kheench li ho.

Woh ladkhadayi, aur kursi ke saath-saath hi woh khud bhi zameen par girke behosh gayi.

"Suhaaanaaa!!!!"

Ava ki akhiri awaaz thi jo usne behoshi me jaane se pehle suni. Uske baad andhkaar sa chhaa gaya.

***

Bhedo ke jhund ko jab charwaane ke liye unhe kheto me le jaaya jaata hai, toh unke saath unka ek gadariya hota hai.

Unki rehnumaayi ke liye. Unke netratva ke liye. Jo harr samay unki dekh-rekh aur parvaah karta hai.

Par agar wahi gadariya achanak khud kahi gaayab ho jaaye ya kho jaaye toh?

Toh, saari bhede titar-bitar ho jaati hai. Unki samajh nahi aata kya kare. Gadariye ke liye weh vyakul ho uthati hai. Bechain hoke machalne lagti hai.

Aur Veer ka parivaar iss waqt inhi bhed ke samaan ho chuka tha.

Lagbhag 3 hafte guzar chuke the Bhavna ki akhiri waqt baat hue Veer se.

Teen hafte! Maano ab mahina hi hone jaa raha tha kuch hi dino me.

Uske ghar me jo mahaul abhi bana hua tha woh dekha nahi jaa sakta tha.

Harr koi itna pareshaan aur vyaakul tha ki samajh nahi aa raha tha kya kare.

Kavya ka phone udhar Suhana ab utha nahi rahi thi.

Bhavna, Arohi, Tej aur Shweta toh Paris jaane ke liye tickets ka bandobast bhi karne lage the.

Par ek aur sansani fela dene waali khabar unke haath lagi.

Paris me sabhi flights ko rok diya gaya tha. International ki incoming flights sab band kar di gayi thi.

Unhe ye bhi pata chala ki ek bohut bada Terrorist attack hua tha Paris me.

Ye khabar paate hi jaise unki saansein atak gayi thi.

Jo nahi sochna chaahiye wahi khayaal mann me aa rahe the.

Kahi Veer ussi haadse me toh-!?

Par, sakaraatmak sochte hue aur bechain dil ko baar-baar tasalli dete hue unn sabhi ne khud ko sambhaala.

Kavya bechari jo sabse pehle khoob nidar hoke bina chinta ke Veer ke baare me sabko hidayat de rahi thi. Woh ab khud hi sabse zyada rone me lagi hui thi.

Veer ki orr se na hi koi khabar aa rahi thi aur na hi kahi aur se kuch pata chal raha tha.

Veer ke Dada ji waale ghar me bhi ye baat pata lag gayi. Manorath jo Veer ko dil se chaahte the woh fauran hi Bhavna ke nirnay se taiyaar ho gaye.

Aur nirnay ye tha ki-

Bhale hi woh Paris nahi jaa sakte toh kya? Par France ke koi aur sheher to jaa hi sakte the na?

Decide ho chuka tha ki woh Paris ki jagah Strasbourg jayenge. Aur waha se train se Paris ka raasta lagbhag 2 ghante ka hi tha. Toh Paris me jaa ke Veer ke baare me pata laga lenge.

Jaane waale logo me se ek swayam Bhavna thi. Uske sang Tej, Arohi aur Manorath khud.

Ek bade ki aavashyakta thi unhe jo unhe sambhaal sake. Bhavna khud bhi iss waqt dusro ko sambhaalne ki sthiti me nahi thi.

Shweta aane ki zidd karne lagi thi magar ghar par fir sabhi javaan ladkiya hi reh jaati.

Isliye usse ghar par rehne ke liye jaise-taise manaaya gaya.

Chaaro hi Veer ko dhundhne nikal chuke the. Aur Strasbourg pohuch bhi chuke the. Yaha tak ki unn logo ne Paris tak ka raasta bhi tay kar liya tha.

Par news me kahi bhi Veer ki tasveere nahi thi. Sab kuch hata diya gaya tha. Social media se leke YouTube athwa kisi bhi sites par kahi koi nishaan nahi tha uska.

Aur aaj ki issi raat, Ava ke wahi music video ke upload hone ki khushi me aalishaan hotel me ek choti si party rakhi gayi thi.

Staff team se leke sabhi log maujood the. Haadsa hue lagbhag 3 hafte guzar chuke the toh ye music video France ki saari janta aur Aga ke fans ke liye ek refreshment tha. Ek breather tha unke liye.

Yeh gaana logo ke liye aisa tha jaise maano kisi registaan me bhatke vyakti ko paani ka talaab mil gaya ho.

Kuch minutes hi hue the gaana post hue ki likes aur views ki barsaat shuru ho chuki thi.

Dinner ka aayojan bhi tha. Sabhi acche dhang se taiyaar khaane aur peene ka lutf utha rahe the.

Par kisi ki aankhein thi, jo ab bhi namm thi. Itni khushi, itni safalta ke bawajood, uss lady ko koi khushi mehsoos nahi ho rahi thi.

Woh Ava hi thi.

Ab jaake Veer ki saari baatein usse yaad aa rahi thi.

Kaise woh alleys me yu hi sirf uske liye jaane ke liye taiyaar ho gaya tha.

Usse khud ke aur uske hue vartalaap yaad aa rahe the,

'Tum…! Tum mere liye aaye. Tumhare hone se mujhe safe feel ho raha hai.'

'Well! Mene aapko kaha hua hai. Jab tak aapke peeche pade uss insaan ka pata nahi laga leta, tab tak aapko protect karunga.'

'Come na! Yaha malls mene explore nahi kiye. Kahi chalte hai?'

'Agar aap yahi chaahti hai toh-'

'That's nice!!! Kya hum waha chal sakte hai?'

'Don't worry! Mein personally jaunga unke saath. Unhe kuch nahi hoga.'

'Yes! I understand. It was my fault.'

'It's okay! As long as you're safe. Nothing else matters right now.'

'See??? Hahahaha! I won!!! Mene kaha tha na?'

'Yeah yeah! Dekha mene. You sure are lucky *smiles*'

'Like what you see?'

'M-Mein aata hu. *blushes* Wait for me!'

Harr ek baat usse yaad aa rahi thi. Veer ki chhavi uske dil-o-dimaag me mandra rahi thi.

Uski woh strong back jisse leke woh uske saamne chal raha tha. Bina ye jaane hue ki woh swayam hi uski maut me shaamil thi.

Ava ke gaalo se aansu beh beh ke girne lage.

Hotel ki 7th floor par khidki ke paas khadi woh bas auro se dur ro rahi thi.

IMG-20230403-230444

Par usse nahi pata tha ki-

Ussi building ke bagal waali building ki terrace se andhere me khade usse koi ghoor raha tha.

Uske badan par ek safed shirt thi jo tezz hawaao me awaaz kar lehra rahi thi.

Unhi hawao me uske baal bhi bikhre hue the.

Aur uski befiqr nazre building ke andar maujood Ava par hi tiki hui thi.

Agle hi pal, Ava ki aankhein phati ki phati reh gayi. Uski saansein aur dhadkane tezz ho uthi. Seena zorr-zorr se upar neeche hone laga.

Kyuki uske mann me ek ghanti baji thi,

*Ding*

e

Ava ke poore badan me sihran daud gayi. Woh kisi chidiya ki tarah harr taraf gardan modte hue apne chaaro orr dekhne lagi.

'V-Veer!!!!?'

Agle hi pal uski nazre bagal se lagi building ke uss terrace par gayi.

Par, usne jo saamne dekha toh-

Siwae aasmaan me chamakte chaand ke alaawa waha koi nahi tha.

Terrace khaali thi.

'Veer!!!????'
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Update consists of 4.7k words. Chuki, Crimson arc bas ab 5-6 updates me khatam hai toh yaha dekh sakte ho ki kaise business arc apni entry le raha hai. Baaki, likes thokne ka aur revos rakhne ka. Target is 150 for this one. Keep supporting!

Dhanyavaad! ✨
Awesome update
 
Curiousbull

Active Member
1,143
1,957
158
Update - 145 ~ X

Ab tak...

Ava ke poore badan me sihran daud gayi. Woh kisi chidiya ki tarah harr taraf gardan modte hue apne chaaro orr dekhne lagi.

'V-Veer!!!!?'

Agle hi pal uski nazre bagal se lagi building ke uss terrace par gayi.

Par, usne jo saamne dekha toh-

Siwae aasmaan me chamakte chaand ke alaawa waha koi nahi tha.

Terrace khaali thi.

'Veer!!!????'

Ab aage...

Andhkaar!

Kya hota hai? Kya prakaash ka na hona andhkaar hai?

Maut!

Kya hoti hai?

Kya saans na le paana mrityu hai? Kuch sunn na paana, dekh na paana, bol na paana, mehsoos na kar paana. Kya yahi hai maut?

Agar vyakti inme se kuch bhi kar na paaye, ye bhi pata na ho ki uski dhadkane chal rahi hai ya nahi? Toh kya usse mrat ghoshit kiya jaa sakta hai?

Uss soch ka kya jo waha ab bhi maujood hai? Woh soch jo duniya bhar ke gyaan ko samajhne ke liye saksham hai.

Veer ki soch iss waqt issi sthiti se guzar rahi thi. Chaaro orr andhkaar fela hua tha.

Na hi wo apne shareer ko mehsoos kar paa raha tha aur na hi kuch dekh ya sunn paa raha tha.

Kaisa mehsoos hota hoga jab aapke saamne andhera chhaa jaaye. Aap jaante ho aapki soch ab bhi kaam kar rahi hai. Aap ye bhi samajh paa rahe ho ki aap andhkaar me doobe hue ho. Par kaisa mehsoos hoga jab ye bodh hoye ki sirf sochne ke alaawa aap aur kuch nahi kar sakte.

Koi awaaz nahi, koi drishya nahi, koi anubhooti nahi. Kaisa lagega tab?

Veer abhi issi sthiti me tha.

Aisa lag raha tha jaise woh kisi antariksh me ghoom raha hai. Farq sirf itna tha ki yaha koi taare nahi the aur na hi koi roshni.

Jab woh apne mann ke vichaaro me ladte ladte maansik roop se thak gaya, aur iss paristhiti se baahar nikalne ka koi hal khoj na saka, tabhi usse kuch dhundh si nazar aayi.

e5e79f4d-5006-464e-a05b-743a486a533b-screenshot

'Huh?'

Aur fir ek dhwani,

[....ster!!!]

[.....errrr!!!!!]

'Huh?'

Veer ki saansein tej ho uthi. Yeh awaaz woh bhali-bhati jaanta tha.

Aur agle hi shan, uska shareer kisi chumbak ki tarah khichta chala gaya. Uski consciousness drift hone lagi.

"Aaaarrrghhhh!!!"

Laga jaise woh aseem raftaar me antariksh me udd raha hai.

Theek uske turant baad hi,

'Uhh!!?'

Sab kuch akasmaat shaant ho gaya. Andhkaar toh abhi bhi tha. Magar ab,

Uska seena upar neeche ho raha tha. Woh saans le raha tha.

Uski naak me aas paas ke vatavaran ki praanvayu aane lagi. Samudra ki lehro ka shor sunaayi dene laga.

Ek ek karke harr senses uske apna apna kaam karne lage. Woh zinda tha.

Saath hi,

[Maaaasttttteeerrrrr!!!]

Woh awaaz bhi usse sunaayi di.

Palke jhapki aur dheere dheere Veer ki aankhon ke saamne kuch drishya aane lage.

'Urgh!'

Ek andhruni karaah uski nikli. Aankhein dard kar rahi thi. Usse fir kuch nazar aaya.

Apni baayi orr dekhte hi kuch aisa nazaara uske saamne tha.

blue-moon-cave-572f63075f9b58c34c820622

Akaash me chandrama apni roshni bikhere chamak raha tha. Derr raat ho rakhi thi.

[Master!!! Thank god! Finally! Can you hear me?]

Veer ne mann hi mann haami bhari.

Poora badan uska dard kar raha tha. Lag raha tha jaise uske shareer ke tukde tukde kar ke zameen par bikher diye ho.

Jab usne aas-paas ka jayza liya toh usse anumaan ho gaya ki woh samudra me maujood chattaano ke nichle hisse me bani kisi gufa me tha.

Uska shareer chattaan ki deewaar se hi tika hua tha. Peeche usse kuch gadd raha tha. Apne haath ko tatol ke usne uss cheez ko sehlaaya toh paaya ki ye wahi gun thi.

Jo usne Ushant Island me uss ek gang member ko behosh kar ke chhinaayi thi.

Abhi woh kuch harqat karta ki tabhi usse kuch awaaz sunaayi di. Kisi ke qadmo ki awaaz thi. Dheere dheere ye awaaz uske nazdeek aa rahi thi.

Veer turant hi sachet ho gaya. Khatre ki bhanak lagte hi usne sarr utha ke saamne dekha.

Ek bade se shareer ki chhaaya aakriti uske saamne thi. Usse dekhte hi,

'Check!!!'

*Ding*

[No information available.]

Notification dekhte hi Veer ki aankhein bhay ke maare fel gayi.

'Crimson???'

Uski aadat bann chuki tha harr nazdeek maujood insaan ko check karna.

Notification ka bodh hote hi,

*Swoooshhhh*

Woh apni jagah se ekdum se ucchla.

[Master-!!! No-!!! Wait!!]

Par Pari ki baat sunn'ne me usse derri ho gayi. Woh tab tak hawa me kood chuka tha.

Saamne khada vyakti uske iss tarah achanak hamle se achambhav me reh gaya.

"Y-You-!!!!"

Veer kisi ghaayal sher ki tarah uss aadmi par lapka aur uske vishaal shareer ke upar chadh gaya.

Furti me uska haath peeche kamar par gaya, aur haath me gun aate hi Veer ne bandook uss aadmi ki khopdi par upar se taan di.

Magar,

Trigger nahi daba paaya. Kyuki,

Veer ki aankh ke theek saamne ek paini sui bas 0.5 cm ki duri par tainaat thi.

Jaha Veer uss aadmi ki peeth par chadh uske sarr par aim lagaya tha. Toh wahi uss aadmi ne jhatse kahi se lagbhag 15 cm lambi ek sui nikaal ke Veer ki aankh ki putli ke saamne kar di thi.

Veer ki aankhein adh-khuli thi. Saansein bhi ukhdi-ukhdi le raha tha woh. Yu jaldbaazi me ucchalne se uske shareer ka dard bhadha aur jagah jagah se khoon nikalne laga. Parantu, uske baad bhi woh tass se mass na hua.

Aadmi : Such will power-!!!

Haafte hue woh uss aadmi ke upar hi chadha hua tha.

Aadmi : Ladke!!! Neeche aao!! Issi waqt! Warna apni aankh kho doge. Tumhari bandook me goli nahi hai!

Ye toh Crimson nahi tha. Aadmi ki awaaz sunte hi Veer ne forun hi trigger daba diya.

*Click* *Click*

Par uss aadmi ki baat satya thi.

Gun me waqai bullets nahi thi.

'Tsk!'

Veer jaise hi neeche aaya woh ladkhada ke gir pada.

[Master!!!!]

Uske girte hi saamne khade shaks ka chehra gufa me chaand ki aati roshni ke saamne aaya. Veer ne dekha ki qareeban 50 kuch ki umr ka vyakti uske saamne tha.

Bhayanak badi kad-kaathi. Lambe ghane baal jo adhiktar kaale the magar kuch safed baal bhi unme shaamil the.

Badi badi daadhi aur lambi latakti hui mooche.

Ghaayal Veer usse bas satarkta me ghoor raha tha. Iss haalat me bhi woh ladne se bhaag nahi raha tha.

Aadmi ne apne haath me li hui badi si sui ko apni kamar ke peeche ek kapde ke bag me rakh liya.

[Master! Don't worry! He's our benefactor. Usne hi aapki jaan bachaayi hai.]

'What?'

Pari ki baat sunn, Veer hairat me uss aadmi ko dekha.

Aadmi : Taajub hua? System ne sach bata diya? Mein tumhara dushman nahi ladke.

Aadmi ne chinese bhaasha me bola. Jiske jawaab me Veer ne bhi chinese me hi baat ki,

Veer : Kaun ho tum?

Aadmi : Tum mujhe 'Renshu' keh ke bula sakte ho.

Renshu apna vishaal shareer liye wahi bane ek patthar par baitha. Kamar par latki ek bottle gourd usne nikaali aur usme se paani peene laga.

Pyaas bhujte hi usne bottle gourd Veer ki orr feki.

Veer ne ek haath se uss bottle ko catch kiya. Ye natural water bottles hoti thi jinhe bottle gourd ki sabzi se banaaya jaata tha.

Renshu : Paani hai! Tum 2 din se behosh the. Pee lo!

Veer ne kuch shan tak Renshu ko dekha aur fir apne haath me uss natural water bottle ko.

[It's okay Master! Drink it.]

Pari ki sahanubhuti se Veer ne fir koi virodh nahi dikhaya.

Usne paani piya. Ab harr jagah usse dard mehsoos ho raha tha. Josh josh me woh ucchal ke Renshu pe chadh toh gaya tha par uske chalte uske shareer ke ghaav firse khul gaye the. Khoon fir behne laga tha.

Renshu wahi se kuch qadmo ki duri par lakdiya ikhatta kar aag jalaane chala gaya. Derr raat ho rahi thi aur thand thodi badh chuki thi.

Renshu : Ladke!!! Tumhe pata hai tumhare behosh hone ke baad kya kya hua hai?

Veer ko sab jaise yaad aaya. Ushant Island ki woh vardaate.

Veer : R-Right-!! Mein! Kya hua tha?

Iss baar usne Hindi me bola aur uska jawaab Renshu ne bhi Hindi me hi diya,

Renshu : 2 din tak Island ke aas-paas chhaan been chali hai. Tumhari laash ko dhundhne ki. Kuch derr pehle hi woh sab yaha se nikle hai.

Yaani Veer 2 din se behosh tha. Aur waha DGSI aur police force do din tak Island ke tat par chhaan been karte rahe.

Veer : Hum unse kitni dur hai?

Renshu : Kareeb 2 KM dur. Chinta ki zaroorat nahi. Ye jagah surakshit hai ladke.

Dono ke liye koi bhi language barrier nahi tha. Woh harr bhaasha me baat kar sakte the. Aur DGSI logo ke jaane ke baad shayad isliye ab Renshu bina kisi fiqr ke aag jala raha tha.

Veer : Mein 2 din se behosh tha?

Renshu : Poore 2 din aur 3 raat.

Veer : That's-!!

Renshu : Mein sab kuch samjhane nahi baitha tumhare liye. Apne system se pucho. Woh tumhe samjha dega. Ya…! Samjha degi!?

Veer ne Pari ko awaaz lagayi toh andar se Pari ki awaaz aayi. Woh toh tatpar hi baithi thi sab kuch bataane ke liye.

[Master-!!]

'Pari! Kya hua tha akhir? Mujhe yaad hai, mein-! Crimson se ladayi kar raha tha. Uske baad-! Right! Ava!! She-!'

[First of all-]

'!!??'

[Don't you fucking do that ever again!!]

Pari ki awaaz bilkul wesi hi thi. Ruwaasi. Jab usne antim baar uss se baat ki thi. Awaaz bilkul wesi hi thi.

'I-'

[Stop! A-Aur meri baat suniye pehle-!]

[Kya soch ke aapne aisa kiya haan? Who told you to do that? Aapne ek baar bhi mere baare me nahi socha? I told you. Didn't I? Mein firse koi energy se space travel nahi kar sakti. Once you die. I die as well. Aur uske baad bhi aapne-]

'I-I… I'm sorry Pari!'

Apne Master ke muh se sorry sunn, Pari turant hi shaant ho gayi.

[J-Just keep in mind from now on. Ahinda se aap aisa kuch nahi karenge.]

'Yes!'

[Aur rahi baat kya hua tha? Then allow me to explain.]

'Hmm!'

Veer kisi bacche ki tarah tha abhi jo apni maa se daant kha raha tha. Pari uski laparwahi par bhadak rahi thi. Magar zyada derr apne Master se gussa kaise reh sakti thi.

[Sabse pehli baat Master. Jo aadmi aapke saamne hai. Usne hi aapki jaan bachaayi hai.]

'Renshu?'

[Yes. Jab aap paani me gire the toh Renshu hi tha jo aapke shareer ko saath leke waha se dur leke aaya.]

'I see! Magar police ne dekha nahi? Hum underwater aaye? Mein bach kaise gaya?'

[Aap underwater kuch seconds ke liye hi the. Renshu aapko neeche ke raaste se laaya hai. Aur fir tairte tairte yaha iss gufa me. It was so hard. Kayi baar bache hai. Then, he removed the water you swallowed, and the bullets as well. Fir dressing hui aur ab jaake aapko hosh aaya hai.]

'I see!'

[And that witch-!!!]

'Huh?'

[AVA GRACE MARTIN! The witch framed us. Usne hume dhoka diya Master. Woh uss Crimson ke saath mili hui thi.]

Veer ko andaaza toh tab hi ho gaya tha jab usne Ava ko helicopter me baithe dekha tha. Uska kuch na kehna. Woh khamoshi sab kuch bayaa kar gayi thi. Veer sab jaan gaya tha. Par ek baat se abhi bhi anibhigya tha woh.

[Also, she has a system.]

Aur Pari ne keh diya. Ye jaante hi Veer ko ek bada jhatka laga.

'Kya????'

Woh ye jaanta tha ki Ava ne usse dhoka diya hai. Par uske paas system tha? Ye bhala kaise ho sakta tha?

'N-No! Ye namumkin hai. Mene check kiya tha aur-'

Pari ne tabhi uske mann me screen ke saamne kuch rakh diya.

*Ding*

[Skill : Camouflage.
Bio : Allows the host to set a fake status according to their will. Favourability can also be altered.]

Skill ka description padhte hi Veer hakka bakka reh gaya.

'N-Nahi!!'

[Shuru se ant tak, woh aapke saath game khel rahi thi.]

'N-No!'

Ek ajeeb si peeda Veer ke dil me janm li. Aur baar baar ek hi sawaal pe uski sui aake atak rahi thi.

Akhir kyu?

Kyu kiya Ava ne uske saath ye sab? Kya bigada tha usne Ava ka? Woh toh yaha uski madad ke liye aaya tha na? Toh fir kyu?

Pari ne jaise apne Master ki peeda ko mehsoos kar liya. Andar hi andar Veer ki iss haalat ko dekh Pari ka khud ka seena chhalni ho raha tha.

Parantu, apne Master ko satya se avgat karana zaroori tha.

'T-Tumhe kaise pata chala Pari?'

Veer ki awaaz ahista se Pari ko sunaayi padi.

[Jab aap paani me waha se kood rahe the. Aapki nazre police officers par thi. Par meri nazre, Ava par tiki hui thi.]

'??'

[She was leaning down towards the door of the helicopter. Woh jhuk ke aapke girte shareer ko bade hi dhyaan se dekh rahi thi. Uski aankhon me woh glaze.... The moment I saw it- I knew what was happening.]

'Magar-'

Veer punaah apni baat rakh paata ki tabhi Pari ne ek aur jankaari uske saamne pesh kar di.

*Ding*

[Skill : Death Flag.
Bio : Allows the host to set a target on any living being. A Death Flag will then be raised indicating the being's life and death condition. As long as the Flag is up, being will be considered alive. Once the Flag falls, it means the being is dead.

Range : 1 KM (Upgradable upto 2 times.)

Note : Host must remain within the range to check the condition.]

Aaj Veer ka intihaan tha. Usse jhatke pe jhatke lag rahe the. Harr baat usse stabdh kar ke chhodh rahi thi.

[That explains why she was leaning down to see you.]

'P-Pari!!! Tumne ye sab kaise itne kam time me-?'

[Yes. I did it. Also, I'm sorry Master.]

'Sorry? K-Kyu?'

[Aapki heartbeat rokne ke liye.]

'What?'

[I'm sorry! Lekin, Ava kitni hi smart kyu na ho. I'm still smarter than her.]

'???'

[Death Flag, woh skill hai Master jo aapko ye bataati hai ki koi zinda hai ya nahi. Ava ne aapke upar Death Flag lagaya tha. Taaki, usse pata chal sake ki aap zinda rahoge ya nahi.]

Abhi bhi Veer ko ye sab sach hazam nahi ho raha tha. Par yahi satya tha.

'Ava ne!? Mujh par? K-Kab?'

[Kabhi bhi kar sakti hai Master woh. But I think mujhe pata hai usne kab kiya tha.]

'K-Kab?'

[Remember the time when we went to her concert?]

Veer ne tabhi apni yaadon me jhaak ke dekha. Aur uske haath ek khaas pal laga. Jaha woh Las Vegas me Suhana aur Divya ke saath Ava ke concert me gaya tha. Ava ne hi toh invitation bheja tha.

[Kya hua tha jab aapne usse check kiya tha?]

Veer ko jaise hi dhyaan aaya, uske badan me raungte khade ho gaye.

Jab usne Ava ko check kiya tha, toh stage par maujood Ava ne ek jhatke me uski orr dekha tha. Tab Veer aur Pari dono hi hairaan reh gaye the. Lekin, uske baad jab Ava ne Suhana aur Divya ko bhi dekh haami bhari thi toh Veer ne uss baat ko apne dimaag se nikaal diya tha.

[Yes! Now you remember. I think that was the time when she marked you.]

Veer ke hosh udte hi jaa rahe the. Ye saari sacchaayi ek saath hazam karna behad kathin tha.

Ab ek ek karke Ava ke saath guzaare harr pal usse yaad aa rahe the.

whattsap-handemiyy

Ab usse samajh aa raha tha kyu woh haath se goli maarne ka ishaara karti thi. Woh sirf mazaakiya dhang nahi tha uska.

Hande-Er-el-GIF

She was after his life, all along. Aur woh sanket the uske.

Woh alley me le jaana, fake police, protection ke liye invitation. Sab kuch frame kiya gaya tha.

Veer ka sarr apne aap hi neeche jhuk gaya. Uske ghane baalo ne uski aankhon ko dhak liya. Renshu dur baithe side-eye kar Veer ke expressions padhne ki koshish kar raha tha. Kintu, woh nakaam raha.

[As I said, woh bhale hi smart ho. Magar mujhse smart nahi ho sakti. Death Flag me apna ek fault hai Master. After all, it's just a Gold Tier Skill. Nothing much.]

'???'

[Aur woh fault ye hai ki Death Flag sirf targeted person ki heartbeat ko check karke notification deti hai. Basically, kisi ki heartbeat band ho gayi toh woh dead maana jaata hai. Right?]

'Aur isliye tumne meri heartbeat-!?'

[Yes. Sorry. Mene bataya tha aapko ki mein ek time par ek hi cheez par focus kar sakti hu. Pehle aapke blood loss ko rok rahi thi. Lekin, Ava ko galat notification dene ke liye mujhe blood loss se focus hata ke heartbeat par dhyaan lagana pada.]

'I see!'

[Woh abhi yahi samajh rahi hogi ki aap marr chuke ho.]

'Why did she-?'

[Zaroor uss Crimson ke saath mili hui hai woh Master.]

Veer ki mutthi achanak hi kass uthi.

[Time to time mene Beowulf activate kiya hua tha. It gives 50% more healing. Isliye aap jald hi hosh me aa gaye.]

'Ohh!'

[Yes! So, Beowulf ka use karte rahiye. Energy zaroor lega woh lekin aap heal jaldi hoge.]

'Pari!'

[Umm?]

'Thank you so much! Mene laparwahi ki par tumne fir bhi mujhe-'

[Yahi mera kaam hai Master. And didn't I tell you?]

'???'

[As long as I'm here. I won't let you die.]

Iss baar Veer ke honth halke se muskaan me fel gaye. Aur gaal se ek ashru ki boond fisal ke beh gayi. Kintu, aankhein ab bhi baalo se dhaki hui thi.

'Kyu kiya Ava ne mere saath aisa? Mission??'

[Ho sakta hai. Dusra case ye bhi ho sakta hai ki woh majboor ho. Lekin, fir bhi-! Mein usse maaf nahi karne wali.]

Veer ne koi jawaab na diya. Uske chehre par kya bhaav the ye koi nahi jaanta tha.

[Aur ek baat bataani hai Master.]

'What is it?'

Tabhi ek aur notification Veer ke mann me jhalka,

*Ding*

[Mission - 'Get to Ava' is failed.]

[2500 will be deducted.]

'Ah!!!'

[Aap puch rahe the na ki mission ki penalty sirf 5000 points kyu hai? Toh ye raha jawaab. Ava kabhi mushqil me thi hi nahi Master.]

'Aur uske baad bhi system bewakoof bann gaya?'

[Yes. Almost actually. Ava sirf acting kar rahi thi. Kahi na kahi system ne bhaanp liya tha ki kuch gadbad hai lekin pin-point nahi kar paaya. Isliye penalty me sirf 5000 points hi the.]

'Aur agar woh asliyat me mushqil me hoti toh?'

[Toh penalty points kam se kam 10,000 toh hote hi.]

'Ab mujhe sab samajh aa raha hai Pari.'

[Yes. Isliye mission fail hone par penalty sirf 2500 points ki lagi hai. System ne realise kar liya tha ki ye sab framing hai.]

'I see! Mere paas itne points toh nahi hai Pari. Kya zaroori hai abhi deduct hoye saare points?'

[Don't worry. System update ho chuka hai Master. Aap points collect karke fir penalty bhar sakte hai.]

Veer ne ye sunn ek raahat ki saans li.

'That's a relief.'

Veer ki nigaahein fir dur baithe Renshu par tik gayi.

[Master. Mujhe nahi lagta woh hamar dushman hai.]

'Hmm!'

Ab jaake Veer ko samajh aa raha tha. Ava ka yu singer hona. Usse ye bhi yaad aaya ki Suhana itna kyu pareshaan thi concert ke dauraan. Bachpan me kabhi Ava ne singing me koi ruchi nahi dikhayi thi. Toh achanak itne kam samay me itni safalta paana. Upar se aise darje ki singing.

Sab samajh aa gaya tha Veer ko.

[Kahi na kahi mene Renshu ki skills ka andaaza bhi laga liya hai. This guy must have some survival skills, medical skills and some identifying skills.]

Renshu itne me uth ke Veer ke nazdeek aaya aur uske shareer par jagah jagah bandhi pattiyo ko kholne laga.

Veer bas chup chaap uski harqato ka aaklan kar raha tha. Uske mann me abhi aneko sawaal ghoom rahe the.

Apni potli se nayi pattiya Renshu ne nikaali aur Veer ke badan par ghaav waali jagaho par baandh di.

Veer : Urgh!!! Why help me?

Renshu : Kyuki yahi mera kaam hai. Sansaar ke sanrakshan ke liye, tum jaiso ka zinda rehna zaroori hai.

Veer : Huh?

Renshu : It's my duty. I must protect those who can help in sustaining peace.

Veer (frowns) : Oh really? Toh meri jagah Crimson ko kyu nahi bachaya?

Renshu : Kya yahi naam hai uska?

Veer : Tumhe uska naam bhi nahi pata?

Renshu ne naa me sarr hila diya.

Renshu : Bilkul nahi! Mein uss se pehle kabhi nahi mila. Bhala mujhe kaise uska naam pata hoga. Ladke! Ek system dhaarak vyakti dusre system dhaarak vyakti ko check nahi kar sakta.

Veer : Ohh!

Veer ko ek aur nayi jankaari haath lagi. Matlab ek system owner dusre system owner ko check nahi kar sakta tha. Ava ko woh isliye check kar paaya tha kyuki Ava Camouflage skill rakhi hui thi. Ab sab kuch sense bana raha tha.

Veer : Agar aisa hai toh fir Crimson ko kaise mere baare me-?

Renshu : Baahri source bhi hote hai ladke.

Veer : Mera naam Veer hai.

Renshu (nods) : Hmm!

Veer : Tumne abhi bhi mere sawaal ka jawaab nahi diya. Agar, system owners ko bachaana hi tumhara kaam hai toh meri jagah Crimson ko kyu nahi bachaya?

Renshu : Mene tumse kaha na. Mein unhe bachata hu jo shaanti ke santulan ko banaaye rakhne ke yogya ho. Woh Crimson...! Mujhe uss se koi umeed nahi. You are the who matters.

Veer : Bina matlab ke tumne meri madad nahi kari hogi. So tell me. What do want from me?

Renshu : Samajhdar ho! Par abhi ye samay nahi. Sahi waqt pe tumhe pata chal jayega ki favour kab return karna hai. For now, just rest. And heal your wounds.

Veer shaant ho gaya. Kuch derr baad usne apni baat rakhi,

Veer : Tumhare paas phone hai? Mujhe ek call karna hai.

Renshu ne naa me gardan hilaayi.

Veer : Whattt??? Tumhare paas phone bhi nahi hai?

*Whistle*

Agle hi shan Renshu ne ek zordaar seeti maari. Aur kuch hi palo me waha ek kabootar apne pankh fadfadate hue gufa ke andar pravesh kiya.

[Ah! It's a pigeon.]

Kabootar andar aake seedha Renshu ke kandhe par baith gaya. Aur fir neeche utar Veer ko tak-taki laga ke dekhne laga.

Apne jhole me se Renshu ne ek kaagaz ka tukda nikaala aur syaahi waala ek pen. Kaagaz par kuch likha aur fir usse roll karte hue woh kabootar ke perr me baandhne laga.

Veer uski harr harqat ko padh raha tha.

'This guy seems a bit old-fashioned.'

[Old fashioned ho ya na ho. Lekin, uske paas pigeon ko tame karne ki bhi skill hai. I see.]

Jaha Veer nayi nayi jankaari praapt kar stabdh hota jaa raha tha toh wahi Pari pehle se 10 guna aur satark ho chuki thi. Woh apna poora dhyaan system owners ki skills aur cards ko identify karne me laga rahi thi.

Veer : Tumhe system ke baare me itni jankaari kaise hai?

Renshu kuch derr ke liye maun raha. Woh Veer ko taakta raha aur Veer usse. Fir ek gehri saans lete hue usna batana shuru kiya.

Renshu : Tumhe bataane me koi harz nahi hai. Toh suno.

Veer : Hmm?

Renshu : Sansaar me kul 30 System dhaaran karne waale log the.

Veer : 30???

Veer ko ek aur bada jhatka laga. Pari ne toh shuruaat me uss se kaha tha ki wahi ekmaatr hai. Fir ye sab?

Renshu : Aur ab sirf 18 bache hai.

Veer : You mean-!!!?

Renshu ne jaise hi haami bhari toh Veer ke badan me ek sihran daud gayi.

Veer : Baaki 12 logo ka kya hua?

Renshu : Woh marr gaye. Ya maar diye gaye.

Veer : A-Aur ab?

Renshu : Isliye mene tumhe bachaya hai. Santulan banaaye rakhne ke liye. Tumhara zinda rehna zaroori hai.

Veer (frowns) : Tumhe kaise pata chala ki mein aur Crimson aapas me bhidenge. Aur mera ye haal hoga?

Renshu (sighs) : Mujhe ek call aaya tha.

Veer : Huh?

Renshu : Sach kahu!!! Toh koi hai...! Koi hai jo shayad iss shatranj ke khel me hum sabko pyaade ki tarah istemaal kar raha hai. Aisa mera mann keh raha hai.

Veer : Phone se tumhara kya matlab hai?

Renshu : Uss phone call se hi mujhe pata laga ki tum jaisa naujavan yaha musibat me aane waala hai. Woh aadmi ye bhi jaanta tha ki mein tum jaise logo ko bachaane ke liye hi kaam karta hu.

[That's strange Master.]

Veer : Iska matlab Crimson par woh goli-

Renshu : Woh goli mene hi chalaayi thi. Mujhe laga tha tum usse shayad shikast dedo. Lekin, woh tum par haawi tha.

Veer : Kaun hai woh unknown?

Renshu : Abhi ke liye-

Veer : ??

Renshu : Mein uss 'X' keh ke bulaata hu. Koi toh hai, jo ham sab se zyada jaanta hai inn sab ke baare me.

Veer : X!!?

Renshu : Hmm! Sandesh bhej diya hai mene. Jald hi ek helicopter yaha aa jayega. Lekin 2 din lagenge. Tab tak hume yahi rukna hoga. Aur tum-!!! Ab zyada hiloge nahi.

Toh isliye shayad usne woh kabootar ke perr me sandesh baandh ke bheja tha. Ye saari information Veer ke liye bohut zyada thi. Apne mastishk ko araam dene ke liye Veer aankhein band kar araam karne laga.

Yaha se nikalne me abhi usse samay tha.

Dekhte hi dekhte kaafi waqt beet chuka tha. Renshu aur woh Paris aa chuke the. Aur yaha aate hi Veer ne sabse pehla jo kaam tha woh tha apne ghar waalo ko soochna dena.

Usse gaayab hue ab hafte ho chuke the. Paris aane me bhi usse zyada hi samay lag gaya tha. Uska shareer lagbhag 70% heal ho chuka tha.

Pichli ek raat full moon ki raat thi. Beowulf ke stat percentages full moon me double ho jaate the. Jaha usse normally 50% healing me baddhotri milti thi toh wahi full moon me ye 100% ho jaati thi. Matlab duguni.

Jis kaaran woh kaafi jaldi heal ho gaya. Jis vyatha me woh pehle tha, udhar se aane me warna usse mahine se upar lag jaata.

***

3 hafte ho chuke the. Paris me Bhavna sang sabhi log ek hotel ke kamre me maujood the. Yaha ki sthiti dekh ke iss waqt unke andar ki bechaini ka varnan nahi kiya jaa sakta tha.

Ek Maa apne bete ki khabar paane ke liye tadap rahi thi. Behne apne bhai ke baare me jaan’ne ke liye vyaakul thi. Ek buzurg apne pote ke haal-chaal ke baare me jaan’ne ke liye icchuk the.

Magar koi khabar haath nahi lag rahi thi. Tej Paris ke hi logo ke social media par unke kuch open accounts me chhaan-been karne me lagi hui thi.

Bhavna : Kuch pata chala beta?

Tej : Dekh rahi hu Mom!

Woh abhi kuch accounts ko dekhi hi thi ki kisi ek ladke ke open account me usse woh dikh gaya jo usse bilkul nahi dikhna chaahiye tha.

Uske hi bagal se baithi Arohi bhi sab dekh rahi thi. Saamne dali post ko jaise hi usne padha. Arohi bechaari ke haath se uska mobile chhutak ke neeche gir gaya. Woh kisi murti ki tarah apni jagah par jamm gayi.

Paris me janta kitne virodh me thi ye sirf Paris hi nahi poora France jaanta tha. Achanak se kisi criminal ki photos harr platforms se hata di jaaye toh kya karegi janta aise me?

Vidroh! DGSI ke iss action se jaise aam janta aur gusse me aa padi. Bhale hi Veer ki photos daalne par karyavaahi honi thi. Magar, janta ne uska hal bhi dhoondh nikala tha.

Koi na koi, fake accounts bana ke Veer ki wahi news aur photos daalne me laga hua tha. Taaki, janta tak khabar barabar bani rahi ki yahi woh shaks hai jisne unke sheher me aatanki hamla kiya hai. Ye bach ke jaane na paaye.

Arohi aur Tej ke saamne wahi khabar thi jo hafto pehle news channels par release hui thi.

Bhavna ne jaise unke haav-bhaav padh liye,

Bhavna : K-Kya hua?

Par koi jawaab na mila. Tej ke haath ki ungliyaan laptop ke touch pad par rakhi hui kaanp rahi thi.

Arohi aur woh, dono hi bhaybheet aankhein faade murti ki tarah wahi baithi hui thi.

Bhavna tezz qadmo ke saath unke paas aayi aur jaise hi usne screen par maujood khabar ko dekha. Pal bhar ke liye toh usse kuch samajh na aaya. Fir jaise bodh hua. Aur abhaas ka fir bada sa patthar jaise uske sarr ke upar aake gira.

Apne muh ko saree ke chhor se dhakte hue woh ladkhada ke wahi gir padi

“N-Nahi!!!”

Arohi ki aankhein apne aap hi bheeg gayi. Naino me aansu panapne lage. Veer ke akhiri shabd uske dimaag me goonjne lage.

“Arohi di!! Aap se mujhe kaam hai. Kya aap ghar aa jaogi? Teju di aur baaki sab aapko yaha sab samjha dengi. Aur Kavya ko bhi le aana. Warna baad me woh muh fula ke baith jayegi.”

Uske baad se uski baat Veer se nahi hui thi. Woh Paris jaa chuka tha. Aur ab ye khabar…!

Arohi ka dimaag jaise kaam karna band kar chuka tha. Tej ka haal aur bhi bura tha. Woh becchari wese hi baat karne ke liye kitne dino se tadap rahi thi. Kintu, uske saamne toh-

Uske bhai ki maut ki khabar jhalak rahi thi.

Ab sab dorr aapas me judti jaa rahi thi. Kyu phone nahi lag raha tha. Kyu usne Bhavna se ghar par rehne ke liye zidd ki thi. Sab kuch Bhavna ko samajh aa raha tha.

Manorath ye drishya dekh aage badhe. Unki kuch samajh nahi aa raha tha. Ye sab iss tarah se kyu pesh aa rahe the?

Par abhi woh aage badhi hi the ki Tej ka phone baj utha.

Ghanti bajti jaa rahi thi magar Tej ko jaise duniya ka ab koi shor sunaayi nahi de raha tha.

Arohi ka haath apne aap phone par gaya, usne call uthaaya aur phone apne kaan se laga liya. Aur tabhi, dusri orr se ek awaaz aayi,

“Teju dii!”

Pal bhar ke liye laga jaise Arohi kisi sapne me thi. Uske dil ne kayi dhadkane ek saath phaand li. Haath kaanpne lage.

Arohi : Veeeeeeeeerrrr????

Aur uske iss shor se Tej aur Bhavna dono hi hosh me aa gayi. Bhavna ne fauran hi Arohi se mobile chhina ke apne kaano me lagaaya.

Bhavna : H-Hellooo???

Toh fir ek awaaz waha se aayi,

“M-Maa?”

Aur bas! Bhavna ki tezz dhadkane aur tezz hui magar uss awaaz ko sunte hi uski saansein fir durust hone lagi. Aur aankhon se nirantar aansu behne lage. Ye awaaz sunn’ne ke liye uske kaan taras gaye the.

Bhavna : V-Veeeeeer? B-Beta???

Veer : Umm! Mein theek hu. Surakshit hu. Aap chinta mat kariye!

Bhavna jaise muh se shabd baahar hi nahi nikaal paa rahi thi. Tej ne phone lete hue apne kaan se lagaya aur boli,

Tej : V-Veeeeer????

Veer : Teju dii!

Aur Tej ka bhi yahi haal tha. Woh ro padi.

Tej : K-Kaha ho tum? Ye khabar! Y-Ye sab kya hai? Hum sab Paris me hai!!

Veer : Aap sab Paris me ho? Mene Maa se kaha tha na ki ghar se baahar mat nikalna, jab tak mein laut nahi aata then-

Tej : SHUT UP!!!

Veer : Huh?

Tej : Shut up! *sniff* Bolo kaha ho tum!! Jaldi!!!

Veer : Mein-

Tej : Don’t you fucking dare!! Tell me!!! *sniff*

Veer : Aap sab jaha par hai. Wahi rukiye. Mein kuch hi dino me aapke saamne hounga. Ghabrana nahi Teju di. Haan? Maa ko sambhaalna!

Tej : T-Tum kya keh rahe ho? Veeeeeer!!!

Veer : Mera aapke paas rehna abhi theek nahi. Jo khabar aapne padhi hai. Woh ek badi misunderstanding hai Teju di. You believe me na? Then trust me. Mere baare me koi bhi topic mat uthana public me. Mein sab samjha dunga baad me-

Tej : N-Nooooo!!

Veer : Abhi aapko bas wahi rehna hai. Don’t get out okay? Mein jald hi lautunga. Don’t worry!

Tej : N-Nahiiiiii! Veeeeeerrrrr!!

Par tab tak call cut chuka tha.

Idhar Veer ki nazre call cut karne ke baad uss saamne hotel ki building par tik gayi.

7th floor par, ek khubsoorat celebrity, aur singer khidki se lag ke khadi hui thi.

Veer ke baal raat me tezz hawao me lehra rahe the.

Theek uske peeche kuch duri par Renshu khada hua tha. Veer ka aura woh mehsoos kar paa raha tha.

‘The air has changed around him. It- It feels heavy.’

Renshu ki bauhe thode aashcharya me uthi hui thi.

Veer ki aankhon me koi bhaav nahi jhalak rahe the. Renshu ne usse kapde diye the. Iss samay woh ek white shirt pehna hua tha, jo tezz hawao me lehra rahi thi.

Pari ki awaaz tabhi uske mann me aayi,

[Uddyamen hi sidhyanti, kaaryaani na manorathe,
Na hi suptasya singhasya, pravishanti mukhe mragah.]

'!!!?'

[Yaani ki, koi bhi kaarya kadi mehnat ke bina po
ora nahi kiya jaa sakta Master. Sirf sochne bhar se kaarya poore nahi hote. Unke liye prayatn bhi karna padta hai. Kabhi bhi sote hue sher ke muh me hiran khud nahi aata. Usse shikaar karna padta hai.]

'Pariiiiii!!!!'

[Y-Yes!!!]

'Get ready!!! We're going on a hunt!!!'

Aur woh agle hi shan uss building se tezz raftaar me gaayab ho gaya.

Aur yaha dur hotel ki building me khadi Ava bas uss building ki khaali terrace ko dekhti reh gayi.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Update consists of 5.5k words. Emergency ke chalte ye update late aaya hai. Length kaafi badi hai. Kul 5 updates aur baaki hai iss arc ke. Target is still the same. 150. Likes thokne ka revos rakhna ka. Agla update jald dene ki koshish rahegi. Since this one came late.

Dhanyavaad! ✨
Awesome update. To ab 18 hi systemdhari bache hai. Unke bachane ke liye hi veer VEER Bana hai. Awesome again.
 
Harman11

Active Member
1,027
1,300
159

Best story guru ab aaya ga asli maza
 
Yamraaj

Put your Attitude on my Dick......
2,201
6,987
159
Mera ek guess to sahi nikla ki wo planer veer ko marne nahi dega kisi na kisi ko veer ko bachane jarur bhejega....
 
Top