- 14,856
- 103,260
- 259
Last edited:
Main aaj nahate hue ye hi soch raha tha ki jb humara saara data google aur Facebook jaisi companies ke pass hai to phir ye jo system hai uska bhi koi server to hoga aur server hoga to koi na koi Zuckerberg bhi hoga.Update - 145 ~ X
Ab tak...
Ava ke poore badan me sihran daud gayi. Woh kisi chidiya ki tarah harr taraf gardan modte hue apne chaaro orr dekhne lagi.
'V-Veer!!!!?'
Agle hi pal uski nazre bagal se lagi building ke uss terrace par gayi.
Par, usne jo saamne dekha toh-
Siwae aasmaan me chamakte chaand ke alaawa waha koi nahi tha.
Terrace khaali thi.
'Veer!!!????'
Ab aage...
Andhkaar!
Kya hota hai? Kya prakaash ka na hona andhkaar hai?
Maut!
Kya hoti hai?
Kya saans na le paana mrityu hai? Kuch sunn na paana, dekh na paana, bol na paana, mehsoos na kar paana. Kya yahi hai maut?
Agar vyakti inme se kuch bhi kar na paaye, ye bhi pata na ho ki uski dhadkane chal rahi hai ya nahi? Toh kya usse mrat ghoshit kiya jaa sakta hai?
Uss soch ka kya jo waha ab bhi maujood hai? Woh soch jo duniya bhar ke gyaan ko samajhne ke liye saksham hai.
Veer ki soch iss waqt issi sthiti se guzar rahi thi. Chaaro orr andhkaar fela hua tha.
Na hi wo apne shareer ko mehsoos kar paa raha tha aur na hi kuch dekh ya sunn paa raha tha.
Kaisa mehsoos hota hoga jab aapke saamne andhera chhaa jaaye. Aap jaante ho aapki soch ab bhi kaam kar rahi hai. Aap ye bhi samajh paa rahe ho ki aap andhkaar me doobe hue ho. Par kaisa mehsoos hoga jab ye bodh hoye ki sirf sochne ke alaawa aap aur kuch nahi kar sakte.
Koi awaaz nahi, koi drishya nahi, koi anubhooti nahi. Kaisa lagega tab?
Veer abhi issi sthiti me tha.
Aisa lag raha tha jaise woh kisi antariksh me ghoom raha hai. Farq sirf itna tha ki yaha koi taare nahi the aur na hi koi roshni.
Jab woh apne mann ke vichaaro me ladte ladte maansik roop se thak gaya, aur iss paristhiti se baahar nikalne ka koi hal khoj na saka, tabhi usse kuch dhundh si nazar aayi.
'Huh?'
Aur fir ek dhwani,
[....ster!!!]
[.....errrr!!!!!]
'Huh?'
Veer ki saansein tej ho uthi. Yeh awaaz woh bhali-bhati jaanta tha.
Aur agle hi shan, uska shareer kisi chumbak ki tarah khichta chala gaya. Uski consciousness drift hone lagi.
"Aaaarrrghhhh!!!"
Laga jaise woh aseem raftaar me antariksh me udd raha hai.
Theek uske turant baad hi,
'Uhh!!?'
Sab kuch akasmaat shaant ho gaya. Andhkaar toh abhi bhi tha. Magar ab,
Uska seena upar neeche ho raha tha. Woh saans le raha tha.
Uski naak me aas paas ke vatavaran ki praanvayu aane lagi. Samudra ki lehro ka shor sunaayi dene laga.
Ek ek karke harr senses uske apna apna kaam karne lage. Woh zinda tha.
Saath hi,
[Maaaasttttteeerrrrr!!!]
Woh awaaz bhi usse sunaayi di.
Palke jhapki aur dheere dheere Veer ki aankhon ke saamne kuch drishya aane lage.
'Urgh!'
Ek andhruni karaah uski nikli. Aankhein dard kar rahi thi. Usse fir kuch nazar aaya.
Apni baayi orr dekhte hi kuch aisa nazaara uske saamne tha.
Akaash me chandrama apni roshni bikhere chamak raha tha. Derr raat ho rakhi thi.
[Master!!! Thank god! Finally! Can you hear me?]
Veer ne mann hi mann haami bhari.
Poora badan uska dard kar raha tha. Lag raha tha jaise uske shareer ke tukde tukde kar ke zameen par bikher diye ho.
Jab usne aas-paas ka jayza liya toh usse anumaan ho gaya ki woh samudra me maujood chattaano ke nichle hisse me bani kisi gufa me tha.
Uska shareer chattaan ki deewaar se hi tika hua tha. Peeche usse kuch gadd raha tha. Apne haath ko tatol ke usne uss cheez ko sehlaaya toh paaya ki ye wahi gun thi.
Jo usne Ushant Island me uss ek gang member ko behosh kar ke chhinaayi thi.
Abhi woh kuch harqat karta ki tabhi usse kuch awaaz sunaayi di. Kisi ke qadmo ki awaaz thi. Dheere dheere ye awaaz uske nazdeek aa rahi thi.
Veer turant hi sachet ho gaya. Khatre ki bhanak lagte hi usne sarr utha ke saamne dekha.
Ek bade se shareer ki chhaaya aakriti uske saamne thi. Usse dekhte hi,
'Check!!!'
*Ding*
[No information available.]
Notification dekhte hi Veer ki aankhein bhay ke maare fel gayi.
'Crimson???'
Uski aadat bann chuki tha harr nazdeek maujood insaan ko check karna.
Notification ka bodh hote hi,
*Swoooshhhh*
Woh apni jagah se ekdum se ucchla.
[Master-!!! No-!!! Wait!!]
Par Pari ki baat sunn'ne me usse derri ho gayi. Woh tab tak hawa me kood chuka tha.
Saamne khada vyakti uske iss tarah achanak hamle se achambhav me reh gaya.
"Y-You-!!!!"
Veer kisi ghaayal sher ki tarah uss aadmi par lapka aur uske vishaal shareer ke upar chadh gaya.
Furti me uska haath peeche kamar par gaya, aur haath me gun aate hi Veer ne bandook uss aadmi ki khopdi par upar se taan di.
Magar,
Trigger nahi daba paaya. Kyuki,
Veer ki aankh ke theek saamne ek paini sui bas 0.5 cm ki duri par tainaat thi.
Jaha Veer uss aadmi ki peeth par chadh uske sarr par aim lagaya tha. Toh wahi uss aadmi ne jhatse kahi se lagbhag 15 cm lambi ek sui nikaal ke Veer ki aankh ki putli ke saamne kar di thi.
Veer ki aankhein adh-khuli thi. Saansein bhi ukhdi-ukhdi le raha tha woh. Yu jaldbaazi me ucchalne se uske shareer ka dard bhadha aur jagah jagah se khoon nikalne laga. Parantu, uske baad bhi woh tass se mass na hua.
Aadmi : Such will power-!!!
Haafte hue woh uss aadmi ke upar hi chadha hua tha.
Aadmi : Ladke!!! Neeche aao!! Issi waqt! Warna apni aankh kho doge. Tumhari bandook me goli nahi hai!
Ye toh Crimson nahi tha. Aadmi ki awaaz sunte hi Veer ne forun hi trigger daba diya.
*Click* *Click*
Par uss aadmi ki baat satya thi.
Gun me waqai bullets nahi thi.
'Tsk!'
Veer jaise hi neeche aaya woh ladkhada ke gir pada.
[Master!!!!]
Uske girte hi saamne khade shaks ka chehra gufa me chaand ki aati roshni ke saamne aaya. Veer ne dekha ki qareeban 50 kuch ki umr ka vyakti uske saamne tha.
Bhayanak badi kad-kaathi. Lambe ghane baal jo adhiktar kaale the magar kuch safed baal bhi unme shaamil the.
Badi badi daadhi aur lambi latakti hui mooche.
Ghaayal Veer usse bas satarkta me ghoor raha tha. Iss haalat me bhi woh ladne se bhaag nahi raha tha.
Aadmi ne apne haath me li hui badi si sui ko apni kamar ke peeche ek kapde ke bag me rakh liya.
[Master! Don't worry! He's our benefactor. Usne hi aapki jaan bachaayi hai.]
'What?'
Pari ki baat sunn, Veer hairat me uss aadmi ko dekha.
Aadmi : Taajub hua? System ne sach bata diya? Mein tumhara dushman nahi ladke.
Aadmi ne chinese bhaasha me bola. Jiske jawaab me Veer ne bhi chinese me hi baat ki,
Veer : Kaun ho tum?
Aadmi : Tum mujhe 'Renshu' keh ke bula sakte ho.
Renshu apna vishaal shareer liye wahi bane ek patthar par baitha. Kamar par latki ek bottle gourd usne nikaali aur usme se paani peene laga.
Pyaas bhujte hi usne bottle gourd Veer ki orr feki.
Veer ne ek haath se uss bottle ko catch kiya. Ye natural water bottles hoti thi jinhe bottle gourd ki sabzi se banaaya jaata tha.
Renshu : Paani hai! Tum 2 din se behosh the. Pee lo!
Veer ne kuch shan tak Renshu ko dekha aur fir apne haath me uss natural water bottle ko.
[It's okay Master! Drink it.]
Pari ki sahanubhuti se Veer ne fir koi virodh nahi dikhaya.
Usne paani piya. Ab harr jagah usse dard mehsoos ho raha tha. Josh josh me woh ucchal ke Renshu pe chadh toh gaya tha par uske chalte uske shareer ke ghaav firse khul gaye the. Khoon fir behne laga tha.
Renshu wahi se kuch qadmo ki duri par lakdiya ikhatta kar aag jalaane chala gaya. Derr raat ho rahi thi aur thand thodi badh chuki thi.
Renshu : Ladke!!! Tumhe pata hai tumhare behosh hone ke baad kya kya hua hai?
Veer ko sab jaise yaad aaya. Ushant Island ki woh vardaate.
Veer : R-Right-!! Mein! Kya hua tha?
Iss baar usne Hindi me bola aur uska jawaab Renshu ne bhi Hindi me hi diya,
Renshu : 2 din tak Island ke aas-paas chhaan been chali hai. Tumhari laash ko dhundhne ki. Kuch derr pehle hi woh sab yaha se nikle hai.
Yaani Veer 2 din se behosh tha. Aur waha DGSI aur police force do din tak Island ke tat par chhaan been karte rahe.
Veer : Hum unse kitni dur hai?
Renshu : Kareeb 2 KM dur. Chinta ki zaroorat nahi. Ye jagah surakshit hai ladke.
Dono ke liye koi bhi language barrier nahi tha. Woh harr bhaasha me baat kar sakte the. Aur DGSI logo ke jaane ke baad shayad isliye ab Renshu bina kisi fiqr ke aag jala raha tha.
Veer : Mein 2 din se behosh tha?
Renshu : Poore 2 din aur 3 raat.
Veer : That's-!!
Renshu : Mein sab kuch samjhane nahi baitha tumhare liye. Apne system se pucho. Woh tumhe samjha dega. Ya…! Samjha degi!?
Veer ne Pari ko awaaz lagayi toh andar se Pari ki awaaz aayi. Woh toh tatpar hi baithi thi sab kuch bataane ke liye.
[Master-!!]
'Pari! Kya hua tha akhir? Mujhe yaad hai, mein-! Crimson se ladayi kar raha tha. Uske baad-! Right! Ava!! She-!'
[First of all-]
'!!??'
[Don't you fucking do that ever again!!]
Pari ki awaaz bilkul wesi hi thi. Ruwaasi. Jab usne antim baar uss se baat ki thi. Awaaz bilkul wesi hi thi.
'I-'
[Stop! A-Aur meri baat suniye pehle-!]
[Kya soch ke aapne aisa kiya haan? Who told you to do that? Aapne ek baar bhi mere baare me nahi socha? I told you. Didn't I? Mein firse koi energy se space travel nahi kar sakti. Once you die. I die as well. Aur uske baad bhi aapne-]
'I-I… I'm sorry Pari!'
Apne Master ke muh se sorry sunn, Pari turant hi shaant ho gayi.
[J-Just keep in mind from now on. Ahinda se aap aisa kuch nahi karenge.]
'Yes!'
[Aur rahi baat kya hua tha? Then allow me to explain.]
'Hmm!'
Veer kisi bacche ki tarah tha abhi jo apni maa se daant kha raha tha. Pari uski laparwahi par bhadak rahi thi. Magar zyada derr apne Master se gussa kaise reh sakti thi.
[Sabse pehli baat Master. Jo aadmi aapke saamne hai. Usne hi aapki jaan bachaayi hai.]
'Renshu?'
[Yes. Jab aap paani me gire the toh Renshu hi tha jo aapke shareer ko saath leke waha se dur leke aaya.]
'I see! Magar police ne dekha nahi? Hum underwater aaye? Mein bach kaise gaya?'
[Aap underwater kuch seconds ke liye hi the. Renshu aapko neeche ke raaste se laaya hai. Aur fir tairte tairte yaha iss gufa me. It was so hard. Kayi baar bache hai. Then, he removed the water you swallowed, and the bullets as well. Fir dressing hui aur ab jaake aapko hosh aaya hai.]
'I see!'
[And that witch-!!!]
'Huh?'
[AVA GRACE MARTIN! The witch framed us. Usne hume dhoka diya Master. Woh uss Crimson ke saath mili hui thi.]
Veer ko andaaza toh tab hi ho gaya tha jab usne Ava ko helicopter me baithe dekha tha. Uska kuch na kehna. Woh khamoshi sab kuch bayaa kar gayi thi. Veer sab jaan gaya tha. Par ek baat se abhi bhi anibhigya tha woh.
[Also, she has a system.]
Aur Pari ne keh diya. Ye jaante hi Veer ko ek bada jhatka laga.
'Kya????'
Woh ye jaanta tha ki Ava ne usse dhoka diya hai. Par uske paas system tha? Ye bhala kaise ho sakta tha?
'N-No! Ye namumkin hai. Mene check kiya tha aur-'
Pari ne tabhi uske mann me screen ke saamne kuch rakh diya.
*Ding*
[Skill : Camouflage.
Bio : Allows the host to set a fake status according to their will. Favourability can also be altered.]
Skill ka description padhte hi Veer hakka bakka reh gaya.
'N-Nahi!!'
[Shuru se ant tak, woh aapke saath game khel rahi thi.]
'N-No!'
Ek ajeeb si peeda Veer ke dil me janm li. Aur baar baar ek hi sawaal pe uski sui aake atak rahi thi.
Akhir kyu?
Kyu kiya Ava ne uske saath ye sab? Kya bigada tha usne Ava ka? Woh toh yaha uski madad ke liye aaya tha na? Toh fir kyu?
Pari ne jaise apne Master ki peeda ko mehsoos kar liya. Andar hi andar Veer ki iss haalat ko dekh Pari ka khud ka seena chhalni ho raha tha.
Parantu, apne Master ko satya se avgat karana zaroori tha.
'T-Tumhe kaise pata chala Pari?'
Veer ki awaaz ahista se Pari ko sunaayi padi.
[Jab aap paani me waha se kood rahe the. Aapki nazre police officers par thi. Par meri nazre, Ava par tiki hui thi.]
'??'
[She was leaning down towards the door of the helicopter. Woh jhuk ke aapke girte shareer ko bade hi dhyaan se dekh rahi thi. Uski aankhon me woh glaze.... The moment I saw it- I knew what was happening.]
'Magar-'
Veer punaah apni baat rakh paata ki tabhi Pari ne ek aur jankaari uske saamne pesh kar di.
*Ding*
[Skill : Death Flag.
Bio : Allows the host to set a target on any living being. A Death Flag will then be raised indicating the being's life and death condition. As long as the Flag is up, being will be considered alive. Once the Flag falls, it means the being is dead.
Range : 1 KM (Upgradable upto 2 times.)
Note : Host must remain within the range to check the condition.]
Aaj Veer ka imtihaan tha. Usse jhatke pe jhatke lag rahe the. Harr baat usse stabdh kar ke chhodh rahi thi.
[That explains why she was leaning down to see you.]
'P-Pari!!! Tumne ye sab kaise itne kam time me-?'
[Yes. I did it. Also, I'm sorry Master.]
'Sorry? K-Kyu?'
[Aapki heartbeat rokne ke liye.]
'What?'
[I'm sorry! Lekin, Ava kitni hi smart kyu na ho. I'm still smarter than her.]
'???'
[Death Flag, woh skill hai Master jo aapko ye bataati hai ki koi zinda hai ya nahi. Ava ne aapke upar Death Flag lagaya tha. Taaki, usse pata chal sake ki aap zinda rahoge ya nahi.]
Abhi bhi Veer ko ye sab sach hazam nahi ho raha tha. Par yahi satya tha.
'Ava ne!? Mujh par? K-Kab?'
[Kabhi bhi kar sakti hai Master woh. But I think mujhe pata hai usne kab kiya tha.]
'K-Kab?'
[Remember the time when we went to her concert?]
Veer ne tabhi apni yaadon me jhaak ke dekha. Aur uske haath ek khaas pal laga. Jaha woh Las Vegas me Suhana aur Divya ke saath Ava ke concert me gaya tha. Ava ne hi toh invitation bheja tha.
[Kya hua tha jab aapne usse check kiya tha?]
Veer ko jaise hi dhyaan aaya, uske badan me raungte khade ho gaye.
Jab usne Ava ko check kiya tha, toh stage par maujood Ava ne ek jhatke me uski orr dekha tha. Tab Veer aur Pari dono hi hairaan reh gaye the. Lekin, uske baad jab Ava ne Suhana aur Divya ko bhi dekh haami bhari thi toh Veer ne uss baat ko apne dimaag se nikaal diya tha.
[Yes! Now you remember. I think that was the time when she marked you.]
Veer ke hosh udte hi jaa rahe the. Ye saari sacchaayi ek saath hazam karna behad kathin tha.
Ab ek ek karke Ava ke saath guzaare harr pal usse yaad aa rahe the.
Ab usse samajh aa raha tha kyu woh haath se goli maarne ka ishaara karti thi. Woh sirf mazaakiya dhang nahi tha uska.
She was after his life, all along. Aur woh sanket the uske.
Woh alley me le jaana, fake police, protection ke liye invitation. Sab kuch frame kiya gaya tha.
Veer ka sarr apne aap hi neeche jhuk gaya. Uske ghane baalo ne uski aankhon ko dhak liya. Renshu dur baithe side-eye kar Veer ke expressions padhne ki koshish kar raha tha. Kintu, woh nakaam raha.
[As I said, woh bhale hi smart ho. Magar mujhse smart nahi ho sakti. Death Flag me apna ek fault hai Master. After all, it's just a Gold Tier Skill. Nothing much.]
'???'
[Aur woh fault ye hai ki Death Flag sirf targeted person ki heartbeat ko check karke notification deti hai. Basically, kisi ki heartbeat band ho gayi toh woh dead maana jaata hai. Right?]
'Aur isliye tumne meri heartbeat-!?'
[Yes. Sorry. Mene bataya tha aapko ki mein ek time par ek hi cheez par focus kar sakti hu. Pehle aapke blood loss ko rok rahi thi. Lekin, Ava ko galat notification dene ke liye mujhe blood loss se focus hata ke heartbeat par dhyaan lagana pada.]
'I see!'
[Woh abhi yahi samajh rahi hogi ki aap marr chuke ho.]
'Why did she-?'
[Zaroor uss Crimson ke saath mili hui hai woh Master.]
Veer ki mutthi achanak hi kass uthi.
[Time to time mene Beowulf activate kiya hua tha. It gives 50% more healing. Isliye aap jald hi hosh me aa gaye.]
'Ohh!'
[Yes! So, Beowulf ka use karte rahiye. Energy zaroor lega woh lekin aap heal jaldi hoge.]
'Pari!'
[Umm?]
'Thank you so much! Mene laparwahi ki par tumne fir bhi mujhe-'
[Yahi mera kaam hai Master. And didn't I tell you?]
'???'
[As long as I'm here. I won't let you die.]
Iss baar Veer ke honth halke se muskaan me fel gaye. Aur gaal se ek ashru ki boond fisal ke beh gayi. Kintu, aankhein ab bhi baalo se dhaki hui thi.
'Kyu kiya Ava ne mere saath aisa? Mission??'
[Ho sakta hai. Dusra case ye bhi ho sakta hai ki woh majboor ho. Lekin, fir bhi-! Mein usse maaf nahi karne wali.]
Veer ne koi jawaab na diya. Uske chehre par kya bhaav the ye koi nahi jaanta tha.
[Aur ek baat bataani hai Master.]
'What is it?'
Tabhi ek aur notification Veer ke mann me jhalka,
*Ding*
[Mission - 'Get to Ava as soon as possible' is failed.]
[2500 Points will be deducted.]
'Ah!!!'
[Aap puch rahe the na ki mission ki penalty sirf 5000 points kyu hai? Toh ye raha jawaab. Ava kabhi mushqil me thi hi nahi Master.]
'Aur uske baad bhi system bewakoof bann gaya?'
[Yes. Almost actually. Ava sirf acting kar rahi thi. Kahi na kahi system ne bhaanp liya tha ki kuch gadbad hai lekin pin-point nahi kar paaya. Isliye penalty me sirf 5000 points hi the.]
'Aur agar woh asliyat me mushqil me hoti toh?'
[Toh penalty points kam se kam 10,000 toh hote hi.]
'Ab mujhe sab samajh aa raha hai Pari.'
[Yes. Isliye mission fail hone par penalty sirf 2500 points ki lagi hai. System ne realise kar liya tha ki ye sab framing hai.]
'I see! Mere paas itne points toh nahi hai Pari. Kya zaroori hai abhi deduct hoye saare points?'
[Don't worry. System update ho chuka hai Master. Aap points collect karke fir penalty bhar sakte hai.]
Veer ne ye sunn ek raahat ki saans li.
'That's a relief.'
Veer ki nigaahein fir dur baithe Renshu par tik gayi.
[Master. Mujhe nahi lagta woh hamara dushman hai.]
'Hmm!'
Ab jaake Veer ko samajh aa raha tha. Ava ka yu singer hona. Usse ye bhi yaad aaya ki Suhana itna kyu pareshaan thi concert ke dauraan. Bachpan me kabhi Ava ne singing me koi ruchi nahi dikhayi thi. Toh achanak itne kam samay me itni safalta paana. Upar se aise darje ki singing.
Sab samajh aa gaya tha Veer ko.
[Kahi na kahi mene Renshu ki skills ka andaaza bhi laga liya hai. This guy must have some survival skills, medical skills and some identifying skills.]
Renshu itne me uth ke Veer ke nazdeek aaya aur uske shareer par jagah jagah bandhi pattiyo ko kholne laga.
Veer bas chup chaap uski harqato ka aaklan kar raha tha. Uske mann me abhi aneko sawaal ghoom rahe the.
Apni potli se nayi pattiya Renshu ne nikaali aur Veer ke badan par ghaav waali jagaho par baandh di.
Veer : Urgh!!! Why help me?
Renshu : Kyuki yahi mera kaam hai. Sansaar ke sanrakshan ke liye, tum jaiso ka zinda rehna zaroori hai.
Veer : Huh?
Renshu : It's my duty. I must protect those who can help in sustaining peace.
Veer (frowns) : Oh really? Toh meri jagah Crimson ko kyu nahi bachaya?
Renshu : Kya yahi naam hai uska?
Veer : Tumhe uska naam bhi nahi pata?
Renshu ne naa me sarr hila diya.
Renshu : Bilkul nahi! Mein uss se pehle kabhi nahi mila. Bhala mujhe kaise uska naam pata hoga. Ladke! Ek system dhaarak vyakti dusre system dhaarak vyakti ko check nahi kar sakta.
Veer : Ohh!
Veer ko ek aur nayi jankaari haath lagi. Matlab ek system owner dusre system owner ko check nahi kar sakta tha. Ava ko woh isliye check kar paaya tha kyuki Ava Camouflage skill rakhi hui thi. Ab sab kuch sense bana raha tha.
Veer : Agar aisa hai toh fir Crimson ko kaise mere baare me-?
Renshu : Baahri source bhi hote hai ladke.
Veer : Mera naam Veer hai.
Renshu (nods) : Hmm!
Veer : Tumne abhi bhi mere sawaal ka jawaab nahi diya. Agar, system owners ko bachaana hi tumhara kaam hai toh meri jagah Crimson ko kyu nahi bachaya?
Renshu : Mene tumse kaha na. Mein unhe bachata hu jo shaanti ke santulan ko banaaye rakhne ke yogya ho. Woh Crimson...! Mujhe uss se koi umeed nahi. You are the one who matters.
Veer : Bina matlab ke tumne meri madad nahi kari hogi. So tell me. What do you want from me?
Renshu : Samajhdar ho! Par abhi ye samay nahi. Sahi waqt pe tumhe pata chal jayega ki favour kab return karna hai. For now, just rest. And heal your wounds.
Veer shaant ho gaya. Kuch derr baad usne apni baat rakhi,
Veer : Tumhare paas phone hai? Mujhe ek call karna hai.
Renshu ne naa me gardan hilaayi.
Veer : Whattt??? Tumhare paas phone bhi nahi hai?
*Whistle*
Agle hi shan Renshu ne ek zordaar seeti maari. Aur kuch hi palo me waha ek kabootar apne pankh fadfadate hue gufa ke andar pravesh kiya.
[Ah! It's a pigeon.]
Kabootar andar aake seedha Renshu ke kandhe par baith gaya. Aur fir neeche utar Veer ko tak-taki laga ke dekhne laga.
Apne jhole me se Renshu ne ek kaagaz ka tukda nikaala aur syaahi waala ek pen. Kaagaz par kuch likha aur fir usse roll karte hue woh kabootar ke perr me baandhne laga.
Veer uski harr harqat ko padh raha tha.
'This guy seems a bit old-fashioned.'
[Old fashioned ho ya na ho. Lekin, uske paas pigeon ko tame karne ki bhi skill hai. I see.]
Jaha Veer nayi nayi jankaari praapt kar stabdh hota jaa raha tha toh wahi Pari pehle se 10 guna aur satark ho chuki thi. Woh apna poora dhyaan system owners ki skills aur cards ko identify karne me laga rahi thi.
Veer : Tumhe system ke baare me itni jankaari kaise hai?
Renshu kuch derr ke liye maun raha. Woh Veer ko taakta raha aur Veer usse. Fir ek gehri saans lete hue usna batana shuru kiya.
Renshu : Tumhe bataane me koi harz nahi hai. Toh suno.
Veer : Hmm?
Renshu : Sansaar me kul 30 System dhaaran karne waale log the.
Veer : 30???
Veer ko ek aur bada jhatka laga. Pari ne toh shuruaat me uss se kaha tha ki wahi ekmaatr hai. Fir ye sab?
Renshu : Aur ab sirf 18 bache hai.
Veer : You mean-!!!?
Renshu ne jaise hi haami bhari toh Veer ke badan me ek sihran daud gayi.
Veer : Baaki 12 logo ka kya hua?
Renshu : Woh marr gaye. Ya maar diye gaye.
Veer : A-Aur ab?
Renshu : Isliye mene tumhe bachaya hai. Santulan banaaye rakhne ke liye. Tumhara zinda rehna zaroori hai.
Veer (frowns) : Tumhe kaise pata chala ki mein aur Crimson aapas me bhidenge. Aur mera ye haal hoga?
Renshu (sighs) : Mujhe ek call aaya tha.
Veer : Huh?
Renshu : Sach kahu!!! Toh koi hai...! Koi hai jo shayad iss shatranj ke khel me hum sabko pyaade ki tarah istemaal kar raha hai. Aisa mera mann keh raha hai.
Veer : Phone se tumhara kya matlab hai?
Renshu : Uss phone call se hi mujhe pata laga ki tum jaisa naujavan yaha musibat me aane waala hai. Woh aadmi ye bhi jaanta tha ki mein tum jaise logo ko bachaane ke liye hi kaam karta hu.
[That's strange Master.]
Veer : Iska matlab Crimson par woh goli-
Renshu : Woh goli mene hi chalaayi thi. Mujhe laga tha tum usse shayad shikast dedo. Lekin, woh tum par haawi tha.
Veer : Kaun hai woh unknown?
Renshu : Abhi ke liye-
Veer : ??
Renshu : Mein usse 'X' keh ke bulaata hu. Koi toh hai, jo ham sab se zyada jaanta hai inn sab ke baare me.
Veer : X!!?
Renshu : Hmm! Sandesh bhej diya hai mene. Jald hi ek helicopter yaha aa jayega. Lekin 2 din lagenge. Tab tak hume yahi rukna hoga. Aur tum-!!! Ab zyada hiloge nahi.
Toh isliye shayad usne woh kabootar ke perr me sandesh baandh ke bheja tha. Ye saari information Veer ke liye bohut zyada thi. Apne mastishk ko araam dene ke liye Veer aankhein band kar araam karne laga.
Yaha se nikalne me abhi usse samay tha.
Dekhte hi dekhte kaafi waqt beet chuka tha. Renshu aur woh Paris aa chuke the. Aur yaha aate hi Veer ne sabse pehla jo kaam tha woh tha apne ghar waalo ko soochna dena.
Usse gaayab hue ab hafte ho chuke the. Paris aane me bhi usse zyada hi samay lag gaya tha. Uska shareer lagbhag 70% heal ho chuka tha.
Pichli ek raat full moon ki raat thi. Beowulf ke stat percentages full moon me double ho jaate the. Jaha usse normally 50% healing me baddhotri milti thi toh wahi full moon me ye 100% ho jaati thi. Matlab duguni.
Jis kaaran woh kaafi jaldi heal ho gaya. Jis vyatha me woh pehle tha, udhar se aane me warna usse mahine se upar lag jaata.
***
3 hafte ho chuke the. Paris me Bhavna sang sabhi log ek hotel ke kamre me maujood the. Yaha ki sthiti dekh ke iss waqt unke andar ki bechaini ka varnan nahi kiya jaa sakta tha.
Ek Maa apne bete ki khabar paane ke liye tadap rahi thi. Behne apne bhai ke baare me jaan’ne ke liye vyaakul thi. Ek buzurg apne pote ke haal-chaal ke baare me jaan’ne ke liye icchuk the.
Magar koi khabar haath nahi lag rahi thi. Tej Paris ke hi logo ke social media par unke kuch open accounts me chhaan-been karne me lagi hui thi.
Bhavna : Kuch pata chala beta?
Tej : Dekh rahi hu Mom!
Woh abhi kuch accounts ko dekhi hi thi ki kisi ek ladke ke open account me usse woh dikh gaya jo usse bilkul nahi dikhna chaahiye tha.
Uske hi bagal se baithi Arohi bhi sab dekh rahi thi. Saamne dali post ko jaise hi usne padha. Arohi bechaari ke haath se uska mobile chhutak ke neeche gir gaya. Woh kisi murti ki tarah apni jagah par jamm gayi.
Paris me janta kitne virodh me thi ye sirf Paris hi nahi poora France jaanta tha. Achanak se kisi criminal ki photos harr platforms se hata di jaaye toh kya karegi janta aise me?
Vidroh! DGSI ke iss action se jaise aam janta aur gusse me aa padi. Bhale hi Veer ki photos daalne par karyavaahi honi thi. Magar, janta ne uska hal bhi dhoondh nikala tha.
Koi na koi, fake accounts bana ke Veer ki wahi news aur photos daalne me laga hua tha. Taaki, janta tak khabar barabar bani rahi ki yahi woh shaks hai jisne unke sheher me aatanki hamla kiya hai. Ye bach ke jaane na paaye.
Arohi aur Tej ke saamne wahi khabar thi jo hafto pehle news channels par release hui thi.
Bhavna ne jaise unke haav-bhaav padh liye,
Bhavna : K-Kya hua?
Par koi jawaab na mila. Tej ke haath ki ungliyaan laptop ke touch pad par rakhi hui kaanp rahi thi.
Arohi aur woh, dono hi bhaybheet aankhein faade murti ki tarah wahi baithi hui thi.
Bhavna tezz qadmo ke saath unke paas aayi aur jaise hi usne screen par maujood khabar ko dekha. Pal bhar ke liye toh usse kuch samajh na aaya. Fir jaise bodh hua. Aur abhaas ka fir bada sa patthar jaise uske sarr ke upar aake gira.
Apne muh ko saree ke chhor se dhakte hue woh ladkhada ke wahi gir padi
“N-Nahi!!!”
Arohi ki aankhein apne aap hi bheeg gayi. Naino me aansu panapne lage. Veer ke akhiri shabd uske dimaag me goonjne lage.
“Arohi di!! Aap se mujhe kaam hai. Kya aap ghar aa jaogi? Teju di aur baaki sab aapko yaha sab samjha dengi. Aur Kavya ko bhi le aana. Warna baad me woh muh fula ke baith jayegi.”
Uske baad se uski baat Veer se nahi hui thi. Woh Paris jaa chuka tha. Aur ab ye khabar…!
Arohi ka dimaag jaise kaam karna band kar chuka tha. Tej ka haal aur bhi bura tha. Woh becchari wese hi baat karne ke liye kitne dino se tadap rahi thi. Kintu, uske saamne toh-
Uske bhai ki maut ki khabar jhalak rahi thi.
Ab sab dorr aapas me judti jaa rahi thi. Kyu phone nahi lag raha tha. Kyu usne Bhavna se ghar par rehne ke liye zidd ki thi. Sab kuch Bhavna ko samajh aa raha tha.
Manorath ye drishya dekh aage badhe. Unki kuch samajh nahi aa raha tha. Ye sab iss tarah se kyu pesh aa rahe the?
Par abhi woh aage badhi hi the ki Tej ka phone baj utha.
Ghanti bajti jaa rahi thi magar Tej ko jaise duniya ka ab koi shor sunaayi nahi de raha tha.
Arohi ka haath apne aap phone par gaya, usne call uthaaya aur phone apne kaan se laga liya. Aur tabhi, dusri orr se ek awaaz aayi,
“Teju dii!”
Pal bhar ke liye laga jaise Arohi kisi sapne me thi. Uske dil ne kayi dhadkane ek saath phaand li. Haath kaanpne lage.
Arohi : Veeeeeeeeerrrr????
Aur uske iss shor se Tej aur Bhavna dono hi hosh me aa gayi. Bhavna ne fauran hi Arohi se mobile chhina ke apne kaano me lagaaya.
Bhavna : H-Hellooo???
Toh fir ek awaaz waha se aayi,
“M-Maa?”
Aur bas! Bhavna ki tezz dhadkane aur tezz hui magar uss awaaz ko sunte hi uski saansein fir durust hone lagi. Aur aankhon se nirantar aansu behne lage. Ye awaaz sunn’ne ke liye uske kaan taras gaye the.
Bhavna : V-Veeeeeer? B-Beta???
Veer : Umm! Mein theek hu. Surakshit hu. Aap chinta mat kariye!
Bhavna jaise muh se shabd baahar hi nahi nikaal paa rahi thi. Tej ne phone lete hue apne kaan se lagaya aur boli,
Tej : V-Veeeeer????
Veer : Teju dii!
Aur Tej ka bhi yahi haal tha. Woh ro padi.
Tej : K-Kaha ho tum? Ye khabar! Y-Ye sab kya hai? Hum sab Paris me hai!!
Veer : Aap sab Paris me ho? Mene Maa se kaha tha na ki ghar se baahar mat nikalna, jab tak mein laut nahi aata then-
Tej : SHUT UP!!!
Veer : Huh?
Tej : Shut up! *sniff* Bolo kaha ho tum!! Jaldi!!!
Veer : Mein-
Tej : Don’t you fucking dare!! Tell me!!! *sniff*
Veer : Aap sab jaha par hai. Wahi rukiye. Mein kuch hi dino me aapke saamne hounga. Ghabrana nahi Teju di. Haan? Maa ko sambhaalna!
Tej : T-Tum kya keh rahe ho? Veeeeeer!!!
Veer : Mera aapke paas rehna abhi theek nahi. Jo khabar aapne padhi hai. Woh ek badi misunderstanding hai Teju di. You believe me na? Then trust me. Mere baare me koi bhi topic mat uthana public me. Mein sab samjha dunga baad me-
Tej : N-Nooooo!!
Veer : Abhi aapko bas wahi rehna hai. Don’t get out okay? Mein jald hi lautunga. Don’t worry!
Tej : N-Nahiiiiii! Veeeeeerrrrr!!
Par tab tak call cut chuka tha.
Idhar Veer ki nazre call cut karne ke baad uss saamne hotel ki building par tik gayi.
7th floor par, ek khubsoorat celebrity, aur singer khidki se lag ke khadi hui thi.
Veer ke baal raat me tezz hawao me lehra rahe the.
Theek uske peeche kuch duri par Renshu khada hua tha. Veer ka aura woh mehsoos kar paa raha tha.
‘The air has changed around him. It- It feels heavy.’
Renshu ki bauhe thode aashcharya me uthi hui thi.
Veer ki aankhon me koi bhaav nahi jhalak rahe the. Renshu ne usse kapde diye the. Iss samay woh ek white shirt pehna hua tha, jo tezz hawao me lehra rahi thi.
Pari ki awaaz tabhi uske mann me aayi,
[Uddyamen hi sidhyanti, kaaryaani na manorathe,
Na hi suptasya singhasya, pravishanti mukhe mragah.]
'!!!?'
[Yaani ki, koi bhi kaarya kadi mehnat ke bina poora nahi kiya jaa sakta Master. Sirf sochne bhar se kaarya poore nahi hote. Unke liye prayatn bhi karna padta hai. Kabhi bhi sote hue sher ke muh me hiran khud nahi aata. Usse shikaar karna padta hai.]
'Pariiiiii!!!!'
[Y-Yes!!!]
'Get ready!!! We're going on a hunt!!!'
Aur woh agle hi shan uss building se tezz raftaar me gaayab ho gaya.
Aur yaha dur hotel ki building me khadi Ava bas uss building ki khaali terrace ko dekhti reh gayi.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Update consists of 5.5k words. Emergency ke chalte ye update late aaya hai. Length kaafi badi hai. Kul 5 updates aur baaki hai iss arc ke. Target is still the same. 150. Likes thokne ka revos rakhna ka. Agla update jald dene ki koshish rahegi. Since this one came late.
Dhanyavaad!![]()
Nice behtarin mast awesome update broUpdate - 145 ~ X

SUPERB AWESOME FANTASTIC EXCELLENT AND INTERESTING UPDATE BHAIUpdate - 140 ~ No one can stop me!
Ab tak...
Terashima ki body jaa ke thos deewar se jab bhidi toh sarr par impact hone ki wajah se uske hosh jaane lage.
Akhiri drishya jo usne dekha woh ye tha ki jaha woh khadi hui thi, waha dherr saare bade bade patthar girte jaa rahe the.
Usse realize hua,
'Wh-Why did you-!!? S-Sav...e... m..e...!?'
Par uski aankhein agle hi shan band ho gayi.
Ab aage...
A few months ago…
Derr raat ke samay ek bade se aalishan ghar me bane ek gym ke andar bas kuch lights jal rahi thi. Aur punching bag ko maarne ki zorr-zorr se awaazein aa rahi thi.
Uss punching bag ko maarne waala koi aadmi ya ladka nahi tha. Punching gloves pehne ek ladki teevr gati me apne mukke uss bag par barsaane me lagi hui thi.
*Bam*
*Bammmmm* Bammmmm*
*Bam*
Uska badan paseene se bheega hua tha. Sirf black sports bra aur gym leggings daale wo apna aaj ka practice session complete karne me lagi hui thi.
Na hi woh koi boxer thi aur na hi koi athlete. Soorat aisi ki raaste chalte harr mard ko apni orr modne par majboor kar de.
Akhiri punch maarte hi usne apne chehre ko apni towel se pocha.
Aur woh baahar nikal washroom me shower lene ghus gayi.
Bheega badan liye woh naha ke apne shareer par bathrobe daale baahar aayi aur apne wardrobe ke saamne khadi ho gayi.
Ek se ek mehnge kapde uske wardrobe me hangers ke upar latke hue the.
Ek mehnge brand ka nightwear select karte hue usne apne jism se bathrobe giraaya aur uska nagn badan vatavaran me saamne aa gaya.
Parantu, uss jism ki khubsoorat nakkaashi ki taareef karne ke liye waha koi bhi maujood nahi tha.
Kapde badalte hue woh apne bistar par baithi.
Bagal se rakhe stool par ek photo frame ko usne dekha aur uski mutthi gusse me kass gayi.
'Kuch bhi ho jaaye, I won't stop!!'
Woh sone hi jaa rahi thi jab uske phone pe achanak ek call aaya.
*Ring* *Ring*
*Ring* *Ring*
'Hmm?'
Phone utha ke usne screen par dekha toh paaya ki kisi unknown number se call aa raha tha.
'Unknown number!?'
Woh wese toh unknown number ke calls ko kabhi uthaati nahi thi. Par itni raat gaye usse ye call aa raha tha. Kahi koi jaan-pehchaan ka toh nahi tha?
Yahi soch usne call utha liya.
Ladki : Hello?
Par saamne se kuch derr tak koi awaaz nahi aayi. Wrong number samajhte hue woh phone kaatne ko hui,
Ladki : Hah! I knew it. Mujhe uthana hi nahi tha.
Par tabhi dusri orr se ek awaaz aayi,
"Kyu pareshaan ho? Kya neend nahi aa rahi?"
Sunte hi ladki ki bauhe upar ko chadh gayi. Kintu, abhi bhi ek wrong number samajh woh boli,
Ladki : Sorry! Wrong number!
? : Arre arre nahi nahi! Koi wrong number nahi hai.
Ladki (frowns) : Kaun ho tum? Aur kis se kaam hai?
? : Mein kaun hu? Ye tumhe jaan'ne ki zaroorat nahi my dear.
Ladki : Y-You-!!!
? : Ahn! Don't be so mean! Just listen to me first. Uske baad decide kar lena ki kya karna hai. Hmm?
Ladki : Be quick! Agar tumne firse bakwaas kari to mein phone cut kar dungi.
? : Of course! Of course! To sabse pehle kya batau...!? Hmm! Okay! I'll start with this.
Ladki : ...
? (smiles) : Tum kisi ki talaash me ho!!
Achanak hi ek sannaata chhaa gaya. Ladki ki aankhein hairaani me fel gayi.
? : Kya mene kuch sahi kaha? I guess I was right. Hmm! Ab agar mein ye kahu ki jis insaan ki tum talaash me ho. Mein uska pata jaanta hu. Toh?
Uss ajnabi shaks ke hontho par ek muskaan thi.
Yaha Ladki ki pakad apne phone par aur mazboot ho gayi. Woh stabdh khadi hoke ek shock me jaa chuki thi.
Ladki : K-Kaun ho tum?
? : Mene kaha na! Mein kaun hu. Kaha se hu. Iss se tumhe koi fayda nahi hone waala. Also, ye number trace mat karna. Tumhara waqt barbaad hoyega. Time is precious dear. Right?
Ladki : Y-Youuuuu-!! Mein kaise maan lu ye koi prank nahi hai. You are nothing but a fraudster. I'm hanging up.
? : Call cut karne se pehle ye akhiri sach to sunn lo.
Ladki chaahte hue bhi phone cut nahi kar paayi. Kahi na kahi woh jaan'na chaahti thi ki ye insaan kis sach ki baat kar raha tha.
Aur tabhi uss orr se kuch shabd ladki ko sunaayi diye. Jinhe sunn, woh ghabra ke apne bistar par gir ke baith gayi.
Ladki (shocked) : T-Tum...!??
? : What? Mujhe kaise pata chala? Well! It's a small world after all dear. Kya ab bhi tumhe lagta hai ki ye call ek fraud call hai? Hmm?
Ladki : K-Kya chaahte ho tum? Aur mujhe y-ye sab bataane ka kya maqsad hai tumhara?
? : Well! Meri tumse sirf 2 hi maange hai.
Ladki : Speak!!!
Uske baad uss vyakti ne apni pehli maang rakh di.
Ladki (frowns) : Tumhe ye bhi pata hai? J-Just what else do you know? You bastard!!!!
? : Na na na! No cuss words okay? Jitna kaha gaya hai, utna hi karna hai bas tumhe.
Ladki : And why should I? Who are you to begin with? Mein tumhe nahi jaanti. Toh tumhara kaam kyu karu?
? : Simply because agar nahi karogi to problem me pad jaogi dear.
Ladki : Hmph! What can you do?
? (smiles) : Photo frame...! Ko bohut sambhaal ke rakha hai tumne! Hai na? Such a beautiful picture.
Ye sunte hi, ladki ki aankhein aag baboola ho uthi.
Ladki : DON'T YOU FUCKING DARE...!
? (smiles) : Wise people know what to do. Right?
Ladki ghabra ke apne bedroom ki khidkiyo ko khol idhar-udhar dekhne lagi.
? : Hahaha! Kya mujhe dhoondh rahi ho? Chill! Mein waha nahi hu.
Ladki : T-Tum-!!!
? : Toh? Bolo! Karogi ya fir mein koi aur option dhundu?
Woh apne daant gusse me meeste hue jawaab di,
Ladki : F-Fine!!! I'll do it!!
? : As expected from an intelligent lady.
Ladki : A-Aur tumhari dusri maang?
? (smiles) : Samay aane par wo bhi rakh dunga. Mein tumhe ek tasveer aur address bhej raha hu. Tomorrow night! You must leave!
Ladki (growls) : F-Fine!!!
? : Ohh! Naraaz ho? Jwaala ki tarah bhadko nahi dear. Jal ki tarah shaant raho. I'll wait for your result. Till then...! Goodbye~ Ohh! And have a good night! Byeee~
*Call ends*
Haafte hue ladki ne phone apne kaano par se hataaya. Uski dhadkane tezz thi. Gussa bhi usme koot-koot ke bhara hua tha ki mann kar raha tha phone ko deewaar par fek ke de maare.
Parantu, aisa karne se usne khud ko roka.
Dobaara ussi photo frame ko dekh achanak hi uski aankhon me ek tej aaya aur uski mutthi punaah dridhta me kass gayi,
'No one can stop me!!!!'
***
Agli shaam ek sundar se spot par wahi ladki maujood thi. Saamne sunset ho raha tha, par uski aankhein kahi aur hi focused thi.
Jaha aisi scenery ko dekhne log lambi rides lete the toh wahi iss samay saamne maujood khubsoorat drishya ko dekhne me bhi usse koi dilchaspi nahi thi.
Aaj usse yaha se nikalna tha. Uss jagah jaana tha jaha par kal uss anjaan vyakti ne jaane ke liye usse kaha tha.
'Mein ye kyu kar rahi hu meri samajh me hi nahi aa raha. Lekin, usne jo kuch kaha. Woh sab sach tha!'
Na chaahte hue bhi usse jaana pad raha tha.
Magar nishchay kar woh waha se chal di. Aur uski manzil thi~
India!!!
Safar lamba tha, par ladki ke chehre par kahi koi thakaan nahi jhalak rahi thi.
Usne apna phone nikaala aur uss aadmi dwaara bheji gayi location ko padha. Phir woh uss location ke liye ravaana ho gayi.
Kaafi dur thi ye jagah par yaha tak pohuchne me ladki ka ek paseena tak nahi baha. Woh ek rental car ko saaye-saaye bhagaate hue araam se pohuch chuki thi.
Shaam bhi dhal chuki thi. Raatri ka aagman ho raha tha. Akaash me andhera chhaane laga tha.
Andar uss jagah me pohuchte hi ladki ko baahar kayi aadmi khade dikhaayi diye. Unn sabhi ke haatho me hathiyaar the.
Ladki ko aate dekh woh sab dang reh gaye. Sabse pehli baat ki ye ek khufiya jagah thi. Kisi ko iss jagah ke baare me pata kaise laga?
Dusri baat ki agar pata laga bhi toh aisi jagah par ek ladki kya kar rahi thi? Woh bhi aise samay par?
Ladki ke muh par kapda bandha hua tha. Par uske bawajood usse bina dekhe hi woh sabhi aadmi ladki ki khubsoorti se waaqif ho chuke the.
Zaroor kapde ke peeche koi bohut hi aakarshak aur haseen mukhda chhipa hua tha. Ladki ke kaayal naino ne sab bayaa kar diya tha.
Phir bhi apni hawas ko niyantran me kar aadmiyo ne uss par apni bandooke taan di,
Aadmi : Kaun ho tum? Aur yaha kar rahi ho?
Dherr saari bandooke apne upar tani hone ke baad bhi woh ladki tass se mass na hui.
Ladki : Tumhare boss ko dekhna hai mujhe. Bas! Aur kuch nahi!
Aadmi : Hahaha! Boss ko toh baad me dekhna. Yaha aayi ho toh pehle apna parichay toh deti jao! Ayyye! Pakad ke isse andar leke aao.
Do aadmi abhi uss ladki ki taraf badhe hi the ki wo bol padi,
Ladki : Soch lo! Agar galti kar di toh kahi dhad se sarr alag na ho jaaye.
Aadmi ke chehre par iss baar chinta jhalki aur uske bagal se khade aadmi ne usse sunaaya,
Dusra aadmi : Abey kya kar raha hai tu? Marwaega kya? Kahi ye ladki boss ki koi khaas nikli toh? Tu khud soch na. Agar ye khaas na hoti toh isse jagah ke baare me pata kaise chalta?
Pehla aadmi : P-Par aisa bhi toh ho sakta hai na ki ye ladki boss ki koi dushman ho? Kahi koi jasoos nikli toh?
Dusra aadmi : Abey akeli ladki kya kar legi? Agar jasoos hui bhi to kya hi jasoosi kar legi? Hum sab toh hai na yaha?
Pehla aadmi : H-Haan yaar! Ye toh mene socha hi nahi.
Dusra aadmi : Isse boss ke paas le chalte hai. Phir hume sab pata lag jayega. Par uss se pehle iski talaashi leni hogi.
Pehla aadmi : Haan!
Talaashi lene ke liye agle hi pal kuch aadmi aage aaye toh ladki ne apne jeb se ek dhaar-daar chaaku nikaal unke saamne kar di.
Toh wahi aadmiyo ne apni bandooko ko chalaane ke liye ungliya jama li.
Ladki : Aaj tak kisi mard ki himmat nahi hui mujhe chhune ki. Apne sapne me bhi mujhe chhoone ke baare me mat sochna. Sirf ye ek chaaku hi hai mere paas. Take it!
Chaaku ko hawa me uchhaalte hue usne aadmi ki orr feka. Aadmi ne hadbadaate hue usse lapka aur woh chaaku ko bareeki se dekhne laga.
Ladki ko dekhte hue usne fir haami bhari aur bola,
Aadmi : Theek hai! Hamaare peeche aao. Aur agar chalaki karne ki koshish ki, toh ye goliyaan tumhare shareer ke andar hongi. Par uss se pehle...!
Uske hontho par ek hawas bhari muskaan saji,
Aadmi : Kuch aur bhi goliyo ke pehle andar jayega.
Apne jism par aadmi ki hawas bhari pyaas aur laalsa dekh ladki ke maathe par gusse ki nass thanki. Uski mutthi zorr se kassi.
Agar uska bas chalta toh abhi usne uss aadmi ki zubaan ko chaaku se kaat ke uske haatho me thama diya hota.
Parantu, apne gusse ko peete hue woh chup chaap unn aadmiyo ke peeche chal di.
Andar se jagah behad badi thi. Ladki ki nazar baaj ki tarah harr kone ko dekhne me lagi hui thi.
Andar aate hi usse dherr saare aadmi dikhaayi diye. Sabke haatho me ek ek hathiyaar the. Dherr saari petiya na jaane kin kin samaano se bhari wahi padi hui thi ek ke upar ek.
Harr aadmi usse hi ghoor ke dekh raha tha. Khaas kar uske badan ko.
Kuch qadam chalne ke baad hi aadmiyo ne usse ek kamre ke baahar rok diya.
Aadmi : Tum yahi ruko. Boss andar hai. Mein pehle baat karke aata hu.
Ladki bina jawaab diye wahi khadi rahi. Aadmi andar gaya aur 2 minute baad nikal ke baahar aaya.
Aadmi : Chalo andar!
Andar jaate hi ladki ki nazar table ke saamne baithe ek aadmi par padi. Aadmi ke bagal se aur bhi ek aadmi baitha hua tha. Koi bhi dekh ke ye bata sakta tha ki woh ye main aadmi inn sab ka Boss tha.
Uske kapde, haatho me chamakti hui sone ki anguthiya, athwa uska andaaz. Sab kuch anya gundo se uchh starr par tha. Uske coat ki jeb me ek painting brush bhi maujood tha.
Nazre upar kar Boss ne ladki ko dekha.
Boss : Kaun ho tum?
Toh ladki agle hi pal muskuraayi,
Ladki : Mein kaun hu ye jaan ke kya karoge? Mera kaam ho gaya hai. Chalti hu!
Woh palat ke jaane lagi tabhi itne me aadmiyo ne bandooko se uska raasta rok liya.
Boss peeche se khada hua aur apne muh se cigar nikaal ke usne ashtray me fek diya.
Boss : Tum yaha se tab hi zinda jaa paogi jab mein chaahunga. Kamaal ki baat hai ki jis hideout ke baare me kisi ko kaano kaan khabar nahi hai, waha tum jaisi ladki kya kar rahi hai? Muh se kapda hatao apne!
Par ladki kuch na boli.
Boss (frowns) : Tumne suna nahi? Kapda hatao!
Ladki palti aur Boss ko dekhi. Fir agal bagal khade aadmiyo ko dekhi.
Ladki : Kya karoge jaan-
Boss : Shayad tumhe apni position ka andaza nahi hai ladki. Kya tumhe dikhayi nahi de raha ki tum kaha khadi ho?
Ladki ne punaah usse dekha aur kuch derr baad boli,
Ladki : Dikhaati hu. Par apne aadmiyo ko kaho ki woh peeche jaaye. They don't deserve to see my face. Deserve to tum bhi nahi karte ho par bina chehra dikhaaye tum maanoge nahi.
Ladki ki tippadi par uss Boss ki bauhe sikud uthi.
Usne ek ishaara kiya aur sabhi aadmi ladki ke peeche ho gaye. Ab ladki aur Boss aamne saamne the.
Dheere se ladki ne apna kapda khola aur apna chehra saamne kar diya.
Chehra dekhte hi, Boss ke hosh udd gaye.
Nahi! Aisa nahi tha ki ladki ko woh jaanta tha. Hosh uske ude the ladki ki khubsoorti ko dekh ke.
Aisa aakarshak lubhaane wala chehra, jo kisi buddhe ko bhi jawaani ki yaad dila de.
Agle hi shan, Ladki ne kapda apne chehre par waapas se lapet liya.
Boss : T-Tum-!!!? Kaun ho tum? Kisne bheja hai tumhe?
Ladki : Bas yu samajh lo ki koi shubh-chintak hai tumhara. Jo dekhna chaah raha hai ki tum zinda ho ya-
Boss : Kaun hai woh?
Ladki : Shubh-chintak ko shubh-chintak hi rehne dena chahiye. Uska naam bata ke saara khel bigad jayega. Aur sach kahu toh mein khud nahi jaanti.
Ladki bas shabdo se khel rahi thi. Usse toh khud nahi pata tha woh phone par ajnabi kaun tha.
Boss : Seedhe seedhe bataati ho ya-!?
Usne achanak hi apni jeb se gun nikaal uspe taani,
Ladki : Ya fir kya? Goli chalaoge? Chala lo! Tumhe kuch pata nahi lag payega. Mein khud hi nahi jaanti. Mujhe to bas yaha aake yahi dekhne ke liye bheja gaya hai ki tum zinda ho ya-
Boss ne apni gun ko neeche kiya.
Ladki : Mein koi nuksaan nahi pohuchana chaahti kisi ko. Mera kaam ho gaya hai. Ab mein chalti hu!
Aur wo jis nidarta se andar aayi thi ussi nidarta se baahar ko jaane lagi. Poore hideout me uski heels ki chalne ki awaaz bas goonjti rahi.
Aur kuch hi shano me woh unn sab ki nazro se ojhal ho gayi.
Na hi Boss ne usse pakadne ke liye kaha aur na hi aadmiyo ne apne aap se koi qadam uthaaya.
Baahar aate hi ladki ki aankho me ek chamak thi. Usne apna ek kaam kar diya tha. Ab bas ek aur kaam karna baaki tha.
Hideout ke andar baitha boss koi aur nahi...! Wahi tha...!
SLOGAN!!!
Ladki ke baahar nikalte hi woh garaj utha,
Slogan (yells) : Steve!!!!
Steve : Haan Dada!!!
Slogan : Ye ladki-!!!
Steve : Kya aap isse jaante hai?
Slogan : Bilkul nahi!!! Kahi ye ladki-!!
Steve (hairaani me) : Aapka matlab uss phone waale bande se-!?
Slogan : Steve!!!
Steve : ???
Slogan : Iss ladki ke peeche aadmi bhejo. Mujhe shaq hai ki ye ussi phone waale insaan ki saath hai. Dhyaan rahe woh marrni nahi chaahiye.
Steve ne agle hi pal aadmiyo ko ishaara kar kayi saare aadmi uss ladki ke peeche laga diye.
Steve : Dada...!?
Slogan : Gaadi taiyaar rakho! Hum nikal rahe hai. Aaj kaise bhi kar ke mein nakaam nahi ho sakta. Hargiz nahi!!!
Usne apni chaathi ke jeb me rakhe uss paint brush ko mehsoos kiya aur usse apni andar ki shirt me daal liya.
Steve : Jii Dada!!
Gaadi taiyaar hote hi Steve aur Slogan uss par sawaar hue aur nikal gaye apni manzil ki orr.
Slogan : Aadmi taiyaar hai?
Steve : Haan Dada! Sab jangal waale ilaake ke paas taiyaar hai. Baahar ke mangwaaye assassin me se woh Matthew bhi taiyaar hai.
Slogan : Hmm!!
Steve : Uss Kaera ko qaid karte hi, hume waha se speed me nikalna hoga.
Slogan : Galti na hone paaye.
Steve : Haan Dada! Aap fiqr mat karo!
Slogan : Woh Balhaar bhi kuch chaal chal raha hai shayad!!
Steve : Hume abhi pata lag jayega Dada!
Raat ke sadhe dus ho rahe the aur unki gaadi Mumbai ke ek resort ki taraf bhagti hui pohuchi.
Steve ke gaadi entrance par lagaate hi resort ka ek guard apni jagah se uth ke car ke nazdeek aaya.
*Thud* *Thud*
Usne haath se sheeshe par do baar thoka toh...
*Swwiiissshhhhh*
Sheesha neeche hua.
Guard : Peeche ki Dickey kholo.
Steve ne sarr haan me hilaaya aur dickey khol dii. Guard ne poori Dickey check kii aur band kar andar jaane ka ishaara de diya.
*Vrrroooommm*
Car aage badhi aur andar chalti gayi. Resort itna bada tha ki aisa lag raha tha kisi highway me gaadi chal rahi ho.
Gaadi ko ek jagah laa ke Steve ne headlights band kar di.
Slogan ne lighter jalaate hue ek cigarette jalaayi aur ek kash lagaaya.
Slogan : Aaj sab doodh ka doodh aur paani ka paani ho jayega.
Steve : Yadi aapka anumaan sahi hai Dada. Toh woh yaha nahi aaega. Par...
Slogan : Hmm! Information usne sahi bheji. Par abhi uska aana baaki hai.
Aaj Balhaar ka test tha.
Aur ye resort kisi aur ka nahi, balki Kaera ka hi tha. Jo usne haal hi me apne naam karwaaya tha. Aaj wo yaha bas bachi hui payment karne aayi thi.
Aur kuch hi derr me woh haazir thi. Uske saath saath bodyguards bhi maujood the.
Steve : Woh toh aa gayi Dada! Matlab Balhaar sahi hai.
Slogan : Usse ek aur kaam saunpa hai humne. Woh ye ki woh Kaera ko kahe ki iss car me Veer uska intezaar kar raha hai. Woh yaha aayegi aur-
Steve : Hum usse dhad dabochenge! Tum dono taiyaar rehna!
Steve ne peeche baithe do aadmiyo se bola toh dono ne haami bhari.
Slogan : Uska call bhi aana chahiye.
Steve : Haan Dada! Call karega hi abhi Balhaar!
Dono ke phone baahar hi the jeb ke. Parantu,
Koi call na aaya.
Steve : Huh?
Slogan ne dekha ki Balhaar ke hontho par agle hi pal haivaano waali muskurahat chhaati jaa rahi thi. Uske raungte khade ho gaye. Steve ko jaise hi samajh aaya woh chillaaya,
Steve : Balhaaaaaaarrrrr!!!!
Par,
*BAAAANNGGGGG*
Steve ka sarr tarbooj ki tarah phat gaya. Aur laalam laal khoon poori car ke andar bikhar gaya.
Ek laat dete hue Slogan ne Steve ko car ke baahar dhakela aur woh gusse se chillaaya,
"Veeeeeeeeeeeeerrrrrrr!!!!"
*Vrrrrooooooommmmm*
Gaadi bhagaate hue woh resort se nikla.
Aur idhar uske nikalte hi, Veer aur Karan ki gaadi uske peeche lag gayi.
Karan ne agle hi pal Jassi ko phone bhidaaya. Aur signal milte hi Jassi samajh gaya usse kya karna tha. Mod pe apne saathiyo ki 15-20 cars me drivers ko usne ishaara kar diya.
Karan apni blue mulsanne me Veer ke sang Slogan ke peeche tha.
Veer : Snipers ne apna kaam acche se kar diya.
Karan : Fuck!!! You were right!
Veer : I told you!
Slogan ki car tezz raftaar me bhaagti jaa rahi thi. Uske peeche na jaane kitni hi gaadiya lagi hui thi.
Slogan paseene se lath-path steering sambhaale hue tha.
'Veeeeeeerrrr!!! Bhale hi tumne ek ladaayi jeet li hai. Par jung mein hi jeetunga. Tum meri territory me aa rahe ho!!! Aaj mujhe mere maqsad se koi dur nahi kar sakta...!!'
Usne asmaan me dekha. Akaash me woh chamak raha tha.
Full Moon!!!
Par uss car chase me woh akela nahi tha. Idhar uss ladki ke peeche Slogan ke khud ke aadmi lage hue the.
Woh ladki apni car ko sarpat raaste par dauda rahi thi.
Farq sirf itna tha ki Slogan ki tarah uss ladki ke chehre par koi chinta nahi thi.
Aisa lag raha tha maano woh kisi video game me car chala rahi ho. Jaha zindagi aur maut ki koi fiqr hi nahi rehti thi.
Woh dekh paa rahi thi kaise 2 gaadiya uska peecha kar rahi thi.
Ladki : Hmph~ Kids...!
Usne gear shift kiye aur ek sateek turn par usne drift maar di.
Peeche waali ek gaadi samay par mud na paayi aur agle hi shan,
*CRAAAAAASHHHHHH*
Woh railing se jaake khaayi me jaa giri.
Dusri ab bhi uske peeche lagi hui thi.
Ladki ne achanak hi speed ekdum badha di. Aur gaadi ko seedh me bhagaane lagi. Steering usne maano chodh hi diya tha.
Peeche lagi car bhi uski hi raftaar se uski orr aane ki koshish me lagi rahi.
Par achanak hi,
*Turn*
Ladki ne steering ko halka sa ghumaaya aur car ko zara sa daayi orr kar liya.
Peeche se aa rahi car me baithe driver ki aankhein tabhi phati ki phati reh gayi.
Uske saamne divider ka ek chhor tha.
Aur,
*BOOOOOOMMMMMMM*
Ek tezz awaaz ke saath woh car bhi waha jaa bhidi. Dono cars ko asaani se chakma de chuki thi woh.
Woh ek flyover ke paas pohuch hi rahi thi jab usse ek ke baad ek gaadiya jaati nazar aayi.
Aur usne agle hi pal apni car unn gaadiyo ke peeche laga di.
Idhar Veer aur Karan ki car drift par drift maar rahi thi. Saath hi Raghu aur Jassi ki bhi,
Raghu : Shit!!! Ye road kesi hai? Overtake bhi nahi kar sakte. Aur zyaada speed me gaye toh uss se bhid jaenge. Oye! Jassi!!! Kuch bol!!!"
Par unhe nahi pata tha ki ek aur car unke iss safar me jud chuki thi.
Veer aur Karan bhi chintit the.
Karan : What the fuck is wrong with that guy? Akhir wo hume le kaha jaa raha hai??? Ye road mujhe bilkul bhi nahi lagta ki cars ke liye hai. Itni sunsaan aur upar se dusri side se ek gaadi tak nahi aa rahi hai. Bas abhi tak chuninda 2 se 3 hi nikli hai dusri orr se.
Idhar Jassi ne achanak hi gaadi ko slowdown karne ki chetaavni di.
Parantu, pehli car ne uski baat na maani. Aur nateeja...!
*BOOOOOOOOOOOOOOOMMMMM*
Car ke chithde udd gaye.
Aur fir shuru hui gang fight.
Jassi aur Raghu apne saathiyo ke saath gang members se bhid chuke the.
Toh wahi Veer Karan ko waapas lautne ka vaada kar uski blue mulsanne liye andar jangal me ghus gaya tha.
Toh wahi woh ladki apni car ko unn sab se thoda dur rok raaste par khadi ho gayi.
'Idhar se nahi ho paayega. I must be within a close distance.'
Agle hi pal uski nazre bagal se lagi chhote chhote pahaado ki chotiyoon par gayi.
Aur uske hontho par ek muskaan sajj gayi.
Veer aur Matthew ki bhidant andar jangal me chaalu thi.
Harr taraf se bas bullets ki awaazein aa rahi thi. Aur shor macha hua tha.
Par inn sabki nazro se bach ke, ek saaya tha jo pahaad ki choti par maujood tha.
Jassi : TEAM!!! Datte raho!!! Bas cover se baahar nahi nikalna hai. Aim kar ke hi shoot karna. Zyada time nahi lena aim karne me. Nishaana chookta hai toh chookne do.
Team : Yessss Sirrrr!!!
Samay beetata gaya. Aur Veer Matthew ko thikaane lagaane ke baad Slogan ko dhoondh chuka tha.
Chand hi palo me Slogan ki saansein tham gayi.
Aur idhar pahaad par khadi uss ladki ke mann me agle hi pal ek awaaz goonji,
*Ding*
Ladki ke chehre par se saare bhaav gaayab ho gaye.
Usse uss ajnabi aadmi ki woh baat yaad aayi,
'Jwaala ki tarah bhadko nahi dear. Jal ki tarah shaant raho. I'll wait for your result.'
Usne agle hi pal apna phone nikaal uske number pe ek message bhej diya,
"Slogan is DEAD!"
Aur uske honth kuch apne aap se kehne ke liye khule,
"Jal bhi mein hi hu!!!
Aur jwaala bhi...!!!
No one can stop me!!!
Not even you!!!"
Uske bol uss ajnabi caller ke liye the.
Woh agle hi shan mudne ko hui jab uski aankhein neeche sadak par khade ek aadmi se jaa takraayi. Kisi ne usse yaha khade dekh liya tha.
Woh koi aur nahi...! Jassi hi tha.
Jiske badan me woh saaya dekhte hi raungte khade ho gaye.
Magar, agle hi second woh saaya waha se gaayab ho gaya.
Aur idhar,
Raghu : Kya baat hai? Tu kuch pareshaan lag raha hai?
Jassi : Huh? N-Nahi! Kuch nahi! Chal!
'Akhir wo kya tha??? I'm sure mene uchaayi par wo saaya dekha tha. Kya wo koi jaanvar tha? Samajh nahi aa raha.' Jassi apne mann ki gutthi me uljha reh gaya.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Veer ki dasha par hum agle update me lautenge aur usse prakran ko finish karenge. Abhi zyada kuch nahi kahunga kyuki bas abhi ju logo ki pratikriya dekhungahaha! Aur apna apna kaam kar ke jaane ka man!! Likes thokne ka. Aur revos rakhne ka. Mujhe kehna na pade baar baar. Baaki milte hi hum agle update me.
Dhanyavaad!![]()
BEHAD SHAANDAAR LAJAWAAB JABARDAST EXCELLENT MIND BLOWING AND INTERESTING UPDATE BHAIUpdate - 141 ~ The Last Breath
Ab tak...
Magar, agle hi second woh saaya waha se gaayab ho gaya.
Aur idhar,
Raghu : Kya baat hai? Tu kuch pareshaan lag raha hai?
Jassi : Huh? N-Nahi! Kuch nahi! Chal!
'Akhir wo kya tha??? I'm sure mene uchaayi par wo saaya dekha tha. Kya wo koi jaanvar tha? Samajh nahi aa raha.' Jassi apne mann ki gutthi me uljha reh gaya.
Ab aage...
Ushant Islands~
“Urrrrghhhh~”
Ek dard bhari karaah unn bhaari vishaal pattharo ke neeche se aayi. Veer unke neeche daba hua tha.
Haddiya to Bone Reaper ke chalte sahi salamat thi parantu, unn pattharo ke bhaar se ho rahe dard ko kaise kam kiya jaa sakta tha?
Woh toh accha tha jo Veer ne neeche dabne se pehle turant Bone Reaper equip kar liya tha. Warna uski haddiyo ka choorma bann jaana tha.
[Master-!? Are you okay?]
Pari ki ek chinta-janak awaaz uske mann me aayi.
'Y-Yeah!'
Veer ne keh toh diya magar woh jaanti thi ki uske Master bilkul bhi theek nahi the.
Veer ke perro par bhaar bohut adhik tha. Ek perr bacha hua tha lekin dusra pattharo ke neeche tha. Uska seena aur ek haath bhi buri tarah unn pattharo ki chapet me aa chuke the.
'Meri fiqr mat karo. Mein kaise bhi kar ke baahar aa jaunga. Tum ye batao kya tumne kuch observe kiya?'
[I think I have figured it out Master.]
Pari kuch sochte hue boli.
'What is it?'
[Shayad mujhe pata lag gaya hai ki ye sab akhir chal kya raha hai.]
'Tell me!'
[Ye toh pakka hai ki aapko frame kiya gaya hai. Kisne kiya hai? Toh aapka guess bhi sahi hai. Uss Crimson ne hi hume fassaya hai.]
'I know that. Lekin kyu aur kaise?'
[Kyu ka jawaab mere paas abhi nahi hai Master. Lekin kaise? Uska zaroor hai. Hear me out!]
'Mein sunn raha hu!'
[I think ye Crimson-!]
'??'
[Ye Crimson hi House of the Killers ka rachayita hai. Isne hi House of the Killers jaise bade khatarnaak organisation ko banaaya hai.]
'Koi proof Pari?'
[Proof nahi hai. But meri thinking bohut strongly uski orr point out kar rahi hai. Kyuki ye Las Vegas me bhi tha.]
'Yeah!'
[Agar usse maarna hota to woh wahi maar deta. Toh maara kyu nahi? Answer is simple! He wanted to frame you! DGSI ko issi ne shayad aapke khilaaf galat info di hai.]
'Ohhh!'
[Remember the fake police?]
Pari ke bataane par Veer ko yaad aaya. Jab unn alleys me smoke bomb feka gaya tha aur Ava ka bodyguard jo zakhmi hua tha. Woh fake police ke kaaran hi hua tha.
'Shit!!! Mujhe yaad hai. Woh fake police-!!'
[Woh issi ne bheji hongi Master. Ye Terashima log tab waha hum par nigrani rakh rahe honge. Unhone jab police ko hamla karte dekha to unhe galat message chala gaya. Oh no!!! Ye mene pehle kyu nahi realize kiya?]
[Master! Isliye wo hamare peeche hai. Jab unhone dekha ki police shoot kar rahi hai toh unhe confirm ho gaya ki hum suspect hai. But these fuckers didn't know that they were fake police officers.]
'Iska matlab woh fake police ka hamla sirf mujhe suspect confirm karwane ke liye tha!?'
[Yes!!! Lekin kuch aur bhi hai-! Wo ye assume kar rahe hai ki Ava ko hum laaye hai. But that's not true. Unke haath kuch aur bhi laga hai Master. Crimson ne unhe koi aur jankaari bhi di hai. Lekin mujhe aur analyse karne ke liye samay chahiye. I'm sorry!]
'Nahi Pari! Tumne wese hi bohut kar diya hai. It's enough and- arrggh!!!'
[Maaasterrr!!!]
Veer ka dard ab badh raha tha.
[It hurts Master. I know! But please~ Stay Calm.]
Pari ki awaaz uske andar goonji toh wo apni saanson ko durust karne laga. Pari jaanti thi ki uske Master iss waqt kis haal me the. Uske bawajood woh khud ko shaant rakhi hui thi.
Yahi thi uski personality. Agar iss waqt Pari ki koi aur personality hoti toh pakke se panic mode me chali jaati. Magar, ye Pari alag thi.
[Yes! Breathe in, Breathe out!!!]
Veer lambi-lambi, gehri par santulit saansein lene laga.
[Mene aapke kandhe par lagi bullet waale ghaav ke blood flow ko rok diya hai. Blood loss se bachaane ke liye. But sorry, I cannot remove your pain.]
[Mein ek samay par aapki body me ek kaam kar sakti hu. Right now I’m focusing on your blood flow. Sorry Master! Agar mein aur capable hoti toh aapki sensory nerves par bhi dhyaan de deti. Kam se kam kuch dard kam ho jaata.]
‘You are more than capable Pari!’
[Master...!]
‘Mera dard bhale hi kam ho jaata, par damage ko toh nahi roka jaa sakta na?’
[Y-Yes Master! Body to aapki damage tab bhi hoti.]
‘Then what’s the point? It’s okay Pari! Dard se mujhe darr nahi lagta.'
[That’s-]
[Ye sab uss Crimson ke kaaran. He damaged your body too much. I can feel the pain too. Andhruni chot zyaada hai. Muscles aur tissues me baitha woh dard-!]
[But we will pay him back. Don't worry! As long as I’m here. I won’t let you die. Now listen to me-]
'Pari!!! Tum kitna kuch karti ho mere liye-!' Veer ne usse bolte waqt beech se hi kaat diya.
Uske achanak se aise bol sunn Pari maun reh gayi.
[???]
Veer ke mann me tabhi Bhavna ka khayaal aaya. Mall me jab uski mulaqat Louis se hui thi, toh Bhavna se phone par uski baat hui thi.
Aur uss call ke baad se Veer ki ghar pe kisi se bhi baat nahi ho paayi thi. Samay hi nahi mila tha usse.
'Ghar par sab chinta kar rahe honge.'
Ye soch usne ek gehri lambi saans li.
'Mein ab ek stupid move try karne jaa raha hu. Par wahi mujhe yaha se nikaal payega.'
[What?]
Usne apna ek perr apne dusre perr ke upar tike bhaari patthar par lagaaya aur agle hi shan-
"Haaaaaaaaarrrrrrgggghhh-!!!!"
[Maaaasterrrr!!!]
Woh apni sirf physical strength ka istemaal kar usse hataane ki koshish karne laga. Kintu, Pari bechain ho uthi.
[Don't do it! Please! N-No-!!! At this rate-]
Uska poora perr kaanp raha tha. Perr ki saari nasse phatne ko ho rahi thi. Usne apni bhar taaqat lagaayi.
[What are you doing?? Stop it!!!!! Agar aise hi strain badhta gaya toh-]
Magar woh na ruka.
"Nnnngghhhh-!!!"
Uska poora muh laal hone laga. Aur agle hi pal,
"Aaaaaaaaarrrggghhhh!!!"
*Splurt*
[Nooooooo!!!]
Veer ke perr me ghutne ke neeche, peeche ka maans ka hissa phat gaya.
Aise jaise tarbooj phatata hai. Muscle Tearing. Kisi ek jagah adhik strain se, adhik pressure se andhruni maanspeshiyo ke phatne ka darr rehta tha.
Veer ke saath bhi wahi hua tha. Usne apne jeevan me kabhi itna zorr nahi lagaya tha. Isse karne ke liye insaan ko kitna jazba chahiye hota tha, ye baat Pari bakhubi jaanti thi.
Apne Master ke uss jazbe ko dekh woh stabdh bhi thi par saath hi unki aisi haalat dekh usse dard bhi ho raha tha.
Zameen par khoon bikhar gaya. Veer ke perr ke peeche ka maans ka hissa latakne laga. Uske honth daato tale dabe hue the. Woh dard sehen karne ka prayaas kar raha tha.
Agle hi shan, bina samay gavaaye usne apna dusra perr zameen par tikaaya aur uski sahaayta se woh apne haatho ko churraane me lag gaya.
Dekhte hi dekhte usne ek ek karke sabse bhaari pattharo ko alag kar diya. Aur neeche se sarak-sarak ke woh jaise taise baahar aa gaya.
Atyant buri tarah ghayal ho chuka tha woh. Pari uske perr se nikalte khoon ko rokne me lagi hui thi. Kandhe aur perr dono hi jagaho ke blood loss par wo dhyaan de rahi thi.
[M-Master-!]
'Eric ko mein nahi le jaa paunga. Woh log usse kuch nahi karenge. Zyada se zyada jail me daalenge. Wese bhi wo behosh hai. Usse pehle infirmary le jayenge. Itna samay mere liye kaafi hoga Miss Suhana se keh ke usse baahar churraane ke liye.'
Veer ko tabhi building ki floor par se qadmo ki awaaz sunaayi padi. Aur unhe sunn uski bauhe chintan me sikud gayi.
[Yaha rukna theek nahi.]
Usne mud ke dekha to wahi raasta tha ab uske saamne jiske baare me Eric ne bataaya tha. Ye wahi raasta tha jiske agal-bagal pattharo ki deewaare thi. Parantu, woh sirf sunset ki sightseeing ke liye tha. Aage jaake raasta band tha.
Fir neeche samudra hi bas tha.
'Kuch derr hum waha chhip sakte hai. Kyuki building ki taraf jaana bewakoofi hogi.'
[Mmm!]
Ye soch woh aage badh gaya.
*huff* *huff*
Woh langda-langda ke chal raha tha. Uski saansein ukhdi-ukhdi aa rahi thi. Adhkhuli aankhein liye woh jaise-taise bas ghaseet raha tha khud ko.
Uski iss haalat ko dekh Pari jaise andar hi andar tootati jaa rahi thi. Par woh nishabd rahi.
Apne chotil kandhe par haath rakh woh haafte hue aage badhta raha.
Dheere-dheere woh raaste ke chhor par pohuch raha tha. Kaafi ujaala aa raha tha waha se. Chaand ki roshni thi uss khuli jagah par.
'Bas aa hi gaye!' Aur wo chhor par pohuch gaya.
Par waha pohuchte hi, usse apni zindagi ke sabse bade jhatko me se ek jhatka laga.
Uski aankhein felti chali gayi. Pari ka bhi wahi haal tha.
Kandhe par rakha haath uska apne aap neeche gir latak gaya. Aisa lag raha tha jaise wo kisi jung me apna sab kuch kho diya ho.
Kyuki agle hi shan, uske saamne ka manzar tha-
10 armed police officers apne hathiyaar liye. Ek seeking helicopter jo uske waha pohuchte hi hawa me udaan bhar uss par spotlight tainaat kar diya.
Andre aur Senior police officer jo helicopter me baithe usse ghoor rahe the.
[N-No-!! It cant be-!! Master-!!!]
Anjaane me woh ussi trap me aa chuka tha jo Andre aur team biccha ke baithe the. Ye Team C thi jinhe Chris ne Veer ko pakadne ka kaam saunpa tha.
Helicopter me khade Senior officer ne mic liya aur announce kar bola,
Senior Officer : Apne aap ko hamare hawale kar do. Yahi accha hoga tumhare liye.
Veer ne sarr upar kar uss Senior Officer ko helicopter me baithe dekha aur bola,
Veer : Apne aap ko hawaale kar du? Kis liye? Kisi ki madad karne ke liye? Ya kisi ki jaan bachaane ke jurm me?
Officer 1 : Ye kya bakwas kar raha hai?
Officer 2 : Pakad gaya hai na! Shayad pagal ho gaya hai!
Senior Officer ka munda wese hi thanka hua tha. Veer ka jawaab jaise usse aur gussa dila gaya.
Senior Officer : Bewakoof ladke! Tumko ghera jaa chuka hai. Apni galti maan lo aur surrender kar do. Chalaaki ki to goliyo se boon diye jaoge.
Veer : Tum logo ko koi galat fehmi hui hai. Apni agent Terashima se pucho! Ya fir Singer Natalia se. Mein unka bodyguard-
*BANG*
Veer abhi aage kuch kehta ki tabhi ek bullet uske perro ke paas aake zameen me dhass gayi.
Senior Officer : Apne saare hathiyaar feko. Aur haath upar kar khud ko hawaale karo.
[Woh maan'ne waale nahi hai Master. Just surrender!]
Veer ne apni baayi orr dekha. Ek lohe ki bench lagi hui thi baithne ke liye. Ahista-ahista woh uss orr chal diya.
Uske chalte hi dherr saari laser lights uske badan par tik gayi. Senior officer ne usse chetaavni di par Veer ko bench par baithata dekh usne apne officers ko shoot karne se rok liya.
Senior Officer : Surrender karte ho ya?
Veer : Surrender? Kis baat ke liye? Jab mene kuch kiya hi nahi toh-!?
Senior Officer : Tumhe last warning di jaa rahi hai. Tumhare khilaaf sab kuch hai hamaare paas. Surrender kardo warna-
[M-Master! Surrender kar dijiye! Warna yaha se nahi nikal payenge. Aur ye log maan'ne waale nahi hai. Kuch bohut badi galat fehmi hui hai. Crimson ne khel khela hai.]
'Surrender? Bina galti kiye? Never in my life I will surrender!'
[Maaaaastttteerrr! Samajhne ki koshish kariye!]
Veer ne punaah upar udd rahe uss helicopter me dekha. Aur tab jaake usse apne jeevan ka dusra sabse bada jhatka laga. Senior officer aur Andre ke alawa koi aur bhi tha jo maujood tha.
'It's you-!!!!!?'
Uski aankhon ki putliyaan achambhav ke maare felti chali gayi. Pari ki khud ki rooh kaanp gayi jab usne helicopter me khadi uss ladki ko dekha toh.
[N-No-!! It can't be-!!]
Aur Veer ko saara maajra samajh aa gaya. Uska sarr fauran hi jhuka aur uske facial expressions chhip gaye.
Woh ladki kahi aur hi dekh rahi thi. Kuch pal baad hi waha ek hassi zorr se goonj uthi. Veer pagalo ki tarah hassne laga tha.
Officer 1 : Y-Ye kya-!?
Officer 2 : Pakde jaane ke darr se paagal ho gaya hai.
Officer 1 : Sir? Kya hum usse seedha jaake nahi pakad sakte?
Senior Officer : Nahi! Uske paas hathiyaar ho sakte hai. Kahi bomb wagarah na rakha ho. Keep your distance. Surrender karwa ke hi maanenge hum.
Veer idhar bas hassta raha. Uski aankhein uss ladki ki aankhon se takraayi. Aur ek kadvaahat Veer ke dil me fel gayi.
Woh sarr jhukaaya.
Senior Officer : Agar tumne co-operate nahi kiya. Toh mein fire ka order de dunga.
‘Pari!’
[Huh?]
'Beowulf's Blessings ka kitna samay baaki hai?'
[Sirf 5 seconds hi bache hai uske Master.]
‘Alright then! Pari! Mein jo ab karne jaa raha hu…! It’s a bad move!’
[Wh-What? Ye aap kya-!?]
Pari ne agle hi shan Veer ke dimaag me jhaanka aur ye pata karte hi ki woh kya karne jaa raha tha, uska sanshay bhayankar darr me badal gaya. Aur pehli baar aaj,
[YOU FUCKING IDIOTIC STUPID MASTERRRR!]
Woh uss par baras uthi. Veer jaanta tha Pari ki ye personality kitni shaant thi. Par aaj woh uss par garaj rahi thi. Uss par gussa ho rahi thi, uss se naraaz thi, niraash thi aur sabse mehatvpoorn-
Uski parvaah thi usse. Aaj usme bhay bhi tha aur ghabrahat bhi.
[Why don’t you fucking understand? There will be no Pari without you. I will cease to exist. Aap me saanse hai toh ye Pari hai. Aap me jaan hai toh mujh me jaan hai. Aap zinda ho toh mein hu. Samajhte kyu nahi ho? For fuck sake just surrender. Aap ko nahi kho sakti mein. Why don’t you fucking understand this small thing? YOU ARE THE MOST IMPORTANT TO ME!!!]
Aur usne keh diya. Pari se ab raha na gaya. Usne apna ek raaz saamne rakh diya. Agar Veer apni jaan gawaata hai, toh Pari khud apna astitv hamesha hamesha ke liye kho degi. Veer se hi Pari khud hai.
Veer kuch derr tak shaant raha. Pari ka itna bada raaz bataana ye saboot tha ki woh kitni zyaada bechain thi iss waqt. Magar Veer ne uska jawaab na diya. Aur apni baat ko punaah rakha,
‘I knew it. Kahi na kahi mein ye expect kar hi raha tha. Par yaad hai na jab tum pehli baar mere shareer me aayi thi? I’m sure tum kisi aur ko apna host bana sakti ho. Aise me-’
[YOU FUCKING STOP THIS BULLSHIT OKAY? Mene kaha na! Woh sirf one time use ke liye energy thi. Ab mein uss tarah space me move nahi kar sakti.]
Lekin usne Pari ki baat ko beech me hi kaat diya,
‘Meri baat suno Pari! Mere jaate hi…! Consume my energy! I hope tumhe kam se kam kuch na kuch toh mil hi jayega mere shareer se. That will be enough for you to travel in air. Right? Tum ek naya host dhoondh sakti ho. Ek naya shareer! Koi mujh jaise stupid se behtar haha!’
[STOP IT! PLEEAAASEEE! I BEG YOU! YOU ARE NOT STUPID. You are my Master. Surrender yourself now!!!]
Iss baar uski awaaz ruwaasi thi. Veer khud iss baar aashcharya me reh gaya.
‘T-Tum-!!? Tum ro rahi ho? Haha! Mujhe nahi pata tha meri Pari mere liye kabhi royegi. It’s good to know before dying.’
[P-Pleaaasseee~ Listen to me! They won't kill you. J-Just surrender.]
'No! I won't! Ye bohut bada setup tha Pari. Tum bhi realise kar chuki ho. Hai na? It's almost impossible to get out of it. I think Miss Suhana bhi meri help nahi kar payengi-!'
[N-Nooo-]
Pari ki awaaz me lad-khadahat thi.
‘I’m sorry Pari!!’
[???]
‘Mein kabhi ek accha host na bann paaya tumhare liye. Kaash hamara safar aur lamba hota. Kitni baatein jaan’na tha tumhare baare me. Aur ghar me sab log. Woh abhi bhi soch rahe honge mein business tour par hu. Kaash sabse ek baar acche se mil paata. Juhi my cutie. Uske liye ek chocolate factory ka vaada kiya tha mene apne aap se.’
Bol woh apni kalaayi me bandhe uss kaale dhaage ko dekhne laga jo uski maa ne pehnaaya tha.
‘Maa! Ye dhaaga mujhe bacha na saka. Still! I love you! It will be a great memory to die with…!’
Usse apni maa ke bol bhi yaad aaye jo usne phone ke waqt kahe the.
“Jaldi aana beta!”
‘Shayad-!!! Ab nahi aa paunga Maa!!’
[N-NO!! Ye kya keh rahe ho aap? J-Just stop! I can’t let you go away like that. Mene kaha na aapke jaate hi mein nahi rahungi. Chaahe mujhe kitni bhi energy hi kyu na mil jaaye. A-Aap aisa kaise kar sakte ho mere saath? YOU UNGRATEFUL BASTARDDD! STOP IT NOW! PLEAASEEE!!]
Woh sarr jhukaye-jhukaye hi muskuraaya.
‘Pari I admit-!’
[!!??]
Uski aankho se iss baar ek aasu ki boond nikal uske gaalo se behte hue neeche giri.
‘I ADMIT…! TODAY! I HAVE LOST!’
Uske hontho par muskaan ab bhi barkaraar thi. Ye muskaan thi uss bodh ki. Uss aatm-samarpan ki. Aatm-samarpan unn saamne khade hue logo ke prati nahi. Aatm-samarpan sachhayi ke prati.
Woh jaan chuka tha ki aaj zindagi aur maut ke iss khel me woh haar chuka tha. Bhale hi derr se usse bodh hua par ho chuka tha.
Woh ek bohut hi badi saazish me phass chuka tha. Itni badi ki ab uss se baahar aana lagbhag naamumkin tha.
[N-No! You can’t die like that. M-Mein aapko kuch nahi hone dungi. Listen! I have a plan! Let’s just surrender first. Th-Then-]
‘Tumhe lagta hai mein surrender karunga?’
Uska sawaal sunn Pari maun reh gayi. Woh jaanti thi iska jawaab. Veer ke shareer me aane se pehle hi Veer ne kitni taqleefe jheli thi. Ajay aur uske saathiyo ne milke usse kitna maara tha. Uski koi galti bhi nahi thi tab. Parantu adhmare hone ke bawajood, usne apna sarr nahi jhukaaya tha. Maar khaata raha lekin jhuka nahi.
Jab woh bina system ke tab nahi jhuka, toh aaj inn namoono ke saamne kaise ghutne tek sakta tha woh? Bhale hi usne ek Raja ki tarah janm nahi liya tha. Par ek Raja, ek Baadshah ki tarah marr toh sakta tha.
Idhar Senior officer ne agle hi pal mic pe announce kar diya.
Senior officer : Since, you're not cooperating we're going to execute you-!
‘Pari!’ Veer fir muskuraya. ‘Humara waqt khatam ho raha hai. Saamne khade log meri maut ka intezaar kar rahe hai. So, let me say this one last thing to you.’
[!??]
Woh apne akhiri shabd kehne jaa raha tha. Pari hamesha usse shaant rehne kehti thi. Lekin abhi uski khud ki dhadkane kisi train ke maafiq chal rahi thi. Itna darr usse kabhi mehsoos nahi hua tha. Samay ret ki tarah uski mutthi se fisal raha tha. Aisa lag raha tha woh apni sabse keemti cheez kuch hi palo me khone jaa rahi hai.
‘Pari!’
[H-Huh!!]
‘Tumne mujhe ek naya jeevan diya. Tum mera hausla bann ke mera saath nibhaati rahi. Tumne harr waqt pe meri madad ki. Shayad ye meri acchi kismat thi jo tum mujhe mili. Warna mujh jaise insaan ko toh koi dekhna pasand bhi nahi karta tha.’
[M-Master!]
‘Tumhare kaaran mein kitne pyaare logo se mila. Miss Kaera, Miss Sonia, Miss Suhana. Maa se dobaara mil paaya. Teju dii! Maasi! Shweta Maa! Bhumika Dii! Arohi, Kavya, Dada jii! Suman aur baaki sab. Karan! Nidhi ma’am! Sab se…! You gave me motivation. Unfortunately, ab ye safar yahi khatam hota hai!’
[N-Nooo!]
‘Aur ek akhiri baat-’
[??]
‘I love you Pari!’
Bas! Veer ne fir aage kuch na kaha. Lekin woh Pari ki rundhe gale se nikalti hui zorr-zorr se sisakne ki awaaz sunn paa raha tha.
Achanak hi Veer ke agal bagal ka aura badalne laga.
*Ding*
[Intimidating Presence has been equipped.]
Iss baar usne sarr utha ke upar dekha. Helicopter hawa me ab bhi tainaat tha aur uski spotlight Veer par hi tiki hui thi.
Tamaam guns ki laser sights se laser ke laal-laal bindu uske shareer ke alag-alag ango ke pharchatte udaane ke liye taiyaar the.
Light house samudri tat se lage hone ke kaaran, waha ka vatavaran tezz hawaao se ghira hua tha.
Veer ke baal hawao ke saath lehra rahe the aur khoon se lathpath hone ke bawajood woh adab ke saath uss lohe ki bench par baitha hua tha.
Itne logo me woh akela tha, par wahi tha ek jiska aura sabse zyada taqatwar tha. Jo tej uski aankho me tha, waha khada harr aadmi ye dekh thoda bhay me chala gaya.
Tamaam logo ke hone ke bawajood bhi abhi unhe iss ek ladke ko dekh andar se darr mehsoos ho raha tha.
Ek aankh khuli ek band, sarr se behta khoon, kandhe par lagi goli, jagah jagah choto ke khooni ghaav, bikhre ghane baal aur perr se latakta hua maans. Kuch yahi chhavi thi Veer ki abhi.
Fir bhi waha khada aadmi uske iss roop se darr raha tha. Veer kisi ghaayal sher ki tarah lag raha tha unhe.
Uski nazre harr ek aadmi ko dekhte hue guzri aur fir usne ek buland awaaz me kaha,
“EVEN IF I DIE TODAY! I WON’T DIE BY THE HANDS OF YOU LAPDOGS.”
Uski awaaz light house ke poore samudri tat par goonj gayi. Log usse dekh uska mazaak udaane lage. Woh khud ko confidence dene ke liye ye kar rahe the. Andar se woh sabhi jaante the ki unke shareer ke ruye khade hue the.
“Hahaha! Ye ladka paagal ho gaya hai.”
“Shayad isse apni sthiti ke baare me pata nahi hai. Haha!”
“Itne logo ke beech ghire hone ke baad bhi iski aqal ab bhi thikaane nahi aayi.”
Woh ek dusre se French me bolne lage.
Veer nahi jaanta tha ki Crimson yaha maujood tha bhi ya nahi. Lekin fir bhi usne bolna jaari rakha,
“CRIMSON!!!!! AGAR AAJ MEIN MARTA HU, TOH MERI LAASH KO DEKH KE SUNISHCHIT KAR LENA KI WOH MERI HI LAASH HAI…! WARNA AGAR MEIN YAHA SE ZINDA BACHA…! TOH TUMHE WO MAUT DUNGA JO SANSAAR NE PEHLE KABHI NAHI DEKHI HOGI!!”
Kehte hue achanak hi Veer bench ki back rest par apna ek haath rakhe apne wazan ko leke peeche jhuka.
Bench uske wazan ke kaaran apni pichli do taango ke bal peeche ko jhool gayi. Par iske pehle ki woh peeche girta, Veer ne apna wazan aage ko jhuka diya.
Aur iss baar bench waapas se apni position par aayi lekin ab Veer ka bhaar aage hone ki wajah se bench iss baar apni agli do taango par jhool gayi.
Iss se pehle ki Veer aage ki orr girta, usne punaah apna wazan peeche kar diya aur yu lagataar aage peeche karne ke baad, bench bhi uske bhaar ke chalte peeche jaati aur fir aage aati.
Aisa lag raha tha Veer ek rocking chair par baitha ho. Bench ke yu aage peeche dolne ke kaaran Veer ne ek motion bana liya tha.
Waha khade logo ne jab usse ye karte dekha toh hairat me reh gaye.
Ek armed police cop Veer par gun aim kiye upar helicopter me baithe senior officer ki orr dekha aur pucha,
“S-Sir? Kya hum shoot kare?”
Senior officer : Nahi! Behtar hoga hum isse zinda pakde. Agar zinda na pakad paaye, agar woh hamaare liye khatra banta hai, tabhi shoot karna hai. Let’s just see woh kya kar raha hai. Wese bhi woh yaha se kahi bhaag nahi sakta. Situation hamare haatho me hai.
Officer 1 : Okay Sir!
Sabhi Veer ki harqato ko jigyaasa se dekh rahe the. Aur bas uske surrender karne ka wait kar rahe the.
Senior officer ne mic haatho me liya aur Veer ko firse chetaavni di.
“Tumhare paas bas 30 seconds hai! Seedhe tareeqe se apne aap ko kanoon ke hawaale kar do. Warna-”
Par Veer toh jaise uski chetaavni ko ek kaan se sunn dusre se nikaal raha tha. Uska poora dhyaan uss helicopter me baithi uss ladki par tha.
Uska shareer ab bhi aage peeche jhool raha tha. 20 seconds guzar gaye.
10 seconds bachte hi officer ne mic par countdown karna shuru kar diya.
“Ten”
Veer abhi bhi bench par jhool raha tha.
“Nine”
Koi jawaab nahi!!
“Eight”
Veer ki aankhein uss ladki par hi thi.
“Seven”
Ab bhi koi harqat nahi.
“Six”
Par 6 hote hi, jaise hi iss baar uski bench aage ko apni do taango par jhooli,
“Five”
*DING*
Achanak uski aankhein crimson laal ho gayi.
[Beowulf’s Blessings has been activated.]
Neeche apne perr tikaate hi, uska haath jo bench ki back rest par tha, usne poori taaqat se usse aage kheencha aur agle hi pal,
*Wuh-psssh*
Woh bench hawa me 360° flip hone lagi. Time jaise slow motion me chala gaya. Samay achanak se dheeme ho gaya unn sab ke liye.
Bench hawa me flip ho rahi thi, aur ussi ke saath Veer ka haath usse pakadne ke liye taiyaar ho raha tha. Saath hi uske hontho par haiwaano waali ek muskaan chadhti jaa rahi thi.
Aur waha khade logo ki aankhein hairat ke maare felti jaa rahi thi.
Bench ke sahi angle par flip hote hi Veer ne agle hi shan uss poori bench ko apni hatheli khol ek haath se jhatt-se usse jakad liya aur uske dono perr zameen par sthirta se tik gaye.
*Whoosh*
Woh turant baayi orr palta.
Sab kuch itni jaldi hua ki logo ki aankhein saamne hue drishya ko process hi nahi kar paayi.
Ab waha khade kuch logo ke dimaag ko samajh aa raha tha ki kyu ye ladka bench par aage-peeche dol raha tha. Veer yu hi nahi aisa kar raha tha. Woh jo motion bana raha tha woh tha~
Periodic motion.
Uss bench par usne hi ye motion banaaya tha. Apne perro ko zameen ke virudhh le jaake apne bhaar se bench ko jaan-boojh ke aage peeche kiya gaya tha. Newton ke second law ke chalte woh asaani se dol sakta tha agar ye rocking chair hoti.
Par woh rocking chair nahi thi. Isliye Veer ko apne bhaar ka istemaal karna pada.
Periodic motion bann’ne ke kaaran jab Veer ne usse fir ekdum se apni Beowulf ki taaqat se kheencha, toh bhaari lohe ki bench yuhi hawa me flip ho gayi. Aur uske flip hote hi Veer ne usse thaam liya.
Uss ek chote se pal me unn sabhi ki saansein atak gayi thi. Senior officer ne jaise hi ye dekha woh chillaaya,
“THIS BASTARD!!! SHOOOOOOTTTTT!!!”
Woh dahaad lagaaya aur uske garajte hi,
*BANG* *BANG* *BANG*
*RATATATATATATA*
*BANG* *BANG* *BANG*
Dhada-dhad kar ke goliyaan barasna shuru ho gayi. Par tab tak Veer hawa ke jhoke ki tarah kayi feet ek jhatke me laangh chuka tha.
“THIS MOTHEFUCER!! KILLLL HIMMMM!! SHOOOOT THATTT BASTARDDD DOWNNN!!”
Helicopter hawa me muda aur uske neeche lagi gatling gun ne andha-dhundh firing shuru kar di.
Goliyo ki bauchhaar se waha ki deewaare aur chattaane ke chithade uddne lage. Veer ki gati itni tezz thi ki woh aage badhta jaa raha tha aur goliyaan uske nikalne ke baad khaali zameen se bhid rahi thi.
Officer ka countdown bhale hi beech me band ho gaya ho, lekin Veer ke Beowulf ka countdown chalu tha. Maatra 2 seconds hi baaki the uske deactivate hone ke liye. Ye uska akhiri daav tha.
Dimaag lagaate hue cops ne aim Veer ke aage kiya aur iska abhaas hote hi,
Veer ne apne haath me li hui uss bench se apne aap ko dhak liya. Bench usne dikhaave ke liye thodi uthaayi thi.
*BANG* *BANG* *BANG*
*KLANG* *KLANG* *KLANG*
Bullets jaa ke uss bench se takraane lagi, par kuch thi jinse Veer khud ko bacha na paaya.
*Squelch*
“Arghh!”
Ek uske perr ko cheer ke andar ghus gayi.
*Squelch*
“Urghh!”
Aur dusri uski baah ko.
Fir bhi woh ruka nahi. Senior officer ko jaise hi iss baat ka abhaas hua ki Veer ka maqsad kya hai, uski aankhein bhay ke maare fel gayi.
“Th-This bastard!!! K-Kill him!! KEEP SHOOTING! Bach ke bhaagne na paaye woh. BLOCK HIS PATH.”
Par tab tak derr ho chuki thi.
2 aur bullets Veer ke shareer ko lagi. Beowulf band hone waala tha, magar uske band hone se pehle hi, Veer ne uss uchaayi se ek lambi chhalaang maar di.
*DING*
[Beowulf’s Blessings has been deactivated.]
Ye sab kuch unhi 5 seconds me hua.
“NOOOOOOOOO!!!”
Senior officer apna gala phaad gusse me chillaaya.
Idhar samudri tat ke neeche khaayi thi. Sagar ki ufanti lehre uss chattaan se aake bhid rahi thi. Veer usme kood gaya.
“SEARCH HIM!! Zinda bachne ne paaye woh. He must be killed now! SEARCH EVERYTHING! KEEP SHOOTING!”
Helicopter udd ke aage badha aur Veer ke doobne waali jagah par lagataar paani me fire karne laga.
Bullets paani me ghus friction ke chalte dheemi ho rahi thi aur apni trace chorrte hue andar jaane lagi.
Veer ke shareer par ek antim bullet uske seedhe seene ko aake cheer di.
Woh neeche girta gaya. Bullets ab uss tak na pohuch paayi. Dheere dheere uski aankhein band hone lagi. It was the end.
[MAAAAAASTEEERRRR!!!]
Aankhein band hone se pehle uske mann me bas ek hi khayaal aaya,
‘Just why?? Ava!!’
Aur uski aankhein band ho gayi.
***
Idhar upar udte helicopter me uss ladki ke baal hawa me lehra rahe the.
Tabhi uske mann me ek awaaz aayi,
*DING*
‘I’m sorry…! Veer!’
Aur udhar Mumbai me Ragini ke ghar me, apne kamre me laiti Bhavna achanak bechaini ke chalte bistar par uth ke baith gayi.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi.
Update consists of 5k words. Ab agla update tab hi aayega jab iss update par atleast 140 likes aayenge. Update 139 pe 147 likes hai. Toh itna to mein yaha expect kar hi sakta hu.
Dhanyavaad!
Incredibly outstanding updateUpdate - 145 ~ X