• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,364 83.2%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 213 13.0%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 35 2.1%

  • Total voters
    1,639

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
14,842
103,252
259
12
24
3
woww! Full moon......
अब तो क्रिमसन पेला गया....।
😅
 
12
24
3
bhai mera ak question hai ki jb crimson ne dgsi waalo ko hok k baare m bataya tha tb usne veer k baare m to kux btaya nhi ki kon h kesa dikhta h aur n hi los vegas waalo ne to fir dgsi waale veer k peechhe lge kese and agr dgsi waalo ka point of view y ho ki vo killer celebrity ko target krte hai isliye dgsi waale ava ko track kr rhe ho to kya ak vhi celebrity thodi thi vha p aur b to hongj n......
 
12
24
3
जब क्रिमसन को वीर मार देगा तो क्या ऐसा नहीं हो सकता की क्रिमसन की ability and other things like card वगेरा वीर को मिल जाए ।
जैसा हम लोग गेम में देखते है
 

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
14,842
103,252
259
bhai mera ak question hai ki jb crimson ne dgsi waalo ko hok k baare m bataya tha tb usne veer k baare m to kux btaya nhi ki kon h kesa dikhta h aur n hi los vegas waalo ne to fir dgsi waale veer k peechhe lge kese and agr dgsi waalo ka point of view y ho ki vo killer celebrity ko target krte hai isliye dgsi waale ava ko track kr rhe ho to kya ak vhi celebrity thodi thi vha p aur b to hongj n......
Crimson just told DGSI that Natalia Martin has been kidnapped. Simple! Ava alley me leke jaa hi rahi thi Veer ko. Crimson ko sirf yahi bataana pada ki Natalia uss waqt kaha thi. Nothing else.
 

Tahirtahir111

Well-Known Member
5,076
8,973
188
Zabardast update
 

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,856
19,842
144
Update - 145 ~ X

Ab tak...

Ava ke poore badan me sihran daud gayi. Woh kisi chidiya ki tarah harr taraf gardan modte hue apne chaaro orr dekhne lagi.

'V-Veer!!!!?'

Agle hi pal uski nazre bagal se lagi building ke uss terrace par gayi.

Par, usne jo saamne dekha toh-

Siwae aasmaan me chamakte chaand ke alaawa waha koi nahi tha.

Terrace khaali thi.

'Veer!!!????'


Ab aage...

Andhkaar!

Kya hota hai? Kya prakaash ka na hona andhkaar hai?

Maut!

Kya hoti hai?

Kya saans na le paana mrityu hai? Kuch sunn na paana, dekh na paana, bol na paana, mehsoos na kar paana. Kya yahi hai maut?

Agar vyakti inme se kuch bhi kar na paaye, ye bhi pata na ho ki uski dhadkane chal rahi hai ya nahi? Toh kya usse mrat ghoshit kiya jaa sakta hai?

Uss soch ka kya jo waha ab bhi maujood hai? Woh soch jo duniya bhar ke gyaan ko samajhne ke liye saksham hai.

Veer ki soch iss waqt issi sthiti se guzar rahi thi. Chaaro orr andhkaar fela hua tha.

Na hi wo apne shareer ko mehsoos kar paa raha tha aur na hi kuch dekh ya sunn paa raha tha.

Kaisa mehsoos hota hoga jab aapke saamne andhera chhaa jaaye. Aap jaante ho aapki soch ab bhi kaam kar rahi hai. Aap ye bhi samajh paa rahe ho ki aap andhkaar me doobe hue ho. Par kaisa mehsoos hoga jab ye bodh hoye ki sirf sochne ke alaawa aap aur kuch nahi kar sakte.

Koi awaaz nahi, koi drishya nahi, koi anubhooti nahi. Kaisa lagega tab?

Veer abhi issi sthiti me tha.

Aisa lag raha tha jaise woh kisi antariksh me ghoom raha hai. Farq sirf itna tha ki yaha koi taare nahi the aur na hi koi roshni.

Jab woh apne mann ke vichaaro me ladte ladte maansik roop se thak gaya, aur iss paristhiti se baahar nikalne ka koi hal khoj na saka, tabhi usse kuch dhundh si nazar aayi.


e5e79f4d-5006-464e-a05b-743a486a533b-screenshot

'Huh?'

Aur fir ek dhwani,

[....ster!!!]

[.....errrr!!!!!]

'Huh?'

Veer ki saansein tej ho uthi. Yeh awaaz woh bhali-bhati jaanta tha.

Aur agle hi shan, uska shareer kisi chumbak ki tarah khichta chala gaya. Uski consciousness drift hone lagi.

"Aaaarrrghhhh!!!"

Laga jaise woh aseem raftaar me antariksh me udd raha hai.

Theek uske turant baad hi,

'Uhh!!?'

Sab kuch akasmaat shaant ho gaya. Andhkaar toh abhi bhi tha. Magar ab,

Uska seena upar neeche ho raha tha. Woh saans le raha tha.

Uski naak me aas paas ke vatavaran ki praanvayu aane lagi. Samudra ki lehro ka shor sunaayi dene laga.

Ek ek karke harr senses uske apna apna kaam karne lage. Woh zinda tha.

Saath hi,

[Maaaasttttteeerrrrr!!!]

Woh awaaz bhi usse sunaayi di.

Palke jhapki aur dheere dheere Veer ki aankhon ke saamne kuch drishya aane lage.

'Urgh!'

Ek andhruni karaah uski nikli. Aankhein dard kar rahi thi. Usse fir kuch nazar aaya.

Apni baayi orr dekhte hi kuch aisa nazaara uske saamne tha.


blue-moon-cave-572f63075f9b58c34c820622

Akaash me chandrama apni roshni bikhere chamak raha tha. Derr raat ho rakhi thi.

[Master!!! Thank god! Finally! Can you hear me?]

Veer ne mann hi mann haami bhari.

Poora badan uska dard kar raha tha. Lag raha tha jaise uske shareer ke tukde tukde kar ke zameen par bikher diye ho.

Jab usne aas-paas ka jayza liya toh usse anumaan ho gaya ki woh samudra me maujood chattaano ke nichle hisse me bani kisi gufa me tha.

Uska shareer chattaan ki deewaar se hi tika hua tha. Peeche usse kuch gadd raha tha. Apne haath ko tatol ke usne uss cheez ko sehlaaya toh paaya ki ye wahi gun thi.

Jo usne Ushant Island me uss ek gang member ko behosh kar ke chhinaayi thi.

Abhi woh kuch harqat karta ki tabhi usse kuch awaaz sunaayi di. Kisi ke qadmo ki awaaz thi. Dheere dheere ye awaaz uske nazdeek aa rahi thi.

Veer turant hi sachet ho gaya. Khatre ki bhanak lagte hi usne sarr utha ke saamne dekha.

Ek bade se shareer ki chhaaya aakriti uske saamne thi. Usse dekhte hi,

'Check!!!'

*Ding*

[No information available.]

Notification dekhte hi Veer ki aankhein bhay ke maare fel gayi.

'Crimson???'

Uski aadat bann chuki tha harr nazdeek maujood insaan ko check karna.

Notification ka bodh hote hi,

*Swoooshhhh*

Woh apni jagah se ekdum se ucchla.

[Master-!!! No-!!! Wait!!]

Par Pari ki baat sunn'ne me usse derri ho gayi. Woh tab tak hawa me kood chuka tha.

Saamne khada vyakti uske iss tarah achanak hamle se achambhav me reh gaya.

"Y-You-!!!!"

Veer kisi ghaayal sher ki tarah uss aadmi par lapka aur uske vishaal shareer ke upar chadh gaya.

Furti me uska haath peeche kamar par gaya, aur haath me gun aate hi Veer ne bandook uss aadmi ki khopdi par upar se taan di.

Magar,

Trigger nahi daba paaya. Kyuki,

Veer ki aankh ke theek saamne ek paini sui bas 0.5 cm ki duri par tainaat thi.

Jaha Veer uss aadmi ki peeth par chadh uske sarr par aim lagaya tha. Toh wahi uss aadmi ne jhatse kahi se lagbhag 15 cm lambi ek sui nikaal ke Veer ki aankh ki putli ke saamne kar di thi.

Veer ki aankhein adh-khuli thi. Saansein bhi ukhdi-ukhdi le raha tha woh. Yu jaldbaazi me ucchalne se uske shareer ka dard bhadha aur jagah jagah se khoon nikalne laga. Parantu, uske baad bhi woh tass se mass na hua.

Aadmi : Such will power-!!!

Haafte hue woh uss aadmi ke upar hi chadha hua tha.

Aadmi : Ladke!!! Neeche aao!! Issi waqt! Warna apni aankh kho doge. Tumhari bandook me goli nahi hai!

Ye toh Crimson nahi tha. Aadmi ki awaaz sunte hi Veer ne forun hi trigger daba diya.

*Click* *Click*

Par uss aadmi ki baat satya thi.

Gun me waqai bullets nahi thi.

'Tsk!'

Veer jaise hi neeche aaya woh ladkhada ke gir pada.

[Master!!!!]

Uske girte hi saamne khade shaks ka chehra gufa me chaand ki aati roshni ke saamne aaya. Veer ne dekha ki qareeban 50 kuch ki umr ka vyakti uske saamne tha.

Bhayanak badi kad-kaathi. Lambe ghane baal jo adhiktar kaale the magar kuch safed baal bhi unme shaamil the.

Badi badi daadhi aur lambi latakti hui mooche.

Ghaayal Veer usse bas satarkta me ghoor raha tha. Iss haalat me bhi woh ladne se bhaag nahi raha tha.

Aadmi ne apne haath me li hui badi si sui ko apni kamar ke peeche ek kapde ke bag me rakh liya.

[Master! Don't worry! He's our benefactor. Usne hi aapki jaan bachaayi hai.]

'What?'

Pari ki baat sunn, Veer hairat me uss aadmi ko dekha.

Aadmi : Taajub hua? System ne sach bata diya? Mein tumhara dushman nahi ladke.

Aadmi ne chinese bhaasha me bola. Jiske jawaab me Veer ne bhi chinese me hi baat ki,

Veer : Kaun ho tum?

Aadmi : Tum mujhe 'Renshu' keh ke bula sakte ho.

Renshu apna vishaal shareer liye wahi bane ek patthar par baitha. Kamar par latki ek bottle gourd usne nikaali aur usme se paani peene laga.

Pyaas bhujte hi usne bottle gourd Veer ki orr feki.

Veer ne ek haath se uss bottle ko catch kiya. Ye natural water bottles hoti thi jinhe bottle gourd ki sabzi se banaaya jaata tha.

Renshu : Paani hai! Tum 2 din se behosh the. Pee lo!

Veer ne kuch shan tak Renshu ko dekha aur fir apne haath me uss natural water bottle ko.

[It's okay Master! Drink it.]

Pari ki sahanubhuti se Veer ne fir koi virodh nahi dikhaya.

Usne paani piya. Ab harr jagah usse dard mehsoos ho raha tha. Josh josh me woh ucchal ke Renshu pe chadh toh gaya tha par uske chalte uske shareer ke ghaav firse khul gaye the. Khoon fir behne laga tha.

Renshu wahi se kuch qadmo ki duri par lakdiya ikhatta kar aag jalaane chala gaya. Derr raat ho rahi thi aur thand thodi badh chuki thi.

Renshu : Ladke!!! Tumhe pata hai tumhare behosh hone ke baad kya kya hua hai?

Veer ko sab jaise yaad aaya. Ushant Island ki woh vardaate.

Veer : R-Right-!! Mein! Kya hua tha?

Iss baar usne Hindi me bola aur uska jawaab Renshu ne bhi Hindi me hi diya,

Renshu : 2 din tak Island ke aas-paas chhaan been chali hai. Tumhari laash ko dhundhne ki. Kuch derr pehle hi woh sab yaha se nikle hai.

Yaani Veer 2 din se behosh tha. Aur waha DGSI aur police force do din tak Island ke tat par chhaan been karte rahe.

Veer : Hum unse kitni dur hai?

Renshu : Kareeb 2 KM dur. Chinta ki zaroorat nahi. Ye jagah surakshit hai ladke.

Dono ke liye koi bhi language barrier nahi tha. Woh harr bhaasha me baat kar sakte the. Aur DGSI logo ke jaane ke baad shayad isliye ab Renshu bina kisi fiqr ke aag jala raha tha.

Veer : Mein 2 din se behosh tha?

Renshu : Poore 2 din aur 3 raat.

Veer : That's-!!

Renshu : Mein sab kuch samjhane nahi baitha tumhare liye. Apne system se pucho. Woh tumhe samjha dega. Ya…! Samjha degi!?

Veer ne Pari ko awaaz lagayi toh andar se Pari ki awaaz aayi. Woh toh tatpar hi baithi thi sab kuch bataane ke liye.

[Master-!!]

'Pari! Kya hua tha akhir? Mujhe yaad hai, mein-! Crimson se ladayi kar raha tha. Uske baad-! Right! Ava!! She-!'

[First of all-]

'!!??'

[Don't you fucking do that ever again!!]

Pari ki awaaz bilkul wesi hi thi. Ruwaasi. Jab usne antim baar uss se baat ki thi. Awaaz bilkul wesi hi thi.

'I-'

[Stop! A-Aur meri baat suniye pehle-!]

[Kya soch ke aapne aisa kiya haan? Who told you to do that? Aapne ek baar bhi mere baare me nahi socha? I told you. Didn't I? Mein firse koi energy se space travel nahi kar sakti. Once you die. I die as well. Aur uske baad bhi aapne-]

'I-I… I'm sorry Pari!'

Apne Master ke muh se sorry sunn, Pari turant hi shaant ho gayi.

[J-Just keep in mind from now on. Ahinda se aap aisa kuch nahi karenge.]

'Yes!'

[Aur rahi baat kya hua tha? Then allow me to explain.]

'Hmm!'

Veer kisi bacche ki tarah tha abhi jo apni maa se daant kha raha tha. Pari uski laparwahi par bhadak rahi thi. Magar zyada derr apne Master se gussa kaise reh sakti thi.

[Sabse pehli baat Master. Jo aadmi aapke saamne hai. Usne hi aapki jaan bachaayi hai.]

'Renshu?'

[Yes. Jab aap paani me gire the toh Renshu hi tha jo aapke shareer ko saath leke waha se dur leke aaya.]

'I see! Magar police ne dekha nahi? Hum underwater aaye? Mein bach kaise gaya?'

[Aap underwater kuch seconds ke liye hi the. Renshu aapko neeche ke raaste se laaya hai. Aur fir tairte tairte yaha iss gufa me. It was so hard. Kayi baar bache hai. Then, he removed the water you swallowed, and the bullets as well. Fir dressing hui aur ab jaake aapko hosh aaya hai.]

'I see!'

[And that witch-!!!]

'Huh?'

[AVA GRACE MARTIN! The witch framed us. Usne hume dhoka diya Master. Woh uss Crimson ke saath mili hui thi.]

Veer ko andaaza toh tab hi ho gaya tha jab usne Ava ko helicopter me baithe dekha tha. Uska kuch na kehna. Woh khamoshi sab kuch bayaa kar gayi thi. Veer sab jaan gaya tha. Par ek baat se abhi bhi anibhigya tha woh.

[Also, she has a system.]

Aur Pari ne keh diya. Ye jaante hi Veer ko ek bada jhatka laga.

'Kya????'

Woh ye jaanta tha ki Ava ne usse dhoka diya hai. Par uske paas system tha? Ye bhala kaise ho sakta tha?

'N-No! Ye namumkin hai. Mene check kiya tha aur-'

Pari ne tabhi uske mann me screen ke saamne kuch rakh diya.

*Ding*

[Skill : Camouflage.
Bio : Allows the host to set a fake status according to their will. Favourability can also be altered.]

Skill ka description padhte hi Veer hakka bakka reh gaya.

'N-Nahi!!'

[Shuru se ant tak, woh aapke saath game khel rahi thi.]

'N-No!'

Ek ajeeb si peeda Veer ke dil me janm li. Aur baar baar ek hi sawaal pe uski sui aake atak rahi thi.

Akhir kyu?

Kyu kiya Ava ne uske saath ye sab? Kya bigada tha usne Ava ka? Woh toh yaha uski madad ke liye aaya tha na? Toh fir kyu?

Pari ne jaise apne Master ki peeda ko mehsoos kar liya. Andar hi andar Veer ki iss haalat ko dekh Pari ka khud ka seena chhalni ho raha tha.

Parantu, apne Master ko satya se avgat karana zaroori tha.

'T-Tumhe kaise pata chala Pari?'

Veer ki awaaz ahista se Pari ko sunaayi padi.

[Jab aap paani me waha se kood rahe the. Aapki nazre police officers par thi. Par meri nazre, Ava par tiki hui thi.]

'??'

[She was leaning down towards the door of the helicopter. Woh jhuk ke aapke girte shareer ko bade hi dhyaan se dekh rahi thi. Uski aankhon me woh glaze.... The moment I saw it- I knew what was happening.]

'Magar-'

Veer punaah apni baat rakh paata ki tabhi Pari ne ek aur jankaari uske saamne pesh kar di.

*Ding*

[Skill : Death Flag.
Bio : Allows the host to set a target on any living being. A Death Flag will then be raised indicating the being's life and death condition. As long as the Flag is up, being will be considered alive. Once the Flag falls, it means the being is dead.

Range : 1 KM (Upgradable upto 2 times.)

Note : Host must remain within the range to check the condition.]

Aaj Veer ka imtihaan tha. Usse jhatke pe jhatke lag rahe the. Harr baat usse stabdh kar ke chhodh rahi thi.

[That explains why she was leaning down to see you.]

'P-Pari!!! Tumne ye sab kaise itne kam time me-?'

[Yes. I did it. Also, I'm sorry Master.]

'Sorry? K-Kyu?'

[Aapki heartbeat rokne ke liye.]

'What?'

[I'm sorry! Lekin, Ava kitni hi smart kyu na ho. I'm still smarter than her.]

'???'

[Death Flag, woh skill hai Master jo aapko ye bataati hai ki koi zinda hai ya nahi. Ava ne aapke upar Death Flag lagaya tha. Taaki, usse pata chal sake ki aap zinda rahoge ya nahi.]

Abhi bhi Veer ko ye sab sach hazam nahi ho raha tha. Par yahi satya tha.

'Ava ne!? Mujh par? K-Kab?'

[Kabhi bhi kar sakti hai Master woh. But I think mujhe pata hai usne kab kiya tha.]

'K-Kab?'

[Remember the time when we went to her concert?]

Veer ne tabhi apni yaadon me jhaak ke dekha. Aur uske haath ek khaas pal laga. Jaha woh Las Vegas me Suhana aur Divya ke saath Ava ke concert me gaya tha. Ava ne hi toh invitation bheja tha.

[Kya hua tha jab aapne usse check kiya tha?]

Veer ko jaise hi dhyaan aaya, uske badan me raungte khade ho gaye.

Jab usne Ava ko check kiya tha, toh stage par maujood Ava ne ek jhatke me uski orr dekha tha. Tab Veer aur Pari dono hi hairaan reh gaye the. Lekin, uske baad jab Ava ne Suhana aur Divya ko bhi dekh haami bhari thi toh Veer ne uss baat ko apne dimaag se nikaal diya tha.

[Yes! Now you remember. I think that was the time when she marked you.]

Veer ke hosh udte hi jaa rahe the. Ye saari sacchaayi ek saath hazam karna behad kathin tha.

Ab ek ek karke Ava ke saath guzaare harr pal usse yaad aa rahe the.


whattsap-handemiyy

Ab usse samajh aa raha tha kyu woh haath se goli maarne ka ishaara karti thi. Woh sirf mazaakiya dhang nahi tha uska.

Hande-Er-el-GIF

She was after his life, all along. Aur woh sanket the uske.

Woh alley me le jaana, fake police, protection ke liye invitation. Sab kuch frame kiya gaya tha.

Veer ka sarr apne aap hi neeche jhuk gaya. Uske ghane baalo ne uski aankhon ko dhak liya. Renshu dur baithe side-eye kar Veer ke expressions padhne ki koshish kar raha tha. Kintu, woh nakaam raha.

[As I said, woh bhale hi smart ho. Magar mujhse smart nahi ho sakti. Death Flag me apna ek fault hai Master. After all, it's just a Gold Tier Skill. Nothing much.]

'???'

[Aur woh fault ye hai ki Death Flag sirf targeted person ki heartbeat ko check karke notification deti hai. Basically, kisi ki heartbeat band ho gayi toh woh dead maana jaata hai. Right?]

'Aur isliye tumne meri heartbeat-!?'

[Yes. Sorry. Mene bataya tha aapko ki mein ek time par ek hi cheez par focus kar sakti hu. Pehle aapke blood loss ko rok rahi thi. Lekin, Ava ko galat notification dene ke liye mujhe blood loss se focus hata ke heartbeat par dhyaan lagana pada.]

'I see!'

[Woh abhi yahi samajh rahi hogi ki aap marr chuke ho.]

'Why did she-?'

[Zaroor uss Crimson ke saath mili hui hai woh Master.]

Veer ki mutthi achanak hi kass uthi.

[Time to time mene Beowulf activate kiya hua tha. It gives 50% more healing. Isliye aap jald hi hosh me aa gaye.]

'Ohh!'

[Yes! So, Beowulf ka use karte rahiye. Energy zaroor lega woh lekin aap heal jaldi hoge.]

'Pari!'

[Umm?]

'Thank you so much! Mene laparwahi ki par tumne fir bhi mujhe-'

[Yahi mera kaam hai Master. And didn't I tell you?]

'???'

[As long as I'm here. I won't let you die.]

Iss baar Veer ke honth halke se muskaan me fel gaye. Aur gaal se ek ashru ki boond fisal ke beh gayi. Kintu, aankhein ab bhi baalo se dhaki hui thi.

'Kyu kiya Ava ne mere saath aisa? Mission??'

[Ho sakta hai. Dusra case ye bhi ho sakta hai ki woh majboor ho. Lekin, fir bhi-! Mein usse maaf nahi karne wali.]

Veer ne koi jawaab na diya. Uske chehre par kya bhaav the ye koi nahi jaanta tha.

[Aur ek baat bataani hai Master.]

'What is it?'

Tabhi ek aur notification Veer ke mann me jhalka,

*Ding*

[Mission - 'Get to Ava as soon as possible' is failed.]

[2500 Points will be deducted.]

'Ah!!!'

[Aap puch rahe the na ki mission ki penalty sirf 5000 points kyu hai? Toh ye raha jawaab. Ava kabhi mushqil me thi hi nahi Master.]

'Aur uske baad bhi system bewakoof bann gaya?'

[Yes. Almost actually. Ava sirf acting kar rahi thi. Kahi na kahi system ne bhaanp liya tha ki kuch gadbad hai lekin pin-point nahi kar paaya. Isliye penalty me sirf 5000 points hi the.]

'Aur agar woh asliyat me mushqil me hoti toh?'

[Toh penalty points kam se kam 10,000 toh hote hi.]

'Ab mujhe sab samajh aa raha hai Pari.'

[Yes. Isliye mission fail hone par penalty sirf 2500 points ki lagi hai. System ne realise kar liya tha ki ye sab framing hai.]

'I see! Mere paas itne points toh nahi hai Pari. Kya zaroori hai abhi deduct hoye saare points?'

[Don't worry. System update ho chuka hai Master. Aap points collect karke fir penalty bhar sakte hai.]

Veer ne ye sunn ek raahat ki saans li.

'That's a relief.'

Veer ki nigaahein fir dur baithe Renshu par tik gayi.

[Master. Mujhe nahi lagta woh hamara dushman hai.]

'Hmm!'

Ab jaake Veer ko samajh aa raha tha. Ava ka yu singer hona. Usse ye bhi yaad aaya ki Suhana itna kyu pareshaan thi concert ke dauraan. Bachpan me kabhi Ava ne singing me koi ruchi nahi dikhayi thi. Toh achanak itne kam samay me itni safalta paana. Upar se aise darje ki singing.

Sab samajh aa gaya tha Veer ko.

[Kahi na kahi mene Renshu ki skills ka andaaza bhi laga liya hai. This guy must have some survival skills, medical skills and some identifying skills.]

Renshu itne me uth ke Veer ke nazdeek aaya aur uske shareer par jagah jagah bandhi pattiyo ko kholne laga.

Veer bas chup chaap uski harqato ka aaklan kar raha tha. Uske mann me abhi aneko sawaal ghoom rahe the.

Apni potli se nayi pattiya Renshu ne nikaali aur Veer ke badan par ghaav waali jagaho par baandh di.

Veer : Urgh!!! Why help me?

Renshu : Kyuki yahi mera kaam hai. Sansaar ke sanrakshan ke liye, tum jaiso ka zinda rehna zaroori hai.

Veer : Huh?

Renshu : It's my duty. I must protect those who can help in sustaining peace.

Veer (frowns) : Oh really? Toh meri jagah Crimson ko kyu nahi bachaya?

Renshu : Kya yahi naam hai uska?

Veer : Tumhe uska naam bhi nahi pata?

Renshu ne naa me sarr hila diya.

Renshu : Bilkul nahi! Mein uss se pehle kabhi nahi mila. Bhala mujhe kaise uska naam pata hoga. Ladke! Ek system dhaarak vyakti dusre system dhaarak vyakti ko check nahi kar sakta.

Veer : Ohh!

Veer ko ek aur nayi jankaari haath lagi. Matlab ek system owner dusre system owner ko check nahi kar sakta tha. Ava ko woh isliye check kar paaya tha kyuki Ava Camouflage skill rakhi hui thi. Ab sab kuch sense bana raha tha.

Veer : Agar aisa hai toh fir Crimson ko kaise mere baare me-?

Renshu : Baahri source bhi hote hai ladke.

Veer : Mera naam Veer hai.

Renshu (nods) : Hmm!

Veer : Tumne abhi bhi mere sawaal ka jawaab nahi diya. Agar, system owners ko bachaana hi tumhara kaam hai toh meri jagah Crimson ko kyu nahi bachaya?

Renshu : Mene tumse kaha na. Mein unhe bachata hu jo shaanti ke santulan ko banaaye rakhne ke yogya ho. Woh Crimson...! Mujhe uss se koi umeed nahi. You are the one who matters.

Veer : Bina matlab ke tumne meri madad nahi kari hogi. So tell me. What do you want from me?

Renshu : Samajhdar ho! Par abhi ye samay nahi. Sahi waqt pe tumhe pata chal jayega ki favour kab return karna hai. For now, just rest. And heal your wounds.

Veer shaant ho gaya. Kuch derr baad usne apni baat rakhi,

Veer : Tumhare paas phone hai? Mujhe ek call karna hai.

Renshu ne naa me gardan hilaayi.

Veer : Whattt??? Tumhare paas phone bhi nahi hai?

*Whistle*

Agle hi shan Renshu ne ek zordaar seeti maari. Aur kuch hi palo me waha ek kabootar apne pankh fadfadate hue gufa ke andar pravesh kiya.

[Ah! It's a pigeon.]

Kabootar andar aake seedha Renshu ke kandhe par baith gaya. Aur fir neeche utar Veer ko tak-taki laga ke dekhne laga.

Apne jhole me se Renshu ne ek kaagaz ka tukda nikaala aur syaahi waala ek pen. Kaagaz par kuch likha aur fir usse roll karte hue woh kabootar ke perr me baandhne laga.

Veer uski harr harqat ko padh raha tha.

'This guy seems a bit old-fashioned.'

[Old fashioned ho ya na ho. Lekin, uske paas pigeon ko tame karne ki bhi skill hai. I see.]

Jaha Veer nayi nayi jankaari praapt kar stabdh hota jaa raha tha toh wahi Pari pehle se 10 guna aur satark ho chuki thi. Woh apna poora dhyaan system owners ki skills aur cards ko identify karne me laga rahi thi.

Veer : Tumhe system ke baare me itni jankaari kaise hai?

Renshu kuch derr ke liye maun raha. Woh Veer ko taakta raha aur Veer usse. Fir ek gehri saans lete hue usna batana shuru kiya.

Renshu : Tumhe bataane me koi harz nahi hai. Toh suno.

Veer : Hmm?

Renshu : Sansaar me kul 30 System dhaaran karne waale log the.

Veer : 30???

Veer ko ek aur bada jhatka laga. Pari ne toh shuruaat me uss se kaha tha ki wahi ekmaatr hai. Fir ye sab?

Renshu : Aur ab sirf 18 bache hai.

Veer : You mean-!!!?

Renshu ne jaise hi haami bhari toh Veer ke badan me ek sihran daud gayi.

Veer : Baaki 12 logo ka kya hua?

Renshu : Woh marr gaye. Ya maar diye gaye.

Veer : A-Aur ab?

Renshu : Isliye mene tumhe bachaya hai. Santulan banaaye rakhne ke liye. Tumhara zinda rehna zaroori hai.

Veer (frowns) : Tumhe kaise pata chala ki mein aur Crimson aapas me bhidenge. Aur mera ye haal hoga?

Renshu (sighs) : Mujhe ek call aaya tha.

Veer : Huh?

Renshu : Sach kahu!!! Toh koi hai...! Koi hai jo shayad iss shatranj ke khel me hum sabko pyaade ki tarah istemaal kar raha hai. Aisa mera mann keh raha hai.

Veer : Phone se tumhara kya matlab hai?

Renshu : Uss phone call se hi mujhe pata laga ki tum jaisa naujavan yaha musibat me aane waala hai. Woh aadmi ye bhi jaanta tha ki mein tum jaise logo ko bachaane ke liye hi kaam karta hu.

[That's strange Master.]

Veer : Iska matlab Crimson par woh goli-

Renshu : Woh goli mene hi chalaayi thi. Mujhe laga tha tum usse shayad shikast dedo. Lekin, woh tum par haawi tha.

Veer : Kaun hai woh unknown?

Renshu : Abhi ke liye-

Veer : ??

Renshu : Mein usse 'X' keh ke bulaata hu. Koi toh hai, jo ham sab se zyada jaanta hai inn sab ke baare me.

Veer : X!!?

Renshu : Hmm! Sandesh bhej diya hai mene. Jald hi ek helicopter yaha aa jayega. Lekin 2 din lagenge. Tab tak hume yahi rukna hoga. Aur tum-!!! Ab zyada hiloge nahi.

Toh isliye shayad usne woh kabootar ke perr me sandesh baandh ke bheja tha. Ye saari information Veer ke liye bohut zyada thi. Apne mastishk ko araam dene ke liye Veer aankhein band kar araam karne laga.

Yaha se nikalne me abhi usse samay tha.

Dekhte hi dekhte kaafi waqt beet chuka tha. Renshu aur woh Paris aa chuke the. Aur yaha aate hi Veer ne sabse pehla jo kaam tha woh tha apne ghar waalo ko soochna dena.

Usse gaayab hue ab hafte ho chuke the. Paris aane me bhi usse zyada hi samay lag gaya tha. Uska shareer lagbhag 70% heal ho chuka tha.

Pichli ek raat full moon ki raat thi. Beowulf ke stat percentages full moon me double ho jaate the. Jaha usse normally 50% healing me baddhotri milti thi toh wahi full moon me ye 100% ho jaati thi. Matlab duguni.

Jis kaaran woh kaafi jaldi heal ho gaya. Jis vyatha me woh pehle tha, udhar se aane me warna usse mahine se upar lag jaata.

***

3 hafte ho chuke the. Paris me Bhavna sang sabhi log ek hotel ke kamre me maujood the. Yaha ki sthiti dekh ke iss waqt unke andar ki bechaini ka varnan nahi kiya jaa sakta tha.

Ek Maa apne bete ki khabar paane ke liye tadap rahi thi. Behne apne bhai ke baare me jaan’ne ke liye vyaakul thi. Ek buzurg apne pote ke haal-chaal ke baare me jaan’ne ke liye icchuk the.

Magar koi khabar haath nahi lag rahi thi. Tej Paris ke hi logo ke social media par unke kuch open accounts me chhaan-been karne me lagi hui thi.

Bhavna : Kuch pata chala beta?

Tej : Dekh rahi hu Mom!

Woh abhi kuch accounts ko dekhi hi thi ki kisi ek ladke ke open account me usse woh dikh gaya jo usse bilkul nahi dikhna chaahiye tha.

Uske hi bagal se baithi Arohi bhi sab dekh rahi thi. Saamne dali post ko jaise hi usne padha. Arohi bechaari ke haath se uska mobile chhutak ke neeche gir gaya. Woh kisi murti ki tarah apni jagah par jamm gayi.

Paris me janta kitne virodh me thi ye sirf Paris hi nahi poora France jaanta tha. Achanak se kisi criminal ki photos harr platforms se hata di jaaye toh kya karegi janta aise me?

Vidroh! DGSI ke iss action se jaise aam janta aur gusse me aa padi. Bhale hi Veer ki photos daalne par karyavaahi honi thi. Magar, janta ne uska hal bhi dhoondh nikala tha.

Koi na koi, fake accounts bana ke Veer ki wahi news aur photos daalne me laga hua tha. Taaki, janta tak khabar barabar bani rahi ki yahi woh shaks hai jisne unke sheher me aatanki hamla kiya hai. Ye bach ke jaane na paaye.

Arohi aur Tej ke saamne wahi khabar thi jo hafto pehle news channels par release hui thi.

Bhavna ne jaise unke haav-bhaav padh liye,

Bhavna : K-Kya hua?

Par koi jawaab na mila. Tej ke haath ki ungliyaan laptop ke touch pad par rakhi hui kaanp rahi thi.

Arohi aur woh, dono hi bhaybheet aankhein faade murti ki tarah wahi baithi hui thi.

Bhavna tezz qadmo ke saath unke paas aayi aur jaise hi usne screen par maujood khabar ko dekha. Pal bhar ke liye toh usse kuch samajh na aaya. Fir jaise bodh hua. Aur abhaas ka fir bada sa patthar jaise uske sarr ke upar aake gira.

Apne muh ko saree ke chhor se dhakte hue woh ladkhada ke wahi gir padi

“N-Nahi!!!”

Arohi ki aankhein apne aap hi bheeg gayi. Naino me aansu panapne lage. Veer ke akhiri shabd uske dimaag me goonjne lage.


“Arohi di!! Aap se mujhe kaam hai. Kya aap ghar aa jaogi? Teju di aur baaki sab aapko yaha sab samjha dengi. Aur Kavya ko bhi le aana. Warna baad me woh muh fula ke baith jayegi.”

Uske baad se uski baat Veer se nahi hui thi. Woh Paris jaa chuka tha. Aur ab ye khabar…!

Arohi ka dimaag jaise kaam karna band kar chuka tha. Tej ka haal aur bhi bura tha. Woh becchari wese hi baat karne ke liye kitne dino se tadap rahi thi. Kintu, uske saamne toh-

Uske bhai ki maut ki khabar jhalak rahi thi.

Ab sab dorr aapas me judti jaa rahi thi. Kyu phone nahi lag raha tha. Kyu usne Bhavna se ghar par rehne ke liye zidd ki thi. Sab kuch Bhavna ko samajh aa raha tha.

Manorath ye drishya dekh aage badhe. Unki kuch samajh nahi aa raha tha. Ye sab iss tarah se kyu pesh aa rahe the?

Par abhi woh aage badhi hi the ki Tej ka phone baj utha.

Ghanti bajti jaa rahi thi magar Tej ko jaise duniya ka ab koi shor sunaayi nahi de raha tha.

Arohi ka haath apne aap phone par gaya, usne call uthaaya aur phone apne kaan se laga liya. Aur tabhi, dusri orr se ek awaaz aayi,

“Teju dii!”

Pal bhar ke liye laga jaise Arohi kisi sapne me thi. Uske dil ne kayi dhadkane ek saath phaand li. Haath kaanpne lage.

Arohi : Veeeeeeeeerrrr????

Aur uske iss shor se Tej aur Bhavna dono hi hosh me aa gayi. Bhavna ne fauran hi Arohi se mobile chhina ke apne kaano me lagaaya.

Bhavna : H-Hellooo???

Toh fir ek awaaz waha se aayi,

“M-Maa?”

Aur bas! Bhavna ki tezz dhadkane aur tezz hui magar uss awaaz ko sunte hi uski saansein fir durust hone lagi. Aur aankhon se nirantar aansu behne lage. Ye awaaz sunn’ne ke liye uske kaan taras gaye the.

Bhavna : V-Veeeeeer? B-Beta???

Veer : Umm! Mein theek hu. Surakshit hu. Aap chinta mat kariye!

Bhavna jaise muh se shabd baahar hi nahi nikaal paa rahi thi. Tej ne phone lete hue apne kaan se lagaya aur boli,

Tej : V-Veeeeer????

Veer : Teju dii!

Aur Tej ka bhi yahi haal tha. Woh ro padi.

Tej : K-Kaha ho tum? Ye khabar! Y-Ye sab kya hai? Hum sab Paris me hai!!

Veer : Aap sab Paris me ho? Mene Maa se kaha tha na ki ghar se baahar mat nikalna, jab tak mein laut nahi aata then-

Tej : SHUT UP!!!

Veer : Huh?

Tej : Shut up! *sniff* Bolo kaha ho tum!! Jaldi!!!

Veer : Mein-

Tej : Don’t you fucking dare!! Tell me!!! *sniff*

Veer : Aap sab jaha par hai. Wahi rukiye. Mein kuch hi dino me aapke saamne hounga. Ghabrana nahi Teju di. Haan? Maa ko sambhaalna!

Tej : T-Tum kya keh rahe ho? Veeeeeer!!!

Veer : Mera aapke paas rehna abhi theek nahi. Jo khabar aapne padhi hai. Woh ek badi misunderstanding hai Teju di. You believe me na? Then trust me. Mere baare me koi bhi topic mat uthana public me. Mein sab samjha dunga baad me-

Tej : N-Nooooo!!

Veer : Abhi aapko bas wahi rehna hai. Don’t get out okay? Mein jald hi lautunga. Don’t worry!

Tej : N-Nahiiiiii! Veeeeeerrrrr!!

Par tab tak call cut chuka tha.

Idhar Veer ki nazre call cut karne ke baad uss saamne hotel ki building par tik gayi.

7th floor par, ek khubsoorat celebrity, aur singer khidki se lag ke khadi hui thi.

Veer ke baal raat me tezz hawao me lehra rahe the.

Theek uske peeche kuch duri par Renshu khada hua tha. Veer ka aura woh mehsoos kar paa raha tha.

‘The air has changed around him. It- It feels heavy.’

Renshu ki bauhe thode aashcharya me uthi hui thi.

Veer ki aankhon me koi bhaav nahi jhalak rahe the. Renshu ne usse kapde diye the. Iss samay woh ek white shirt pehna hua tha, jo tezz hawao me lehra rahi thi.

Pari ki awaaz tabhi uske mann me aayi,

[Uddyamen hi sidhyanti, kaaryaani na manorathe,
Na hi suptasya singhasya, pravishanti mukhe mragah.]

'!!!?'

[Yaani ki, koi bhi kaarya kadi mehnat ke bina po
ora nahi kiya jaa sakta Master. Sirf sochne bhar se kaarya poore nahi hote. Unke liye prayatn bhi karna padta hai. Kabhi bhi sote hue sher ke muh me hiran khud nahi aata. Usse shikaar karna padta hai.]

'Pariiiiii!!!!'

[Y-Yes!!!]

'Get ready!!! We're going on a hunt!!!'

Aur woh agle hi shan uss building se tezz raftaar me gaayab ho gaya.

Aur yaha dur hotel ki building me khadi Ava bas uss building ki khaali terrace ko dekhti reh gayi.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Update consists of 5.5k words. Emergency ke chalte ye update late aaya hai. Length kaafi badi hai. Kul 5 updates aur baaki hai iss arc ke. Target is still the same. 150. Likes thokne ka revos rakhna ka. Agla update jald dene ki koshish rahegi. Since this one came late.

Dhanyavaad! ✨
Ye he to ap ke Kahani me mujhe acha lag raha hai, bhale he storie ek time me he kiu na repeat per ap bore nahi hote bhale he storie aage nahi barhi iss update me lekin jpo information ap ne likhi hai aur jis andaz se likhi hai sach me kamal hai
 

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,856
19,842
144
Update - 146 ~ Break the Impasse (1)

Ab tak...

'Pariiiiii!!!!'

[Y-Yes!!!]

'Get ready!!! We're going on a hunt!!!'

Aur woh agle hi shan uss building se tezz raftaar me gaayab ho gaya.

Aur yaha dur hotel ki building me khadi Ava bas uss building ki khaali terrace ko dekhti reh gayi.


Ab aage...

Investigation Department
Las Vegas~


Department ke samast jann aaj ek saath ekatrit the. Government ke liye kaam karne waale detectives se leke private detectives sabhi maujood the.

Private detectives me se toh kewal 2 hi the. Nik aur uski patni…! Divya!!

Department ke head, Nolan Nik ki investigation team ko badhaayi de rahe the. Nik ki team ne mil ke sheher me choriyo aur cocaine ki taskari ko anjaam de rahi ek gang ko pakadwaya tha.

Na sirf department balki police force ki taraf se bhi kaafi saraahna mil rahi thi usse. HOK ke baad ye bhi ek badi qamyaabi thi.

Kintu, Divya unn sab se alag khadi apni hi kisi soch me doobi hui thi.



7bf1f0f3e4281e2652ad2bd71c10d2a5

Nolan Nik aur uske team members se vartalaap zaroor kar rahe the par samay samay par unki nigaahein Divya par jaa rahi thi. Woh jaante the ki Divya kis baare me pareshaan thi.

Veer!!!

Department ne apna kaam kar diya tha. Iss se zyada woh iss maamle me hastakshep nahi kar sakte the. Beshaq, thoda zabardasti kar sakte the France ke DGSI ko dhamkaane ke liye.

Magar uss se zyada kuch nahi. Balki, darrana dhamkana bhi akhiri upaay tha.

Divya Veer ko leke hi chintit thi jab uske theek peeche se ek jaani pehchaani awaaz aayi,

“Veer ke baare me soch rahi ho ma’am?”

Awaaz sunn, woh fauran hi palti. Uske saamne Mike tha.



e4370f326018dfcaeb78b753b17e4a8c

Divya : Mike?

Mike : Aap, Veer ko leke tension me ho na?

Divya (nods) : Hmm!

Mike : I hope woh sahi salaamat ho. Humne ek kaam toh kar hi diya hai at least.

Divya : Hmm! Ab DGSI ke upar hai woh kaise handle karti hai iss case ko. If only we could do something more-

Mike : Right Ma’am! Lekin, mujhe nahi lagta ki Sir Nolan forcefully DGSI se baat karenge. This is it.

Divya (frowns) : Aur isliye Mike- Mein pareshaan hu. Veer se koi contact nahi hua hai ab tak.

Mike : I hope sab jaldi sort out ho jaaye. Mein aur dekhta hu ma’am. Shayad Veer ke liye aur kuch madad kar sake hum? I owe him after all.

Divya : Thank you Mike! He will surely appreciate it.

Mike (smiles) : That’s the least I can do.

Bolte hue woh waha se mud ke chala gaya. Aur Divya yaha usse bas jaate dekhti rahi. Parantu, dhyaan toh kahi aur hi tha uska.



015a39daa8e72ba034091d1069ffef39

‘Suhana!! Akhir kaha par ho tum? Mere call ka jawaab kyu nahi de rahi? Waha sab theek toh hai na!?’

***


Hotel Plaza Athenee, Paris
Night - 9 : 11 PM ~


7f623add6b9733881247797b0e97aef3

Iss Aalishaan hotel ke ek kamre me wahi baithi hui thi, jisse Divya yaad kar rahi thi.

Suhana!

Uske haatho me ek shirt thi, jisse woh kass ke bheenche hue thi.



4741456cbbcdb7621c6b20a67c072a1f

Aur mann me kuch ateet ki awaazo se ghiri hui thi woh.

‘Toh? Raat ka kya plan hai? Kahi aur ghoomna hai?’

‘Aaj aap dinner ki party kyu nahi deti!?’

‘Ab dinner party bhi mein hi du? Abhi itni shopping karwaayi mene!’

‘Toh dijiye! Wese bhi! Aapki dinner party sab ko naseeb kaha hoti hai? Look at Nat. Unhe bhi mauka nahi milne wala.’


‘Duh! No way! *smiles* ‘

‘Fine then! Dinner ki party meri taraf se.’

‘Yessssss!!!!!’



IMG-20220903-195015

Usse ab jaise saare beete pal yaad aa rahe the.

Vegas me bitaaye gaye woh sunehre pal. Dukhad baat ye thi ki woh party dene waala shaks ab uski zindagi se jaa chuka tha.



8c43bdd43042704756ab0683e0a39c5f

Aur fir kuch aur bol uske dimaag me goonje,

‘Suhana!!!!! N-Nothing will happen to you!!! Tumhe kuch nahi hoega. Don't worry! Abhi... I'm taking you to hospital. Hold your strength!!!’

‘V-Veer!’

‘Haan?’

‘I-I don't think... I will make it.’


‘Don't talk nonsense! Shut up! You'll be fine!!!’


Ye wahi pal tha aur ye wahi shirt thi.

Jo Veer ne utaar ke uske khoon ko rokne ke liye usse baandhi thi. Na jaane kyu, par Suhana ne uss shirt ko sambhaal ke rakha hua tha.

Hospital waalo ne usse jyo ka tyo rakha tha, kintu hosh me aane ke baad hi Suhana ne dry clean karwa ke woh shirt apne paas rakh li thi.

Jis tann ko ye shirt dhaakti thi, uss tann ka hi ata-pata nahi tha ab.

Woh bejaan si baithi hui thi jab uske kamre ke baahar se Ashita ki awaaz aayi,

Ashita : Suhana! Divya ka call aa raha hai. Mene usse bata diya hai yaha ki situation ke baare me. Kya tum baat nahi karogi uss se?

Magar Suhana ka koi jawaab na aaya. Ashita sab samajh chuki thi ki maajra kya hai. Ek ladke ke na hone se Suhana ka ye haal tha. Woh ladka kitne maayne rakhta tha uske liye?

Iska andaaza woh bhali bhaati laga chuki thi. Lekin, usne khul ke abhi tak ye baat saamne nahi rakhi thi. Suhana ko uski privacy woh de rahi thi. Saath hi ye samay sahi nahi tha.

Woh bina kuch aage kahe Suhana ko yu hi akela chhor chali gayi.



fb0b4d9b0cdb8b51fc8558c9f78fb2df

Aur idhar apne aap hi ek aasu ki boond Suhana ke gaal ko bhigo kar kab beh gayi usse pata hi na chala.

Kehte hai na ki uss insaan ki ahamiyat aapko tab pata chalti hai jab woh aapki zindagi se chala jaata hai. Suhana ko itni asahneeya peeda mehsoos hogi ye usne khud bhi kabhi nahi socha tha. Ye dard toh-! Peeth ko chhalni kar dene waali uss bandook ki goli se bhi kahi zyaada tha.

Sabka jaise yahi haal hoke reh gaya tha. Fir chaahe woh Suhana ho, Divya ya fir Ava.

Jo derr raat me akeli ek park me khadi hui thi.



8b3cb35e901f73944d86e684d9b920fe

Veer zinda tha. Ye khabar usse notification se pata chali thi.

Jo glaani ka bhaar tha, woh jaise halka ho chuka tha. Par azaad nahi hui thi abhi bhi woh iss bhaar se.

Lekin, Veer ke zinda hone ki khabar ne usse kahi na kahi ek raahat pohuchaayi thi.

‘Veer!!! T-Tum zinda ho-!! Th-This is my chance! Yes!’

Usne apna phone nikaala aur woh apne Twitter handle pe gayi. Kuch likha aur usne woh tweet kar diya.

Pal bhar me hi uske tweet par hazaro views, likes aur comments aane shuru ho gaye.

‘What is this tweet dear Natalia?’


‘As a fan, I still don’t get it. Natalia ye kya hai? Please hume batao.’

‘Natalia it’s okay. Jo hua bhul jao queen. You are safe and that's what matters. You don’t have to think hard on this.’

Ek ek karke comment ki line lag gayi aur uske fans apni apni raay rakhne lage. Kuch ko woh tweet samajh aa raha tha toh kuch ke sarr ke upar se jaa raha tha.

Par uska asli arth koi nahi jaanta tha.

Ava ne ek bhi comment na padha. Usko jo karna tha, woh kar chuki thi.

‘There’s one more thing I have to do. Veer! I hope you see this.'

***

Ye raat yu hi guzar gayi. Agli shaam, Paris se lage hue samundar ke theek upar ek helicopter hawa me mandra raha tha.

DGSI waale Crimson naamak vyakti ke baare me aur jankaari batorne me lag chuke the. Toh wahi aam janta Veer ki photos daalne me peeche nahi hatt rahi thi. Unka vidroh chaalu hi tha.

*Tocococococococo*

Aur yaha Helicopter hawa ko cheerte hue aage tezz gati me badhte jaa raha tha.

Veer uske darwaaze ke pas khada apni nazre neeche gehre samundar par gadaaye hue tha.

Tezz hawao me uske baal lehraate hue idhar-udhar ho rahe the. Iss baar woh yu hi nahi aaya tha. Apne kaam ko anjaam dene waala tha aaj woh. Poori taiyaari ke saath aaya hua tha.

[It's now do or die.]

Pari ki awaaz uske mann me goonji,

'Yeah!'

Saath hi usse Renshu ki kal ki baat yaad aayi,

'Ye mein tumhe de raha hu. Sirf emergency ke liye. Dhyaan rahe, istemaal karne ke baad tumhe isse lautana bhi hoga. Agar tum zinda bache toh. Kyuki, iss baar mein beech me nahi aaunga.'

Uski kahi gayi baat yaad aate hi Veer ka haath apne aap apni kamar pe chala gaya. Ek handgun uski jeans me khusi hui thi. Ye wahi handgun thi jis se Renshu ne Crimson par goli chalaayi thi.

'Agar Renshu mujhe bachana hi chaahta hai toh usne aisa kyu kaha ki ab woh beech me nahi aayega?'

[Master! I think woh chaahta hai ki hum ye mission apne bal boote par kare. Usse andaaza ho gaya hai shayad.]

'I see!'

Renshu ne Veer ki kam se kam 3 baar madad ki thi. Pehli baar jab woh IT building me Crimson dwara maar kha raha tha tab.

Dusri baar jab Ushant Island par Crimson par goli chali thi tab.

Aur teesri baar Veer ko gehre samundar me doobne se bachaate hue uski marham-patti kar kar.

Kahi na kahi jaise Renshu ne ye bhaanp liya tha ki Veer ko,

*Ding*

[Mission : Kill Crimson
Time Limit : 1 day.

Rewards : ???
Mission Failure Penalty : Death.
Location : On the ocean way to the Ushant Island.]

Mission mil chuka tha.

Shayad yahi kaaran tha jo Renshu iss baar beech me nahi kood raha tha.

Aur ye aaj pehli baar tha jo Veer ko mission penalty seedhe maut ki mili hui thi.

'Penalty Death hai, Pari!'

[Yes. Pehli baar hai ye. As I said, it's a do or die situation.]

'Yeah! Aur ek baat, Renshu ne kaha tha ki ek system owner dusre system owner ko check nahi kar sakta.'

[He is right, Master. Ava ko camouflage ki wajah se check kar paaye hum.]

'Lekin, abhi system ne toh mujhe Crimson ka seedhe naam likh ke mission de diya.'

[Yes. Because system ne Crimson ko huge threat ke roop me sweekaar kar liya hai. Basically, jitna do system owners ek dusre ke raaste me aayenge aur ek dusre ke liye adanga banenge, toh utna hi system unhe threat maanta jayega. Aur akhir me-]

'Mission de dega!'

[Yes. Aur uske zariye fir aap uss system owner ka naam jaan sakte ho. But only the name. Nothing else. Check toh aap tab bhi nahi kar paoge.]

'I see! Tumne mujhe ye pehle kyu nahi bataya?’

[Kyuki mujhe nahi pata tha Master ki mere alaawa bhi-]

‘I get it! Toh tumne bhi abhi realize kiya?’

[Yes! I’m still trying to find out some things.]

Veer ki nazar fir apne haath me liye mobile par chali gayi, jisme screen par saaf saaf ek tweet jhalak raha tha.

Aur ye tweet Ava ka hi tha. Jisme likhe tha~


On the way to the Ushant. I couldn’t remember anything.
I have got one more chance. Maybe, I’ll find my answer tomorrow!?


Tweet maamuli sa tha. Lekin sirf aam janta ke liye. Uska asli arth toh kuch aur hi tha. Ek secret message. Jise, Veer turant hi samajh gaya tha.

Ava ne usse Crimson ka pata diya tha.

[This sly woman…! What is she trying to achieve now? Kya chaahti hai ye akhir? Pehle khud hi fasaati hai aur ab khud hi Crimson ki location secretly tweet kar ke bata rahi hai? Master! Kahi ye firse hume fasaa toh nahi rahi-!?]

‘I don’t know, Pari! Magar tweet galat nahi hai. Mission me bhi yahi location aayi hai.’

[Lekin, aap uss par bharosa nahi kar sakte.]

‘Yeah!’

Helicopter Ushant Island ke ab kaafi nazdeek jaa raha tha jab Veer ko samundar me dur kuch roshni chamakti hui nazar aayi. Usne oonchi awaaz me fauran hi pilot ko nirdesh diya,



OIP-1

Veer : Woh raha!!! Helicopter uss orr le chalo! Quick!

Pilot ne haami bharte hue helicopter ke mukh ko uss disha me mod diya.

Dur se hi Veer ko pata lag gaya tha. Ye ek bada sa cruise tha. Cruise me kaun tha, ye bataane ki zaroorat nahi thi.



giphy-4

Shaam dhal chuki thi, cruise apni nirantar gati se Ushant ke Island ki orr badh raha tha. Cruise me sawaar log bhi wahi the. Mask pehne woh insaan ke bhesh me daanav jinhe logo ko marrte hue dekhne me param aanand milta tha.

Weird Fetishes ke gulaam.

Cruise me kam se kam inki sankhya 50 se 80 ke beech ki thi. Aur inme bade se bade millionaire athwa billionaire shaamil the. Yahi toh Crimson ke liye paiso ki thaili the.

Haatho me wine ka glasses liye sabhi madhur sangeet ko enjoy kar ek dusre ki pehchaan chhipaate hue ek dusre se baat karne me lage hue the.

“Aaj Crimson Festival ka akhiri din hai. Show must be grand. Haha!”

Ek aadmi ne apne bagal se khadi mahila se kaha. Dono ke chehro par masks the. Toh mahila ne hasste hue jawaab diya,

“Fufufu~ Oh yes! I wonder aaj kaun si macchli fassi hai. I want to see a young girl though.”

“Ohh! You are a vile one lady.”

“Fufu~ Aaj ki duniya me kaun bhola hai? Bholapann apne aap me paap hai. Let’s enjoy the festival now.”

Toh wahi Cruise ke grand suit me Crimson ek shower leke baahar aaya tha. Uske theek peeche Sweetie khadi hui thi.


d63c765e39747fd9947f492aeaf8774d

Sweetie : Ab kya?

Crimson : Ab kya? Ab hi toh saara khel hona hai. Ek plan bigad chuka hai. Ye dusra nahi bigadna chahiye.

Sweetie : Tum karne kya waale ho ab? Tumne sabhi logo ko invite kiya hai lekin maut ke muh me dhakelne ke liye toh ek bhi insaan nahi hai festival me. Kise maarne waale ho akhir?

Crimson ek ajeeb si muskaan liye use dekha. Toh Sweetie bhaybheet hoke do qadam peeche ho gayi.

Sweetie : K-Kahi tum-?

Crimson : Ohhh! Darr gayi kya? Darro nahi my sweetie. Tumhe thodi maut ke ghaat utaarunga. You are my special one after all!!

Sweetie (frowns) : What’s your plan?

Crimson : Tumhe jaanane ki zaroorat nahi. Just do what I ask you to do.

Bina kuch kahe Sweetie waha se palat ke baahar nikal gayi. Woh khud Crimson ke plan se anjaan thi.

Kintu, Crimson khud ek baat se anjaan tha. Aur woh thi-

“Lower the rope!”

Veer ki awaaz sunn agle hi shan pilot ne rope neeche kar di. Raat lag chuki thi.



Flickr-Official-U-S-Navy-Imagery-A-helicopter-conducts-twilight-helicopter-rope-suspension-training

Aur Veer ne bina koi samay gawaate hue rope ka sahaara liya aur woh seedha Cruise ke upar kood gaya.

“CRIIIMSOOOOOONNNNN!!!”

Veer ki dahaad uss poore ilaake me fel gayi. Jaise jaise Veer upar se neeche gir raha tha, hawaao ki awaaz uske kaano me jaa rahi thi.

*BOOOOOOOOOMMMMM*

Uske Cruise pe girte hi flooring par poori kampan ki lehre daud gayi. Chehre par usne bhi ek kaala mask lagaaya hua tha. Aur uski peni nazar baaj ki tarah apne shikaar ko dhoondhne me lagi hui thi. Usne iss antraal me waha khade kuch logo ko bhi check kar liya tha.

Veer ke achanak iss tarah aate hi waha logo me shor mach gaya.

“Wh-What? Wh-Who is he?”

“Ahn! H-Hey who are you?”

“U-Upar dekho! Helicopter!”

“K-Kahi ye police ka toh nahi? Shit!”

Veer ki maujoodgi ne unhe chintan me daal diya. Aur udhar Grand suite ke andar Crimson ki aankhein woh awaaz sunn agle hi pal hairaani ke maare fel gayi.

[No running away this time. We are going loud and clear, Master.]

Pari poori tarah se focused thi. Usme bhi jaise ek ubaal macha hua tha.

*Ding*

[Mission location updated.]

[Location : Inside the Grand Suite.]

Veer aas-paas khade logo ko hawa ki tarah ignore karte hue apne lakshya ki orr aage badha. Uski raftaar itni tezz thi ki log bhaybheet hoke uss se dur hatt gaye.

*BAAAMMMMM*

Grand suite ka darwaaza chithdo me tootate hue udd gaya. Crimson ne palat ke dekha toh usne dastak di hui thi~

Veer!!!

Lekin, sirf Crimson hi hairaan nahi tha. Veer Crimson ko dekh utna hi stabdh tha.

Veer : Y-You!!!

[Th-That’s-]

Pari bhi bhauchakki thi. Crimson! Uska haath-!!!



f401f5df86815f7aad18d961ab55b35f

Ekdum sahi tha. Veer ko jaise ek jhatka laga. Usne toh Crimson ka haath kaat diya tha par yaha toh-

[Ahnnnn!!!]

Pari ki ghabrahat bhari awaaz uske andar goonji.

‘P-Pari!!!’

[M-Master-! H-He!]

Aur agle hi shan Pari ne apni kehne waali baat ko Veer ke mann me screen ke saamne prastut kar diya,

*Ding*



Probability-manipulation

‘That can’t be-’

Veer ko ek bohut bada maansik dhakka laga. Limb Substitution!?

‘Y-Ye kaise possible hai?’

[This bastard-!! Isliye isne apna haath ka balidaan diya tha Master. He knew he could fix it later. Aur aisa karne ke liye isne zaroor-]

‘??’

[Kisi aur aadmi ka haath kaata.]

Veer ke badan me raungte khade ho gaye.

Limb Substitution! Ek aisa card jo shareer ke ango ko replace karne ki shamta rakhta tha.

Condition sirf yahi thi ki ukhade hue ang ko teen din ke andar lagana zaroori hota tha. Aur jis insaan se ukhda hua ang le rahe ho, uska gender samaan hona chahiye.

Crimson ne zaahir hai kisi aadmi ka haath ukhaad ke lagaaya tha. Baaki kaam Card ne apne aap kar diya tha.

Blood transfusion se leke, sensory nerves ka aapas me judna, naye ang ko Crimson ke puraane haath ke akaar me tabdeel karne me bas ek hi hafta lagna tha. Aur waapas se woh apne poore shape me aa chuka tha.

Limb Substitution! One of the strongest cards in the entire system. Beowulf’s Blessings ki tarah.

Veer apne shock se abhi baahar nahi aaya tha jab tabhi,

“Hahahahahahaha~”

Crimson ki zorr se hassne ki awaaz uske kaano me padi.

Crimson : Ohh Veer! Mein yaha tumhare marrne ke gham me dooba hua tha. Aur mera shikaar, ek baar fir chal ke mere paas khud-ba-khud hi aa gaya. Hahahahaha! Madness!! Pure madness! I love it!! Hahahahaha!

Veer (frowns) : I know everything now!! It was you!!

Crimson (smiles creepily) : Oh yes! Yes! It was me, all along!! I was there! The whole time!

Veer : This time-!! I’ll put an end to your existence.

Aur tabhi, Crimson jis notification ka intezaar kar raha tha use, woh mil hi gaya.

*Ding*

[Mission possibility has reached 100%]

[Mission : Kill Veer.
Time Limit : 1 Day.
Rewards : ???
Mission Failure Penalty : Death.]

Uske hontho par ek khaufnaak muskaan sajj gayi.

Veer ne ek jhatke me apni kamar me khusi hui handgun nikaali aur aim kiya hi tha ki,

*Whoosh*

Crimson bhayanak gati me uski orr lapka.

*Ding*

HAWKEYE!

*BANG*

Veer ki fire ki gayi bullet Crimson ki gardan ke bagal se nikli aur peeche wooden deewaar me jaake dhass gayi.

[HE DODGED IT AGAIN!!!]

Pari achanak cheenkhi. Woh sab kuch identify karti jaa rahi thi siwae Crimson ki uss dodging skills ke. Akhir, Crimson aisa kya istemaal kar raha tha?

Crimson ke chehre par ek haiwaano waali muskuraahat thi. Veer zinda tha. Uski khushi ka koi thikaana nahi tha.

Daudte hue asaadharan raftaar me woh Veer ke nazdeek aaya,

*Wh-tch*

Ek jhatke me uske haath me combat knife ungliyo me golaayi khaate hue pakad me aayi.

[Dodge!]

*Ding*

[Beowulf’s Blessings has been activated.]

Veer ki aankhon laal hui aur woh turant hi jhuka.

*Swoosh*

Crimson ki combat knife uske kuch baalo ko aadhe centimeter tak kaat ke nikli.

Veer ne agle hi shan neeche baithate hue laat se Crimson ko giraane ka prayatn kiya. Par Crimson hawa me kood chuka tha,

Aur uske koodate hi, Veer ke hontho par ek muskaan felti gayi.

Ye bilkul IT building me uss ladaayi ki tarah tha. Yahi tab bhi hua tha.

‘Not this time!’

Waqt jaise tham gaya tha. Veer ki daayi laat agle hi shan apni disha badli aur-

*BAAAAMMMMMMM*

Crimson ke seene me jaake lagi. Woh kisi kati patang ki tarah hawa me dur jaa ke kamre ke deewaar me bhid gaya.

Aur itni awaaz se saare cruise me maujood log ghabra uthe. Gunshot ki awaaz unn sab tak pohuch gayi thi. Veer aur Crimson ki choti si bhidant ne poore Cruise ko hila ke rakh diya tha.

Logo me afra-tafri mach gayi. Jo log dusri ki maut dekhne aate the. Aaj woh khud apni maut ke baare me sunn darr ke maare bheegi billi ki tarah bhaag rahe the.

Par kaha bhaagte akhir?

“C-Cruise me- Cruise me spare rescue boats nahi hai!!! Hum sab maare jayenge!!”

“Whaaaatttt? Where is the party host??? Hume yaha se baahar nikaalo abhi ke abhi!!”

“Hide!! Hide!!”

“Spare boats dhundho jaldi!! W-Warna hum sab maare jayenge.”

“Ahh! Cruise me koi ghuspaithiya aa gaya hai!! Captain ko khabar pohuchao!”

Woh nihatthe bhed bakriyo ki tarah apni jaan bachaane ke liye aatur the.

“VEEEEEEEERRRRRRRRR!!!”

Crimson aag baboola aur saath hi bhaari uttejna me hawa me kayi feet uchakte hue Veer par toot pada.

*BOOOOOOOOOOOMMMMMM*

Grand Suite ki lakdi ki flooring toot ke bikhri aur dono neeche jaa gire.

Mukko aur laato ki barsaat jaari thi. Crimson ka ek punch jab Veer ki pasli me aane ke liye hua toh Veer ne na sirf usse deflect kiya balki apne haath se uske haath me golaayi fira ke aage le jaake seedhe uske gale ko jakad liya.

“Gwakh!!”

Aur agle hi pal,

“Haaaarrrrrgghhhh!!”

Crimson ka shareer hawa me utha aur usse zorr se floor par patak diya gaya. Ye ek chokeslam tha. Ek baar fir woh dono uss cabin ki flooring se gir ke neeche pohuch gaye.

[Hum lower decks me hai. This is the engine room, Master. Careful!]



cruiseengineroom1-823x500

Pari ne Veer ko sachet kiya. Veer ne apne aas-paas ka jayza liya.

[You can hear the sound. Engines bohut awaaz karte hai. Beowulf se aapke senses bohut zyada sensitive hai. Engine sound exceeds 173 decibels. Unhe nuksaan se bachaane ke liye, I’ll keep your hearing senses in control.]

‘Alright!’

Veer ne hearing senses ko Pari par chhor diya.

"You shouldn't turn your back towards your enemy, Veer!"

Ek khaufnaak awaaz theek Veer ke kandhe ke peeche se aayi. Chand second ke liye hi usne Crimson se apna dhyaan hataaya tha, apni environment ka jaayza lene ke liya parantu,

'Shit!'

Woh muda aur ek zordaar laat uske pait me aake padi. Iss baar Veer ka khud ka shareer hawa me udte hue engine room me jaa ghusa.



cruiseshipengine2

Engines ki teevr awaaz Veer ke kaano me padi, par Pari apna kaam pe lag chuki thi.

Aur fir shuru hui, ek aur ghamasaan ladaayi.

Crimson aur Veer, dono bina koi parvaah kiye ek dusre se ladd rahe the. Veer ke dimaag me kahi na kahi apne environment ka khayaal baitha hua tha.

"Mujhse bhidega tu?? Mujhse?? Haan!!? Tujhe pata nahi…!? VVeerrr?? Hhuhh?? Mein woh hu jis se qismat khud darrti- urrrghh!"

Ek upper cut aake seedhe uski thuddi par laga.

Veer pehle se kayi guna takatwar tha. Crimson hairaan zaroor tha par utna hi utsaahit bhi.

"You fucker-!!!"

Usne Veer ka haath jakda aur engine room me lagi ek machinery me itni zorr se ghuseda ki Veer ka haath machine ke metal ko cheerte hue andar ghuss gaya.

'Shit!!'

Crimson uspe agla waar karta ki Veer ne use kick se dur dhakel diya.

Veer ka haath buri tarah fass chuka tha.

[Maaaasttteeerrr-!!!]

Bina use abnormal angle me rotate kare woh itne kam samay me baahar nahi aane waala tha.

Par Veer toh aaj jaise apne aap par bhi kroor tha.

*Ding*

LIMBO!!

[Master you-!!!]

Pari bhauchakki reh gayi.

Veer ne Limbo apne hi upar istemaal kar li thi.

Uska haath ek ajeeb se angle me muda. Atyant hi dard uske poore haath me fela. Kintu, ye sirf kuch lamho ke liye tha.

Haath ko rotate karte hi haath araam se baahar aa gaya. Aur turant hi,

*Ding*

LIMBO

Usne punaah apne upar Limbo istemaal kar apna haath theek kar liya.

Pari surprised thi. Woh chaunki hui thi. Limbo ko apne hi upar iss prakaar se bhi istemaal kiya jaa sakta tha?

Veer ka dimaag kis raftaar me kaam kar raha tha ye woh jaanti thi. Sab kuch chand seconds me hua tha.

Udhar Crimson Veer ki kick se khud ki fall se utha tha aur idhar Veer ne apna haath nikaal liya tha.

Itni speed me hua tha sab kuch.

[Master!]

Andar hi andar Pari gadgad ho uthi. Apne Master pe use bada hi garv ho raha tha.

Crimson : Ohh! You've become powerful indeed. But not more than me-

Uski aankhon me jhaakte hi agle hi pal Veer ka santulan bigda,

[It's there! Vertigo!]

Crimson mauke ka fayda uthaate hue uski taraf bhaagte hue aaya,

Aur tabhi Veer ne khud ke shareer ko hawa me peeche ucchaal diya.

Crimson : !!!??

Vertigo! Disorientation fela ke qadmo me lad-khadahat paida karti thi.

Aur isliye Veer ne khud ko hawa me uchhaal diya tha. Jab qadam hi zameen par nahi rahenge toh ladkhada ke kaise gir payega woh?

Par Crimson bhi smart tha. Back hand spring maarte hue jaise hi Veer ka haath zameen par tika,

Vertigo!!!

Ek baar fir Crimson ne Vertigo istemaal kar dii-

Veer ka shareer disbalance hua aur iss baar woh kohni ke bal gira.

Crimson ko uska mauka mil chuka tha.

Punaah, woh ek dusre ke upar toot pade.

Dekhte hi dekhte unn dono ne poore engine room me itna destruction fela diya ki unn engines me se ek engine explode hone ki kagaar par aa chuka tha.

Aur woh samay bhi kuch hi seconds me aa gaya jab Crimson seedha Engine par jaa ke gira.

'Shit!'

Khud ko bachaane ke liye woh turant hi waha se hata.

Aur-

*Boooooooooooooooommm*

Ek itna tezz dhamaaka hua ki engine room ke andar sab ast vyast ho gaya.

Par ye toh kuch bhi nahi tha. Ek engine se hi baaki engines lage hue the.

Aag ki lapte jaise hi agle engine ko apne aaghosh me li,

Dhamaako ki ladi lag gayi. Ek ek karke saare engines dhamaake ke saath udne lage. Engine room ke hi poore pharchatte udd chuke the.

Upri deck par kohraam macha hua tha. Kuch toh bhay ke maare apne hosh kho chuke the.

Kya hota hai agar aap ek badi si chhadi ke beech me ek daraar paida kar de.

Woh kabhi na kabhi chatak jaati hai.

Theek wese hi, itne dhamaako ke baad cruise ke lower mid hisse me daraar fel gayi.

Aur itna bada cruise do tukdo me tootne laga.

Log jaanvaro ki tarah idhar udhar bhaagne lage. Veer aur Crimson dhamaake ke chalte engine room se baahar ki orr fik chuke the.

Baahri deck par aate hi unki ladaayi firse shuru ho chuki thi.

Aur iss baar, saari janta ke samaksh woh ek dusre ko ghaayal karne me lage hue the.

Aam janta ke hosh udd chuke the. Kyuki woh jo dekh rahe the, aisa drishya unn sabhi ne pehle kabhi nahi dekha tha.

Deck ke neeche hote hi samundar cruise ko apne me samaane laga.



giphy-2

Paani tezzi se poore deck me ghusne laga. Lower decks me jab paani ghusa toh Cruise me jagmag jagmag jalti hui lights achanak hi band hone lagi.


giphy-3

"Aaaaaaaaaahhhhhhh!!!"

"H-Help!!!!"

"Run! Run! Search for the safety boat!!"

Sweetie jo inhi me se ek thi. Woh ghabra ke seedhe ek vault ki orr bhaagi. Ek safety boat waha maujood thi.

Aur idhar Veer-

[Maaaaassstttteerrrr!!!]

*Splash*

Uska shareer gehre samundar me jaa gira. Sateh par aate hi, uski nazre Crimson par tik gayi jo cruise se chhalaang maar khud paani me aa chuka tha.

Aur upar khule aasmaan me woh chamak raha tha.



tenor-3

'It's your unlucky day Crimson!'
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Update consists of 4.6k words. Aane waale 4 updates me se koi ek mega update aa sakta hai. Mein ye dene nahi waala tha, but this update got late. So, take it as a compensation from my side. Also, ghar par thoda renovation chal raha hai ek room ka. I'll be busy. Likes thokne ka aur revos rakhne ka. Target same hai. 150.

Dhanyavaad! ✨
Wait, Mujhe pehle is update me jo kuch huwa wo hazam ker lene do, Man Kisi Manhua ko easily takar deni wali fight thi ye, ek ek scene ankho ke saamne hote dikha hai mujhe Seriously agla update jaldi dena banta hai
 
15,653
32,165
259
romanchak update ..divya ,suhana dono pareshan hai veer ke liye .divya ne ek mission pura kiya par usko usme dilchaspi nahi hai balki wo sirf veer ke baare me soch rahi hai ,mike ko bhi andaja hai divya ka isliye usne baat ki divya se ki wo veer ka ehsanmand hai aur usko dhundne ki puri koshish karega .divya soch rahi hai ki suhana abhi tak kyu nahi aayi par suhana to apne hi gum me dubi hai veer ki shirt ko haath me lekar yaad kar rahi hai veer ki baate .

ava ne veer ke liye ek secret message to bhej diya par veer ko pehle hi mission mil chuka tha crimson ko khatm karne ka ,penalty ab sirf death hi hai .veer ka calculation thoda galat ho gaya ki crimson ka ek haath nahi hoga par deck par jaane ke baad jhatka lag gaya jab dono haath sahi salamat dekhe .
jo log dusro ki maut dekhke khushi manate the aaj wo khud ki maut ko aate dekh chikh chilla rahe hai 🤣🤣..

crimson ke kuch moves samajh gaya veer jab pehli baar fight ki thi waise hi moves the .
limbo ka apne upar hi istemal karna ek best idea tha matlab ab veer ka dimaag bahut tezz kaam kar raha hai .

aasman me chand ko dekhkar crimson ko pata chal gaya ki aaj uska din lucky nahi hai .
jahaj to doob rahi hai aur ab ye dono bich pani me kaise ladhenge dekhne me maja aayega .
 

Mr_X

New Member
31
141
33
mst update bro ab do crocodile ki fight hogi pani me aur jo harbar maza le rahe the maut ka wo pani me bin pani ke machli jese tadap rahe hai dekhte hai aage kya hota hai jaldi update dena bro👍👍👍
 
12
24
3
bhaii update aane ke chances kb tk h?
 
  • Like
Reactions: Devil hunter123
Top