Update 11.
Ajju side :
Ajju roz ki tarha jaldi uth kar fresh hota hai aur jogging karke wapas ata hai. Ajju ke ane tak breakfast ready hojata hai toh sab milkar breakfast karne lagte hai.
At dinning table :
Dad : kal mujhe mills ki report mili mujhe bhi bohat bura laga ye jankar waha itna kuch hogaya magar hume kuch bhi khabar hi nahi hue. Tumne bohat acchi tarha se waha ke halat ko samhaj kar ek bohat hi accha faisla kiya hai. Iam proud of you my son.
Ajju : thanks dad mujhe afsoos bas isi baat ka hai ke hume iss baat ka pata chalne me bohat der hogayi. Riyaz ne unhe bohat pareshan kiya hai.
Dad : hmm afsoos toh mujhe bhi hai. Khair jo hua so hua ab agey se khayal rakho ke mills aur factories me kya ho raha hai. Waha kaam karne walon se personal milkar unka haal chal pucho aur agar koi pareshani hoto solve karo.
Ajju : haan dad maine bhi yahi soncha hai. Infact maine toh ye bhi soncha hai ke mills aur factories ke liye ek bande ko rakha jaye jo waha ki har activity per nazar rakhega aur agar kuch gadbad hogi toh hume inform karega.
Dad : hmm idea toh accha hai. Dekho bhai ye bahar ke jitne bhi kaam hai tum hi dekhlo aur action bhi tum hi lo. Mujhe tum per pura bharosa hai tum kisi ke sath bhi ghalat nahi karoge.
Ajju : ok dad mai aap ka bharosa aise hi barkharar rakhoga.
Mom : ab hogaya ya kuch aur bhi bakhi hai ? Arey bhai ghar me toh office ki baten na kiya karo aur khas karke khane ke waqt toh bilkul bhi nahi. Tum logon ko samhaj kyun nahi ata.
Dad : hume sab samhaj ata hai bas aap ye jo pyar se dantti hai na bas isi liye aisi harkate karte hai. Woh gaana nahi suna kya apne ( satatey na hum toh manatey hi kaise tumhe apne nazdik latey hi kaise. ).
Dad ki baat sunkar sabhi haste hai mom gussa karte hue kahti hai.
Mom : kuch toh sharam kijiye aap bacchon ke samne ye kaisi baten karrahe hai hai.
umer dhalne ko hai aur baten toh dekho.
Dad : arey jisne ki sharam uske phute karam. Aur rahi baat umer ki toh aaj bhi agar ajju ke sath nikal gaya toh log yahi kahte hai aap dono bhai hai kya. Kyun bhai sahi kaha na ?
Ajju : haan dad ye baat apne sahi kahi. Mere kai friends ne mujhse ye sawal kiya hai.
Dad : dekha apne aur aap meri umer ki baat karrahi hai. Are abhi toh mai jawan hoon.
Muneeza : kya baat hai bade papa aaj bade romantic horahe ho ? Kahin date shate ka plan toh nahi hai.
Dad : bhai mai toh humesha ready rahta hoon tumhari badi mummy hi mana kardeti hai.
Dad ki baat sun kar hum sabhi haste hai. Jise dekh kar mom kahti hai.
Mom : bohat besharam horahe hai. Aaj office nahi jana kya ?
Dad : aap kahe toh chutti karlete hai. Kahi ghoom kar atey hai.
Mom : apse toh baat karna hi bekar hai. Aap office jaye ya nahi mujhe usse kya mujhe toh bohat kaam hai.
Ye kahkar mom uth jati hai jise dekh kar nishath kahti hai.
Nishath : arey mami toh sharma gayi.
Aise hi baton me sabka breakfast hota hai. Ajju bhi apne room me jakar ready hokar neeche ata hai.
Ajju : mom mai jaraha hoon.
Dad : aur mai bhi nikal raha hoon.
Muneeza : bhaiya aaj aap office nahi jarahe hai.
Ajju : aur woh bhala kis khushi me ?
Rukhsar : kyun ke aaj humko aap ke sath time spend karna hai aur aap aaj humare sath pura din rahenge.
Ajju : arey mujhe office me bohat kaam hai. Mai kal bhi nahi gaya tha. Phir kabhi chalenge.
Simran : woh sab hume nahi pata aap aaj nahi jarehe bas hume aur kuch nahi sunna.
Ajju : arey lamboo ( simran ki hight sabhi bahnon me sabse ziyada hai toh sabhi usey laboo kahkar bulate hai ). Mai aaj chutti nahi karsakta.
Shabnam : iska matlab aap ko humse ziyada kaam important hai toh phir thik hai jaiye aap apne office.
Ajju : kya yaar tumne aisa soncha bhi kaise chalo thik hai mai aaj office nahi jata ab khush.
Sabhi bahne ek sath : boaht khush.
Dad : accha mai chalta hoon tum inke sath jakar aaj chill karo aur office ki tension math lo.
Ajju : per dad pahle hi kal ka kaam pending pada hua hai.
Dad : uski tum tension math lo woh kaam ho chuka hai tum bas enjoy karo.
Ajju : ho chuka hai se kya matlab hai dad. Kisne kiya ?
Dad : woh sab hum baad me discuss karlenge tum bas aaj ghoomo phiru enjoy karo.
Ajju : ok dad
Phir sabhi ready hote hai aur bahar ghoomne nikal jate hai.
Ajju apne bahnon ke sath full enjoy karta hai. Sab milkar pahle ghoomte hai park jate hai museum jate hai aise hi lunch time hojata hai toh sabhi ek acche se restuarant me jakar lunch karte hai.
___________________________________________
Mahi side :
Mahi subha jaldi uth kar namaz padti hai aur phir apne sabhi kamon se fariq hokar neeche jakar apni mom ki help karti hai phir dono milkar nashta karti hai aur mahi office jane ke liye ready hoti hai. Ready hokar neeche akar apni ammi se kahti hai.
Mahi : ammi mai jari hoon.
Khairoon bee : thik hai bete diyan se jana.
Mahi : ok ammo khuda hafiz.
Khairoon bee : khuda hafiz.
Mahi apne ghar se nikalti hai toh jabeen use bahar kahdi huo dikhti hai mahi jabeen ke paas jati hai.
Mahi : assalamu alaikum didi.
Jabeen : wa alaikum assalam khairiyat se ho. Kaisa raha tumhara pahla din.
Mahi : bohat hi accha raha aap sunaye yaha kya karahi hai subha subha. Nashta kiya ya nahi.
Jabeen : haan karliya hai maine nashta aur woh aaj rasheed sahab ka maal ( stock ) jane wala hai aur gadi wala ata hi hoga toh isiliye yaha per khadi hoon.
Mahi : hmm thik hai phir mai chalti hoon sham ko milte hai bye khuda hafiz.
Jabeen : accha thik hai phir milte hai bye khuda hafiz.
Mahi jabeen se baat karke bus stop ki taraf jati hai. Tohdi hi der me bus ajati hai aur mahi bus me baith jati hai aur thodi hi der me office pohanch jati hai. Mahi andar jakar pahle miss reshma se milti hai.
Mahi : assalamu alaikum madam.
Miss reshma : wa alaikum assalam khairiyat.
Mahi : ji alhumdulillah, aap kaisi hai.
Miss reshma : mai bhi alhumdulillah acchi hoon.
Phir mahi uper jakar ajju ke cabin me apne desk per baith jati hai aur kalki chodi hui file ko ek baar check karti hai phir apne kaam me lagjati hai.
Mahi kaam ko pure dilse karrahi thi toh use aaj bhi waqt ka andaza nahi hota aur kaam khatam hote hote lunch time hojata hai.
___________________________________________
Ajju side :
Ajju : ab lunch toh hogaya hai kyun na movie dekhle. Kya kahte ho.
Didi : haan kyun nahi.
Afshan : mujhe cartoon movie dekhni hai.
Ajju : toh hum bhi cartoon movie hi dekhege kyun haina bahnon.
Muneeza : haan bilkul humari princess ki farmaish ko hum kaise mana kar sakte hai.
Ajju : thik hai chalo phir der kis baat ki hai.
Phir sabhi mil kar multiplex ko jate hai aur cartoon movie dekhte hai.
___________________________________________
Mahi side :
Mahi apna kaam finish karke lunch karne ke liye bahar jati hai jaha per sabhi log milkar lunch karte hai mahi bhi wahin per baith kar apna lunch karne lagti hai.
Mahi lunch karrahi thi ke ek ladki uske paas ati hai.
Ladki : hi kya mai yaha per baith sakti hoon.
Mahi us ladki ki awaz sunkar usko dekhti hai.
Mahi: kyun nahi baithiye.
Ladki : thanks kya aap yaha per new join hui ho, mera naam afiya hai aur aap ka kya naam hai.
Mahi : ji haan maine kal hi john kiya hai aur
mera naam mahira hai.
Afiya : accha magar maine toh kal apko nahi dekha.
Mahi : darasal kal mai azeem sir ke cabin me hi thi aur lunch ke baad boss ke ( ajju ke dad ) sath bahar chali gayi thi isi liye kal kisi se bhi mulakt nahi hosaki.
Afiya mahi ki baat subkar pahle chonk jati hai phir kahti hai.
Afiya : azeem sir ke cabin me tum kya karrahi thi ? I mean kal toh sir aye hi nahi they aur unki ghair maujudgi me tum waha per kya karrahi thi. Kyun ke unko pasand nahi koi bhi unke cabin me bina unki permission ke jaye isi liye puch rahi hoon.
Mahi afiya ki baat sunkar sonchti hai .
Mahi : ( in his mind ) ye azeem sir kahin khadus toh nahi jo ye ladki aise kah rahi hai khair jo hoga dekha jayega
Mahi : woh baat ye hai ke mai unki new assistant hoon toh mujhe faisal sir ne hi waha per rah kar kaam karne ko kaha hai isi liye mai unke cabin me rah kar kaam karrahi hoon.
Afiya : accha ye baat hai. Toh tum ajju sir ki new assistant ho. Mil kar khushi hui ab toh roz milte rahenge.
Mahi : mujhe bhi milkar khushi hui. Waise ek baat toh batao ye azeem sir kaise admi hai ? I mean unka mijaz kaisa hai ? Kya woh gusse wale hai ya phir khush mijaz.
Afiya : hmm waise toh bohat hi strict hai kaam ke mamle me woh kisi ko bhi maaf nahi karte aur time ke paband hai magar apne staff ke sath bohat hi acche se pesh ate hai. Magar tum ye sab kyun puch rahi ho kya tum azeem sir ko nahi janti?
Mahi : haan mai unhe nahi janti isi liye puch rahi hoon. Khair mera lunch finish hogaya hai ab mai chalti hoon baad me mulaqat hogi bye.
Mahi canteen se seeda apne cabin me jati hai jaha per mr faisal pahle se hi maujud the.
Mahi : good afternoon sir.
Mr faisal : very good afternoon aur mahira kar liya tumne lunch.
Mahi : ji haan sir.
Mr faisal : hmm aur us file ka process kaha tak pohcha hai.
Mahi : sir file is complete.
Ye kahkar mahi apne desk se file nikal kar mr faisal ko deti hai.
Mr faisal : hmm good mahi tumne bohat accha kaam kiya hai. Meri ummid se bhi ziyada jaldi complete kiya hai tumne.
Mahi : thank you sir.
Mr faisal : ab iss file ko tumhi submit karo aur quota bhi tumhi bharo mujhe puri ummid hai ke iss saal ye tendar hume hi milega aur haan iss ko submit karne se pahle ek baar project ki details zarur dekh lena.
Mr faisal ki baat sunkar toh mahi surprise hojati hai use ummed nahi thi ke mr faisal use hi iss file ko submit karne ko kahenge.
Mahi : sir mai kaise ise submit karsakti hoon.
Mr faisal : kyun kuch problem hai kya ?
Mahi : nahi sir I mean agar kuch unch neech hogayi toh maine pahle kabhi ye kaam nahi kiya hai.
Mr faisal : toh isme konsi badi baat hai her kaam ko kabhi na kabhi pahli baar ki kiya jata hai. Aur tumne hi toh kaha tha na ke agar kaam karnege nahi toh experience kaha se ayega toh samjho ye tumhare experience ki shuwat hai.
Mahi : Agar aap mujhe guide karenge toh mujhe khushi hogi sir.
Mr faisal : ok mai tumhe kuch purani files laker deta hoon unhe dekh kar tum apne tarike se submit karo. Ab isse ziyada aur kuch nahi kar sakta mai.
Mahi : yahi bohat hai sir mere liye thank you so much sir. Apke sath kaam karke mujhe bohat khushi horahi hai sir, pahle mai sonch rahi thi ke agar mujhse kuch ghalti hogayi toh mai kisse puchungi per sir apka support dekh kar mujhe honsla mila hai iss ke liye dilse thank you sir.
Mahi ki baat sunkar mr faisal ke chahre per smile ajati hai.
Mr faisal : ( with smile ) mujhe bhi tumhare sath kaam karke bohat khushi horahi hai, aur rahi baat support karne ki toh mujhe tumhare ander bohat talent dikhayi deta hai jise bas nikarne ki zarurat hai isi liye mai bas us talent ko nikharne ki koshish karraha hoon aur humesha aise hi kaam karti raho mujhe bhi khushi hogi tumhe acche se kaam karte hue dekh kar.
Phir mr faisal mahi ko kuch purani files nikal kar dete hai jise mahi study karne lagti hai.
___________________________________________
Ajju side :
Ajju apne bahnon ke sath bohat enjoy karraha tha cartoon movie dekhne ke baad sabhi bahar ate hai.
Nishath : chalo sabhi pizza khate hai.
Shabnam : moti abhi tohdi hi der pahle toh humne lunch kiya hai tujhe phirse bhook lagi hai.
Shabnam ki baat sukar sabhi haste hai jise dekh kar nishath kahti hai.
Nishath : ( tedha muh banate hue ) huh pizza se kya bhook marti hai woh toh bas aise hi taste ke liye kah rahi thi, agar tumlogon ko agar nahi khana toh math khao mujhe kya huh.
Nishath ki baat sunkar sabhi muskurate hai magar usko pareshan karne ke liye rukhsar kahti hai.
Rukhsar : pizza se teri bhook nahi marti hogi humari toh burger se bhi marjati hai kyun mai sahi kahrahi hoon na.
Simran : ( rukhsar ka sath dete hue ) haan haan bilkul sahi kahrahi hai, meri toh sandwich se bhi bhook mitjati hai. Pata nahi iski bhook aisi kitni badi hai ke pizza se bhi nahi marti.
Rukhsar aur shabnam nishath ko pareshan karrahe the ke didi kahti hai.
Didi : kyun tang karrahi ho meri nishu ko ye bechari toh phool ki tarha nazuk hai aur tum log ise moti kahrahi ho, khabardar jo kisi ne bhi meri bahen ko moti kaha ye moti hai hi nahi koi bhi ise moti nahi kahega.
Didi ki baat sunkar sabhi haste haste hai jise dekh kar nishath kahti hai.
Nishath : kya didi aap bhi inka sath derahi hai.
Didi : mai toh mazak karrahi thi chalo pahle pizza khate hai phir agey ka sonchege kya karna hai.
Phir sabhi pizza khane ke liye chale jate hai. Aise hi masti mazak karte hue sabhi aaj ka pura din enjoy karte hai phir ajju sabhi bahnon ko unke ghar chodh kar apni didi ko apne sath lekar apne ghar ko ajata hai.
___________________________________________
Mahi side :
Mahi project ko padne me lagi hui thi. Woh pura dhiyan laga kar project ki choti choti details dekh rahi thi. Woh nahi chahti thi ke usse koi bhi ghalti ho isi liye woh her ek point ko note karrahi thi.
Jab se mr faisal ne use purani files di thi tabhi se mahi usi me lagi hui thi mahi ko usme kai sare points mile jisko note karke usne apni file banayi aur use submit bhi kardiya isi me use aaj ka pura din nikal gaya.
Office time over hone ke baad mahi jane ke liye ready hoti hai. Jab woh bahar nikalne ko hoti hai ke mr faisal mahi ke paas ate hai.
Mr faisal : mahi ek minute roku kuch baat karni hai.
Mahi : ji sir kahiye.
Mr faisal : mujhe yaha per boss ne bheja hai. Unko tumahra kaam bohat pasand aya hai aur jo project ki file tumne banayi hai woh unko bohat acchi lagi isi liye unhone tumahre liye gift bheja hai.
Mahi : gift... ? Mai samhji nahi sir gift kyun bheja hai sir ne.
Mr faisal : hum log yaha per kaam karne walon ko appreciate karne ke liye unko gifts dete hai jisse woh apne kaam ko aur bhi dil laga kar karte hai isi liye ye gift tumhare liye sir ne diya hai.
Mahi : but sir maine toh apna kaam kiya hai iske liye mujhe kisi gift ki zaruat nahi hai. Agar aap mujhe gift nahi bhi denge toh bhi mai apna kaam puri imandari se hi karongi.
Mr faisal : mujhe pata hai tum aisa hi karogi, magar kya karun ye toh yaha ke rules hai toh ise tumhe lena hi padega warna sir ko bura lagega.
Mahi : aisi baat hai toh mai leleti hoon.
Ye kahkar mahi gift packet lekar apne bag me rakh leti hai.
Mahi : ok sir ab mai chalti hoon warna meri bus chut jayegi.
Mr faisal : ok thik hai bye take care khuda hafiz.
Mahi : khuda hafiz sir.
Phir mahi office se nikal kar bus stop per jati hai aur thodi hi der me bus me baith kar apne ghar ko chali jati hai.
Ghar pohanch kar mahi apni ammi ke paas jati hai.
Mahi : ( khush hote hue ) ammi aap ko pata hai boss mere kaam se bohat khush hai.
Khairoon bee : mashallah ye toh bohat hi acchi baat hai.
Mahi : aur apko pata hai unho ne mujhe gift bhi diya hai. Ye dekho.
Mahi gift pack nikal kar apni ammi ko dikhati hai. Jise dekh kar khairoon bee ke chahre per ek alag expression ata hai.
Khairoon bee : unhone diya aur tumne leliye mujhe tumne ye ummed nahi thi mahi beta.
Mahi : nahi ammi jaisa aap sonch rahi hai waisa kuch nahi hai.
Khairoon bee : kaisa nahi hai tum itni samhjadar hokar aisa kaam kaise kar sakti ho.
Mahi : ammi pahle aap relax hojaye mai apko sab batati hoon.
Phir mahi apni ammi ko office ki puri baat batati hai jise sunkar khairoon bee kahti hai.
Khairoon bee : hmm toh ye baat hai.
Mahi : haan aur nahi toh kya mai apko waisi ladki lagrahi hoon kisi se bhi kuch bhi lele.
Khairoon bee : mujhe tum per pura bharosa hai tum aisa kuch bhi nahi karogi. Per kya karo maa hoon na fikhar toh lagi hi rahti hai. Bhaley hi maine tujhe janam nahi diya magar apni sagi aulad ki tarha pala hai isi liye mujhe tumahri fikhar lagi rahti hai.
Mahol zara sa sad hogaya tha toh mahi mahol ko halka karne ke liye kahti hai.
Mahi : accha ammi mujhe pata hai aap ko meri hamesha tension rahti hai. Khair ye sab chodiye aiye dekhte hai ke mere boss ne mujhe kiya gift diya hai.
Dono mil kar gift box ko open karte hai toh andar ek cell phone ka box tha jise dekh kar mahi boaht khush hojati hai.
Mahi : wooow mom boss ne mujhe mobile gift kiya hai. Mai bhi pahli salary ane per mobile hi lene wali thi magar boss ko kaise pata chala ki mere paas mobile nahi hai.
Phir mahi ko mall ke baher ka seen yaad ajata hai jab ajju ke sisters mahi se uska number mang rahi thi tab woh kaise nervous hogayi thi. Use samhaj ajata hai ke boss ko pata chal gaya hai ke mere paas mobile nahi hai isi liye unho ne use kaam accha karne ki baat kahkar usko ye mobile phone dediya hai.
Mahi ko khushi hoti hai ke woh ek aisi jagah kaam karrahi hai jaha per employees ko servant nahi apna family member mana jata hai. Ye sonch kar mahi ki ankhon me khushi ke ansu ajate hai jise dekh kar khairoon bee mahi se puchti hai.
Khairoon bee : kya hua beta teri ankhon me ansu kyun agaye.
Mahi : ye khushi ke ansu hai ammi jo mere boss ke iss gift ko dekh kar nikle hai.
Phir mahi apni ammi ko mall ki puri baat batati hai jise sunkar khairoon bee mahi se kahti hai.
Khairoon bee : uper wala us insaan ko humesha khush rakhe jo dusron ki madad bina kisi ko pata chale karta hai. Aye mere maula us isaan ko humesha khush rakhna.
Mahi : ameen.
Phir mahi apni ammi ke sath milkar raat ka khana khati hai aur isha ki namaz padh kar sojati hai.
__________________________________________
Ajju side :
Ajju bhi apni sisters ko unke ghar chodh kar apni didi ke sath ghar ko ata hai. Inke ane tak raat hogayi thi ajju ke dad bhi office se ghar agaye the. Sabhi log milkar dinner karte hai aur apne apne room me sone chale jate hai.
Ajju bhi apne room me akar phale fresh hota hai aur phir apni dairy nikal kar aaj ke din jo bhi usne kiya usme likhta hai. Phir alfisha ki photo nikal kar usse baten karta hai.
Ajju : aaj ka bhi din bina tumahre didar ke guzar gaya. Aaj maine bohat maze kiya magar tumahre baghair har khushi mujhe bemaine lagti hai. Tumhare bina ye zindagi bhi bemaine hai. Mera toh marjane ko ji chahta hai magar jaisr hi khudko kuch karne jata hoon tumahra khayal ajata hai ke jab tumko pata chalega ke main iss duniya me nahi hoon toh tumhe takleef hogi isi liye khud ko rok rakha hoon. Jaldi se wapas ajao ab aur bardasht nahi hota tumhare bina ek pal bhi sadiyon jitna lamba lagta hai. Plese laut auo na mere paas please please please.
Ye sab kahte hue ajju ki ankhon se be inteha ansu nikal rahe the jiski ajju ko zara bhi parwa nahi thi woh bas aise hi alfisha ki photo ko apne seene se lagakar badbadate hue neend ki wadion me khojata hai.
Agey dekhte hai ke ajju kaise apni mohabbat ko dhundta hai.
Mahi aur ajju ki pahli mulakat kaisi hoti hai janne ke liye bane rahe mere sath BE-INTEHA-ISHQ se apka apna MAQ.
Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).
Update kaisa laga comment karke zaroor batana.