Vikram Bhosle
...................
- 1,647
- 3,183
- 159
Ye kya bakaiti hai lekhak kahani ke liye shubhkamnaye de raha hai aur pathika usase kahani ke baare me ray puchh rahi hai. E Naa cholbe ???Kal se revo
Yeh huyi na baat.. aapki yahin toh khoobi hain ki har ek mudde ko darshate hai aap.. I mean to say.. sir romance tak hi lake update ko nahi karte.. khoon kharaba murder badla ko bhi include karte hain .. aur update ke ant mein jis tarah se kuch emotions ko touch dete hai woh sach bemisaal hai...UPDATED 15
Inspector ke maut ki khabar pure shaher me aag ki tarha phail gayi. Har koi apni apni rai de raha
tha. Koi kah raha tha ke ye ek murder hoga kisi ne jaan buj kar usko maar kar uski gadi me ye
sabhi cheezen rakhdi hongi. Toh koi kharaha tha ke isko kisi ne ye kaam karte hue dekh liya hoga
aur ye inspector uska peecha karraha tha hoga peecha karne me hi uska accident hogaya hoga
aur ye wahin per margaya hoga. Khair hazar muh hazar baten.
Iss inspector ka naam shahed tha ye ek imandar officer tha. Iske area me har koi jaanta tha ke
ye kaisa officer hai. Iske area me koi mujrim jurm karne se pahle ye zarur sonch leta ke agar mai
iske hatte chad gaya toh phir gaya kaam se. Jab iss area me iske marne ki khabar pohchi toh
waha ke logon ko bohat dukh hua aur gundon ne toh jashan manaya.
News channels per bhi yahi charcha horaha tha ke akhir inspector shahed ki maut hui kaise ? Kai
news channels ne toh shahed ko drugs dealeron se link bhi jod diya tha aur itna hi nahi uske kai
kaamon per ungliya bhi utha rahe the. Halanke abhi tak na to postmortem ki report ayi thi aur naa
hi aisa koi sabut mila tha jiske chalte news reporters aisa kahe. Magar inko koi kuch kahe bhi toh
kya kahe. Agar koi kuch kahta hai toh apne journalist hona ka faida utha kar ulta usko hi badnam
kardete hai.
Thoda sa peeche chalte hai.
Jis waqt inspector shahed ko jawad ne apne admiyon ki madad se highway per ped se hit kiya
tha uss waqt highway puri tarha se khali tha. Jab jawad apne admiyon ke sath waha se nikla toh
kuch der baad ek truck driver ne shahed ki car ko dekh kar apni truck roki aur car ke khareeb
jakar dekha toh shahed ki halat dekh kar hi woh samhaj gaya ke shahed mar chuka hai. Ab woh
police ko call kare ya na kare isi sonch me tha kyun ke agar call karta hai toh police ke ane tak
usko yahin rukna padega aur phir police ke sawal jawab alag aur uper se marne wala bhi toh ek
police wala hi tha. Yahi sab woh sonchta hai phir sab kuch uper wale per chod kar johoga dekha
jayega yahi sonch kar police ko call laga kar accident ki khabar dedeta hai. Kuch der baad hi
ek police ki jeep akar waha per rukti hai. Ittefaq se ye police wala inspector shahed ki team ka
hi tha. Jab woh shahed ki jeep ko dekhta hai toh ghabra jata hai aur tezi se bhagte hue jeep ke
paas jata hai aur jab shahed ki halat dekhta hai toh uske ankhon se ansu nikal jate hai. Ye bhi ek
inspector hi tha aur uska naam ali tha. Inspector ali ke sath uski team bhi ayi hui thi woh bhi jaldi
se shahed ki jeep ke paas ate hai aur shahed ki halat dekh kar unke bhi ankhon me ansu ajate hai.
Inspector ali wahin per kahde hokar rota hai aur shahed ke paas jane ko hota hai ke uska junior
usko rok kar kahta hai. Junior ka naam abbas tha.
Abbas : sir sambhaliye apne aap ko. Aap hi aisa karenge toh inke family ko kon sambhalega.
Ali : kaise sambhalon apne aap ko ? mai kaise ? ye dekh rahe ho ye mere bade bhai se bhi badkar
hai aur inki halat dekh rahe ho aur tum kahrahe ho sambhalo kaise abbas kaise sambhalon mai
apne aap ko. Jisne bhi ye kiya hai mai usko chorunga nahi.
Abbas : ye mere liye bhi mere idol the sir aap kaisa feel karrahe hai mai samhaj sakta hoon
magar humko ye bhi nahi bhulna chahiye ke hum police wale hai toh hum ko pahle yahan ki janch
karni chahiye aur us truck wale se bhi puchna chahiye ki isne dekha hai ye sab hote hue ya nahi.
Abbas ki baat sunkar ali bhi apne aap ko sambhalta hai.
Ali : tum thik kahrahe ho. Chalo yaha ki chan bin shuru karo aur dekho koi sabut milta hai kya.
Mujhe lagta hai ye murder hi hai kyun ke sir gadi kaise chalate hai ye tumko aur mujhko batane ki
zarurat nahi hai. Mai tab tak us truck wale se baat karta hoon.
Abbas : thik hai sir.
Phir ali us truck wale ke paas jakar usse baat karta hai.
Ali : tumne hi call kiya tha.
Truck driver : ji sahab maine hi kiya tha.
Ali : kaise hua ye accident ?
Truck driver : mujhe nahi pata sahab mai toh yaha se guzar raha tha toh ye jeep ko aisi halath me
dekh kar uske paas gaya toh dekha ke andar ek admi mara pada hai aur woh bhi police wala hai.
Phir maine 100 number per phone karke yaha ke bareme bataya aur uske baad ka toh aap ko
pata hi hai.
Ali uski baat ko sunkar sonch me pad jata hai.
Ali : accha ye batao jab tum yaha per aye toh kisi ko yaha se jate hue ya kuch alag khisam ki
halchal dekhi thi.
Truck driver : nahi sahab maine aisa kuch bhi nahi dekha. Agar aap ki ijazat hoto mai jaun mujhe
ye maal bhi pohchana hai.
Ali : kya hai iss truck me ?
Truck driver : sahab iss me tarkari ( vegetabls) hai.
Ali : hmm thik hai.
Ali truck driver se baat karraha tha ke abbas usko awaz deta hai.
Abbas : sir yaha per aiye hume kuch mila hai.
Ali abbas ke paas jata hai.
Ali : kya hua abbas kya mila hai tumhe.
Abbas : aap khud hi dekh lijiye.
Ali abbas ki baat sunkar jab jeep ke andar dekhta hai toh usko waha per drugs ke packets aur
kuch noton ke bundle dikhayi dete hai jise dekh kar ali ke chahre per chinta ki lakire ajati hai.
Ali : ye sab cheezen dekh kar toh ab mujhe pura yakeen hogaya hai ke ye accident hua nahi balke
murder ko accident ki shakal dene ki koshish ki gayi hai. Ye jisne bhi kiya hai woh bohat hi shatir
hai.
Abbas: haan sir mujhe bhi yahi lagta hai. Ab hume kya karna chahiye ?
Ali : mai bhi wahi sonch raha hoon ke ab kya kare agar ye baat media ko pata chali toh sir ki puri
image kharab hojayegi.
Abbas : haan sir apne sahi kaha isse pahle ke ye baat media ko pata cahle hume isko saaf
kardena chahiye.
Abhi ali kuch kahta waha per media ki kai gadiya ajati hai. Jise dekh kar ali aur abbas ko chinta
hoti hai toh woh apne sath aye hue constable se puchte hai.
Abbas : insab ko yaha kisne bulaya hai. Kya tumne inko khaber ki hai.
Constable : nahi sir maine nahi bulaya inko yaha per.
Abbas : toh inko iski khaber kisne ki.
Ali : ( sonchte hue ) mujhe lagta hai ye kaam bhi ussi ka hai jisne sir ka murder kiya hai. Use pata
tha ke agar koi bhi police wala sir ko is halath me dekhega toh pahle ye sab saaf karega phir
media ko bulayega toh usne sab kuch pahle se hi sonch rakha tha aur mujhe lagta hai ke qatil
yahin kahin hai aur humper nazar rakha hua hai. Isse pahle ke woh yaha se farar hojaye dhundo
unhe dekho bach ke jane na paye.
Ali ki baat sunkar abbas aur constable aas paas talashi lene lagte hai.
Ali bilkul sahi kahraha tha jawad ne hi media ko inspector shahed ki maut ke bareme bataya tha
aur wahin per door kahde ho kar doorbin ( binocular ) se dekh raha tha. Jab usne dekha ke media
waha per agayi hai toh woh bhi waha se apne adde ki taraf nikal jata hai.
Idhar media ne ate hi pahle inspector shahed ki jeep ki aur uski dead body ki video leni shuru
kardi aur phir shuru hua unka sawalon ka daur.
Reporter : aaj yaha per ek inspector ka accident hogaya hai jiske chalte unki maukhe per hi maut
hogayi hai. Aiye yaha per ek aur inspector hai hum unse baat karte hai.
Reporter : ye sab kaise hua kya aap iske bareme humko kuch bata sakte hai.
Ali : dekhiye is waqt mai aap ko kuch bhi nahi bata sakta. Aap logon ko jo bhi puchna hai woh
baad me puchiye abhi lash ka panchnama bhi nahi hua aur ye sab kaise hua iske bareme
postmortem ki report ane ke baad hi pata chal sakta hai toh mai aap sab se request karta hoon
ke yaha per bheed na jama karen aur report me jo kuch bhi hoga aap logon ko uski khabar kardi
jayegi.
Ali ki baat ko sunkar reporter kahta hai.
Reporter : ek sawal aur karna chahta hoon. Ye jo drugs aur noton ke bundal jeep me mile hai uske
bareme aap kuch jante hai kya ?
Ali : maine kahana mujhe iske bareme kuch bhi kahber nahi hai hum toh khud hi pareshan hai
ke humara ek saccha aur imandar officer iss haal me mila hai toh mai aap sab se ek baar aur
request karta hoon ke please hume humara kaam karne dijiye.
Reporter : toh iss inspector ko bhi iske bareme kuch bhi pata nahi hai. Aap logon ko kya lagta hai
ke ye accident hai ya kisi ki gahri sajish. Aap kya sonchte hai uske bareme humari website per
zarur bataye. Cameraman yadav ke sath mai reporter adi dekhte arahiye kaltak.
Phir sabhi reporters apne apne hisab se video lete hai aur usi hisab se uska telecast karte hai.
Idhar abbas aur woh constable highway ke idhar udhar dhundne ki koshish karte hai magar unke
hath kuch nahi lagta toh woh log wapas ali ke paas ajate hai.
Ali : kuch pata chala.
Abbas : nahi sir kuch bhi pata nahi chala.
Constable : haan sir mujhe bhi kuch nazar nahi aya aur koi bhi dur dur tak nahi dikha.
Ali : hmm thik hai qatil bohat shatir hai. Tum log sir ki lash ka pachnama banao aur har cheez
detail me likhna aur haan sir ki jeep me ek gps tracker bhi hai usko bhi nikal har forensic me
bhejo mujhe har cheez ki report jaldi se jaldi chahiye aur kuch logon ko bulalo mai tab tak sir ke
ghar ki taraf jaraha hoon agar koi bhi kuch bhi puche toh acche se handle karna.
Abbas : ok sir mai yaha per sab sambhal longa aap sir ke ghar ko jiaye waha per bhi koi
sambhalne wala nahi hai. Mai dusri team ko yaha madad ke liye bulaleta hoon.
Ali : thik hai phir mai nikal ta hoon.
Ye kahkar ali apni jeep ke paas jata hai jaha per woh truck driver abhi bhi kahada hua tha.
Ali : tumhara bohat bohat shukriya ke tumne hume inki khaber ki agar mujhe tumhari zaruat
padegi toh mai tumhe yaha bulaonga. Waise tum rahne wale kaha ke ho.
Phir truck driver usko apna addresses deta hai aur apna phone number bhi deta hai.
Ali : thik hai ab tum jasakte ho. Ek baar aur shukriya.
Phir truck driver apna truck lekar waha se chala jata hai aur jate jate sonchta hai kitna accha
police wala tha kash humare mulk ka har police wala aisa hota toh koi bhi kisi ki madad karne se
pahle sonchta nahi uper wala usko humesha khush rakhe.
Ali bhi apni jeep me baith kar inspector shahed ke ghar ki taraf nikal jata hai.
Idhar inspector shahed ke ghar per :
Inspector shahed ke family me total 4members hai.
Name : inspector shahed
Age : 30 ek shreef imandar aur ek sachcha desh bhakt. Uska bas ek hi usool hai na toh khud bura
karo aur nahi kisi ko bura karne do. Isi liye usne police force join ki aur apne kartaviye ko bakhubi
nibhaya bhi. Iske iss saqt mijaz aur imandari se kaam karne ki wajha se kai baar transfer hua hai
magar isne uski zara bhi parwa na ki aur apna kaam jari rakha.
Name : zareen.
Age : 28 ye inspector shahed ki wife hai. Ye apne husband se bohat pyar karti hai aur unke kaam
ki bohat izzat karti hai. Inhone kabhi bhi apne husband se inke kaam ko lekar kuch bhi nahi kaha.
Halanke inke transfer ki wajha se inko ghar shift karna padta tha magar woh apne husband ke
har faisle ki izzat karti thi. Ye ek padhi likhi aurat hai. Inki ek 4 saal ki beti bhi hai. Jiska naam
afrah hai. Ye bacchi bohat hi cute hai.
Name : saeeda
Age : 50 ye inspector shahed ki ammi hai. Inke husband ka kuch saal pahle hi beemari ki wajha
se inteqal hua hai. Unke husband ke marne ke baad shahed ne apne ghar ki zimedari bohat hi
acchi tarha se nibhayi hai. Ye apne beta aur bahu se boaht pyar karti hai aur usse bhi ziyada apne
pote ziyan se karti hai. Har waqt ye apne pote ke sath hi rahti hai. Ye aksar shahed se kahti ke
aise kaam math kar jisse log tere dushman hojaye. Magar shahed aksar unhe ek hi jawab deta.
Agar mujhe kuch hona hai toh woh waise bhi hokar hi rahega isi liye mai kisi se nahi darta siwaye
mere khuda ke.( aur haan ye wahi aunty hai jiski wajha se mahi ne ajju ko bura bhala kaha tha
update 6 me ).
Ab agey:
Shahed ki mom apne ghar me tv dekh rahi thi ke channels search karte hue woh ek news channel
dekh kar ruk jati hai jisme shahed ki maut ki khabar dikahyi jarahi thi.
Iss news ko dekh kar unki cheekh nikal jati hai aur woh sofe per hi behosh hojati hai.
Unki cheekh sunkar shahed ki biwi zareen jo kitchen me kaam karrahi thi jaldi se bahar ati hai.
Zareen : kya hua ammi apko aap cheekhi kyun.
Zareen shahed ki ammi ke paas jakar kahti hai magar shahed ki ammi ko jawab na deta hua dekh
kar unko check karti hai toh woh behosh thi. Itne me uski nazar tv per chal rahi news per jati hai
aur woh news dekh kar uski bhi cheekh nikal jati hai aur woh wahin zamin per chakkar khakar
gir jati hai. Ghar ke dono bade log behosh hogaye the. Shahed ki beti bhi ghar per hi thi woh bhi
apni dadi aur apni ammi ki awaz sunkar apne room se bahar ati hai toh dekhti hai uski mummy
aur dadi neeche giri hui thi. Unko aisa dekh kar woh nanha si ladki dar jati hai aur rote hue apni
mummy ko uthane lagti hai.
Afrah : ( rote hue ) mummy utho na mummy aap ko kya hua utho na mummy.
Phir apni dadi ke paas jati hai.
Ziyan : ( rote hue ) dadi utho na dekho mummy uth nahi rahi aap bhi utho na.
Woh ek ek karke dono ko uthane ki koshish karti hai magar dono hi waise ke waise hi behosh
pade they. Woh rote hue phir apni mummy ke paas jati hai.
Afrah : ( rote hue ) mummy uthona dekho mujhe bohat dar lagraha hai. Mummy pelase uthona.
Afrah apni mummy ko zor zor se rote hue utha ti hai. Uske zor se rone se unke ansu zareen ke
chahre per girte hai toh woh dheere dheere hosh me ane lagti hai aur kuch hi der me puri hosh
me ajati hai toh dekhti hai uski beti rote hue use utha rahi thi. Use apne beti ko rote hue dekh kar
yaad ajata hai ke uska shoher ab iss duniya me nahi raha. Woh uth kar apni beti ko gale se laga
leti hai aur khud bhi zor zor se rone lagti hai. Apni mummy ko rota hua dekh kar afrah puchti hai.
Afrah : mummy aap ko kya hua hai. Aap kyun ro rahi ho.
Zareen ko apne beti ki baat ka kya jawab de samhaj nahi araha tha.
Afrah : bataona mummy aap kyun rorahi ho aur aap neeche zameen per kyun sorahi thi. Mai aap
ko aise dekh kar kitna dar gaya tha aur dadi ko kya hua woh bhi nahi uth rahi.
Afrah ki baton ko sunkar zareen ka rona aur badjata hai phir use yaad ata hai ke uski saas bhi
behosh hogayi thi. Zareen apne bate se alag hokar apni saas ke paas jati hao aur unko check
karti hai. Woh abhi bhi behosh thi. Zareen kitchen se pani lakar unke uper dalti hai toh woh hosh
me ati hai aur hosh me ate hi rona shuru kardeti hai.
Saeeda : ( rote hue ) ye mere bete ke sath kya hogaya. Agar iss ghar me maut hi ani thi toh mujhe
ajati mere bete ko kyu agayi ab mai kya karon kaha jaon.
Zareen : ( rote hue ) aisi baten math kariye ammi. Khuda na kare aap ko kuch hojaye please
sambhaliye apne aap ko afrah yahin per hai.
Saeeda : ( rote hue ) kaise sambhalon beta mai apne aap ko. Mera ek lauta beta tha uske sahare
hi toh zinda thi ab mai kiske sahare jiyongi.
Zareen : hum haina ammi please aap shanth hojaiye aap ko pahle se hi bp ki problem hai agar
aap ko bhi kuch hogaya toh humara kya hoga.
Idhar afrah apni mummy aur dadi ki baton ko samhajne ki koshish karti hai magar usko kuch
samhaj nahi ata. ( ata bhi kaise ek chaar saal ki bacchi ke sar se uske baap ka saya jo uth gaya
tha ).
Afrah : dadi apko kya hua aap kyun rorahi ho. Mummy bhi rorahi hai kya hua hai.
Saeeda bhi afrah ke iss masoom sawal ko sunkar rote hue kahti hai.
Saeeda : ( rote hue ) beti tu yateem hogayi hai. Tere sar se baap ka saya uth gaya hai aur meri
goud ujad gayi hai.
Ziyan : mummy ye yateem kya hota hai aur papa ki photo tv per kyun dikha raha hai.
Zareen : ( rote hue ) kuch nahi beta kuch nahi.
Ye log rorahe they ke door bell bajti hai. Afrah jakar door khalti hai. Bahar inspector ali khada hua
tha. Ali ko dekh kar afrah khush hojati aur khush hokar kahti hai.
Afrah : assalamu alaikum ali chacha.
Ali : wa alaikum assalam beta.
Afrah : accha hua chacha aap agye. Aap akele aye hai papa kaha hai ?
Ye kah kar woh door ke bahar idhar udhar dekne lagti hai. Usko aisa karte hue dekh kar ali ke
ankhon me ansu ajate hai. Ali afrah ko apni goud me utha leta hai.
Ali ko samhaj nahi araha tha ke iss nanhi si bacchi ko kya jawab de. Ab usey kaise samjhaye ke
uske papa ab kabhi nahi ayenge. Jiska woh intezar karrahi hai woh boaht dur ja chuke hai.
Ali : ( rote hue ) beta aap ke papa bohat dur ja chuke hai ab woh kabhi nahi ayenge.
Afrah : kyun chacha ? Papa kyun nahi ayenge ? Aur aap ro kyun rahe hai ? Mummy bhi rorahi hai
aur dadi bhi.
Ali ko kuch bhi samhaj nahi araha tha ab kya kahe.
Abhi ali kuch kahta ke utne me zareen door ke paas ajati hai ye dekhne ke liye ke afrah abhi tak
ayi kyun nahi. Ali ko bahar khada dekh kar zareen rote hue use andar ane ko kahti hai. Ali afrah ko
goud me uthaye hue hi ghar ke andar ata hai.
Ali ko dekh kar saeeda ali ke paas jati hai aur rote hue kahti hai.
Saeeda : ( rote hue ) beta ali ye sab kaise hogaya. Kahde ye jo bhi news me dikha raha hai ye sab
jhoot hai kahde beta ye jhoot hai jhoot hai jhoot hai.
Ye kahte hue woh ali ko gale se laga leti hai.
Ali : ( rote hue ) kash ke aisa hota khala mai khud usko apni akhon se dekh kar araha hoon. Mujhe
toh ab bhi yakeen nahi horaha hai ke woh humare beech nahi raha. Mujhe samhaj nahi araha ke ye
sab kaise hogaya.
Saeeda : ( rote hue ) beta mujhe uske paas le chal mujhe apne bete ko dekhna hai.
Ali : ( rote hue ) le chalonga khala abhi uski body ko postmortem ke liye lekar gaye honge. Jaise
hi postmortem hoga mai usko ghar lekar aunga. Aap apne aap ko sambhaliye aap hi aisa karengi
toh bhabhi aur afrah ko kon sambhalega.
Saeeda : ( rote hue ) kaise sambhalon beta kaise ? Mere budhabe ka sahara hi mujhse cheen
gaya hai toh mai kaise sambhalon apne aap ko bolo ? Jiski ankhon ke samne uske jawaan bete
ka janaza jane wala ho woh kaise apne ko sambhale kaise beta kaise.
Ye kahkar saeeda phut phut kar roti hai. Rote rote ek baar aur behosh hojati hai. Ali unko behosh
hua dekh kar ghabrajata hai.
Ali : ( ghabrate hue ) bhabhi dekha khala ko kya hua hai. Lagta hai behosh hogayi hai. Jaldi se
pani lekar auo.
Zareen kitchen me jakar paani lekar ati aur saeeda ke chahre per dalti hai kuch der me saeeda ko
hosh ajata hai toh zareen usko peene ke liye paani deti hai. Pani peene ke baad phir saeeda rone
lagti hai.
Zareen : ( rote hue ) ammi sambhaliye apne aap ko aise me toh aapki tabiyat kharab hojayegi.
Agar aap ko kuch hogaya toh humara kya hoga.
Afrah : kya hua dadi aapko aur ghar me sablog aise kyun rorahe hai.
Ali : kuch nahi beta aap ke dadi ki tabiyat kharab hogayi hai isi liye rorahi hai.
Afrah : toh papa ko bulaiye na woh dadi ko doctor ke paas lekar jayenge.
Afrah ki baat ko sunkar sabhi ka rona aur bhi tez hojata hai.
Phir ali apne junior abbas ko call karke waha ke bareme puchta hai toh usko pata chata hai ke
shahed ki body ko postmortem ke liye lejaya gaya hai. Ali usse hospital ka address lekar phone
rakh deta hai. Phir ali sabko lekar hospital pohanch jata hai.
Hospital pohach kar ali accident spot ki puri detail leta hai aur postmortem ki jagha per chala
jata hai abhi bhi postmortem chalraha tha. Ali jakar postmortem karne wale doctor se baat karta
hai.
Ali : toh doctor sahab kya lagta hai ye accident hai ya murder ?
Doctor : hmm ye ek murder hai.
Ali : mujhe pata tha ye ek murder hi hai. Aap mujhe details me bataiye.
Doctor : ye dekho iss ki body per jagha jagha per chot lagne ke nishan aisa lagta hai marne se
pahle isko kai logon ne bohat hi buri tarha se mara hai.
Ali : kai logon ne matlab mai samjha nahi ?
Doctor : ye dekho ye jo chot lagne ke nishan hai na is ko gaur se dekho tumhe khud samhaj
ajayega ke ye nishan ek admi ke marne ke nahi hai.
Doctor ali ko shahed ke body per lage nishaon ko dikhata hai jise ali gaur se dekhta hai.
Ali : haan lagta hai jaise use neeche gira kar bohat se logon ne mara hai.
Doctor : exactly aisa hi hua hoga pahle unhi ne ise rassiyon se bandha hoga. Ye dekho iske haton
per nishan.
Doctor ki baat sunkar ali shahed ke haton ki kalaiyon ko dekhta hai jaha per abhi bhi lal aur kuch
ghisa hua nishan nazar ata hai.
Ali : haan doctor sahab ye rassi se bandh ne ke hi nishan hai.
Doctor : haan ye nishan use ke hai. Jab usko khola gaya hoga toh us waqt woh zameen per gira
hua tha. Usi waqt jisne bhi isko mara hai us ne iski ye halat ki hai phir iska apne haton se gala
ghont kar mardiya hoga. Ye dekho iske gale per bhi ungliyon ke nishan hai.
Doctor ali ko shahed ke gale ke paas ke nishan dikhata hai jaha per uske gale ke paas ungliyon
ke lal nishan bane hue the. jise dekh kar shahed ke ankhon me ansu ajate hai.
Doctor ali ke ankhon me ansu dekh kar kahta hai.
Doctor : tumhe apne aap ko sambhalna hoga. Aise me toh tum qatil ko dhund nahi payoge. Jisne
bhi ye kiya hai usko uske anjaam tak zarur pohchana hoga.
Ali rote hue ) kitni takleef se guzra hoga mera dost. Jisne bhi ye kiya hai mai use choduga nahi
kahi se bhi dhund nikalonga chahe iske liye mujhe kuch bhi kyun na karna pade.
Doctor : tumhe josh se nahi hosh se kaam lena hoga ali. Mujhe lagta hai qatil jo bhi hai woh bohat
shatir hai aur bohat paise wala bhi. Kyunki ek inspector ko marna koi chota kaam nahi hai. Aisa
kaam koi bada paise wala hi karsakta hai aur shahed jaise police wale ke uper hath dalna matlab
zarur uske paas bohat hi power hai. Usne shahed ko badnaam karne ke liye drugs aur paison ka
istemal kiya hai toh woh koi mamuli insaan toh nahi hoga jo bhi karna sonch samhaj ke karna
baqi tum khud samhajdar ho.
Ali : ji doctor sahab aap ne sahi kaha qatil bohat shatir hai usne boaht sonch samhaj kar shahed
ka qatal kiya hai aur uske baad usne murder ko accident banane ki koshish ki itna hi nahi usne
shahed ki image ko kharab karne ke liye media ko bhi khabar kardi thi magar qatil ye bhool jata
hai ke qatil kitna bhi shatir kyun na ho kuch na kuch toh sabut chod hi jata hai.
Doctor : hmm ye baat toh hai. Khair tum shahed ki body ko lejasakte ho.
Ali : theek hai doctor aur shukriya bhi ke apki wajha se mujhe bohat kuch pata chala.
Doctor : isme shukriya ki koi baat nahi. Yahi toh mera kaam hai. Aur shukriya kahna hi hai toh
pahle shahed ke qatil ko dhundo phir mai khud tumhe shukriya kahonga. Shahed jaise log bohat
kam hote hai inke jaise log agar department me honge toh ye system hi badal jayega.
Ali : theek kaha sir apne shahed sir ke jaise logon ki humare department ko bohat zarurat hai
magar kya kare aise log dusron ki nazar me boaht khatakte hai. Anyway ab mai chalta hoon
shahed ke ghar wale baher khade hai unko bhi sambhalna hai.
Ye kahkar ali bahar chala jata hai aur kuch der baad shahed ki ammi biwi aur beti ko lekar
morgue me jata hai.
Waha per jakar shahed ki ammi apne bete ki dead body ko dekh kar apne aap ko sambhal nahi
pati aur behosh hojati hai jinge ali sambhalta hai aur zareen apne husband ko dekh kar usse lipat
jati hai aur zor zor se rone lagti hai.
Unko rote hue dekh kar ali ke bhi ankhon me ansu ajate hai. Afrah bhi apne papa ko dekh kar
uske paas jati hai.
Afrah : papa aap ko kya hua hai aap yaha per kyun so rahe ho uthye na dekho mummy bhi rorahi
hai aur dadi ki bhi tabiyat kharab hogayi hai unko bhi doctor ko dikhana hai. Chalo na papa ghar
chalo.
Afrah ki baat sukar zareen aur zor zor se rone lagti hai aur afrah ko apne gale se laga leti hai. Ali
bhi saeeda ke uper pani dal kar unko hosh me lata hai. Hosh me ane ke baad saeeda bhi apne
bete ki lash se lipat kar roti hai. Phir ali kuch ward boy ki madad se shahed ki dead body ko uske
ghar lekar jata hai. Raste tamam zareen aur saeeda rote rahte hai.
Shahed ke ghar ke paas zareen ke family wale aur kuch mohalle ke log sab kuch intezam karke
rakhe the akhri rusumat ( rituals ) ka.
Phir sabhi log milkar shahed ko uske akhri rusumat ada karke humesha ke liye alvida kahdete
hai.
Idhar mahi aur ajju bhi roz ki tarha apne ghar se office jate hai aur office se ghar aur dono me
kuch khas nahi hota.
Aaj ke liye itna hi.
Agey janne ke liye bane rahe BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.
Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).
update kaisa laga comment karke zarur batana.
Kahani mein kaafi mod aaye joh kahani ko dilchasp banaye huye hai... ek achhe writer ke gun, lakshan yeh ki kahani ki jariye, kahani ke kirdaaro ke jariye kahani ke naam ko sarthak kar de.... jisme aap pure tarike se kamyab rahe...
Really badhte update ke sath sath kahani aur bhi zyada interesting hoti jaa rahin hai...
Har ek pehlu ko aapne dhyan dete huye kahani ko aage badha rahe hai..
romance ke sath sath thrill aur suspense ki bhi anokhi sangam hai kahani mein ... kuch cheejo se shayad dhire dhire raaz ka parda hatenge... aur kuch kirdaaro ki asli roop bhi samne aa rahe hai.. toh kayi naye kirdaar bhi dekhne ko mil rahi hai... joh apni bhumika sathik roop se nibha rahe hai kahani ki har ek pehlu mein....
yeh bhi ek sach hai ki aapki is kahani mein har ek kirdaar ki mahattva purn hai.. I mean to say ek kirdaar bhi hata diya jaye toh kahani adhuri hai...
Hum hamesha hero heroine pe hi zyada dhyaan Kendrit karte hain... lekin yeh yaad rakhna chahiye ki baaki kirdaaro bin mul kirdaar kuch bhi nahin.... aur aap kahani mein sabhi kirdaaro ke sath ek justify karte hain... Isliye aapki yeh kahani meri favorites kahaniyo mein se ek ho gayi hai....
aise hi likhte rahiye aur humari manoranjan karte rahiye
Brilliant update with awesome writing skills Maq ji