• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BEAUTY AND THE BEAST 2 (COMPLETED)

RAAZ

Well-Known Member
2,295
6,197
158
Bhai aaj shuru Kari aapki story so actually badla ka 3rd sequel hain yah. Accha lagega ki badla family phir se ek baar Humarey sath hogi. Magar bhai Ajnabee ko mat bhool jayega.

car tezi se apne manzil ki aur ja rahi thi

"kya baat hai didi aap yahan kyun le aayi" komal boli

"rakshabandhan yaad hai na" Sharon ne yaad dilaya

"Haan lekin ab koun bach gaya" komal ne fir poocha

"hai ek shishya mere pati parmeshwar ka" Sharon ne natkiya andaz me kaha

Aur komal khilkhilakar has padi

"hmm to uske ghar kyun nahi ja rahe hai??" komal ne poocha

"kyunki us mahan insan ko in sab me koi dilchaspi nahi hai" Sharon boli

"strange, Yash bhi to aisa hi tha shayad" komal ne kaad karte hue kaha

"nahi komal yash itna insensitive nahi tha" Sharon boli

"oh" komal soch me pad gayi
Yash ke Saath kab Shaadi hui, kab pyaar hua pata hi nahi chala. Kaafi insensitive tha yash lekin Shaadi ke baad dheere dheere poora badal gaya tha

"lekin jo Insaan apna school khatam karte hi mental hospital...." Sharon ke itna bolte hi car ruk gayi

"madam we're at the destination" driver bola

Sharon aur komal ne building dekha, kambakht poore ka poora dhruv ke building ki copy hai ye building

Ander aate hi staffs poore josh se kaam karte hue dikhe. Kisi ke chehre par koi smile nahi koi khushi nahi

Appointment nahi liya tha Sharon ne isliye dono lobby me baithe hue the

"kya work culture hai yaar"

"sahi kaha I'm gonna resign"

"lekin iski jaise koi dosari company salary degi bhi nahi"

"to kya salary ke liye Jaan de de?"

"kab kise nikal deta hai kab kise demote karta hai kab kise sunata hai bhagwan Jaane"

Komal staffs ke beech ki Saari baatein sun rahi thi

Tabhi ek Gaadi unke Saamne ruki aur Saath me Saare staffs me afra tafri mach gayi

Driver ne kaampte hue haathon se car ka darwaza khola

"you are 3 minutes late Mr Brian, next time if it happens I'll have to recruit a new driver" bol wo shaks ne apna briefcase uthaya aur pocket se mobile nikalkar message padhne laga

Fir tezi se building me dakhil hua

"good morning sir" receptionist ne smile ke Saath wish kiya. Lekin is wish me darr zyada tha aur khushi kam

US shaks ne koi jawab nahi diya aur aage nikal gaya

Charo aur staffs use wish karte rahe lekin wo shaks seedha lobby me gaya aur Sharon aur komal ko dekhte hi unke Paas gaya

"ranvijay bhaiyya" Sharon muskurate hue us shaks ke Saamne gayi to us shaks ne Sharon ko wahi rok liya

"sorry aap logo ko wait karna pada" us shaks ne bola aur fir sabhi office me chale gaye

Komal Sharon dono ne ranvijay ke kalai me rakhi baandhi

"aap logo ka gift mai aap logo ke ghar bhej chuka hoon. Ab mujhe airport ke liye late ho raha hai" bol kuch sune bina hi ranvijay wahan se chala gaya

"ye kaisa Insaan hai Sharon didi. Iske liye hum yahan aaye the" halki si hairaani aur halka sa gussa tha komal ki awaz me

Sharon kuch nahi boli bas ranvijay ko jaate hue dekhne lagi

"chal chalte hai, aaj ek achi si Indian restaurant try karte hai" bol Sharon ne komal ka haath pakad kar kheenchte hue use building ke bahar le gayi
 

RAAZ

Well-Known Member
2,295
6,197
158
To kia Ashmita hai is story ki beauty magar yah kia uske sath uska ek ateet bhi hain. Aur yah ranvijay kuch zada hi attitude me lag raha hain aur aisay do log hotay hai ya to seray se hevan ya phir woh jo bohat acche Hotey he magar waqt Maar Marr ke unko aisa banne pe majboor kar detay hain.
Aur Woh dikhane ke liye apne upar rudeness ka mokotha pehan letay hain.

Ab yah mahashay kon se category kai. Hai yah to is safar pe chalne se pata chalega.


Ranvijay ki car jaise hi bungalow ke Paas aakar ruki to driver ne darwaza khola aur tezi ke saath ranvijay Ander gaya

"papa kahan hai brijesh chacha" ranvijay ne poocha

"garden me hai beta, unke liye koi nurse mili??" brijesh chacha kareeb 65 saal ke the lekin is ghar me unse bada shubhchintak shayad hi koi tha

"nahi, mai nikal raha hoon flight ka time ho raha hai. Keh dena unse" ranvijay wapas jaate hue bola

"tum Miloge nahi??" brijesh ne poocha

Jawab me ranvijay tezi se wapas car ki taraf badh raha tha

"vijay ne tumhe ek baar milne ko kaha hai" bol brijesh wapas garden me chala gaya

Ranvijay ne tezi se seediyam chadkar apne bhai ke room me dakhil hua

"bulaya tha??" ranvijay ne poocha

"jay ko bhi Saath le jao, uska admission karwa dena aur..." vijay ne bas itna bola

"Maine kisi ka theka nahi le rakha hai, is duniya me sab khud apne pairon me khade hote hai, use admission chahiye?? Khud jaakar admission le lega" ranvijay bola


"apne bade bhai se kaise baat karna hai ye bhi kya dhruv ne sikhaya??" vijay ne poocha

Ranvijay chup raha aur apne mobile me mails check karne laga

"yani apne chote bhai ke liye bhi time nahi hai tumhare liye" vinay ki aankhen surkh hoti chali gayi

"nahi, mujhe late ho raha hai. Bye bhaiyya" vijay ka response ya uski aur dekhe bina ranvijay airport ki aur chal pada
----------------------------------------------------------------------
Vijay apne khayalon me khoya hua tha ki achanak darwaze par kisi ne knock kiya

"aao jay, ab is ghar me kabhi darwaza knock karne ki zaroorat nahi hai" ek lambi Saans lene ke baad bola vijay

"bhaiyya kya hua?? Baat hui ranvijay bhai se??" jay ne poocha

"tumhe kya lagta hai??" vijay ne poocha

"mujhe pata hai kya hua hoga, khair mai chalun bhaiyya?flight kal hai, bohut packing karni hai" jay ne poocha to vijay ne Haan me sar hilaya

Jay kamre se nikal gaya.saath me vijay bhi ready ho gaya office Jaane ke liye.
Ye ghar ab Rehne ke layak nahi rahi
Saara din ghar me ek ajeeb sa sannata chaya rehta hai

Kisi ko kisi se koi matlab nahi. Papa ko to jaise ghar se Nafrat si ho gayi hai
Poora din wheelchair me baith kar garden me rehte hai
Kisi Se zyada baatein nahi.

Ye ghar nahi shamshaan ghaat zyada lag raha hai, sab kuch sirf ek wajah se
Wo aurat....

Jo is ghar ko chor kar India chali gayi jise is duniya me maa kaha Jaata hai

Vijay ne gusse se apni. Muthhi bheench li

----------------------------------------------------------------------
Mrs sarita aaj apne kursi ko bade pyaar se dekh rahi thi

Kuch hi dino me ye kursi kisi aur ki ho jayegi
Chalo kuch to acha ho raha hai

Vardhan group is choti si company ko khareed raha hai jo unki gale ki haddi bani hui thi

"madam??" ek awaz ne mrs sarita ke chehre par smile se bhar diya

"ashmita??" mrs sarita muskurate hue peeche mud gayi

"madam abhi bhi time hai, kisi aur group ke Paas approach karte hai, koi to is crisis se koi na koi to nikal dega" ashmita boli

"beta sach bataun to tu apna career kharab kar rahi hai, tujhe kitne Saare ache ache offers a rahe hai aur tu hai ki is doobti naiyya par apna paanv rakhe hue hai" mrs sarita boli

"kyunki mujhe kisi ne tab offer nahi diya tha jab mai ek bin Baap ke bete ko apne kokh me janm dekar is duniya ne le aayi, kisi ne tab offer nahi diya tha jab mai dar dar ki thokar khaoar naukri par naukri khoti rahi, kisi ne tab offer nahi diya tha jab mai ek Fresher thi"ashmita bol uthi

"acha wo sab Rehne de, chal ek cup chai pee lete hai pehle" mrs sarita boli

"kamal hai madam is tense situation me bhi aap chai ki baat kar rahi hai" ashmita hairan hokar boli

"uff tu chalegi??" dhamki hi de daala mrs sarita ne
Fir ashmita chal padi Mrs sarita ke saath
 
  • Like
Reactions: Black water

RAAZ

Well-Known Member
2,295
6,197
158
Arey baap re yah jhansi ki raani kaun hai. Lag to yahi rahi hai heroine but phir ameesha kaun hain. Badia lag rahi. Hain story.
Ranvijay airport se nikalte hi use ek hoarding dikhai diya

"welcome to India Mr ranvijay vardhan"

Padhkar ranvijay seedha wahan gaya aur waise hi log usse milne lage aur hand shake karne lage

"kab tak pohunchenge factory" apni ghadi dekhte hue ranvijay ne poocha

"sir, aap tired ho gaye honge. Pehle hotel me rest karna chahenge??" ashwin ne poocha
Ashwin mathur jo vardhan group me hi kaam karta tha
Lekin use kuch mahine pehle yahan ki dekh rekh ke liye bheja gaya tha

"no ashwin, i want to see the factory right now" ranvijay bola

Ashwin ke Paas aur koi raasta nahi tha. Isliye usne driver ko isharo me factory ki aur chalne ko kaha

Gaadiyon ka kaafila seedha anandpur ki aur chal pada

"I think we are running late,Mr ashwin please thoda tez" bol ranvijay mobile me busy ho gaya

Tabhi achanak...

KREEEEEEEEEEEEENNNCHHHHHHHH

DHARRDDDDDDDDDD
----------------------------------------------------------------------
"aur kheer doon??" ranjana wahan par rakhi hui kheer ki aur badhne lagi

"bas bas maa, poori life ka quota aaj hi khatam karogi kya??" payal apna pet pakadte hue boli

"acha wo sab chod mai tujhse ek important baat karna chahti hoon" ranjana boli

Payal ne apni dadi ki aur dekha
Wahi ghisa pita raag
Shaadi sabki ho rahi hai..... Tu Shaadi khun nahi kar leti..... Hamare family me sirf tu hi kunwari hai
Wagairah wagairah

KNOCK KNOCK

Ranjana ki baaton me break lag gaya. Koi darwaza khatkhatane laga

Ranjana ne darwaza khola

"payal di payal di, Ali chacha....." ek naujwaan haamfte hue bola

Payal ne apni aankhon se poocha us naujwaan ko to wo Sirf ishare me raaste ki aur dikhata gaya

"please" naujwaan bola

"nahi jayegi payal kahin bhi, Baaki aur koi nahi hai poore shahar. Me samaj sevika?? har problem me meri bachi hi milti hai tum logo ko?? " ranjana gusse se fat padi us naujwaan ki aur

Wo ladka chupchap sar jhukaye khada raha ki tabhi

"chal, jaldi chal" payal boli aur apne scooty ki chaabi lekar nikal gayi

"he bhagwan ye ladki.... Payal ruk ja... Tune khana tak nahi khaya.... Uff ye Pagal ladki.." ranjana chillati rahi
Lekin uska sunne wala. Koi na tha
Dadi sab dekh rahi thi, usne baithe hue bas bhagwan ki moorti ki aur dekhkar apni aankhen band kar li

Scooty payal ne jahan khadi ki wahan kaafi bheed thi
Thode bohut chillane aur ladne ki awazein a rahi thi

Payan ne dekha ki ek buzurg apne ek palti hui thele ke Paas baitha hua hai aur uske ghutne cheel gaye hai

"Ali chacha??" payal ne apna helmet utarte hue us buzurg ke Paas jaate hue uske kandhe par haath rakhkar kaha

"are?? Payal beta?? Dekh mai tere ghar ke Paas hi a raha tha, tujhe aam pasand hai na?? Mai tere paas ye aam lene a raha tha. Lekin.." apne ujde hue thele ko dekhkar buzurg ki aankhen chalak uthi

Yahi to uski rozi roti thi

"aap fikr na kare chacha, mai sab thik kar doongi. Pehle Aap Ka ye zakhm par dressing lagani zaroori hai, chotu?? Chacha ko apne auto me lekar dressing karwa la" payal ne hukm diya

"lekin doctor...." chotu apna sar khujate hue bola

"Keh dena payal didi ne bheja hai" payal ke bolte hi chotu turant vridh ko sahara dekar auto ke Paas le chala

"allah tujh jaisi beti sabko de beta" halke se badbadakar vridh chotu ke saath chala gaya

Payal ab us bheed ke Paas gayi jahan ladai chal rahi thi

"kya ho raha hai" bolte hi wahan ke ladke chup ho gaye

"payal didi ye wahi kaafila hai jisne Ali chacha ka accident kiya" ek ladka bola

"wah?? Aur tum wahi accident me ghayal hue chacha ko hospital me dikhane ki bajay yahan lad rahe ho, great" taaliyan bajakar payal boli to wo ladka apni nazrein jhuka kar chup ho gaya

"dekho ladki we are ready to compensate, 20, 000 lo aur raasta chod do" ashwin bola

"20,000 se un vridh ke aansuon ka hisab kar rahe hai aap?? Unki Saara mehnat, ek aas, ek jazba jo roz wo karte hai usko khareedne chale hai aap??" payal boli

"dekho ladki..." ashwin ke bolte hi audi ka darwaza khula aur ranvijay bahar nikal kar aaya

"kitni der lagti hai ek mamooli si problem ko solve karne ke liye??" ranvijay bola

"oh, to ek se hua nahi to doosra a gaya" payal ke bolte hi sab zor zor se hasne lage

Ranvijay ne payal ki aur dekha, peele rang ki salwar kameez, ek mamooli ladki, na koi personality na koi presence. Total zero

"dekhiye miss hame ache se pata hai ki India me kya hota hai, kaise logo ko scam kiya Jaata Hai. Bas Gaadi ke Saamne a jao aur takrane ki acting karo aur fir usse paise aintho" ranvijay bola

"wtf?? Who the hell are you aur aisa kaise Keh sakte ho India ke baare me, Saare jahan se acha Hindustan hamara. Kyun iqbal" payal boli aur iqbal naam ke ladke ne zor se seenti maari
Fir se sab zor zor se hasne lage

Uncultured, uneducated, jaahil, gawar. Is do kaudi ki ladki ki to.....
Ranvijay ka paara Chadne laga

Ashwin ne ye notice kiya to fauran ranvijay ke Paas aaya

"sir.. Sir... Aap kyun aaye yahan par hum try kar rahe hai. Jald se jald solve kar lenge" ashwin bola

"haan Haan le jao, warna log kahenge ki India ke dhoop ne maar dala. Inhe" payal boli fir se thahakon ki goonj cha gayi

"hey you bloody cheap girl, who the hell do you think you are. Tumhe andaza nahi hai tum. Kisse ulajh rahi ho, is jaise ghatiya shahar me mai paanv bhi nahi rakhta agar zaroori nahi hoti" ranvijay ka BP high ho raha tha
Dawai abhi ke agar na liya to pata nahi kya karega wo

"oye payal didi hamare shahar ki shaan hai, unke baare me kuch nahi sunenge hum" ek aadmi bol utha

"aur nahi to kya, aap log aise dekh kya rahe ho in logo ka muh kaala karke inhe bhej do" ek aurat boli aur baakiyon ne iska samarthan kiya. Dheere dheere public ka gussa badne laga

"wo sab ki zaroorat nahi hai, maaro saalon ko payal didi je baare me ye sab bolne ki sochi kaise isne"

Ashwin samajh raha tha ki maamla ulajhta hi ja raha hai, agar jald kuch nahi kiya gaya to kahar barsegi unpar

"ek minute ek minute, mere baare me jo bola so bola is shahar ke baare me kya kaha aapne??" payal ne vyang bhare labz me yaad dilane ki koshish ki

"ghatiya shahar bola tha didi."iqbal ne yaad dilaya

"sonu... John." payal ke ishara karte hi unke gaadiyon ke Paas jaakar kuch ladkon ne unke tyres ki hawa nikalna shuru kar diya

Ashwin kuch nahi kar pa raha tha, unke Paas log hai. Lekin poora shahar is ladki ke taal ke naach raha hai. Poore shahar se bhidne ke liye log kaafi nahi hai

" ab dekho ye shahar kaise ghatiya bankar dikhati hai" payal boli aur ranvijay ke aankhon me aankhen daalkar dekhne lagi
 
  • Like
Reactions: Black water

RAAZ

Well-Known Member
2,295
6,197
158
Oye dhasu mast lag rahi. Hai starting to story ab dekhtay hai yah jugal bandi ho. Paati hai ya nahi aur agar hoti hai to shayad 3rd world War hogi woh in logo ke beech me har waqt ek doosre pe firing aur kuch nahi. Lekin yah jay ko sasta sa makan kyu chahiye jabki woh to ek tycoon ka bhai hain.



"waise aap kisi ko jaanti hai jiske Paas kam paise me room rent par milta ho??" jay ne poocha us ladki se

Room rent?? Kam paiso me??

Tabhi use phone aata hai aur wo shivraj ka call tha

"sun, us ladke ko bhul ja. Wo hamare kisi kaam ka nahi.tujhe jo 40,000 advance diya tha wo rakh le."itna hi shivraj bola aur phone Kaat diya

Chalo Jaan chuti

" aap ne bataya nahi?? Koi room hai jo rent par mile?? "jay ne fir poocha

Ladka peeche hi pad gaya, taalna padega ise

"well dekho mere Paas aisa koi ghar kiraye me nahi hai, lekin jaise hi pata chalega. Bata dungi, mai khud room khoj rahi hoon" ladki boli

"koi baat nahi, lekin aapka number de dijiye, agar mujhe room mile mai aapko inform kar doonga" jai bola sur muskurate hue chala gaya

Ajeeb ladka hai peeche hi pad gaya
Ladki muskurai, lekin fir achanak kuch yaad aaya
Sab ladke ek jaise hote hai. Yahi sochkar ladki apne raaste chali gayi
-----------------------------------------—--------------------------
"wah aunty maza a gaya" payal apni ungliyan chat kar boli

"kuch to tameez seekh le payal, beta kal ko shaadi hogi to sasural wale kya kahenge??" ranjana boli

"uff maa tum bhi??ek minute call a raha hai" payal boli aur usne phone par kuch baatein ki

"maa, mujhe jana hoga. Kuch kaam hai urgently Jaana Hai, aunty sorry ruk nahi sakti. Bye" bol payal chali gayi

"mujhe bhi shayad payal ke saath jana chahiye behenji" ranjana boli

"rukiye behenji, ek baat karni thi aapse" mrs sarita boli

"haan boliye na??" ranjana boli

"wo baat...... Kya aap payal ke liye koi rishta dekh rahi hai??" Mrs sarita ne poocha

"Haan behenji, lekin acha ghar kahan milta hai Aajkal, uski shaadi ho jaaye to mai sukun ki zindagi jee sakti hoon" ranjana dukhi hokar boli

"waise ek ladka hai meri nazar me, agar aap chahe to baat aage badh sakti hai" mrs sarita boli

"koun behenji??" ranjana ne poocha

"mera beta ranjana ji" mrs sarita boli

"kya baat kar rahi hai behenji, kahan aap kahan hum jaise mamooli log nahi nahi ye kaise mumkin hai" ranjana boli

"mujhe sirf aapki beti chahiye, lekin usse pehle aapko bhi hak hai hamare baare me janne ka" mrs sariya boli

Aur sab kuch batati chali gayi past ke baare me

"ab boliye, kya aap abhi mere bete se aapke beti ki shaadi karwayenge??" Mrs sarita boli

Ranjana chup thi, use pata tha ki isse acha rishta poore shahar to kya poori duniya me dhoonde se nahi milega lekin...

"koi jald baazi nahi hai behenji soch kar bataiye" mrs sarita boli

"lekin kya aapka beta rishte ke liye maanega??" ranjana ne poocha

"mujhe pata hai use kaise manana hai, lekin payal ko kya ye rishta manzoor hoga??" Mrs sarita ne poocha

"usse kaise manwana hai mujhe pata hai" ranjana boli

"to fir tay raha" mrs sarita muskurahate hye boli

"acha ab mai chalti hoon behenji,apka number to mere Paas hi hai, aur mera number aapke paas hai, baatein hoti rahengi" bol ranjana chali gayi

"sorry beta, aur koi raasta nahi hai" mrs sarita kdud se bolkar ek number par call karne lagi
 
  • Like
Reactions: Black water

RAAZ

Well-Known Member
2,295
6,197
158
Miss Shrivastava jo jalana chah rahi ho payal ko lekin shayad 3 din baad chutiya aap logo ka Katega jab payal n ranvijay ki jodi dekhnay ko milegi.


"WHAT?? ARE YOU OUT OF YOUR MIND??" ranvijay apni seat se uthkar chillaya

"yes or no??" Mrs sarita ki awaz shaant thi ranvijay ke chillana ke bawjood

"YOU...." ranvijay ne ek Nafrat bhari nazar daali apni maa par

"aise dekhne se mera faisla nahi badlega ranvijay" Mrs sarita boli

"I refuse" ranvijay bola

"to thik hai, mai 3 din ke baad shaam ko hi ye factory aur ye poori property Mr shivraj ko sell karungi" Mrs sarita boli

"I'll double whatever he pays" ranvijay bola

"I don't care, ya mera proposal Maan lo ya fir sab kuch shivraj ki aur jaate dekho" boli mrs sarita

"why are you doing this??" ranvijay ne poocha

"meri marzi Mr ranvijay, I'm trying to be a successful as you are" Mrs sarita boli

Ranvijay chup raha kaise hi.... Kaise bhi karke rokna hoga ye deal shivraj aur mrs sarita ke beech

"72 hrs hai tumhare Paas" Mrs sarita boli

"thik hai aapne us ladki ya uske family se baat ki??" ranvijay bola

"ladki ko manao tum, wo tum jaani kaise karna hai"mrs sarita boli

" what the hell, ye kya baat hui?? "ranvijay fir bola

" wo mujhe nahi pata, I'm getting late. Jaana chahiye mujhe "bol Mrs sarita uthkar chali gayi

Ranvijay ko phone kar mrs sarita ne bulaya tha meeting ke liye
Aur meeting me hi ranvijay ko apna faisla suna diya

" sorry beta iske alawa aur koi raasta nahi hai tujhe jaanwar se insan banane ka"khud hi man me sochti hui mrs sarita conference hall se bahar nikal gayi

72 hrs, itne kam Waqt par u
Yahi ladki mi thi Mrs sarita ko?? Damn
Apne Saath hue haadso ke baare me bataya nahi tha ranvijay ne
Darr tha kahi uski izzat ka faluda na nikal jaaye

Mrs sarita ja chuki thi, Waqt bilkul nahi tha
Jo karna tha jald se jald karna tha
----------------------------------------------------------------------
Girish chaturvedi apne garden me baithe hue paper padh rahe the

"sahab aapki bhanji aayi hai" ek naukar ne aakar bola

"koun?? Payal??" girish ne poocha to naukar ne Haan me sar hilaya

"uff wo ladki apni wo manhoos paanv fir is ghar par rakhegi" girish ne apni aankhen band karte hue kaha

"sahab kya kare??" naukar be poocha

"aane do, agli baar kuch bhi karke taal denge" Mr girish bole.

Payal ghar me ghus te hue ek chashma pehne hue ladka wheelchair se muskurate hue uske Paas aaya

"payal did" ladka payal ke Paas aakar bola

"are Baap re mera bhai kitna handsome lag rha hai" payal boli

"kyun jhoot bol rahi ho didi, itna apmana sehne je baad bhi sirf mera dil rakhne je liye a jaati ho aur in janwaro se gaaliyaan sunti ho" ladka bola

"shubham kitni baar bola hai, apne se badi ke baare me aise nahi bolte," payal ne shubham se kaha

Shubham has pada, payal ki aadat Bachpan se jaanta tha
Kuch bhi ho jaaye lekin apne sage sambandhiyon ko kuch nahi kahegi na unke baare me bura subegi

Waise aapko mamaji ne bataya ki sumedha didi ki shaadi ho rahi hai harshit ke saath

Payal chup rahi, harshit ke Naam ne uske seene me chupa Dard bahar a gaya

"ab tum is ghar me kam aaogi to acha hoga payal" ye payal ke maa I ki awaz thi

"maa payal didi ko maine bulaya tha" shubham bola

"to?? Ab tu faisla karega koun is ghar me honi chahiye koun nahi??" Mrs Shrivastav boli

"mai ja rahi hoon maami" payal Jaane je liye mudi

"waise payal teen din baad harshit ke Saath sagai hai sumedha ki, ranjana ko to bol diya socha tujhe bol doon" Mrs Shrivastav boli

Payal sar jhukakar ek baar shubham. Ki aur ek fiki muskaan dekar chali gayi

Shubham ne payal ki aankhon me Dard dekha. Lekin wo isme kuch nahi kar sakta tha
Wo bhi apna wheelchair ke saath apne kamre me chala gaya
 
  • Like
Reactions: Black water

Rahul

Kingkong
60,514
70,676
354
wonderfull update bhai ji
 
  • Like
Reactions: Black water

Swaraj

Well-Known Member
6,740
25,052
219
Payal par sabhi kataksh kar rahe the
Sab ke sab. Sirf shubham hi tha jo payal ko aise nahi dekh sakta tha

"didi please aap yahan se chale jaiyye aur kitni zillat sehni padegi aapko??" shubham apna wheelchair aage lata hua bola

"nahi shubham aaj mai bhi dekhna chahti hoon mere bhagya me aur kina sehna likha hai" payal ne shubham ke gaal par ek thaki dekar bola aur engagement ceremony ki aur badh gayi

"lekin..." shubham sirf bolta reh gaya

"are tune aise logo ko kyun invite kiya hai sumedha?? Dekh kaise kapde pehen kar aaye hai" ek saheli boli

"koi baat nahi yaar hamare rishtedaro me se ek hai unfortunately, kya kare. Upar se maine iske bf ko apna bana liya hai.isliye socha invite karke khila doon" sumedha ke bolte hi sab hasne lage

Mummy thik Keh rahi thi nahi Jaane ke liye is engagement me lekin apne aap ko rok na paai payal.kya ye sab sunne aayi thi???

"ruko abhi Mr ranvijay ko aana hai, unke aane ke baad hi engagement ki rasm poori hogi" Mr girish bole

Ranvijay yani wo ranvijay??? Nahi nahi ab yahan aur rehna thik nahi
Payal wahan se nikal hi rahi thi ki e
Koi 5 - 6 logon ke saath ranvijay aata dikhai diya

"wow kitna handsome hai yaar"

"uff bachelor hua to yahi propose karne wali hoon ise"

"kamal ki personality hai yaar"

Ladkiyon ki dil ki dhadkano ko nazar andaz kar gayi komal. Pata nahi kisi ko kitna bada akdu hai, ghamandi hai, Kameena hai...

"ms payal aapse baat karni thi" ranvijay payal ke Saamne a chuka tha aur use hosh tak nahi aaya

"k kya baat hai??" payal ne poocha

"apko aapki maa aur dadi ne shayad bata diya hoga" ranvijay bola

"kisi ki gareeb ko ki lachari kharidne ka shauk hai kya aapka??" payal ne ranvijay ke aankhon me aankhen daalkar kaha

"payal kya badtameezi hai ye, mehman se aise baatein karte hai?? Ranvijay sahab hamare bohut request karne par aaye hai" Mr girish bole

"shh aap. Chup rahiye Mr girish, Ms payal chaliye wahan chalkar baat karte hai" ranvijay bola

Wo table Khaas harshit aur sumedha ke liye sajai gayi thi. Wahan par.....

"mere Paas zyada time nahi hai" ranvijay bola aur payal ke saath wahan baith gaya

Sumedha ye sab dekhkar gusse se aag baboola hone lagi

"Paul?? Get me a glass of best French wine from the car. In logo ke Paas ghatiya wines hi milegi" ranvijay ke insult ko Mr girish bewkoofo ki tarah muskura kar hajam kar gaye

"no thanks mai sharab nahi peeti, decency Bachpan se sikhai gayi hai mujhe" payal boli

"fine mudde par aate hai, are you ok with it??" ranvijay ne poocha

"kya isse hamare Saare loans......" payal boli

"sab maaf" ranvijay bola

"fine, lekin meri kuch shart hai" payal boli

"shoot" ranvijay bola

"1 mujhse zabardasti physical nahi honge aap 2 meri family se hamesha decency se pesh aayenge 3 mujhe kabhi kisi cheez ke liye force nahi karenge" payal ne apni shart rakhi

"fine, as long as you don't meddle with my work I'm OK with whatever" ranvijay bola

"to thik hai aaj mai chalti hoon" payal boli

"chalti hoon?? Aaj hamari engagement hogi" ranvijay bola

"en en engagement?? Mummy dadi unke bina?? Nahi nahi" payal boli

"fir aap bhool jaiye shaadi ko ms payal" ranvijay uth khada hua

Payal sochne lagi ki kya karna chahiye

"aapke family se baat kar li thi maine, ye sirf ek announcement hogi. Baaki baad me bada reception diya jayega" ranvijay bola

Payal ne apni mummy ko phone kiya. Ranvijay dekhta raha. Use pata tha kya hone wala hai aage

"Mr girish mujhe apki beti ka engagement stage chahiye, hum engage ho rahe hai" ranvijay bola

"WHAT????? SIR AAP AAP OS... ISSE.
.. YE TO...." Mr girish ko yakeen nahi ho raha tha

"aapko problem hai isse??" Paul Naam Ka bodyguard Saamne a gaya

"leave it, chaliye ms payal" ranvijay ke bolte hi payal darte darte stage par pohuch gayi

"chalo hato yahan se Mr ranvijay ka engagement hoga abhi" Paul bola

Sab hatne lage, aur jagah banti gayi

"rings kahan hai Chris??" ranvijay ne poocha aur chris Naam Ka aadmi apne pocket se do rings nikal kar Saamne rakh diya

"y ye to costly hai m Mr ranvijay... Mai...." payal ghabra gayi sab kuch itna fast ho raha tha ki wo kuch samajh nahi pa rahi thi. Aur mummy dadi ne kaise Haan bol diya is engagement ko??

Rings adla badli ho gaye aur ho gaya engagement ranvijay aur payal ho hayi

Ashwin, Paul aur Chris jee Jaan se taaliyan baja rahe the
Baaki ke ranvijay ke staff bhi taaliyan bajane lage

Harshit hairan reh gaya uski nazar ek baar payal ke saath mili to payal ne nazrein jhuka li

Payal kisi aur se engagement??? Ye sab.....
Harshit aur wahan ruka nahi aur chala gaya

"harshit ruko harshit" sumedha harshit ke peeche daudi
Thoda ruki aur payal ki aur palti

"payal sinha.... Mai tumhe kabhi maaf nahi karungi iske liye" roansa hokar sumedha boli

Payal dekhti rahi. Poora engagement party barbaad ho gaya tha
Usne aisa to nahi chaha tha, kisi ka bura kabhi nahi chaha tha payal je fir ye sab kyun???

Ek aur shaks khush tha aaj, wheelchair me baitha hua shubham
 
Last edited:
Top